dekhte hi dekhte usme rajkumar nazar aane laga . kapalika boli beti ye teri liye mar
sakta he par tu kya kar sakti he iske liye . kapaliak ki baat sun ek mohani boli maa
aap jo bologi me karungi .
kapalika boli tum 7 din intzaar kar jab me tujhe
bolungi tab tu uske pass jana par wachan de tu aagar tujhe kabhi bhi koi musibat
ho to mujhe milne jarur aayegi .mohani boli maa tu jo kahegi me karungi par tu bhi
wachan de ab tu insano ki bali nhi degi . tu chahe to janvaro ki bali de sakti he par
insaan nhi . kapalika boli thik he beti me tujhe wachan deti hu . vese bhi me kuch
salo ki mehmaan hu par marne se pehle me teri shadi dekhena chahati thi . kapalika
shetan ki murati ke aage jaa ke puja karne lagi . thodi der baad ek awaj guji . bola
kapalika kyu yaad kiya mujeh . kapalika boli mee sarkar me apni beti ki shadi karna
chahati hu . awaj ne bola thik he kar de par shadi ke baad ise bahut dikato ka
samana karna padega . yaad rakh kapalika ye ek daayan he . or daayan ka sharp or
wardan kabhi nhi talta . yaad kar tujhe shadu ko jiske pure parivar ko tune mar dala
tha shadu ne tujhe sharpit kiya tha usne ye bhi bola tha teri santan kabhi sukhi
nahi rahegi . ab tak mohani pe koi vipata nhi aai thi par shadi ke baad use kai
musibato ka samana karna padega .hum teeno unki bate sun rahe the . fir chaya
boli suraj nikalne wala he hume wapas jana hoga . maya ne bola sab ek duare ka
hath pakad lo . humne hath pakad liya or fir se meri ankho ke samne andhera chane
laga . thdi der baad mane ankh kholi hum haveli me the . maya kaya chaya mere
smane hi thi teeno ne mujhe wo sab dikhane ke liye apni sari shaktiya laga di thi or
thak gai thi . mane pucha kya hua tum teeni ye kyu haf rahe ho . maya boli ravi
hum dayan he humari shaktiya kamjor pad rahi he . mane bola tum teeno aram karo
me fir aaunga aage ki kahani janane ke liye . maya ne mujhe ek aunguthi di or boli
ab tum mat aana jab bhi tumko humse baat karna ho is aunguthi ko dil selaga ke
humare naam lena hum teeno tumhara pass pahuch jayegi . mane aunthi le li . fir
me havei se bahar aagaya .bahar jase hi mane kadam rakha haveli ek toti futi
kutiya me dabal gai . raste bhi sunsaaan ujad ho gaye . me unhi raste pe chalta
hua masi ke ghar pahuch gaya . mane darwaja khatkhataya tab suraj abhi nikla hi
tha . darwaja khulte hi me chok gaya