Baloch:wo ek balti 25 hazar ka banta hai
Nisar:kiya or ap sab osko pani me aise hi phenk rahe the itni mehengi
Manzoor:wo 4 balti ek lakh me bana hai or agar hum pani me wo na phenkte to itna shikar bhi na lagta
Farman:osme aisa kiya hai jo itni mehngi hai or kiya dalta hai osme
Me:ye ek honar hai jo kisi ko u hi nhi bataya jata
Nisar:phir bhi sir hum konsa is tarkeeb ko kisi ko bataige
Manzoor:buhat logo ko maloom hai magar koi achi tarah bana nhi sakta hum apko bata bhi dega to ap bhi nhi bana sakte
Farman:wo kese
Manzoor:isme 70 chiz dala jata hai or kuch chize sasti hai jese daal hogaya or das bara chiz sasta hai baki sab mehnga hai
Nisar

alta kiya kiya hai isme
Manzoor:hing maloom hai
Farman:ha jo pansar k pas milti hai wohi na
Manzoor:ha wahi wo bhi dalta hai isme
Farman:wo to buhat mehngi hoti hai
Baloch :hum yehi to bol rahe hai buhat mehngi chize dali jati hai jo aam shikari hota hai wo bhi charai marta hai pani me magar wo asal chize jo mehengi hai wo nhi daalta wo moshion k liye charai banata hai
Farman:mtlb
Manzoor:mtlb ye wo charai mare ga 3 ghante roke ga phir shikar khele ga osme chans kam hota hai or isme buhat ziyada hota hai chance
Farman:hing k ilawa or kiya kiya dala jata hai
Manzoor:machli ka tail jari botiya or masale buhat kuch dala jata hai sab chiz ek number bhi hona zarori hai oske liye tajurba bhi zarori hai
Farman:phir to ye aam shakari k liye mumkin baat nhi
Baloch :hum bhi yehi bol rahe hai
Me:ab samjhe ap kese pese ka shikar hai
Both:g sir
Me:captain sahab mujhe dilawar chacha se baat karni hai kuch kare ge ap
Captain:g sir me abhi karwadeta ho