Shuruwaat kaafi dilchasp huyi hai kahani ki.... dadi jaise prem ke ghar pe grahan ban ke baith gayi ho.... uske liye ghar ke members, specially ladkiyon ka koi mol nahi hai.... yahan tak ki zarurat padi to bech bhi sakti hai .... aise hi ek ghar ki ladki, I mean to say.... Khud ki poti ko bech di usne. Kya uska dil ek baar bhi kaanpa aisa karte huye....
Khair..... Kahani aage badhi to ... paristhitiyon se majbur hoke prem ek khooni tak ban gaya .... jab uski bahan ki aabru ki bachane ki baat aayi to...
Itna kam nahi tha ke ek aur hairaan aur dardnaak mod aaya kahani mein.... thakur ke kehne par jish jagah bag pahunchane gaya tha...wahan log dagabaaz nikle aur prem pe hamla kar diya.... lekin hairaani ki baat ye thi ki prem ko kuch nahi hua....... koi alag hi shakti thi us mein... lekin kya ye to aane wala waqt hi baata sakta hai..... khair ... Par jab usne khud ko bachaane hetu palat war kiya to un dagabaaj logo ke saath saath unke sath rehne wali kayi ladkiyon maut ho gayi.....
lekin dardnaak haalat tab bani jab prem ko pata chala ki marne wali mein se uski bahan bhi thi....
Well..... ab kya karega prem? Uski amar hone ke piche kya raaz hai?
Btw....Shaandaar kahani, shaandaar lekhni, shaandaar shabdon ka chayan aur sath hi dilchasp kirdaaron ki bhumika bhi ...
Let's see what happens next..
Brilliant update with awesome writing skills
