Update 5 of chudail
Ab aage
Kahar jab Kaweri ko iss roop mai dekta hai mantra mugdh ho jata hai
Raja kahar se puchta hai Ki yeh kaun hai
Kahar raja ko kaweri ne jo kahar ko bataya tha woh juthi kahani suna deta hai
Raja bolta hai Ki aap humare sath humare rajya chaliye
Hum waha aapke rahne Ki wayvastha
Karwa Denge
Kaweri kehti hai rah toh mai lungi lekin koi sathi na ho iss umar mai toh
Zindagi kaatna muskil ho jata hai
Raja ko tab dhyan aata hai ke raja ke mama ka beta jo Ki mahalpur ka raja tha uski patni ka 1 mahine pehle maut hua hai
Raja usi samay toh unke samne yeh baat nahi karta lekin mahal mai karne wala tha
Raja Kaweri se kehta hai Ki hamre rajya mai aapka viavah bhi ho jayega
Yeh bharosa dilakar raja Kaweri ko vachan deta hai Ki aaj se mai tumhara Bhai hu
Ab chudail ka maya nagar khatam ho chuka tha chudail ke marte he raja aur kahar dikh ne lage the sainik wahi unki pratiksa mai baithe baithe so gaye Thea
Kahar unko uthata hai
Saare sainik khusi se jhum uthte hai
Lekin sabhi ke maan mai sawal tha Ki woh aurat kaun hai
Raja kehta hai aaj se yeh hamari Behan hai kaweri
Sab chakit rah jaate hai
Kahar sab ko Saari baat batata hai
Ab sab ghode par chalke nikalne lage
Lekin Kaweri ke liye ghoda nahi tha
Tab kahar usse apna ghoda de deta hai aur khud paidal chalne lagta hai
Yeh dekh Kaweri ka prem kahar ke liye aur bhi badh jaata hi
Phir kuch dur chalne par raja ko yaad aata hai Ki usne toh sirf kahar ko apne sath aane ko kaha tha phir yeh sainik kaha se aaye
Raja chillate hue kahar tumne Raj aagya ka palan nahi kiya jab Maine kaha tha Ki mai aur tum hi chudail ke pass jayenge toh phir tumhari himmat kaise hui sainiko Ki tukdi ko apne sath laane Ki
Kahar ne raja ko samjhate hue maharaj agar hum chudail Ko maar. Nahi paate toh uske krodh se humien koi
Nahi bacha pataa isilye humne sainiko Ki ek tukdi ko apne sath
Rakha tha
Raja thik hai phir bhi tumhne raaj agya ka ullanghan kiya hai iski saza tumhe awasy
Milegi
Kahar Jo aagya mahraj
Raja wahi raste mai he kahar ko dand sunate hue Ki tumhe abhi isi waqt humare mama ke rajya jakar unke putra vijay varkonda ko humare mahal aane ki suchna deni hogi
Kahar
Jo aagya mahraj kahar sainik se ghoda maangata hai
Raja
Tumhe paidal jaana padega
Iss baat par Kaweri raja se sainy bhaiya
Kahar ko ghoda le jane dijiye
Raja aap kehti hai toh thik hai
Ja kahar aaj Hume Behan mil gayi iss khusi mai
Mai tujhe ghoda le jane Ki ijajat deta hu
Kahar ghoda lekar nikal jata hai
Mahalpur yaha se 80 km dur tha kahar ko 2 se 3 Din lagne wale the a
Aage dekhiye kya hota hai
Kahar Ki mahalpur yatra mai