Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ACCHUTA, SLUNDER, HIDA AUR BRAWNY KAAFI STRONG HO CHUKE HAIN WAHIN DUSRI TARAF MALL ME MAHI RAAZ KO USKI HELP KARNE KE LIYE THANKS KEHTI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-99



PLANET-BLACK SPACE


PLACE-THE LAKE OF OBLIVION







SAMASTAM BHADIKARAHAM

COMPLETE SURRENDER






kaale labade me dhaka ek aks apne chaaron AMPLIFICATION modes me dhyan kendrit kar is SPELL ko lagatar uccharit kar raha tha..

aur ye uccharan uske mooh se pichle 1 mahine se lagatar nikal raa tha...

bina khaaye piye pure devotion ke saath paalthi maar baithe us aks ke aas paas ka pura mahoul andhakar se dhaka hua tha....

THE LACKE OF OBLIVION....

antariksh ke ek aise bhaag me bana ek badi si ujaad jagah jahan surya ki halki si kiran tak nahi pahunch sakti..

infact surya hi kya,is andheri jagah ke upar bane space me koi taara tak nahi jagmaga raha tha...

kaali shaktiyon se bhare patharon ki anginat shrinkhala se bani thi ye ujaad jaga..

is puri jagah ke theek beech ek behad bada sa lake tha aur jiska naam OBLIVION tha aur issi lake par naam pada tha is puri jagah ka...

un asankhya kaale patharon se bani is duniya ke theek beech me kaajal se bhi kaale paani se bhari thi ye lake jiske upar hamesha ek kohra numa SHIELD lagi rehti thi aur us kohre ka colour bhi kaala hi tha...

ussi lake ke kirane tha wo aks jiske mooh se mantra uccharan ho rahe the...

sir us aks ka neeche jhuka hua tha jiske upar wo kaala labada jaise uske chehre ki asliyat par parda daale hue tha....

ek mahine se lagatar enchant ho rahe SPELL ki wajah se us aks ke pure sharir se ek invisible energy ray nikal saamne lake ki taraf jaa rahi thi jisse uske sarhad par hi roke hue the woh kohre...

aur is wajah se ek ajeeb sa jakdan bhi feel ho raha tha us aksh ko apne sharir me par phir bhi pure man se bina ho rahi taklif ko beech me laa uske mooh se SPELL uccharit ho hi raha tha...

aur uske is focus ko woh jheel aur uske aage laga kohra dekh bhi raha tha aur shayad test bhi kar raha tha..

pichle ek mahine se bina result milne par bhi lagatar mantra uccharan kar rahe us aks se behad khush ho chuki thi woh jheel aur usme samayi behisaab kaali shaktiyan....

aur isiliye....

achanak se hi us kohre numa shield ne us aks ke invisible energy rays ke liye raasta de diya aur aisa hote hi woh energy rays aage badhi aur agle hi pal uska sangam ho gaya us kaali jheel ke paani se aur jab aisa hua toh....

ek saath do chizen hui..

pehli...

halke halke vibrations hone lagi us jheel ne maano woh us energy rays ke through us aks ki taakat ko jaanch raha ho....

dusri...

jaise hi energy rays ne un kohre numa shield ko penetrate kiya,toh us aks ke mooh se nikal raha mantra uccharan rook gaya..

reason....

uska maksad pura ho chuka tha...uske dedication se khush ho chuki thi OBLIVION aur isiliye aaj ek mahine baad SPELL uccharan band kar wo aks apne CEREBRATION process se bahar aaya aur uski aankhen khul gayi..

aankh khol usne apne sir par laga labada hataya aur jab aisa hua toh us andhakar se doobi duniye me pehla halka prakash dikha joki us aks ke chehre ke gorepan ka tha..

chehra saamne aa chuka tha aur ye chehre jaana pehchaanana tha...ye aks thi MABBA....

ji haan doston MABBA....jo yahan pichle 1 mahine se apne shakti ko ek alag level par pahunchane ke liye lagatar tapasya kar rahi thi...

aur isiliye hi ye pichle ek mahine se CHOSENS me nahi thi..

aur aisa ye kar rahi thi SEBIL ke kehne par jo pehle hi yahan aa chuki thi aur khudko yahan ki kaali shaktiyon ko samarpit kar shakti haasil kar chuki thi..

darasal pehle un paanch WICKEDS ki buri haalat jo ki toh waise RAAZ ne thi par credit le gayi thi nakabposh urf HIDA,aur phir MABBA ka paala paltu snake jo ki kaali shaktiyon ke ek chota par behadh shaktishaali symbol tha,aur jisse khud SEBIL ne hi apni chhoti behen ko gift kiya tha,jab uske patan ke baare me SEBIL ko pata chala toh MABBA ke ulat usne josh nahi balki hosh se kaam sambhala...

jahan MABBA bas RAAZ aur uske doston se badla lene ka soch rahi thi wahin SEBIL chahti thi ki takraav hone se pehle MABBA ki shakti badhayi jaaye...

shatru ko kam nahi aankna chahiye,ye samajhti thi SEBIL aur isiliye hi usne MABBA ko yahan bheja tha taaki EXERTION we pehle MABBA ki shakti aur badh jaaye...

aur MABBA kabhi bhi apni big sister ki baat nahi kaaththi thi aur isiliye woh yahan pahunchi..

bhale MABBA jaisi bhi thi,par is sach ko jhultaya nahi jaa sakta ki PHASE 2 ki sabse shaktishaali WHIZZ thi woh aur jiska matlab tha ki lagan aur focus ki kami nahi thi MABBA me aur ek mahine tak lagatar yahan ke retual aur proccess ko follow kar is baat ko saabit bhi kar diya tha usne..

khair, jaise hi MABBA ne apna labada hataya aur uska face saamne aaya toh uski haalat uske tapasya ko bayan karne lagi..

bhare hue chehre ki maalkin MABBA ka filhal face dull aur pura sukh gaya tha...

aankhen andar dhas chuki thi jinme zamane bhar ki thakan bhi dikh rahi thi...

kaale labade me dhaka sharir bhi kaafi patla lag raha tha..

paused CEREBRATION me rehne ki wajah se MABBA ko apne external haalat ka andaza nahi tha par ab jab uski aankhen khul chuki thi toh woh khudko behad kamzor feel karne lagi thi..

par itne negetives ke baad bhi uski kamzor aankhon ke beech ek chamak thi..

challenge pura karne ko chamak..

aur ussi chamak ke saath woh saamne jheel ke us bhaag ki taraf dekh rahi thi jahan halke halke vibrations ho rahe the aur tabhi...

BOOM......

un vibrations ke beech ek dhamaka hua us jagah par jiske baad ussi jagah se ek behadh gaadhi paani se bani BLACK RAY nikal MABBA ki taraf badhi aur agle hi pal...

AAAHHHHH.......

MABBA ki tez cheekh se gunj utha woh shaant mohoul....

woh ray MABEL ke seeene waali jagah se takra sidhe uske sharir ke andar jaane laga tha..

wahin us ray ke force se MABBA piche palat neeche girne ko hui par woh giri nahi...

talwar ki tarah MABBA ke seene ko bhedthe hue woh paani se bani ray uske aar paar nikal piche patthar par gadh chuke the aur MABBA cheekhne ke baad aadhe baithe,aadhe lete position me marne si haalat me padi hui thi...

ye tha external view..par iske saath hi ek internal view jo bhi maine cheez thi,woh bhi ho rahi thi...

darasal woh paani numa ray MABBA ke sharir ke andar ghus pehle uske khoon ko aur phir baaki teeno AMPLIFICATION modes ko apne surrender me le rahi thi aur usko aisa karne se chaaron hi AMPLIFICATION modes rok nahi rahe the..

reason...

spell toh yaad hi hoga.. COMPLETE SURRENDER....

MABBA ke chaaron AMPLIFICATION modes ne pehle hi un paani numa shakti ke aage surrender kar diya tha...

kuch hi pal me MABBA ke chaaron AMPLIFICATION modes par kabza ho chuka tha BLACK ENERGY ka jiska matlab tha ki ab MABBA human hote hue bhi ban chuki thi ek DEVIL....

process pura hote hi woh BLACK ENERGY ke rays gayab ho gaye aur aisa hote hi MABBA ki aankhen bhi khul gayi..

aankh khulne ke agle hi pal ek jhatke me khadi ho chuki thi MABBA woh bhi apne purane yaa phir ye kahun ki pehle se bhi zyada aakarshak swaroop me..

aankhon ki putliyan puri kaali ho chuki thi jiske andar chhuppi beshumar shaktiyon ko ek baar khudh hi mehsoos kar ek pal ke liye apni aankhen band ki usne aur jab wapas kholi thi woh normal ho chuki thi..

sirf dikh sab normal raha tha par is waqt uske sharir ka har bhaag abnormal aur taakat se bhar chuka tha..

ek baar apni shaktiyon ko phirse mehsoos kar MABBA ke aankhon ke aage RAAZ ka chehra ghuma jisse uski aankhon me darindagi dikhne lagi aur phir is naye MABBA ke hile honth..


MABBA-

jo chot tune di, woh bharne ki jagah gehra ZAKHM HO GAYI....

zindagi apni jee li tune, MOUT ki di hui tujhe mohollat ab KHATM HO GAYI.....






PLANET-ELYSIAN


PLACE-FORBIDDEN FOREST







MADIPARITO SHAKTIYEM

AMASS POWERS



raat ke aakhri pahar FORBIDDEN FOREST ke antim daayre me jahan yahan ke sabse bade aur ghane pedon ka jhund laga hua hai,uske beecho beecho baith tha ek shaksh aur lagatar uccharit karta jaa raha ta is SPELL ko...

us shaksh ke chaaron taraf kaali chaadaron ka ghera tha joki asal me ek aisa diwar tha jisse koi bhi laangh nahi sakta tha...

aankhen band kiye ekaagrata ke peak par pahunch woh shaksh jab bhi SPELL uccharit karta toh kahin door se wo kaali par chamakdaar urja aakar uske sharir me sama jaati...

pichle 3 ghanton se yunhi baitha SPELL uccharan kar raha tha VIDEOUS...

jee haan doston,ye VIDEOUS hi tha aur jo kaali shaktiyon ki abhedya diwar uske chaaron taraf bani hui thi,woh uske teeno DEVOTEES ne banayi thi jisse SOVEREIGN'S tak dekh toh sakte the,par tod nahi sakte the...

aur baat karen VIDEOUS dwara uccharit hone waale SPELL ki aur uske uccharit hote hi us kaali chamakdaar urja ki jo VIDEOUS ke sharir me lagatar samaye jaa rahi thi toh darasal chosens
ke pure itihaas me jitne bhi layak SAVENTS rahe the yaa fir to bhi precise,jitne bhi laayak WICKEDS rahe the, VIDEOUS ne un sabhi SAVENTS ki shaktiyon ki urja ko copy kar ek jagah par sanjo kar rakha tha..

kisi aise waqt ke liye jab agar usse uske rachaye khel me apni aloukik shaktiyon ko chhupana pade,tab bhi shaktiyon ki kami naa rahe uske paas....

par abhi tak toh iski zaroorat padi nahi thi VIDEOUS ko par subah shuru hone EXERTION me padne waali thi...

aur khaaskar tab jab VIDEOUS ne ye gour kiya tha ki RAAZ kaafi tezi se growth kar raha hai..

aur woh growth ek talented SAVENT ke liye bhi aascharya janak hai par jo bhi ho,ab tak toh bhale hi uska aur RAAZ ka shakti pradarshan ke liye aamna saamna hua nahi tha par kal aisa hone waala tha...

aur apne ek maatra pratidwandi se bhala kaise peeche reh sakta tha VIDEOUS aur isiliye sadiyon se sanjoye in shaktiyon ko apne chaaron AMPLIFICATION modes me transfer kar raha tha VIDEOUS....

teen ghanton ke lagatar enchantment ke baad aahirkar saare chuppaye WICKED SAVENTS urja VIDEOUS ke chaaron AMPLIFICATION modes ke saath merge ho chuki thi aur jab aisa hua toh VIDEOUS ki aankhen khul gayi...

jabse apni aloukik shaktiyon ka temporary tyag kiya tha VIDEOUS ne,uske baad aaj pehli baar woh khudme taakat ka sanchar mehsoos kar raha tha..

haan,ye toh sach hai ki uske aloukik shaktiyon ke aage in shakityon ki koi haisiyat nahi thi par ek sach ye bhi hai ki ek SAVENT ke hisaab se ye shaktiyan GOD LEVEL ki thi jinhe 1000 se bhi zyada kaabil aur shaktishaali SAVENT milkar bhi hara nahi sakte the...

aur clearly bataun toh is waqt VIDEOUS ke andar ek normal level ke ke ANGEL jitni powers aa chuki thi....

khair,aankhen kholne ke baad ek chamak dikhne lagi thi VIDEOUS ki aankhen me..

RAAZ se apne nirnayak takraav se pehle ek practice match ke jaise is SAVENT waale avatar me takrane ki chamak...

ek baad phirse aankhen band kar in nayi shaktiyon ko dobara mehsoos kar usne aankhen kholi aur...


VIDEOUS-


shikar karne se pehle chalo apne shikar ke saath zara KHEL LE.....

mout jab dunga,tab dunga par pehle, tu us mout ke dard ko JHEL LE....







PLACE-THE PROHIBITED SPACE






ANTARMANAM DRISHYAM

INSIGHT VIEW



SPELL uccharan ke saath hi mai apne hi andar pahunch chuka tha...

behad tez prakash ke beech meri urja mere sharir ke har bhaag me ghum rahi thi....

ye tez prakash asal me woh emotions stable power thi jisse pichle ek mahine ke lagatar mehnat aur focus se maine haasil kiya tha......

is prakashit safar me tezi se meri urja har taraf dekhti hui aage badh rahi thi ki tabhi achanak...

ek jagah pahunch woh ruk gayi aur aisa hote hi mujhe khushi bhi toh hui par usse zyada hairani hui..

reason....

mere heart ke paas ek aisi jagah thi jahan ab tak bilkul bhi roshni nahi hui thi jiska matlab tha ki woh bhaag abhi stable nahi hua tha..

ussi jagah par woh divya roshni chamak rahi thi jisse dhund raha tha mai...

aur isiliye hi mujhe khushi hui thi...

par hairani ki baat ye thi ki baaki ke woh sabhi bhaag jo pehle unstable the,unme chippi asimit urja hamesha se hi mehsoos ki thi maine par aaj jab is bhaag par mai pahuncha toh paaya aur mehsoos kiya ki is khaali bhaag me urja bhi gayab thi...

bilkil khaali sthan tha ye jagah...khair, jaise hi us khaali sthan par chamak rahe GODLY urja ki kiran ko dekha maine toh ek pal ke liye woh urja aur tez chamki aur phir gayab ho gayi...

par gayab hone se pehle woh mere paanchon AMPLIFICATION modes joki abhi ek dusre se jude hue tha,unhe taakat ki khuraak de chuki thi aur isiliye us ray ke gayab hote hi meri aankh bhi khul gayi...

aur aisa hote hi mere chehre par smile aa gayi....

reason...

mere filhal chaaron humraaz HIDA, BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER ek jagah par khade the jiska matlab tha ki EXERTION se pehle ki unki antim practice complete ho chuki thi...

ek saath khade woh chaaron unke saamne rakhe chiz ko joki SPELLER tha,usse ghur rahe the aur apne apne sir ko khuja us alag se dikhne waale SPELLAR ko samajhne ko koshish bhi kar rahe the...

alag kyun,aayiye khud hi jaan lijiye...


MAI-jo jawab saamne se hi mil jaana hai,usse jaanane ke liye sir kyun khapana..???


un chaaron ke paas pahunch maine apni baat kahi jispar...


ACCHUTA-bhai, karamat hi tune aisi ki hai ki dimag khapana laazmi si baat hai...


HIDA-tumne apne, ACCHUTA aur SLUNDER,teeno ke hi SPELLER ko mila kar ek SPELLAR banaya hai naa,kyun....????

MAI-tum chaaron ke powers kaafi nourish ho chuke hain..

agar aise me ek hi SPELLER ko tum chaaron ko powers examine karne ke liye rakha jaaye toh power measure karne waala liquid RED se bhar aayega joki POWERFUL shaktiyon ka smarak hai par waisi power toh yahan ke WICKEDS aur MORALS ke paas bhi hoti hai..

par ab jab maine teen SPELLARS ko ek kiya hai toh aise me YELLOW aur ORANGE liquid joki weak aur average power dikhate hain,woh bahar aayenge hi nahi..

is three in one SPELLAR ke tubes me sirf red liquid hi dikhega aur upar uththe hue tum chaaron ki shaktiyon ko check karega aur naapega..

ACCHUTA-yaar,ye toh badhiya idea hai...par kya iska ye matlab hai ki agar is modified SPELLAR ki jagah normal SPELLAR hota toh usme hamari shaktiyon se GREY liquid joki invisible strength ka prateek hai,usse bhar jaata..


ACCHUTA ki baat par mai halke se muskura diya aur..


MAI-INVINSIBLE STRENTH sirf powerful METAPHYSICAL capabilities se nahi mil sakti ACCHUTA...

uske liye paanchon AMPLIFICATION modes ka ek hokar pure AMPLIFICATION form me aana zaroori hai..

aisa hote hi WHITE aur BLACK ENERGY ka mishran banta hai sharir me jisse shakti 1000 guna tak badh jaati hai...

aur aisa gift SAVENTS ko nahi mila hai ab tak...

isiliye filhal us strength ko bhul jaao aur jitni taakat haasil ki hai,usse aazmao...

waise HIDA, BRAWNY ko SPELLAR aur uske kaam karne ke tarike ke baare me bata diya hai naa tumne...

HIDA-haan,bata diya hai...

MAI- SHATIYEM PARVUJAKTE....

yahi SPELL hai jisse apni apni shakti naapi jaati hai..ek ek karke saamne aao aur SPELLAR ki taraf haath kar SPELL bolo...

apni baat karte hue hi mai thoda aage badh gaya aur kareeb 10 metre un chaaron door pahunch maine SPELLAR ko hawa me hi latka diya aur uske baaju me hi khada ho gaya..

wahin meri baat sun SLUNDER ne sabse pehle apne haath aage kiye aur.....


SHAKTIYEM PARVUJAKTE.....

SPELL uccharit hote hi uske haathon se uske chaaron AMPLIFICATION ki power uske haath me merge hokar prakat hui jiske agle hi pal...

ek gaadhi WHITE ray uske haathon se nikal sidhe SPELLAR par padi jiske baad SPELLAR ke nichle tath par RED LIQUID dikhne laga jo dheere dheere upar uth raha tha...

pure SPELLAR par percentage ke hisaab se marking bhi thi jisse dheere dheere wo red liquid cross karta hua upar uthne laga tha..

wahin SLUNDER ke jabde aapas me fase hue the jiska arth tha ki usne apni shakti ka pura zor lagaya hua hai..

woh liquid upar uththa hua ab tak 75 percent tak pahunch chuka tha par uske baad uske growth rook gayi aur isiliye maine apna haath upar kiya jiske baad SLUNDER ne apna haath niche kar liya...


MAI-not bad SLUNDER...growth rate kaafi achi hai tumhari....

agar ye normal SPELLAR hota toh sirf 5 second me hi red liquid pura bhar chuka hota aur aisa filhal koi WICKED ya MORAL bhi nahi kar sakta....

meri baat sun khush ho gaya tha SLUNDER...

khair, SLUNDER ke baad ACCHUTA,uske baad HIDA aur last me BRAWNY ne bhi apni apni shakti ke limit ko examine kiya jiska result utna hi raha jitna ki SLUNDER ka tha..

is extra power consuming SPELLAR ko bhi in sabne 75 percent tak bhar diya tha aur aisa karna kahin se bhi sadharan baat nahi thi...

ye chaaron wakayi kaafi shaktishaali ho chuke the aur us taakat ka namuna kal EXERTION me pura CHOSENS dekhne waala tha...

khair,woh chaaron ne hi apne apne power test kar liye the aur isiliye SPELLAR ko wapas rakhne ke liye maine uski taraf haath badhaya hi tha ki tabhi...


ACCHUTA-bhai yaar ek request hai.. tune toh hum sabki power dekhi bhi hai aur parkhi bhi hai..

hum chaaron bhi ek baar teri GROWTH dekhna chahte hain...


ACCHUTA ne jo kaha,wahi request baaki teeno ke bhi aankh me dikha mujhe aur isiliye mai bhi muskurate hue unke paas aaya,wapas muda aur apne haath SPELLAR ki taraf kar diye jisse dekh woh chaaron khush ho gaye...


SHATIYEM PARVUJAKTE...


mere mooh se SPELL uccharit hua jiske baad jab meri shakti ka ray mere haathon se nikal SPELLAR par pada toh woh chaaron hi turant SPELLAR ke paas pahunch gaye..

un chaaron ki hi tarah meri shakti se bhi us SPELLAR ke andar red liquid bharne laga jo upar uththe hue lagbhag 80 percent par rook gaya aur aisa hote hi maine apna haath niche kar liya..


SLUNDER-waah yaar..tera normal power bhi humse zyada hi hai..

ACCHUTA-haan par sirf 5 percent.. RAAZ,dekhna,hum chaaron bhi bohot jald tere power level tak pahunch hi jaayenge...

MAI-mujhe intezar rahega us pal ka...chalo ab niklo tum sab. time ho gaya hai...

ACCHUTA-tu nahi aayega saath..

MAI-filhal yahan aur training ki zaroorat nahi hai tum chaaron ko..

isiliye is jagah ko bhi ab yahan hone ki zaroorat nahi hai..mai isse shrink karke aaunga...


ab aur yahan training nahi hogi,ye sun woh chaaron ek pal ke liye udaas hue,par phir khudko normal kar bahar exit ki taraf badh gaye..

par phir BRAWNY achanak palta aur mere sane aakar khada hua aur..


BRAWNY-thanks RAAZ...tarika bhale kuch bhi raha ho,help tumne meri bohot ki hai...tumhari wajah se hi looser ka tag hat paaya hai mujhse...

MAI-hata nahi hai abhi woh tag..kal sabke saamne including tumhare mom dad,tum hataoge us tag ko...

jo zindagi tum khudke aur apne parents ke liye chahte the,kal ke baad woh mil jaayega tumhe...

bas apna focus mat khona...


meri baat sun jasbaati hi gaya tha BRAWNY par isse pehle ki woh kuch aur kahe...


MAI-jao BRAWNY aur apni bhaavnaaon ko niyantran me rakhna bhi sikho...

hunar aur nikhar jaayega...

meri taraf ek baar aur thanks waali nazar se dekh BRAWNY palat SPACE se bahar nikal gaya..

aur uske jaate hi..


DHANUR-apne doston ko toh apni shakti ki limit dikha di,ek baar mujhe bhi dikha do par asli limit...

woh jhuti limit nahi jisse dekha aur sach samjha hai un chaaron ne..


DHANUR ki baat par ek baar muskuraya mai aur....


MAI- SHAKTIYEM PARVUJAKTE...


ek bar phirse SPELL uccharit hua mere mooh se jiske sirf 5 second baad hi SPELLAR pura 100 percent tak red liquid se bhar gaya tha aur uske baad shuru hua SPELLAR me kampan jisse dekh aur mehsoos kar..


DHANUR-adbhudh....


DHANUR ke aisa kehte hi maine apne haath ko niche kar liya jiske baad..


DHANUR-tum lagbhag taiyar ho RAAZ...mera kaam khatm hua par mai EXERTION dekhna chahta hun isiliye kal competition ke baad mai tumse aur karm lok se hamesha ke liye vida lunga...


MAI-zaroor....waise EXERTION ka wait toh mujhe bhi hai...

KHEL rach khudko sarvashreshta toh ghoshit kar diya hai VIDEOUS ne par ab....




dekhna usse bhi hai jo kaam mere KIRDAAR KA HAI.....

ye khel ab takkar ka hoga,pata mera bhi ab TAAKAT ke BAZAAR KA HAI....


jeetne ka maza bhi aana hi hai,khaas kar tab......


jab intezar logon ko,meri HAAR KA HAI.....















AAJ KE LIYE ITNA HI...........






 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABBA DEVILISH SHAKTIYON KE SAATH AUR TAAKATWAR HO CHUKI HAI,DUSRI TARAF VIDEOUS NE BHI SADIYON SE SANJOYE SHAKTIYON KI MADAD SE KHUDKO BOHOT TAAKATWAR BANA LIYA HAI WAHIN TEESRI TARAF ACCHUTA, SLUNDER,HIDA AUR RAAZ NE BHI KHUDKI SHAKTIYON KO NIKHAR LIYA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-100



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS


EXERTION-PART 1







GOOD MORNING SAVENTS.....SO FINALLY WOH DIN AA HI GAYA JISKE LIYE PICHLE EK MAHINE SE AAP SABHI KADI MEHNET KARTE AA RAHE HAIN...

EXERTION.....


behadh josh aur khushi ke saath SHAILA ne kahi thi ye baat....

Subah ka waqt hai aur filhal PHASE 2 ke sabhi SAVENTS ussi stadium me moujud hain jahan SWEEPSTAKE competition aayojit hota hai...

EXERTION bhi yahin conduct ho raha tha..

jahan SWEEPSTAKE competition ko sabhi SAVENTS ne stands me baith ya khade hokar dekha tha,wahin aaj woh sabhi WICKEDS aur MORALS ki tarah ground ke beech me khade the aur ye feeling bhi sabke liye kamal ki thi..

teeno SOVES aur kuch faculty ground ke theek beech me khade the..is faculty me MABBA bhi thi jo aaj ek mahihe ke baad louti thi..

uski chamakdaar aakhen RAAZ ko hi ghur rahi thi....

saare SAVENTS apne apne catagory ke hisaab se ek gola banaye hue khade the..

par stands aaj bhi khaali nahi tha balki wahan PHASE 2 ke sabhi SAVENTS ke parents baithe hue the...

khair, SHAILA ki baat ko aage badhte hue....


AKSHAANT-CHOSENS ke pure itahas ka sabse khaas aur hopefully yaadgar hone waala hai ye EXERTION....

kyunki bohot si aisi cheezen hain jo pehli baar hone waali hai is competition me....

pehli baar is competition me STELLARS lead nahi karenge balki PHASE 2 ke teeno hi catagories ko isme barabar ka mouka milega...

saath hi aisa pehli baar hone waala hai jab STELLARS ke kuch SAVENTS apne catagory se participate naa kar baaki ke do catagories se participate karne waale hain...

and lastly,ek aur change hua hai is competition me jo pehle kabhi nahi hua...

aur woh ye ki jo teen STELLARS dusri catagories se participate karne waale hain,unki jagah ko bharne ke liye aur balance rakhne ke liye PHASE 3 ke 2 SAVENTS STELLARS ki taraf se participate karenge....


aur ye tha aaj ka pehla jhatka sabke liye... ghante ka balance...

WICKEDS,joki waise hi kaafi powerful hote hain,woh STELLARS ki taraf se participate karne waale the,is baat se equality ka parameter toh khatm ho hi gaya tha..

PHASE 2 ke SAVENTS abhi bhi magic ki duniya me amatuer hi the aur WICKEDS experienced,toh aise me STELLARS ka palda competition shuru hone se pehle hi bhaari ho chuka tha..

AKSHAANT ke is revelation se saare SAVENTS ke beech gossip shuru ho gayi thi par tabhi...


MOKALSAR-silence.....saare parents ka bhi hum dhanyawaad karte hain jo apne bachon ka housla badhane ke liye yahan moujud hain..

aap sabki moujudgi se hum khush hain par saath hi we hope ki aapke bachon ne aapko bata diya hoga ki EXERTION is no ordinary or safe competition..

its a deadly COMBAT competition with very few rules...

is competition me hone waale metaphysical activities aur uccharit kiye jaane waale SPELL dangerous hote hain jisme participants ke gambhir tarah se chotil hone ke pure chances hote hain..


MOKALSAR ki baat sun sabhi parents joki pehle se hi kaafi nervous the,woh aur ghabra chuke the...

un sabko apne apne bachhon ki behad chinta ho rahi thi par saath hi woh ye bhi jaante the ki kuch ho toh sakta hai nahi..

ye CHOSENS hai aur yahan ka har challenge khatarnaak toh hona hi hai..

wahin in sabke beech sabse zyada dare hue dikh rahe the BRAWNY ke PARENTS joki is waqt baaki parents ke stands se door ussi stand me khade hokar saari baatein sun rahe the jahan SWEEPSTAKE ke waqt BRAWNY, ACCHUTA, SLUNDER aur RAAZ ko rakha gaya tha..

WEEKLINGS parents side effect...

khair, MOKALSAR ki baaton ko sun apne bache ke liye kaafi dare hue the woh dono par baaki parents ki hi tarah woh dono bhi majboor hi the...


SHAILA-RAAZ, ACCHUTA, SLUNDER....aap teeno dusre catagories se participate karne waale hain..

so you can go and stand with your respected catagories..


SHAILA ki baat sun MARIA aur FLORIN kaafi hairan ho gaye..is baare me unhe kuch hi pata nahi tha aur woh isiliye kyunki ALFREEN ne unhe is baare me kuch bataya nahi tha yaa fir ye kahun ki maine hi usse batane se mana kiya tha taaki woh dono stress naa len...

khair, SHAILA ki baat sun mai, ACCHUTA aur SLUNDER GROOMERS aur WEAKLINGS ki taraf badhe hi the ki tabhi...


ALFREEN-ek minute RAAZ....


mujhe rok ALFREEN thoda aage badhi aur...


ALFREEN- SOVEREIGN'S....with all due respect,mai bhi is competition me STELLARS ki taraf se nahi balki WEAKLINGS ki taraf se participate karna chahti hun...


ALFREEN ki baat sun sabhi ko jhatka laga tha...

usne is faisle ke baare me MABEL tak ko nahi bataya tha par ab jab usne sabke saamne ye sab bol diya tha toh koi kuch kar bhi nahi sakta tha...

SOVEREIGN'S ke peeche khadi MABBA ke chehre par bhi ALFREEN ki baat sun ek pal ke liye ghussa aaya jisse usne dhak diya...

khair, ALFREEN ki baat sun..


SHAILA-are you sure...???

ALFREEN-yes SOVES...

SHAILA-ok then..you can participate as a WEAKLING...

ALFREEN-thanks SOVES....


muskurate hue thanks keh ALFREEN palti aur mere saamne aakar khadi ho gayi...

mai kuch kahun usse pehle hi..


ALFREEN-RAAZ..agar mujhe back off karne ke liye kehne waale toh please mat kaho..

tumne mujhe mom,pops ko tumhare faisle ke baare me batane ke liye mana kiya tha and i did that..

ab tum bhi mere faisle ki respect karo...i am with you in this...


MAI-chalo...


itna hi kaha maine jispar khush hote hue ALFREEN mere saath WEAKLINGS ki taraf chal padi..

jahan ek taraf ALFREEN ke paas aate hi MABEL usse jhaadne waali thi,par uski mujhse kahi baaton ko sun chup reh gayi woh wahin stands par baithe FLORIN aur MARIA ne jab pehle ALFREEN ko SOVES se kuch kehte dekha aur phir mere saath dusri catagory ki taraf badhte dekha toh woh dono samajh gaye ki unki beti RAAZ ke saath dusri catagory se participate karne waali hai..

ye jaan woh dono nervous toh hue hi par saath hi ALFREEN ka RAAZ ke saath milkar competition me participate karna dekh khush bhi the..

par hairan sirf MARIA aur FLORIN hi nahi the,balki dusre stand par khade NAOMI aur SHALTON ne bhi jab ye dekha ki mai unke bete ke catagory ki taraf se participate karne waala hun, toh unki hairani ka thikana hi naa raha....

khair,hum chaaron ke catagory switch karte hi....


SHAILA- ANWIR,MORANA...join your team, STELLARS...


SHAILA ke aisa bolte hi upar akash me ek magic door khula aur usse niche koode ANWIR aur MORANA....

aisi entry se sabhi SAVENTS surprised bhi the aur kaafi SAVENTS impressed bhi...

zamin par aa woh dono aage badhe aur STELLARS ke saamne khade ho gaye..

wahin un dono ko dekh MAHI aur MABEL,dono ka hi dimag kharab ho gaya tha par VALDIS bohot khush tha...

khair,basic anouncement ho chuki thi aur ab baari thi main anouncement joki competition par tha,uske baare me bolne ki aur isiliye..


SHAILA-itna toh aap sabko pata hi hai ki EXERTION kul teen CHALLENGES me divided hai..

aur ye teen CHALLENGES hain...

1-EVALUATOR

2-SURVIVAL

3-KNOCK OUT


toh ye hain woh teeno hi challenges ke naam jinka aaj aap sabko saamna karna hai..

ab ye challenges asal me hain kya,ye toh challenge ke waqt hi pata chalega par filhal itna jaan lijiye ki first challenge,EVALUATOR in teeno hi challenges me ek maarta aisa challenge hai jisme aap sabko kisi bhi tarah ka khatra nahi hai...

ye challenge aapki physical aur AMPLIFICATION shakti ko jaanchne ka competition hai jisme aap sabko exel karna hai...

par kyunki ye ek group challenge hai isiliye sirf individual performances kaam nahi aayenge...

har catagory ke SAVENTS ka ek collective score count kiya jaayega...

har competition 100 points ka hoga jisme collective performance ke hisaab se score diya jaayega...

i hope,jitni baatein batayi gayi hai,utna samajh gaye honge aap sab...

aage ki baatein challenges ke waqt batayi jaayegi...

pehla challenge EVALUATOR thik 15 minute baad start hoga...warm up your bodies SAVENTS and give your best and show everybody,that you are the best....


last line SHAILA ne mujhe dekh kar kahi thi...

khair, SHAILA ki baat khatm hote hi sabhi catagory apni baaton ke lag gaye the..

wahin ALFREEN ko bhi WEAKLINGS me khada dekh..


HIDA-humare catagory se participate karne ke liye thanks ALFREEN....


HIDA ki baat par ALFREEN muskurayi aur phir woh kuch kehne hi waali thi ki tabhi...


TUMHE HARANA ACHA NAHI LAGEGA MUJHE...


mere piche se ye awaaz aayi jisse sun jahan ek taraf mai muskurate hue mooda wahin ALFREEN ka muskurata hua chehra ghusse se bhar gaya..

reason...

ye awaaz MORANA ki jo thi jo gehri nigahon se mujhe dekh rahi thi...

khair, mai kuch kahun usse pehle hi..


ALFREEN-fuck off MORANA....


ALFREEN ki baat sun ek pal ke liye ghussa dikha MORANA ke face par lekin uske baad wapas smile dete hue...


MORANA- bohot taklif hone waali hai tujhe ALFREEN aaj..taiyar rehna...

MAI-dard toh har kisko hota hai MORANA...agar isse ho sakta hai toh tumhe bhi ho sakta hai...

MORANA-wooooh......kya baat hai,tum protection kar rahe ho iski....???dil toh nahi aa gaya ispe...???

aisa kuch hai toh rok lo khudko..??

i have seen and felt ur capabilities RAAZ...i know you but dont know me..

tumhe bhi pata hai ki aaj is competition me kitna khatra hai tumpar par agar kisi tarah tum survive kar gaye toh you are mine..

just mine....

MAI-naam mera RAAZ ek kaaran se hai MORANA...the more you dig me,the more deeper i get...

fir bhi,tum mujhe jaanti ho,is galatfehmi ko aaj door kar dunga mai and i more thing...

tumne mujhe ek offer diya hai,ab ek meri suno...

mera survival chhodo,jin logon ki wajah se tumhe lagta hai ki mai khatre me hun,agar aaj woh log survive kar gaye toh i am all yours...


meri baat sun aur us baat ko bol mere chehre ke thehraav ko dekh halki hairan hui MORANA par phir woh ek baar phirse gehri nazar se mujhe checkout kar nikal gayi aur uske jaate hi...


ALFREEN-ye kis khatre ki baat kar rahi thi aur iski bakwas sunane ko jagah tumne iska mooh kyun nahi toda...???

MAI-EXERTION ye hai..normal sports nahi,khatra toh hoga hi aur kis baat ke liye mooh todu uska..

for lusting me..!!!i like it...

HIDA/ALFREEN-what...???

MAI-you heard me...ab ye sab chhodo aur focus karo..


ALFREEN,baaki dono catagories me zyada SAVENTS hain.. first challenge me toh ye drawback hai unke liye par final two challenge me ye humara drawback hoga..

isiliye pehle challenge par pura zor lagana hai tum sabko...

ALFREEN-tum sabko matlab??tu zor nahi lagayega...

MAI-focus ALFREEN... first challenge zaroor pysical energy ke upar hai...apne AMPLIFICATION modes ki taakat ko apne body me jodna karna shuru karo tum sab...

ye 15 minute SOVES ne isiliye hi diye hain...


yahan jaise hum first challenge ke liye ganit laga rahe the,waisa hi kuch baaki ke dono catagories me bhi ho raha tha aur aisa karte hue SOVES ke diye 15 pure ho gaye jiska matlab tha...



EXERTION STARTS NOW.......

FIRST CHALLENGE......….………

EVALUATOR:-





EVALUATOR..... AAP SABKE PYSICAL FORCE KO NAAPNE KA CHALLENGE HAI...


ye baat boli thi REGIS ne joki aaj EXERTION ke ek tarah se sutradhaar bhi the aur referee bhi...

teeno hi catagories me SAVENTS ke saath koi ek WHIZZ yaa WHIZZDER participate karne waala tha..

STELLARS ki taraf se MABBA thi, GROOMERS ki taraf se EDWINA aur WEAKLINGS ki taraf se HIDA..

matlab teeno hi catagories me women power ko aage rakha gaya tha..

khair, apni baat ko aage badhate hue...


REGIS-jaisa ki aap sab dekh rahe hain ki STELLARS aur GROOMERS ke saamne WEAKLINGS me kam participants hain..

isiliye fair game khelne ke liye individual performances ko ek ratio me daal pure catagory ke performance ke according divide karte hue points diye jaayenge...

pehle dono challenges me kul 100 points honge aur final challenge me honge 300 points....

kul 500 points me jo catagory sabse zyada score karegi,winner wahi hogi....


challenge kaise justify hoga,is tarike ko sun SAVENTS ke saath stands par baithe sabhi parents nervous bhi ho rahe the aur excited bhi...

wahin apni baat bol REGIS ne apna haath aage ki taraf kar man hi man ek SPELL uccharit kiya jiske baad unse kuch door line se ek ke baad ek 10 pedh prakat hue jisse dekh hairan hote hue sabhi SAVENTS ke mooh se ek saath nikla...


QUEBRACHO......


QUEBRACHO forbidden forest me paaye jaana waala hardest tree hai jisse uske trunk se kaatna kaafi mushkil hota hai...


(NOTE-FORBIDDEN FOREST WAALI BAAT BAS FAKE HAI GUYZZ.. QUEBRACHO WAKAYI ME HAMARE WORLD KE HARDEST TREES ME SE EK HAI.. GOOGLE KAR LIYO)


SAVENTS ke mooh se tree ka naam sun ek smile aa gayi REGIS ke face par aur phir....


REGIS- right... QUEBRACHO...the hardest tree of FORBIDDEN FOREST...

aur saath hi aaj aap logon ke first challenge ka hurdle bhi...


ye bol REGIS ne apna haath aage ki taraf lehraya aur unke aisa karte hi unke saamne ek table aa gaya jiske upar left me ek bada sa SPEAR aur
right me ek BOW ARROW rakha hua tha....

in chizon ko prakat kar....


REGIS-pehle challenge me aap sabka task ye hai ki in do hathiyaron me se ek chun aapko saamne dikh rahe QUEBRACHO tree ke trunk par apne pysical aur AMPLIFICATION powers ke saath throw karna hai....

jaisa ki aap sab dekh rahe hain ki aapke saamne kul line se10 trees hain... aapko apne power se apne chune hathiyar ke through in trees ke trunks ko pierce karna hai..

jitne tree aapka hathiyar pierce karega,aapko aur aapki team ko utne points mil jaayenge...

GOT IT..!!!!!

SAB-yes WHIZZDER...


sabne yes toh bol diya tha,par challenge ke baare me jaan sabhi halke nervous the..

haan ye sach tha ki ab saare SAVENTS me bohot zyada physical aur AMPLIFICATION powers aa chuki thi par ek sach ye bhi tha ki saamne dikh rahe QUEBRACHO tree ke trunks ko bhedhe me woh sab kitne saksham the,isme doubt tha sabko...

khair, challenge toh ab yahi tha isiliye sabhi khudko is challenge ke liye mentally prepare karne lage aur issi beech..


REGIS-STELLARS...shuruat aapke hi group se hogi...start kijiye...


ye bol REGIS ek taraf hat gaye jiske baad sabse pehle aage badha ANWIR...

aage badhte hue usne ek baar apne right ki taraf nazar ki jahan mai khada tha..

mujhe ek angry look de woh us table ke piche khada ho gaya jahan woh bada sa bhaala aur teer dhanush rakhe hue the...

ek baar dono hi hathiyaron ko dekh ANWIR ne BOW ARROW ko chunte hue usse utha liya...

agle hi second woh bow par arrow dwara pratyancha chadh chuka tha..

pratyancha chaddha saamne apne lakshya ke pehle bhaag matlab first tree ko dekh uspe nishana saadha ANWIR ne aur pratyancha ko apne kaano tak kheench liya .

apne pure sharirik aur AMPLIFICATION power ko apne haathon me laaya ANWIR ne aur agle hi pal...

SOOBHHHH.......

behad tezi se ARROW chhod diya usne jiske baad tezi se aage badhta wo ARROW pehle tree ke trunk ke theek beech waale area ko bhedata hua paar ho gaya...

kul 2 second bhi shayad hi lage honge jab us arrow ne 9 trees ko bhed diya tha aur aakhri ped ke trunk ke jaa dhasi woh teer par usse paar nahi kar paayi...

ANWIR ke performance ko dekh behad shocked ho gaye the sabhi..

itne hard ped ke 9 trunks ko ek vaar me hi bhedh dena bohot badi baat thi jisse dekh MABBA tak khush ho gayi thi aur isiliye jab apni baari khatm kar ANWIR wapas STELLARS ke paas aaya toh...


MABBA-not bad ANWIR.. PHASE 2 me tum 5 trees ko hi bhedh paaye the par is baar 9 paar kar diye tumne...

improvement achi hai tumhari....

ANWIR-thanks WHIZZ...aap hi toh kehti hain naa ki champ dikhne me aur wakayi champ hone me bohot fark hota hai...

wahi samjhaya hai kuch logon ko..


ek baar MAHI, MABEL aur phir dusri disha me meri taraf dekhte hue kahi ye baat ANWIR ne jisse sun MABBA ke chehre par smile aa gayi...

khair,pehla performance ho chuka tha aur start sidhe blockbuster se hui thi jisse stakes bohot badh chuke the is challenge ki....

ANWIR ke baad aage badha VALDIS...

usne bhi ANWIR ki hi tarah BOW ARROW hi chuna..

aur jaise hi pratyancha chadha usne teer chhoda toh...

woh teer pehle pedh ko asaani se bhedhte hue dusre pedh ki taraf gaya aur issi tarah us teer ne kul 3 trees ko bhedh diya tha aur finally fourth tree par jaakar teer dhas gaya...


ANWIR ki performance ki wajah se apne performance ko dekh halka sharminda dikhne laga VALDIS par tabhi...


REGIS- well done VALDIS... pehle attempt me bas 20 percent SAVENTS hi aise hote hain jo is challenge me 3 trees ko bhedh paate hain...


REGIS ki baat sun behadh khush ho gaya VALDIS.. MABEL ke saath uske PHASEMATES ne bhi usse uske performance ke liye congrats kiya...

khair, VALDIS ke baad MABEL aage badhi aur ANWIR, VALDIS ki hi tarah usne bhi apne challenge ke liye BOW ARROW shashtra ka hi chunaav kiya..

pratyancha chadha jab usne teer chhoda toh VALDIS ki hi tarah uske chhode teer ne bhi 3 QUABRACHO tree ko bhedh diya..

jispar VALDIS ki performance ki tarah uske performance ki bhi khub taarif hui...

MABEL ke baad baari aayi MAHI ki...

sadhe kadmo se aage badhti hui MAHI ne bhi BOW ARROW shashtra ka hi chunaav kiya..

ek lambi saans chhod apne haathon me pyscical aur AMPLIFICATION power ko laate hue usne bhi pratyancha kheenchte hue teer chhod diya jispar....

SOOBH.....

behadh tezi se aage badhta teer ek ke ek baad 5 tress ko araam se bedhata hua 6th ped ki taraf gaya aur phir us teer ki gati aur taakat me slowness aa gayi par uska safar pedh me ghusne ke baad khatm nahi hua balki 6th ped ko cheer kar paar hone ke turant baad woh teer neeche hari ghaans me gir gaya...


REGIS-unbelieavable MAHI... PHASE 2 ke itihas me tum dusri aisi SAVENT ho jisne apne first attempt me 6 QUEBRACHO trees ko bheda hai.... brilliant...


jahan REGIS ke anouncement sun SAVENTS MAHI ke liye hooting karne lage wahin ANWIR ki man hi man sulag gayi thi...

wahin dusri SAVENT sun...


MAHI-first kaun hai WHIZZDER...???

REGIS-MORANA...


REGIS ki baat sun MAHI ne MORANA ki taraf dekha jiske chehre par first hone ka ghamand saaf dikh raha tha par usse MAHI ko bura laga nahi..

task khatm kar woh apni jagah par jaakar khadi hi gayi...

khair,MAHI ke baad baaki sabhi PHASE 2 STELLARS ek ke baad ek kar aage aaye aur sabhi ne QUEBRACHO trees ke samuh ko bhedne ko koshish ki par VALDIS aur MABEL ke baad koi bhi STELLAR 3 trees ko nahi bhedh paaya...

aur dekhne ki baat ye thi ki kisi ne bhi apne task ke liye SPEAR ka chunaav nahi kiya tha aur kaaran bhi jayaaz hi tha..

kyunki BOW ARROW ko use karna easy bhi tha aur zyada asardaar bhi...

jahan ARROW ko BOW me laga kheenchne ki wajah se ARROW khud extra energy create karta hai jisse SAVENT ka pyscical aur AMPLIFICATION power badh jaata hai wahin SPEAR ko use karne se ye extra edge nahi milta..

STELLARS me baaki sabka performance ho chuka tha siway VIDEOUS ke aur isiliye ab aage woh badha aur table ke piche pahunch usne uthaya SPEAR....

usse aisa karte dekh sabhi hairan reh gaye...kaiyon ko ye bhi laga ki alag karne ke chakkar me sabse kharab performance issika hone waala hai...

wahin SPEAR ko pakad ek baar saamne pedon ki shrinkhala ko dekh VIDEOUS ne SPEAR ko upar uthaya,uspar apni pakad mazboot ki aur....

SOOBH....


teer se doguna tez nikla SPEAR uske haathon se jiske agle hi pal ek ke baad ek pedon ko beech se kaathta hua woh SPEAR 10th ped tak aise pahuncha maano woh kisise takraya hi naa ho..

aur dekhte hi dekhte 10th tree ko bhi araam se kaaththe hue woh SPEAR aage badha kuch 20 metre ka safar aur tay kar neeche zamin par gir gaya...

apne performance par smile karte hue VIDEOUS wapas palta toh saamne ka drishya dekh uski smile aur badh gayi..

sabhi mooh khole usse kisi ajube ki tarah dekh rahe the...

sabko ussi expressions ke saath chhod woh aage badha aur wapas apni jagah par khada ho gaya aur tab....

MABBA ne clapping se sabki tandra tooti aur sabhi ne MABBA ka anusaran karte hue VIDEOUS ke performance par clapping shuru kar di...


MABBA-first SAVENT ho tum VIDEOUS jisne aisa performance diya hai...aur aisa kar tumne saabit bhi kar diya ki you are a true champion..

dusron ki tarah limelight me khudko rakhne waale fake champion nahi...


WEAKLINGS ki taraf mujhe dekhte hue kahi ye baat MABBA ne...

khair, VIDEOUS ke baad MORANA aage badhi aur BOW ARROW ko chun pratyancha chadha jab usne teer chhoda toh pure 10 trees ko bhedne ke baad hi us teer ne dum toda jisse dekh ek baar phirse pura stadium taaliyon se gunj utha...

STELLARS ki taraf se participate karne waale sabhi SAVENTS ka performance ho chuka tha aur ab baari thi MABBA ki jo pure ATTITUDE ke saath aage badhi,BOW ARROW ko utha pratyancha chadhaya usne aur..

SOOBH.....

hawa ka cheerte hue aage badhte us teer se kuch zyada hi awaaz nikli thi aur itne tez speed se aage badhne ki wajah se us teer me kampan bhi hone lagi thi aur aise hi kaampte hue us teer ne .20 nano second me hi saare pedon ko kaat diya aur uske baad bhi woh teer rooki nahi balki ground ko paar kar pedon ki sidh me bane khaali stand ki taraf badh gayi aur stand ke aakhir ke bane STEEL ki parat chadhe diwal se takra neeche gir gayi.....

aise performance se ek baar phirse pin drop silence ho chuka tha pure stadium me...

REGIS joki referee the,aur SAPIUS joki SOVES stand me teeno SOVEREIGN'S ke baaju me baithe the,woh bhi MABBA ki taakat ko dekh stunned the...

wahin apna performance de,ek baar phirse mujhe ghoor MABBA apni jagah par jaakar khadi ho gayi...

khair, STELLARS ki baari hi chuki thi aur isiliye...


REGIS-welldone STELLARS...kaabile taarif performance diya hai aapki catagory ne...

success ratio ke hisaab se apne pure catagory ke performance ko calculate karne ke baad aapko is first challenge me 100 points me se 90 points milte hain...

and thats really huge... congratulations...

aur ab baari hai GROOMERS ki,so GROOMERS,all the best...

start your performance...


REGIS ke aisa bolte hi ACCHUTA joki ek transfered SAVENT tha is catagory me,EDWINA ne usse pehle bheja taaki uske performance ko dekh GROOMERS thode motivate ho jaayen..

woh khud bhi hope kar rahi thi ki ACCHUTA zyada nahi toh kamsekam VALDIS aur MABEL ke jitna acha bhi agar perform karde toh ye ek acha moral boost hoga uske catagory ke liye..

khair,aage badhta hua ACCHUTA table ke piche khada hua aur usne BOW ko thaam liya....

aur uske aisa karte hi uske andar moujud uska GOD GIFT joki divya ARROW tha,woh bhi jagmaga utha..

ek pal liye uske man me aaya ki saamne pade arrow ki jagah apne andar moujud us divya arrow se lakshya saadha jaaye par usse malum tha ki agar woh aisa karega toh saamne dikh rahe pedh kya,pura stadium hi kat jaayega..

ACCHUTA ne khudko shaant kiya aur saamne waale ARROW ko utha liya par tabhi...


TAAKAT UTNI HI DIKHANA,JITNI ZAROORAT HAI....


ye meri awaaz thi jo ACCHUTA ke dimag me gunji thi jisse sun woh bas muskura diya...

khair,meri baat sun usne pratyancha chadhaya aur...

SOOBH.....

haal toh sabhi ka ek sa tha,par sabse zyada mooh GROOMERS me khadi EDWINA aur usse bhi thoda zyada STELLARS me khadi MABBA ka khul gaya tha...

ACCHUTA ke chhode bow ne pure 10 pedon ke trunks ko beech se chir diya tha aur aisa kar BOW ARROW ko unki jagah par rakh ACCHUTA palta aur..


TANANANANANANANANANANA...

ek dhun gungunate hue halka halka naachte hue woh apne group ki taraf chal pada jisse sabke hairani se bhare chehron par hasi aa gayi thi..

apne shock se recover karte hue EDWINA ne zor shor se taali bajani shuru ki jiska anusaran kiya baaki sabhi ne...

un taaliyon me bhi lagne waala shock araam se feel kiya jaa sakta tha...

ACCHUTA ne jo karke dikhaya tha,woh kisiko bhi yakin nahi ho raha tha par jo dekha tha,usse jhhutlaya bhi toh nahi jaa sakta tha..

waise hairan toh REGIS bhi bohot the aur isiliye hi woh ACCHUTA ke is chamatkarik performance ke baad usse badhayi dena tak bhul gaye the...

yahan sab hairan hi rahe the aur wahan ACCHUTA ko uske performance par gale lag badhayi deta SLUNDER aage badh gaya aur table ke piche jaakar khada ho gaya..

ACCHUTA ke performance se sabhi ki ummiden SLUNDER se bhi kaafi badh gayi thi...

wahin jab SLUNDER ne BOW ARROW uthaya toh uske dimag me bhi meri wahi baat gunji jo ACCHUTA ke dimag me gunji thi jisse sun woh bhi halka sa muskuraya aur phir pratyancha kheench ARROW release kar diya...

aur aisa hone ke agle hi pal.....

PERFECT TEN.......

ACCHUTA ki hi tarah jab SLUNDER ke chhode teer ne bhi dason pedon ko cheer diya toh ek baar phirse sabhike mooh khul gaye the wahin apna performance de SLUNDER bhi ACCHUTA ki tarah wapas moodte hi...


TANANANANANANANANA....


halka halka naachte hue aage badhne laga woh jisse dekh ACCHUTA bhi waise hi naachte hue uske paas aaya..

jahan baaki sabhi SLUNDER ke performance par clap kar rahe the wahin ye dono dost ek dusre ke gale lage aur uske baad woh dono hi mude STELLARS ki taraf yaa phir ye kahun MABBA ki taraf aur aisa kar MABBA ko dekhte hue dono ne NAAGIN dance shuru kar diya..

unhe aisa karte dekh baaki sab toh zoron se has diye par MABBA ki aankhen ghusse se laal ho gayi thi par filhal kar toh woh kuch sakti thi nahi..

khair,kuch der tak yunhi masti karne ke baad woh dono apni jagah par jaakar khade ho gaye jahan sabhi GROOMERS ne haath milaate hue aur EDWINA ne dono ki peeth thapthapate hue shaabashi di..


REGIS-brillaint ACCHUTA and SLUNDER.. pehli baar me perfect ten haasil karne waale aap dono 2nd aur 3rd SAVENT ban gaye ho...

REGIS ki taarif ke baad ek ek kar baaki sabhi GROOMERS aage badhe aur apna performance diya par unfortunately koi bhi SAVENT ne 2 se zyada tree ko bhed nahi paaya..

khair, SAVENTS ke baad baari aayi EDWINA ki jisne ACCHUTA aur SLUNDER ki hi tarah perfect ten haasil kiya aur aisa kar usne saabit kiya ki GROOMERS ki WHIZZ woh bas by choice hai...

EDWINA ki performance ko dekh ek baar phirse pura stadium taaliyon se gunj utha tha...

khair, GROOMERS ka bhi performance pura ho chuka tha aur isiliye...


REGIS-STELLARS me kul teen perfect 10 score hue the aur GROOMERS me bhi teen logon ne perfect 10 haasil kiya..

haan baaki performances ke hissab se GROOMERS STELLARS se piche the par top performances ke hisaab se dekhe toh STELLARS aur GROOMERS filhal barabar hi hain..

isiliye first challenge me GROOMERS ko 100 points me kul 85 points milte hain....

bhale hi piche the par margin zyada nahi tha isiliye GROOMERS apne points ko jaankar khush the....

khair, GROOMERS ke baad ab baari thi WEAKLINGS ki aur isiliye...


MABBA-RAAZ,ab pata chalegi tujhe teri aukaad....tu toh phir bhi thoda bohot thik thaak perform kar lega aur shayad woh ALFREEN bhi.

par baaki dono do pure loosers hain...trees ko penetrate ka toh door ki baat hai,pehle tree ke chhilke ko bhi agar ye dono ukhad paaye toh woh hi bohot hoga...

marna toh tujhe hai hi par usse pehle tere ghamandi sir ko jhukte hue dekhne ka maza hi kuch aur hoga...


MABBA ki is khwahish ka kya hasr hone hone waala hai,ye toh thodi der me pata chal hi jaana tha....

anyways, GROOMERS ko unke points bata....


REGIS-WEAKILINGS...your turn..all the best....

MAI-ALFREEN...you go first...

ALFREEN-kya mai...shit...arre yaar, nervous feel ho raha hai..

MAI-good,iska matlab hai ki tum taiyar ho..ab dhyan se suno meri baat...

bow uthathe waqt apne body aur AMPLIFICATION power ko release mat karna...

bow uthakar uspar ARROW lagakar pehle nishana le lena aur phir aakhri me jab pratyancha kheenchne ka waqt aayega,tab apne dono powers ko apne haath me transfer karna...

result behtar aayega...


meri baat sun ALFREEN ne sir haan me hilaya aur tabhi..


HIDA/BRAWNY-all the best ALFREEN....


HIDA aur BRAWNY ki baat sun unhe thanks bol ek lambi saans chhodi ALFREEN ne aur phir aage badh gayi..

table ke saamne pahunch usne BOW ARROW uthaya..

BOW ko saamne kar usme ARROW ko laga saamne dikh rahe first tree ki taraf nishana lagaya ALFREEN ne aur phir ek saath do kaam kiye..


mere bataye tarike ke hisaab se hi ab usne apne AMPLIFICATION aur pyscical power ko apne haathon me transfer karna shuru kiya aur aisa karte hue usne pratyancha piche ki taraf kheencha aur usse uski limit tak kheenchne ke baad...


SOOBHHHH....

ARROW release kar diya ALFREEN ne jo bohot tezi se aage badha aur dekhte hi dekhte us bow ne ek ke baad ek 4 trees ko bhedthe hue 5th tree me jaakar dhas gaya...

ALFREEN,MABEL aur VALDIS ka physical aur AMPLIFICATION power ek sa tha par ALFREEN ne un dono se behtar perform kar ke dikha diya tha..

apne performance se behadh khush ho gayi thi ALFREEN aur usse zyada khush thi MABEL...

wahin VALDIS ALFREEN ke usse behtar perform karne se halka chidh gaya tha..

khair,bow ko wapas rakh ALFREEN doudti hui hamare paas wapas aayi aur mere gale lag gayi...


ALFREEN-maine 4 trees nail kar diye...

MAI-waah..humne toh dekha hi nahi...

ALFREEN-shut up and thanks...mere aur MABEL ke AMPLIFICATION powers ek jaise hain par phir bhi meri performance behtar hui..

aur mujhe pata hai ki ye sirf tumhare bataye tenchnique ki wajah se hua hai...

MAI-party baad me de diyo..but filhal sirf tera performance pura hua hai,hum teeno ka baaki hai toh ispar focus karen...

BRAWNY,you are next...

ALFREEN-BRAWNY,bilkul relax rehna.. performance kaisa bhi ho, tention mat lena...


ALFREEN ki baat sun halka sa muskuraya BRAWNY aur...


BRAWNY-thanks for the support ALFREEN...


ye bol woh HIDA ki taraf palta aur uske respect me uske aage halka sa jhuk woh meri taraf palta..

mujhe dekh ek halka sa smile phir se de woh aage badh gaya...

jaise jaise BRAWNY apne performance point ki taraf badh raha tha, STELLARS ke kuch SAVENTS halka halka uspar has rahe the..

wahin WEAKLINGS stand par khade SHALTON aur NAOMI bhi apne bachhe ko performance point ki taraf badhte dekh nervous ho gaye...

unhe bas is baat ka dar tha ki agar unke bete ka performance acha nahi hua,jiske chances unki nazar me zyada hi the toh usse bura lagega..

aur woh apne bache ko sad bhala kaise dekh sakte the..par woh kuch kar bhi nahi sakte the bajawe pray karne ke...

in sab ke beech BRAWNY us table ke saamne pahunch chuka tha jahan se woh sabko ab tak ka sabse bada shock dene waala tha...

BOW ARROW ko haath me le ARROW ko pratyancha me laga ek baar saamne waale pedh ko dekha BRAWNY ne aur phir nishana saadh pratyancha ko apne kaan se thoda piche tak kheench...

SOOBH....

halki kampan ke saath aage badhta chala gaya ARROW aur agle second teer neeche hari ghaans par gir chuka tha...

par girne se pehle us ARROW ne pure 10 QUEBRACHO trees ke trunks ko beech se cheerte hue paar kar liya tha jiska matlab tha PERFECT TEN....


BRAWNY ke performance ko dekh khamoshi ki tez awaaz gunj uthi thi pure stadium me..

pin drop silence..is sentence ka practical roop dikh raha tha abhi har taraf...

aur is khamoshi me ek dard aur insult bhi tha jo feel kar rahe the woh STELLARS jo kuch der pehle BRAWNY ke upar has rahe the..

par sabse zyada jadvath haalat me khadi thi MABBA jo abhi bhi BRAWNY ne jo kiya,usse digest nahi kar paa rahi thi..

REGIS bhi jaise bhul hi gaye the ki woh referee ke saath saath sutradhaar bhi hain jinhe BRAWNY ke perfect ten shot ko anounce karna hai...

ALFREEN jo kuch der pehle BRAWNY ko hausla de rahi thi,woh bhi behad stunned thi par saath hi khush bhi...

ek baar saare statue numa SAVENTS aur WHIZZDERS ko dekh BRAWNY ki nazar WEAKLINGS stand ki taraf gayi jahan ka mahoul bhi kuch kuch same hi tha..

SHALTON aur NAOMI hairani se bhare apne bete ko dekh rahe the par is hairani ke saath unke face par khushi aur aankhon me ussi khushi se nikla aansu bhi tha..

aur tabhi...

pehli awaaz jo ki taaliyon ki thi,SOVES stands ki taraf se baji joki teeno SOVEREIGN'S apni jagah par khade hokar baja rahe the..

aur unke aisa karte hi jaise ek trance se bahar aaye sabhi aur dekhte hi dekhte pura stadium taaliyon ke shor se gunj utha..

ye kehna galat nahi hoga ki ye gunj ab tak ki sabse zyada tez shor thi..

kuch khushi se baja rahe the toh kuch man maarkar...

aur is beech ACCHUTA aur SLUNDER dono BRAWNY ke paas aaye aur usse congratulate karte hue usse apne kandhon par utha liya jisse dekh sabke chehre par smile aa gayi thi..

SHALTON ke chehre par bhi ab sirf Khushi ke bhaav the...is beech teeno SOVEREIGN'S ki nazar SHALTON aur NAOMI par gayi aur aisa hote hi unhone paas baithe SAPIUS se kuch kaha jisse sun woh bhi khush hote hue turant uthe aur agle hi pal woh WEAKLINGS stand ke saamne khade the..

achanak SAPIUS ko apne saamne dekh halke hadbada gaye woh dono jisse muskurakar dekhte hu SAPIUS ne apna haath saamne ki taraf karte hue lehraya aur unke aisa karte hi stand ke aage laga barricade gayab ho gaya..

aisa kar...


SAPIUS- aap is stand me isiliye the kyunki aapka beta WEAKLING tha.. par uska aaj ka performance STELLARS level se bhi upar tha...

aur isiliye jaise har champion ke saath yahan hota hai,har champion ke parents CHOSENS ki best sevayen,respect aur seats deserve karte hain...

is competition me jo hoga,woh hoga,par abse aapka beta ek STELLAR hai aur uske saath aapko bhi wahi facilities milengi jo ek STELLAR ke parents ko milti hain..

aayiye, STELLARS stand aapka wait kar raha hai...


SAPIUS ki baat sun ek baar phirse aankhen num ho chali thi SHALTON aur NAOMI ki..

jis izzat ke liye zindagi bhar tarse the woh,aaj,woh samaan unke bete ne unhe dila hi diya tha....

pehli baar garv se apna sir upar kar SAPIUS ke saath STELLARS stand ki taraf chal diye SHALTON aur NAOMI..

SAPIUS ne unhe MARIA aur FLORIN ke side ki khaali seat par baithaya...

MARIA aur FLORIN ne bhi bohot garm joshi se haath milate hue un dono ka swagat bhi kiya aur unke layak bete ki taarif bhi ki...

ye sab ACCHUTA aur SLUNDER ke kandhe par baitha BRAWNY bhi dekh raha tha aur uske face par bhi apne mom dad ko khush dekh chamak aa gayi thi..

kandho se neeche utar usne ACCHUTA aur SLUNDER ko gale lagaya aur phir apne catagory ki taraf chal pada jahan ALFREEN ke congratulate karne par thanks bol pehle HIDA ke aage ek baar aur jhuka BRAWNY aur phir agle hi pal woh upar uth mere gale lag gaya..

kaafi der se rooke aansu behne lage the uske aankhon se jisse mehsoos kar...


MAI-relax BRAWNY..kaha tha naa maine, apne emotions par control rakhna seekh..

BRAWNY-beh jaane de yaar...bohot waqt se rok rakha tha inhe...


ye bol kuch der tak tunhi gale lag rote rehne ke baad woh mujhse alag hua aur..


BRAWNY-thanks nahi bolunga yaar tujhe...kyunki isse ehsaan khatm ho jaayega...

aur tera ehsaan mai chuka hi nahi sakta...

MAI-bilkul chuka sakta hai..kaise,ye waqt aane par bataunga mai...

BRAWNY-jaan haazir hai BHAI..jab bhi dil kare,maang liyo bas..


BRAWNY ki baat sun ek baar muskuraya mai aur phir apne performance ke liye aage badhne ko hua par tabhi...


HIDA-RAAZ...pehle mai jaati hun...

MAI-tum WHIZZ ho yahan..aur WHIZZ aakhri me jaate hain...


meri baat sun mere kaan ke paas apne chehre ko laa...


HIDA-WHIZZ guru ko kehte hain aur yahan guru mai nahi tum ho..

MAI-apna cover mat hatana..jitni zaroorat hai,taakat utna hi dikhana...bhadas nikalne ka mouka final challenge me milega...

HIDA-jaanti hun....


ye bol aage badhi HIDA...table ke paas pahunch BOW ARROW utha pratyancha chadha usne saamne dekha aur...

SOOBH.......

underperform karne ki wajah se HIDA bhi hamesha hi mazak ka paatra banti aayi thi..

par kuch der pehle BRAWNY ke performance dekhne ke baad sabhi HIDA ke performance ke liye bhi excited the...

sabke dimag me ye sawal tha ki kya BRAWNY ki hi tarah HIDA bhi sabko surprise karne waali hai aur hua bhi aisa hi...

HIDA ka chhoda teer perfect ten score karta hua aage badhta chala gaya aur MABBA ki hi tarah stadium ke end wall par lage steel parat par takrakar neeche gir gaya....

aisa hote dekh shock toh sabko hi laga tha per sabse zyada shock laga tha MABBA ko....

HIDA ne bilkul uske hi tarah performance diya tha jisse dekh hairan toh usse hona hi tha..

haan ye sach hai ki MABBA ne apne shakti ka bas 20 pratishat hi use kiya tha apne performance ke waqt par phir bhi,jo HIDA ne kiya tha,woh yahan koi aur WHIZZ ya WHIZZDER tak nahi kar sakte the toh aise me hairan hona toh laazmi hi tha MABBA ka...

sabko hairan pareshan chhod HIDA wapas apne catagory ki taraf chal padi..

wahin sabhi hosh me aaye ACCHUTA aur SLUNDER ke zordar clapping sunkar jo pure josh me taali baja rahe tha aur unki dekha dekhi ek baar phir pura stadium taaliyon ki gadgadahat se gunj utha....

kuch der tak ye shor hota raha par phir achanak se mohoul pura shaant ho gaya...

reason...

aakhri performance baaki tha joki mera tha aur jaise hi mere kadam aage badhe,sabki nazar mujhpar theher gayi...

kaafi jhatke lag chuke the aaj sabko aur aise me mai jisne humesha har task me aisa perform kiya tha jisse sabhi hairan hi hue the,toh aise me mere performance se bhi sabko aisi hi kuch ummiden thi....

khair,is waqt mai table ke ke piche khada ho chuka tha aur table par rakhe dono hi shashtron ko dekh raha tha par phir kuch sochkar mere face par smile aa gayi..

sabse pehle maine bow uthaya par uske baad ARROW ki jagah maine SPEAR utha liya..

aur ye dekh sabhi shocked ho gaye the..kisiko bhi samajh me nahi aa raha tha ki mai kya karne waala hun...

wahin right hand me SPEAR ko pakad apne index finger ke through me usse gol ghumane laga tha...

kuch der yunhi kar maine left hand jisme BOW tha,usse sidha kiya aur right hand me ghumte SPEAR ko rok ARROW ki hi tarah usse BOW ke pratyanche me laga liya maine aur mujhe aisa karta dekh sabhi ki aankhen badi ho gayi...

wahin SPEAR pratyanche par laga maine bow sidha kiya aur agle hi pal pratyancha kheenchne laga..

mere kaan ko paar karte hue woh pratyancha piche ki taraf jaata chala gaya aur fir..


SOOBHHH..DHAADHHHH......

ek saath do awaaz hui..

dusri awaaz thi mere zyada hi kheenchne ku wajah se pratyancha ke tootne ki par aisa hone se ek nano second pehle hi maine SPEAR release kar diya tha jo vidhyut gati se aage badhta hua pehle ped ke trunk se takraya...

bas itna hi mehsoos hua wahan moujud har kisiko...

agli chiz jo sabne dekhi woh ye thi ki mera chhoda SPEAR pure 10 QUEBRACHO ko bhedne ke baad saamne stadium ke anth me lage silver parath ki diwar ko bhi bhed kar bahar nikal chuka tha....

khatarnaak ROOP... AUDIENCE CHUP.....


aisa hi kuch mahoul tha filhal wahan moujud sabhi ka..

par meri aakhen tiki thi VIDEOUS aur MABBA par jo halki hairani ke saath mujhe hi dekh rahe the...

jaisa hota aaya hai,waisa is baar bhi hua..kuch der tak shocked rehne ke baad pura stadium taaliyon ki gadgadahat se gunj utha...


ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY, HIDA aur ALFREEN bhi mere paas aa mujhe congratulate kar rahe the...

khair,kuch der baad jab sabki excitement level kam hui toh..


REGIS-unbelieavable... simply outstanding...


aisa bhi kuch hoga aaj,i am sure kisi ne bhi nahi socha hoga...jahan pehle lag raha tha ki STELLARS EXERTION araam se jeet jaayenge,wahin ab takkar kaante ki lagne lagi hai...

STELLARS aur GROOMERS ki hi tarah WEAKLINGS me bhi teen logon ne perfect ten haasil kiya hai aur fourth SAVENT ka performance bhi kaafi acha raha hai aur isiliye WEAKLINGS ka ratio is first challenge me sabse behtar hai..

pehle challenge ke baad jahan STELLARS 90 points par hain, GROOMERS 85 points par hain wahin teeno hi groups me sabse behatarin performance karte hue WEAKLINGS 95 points ke saath filhal sabse aage chal rahe hain...


REGIS ki baat sun jahan ek baar phirse pura stadium taaliyon se gunj utha wahin in taaliyon ke shor ke beech khamoshi se bhare nazaron ke teer chala rahe the mujhe VIDEOUS aur MABBA...

wahin nazar meri bhi unpar thi aur band zuban ke andar se bhi challenge de raha tha mai un dono ko ki....



hairani ka aalam abhi aur BADHEGA....

bhaagoge kaise jab ek nas par dusra nas CHADHEGA.....

takraane ka shouk aaj pura kar hi lo,

ki ghutno par laate tak tumse ye RAAZ LADHEGA......













AAJ KE LIYE ITNA HI......
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI EXERTION START HO CHUKA HAI JISME PEHLE VIDEOUS AUR USKE BAAD ACCHUTA, SLUNDER, BRAWNY,HIDA AUR AAKHRI ME RAAZ KE PERFORMANCE KO DEKH KAR SABKO SHOCK LAGTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-101



PLANET-ELYSIAN


PLACE-STADIUM


EXERTION

PART-2







BACK TO YOUR RESPECTIVE CATAGORIES SAVENTS...ITS TIME FOR THE SECOND CHALLENGE....


REGIS ki awaaz pure stadium me gunj uthi jiske baad sabhi SAVENTS turant pehle ki tarah apne apne catagory me jaakar khade ho gaye...

par isse pehle ki REGIS aage kuch bolte...


MABBA-meri taraf se second challenge me ANIWR aur MORANA participate nahi karenge....


jahan MABBA ke interuption aur phir faisle ko sun REGIS aur bohot se log chownke wahin mere face par ek smile aa gayi..

reason...

mai jaanta tha MABBA ke is faisle ke piche ka kaaran..

darasal jo performance maine aur mere doston ne dikhaya tha,usse dekhkar MABBA sirf hairan hi nahi hui thi,balki chownkanni bhi ho chuki thi...

second challenge SURVIVAL ka tha jisme ladhne jaisa kuch tha nahi isiliye MABBA chahti thi ki ANWIR aur MORANA final challenge ke waqt pyscically strong rahe taaki unka performance yaa fir ye kahun ki unka mujhpar attack ka impact acha khaasa ho...

stratergy toh achi hai, dekhte hain kitni kaam aati hai...

khair, MABBA ki baat sun....


REGIS-bieng a STELLAR, tumhe activity me choice ki freedom hai MABBA par dobara soch lo...

aisa karne se shayad tumhari catagory weak pad jaaye kyunki first challenge me ANWIR aur MORANA ke performance kaafi acche the aur tumhari jo moujuda points hain,unhe haasil karne me in dono ka pramukh yogdaan tha...

MABBA-STELLARS me sheron ki kami nahi..isiliye tum fikr mat karo..geedadon ki fauj ke liye toh ek sher bhi kaafi hota hai....


humari taraf dekhte hue ye baat kahi MABBA ne..

wahin REGIS ki nazar teeno SOVEREIGN'S par padi jinhone sir hilakar apni sehmati de di jiske baad...


REGIS-allright MABBA... team tumhari hai isiliye jaisa tum chaaho...


MABBA ko approval dene ke baad REGIS hum sabki taraf mukhatibh hue aur....


REGIS-SURVIVAL....aapke second challenge ka naam...

naam sun kar hi aap sabko andaza ho chuka hoga ki is challenge ka mukhya bindu SURVIVE hai...

par kisse...????

agle kuch minutes me aapka next challenge shuru hoga jisme aap sab ek JUNGLE me honge...

waise toh woh jungle elusion se bana hoga,par jab aap wahan pahunchenge,tab woh jagah aapki reality hogi...

aur woh reality aap sabke liye behadh khatarnaak hone waali hai...

us jungle ki khaasiyat ye hai ki jaise hi aap sab uske zameen par kadam rakhenge, toh aap sab wahan basne waale teen khatarnaak creatures ke liye target ho jaayenge..

aap sabki existence, metaphysical aur REFINER shaktiyan un creatures ko pata chal jaayegi...

saath hi aapka location bhi...1 hour......jungle me kadam rakhne ke baad ek ghante tak aap sabko un teen jeevon ke beech SURVIVE karna hai...

aur yakin maaniye,aisa kar paana bohot tough hone waala hai....

un SAVENTS aur saath hi WHIZZES ke liye bhi jinhone first task me sabse zyada excel kiya tha...

reason...

us jungle me moujud woh teeno creatures maayavi hai jinke paas ability copy karne ki taakat hogi....

agar aap unse lade yaa phir unhe maar bhi giraye toh woh naa sirf punar jeevit ho jaayenge balki saath hi jitni taakat release kar aapne unhe maara tha, utne taakatwar bhi ho jaayenge....

infact aapka bola koi bhi aakramak SPELL aapko hi haani pahunchayega...

isiliye maarne se behtar unse bachna aapka kaam hona chahiye...

ye challenge bhi aap sabhi apne apne catagory ke saath milkar karenge..

SURVIVE karne ki doud me jab bhi koi SAVENT kisi jeev ka shikar hua toh woh gayab hokar yahan pahunch jaayega...

1 ghante tak chalne waale is challenge me jis catagory ke ratio wise sabse zyada SAVENTS bache honge,woh catagory jeet jaayegi...

but haan,in sabke beech ek tarika hai is defensive challenge ko offensive banate hue khelne ka...

ek aisa tarika jisse agar aap samjh gaye toh bina hathiyar uthaye yaa saamne aaye hi apne opponent catagories ko maat de sakte hain aur saath hi bina bache bhi un creatures se bach sakte hain..

ab woh tarika,woh catch kya hai,ye aap sabko pata lagate hue usse use me laana hai....

so ready....!!!!


REGIS ke aisa bolne ke baad bhi kisi SAVENT ke mooh se kuch nahi nikla..

kyunki challenge ke baare me sunkar hi sabki haalat kharab ho chuki thi..

aisi hi kuch haalat stands me baithe parents ki bhi thi..

khair,ab kiya toh kuch jaa sakta tha nahi isiliye dheere se hi sahi,sabne YES kaha..

is beech mere,aur STELLARS me khade MABBA aur VIDEOUS ke dimag me is challenge ko lekar strategy banana shuru ho chuki thi...

MABBA bhale pehle se hi EXERTION me participate karti aa rahi thi,par SURVIVAL challenge me har baar task alag hi hota tha aur is baar bhi aisa hi hua tha aur isiliye woh bhi baakiyon ki hi tarah raw thi...

khair,yahan hum sab ye sab soch rahe the aur wahan REGIS ke saari cheezen samjhane ke baad AKSHAANT apni jagah par khade hue aur apna haath humari taraf kar diya aur jab aisa hua toh...

hum sabhi ke aage teen WORLD DOORS khul gaye the jinke dusri taraf ek behad ghana jungle dikh raha tha...

ye teeno doors us jungle ke teen alag alag parts ke the jiska matlab tha ki teeno hi catagories ko alag alag disha me jaana tha....

khair, jab aisa hua toh...


REGIS-waqt ho gaya hai SAVENTS...catagorically apne saamme bane DOOR ki taraf badhiye....


REGIS ki baat sun hum sabne ek baar ek dusre ko dekha aur phir aage badh gaye...

kuch hi palon me hum sab un teen doors se hote hue JUNGLE me pravesh kar chuke the aur aisa kar humne palat kar door ke dusri taraf stands par baithe parents ki taraf dekha jahan sabhi parents ki aankhon me apne apne bache ke liye halka halka dar dikh raha tha..

khair, aisa zyada der tak nahi hua kyunki humare door ke dusri taraf pahunchte hi door band ho gaya..

apne bachon ko saamne naa dekh parents halke baichain hone lage the par ye bechaini bhi bas kuch hi palon ke liye thi kyunki door band hone ke kuch der baad hi stadium ka drishya change ho gaya tha...

stadium ki jagah saare parents ke saamne wahi jungle tha jahan unke bache abhi moujud the..

parents ko aisa view mil raha tha jisme woh teeno hi catagories ko ek saath dekh paa rahe the..

stand par baithe har shaksh ke liye dikh raha view kisi cinema hall ke parde par chal rahe 3d movie ki tarah tha jisse woh kisi polarized glass goggles ke bina bhi ussi effect ke saath experience kar rahe the...


ye toh hui parents ki baat,ab chalte hain SAVENTS ki taraf jo apne second challenge SURVIVOR ke ran bhumi me pahunch chuke the....





SURVIVOR CHALLENGE:-


STELLARS:-






WOOOOHHH...THIS PLACE IS INSANE.....CHILLED BHI HAI AUR DARAWANI BHI...


chaaron taraf nazar ghumate hue kahi thi ye baat MABEL ne jispar sabhi ne haami bhari thi...

behadh halki suraj ki roshni ke sahare sabhi STELLARS dekh rahe the apne chaaron taraf ka view....

deep hare rang ke bade bade patton se bhare hue gigantic ped joki ek dusre se chipke khade the..

pairon ke neeche jo ghaans thi,uska size kuch 6 inch se bhi zyada tha jo un sabke eddi ko bhi cross kar raha tha...

kisi bhi disha me koi clear raasta nahi tha...

ek bhul bhulaiya sa ghane forest ka bhaag tha woh jagah jahan is waqt STELLARS khade the....

halke andhere aur halke ujale ke beech ki woh jagah behadh bhavaha lag rahi thi...

khair,puri jagah ko checkout karne ke baad..


MABBA-guys, relax...ye jagah bas ek illusion hai aur kuch nahi..isse ek sapne ki hi tarah samjho...

but haan,ye bhi yaad rakho ki agar ye sapna toota toh challenge se bahar ho jaaoge...

isiliye khud ko shaaant rakho..sirf ek ghante ki baat hai..hum sabko ek dusre ko back karte hue ye ghanta kisi tarah nikalna hai...

understood....

KHOOOORRRRRRRHHHH......


MABBA ki baat par SAVENTS yes bolte,usse pehle hi ek ajeeb si awaaz yaa phir ye kahun ki dahad gunj uthi chaaron taraf jisse sun naa sirf woh sabhi satark ho gaye,balki kaafi SAVENTS ki fath bhi gayi thi...

us awaaz me ek kampan thi jisse saaf mehsoos ki thi sabhi STELLARS ne...

par MABBA aur VIDEOUS ne us kampan me ek alag hi chiz bhi mehsoos ki thi,jisse feel kar un dono ki ankhen sochne waale andaz me choti hi gayi thi..

par ye soch zyada der tak nahi chal paayi kyunki achanak unse kareeb 100 metres door...

DHAPPPPP.....


is awaaz ke saath jiske hote hi aas paas ki zameen hil gayi thi,ghaans par kooda ek bohot bada aur khatarnaak dikhne waala creature jisse dekh mooh sil sa gaya tha STELLARS ka..

wahin jab MABBA ki nazar us jaanwar numa CREATURE par padi,toh uske mooh se nikla...


CHUPACABRA...


kareeb 15 feet uncha ek jaanwar jiske saamne ka shape halka halka chuhe se resemble kar raha tha jiske horns bhi the,aur fangs bhi....


(NOTE:-khudse nahi banaya hai is CREATURE ko guyzz...bas apne hissab se size bada kar diya hai...maana jaata hai ki CHUPACABRA ek grotesque creature hai joki livestock blood peeta hai aur ye bhi bataya jaata hai ki ye creature abhi bhi North aur south america me moujud hai..google kar liyo..)


khair,us creature ka naam batane ke baad...


MABBA-guyzzz....bilkul shaant raho......dar se heart beat badhega jo ye creature sense kar leta hai...

ye ek CHUPACABRA hai...bohot hi fast aur deadly creature hai ye...

iske saamne jo daath dikh rahe hain,woh asal me fangs hain jinme death poison hota hai...

iski ek bite khel khatm kar degi...


VALDIS-but WHIZZ...yeh sab toh bas ek illusion hi hai naa.hum sach me toh nahi marne waale hain,right..???

MABBA-mout nakli hogi,par woh dard jo iske kaatne aur venom release hone se hoga,woh asli hoga...

par usse bhi important baat ye hai ki agar koi bhi iske hatthe chadha toh woh is challenge se out ho jaayega jisse hamare points katenge jo mai afford nahi kar sakti...

isiliye firse keh rahi hun, don't panick...i will handle it....





GROOMERS:-





BHAI,AISA JUNGLE TOH DEKHA NAHI MAINE KABHI....

ITNE BADE BADE GHAANS KE UPAR CHATTAN JAISE PATHAR...

STRANGE...!!!!


ACCHUTA ne kahi ye baat...

reason....

GROOMERS is waqt jungle ke jis bhaag me the,woh wakayi kaafi ajeeb thi....

20 feet bade chattan numa kayi patthar pade the har jagah...

pedh kaafi bade the par ek dusre se door the aur ye silsila wahan tak jaa raha tha jahan tak nazar jaa rahi thi....

pedon ke ek dusre se door hone ke baad bhi jungle ke is bhaag me bhi bas thoda sa hi ujala tha...

khair, ACCHUTA ki baat sun...


SLUNDER-haan bhai,jagah toh ajeeb hai par woh jeev kahan hain jinke baare me WHIZZDER REGIS ne bataya tha...

unhone toh kaha tha ki woh jeev humare yahan pair rakhte hi hume sense kar lenge par aisa kuch hua nahi...


SLUNDER ki baat par koi kuch kahe ki tabhi...


DRRRHHHDRRHHHH...


ek ajeeb si awaaz ne saare GROOMERS ko aakarshit kiya joki un sabke piche se aayi thi aur jisse sun jab woh piche palte toh dekha ki...

unse kareeb 50 metre door ek bade se chattan numa patthar me movements ho rahi thi...

ye patthar baaki pattharon se thoda zyada bada tha jo filhal left right hil raha tha...

kuch der tak aisa hota raha par phir...


DHAAKKKH....


ek zordar dhakka laga us bade se patthar ko jiske woh udta hua GROOMERS ki taraf aaya aur thik unke piche jaakar gira...

itne bade patthar ko 50 metre se bhi door tak udkar girne ki wajah se woh jagah jahan woh gira tha,usme gaddha ko gaya jisme woh patthar dhas chuka tha.

wahin us patthar ko yun udkar girta dekh sabhi GROOMERS hairan ho gaye the..


ACCHUTA-abbe yahan ke patthar udte bhi hain kya...????kahin ye patthar hi toh yahan ke jeev toh nahi....!!!

SLUNDER-saamne dekh...pathar ke udne ka reason pata chal jaayega..


SLUNDER ki baat sun ACCHUTA aur baaki ke sabhi SAVENTS aur WHIZZ EDWINA ne SLUNDER ko dekha jo aakhen faade jahan se udkar woh patthar unke piche gira tha,us taraf dekh raha tha..

aur jab un sabki nazaron ne SLUNDER ki nazar ka picha kiya toh.


SAB-what the FU****


ek saath sabhi SAVENTS chilla uthe the ye baat par phir EDWINA ka khayal kar aage kuch keh nahi paaye..

par halka dar un sabki aankhon me saaf dikh raha tha..

wahin EDWINA ki nazar bhi saamne hi thi jahan par patthar ke udne ka asli kaaran khada saare GROOMERS ko ghur raha tha jisse pehchan EDWINA ke labh hile..


EDWINA-SNALLYGASTER......


SNALLYGASTER naam tha us jeev ka jisne us patthar ko udaate hue GROOMERS ki taraf pheka tha aur jo abhi un sabko ghoor raha tha...

SNALLYGASTER naam ka ye jeev bhi kareeb 15 feet uncha tha joki aadha reptile ki tarah aur aadha pakshi ki tarah dikh raha tha....


(NOTE:-maryland ke rural area se hai ye mythological nocturnal creature...waise isse puri tarah se mythological nahi kaha jaa sakta kyunki THE NEWS naam ke newspaper me nov.28 1932 me bataya gaya tha ki ek aadmi ne ye claim kiya tha ki usne ek SNALLYGASTER ko dekha hai.. GOOGLE BABA KI JAY)


khair, creature ka naam lene ke baad..


EDWINA-SAVENTS,ye ek man eating reptile hai...ye ud bhi sakti hai aur iske udne aur rengne ki speed,dono hi lightning hoti hai isiliye dont move an inch..

agar kisine halka sa bhi move kiya toh ye humla kar degi...

iske attacks deadly honge aur jo bhi iske chapet me aaya,woh yahan markar sidhe stadium pahunch jaayega...

hume kisi bhi tarah survive karna hai pure 1 ghante.. isiliye hume har step soch samajh kar lena hoga...





WEAKLINGS:-




BHAI YE WHIZZDER NE JUNGLE HI BOLA THA YAA REGISTAAN.....

door door tak reth reth dekh kahi ye baat BRAWNY ne...

is waqt WEAKLINGS ek registaan me khade the aur yahan bhi ujala nahi tha,infact,yahan is waqt raat ka koi peher chal raha tha..

upar ek artificial aasman tha jisme taare toh nahi the,par ek bada sa nakli chaand zaroor jagmaga raha tha jiski roshni se thoda bohot ujala aas paas ke pure area me faila hua tha..

khair, BRAWNY ki baat sun....


ALFREEN-haan,ye jungle ka scene toh nahi lag raha...

MAI-ye jungle hi hai bas nazara alag hai...aur ye nazara is jagah ko sabse khatarnaak bhi bana raha hai...

BRAWNY-khatarnaak...!!! woh kaise..???

MAI-simple equation hai..baaki dono catagories jungle me hain jahan unhe jeevon se chhupne ke liye kaafi dhaki jagah milegi..

par hum open me hain..jis jeev ka saamna hume karna hai,usse bachne ke liye humare paas koi hideout nahi hai..

HIDA-RAAZ sahi hai..par sawal ye hai ki woh jeev jisne ki REGIS ke according ab tak toh hume sense bhi kar liya hoga,woh hain kahan...???

MAI-watch out guys...


ye bolte bolte hi maine ALFREEN, BRAWNY aur HIDA teeno ko joki ek dusre ke close hi the, khudme lapeththe hue ek lambi challang maar di aur agle hi pal hum chaaron apne purv jagah se kareeb 20 metre door pahunch chuke the..

mai toh ab bhi khada hi tha par woh teeno is nayi jagah par pahunchte hi gir gaye the par woh sab turant uthe aur uthne ke baad woh mujhe kuch puchte ki tabhi in sabki nazar us jagah par gayi jagah woh kuch der pehle khade the aur wahan nazar padte hi un teeno ki nazar hairat se badi ho gayi aur ussi hairani ke beech nikla HIDA ke mooh se...


HIDA-WYVERN


lagbhag 8 feet uncha aur 20 feet lamba ek 2-legged carnivorous creature jo thoda thoda dragon jaisa dikhta hai...

(NOTE:-lage haath isse bhi google kar liyo)


khair,creature ka naam lene ke baad...


HIRA-ye ek mayavi hai creature hai....khudko reth ke andar kisi chote se kide ki tarah mix kar apne shikar ko taraf badhta hai ye...

thank god ki sahi time par tumne isse sense kar liya RAAZ..

warna second ke duswe hisse me hi ye hum chaaron ko ek saath nigal kar is second challenge se bahar karwa deta....

us ajeebogarib par dangerous creature ko dekhne ke baad waise toh BRAWNY aur HIDA bhi pehle halke dare the par unki capabilities ki wajah se woh dono jaldi hi sthir ho gaye the..


par ALFREEN us WYVERN ko dekh abhi bhi behadh dari hui thi aur isiliye..


MAI-relax ALFREEN...ye sirf ek ILLUSIONARY world hai....

ALFREEN-par iske attack toh asli hi honge naa aur pain bhi...

MAI-bilkul.. but phir bhi relax... tumpar attack karne ke liye isse mujhe cross karna hoga...

aur mujhe sirf mai hi cross kar sakta hun,iski itni aukaad nahi...

meri awaaz me chhupe confidence ne jaise wakayi kaafi relax kar diya tha ALFREEN ko...

uske chehre ki tention kaml hone lagi thi aur aisa hote hi uske mind me ek dusra thought aaya..


ALFREEN-i hope itna deadly opponent hamare baaki friends ko naa mila ho...


ALFREEN ki baat sun mujhe baaki dono catagories ka khayal aaya...

waise mujhe maalum tha ki ACCHUTA aur SLUNDER itne kaabil hain ki 1 kya,anginat ghante is maayajaal me bina ek kharoch khaaye guzar sakte hain par yahan baat sirf individual performance ki nahi balki pure group ki thi...

GROOMERS filhal third par the aur ye conditions unhe ussi position me rakhne ke liye best tha...

upar se MABBA jo sirf khud jeetne me nahi balki saamne waale ko kisi bhi tarah harane me believe rakhti hai aur mujhe pura yakin tha ki aisa hi kuch woh is challenge me zaroor karegi...

saamne se woh mere doston se jeete naa jeete,par chhal kar bina saamne aaye woh unki haar ka jaal zaroor bicha sakti hai...


aur isiliye...


SAMPURN DRISHYAM KAROTI....

COMPLETE VIEW....


is SPELL ko uccharit nahi kiya maine,bas socha aur mere aisa karte hi sirf ek second ke andar is jungle numa maayajaal ke har kone ki jhalak dikhne lagi thi mujhe...

wahin is beech hum chaaron ko lagatar ghurta raha woh WYVERN aur phir achanak woh wapas reth ke andar chala gaya jiske agle hi pal....





BACK TO STELLARS:-





YE WHIZZ GHAANS KE ANDAR KYA DHOOND RAHI HAI...???


VALDIS ka pucha ye sawal toh sabhi ke man me chal raha tha siway VIDEOUS ke joki MABBA ko neeche baith ghaans ke neeche ki zamin ko feel karte hue dekh bhi raha tha,aur uski mansha samajh bhi raha tha...

aapko yaad hoga ki is mayavi jungle me CHUPACABRA ke aagman se pehle ek kampan ho rahi thi jisse mehsoos kar MABBA aur VIDEOUS ki aankhen sochne waale andaz me chhoti ho gayi thi..

darasal baat ye hai ki us kampan me unhe jaani pehchani energy feel ho rahi thi joki neeche zamin se uth rahi thi aur isiliye hi us energy ko pehchaanane ke liye is waqt MABBA niche jhuki hui thi aur kuch hi seconds me usse us energy ko pehchan liya jiske baad uske face par bhi ek smile aa gayi...


MABBA man me-toh ye baat hai....REGIS issi tarike ki baat kar raha tha.is jungle ki dharti ko ELYSIAN ki dharti ke kano se banaya gaya hai...

isiliye isme uth rahe kampan se bhi wahi BLACK ENERGY ke power ray feel ho rahe the jo CHOSENS me feel hote hain...

ye toh badhiya hi ho gaya...ab hume is challenge me jeetne se koi nahi rok sakta..

and RAAZ, ACCHUTA, SLUNDER,HIDA...ab dekho kya haal karti hun mai tumhara aur tumhari puri catagory ka...

mar toh sakte nahi ho tum sab yahan,par dar toh mout jaisa mil hi sakta hai naa... toh wahi sahi...


man me ye sab soch khadi hui MABBA aur phir pehle usne apni aankhon ko band kar GROOMERS aur WEAKLINGS ki position dekhi aur uske baad usne apne kadam aage badha liye par uske aisa karte hi....


KHOOOORRRRRRRHHHH....


ek baar phirse gurraya CHUPACABRA aur khudko halka sa piche kar usne MABBA ki taraf challang laga diya..

jahan creature ko apni taraf challang lagate dekh MABBA se thode piche khade SAVENTS ghabra gaye the wahin MABBA ko koi fark hi nahi pada tha...

woh aage badhti chali gayi par jaise hi woh creature uske sir par pahuncha toh...

second ke daswe hisse se bhi kam waqt me ek taraf roll kar gayi MABBA aur itna hi nahi,jahan ek pal pehle woh khadi thi,wahan BLACK ENERGY ka ek ghera bhi ban chuka tha..

aur jaise hi woh creature us ghere par land hua,BLACK ENERGY ke kano ne usse baandh liya...

par jaisa ki REGIS ne bataya tha ki kisi bhi creature par kiya gaya kisi bhi waar ki taakat ko woh copy karne ka hunar rakhta hai, toh waisa hi kuch yahan bhi hua tha....

un energy kano ne jaise hi us creature ko bandha,toh uske kuch hi seconds ke andar CHUPACABRA ne uski taakat ko copy kar liya jiska matlab tha ki agle hi pal woh us bandhan se azaad hone waala tha...

par MABBA ka jo maksad tha us CHUPACABRA ko baandhne ka,woh waise bhi pura hi chuka tha...

kyunki usse baandhte hi us ghere ke andar ek hulchul hone lagi thi aur har beethete pal ke saath woh hulchul ek naya roop le rahi thi..

ek MAGIC DOOR ka roop aur aisa hote hi CHUPACABRA fisalne laga tha aur kuch hi palon me jab woh DOOR pura khula toh CHUPACABRA STELLARS ke saamne se gayab ho chuka tha...


BAS YAHI NAHI KARNA CHAHIYE THA TUJHE MABBA....

KHUDKI JEET SE ZYAADA TUNE HUMARI HAAR KI KHAWISH RAKH KHUDKI HAAR PAKKI KAR LI HAI....

AB DEKH,TERA KHEL MODIFICATIONS KE SAATH KAISE TUJHPAR BHAARI PADTA HAI...


ye thi meri awaaz yaa fir kahun meri soch jo MABBA ki harkat jispar nigah thi meri,usse dekhkar nikli thi...




BACK TO GROOMERS:-




ABBE AB YE KYA BALA HAI....!!!! AUR YE HAWA SE KAISE GIRA...???

WHIZZDERS REGIS NE TOH KAHA THA KI HAR CATAGORY KA SAAMNA EK CREATURE SE HOGA...

PAR YAHAN TOH DO AA GAYE....


ACCHUTA ki is baat se sabhi GROOMERS aur EDWINA sehmat bhi the aur hairan bhi...

is waqt unke saamne SNALLYGASTER ke saath saath ek aur jeev bhi tha jo kuch seconds pehle hi SNALLYGASTER ke baaju me upar se tapka tha...

aur filhal woh dono hi jeev ek dusre ko aamne saamne dekh gurra rahe the...


EDWINA-ye ek CHUPACABRA hai.. equally dangerous as SNALLYGASTER...par ye yahan kaise...???


MABBA KA TOUFA HAI TUMHARE LIYE....???


ye meri awaaz thi jo ACCHUTA aur SLUNDER ke dimag me gunji thi jisse sun pehle toh woh dono chownke par phir woh dono bhi man hi man MABBA ko gaali dene lage aur phir..


SLUNDER-hum in dono hi creatures ko khtam kar MABBA ko as a gift parcel kar dete hain....

MAI-dimag bhi stadium me hi chhod aaya hai kya..???mayavi immortals ko kaise maarega tu..??

upar se tere waar se teri abilities ko copy kar lenge ye dono creatures aur agar aisa hua toh inke mooh me jaane se bacha nahi paayega khudko..

ACCHUTA-toh ab kya karen..???

MAI-simple job hai tum dono ka... SLUNDER,its time to uncover your SHIELD strength...

par sirf .50 percent.... itni power ki SHIELD ko pure GROOMERS ke upar laga...

aur ACCHUTA,tu control me le sabka dimag aur bhaga unhe..


SAVENTS hain toh 1 ghanta araam se doud sakte hain...

illusion paida kar har kisi ke dimag me ki creatures unke piche hi hai aur haan dhyan rahe,har banda alag alag disha me bhaagna chahiye taaki kisiko dusre ke illusion ki khabar naa ho...

aur haan, dikhane ke liye bhaagna tum dono ko bhi hai...

dekho, dono creatures ke beech sandhi ho chuki hai...dono tumhe hi dekh rahe hain....jaldi karo jo kaha hai....


jahan is baat ke baad meri awaaz aana band ho gayi wahin meri baat sun jab ACCHUTA aur SLUNDER ne saamne dekha toh paaya ki laar bahate woh dono daityakar creatures unhe hi dekh rahe the aur isiliye....


SLUNDER-SWATONIHATE KAWACHAM

ACTIVATE SHIELD....


saare GROOMERS ko mehsoos kar apne man me SHIELD ki limit tay kar is SPELL ko uccharit kiya SLUNDER ne jiske baad sabhi GROOMERS including EDWINA ke chaaron taraf ek adrishya shield ban gayi..

wahin same time me..


ACCHUTA-BHAAPAME VIYATARE

SENSE THE DANGER


ACCHUTA ke bole SPELL ke asar se sahhi GROOMERS ko khudse 50 metre door khade dono creatures 2 feet door khade dikhne lage aur aisa hote hi sabhi piche mood bhaag khade hue..

ACCHUTA aur SLUNDER ne bhi aisa hi kiya par is beech ACCHUTA ne un sabke mind ko control kar ye sunischit kiya ki sabhi alag alag disha me bhaagen...

wahin apne shikar ko bhaagta dekh
CHUPACABRA aur SNALLYGASTER bhi GROOMERS ke piche vidyut gati se bhaage...

par jaise hi dono creatures me se koi bhi kisi GROOMER ke sir pahunch uske sir ko chabane ke liye apne mooh aage karta toh us GROOMER ke chaaron taraf lage SHIELD ki wajah se woh us GROOMER ko chhu nahi paata....

ab ye SHIELD creatures par humla karne ke liye toh thi nahi, GROOMERS ki safety ke liye thi isiliye woh dono creatures us ability ko copy nahi kar sakte the...

wahin stadium me baithe sabhi parents, WHIZZES aur WHIZZDERS ko aisa dikh raha tha jaise un creatures ke mooh SAVENTS ke sharir se kuch inch door tak hi pahunch paa rahe the...

dhadakte dil se is jaanleva lagne waale challenge ko dekh rahe the saare parents..





BACK TO WEAKLINGS:-






ISKI TOH MAI.....SAALE KI JEEBH HI KAAT DETA HUN....


BRAWNY ke bol the ye...

reason...

WYVERN jaise hi reth ke neeche gaya, uske do second baad hi woh apna mooh faade us jagah se bahar nikla jahan hum khade the yaa phir ye kahun ki BRAWNY khada tha par us WYVERN ke bahar niklane se ek seond pehle hi hum chaaron hawa me uth chuke the...

upar uththe hue WYVERN ki laplapati jeebh dekh kar kahi thi woh baat BRAWNY ne jispar....


MAI-faayda usse kuch hoga nahi...jeebh toh wapas aa hi jaani hai...

ALFREEN-toh karen kya...????aise hi hawa me khade rahe..???



HABHHHH.....

ALFREEN ki baat puri hui hi thi ki WYVERN ek baar phir reth se nikla..

is baar uska shikar mai tha aur uski challang mai jahan khada tha, utni upar thi par mai satark tha...

isiliye uske mere paas pahunchne se pehle hi mai side hath gaya tha...

mooh faade upar uththe WYVERN ne jab mooh band kiya toh woh waar khaali hi gaya...

khair,uske wapas reth me ghuste hi...


MAI-upar aasman ki hadh me bhi agar khade ho jaayen tab bhi ye wahan pahunch jaayega...

HIDA-toh ab kya karen....???

MAI-ussi catch ka faayda lete hain jiske baare me REGIS ne bataya tha...

HIDA-tumhe pata hai us catch ke baare me...???


HAABHHH...


HIDA ke baat khatm hote hi WYVERN ek baar phir reth se bahar nikla aur is baar uska nishana HIDA thi par meri hi tarah woh bhi satark thi isiliye woh turant apne right move kar gayi aur tabhi...


MAI-neeche dekho...


WYVERN,joki khaali waar ke baad neeche reth ki taraf jaa raha tha,uski taraf point kar maine ye baat kahi jisse sun baaki teeno ki nazar bhi neeche ki taraf gayi jahan is waqt woh reth ka bhaag jahan se WYVERN bahar aaya tha,wahan ki reth hati hui thi aur ek sakth zamin nazar aa rahi thi..

us zamin par is waqt ek MAGICAL DOOR khulne laga tha aur WYVERN ke neeche pahunchte tak woh pura khul chuka tha jis wajah se woh us door se hota hua uske dusri taraf pahunch gaya...





BACK TO STELLARS:-






MABEL-arre,woh creature kahan gaya...???

MABBA-GROOMERS ke paas....


MABBA ki baat sun STELLARS aakhon me sawal liye uski taraf dekhne lage jispar...


MABBA-relax SAVENTS,aur ab chill karo..agla ek ghanta bas yahi karna hai hume...

kyunki REGIS ne jis catch ki baat ki thi,woh wahi magic door tha jo yahan ki zamin par banaya jaa sakta kyunki yahan ki zamin ELYSIAN ki mitti se bani hai..

sirf yahi magical stratergy yahan kaam aa sakti thi jo maine kaam me le li...

maine humpar appointed CREATURE ko GROOMERS ke paas bhej diya hai jahan wo dusre creature ke saath milkar unke pure catagory ka khel khtam kar dega..

sense toh teeno hi creatures ne hum sabhi CHOSENS waasiyoh ko kiya hua hai isiliye GROOMERS ka kaam khatm kar yaa toh woh dono yahan aayenge yaa fir sidhe WEAKLINGS ke paas jaayenge..

agar yahan aaye toh mai unhe WEAKLINGS ke paas pahuncha dungi aur agar sidhe WEAKLINGS ke paas woh dono pahunche toh pehle se WEAKLINGS ke liye oppointed creature ke saath milkar teeno creatures un chaaron loosers ka khel khatm kar denge,hence STELLARS will be the lone survivors and winners of this challenge....


MABBA ki baat sun jahan bohot se STELLARS khush hue wahin kuch kuch STELLARS ko uski baat achi nahi lagi thi aur in kuch me mahiibhi shamil thi...


par ab jab usse maaulum tha ki uske brain me negetive energy ke kan, isiliye kisi bhi negetive baat par woh oppose nahi karti thi kyunki usse pata tha ki agar usne aisa kiya,toh wo negetive energy ke kan jo filhal shaant hain,woh phirse unstable ho jayenge jisse ki usse hi taklif hogi...

par kuch toh kehna hi tha isiliye...

MAHI-par WHIZZ...aapki hi tarah un do catagories me bhi toh REGIS WHIZZDER ke catch ko samajh usse implify kar sakta hai...???

MABBA-naahi yeh maamuli ARROW BOW waala challenge hai aur naahi us catch ko samajhna un loosers ke bas ki baat hai.. isiliye relax,aisa kuch nahi hoga..


abhi bade PROUDLY MABBA ne apni baat kahi hi thi ki.....

DHAPPPPP......


uske kuch piche se ye awaaz aayi jisse sun jab woh piche palti toh uski aankhen badi ho gayi...

reason...

uske saamne ek naya creature tha jiske baare me woh jaanti hi thi isiliye...

WYVERN.....


us creature ka naam lete hue hi MABBA hairan hone ke saath behadh satark bhi ho gayi thi kyunki woh jaanti thi ki ye creature lightning speed se doudta hai...

aur isiliye jaise hi WYVERN ne un sabko dekh halki si movement ki toh uske agle hi pal MABBA ne uske aage ek magic door khol diya jiski wajah se tezi se aage badhte hua WYVERN khudko rok nahi paaya aur us door se hota hua uske dusri taraf joki GROOMERS ki jagah thi,wahan pahunch gaya..


HAASH.....

DHAAPPP.....


MABBA ne WYVERN ko wapas bhej chain ki ek hi saans ki thi ki tabhi ek aur magic door khula jisse hokar WYVERN wapas uske saamne aakar gira....


VARDHADIT DWARANAM...

CONTINOUS DOORS....


yahi SPELL bola tha RAAZ ne jiske asar se ab woh creature kisi bhi door se jaane ke baad ek naye door ki madad se wapas STELLARS ke paas hi aana tha...

ye ek khatarnaak MAGIC DOOR SPELL tha jisse kaata nahi jaa sakta tha...

khair, WYVERN ko wapas saamne dekh hadbada gayi thi MABBA..

aur is hadbadi ke do reasons the..

pehla toh yahi tha ki WYVERN ko usne apne saamne dobara aur woh bhi itni jaldi expect nahi kiya tha aur dusra,is baar wo creature MABBA se bas 10 metre door hi aakar gira tha aur girte hi usne aage doudne ka stance le liya tha..

aur isse pehle ki MABBA wapas zamin par MAGIC DOOR banati,usne WYVERN me ek movement dekhi jisse sense kar woh ek taraf kood gayi aur aisa hone ke agle hi pal...


AHHHHHH.....

ek dard bhari awaaz har taraf gunj uthi...

awaaz sun jab MABBA ne palat kar dekha toh paaya ki is waqt ek STELLAR joki VALDIS ke left me hi khada tha,usse aadha se zyada khaa chuka tha WYVERN...

is drishya ko dekh STELLARS ki aisi fati ki sab kuch bhool kar woh ab idhar udhar bhaagne lage the...

ab waise hi SAVENTS ki speed kaafi zyada hoti hai aur isiliye MABBA ke kuch kehne se pehle hi kaafi SAVENTS nou do gyarah ho chuke the..

sirf VIDEOUS us creature se kuch door par satark mudra me khada tha aur MAHI usse thodi door khadi dhyan se us creature ki movement ko dekh rahi thi....

wahin us STELLAR ko pura khaane ke baad WYVERN VIDEOUS ki taraf mooda par isse pehle ki woh aage badhta,uske aage hi VIDEOUS ne ek MAGIC DOOR khol diya tha jisse hokar woh dusri taraf chala gaya par fir agle hi pal woh VIDEOUS se kuch door dusri taraf se wapas bhi aa gaya...

is baar uska rookh MAHI ki taraf tha...

wahin creature ke yun automatically wapas aa jaane se VIDEOUS samajh chuka tha ki ispar
CONTINOUS DOORS ka magic kiya gaya hai jisse kaata nahi jaa sakta..

par,us magic ka raasta badla toh jaa hi sakta hai....is thought ke dimag me aate hi VIDEOUS ke chehre par ek smile naach uthi...

usne saamne dekha toh paaya ki ab us creature ne challang laga di thi par MAHI joki behadh satark thi, usne creature ke khudpar challang lagane se pehle hi khudko ek jhatka diya tha aur us creature se thoda upar uth chuki thi..

aur jab woh creature wapas zamin par aaya toh MAHI ne hawa me hi kalabaazi khaate hue ek MAGIC DOOR uske neeche hi khol diya tha jisse hote hue woh pehle dusri taraf gaya aur phir dusre MAGIC DOOR se hote hue wapas MABBA ke saamne prakat hua....

par ab VIDEOUS is khel ka rookh badalna chahta tha aur isiliye usne apna haath aage kiya par tabhi...


AHHHH....AHHHHH....AHHHH......


ek ke baad ek kayi saari cheekhen gunj uthi chaaron taraf se uske, MABBA aur MAHI ke kaano me jisse sun VIDEOUS ki tez nazar us adhure ujale aur andhere ke beech bane ghane jungle ke har naa dikhne bhaag ko bhi bhedeti hui har taraf jaane lagi aur jab aisa hua toh uske saamne jo drishya aaya,usse dekh woh halka hairan hua...

is waqt har bhaagte yaa chuppe hue STELLAR ke paas magic door khul raha tha jisse baaki dono catagories ke creatures bahar nikal rahe the aur agle hi pal unke saamne waala unke pet me pahunch jaa raha tha...

is drishya ko MABBA ki tez nazaron ne bhi dekha tha jisse dekh uski bhi aankhen hairani se badi ho chuki thi..

ussike chaal ko 3 guna tak zyada effect ke saath kisine joki usse yakin tha ki RAAZ hi hai,uspar palat diya tha...

jahan aisa hota dekh MABBA ghusse se bhunbhuna rahi thi,wahin VIDEOUS ka dimag shaant tha...

ab uske MABBA aur MAHI ko chhod sirf 2 STELLARS hi bache the...


MABEL aur VALDIS....


aur un dono par hi nazar thi is waqt VIDEOUS ki...

wahin MABBA ko toh WYVERN mouka hi nahi de raha tha bilkul...uske MAGIC DOOR se wapas aane ki speed bhi kaafi badh gayi thi jis wajah se woh bas uspar hi focus banaye hue the..

MAHI ki nazar bhi MABBA aur us creature par hi thi taaki agar MABBA se koi chuk ho toh woh morcha sambhal sake...

khair,kuch palon ke wait ke baad jaise hi VALDIS aur MABEL ke piche ek MAGIC door khula toh VIDEOUS ke aankhon ki putliyan naach uthi aur aisa hote hi un khuke MAGIC DOORS se do inch door hi ek dusra DOOR khul gaya jisme first door se nikalne ke baad woh dono creatures sama gaye aur agle hi pal....


AHHHH....AHHHH....AHHHH......

ek ke baad ek kayi cheekhen gunj uthi par is cheekh ko MABBA ne nahi suna par haan, VIDEOUS ne mehsoos zaroor kiya aur aisa kar woh muskura diya....

reason...

abki baar ki ye cheekhen GROOMERS ki thi jinhe lagatar alag alag MAGIC DOORS ko khol dono creatures ke through VIDEOUS khatm kar raha tha...

kuch hi seconds me ACCHUTA aur SLUNDER ko chhod koi bhi GROOMER nahi bacha tha..

yahan tak ki EDWINA bhi challenge se bahar ho chuki thi..

haan,usse bahar karne ke liye VIDEOUS ko ek saath dono creatures ke through uspar attack karwana pada tha ....

GROOMERS lagbhagh khatm ho chuke the aur jo do bache the,unhe khatm karne se pehle VIDEOUS ek baar WEAKLINGS me bhi bhagdadh machana chahta tha aur isiliye usne RAAZ and party ki taraf rookh karne ka socha...

BRAWNY aur HIDA ke saamne do MAGIC DOORS khule jisme se CHUPACABRA aur SNALLYGASTER bahar nikal unki taraf koode aur phir....


AHHHH...AHHHHH....

do cheekh nikli jisse sun khush hone ke bajaye halka ghussa dikha VIDEOUS ke chehre par....

reason....

ye cheekh HIDA aur BRAWNY ki nahi balki VALDIS aur MABEL ki thi...

toh hua ye ki jaise hi BRAWNY aur HIDA ke saamne MAGIC DOOR khula aur usse dono creatures nikle toh ussi pal do aur doors khule jisme pehle toh BRAWNY aur HIDA samaye aur uske baad woh dono creatures par door ke andar samate hi BRAWNY aur HIDA apne left ki taraf kood gaye..

ye naya door STELLARS ke area ka tha jiske dusri taraf VALDIS aur MABEL the aur BRAWNY, HIDA ke achanak prakat hone aur hatne ki wajah se woh thode hadbada gaye par isse pehle ki woh kuch samajh paate, DOOR se nikalte dono creatures ke mooh me woh sama chuke the...

wahin VALDIS aur MABEL ka khel khatm karne ke baad HIDA aur BRAWNY wapas apne allotted jagah par MAGIC DOOR ke through chale gaye...


CHAAL CHALTE WAQT KHAYAL RAKHNA ZAROORI HAI KI KAHIN CHAAL ULTI NAA PADH JAAYE...


VIDEOUS ke piche se aayi thi ye awaaz jisse sun woh piche palta nahi kyunki woh jaanta tha ki is awaaz ka maalik kaun hai....???

RAAZZZ......


wahin apni baat keh mai aage badhte hue VIDEOUS ke baaju me jaakar khada ho gaya...


VIDEOUS-apne team ko chhod kar yahan nahi aana chahiye tha tujhe.....????

MAI-1 ghante khatm hone me sirf 1 hi minute baaki hai....itni der toh khudko sambhal hi legi meri team...

tu apni dekh,second challenge bhi haar rahi hai teri catagory...


VIDEOUS-faisla faisle ki ghadi se ek second pehle tak bhi nahi kiya jaata..

phir abhi ek minute baaki hai RAAZ.....


meri aankhon me dekh kahi thi ye baat VIDEOUS ne jahan is waqt behadh halki movements lagatar ho rahi thi..

aur thik waise hi movements meri aankhon me bhi ho rahi thi...

reason...

baat karte hue bhi hum dono ke SPELLS aur us SPELL ke kaam chalu the...

jahan ek taraf VIDEOUS lagatar dono creatures CHUPACABRA aur SNALLYGASTER ko MAGIC DOORS ke through meri caragory WEAKLINGS ke paas bhej raha tha,wahin mai bhi lagatar MAGIC DOOR bana un teeno ko dono creatures se bachaye jaa raha tha....

har guzarte waqt ke saath hum dono ki hi MAGIC DOORS banane ki speed badh rahi thi jisse use me laane ka bakhubhi saath de rahe the VIDEOUS ki taraf se woh dono creatures aur meri taraf se mere friends...

is beech MABBA aur MAHI ke saamne waale creature ki MAGIC DOOR se wapas aane ki speed bhi kaafi badh gayi thi jisse woh doni bohot mushkil se sambhal rahe the...

CHUPACABRA aur SNALLYGASTER ke liye VIDEOUS bhi do MAGIC DOORS bana raha tha aur apne friends aur WYVERN ke liye mai bhi do MAGIC DOORS bana raha tha jiski wajah se DOORS banane ki speed hum dono ko same hi thi...

par ab sirf 20 second hi reh gaye the challenge khatm hone me jiska matlab tha ki agar abhi jaisa hi 20 second aur chalta raha toh mai ek baar phir STELLARS aur VIDEOUS ko hara dunga aur isiliye VIDEOUS andar se halka restless hone laga tha par tabhi.....

AAHHHHHHH........

ek halki cheekh nikli jisse sun ek smile naach utha VIDEOUS ke chehre par....

reason....

achanak se hi VIDEOUS ke MAGIC DOOR banane ke speed tez ho gayi jiski wajah se kuch pehle hi nikal aaye uske andar se CHUPACABRA aur SNALLYGASTER..

ye woh waqt tha jab meri MAGIC DOOR bas bani hi thi jisme HIDA aur BRAWNY toh ghus gaye the par ALFREEN nahi ghus paayi thi aur tabhi CHUPACABRA ustak pahunch gaya aur ek baar me hi usne ALFREEN ko nigal liya...

halke cheekh ke beech bina pata lage hi ALFREEN challenge se out ho chuki thi aur isiliye hi VIDEOUS ke chehre par smile thi...

wahin kuch pal shaant rehne ke baad jab mahaz 5 seconds bache reh gaye the challenge over hone ke toh VIDEOUS si hi par halki gehri smile mere chehre par bhi aa gayi jisse dekh VIDEOUS chownka par isse pehle ki woh kuch samjhe aur react kare....

AHHHH.AHHHH....


do halki cheekh ko feel kiya usne jiske agle hi second challenge khatm ho gaya aur saath hi pura scene bhi.....

hum dono wapas stadium me the jahan is waqt har koi apni jagah par khada yaa toh mera naam pukar raha tha yaa phir taali baja raha tha jisse dekh pehle toh VIDEOUS halka chownka par phir uske mind ne nano seconds me hi pura ganit solve kar diya aur aisa hote hi..

SHITTTT.........

halka gurrate hue kahi ye baat VIDEOUS ne...

wahin jahan ek taraf meri catagory ke teeno members has rahe the jisme ACCHUTA aur SLUNDER bhi unka saath de rahe the wahin dusri taraf MAHI toh normal hi thi par MABBA ke mooh par baara baja hua tha aur woh isiliye kyunki usse bhi ab tak jo game hua tha,uske baare me pata chal chuka tha...


JUNG JEETNE KE LIYE KABHI KABHI BAAZI HAARNI PADTI HAI...


issi tark ko sach kar dikhaya tha maine aaj...

kaise..??? aayiye,aap bhi jaan lijiye..


toh baat ye hai ki VIDEOUS ki MAGIC DOORS banane ki speed ka badhna,mere DOOR banane ki speed ka kam hona, ALFREEN ko us creature ka khaana,ye sab mera plan tha...

VIDEOUS ke saamne aane se pehle hi maine ALFREEN ko bata diya tha ko usse ek bait ko tarah khudko istemal hone dena hai..

is baat se ghabrayi zaroor thi ALFREEN par woh jaanti thi ki HIDA aur BRAWNY filhal usse zyada strong hai aur strong bando ko bait nahi banaya jaata...

saath hi last challenge me baaki teeno ke saamne khudko kamzor feel kiya tha usne isiliye is challenge me woh ek sahi yogdan dena chahti thi apni team ke liye jo usse mil raha tha...

wahin dusri taraf VIDEOUS joki un creatures ke through meri team ka kuch bigad nahi paa raha tha, isiliye usme frustration aane lagi thi....

uska thoda focus MABBA ke taraf bhi tha jis wajah se woh mujhse zyada tezi ke saath MAGIC DOORS nahi bana paa raha tha aur isiliye usne ek pal ke liye apna pura focus meri team par shift kiya aur yahi toh mera plan tha..

uske focus shift karte hi uske MAGIC DOORS banane ko speed badhi aur tab maine apna plan exicute kar diya...

ek taraf maine khudke MAGIC DOORS banane ki speed kam ki aur aisa hote hi ALFREEN ne bhi khudko aur slow kiya aur apni khushi se sidhe CHUPACABRA ke mooh me chali gayi..

par iske saath maine WYVERN waali MAGIC DOOR ki speed hadh se zyada badha di jiske chalte MABBA aur MAHI hadbada gaye aur unka pura focus sirf bachne me lag gaya aur aisa hote hi maine ek saath do MAGIC DOORS banaye..

pehle MAGIC DOOR me kadam rakha MABBA aur MAHI ne jo unhe le gaya WEAKLINGS zone ki taraf jahan par pehle se hi do creatures khade hue the...


ALFREEN ko unme se ek khaa chuka tha aur ab MABBA,MAHI ko dekh SNALLYGASTER unki taraf badha jiske liye MABBA ne turant ek DOOR banaya par tabhi....


WYVERN ki khaasiyat toh yaad hi hogi aap sabko...pehle MABBA ke piche prakat hua woh woh par phir reth ke andar se bahar nikal ek dusre ke aas paas khadi MABBA aur MAHI dono ko ek baar me hi apna bada sa muh khol nigal gaya wo..

hence,plan successful....


REGIS-brilliant RAAZ... absolutely brilliant...MAGIC DOORS ka aisa use aaj se pehle kabhi nahi dekha gaya hai..

infact WICKEDS aur MORALS bhi aisi rachna nahi kar sakte jaisa tumne kiya hai...

VIDEOUS,MABBA,bhale hi RAAZ tum dono par bhaari raha hai par phir bhi tumhara performance kamal ka tha...

RAAZ tumpar bhaari raha hai,in shabdon ke baad toh kuch sunai hi nahi diya tha MABBA aur khaas kar VIDEOUS ko..

woh ek pal bhi wahan nahi rooka aur khudko shaant karne ke liye ek disha ki taraf badh gaya...

taaliyon ki gunj abhi bhi barkarar thi aur issike beech...


REGIS-well,is second challenge me STELLARS se sirf ek SAVENT, VIDEOUS hi SURVIVE kar paaya hai, isiliye unhe total 50 points milte hain..

wahin GROOMERS se ACCHUTA aur SLUNDER,do SAVENTS ne survive kiya hai, isiliye unhe 60 points milte hain...

and finally, WEAKLINGS se sirf ek SAVENT hi bahar hua, isiliye unhe 90 points milte hain....

toh issike saath teeno catagories ka total score kuch is prakar hai...


STELLARS-90+50=140 points ke saath third position par hain...


GROOMERS-85+60=145 points ke saath second position par chal rahe hain...


aur WEAKLINGS-95+90=185 points ke saath sabko chonkate hue first position par kaayam hain...

congratulations WEAKLINGS..we are proud of you.....


REGIS ki anouncement se zyadatar log khush hi the aur is beech ALFREEN aur mere baaki friends mere paas aakar apni apni khushi jatane lage par tabhi.....


U ARE SO DEAD RAAZ.......


ek gurrati hui awaaz mere aur mere aas paas ke sabhi logon ke kaano par padi joki MABBA ki thi jo ki is waqt thik mere piche apni laal ho chuki aakhon se ghoor rahi thi mujhe..

wahin jahan mai chehre par muskaan liye MABBA ki taraf palta wahin ALFREEN MABBA ke haaw bhaav dekh halki ghabra gayi thi...

khair,mere smile ko dekh...


MABBA-has le.. bohot kam waqt bacha hai waise bhi tere paas.....aur ab tere saath tere in doston ko bhi aisi saza milegi jisse rooh kaamp jaayegi inki....


MABBA ki baat sun HIDA kuch kehne hi waali thi ki rok diya maine usse aur khud MABBA ke saamne jaakar khada ho gaya..


mere aisa karte hi MABBA ne apni nayi paayi hui devilish shakti ka halka sa AURA mujhpar chhoda taaki mai us power se intimidate ho jaaun....

par mere chehre ki smile aur badh gayi thi uske aisa karne se..

khair,kuch der tak usse dekhne ke baad..


MAI-pehle bataiye,gidad kaun aur sher kaun....???


meri baat sun MABBA ko ussike challenge se pehle kahe shabd yaad aa gaye the par woh chupchaap mujhe ghurti rahi jispar...


MAI-tark wahi sahi jo karm me parivartit ho sake... haisiyat jab kutiya ki ho toh example sherni ka nahi diya jaata...


meri baat sun apni jhulasti aankhon se mujhe kuch kehne ko hui MABBA par tabhi...


MAI-SSSHHHHHH...awaaz nahi...warna haalat se pehle aapki awaaz bigaad dunga mai...

waise waqt waali baat sahi ki thi aapne..bas halka correction hai...

waqt aapka kam bacha hai...saans lene ke ehsaas ko ji lo in aakhri lamho me....

marengi nahi aap,par zinda lagengi bhi nahi aap...lines yaad rakhiyega.....





aapki bekhouf aankhon ko aakhir
me do DARNA HI HAI...

chadha lo jab tak waqt hai,baad me toh saari charbi ko UTARNA HI HAI.

woh lamha nazdik hai jab tutega saara bhram......

aisi zindagi milne waali hai jisse dekh sab kahenge ki isse acha toh MARNA HI HAI....













AAJ KE LIYE ITNA HI.....











AAPKA APNA V....J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI SECOND CHALLENGE SURVIVAL ME BHI WEAKLINGS RAAZ KI WAJAH SE FIRST POSITION PAR AATE HAI..


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE STADIUM



MEGA UPDATE-102



EXERTION:-

FINAL PART.....(FIRST SEGMENT)






KNOCK OUT.....EXERTION KA AAKHRI CHALLENGE....


REGIS ki jagah is baar khud SOVES SHAILA hume EXERTION ke aakhri challenge ke baare me bata rahi thi....

second challenge ke baad turant baad hi third challenge ki anouncement shuru ho chuki thi..

waise toh pyscically SAVENTS asaani se thakte hain nahi par SURVIVAL challange me un teen creatures se bhidne,marne aur bachne ki wajhse halki halki thakan SAVENTS feel kar rahe the par is cheez ko darkinar kar third challenge ab start hone hi waala tha..

khair, apni baat ko aage badha....


SHAILA-is third challenge ko KNOCK OUT ki jagah BLACK OUT bhi kaha jaa sakta hai..

iske do reasons hain..

pehla,abhi tak ke aapke dono challenges hum sabne dekhe hain,par is aakhri challenge ke hum darshak nahi honge....

humari aankhon ke liye ye competition completely BLACK OUT hoga...

dusra reason hai is challenge me hone waali takkar jiske aakhir me sirf ek hi catagory ke SAVENTS yaa fir koi ek SAVENT hi bacha hoga,baaki sab KNOCK OUT yaa fir BLACK OUT ho chuke honge...

ab baat karte hai is challenge ke baare me..

KNOCK OUT CHALLENGE me naa koi time limit hai aur naahi kisi bhi tarah ki bandish hai...

kuch der baad aap sabko ek naye bhulbhulaiya me alag alag dishaon me bhej diya jaayega..

aisa hone ke baad hum sabka aap SAVENTS se contact puri tarah se khatm ho jaayega....

us bhulbhulaiya me apni catagory ke saath milkar yaa phir individually aapko apne opponent catagory ke SAVENTS ko dhund dhund kar unse ladhna hai...

ye ek POWER CONTACT challenge hai jisme aapko apne pratidwandi ko apni shakti pradarshan se yaa toh behosh karna hai yaa phir waisi hi kisi state me pahunchana hai jisse ki uski senses band ho jaaye...

dhyan rahe,is challenge me shakti pradarshan ki aur apne pratidwandi ko nuksaan pahunchane ki koi limit nahi hai...

agar aapko lage ki yudh me aapki haalat kharab ho chuki hai toh aapko swayam chillate hue SURRENDER shabd uccharit karna hoga jiske baad aapka challenge samapt ho jaayega aur aap yahan stadium me apne aap hi pahunch jaayenge...

haarne ki kagaar par pahunchne ke baad bhi agar aapne haar nahi maani aur ladhte rahe toh aapki jo bhi haalat hogi,uske aap swayam zimmedar honge....

WEAKLINGS,filhal aap points table par sabse aage chal rahe hain..

isme aapke behatarin performance ke saath saath points baatne ke ratio ki bhi ek ehem bhumika rahi hai...

us ratio ka pehle dono hi challenges me aapko faayda mila hai par is third challenge me yahi ratio aapke khilaaf hai...

STELLARS me kul 25 participants hain aur GROOMERS me 16...

par aapke catagory me sirf 4 participants hain...

ratio ke hisaab se dekhen toh GROOMERS ke 4 SAVENTS ke saamne aapme se sirf 1 SAVENT is challenge numa yudh me khada hoga jisse usse ladhna hoga...

raah aapki bohot kathin hone waali hai par hume ummid hai ki jaise aapne pichle dono challenges me adhbhudh perform kar sabko chakit kiya hai,is baar bhi kuch waisa hi hoga....

ab agar baat karen result milne ke tarike ki toh ye bohot simple hai..

kul do tarike hain...

pehla...

aakhir me jaise hi teen me se do catagories ke saare SAVENTS KNOCK OUT HO JAAYENGE toh bachi catagory winner ban jaayegi...

jitne SAVENTS us catagory me bache honge,uske according us catagory ko points milenge....

dusra tarika hai sandhi...

agar aap chahen toh apne pratidwandi catagory ke SAVENTS se sandhi bhi kar sakte hain..

apne targets ko KNOCK OUT karne ke baad dusre catagory ke SAVENTS ke saath sandhi kar aapko ek dusre kaa haath pakad MIDDLE GROUND uccharit karna hai..

par dhyan rahe,aisa karne se pehle ye confirm hona zaroori hai ki baaki ke bache pratidwandi KNOCK OUT ho chuke hain..

uske bina sandhi possible nahi hogi...

any questions....???

SAB-NO SOVES...

SHAILA-best of luck...


SHAILA ki baat sun halke dar ke saath sabhi SAVENTS ki nazar stands me baithe unke parents ki taraf gayi jahan parents ki aankhon me zyada hi dar dikh raha tha..

par naa toh woh kuch kar sakte the aur naahi SAVENTS...

khair,abhi SAVENTS ko apne parents ko dekhte hue 5 seconds bhi nahi hue the ki woh sabhi chownk gaye....

reason...

unke saamne ka pura scene badal chuka tha...ab woh stadium me nahi the balki apni apni catagory ke members ke saath ek nayi jagah par khade the...

ped, poudhe,aur chaaron taraf prakrutik nazaare ke beech bane ek MAZE me...ek BHULBHULAIYA me....




KNOCK OUT CHALLENGE:-





SWABHIDHAM

SEARCH


MABBA ke man me uccharit hua tha ye SPELL jisse jiske agle hi pal naa sirf uske sharir se sense ray nikal aage badh gaye balki ussi second ke beetne se pehle hi MABBA ko GROOMERS aur WEAKLINGS ka exact position pata bhi chal chuka tha...

wahin MABBA se thodi door khada VIDEOUS bhi yahi karne waala tha par jab usne MABBA ke sense ray ko feel kiya tha toh ussi ray se MABBA tak ko pata lage bina khudko jod liya usne jiski wajah se MABBA ke saath usse bhi baaki dono catagories ke location mil chuke the....

khair,aisa hone ke turant baad...


VAJRAM

ATTACK


MABBA ne budbudaya ye SPELL jiske agle hi pal uske sharir se bohot saare invisible rays nikal GROOMERS aur WEAKLINGS ki taraf badh gaye....




GROOMERS & WEAKLINGS

DHAPPP..........


attack ray ko sense kar liya tha GROOMERS me ACCHUTA, SLUNDER aur yahan tak ki EDWINA ne bhi par un rays ki speed itni tez thi ki jahan ek taraf EDWINA sirf khudko bacha paayi wahin dusri taraf ACCHUTA aur SLUNDER ne jaanbujh kar sirf khudko hi safe rakha kyunki woh jaante the ki unke catagory ke baaki SAVENTS waise bhi is challenge me tik nahi sakte aur isiliye woh teeno ek taraf jump laga gaye wahin dusri taraf same cheez WEAKLINGS me HIDA aur BRAWNY ne bhi ki....

mai bas apni jagah se halka sa side hua aur saath hi ALFREEN ko bhi apne saath kheench liya....


AHHHHHH.AHHHH....AHHHHH....

ek baad ek kayi cheekh nikli un GROOMERS ke mooh se jinhe wo ray lag gayi jiske baad woh sabhi ek ke baad ek behosh hone lage jiska matlab tha ki woh sab KNOCK OUT hokar challenge se baahar ho chuke the....




BACK TO STELLARS:-




MUJHE LAGA HI THA KI PEHLE WAAR SE BACH JAAOGE TUM LOG PAR CHAHTI BHI TOH MAI YAHI THI....

BAAKI SABKO IS KHEL SE BAHAR KARNA ZAROORI THA KYUNKI TUM SAB SIRF IS CHALLENGE SE HI NAHI BALKI DUNIYA SE KNOCK OUT HONE WAALE HO....


GROOMERS ke 90 percent SAVENTS ko KNOCK OUT kar man hi man badbadaya MABBA ne aur phir woh apne SAVENTS ko kuch kehne ke liye unki taraf mudi hi thi ki tabhi....


AHHH....AHHHH.....AHHHH......


GROOMERS aur WEAKLINGS ki hi tarah ek invisible unki taraf bhi aayi jiski speed itni zyada thi ki usse bas kisi tarah sense kar liya MABBA, VIDEOUS,ANWIR aur MORANA ne aur ek taraf challang laga gaye..

wahin MAHI VIDEOUS ke just baaju me hi khadi thi isiliye chhalang lagate waqt VIDEOUS ka galti se usse bhi dhakka laga aur isiliye woh bhi ek taraf gir gayi aur luckily un rays ki chapet me aane se bach bhi gayi....

par in sabke saath ek aur bhi SAVENT tha jisse us ray ne nahi chhua aur woh tha VALDIS....

khair, jab tak woh challang lagane ke baad palte,tab tak VALDIS ko chhod baaki sabhi STELLARS zamin par gir behosh ho chuke the jisse dekh....


ANWIR-shit...un dono catagories me se kisine hume sense kar liya hai...

MABBA-kisine nahi, us RAAZ ne...

MORANA-waise ek baat aur hai...hume un rays se bachne ki zaroorat thi nahi kyunki woh rays hamare liye aayi hi nahi thi..

ye ek selective waar tha..un rays ka nishana wahi STELLARS the jinhe usne KNOCK OUT kiya hai...

aur iska matlab hai...

MABBA-open challenge...in sabko raaste se hata usne hume khuli chunouti di hai..

saamne se ladhna chahta hai woh humse...


jahan halke ghusse se gurrate hue kahi ye baat MABBA ne wahin jo abhi abhi hua,usse dekh fath ke chaar hi chuki thi VALDIS ki...

RAAZ ne bina saamne aaye itna saare STELLARS ko KNOCK OUT kar diya tha jinme se ek MABEL bhi thi joki uske hi jitni powerful thi,ye jaan fatni toh uski thi hi..

aur is dar ko MABBA ki kahi baat ne aur badha diya tha...

ye sochkar uski hawa tight ho chuki thi ki woh un STELLARS me se tha jinse woh saamne se ladhna chahta tha...

ye sab soch halki kampkapati awaaz ke saath...


VALDIS-abb kkya kare WHIZZ...???


VALDIS ki dari hui awaaz ko sun ek pal usse bhi ghusse me dekha MABBA ne par phir....


MABBA-tumhe kuch bhi karne ki zaroorat nahi hai...aas paas ki jagahon ko check out karo,bas...

baaki ka kaam humara hai...

ANWIR,MORANA....shikar karne ka waqt aa gaya....


MABBA ki baat sun ANWIR aur MORANA kaale dhuen me badalkar ud gaye...


MABBA-VALDIS ko jo kaha, same goes for you MAHI and VIDEOUS...jagah explore karo,par agar tumhe bhi challange me participate karna hai,toh you are on your own...


ye bol MABBA ek disha ki taraf badh gayi...

wahin unke jaane ke baad VIDEOUS bhi dusri disha me nikal chuka tha...

MAHI bhi is challenge me akele hi participate karna chahti thi isiliye usne VIDEOUS ko jaate waqt kuch nahi kaha aur phir woh bhi pure MAZE ko dekh ek taraf badh gayi...

aur ab reh gaya VALDIS jo MABBA ke ensure karne ke baad thoda relax ho chuka tha aur isiliye woh wahin aas paas ghumne laga....





BACK TO WEAKLINGS:-




ARRE,PUSH KYUN KIYA .???


neeche giri ALFREEN ne wapas uththe hue sawal kiya mujhse jispar...


HIDA-STELLARS ne ATTACK RAY chhoda tha..agar lag jaata toh behosh ho challenge se bahar ho jaati tum..


meri jagah HIDA ne jawab diya jispar.


ALFREEN-hain,mujhe toh pata hi nahi chala...

HIDA-challenge ke waqt focus hamesha 100 percent hona chahiye ALFREEN..khair chhodo aur chalo..


ye bol ALFREEN ko pakad ek taraf le gayi HIDA aur ek bade se ped ke paas pahunch uske trunk par haath fera usne aur uske aisa karte hi woh bada sa trunk do hisson me bath gaya aur uske beech ek khaali jagah dikhne lagi..


ye sab dekh hairan ho hi rahi thi ALFREEN ki tabhi...


HIDA-bina sawal puche andar jaao...


trunk ko yun beech se khulte dekh sawal toh utha hi tha ALFREEN ke man me par HIDA ki baat sun bina kuch kahe,woh us trunk ke andar chali gayi...aur jab aisa hua toh..


HIDA-kuch hi der me hume sense kar STELLARS ke powerful SAVENTS yahan aayenge jinse tum ladh nahi paaogi...

isiliye kamsekam agle dus minute issi ke andar rehna hai tumhe..

mai isse wapas band kar rahi hun...

yahan naa toh tumhe koi sense kar paayega aur naahi is trunk ko bahar se khola jaa sakta hai..

10 minute ke baad tum isse bahar aa jaana.. tumhare sochne maatra se ye wapas khul jaayega...


itna bol bina kuch sune HIDA ne trunk ko pehle jaisa kar diya aur wapas hamare paas aa gayi aur tab...


MAI-ladhna toh sabse hai par kab,ye samajh lo...


meri baat khatm hote hi aage ka saara ganit un dono ke dimag me feed ho gaya jisse jaan un dono ke face par smile aa gayi....


BRAWNY-toh mai jaata hun...woh dono wahan pahunchne hi waale honge..


BRAWNY ki baat par haan me sir hilaya maine jiske baad woh gayab ho gaya aur uske jaate hi...


HIDA-kya mai sidhe attack nahi kar sakti....???

MAI-pehle khushi,phir shock aur aakhri me dar...ye kram zyada mazedar hoga....


meri baat sun HIDA ke face par ek smile aa gayi jiske agle hi pal woh bhi gayab ho chuki thi....

wahin ab tak aage ka ganit maine ACCHUTA aur SLUNDER ko bhi bata diya tha aur aisa kar mai bhi araam se ek disha ki taraf badh gaya....




BACK TO GROOMERS:-




brilliant ACCHUTA, SLUNDER... tum chowkanne the isiliye attack rays ko feel paaye..

but unfortunately ab hum bas teen hi bache hain is challenge me, isiliye hume zyada satark rehna padega..


abhi EDWINA ki baat khatm hui bhi nahi thi ki usse ek disha ki taraf kisike hone ka abhas hua jisse mehsoos kar pehle toh woh chownki par phir...


EDWINA-i sensed someone...tum dono yahin raho aur ek dusre ko back karo..mai us taraf jaa rahi hun..

agar wakayi koi hamare aas paas hai toh usse pehle mujhe uspar attack karna hi behtar hoga..

we cant give anybody chance...


jahan ye bol EDWINA ek disha ki taraf badh gayi wahin uske jaate hi ACCHUTA aur SLUNDER ke face par smile aa gayi..

reason...

koi unke aas paas hai,ye half illusion ACCHUTA ne hi EDWINA ke brain me paida kiya tha..

half isiliye kyunki filhal toh jis taraf EDWINA gayi thi,wahan koi nahi tha par bohot jald hone waala tha..


khair, EDWINA ke jaate hi....


ACCHUTA-woh dono aa rahe hain....

SLUNDER-oh yehhhh.....


SLUNDER ke aakhri alfaaz khatm hue hi the ki unse thode aage hawa ko cheerte hue do kaale dhuen aaye aur rook gaye..

aur rookne ke agle hi pal un dono dhuon ne human form le liya jisse dekh...


ACCHUTA/SLUNDER-wellcome ANWIR, MORANA....


jis tarah smile karte hue ACCHUTA aur SLUNDER ne ANWIR aur MORANA ka welcome kiya,usse dekh woh dono hairan ho gaye par phir..


ANWIR-lagta hai apni mout jo dekh dimag kharab ho gaya hai tum dono ka...

SLUNDER-mujhe samajh nahi aata ki har chutiya naye chutiyape se pehle aisa hi koi out dated DIALOGUE kyun maarta hai...??

tujhe andaza hai bhai..!!!

ACCHUTA-no idea...par thik hai naa, zuban apni marzi se aakhri baar khol raha hai,toh bhownk lene de...

par yaar,afsos mujhe is baat ka hai ki in dono ki durgati mai dekh nahi paaunga..

SLUNDER-afsos....saale,apne shikar ke paas jaa raha hai,man me toh laddu phut rahe honge tere...

par sun oye,dhyan se...jaan se nahi maarna hai...

ACCHUTA-pata hai be...waise bhi,uske dil ke chalne se problem nahi hai mujhe.. uske mooh ke chalne se hai...

ussi par lagam lagani hai...

mout naa sahi,mout ka dar toh dikha hi sakta hun usse..


apne jaise dangerous SAVENTS ko saamne dekh kar bhi undekha kar apne me hi ACCHUTA aur SLUNDER ko lage dekh ANWIR aur MORANA dono ko hi hairani bhi ho rahi thi aur ghussa bhi aa raha tha aur isiliye un dono ke hi haathon me BLACK ENERGY ka devastation GOLA dikhne laga jisse ek pal rook un dono ne ACCHUTA aur SLUNDER ki taraf phek diya aur jab aisa hua toh...


FFFFHHHHHHH....


ek behadh tez hawa chali ANWIR, MORANA aut SLUNDER, ACCHUTA ke beech jiska pravah itna zyada tha ki woh do devastation GOLON ne beech raaste me hi dum tod diya aur us hawa me gayab ho gaye...

ANWIR, MORANA ne bhi us tez hawa ko naa sirf feel kiya tha balki uske impact ki wajah se unhe tez dhakka bhi mehsoos ho raha tha par kisi tarah woh dono apni jagah par khade rahe..

wahin woh tez hawa ka bawandar kuch pal un chaaron ke beech yunhi gol ghumta raha par phir woh ACCHUTA ki taraf badha aur uske side me jaakar dheere hone laga aur jaise hi wo bawandar khatm hua toh ANWIR aur MORANA ki aankhen badi hi gayi..

reason...

ACCHUTA ke baaju me khada tha BRAWNY....

wahin BRAWNY ko dekh..


ACCHUTA-chal bhai.. sambhal ab tu morcha...mai chala...


ye bol ACCHUTA aage badha aur..


ACCHUTA-excuse me guyz...


ye bol woh MORANA aur ANWIR ke beech se hote hue aage badh gaya..

ANWIR aur MORANA,jo pehle se hi jo ho raha tha,usse dekh itne hairan the ki unhe ACCHUTA ko jaate dekh kuch kehte hi nahi bana...

khair,kuch seconds me ACCHUTA sabki nazaron se door jaa chuka tha aur tab...


SLUNDER-khel shuru karen guyzzz.....


SLUNDER ke awaaz se naa sirf ANWIR aur MORANA ne apne apne dimag ko jhatka balki unki aankhon me ek baar phirse ghussa bhi dikhne laga......




EDWINA VS MABBA:-



AHHHH.......


ek cheekh ke saath door chitak kar giri EDWINA..

wahin waar kar apne kamar me haath rakh muskurate hue apni jagah par khadi rahi MABBA....

jis disha me EDWINA aage badhi thi,kuch door aage jaane ke baad isse saamne se MABBA aati hui dikhi..

MABBA ne bhi usse dekh liya tha aur EDWINA ko dekh uske face par bhi ek muskaan naach uthi thi....

wahin MABBA jo ki filhal EDWINA ke liye ek opponent thi,usse dekhte hi ek ATTACK RAY chhoda usne jisse badi asaani se block kar ek dusri ray chhod di uspar MABBA ne aur us ray ki speed itni zyada thi ki jab tak EDWINA us waar ko samajhti,woh ray usse lag chuki thi jiske pressure se woh udte hue ek taraf giri thi...

khair,kuch pal tak apni jagah par khade rehne ke baad...


MABBA-come on EDWINA..agar ek waar me hi aur woh bhi maamuli pressure force waali push ray se hi pasth ho gayi tum toh khud ki nazar me hi kya izzat reh jaayegi tumhari.....

khadi ho jaao EDWINA..ek chance deti hun,proove your worth...


DHARTIYEM VAJRAPATHAM

EARTHLY THUNDER


MABBA ki baat sun waise lete lete hi EDWINA ne ek bohot hi ghaatak SPELL bola..

is SPELL se aasman aur dharti ke beech ek connection hota hai jiske baad dono hi jagahon se bijli kadak apne target ko lagti hi...

aur abhi bhi waisa hi hua... EDWINA ke SPELL uccharit karte hi aasman se aur dharti se dotarfa bijli prakat hui aur ek height par aakar mili jiske agle hi pal us spot se ek extra aur zyada powerful electric ray nikal MABBA ki taraf badhi par hairani ki baat ye thi ki ye sab dekhte hue bhi MABBA ne apne defense me kuch bhi nahi kiya,infact usne apni dono baahein us ray ke swagat me khol di jiske baad woh ray sidhe MABBA ke seene se takrayi..

us ray ka impact itna zyada tha ki MABBA se takrate hi uske chaaron taraf dhuan chhaa gaya par jab kuch der baad woh dhuan chhata toh..


EDWINA-impossible..


aankhon me hairani liye EDWINA MABBA ki taraf dekhne lagi jo bilkul sakushal apni jagah par khadi usse dekh muskura rahi thi...


MABBA-bohot accha waar tha EDWINA..nissandeh tum mere catagory ke dono WHIZZDERS REGIS aur SAPIUS se zyada taakatwar ho par afsos,tumhare andar ki acchayi ne tumhe shakti ke us mukaam tak pahunchne se rok diya jahan tum pahunch sakti thi..

khair,tumse thodi aur der khelne ka toh bohot man hai mera par apne targets ke paas pahunchne aur unhe unke anjaam tak pahunchane ki vyakulta usse zyada hai...

isiliye,phir kabhi..

TADHHHH....AAHHHH....


apni baat bolte bolte hi MABBA ne haath upar kar tezi se neeche kiya jiske baad upar aasman se aur neeche dharti se ek energy se bana dotarfa paash nikla aur usne EDWINA ko jakad liya..

ye paash bohot strong tha aur saath hi energy consumer bhi jiske asar ne naa hi sirf EDWINA ko baandh kar rakha balki saath hi uski energy ko sokhne bhi lagi aur isiliye kuch hi palon me energy drainage hone ki wajah se EDWINA behosh ho gayi aur aisa hote hi woh gayab ho gayi jiska matlab tha ki uska is aakhri challenge me safar khatm hua...

khair, EDWINA ke gayab hote hi SHAILA ne apne kadam aage badhaye hi the ki tabhi...


SAAAYENNNNN..........


ek behadh tez hawa ka jhonka uske chaaron aur se hote hue guzra jisme bohot zyada energy thi jisse mehsoos kar chownk gayi MABBA aur..


MABBA-kaun hai..saamne aa....

SAAMNE HI HUN MAI MABBA....


MABBA ke chehre ke thik saamne se ye awaaz aayi thi jisse sun hadbadate hue halki piche ho gayi MABBA aur saath hi uski hairani hadh se zyada badh bhi gayi..

reason...

us awaaz ko pehchanti thi MABBA...


MABBA-HIDA,ye tum ho...???


MABBA ke aisa bolte hi HIDA uske saamne prakat hui par solid form me nahi balki transparent form me jisse dekh ek baar phir se hairan hi gayi MABBA...

uski hairani ka ek kaaran ye bhi tha ki saamne hone ke baawjud woh HIDA ko sense bhi nahi kar paa rahi thi..

khair, HIDA ko saamne dekh..


MABBA-acha hua tu apni mout ke paas khud hi chali aayi HIDA...dekh tera mai..

HIDA-jo karna tha,jitna karna tha,kar chuki hai tu...ab aur kuch nahi kar paayegi tu...

aaj tere ghamand se bhare safar ke aage fullstop lag jaayega...

MABBA-acha,aur kaun lagayega woh fullstop,tu... isiliye dar ke maare transparent bani hui hai taaki zinda bachi reh...

HIDA-hahahaha....kuch pal aur is galatfehmi ke saath jee le MABBA..

jisse khatm karne ke junoon ne tujhe THE LAKE OF OBLIVION tak pahuncha diya,pehle usse do do haath kar apne shaktishali hone ki galatfehmi door kar le tu...


kisi atom bomb ko tarah dhamaka hua tha MABBA ke andar HIDA ki baat sunkar..

THR LAKE OF OBLIVION ki baat HIDA ko pata thi,aur uski baaton ke hisaab se RAAZ bhi ye sach jaanta tha aur uske baad bhi ye dono hi usse dar nahi rahe the,ye thoughts andar tak hila de rahe the MABBA ko...

wahin usse aisa surprised dekh...


HIDA-kuch hi pal me teri hairani behisaab humiliation aur dard me badalne waali hai MABBA..

taiyar hojaa apne anth se pehle ke anth ke liye...


jahan ye bol HIDA ek baar phirse gayab ho gayi wahin kaafi der tak sunya ko ghurti rahi MABBA par kehte hain naa,vinashkaalaye viprit buddhi...

apne taakat ke overconfidence me dimag ko jhatak aage badh chali gayi MABBA....



ACCHUTA VS VALDIS



LE BHAI, AA GAYA MAI...EXERTION ME MERI HAALAT KHARAB KARNA CHAHTA THA NAA TU...TRY KAR LE....


VALDIS joki badi saavdhani se chaaron taraf ka dhyan rakh idhar udhar ghum raha tha, achanak se hi piche se uske kaano me ye awaaz gunj uthi jisse sun kab woh piche palta toh pehle toh ACCHUTA ko apne saamne dekh halka hairan hua par phir FORBIDDEN FOREST me aur mall me jo uski beizzaati usne ki thi,usse yaad kar ghusse se bhar utha VALDIS aur isiliye..


VALDIS-dekh tere saath mai..AAHHHHHH.....AHHHHH...
.AHHHHH.......


VALDIS aadhi dhamki bhi nahi de paaya...

reason....

ACCHUTA ne apna haath aage kiya jiske baad uske haathon se ek electrical rope tezi se bahar nikla aur aage badh usne VALDIS ko lapet liya jiske baad ACCHUTA ne us rope ko khudki taraf jhatka diya..

uske aisa karne se rope ke saath bandha hua VALDIS bhi tezi se uski taraf aaya aur uske kareeb aate hi ACCHUTA ne ek maamuli pyscical power ka punch uske mooh par maara jiske impact se cheekhta hua woh wapas piche ki taraf gaya par aisa hote hi ACCHUTA ne ek baad ek do baar aur rope ko apni taraf kheench do aur punches maare VALDIS ko jiske baad uska chehra kaafi jagahon se fath gaya..

VALDIS ka sir ghumne laga tha gaya aur third punch ke baad jab ACCHUTA ne usse us rope se release kiya toh zamin par gir uski aankhen band hone lagi jiska matlab tha ki woh behosh hone waala hai par aisa hota usse pehle hi...


DHAASSHHHH...


kamsekam do bucket jitna paani daal diya uspar ACCHUTA ne jiske baad uski senses wapas aa gayi par aisa hone ke agle hi pal..



ANGAM VIDUTEIM

BODY CURRENT

AAHHHH............



man hi man is SPELL ko uccharit kiya tha ACCHUTA ne jiske prabhav se pehle toh VALDIS ki body akad kar hawa me kuch feet uth gayi aur uske baad uske kapdon ke andar se hi uske pure sharir me tez bijli ke jhatke padne lage...

in jhatkon ka asar behadh zyada tha jisse mout toh nahi hoti thi par asar praanghaatak hi hota tha...

SPELL ke asar se naa sirf VALDIS ka andruni sharir tapne laga balki saath hi uske pehne kapde bhi jagah jagah se jal kar phatne lage..

VALDIS ki aankhon se lagatar aansu nikalne lage the jo usse ho rahe asahaniya pida ki dastaan bayan kar rahe the...

jabde aisa jakad gaye the VALDIS ke maano uska mooh andar se hi kheenchte hue sil gaya ho....

aur is beech VALDIS ki aankhon me dar aur maafi ki guhaar dekhi ACCHUTA ne jiske baad usne apna haath hawa me lehraya aur uske aisa karte hi VALDIS free hokar neeche gir gaya..

in kuch palon me VALDIS ne mout mehsoos kar li thi,yahi wajah thi ki neeche girte hi woh apni puri jaan lagakar rengte hue aage badha aur ACCHUTA ke pair pakad liye...


VALDIS-MAAFFFFF KKKARRRR DDDE BBBHAAAIII....


ledekar itna hi nikal paaya tha VALDIS ke mooh se..uski haalat aisi ho chuki thi ki kabhi bhi woh behosh hone waala tha aur is baat ko samajh ACCHUTA neeche baitha,uske piche ke baalon ko kheench uske face ko sidha kiya aur..


ACCHUTA-maaf karne laayak tu banda nahi hai VALDIS...par teri kismat wakayi acchi hai...

kyunki jiski wajah se tujhe is haalat me pahunchaya hai,ussiki wajah se chhod bhi raha hun tujhe....


ACCHUTA ki itni hi baat sunane ke liye sense bache the VALDIS me kyunki uske baad uski aankhen puri tarah band ho gayi aur woh behosh ho gaya jiska matlab tha ki VALDIS bhi KNOCK OUT ho challenge se bahar ho chuka tha...

KNOCK OUT hote hi VALDIS gayab ho chuka tha jiske baad ACCHUTA kuch der waise hi ek feeki muskaan ke saath khada raha aur phir palat kar ek disha ki taraf badh gaya....





ANWIR/MORANA VS SLUNDER/BRAWNY




RAKTHAM BHAJMAM

BLOOD BOIL


sharir ke andar blood ko automatically boil karne ka SPELL bola ANWIR ne BRAWNY ko dekhkar jiske baad ek invisible hawa ka jhonka BRAWNY ki taraf badh chala aur tabhi....


GALETHON URJAHAM

ICE RAYS


man hi man socha bhar is SPELL ko BRAWNY ne jiske baad jaise hi woh hawa ka jhonka joki asal me ANWIR ka bola SPELL curse tha,uske sharir ko chhu andar ghuste hi BRAWNY ke sharir se snow colour me urja rupi ray nikalne lagi jisse dekh hairan ho gaya ANWIR....

hairan toh MORANA bhi thi BRAWNY ke defense SPELL ko dekh par turant khud ko normal kar usne apne dono haath failaye aur...


URJA GRAHANAM...

ENERGY MERGER....


MORANA ke is SPELL se aas paas ki puri energy ray me badal uske dono haathon me ikattha hone lagi jisse dekh...


SLUNDER-not bad...


EURJA KHANDAM....

ENERGY DISSOLVE.....


jaise hi SLUNDER ne SPELL socha,woh saari energy jo MORANA ke dono haathon me ban rahi thi,woh turant gayab ho gayi aur aisa hote dekh bohot zyada chownki thi MORANA aur uske saath ANWIR bhi....

par ye waqt chownkne ka toh tha nahi isiliye....


VAJRA GHATAM

LIGHTNING STRIKE


ek baar phir se SPELL uccharit hua MORANA ke mooh se jiske baad uske sharir se hi ek ke baad ek bohot se lightning ray nikal saamne khade BRAWNY aur SLUNDER ke sharir ko jaa lage aur aisa hote hi woh dono hawa me piche ki taraf ud door jaa gire aur aisa hota dekh ek smile naach uthi MORANA aur ANWIR ke face par lekin tabhi...


TRY HARD MORANA...


un dono ke piche se aayi thi ye awaaz jisse sun ek jhatke me woh dono jab piche palte toh unki hairani ka thikana naa raha..

reason...

unke piche BRAWNY aur SLUNDER khade the aur jo aage ki taraf ud kar gire the,woh bas ek chalava the jisse un dono ne create kiya tha aur jo ab gayab ho chuke the...

khair,ab tak jo bhi SLUNDER aur BRAWNY ne kiya tha,usse saaf pata chal raha tha ki woh bas ANWIR aur MORANA se khel rahe the aur ye feel kar MORANA ko ab wakayi me ghussa aane laga tha aur isiliye...


MORANA-bas bohot hua.....


ye bol MORANA ne apne dono haath ek baar phir se failaye aur uske aisa karte hi uske baal jo ki ek knot se bandhe the, khul gaye,uska bright face aur safed ho gaya aur uske body ka shape halka bada aur strong dikhne laga aur ye sab dekh ek pal ke liye BRAWNY aur SLUNDER bhi hairan ho gaye the...

wahin MORANA ko uski shakti unwind karte dekh ANWIR ke face par ek smile aa gayi aur..


ANWIR-ab aayega maza.....





MABBA VS RAAZ




ITNI SHIDDAT SE MERI MOUT KI KHWAHISH KI HAI TUNE KI DIL KARTA HAI,TERE US JAZBE KE LIYE HI MAR JAAUN....


ek safedh dhuan jo MABBA se thodi door hi banane lage,usse nikli ye awaaz jisse sun MABBA naa sirf apni jagah thithak gayi balki ek baar phir se woh hairan ho gayi....

reason...

us dhuen me se meri awaaz nikli thi jo usne saaf pehchaan liya tha par saath hi WHITE ENERGY ka itna solid AURA jo us dhuen se generate ho raha tha,usse feel kar behadh hairan hui thi MABBA..

aur issi beech mai us dhuen ke beech prakat ho chuka tha aur usse dekh muskura raha tha..

khair, MABBA toh ab bhi thodi hairan hi dikh rahi thi isiliye maine hi apni baat ko aage badhaya...


MAI-hairangi me bhi tere chehre par guroor ka barkarar rehna mujhe acha laga...

bas dekhna ye hai ki kya kuch der baad bhi ye guroor kayam reh paata hai...???!!!


meri baaton ko sun MABBA ne gaur kiya ki ab mai usse aap nahi balki tu kehkar baat kar raha hun aur saath hi meri baaton me uski moujudgi ko dekh dar toh door ki baat hai,uski importance tak nahi thi aur ye mehsoos kar MABBA ka chehra ghusse se tamtama gaya...


MABBA-apni mout ke saamne khada hokar akad tu dikha raha hai bacche..par koi naa,zindagi jaane se pehle teri akad jaane waali hai...

MAI-BACCHE..!!!umr me chota zaroor hun par taakat me maamle me baap hun mai tera MABBA...

khair,kuch der me ye baat aur tera fake ATTITUDE tere magaj aur pichwaade me apne aap hi ghus jaayega...


"chal,pehle tu puri kar le apni KHWAHISH....

shuru kar apni tuchi taakat ki NUMAAISH"...



meri baaton ne MABBA ke jalte dil par petrol chhidakne ka kaam kiya tha aur isiliye...


VANDHAM BHANGAM...

BREAK THR BONES...


meri taraf haath kar man me is SPELL ko uccharit kiya MABBA ne..

woh mere haadiyon ko tod mujhe andruni tez dard dete hue sabse pehle apahij banana chahti thi..

khair,uske uccharit SPELL ke asar se ek body penetrating ray uske haathon se nikal meri taraf badhi aur jaise hi woh ray mere kareeb pahunchi,maine apne right hand se usse aise chhitka jaise kisi kide ko apne saamne se hata raha hun..

mere aisa karte hi wo ray mere left side jaate hue hi khatm ho gayi jisse dekh MABBA man hi man chownki par agle hi pal apne hairani ko control kar...


DEHAM BHASMAM

SKIN ASH


woh mere sharir ke baahri skin ko jala kar jhulsa dene chahti thi isiliye
apne haathon ko mere body structure ke hisaab se lehrate hue man hi man is SPELL ko uccharit kiya MABBA ne..

aur uske aisa karte hi uske haathon se 5000 celcius ki heat generate ho meri taraf badhi jisse mehsoos kar mere face par halki si smile aa gayi...


RABTAM....

ABSORB


SPELL sochte hi mere sharir ka upari satah minus 20000 degree ho gaya jisse jaise hi woh heat waves takraayi toh..


CHISSSSSSHHHHH....


is awaaz ke saath mere chaaron taraf bhaap hi bhaap ban gaya jo kuch der tak yunhi bana raha par jab woh bhaap chatta toh mujhe sakushal dekh MABBA ki hairani aur ghussa,dono hi badh gaya.

2 behadh khatarnaak waar beasar ho chuke the MABBA ke jisse dekh ab MABBA ne apni woh kaali shakti jo usne THE LAKE OF OBLIVION se haasil ki thi,uss istemal karne ka socha...


MABBA-KITADHANAM SHAKTIYEM

UNLEASH THE HIDDEN POWER


man hi man jaise hi MABBA ne is SPELL ko bola,toh uski prapt hui kaali shaktiyan uske pure sharir me bharne lagi jisse maine bhi mehsoos kar liya..

chahata toh thoda aur khel sakta tha MABBA se mai par us jaisi ko waise bhi kaafi waqt de chuka tha mai isiliye jaise hi kaali shaktiyan uske pure sharir me faile gayi toh uske agle hi pal maine apna haath aage kiya aur...


SWATHCHAM AURAVAN..

PURE AURA...


mere emotions power ke kuch bhaag AURA ko maine release kar diya aur mere aisa karte hi mere haathon se tez kampan ke beech meri pure WHITE ENERGY ka AURA aage badha..

aage badhte hi us AURA ne saamne khadi MABBA ke pure sharir ke lambai aur chowdayi ko scan kar khudke roop ko bhi utna lamba aur chowda kar liya tha..

wahin ab MABBA bhi apne naye naye mile BLACK ENERGY ki shakti ke saath taiyar ho chuki thi jiske baad ek baar meri taraf ghusse se dekh woh mantra uccharan karne hi waali thi ki tabhi..


AAHHHHHHHHH...AHHHHH.........

mere WHITE ENERGY ka AURA usse takrate hue uske andar sama gaya aur aisa hote hi usne MABBA ke pure sharir me faile BLACK ENERGY ko sokhna shuru kar diya..

aisa hote hi MABBA ki aankhen dard,vismay aur dar,in teeno se hi badi ho gayi thi..

usse aisa lag raha tha maano kisine uske chaaron AMPLIFICATION modes ko sokhna shuru kar diya hai aur woh feeling beyond scary thi..

mout bhi agar nishchit ho aur saamne khadi ho,toh jo dar dil me ghar karta hai,usse 10 guna zyada ghabra gayi thi MABBA...

us dar aur ghabrahat ke beech uske mooh se cheekhen aur body me tez kampan nikal rahi thi...

khair ye sab bas 10 second ke aas paas hi chala kyunki uske baad maine apna haath wapas kheenchne ke andaz me kiya aur mere aisa karte hi ek saat do chizen hui..

pehli..

MABBA ke andar se mera AURA bahar nikal aaya par woh akela bahar nahi aaya tha,balki saath hi usne MABBA ke prapt kiye gaye BLACK ENERGY ki shakti ko bhi khudme jakad liya aur usse bhi kheenchte hue uske sharir se bahar nikal mere haathon me ek ball ka shape liye aa gaya..

BLACK ENERGY ki wajah se us WHITE ENERGY ke ball ke kuch bhaag BLACK bhi dikh rahe the..

dusri...

BLACK ENERGY ki shaktiyan joki ab MABBA ki aatma ka bhi hissa thi,unke yun sharir se nikalne se ek behadh dardnaak cheekh nikli thi MABBA ke mooh se jiske baad woh neeche zamin par ghutno ke bal kamzor si hokar baith gayi...

behoshi kisi bhi waqt usse khudme lapet sakti thi par abhi uski ek ladhayi yaa phir ye kahun ki ek chunouti baaki thi isiliye,

maine apna haath uske aage lehraya aur mere aisa karte hi uske sensen ko ek jhatka laga aur uski behoshi jaise gayab si ho gayi..

dard toh usse ab bhi ho raha tha par hairani us dard se zyada thi jiss apni aankhon me liye woh mujhe hi dekh rahi thi..

wahin apne haathon me pakde mere AURA ke gole ko dekha maine jisne MABBA ki BLACK ENERGY ki shakti ko sokh liya tha aur isiliye maine usse wapas apne andar sama liya aur aisa kar jab maine MABBA ko dekha toh...


MABBA-kaun ho tum..???

MAI-mai woh hun jiske saamne khade rehne ki aukaad nahi hai teri aur isiliye hi tu abhi apne ghutno par hai...

mai woh hun jo sirf apne nazaron ke ishare se hi maar sakta hun tujhe par maarna hi toh nahi hai tujhe...

teri haal hi me haasil ki gayi BLACK ENERGY ki shaktiyan le chuka hun mai wapas..

ab tu phirse wahi hai jo THE LAKE OF OBLIVION me jaane se pehle thi...

chal uth MABBA,waqt ho chala hai tere aakhri chunouti ka...

apne jin shaktiyon ke dum par kamzoron par waar karti aayi hai tu,unhe ek aakhri baar aazmaane ka...

dekhen zara,jisse hamesha se kamzor maan lagatar zyaadti karti aayi hai tu,ab uske aage kitni der tikti hai tu...


meri baaton ke beech MABBA ki hairani ek baar phir se badhi thi..

naye challenge ke baare me sunkar nahi balki isiliye kyunki jaise hi maine MABBA ko uthne ko kaha tha,thik ussi waqt usse aisa laga jaise uski sharirik shakti aur sfutri usse wapas milne lagi hai aur meri baat khatm hote hote woh puri tarah se fresh aur fit ho chuki thi jiski wajah se woh turant uth kar khadi ho gayi aur mujhe hairani vash dekhne lagi jispar..


MAI-tune kabhi shakti pradarshan barabari ke tarazu me toul nahi kiya par ye mukabla barabari ka hona chahiye MABBA...

jaise tera sharirik bal wapas aa gaya hai,thik waise hi ek aakhri baar apne guroor ko bhi wapas bula le...

taakat aur guroor ke sangam ke saath ladh aur apne anjaam tak pahunch...

saamne aao HIDA....


mere naam lete hi mere thik piche ek safedh dhuan utha jiske agle hi pal us dhuen se HIDA prakat hui..

prakat ho woh mere side me aayi aur mere aage jhuk gayi jisse dekh mai halka muskuraya aur...


MAI-maut bhale hi naa mile,taklif mout se zyada honi chahiye..


ye aakhri shabd the mere jiske baad mai ek disha ki taraf badh gaya..

wahin MABBA joki ab bhi jo kuch hua,usse dekh hairan thi,uski tandra tooti HIDA ke awaaz se...


HIDA-




itni hairan mat ho MABBA ki aakhon ki putliyan hi PALAT JAAYEN...

mouke bohot mile tujhe taaki tu teri jagah SAMAJH JAAYE...

par tu addi rahi teri BEWAKUFI me,

natija,aisi zindagi dungi tujhe ke tu dua karegi ki kaash......tu MAR JAAYE......














AAJ KE LIYE ITNA HI......














AAPKA APNA V...J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI SECOND CHALLENGE SURVIVAL ME BHI WEAKLINGS RAAZ KI WAJAH SE FIRST POSITION PAR AATE HAI..


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE STADIUM



MEGA UPDATE-102



EXERTION:-

FINAL PART.....(FIRST SEGMENT)






KNOCK OUT.....EXERTION KA AAKHRI CHALLENGE....


REGIS ki jagah is baar khud SOVES SHAILA hume EXERTION ke aakhri challenge ke baare me bata rahi thi....

second challenge ke baad turant baad hi third challenge ki anouncement shuru ho chuki thi..

waise toh pyscically SAVENTS asaani se thakte hain nahi par SURVIVAL challange me un teen creatures se bhidne,marne aur bachne ki wajhse halki halki thakan SAVENTS feel kar rahe the par is cheez ko darkinar kar third challenge ab start hone hi waala tha..

khair, apni baat ko aage badha....


SHAILA-is third challenge ko KNOCK OUT ki jagah BLACK OUT bhi kaha jaa sakta hai..

iske do reasons hain..

pehla,abhi tak ke aapke dono challenges hum sabne dekhe hain,par is aakhri challenge ke hum darshak nahi honge....

humari aankhon ke liye ye competition completely BLACK OUT hoga...

dusra reason hai is challenge me hone waali takkar jiske aakhir me sirf ek hi catagory ke SAVENTS yaa fir koi ek SAVENT hi bacha hoga,baaki sab KNOCK OUT yaa fir BLACK OUT ho chuke honge...

ab baat karte hai is challenge ke baare me..

KNOCK OUT CHALLENGE me naa koi time limit hai aur naahi kisi bhi tarah ki bandish hai...

kuch der baad aap sabko ek naye bhulbhulaiya me alag alag dishaon me bhej diya jaayega..

aisa hone ke baad hum sabka aap SAVENTS se contact puri tarah se khatm ho jaayega....

us bhulbhulaiya me apni catagory ke saath milkar yaa phir individually aapko apne opponent catagory ke SAVENTS ko dhund dhund kar unse ladhna hai...

ye ek POWER CONTACT challenge hai jisme aapko apne pratidwandi ko apni shakti pradarshan se yaa toh behosh karna hai yaa phir waisi hi kisi state me pahunchana hai jisse ki uski senses band ho jaaye...

dhyan rahe,is challenge me shakti pradarshan ki aur apne pratidwandi ko nuksaan pahunchane ki koi limit nahi hai...

agar aapko lage ki yudh me aapki haalat kharab ho chuki hai toh aapko swayam chillate hue SURRENDER shabd uccharit karna hoga jiske baad aapka challenge samapt ho jaayega aur aap yahan stadium me apne aap hi pahunch jaayenge...

haarne ki kagaar par pahunchne ke baad bhi agar aapne haar nahi maani aur ladhte rahe toh aapki jo bhi haalat hogi,uske aap swayam zimmedar honge....

WEAKLINGS,filhal aap points table par sabse aage chal rahe hain..

isme aapke behatarin performance ke saath saath points baatne ke ratio ki bhi ek ehem bhumika rahi hai...

us ratio ka pehle dono hi challenges me aapko faayda mila hai par is third challenge me yahi ratio aapke khilaaf hai...

STELLARS me kul 25 participants hain aur GROOMERS me 16...

par aapke catagory me sirf 4 participants hain...

ratio ke hisaab se dekhen toh GROOMERS ke 4 SAVENTS ke saamne aapme se sirf 1 SAVENT is challenge numa yudh me khada hoga jisse usse ladhna hoga...

raah aapki bohot kathin hone waali hai par hume ummid hai ki jaise aapne pichle dono challenges me adhbhudh perform kar sabko chakit kiya hai,is baar bhi kuch waisa hi hoga....

ab agar baat karen result milne ke tarike ki toh ye bohot simple hai..

kul do tarike hain...

pehla...

aakhir me jaise hi teen me se do catagories ke saare SAVENTS KNOCK OUT HO JAAYENGE toh bachi catagory winner ban jaayegi...

jitne SAVENTS us catagory me bache honge,uske according us catagory ko points milenge....

dusra tarika hai sandhi...

agar aap chahen toh apne pratidwandi catagory ke SAVENTS se sandhi bhi kar sakte hain..

apne targets ko KNOCK OUT karne ke baad dusre catagory ke SAVENTS ke saath sandhi kar aapko ek dusre kaa haath pakad MIDDLE GROUND uccharit karna hai..

par dhyan rahe,aisa karne se pehle ye confirm hona zaroori hai ki baaki ke bache pratidwandi KNOCK OUT ho chuke hain..

uske bina sandhi possible nahi hogi...

any questions....???

SAB-NO SOVES...

SHAILA-best of luck...


SHAILA ki baat sun halke dar ke saath sabhi SAVENTS ki nazar stands me baithe unke parents ki taraf gayi jahan parents ki aankhon me zyada hi dar dikh raha tha..

par naa toh woh kuch kar sakte the aur naahi SAVENTS...

khair,abhi SAVENTS ko apne parents ko dekhte hue 5 seconds bhi nahi hue the ki woh sabhi chownk gaye....

reason...

unke saamne ka pura scene badal chuka tha...ab woh stadium me nahi the balki apni apni catagory ke members ke saath ek nayi jagah par khade the...

ped, poudhe,aur chaaron taraf prakrutik nazaare ke beech bane ek MAZE me...ek BHULBHULAIYA me....




KNOCK OUT CHALLENGE:-





SWABHIDHAM

SEARCH


MABBA ke man me uccharit hua tha ye SPELL jisse jiske agle hi pal naa sirf uske sharir se sense ray nikal aage badh gaye balki ussi second ke beetne se pehle hi MABBA ko GROOMERS aur WEAKLINGS ka exact position pata bhi chal chuka tha...

wahin MABBA se thodi door khada VIDEOUS bhi yahi karne waala tha par jab usne MABBA ke sense ray ko feel kiya tha toh ussi ray se MABBA tak ko pata lage bina khudko jod liya usne jiski wajah se MABBA ke saath usse bhi baaki dono catagories ke location mil chuke the....

khair,aisa hone ke turant baad...


VAJRAM

ATTACK


MABBA ne budbudaya ye SPELL jiske agle hi pal uske sharir se bohot saare invisible rays nikal GROOMERS aur WEAKLINGS ki taraf badh gaye....




GROOMERS & WEAKLINGS

DHAPPP..........


attack ray ko sense kar liya tha GROOMERS me ACCHUTA, SLUNDER aur yahan tak ki EDWINA ne bhi par un rays ki speed itni tez thi ki jahan ek taraf EDWINA sirf khudko bacha paayi wahin dusri taraf ACCHUTA aur SLUNDER ne jaanbujh kar sirf khudko hi safe rakha kyunki woh jaante the ki unke catagory ke baaki SAVENTS waise bhi is challenge me tik nahi sakte aur isiliye woh teeno ek taraf jump laga gaye wahin dusri taraf same cheez WEAKLINGS me HIDA aur BRAWNY ne bhi ki....

mai bas apni jagah se halka sa side hua aur saath hi ALFREEN ko bhi apne saath kheench liya....


AHHHHHH.AHHHH....AHHHHH....

ek baad ek kayi cheekh nikli un GROOMERS ke mooh se jinhe wo ray lag gayi jiske baad woh sabhi ek ke baad ek behosh hone lage jiska matlab tha ki woh sab KNOCK OUT hokar challenge se baahar ho chuke the....




BACK TO STELLARS:-




MUJHE LAGA HI THA KI PEHLE WAAR SE BACH JAAOGE TUM LOG PAR CHAHTI BHI TOH MAI YAHI THI....

BAAKI SABKO IS KHEL SE BAHAR KARNA ZAROORI THA KYUNKI TUM SAB SIRF IS CHALLENGE SE HI NAHI BALKI DUNIYA SE KNOCK OUT HONE WAALE HO....


GROOMERS ke 90 percent SAVENTS ko KNOCK OUT kar man hi man badbadaya MABBA ne aur phir woh apne SAVENTS ko kuch kehne ke liye unki taraf mudi hi thi ki tabhi....


AHHH....AHHHH.....AHHHH......


GROOMERS aur WEAKLINGS ki hi tarah ek invisible unki taraf bhi aayi jiski speed itni zyada thi ki usse bas kisi tarah sense kar liya MABBA, VIDEOUS,ANWIR aur MORANA ne aur ek taraf challang laga gaye..

wahin MAHI VIDEOUS ke just baaju me hi khadi thi isiliye chhalang lagate waqt VIDEOUS ka galti se usse bhi dhakka laga aur isiliye woh bhi ek taraf gir gayi aur luckily un rays ki chapet me aane se bach bhi gayi....

par in sabke saath ek aur bhi SAVENT tha jisse us ray ne nahi chhua aur woh tha VALDIS....

khair, jab tak woh challang lagane ke baad palte,tab tak VALDIS ko chhod baaki sabhi STELLARS zamin par gir behosh ho chuke the jisse dekh....


ANWIR-shit...un dono catagories me se kisine hume sense kar liya hai...

MABBA-kisine nahi, us RAAZ ne...

MORANA-waise ek baat aur hai...hume un rays se bachne ki zaroorat thi nahi kyunki woh rays hamare liye aayi hi nahi thi..

ye ek selective waar tha..un rays ka nishana wahi STELLARS the jinhe usne KNOCK OUT kiya hai...

aur iska matlab hai...

MABBA-open challenge...in sabko raaste se hata usne hume khuli chunouti di hai..

saamne se ladhna chahta hai woh humse...


jahan halke ghusse se gurrate hue kahi ye baat MABBA ne wahin jo abhi abhi hua,usse dekh fath ke chaar hi chuki thi VALDIS ki...

RAAZ ne bina saamne aaye itna saare STELLARS ko KNOCK OUT kar diya tha jinme se ek MABEL bhi thi joki uske hi jitni powerful thi,ye jaan fatni toh uski thi hi..

aur is dar ko MABBA ki kahi baat ne aur badha diya tha...

ye sochkar uski hawa tight ho chuki thi ki woh un STELLARS me se tha jinse woh saamne se ladhna chahta tha...

ye sab soch halki kampkapati awaaz ke saath...


VALDIS-abb kkya kare WHIZZ...???


VALDIS ki dari hui awaaz ko sun ek pal usse bhi ghusse me dekha MABBA ne par phir....


MABBA-tumhe kuch bhi karne ki zaroorat nahi hai...aas paas ki jagahon ko check out karo,bas...

baaki ka kaam humara hai...

ANWIR,MORANA....shikar karne ka waqt aa gaya....


MABBA ki baat sun ANWIR aur MORANA kaale dhuen me badalkar ud gaye...


MABBA-VALDIS ko jo kaha, same goes for you MAHI and VIDEOUS...jagah explore karo,par agar tumhe bhi challange me participate karna hai,toh you are on your own...


ye bol MABBA ek disha ki taraf badh gayi...

wahin unke jaane ke baad VIDEOUS bhi dusri disha me nikal chuka tha...

MAHI bhi is challenge me akele hi participate karna chahti thi isiliye usne VIDEOUS ko jaate waqt kuch nahi kaha aur phir woh bhi pure MAZE ko dekh ek taraf badh gayi...

aur ab reh gaya VALDIS jo MABBA ke ensure karne ke baad thoda relax ho chuka tha aur isiliye woh wahin aas paas ghumne laga....





BACK TO WEAKLINGS:-




ARRE,PUSH KYUN KIYA .???


neeche giri ALFREEN ne wapas uththe hue sawal kiya mujhse jispar...


HIDA-STELLARS ne ATTACK RAY chhoda tha..agar lag jaata toh behosh ho challenge se bahar ho jaati tum..


meri jagah HIDA ne jawab diya jispar.


ALFREEN-hain,mujhe toh pata hi nahi chala...

HIDA-challenge ke waqt focus hamesha 100 percent hona chahiye ALFREEN..khair chhodo aur chalo..


ye bol ALFREEN ko pakad ek taraf le gayi HIDA aur ek bade se ped ke paas pahunch uske trunk par haath fera usne aur uske aisa karte hi woh bada sa trunk do hisson me bath gaya aur uske beech ek khaali jagah dikhne lagi..


ye sab dekh hairan ho hi rahi thi ALFREEN ki tabhi...


HIDA-bina sawal puche andar jaao...


trunk ko yun beech se khulte dekh sawal toh utha hi tha ALFREEN ke man me par HIDA ki baat sun bina kuch kahe,woh us trunk ke andar chali gayi...aur jab aisa hua toh..


HIDA-kuch hi der me hume sense kar STELLARS ke powerful SAVENTS yahan aayenge jinse tum ladh nahi paaogi...

isiliye kamsekam agle dus minute issi ke andar rehna hai tumhe..

mai isse wapas band kar rahi hun...

yahan naa toh tumhe koi sense kar paayega aur naahi is trunk ko bahar se khola jaa sakta hai..

10 minute ke baad tum isse bahar aa jaana.. tumhare sochne maatra se ye wapas khul jaayega...


itna bol bina kuch sune HIDA ne trunk ko pehle jaisa kar diya aur wapas hamare paas aa gayi aur tab...


MAI-ladhna toh sabse hai par kab,ye samajh lo...


meri baat khatm hote hi aage ka saara ganit un dono ke dimag me feed ho gaya jisse jaan un dono ke face par smile aa gayi....


BRAWNY-toh mai jaata hun...woh dono wahan pahunchne hi waale honge..


BRAWNY ki baat par haan me sir hilaya maine jiske baad woh gayab ho gaya aur uske jaate hi...


HIDA-kya mai sidhe attack nahi kar sakti....???

MAI-pehle khushi,phir shock aur aakhri me dar...ye kram zyada mazedar hoga....


meri baat sun HIDA ke face par ek smile aa gayi jiske agle hi pal woh bhi gayab ho chuki thi....

wahin ab tak aage ka ganit maine ACCHUTA aur SLUNDER ko bhi bata diya tha aur aisa kar mai bhi araam se ek disha ki taraf badh gaya....




BACK TO GROOMERS:-




brilliant ACCHUTA, SLUNDER... tum chowkanne the isiliye attack rays ko feel paaye..

but unfortunately ab hum bas teen hi bache hain is challenge me, isiliye hume zyada satark rehna padega..


abhi EDWINA ki baat khatm hui bhi nahi thi ki usse ek disha ki taraf kisike hone ka abhas hua jisse mehsoos kar pehle toh woh chownki par phir...


EDWINA-i sensed someone...tum dono yahin raho aur ek dusre ko back karo..mai us taraf jaa rahi hun..

agar wakayi koi hamare aas paas hai toh usse pehle mujhe uspar attack karna hi behtar hoga..

we cant give anybody chance...


jahan ye bol EDWINA ek disha ki taraf badh gayi wahin uske jaate hi ACCHUTA aur SLUNDER ke face par smile aa gayi..

reason...

koi unke aas paas hai,ye half illusion ACCHUTA ne hi EDWINA ke brain me paida kiya tha..

half isiliye kyunki filhal toh jis taraf EDWINA gayi thi,wahan koi nahi tha par bohot jald hone waala tha..


khair, EDWINA ke jaate hi....


ACCHUTA-woh dono aa rahe hain....

SLUNDER-oh yehhhh.....


SLUNDER ke aakhri alfaaz khatm hue hi the ki unse thode aage hawa ko cheerte hue do kaale dhuen aaye aur rook gaye..

aur rookne ke agle hi pal un dono dhuon ne human form le liya jisse dekh...


ACCHUTA/SLUNDER-wellcome ANWIR, MORANA....


jis tarah smile karte hue ACCHUTA aur SLUNDER ne ANWIR aur MORANA ka welcome kiya,usse dekh woh dono hairan ho gaye par phir..


ANWIR-lagta hai apni mout jo dekh dimag kharab ho gaya hai tum dono ka...

SLUNDER-mujhe samajh nahi aata ki har chutiya naye chutiyape se pehle aisa hi koi out dated DIALOGUE kyun maarta hai...??

tujhe andaza hai bhai..!!!

ACCHUTA-no idea...par thik hai naa, zuban apni marzi se aakhri baar khol raha hai,toh bhownk lene de...

par yaar,afsos mujhe is baat ka hai ki in dono ki durgati mai dekh nahi paaunga..

SLUNDER-afsos....saale,apne shikar ke paas jaa raha hai,man me toh laddu phut rahe honge tere...

par sun oye,dhyan se...jaan se nahi maarna hai...

ACCHUTA-pata hai be...waise bhi,uske dil ke chalne se problem nahi hai mujhe.. uske mooh ke chalne se hai...

ussi par lagam lagani hai...

mout naa sahi,mout ka dar toh dikha hi sakta hun usse..


apne jaise dangerous SAVENTS ko saamne dekh kar bhi undekha kar apne me hi ACCHUTA aur SLUNDER ko lage dekh ANWIR aur MORANA dono ko hi hairani bhi ho rahi thi aur ghussa bhi aa raha tha aur isiliye un dono ke hi haathon me BLACK ENERGY ka devastation GOLA dikhne laga jisse ek pal rook un dono ne ACCHUTA aur SLUNDER ki taraf phek diya aur jab aisa hua toh...


FFFFHHHHHHH....


ek behadh tez hawa chali ANWIR, MORANA aut SLUNDER, ACCHUTA ke beech jiska pravah itna zyada tha ki woh do devastation GOLON ne beech raaste me hi dum tod diya aur us hawa me gayab ho gaye...

ANWIR, MORANA ne bhi us tez hawa ko naa sirf feel kiya tha balki uske impact ki wajah se unhe tez dhakka bhi mehsoos ho raha tha par kisi tarah woh dono apni jagah par khade rahe..

wahin woh tez hawa ka bawandar kuch pal un chaaron ke beech yunhi gol ghumta raha par phir woh ACCHUTA ki taraf badha aur uske side me jaakar dheere hone laga aur jaise hi wo bawandar khatm hua toh ANWIR aur MORANA ki aankhen badi hi gayi..

reason...

ACCHUTA ke baaju me khada tha BRAWNY....

wahin BRAWNY ko dekh..


ACCHUTA-chal bhai.. sambhal ab tu morcha...mai chala...


ye bol ACCHUTA aage badha aur..


ACCHUTA-excuse me guyz...


ye bol woh MORANA aur ANWIR ke beech se hote hue aage badh gaya..

ANWIR aur MORANA,jo pehle se hi jo ho raha tha,usse dekh itne hairan the ki unhe ACCHUTA ko jaate dekh kuch kehte hi nahi bana...

khair,kuch seconds me ACCHUTA sabki nazaron se door jaa chuka tha aur tab...


SLUNDER-khel shuru karen guyzzz.....


SLUNDER ke awaaz se naa sirf ANWIR aur MORANA ne apne apne dimag ko jhatka balki unki aankhon me ek baar phirse ghussa bhi dikhne laga......




EDWINA VS MABBA:-



AHHHH.......


ek cheekh ke saath door chitak kar giri EDWINA..

wahin waar kar apne kamar me haath rakh muskurate hue apni jagah par khadi rahi MABBA....

jis disha me EDWINA aage badhi thi,kuch door aage jaane ke baad isse saamne se MABBA aati hui dikhi..

MABBA ne bhi usse dekh liya tha aur EDWINA ko dekh uske face par bhi ek muskaan naach uthi thi....

wahin MABBA jo ki filhal EDWINA ke liye ek opponent thi,usse dekhte hi ek ATTACK RAY chhoda usne jisse badi asaani se block kar ek dusri ray chhod di uspar MABBA ne aur us ray ki speed itni zyada thi ki jab tak EDWINA us waar ko samajhti,woh ray usse lag chuki thi jiske pressure se woh udte hue ek taraf giri thi...

khair,kuch pal tak apni jagah par khade rehne ke baad...


MABBA-come on EDWINA..agar ek waar me hi aur woh bhi maamuli pressure force waali push ray se hi pasth ho gayi tum toh khud ki nazar me hi kya izzat reh jaayegi tumhari.....

khadi ho jaao EDWINA..ek chance deti hun,proove your worth...


DHARTIYEM VAJRAPATHAM

EARTHLY THUNDER


MABBA ki baat sun waise lete lete hi EDWINA ne ek bohot hi ghaatak SPELL bola..

is SPELL se aasman aur dharti ke beech ek connection hota hai jiske baad dono hi jagahon se bijli kadak apne target ko lagti hi...

aur abhi bhi waisa hi hua... EDWINA ke SPELL uccharit karte hi aasman se aur dharti se dotarfa bijli prakat hui aur ek height par aakar mili jiske agle hi pal us spot se ek extra aur zyada powerful electric ray nikal MABBA ki taraf badhi par hairani ki baat ye thi ki ye sab dekhte hue bhi MABBA ne apne defense me kuch bhi nahi kiya,infact usne apni dono baahein us ray ke swagat me khol di jiske baad woh ray sidhe MABBA ke seene se takrayi..

us ray ka impact itna zyada tha ki MABBA se takrate hi uske chaaron taraf dhuan chhaa gaya par jab kuch der baad woh dhuan chhata toh..


EDWINA-impossible..


aankhon me hairani liye EDWINA MABBA ki taraf dekhne lagi jo bilkul sakushal apni jagah par khadi usse dekh muskura rahi thi...


MABBA-bohot accha waar tha EDWINA..nissandeh tum mere catagory ke dono WHIZZDERS REGIS aur SAPIUS se zyada taakatwar ho par afsos,tumhare andar ki acchayi ne tumhe shakti ke us mukaam tak pahunchne se rok diya jahan tum pahunch sakti thi..

khair,tumse thodi aur der khelne ka toh bohot man hai mera par apne targets ke paas pahunchne aur unhe unke anjaam tak pahunchane ki vyakulta usse zyada hai...

isiliye,phir kabhi..

TADHHHH....AAHHHH....


apni baat bolte bolte hi MABBA ne haath upar kar tezi se neeche kiya jiske baad upar aasman se aur neeche dharti se ek energy se bana dotarfa paash nikla aur usne EDWINA ko jakad liya..

ye paash bohot strong tha aur saath hi energy consumer bhi jiske asar ne naa hi sirf EDWINA ko baandh kar rakha balki saath hi uski energy ko sokhne bhi lagi aur isiliye kuch hi palon me energy drainage hone ki wajah se EDWINA behosh ho gayi aur aisa hote hi woh gayab ho gayi jiska matlab tha ki uska is aakhri challenge me safar khatm hua...

khair, EDWINA ke gayab hote hi SHAILA ne apne kadam aage badhaye hi the ki tabhi...


SAAAYENNNNN..........


ek behadh tez hawa ka jhonka uske chaaron aur se hote hue guzra jisme bohot zyada energy thi jisse mehsoos kar chownk gayi MABBA aur..


MABBA-kaun hai..saamne aa....

SAAMNE HI HUN MAI MABBA....


MABBA ke chehre ke thik saamne se ye awaaz aayi thi jisse sun hadbadate hue halki piche ho gayi MABBA aur saath hi uski hairani hadh se zyada badh bhi gayi..

reason...

us awaaz ko pehchanti thi MABBA...


MABBA-HIDA,ye tum ho...???


MABBA ke aisa bolte hi HIDA uske saamne prakat hui par solid form me nahi balki transparent form me jisse dekh ek baar phir se hairan hi gayi MABBA...

uski hairani ka ek kaaran ye bhi tha ki saamne hone ke baawjud woh HIDA ko sense bhi nahi kar paa rahi thi..

khair, HIDA ko saamne dekh..


MABBA-acha hua tu apni mout ke paas khud hi chali aayi HIDA...dekh tera mai..

HIDA-jo karna tha,jitna karna tha,kar chuki hai tu...ab aur kuch nahi kar paayegi tu...

aaj tere ghamand se bhare safar ke aage fullstop lag jaayega...

MABBA-acha,aur kaun lagayega woh fullstop,tu... isiliye dar ke maare transparent bani hui hai taaki zinda bachi reh...

HIDA-hahahaha....kuch pal aur is galatfehmi ke saath jee le MABBA..

jisse khatm karne ke junoon ne tujhe THE LAKE OF OBLIVION tak pahuncha diya,pehle usse do do haath kar apne shaktishali hone ki galatfehmi door kar le tu...


kisi atom bomb ko tarah dhamaka hua tha MABBA ke andar HIDA ki baat sunkar..

THR LAKE OF OBLIVION ki baat HIDA ko pata thi,aur uski baaton ke hisaab se RAAZ bhi ye sach jaanta tha aur uske baad bhi ye dono hi usse dar nahi rahe the,ye thoughts andar tak hila de rahe the MABBA ko...

wahin usse aisa surprised dekh...


HIDA-kuch hi pal me teri hairani behisaab humiliation aur dard me badalne waali hai MABBA..

taiyar hojaa apne anth se pehle ke anth ke liye...


jahan ye bol HIDA ek baar phirse gayab ho gayi wahin kaafi der tak sunya ko ghurti rahi MABBA par kehte hain naa,vinashkaalaye viprit buddhi...

apne taakat ke overconfidence me dimag ko jhatak aage badh chali gayi MABBA....



ACCHUTA VS VALDIS



LE BHAI, AA GAYA MAI...EXERTION ME MERI HAALAT KHARAB KARNA CHAHTA THA NAA TU...TRY KAR LE....


VALDIS joki badi saavdhani se chaaron taraf ka dhyan rakh idhar udhar ghum raha tha, achanak se hi piche se uske kaano me ye awaaz gunj uthi jisse sun kab woh piche palta toh pehle toh ACCHUTA ko apne saamne dekh halka hairan hua par phir FORBIDDEN FOREST me aur mall me jo uski beizzaati usne ki thi,usse yaad kar ghusse se bhar utha VALDIS aur isiliye..


VALDIS-dekh tere saath mai..AAHHHHHH.....AHHHHH...
.AHHHHH.......


VALDIS aadhi dhamki bhi nahi de paaya...

reason....

ACCHUTA ne apna haath aage kiya jiske baad uske haathon se ek electrical rope tezi se bahar nikla aur aage badh usne VALDIS ko lapet liya jiske baad ACCHUTA ne us rope ko khudki taraf jhatka diya..

uske aisa karne se rope ke saath bandha hua VALDIS bhi tezi se uski taraf aaya aur uske kareeb aate hi ACCHUTA ne ek maamuli pyscical power ka punch uske mooh par maara jiske impact se cheekhta hua woh wapas piche ki taraf gaya par aisa hote hi ACCHUTA ne ek baad ek do baar aur rope ko apni taraf kheench do aur punches maare VALDIS ko jiske baad uska chehra kaafi jagahon se fath gaya..

VALDIS ka sir ghumne laga tha gaya aur third punch ke baad jab ACCHUTA ne usse us rope se release kiya toh zamin par gir uski aankhen band hone lagi jiska matlab tha ki woh behosh hone waala hai par aisa hota usse pehle hi...


DHAASSHHHH...


kamsekam do bucket jitna paani daal diya uspar ACCHUTA ne jiske baad uski senses wapas aa gayi par aisa hone ke agle hi pal..



ANGAM VIDUTEIM

BODY CURRENT

AAHHHH............



man hi man is SPELL ko uccharit kiya tha ACCHUTA ne jiske prabhav se pehle toh VALDIS ki body akad kar hawa me kuch feet uth gayi aur uske baad uske kapdon ke andar se hi uske pure sharir me tez bijli ke jhatke padne lage...

in jhatkon ka asar behadh zyada tha jisse mout toh nahi hoti thi par asar praanghaatak hi hota tha...

SPELL ke asar se naa sirf VALDIS ka andruni sharir tapne laga balki saath hi uske pehne kapde bhi jagah jagah se jal kar phatne lage..

VALDIS ki aankhon se lagatar aansu nikalne lage the jo usse ho rahe asahaniya pida ki dastaan bayan kar rahe the...

jabde aisa jakad gaye the VALDIS ke maano uska mooh andar se hi kheenchte hue sil gaya ho....

aur is beech VALDIS ki aankhon me dar aur maafi ki guhaar dekhi ACCHUTA ne jiske baad usne apna haath hawa me lehraya aur uske aisa karte hi VALDIS free hokar neeche gir gaya..

in kuch palon me VALDIS ne mout mehsoos kar li thi,yahi wajah thi ki neeche girte hi woh apni puri jaan lagakar rengte hue aage badha aur ACCHUTA ke pair pakad liye...


VALDIS-MAAFFFFF KKKARRRR DDDE BBBHAAAIII....


ledekar itna hi nikal paaya tha VALDIS ke mooh se..uski haalat aisi ho chuki thi ki kabhi bhi woh behosh hone waala tha aur is baat ko samajh ACCHUTA neeche baitha,uske piche ke baalon ko kheench uske face ko sidha kiya aur..


ACCHUTA-maaf karne laayak tu banda nahi hai VALDIS...par teri kismat wakayi acchi hai...

kyunki jiski wajah se tujhe is haalat me pahunchaya hai,ussiki wajah se chhod bhi raha hun tujhe....


ACCHUTA ki itni hi baat sunane ke liye sense bache the VALDIS me kyunki uske baad uski aankhen puri tarah band ho gayi aur woh behosh ho gaya jiska matlab tha ki VALDIS bhi KNOCK OUT ho challenge se bahar ho chuka tha...

KNOCK OUT hote hi VALDIS gayab ho chuka tha jiske baad ACCHUTA kuch der waise hi ek feeki muskaan ke saath khada raha aur phir palat kar ek disha ki taraf badh gaya....





ANWIR/MORANA VS SLUNDER/BRAWNY




RAKTHAM BHAJMAM

BLOOD BOIL


sharir ke andar blood ko automatically boil karne ka SPELL bola ANWIR ne BRAWNY ko dekhkar jiske baad ek invisible hawa ka jhonka BRAWNY ki taraf badh chala aur tabhi....


GALETHON URJAHAM

ICE RAYS


man hi man socha bhar is SPELL ko BRAWNY ne jiske baad jaise hi woh hawa ka jhonka joki asal me ANWIR ka bola SPELL curse tha,uske sharir ko chhu andar ghuste hi BRAWNY ke sharir se snow colour me urja rupi ray nikalne lagi jisse dekh hairan ho gaya ANWIR....

hairan toh MORANA bhi thi BRAWNY ke defense SPELL ko dekh par turant khud ko normal kar usne apne dono haath failaye aur...


URJA GRAHANAM...

ENERGY MERGER....


MORANA ke is SPELL se aas paas ki puri energy ray me badal uske dono haathon me ikattha hone lagi jisse dekh...


SLUNDER-not bad...


EURJA KHANDAM....

ENERGY DISSOLVE.....


jaise hi SLUNDER ne SPELL socha,woh saari energy jo MORANA ke dono haathon me ban rahi thi,woh turant gayab ho gayi aur aisa hote dekh bohot zyada chownki thi MORANA aur uske saath ANWIR bhi....

par ye waqt chownkne ka toh tha nahi isiliye....


VAJRA GHATAM

LIGHTNING STRIKE


ek baar phir se SPELL uccharit hua MORANA ke mooh se jiske baad uske sharir se hi ek ke baad ek bohot se lightning ray nikal saamne khade BRAWNY aur SLUNDER ke sharir ko jaa lage aur aisa hote hi woh dono hawa me piche ki taraf ud door jaa gire aur aisa hota dekh ek smile naach uthi MORANA aur ANWIR ke face par lekin tabhi...


TRY HARD MORANA...


un dono ke piche se aayi thi ye awaaz jisse sun ek jhatke me woh dono jab piche palte toh unki hairani ka thikana naa raha..

reason...

unke piche BRAWNY aur SLUNDER khade the aur jo aage ki taraf ud kar gire the,woh bas ek chalava the jisse un dono ne create kiya tha aur jo ab gayab ho chuke the...

khair,ab tak jo bhi SLUNDER aur BRAWNY ne kiya tha,usse saaf pata chal raha tha ki woh bas ANWIR aur MORANA se khel rahe the aur ye feel kar MORANA ko ab wakayi me ghussa aane laga tha aur isiliye...


MORANA-bas bohot hua.....


ye bol MORANA ne apne dono haath ek baar phir se failaye aur uske aisa karte hi uske baal jo ki ek knot se bandhe the, khul gaye,uska bright face aur safed ho gaya aur uske body ka shape halka bada aur strong dikhne laga aur ye sab dekh ek pal ke liye BRAWNY aur SLUNDER bhi hairan ho gaye the...

wahin MORANA ko uski shakti unwind karte dekh ANWIR ke face par ek smile aa gayi aur..


ANWIR-ab aayega maza.....





MABBA VS RAAZ




ITNI SHIDDAT SE MERI MOUT KI KHWAHISH KI HAI TUNE KI DIL KARTA HAI,TERE US JAZBE KE LIYE HI MAR JAAUN....


ek safedh dhuan jo MABBA se thodi door hi banane lage,usse nikli ye awaaz jisse sun MABBA naa sirf apni jagah thithak gayi balki ek baar phir se woh hairan ho gayi....

reason...

us dhuen me se meri awaaz nikli thi jo usne saaf pehchaan liya tha par saath hi WHITE ENERGY ka itna solid AURA jo us dhuen se generate ho raha tha,usse feel kar behadh hairan hui thi MABBA..

aur issi beech mai us dhuen ke beech prakat ho chuka tha aur usse dekh muskura raha tha..

khair, MABBA toh ab bhi thodi hairan hi dikh rahi thi isiliye maine hi apni baat ko aage badhaya...


MAI-hairangi me bhi tere chehre par guroor ka barkarar rehna mujhe acha laga...

bas dekhna ye hai ki kya kuch der baad bhi ye guroor kayam reh paata hai...???!!!


meri baaton ko sun MABBA ne gaur kiya ki ab mai usse aap nahi balki tu kehkar baat kar raha hun aur saath hi meri baaton me uski moujudgi ko dekh dar toh door ki baat hai,uski importance tak nahi thi aur ye mehsoos kar MABBA ka chehra ghusse se tamtama gaya...


MABBA-apni mout ke saamne khada hokar akad tu dikha raha hai bacche..par koi naa,zindagi jaane se pehle teri akad jaane waali hai...

MAI-BACCHE..!!!umr me chota zaroor hun par taakat me maamle me baap hun mai tera MABBA...

khair,kuch der me ye baat aur tera fake ATTITUDE tere magaj aur pichwaade me apne aap hi ghus jaayega...


"chal,pehle tu puri kar le apni KHWAHISH....

shuru kar apni tuchi taakat ki NUMAAISH"...



meri baaton ne MABBA ke jalte dil par petrol chhidakne ka kaam kiya tha aur isiliye...


VANDHAM BHANGAM...

BREAK THR BONES...


meri taraf haath kar man me is SPELL ko uccharit kiya MABBA ne..

woh mere haadiyon ko tod mujhe andruni tez dard dete hue sabse pehle apahij banana chahti thi..

khair,uske uccharit SPELL ke asar se ek body penetrating ray uske haathon se nikal meri taraf badhi aur jaise hi woh ray mere kareeb pahunchi,maine apne right hand se usse aise chhitka jaise kisi kide ko apne saamne se hata raha hun..

mere aisa karte hi wo ray mere left side jaate hue hi khatm ho gayi jisse dekh MABBA man hi man chownki par agle hi pal apne hairani ko control kar...


DEHAM BHASMAM

SKIN ASH


woh mere sharir ke baahri skin ko jala kar jhulsa dene chahti thi isiliye
apne haathon ko mere body structure ke hisaab se lehrate hue man hi man is SPELL ko uccharit kiya MABBA ne..

aur uske aisa karte hi uske haathon se 5000 celcius ki heat generate ho meri taraf badhi jisse mehsoos kar mere face par halki si smile aa gayi...


RABTAM....

ABSORB


SPELL sochte hi mere sharir ka upari satah minus 20000 degree ho gaya jisse jaise hi woh heat waves takraayi toh..


CHISSSSSSHHHHH....


is awaaz ke saath mere chaaron taraf bhaap hi bhaap ban gaya jo kuch der tak yunhi bana raha par jab woh bhaap chatta toh mujhe sakushal dekh MABBA ki hairani aur ghussa,dono hi badh gaya.

2 behadh khatarnaak waar beasar ho chuke the MABBA ke jisse dekh ab MABBA ne apni woh kaali shakti jo usne THE LAKE OF OBLIVION se haasil ki thi,uss istemal karne ka socha...


MABBA-KITADHANAM SHAKTIYEM

UNLEASH THE HIDDEN POWER


man hi man jaise hi MABBA ne is SPELL ko bola,toh uski prapt hui kaali shaktiyan uske pure sharir me bharne lagi jisse maine bhi mehsoos kar liya..

chahata toh thoda aur khel sakta tha MABBA se mai par us jaisi ko waise bhi kaafi waqt de chuka tha mai isiliye jaise hi kaali shaktiyan uske pure sharir me faile gayi toh uske agle hi pal maine apna haath aage kiya aur...


SWATHCHAM AURAVAN..

PURE AURA...


mere emotions power ke kuch bhaag AURA ko maine release kar diya aur mere aisa karte hi mere haathon se tez kampan ke beech meri pure WHITE ENERGY ka AURA aage badha..

aage badhte hi us AURA ne saamne khadi MABBA ke pure sharir ke lambai aur chowdayi ko scan kar khudke roop ko bhi utna lamba aur chowda kar liya tha..

wahin ab MABBA bhi apne naye naye mile BLACK ENERGY ki shakti ke saath taiyar ho chuki thi jiske baad ek baar meri taraf ghusse se dekh woh mantra uccharan karne hi waali thi ki tabhi..


AAHHHHHHHHH...AHHHHH.........

mere WHITE ENERGY ka AURA usse takrate hue uske andar sama gaya aur aisa hote hi usne MABBA ke pure sharir me faile BLACK ENERGY ko sokhna shuru kar diya..

aisa hote hi MABBA ki aankhen dard,vismay aur dar,in teeno se hi badi ho gayi thi..

usse aisa lag raha tha maano kisine uske chaaron AMPLIFICATION modes ko sokhna shuru kar diya hai aur woh feeling beyond scary thi..

mout bhi agar nishchit ho aur saamne khadi ho,toh jo dar dil me ghar karta hai,usse 10 guna zyada ghabra gayi thi MABBA...

us dar aur ghabrahat ke beech uske mooh se cheekhen aur body me tez kampan nikal rahi thi...

khair ye sab bas 10 second ke aas paas hi chala kyunki uske baad maine apna haath wapas kheenchne ke andaz me kiya aur mere aisa karte hi ek saat do chizen hui..

pehli..

MABBA ke andar se mera AURA bahar nikal aaya par woh akela bahar nahi aaya tha,balki saath hi usne MABBA ke prapt kiye gaye BLACK ENERGY ki shakti ko bhi khudme jakad liya aur usse bhi kheenchte hue uske sharir se bahar nikal mere haathon me ek ball ka shape liye aa gaya..

BLACK ENERGY ki wajah se us WHITE ENERGY ke ball ke kuch bhaag BLACK bhi dikh rahe the..

dusri...

BLACK ENERGY ki shaktiyan joki ab MABBA ki aatma ka bhi hissa thi,unke yun sharir se nikalne se ek behadh dardnaak cheekh nikli thi MABBA ke mooh se jiske baad woh neeche zamin par ghutno ke bal kamzor si hokar baith gayi...

behoshi kisi bhi waqt usse khudme lapet sakti thi par abhi uski ek ladhayi yaa phir ye kahun ki ek chunouti baaki thi isiliye,

maine apna haath uske aage lehraya aur mere aisa karte hi uske sensen ko ek jhatka laga aur uski behoshi jaise gayab si ho gayi..

dard toh usse ab bhi ho raha tha par hairani us dard se zyada thi jiss apni aankhon me liye woh mujhe hi dekh rahi thi..

wahin apne haathon me pakde mere AURA ke gole ko dekha maine jisne MABBA ki BLACK ENERGY ki shakti ko sokh liya tha aur isiliye maine usse wapas apne andar sama liya aur aisa kar jab maine MABBA ko dekha toh...


MABBA-kaun ho tum..???

MAI-mai woh hun jiske saamne khade rehne ki aukaad nahi hai teri aur isiliye hi tu abhi apne ghutno par hai...

mai woh hun jo sirf apne nazaron ke ishare se hi maar sakta hun tujhe par maarna hi toh nahi hai tujhe...

teri haal hi me haasil ki gayi BLACK ENERGY ki shaktiyan le chuka hun mai wapas..

ab tu phirse wahi hai jo THE LAKE OF OBLIVION me jaane se pehle thi...

chal uth MABBA,waqt ho chala hai tere aakhri chunouti ka...

apne jin shaktiyon ke dum par kamzoron par waar karti aayi hai tu,unhe ek aakhri baar aazmaane ka...

dekhen zara,jisse hamesha se kamzor maan lagatar zyaadti karti aayi hai tu,ab uske aage kitni der tikti hai tu...


meri baaton ke beech MABBA ki hairani ek baar phir se badhi thi..

naye challenge ke baare me sunkar nahi balki isiliye kyunki jaise hi maine MABBA ko uthne ko kaha tha,thik ussi waqt usse aisa laga jaise uski sharirik shakti aur sfutri usse wapas milne lagi hai aur meri baat khatm hote hote woh puri tarah se fresh aur fit ho chuki thi jiski wajah se woh turant uth kar khadi ho gayi aur mujhe hairani vash dekhne lagi jispar..


MAI-tune kabhi shakti pradarshan barabari ke tarazu me toul nahi kiya par ye mukabla barabari ka hona chahiye MABBA...

jaise tera sharirik bal wapas aa gaya hai,thik waise hi ek aakhri baar apne guroor ko bhi wapas bula le...

taakat aur guroor ke sangam ke saath ladh aur apne anjaam tak pahunch...

saamne aao HIDA....


mere naam lete hi mere thik piche ek safedh dhuan utha jiske agle hi pal us dhuen se HIDA prakat hui..

prakat ho woh mere side me aayi aur mere aage jhuk gayi jisse dekh mai halka muskuraya aur...


MAI-maut bhale hi naa mile,taklif mout se zyada honi chahiye..


ye aakhri shabd the mere jiske baad mai ek disha ki taraf badh gaya..

wahin MABBA joki ab bhi jo kuch hua,usse dekh hairan thi,uski tandra tooti HIDA ke awaaz se...


HIDA-




itni hairan mat ho MABBA ki aakhon ki putliyan hi PALAT JAAYEN...

mouke bohot mile tujhe taaki tu teri jagah SAMAJH JAAYE...

par tu addi rahi teri BEWAKUFI me,

natija,aisi zindagi dungi tujhe ke tu dua karegi ki kaash......tu MAR JAAYE......














AAJ KE LIYE ITNA HI......














AAPKA APNA V...J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI EXERTION KA FINAL CHALLENGE SHURU HO CHUKA HAI JAHAN EK TARAF ACCHUTA NE VALDIS KO SABAK SIKHA DIYA HAI, DUSRI TARAF BRAWNY AUR SLUNDER KA MORANA AUR ANWIR SE FIGHT CHAALU HAI WAHIN TEESRI TARAF RAAZ NE MABBA SE USKI HAASIL KI HUI KAALI SHAKTIYAN CHHIN KI HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-103


PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE MAZE



FINAL PART ( FINAL SEGMENT)





BRAWNY/SLUNDER VS ANWIR/MORANA






RAKHT VIMUTEN

BLOOD SLOW DOWN




apne haath par ek halka sa cut kar apne khoon ko nikal usse masalte hue BRAWNY aur SLUNDER ko dekhkar is pure BLACK ENERGY ke SPELL ko uccharit kiya MORANA ne jisse sun halke hairan ho gaye the BRAWNY aur SLUNDER....

reason...

jo SPELL MORANA ne bola tha,woh banned tha CHOSENS me..

waise toh har WICKED ko is SPELL ke baare me pata hota hai par 100 me se koi ek behadh strong WICKED hi aisa hota hai jo is SPELL ko successfully use me laane ke layak hota hai aur jo spell uccharan ke baad BRAWNY aur SLUNDER feel kar rahe the,usse unhe pata chal gaya tha ki woh SPELL kaa kar raha hai...

BRAWNY aur SLUNDER dono ke hi rakht pravah me dheemapan aa gaya tha...

jiska matlab tha ki un dono ke brains me khun dheeme jaane laga tha aur jiski gati guzarte palon ke saath aur kam hone waali thi..

iski wajah se un dono ko apne sir me halka bhaaripan bhi mehsoos hone laga tha aur woh dono ye bhi jaante the ki agar aisa kuch der tak aur chalta raha toh unke brains ko hamrage ka khatra ho jaayega aur isiliye..


SWATOH...

RELEASE...


apne andar jhaankte hue is SPELL jo socha bhar un dono ne jiske baad un dono ke GOD GIFTS unke hearts me chamakne lage jisse release hua ek AURA jisne un dono ke khoon ko chhu liya aur aisa hote hi MORANA ka bola SPELL kat gaya...

SLUNDER aur BRAWNY,dono hi normal ho chuke the aur aisa hote hi unhone dekha ki ANWIR ke haathon me ek BLACK SOUL SPEAR chamakne laga hai jiska matlab tha ki woh us SPEAR se unke sharir ko bhedh un dono ke SOUL ko caged karna chahta hai..


SWOOBBHHH....


tezi se aur puri taakat se feka us SPEAR ko ANWIR ne BRAWNY ki taraf par tabhi...


GHAMNIKE JAALAM...

CHANGE INTO A SNARE....


BRAWNY ke man me soche gaye is SPELL ki wajah se woh SPEAR aadhe door se hi double speed pakad wapas mood gaya aur agle hi pal ek bade se SNARE jaal me badal usne ANWIR ko jakad liya..

aisa hote dekh hairan toh tha ANWIR par saath hi us SNARE se nikalne ke liye woh taakat lagane laga par tabhi...

BLACK ENERGY ko consume karta hua woh snare WHITE ENERGY ke kano se bhar gaya jiske baad ANWIR joki us snare ko pakad todne ki koshish kar raha tha,usse ek jhatka laga aur woh neeche gir gaya..

wahin dusri taraf MORANA ne jab apne SPELL ko nishprabhavit hote dekha toh...


VARNADHE KRITYATEM

SOUL POWER DESTRUCTION


MORANA ka ye SPELL uske first SPELL se bohot zyada taakatwar aur distructive tha..

iske asar se MORANA ke sharir ke andar uske soul shakti se parmanu bomb jaise kan banane lage jinme ek aisa radiation tha jiske bahar nikalte hi opponent ka SOUL hinder hota tha..

radiation ke asar se dheere dheere opponent ka pura soul hi zakhmi ho SPELL bolne waale ka gulam ho jaata tha...

MORANA ke SPELL uccharan karte hi BRAWNY aur SLUNDER,dono hi samajh gaye ki us SPELL ko kaatne ke liye unhe apne SOUL force ko release karna hoga par agar aisa hua toh MORANA aur un dono ke SOUL RADIATION aapas me takrayenge jisse un dono ko toh kuch nahi hoga, MORANA ki power ki wajah se shayad woh bhi bach jaaye par ANWIR turant jal kar raakh ho jaayega...

but filhal un dono ko koi aur option dikh nahi raha tha aur isiliye unhone apni sochi ek maatr yukti ko use me laane ke liye SPELL uccharan karne ki thaani par woh aisa karte ki tabhi...


RELAX GUYZ....EXTREME SPELLS KI ZAROORAT NAHI HAI...APNI GOD GIFTED AURA'S SE MORANA KE SEENE PAR WAAR KARO...


BRAWNY aur SLUNDER ke haathon me energy sparks dikhne lage the ki tabhi unke kaano me ye meri awaaz gunji aur meri baat sun dono hi ek dusre ko dekhne lage..

is waqt dono ke hi aankhon me hairani saaf dikh rahi thi...

reason....

ek taraf maine un dono se extreme SPELLS usne naa karne ko kaha tha aur dusri taraf maine unhe unke GIFTS ke AURA'S se waar karne ko kaha tha jo kisi bhi extreme SPELLS se 100 guna zyada dangerous tha...

par hairani ke baawjud mere faislon par behes woh dono kar sakte the nahi aur abhi toh bilkul bhi nahi isiliye...

jaisa maine kaha,un dono ne kiya..

isse pehle ki MORANA joki abhi apni aankhen band kar apne SOUL POWER ko DESTRUCTION level par pahunchane me lagi hui thi, BRAWNY aur SLUNDER ne apne GIFTS ki AURA ko release kar diya aur jab aisa hua toh....

do invisible par behadh hi strong AURA'S un dono ke sharir se nikal aage badh gayi..

wahin MORANA ne bhi apne taraf ek bohot hi ghaatak force ko aate mehsoos kar liya tha aur isiliye usne apne SOUL DESTRUCTION ENERGY RAY ko turant release kar diya par isse pehle ki woh RAY uske sharir se bahar niklati, SLUNDER aur BRAWNY ki AURA'S ne usse uske seene ke thik beech me hit kar diya aur aisa hote hi...

AHHHHH....BOOM.....

pehle MORANA ke mooh se ek dardnaak cheekh nikli aur saath hi uska sharir hawa me piche ki taraf ucchal gaya par neeche naa gir beech hawa me hi rook gaya..

is beech AURA'S ke usse hit karte hi ek behadh strong energy force usse nikal aage badhi aur SLUNDER aur BRAWNY se takrayi jiske parinaam swaroop woh dono bhi halka piche hote hue neeche gir gaye par saath hi woh dono turant khade bhi ho gaye...

wahin MORANA jiska sharir hawa me thehra hua tha,uspar behoshi chhaane lagi thi par woh behosh ho nahi paa rahi thi...

reason...

uske poore sharir ko tez jhatke lag rahe the jiski wajah woh unconscious nahi ho paa rahi thi...

aur in sabke beech JAAL me phase ANWIR ko toh jo ho raha tha,woh samajh me hi nahi aa raha tha...

khair,kuch der tak jhatke lagte rahe MORANA ke body ko jiski wajah se ek nayi energy usse nikal upar uthi aur gayab ho gayi aur aisa hote hi usse jhatke lagne band ho gaye jiske baad..

DHAMMM...

MORANA ka sharir neeche gir gaya jiske saath hi woh behosh bhi ho gayi aur iska matlab tha ki she was KNOCKED OUT....

aisa hote dekh BRAWNY aur SLUNDER ke chehre par ek muskaan aa gayi aur..


BRAWNY-hamara task bhi pura hua...

SLUNDER-hmm... chale yahan se...!!

BRAWNY-chal...


ye bol BRAWNY aur SLUNDER palatne ko hue par tabhi muskurate hue SLUNDER ki nazar ANWIR par padi jiske chehre par hairani aur sawal,dono hi bhaav dikh rahe the...

hairani MORANA jaisi strong SAVENT ke knock out hone ki aur sawal ye ki bina usse knock out kiye SLUNDER aur BRAWNY jaane ki baat kar rahe the...

palaththe hue SLUNDER ne ANWIR ke bhaav ko dekh bhi liya tha aur samajh bhi liya tha aur isiliye woh wapas uski taraf palta aur...


SLUNDER-tu toh bhul gaya par WOH kuch nahi bhulta...uspar tera ek udhaar baaki hai...

aur tera hisaab WAHI karega..


ye bol SLUNDER aur uske saath BRAWNY wapas palat nikal gaye..

wahin ANWIR SLUNDER ki baaton ka matlab samajhne ki koshish ne laga hua tha par usse zyada dimag lagane ki zaroorat padi nahi kyunki agle hi pal jawab uske saamne tha...



galatfehmi mat paalna ki tujhe zinda CHHOD DUNGA MAI....

woh hawa jisse tu saans leta hai,uska rookh bhi MOD DUNGA MAI...

sharir toh teri kategi hi par itna kaafi nahi...

jism ke saath saath teri rooh ko bhi NICHOD DUNGA MAI...

YE LINES YAAD HAI ANWIR...



ek behadh sard awaaz gunj si uthi ANWIR ke kaano me jiske impact se hi haalat kharab ho chuki thi uski aur is beech...

parath dar parath WHITE ray ke kan banane lage ANWIR ke saamne jiske beech se prakat hua mai..

aakhon me apne shikar ko dekh chamak,chehre par darindagi bhari smile aur uske upar shaant chehra..

ye sab dekh ANWIR ki haalat aur kharab hi gayi..uska mooh bhi jaise sil sa gaya tha..

khair,prakat ho mai uske theek saamne pahuncha aur...


MAI-tere diya udhaar sudh samet loutane ka waqt aa gaya hai..

par ek afsos aaj bhi reh hi jaayega...apni kahi baat ko puri tarah implify nahi kar sakta hai..

jaan se tujhe nahi maar sakta mai...

par koi baat nahi, saansein aisi chalengi teri ki zindagi tujhe teri dushman aur mout woh befawa mehbooba lagegi jisne dhoka diya hoga tujhe...


apni baat bol maine apna haath left se right swipe sa kiya aur mere aisa karte hi ANWIR jis JAAL me phasa tga,woh gayab ho gaya...

khud ko azaad dekh ANWIR joki mere paas hi tha,usne ek punch maarna chaaha mere naak par lekin uska punch mere naak se thik ek inch door hi rook gaya..

usse laga jaise kisi ne uske punch ko rok diya hai...

wahin ANWIR ke humle ko dekh...


MAI-SPELL attacks me woh maza kahan jo pyscical assault me hai...

yaad hai ye dialogue jo mujhe maarne se pehle tune kaha tha...

chal, aaj RAAZ bhi aazma kar dekhe zara,teri us dialogue ki haqiqat...


THABBB,THABBB,GHABBBB,GHABBH,KADAKKK, KADAKKK,KADAKKK,KADAKK.....
AAAAHHHHHHHH.....AHHHHHHH..

lightning speed ke saath chale mere haath jiski wajah se pehle toh ANWIR ke dono jabde,phir naak aur phir peth aur andar ki athdi ka kaam kharab ho gaya aur uske baad bade sadhe hue and andaz me maine uske dono haath aur dono pair par aise punches maare jisse wahan ki haddiyon toot gayi....

aur aisa hote hi dardnaakh cheekh ke beech neeche gir pada ANWIR..

is waqt usse dard itna ho raha tha ki uske asar se woh kabhi bhi behosh hokar challenge se bahar ho sakta tha par aisa ho,usse pehle mujhe usse kiya waade ka antim bhaag pura karna tha aur isiliye..


MAI-khade ho jaa ANWIR...


mere aisa kehte hi ANWIR ka sharir apne aap harkat me aaya aur woh tedhe pair liye khada hua..

meri shaktiyon ke asar se woh neeche gir nahi raha tha aur toote pairon par pad rahe pressure ki wahah se uske mooh se cheekh bhi nikal rahi thi aur aankhon se aansu bhi baras rahe the jinke beech woh mujhe rehem maangne ke andaz se dekh raha tha aur uske us expressions ko dekh mere chehre par smile naach uthi aur...


MAI- ye jo tere chehre par rehem ki guhar hai naa,ye mujhe tere saath saath tere ghar waalon ko bhi punish karne ke liye excite kar rahi hai...

majburi naa hoti toh abhi tere pure pariwaar ko tere hi saamne aisi mout deta ki kudrat ko bhi zindagi se nafrat ho jaati...

tere har chaahne waale ke sharir ke har ang ko,khun ke har katre ko,aatma ke har kone ko nichod deta mai...


aaj bohot din baad mere andar ka woh jaanwar jo sahi galat nahi dekhta,bahar aaya tha jise sun aur mehsoos kar rooh kaamp uthi ANWIR ki aur behadh dheeme aur ladkhadati awaaz me nikle uske mooh se bol...


ANWIR-youu arrre aaa DEVILLL RAAAZZZZ.....


ANWIR ki baat sun mere face ki smile aur badh gayi...


MAI-indeed i am...a DEVIL waiting to get unleashed....

khair, tere family ke saath naa sahi,par apni dilli khwahish tujhse toh puri kar hi sakta hun naa...

ye bol mai aage badh thik uske saamne khada hua, apna right hand uske seene par rakha aur....


AATMAM VINASHAKAM

SOUL DESTRUCTION

AAHHHHH...AHHHHHHHHHHH


mere mooh se SPELL uccharit hote hi ANWIR ke mooh se ek ek dehla dene waali cheekh nikli...

reason....

mere SPELL ke asar se uska soul uske andar hi jalne laga tha jiska impact uske baaki ke teeno AMPLIFICATION modes par bhi bohot zyada ho raha tha...

usse aisa lag raha tha ki jaise koi usse andar se nichod raha hai..

saaf shabdon me kahun toh jo haal ek aatma ka hell me pahunchne ke baad hota hai,woh ANWIR ka SOUL jeete jee mehsoos kar raha tha..

ye ek anant agni thi jiske prabhav se uska SOUL hamesha ke liye jalne bhi waala tha aur uske sharir ke andar bhi rehne waala tha..

par SOUL toh us behisaab dard ko jhel bhi le,par baaki ke AMPLIFICATION modes joki manushya ke jeeven tak hi zinda rehte hain,woh us taklif ko nahi jhel paaye aur natija...

kuch hi palon me ANWIR ka BRAIN aur BODY dead ho chuke the aur BLOOD aadha se zyada sukh chuka tha..

zinda bachi thi toh bas SOUL aur heart jo baaki ke bache BLOOD ke through behadh dheeme dheeme dhadak raha tha jiski wajah se ek living dead situation me pahunch neeche gir gaya ANWIR jiske agle hi pal uske ye third challenge aur saath hi woh zindagi jisse wakayi zindagi kaha jaata hai,khatm ho chuki thi....




ALFREEN VS MAHI



KAHAN CHALE GAYE YE SAB...!!!!


us ped ke trunk se bahar nikal idhar udhar dekhte hue kahi ye baat ALFREEN ne..

HIDA ne usse kamsekam 10 minute us trunk ke andar chhupe rehne ke liye bola tha par ALFREEN kareeb 15 minute baad usse bahar nikli thi par bahar nikalte hi usse koi bhi nazar nahi aaya...

kisi ko bhi aas paas naa dekh ALFREEN aage badh gayi par usse aage badhte hue abhi 1 minute bhi nahi hua tha ki tabhi uske kadam ekdum se rook gaye...

reason..

usse saamne se MAHI aati hui dikhayi di...

MAHI ne bhi usse dekh liya tha aur woh bhi apni jagah rook gayi thi...

dono ki hi nazar ek dusre ko ghur rahi thi...waise bhi ab dono me dosti jaisa kuch tha nahi aur saath hi is competition me dono hi ek dusre ki pratidwandi thi jo aur ussi haisiyat se abhi woh ek dusre ke saamne thi...

aur isiliye aankhon hi aankhon me dono ne hi ek dusre ko challenge sa
kiya aur phir....


ATUDATI...


ATTACK SPELL sabse pehle MAHI ne bola jisse KHANDAM SPELL ke saath block kar diya ALFREEN ne..

aur issike saath un dono ke beech alag alag attack aur block SPELLS ka daur shuru ho gaya..

MAHI AMPLIFICATION aur REFINER powers ke maamle me ALFREEN se strong thi aut isiliye uske attack SPELLS ALFREEN par zyada impact kar rahe the jisse badi mushkil se sambhal paa rahi thi ALFREEN par mushkil hone ke baawjud ALFREEN kaafi ache se saamna kar rahi thi MAHI ka...

issi beech MAHI ke brain me basi BLACK ENERGY thodi thodi hulchul karne lagi thi par MAHI khudko pure control me rakh ALFREEN par normal spells se humla kar rahi thi..

par jab usne ye dekha ki ALFREEN uske har attack SPELL ko kaat rahi hai toh usne kuch aur karne ki sochi...



MADIYA DWARAM...

MAGIC DOOR..


pehle challenge me lagatar istemal kiya gaya SPELL use kiya MAHI ne jiske asar se ALFREEN ke thik piche ek MAGIC DOOR open ho gaya..

wahin ALFREEN ko bhi apne piche kuch prakat hone ka abhaas ho gaya tha aur jab usne MAHI ko gayab hote dekha toh woh uska khel samajh gayi..

aur MAGIC DOOR banane ke baad jab MAHI gayab hokar ussi door ke through prakat hui toh usne dekha ki ALFREEN ab apni jagah par nahi hai..

MAHI ki hi tarah ALFREEN bhi gayab hokar jahan pehle MAHI khadi thi,wahan pahunch chuki thi...

ye dekh MAHI toh shaant thi par uske andar basa BLACK ENERGY ab thoda zyada ufaan maarne laga aur isiliye is baar jab MAHI ne ek baar phirse ALFREEN par attack ray se waar kiya toh MAHI ke naa chaahte hue bhi us ray ke saath BLACK ENERGY ki shakti ke kuch kan bhi bahar nikal us ray ke saath ek constant beam ka roop dhar aage badh gaye..

aisa hone se aaj bohot din baad MAHI ke brain me phirse dard uth gaya tha..

wahin attack ray ko apni taraf aata dekh ALFREEN ne bhi apne aage BLOCK ray ko prakat kiya par is baar jab us ray se MAHI ka ray takraya toh ALFREEN ko tez jhatka laga..

ray ke block hone ke baad bhi usne ALFREEN ke pure sharir ko hila diya tha..

haath aage kar MAHI ke ray ko rok rahi thi ALFREEN par usse rokte hue bhi woh ghistaththe hue piche ki taraf khisakti jaa rahi thi..

woh apni puri jaan laga us attack ray ke beam ko rok rahi thi par har guzarte waqt ke saath us ray ke prabhav se uske sharir me dard uth raha tha aur saath hi uske senses bhi dheele padte jaa rahe the...

ALFREEN samajh chuki thi ki woh zyada der nahi tikne waali par phir bhi pure jasbe ke saath woh lagi hui thi...

wahin jab MAHI ke andar panap rahe BLACK ENERGY ne dekha ki ALFREEN ab bhi dati hui hai toh usne kuch extra kan us beam me beech chhode jo behadh tezi se aage badhe..

in extra kano me itni taakat thi ki jaise hi ye ALFREEN ko lagte, ALFREEN naa sirf behosh ho jaati,par saath hi uski ye behoshi challenge khatm hone ke baad bhi kaafi time tak kaayam rehti..

aur aisa hone hi waala tha ki tabhi...


KRRR.....

MAHI aur ALFREEN ke beech bane is constant ray beam ko ek naye ray ne beech se hi kaat liya jiske baad MAHI aur ALFREEN,dono hi neeche gir gaye..

par jahan MAHI girne ke baad turant uth gayi wahin ALFREEN ke senses ab bas kuch hi palon ke mehman the aur isiliye woh waise hi neeche giri rahi aur ussi position me uski nazar us disha ki taraf ghumi jahan se woh nayi ray aayi thi aur wahan dekhte hi uske face par ek smile aa gayi..

reason...

saamne mai khada tha..mujhe muskurate hue dekhne ke baad ALFREEN ki aankhen dheere dheere band ho gayi aur aisa hote hi woh mere saamne se aur is MAZE se gayab ho gayi..

wahin MAHI uthne ke baad mujhe hi dekh rahi thi...

aur usse maalum tha ki ALFREEN ki hi tarah ab usse mujhse bhi ladhna hoga par jahan ye baat uska dil maan nahi raha tha wahin uska BRAIN jisme black energy tha aur jisne mujhe mehsoos karte hi tezi se ucchalna shuru kar diya tha, woh MAHI ko mujhpar humla karne ke liye uksa raha tha..

dil aur dimag ke beech ki jung me MAHI ke chehre par tanaav dikhne laga jiska abhipraya samajh chuka tha mai aur isiliye...


MAI-ye ek challenge hai MAHI... isiliye zyada sochon mat and hit me...

aur haan,apni puri shakti se waar karna hai tumhe mujhpar.. puri shakti..samajh rahi ho naa...??


Puri shakti se mera jo matlab tha,woh samajh chuki thi MAHI..woh jaan gayi thi ki mai usse uske andar base BLACK ENERGY ki shakti ko bhi unleash karne ke liye keh raha hun..

mere aisa kehne ka kaaran toh nahi jaan paayi MAHI par phir bhi usne wahi kiya,jo kaha maine...

BLACK ENERGY ko jisse woh ab tak control karne ki koshish kar rahi thi,usse control hata liya usne apna aur aisa hote hi uske brain me base BLACK ENERGY ne usse uska pura control le liya jiske baad MAHI ka haath apne aap hi meri taraf uth gaya aur aisa hote hi ek behadh hi deadly BLACK ENERGY se labalab attack ray nikla us haath se aur tezi se meri taraf badha aur aisa hote hi maine bhi apna haath aage kar diya..

woh ray sidhe aakar mere haathon se takraya jisse bade aaram se roke rakha tha maine...

aur jab MAHI ke andar nihit BLACK ENERGY ne mehsoos kiya ki mujhe uski shakti se koi asar nahi ho raha hai toh usne apni puri taakat us ray beam me release kar di jisse bhi maine badi aaram se roke rakha..

jahan mai ray block kar araam se khada tha wahin MAHI BLACK ENERGY ke full power release karne se mentally kaafi thak gayi thi..

woh toh neehe hi gir jaati par BLACK ENERGY ne hi usse apni shakti se khade kar rakha tha..

khair,ye sab kuch der tak chalta raha aur shayad aage bhi aisa hi chalta rehta ki tabhi..

SOOBH......

mujhe apne piche se ek behadh strong BLACK ENERGY ki ray apni taraf aati feel hui aur isiliye isse pehle ki woh ray mujhe chhuti mai tezi se side ho gaya jisse ki MAHI ka attack ray aage badh gaya aur aage badh woh us ray se takraya jo mere piche se meri taraf badh raha tha aur jab aisa hua toh ek saath do chizen hui..

pehli....

MAHI ka attack ray khatm hokar gayab ho gaya...

dusri..

MAHI turant neeche gir gayi aur girte hi behosh ho gayi jiska matlab tha ki woh bhi is challenge se bahar ho chuki thi..

aur in sabke beech khada tha mai jo side hatne aur MAHI ke behosh ho gayab hone ke baad piche palta toh paaya ki mujhse thodi door mere saamne khada tha VIDEOUS.....




HIDA VS MABBA




PEHLI BAAR MABBA KISIKE AAGE BEBAS HUI HAI HIDA...SIRF ISILIYE BAKSH DETI HUN MAI TUJHE...

CHALI JAA YAHAN SE,TERI JHUTI AKAD AUR BATTAMIZI KE LIYE MAAF KAR DUNGI MAI TUJHE...


MABBA ki baat sun HIDA ke face par ek smile naach uthi aur...


HIDA-haash..acha hua ki teri gardan aur ATTITUDE me akad lout aayi warna mai todti kisse...???

aur rahi baat teri pehli baar bebas hone ki toh woh waqt tera half yaerly exam tha,final toh ab hone waala hai...

taakat ke guroor me chur jab koi apne se kamzor ko taklif deta hai,sirf maze aur self satisfaction ke liye jab koi kisi mazloom par waar karta hai,toh us kamzor aur mazloom par kya guzarti hai,ye amplified version ke saath mehsoos karwaungi mai tujhe...


HIDA ki baat sun MABBA ke andar ban raha ghusse ka jwalamukhi phat gaya aur jab aisa hua toh...


MABBA-fine..ab dekh kya haal karti hun maiiiiiii.......


aage ki baat niklane se pehle hi MABBA ka sharir hawa me ucchal gaya tha..

reason..

HIDA ne apna haath aur attack AURA zamin ki taraf kiya jahan MABBA khadi thi,jiske baad woh jagah ukhadkar apne upar khade MABBA ko saath lete hue hawa me ud si gayi..

is achanak hue waar ke liye taiyar nahi thi MABBA isiliye hawa me udta hua uska sharir kaafi upar uth chuka tha par phir usne khudko hawa me hi shaant kar liya...

aankhon me angare liye woh HIDA ko ghurne lagi thi..

saath hi HIDA ke us waar aur us waar ki taakat se halki hairan bhi hui thi woh..

khair,hawa me hi khade khade...


SWANITOH GARDHAVA

WIND CAGE


MABBA ke is SPELL uccharit karte hi HIDA ke chaaron taraf behad tez hawa chalne lagi..

us hawa me lohe si solidity thi jo kisi cage ki tarah HIDA ko khudme rokne waali thi..

par MABBA ke is waar se halki si smile naach uthi HIDA ke face me aur...


KHANDAM SWACHAM

BLOCK CLEANER...


man me soche HIDA ke is SPELL se uske aage do invisible strong energy rays prakat hui jinhone uske aage chal rahi wind ko do hisso me kar hata diya aur aisa hote hi uske beech se hote hue HIDA aage badh gayi..

wahin apne pehle SPELL ko uccharit karne ke baad MABBA ussi wind ko jo HIDA ko ghere hue thi, ek paash me badalkar HIDA ka gala ghotne waali thi par woh aisa karti,usse pehle hi HIDA uske SPELL numa chakravyuh se bahar aa chuki thi jisse dekh MABBA bohot zyada chownk uthi thi..

wahin cage se bahar nikal..


HIDA- 2 aur mouke deti hun mai tujhe MABBA...try kar le.. teesre ke baad chouwtha waar mera hoga jisse jhel nahi paayegi tu..


HIDA ke is baat yaa phir ye kahun ki challenge ko sun behadh krodh me apna haath uske aage kar


ANGAM VIBHAJANAM

BODY CUT


MABBA ka ye SPELL kaafi deadly tha jiske uccharit hote hi bohot se invisible par dhaardhaar blades uske aage ban tivr gati se HIDA ki taraf badh chale..

MABBA HIDA ke sharir ke har bhaag ko tukdo me baatna chahti thi aur woh dhaardhar blades uske issi mansha ko pura karne ke liye aage badh chuke the par isse pehle ki woh blades HIDA tak pahunchte...


RUVATAH PRAVAH

REVERSE THE IMPACT


HIDA ke SPELL sochte hi uski taraf badh rahe spells ki disha ghum gayi aur woh dugni raftaar ke saath MABBA ki taraf badh gaye aur isse pehle ki MABBA un blades ko sense kar paati,woh uske paas pahunch chuke the par tabhi...

MABBA ko nuksaan pahunchane se pehle hi woh blades khatm ho gaye jisse mehsoos kar MABBA hairani se HIDA ko dekhne lagi jispar..


HIDA-maine kaha tha aur ki do mouke aur dungi tujhe.

mouke khatm hone se pehle koi nuksaan nahi hoga tujhe par haan,mouke khatm hote hi koi tujhe hone waale nuksaan se bacha bhi nahi paayega...

aakhri mouka hai,give it your best shot...


pehli baar HIDA ke aage halki nervous dikhne lagi thi MABBA par phir khudko shaant kar apni aankhen band ki usne aur...


SAMASTAM RIHATUKAM VINASHAKAM

COMPLETE AMPLIFICATION DESTRUCTION


apne pure AMPLIFICATION aur REFINER powers ko ek kar uccharit kiya is SPELL ko MABBA ne jiske baad uske pure sharir se yaa phir ye kahun ki chaaron AMPLIFICATION modes se ek maarak shatki kunj nikal HIDA ki taraf badh gaya jisse mehsoos kar HIDA ne bhi apni aankhen band ki aur...


RIHATUKAM AURAVA STHUNE

AMPLIFICATION AURA HIT


HIDA ke uccharit SPELL se uske bhi andar se uski AMPLIFICATION AURA release hui aur tezi se aage badh MABBA ke AMPLIFICATION powers se takra gayi aur aisa hote hi MABBA ki powers ek jhatke me khatm ho gayi...

waise toh is takraav se pysically MABBA ko kuch nahi hua par HIDA aur uske AMPLIFICATION power aur AURA ke takraane se usse HIDA ki shakti ka halka sa abhaas ho gaya jisse mehsoos kar uski aankhen badi ho gayi thi..

wahin MABBA ke SPELL ko kaat..


HIDA-time up MABBA...now it's my turn...


apni baat bolte hue hi man hi man...


KSHATI VIMUKHE

PAIJ SENSOR..


ek chota sa par hadh se zyada powerful SPELL socha HIDA ne aur uske aisa karte hi..

MABBA ki badi aankhen jaise fath si gayi..

reason....

uske brain me ek saath un saare SAVENTS aur logon ki tadap gunjne aur mehsoos hone lagi jinpar MABBA ne atyachaar kiya tha..

un pidit logon ki sankhya aur unhe feel hua dard aur humiliation itna zyada tha ki MABBA ka brain itna dabav jhel nahi paaya aur usne us dard ko MABBA ke baaki ke teen AMPLIFICATION modes ki taraf transfer karna shuru kar diya aur jab aisa hua toh...


AHHH..AGHHRRR....AHHHH...NAHIII....

alag alag awaaz aur zor se NAHI bol MABBA ka pura sharir tadapne laga aur woh neech gir kisi mirgi patient ki tarah tadapne lagi..

kuch der tak aisa hota raha par jab us asahaniya dard ko naa jhel paa MABBA ke senses band hohne lage toh achanak se hi woh saara dard gayab ho gaya yaa fir ye kahun ki HIDA ne us dard ko gayab kar diya jiske agle hi pal MABBA ka sharir hawa me lehrata hua jhool sa raha tha..

bhale hi MABBA behosh nahi hui thi,par haalat uski kisi bejaan insaan jaisi hi thi abhi par ye toh sirf trailer tha..

picture toh usse ab dekhni thi aur isiliye....



KANKALAM BHAGDATE

SKELETON WITHDRAW



HIDA ne apna haath aage kar bohot zor se is SPELL ko bola aur uske aisa karte hi ek second ki khaamoshi ke baad...

AAAAAHHHHHHHHAAAAHHHHHHH...


ek praan ghatak cheekh nikal gayi MABBA ke mooh se...

reason...


HIDA ke uccharit SPELL ne apna kaam kar diya tha...

MABBA ke jism me darar padni shuru ho gayi thi aur kuch hi palon me uske sharir ko faadte hue uska pura skeleton bahar aa gaya tha..

us skeleton ke beech MABBA ka dhadakta hua dil bhi tha jo kisi bhi waqt rook sakta tha par aisa ho,usse pehle hi...


SHAKTIYEM BANDHAM

POWER ROPE


HIDA ke soche SPELL se WHITE ENERGY se bana ek dhardhar rope us kankal ke chaaron taraf lapeta gaya jisse naa sirf woh kankaal bandh gaya par saath hi saath us rope ke dhardhar rays se usme halke ched bhi ho gaye aur jab aisa ho gaya toh HIDA ne us skeleton ko MABBA ke sharir ke andar bhej us sharir ko pehle jaisa kar diya..

wahin MABBA ka sharir joki us SKELETON ke bahar nikalne se murda ho gaya tha,apne haddiyon aur dil ke wapas khudme samane se uske pran wapas aa chuke the par jab aisa hua toh...

us dhaardhar rays ki wajah se joki uske haddiyon ko penetrate kar rahe the,ek behadh tez chikh nikli MABBA ke mooh se aur woh neeche zamin par gir firse tadapne lagi...

ye tadap mout se hazar kuna kashtdayi thi jisse jhel nahi paa rahi thi MABBA..

aankhon me daya ki guhar liye woh neeche zamin me tadapte hue HIDA ki taraf palti par aaj HIDA ki aankhon me koi rehem nahi thi..

itne saalon ka frustration aaj MABBA ki cheekhon ke saath jaise sukoon me badal raha tha..

wahin aise hi kuch der tak tadapte hue MABBA ke senses jawab dene lage aur is baar HIDA ne bhi MABBA ko behosh hone diya..

isiliye kuch der aur tadapte rehne ke baad MABBA ki aankhen band ho gayi aur issike saath woh sirf is challenge se hi nahi balki asli duniya se bhi partially out ho chuki thi...




RAAZ VS VIDEOUS




TEENO CHALLENGES ME AB TAK KE PERFORMANCES AUR ABHI PICHE SE HUE WAAR SE BACHNE KE LIYE REFLEXES PHASE 2 SAVENTS KE HISAAB SE KUCH ZYADA HI TEZ NAHI HAIN...!!!!


muskurat ke saath mujhe dekhte hue kahi ye baat VIDEOUS ne jiske baad bhi mai bas usse shanti se khada dekhta raha jispar...


VIDEOUS-waise koi badi hairani bhi nahi hai..ab THE PROHIBITED ARCHIVE me chhupi shakti jiske saath DHANUR ke powers bhi moujud the,unhe haasil karne ke baad itni taakat ka hona toh banta hi hai...


ek gehri muskaan ke saath mere RAAZ ko unfold karte hue kahi ye baat VIDEOUS ne jiske baad...


MAI-kaise pata chala tujhe...???

VIDEOUS-naam RAAZ hone ka matlab ye nahi hai ki tu VIDEOUS se kuch chhupa sakta hai aur khaas kar ussiki duniya me....

CHOSENS ki ek jagah jo hokar bhi gayab hai,aur jo VIDEOUS bhi sense nahi kar paa raha hai..

is baat ka toh ek hi matlab ho sakta hai ki us jagah ko tere liye chhupaya gaya hai...

aur phir jab normal form me badalne ke kuch waqt baad tere performences me achanak se positive changes aane lage,toh mai samajh gaya ki woh us chhupi hui jagah ne khudko tere saamne ujagar kar diya hai...

MAI-waise aloukik shaktiyon ko temporary khatm karne ke piche ka ek prayojan tera bhi toh yahi tha naa ki woh chhupi hui jagah mere through bahar aa jaaye taaki koi bhi angle tujhse bacha naa reh paaye...

VIDEOUS-not bad RAAZ...andaza toh sahi lag gaya tera...

MAI-andaze tu lagata hai VIDEOUS, RAAZ facts batata hai..jaise ki purane successful WICKEDS ki powers copy kar unhe sangrah me rakha tune aur ab woh saari shaktiyan teri dhamniyon me doud rahi hain...

hain naa ye fact...???!!!


mere is revelation ko sun ek pal ke liye VIDEOUS ke chehre ki smile gayab hui par phir woh smile wapas aa gayi aur...


VIDEOUS-very good...waise ye taarif tere liye nahi hai,is CHOSENS ke sabse purane jaankar DHANUR ke liye hai..

kyunki i am sure,ek wahi hai jo purane se purane SAVENTS ki shaktiyon ko sense kar sakta hai aur jinke through tujhe ye RAAZ pata chala hai...

par actually,taarif ka thoda sa hakhdar toh tu bhi hai hi...

kyunki ye jaante hue bhi ki BLACK ENERGY se bhari shaktiyon se bhara hua hun mai,tu yun nidar hokar khada hua hai mere aage...

but RAAZ.... himmat dikhane aur bewakufi dikhane me bas halka sa hi fark hota hai aur filhal jo tu dikha raha hai,woh himmat nahi bewakufi hai...

tujhe wakayi lagta hai ki PROHIBITED ARCHIVE se haasil kiye chand ancient magic skills se tu mujhe hara sakta hai...

bilkul nahi...meri dhamniyon me beh rahi shakti aaj bhi mortal world me sabse shaktishaali hai jiske aage mai kisi ko bhi hara sakta hun,jhuka sakta hun...

aur is kisi me tu bhi aata hai... isiliye agar waqt se pehle khatm nahi hona chahta, hamare us battle se pehle jisse dono FATHERS ki niyati bhi judi hai, sharminda nahi hona chahta toh jhuk jaa mere aage..

aaj ke liye baksh dunga tujhe...

MAI-pata hai tujhme aur mujhme sabse bada fark kya hai...???

tu chahta hai ki saara bramhaand tere aage jhuke aur meri khawish ki
pure bramhaand me aisi koi taakat naa ho,jo mujhe jhuka sake...

aur filhal faisla ye karna hai ki teri chaahat me zyada dum hai yaa phir meri khawahish me...

VIDEOUS-ab tu yah chahta hai toh yahi sahi...waise bhi teri khudke liye paali galatfehmi door karne me zyada waqt lagega nahi..

MAI-galatfehmi kaun paal raha hai,ye toh pata chal hi jaana hai par haan,ek baat sahi hai teri ki galatfehmi kisi ki bhi ho,khatm hone me zyada waqt lagega nahi....



SOOBHH.....

SOOBH.....

BOOMMMM BOOMMMMMMM


apni baat khatm karte hi mere right hand se ek devastating attack beam nikal VIDEOUS ki taraf chal di jiske jawab me VIDEOUS ne bhi same beam mere beam ke upar chhodi...

hum dono ki hi beam aadhe raaste me ek dusre se takrayi jisse lagatar tez dhamake hone lage...

hum dono ki hi shakti se jo heat pressure release ho raha tha,woh bohot zyada tha jiski wajah se aas paas ke ped poudhe aur neeche beechi ghaans jal kar raakh ho jaa rahi thi..

khair,ek haath se beam release kar VIDEOUS ne apna dusra haath apne mooh ke paas kiya aur flying kiss dene ke andaz me usne ek phoonk maari aur uske aisa karte hi ek behad deadly poison gaadhe grey colour ke dhuen ka roop dhar uske mooh se bahar nikal tezi se meri taraf badhi..

wahin VIDEOUS ke is second attack ko dekh maine bhi apne left hand ko ek ray me upar niche kiya aur mere aisa karte hi us poisonous dhuen ke theek upar baadal ban gaye jisse musladhar baarish hone lagi.

us baarish ke paani me force itna zyada tha ki uske impact se woh dhuan niche dabne laga aur kuch hi palon me neeche ghaans me gir woh dhuan khatm ho gata jiske baad baarish hona bhi band ho gayi..

aur jab aisa hua toh uske agle hi pal...



APRATAKSHIT VAJRAGHATAM

UNPREDICTABLE LIGHTNING

GADDADGADGAD....




mere man me soche is spell ke baad ek hi time me alag alag disha se behadh taakatwar bijli paida hone lagi jo sidhe VIDEOUS ke sharir se jaakar takraye..

aisa hone ki wajah se VIDEOUS ke kapde halke halke jalne lage aur saath hi uska balance bhi bigadne laga par phir bhi usne naa toh apni position chhodi aur naa hi uske right hand se nikalte beam me koi change aaya...

par taklif toh usse ho rahi thi aur isiliye..


VAJRA KHANDAM

LIGHTNING BLOCK


uske mooh se ye SPELL uccharit hua jiske baad uske chaaron taraf ek invisible SHIELD numa cover ban gaya jisse takrakar meri create ki gayi lightning rookne lagi..

khair, apne cover ko banane ke baad...


NAAG PAASHAM

SNAKE CAGE

ADINAH SHAKTIYEM


pehla SPELL mooh se aur dusra SPELL man me uccharit kiya VIDEOUS ne jiske asar se ek saath do chizen hui....

pehle SPELL se mere chaaron taraf bohot saare deadly snakes pragat hue aur ek ghere me badalne lage..

pehla ghera banane ke baad baaki shakes ek ladder ko tarah neeche ke ghere waale saanpo ke upar dusra ghera banane lage...

ye proccess kaafi speed se jo raha tha..

wahin dusra SPELL jisse VIDEOUS ne man hi man socha tha,usse uske attack beam ki strength 10 guna tak badh gayi jiski wajah se mai kuch 3 metre tak piche khisak gaya tha aur jab aisa hua toh...

FFFHOOKHHHH....

mere just piche se ye awaaz aayi joki saanpo ki thi jo ghera banate hue bhi mujhe dasne ki koshish kar rahe the..

ek taraf attack beam ki strength aur uska pressure aur dusri taraf un saanpo ka ghera jisme pure BLACK ENERGY nihit thi jo agar apna pura ghera complete kar leti toh usse unke andar vaas kar rahe BLACK ENERGY ka zeher nikal mere sharir pat lagta jisse mai automatically behosh ho jaata..

khair,piche sarakne ke baad maine bas apne right hand ko halka jhatka diya jisse mere ENERGY beam ki taakat bhi kaafi badh gayi aur saath hi saath maine apne pair ko zamin par zor se maara aur jab maine aisa kiya toh mere pair ke energy force se aas paas ki puri zamin kaamp gayi jiski wajah se woh saare saanp kayi feet hawa me uth gaye..

aisa hote hi woh saanp joki mere aur VIDEOUS ke beam ghere ki chapet me aaye,woh toh turant jal kar raakh gaye aur jo bache the,unke liye maine socha ek SPELL...


PAKSHIYEM GHAATAM

EAGLE ATTACK


mere is SPELL ko sochte hi achanak se hi beech hawa me bohot se eagle prakat hue jinhone isse pehle ki woh saare saanp wapas zameen par gire,unhe khaa liya aur aisa kar gayab ho gaye..

wahin apne double attack ko yun zaaya hota dekh aur mujhe ab tak apne saamne mazbooti se tike dekh VIDEOUS ke jabde sakhti se aapas me bheench gaye aur...


VIDEOUS-DEHEM PRATADAM

BODY TEAR


apne energy beam ki power ko aur badhate hue is naye SPELL ko uccharit kiya VIDEOUS ne.

ye uska mujhpar bola gaya pehla praanghaatak SPELL tha jisse behadh tez invisible lava nikal meri taraf badh gaya...

khair,is praanghaatak aakraman ko dekh meri bhi aankhon me halki intensity dikhne lagi aur uske agle hi pal mere aankhon se do extreme energy light nikal mere aur VIDEOUS ke beech waali zamen se jaa takraye aur aisa hote hi woh jagah fath gayi aur us khaali jagah me lava ka chota sa pond ban gaya..

itna hi nahi,us lava ke pond me behadh strong gravitational pull tha jisne uske upar se nikalte us invisible laava ko bhi naa sirf sense kar liya balki usse apne me kheench bhi liya...

aur aisa hote hi woh lava ka pond gayab ho chuka tha..

apne itne taakatwar SPELL ko zaaya hota dekh VIDEOUS ki ankhon me bhi surkhi dikhne lagi aur hile uske honth..


VIDEOUS-bas bohot hua....

MAI-bilkul..wakayi bohot hua...tere SPELLS ko toh tod diya maine,ab tere ATTITUDE ko todne ki baari hai..


meri baat sun VIDEOUS ne apna dusra haath bhi aage kiya aur...


SHATRU VINASHAKAM

ENEMY DESTRUCTION


jaise hi VIDEOUS ne is SPELL ko uccharit kiya,toh uske dusre haath se ek invincible killing BLACK ENERGY se labalabh bhari hui beam nikal meri taraf lapki aur mere right hand par aa lagi aur aisa hote hi..

AGGGGHHHHHH.....

ek dard aur zidh se mili hui gurrahat nikli mere mooh se..

reason....

jaise hi VIDEOUS ki ray mere haath par padi jahan pehle se hi ek beam hit kar rahi thi toh,mai ek jhatke me ghisaththe hue kareeb 20 metre tak piche chala gaya..

saath hi us beam se release ho rahe heat ke tarango ki wajah se mere kapde bhi kaafi jagah fathne lage the..

piche ki taraf dhakka khata hua kuch pal apne aap ko ho rahi taklif ke saath abhyasth kiya maine aur phir meri nazar padi VIDEOUS par jiski aakhon me mujhe ho rahi taklif ko dekh ek chamak aa gayi thi...

us chamak ko dekh mere face par bhi ek halki si smile aa gayi jiske baad maine shuru kiya apni shakti ka asli pradarshan...

aankh band kar mai apne hi andar behta chala gaya aur jab aisa hua toh maine release kiya mere emotions power ko aur jab aisa hua toh...

DHAKKHHHHH.....

ek jhatke me piche ki taraf udta chala gaya VIDEOUS aur kareeb 50 metre tak udne ke baad neeche zamin par aaya..

haalaki zamin par aane ke baad bhi woh neeche gira nahi tha par uski haalat dekhne jaisi thi..

uske dono haath jinse abhi bhi beams nikal rahe the,woh mere beam ke pressure se kaampne lage the.. uske sharir ka adha se zyada kapda fath chuka tha aur apne zindagi me pehli baar uske face par dard ki lakeeren saaf dikh rahi thi jisse woh chhupane ki naakamiyab koshish kar raha tha...

par ye sirf tab tak hi tha jab tak mai apni jagah par khada hua tha...

apne emotions power ko release karne ke baad ek pal ruk maine apne apne kadam aage badhaye aur jab maine aisa kiya toh mere powers ka pressure bhi badhne laga jiska impact VIDEOUS ke chehre par saaf dikhne laga tha..

chehra uska halka halka kaampne laga tha aur jaise jaise mere kadam aage badh rahe the,uske pair ghistaththe hue piche jaa rahe the...

AAAAAAAAAAAAAA.....

ek gurrahat se bhari awaaz nikalne lagi VIDEOUS ki jo praman thi ki woh apni puri taakat laga khudko piche jaane se rokne ki koshish kar raha tha jisme woh kaamiyab nahi ho paa raha tha..

har guzarte pal aur aage badhte hue mere kadam ke saath VIDEOUS ki pyscical energy uska saath chhod rahi thi aur ab woh ye samajh gaya tha ki woh is battle me haarne waala hai but having said that,jo asaani se haar maan jaaye,woh VIDEOUS nahi..

bhale hi imandari se ho yaa fir chhal se, VIDEOUS ko bas apni jeet se matlab hota tha aur isiliye issi tark ko saabit karne ke liye usne apni aankhen band ki aur kuch naam pukare aur uske aisa karte hi uske side me teen kaale dhuen banane lage aur kuch hi palon me woh dhuen apne swaroop me the..


THE THREE DEVOTEES...

apne teeno shaktishali gulamo ko bulaya tha VIDEOUS ne apni madad ke liye aur isiliye prakat hone ke agle hi pal woh teeno wapas dhuen mle badal ek dusre ke saath merge ho gaye..

aisa kar un teeno ne khudko VIDEOUS ke dono haathon me lapeth sa liya aur jab aisa hua toh ek saath do chizen hui..


pehli.. VIDEOUS normal ho gaya...uske facial expressions change ho chuke the..teeno DEVOTEES ki powers joki ab uske dono haathon me thi,shakti ke is aseem vridhi ki wajah se uske chehre ki smile wapas lout aayi thi..

dusri...uske haathon se nikalne waali power beams ki taakat 10 guna tak badh chuki thi aur issike saath table turn hi chuka tha...

kuch der pehle jo haal VIDEOUS ka tha,ab wahi haal mera ho raha tha..

kapde mere garm hokar halke halke jalne lage the aut kadam ab mere piche ki taraf fisalte hue jaane lage the..

aur aisa hote dekh...


VIDEOUS-haar maan jaa RAAZ...ab tu jeet nahi sakta...

sir is waqt neeche tha mera aur excessive power use karne ki wajah se kaamp raha tha par jab VIDEOUS ne mujhe haar maanane ke liye kaha toh waise hi kaampte hue maine apna sir upar uthaya,uski aankhon me dekha aur...


MAI-baazi tere haath me hai phir bhi jeetne ki bheek maang raha hai...

par afsos aaj mere paas chhute nahi hain tere liye...


ye bol maine apni aaankhen band ki aur agle hi pal maine apne andar chuppe GOD GIFTS ke AURA ko feel kar unhe bahar aane ki permission de di aur jab aisa hua toh..

BOOMMMMM....


behadh tezi se ek invincible power force mere andar se nikal mere hathon me jagmaga rahe beam ke saath mil aage badhi aur sidhe VIDEOUS ke haathon se takrayi aur aisa hote hi uske haathon se lipte woh kaalr dhuen joki uske teeno DEVOTEES the,unke andar ek dhamaka hua aur woh VIDEOUS ke haathon se chhitak kar apne asli swaroop me aate hue door jaa gire..

wahin VIDEOUS ki toh haalat hi kharab ho chuki thi...

uske sharir ke upari vastra lagbhagh pure hi fath gaye jinke andar uski shaktishaali body bhi lagatar fathne lagi..


haan fathne ke baad uske body heal bhi ho rahi thi par heal se zyada tezi se naye cuts padh rahe the uski body par jisse asahaniya pida uthne lagi thi VIDEOUS ke sharir par..

par is dard ke beech VIDEOUS ke chehre par zamane bhar ki hairani thi jisse woh mujhe dekhte hue dekh raha tha..

mere is nayi release ki hui shakti ko saaf mehsoos kiya tha usne aur yahi uski hairat ki wajah thi..

saath hi saath har guzarte hue pal ke saath apne pure zor ko lagane ke baawjud bhi uske ghutne mudne lage the...

wahin door chhitakne ke baad teeno DEVOTEES ko wapas khade hone tak me dikkat ho rahi thi..

is beech VIDEOUS ke ghutne pure mood chuke the jiski wajah se woh pehle toh zameen par baith gaya par phir turant hi shakti ke abhaav aur mere rays ke prabhav se neeche gir pada...

jahan ek taraf ab VIDEOUS ki haalat itni buri ho chuki thi ki woh apne haath pair bhi nahi hila sakta tha wahin dusri taraf is haalat me aane ke baad bhi mere release kiye gaye power ki wajah se woh behosh bhi nahi ho paa raha tha..

aur jab teeno DEVOTEES ne apne master ki ye haalat dekhi toh woh jaan gaye ki agar aisa hi kuch der aur hota raha toh VIDEOUS ek aise mental state me pahunch jaayega jahan se wapas aane me usse kaafi waqt lagega aur isiliye..


1ST DEVOTEE-rook jaao RAAZ... tum jeet chuke ho.. release kar do master ko apne power beam se..

2ND DEVOTEE-haan RAAZ..ye tumhare aur master ke beech ki nirnayak ladhayi nahi hai..isme tum inhe maar nahi sakte...

3RD DEVOTEE-agar tumne apna assault nahi roka toh master khatm toh honge nahi par haan,aise state me zaroor pahunch jaayenge jahan se unhe wapas aane me kaafi waqt lag jaayega..

isse tumhe toh koi faayda hoga nahi par jab bhi LORD loutenge,baaki sabko bohot nuksaan ho jaayega.

1ST DEVOTEE-haan RAAZ... mat bhulo ki ye kahani hamare LORD ke hisaab se hi chalegi...

aur agar inhe zyada aghaath pahuncha toh ye is kahani ke niyam phir se badal denge jisse sabse zyada nuksaan tumhe hi hoga...


is waqt meri nazar un teeno DEVOTEES par hi thi jinki zubaan se dhamki nikal rahi thi par aankhon me apne master ke liye dar saaf dikh raha tha aur mujhe ye dar ACHA LAGA...

isiliye chehre par muskaan liye maine apne haath ko niche kar liya jiske baad VIDEOUS ke sharir par meri power beam padni band ho gayi..

jahan ye dekh teeno DEVOTEES ne raahat ki saans li wahin VIDEOUS ke sharir me abhi bhi mere waar ki wajah se halke halke jhakte lag rahe the..

uske saare cuts kaafi speedily thik ho rahe the aur mujhe maalum tha ki jaise hi uska sharir pura thik hoga,uska mind shaant hokar usse behosh kar dega..

bas kuch hi seconds bache the VIDEOUS ko behosh hone me isiliye mai uski taraf badh gaya..

aur mujhe apne master ki taraf badhta dekh teeno DEVOTEES ke chehre par ek baar phirse tention dikhne lagi..

aur isiliye woh teeno latte patte khade hue aur VIDEOUS ke paas jaakar khade ho gaye aur..


1ST-stop RAAZ...

MAI-nahi toh...


meri baat sun mooh se kuch nikal hi nahi paaya un teeno ka...

wahin un teeno ke chehre par aayi bebasi ko dekh...


HAHAHAHAHA.....


ek baar zor se hasa mai aur phir un teeno ko dekh hile mere honth...


MAI-daro mat.....



maine toh bas dikh rahi gandagi ko SAAF KIYA....

chuppi kamzori ko be-pardaaye LIHAAF KIYA.....

tumhari dhamki me chhupa dar acha laga mujhe, isiliye.....

jao,aaj tumhare BAAP ko uske BAAP ne MAAF KIYA.....














AAJ KE LIYE ITNA HI.....













AAPKA APNA V....J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI EXERTION KE FINAL SEGMENT ME JAHAN EK TARAF BRAWNY, SLUNDER,ANWIR AUR MORANA KO HARA DETE HAIN,DUSRI TARAF HIDA MABBA KO HARA DETI HAI, TEESRI TARAF MAHI ALFREEN KO HARANE KE BAAD EK ANJAAN RAY KE LAGNE SE KHUD BHI BEHOSH HOKAR COMPETITION SE BAHAR HO JAATI HAI WAHIN CHOWTHI TARAF RAAZ AUR VIDEOUS KE FIRST FACE OFF ME RAAZ VIDEOUS KO HARA DETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-104



PLANET- ELYSIAN


PLACE-STADIUM





UNBELIEVABLE.... ABSOLUTELY BRILLIANT......CHOSENS KE 25 THOUSAND YEARS KE ITIHAS KA YE BEST EXERTION RAHA HAI...


kaafi der tak pin drop silence rehne ke baad ye pehli baat thi joki EXERTION ke sutradhaar matlab REGIS ke mooh se nikli thi...

chaliye,aage badhne se pehle is pin drop silence ka RAAZ jaan lete hain..

waise reason kaafi normal aur jaayaz hai...

VIDEOUS ke behosh hote hi woh bhi gayab ho competition se bahar ho chuka tha aur ussike saath RAAZ and company ke liye ye competition bhi khtam ho chuka tha jiske baad...

MIDDLE GROUND....ek saath uccharit kiya tha ye shabd maine aur mere doston ne jiske baad hum sabhi wapas stadium me pahunch chuke the par jab hum as winners pahunche,toh normally aise mouke par jo taaliyan aur hooting bajti hai,woh nahi baji..

reason...

baaki sabhi SAVENTS joki EXERTION se behosh hokar out hue the,woh sab toh hosh me aakar normally khade hue the par un sab participants me 6 logon ab bhi behosh the...

VALDIS,MAHI,MABBA ANWIR MORANA AUR VIDEOUS...

par jahan VALDIS MAHI aur MORANA bas behosh hi lag rahe the,wahin VIDEOUS ki haalat thodi kharab thi...

uske kapde bohot jagah se phat gaye the aur uske sharir se mere SPELLS ke asar se ab bhi dhuan nikal raha tha...

haan uski healing process on thi par mere GOD GIFT powers ke release aur usse touch hone ki wajah se naa sirf woh process kaafi slow ho chuki thi balki saath hi VIDEOUS ke behosh chehre par bhi dard ki lakeeren saaf dekhi jaa sakti thi...

aur ANWIR ki haalat bhi dekhne layak thi..

woh tha toh behosh par dekhne se aisa lag raha tha maano mar chuka ho...

aankhen puri band nahi hui thi aur jo aankhon ka halka hissa khula hua tha,woh kisi murde ki tarah palta hua tha....

wahin sabse buri haalat thi MABBA ki... skeleton ke bahar nikal wapas jism ke andar jaane ki wajah se uske dono haath piche ki taraf ghume hue the..

neeche zamin par pade hone ke baad bhi uski kamar upar ki taraf uthi hui thi maano neeche koi adrishya takiya rakha gaya ho...

gardan bhi aise thedhi hui thi jaise kisine uski gardan tod di ho...

pure sharir ke alag alag bhaagon se khun rees raha tha jaa jo iske kapdon se hote hue khule bhaagon se bahar nika raha tha..

honth ke side se mirgi patient ki tarah jhaag nikal rahi thi aur behosh hone ke baawjud uska sharir halka halka kaamp raha tha...

uski waisi haalat dekh wahan khade sab naa sirf dar gaye the balki unhe andaza ho gaya tha ki usse kis level ka pain jhela hoga...

kuch WICKEDS bhi the wahan moujud the jo ANWIR aur unki favourite WHIZZ MABBA ki haalat dekh dar gaye the...

aur yahi sab dekh WHIZZES, WHIZZDERS aur stands me baithe sabhi parents shocked aur dar se gaye the...

wahin teeno SOVES jaante the ki jab tak ye behosh SAVENTS aur MABBA yunhi stadium me rahenge tab tak parents normal nahi ho paayenge aur isiliye...

MAHI, VIDEOUS, ANWIR aur MORANA ki bodies ko unhone unke ABODES me gayab kar pahuncha diya aur MABBA ki body apne aap gayab ho gayi jisse dekh woh teeno samajh gaye the ki ye kaam uski behen ne kiya hai...

khair,un 6 logon ke gayab hone ke baad us chhayi hui khamoshi ko ab REGIS tod chuke the aur isiliye apni baat ko aage badhate hue

REGIS-jo results aaye hain,waisa kuch kabhi hoga,woh kisine kabhi bhi nahi socha tha...

aisa pehli baar hua hai ki STELLARS kisi competition me first toh door ki baat hai, second tak nahi aa paaye hain wahin WEAKLINGS PHASE 2 ke sabse bade competition EXERTION me first aaye hain aur woh bhi ek lambe margin se...

brilliant....

aur ab mai chahunga ki hamare teeno SOVEREIGN'S WEAKLINGS ko is competition ke CHAMPIONS declare kar unhe winners TROPHY apne haathon se den...


jahan REGIS ki baat sun teeno SOVES stage par aakar khade ho gaye jiske beech abhi ek bohot badi si chamchamati trophy rakhi hui thi wahin REGIS ne jo bhi kaha,usse sun stands me sabhi parents aur yahan ground me khade saare SAVENTS clap karne lage the.

in SAVENTS me ACCHUTA aur SLUNDER bhi shaamil the joki aaj second position me the par phir bhi bohot khush nazar aa rahe the..

khair,us TROPHY ke paas pahunch....


SHAILA-WEAKLINGS...aapke performance ki taarif me jitne shabd kahe jaa sakte the, REGIS pehle hi keh chuke hain..

waise bhi EXERTION jaise deadly competition me naa sirf survive karna balki itne strong opponents ko harate hue bina kisi pyscical damage ke saath yahan khada hona bohot badi baat hai...

you really are CHAMPIONS...aur jab mai champion keh rahi hun toh ye shabd sirf WEAKLINGS ke liye hi nahi balki GROOMERS se bhaag liye ACCHUTA aur SLUNDER ke liye bhi hai kyunki in dono ne bhi naa sirf pure competition me behatarin perform kiya hai par saath hi KNOCK OUT challenge ko apne catagory me bas in dono ne hi successfully paar kiya hai...

aur isiliye prize ke hakhdaar ye dono bhi hain...

so all the members of WEAKLINGS and with them ACCHUTA, SLUNDER, come on stage....


jahan SHAILA ki baat sun baaki sab behadh khush dikh rahe the wahin ALFREEN halka sharminda feel kar rahi thi kyunki hamare catagory me bas ek wahi thi jiska performance baaki members jitna strong nahi tha...

yahi reason tha ki SHAILA ke bulane par baaki sab toh stage ki taraf badh gaye par ALFREEN apni iagah par hi sir jhukaye khadi rahi jisse dekh mai uske paas gaya aur...


MAI-ALFREEN....haar ho yaa jeet...ye matter nahi karta ki kaise hui hai...matter bas result karta hai..

aur result yahi hai ki tum winner ho...that sit...admit it,feel it & own it...

chalen..!!!


haath uski taraf badhate hue kahi maine ye baat jisse sun muskurate hue dekha usne mujhe aur mera haath pakad stage ki taraf badh chali..

ye sab stands par baithe FLORIN aur MARIA bhi dekh rahe the aur is waqt unke face par garv aur aankhon me khushi ke aansu the..

waise khushi ke aansuon ka stock un dono ke baaju mai baithe BRAWNY ke parents NAOMI aur SHALTON ke paas bhi tha jo is waqt behadh garv ke saath apne bete ko stage me ek winner ki tarah khade hote dekh rahe the aur ye khushi aur garv us waqt chaar guna aur badh gayi jab mere aur ALFREEN ke stage me chadhne ke baad hum sabne us TROPHY ko lift kiya...

jahan mai trophy ko hold kar normally hi khada raha wahin kuch der baad jab ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ko unki khushi bardasht nahi hui toh un teeno ne trophy ko thaame hue idhar udhar zoron se hilte hue ek tarah ka dance hi shuru kar diya tha jisse dekh sabki hasi nikal gayi thi....

khair, taaliyon aur hooting ke beech kuch der wahin stage me khade rehne ke baad hum sab neeche utarne hi waale the ki tabhi...


AKSHAANT-one minute SAVENTS...aap sabka performance sirf ek TROPHY deserve nahi karta balki aap sabki hi tarah kuch extra ordinary gifts bhi deserve karta hai jo ab aapko milega isiliye fall in line....


AKSHAANT ki baat aur gift ke baare me sun sabhi behadh excitement ke saath ek dusre ke left right me khade hote hue ek line alignment kar chuke the aur aisa hone ke baad teeno SOVES right end ki taraf jahan BRAWNY, ACCHUTA aur SLUNDER khade the, unke saamne jaakar khade ho gaye aur apne apne haath unke aage kar diya aur unke aisa karte hi unke hatheliyon par ek ek DECANTER aa gaya jisse unhone un teeno ki taraf kar diya...

(DECANTAR-3 inchi perfume ki transparent shishi.is DECANTER me fark bas itna tha ki iske upari bhaag me sprayer ki jagah knob tha)


khair,DECANTAR ko apne haathon me thaam woh teeno aakhon me sawal liye teeno SOVES ko dekhne late jispar...


SHAILA-is DECANTAR ke andar ka perfume sirf ek baar hi bahar nikal sakta hai...

saath hi iske andar ek ek note hai jo tum teeno se related hai...


SHAILA ki baat sun woh teeno us DECANTAR ke knob ko kholne lage par aisa karte waqt unhe aascharya hua..

reason...

woh knob ghuma hi nahi..unhone taakat bhi lagayi par natija same raha jisse dekh jab unhone teeno SOVES ko dekha toh...


MOKALSAR-is DECANTAR ka knob sirf tabhi khulega jab iske khulne ka sahi waqt aayega...


ye bol MOKALSAR baaju me taraf gaye jahan HIDA khadi thi...


MOKALSAR-aaj aapne jo performance di hai,usse aapne saabit kar diya ki PHASE 2 me tumse behtar koi WHIZZ nahi hai..

isiliye like your SAVENT BRAWNY,aap ab se WEAKLINGS ki nahi balki STELLARS ki WHIZZ hain...

ye baat MOKALSAR ne zor se kahi thi jo ground me khade sabhi SAVENTS ne bhi suni aur anouncement ko sun woh sabhi kaafi khush hokar HIDA ke naam ki chanting karne lage..

pehle MOKALSAR ki anouncement aur ab apne naam ka chant sun HIDA kaafi emotional hone lagi thi par kisi tarah woh khud ko sambhaale hue thi...

khair, MOKALSAR jab HIDA ke saamne khade the tab AKSHAANT unhe cross karte hue ALFREEN ke paas jaakar khade ho chuke the aur jaise hi MOKALSAR ki baat khatm hui toh unhone ALFREEN ke aage apna haath kar kar diya jisme is waqt ek average size ka FLASK tha jiske andar paani jaisa hi liquid bhara hua tha jisse thaam jab ALFREEN ne AKSHAANT ki taraf dekha toh...


AKSHAANT- jab paani bhi tumhari pyaas naa bujha paaye tab iske andar ka paani tumhe rahat pahunchayega...

isse sambhal kar rakhna...


AKSHAANT ki baat ka matlab toh ALFREEN nahi samajh paayi par phir bhi usne haan me apna sir hila diya..


issi beech SHAILA mere saamne khadi ho mujhe muskurate hue dekh rahi thi aur fir jaise hi AKSHAANT ki baat khatm hui toh unhone apna haath saamne ki taraf lehraya aur unke aisa karte hi unke aur mere beech hawa me hi ek 3 inch ka red metal box aa gaya jisse garm bhaamp sa nikal raha tha..

us bhaamp ko mehsoos kar hi hum sab samajh gaye the ki ye metal box kitna garam hoga...

khair,jaise hi box hawa me prakat hua toh..


SHAILA-tumhare sarvshrestha performance ke liye inaam hai ye RAAZ...

hold karo isse...


jahan SHAILA ki baat sun hairan ho gaye sabhi wahin maine bina kuch soche us box ko pakad liya...

par shocking baat ye thi ki mujhe woh boz bas maamuli sa hi garam lag raha tha..

khair,mere box ko pakadte hi...


SHAILA-is box ko tumhare alawa koi nahi chhu sakta..

agar koi kosish kare toh uska haath jal kar raakh ho jaayega...

anyways, is box ke andar jo bhi chiz hai,usse akele me dekhna par woh kis kaam aa sakti hai,woh tumhe figure out karna hai....

SHAILA ki baat par haan me sir hilaya maine jiske baad ek baar phirse hum sab ko badhayi dete hue SOVES ne aaj ka day off ghoshit kar diya...

aisa hote hi hum sab stage se neeche utre..

jahan stage se utar haathon me TROPHY ko pakad BRAWNY sidhe apne parents ki taraf badh gaya wahin ALFREEN bhi apne mom dad ke paas chali gayi....

usne mujhe bhi chalne ko kaha tha par maine baad me milne ka bol usse jaane diya....

aur is beech BRAWNY apne mom dad ke paas pahunch gaya jispar...


SHALTON-proud of you son....


apne bete ko gale se lagate hue kahi ye baat SHALTON ne..

SHALTON ke baad NAOMI ne bhi pehle apne bete ka maatha chuma aur phir usse apne seene se laga liya...

aaj najaane kitne arse ke baad dil se khush the SHALTON aur NAOMI aur woh khushi unke chehre par saaf dikh rahi thi aur us khushi ko unka beta BRAWNY bhi mehsoos kar behadh khush ho gaya tha..

khair,kuch pal baad jab BRAWNY apni mom dad se alag hua toh usne apne haathon me pakdi trophy un dono ke aage kar di jisse behadh garv ke saath un dono ne thaam liya...


GARV...yahi toh woh expressions the jo najaane kab se BRAWNY apne liye apne mom dad ke face par dekhna chahta tha aur aaj jab uski ye khwahish puri hui toh usne nazar ghumate hue meri taraf dekha..

is waqt uski aankhon me mere liye bohot zyada samman tha aur ye feeling SHALTON aur NAOMI se bhi chhupi naa reh paayi aur isiliye...


NAOMI-beta ek baat puchun...???


NAOMI ki awaaz sun BRAWNY apne mom dad ki taraf palta aur apni mom ko dekh woh unke sawal ko bhi samajh gaya...


BRAWNY-RAAZ ke baare me puchna chahte hain naa aap dono...???


BRAWNY ke sawal par haan me sir hilaya un dono ne jiske baad...


BRAWNY- mom dad..i know ki jo kuch bhi usne aap dono ke saath kiya,uske liye aap dono ke hi man me uske liye bohot kadwahat hai aur aisa hi kuch kuch waqt pehle tak mere man me bhi tha..

par ajeeb baat ye hai ki RAAZ bhi yahi chahta tha ki mera man uske liye ghusse ki aakhri hadh tak bhar jaaye aur isiliye hi usne aap dono ke saath bura vyavahar kiya tha...


BRAWNY ki baat sun uske mom dad chownke aur..


SHALTON-matlab...!!!!

BRAWNY-details toh mujhe bhi nahi pata par jitna jaanta hun,bata deta hun..

darasal kuch SAVENTS me special talent hota hai jisse bahar laane ka tarika bhi kaafi unique hota hai..

mere maamle me mere chuppe kaabiliyat ko bahar nikalne ka tarika anger aur frustration tha..

aisa frustration jiske aage life bhi choti lage..

RAAZ ye baat jaanta tha...aur mere pichle PHASE se is PHASE ke safar ko dekh usse is baat ka bhi andaza ho gaya tha ki life and death level ka frustration mujhe meri insult hone se nahi niklega..

waisa karne ke liye bas ek hi tarika tha aur woh tarika tha aap dono ki insult..

ek aisi insult jo mere bardasht ke bahar ho aur aisa hua bhi...

aap dono ke insult se mere andar ka rage mere hidden talent ko saath dhakelte hue bahar aa gaya...

aur phir RAAZ ne hi us talent ko nurture karne me meri madad ki jiska result aaj aapke saamne hai...


RAAZ ko unke bete ke andar chuppe talent aur us talent ko bahar nikalne ka tarika kaise pata chala,ye sawal SHALTON aur NAOMI,dono ke hi man me aaya tha par phir jiska naam hi RAAZ ho,uske baare me RAAZ janana asaan toh tha nahi...

aur saath hi jo baat sabse important thi,woh thi BRAWNY ki tarakki isiliye saare sawalon ko dimag se jhatak SHALTON aur NAOMI apne bete ki kaamiyabi par uske saath milkar khush hone lage....

wahin same waqt par jab ALFREEN aur BRAWNY apne apne parents ke paas gaye, toh mai apne ABODE ke liye nikalne hi waala tha ki tabhi....


RAAZZZZ....????


mere naam ko ek unsure sawal ki tarah pukara mere piche se kisi ne jisse sun jab mai piche palta toh mere saamne first PHASE ke chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS OPHILIA, VIOLET,NOX aur OMMIN khade the..

darasal PHASE 2 ki activities aur life style PHASE 1 ke WHIZZES aur WHIZZDERS ko pata nahi chalta hai..

pichle PHASE me mere gayab hone aur phir PHASE khatm hone ke baad mera zikr tak unme se kisike saamne nahi hua tha...

par EXERTION se pehle in chaaron ki mulakat EDWINA se hui thi jinhone PHASE ke baare me batate waqt baaton
hi baaton me mere zikr kar diya jisse sun woh chaaron hairan ho gaye..

aur uske upar mere is PHASE ke achievements ko sun toh unhe yakin hi nahi hua tha aur isiliye aaj woh chaaron yahan mujhse milne aaye hue the..

PHASE 2 me bhale hi aaj EXERTION tha par PHASE 1 me toh regular classes chaalu the isiliye apni classes khatm karne ke baad woh chaaron yahan aaye the aur us waqt hamara knock out challenge on tha...

competition ke baad stage me jab unhone mujhe dekha yaa phir ye kahun ki mere badle hue swaroop se rubaroo hue toh unhe laga jhatka..

aur phir jab mujhe trophy mila aur SHAILA ne mere performance ki taarif ki toh un chaaron ke ek baar phirse bohot zyada shock laga..

aankhon se sab dekhne ke baad bhi woh unsure se the aur isiliye mere paas aane ke baad bhi ek unsure awaaz ke saath mera naam pukara tha OPHILIA ne...

jisse sun jab mai unki taraf palta toh unke sawal ki hairani unke aur baaki teeno ke face par bhi dikhne lagi..

reason...

ab hairan toh hona hi tha...kahan pichle PHASE ka woh dubla patla saawla dabbu sa ladka aur kahan woh ladka jo is waqt un sabke saamne tha joki us purane RAAZ ka complete contrast tha...

khair,un chaaron ko dekh ek smile aa gayi mere chehre par aur...


MAI-mujhe mera naam bata rahi hain yaa phir puch rahi hain...???


pehle mera badla hua roop,uske baad mera smile karna,joki last PHASE me maine kabhi nahi kiya tha,ye sab dekh unka doubt aur gehra hone laga tha par meri awaaz sun aur usse pehchaan jaise unke mere RAAZ hone ka 90 percent doubt chala gaya tha...

aur isiliye....


OPHILIA-tum batao..itna change toh sirf magic se hi ho sakta hai koi toh aise me doubt toh hoga hi naa...

dimag toh maan bhi le par dil nahi maan raha ki tum wahi RAAZ ko jisse hum jaante the...!!!!

MAI-hahaha...ek kaam kijiye...apni aankhon se meri taswir kheench uske reel ko dil me utaar lijiye...

jo dhadkan khudke ehsaas ko chhupane lage toh dil ko yakin ho hi jaayega ki taswir ka maalik RAAZ hi hai...


ek baar phirse meri baat sun aankhen badi aur mooh khul gaya tha un chaaron ka...

jahan aaj se pehle jab bhi un chaaron ne mere mooh se kuch suna tha toh woh katu vaani hi hua karti thi wahin aaj bol mere shayraana the aur lehza ashiqana...

itna mitha bhi bolunga mai kabhi,ye socha nahi tha un chaaron ne..

haan par tab me aur ab me ek baat common bhi thi aur woh ye ki tab meri kahi kadwi baaton ka bhi jawab un sabke paas nahi hota tha aur ab mere diye mithe tark ka bhi tod nahi tha unke dimag me..

khair,hum paanchon me se koi baat ko aage badhata ki tabhi...


RAAZ....!!!!!


ek baar phirse mere piche se kisine pukara mujhe par is baar is awaaz me narmi yaa hairani nahi balki ek guraahat thi jisse maine toh sirf suna tha par mere saamne khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne jab mere piche khade shaksh ko dekha toh naa sirf woh sab hairan hua balki un chaaron ki haalat bhi kharab ho chuki thi..

wahin un sabke facial expressions dekh mere face par phirse ek smile naach uthi aur mai dheere se palta piche aur dekha ki mere saamne kuch door par kaale labaade me dhaki ek behadh white skin ki milkiyat liye lady khadi hai...

kareeb 5.10 inch lambi behadh khubsoorat lady jiske chehre par ghamand aur rubaabh saaf jhalak raha tha...

aur apne teekhe nain naksh aur badi kaali gehri aankhon ke saath woh mujhe hi ghoor rahi thi..

khair,jaise hi mai us lady ki taraf palta toh ek pal aur unhone mujhe ghoora par phir unki nazar mere piche khade chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS par gayi joki ek ishara tha jisse un chaaron ne turant samajh liya aur agle hi pal woh sab wahan se gayab ho chuke the aur jab aisa ho gaya toh us lady ki anzar wapas mujhpar aakar tik gayi aur tabhi...


MAI-chehre par naarazgi par aankhon me dard, har pal badalte bhaavon ke beech ek thehri hui fikrmandi...

aisa toh tab hi hota hai jab koi apna yaa toh mar gaya ho yaa phir mout jaisi haalat me ho aur saamne woh banda khada ho jisne us apne ko us haalat me pahunchaya hai..

aur agar mera ye calculation sahi hai jo hamesha hota hi hai toh aap SEBIL hain, MABBA ki SISTER....


meri baaton ko sun ek pal us lady ke aankhon me zalzala sa aaya par phir khudko normal kar woh chalte hue mere paas aayi aur thik mere saamne aakar khadi ho gayi...

shaant aankhon ke piche se uski mere liye umad rahi nafrat jhaank rahi thi jisse dekh meri smile aur gehri ho gayi..

wahin kuch der mujhe dekhne ke baad...


SEBIL- tumhara calculation toh wakayi sahi hai par life me pehli baar SEBIL se kisiki taakat ko toulne me galti hui hai jiska natija uski behen ne bhugta hai...

par haan,mai ye bhi nahi maan sakti ki ek PHASE 2 ka SAVENT MABBA jaisi strong sorcerer ko naa sirf maat de de par saath hi usse us condition me pahuncha de jisme woh abhi hai...

EARTH PLANET se aaya ek anath ladka jo achanak se hi PHASE 1 me gayab ho gaya tha aur phir jab louta toh uski puri kaaya hi badal gayi...

is kaaya palat ke piche chuppe RAAZ yaa phir background ko bina jaane MABBA bhid gayi tujhse aur yahi uski galti thi...

par uski hi tarah tune bhi same galti kar di... MABBA se bhidne se pehle tujhe uske piche kaun khada hai,ye ache se jaan aur samajh lena chahiye tha...

woh rishte me behen thi meri par rakha maine usse apni bacchi ki tarah tha jiske jism par halki si kharoch bhi bardasht nahi thi mujhe aur tune toh usse ek tadapti mout si zindagi de di...

uske sharir ke baahri ghaav ke saath usse hamesha ke liye tadapne waale andruni zakhm bhi diye hain tune....

aur ye kar tune apne liye jeeteji HELL chun liya hai ladke...

tere sharir aur aatma ke har hisse ka khandan kar dungi mai...aisi haalat ho jaayegi teri ki taklif shabd ko bhi bepanaha taklif mehsoos hone lagegi....

kuch waqt jee le tu DHANG se,phir toh sukoon ko nikal jaana hi hai tere ANG ANG se....


apni baat keh us baat ke asar se meri aankhon me dikhne waale khouf ko dhundne lagi SEBIL par jo bhaav mujhme hai hi nahi woh bhala nazar kahan se aaye..

khair, SEBIL ki baat sun ab maine uski aankhon me jhaanka aur...


MAI-RAAZ...is naam ke piche ka ek RAAZ ye bhi hai ki tu jis HELL ki baat kar rahi hai,woh bhi is naam ko sun apna thikana badal leti hai...


mujhse takrakar hi teri behen ne apni bigdi HAALAT kar li...

aur sikhne ki jagah tune bhi uski tarah mujhse BAGAWAT kar li...


par isme teri bhi kya galti...ab kutte ki tedhi dum ke baare me duniya jaanti hai aur misaal deti hai,bas kutta hi hai jo apni is bewakufi se anjaan hai....

aur jis waqt ki tu baat kar rahi hai, woh mere liye nahi balki tere liye ek vardan ki tarah hai...

apne mastishk ke chakshayu ko khol man ki aankhon se apni behen ki haalat ko dekh aur tay kar apni niyati...

agar is dauran buddhi brasht karne waala sarp naa dase tujhe toh apni raah par chalte rehna par agar chutiyape ki goli hazam kar li tune toh aa jaana hamari gali...

vaada hai RAAZ ka,swagat me koi kami nahi rahegi...

par haan,mera raasta kaatne se pehle apni shakti ka aakhri kan tak ikattha kar lena kyunki...



tera kade se kada waar bhi RAAZ ke liye NARAM HI HOGA.....

par mera waar jhelne ka DUM tujhme KAM HI HOGA......

aage badhe pair piche hath sakte hain.....

par jo meri taraf chali tu,toh woh teri zindagi ka AAKHRI KADAM HI HOGA.....














AAJ KE LIYE ITNA HI......













AAPKA APNA V....J......
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF TEENO SOVES RAAZ AND FRIENDS KO UN SABKE EXERTION ME BEHTARIN PRADARSHAN KE LIYE TROPHY AUR HAR EK KO INDIVIDUAL GIFTS DETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ AUR SEBIL EK DUSRE SE PEHLI BAAR MILTE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-105



PLANET-GALEN


PLACE-CELESTE MOUNTAIN







YE BABA BHI MUJHE KAHAN KAHAN BHEJTE REHTE HAIN HAIN....???


BABA BHEJTE HAIN....!!!!!JADIBUTIYON AUR DUSRI HEALING SUBSTANCES KA NAAM SUNTE HI TERA MAN KHUDBAKHUD KHEENCHATA HAI USKE MILNE WAALI JAGAH KI TARAF...

AUR YAHAN BHI USSIKE LIYE AAYI HAI TU....


khudse hi sawal aur shikayat kar aur phir khudhi se hi khudko jawab dete hue kahi ye saari baat ek ladki ne...

subah ka waqt hai...aur is waqt woh ladki sir se lekar pair tak alag alag kapdon ke layers se dhaki hui thi...

reason...

CELESTE naam ke jis pahad me woh is waqt chal rahi thi,ye ek barfila pahad tha jisme filhal is waqt behad thandi hawayein chal rahi thi..

zyada uncha pahad nahi tha ye,par haan,lambayi iski kayi kelometres tak faili hui thi aur pichle 1 ghante se lagatar chalte rehne ke baad bhi yahan par padne waali sardi ki wajah se us ladki ke sharir me zyada garmi nahi chadh paayi thi...

ek LINER BALACLAVA joki sir se lekar gardan ka ka innerwear hota hai aur behad garm bhi,usse pehna hue tha us ladki ne...

sharir par bhi teen layers chadhaye hue the usne jisme sabse upar tha PUFFY JACKET jo filhal gale tak bandh tha..

fur ke hand gloves aur pairon me insulated winter boots pehne woh ladki badi tezi se us barf se dhake mountain par chadhi jaa rahi thi ki tabhi...

GRRRRR.......

ek ajeeb si awaaz ne us ladki ke tezi se badhte kadamo ko jaise ek jhatke me rok liya tha..

par uske pairon ke rukne ka kaaran awaaz nahi balki us awaaz ke piche jhalak raha dard tha jisse sun kar ansuna nahi kar paayi woh ladki aur uske kadam turant hi apne left ki taraf mood gaye jahan se woh awaaz aayi thi...

tezi se aage badhti hui woh ladki kuch aage hi gayi thi ki tabhi uske kadam ek baar phirse rook gaye..

reason...

usse thode hi aage ek bohot bada sa SNOW LEOPARD barf me gira pada hua tha...

ye ek gigantic WHITE LEOPARD tha jo kareeb 10 feet lamba aur 6 feet upar ki taraf utha hua tha...

is waqt uske pet se thoda neeche ek spere jaisa bada hathiyar ghusa hua tha jiski wajah se woh chhatpata tha hua barf par gira apni antim saansein le raha tha...

us spear ko dekh woh ladki saara maajra samajh gayi....

darasal mountain ke dusri taraf yahan se kareeb 10 km door ek shikari kabila rehta tha aur uske hi logon ne joki bohot hi khatarnaak aur daksh shikari hote hain, us leopard par humla kar uske andar ye spear ghusaya tha..

par yahan ke leopard bade se bade ghaav ko jhelte hue bhi kaafi der tak tezi se doud sakte hain aur isiliye hi ye leopard yahan tak pahunch paaya tha aur jab usse laga ki woh un shikariyon ki pohonch se door nikal aaya hai toh apne dard ka izhar karte hue jisse us ladki ne bhi suna tha,neeche gir gaya....

khair,uski aisi haalat dekh kar us ladki ko bohot bura laga aur usne turant apne kadam us leopard ki taraf badha diye..

wahin dheere dheere band hoti hui aankhon ke beech jab us leaopard ne kisi shaksh ko apni taraf aate dekha toh us bigdi haalat me bhi darane ke udeshya se halka sa gurra utha jisse sun us ladki ke chehre par smile aa gayi...

woh ruki nahi aur kuch hi palon me woh us leopard ke saamne baithi uske sir ko sehlane lagi...

us leaopard ko abhi bhi apne saamne baithe shaksh me ek dushman hi nazar aa raha tha jo uski buri haalat ka faayda uthane aaya hua tha..

yahi wahah thi ki us ladki ke usse chunne se woh apni bachi hui jaan aur shakti ko laga hilne dulne laga...

woh ladki bhi us leaopard ke dar ko samajh chuki thi aur isiliye...


LADKI-shhhh......daro mat shaant ho jaao....mai dushman nahi dost hun...mera naam ERRAPEL hai....


jaise hi us ladki ne naam bataya,woh leopard bilkul shaant ho gaya.uska chhatpatana band ho gaya aur woh tukoor tukoor apne saamne baithi ladki ko yun dekhne laga jaise usse barso se jaanta ho...

us leopard ki is harkat par ERRAPEL bhi halki muskura di jispar...


OOONNNN......


ek ejeeb si awaaz nikaal wo leopard ERRAPEL ke pair me apna sir ragadne laga maano keh raha ho ki usse bohot dard ho raha hai....

uski is harkat par ERRAPEL par uspar behadh pyarbbhi aaya aur uski is kashtdayi situation par daya bhi aayi aur...


ERRAPEL-toh tum mujhe jaante ho..fikr mat karo...kuch nahi hoga tumhe....

kuch hi palon me puri tarah thik ho jaaoge tum...

ye bol ERRAPEL ne apne PUFFY JACKET ki chain ko khola aur aisa kar usne apne haath andar daal ek choti sa pocket bag,jo usne apne jacket ke andar rakha hua tha,usse bahar nikala...

ERRAPEL ne us pocket bag ke chain ko bhi khola aur uske andar se do choti choti jadibuti nikali..

ek haath me dono jadi buti ko pakadte hue usne apne dusre haath se us spear ko pakda aur...


ERAPPEL-thoda sa dard hoga dost....jhel lena...


ye bol ek jhatke se u spear ko bahar kheench liya ERRAPEL ne aur uske aisa karte hi dk saath do chizen hui...

pehli....

ek dakar si nikli us LEOPARD ke mooh se joki saboot tha uske asahaniya dard ka aur dusri....

woh khoon jo us spear ki wajah se rooka hua tha, spear ke nikalte hi bhalbhala ke wahan jama khoon bahar nikalne laga...

wahin spear ko nikaalne par jaise hi leaopard ne dakar maari aur uska mooh khula toh ERRAPEL ne ek jadibuti ko turant uske mooh me daal diya aur aisa karne ke agle hi pal usne dusri jadibuti ko uske pet ke us bhaag me jahan se khoon nikal raha tha,uspar malna shuru kar diya...

us jadibuti ko zakhm par malte hue ERRAPEL kuch mantra budbudane lagi thi...

usse aisa karte hue kuch hi seconds beete the ki tabhi uske haathon ke neeche bane zakhm me ek white roshni ujagar hone lagi...

same roshni us leopard ke mooh se hote hue uske andar bhi jagmane lagi jahan pehli jadibuti gayi thi....

kuch pal yunhi enchant karne ke baad ERRAPEL ka mooh band hua aur woh khadi ho gayi..

abhi usse khade hue 30 second bhi nahi hua tha ki tabhi us LEOPARD ke saare ghaav us second jadibuti aur usse utpann roshni rupi urja se puri tarah bhar gaye aur saath hi saath jo pehli jadbuti uske mooh se hote hue uske andar gayi thi,usne bhi apna kaam kar diya tha...

jo blood loss us LEOPARD ko hua tha,woh wapas bhar gaya tha aur saath hi us spear ke nok me mile zeher ka bhi prabhav khatm ho chuka tha...

ek nayi urja bhar chuki thi us LEOPARD me aur isiliye woh jhat se apne chaaron pairon par khada ho chuka tha..

khade hote hi us leopard ne apna sir ERRAPEL ke kadmo me jhuka diya jisse dekh muskura uthi ERRAPEL aur...


ERRAPEL-ab tum pehle se zyada shaktishaali ho dost....saath hi jadibutiyon ki atirikt urja ki wajah se tumhare sharir ka bahari khaal aur saath hi anduri self heal ki shakti bohot zyada badh gayi hai...

ab koi bhaala aur aam shashtra tumhe aghaat nahi pahuncha paayenge....

par ye nayi shakti tumhe isiliye mili hai taaki tumhe nuksaan naa pahunchne...

isiliye nahi taaki tum kisi par akaran humla kar apna shakti pradarshan karo...

agar aisa kuch kiya toh mai khud tumhe maar dungi..


behad aaram se kahi thi ye saari baat ERRAPEL ne par uski is nirmal awaaz me bhi ek aisi dridhta aur sacchayi thi jisse sun aur samajh bhi gaya woh LEOPARD...

yahi wajah thi ki ERRAPEL ki baat khatm hote hi uske boots ko chaatkar jaise haami bhari us LEOPARD ne...


ERRAPEL-ab tum jaao dost..mujhe bhi kahin jaana hai aur mai pehle hi der ho chuki hun...


ERRAPEL ki baat sun ek baar phirse uske boots ko chaat woh LEOPARD tezi se ek disha ki taraf chala gaya...

LEOPARD ke jaate hi ERRAPEL ne bhi apne kadam apne manzil ki taraf badhaye hi the ki tabhi...


ERRAPEL.....KAHAN HO TUM....???GHAR LOUTO TURANT....


ERRAPEL ke kaano ne gunji ye awaaz jo thi uske baba ki..

kareeb 5 km door se pukari gayi ye awaaz sun li thi ERRAPEL ne...

khair,apne baba ki awaaz sun....


ERRAPEL-ye baba bhi naa..ek pal chain nahi rehta inhe...abhi toh aur najaane kitne door jaana hai aur ye wapas bula rahe hain mujhe...

par ab baba ne awaaz de di hai toh ghar jaana hi padega...ek kaam karti hun,kal thodi aur subah niklungi ghar se taaki waqt par apne kaam ki jadibuti haasil kar ghar bhi pahunch jaaun...

ye sab soch ERRAPEL ke kadam wapas apne ghar ki disha ki taraf mood gaye....






PLANET-ELYSIAN


PLACE-MAHI'S ABODE






HOW ARE YOU FEELING NOW MISTRESS....????


MAHI jiski just kuch seconds pehle hi behoshi tuti thi aur woh apne bed par uth kar baithi thi,uske saamne khadi ELUSORY ne usse ye sawal kiya tha...

kuch ghante pehle behoshi ki haalat me jaise hi MAHI ki body yahan uske ABODE me prakat hui toh uski ELUSORY usse turant HEALING ROOM me le gayi jahan ye baat pakki ho gayi ki MAHI bas behosh hai aur kuch der me uski sense wapas aa jaayegi..

ELUSORY ne usse wapas uske room ke bed par leta diya tha jiske baad abhi usse hosh aaya tha....

aur filhal uska sir behadh halka lag raha tha...

khair, ELUSORY ke sawal ko sun...


MAHI-ya i am feeling good...

ELUSORY-MASTER RAAZ aapse milne aaye hain aur abhi hall me baithe hue hain...kya aap unse milna chahengi...???


ELUSORY ki baat sun MAHI jo abhi apna sir neeche kiye hue EXERTION ke waqt yaa phir ye kahun ki RAAZ ke saath compete karte waqt jo feel kar rahi thi,uske baare me hi soch rahi thi tabhi ELUSORY ne ye baat kahi jisse sun bina kuch kahe woh turant apne bed se utri aur hall ki taraf badh gayi....


MAHI-RAAZ...


hall me mai baithe hi hua tha ki tabhi MAHI ki awaaz sun mera chehra uski taraf ghuma aur...


MAI-how are you feeling now....??

MAHI-i am good... great actually...and all thanks to you...tumne apna promise pura kiya...

tumne kaha tha ki EXERTION ke baad mai puri tarah theek ho jaaungi aur wakayi mai ho gayi...

MAI-kisne kaha ki tum thik ho gayi ho....??


meri baat sun halki chownki MAHI aur...


MAHI-matlab...!!!kya mai thik nahi hui...???par i am feeling perfectly ok now...

itne dino me pehli baar mera dimag pura halka lag raha hai...

MAI-woh isiliye kyunki exertion me jo ray tumhe lagi thi,uski wajah se tumhare brain me basi BLACK ENERGY behosh ho gayi hai...

par hai woh ab bhi tumhare andar hi...


meri baat sun pehle toh halki maayus hui MAHI par phir kuch soch...


MAHI-phir mai thik kaise ho paaungi aur mujhe pata kaise chalega ki mai thik ho gayi..???

kyunki tum keh rahe ho ki mere andar ab bhi BLACK ENERGY hai lekin feel toh mai waisa hi kar rahi hun jaisa un books ko padhne se pehle karti thi...

MAI-kya relaxation ke saath koi guilt feel ho raha hai tumhe...!!!!

MAHI-guilt!!nahi..aur is baat ka guilt...???

MAI-jab thik ho jaaogi toh guilt bhi hoga aur us guilt ka reason bhi pata chal jaayega...

MAHI-pata nahi tum kya kya bolte rehte ho...?samajh hi nahi aata...

EXERTION se pehle bhi tumne kaha tha ki competition ke waqt mai tumse baat naa karun par iska reason nahi bataya...

aur abhi kuch der pehle tumne kaha ki mere brain me basi BLACK ENERGY behosh ho gayi hai...

par ye kaise hua,ye nahi bataya...???

MAI-kyunki tumne pucha nahi....

MAHI-jaise mai puchti aur tum bata dete...!!!!

MAI-EXERTION se shuru karte hain...baat naa karne ki baat maine isiliye kahi thi kyunki competition me competitors ko apne dushman ko tarah samajhta hai BLACK ENERGY..

aise me us competition me tumhara mujhse normally baat karna usse acha nahi lagta aur woh tumhe pain deta....

aur rahi baat tumhare andar base us BLACK ENERGY ke behosh hone ki toh tumhe ye toh yaad hi hoga ki tumhare behosh hone ka kaaran ek ray ka tumhe hit karna tha..

wo ray VIDEOUS ki thi jo usne mujhe target kar chhodi thi par lag woh tumhe gayi..

ab VIDEOUS bhi wahi books padhta hai jisse padhkar tumhare andar woh negetive energy rook gayi hai isiliye uske waar se bhi ussi black energy ke kan nikle the aur jab woh kan tumhe lage toh tumhare saath us BLACK ENERGY se bhare ray ne apne hi tarah ke ray ko hit kiya aur issi wajah se tumhare saath tumhare brain se chipki ENERGY bhi behosh ho gayi hai...

simple...

MAHI-ohhh...par tumne ye nahi bataya ki ye mujhme se bahar kaise niklegi..???

MAI-negetivity ko sirf positivity hi door kar sakti hai...

ek negetive stuff chant karne se brain pierce hua hai tumhara,jo sirf kisi positive stuff ke intake se hi wapas pehle jaisa ho sakta hai...

MAHI-positive stuff..!!!woh bhi CHOSENS me..tum bhul rahe ho ki CHOSENS me positive aur negetive jaisa kuch bhi nahi hai...

lMAI-postive aur negetive chizen nahi sirf dekhne ka nazariya hota hai MAHI.. anyways,har bande ki beeti journey me uske future ke raaste ko banane ka hint zaroor hota hai,bas jhaankne aur samajhne ki der hai..

aankhen band karo apni aur maaro reverse gear...dekho,koi medicine guzre raaste me gir toh nahi gayi..!!!


meri baat sun ek pal mujhe dekh MAHI nr apni aankhen band ki jiske agle hi pal uske dimag me beete lamho ke flashes chalne lage..

EXERTION se hote hue woh piche jaane lagi aur dekhte hi dekhte woh
dekhte dekhte woh pahunchi FORBIDDEN FOREST ke 2 din waale adventure tour par aur jab aisa hua toh ek jhatke me uski aankhen khul gayi aur aisa hote hi usse laga shock..

reason...

main palat kar jaa raha tha aur mujhe yun jaata dekh..


MAHI-RAAZ mujhe..

MAI-jawab mil gaya hai..pata hai mujhe...


uski baat ko maine pura kiya jisse sun woh ek baar phirse chownki aur..


MAHI-tumhe kaise pata...???


ab tak mai exit door tak pahunch chuka tha par MAHI ke is sawal par wahin rook bina palte...


MAI-jisse jawab ke liye sawal ki zaroorat ho,woh RAAZ nahi...


jahan ye bol mai gate se bahar nikal gaya wahin meri baat sun MAHI halki muskurayi aur..


MAHI-kuch bhi bolta hai ye ladka...


ye bol MAHI ki nazar apne right ki taraf sofe ke aage rakhe table par gayi jahan dekh woh ek baar phirse chownk gayi aur turant us table par rakhe chiz joki ek patli si book thi,usse utha liya aur usse utha woh hairan bhi dikh rahi thi aur khush bhi..


MAHI-FINDING RADHA.....


yahi tha woh book ka naam jo is waqt MAHI ke haath me tha aur issi book se ho related tha woh jawab jo MAHI ko aankh band karte hue mila tha..

darasal FORBIDDEN FOREST me SAVENT OF THE DAY ko jeetne ke liye RAAZ ne jo RADHA KRISHNA ka example diya tha,us example se hi MAHI ke andar basa BLACK ENERGY sabse zyada unstable hua tha..

MAHI ko us waqt aisa kag raha tha jaise uske BRAIN me kuch hai jo RADHA KRISHNA ki kahani nahi sunana chahti jisse MAHI samajh gayi thi ki ye do naam hi usse BLACK ENERGY se nijaat dila sakte hain...

us book ko haath me pakad halki muskurayi MAHI aur..


MAHI-jisse jawab ke liye sawal ki zaroorat ho,woh RAAZ nahi...


jaane se pehle mere kahe aakhri lines dohraye MAHI ne aur...


MAHI-ye ladka wakayi apne naam ki hi tarah hai..ek RAAZ....





PLACE-VIDEOUS ABODE





AANKHON ME ITNI SHARMINDAGI KYUN...????


hosh me aane ke baad ye pehle shabd nikle VIDEOUS ke mooh se jisse sunane ke baad bhi teeno DEVOTEES chup chaap sir jhukaye baithe rahe jispar...


VIDEOUS-jeet ki neev agar haar ke imarat ke neeche bhi rakhi jaaye toh us haar ki taakat jeet se kayi guna zyada hoti hai....


VIDEOUS ki baat sun teeno DEVOTEES ke jhuke hue sir ek jhatke me upar uth gaye jinme ab sharmindagi ki jagah sawal dikhne laga tha jisse dekh...


VIDEOUS-sabse pehle mere ek sawal ka jawab do....

aaj mai kisse haara hun....???

1ST DEVOTEE-RAAZ se...


halke dar ke saath jhijhakte hue kahi ye baat us DEVOTEE ne jispar pehle toh VIDEOUS muskuraya par phir...


VIDEOUS-galat....mai RAAZ se nahi balki apne dono FATHERS se haara hun...


VIDEOUS ki baat se halke hairan ho...


TEENO-matlab..???

VIDEOUS-matab RAAZ ke aage aaj mai bas isiliye tik nahi paaya kyunki iska intazam badi chaalaki se aur ek behtarin plan ke saath mere dono FATHERS ne bohot pehle hi implant kiya tha...


VIDEOUS ki baat ka matlab ab bhi RAAZ hi tha un teeno DEVOTEES ke liye aur isiliye unke facial expressions pehle se hi the jisse dekh VIDEOUS ne apni baat age badhayi...


VIDEOUS-shakti ke maamle me RAAZ mere aage nahi tik sakta,ye baat bohot ache se pata thi mere dono FATHERS ko aur woh dono ye bhi jaante the ki woh RAAZ ko directly extra shakti nahi de sakte isiliye unhone ek dusra tarika dhund liya..

WEAKLINGS SAVENTS ke andar unhone shakti ke alag alag hisso ko ikattha kiya taaki RAAZ unke zariye us taakat ko extract kar sake...

unhe ye bhi pata tha ki sirf WEAKLINGS hi aisi catagory hai jispar mai kabhi dhyan nahi dunga isiliye unka plan kaamiyab zaroor hoga aur hua bhi...

behadh salike se aur mere naak ke neeche se RAAZ ne un WEAKLINGS ki shaktiyon ko khud me samet liya....

MASTER STROKE.....


jahan apni baat keh muskurane laga tha VIDEOUS wahin VIKRAM aur ASMODEUS ki planning ko jaan halke ghusse ho gaye teeno DEVOTEES aur...


1ST DEVOTEE-aadesh den LORD...hum un sabhi WEAKLINGS ko jinki wajah se aaj aapki haar hui hai,abhi khatm kar dete hain..

VIDEOUS-waah,kya josh hai...waise behosh toh mujhe RAAZ ne kiya tha,usse maarne ki baat nahi nikli tumhare mooh se...


VIDEOUS ke vyang ko samajh hadbada gaye teeno DEVOTEES jispar..


VIDEOUS-hmm..aukaad se bahar hai naa woh masla...arre murkhon,jinhe khatm karne ki baat tum kar rahe ho,woh sab apni baanti hui shaktiyon ki wajah se RAAZ ke saath jude hue hain...

agar unhe chot pahunchi toh RAAZ ko khabar ho jaayegi aur RAAZ ko khabar matlab tumhari kabar..

ek baat aur,GOD GIFT shaktiyan jo un WEAKLINGS se RAAZ ko mili hai,uska aadha hissa ab bhi unme hi hai aur isiliye unhe maarna asaan nahi hai kamsekam tab tak toh nahi jab tak RAAZ zinda hai...

aur waise mai chahta bhi nahi ki un sabko kuch ho..un sabko toh bohot sambhaal kar rakhna hai mujhe...


ek devilish smile naach uthi thi VIDEOUS ke face par ye baat kehte hue jisse sun...


TEENO-hum samjhe nahi....????!!!!

VIDEOUS-samajne waali baat ye hai ki jab saamna buddhi se ho, toh jawab bhi buddhi se hi diya jaata hai...

FATHERS ne apni chaal chal di aur ab meri baari,par meri chaal se mujhe afsos bas is baat ka reh jaayega ki mai RAAZ ko khatm nahi kar paaunga...


VIDEOUS ki baat sun bohot zyada hi shocked ho gaye the uske teeno DEVOTEES..

ab jis bande ko khatm karna hi VIDEOUS ka lakshya hai,usse woh khatm nahi karega,ye sun shock toh hona hi tha un teeno ko aur isiliye..


2ND DEVOTEE-aap RAAZ ko khatm nahi karenge toh apne FATHERS ko kaise haraayenge...???

VIDEOUS-tum teeno wakayi bwwakuf ho yaar...lines toh theek se sun liya karo..

maine kaha mai usse khatm nahi kar paaunga,ye toh nahi kaha ki woh khtam hi nahi hoga...

jin WEAKLINGS ko FATHERS ne RAAZ ke shakti kunj ki tarah chuna hai,jin WEAKLINGS ke zariye aaj RAAZ ne mujhe shikast di hai,ab wahi WEAKLINGS RAAZ KO MAARENGE.....


VIDEOUS ne jo faisla liya,woh kaise hoga,ye toh teeno DEVOTEES nahi jaante the par VIDEOUS ki planning fail nahi ho sakti,ye woh teeno bohot ache se jaante the aur isiliye unke chehre par bhi muskaan naach gayi aur...


3RD DEVOTEE-hamare liye kya aadesh hai...???

VIDEOUS-zyada nahi,bas nazar rakho un WEAKLINGS par...


jahan VIDEOUS ki baat sun ek baar uske aage sir jhukakar gayab ho gaye teeno DEVOTEES wahin unke jaane ke baad apne chehre ki muskaan barkarar rakhte hue..


VIDEOUS-FATHERS... tikdam toh bohot sahi lagaya aapne aur ye zaroori bhi tha kyunki...




ek VIDEOUS aap sab par akela BHAARI HAI.......

RAAZ,aaj tune jo kiya woh tera mujhpar UDHAARI HAI....

baazi bhale tune jeet li hai aaj magar......????!!

jung jeetne ki ab,meri BAARI HAI..........















AAJ KE LIYE ITNA HI.....















AAPKA APNA V...J......
 

Top