- 855
- 1,062
- 123
Main bahar ayi, aur kitchen main chali gayi. Oct ka mahina tha. aur barish se hawa bhee thandi ho gayi thee. Matlab saaf tha abb sardiyan anne ko hai. Jab main kitchen main phunchi, to meri beti ne poocha. “maa kiska phone tha” maine apne aap ko sambhale hue kaha.”wo mere ek saheli ka phone tha. tum nahi janti unko. Wo kisi kaam se apne bête ke sath yahan ayi thi . Aur time se wapis nahi jaa payi to, aaj raat wo yaha humare ghar par rukege. Tum thoda sa khanna jayda bana lo.
Soniya: maa theek hai. Par ghar par doodh nahi hai. Unko chai to pilani hai naa.
Main: haan theek hai main dukan se doodh lekar atti hun.
Phir main ghar ke bahar ayi, to dekha barish abb dheemi padh chuki thi . Tej hawa ke sath barsih ke halki phunwar ka alaghee ahsaas ho raha tha. humara ghar ek chote se kasbe main tha aur ek ghar dusre ghar se kafi duri par thee. Main raste par chalti hui dukan par phunchi, doodh ka packet liya, aur phir ghar ke taraf chal padhi.
Main jaise hee ghar ke bahar phunchi to peeche se gadi ki awaz aye. Gadi humare ghar ke bahar akar ruki, maine palat kar dekha to usme se neeta neeche utar rahi thee. Neeta ne mere taraf muskarte hue dekha, aur phir mere pass akar muje galle se mili. “ohh rekha. Kitne saalo baad dekh rahi hun tuje.” Tabhi mere nazar peeche khade ladke par padhi. Jo taxi driver ko paise dee raha tha. jaise maine uski taraf dekha. Main ek dum se harian ho gayi
Bahut khub likha hai. Ek garib aurat jo itni majbur hai ki na pati hai na paise hai.paise ki majubruri ne ek aisa kaam karba diya ab dekhte hai. Dono ma beti ke jeewan me kya badlab aata hai