Raghav humesha ki tarah hi manisha ko ched raha tha but is baar manisha ka para chad gaya aur usne kuch sona diya ha ye galat hai ki Maa Baap par nahi jana chahiye tha but ye chiz common hai jab aisi harkatein koi karta hai to chahe wo bade ho ya chote mostly log usko yahi Keh kar counter karte hai ki Maa Baap kya yahi sikhaya.
Yahin asli mudde ki baat hai....
Bade bujurg keh gaye hai ki Aapka vyavhaar hi aapka parichay hai... Even aapki parwarish ka parichay hai
Raghav apne vyavahaar se apna parichay de chuka hai ki wo kis level ka banda hai... even apne so called ma baap ki parwarish ke bare mein bhi....
yahan is story mein raghav ne kuch hi mulakaaton mein manisha se pyar karne laga.. chalo koi na... pyar karna koi gunah nahi... Chalo yeh bhi thik hai ki manisha ke piche pada hai taaki wo bhi izhaar kar de...
Lekin manisha ki nazariye se abhi ke liye ye bas ek attraction hai, wo abhi ek dum se decide nahi kar rahi hai, isliye is mamle mein aane wale waqt pe soch vichaar karne bare mein soch rahi thi...
Par raghav hai ki usko baar baar provoke kar raha tha, aur jis tarah ki ched khani ...e.g. yun baat baat pe ushe pakad lena, khana khate waqt pero pe apna per ghisna...are ghar pe sabhi hai , koi dekh leta to... are sarita dekh leti uske saamne kya image reh jaati manisha ki...
Kya iske bare mein socha raghav ne...
Agar raghav ki is ched khani ke bare mein abhishek ko pata chala to wo to yahi sochega na ki ye log uski dono bahano ko isliye apne ghar rakh rahe hai taaki aisi gandi harkatein kar sake...
Raghav ke jo pints they wo bekar they I mean agar ek ladki aap dekh rahi hai ya Phir has kar baat kar rahi hai ya Phir apki mamuli ched khani ko ek dost samajh kar hi le rahi hai to iska matlab ye nahi ki aap uske jab je chaha aur jaise he chaha waisa mazak karey ya Phir uski in harkaton kuch aur samajh le jis tarah se do ladke ek dusre mazak karte hai ya Phir do ladkiya karti hai jab uska matlab dosti hai Phir yahi same chiz ek ladka aur ek ladki kar rahe they usme kisi ek ko bhi isey alag angle nahi dena chahiye.
Jo insaan khud pyar ko samman dena nahi jaanta .... ushe pyar karne ya jatane ke ka bhi koi haq nahi....
I think...raghav manisha ke layak nahi...