update 6
Ab tak.......................
.
.
kalpana buaa- tumhe to mai yad bhi nhi hungi na kishan....?
mai iss sawal se jhep sa gya...
me - sach kahu to mai aaplogo se aaj pahli bar mila hu.....to aap se kabhi mila hi nahi to aap yada kaha se rahogi buaa.....
kalpana- dekho pahle ye bua bua bolna band karo yar .... jara dekho khud ko ....mujhse 1 fit lamba ho chada ho aur itna smart bhi........kaha se tum mere bhatije lagte ho ....
aur hann mai kya tumko adhed umr ki aurat dikhti hu kya...
me- par rishte me to aap mere bua huye na to mai aise hi kaise kuchh bol sakta hu....
kalpana- pehli bat ki mai tum se matra 6 sal hi badi hu ..... wo bhi dekhne se to nhi lgta hai .... kaha tum pehalwan se aur kaha mai......
aur dusri bat ye ki mai tumhare sath bachpan me bahot kheli huu.... tab tum mujhe shirf kalpi keh kar bulate the......so abhi bhi waise hi bula sakte ho ......
.
.
Ab aage...
Kalpana bua ki baat sunne ke baad mujhe thoda ajeeb laga mai to innse pahli baar mil raha tha par ye bata rahi hai ki inhone mujhe bachpan se dekha hai ....to mujhe kyu yaad nhi hai ki mai apna bachpan kalpana buaa ke sathh bhi bitaaya hun. khair mai bhi koi aur argument nhi karna chahta tha inn bekaar si baato me to mai bhi kalpana bua ki baat maan liya .
me - thik hai buaa , sorry kalpi mai ab se aapko kalpi hi bola karunga , khush
kalpana- ye huyi na koi baat ..... chalo ab fresh ho jao aur aaram karna chaho to thoda der aaram bhi kar lena tum dono bahot thak gye hoge safar ki vajah se.
abhi ham log baat hi kar rahe the ki ek pyaari si bacchi upar chhat se daudte huye aayi aur mammi mammi kehte huye radhika chachi ke paas aa pahuchi.
radhika - ab kya hua tumhe pinki beta kyu chilla chilla kar ghar sar pe chadha rakhi ho .
pinki - mumma dada ji mujhe promise kiye the ki aaj bagiche ki taraf mujhe ghumaane le kar jayenge par wo abhi tak apne kaam me lage huye hai ,unhe bulaao na mumma mujhe bagiche e jana hai ... mai koi badmashi mhi karungi.. promise aur era promise dada ji wala jhutha promise nahi hai pinki ka promise pinki promise hai.
lagbhag ek hi saans me pinki ne itni saari bate keh daali. jise sun kar waha mojud sabhi ke chehre pe muskaan aagyi.pinki thi bhi bahut hi cute si bachhi jise dekh kar saitan ko bhi pyar aajaye.
'dekho pinki beta abhi dada ji bahot bussy hai .bua ki shadi hai na to uske liye dher saara kam bhi to krna padega .. hai na . jab tumhare papa aajaye na to unke sath chale jana bagiche me .
pinki - nahi mamma papa mujhe waha akele chhod kar apne dosto ke sath lag jaate hai gapp karne mujhe nhi jana papa ke sath . mai buaa ke sath chali jaau . buaa ko bhi bagiche wali jhula jhulna achha lagta hai .
kalpna- are kyu nhi merri Barbie Dall ko mai le jaungi bagiche me aur dono sath me jhula bhi jhulenge, kyu.. jhulogii na mere sath tum bhi jhula.pinki- haaa buaaa mai bhi aapke sath hi jhulungi par ye dono uncle kon h ?
kalpana- are mai to aapko batana hi bhool gayi ye hai tumhare kishan bhaiya aur wo unke friend rajnish bhaiya .. namaste karo dono ko jakar
pinki- hello bhaiya .. ap bhi chalo na hamare sath khelne bagiche me, aur aap bhi rajnish bhaiya ... chalo na sab sath me khelenge
tabhi upar sidhiyo se bijendra singh apne sathiyo ke sath niche aaye aur aate hi unhone pinki ko god me uthate huye kaha...
bijendra- kaha jane ki baat ho rahi hai bhai akele akele are koi hame bhi puchh lo...
mai aur rajnish sab se pahle dada ji ke charan sparsh kiya aur unka aashirwad liya .
radhika chachi bhi sar pe pallu kar ke side ho gayi .
pinki- mujhe aap se bat nhi karni dadu , aap bahut bure ho... aap apna promise bhul jaate ho... aap jao un uncle log ke sath jhula jhulo ... huhhhh
bijendra- are baap re .... itna gusssaaa ,
maaf kar do meri pinki princess . are budha ho gya hun na to bhul jata hun .. par aage se aisa nhi hoga. pakka wala promise
pinki- nhi aap pahle pinki ki pinki promise do tab mai aap ko maff karngi dadu warna aap nahi aa sakte hamare sath bass
bijendra- thik hai baba ... pinki bitiya ki pinki promise ab dubara aisi galti nhi hogi ... khush
pinki khush hote huye - bahut jyada khush......
fir bijendra dada mere pas aate hai aur mere kandhe pe apna hath rakhte huye mujhe kahte hai ...
bijendra- kaise ho kishan bete ... aane me pareshani to nhi huyi koi.
me- nahi dada ji ... sab acha hai aur mujhe yahan aane me bhi koi problem nhi hui .. bas abhi fresh hone hi ja raha tha.
bijendra- thik h jao fresh ho jao aur agar aaram karna chahte ho to aaram bhi kar lena , ham thoda apni laadliyo ko bagiche ghuma kar aate h
me - thik h dada ji ... aur ab se koi bhi kaam hoga to hame bataiyega dada ji .. jab ham aagye hai to aap inn kaamo me pareshan ho ye achha nhi lagea hame ... aur daadi ko pata chala to wo bhi gussa karegi .
bijendra- haste huye.... achhi bat h bete ... bilkul apne dada jaisi hi ho tum... jao aaram karo ham baad me milte h tum se. (chachi se ) jao bahu jakar inndo ke liye kuchh nashta bana do jab tak ye fresh hote h ... (ham dono se) kuchh nashta kar lena bacho fir aaram karna .
me- thik hai dada ji .
fir bijendra dada ji pinki aur kalpana bua ke sath bahar nikal gye aur ham dono room me chale gaye jaha ham dono ko rukna tha .....
room me jaane ke baad sabse pahle ham dono fresh huye....jab tak chachi nashta le aayi .
jabse ham iss haveli me aaye the meri radhika chachi se koi bhi baat nahi hui thi ... to maine hi baat karne ki pahl karne ka socha par mere pahle hi chachi ne mujh se kaha
chachi - ye lijiye kishan nashta kar lijiye pahle uske baad aram kar lijiyega, aur chahiye jo bhi ho to boliyega , sharmaiyega nahi.. chachi nahi to ek dost samajh kar hi mang lijiyega jo bhi aapko chahiye ho , waise bhi aap ham se jyda chhote to ho nhi to dost hi samjhiyega mujhe .
me - jarur chachi ji ... ye bhi to mera hi ghar hua to mai bhala kyu sharmane laga apne hi ghar me ,aap pareshan mat hoiye agar kisi chiz ki jarurat padi to mai khud mang lunga ya ja kar le lunga.
chachi- achhi baat h...waise aapke ghar se baaki sab kab aane wale hai.
me- dekiye kal sham tak ki bat dadi bataye the . to kal sham tak wo log yaha aajayenge.
waise chacha ji kahi dikhe nhi chachi.
chacha ka nam sunte hi hi chahi ke haste khilte chehre par mayushi aagyi......
.
.
.
. aaj ke liye liye ;;;;;;;;