- 492
- 265
- 43
Update14
Fir wahi party fir wahi log fir meri shaadi ki baatein,
Abhi school bhi khatam nahi hua aur....
Disha red colour ke dress me parti jaisi lag rahi thi
Lekin man udas tha.bas thodi ummed thi ki ragini aayegi saath me aakash bhi.lekin saare guest ke aane ke bawjood abhi tak unka koi ata pata nahi tha
Door khade vikrant goel ke saath ek aadmi khada tha aur haathon me whisky ka glass pakde hue dono disha ko dekh rahe the
"To inder aaj tay kar hi lete hai,disha hamare ghar ki bahu banegi"vikrant goel bola
"Sahi hai,der kis baat ki hai"inder whisky ka glass lete hue bola
"Lekin uske baad disha ke naam ki property jo uske maa baap chor kar gaye hai aadhi aadhi"vikrant goel bola
"Ye bhi kehne ki baat hai,jald se jald ye ladki ki shaadi ho jaaye fir hum azaad ho jayenge,abhi tak sirf ek naukar ki tarah lag rahe the lekin shaadi ke baad property ke maalik honge"gusse se inder poori glass khatam kar gaya
Party shaan se chal rahi thi.raunak thi ,ek sweet si music bhi chal rahi thi
Lekin disha ka man tha hi nahi party me
"Uff tragic ki wajah se itna late ho gaye ki poocho mat"
Ye ye awaz to ragini ki hai,y yani aakash bhi aaya hoga
Disha daudkar bahar gayi.ragini aur uske mummy papa sabse baatein kar rahe the
Lekin aakash???nahi aaya??k kyun???
Rona a gaya disha ko,kyun aakash kyun???
Dukhi man se ja hi rahi thi ki
"Mujhe dhoond rahi thi??"peeche chaunkar disha ne dekha ki aakash muskura raha tha
"A a aisa kyun lagta hai tujhe??"disha ne gusse se poochha
"To idhar udhar dekh rahi thi ...."aakash bola
"Uff idiot mai apne dost ragini ko dhoond rahi thi...haan wo rahi ab hat ja peecha"bol apni kohni se aakash ke pet par maarkar chali gayi disha
Aakash fir apna sar khujate reh gaya aur disha man hi man muskura uthi
ALAKH NIRANJAN
ek zordar awaz hui aur sab chup ho gaye
Ek safed labade me lipta ek aadmi aaya,jiske saath kai log the jo shayad uske shishya the,us aadmi ki nazar ek baar aakash ki aur gayi.
Aakash muskuraya,safed labade me lipta aadmi bhi muskuraya
"Yahi hai wo"guru ji muskurate hue apne phone me kuch dabaya aur wapas phone rakh diya
Aakash taiyar ho gaya,mohre apni jagah baith gaye the
Uska maksad uske paas tha,bas shrap kaise bhi karke hat jaaye
Lekin use pata tha ki ek nahi kai logo se ladai karni hai
Shayad is baar aakash jaisa koi na mile
"Kya akele akele soch raha hai bhaiya,ye dekh meri besty disha jiska b'day hai aaj"ragini ne introduce karwaya
"H..hi... aakash m... malhotra"aakash ne apna haath aage karke peecha hata liya use saaf kiya fir aage kiya
"Ye kya harkat kar raha hai bhaiya tu??"ragini irritate hokar boli
"Koi baat nahi rags,hum dono ek hi class me hai tu ja enjoy kar mai kuch baatein karti hoon isse"disha boli
Ragini muskurate hue chali gayi
"Kya baat hehe karni hehe hai"aakash bol aur bewkoof ki tarah hasne laga
"Bewkoofo ki tarah na haskar bahar chalo"disha boli
"Kidhar??"aakash bola
"Terrace par"disha boli
Aakash disha ka haath thamte wala tha.jise disha ne dekha aur ek nazar aakash par daali.aakash ne apna haath wapas hata diya
Dono terrace par pohuch gaye the
"Haan ab bolo "disha ne aakash ko dhakka dekar diwar ke paas sata diya
"K kya kar rahi ho log galat samjhenge"aakash pasine se bheegte hue bola
"Samajhne do"disha ne apne baalon se khelte hue bola
Is ladki Achanak kya ho gaya hai,uff...
Tabhi ek awaz ne dono ka dhyan tod diya
Disha aage ja rahi thi lekin aakash ne uska haath pakadkar peeche kar diya
Disha chaunk uthi.abhi tak aakash ki disha ko choone ki himmat bhi nahi aur ab usne disha ka haath itni sakhti se pakda hai ki ....
"Hat jao disha"aakash bola aur apne coat ka button khilkar,tie nikalkar apne shirt ke cuffs uthakar ,ghadi nikalkar disha ko pakda hia
"Saamne a jao"aakash bola
Talwar liye ke shaks khada ho gaya,safed kapde me
Daudte hue apna talwar lahraya aakash ko maarna ke liye lekin bijli ki foorti ke saath aakash hat gaya
Lekin usi beech us shaks ne ek laat bhi jad diya aakash ki aur jise usne haath se rok liya
Shaks ne talwar ko aasmaan ki aur dikhaya aur aasman se kareeb 100 Talwaar aakash ki aur lapki
Aakash ki aankhen Kaali ho gayi kaano se ,sar se har taraf se dhuan nikalne laga aur ek kaale baadal ne aakash ko gher liya
Talwaarein aakash ki aur aane lagi lekin aakash ke aaspaas mandrate hue kaale baadal ne aakash ke upar ek dhaal si paida kar di thi
Aakash ne apne haatho ko ek ghumav diya aur andhere baadal ne kai chote talwaron ka roop le liya aur goli ke raftar se is safed shaks ki aur badh chale
Lekin isse pehle ki is shaks tak pohunch paate wo shaks gayab ho chuka tha
Disha aankhen fad kar dekh rahi thi sab iske samajh me kuch nahi a raha tha
-------------------------------------------------------------------------------
Akhirkar varun sahara desert pohunch hi gaya tha
"Dhat us awaz ne kaha tha ki ek baar is jagah par pohuch jaun fir wo mujhe kuch shakti dega jisse me us aakash se badla le saku"varun bola
Raat ke andhere me sahara marubhoomi ke ret rahasyamayi ho jaate hai aur ye baat varun ko pata chalne wali thi
Bohut jald
Story achi laga to inbox zroor kara thanks