Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)written by vj4u

Member
182
254
43
"AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ANI AUR SAM KO SENIORS FAREWELL PAR EK SALSA PERFORMANCE KE LIYE CHOOSE KARTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF SANVY DIMPLE KI SIGNUP SHIRT ME THOUGHTS LIKHTA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

UPDATE-91

DATE-9TH FEBRUARY

FAREWELL CELEBRATION

PLACE-SIRIUS, BANQUET HALL

WOW YAAR ...DDECOR TTOH EKDUM TTOP NNOTCH HAI...

BANQUET HALL me kadam rakhte hi pure hall ki sajawat dekh kaafi excited dikhne laga tha SONU...

lazer beams lage the chaaron hi edges par jinhe filhal aadha hi jalaya gaya tha...

sparkles har taraf faile hue the aur FAREWELL...ye word bhi 3rd screen ke saath har taraf lagaya gaya tha...

ek taraf 12th students ke baithne ke liye bohot se lounge sofas rakhe hue the aur dusri taraf teachers aur kuch khaas parents jinke bacche aaj perform karne waale the, unke liye lounge chairs rakhe hue the...

wahin 12th ke filhal aadhe students hi abhi tak pahunche the jinka swagat 11th ke students kar rahe the...

non 11th aur 12th students ko chhodkar bas faculty members aur special parents hi allowed the is farewell party me...

par hum three stooges phir bhi aaye the idhar...REASON...

NITS bhai sahab..subah se SONU ko le mere ghar pahunch mera aand pura khaa chuka tha woh aur isiliye hi frustration ke beech bhi apni chutti kharab kar SIRIUS aaya tha mai...

NITS-satya vachan bhai...kamal ka decoration hai... hall ka bhi aur hall me ghumne waaliyon ka bhi...

school ki girls ko normally school uniform me dekhne ki aadat thi hum logon ki...

par aaj aisa nahi tha...yahan moujud sabhi girls civil dress me thi...

waise bhi SIRIUS ki girls pure DEHRADUN me apni hotness ke liye mashoor thi aur aaj toh unke pehnaave ne unki khubsoorati ko kayi guna badha diya tha jispar chaaron taraf behadh tezi se gardan ghum rahi thi NITS ki...

SONU-abbe saale,ssab sseniors hain idhar...aise gghurna bband kkar nahi ttoh fokat mme ppela jaayenge apan...

wwaise bbhi allowed nnahi hain hum iddhar...

chal bbhai,nnkkalte hain...

NITS-abbe kuch nahi hota...rukte hain thodi der...

YAHAN KYA KAR RAHE HO BE TUM LOG...!!!

KAMAL TIWARI tha ye...!!B SECTION ke AJAY TIWARI ka bada bhai...yaad toh hoga hi...(26th update)

ek baar suta chuka hai SANVY se ye...

kuch friends ke saath hum teeno ke saamne khada ho gaya tha KAMAL...

KAMAL-maine pucha yahan kya kare rahe ho tum teeno...!!!

NITS-suna humne par jawab dena zaroori nahi samajhte...

SENIOR 2-kya bola be...
senior se baat karne ki tamiz nahi hai...

AHHH...

taaw me aa NITS ka collar pakadne aage badha tha woh SENIOR par aisa karta woh,usse pehle hi uske wrist ko midway pakad halka ghuma diya tha maine...

MAI-farewell hai...khaas din hai tum sabka...lifetime memory me feed rehne waala hai ye din...

aisa scene feed mat karwa jisse yaad kabhi karna chahega nahi par dimag kabhi bhulne dega nahi...

HEY SANVY...WHAT'S UP BUDDY... ARRE,YE SAB KYA..
!!!

KYUN BE...KYA BAKCHODI KAR RAHE HO YAHAN PAR...!!!???

RIZWAN ASHRAFI...KAMAL ka class mate/don tha ye apne class ka...

ek dafa dusre school students ke beech ghira tha ye jahan maine help ki thi iski...

isiliye kaafi achi banti thi RIZWAN se meri...yahi wajah thi ki haath maine uske class mate ka ghumaua tha par phir bhi sawal usne KAMAL aur uske friends se hi kiya tha...

wahin RIZWAN ko dekh KAMAL hadbada gaya tha...

MAI-kuch nahi bhaiya...ye sab hume tameez sikha rahe the...

RIZWAN-tum saale jhuantuon...har jagah superiority dikhani rehti hai,kyun...???

KAMAL-par bhai,aaj hum seniors ka din hai... juniors are not allowed.... phir bhi ye teeno...

RIZWAN-kisne bana diya be ye rule...!!! juniors bas isiliye nahi aate kyunki they know ki aaj seniors ka din hai... that sit...

aur thodi der pehle mere chote bhai se mile the naa tum log...tab toh objection nahi jatayi thi tum logon ne...phir ab kyun...???

jawab nahi tha unme se kisi ke bhi paas RIZWAN ki baaton ka...

unke facial expressions dekh sir apna shake kiya RIZWAN ne...

is beech us bande ka haath chhod diya tha maine jispar usse lagatar jhatak apne pain ko neutralize kar raha tha woh...

RIZWAN-shukr mana chhod diya isne... agar iski satki naa toh ek minute me sabke saamne tumhari seniorgiri tum sabke gaand me ghusa dega ye...

chutiya saale...niklo be...

turant nou do gyaraj ho chuke the KAMAL aur uske saathi jiske baad RIZWAN ghuma hamari taraf...

RIZWAN-saale,samajh nahi aata ki jahan panga hota hai,tu wahan hota hai ya phir jahan bhi tu hota hai,udhar panga...!!!

MAI-aisa kuch nahi nahi hai bhaiya...woh baat mooh tak rakhta toh kuch hota hi nahi...

usne haath badha diya isiliye...

RIZWAN -tune ghuma diya...sahi hai...waise acha hua tu aa gaya... FAREWELL ke baad pata nahi phir kab milenge...

aaja,aaj mere group ke saath FAREWELL enjoy karo teeno...

MAI-arre nahi bhaiya...hum toh aisa hi aa gaye the...kuch plan hai hamara...nikalna padega...

RIZWAN-sure...

MAI-yup...

RIZWAN...

RIZWAN-coming...

piche se RIZWAN ke group se ek bande ne awaaz di thi usse jispar...

RIZWAN-yaar,i have to go...photos kabhi khinchwata nahi mai par agar aaj bhi nahi khinchwaya toh saale suna suna kar jaan le lenge meri...

MAI-leni bhi chahiye...chaliye,aap enjoy kijiye... hum chalte hain...

RIZWAN se baari baari haath milaya SONU aur NITS ne wahin mujhe hug kiya unhone jiske baad hum teeno hall se nikal saamne bane tree shade ki taraf chal pade...

SONU-abbe ttujhe kkya hua...tujhe ttoh ladkiyan dekhni tthi naa...ddekj ttoh li...

NITS-ghanta dekh li...ek katra paani se bhi bhala kabhi pyas bujhta hai kya...!!!

acha khaas RIZWAN bhaiya ne unke saath baithne ka offer diya par nahi...

is loude ko toh TAJ MAHAL kharidne jaana tha naa isiliye mana kar diya...

MAI-abbe jhunjla kyun raha hai...chal, indoor ki taraf chalte hain...

FAREWELL host waali bohot si bandiyan hongi udhar...andar ghusa deta hun tereko...taadte rahiyo...

NITS-lauda nahi jaata mai kahin...

SONU-abbe,!!!bbandiyan taadni hai ttujjhe...llekar toh jaa rraha hai nna yye...pphir kkaahe mana kkar raha ttu...

MAI-kyunki is shahjahan ka tajmahal ye banquet hall hi hai aur iski jeeti jaagti mumtaz bhi issike andar kahin hai...ANI...

meri baat sun ek pal ke liye ghura NITS ne mujhe par phir dusri taraf dekhne laga...

MAI-ussike liye aaya hai naa idhar..usse perform karta dekhne...

DHAMMM...

meri baat puri hote hi ek mukka meri peeth par jama diya tha NITS ne...

NITS-bhosdike jab pata hai toh andar hi rook nahi sakta tha...

MAI-abbe mumtaz teri hai phir mai kyun rukta...tu jaa...

NITS-haan...jaise mera toh andar swagat karenge sab seniors...

MAI-bilkul karenge...woh dekh, tujhe andar le jaane ke liye ek banda bhi bahar gate par chhoda hua hai unhone...

meri baat sun turant piche ghuma NITS aur gate par khade bande ko joki RIZWAN ka ek chela tha, usse dekh pura scene samajh gaya woh...

darasal RIZWAN ke gale lagte waqt uske kaan me kaha tha maine ki thodi der me NITS andar aayega...

koi issue na ho isiliye gate par apne bande ko rakh de jo usne kar diya tha...

NITS-saale, isiliye jaate waqt smile kar rahe the RIZWAN bhaiya...

thanks buddy...tu saccha yaar hai mera... ANJALI beech me naa hoti aur gender issue nahi hota toh mai abhi propose kar dete tereko...

MAI-aur tere ussi proposal waale mooh me mooth deta mai...chal nikal ab...

NITS-tum log nahi aaoge...!!!

SONU-naa... mujhe koi interest nahi...

MAI-aur agar mai gaya toh ANI dekhne se rahi teri taraf...

NITS-louda mera...chalo bye...

MAI-tujhe andaza tha naa ki NITS ANI ke liye aaya hai idhar...

SONU-isssilye hi ttoh rrevison kko bbeech me ccchhod aaya idhar mmai...

canteen cchale...

MAI-chal...

NITS ke banquet hall me ghuste hi hum dono ne bhi apne kadam canteen ki taraf badha diye the par tabhi banquet hall se bahar nikli music ki awaaz jisse sun rook gaya mai...

MAI-ANI ka performance shuru hone waala hai...

SONU-ttujhe kaise mmaalum...music ttoh bohott der se cchalu hai...

MAI-ab tak lyrics chaalu the...ab instrumental baj raha hai...

ANI ne uske performance ke liye choosen songs ka bataya tha mujhe...

pehla song LA VIDA hai..ussika instrumental baj raha hai abhi...

SONU-ddekhna hai ttujjhe kkya...???

MAI-dekhna hota toh NITS ke saath chala nahi gaya hota kya...???chal canteen...

HEY GUYZZZ...

RASHI thi ye jo NAISHA ke saath saamne se aa rahi thi...

NAISHA-kya yaar SANVY,SONU...aa rahe the toh hume nahi bata sakte the...saath me aa jaate sab...

SONU-aa ttoh gayi...aur kkitna aayegi...!!!

RASHI-very funny... isne saath me kaha waise...by th way,tum dono yahan kaise...???ANI ne tumhe bhi bulaya kya...???

MAI-dono nahi teeno...NITS andar hall me hai...

aur naa,ANI ne hume nahi, humne khudko invite kar liya...ab sawal khatm hue toh jaao andar...ANI ka performance shuru hone waala hai...

NAISHA-really...toh tum dono bhi chalo naa...

MAI-naachne ke naam par teri bestie ke sade expressions nahi dekhne mujhe...tum dono hi jaao...we are in the canteen... performance ke baad aa jaaiyo...

NAISHA-mere se pehle teri bestie hai woh...aur teri taarif waala message deliver kar dungi mai...

chal see yaa...

ek taraf turant hall ki taraf badh gaye the RASHI aur NAISHA aur dusri taraf hum dono canteen ki taraf badh liye the...

..............................................................

A FEW MINUTES LATER:-

SONU-itna kkharab pperform kiya kya ANJALI aur SAM ne ki in ddono kko bbhaag kar aana ppada...

hahahaha....

DHAKK...

SONU ki baat puri hone se pehle apni chair ek jhatke me piche khiska khada ho chuka tha mai...

reason...

SONU ne sirf RASHI aur NAISHA ko hamari taraf bhaagte hue dekha tha par maine un dono ke facial expressions bhi dekhe the jo kahin se bhi positive nahi the...

wahin mere reaction ko dekh SONU bhi hadbada gaya tha par woh kuch puche,usse pehle hi RASHI aur NAISHA hamare paas aa chuke the aur unke expressions dekh mere reaction ko turant samajh gaya tha woh...

MAI-kya hua...???

NAISHA-SANVY woh ANJALI...

MAI-drama nahi chaiye...ek baar me bol NAISHA...

RASHI-SANVY woh SAM ne ANJALI ko...he touched her hardly...woh bhi sabke saamne...

SONU-touched her hardly...!!!arre salsa kar rahe hain dono... touch toh hard ho hoga naa...aur perform toh sabke saamne hi kar rahe hain naa dono...

RASHI-he squeezed...

MAI-squeezed what...answer damnit...

RASHI-her boobs...

SONU-SSANVY rook bhai...ppuri baat jaan lete hain ppehle...ee ttum dono... ppuri baat bbatao re...

aaj pehli baar mera naam haklaate hue liya tha SONU ne joki laazmi bhi tha...

jo hua tha aur uska jo anjaam mai dene waala tha,uski kalpana jo ho gayi thi usse...

RASHI-arre woh ek back and fro move tha...ANJALI saamne thi aur SAM piche... shoulders se hold kiya hua tha SAM ne usse...

apni ungliyan ko ANI ke hands se lekar uskw fingers tak le jaana tha par mid way SAM changed the sequence...

ANI ke breast par haath chale gaye uske aur....

aage bol nahi paayi RASHI kyunki ab chal nahi doudne laga tha mai aur ye dekh woh teeno bho bhaage mere piche...

NAISHA-araam se SANVY...teachers bhi hain wahan...

DHADHHH...

HALL ka door bas hold kar band kiya hua tha jispar maari thi maine ye laath...

laath padte hi door tezi se khul chuka tha...

andar ka scene abhi se hi halka negetive aur dramatic tha...

saare students dono taraf khade the aur stage par bohot se log khade the...

for starters,SHRAVYA aur SANDEEP UDAASI as in ANI'S parents the wahan...dono hi behadh ghusse me the...

is waqt SANDEEP uncle se thoda aage SMRITI CHANDER khadi thi aur dono ke beech khada tha SMRITI CHANDER ke 6 me se ek bodyguard jisne SANDEEP uncle ko SAM se bhidne se roka hua tha...

same haal NITS ka bhi tha...woh bhi bakte hue ek BODYGUARD ko push karne ki naakam koshish kar raha tha...

SANDEEP uncle bhi gaali bakte hue zor laga rahe the par un dono bodyguards ki lambi chowdi personality ke saamne uncle aur NITS ki chal nahi rahi thi...

aaj apne bodyguards saath nahi laaye the uncle jiska bohot ofsos ho raha tha unhe...

wahin dusri taraf SMRITI CHANDER SANDEEP UNCLE ko shaant rehne ke liye bol rahi thi par jo unki beti ke saath sabke saamne hua tha,kaise shaant reh sakta tha koi bhi baap...

bohot se faculty members bhi the jinki trustees ke saamne zor se bolne ki haisiyat aur himmat thi nahi isiliye dheemi awaaz me unhe rookne ke liye bol rahe the...

teesri taraf SAM sir jhukaye khada tha par chowthi taraf thi apni MAA SHRAVYA aunty ke kandhon lar sir chhupaye ro rahi ANI...

par jaise hi hall ka door tezi se open hua,sabke saath uski nazar bhi meri taraf ghumi...

SANVYYYY...

dheemi awaaz me mera naam lene ke beech uski aankhein thodi aur bheeg gayi thi aur ye dekh mera bacha khucha dimagi santulan bhi off ho gaya...

MAI-aeeee...ro kya rahi hai...meri ANI hai tu...maar MADARCHOD ko...

aaj kisi ka lihaaz nahi tha mujhe aur naa kisi ki parwah thi...

aankhein khun si laal ho chuki thi jinki pyaas khun hi bujha sakta tha...

NITS-aa gaya tum sabka baap...kat lo be behen ke loudon warna woh toh kaat dega hi...

RIZWAN-SANVY yaar....

haath upar hua mera aur beech me hi chup ho side ho gaya RIZWAN...

meri aankhon ko dekh dil dhakk sa kar gaya tha uska...

SMRITI-hey you...SANVY...stop...

DHAKKK...DHAKKK..DHAKKK..DHAKKK..DHAKKK...KDAKKKK..KDAKKKK...KDAKKK...KDAKKKK....

aage kuch bol paati SMRITI par tab tak uske pehle bodyguard ke saamne pahunch chuka tha mai...

aur phir shuru hua taandav... mere kandhe par haath rakh mujhe rokna chaha tha us bodyguard ne par tabhi bijli ki tezi se uske haath ko jhatakte hue uske chest par ek block punch maara maine...

punch itna powerful tha ki saansein atakti hui si mehsoos hone lagi thi us bodyguard ko apni par tabhi uska respiration system double speed tak badh gaya tha...

90 kg ka banda tha woh jisse wapas apni taraf kheench kisi rubber doll ki tarah utha diya tha maine...

usse utha piche se aa rahe bodyguard ke upar fekh diya maine...

woh banda aise kuch ke liye taiyar nahi tha... pehle bande ke saath niche gira woh aur is beech mai NITS ko pakde bande ke pass pahunch chuka tha...sidhe uski gotiyon me pehla kick maara maine aur phir ek aur crack foot finger kich uske ghutno par maar diya...

haddi tootne ki halki aur us bande ki gand faad dard bhari awaaz sabke kaano me padi thi...

ek haath se aand aur dusre se moodw pair ko pakad zameen me lotpoth hone laga tha woh banda...

is beech pehle dono bande uth chuke the..piche se mujhe laath maarne ke liye apne apne pair chalaye the dono ne par back flip ke beech naa sirf uski laath dodge kar gaya mai balki saath hi saath mid air mai hi dono ke pair pakad ghum gaya tha mai...

agle hi pal woh dono ladhkhadate hue piche ki taraf gir chuke the aur mai unke pair ke sahare back tilt hokar khada tha aur tabhi...

dono ke ghutno ke ek khaas andaz se jhakta diya tha maine jispar ek baar phir unke ghutno ke haddiyan tootne ki halki aur dard ki tez awaaz pure hall me gunj chuki thi...

te sab chand seconds me hi ho gaya tha jisse paanchwa bodygard jisne uncle ko hold kiya hua tha, recover kar paata,usse pehle hi uska haath maine pakad liya tha...

aur phir...KDAKKK...

uski elbow joint khiska di thi maine...

6TH-hey stop...or else i will kill you...

jahan ek taraf jo hua tha,usse dekh sabhi stunned the...

even ANI ke bhi aankhon ke aansu pure gayab ho chuke the wahin mujhe dhamki dene ke beech apni GLOCK 22 bahar nikaal li thi us bodyguard ne...

MAI-yahan, head shot le...bilkul beech me maar...maar na madarchod...

bandhook pakadne se kuch nahi hota,chalane ke liye gaand me guda hona chahiye...

DHAKKK...

us bandook ki nali apne head ke beech laga khada hua mai aur ye dekh us bodyguard ki gandiya fath gayi thi...

halki si kaampi thi uski ungliyan aur aisa hote hi maara maine ek uppar punch uske mid wrist portion par...

hatheli uski puri numb padh gayi thi aur gun upar hawa me ucchal chuki thi...

aur tabhi maano bijli kaundhi us bodyguard par...

back to back tez punches ki bouchar kar di thi maine uspar jiska natija ye nikla ki 2 second lage the gun ko neeche aane me aur in do seconds me 16 baar naak,gaal aur mouth area me punches khaa chuka tha woh bodyguard...

THADDD...AAHHHH....

gun neeche aate hi pakda maine usse aur agle hi pal de maara us bodyguard ke sir par...

mooh toh khun se san hi chuka tha..sir faththe hi apne hi khoon se nahane laga tha woh bodyguard...

RIZWAN-kyun...???bhidna hai ab SANVY se...

KAMAL aur uske doston se kahi thi ye baat RIZWAN ne jisparm mere ruthless avtaar ko dekh bas mushkil se apna apna thook hi gatak paaye the woh sab...

DHADHHH DHADDDHHH...DHADHHHH...DHADHHHH....DHADHHHH...

wahan ua BODYGUARD ki haalath dekh sab shocked ho hi rahe the ki tabhi padi sabke kaano meek nayi awaaz...

ye mere punches the jo lagatar SAM ke mooh par padh rahe the...

SMRITI-hey...chhod mere bete ko...

UGGHHHH...

mujhe apne bete se alag karne aage badhi thi SMRITI par tabhi ghuma mai aur agle hi pal gala daba neeche floor par patak k
diya tha maine unhe...

saans lena bhi mushkil hone laga tha aunty ka aur ye dekh abki baar ANI, uske parents, aur mere sabhi dost bhi hadbada gaye the...

NITS-abbe pagal ho gaya hai kya...chhod...

aunty ko mujhse chhudane ke liye NITS ke saath baaki sab bhi aage badh rahe the par tabhi sir utha ghura maine un sabko aur itna kaafi tha...

mere face ko dekh apni aatma ki hadh tak dar gaye the woh sab...

jis SANVY ko jaante the woh sab,gayab tha is waqt.. uski jagah ek aise shaitan ki jhalak dikhi thi un sabko mere face par jiske raaste aur maksad ke beech aane ki galti kar GALATH nahi ho sakte the woh sab...

par MAA par beetegi toh beta
saamne aayega hi...

SAM-hey leave my mom...

DHAKK...

MAI-bilkul chhod dunga par ek sharth hai meri...!!!teri MAA ke bhi toh boobs hain naa...un boobs ko nichod inki saree nikaal pura nanga kar pure school me ghumaunga mai...

phir chhod dunga... chalega naa tereko...bol naa, chalega naa tereko...

mere gale ko piche se dobach mujhe uthane ki koshish karne laga tha SAM par tabhi khudko ek tez forward push kiya maine jisse SAM ka face thoda side se saamne ki taraf aa gaya aur bas...

apne free hand se uski gardan daboch aage ki taraf itni zor se kheencha maine ki pura rotate hota hue apni MAA ke just saamne ki taraf ulat position me gira woh...

and in the very next moment...

uska gala bhi daboch chuka tha mai...wahin meri baat sun SAM me saath baaki sab shocked bhi the aur dare hue bhi...

joki laazmi bhi tha...un sabka SANVY ab kisi unknown identity ke piche gayab jo ho chuka tha...

SAM aur uski MAA,dono ke hi chehre ab laal padne lage the aur unki aankhein reh reh kar palatnw lagi thi...apni aakhri atki saanson ko le rahe the woh dono par tabhi...

STOP IT SANVEER...STOP IT RIGHT NOW...

MAI-make me stop...i dare you...make...me...stop...

PRINCI thi ye jo news milte hi bhaagi thi idhar...mujhe rokne mere kareeb aa hi gayi thi woh par tabhi ek jhatke me utha mera face unki taraf jisse dekh unke badhte kadam aur haath rook gaye the...

lambi saanson ke beech apne reedh ki haddi me uthi thandak ko shaant kiya unhone aur...

PRINCI-stop it SANVY...tumhe VERONICA ki kasam...

MAI-AHHHHHHHHHHH........

un dono ke gale ko chhod PRINCI ke theek saamne fraction of a second me pahucha tha mai...

thartharate chehre ke saath unhe dekh chillaya tha mai jispar andar se toh puri hil gayi thi woh par saamne se khudko shaant rakh khadi hui thi woh...

ANJALI-please SANVY...shaant ho jaa...

bohot der baad ye jaani pehchaani awaaz suni thi maine jispar ghuma mai ANI ke taraf...

chehra pura aansuon se bhiga hua tha uska aur ye dekh uski taraf badha mai par tabhi...

ANI aur uske parents ke saath saath mere saare friends bhi dar ke maare do kadam piche ho gaye...

aur ye laazmi bhi tha...jis bande ko kuch seconds pehle tak dekha tha un sabne,woh banda kar koi khunkhaar aur bekaaboo jaanwar zyada lag raha tha...

un sabko yun darta dekh mai bhi rook gaya aur khudko puri tarah shaant karne ke liye apni aankhein band kar li maine...

SMRITI-you...tu jaanta nahi kispar haath daala hai tune...i swear, chhodungi nahi tujhe mai you bloody...

VERONICA-not another word warna i will throw you out of my school...

thoda theek lagte hi mujhe bakne lagi thi SMRITI par VERONICA ki baat sun hairan reh gayi woh...

SMRITI-do you have any idea to whom yo are talking to...SMRITI CHANDER hun mai aur is school ke jahan tum sirf ek maamuli job kar rahi ho,uski on of the trustee hun mai...

PRINCI-exactly...one of the trustee...aur mai sole PRINCIPAL hun is school ki...

and let me remind you..ye job maine paison ke liye nahi li... apni marzi se li hai warna tumhari ya kisi aur trustee ki itni haisiyat nahi jo mujhe salary de sake...

jitna tumhara net worth hai utni mujhe meri likhi books aur researchers se milne waali royalty hai...

phir bhi agar itni hi maamuli lagti hai tumhe meri job toh use your trustee power...

scratch me out...lao meri jagah koi aur... mai bhi toh dekhun ki kaun hai aisa jo RANJANA MATTHEWS ki jagah lene ki himmat aur hunar rakhta hai...

boli nahi dahadi thi PRINCI jinki baat me itni zyada sachayi thi ki ab us matter par bolne ke liye kuch bacha hi nahi tha SMRITI ke paas...

SMRITI-maine toh suna tha ki tum bohot transpire ho...isne jo kiya,uske baad isse school se resticate karne ke bajaye words mujhpar twist kar rahi ho...

PRINCI-aap sabka farewell celebration indoor stadium me shift kiya jaa raha hai... jaaiye wahan... quick...

neeche khade sabhi seniors ko order diya tha PRINCI ne jiska asar double speed se hua tha...

ek minute se kam time me pura hall khaali ho chuka tha...

aisa hote hi PRINCI wapas ghumi SMRITI ki taraf aur...

PRINCI-word twist...!!!sahi boli par woh kya hai naa ki mai saamne waale se ussi ki zubaan me baat karne me yakin rakhti hun...

aur haan,i am transpire warna ab tak jo tumahare bete ne kiya uske liye iske haathon me iska restication letter hota with black review...

aur pata hona chahiye tumhe ki RANJANA MATTHEWS ke haathon se likhi review ko is duniya ka har educational institution maanta hai...

so,SAMEER ke haathon me restication letter hota aur tumpar legal action liya jaa chuka hota...

kyunki school ke bylaws bhul gayi ho tum jiske according kisi bhi parent ke bodyguards school premises me toh enter kar sakte hain par school ke kisi bhi building ke andar kadam nahi rakh sakte...

aur tumhare bodyguards ne toh naa sirf is hall me enter kiya balki is school ke student par pehle se haath uthaya...

haath kya,unme se ek ne toh SANVEER AHARYA par gun tak point kiya tha...

donot say no kyunki ye hall c.c.t.v se lais hai...ussi scene ko dekhne ka baad hi mai yahan aayi hun...

so now you tell me,lun legal action...

RANJANA ki baaton ne SMRITI ko khoon ke ghoont peene par majboor kar diya tha...

ghusse se woh meri peeth ko dekh apne nathuno ko fula rahi thi...

halka mere kareeb aayi woh par zyada nahi...jo roop maine dikhaya tha,uska dar abhi bhi uske man me tha...

SMRITI-this isn't over boy... GALATH panga le liya hai tumne...

bohot jald tumhe tumhari aukaad dikhaungi mai...

SMRITI...

SMRITI ki baat par RANJANA kuch bolti,usse pehle hi is nayi awaaz joki main door se aayi thi,usse sun sabka face udhar ghum gaya...

aur jo shakshiyat wahan khadi thi,usse dekh SMRITI ka facial expression ho badal chuka tha...

MAA...

itni see me pehli baar meri aankhein khuli thi aur MAA ko saamne dekh mera ashaant man bilkul shaant hone laga tha...

par MAA shaant nahi thi..
chehre par krodh liye woh badhi hamari taraf aur ye dekh jahan ek taraf SMRITI ko apne college ke time waali SMRITI yaad aane lagi jiske aage sir hamesha jhuka hi rehta tha uska aur piche hatne lagi woh wahin dusri taraf RANJANA MATTHEWS jaisi lady jinka vyaktitv kisi pahad jaisa tha aur jinhone mere reaction ko c.c.t.v ke through dekh hi MAA ko yahan bulaya tha,woh bhi ab MAA ko saamne se dekh nervous dikhne lagi thi...

khair, chalte hue stage me chadh ek baar mere sir par haath fer meri puri negetiveness kheenchne ke baad ANI ko apne seene se laga liya MAA ne...

wahin MAA ke seene se lagte hi ANI ki saari maansik pareshani bhi chhu mantar hone lagi thi...

aur SHRAVYA,SANDEEP...as in ANI ke parents...aaj pehli baar tha jab apni beti ko khudse zyada mere MAA ke kareeb dekh unhe bura nahi balki acha feel ho raha tha...

MAA-baccho,ghar jaao..
turant...

NITS,SONU,RASHI aur NAISHA se kahi thi ye baat MAA ne aur jis tarah boli thi, turant stage se utar hall se nikal gaye the woh sab...

aisa hote hi ANI ko saath lagaye hue hi SMRITI ki taraf ghumi MAA...

MAA-mere bete ko uski aukaad dikhayegi tu...dikha...

SMRITI-VERONICA tu...

MAA-shhhh...

talaab ki macchliyan kitni hi badi kyun naa ho jaaye,samandar ke sharks se bhida nahi karti...

aakhri baar samjha rahi hun tujhe...

mai woh sab kar sakti hun,jisse karne ka maine kiya DAAVA HO...

haath paani me daal, tab nahi jab beh raha LAAVA HO...

kathni aur karni ke fark ko samajh aur bol chaahe jitna le magar...

kuch bhi aisa mat kar guzarna jiske baad karne ke liye sirf PACHTAAVA HO...

AAJ KE LIYE ITNA HI...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY SAM KI HARKAT PAR PEHLE USKE BODYGUARDS KO MAARTA HAI AUR PHIR USSE AUR USKI MOM KO BHI NAHI CHHODTA HAI WAHIN DUSRI TARAF VERONICA SMRITI KO KHUDSE AUR USKE BETE SE NAA ULAJHNE KI DHAMKI DETI HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

DATE-1ST FEB

UPDATE-92

CITY-DEHRADUN

PLACE-CHANDER VILLA

HEY DINGLI...AAO...

upar chaddhne ke liye stairs par kadam rakhe hi the SMRITI CHANDER ne ki tabhi ghar me dandanakar enter hui DIMPLE jisse dekh upar se toh ek halki smile ki thi usne par DIMPLE ke facial expressions ko dekh woh samajh gayi thi ki kal jo hua,woh jaan gayi hai woh and because of what happened, she was not in a good mood...

DIMPLE-SAM kahan hai choti MAA...

SMRITI-upar,apne kamre me...hey,stop...listen first...

turant stairs chaddhne lagi thi DIMPLE par usse rok liye the SMRITI ne...

SMRITI-you brother is injured heavily... uska pura jaw line dislocate kar diya hai us bastard SANVEER ne...

DIMPLE-choti MAA...soch samajh kar boliye...jo aapke bete ne kiya hai,for that,shukr manaiye ki SANVY ne uska sirf jaw line ko hi dislocate kiya hai...

warna ANI ke saath jo harkat SAM ne ki hai,uske liye SANVY uske sharir ka har ang tod chuka hota...

SMRITI-soch samajh kar tum bolo...us looser ke liye tum apne bhai ke khilaaf bol rahi ho...

DHADHHH...

DIMPLE aur SMRITI,dono hi stairs chaddhte hue baat kar rahe the...

SAM ka room aa chuka tha jiska darwaza band tha..

zor se push kiya tha dono hi pallon ko DIMPLE ne jiski wajah se door tezi se open hua...

dandanati hui ghusi DIMPLE room me par saamne ka scene dekh thithak gaye the uske kadam...

ek doctor joki CHANDER ka family doctor tha,4 nurses ke saath bed ke baaju me khada tha aur bed par half head me pattiyon se covered face liye leta hua tha SAM...

SANVY ke ek do punches uski aankhon ke just neeche bhi pade the jiske kaaran uski eyes kaafi suj gayi thi aur saath hi saath unme blood jaisi redness bhi dikh rahi thi...

filhal ussi ko check kar raha tha doctor...

bilkul kisi nirjeev insaan ki tarah pada hua tha SAM...

jahan apne bhai ki haalath dekh ek pal ke liye DIMPLE ke man me uske liye daya ke bhaav ne janm le liya tha wahin DIMPLE ke piche piche room me ghusi SMRITI ko dekh doctor apna check up hold par rakh ghuma unki taraf...

SMRITI-how is my son doing doctor...!!!???

DOCTOR-filhal toh not good...but i must say,he is lucky...warna jaisi maar lagi hai,he should have gone blind...

par abhi bhi i am only 90 percent sure ki he is alright...ek do din ke observation ke baad,i will be completely sure...

SMRITI-kyun...???what happened...??? morning me toh aapne kaha tha ki jaw line dislocation mahine bhar me theek ho jaayega...

DOCTOR-that's true... par mai baat jaw line ki nahi balki SAM ke right eye ki kar raha hun...

see this place...ye down eyebrows se lag kar jo portion hai,isse atrophy of pretarsal muscle kehte hain...

it's a very important structure for our vision...

now,is muscle ke just neech,ye jo halka phoola hua part hota hai,ye hai fat bag...

SAM ko maar issi fat bag par lagi hai aur isiliye hi iski aankh itni red hai...

ab aisi condition normally bohot zyada dangerous hoti hai aur woh isiliye kyunki ye bag pretarsal muscle ke just neeche hone ke kaaran usse attached hota hai...

iski veins bhi pretarsal muscle se connected hoti hai...

SAM ko jo maar uske fat bag par lagi hai,uska impact iske pretarsal muscle par bhi hua hai par thankfully zyada nahi...

agar zyada hota toh ab tak he would have lost his vision...

par kam hi sahi but kyunki impact hua hai isiliye we have to see through it for atleast a day...

waise tensed hone ki zaroorat nahi hai kyunki looking at the damage at SAM'S fat bag,kuch bhi bura hone ke chances bohot zyada kam hain...

baaki jaw line ka jaisa maine pehle bhi bataya tha,it will take atleast a month to completely recover...

haan,abhi ek hafte pain zyada rahega isiliye pain killer injection din me do baar lagega...

is dauran isse neend bhi zyada aayegi but it is good for the fast recovery...jitna kam jawline movement hoga, recovery will be that fast...

apne bete ki haalath ko jaan aur usse chupchaap pada dekh uske liye daya, pyaar aur jisne SAM ko is condition me pahuchaya tha, SANVY,uske liye dil kadwahat se bhar utha tha SMRITI ka...

SMRITI-doctor, can we have a moment alone with my son...

DOCTOR-sure...bas SAMEER se baat karne ki koshish zyada mat kijiyega...his jaw line needs rest...

haan me sir hilaya DOCTOR ne aur apne nurses ke saath room se nikal gaya woh...

aur un sabke jaane ke baad apne bete ke paas pahunch uske sir par haath ferne ke baad ghumi SMRITI DIMPLE ki taraf aur...

SMRITI-dekh rahi ho...kaisi condition ho gayi hai iski...

kya ab bhi us nobody ko apne bhai ke upar rakh favour karogi tum...!!!

"ZAROORI NAHI KI HAR CHIZ ME MAHAN BAN JAAO"...

BAS APNA AKS DEKHTE WAQT AAYNE ME SIR NA JHUKE,WOH INSAAN BAN JAAO..."

apni choti MAA ki baat sunte hi SIGN UP DAY par jo advice SANVY ne uske shirt par likhi thi,dimag me ghum gaya tha DIMPLE ke...

saath hi saath SANVY ke "SAHI aut GALATH "waala tark bhi yaad aane laga tha usse...

ek aisa tark jispar naa amal kar paane ki hi wajah se aaj woh SANVY se door ho gayi thi...

DIMPLE-kya bulaya aapne SANVY ko..."NO BODY"...

right...!!!ek aisa no body jisse apne dum par kisi bhi chiz me harane ka hunar nahi hai aapke is champion bete me...

ek aisa no body jisse sports meet me kisi bhi event se door rakhne ke liye hamari puri so called champion family kisi soul looser ki tarah behave kar rahe the...

nobody woh hota hai CHOTI MAA jiske hone naa hone se fark nahi padta par SANVY woh banda hai jiske aage agar koi sabse bada nobody hai toh woh aapka beta hai...

haan,bhai hai mera par as i said,jo harkat isne kal ki hai,he deserves this punishment...

insaan hokar jaanwar jaisa ATTITUDE rakhega toh maar toh padegi hi...

SMRITI-what did you just say...!!!??? jaanwar...apne bhai ko jaanwar bolne se pehle ye dekho...pata chal jaayega,asli jaanwar kisse kehte hain...

apne phone me ek video file ko open karte hue DIMPLE ke saamne kar diya tha SMRITI ne...

ye video aur kuch nahi kal BANQUET HALL me hue kaand waala scene tha jisme SANVEER ne pehle toh kisi ka lihaaz nahi kiya tha aur phir SMRITI ke bodyguards, phir SAM and finally SAM ke saath SMRITI ka gala dabane me bhi hichak nahi dikhayi thi...

hall me hi kuch students ne woh video sboot kar liya tha jisse waise toh PRINCI ne strict warning ke saath sabse delete karwa diya tha par woh aisa kar paati,usse pehle hi SMRITI ne apne secretary ke through us video ki ek copy haasil kar li thi...

khair,us pure scene ko dekhte waqt DIMPLE ki aankhein hairat se faili hui thi aur theek baaki sabki tarah jinhone SANVY ki brutality ko live dekh aur feel kar apne andar dar feel kiya tha,same haalath is waqt DIMPLE ki ho chuki thi...

the guy she loved,the guy for whom she was willing to fight even with her family,us scene me apne us pyar ko pehchaan bhi nahi paa rahi thi woh...

it was like kisi dusre person ko hi dekh rahi thi DIMPLE...

video pura ho chuka tha jiske baad bhi DIMPLE stabdh hi khade rehne waali thi par tabhi uski nazar phone ke pure screen par gaya jisse dekh uski aankhein ek baar phir badi ho chuki thi...

DIMPLE-aapne ye video DAD ko W..AP kiya hai...!!!

SMRITI-kyun,nahi karna chahiye tha...tum bhale hi bhul gayi ho ki saamne itni kharab condition me pada ladka tumhara bhai hai par JAIDEN nahi bhulne waale ki he is his son...

aur unke bete ko is condition me pahunchane waale ke saath woh kya karenge,just imagine...

JAIDEN CHOWDHARY was a huge global personality...unka influence bhi national level ka tha...

aise me DIMPLE ke man me SANVY ke liye darna laazmi bhi tha...

kuch kaha nahi usne aur chupchaap palath jaane lagi aur ye dekh...

SMRITI-kahan jaa rahi ho...???us looser ko warn karne...jo chahe kar lo,he cannot ne saved...

SMRITI ki baat sun uski taraf palti DIMPLE...

DIMPLE-i know ki SANVY dad ke aage filhal kuch nahi...par jis bandr ka video aapne mujhe abhi dikhaya hai,khud dhyan se dekh lijiye ek baar...usme mera SANVY hai hi nahi...

you were right...woh ek jaanwar hi hai... aisa jaanwar jisse achayi aur burayi,sahi aur GALATH jaise bhaavon se koi matlab nahi hai..

yaa toh mai nahi,yaa saamne waala nahi...jo aise junoon se ladhte hai naa choti MAA,unse door rehna hi theek rehta hai...

meri advice maaniye,aap bhi door rahiye SANVY se air dad ko bhi rakhiye...

ho sakta hai ki pehli chot aap usse dene me kaamiyab ho jaayen,par matter toh aakhri chot ki hoti hai naa...

aur der saver hi sahi, woh aakhri chot SANVY hi dega...

isiliye phir kehti hun,apne bright future ke liye,stay away from SANVY...

SAME TIME:-

PLACE-SANEEL'S RESIDENCE

HEY MAA...NAMASTE AUNTY...

darwaaze ke dusri taraf ANJALI,NAISHA,RASHI,KHANAK,NITS,SONU, EKPREET aur RAJAT khade the...

VERONICA ne door open kiya tha jispar hamesha ki tarah jahan ek taraf ANJALI unse lipat gayi thi wahin baaki sabne normal greet kiya tha par in dono hi gestures me do bhaav common the joki chhup nahi paaye the VERONICA se...

HESITATION and GUILT...

kal jo hua, SANVY ne jo kiya,uske baad pehli baar aisa tha jab uske dost usse dare the...

usse door jaana chaah rahe the joki woh chale bhi gaye the...

par baad me unhe apni galti ka ehsaas bhi ho gaya tha...

kyunki aakhir jo bhi SANVY ne kiya tha,woh action nahi balki action ke prati uska reaction tha...

haan,woh reaction unke hisaab se zyada hi brutal tha par ek sach ye bhi hai ki baat ANJALI ki thi...

ANJALI ke saath jo hua tha uske baad SANVY ne jo kiya, kahin na kahin woh un sabko justified lagne laga tha...

ek dusre se baat,tark vitark karne ke baad finally unhe laga tha ki is negetive mahoul me un sabko yun SANVY ko chhod nahi nikalna chahiye tha...

ye convo late evening hui thi isiliye aaj yahan aane ka plan kiya tha un sabne and here they were...

VERONICA-yahin darwaze par anshan karna hai toh carpet laga dun...!!!

VERONICA ke chehre ki sanjeevani buti waali muskurahat...

jisse dekh koi stranger bhi apne bade se bada tention bhi insaan bhul jaaye...

phir toh ye sab ghar ke hi bacche the... turant un sabka mind 50 percent light ho chuka tha jiske baad woh VERONICA ko follow karte hue sab turant andar ki taraf badh chuke the...

ANI-MAA...ab mood kaisa hai SAN ka...!!!???

JAB KISI KO KISI SE MOHABBAT HOTI HAI...

YEH NA POOCHHO SANAM KAISI HAALAT HOTI HAI...

NA SUBAH KA PATA,
NA KHABAR SHAAM KI

KYA KISI SE KAHEIN JAAN-E-JAAN
KAISA YEH PYAAR HAI, YEH KAISA PYAAR HAI...

VERONICA ko jawab dene ki zaroorat nahi padi...

guitar play ke saath SANVY ke room se aa rahi gaane ki awaaz ne ANI aur baaki sabke common sawal ka jawab de diya tha...

aur us jawab-e-tarike ko sun hairan ho gaye the sab...

RASHI-ye...ye toh SANVY ki awaaz hai...he is singing...!!!

itna sab karne ke baad,itne light tone me gaana gaa raha hai ye...

NITS-aunty pakka SANVY hi hai naa...!!!

VERONICA-khula hai darwaza... push it and see it for yourself...

VERONICA ki baat sun NAISHA aage badhi and she pushed the door...

wakayi khuli thi woh door joki NAISHA ke push se bin awaaz khulti chali gayi...

couch par dusri taraf mooh kar baitha hua tha mai...haathon me aaj dad ki nahi balki kuch time MAA ki gift ki hui black givson acoustic guitar thi jisse play karte hue aankhein band kar gaana gaa raha tha mai...

KHANAK-SANVY...

MAI-hey...whats up guyzzz...bataya nahi aa rahe ho karke...

par sahi time par pahunche ho...aaj bade dino baad jamming karne ka man hua hai...abhi first song hi start kiya tha...wanna here...!!!

apne normal way se zyada khush aur energetic dikh raha tha mai..
face par ek alag hi glow tha jisse dekh face toh normal hi rakha sabne par man hi man bohot zyada shocked the sab...

RASHI-yaa...we would love to...

ab tak sabne bhi apne aap ko normalise kar liya tha...

MAI-par participate karna hoga...mere saath baari baari ek ek song gaana hoga sabko...

tum besooron ko bhi be...

NITS-besoora tu saale...tere se better gaata hun mai...

MAI-pichwade se nikali awaaz ko gaana nahi bolte beta...

HAHAHA...

jahan baaki sab haste hue SANVY ke aaj baaju baith chuke the wahin ANI abhi bhi SANVY ke is naye avtaar ko dekh shocked hi thi...

VERONICA-zyada mat soch aur jaakar baith jaa...

ANI-kaise naa sochun aunty...jitne baar bhi lada hai ye,uske baad 1,2 din tak har time ukhda ukhda raha hai par kal isne un BODYGUARDS ko sirf maara nahi, unke haath pair tod diye, SAM ka mooh tod diya and even usse aur uski mom ka gala daba nearly dono ko pura maar diya tha...

phir bhi itna chilled out...!!!

ab kya bolti VERONICA...pehle SANVY ki har ladhayi bohot hi normal way me puri hui thi...

dekhne waalon ko lagta tha ki SANVY ne bohot damage kar diya tha jabki uske standards ke hisaab se damage toh shuru bhi nahi hua tha...

haath pair chalne band ho jaate the par dimag me ghussa chaddha hua hi rehta tha aur yahi wajah thi SANVY ke kuch dino tak ukhde rehne ki...

par kal, SANVY ke negetive side ko thoda hi sahi,par bahar nikalne ka mouka mila tha...

isiliye aaj shaant tha woh side aur SANVY khush...

VERONICA-tujhe toh is positive side ko dekh khush hona chahiye...

warna jab tak ye ukhda rehta tha, tab tak tumhara pura group bhi off mode par rehta tha...

isiliye zyada soch mat aur jaa,baith...

sahi hi toh thi VERONICA ki baat isiliye apne dimag ko jhatak SANVY ke kandhe se lag baith gayi woh...

"AE MERE....HUMSAFAR....

EK ZARA INTAZAAR...

SUN SADAAYEN,DE RAHI HAIN,MANZIL PYAAR KI..."

ANJALI ke aage badhte hi VERONICA bhi wapas palath apne room jaane hi waali thi ki tabhi SANVY ne pehle guitar tone aur phir gaana change kiya jisse sun rook gaye unke kadam...

awaaz aur sur...dono wakayi kamaal ke the unke bete ke... aise lag raha tha jaise koi proffesional singer gaa raha ho...

darwaze ki oth liye VERONICA apne bete ke gaane ko enjoy karne lagi thi...

RASHI-wow...too good SANVY...awesome...yaar tu itna multi-talented hai par pata kisiko lagne deta nahi...

waste kar raha hai tu apne talent ko...

MAI-talent shares ki tarah hota hai... sahi invest jama ho toh faayda hi hona hai...

NAISHA-tere se toh baat karna hi bekaar hai...aunty, aap kyun nahi bolti isse,to participate in all the school events...

KHANAK-true...SAM aur uske jaise har kisi ki chutti kar dega ye...

VERONICA-its his choice beta...i cant force him...

RASHI-aap bhale hi force naa karen aunty par dekh lena...

SANVY chamakne ke liye hi bana hai...aisi chamak jo chhup hi nahi sakti...

aur ek din,ye chaahe naa chaahe,iski chamak puri duniya dekhegi...

SAB-true that...

RASHI ki baat aur uspar sab ki haami sun smile karte hue palath gayi thi VERONICA par palaththe hi unka face serious ho gaya tha...

REASON...

RASHI ke kahe shabdon ne ek purani yaad taaza jo kar di thi VERONICA ke zehen me...

apne room me pahunch bed ke right par rakhe arm chair par baithne ke baad apne aap hi aankhein band ho chuki thi uski aur aisa hote hi ussi purani yaad me wapas lout gayi thi VERONICA...

FLASHBACK...

DATE-20TH MARCH 2012

CITY-JAIPUR

PLACE-CHANDPOLE BAZAAR

YAAR VERONICA,YAHAN SHAKUNTALA MARKET KO CHHOD IS DOWN AREA MARKET ME KYUN AAYE HAIN HUM...???

VERONICA-down area market...!!!CHETNA,jaipur ka one the most valued market hai chandpole...

CHETNA-yaa right...!!!market bhale hi valued hoga par yahan dikhne waale zyadatar log utne hi disgusting hain...

just look at them, aise ghoor rahe hain jaise aankhon se hi khaa jaayenge...

VERONICA-ab khaane waali chiz hai bhi toh tu naa...!!!

CHETNA-ek toh naa,tu mere yaa kisi aur ke beauty par kabhi bhi comment mat kiya kar...

aisa lagta hai jaise suraj kisike roshan hone ki baat kar raha...

dikhta hai kya koi ujala suraj ke saamne...!!!

VERONICA-arre waah...unique compliment diya tune aaj...

CHETNA-aur kitne door...ek toh yahan ki authority ne parking itne door rakhi hai ki pair dukhne lag gaye mere...

VERONICA-kis level ki ledri hai re tu...yahan mera itna chota baccha bhi araam se chal raha hai aur tere pair dukhne lage hain...

saath me apne chote chote pairon se tubduk tubduk chalte 6 saal ke SANVY ke sir par haath ferte hue kahi thi apni baat VERONICA ne jispar sir ghusse se hila thoda aur tez chalne laga tha woh...

wahin apne super cute bacche ke fule gaalon ko dekh halki si has padi thi VERONICA...

CHETNA-oye,kaun sa tera baccha...???tere se zyada mera lalla hai SANI... hain naa babu...

thoda aage jaa piche se hi SANVY ke gaal khinchi thi CHETNA ne jispar unka haath jhatak dheeme hi sahi,doudte hue aage bhaag gaya SANVY...

CHETNA-arre SANI.. bhaago mat beta... kharab raasta hai...gir jaaoge...

VERONICA-relax...jo chalna sikhte waqt kabhi nahi gira,woh ab kya girega...

piche aa rahe chaar hatte katte bodyguards ko ishara kiya tha VERONICA ne jiske baad woh sab turant nanhe SANVY ke piche chal pade the...

VERONICA-just follow...don't stop him...

bodyguards ko hidayat de di thi VERONICA he jispar un sabne nod kiya tha...

CHETNA-arre woh kaun si gali me ghus raha hai SANI...

jahan thoda tez chalte hue ek taraf mood gaya tha SANVY wahin bodyguards ki hi tarah CHETNA bhi ab thoda tez chalte hue SANVY ke piche ho li thi...

CHETNA-what the hell...???ab kidhar ghum gaya ye...???

ye second gali thi jisme ghum tha SANVY aur aise hi 8,9 galiyan agle 10 minute me ghum chuka tha woh...

upar se bodyguards VERONICA ke order ki wajah se SANVY ko rokne ke bajaye ek doori banakar uske piche bhar the...

ye dekh CHETNA tention me aakar bhaagne lagi thi uske piche par VERONICA ne uska haath pakad usse relax rehne ko kaha tha...

par jab gali 10vi baar muda SANVY toh frustrate ho gayi CHETNA...

CHETNA-itni bheed hai market me aur ye ladka bas idhar udhar bhaage jaa raha hai...

and you...!!!khud usse rokne ke bajaye mujhe hi rok rahi hai...!!!

VERONICA-apne bete ko manzil tak pahunchne se bhala kyun rokun mai...!!!???

khaas kar tab jab woh manzil hum dono ki bhi hai...

CHETNA-matlab...!!!

VERONICA-matlab saamne hai, dekh le...

chalte hue CHETNA aur VERONICA bhi SANVY jis raaste par muda tha,mood chuke the aur aisa hone ke baad jab VERONICA ki baat aur straight finger pointing par saamne dekha CHETNA ne toh SANVY ko thoda door ek shop ke door par khada paaya...

"SHAKUNTALA ARIFACTS..."

chandpole bazaar ho kya, pure jaipur me sabse badhiya aur rare wooden ARIFACTS SHAKUNTALA ARIFACTS shop me hi milta tha...

isiliye hi toh JAIPUR ke sabse expensive aur posh area,VAISHALI NAGAR ke rehwasi ,the multi billionaires CHETNA SINGH aur VERONICA PAUL AHARYA GAURAV TOWER jaise international standard market ko chhod yahan chandpole bazaar jaise average market place me aaye the...

jahan puri market average size dukaane se bhari padi thi wahin saamne dikh rahi SHAKUNTALA ARIFACTS shop hi bas aisi shop thi jo kisi a list shopping complex ki tarah badi aur classy dikh rahi thi...

CHETNA-hume yahan aana tha...!!!

VERONICA-yup...

CHETNA-pehle kitni baar aayi hai yahan...!!!???

VERONICA-ek baar...

CHETNA-holy godfather...ye toh apne baap ka bhi baap nikla hai...

VERONICA ke answer ko sunte hi CHETNA ke dimag me chandpole bazaar ke start me bane parking se yahan tak ka safar ghoom chuka tha jiska 25 percent bhi correctly yaad nahi kar paa rahi thi woh...

and she was damn sure ki jitne twisted galiyon se woh guzri hai,next time agar aayi tab bhi ek baar me SHAKUNTALA ARIFACTS tak nahi pahunch paayegi...

par 6 saal ka chota sa SANVY joki obvious hi tha ki apni MAA ke saath woh bhi yahan ek baar hi aaya hoga,usse by heart pura raasta yaad tha...

isiliye CHETNA ka reaction obvious tha jispar uska haath thaam SHAKUNTALA ARIFACTS shop ki taraf badh gayi VERONICA...

wahin nanhe se SANVY ne jab apni dono MOMS ko apni taraf aate dekha toh woh turant shop ke andar ghus gaya...

aur ye dekh 3 bodyguards shop ke bahar rooke aur bacha banda SANVY ke piche shop ke andar ho liya tha...

VERONICA-arre...wapas bahar kyun...???ye ladka bhi naa... ghussa hamesha naak me hi baitha rehta hai iska...

jaise hi VERONICA aur CHETNA shop ke entrance par pahunche toh SANVY wapas bahar aane laga tha aur ye dekh jab uske gaal ko pyaar se touch karna chaha VERONICA ne toh unka haath jhatak bahar nikal gaya woh...

CHETNA-ghussa nahi karega kya...???achi khaasi settled life, apni aadhi family ko chhod kal se dehradun jaise chote sheher me basne jaa rahe ho tum teeno...

khudko apne bhai se door,mujhe mere BHAI se door aur AARNA ko uske bhai se door kar rahe ho...this is not fair VERONICA...

VERONICA-hum pehle bhi is baare me baat kar chuke hain CHETNA... it's necessary...

nahi hota toh kya tum teeno ko chhod hum jaate kabhi...

mujhe pata hai ki SANVY tere liye kya hai par same condition toh meri bhi hai naa...

i know ki ye distance maintain karna mushkil hai...bohot mushkil...par as i said,as for now,it is necessary...

CHETNA-aur wahan jaakar ek middle class zindagi jeena...kya woh bhi zaroori hai...!!!

i mean you and BHAI are no less then a KING and QUEEN...

and mera SANY... he is a born prince...agar dehradun bik raha ho aur tu kharidna chaahe toh yun kharid sakti hai...

mera SANY,jiske subah uthne ke baad jab woh bed se neeche utarta hai,uske pairon ke neeche slippers rakhne ke liye bhi alag se noukar rakha hua hai humne...

middle class parvarish me jeene ke kaaran aage jaakar apne har chote bade kaam bhi khud karne honge usse...

i cannot even imagine that life for you,him and my BHAI...

aur tum teeno toh jeene waale ho woh life...

VERONICA-silver spoon ke saath naa mai paida hui thi aur naa SANEEL...

what we have today,we have earned it...hamara beta bhi kar lega...

rahi baat middle class life ki toh tujhe pata hai ki woh bhi zaroori hai...

rahisi apne saath exposure laati hai...aur agar hunar ho toh us exposure ko chhupaya nahi jaa sakta...

par jo life ab mera beta jiyega,us life me har chiz aam hogi...

aas paas uski wahan bhi rahisi hogi...

us limelight me baaki sabke saath
dekhenge sab usse bhi par uske middle class tag ki wajah se interested bohot kam log honge...

jab tak sahi waqt nahi aayega,apni asli chamak ko chuppakar woh sabko apni asliyat dekhne se roke rakhega...

i know ki ab tu ye kahegi ki usse yahan bhi hum chhupa kar rakh sakte the par tujhe bhi pata hai ki dikh kar bhi chuppe rehne me aur hide in ho jaane me fark hota hai...

aur ye fark tum teeno par bhi musibat le aata joki hum hone nahi de sakte...

ab agar tere saare repetitive questions pure ho gaye hon toh andar chalen...

glass covered entrance door par khade hain hum...

ya phir kahun ki raasta blocked karkar khade hain...

abhi tak koi aaya nahi hai par aaya toh muh par naa sahi par man me zaroor gaali bakega hume...

CHETNA-koi aayega toh bakega naa..!!

shop bahar se bhale hi bada lag raha hai par hai toh city ke outskirts ke is bhulbhulaiya market me hi naa...

woh bhi pata nahi kis kone me...mujhe nahi lagta ki hume chhod yahan koi aata bhi hoga...

aur aaye bhi kyun...yahan aisa kya milta hoga jo jaipur jaisi city ke main markets me available naa hogaaaaa.....

us glass door ko open kar jab andar aayi VERONICA ke saath CHETNA toh andar ka scene theek se clear hua aur jo dekha usne, uske baad word toh strech hona hi tha...

EBONY,MAHAGONI, ROSEWOOD,OAK,TEAK,SHISHAM, SANDALWOOD aur baaki bohot se kism ke hardwood ARIFACTS se bhari padi thi ye shop...

design aur dekhne bhar se hi un sabhi ARIFACTS ki quality itni umda lag rahi thi ki unhe dekh wahi ek shabd nikla CHETNA ke mooh se jo kisi bhi ARIFACT lover ke mooh se nikalna chahiye...

CHETNA-WOWWWWW...

CHETNA ka jo reaction tha,woh pehle hi guess kar chuki thi VERONICA isiliye bas muskura bhar di woh aur...

VERONICA-chal...apne naye ghar ke liye kuch naye ARIFACTS choose karte hain...

CHETNA-select... they all are masterpiece...puri dukaan utha lete hain...tujhe jo chahiye tu le jaana,baaki se mai apna naya pent house sajaungi...

kitne ke honge pure...10 crores,max...manager...

VERONICA-oh,rook jaa thoda... pehle toh mujhe apne naye ghar ke liye bas 3 se chaar artifacts hi lene hain jinki combined keemat 1 lakh bhi nahi hogi...

CHETNA-really...!!!

VERONICA -yup...its an affordable shop...saare artifacts agar wakayi le bhi le tu tab bhi price 1 crore se zyada nahi jaayega...

aur rahi baat tere pent house ki toh tu usse pent house hi rehne de, dukaan naa bana isiliye last time jab mai yahan aayi thi tab wahan ke liye maine 10 artifacts already select kar liye the...

right...!!!

MANAGER-yes MA'AM...

managar joki apne 6 sales people ke saath jaise hi VERONICA ne shop ke andar kadam rakha tha, turant unke saamne khada ho chuka tha,usne jaldi se jawab diya tha...

saamne khadi shakshiyat ke liye is waqt uske aankhon me samman ke saath glass door ke bahar khade nanhe SANVY ko neeche beech me dekhte hue uski aankhon me halka aascharya bhi tha jisse VERONICA ne samajh liya tha...

VERONICA-why are you looking surprised...!!!

BODYGUARD-ma'am,woh SANVY baba ne 3 artifacts select kiye hain...ye teen...

and ma'am, pent house ke liye bhi unhone 3 artifacts alag se select kiye hain...

behadh hi khubsoorat aur ancient artistic artifacts jinhe SANVY ne 2 minute me hi select kar liya tha, point out kiya aur unhe dekh...

CHETNA-damn...these are so beautiful...

(YE WAHI ARTIFACTS HAIN JO DEHRADUN ME SANEEL RESIDENCE ME LAGE HUE HAIN... DISCRIPTION PEHLE DE CHUKA HUN ISILIYE ABHI SKIP KAR RAHA HUN.)

VERONICA-isiliye hairan hain aap...!!!

MANAGER-ma'am,college students ke paas bhi artifacts ke baare me basic knowledge nahi hota...

par aapke bete ne in artifacts ke structural points ka naam lekar in sabko choose kiya hai...

maine kabhi dekha toh kya,aisa kuch suna bhi nahi hai kahin... it's unbelievable...

CHETNA-mera beta jo hai...

SANVY ke baare me sun is waqt VERONICA se zyada khushi CHETNA ke face par saaf dikh rahi thi...

VERONICA-ab kya select karna...pack all these artifacts...

MANAGAR-sure MA'AM...

VERONICA -isse kya hua...!!!???

CHETNA-shit...SANI bahar hi hai naa...

manager abhi palta hi tha ki tabhi CHETNA aur VERONICA ke saamne khada bodyguard achanak se hi tez kadmo ke saath shop se baahar nikla tha...

ye dekh jab palte woh dono toh dekha ki 2 aur bodyguards joki shop ke glass door ke bahar khade the,woh bhi gayab the...

turant CHETNA aur VERONICA ke kadam bhi bahar ki taraf badh chuke the...

CHETNA-SHIT...SANIII...

bahar nikalte hi jo scene saamne aaya tha,usse dekh CHETNA aur VERONICA,dono hi stabdh reh gaye the...

unke bodyguards me se ek apna face pakde neeche baiha hua tha...

nose aur lip area se khoon riste hue uske haathon ko bhigo raha tha...

wahin uske paas khada tha SANVY jiske haathon me tha woh patthar jiske through usne hi apne bodyguard ka face lahuluhan kiya tha...

aur jab CHETNA ne pukara uska naam toh turant palta woh aur apni dono moms ko apne paas aata dekh smile karte hue patthar chhod diya usne...

CHETNA-ye...ye tumme kiya SANI...!!!

badu maasumiyat ke saath smile karte hue haan kaha SANI ne...

CHETNA-why...???

VERONICA-isne touch kiya tha SANVY ko...!!!

BODYGUARD-jee ma'am...woh actually SANVY baba aage ki taraf bhaagne lage the toh isne pakad liya inhe...

VERONICA-saamne icecream stal hai..wahin jaa raha hoga ye...

BODYGUARD-jee..par SANVY baba rook gaye the lekin kuch seconds baad inhone isse smile karte hue neeche jhukne ko bola...

ye jhuk gaya aur...

VERONICA-patthar naak me maar diya isne...

BODYGUARD-jee ma'am...pata nahi kab patthar utha liya inhone and he hit him...

woh bhi teen baar...

VERONICA-maine bola tha,sirf follow karne and not to stop him...

uski nahi,tumhari safety ke liye bola tha maine...

SANVY-MAA...chalo naa... icecream...

VERONICA-hospital lekar jaao isse... turant...

BODYGUARD-yes ma'am...

CHETNA ko icecream stall ki taraf kheenchne laga tha SANVY jispar us bodyguard ko hidayat dete hue VERONICA bhi saath badh gayi...

kuch hi palon baad ek taraf SANVY apni masti me pure chaav me saath chocobar khaa raha tha wahin dusri taraf VERONICA aur CHETNA usse chupchaap dekh rahi thi...

CHETNA-yaad hai 2 hafte pehle C. S ground jaane ki zidh ki thi SANI ne...

VERONICA-hmm...

CHETNA-mai bhi gayi thi iske saath wahan...

bohut se log the par kuch bacche season ball se cricket khel rahe the ground me...

tabhi ek shot iski taraf aane laga tha...

ball ki direction issiki umar ke ek bacche ki taraf tha...

ball ki speed zyada thi aur woh ladka dekh bhi dusri taraf raha tha...

impact pakka tha par SANI jo thodi door tha us ladke se,bhaag pada uski taraf aur exact time par usse dhakka de diya...

baccha toh bach gaya par...

VERONICA-ball SANVY ke peeth par lag gayi thi... impact zyada tha aur pain bhi...

ghar aane ke baad bhi kaafi der tak roya tha ye...i know...

CHETNA -yaa...ek woh personality thi aur ek aaj ka ATTITUDE...

ye ladka kabhi RAM ka avtar lagta hai mujhe toh kabhi bhavishya ka RAAVAN...

aur tujhe lagta hai tu isse chhupa sakti hai...mark my words VERONICA...

duniya ke kisi bhi kone me chali jaa...ye ladka suraj ki woh roshni hai jisse har jagah chamakna hi chamakna hai...

iski chamak iska hunar hai...kisi tarah us hunar ko chhupa bhi paayi toh kood kar bahar aayega iska belagaam ghussa...

aisa ghussa jiski aanch me puri duniya jal jaaye,itna garm...

US KRODH KI AGNI KO,KAISE ROKEGI AUR CHHUPAYEGI TU...

"MAA...WE ARE LEAVING..."

FLASHBACK ENDS:-

ANI ki awaaz sun aankhein khul gayi VERONICA ki aur ateet ke apne ek panne se bahar aa gayi woh...

lambi saans chhod uth room se bahar nikal gayi thi woh...

physically toh present me aa chuki thi woh mentally abhi bhi past me hi atki thi uski aatma aur dimag me gunj rahe the CHETNA ke kahe gaye woh shabd...

"US KRODH KI AGNI KO,KAISE ROKEGI AUR CHHUPAYEGI TU...???

AREA-MANESAR

PLACE-CHOWDHARY'S FARMSTAY

BEHENCHOD...YE SAALA FARM HOUSE HAI YA FARM CITY...ITNA BADA...

apne chaaron taraf nazarein ghumata hua us 100 acre me faile
farm stay ko dekh aage badh raha tha inspector RAJESH MISHRA...

aur uski hairangi us farm house me bane stay ke andar jaate hi aur badh chuki thi...

woh jagah thi hi itni khubsoorat...asli sher ki khaal se bane sofe,european lime se bani chhat aur AFRICAN BLACKWOOD (world's most expensive wood) se bani floor us stay ks gigantic ki bhavyata aur khubsoorati bina bole bata rahe the...

kal commissioner ke urgent order par yahan delhi se 62 km door MANESAR aaya tha woh...order official nahi tha par jis tarah se diya gaya tha,usse saaf tha ki agar nahi aata RAJESH yahan toh uski hamesha ke liye officially chutti zaroor ho jaani thi...

aur ab is jagah ko dekh bhar kar woh samajh chuka tha ki jiske bhi bulaawe par woh yahan aaya hai,uski hasti badi hi hogi...

RAJESH MISHRA...BORN AND BROUGHT UP IN RAM NAGAR...

WIFE...SWATI MISHRA...SON...AARAV MISHRA,AGE 7...

JANUARY 3 2019 KO DEHRADUN TRANSFER HUA TUMHARA YA PHIR YE KAHEN KI 25 LAKHS DEKAR KARWAYA TUMNE YE TRANSFER...

PAR TAB SE LEKER AB TAK US 25 LAKH KE 1 CRORE 75 LAKHS KI UNDER THE TABLE EARNING KAR CHUKE HO TUM...

GOOD...

apne secretary ke saath haathon me thaame paper jispar RAJESH ki kundali likhi hui thi,hall me enter hua ek shaksh jisse dekh aankhein badi ho gayi thi RAJESH MISHRA ki...

koi bada officer nahi tha woh par turant aise alert mode me khada ho chuka tha RAJESH jaise C.M ya P.M ke saamne khada ho...

aur aisa hona laazmi bhi tha...

REASON...

MR JAIDEN CHOWDHARY...

ab inki shakshiyat thi hi itni badi ki RAJESH MISHRA ko toh alert aur respectful hona hi tha...

upar se RAJESH tha bhi uttarakhand ka jahan JAIDEN CHOWDHARY ka rutba thoda zyada hi mashoor tha...

JAIDEN-relax RAJESH...kya loge, whisky,rum or anything else...

RAJESH-i,i,i am ggood sir..
thankyou...

zubaan ladhkhadane lagi thi RAJESH ki jispar smile karte hue uske saamne sofe par baith apne liye drink banane laga tha RAJESH...

JAIDEN-so MR RAJESH...

RAJESH-yyes sir...

JAIDEN-ek date batata hun...tell me if you remember anything about it...

RAJESH-i will try sir...

JAIDEN-14/06/2019...

ye wahi date thi jis din CHANDER RESORT me SANVEER ne pehli baar RAJESH ka sarvajanik kachra kiya tha...

yahi wajah thi ki JAIDEN CHOWDHARY ke date bolte hi bas ek second ke liye hi sahi,jabde sakhti se kas gaye the RAJESH ke aur JAIDEN CHOWDHARY ko jawab mil gaya tha...

JAIDEN-so you do remember...good...

what if i say ki repayment ka time nazdeek hai...

JAIDEN CHOWDHARY ki baat sun aur samajh RAJESH ki aankhon me ek saath do bhaav chamak uthe...

khushi aur aascharya jinhe JAIDEN CHOWDHARY ne bhi padh liya tha...

JAIDEN-usne mere bete ko maara hai...

RAJESH-maaf kijiyega sir par agar itni si hi baat hoti toh aap mujhe yahan tak nahi bulaate...

aapka ek phone aur woh ladka andar jo chuka hota...

JAIDEN-sharp...good...par no,nahi hota... influence ki kami nahi hai uski family ke paas bhi...

aur tum yahan isiliye ho kyunki agar mera koi aadmi bhi tumse dehradun ke milta toh there are people jo jaan jaate ye baat...

RAJESH-phir bhi sir...sawal toh wahi hai naa..aapke jaisi shaksiyat ko ek mamuli school going boy me bhala kaisi dilchaspi...

JAIDEN-tum apne dilchaspi par dhyan do RAJESH...

finally,you will get your revenge and to put cherry on the cake,5 crores...

aankhein ek baar phir badi ho gayi thi RAJESH ki aur paise ki baat sun buddhi brasht...

JAIDEN CHOWDHARY jaisa shakshiyat apne logon tak ko dehradun bhejne ka risk nahi le raha...

ek bache ke liye usse yahan itni door bulaya gaya hai...

and most importantly, JAIDEN CHOWDHARY ke bete ki thukayi ki hai SANVEER ne phir bhi woh direct attack nahi kar raha...

ye saare negetive points us 5 crore ki maaya ke aage mit chuke the...

RAJESH-aap jaisa bolenge,mai karunga sir...

JAIDEN-i know...he is my secretary...ye contact me rahega tumhare...

kab,kya kaise karna hai,he will guide you...

RAJESH -sure sir...

JAIDEN -aaj stay enjoy karo yahan... jo bhi chahiye,sharab,shabaab,sab ka intazam ye kar dega...

kal,apne 1 crore advance ke saath wapas chale jaana...

RAJESH-thank you sir...

jahan apni baat bol ek smile ke saath JAIDEN CHOWDHARY nikal chuka tha wahin uska secretary bhi apna number dekar aur RAJESH ke farmaishon ki lambi list lekar bahar ki taraf nikal pada...

aur RAJESH...

un dono ke jaate hi woh jahan kuch der pehle tak JAIDEN baitha tha,us sher ki khaal waale sofe par uske owner position me baith gaya...

saamne whisky ki mehengi bottle padi thi jisse open kar ek naye glass me daal uski halki si chuski li usne aur...

RAJESH-sach hi kaha hai kisine...

jab upar waala deta hai toh chhapar faad ke deta hai...

maza aa gaya...

5 crore bhi andar aur woh behen ka louda jhaant barabar lounda SANVEER...

aag aur barf se nahi tujhse puchenge log ki GARM aur SARD KISSE KEHTE HAIN...

jo apna apmaan nahi bhulta,tu bhi dekhega ki woh MARD KISSE KEHTE HAIN...

taklif ki nayi paribhasha likhunga mai tujhpar...

tootkar gawahi dega tera sharir ki DARD KISSE KEHTE HAIN...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
Member
182
254
43
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY KI MAAR SE SAM KA JABDA DISLOCATE HO JAATA HAI,DUSRI TARAF PAST ME CHETNA DWARA SANVY KE HAMESHA HI LIMELIGHT ME REHNE WAALI BAAT KO VERONICA YAAD KARTI HAI WAHIN TEESRI TARAF JAIDEN CHOWDHARY INSPECTOR RAJESH MISHRA KO SANVEER SE BADLA HAASIL KARNE KO GUARANTEE DETA HAI.

AB AAGE:-

CHAPTER 1

(ETIOLOGY OF BEING GALATH)

DATE-14TH FEB

UPDATE-93

CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS CLOSED PREMISE

I LOVE YOU...

"AUR YE PURI HUI AAJ KI HALF CENTURY"...

saamne ka nazara dekh ek thandi aah bharte hue kahi thi ye baat RASHI ne...

REASON...

VALENTINE'S DAY tha aaj...aur is din ki khasiyat is waqt old SIRIUS compound me moujud students practically show kar rahe the...

example saamne hi tha jahan pure filmy andaz me un sabke ek junior ne saamne khadi ladki ke saamne apne ghutno par baiththe hue propose jo kiya tha jispar haan me sir hila approval bhi de diya tha us ladki ne...

aur ye proposal aur acceptance ka 50th daur chala tha is compound me jisse isse pehle ke 49 proposals ki tarah dekha tha RASHI and group ne...

waise toh P.L chaalu ho chuka tha jiska matlab tha ki school se exams tak ki chutti...

par aaj ke din SIRIUS ke is old premise me lagbhagh saare hi seniors aur students aate the...

kyunki ek toh old SIRIUS ki yeh un chand limited jagahon me se ek thi joki c c.t.v monitoring se bachi hui thi but most importantly,kyunki thi toh ye SIRIUS ki hi property isiliye premi yugal ko pakad sanskriti ke naam par unhe apne baap ka maal samajh saza dene waale groups se safe thi ye place...

har saal school ke saikdon ladke ladkiyan apne crush ko propose karte the yahan aur yahi dekhne bohot se non committed bande bandiyan bhi aate the idhar jinme se mai aur mera group bhi ek tha...

SONU aur mai aaj uske dad ki bike,extreme 200 se aaye the aur hamari hi tarah baaki sab bhi apni family car se naa aa scooty aur bikes se aaye hue the jinhe unke main stands par laga saamne chal raha scene enjoy kar rahe the hum sab...

RASHI-guyzzz...hamara group is school ke sabse happening aur hot groups me se ek hai...

par phir bhi hamara relationship percentage bas 10 percent par hai...

only RAJAT aur NAISHA...yahi dono commited waale angle me fit baithe hain par hum baaki sab abhi tak single hain...

woh dono apni valantine celebrate karne ke liya pata nahi kahan kahan ghum rahe honge aur ek hum sab hain, dusro ko propose karte hue dekh rahe hain...

chii...aise hi toh life nahi nikal jaani hai apni...!!!

MAI-pehle ek baat bata RASHI...ye hot aur happening ka kya logic hai...!!!???

RASHI-obvio... happening tum sab...as in boys aur hot hum... girls...

PHUBBB....HAHAHAHAHA...

bottle se paani pee raha tha mai par RASHI ki baat sun woh paani bahar nikal pada tha...

paani gale me fasne ke kaaran halka khaasne ke beech bhi has raha tha mai aur mere saath saath SONU aur SONU aur EKPREET bhi has pade the...

ye dekh RASHI ke saath saath KHANAK bhi ghurne lagi thi hume...

RASHI-what's so funny...!!!???

MAI-hot kidhar se ho gaye tum log...!!!???

KHANAK-haww...how mean SANVY...

RASHI-mean nahi shitty lie...tu keh raha hai ki hum hot nahi hain...ghum kar check out kar le pure SIRIUS ko...

hamare takkar ke ungliyon par count kar lega tu...

EKPREET-waah re apni mooh miya mittoo...hotness dekhne waala tay karta hai...

aur yahan dekhne waale humare saath itne saare log hain...par mujhe toh kisi ki bhi nazar tumhare hotness par thehri naa dikh rahi...

KHANAK-sirf sentence ka hotness waala portion hi sunayi diya tha kya...!!!usse pehle hi tum boys ke liye happening bhi bola tha isne...

uspar koi comment nahi kiya tum sabne...

SONU-ssachi bbaat ppar appreciate kkiya jaata hai,ccoment nahi...

RASHI-waah ji...ab kaun ban raha hai apna mooh miya mittoo...!!!

MAI-it's the truth...proof dun...

hey guyzzz.. what's up...!!!???

humare right ki taraf thode door par B section ka ek group khada tha...3 ladke aur 2 bandiyan the woh jinko apne mobile par kuch type karte hue awaaz di thi maine jispar turant ghume the woh paanchon meri taraf...

MAI-vandana, right...!!!

beech me khadi ek hot bandi ka naam liya tha maine jispar panic hi kar gayi thi woh .

VANDANA-you, you know my name SANVY...!!!

MAI-ofcourse... section ek naa sahi, class toh ek hi hai naa...waise bhi,itni hot ladki ka naam naa jaanane ki gustakhi bhala kaise kar sakta hun mai...!!!

mere compliment ko sun sharm aur khushi se bana ek alag hi noor dikhne laga tha VANDANA ke face par...

MAI-party karen aaj shaam...!!!

LADKA 1-party...!!!tumhare saath...!!!

MAI-yup... what say...!!!

VANDANA-we would love to...

MAI-aur tum sab...!!!

SAB-we are in too...

pure excitement ke saath un sabne haan kaha tha jisse sun ghumi meri gardan RASHI aur KHANAK ke taraf...

MAI-now that's happening,right...!!!

darasal kuch der pehle yahi sab ek mahine as in exams pure hone tak no party ka oath le rahe the jisse suna tha hum sabne par mere puchne bhar se,they all broke there oath...

aur ye dekh mooh hi ban gaya un dono ka...

VANDANA-so, kahan...!!!i mean where would we meet...!!!

MAI- masoorie...CHITAMBARA...

MASOORIE ke most happening resorts me se ek tha CHITAMBARA...

par itni sahi location sunane ke baad bhi face thoda off ho chuka tha un paanchon ka...

MAI-kya hua...???any problem...!!!

VANDANA-problem...i mean koi aur time hota toh mom dad kuch nahi bolte par right now...!!!

P.L time hai isiliye i don't think ki they will allow us...

LADKA 1-haan bhai...yahin kahin ka plan banao naa...yahan,we can manage...

MAI-actually,aaj CHITAMBARA me ek awesome party hai and i have some passes...

meri baat sun ek dusre ki shakl dekhne lage the woh paanchon...

jaa woh sakte the nahi par mujhe mana karne ka dil bhi nahi tha un sabka...

MAI-hey relax...we will party some other time...

VANDANA-sorry SANVY, pehli baar tumne outing offer ki and we...

MAI-chill yaar...P.L ke baad L.P karte hai hum...

SAB-L.P...!!!

MAI- luxurious party...

HAHAHAA....

MAI-so... you were saying...!!!

un paanchon ke hasne ke beech wapas palta mai KHANAK aur RASHI ki taraf joki mujhe hi ghoor rahe the...

KHANAK-we were saying ki koi happening nahi ho tum log and we stick with our words...

RASHI-right...!!!ye sab admire nahi karte, darte hain tujhse...

aur inke jaise baaki sabka ye dar hi hai jiski wajah se koi hume bhi approach nahi karta...

they all think ki aisa karna tujhse panga lena hai...

EKPREET-waah re...saamne ka gaddha dikh raha hai,apni khaayi nahi dikh rahi tumhe...

girl boy angle par kab bhida hai SANVY kisise,batao toh zara...

KHANAK-isse kisise bhidne ke liye angles ki zaroorat kab se padh gayi...!!!

RASHI-aur nahi toh kya...???koi ghoor bhar se toh aankhein fod se ye uska...isse bas bahane chahiye hote hain ladne ke...

chidi hui thi RASHI aur KHANAK... upar se ladkiyon se unki galti manwana, bhagwan naa kar sake phir insaan kya chiz hai bhala...

behes me utar gayi thi dono par aaj debate ka mood hamare veere ko bhi chadh chuka tha...

har tark par apna vitark jhaade jaa raha tha EKPREET jisse haste hue enjoy kar raha tha mai ki tabhi...

BEEP BEEP...

mere phone ka msg tone baj utha tha...

ABBE JALDI AA...

NITS ka msg tha ye jisse sun halka sa confuse ho gaya tha mai...

saale ki fielding toh theek se set kar di thi maine aur playing erana me mera koi kaam tha nahi...

phir kaahe bula raha tha mujhe woh chutiya...

par saale ne bulaya tha matlab jaana toh tha hi...

SONU ke saath chupchaap nikal liya tha mai jispar ek dusre ke saath behes me bhide RASHI aur KHANAK ka dhyan hi nahi gaya...

CANTEEN:-

NITS...TU SCHOOL AAYA HAI...!!!PAR SANVY NE TOH BATAYA THA KI TU GHAR PAR HI HAI...

AUR WOH KAHAN HAI.. ACTUALLY WHERE IS EVERYONE...???

ANJALI thi ye jo abhi abhi DIMPLE ke saath CANTEEN me enter hui thi...

aur canteen me aate hi usse ek chair par akela baitha dikha tha NITS...

NITS...casual blue shirt aur contrasting grey chinos me kaafi sahi lag raha tha is waqt...

waise blue ANJALI ka favourite bhi tha isiliye ek second ke liye hi sahi,par nazar uski NITS par atki zaroor thi aur is ek pal ne NITS ka nervousness ko kam aur khudke upar ki gayi lipapothi waali mehnet ka payment usse de diya tha...

wahin kyunki final exams nazdik the isiliye aur senior classes ke p.l shuru ho chuke the, isiliye canteen puri khaali thi...

har taraf nazar ghumate hue SANVY aur baaki sabko dhund rahe the ANJALI aur DIMPLE ki nigahen...

aur NITS...

waise toh kaafi khubsoorat thi ANJALI par is waqt DIMPLE as in school ki sabse hot and beautiful ladki ke saath baithi thi woh...

par majaal hai jo NITS ne ek baar normal gesture ke liye DIMPLE ki taraf dekhne ke baad dobara uski taraf apni nazarein ghumayi thi...

ek tak ANJALI ke khubsoorat chehre ko nihaar raha tha woh...

ANJALI-batayega,kahan hai...!!!???

NITS-kaun...???

ANJALI-SANVY stupid aur baaki sab bhi...

NITS-you were expecting them here...!!!

ANJALI-obvio...SANVY ne text kiya tha thodi der pehle ki they all are here...

(wahi time jisme RASHI aur KHANAK ke saath convo ke dauran text kar raha tha SANVY)

NITS-it was a lie...

sidhe sapaat tarike se sach ke chaar shabd kahe the NITS ne par shayad itna hi kaafi tha...

NITS ke kapde,itne der se uski aankhon me dikh rahe bhaav,SANVY ka woh fake text,sabko jod sahi ganith lagane me waqt nahi laga tha ANJALI ko aur isiliye...

ANJALI-chal DIMPLE...chalte hain...

uthne ko hui thi ANJALI par tabhi uska haath thaam liya NITS ne...

dhakk sa kar gaya tha ANJALI ka dil...

ANJALI-NITS,ye...

NITS-I LOVE YOU...

DIMPLE-wow...

naa koi laag lapeth...naa kisi bhumika ka baandhna...bas sidhe aur saral tarike se apne man ke bhaav ko ANJALI ke saamne rakh diya tha NITS ne...

aise bhaav jinka andaza bohot pehle se hi tha ANJALI ko par har baar apne dil ko NITS ke baare me sochne se rokti aayi thi ANJALI...

par ab kya...!!!

ANJALI ka haath pakde hue hi bina koi sankoch ek tak uski aankhon me dekh raha tha NITS jispar ek pal ke liye ghussa chadha tha ANJALI ke dimag par lekin phir turant khudko shaant kar...

ANJALI-i don't love you...

NITS-cool...

turant ANJALI ka haath chhod wapas apni coffee cup utha li thi NITS ne jiski ummid bilkul bhi nahi ki thi ANJALI ne...

aur isiliye hi is baar uska ghussa daba nahi balki double speed se bahar aa chuka tha...

ANJALI-ye style kisne sikhayi...SANVY ne...!!!

NITS-haan...par sikhaya nahi,bas bataya...

ANJALI-really...!!!aur exactly kya bataya usne...???

NITS-wahi jo abhi kiya maine... expressed myself...

ANJALI-expressing without any emotion is nothing but bullshit...

NITS-hey...ab yahan tum ho GALATH...

tere liye,emotion ka samandar hai mere andar...

wapas apne natural masti bhare andaz me jawab diya tha NITS ne jo ANJALI ko aur bhadkane ke liye kaafi tha...

ANJALI-yaa right...!!! emotion ka samandar toh hai tere andar par sirf mere liye nahi... har khubsurat ladki ke liye jinhe dekhte hi laar tapkane lagta hai tu...

kamsekam mere saamne toh tu true love ki duhayi dena hi band kar......

aaj bhi i am sure ki tu isiliye hi aaya hai yahan... ladkiyan taadne...yahi fitrat hai naa teri...

aankhon se hi har ladki ko sar se lekar pair tak capture kar lena...

toh ye pyar ki nautanki band kar aur wahi kar jisme sahi hai tu...taad ladkiyan...

NITS-JUNE 15TH,2013...nana naani park...shaam ke 5 baje...

mesh flower gown pattern ki princess dress pehen duniya ki sabse cute ladki aayi thi us park me...

maasum sa chehra par aankhein utni hi shararti...

tujhe dekhte hi ajeeb si feeling ne janm liya tha mere dil me...

baccha tha isiliye tab samajh nahi paaya tha...par itna zoroor pata tha ki jo bhi thi,feeling special thi...

par phir tujhe pura dekha aur dekhte hi hasi chhut gayi thi meri...ab park me bhala kaun party dress pehen kar aata hai bhala...

cute si doll thi tu par tujhe dekh has raha tha mai aur tab bhi mujhe hasta dekh teri aankhon me wahi ghussa dikh raha tha jisse abhi dekh raha hun mai...

agle din SIRIUS me first day tha mera... excited aur nervous dono tha mai par ek chehre ko apni hi class me dekh nervousness turant khatm ho gayi thi...

tera chehra...

i remember,sardi lagi thi tujhe...nosy beh raha tha jispar baaki sab tujhpar has rahe the...

par us laal behti hui naak me bhi koi itna cute dikh sakta hai,mere samajh se pare thi ye baat...

22TH JUNE...

wapas nana nani park...wahi shaam ke 5 baje ka time...is baar normal blue baby top aur black jean me thi tu...

par us casual dress aur saadgi se bhare tere chehre ko dekh aisa laga jaise hazaron party ki jagmagahat tere hi ird gird chamak rahe hain...

mera best friend tera bhi bestie ban chuka tha...us pure hafte uske saath hi chipki thi aur mujhse utna hi door rahi thi tu...

tu meri bhi kabhi dost banegi,iski koi ummid nahi thi mujhe...

mai toh door se hi sahi par us din bhi tujhe dekh bhar ke hi khush tha...

par laal rang me lipte blue berries ki chocolates jab tune meri taraf badhayi, toh us chocolate ki mithaas ke saath apni chatpati dosti bhi gift kar di...

micky mouse waali teri first pumpkin shoes, first celebrity crush,hrithik Rlroshan ke dhoom again signature step waali teri jhalli tshirt, tera pehla table tennis tournament medal,yahan tak ki kayi baar fail hone ke baad finally first time successfully swimming kar lene par teri khushi aur bina sir pair waala victory dance...

teri har first cheez aur achievement ko tere se zyada celebrate kiya hai maine...

again,bina is ummid ke ki apni khushi me mujhe khudse zyada khush dekh mere liye kuch alag feel karne lagegi tu...

so as for your statement...bilkul sahi kaha tune...taadna...yahi asli fitrat hai meri...

par ek addition hai...taada maine bhale hi hazaaron ko hai,par dekha sirf tujhe hai...

aage bhi dekhunga... tujhe pyar nahi hai...fine with me...

waise bhi mujhe tujhse ikraar ki ummid toh thi hi nahi...itne saalon se tere liye mera ye jo dil hai naa,dhadak dhadak kar wazan badha liya tha isne...

ab bhi izaare-e-ishq naa karta toh iske wazan tale hi dab ke mar jaana tha mujhe...

bottom line...

"mujhse pyar na karna hakh hai tera,par tujhe dekhna,dekhte rehna,ye hakh hai mera...

MAI-kya baat hai lounde...mujhse apne kaam toh bohot karwaye hain tune,par socha nahi tha ki ek din apni respect bhi karwa lega...

NITS ke haale dil bayan karte hi SONU ke saath yahan canteen me pahunch chuka tha mai...

ek pillar ki oth liye sab dekh aur sun rahe the hum dono...

pehle toh DIMPLE ko ANJALI ke saath dekh NITS ka mujhe message karne ka kaaran samajh gaya tha mai...

waise toh is scene ke pure hone ke baad pelne waala tha mai saale ko par jo bhi kaha usne,dil par lagi thi har baat...

jahan ek taraf muskurate hue aage badh NITS ko hug kiya tha maine wahin dusri taraf mujhe dekh ab baari DIMPLE ke dhadkano ki thi raftar pakadne ki...

par ek teesra taraf bhi tha...ANI...

jiske face me is waqt zamaane bhar ka confusion tha...

aur aisa hona laazmi bhi tha... kyunki ek taraf tha woh ladka jo apne hosh sambhalte hi usse Ishq karne ka daawa kar raha tha aur dusri taraf uske theek saamne khada tha woh shaksh jisse usne apne hosh sambhalte hi apna dil de diya tha...

MAI-hey...just relax...waise bhi jo tere dil ka haal hai naa,ye aaj ke daur ka ek universal illusion hai jisme lagbhag har youth fasa hua hai...

meri baat sun aankhon me sawal liye mujhe dekhne lagi thi ANI jispar...

MAI-yahi...ki hum,as in the future,youth, intelegency ke maamle me bhale hi kitne bhi aage kyun naa ho...

par dil ke maamlon me hum sa anpadh koi nahi...hum,pehle toh kisi bhi non deserving bande aur bandi ko apna dil de baiththe hain..

aur jab result negetive aata hai toh apne dil ko itna GALATH bana dete hai ki deserving bande aur bandi ke time ek aur galti kar baiththe hain...

usse reject kar...

why...???sirf isiliye kyunki pehle ek baar dil toot chuka hai...toh...!!!

pehli baat toh ye ki dil sirf shayari aur gazal me hi kamzor hai,asal me nahi... sharir ka sabse zyada hardworking muscle hai hamara dil...

har dhadkan ke saath 71 gram khoon bahar fekta hai aur din me,2500 gallons...

ek maamuli dhoke ya denial se hi toot jaayega kya...!!!???

ye saari baatein isiliye nahi ki hai maine taaki NITS ke baare me sochne lag jaaye tu...naa...

agar kabhi aisa ho toh sirf tab ho jab tera dil tujhe iski ijaazat de...

tere confusion ko door karne ke liye bas ek fact rakha hai maine tere saamne...

baat sirf mohobbat ki nahi,SAHI aur GALATH ke beech ke fark ko samajhne ke baad apna dil haarne ki hai...

bas,is fark ke ganith ko samajh le tu,phir koi pareshani nahi hogi...

ye SAHI aur GALATH waali line DIMPLE ki taraf dekh kar boli thi maine jiska matlab DIMPLE ke saath saath ANI,NITS aur SONU bhi samajh gaye the...

wahin apni baat bol ANI ke gaal ko ek baar sehla aage badhne laga tha mai ki tabhi...

DIMPLE-maine toh ekdum SAHI ladke se mohobbat ki hai SANVY...!!!

DIMPLE ki baat sun rook gaye the mere kadam...!!!

DIMPLE-bolo naa...meri choice toh SAHI hai, right...upar se abhi tumne kaha ki dil bohot strong hota hai...

aur tumhara toh sabse strong hoga naa...kya bas ek baar,jo hua usse bhula mujhe maaf nahi kar sakte tum...!!!

kya ek baar phir se tum aur mai hum nahi ho sakte...!!!???

CHANNN...

ek kaanch ki glass rakhi thi side ke table par jisse apni ungli se jhatka de gira diya tha maine...

table ki height normal se thodi zyada thi isiliye girte hi kaafi zyada pieces me bikhar chuki thi woh kaanch ki glass...

MAI-

"dil mera patthar sa sakht hai,mumkin nahi ki koi isse TOD KAR DIKHAYE...

toota mera bharosa hai,usse durust karna ho agar toh...

pehle is toote kaanch ko koi pura JOD KAR DIKHAYE..."

nearly impossible tha un saikdon toote pieces ko bas dhoond saath me laana...

aur yahan toh maine PURA jodne ko kaha tha jisse karne me puri umr lag jaaye phir bhi shayad waisa perfectly naa ho paaye...

jahan ek taraf sir aur kandhe jhuk gaye the DIMPLE ke jispar ANI uske saath lag kar khadi ho gayi wahin dusri taraf mere wapas aage badhte hi is baar SONU aur NITS bhi mere saath ho liye...

PLACE-OUTISIDE THE PREMISE

HEY...YOU...WHAT THE FUCK...!!!

apni scooty ko back school parking stand se nikaal premises se bahar aayi hi thi KHANAK ki tabhi thodi door par saamne chal rahe nazaare ko dekh aakhein badi ho gayi thi uski...

dark helmet lagaye RASHI ke ird gird ek banda NINJA 390,wahi bike aur model jo SAM ke paas thi, ghum raha tha...

aur kyunki SIRIUS ke old school ka exit way waala raasta tha ye isiliye rush bhi naa ke barabar tha...

kuch log zaroor the par woh sab bhi apne apne partners ke saath the...

aur chal rahe scene ko bhi valentine ka normal situation hi samajh avoid kar apne apne raaste ho liye the...

khair,apni scooty RASHI ki taraf tezi se aage badha di thi KHANAK ne...

sach hi kehte hai,kharbooze ko dekhkar kharbooze ka rang badalta hai...

ye SANVY ki nidar aur bindaas ATTITUDE ka effect hi toh tha ki ek unknown hidden identity waale bande ko yun apne chaaron taraf round lagate dekhne ke baad bhi jahan ek taraf RASHI dari nahi balki ghusse me dikh rahi thi wahin dusri taraf thi KHANAK jisne apni scooty RASHI ke paas pahunchne ke baad bhi slow nahi ki thi balki woh toh sidhe us ninja bike ko thokne waali raftaar par hi kayam rahi thi...

badi tezi se us helmet dhaari bande ki bike thokne ke liye uske kareeb pahunch hi chuki thi KHANAK par tabhi...

ek side slide karte hue naa sirf us bande ne apni bike stand par lagayi par theek ussi moment me apni bike se utar RASHI ke theek saamne khada ho chuka tha woh...

ye sab itna zyada sudden hua tha ki jahan ek taraf RASHI ko ek jhatka sa laga tha wahin KHANAK ne bhi hadbadate hue sudden brakes apply kar diye the...

us nakabposh ke theek saamne pahunch ruki thi KHANAK ki scooty jiske baad khud ko sambhal turant gaadi side stand par laga utar gayi KHANAK...

RASHI-hey you...what the fuckkkkkkk...

bas itna hi chilla paayi thi RASHI ki tabhi usse kamar se hold kar apni taraf badi tezi se kheencha tha us biker ne...

khud se sata liya tha usne RASHI ko...

DHAKKK...

RASHI toh panick ho chuki thi par ye sab dekh KHANAK ka ghussa aur badh gaya tha...

isiliye usne baat nahi ki balki sidhe apni laath uske side hand par chala di thi...

par ye kya... laath padne par woh banda halka sa bhi hila tak nahi tha par kiya kuch aisa usne ki KHANAK ka ghussa halki ghabrahat me badal zaroor gaya tha...

darasal laath padne ke baad jab KHANAK ka pair neeche aane laga toh usse turant hold kar liya us biker ne aur diya ek jhatka...

nateeja...agle hi pal aage ki taraf ladkhadate hue KHANAK bhi RASHI ki hi tarah us biker ki giraft me thi...

waise toh khudko alag karne ki koshish RASHI ki hi tarah KHANAK ne bhi ki thi par sirf ek pal ke liye hi...

REASON...

khudse chipka peeth par ek tez jhatka diya tha biker ne dono ko jispar aisa feel hua RASHI aur KHANAK ko ki unki haddiyan chatak jaayegi...

dard ki adhikta ki wajah se sunn si padh gayi thi un dono ko bodies...

AEEE MADARCHOD...ROOK TERI MAA KI...LOUDE...

NITS tha ye jo apni baat bolne ke beech hi doud pada tha us biker ki taraf...

bhale hi ANJALI ke rejection ke baad bhi cool dikhaya tha NITS ne khudko aur kyunki ANJALI ke reaction ka andaza tha usse isiliye shayad woh cool tha bhi...

par pyaar ki acceptance naa mile toh taklif hoti hi hai jo NITS ko bhi hui thi...

isiliye CANTEEN se back space parking tak ka safar shaanti se kiya tha usne...SANVY aur dono bhi jaante the NITS ki haalath isiliye uske personal space se khudko door rakh thoda piche chal rahe the woh...

jahan NITS ki scooty entrance gate ke just side me thi wahin SONU ki bike kaafi andar...

isiliye NITS apni scooty nikaal gate par wait kar raha tha SONU aur SANVY ki par tabhi jo scene hua, usse pehle hi NITS ke negetive mind ko aur ghuma diya tha...

apni scooty chhod tez bhaaga tha biker ki taraf NITS...

waise us biker ki hieght aur personality kaafi achi thi...

mehsoos is baat ko door se hi kar liya tha NITS ne isiliye doudne ke beech jhukte hue raaste me pade ek average size ke patthar ko utha liya tha usne...

SOOBBH...

jaise hi thoda kareeb pahuncha NITS us biker ke toh apne haathon me pakde patthar ko tez feka usne par tabhi...

nishana kaafi hadh tak sateek tha...

chest me padne waala tha woh patthar us biker ke par tab bhi woh biker naa hata aur naa hi panick hua...

khade khade hi apne right leg ko straight up rotate sa kiya tha usne aur kisi football kick ki tarah hawa me hi us patthar ko apne mote woodland shoes se hit kar side me fekh diya usne...

kaafi speed se kiya tha usne ye kaam jispar hairangi toh hui thi NITS ko par woh rooka bilkul nahi...

aur yahi galti saabit hui uske...

DHAKKK...

AHHHH...

NITSSSSS....

us biker ka sidhe chest block foot hit padh chuka tha NITS ke chaati par...

impact strong tha jispar sidhe neeche gira tha woh...

pura chest area jam ho chuka tha uska jispar apne seene ko pakad neeche gira hua tha NITS...

par abhi bhi uski aankhon me dar aur dard se zyada ghussa tha us biker ke prati...

ghoor raha tha woh usse aur shayad ye baat us biker ke ego ko hit kar gayi...

isiliye RASHI aur KHANAK ko release kar NITS ki taraf apne kadam badhaye the us biker ne aur ye dekh RASHI aur KHANAK bhi samajh gaye ki NITS ko punish karne waala tha woh...

shoulder se jakadne ke liye turant dono jhapat hi padi thi us biker par aur aisa hone ke agle hi pal un dono ki kalayi us biker ke haathon me thi...

kalayi ko jhatka de unhe modne hi waala tha woh biker par tabhi...

VROOM....VROOM...

apne saamne se tez bike race ki awaaz padi us biker ke kaano me...

ye mai tha jo SONU ki bike ke riding seat par baitha tha...

NITS ke patthar fekne se lekar saare scenes dekh liye the maine..

VROOM....

AHHH...ABBE...

wheelie(saamne ka tyre upar hawa me)maarte hue bike aage badhayi thi maine...

itna sudden aur strong jhatke ke saath kiya tha maine ye kaam ki piche baitha SONU khudko balanced nahi rakh paaya aur gir gaya...

woh awaaz deta reh gaya par mai aage nikal chuka tha...

waise ye sab maine jaanbujh kar kiya tha...

kyunki normal nahi tha woh biker...i was deeply feeling it...

isiliye usse akele hi bhidna chahta tha mai...

par shayad same chiz us biker ne bhi feel ki thi mere liye...

kyunki jaise hi meri wheelie start hui toh ek pehle apne taraf kheenchne ke liye ek jhatka diya usne KHANAK aur RASHI ko par agle hi par forcefully dono ko ek tez dhakka de apni bike par baith first gear maar chuka tha woh...

girne ki wajah se jahan ek taraf KHANAK ki kohni chilla gayi thi wahin dusri taraf RASHI ko laga push thoda zyada tha...

concrete road par ladhkhada fisal kar girte hue aage mitti par dher hui thi woh...

mitti par ghisadne ki wajah se kohni toh bach gayi thi RASHI ki par hatheli chilla gayi thi...

khair, RASHI aur KHANAK ko girte dekh bike ka agla pahiya neeche kar unke paas pahunchte pahunchte gaadi apni kaafi slow kar di thi maine...

KHANAK-i am good...

RASHI-me too...

NITS-mai bhi theek hun bhai...tu nikal...chhodna mat us harami ko...

RASHI-par uski bike kaafi speedy hai...

MAI-aur is bike ko mai chala raha hun...

more importantly,ye dehradun hai...mera ghar jisse mujhse behter koi nahi jaanta...

bike aage badha di thi maine par bas doo cross way ke baad ek baar apni watch ko dekh bike apni left ki taraf mod di maine..

waise bike modne se pehle hi meri nazar se lagbhag ojhal ho chuka tha woh banda...aur jis raftar se itne door pahuncha tha woh,speed abhi tak 100 se zyada nahi badhayi thi usne...

anyways,mall road ki taraf badh raha tha woh rider jahan SIRIUS ke radar se bahar nikalne ke baad first traffic signal tha...

a three way traffic signal...

and as i said, kyunki hamare school radar se nikalne ke baad pehla signal point tha woh isiliye traffic kaafi zyada rehti thi wahan...

but more importantly,red switch 40 seconds tak on rehta tha us signal par lekin green bas 20 seconds ke liye...

traffic signal ki timing 24 hour clock ke according chalti hai...

12 baje sharp mere front taraf waale light ka signal red hota tha...

aur us time left signal light paas on waali hoti thi...green...

filhal 12 bajkar 8 minutes aur 10 seconds hue the...

matlab exact 30 seconds baad signal green hone waala tha...

us biker ki speed ke hisaab se agle 25 seconds ke woh us signal par pahunchne waala tha...

sirf 5 seconds ka wait tha but i was sure ki us wait ko avoid karega woh...

kyunki mujhe avoid karna tha usse isiliye he will turn the green way...

matlab left...

baloda highway road...khaali bhi aur national highway se connect hone waala best route bhi...

ussi route me jaayega woh, by brain or by sere coincidence kyunki options baaki sab ghumav daar aur hecky the...

upar se back view mirror me kahin bhi nahi tha mai...

saare ganith lagane ke beech average traffic ke baawjud 100 ki speed paar kar chuka tha mai...

VROOOMMMM...

ghusse se ek baar tez acceleration dene ke baad apni bike ka ignition off kar diya tha biker ne...

REASON...

andaza ekdum satik laga tha mera...

signal se left maarne ke baad woh biker wakayi baloda highway hi pahuncha tha jahan pahunchte hi do roads jaate the...

ek wapas sheher ki taraf aur dusra N.H 56...

sheher ki taraf wapas mudne ka koi logic tha nahi isiliye sidhe highway waale road par gaadi badha di usne...

par highway tak pahunchne ke beech ek round turn mitti waala un build road tha...

road ke dono taraf maidan the aur dono hi maidon ke seero se patle raaste nikle hue the...

unhi raason me se ek woh tha jahan se mera liya short cut mujhe directly yahan unbuild road par pahuncha chuka tha...

right taraf waale maidan ke edge par apni bike stand par laga us unbuild road ke theek beech cross haath baandhe khada tha mai...

waise toh biker left se ghoomte hue nikal sakta tha par i had a feeling ki aisa kuch nahi karega woh...

he will face me aur meri ye thought agle hi pal sahi ho gayi...

apni bike bhi mere bike ke seedh me stand par lagaya usne...

chalte hue wapas maidan par aa chuka tha mai...

is road par rush naa ke barabar rehti thi aur abhi toh thi hi nahi...

khair,abhi tak helmet nahi utara tha usne par mere uski taraf badhte hi woh bhi meri taraf badhne laga tha...

kuch hi palon me ek dusre ke saamne the hum dono...

MAI-aisa kaun sa jaana pehchaana chehra hai is helmet ke piche jo tu chhupaye khada hai...!!!

mere sawal par kuch kaha nahi us biker ne...

MAI-jawab tere hidden number plate se lun mai...!!!

bike ke aage,piche,dono taraf ke plates black colour ke kapde se dhake hue the...

apni baat bol bike ki taraf badh chuke the mere kadam par tabhi...

THABBB...BHAKKK....DHAKKK...DHAK....DHAKKK...

mere color ko piche se pakad liya us biker ne jiske baad usse jhatak mujhe neeche girane hi waala tha woh ki tabhi...

jaanta tha mai ki agar kiya toh aisa hi koi move karega woh...

i was prepared...jaise hi uska haath apne color par feel kiya maine,sir ko apne piche kiya maine...kaafi speedily...

mere aisa karte hi ab uska haath meri gardan par solid laga hua tha aur ussike grip se back pressure banate hue apne left hand piche kiya maine aur uske haath ko pakad liya...

aage as in apni taraf tez jhatka diya main usse and at the same time,apni kohni bhi piche uske stomach ki taraf ghuma di...

but he was good...last moment me mere move ko anticipate kar liya usne aur apne right palm se mere elbow ko boock kar diya usne...

but if he was good,i was better...

uske palm par apni kohni ko shrug off karte hue halka ucchal helmet par elbow hit maar diya maine....

ab helmet ki wajah se asar uspar kuch hona tha nahi par haan,is sudden unpredictable attack ki wajah se hadbada zaroor gaya woh aur yahi toh plan tha...

chest par uske super fast do punch jad diye maine lekin third punch hit ho,usse pehle hi bijli ki gati se side haththe hue mere palm hit ko dodge kar diya tha usne...

par ek baar phir baari thi uske surprise hone ki...kyunki uske saath saath mai bhi uski speed se move hua tha and in the next moment,uske shoulder joint par mera elbow hit kar gaya tha...

GGRRRHHH...

ek tez grunting sound uske mooh se nikli par shock ka usse bhi tez dhamaka uske dimag me hua tha...

REASON...

HAWKER...

un din TULIP GARDEN me jis HAWKER se bhida tha mai aur jisne mujhe barabar se kuch zyada ki hi takkar di thi, ye biker wahi tha...

par us din ke aur aaj ke SANVEER me zameen aasman ka fark tha...

us din mera uske saamne tikna agar mushkil tha toh is baari uska mere saamne khada hona impossible hota jaa raha tha...

itne kam time me itna zyada improvement...imagine nahi kiya tha usne...

khair,halka piche hokar khada ho chuka tha woh aur helmet ke piche apni laal ho chuki aankhon se ghur raha tha mujhe...

MAI-who are you...!!!???

BIKER-MR CHOUDHARY ke bete par haath nahi uthana chahiye tha tujhe...

MAI-ab ye bata ki actually bheja kisne hai tujhe... choudhary ne,uski wife ne ki SAM ne...

aur agar hisaab mere se tha toh meri friends ke saath ochhapan kyun kar raha tha tu...!!!???

BIKER-taklif ka hisaab taklif dene waale ko nahi balki hamesha KAARAN ko dena chahiye...

tera kaaran kya tha...haath kiske liye uthaya tha tune...apni ek friend ke liye hi naa...

toh hisaab bhi tere friend's me se hi kisiko dena padega...aaj nahi hua toh phir kabhi ho jaayega...

par hoga zaroor...

kab tab bachayega tu...

MAI-filhal toh tereko niptaaunga...aur aisa niptaaunga ki teri haalath dekh phir koi aur try karega hi nahi...

mere bolte hi apne jacket ke back pocket ki taraf bijli ki gati se gaya us biker ka haath aur agle hi pal ek SIG SAUER hand gun chamak uthi thi...

BIKER-nipatana kisse kehte hain,chaahun toh abhi mehsoos kara dun tujhe par nahi...

you want a fight...i am gonna give you one...

DHABBBB... DHABBB...DHABB....

apni baat bol gun wapas piche fasane ke baad like a flash,meri taraf badha tha woh aur agle hi pal ek round kick ghuma di thi usne jisse dodge kar diya maine...

but ye bas ek shuruwat thi...agle 20 seconds me 20 se zyada alag alag alag super fast moves se attack kar diya tha usne mujhpar lekin BLIND EYE practice ki wajah se itna zyada fast ho gaya tha mai ki woh superfast moves bhi slow hi lag rahe the mujhe...

biker ne bhi is baat ko feel kar liya tha isiliye move ke angle ko change kar neeche jhuka woh...

dekhne par aisa laga jaise frog ki tarah jump karega woh mujhpar lekin aisa tha nahi...

ek crook move tha ye...

neeche padi mitti muthi me bhar mere face par ucchal diya usne...

is below the belt move ko expect nahi kiya tha maine isiliye agle hi pal woh saari mitti mere aankhon me ghus chuki thi...

mouka acha tha isiliye mujhe apne aankhon ko saaf karne me busy dekh ucchalte hue ek high arm punch mere face ki taraf ghuma diya biker ne par tabhi...

us panicked situation me bhi mera dimag behadh shaant tha...

yahi wajah thi ki my ears and from my ears,mere brain ne bhi biker ke meri taraf koodna start karte waqt mitti ki charmarahat feel kar li thi...

yahi nahi,i felt his body coming towards me aur isiliye...

DHAKKK...

band aankhon ke saath double speed se mai bhi saamne ki taraf ucchal gaya...

foot mera saamne ki taraf jhatak kar strech ho raha tha aur mid air me meri taraf badh rahe biker ne mere is perfect move ko bilkul bhi expect nahi kiya tha...

yahi reason tha ki completely strech hote hi mera foot ek super solid impact ke saath biker ke chaati se takraya tha...

impact ka asar issi baat se pata chal raha tha ki hit lagte hi piche ki taraf halka udte hue gira tha woh biker...

itna hi nahi,aisa feel hua usse jaise woh kisi insaan ke pair se nahi balki kisi bhaari pedh se takraya ho...

mooh se niklata halka khoon is baat ka saboot bhi tha...

wahin dusri taraf dikh bhale hi mujhe kuch raha tha nahi par mere hit ka impact...i felt it too isiliye...

MAI-thats for my friend...aaja baaki ka hisaab bhi kar lete hain...

NITS ke chest par maare biker ke laath ka hisaab uske khoon rupi byaaj ke saath kar liya tha maine...

CHRRR...

apne aankhon par haath jhatak unme gayi dhool ko saaf karne ke beech biker ke agle move ka intzaar kar hi raha tha mai ki tabhi uske khade hone aur phir doudne ki awaaz suni maine...

pehle toh mai usse apni taraf aata feel kar satark hua par agle hi pal bin dekhe hi scene clear ho chuka tha mere liye...

woh biker meri taraf nahi balki ulat direction as in apni bike ki taraf bhaaga tha...

ye feel kar aankhein kholne ki koshish ki maine apni par dhool ab bhi kaafi bachi thi isiliye kaafi blurry view dikh raha tha mujhe...

but fir bhi,jitna dikha,uske anumaan se mai bhi bhaag pada par tabhi...

VROOOMMM...

uski bike ke on hone ki awaaz padi mere kaano par...

apni jagah par hi kaat ulta ghumane ke baad first gear daal clutch chhod diya tha biker ne aur theek ussi waqt...

bike ki cowl fairing ko dono haathon se pakad liya maine...but c.c kaafi zyada thi bike ki isiliye hold par rakhna usse asaan nahi tha...

agar apne acrobat skills ko use kar fairing ki madad se front flip maarta mai tab bhi ek time me baad grip dheeli karni padti mujhe aur mere aisa karte hi mere back seat par baithne se pehle bike aage badh chuki hoti...

upar se view ab bhi kaafi blurry tha mera...bottom line, filhal biker ko rok nahi sakta tha mai isiliye...

TANNNN....

ghusse se fairing ke side part par ek zor ki elbow hit ki maine aur bike ki high grunting sound ke beech bhi zor se dahada mai...

MAI-sun...aur dhyan se apne magaj me baitha...

jo aaj hua hai woh har BAAR HOGA...

chot naasur ban jaayega jahan jahan mera WAAR HOGA...

hawa se kaam naa chali, agli baar aandhi le aana magar yaad rahe...

jiske aage har aandhi rookegi,saamne khada hamesha SANVEER naam ka woh PAHAAD HOGA...

AAJ KE LIYE ITNA HI...

AAPKA APNA V...J...
 
expectations
23,522
15,522
143

superb update dost
 
Top