ThanksAwesome
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY AUR DIMPLE KA RELATIONSHIP SABKE SAAMNE OFFICIAL HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF PRINCE SE PARAG AUR USKE DOST SANVY SE PEETH JAATE HAIN.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-74
DATE-24TH NOVEMBER
CITY-DEHRADUN
PLACE-SIRIUS
GOOD MORNING STUDENTS...
GOOD MORNING MA'AM...
PRINCI thi ye jinke gesture ke baad students ka jo return gesture sound assembly me echo hua,usme students ka high excitement level saaf feel kiya ja sakta tha joki laazmi bhi tha...
aaj finally PRINCI hume woh third unknown reason batane waali thi jiski wajah se SIRIUS ka 100th annual sports meet alag aur hatke hone waala tha...
exam period ke beech us unknown reason ko jaanane ka excitement aur badh chuka tha students me aur iska ek khaas kaaran bhi tha...
PRINCE je students se hui hamari khaas mulaakaat ke baad jab hum sab canteen se nikle toh humne dehradun ke sabhi naami schools ke kayi sports official ko premises me dekha tha...
ab aisa hona coincident toh ho sakta tha nahi...
isiliye PRINCI ke stage par aate hi sabke aankh,kaan,naak sabhi pure unpar focused ho chuke the...
PRINCI-first of all, i hope ki aap sabke exams kaafi ache gaye honge...
waise i like to be sure par faces par aap sabke jo sukoon dikh raha hai,i am unable to understand ki ye relief papers ache jaane ke hain ya exams khatm hone ke...
HAHAHAHA...
PRINCI ke sarcasm par unke piche khadi teachers aur dusre faculty members ke saath saath saamne khade sabhi students bhi has pade the...
PRINCI-anyways,i know ki aap sab aane waale sports meet ko extra special banane waale third unknown reason ko jaanane ke liye bhi bohot excited hain...
SIRIUS ke itihas se ittafaq rakhne waale students ke liye ye frame of words suna hua hoga...
INTER SCHOOL'S SPORTS VISUAL MONITORING....
rung a bell!!!
jahan PRINCI ke mooh se un chuninda highlight kiye words ko sun bohot se students ke faces par question mark waala expression aa gaya tha wahin bohot se aise bhi students the jinke face par answer janane waala excitement bhi dikhne laga tha...
YEAR 1994... FIRST INTER SCHOOL SPORTS MONITERING OF DEHRADUN WHICH WAS CONDUCTED BY OUR SCHOOL,SIRIUS...
SAM tha ye... baat sports meet ki thi isiliye hamare school ka champ sabse aage ki line me jaakar khada tha...
SAM ke jawab ko sun halki si smile di PRINCI ne aur...
PRINCI-right,but only 50 percent..1 important aspect ko GALATH bata diya tumne SAMEER aur 2nd bataya hi nahi..
sirf DEHRADUN me hi nahi, balki SIRIUS pure INDIA me pehla aisa school bana tha jisne apne sheher ke sabhi school's me sports ki visual monitering karwayi thi...
har school ke students apne school ground me baithe hi baith hi dusre school's ke sports activities ko live dekh paaye the and sports officials har race aur other activities ko moniter kar paa rahe the...
par SIRIUS ka aisa karna sirf koi show off nahi tha,it has a reason behind it...
aur woh reason tha authenticity check...
har school ke saare sports activity aur uske result ki mutual referees ke through live monitering ki jaa rahi thi taaki actual results ko koi bhi fake na bana sake...
aur aisa karne ka bhi ek reason tha...har school ke sabhi races ke winners ki timing note kar rahe the officials...
kyunki har school me se jin bhi students ki timing best hone waali thi,woh students directly NATIONALS ke liye qualify kar jaane waale the..
and with this,i come to the second point jo bataya hi nahi SAMEER ne...
us idea se hamare school ka sirf ek student nationals ke liye qualify kar paaya tha aur usne sirf qualify hi nahi kiya balki he became the youngest boy in the history of our countries NATIONAL OLYMPICS MEET jisne 400 metres race me GOLD earn kiya tha..
and he is none other than...
JAIDEN CHOWDHARY...
ek sur me sabhi students ke mooh se nikla tha ye naam jispar dheere se nod kiya PRINCI ne...
SIRIUS-1994 me MR JAIDEN CHOWDHARY ke us remarkable feat ne naa sirf SIRIUS ke liye balki pure dehradun me glory laaya tha...
he is not only an icon of our school but also for other schools too of our city...
aur isiliye jab MR JAIDEN CHOWDHARY ke hamare 100th sports meet par guest of honour hone ki baat dusre schools ko bhi pata chali toh they all came up with this LIVE MONITERING IDEA
which i approved but with a slight modification...
aur woh ye ki LIVE VIDEO MONITERING sirf SPORTS MEET ki hi nahi balki practice sessions ke bhi honge...
yes,aapki practice bhi aapke rivals dekh paayenge aur aap unke...
it will keep you all up to your toes...
anyways,maine is idea ke baare me MR CHOWDHARY se baat ki and he delightfully approved...
itna hi nahi,unhone national athelete organization se bhi baat ki aur jo deal 1994 me mili thi,woh aap sabke liye is baar bhi on hogi...
is baar bhi sabhi school's ke best champs ko directly national me participate karne ka mouka milne waala hai...
par uske liye, double hard practice karni hogi aap sabko aur isiliye hi ab se sports meet tak aakhri ke chaar periods aap sab practice karenge...
so, give it your best and make us proud...
ek cheerful smile ke saath apne last words bol stage se utar gayi thi PRINCI par unke announcement ne sabhi sports lover aur participants ke dil me adrenaline rush ko badha diya tha...
baat hi itni badi thi...jo kaarnama JAIDEN CHOWDHARY ne kiya tha,jiski wajah se unhe national lime light mili thi,wahi kaarnama karne ka mouka ab saare students ko bhi mila tha...
to rewrite the history...the news was big...yahi wajah thi ki bhale hi sports practice ke liye timing last 4 classes ki rakhi gayi thi,par pehle 4 periods me bhi topic of discussion sports hi raha tha...
KRRRRRRR.......
NITS-oh bhai sahab...gazab yaar...
SPEED OVAL...SIRIUS ke gigantic aur kisi bhi lihaz se international race tracks ko takkar dene waale ground ka naam tha ye...
a place where champions are born...
20 big stands se ghira ek lushy aakarshak ground jiske edges se 20 metres aage zebra straps ki tarah bane the race tracks...
SIRIUS ke school aur college,dono hi divisions ka common race track ground tha SPEED OVAL joki dono hi premises ke centre me bana hua tha...
aur issi SPEED OVAL ke entrace par kadam rakhte hi NITS ki tarah har kisi ki aankhein saamne ke scene ko dekh choundhiya gayi thi...
scene hi kuch aisa tha...
circle sa banate hue ground ke har bhaag me kul 10 V.M.S(VISUAL MONITORING SYSTEM) ke bade bade parde lage hue the jinme hamare 10 competetor schools ka practice scene saaf dikhayi padh raha tha...
4k ultra hd se ho rahi video monitering itni saaf thi ki aisa feel ho raha tha jaise hamare ground ke saath un sabhi 10 schools ke ground merge se ho gaye hon...
video ke saath screen ki audio quality bhi itni clear aur audible thi ki har ground me ho rahi cheer aur hootings hume bhi kaafi hadh tak saaf sunayi de rahi thi...
RAJAT-arre waah...ye B waalon ne toh 100 metre ki practice bhi shuru kar di hai...
ROHAN,NEERAJ aur B section ke kuch aur ladke 100 race track par khade the...
2,2 ki pairing me race kar rahe the woh sab aur MAANIKPURI SIR unke speed ki monitoring kar rahe the...
wahin tracks ke dono taraf kaafi students ki bheed bhi thi joki obviously ROHAN ke fans the...
stretching kar raha tha woh jiski kuch girls chupke se pics le rahi thi aur kuch students uske build up muscles ki taarif kar khudko bhi uski tarah fit banane ke liye self motivation de rahe the...
NITS-chal bhai...MAANIKPURI SIR ki gardan apni taraf ghumi toh is SAM ke saath hume bhi gadha mazdoori pe laga denge woh...
SAM-kya matlab be...???mai idhar tracks par gadha mazdoori karta hun...
NITS-ghoda mazdoori...speed teri ghode jaisi jo hai par apan se na hota practice...
EKPREET-waah beta...tu toh is baar participate karne waala tha naa...!!!
NITS-tha nahi beta,hun...aur cheeteh ko tez doudne ke liye practice ki zaroorat nahi hoti...
SONU-ppar abbhi ttoh tune kkhudko gadha bolla ttha nnaa...
NITS-bade buzurg bol gaye hain,achi baaton par hi dhyan lagana chahiye...
par nahi,ul julool statement ko hi record me rakh tu...
hat louda,ab toh shakal bhi naa dekhni tum me se kisi ki bhi mujhe...
turant palath ek stand ki taraf badh gaya tha NITS par uske aisa karne ka asal reason kuch aur tha...
DAS SIR aur CHARLIE SIR dono hi tracks ki taraf aa rahe the...ab unka aana maane yaa toh practice ya phir junior section ke bacchon ki volunteering...
isiliye NITS badh liya tha aur NITS hi kya...DAS SIR aur CHARLIE SIR par nazar padte hi mai aur EKPREET bhi kat liye the...
baaki SAM ke saath SONU aur RAJAT joki hamare school ke ache racers me se ek the,teeno hi hand swings aur moving strech karne ke beech tracks ki taraf badh gaye the...
AKELE KYUN BAITHI HO...!!!
ANJALI se sawal kar ussike baaju me baith gayi thi DIMPLE...
stands par baaki girls se kuch foots door baithi mobile scroll kar rahi thi ANJALI...
nazar bhale hi uski phone par thi lekin face par uske ek alag hi seriousness thi aur ye bhaav bas abhi hi nahi ubhre the...
pichle 2 dino se hi jab se SANVY aur DIMPLE ne apne relationship ko official kiya tha,tabhi se normal se thoda kam bolne lage thi ANJALI...
notice kiya tha is baat ko DIMPLE ne aur isiliye hi usse akele dekh uske paas aayi thi woh...
ANJALI-nothing yaar...bas mails scroll kar rahi thi...
DIMPLE-liar...scroll karte waqt pupils bhi upar niche shake karte hain but yours were still...!!!
ANJALI-wow...baar baar proof karti ho tum ki why you are the perfect match of SANVY...
DIMPLE-ye acceptance dimag ka hai ya dil ka bhi...
DIMPLE ki baat sun uski taraf mudi ANJALI ki gardan...
ek pal usse dekha ANJALI ne aur ek lambi saans chhod...
ANJALI-SANVY toh bolega nahi,means tumne khud jaana hai ki i have feelings for him...
DIMPLE-now who's the perfect match...??? prediction toh tumhari bhi kaafi achi hai...
ANJALI-do logon ke beech match sirf d.n.a ya dusre organs ka hi nahi balki feelings ka bhi hona chahiye...
aur woh match tumhara aur SANVY ka hai...
DIMPLE-hoga par jo bond tum dono ki hai,woh meri aur usko kabhi nahi ho sakti...
ANJALI-true...par is bond ka ek naam bhi hai... friendship...jaise tumhare bond ka ek naam hai...love...
dono ko mix karna theek nahi...
DIMPLE-tumhara udaas rehna bhi toh theek nahi...
ANJALI-udaas toh mai tab bhi hui thi jab mujhe pata chala tha ki mere jazbaat ek tarfa the...
tum toh thi hi nahi us waqt...gumon ka daur thoda lamba chala tha...
kya karen,dil ke operation jaisa haal tha...recovery me waqt lagna hi tha...
DIMPLE-is baar bhi lagega...
ANJALI-naa...is baar ka jhatka pre assumed tha...laga kuch yun hai ki asar hai par fikr nahi...
i will get over it...waise bhi,tumhari jitni naa sahi,par i am bloody ANJALI UDASI...
one of the hottest girl around...ladkon ki kami naa hai mujhe...
DIMPLE-par koi bhi ladka SANVY nahi ho sakta...
ANJALI-true that... par ab SANVY chahiye bhi nahi... uspar sirf tumhara copyright hai...
and make sure ki ye copyright rahe hamesha...
rahi baat meri,i like original...
MAI-i like that ATTITUDE...
ANI ke dusri taraf aakar baitha tha mai...
DIMPLE-lo, khud bata do isse ki kitni khamiya hain janaab me and that's why you have rejected him..
mujhe dekh ek halki smile ke saath khadi hui NEW GIRL aur stands se utar tracks ki taraf chal padi...
andaza tha usse ki thoda sa hi sahi par mera aur ANI ka baat karna uski udaasi ko khatm kar dega...
ANJALI-waise toh tujhe completely samajhna impossible hai...
par phir bhi,mujhe nahi laga tha ki thoda hi sahi par koi aisi hogi jo tujhe mujhse behter samajh paayegi...
she is perfect for you...she feels you...
MAI-yaa...but the question here is,what are you feeling...???
ANJALI-thankful to you...
ANI ki baat par usse dekhne laga tha mai jispar ek halki smile carry kar...
ANJALI-i know jaisa tu DIMPLE ke liye feel karta hai,mere liye kabhi bhi feel nahi kar sakta...
MAI-ANI...
ANJALI-let me finish...nahi ho sakta pyar tujhe mujhse but at the same time,mai ye bhi jaanti hun ki teri meri bonding itni solid hai ki meri sadness ke liye tu ek nahi,hazar relationship chhod sakta hai...
par tujhe pata hai ki agar tu aisa karta toh woh friendship nahi,tera mujhpar ehsaan hota...taras hota...
isiliye thanks... mujhpar taras naa khaakar mujhe apna dost hi maane rakhne ke liye...
MAI-tu kabse itni samajhdar ho gayi re...!!!
ANJALI-bhul raha hai... VERONICA PAUL AHARYA ki beti hun...samajhdari toh hogi hi...
MAI-true that...
ANI ko side se khudke saath sata liya tha maine aur door tracks se ye dab dekh rahi NEW GIRL ke face par ek pyari si smile naach uthi thi...
RASHI-wahan kya ho raha hai...???
humse thodi door baaki girls ke saath baithi RASHI ki baat sun pehle uski taraf aur phir jahan woh dekh rahi thi, tracks ki taraf meri aur ANI ki nazarein bhi ghum chuki thi...
tracks par is waqt SAM khada strech kar raha tha par RASHI aur ab uske saath hum sab ke shock hone ka kaaran tha uska outfit...
school dress me nahi balki running joggers me tha is waqt woh...
saath hi saath SAM aur baaki sabki nazar PRINCE waale visual monitor ki taraf ghumi hui thi jahan is waqt zoom in mode on tha aur kaafi students wahan unke ground me bhi gathered the...
ANI-whats happening...???
hum sabhi lagatar strech kar rahe SAM ke paas pahunche the...
EKPREET-arre parso tere se pelaya tha naa woh PRINCE ka lounda,PARAG...
visual monitor me uski nazar SAM par padi and ROUNAK ke phone se hi called him...
RAJAT-and he challenged SAM...
DIMPLE-really...!!!
NITS-par kaise...???
woh udhar se race karega aur tu idhar se...phone par start time me differentiation aa sakta hai...
SAM-ye pata hai usse bhi...it will be a timing race...pehle woh daud raha hai udhar se aur phir mai...
jiski timing dusre se kam rahegi,he will win...
DIMPLE-zaroori hai karna ye...!!!you are the interschool champion..tumhe kuch bhi prove karne ki zaroorat nahi...
SAM-true...par champ hone ke agar perks hain toh nuksaan bhi hain...
jaise ki if anybody challenges ne in public,i cant backoff...
RAJAT-aur jeetega bhi tu hi...
MAI-asaan nahi hoga...he will be good...
meri baat sun sabhi mujhe surprised hokar dekhne lage the...
ANJALI-tune dekha hai usse doudte hue...!!!
MAI-nopes...par agar woh acha nahi hota toh pehle doudne ke bajaye SAM ko first go ke liye push karta...
and again,champ hone ki wajah se ye haan hi bolta...
par usne aisa nahi kiya which means ki usse apni speed par bharosa hai...
SAM-you really think he can beat me...!!!
MAI-not sure par uske doudne ke baad tu nervous zaroor dikhega, that i am sure of...
meri baat ka koi jawab deta SAM,usse pehle hi uska cell ring hua jiski dusri taraf PARAG tha...
visually parde par phone pakad hamari hi taraf dekh raha tha woh...
par akela nahi tha PARAG...ek hot bandi bhi thi uske saath aur jis tarah sat kar khadi thi woh,g.f lag rahi thi uski...
SAM-yaa,i am all set...apni race shuru kar tu...
PARAG-that's rude SAM... competetors hun toh kya hua,ek all the best toh banta hai naa...
SAM-yahi toh galathfehmi hai teri...khudko mera competition samajhta hai tu...
PARAG-galathfehmi kisse hai,mere race complete karne ke baad clear ho hi jaana hai...
phone hang up kar running stride me aa chuka tha PARAG aur uske aisa karte hi PRINCE me hi nahi balki yahan hamare ground me bhi sabki nazar uspar hi tik chuki thi...
GO...
timer on karte hue race start kar chuka tha ek banda aur aisa hote hi goli ki tarah aage nikal chuka tha PARAG...
DAMN...HE IS FAST MAN...
dekhne waalon me se kisine man me toh kisi ne out loud kahi thi ye baat joki sach thi...
bohot hi achi speed and more importantly,us speed ko continously carry karte hue apna last round bhi aadha pura kar chuka tha PARAG...
TAPP....
52.6 seconds...400 metre ke liye yahi tha state level record jiski barabari kar li thi PARAG ne...
SAM jisne PARAG ke race shuru karte hi apna stop watch on kiya tha,usse off karne ke beech PARAG ke run time ko dekh pasine ki ek boond giri thi uske maathe se...
52.7...
SAM ka 400 metre record tha ye jisse ek nano second se hi sahi,beat kar diya tha PARAG ne...
ab ye timing baaki sabse bhale hi chuppi hui thi par SAM ko toh pata hi tha ki bina saath me doude bhi PARAG ne usse beat kar diya tha...
jahan is waqt screen ke dusri taraf sabhi PARAG ke speed ko appreciate karne me lage hue the wahin SAM ke sabhi friends, admirers aur well wishers usse all the best kehne me lage hue the...
MAI-aisa kyun lag raha hai jaise bina doude hi haar gaya hai tu...
SAM ke kandhon ko hold kar usse le ek taraf ho liya tha mai aur meri baat sun shoulders neeche hone lage the uske...
MAI-ek physiological term hai...C.V.
CREATIVE VISUALIZATION...
khudke future glimpse ka apne se hi ek paremater set karna... that's the definition of C.V.
mere saath douda hai tu... mujhe aage nikalte dekha hai tune aur bhale hi you were not able to beat me,i am sure ki apne dimag me kayi baar extra effort daalte hue mujhse aage nikla hoga tu...
SAM-har baar...
MAI-ussi effort ko ek baar aur use karna hai tujhe...akele doudega tu par visualize me running with you...beating you through out...
SAM-kya usse wakayi hara dunga tujhe...what will i achieve...!!!
MAI-karm kar baalak...fal ki chinta na kar...
EKPREET-chal bhai...
SAM ke liye starting block laga diya gaya tha...ek baar mujhe dekh race track ki taraf badh chuka tha SAM...
is beech screen par ek vyang bhari muskaan liye pehle thumbs up kar thumbs down kiya tha PARAG ne...
ON YOUR MARKS,SET,GO...
EKPREET tha ye jisne race shuru karwaya tha aur aisa hote hi SAM jis intensity se bhaga tha,bina bole bata diya tha usne ki why is the champ...
hawa ke tez thapede apne chest par le unhe chirte hue aage badhte chala gaya tha SAM...
NITS-woo...yaar,SAM hai fast par itna tez bhaagte nahi dekha maine pehle kabhi usse...
MAI-kyunki dimag me uska competition PARAG nahi mai hun...
apne aap se kahi thi maine ye baat...the C.V PSYCHOLOGY was working aur ye agle kuch seconds me prove bhi ho gaya tha...
51.7 seconds...
WOWWWWWWWWW......
PARAG se exact 2 second pehle complete ki thi apni race SAM ne joki ek wakayi behetarin feat thi...
kyunki PARAG ke saath aaj SAM ne khudke previous best timing ko bhi kaat diya tha...
THANKYOU...
saare friends aur baaki students ke joint hug me ghirne ke beech mujhe dekh lips hilaye the SAM ne jispar bas halka sa has uski taraf badh chala tha mai...
DIMPLE-that was impressive...
SAM-wooo...DIMPLE BATRA ke mooh se applause...
tum keh rahi ho toh phir wakayi i was good...
DIMPLE-indeed you were...
NITS-laga toh us chaman bahar ko phone...
SAM-zaroorat nahi hai...hi is calling...
yup...
PRINCE ke screen ki taraf jahan is waqt PARAG, uski G.F aur ROUNAK ke saath kuch dusre ladke bhi khade the,mood speaker me daalte hue call pick kiya SAM ne...
PARAG-congrats brother...i must admit,you are what they say you are...
SAM-well you surprised me too... bohot achi speed hain tumhari...
USKI BHI AUR MERI BHI...HEY,I AM CHARVI...
PARAG ke baaju me khadi bandi ki awaaz thi ye...screen me hamari taraf dekh ungliyon ko jumbish dete hue gesture kar rahi thi CHARVI...
SAM-hey CHARVI...what do you mean by meri bhi...???
CHARVI-yahi ki why should boys have all the fun...??? boy challenge hua hai toh kyun na ek girl challenge bhi ho jaaye...
me versus any girl from your school...what say...!!!???
CHARVI ki baat sun SAM ki nazar aas paas khade un sabhi girls par gayi joki ache the running me,par no one seemed interested...
SAM-sorry babes...phir kabhi...
CHARVI-hohohoho...matlab it's right what they say about SIRIUS...
SAM-matlab...!!!
CHARVI-yahi ki agar SAMEER CHANDER ko scene se hata diya jaaye toh money aur hot legs se zyada kuch nahi SIRIUS me...
it's an academy of pure loosers...
DIMPLE-ok, that's it bitch...you are on...
CHARVI-wooo...who's that now...???
DIMPLE-the girl who is gonna prove ki asal looser dikhta kaisa hai...
pehle tu doudegi... phir mai...par ek fark hoga...i am giving you a 2 second head start...
CHARVI-you are on...
SAM-hey,are you nuts... PARAG ki tarah ho sakta hai the girl is also fast... aur tum usse 2 seconds ka benifit they rahi ho...
RASHI-SAM is right DIMPLE...i know ki jis bhi chiz me tum participate karti ho,you are a champ in it...
tumhe race karte hum mese kisi ne hi nahi dekha hai but we all have complete confidence ki usme bhi bohot achi hogi tum..but 2 seconds heads start in a 400 metres race...it's too much...
NAISHA-aur woh ladki bhi bilkul ethical nahi hai...dekha nahi, turant maan gayi woh...
ANJALI-which means ki usse bas us PARAG ki haar ke insult ko even karna hai by beating one of us...
DIMPLE-ab toh back out nahi kar sakti naa...so,chill...o got this...
strech karte hue group ke liye alag se bane girls room ki taraf badh gayi NEW GIRL aur jab wapas louti woh toh running tights me thi...
is beech paanch minutes guzar gaye the aur NEW GIRL ke race aur uske diye CHARVI ko liberty ki baat bhi school me faile chuki thi...
yahi reason tha ki pura ground students aur saath hi saath kuch trachers se bhi bhar gaya tha...
hamare teeno sports officials, CHARLIE SIR, MAANIKPURI SIR aur DAS SIR bhi track ke paas khade the par NEW GIRL se kuch kaha nahi unhone...
reason bhi obvious tha...show off ke chakkar me over confident faisla kiya tha NEW GIRL ne,ye maan rahe the woh teeno...
MAI-are you really confident ki tum kar logi ye...starting time se 2 second baad shuru karogi tum apna race... it's a huge risk...haar sakti ho tum...
DIMPLE-haare hum sirf aapse hain janab aur woh bhi apni khushi se...
aur koi DIMPLE BATRA ko hara de,itni kisiki aukaad nahi...
mark tum de rahe ho mujhe...
mujhe wink karte hue track ki taraf chal padi thi NEW GIRL...
GO...
PARAG Ke bolte hi CHARVI ki race shuru ho chuki thi aur aisa hote hi jahan ek taraf PRINCE waale zoron se hooting karne lage the wahin dusri taraf SIRIUS waalon ka mooh sukhne laga tha...
CHARVI was good...kaafi speed run kar rahi thi woh...
59.2 seconds...
apna 400 metre bohot hi ache time me pura kiya tha CHARVI ne aur woh khud bhi jaanti tho is baat ko...
uske face par dikh rahi proud smile gawahi thi iski...
CHARVI-bitch is good,right...dekhen ab,tum kis khet ki mooli ho...aur haan, don't forget your 2 seconds delay...
SAM ke number par call kar DIMPLE ko uski shart yaad dilayi thi CHARVI be jispar bina kuch bole phone hang up kar diya DIMPLE ne....
MAI-ON YOUR MARKS,SET,GO FOR IT...
mere mark dene ke baad bhi apne condition ke mutabik 2 seconds ruki rahi DIMPLE par phir....
CRRRR....FFFFFFF.....
HOLY MOTHER...
starting block ko push karne ke baad jaise nikla tha aage NEW GIRL ka sharir, shocked ho gaye the sabhi log...
she was fast...very fast...aisa lag hi nahi raha tha ki koi girl doud rahi thi...she was as fast as any male athelete...
hawa ko cheerti hui jaise apne kisi invisible shikaar ko jhapatne ko ho,aage badhti chali jaa rahi thi NEW GIRL...
NITS-abbe kya bala hai ye...iski speed toh apne SAM jitni lag rahi hai...
51.8 seconds...
sach hi kaha tha NITS ne...SAM se bas ek nano second baad pura kiya tha DIMPLE ne apna race joki CHARVI ki timing se 8 seconds zyada aur apni shart ke according 6 seconds kam tha...
bottom line...DIMPLE WON...
scenerio pura change ho chuka tha...jahan ek taraf PRINCE jahan kuch der pehle tak zordaar hooting ho rahi thi,wahan ab maatam si shaanti thi...
CHARVI bhi pair patakti hui ground se nikal chuki thi wahin dusri taraf hamare ground me celebration ka mahoul tha...
aur hamare teeno sports officials, CHARLIE SIR, MAANIKPURI SIR aur DAS SIR...khush toh woh teeno bhi bohot the par saath hi saath DIMPLE ki speed dekh hadh se zyada hairan bhi the teeno...
DIMPLE-told you,i will win...
hooting aur congratulate kar rahe sabko hold sa kar mere saamne aakar khadi ho muskura rahi thi NEW GIRL...
MAI-kya baat hai...sab tumhe badhayi de rahe hain aur tum yahan ho...
and,jeeti toh kayi chizon me ho tum par itna khush kabhi nahi dekha maine tumhe...!!!
DIMPLE-baaki sabka congratulations tab matter karta tha jab sirf DIMPLE jeetati thi par is baar tumhari DIMPLE jeeti hai...only you matter...
aur khush mai sirf isiliye hun kyunki...
jeet par shartein rakhne ke liye mera dil aur dimaag dono AASIF HAI...
haarungi nahi mai,mera zehen is sach se WAAQIF HAI...
apne liye pyar toh hamesha hi dekha hai maine teri chehre par magar...
meri muskaan ki wajah teri aankhein hain jinme aaj meri jeet ke liye TAARIF HAI...
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...
Again shows princi's sense of humourPRINCI-first of all, i hope ki aap sabke exams kaafi ache gaye honge...
waise i like to be sure par faces par aap sabke jo sukoon dikh raha hai,i am unable to understand ki ye relief papers ache jaane ke hain ya exams khatm hone ke...
HAHAHAHA...
Ye hint thi sanvy ke liye ki what's his Target.us idea se hamare school ka sirf ek student nationals ke liye qualify kar paaya tha aur usne sirf qualify hi nahi kiya balki he became the youngest boy in the history of our countries NATIONAL OLYMPICS MEET jisne 400 metres race me GOLD earn kiya tha..
and he is none other than...
JAIDEN
Nits aur sanvy ki six sense jagrat ho gayi. Nikal lo bhaiya Verna L lagne waleNITS-chal bhai...MAANIKPURI SIR ki gardan apni taraf ghumi toh is SAM ke saath hume bhi gadha mazdoori pe laga denge woh...
Udasi hai to udas hona to banta haiANJALI-naa...is baar ka jhatka pre assumed tha...laga kuch yun hai ki asar hai par fikr nahi...
i will get over it...waise bhi,tumhari jitni naa sahi,par i am bloody ANJALI UDASI...
Anjali bhi truth janti hai aur one sided love kabhi success na hota aur dono khush na rehte. Better to move on. An Veronica Ko maa banaya hai to uske sath ka asar to padega hi.ANJALI-let me finish...nahi ho sakta pyar tujhe mujhse but at the same time,mai ye bhi jaanti hun ki teri meri bonding itni solid hai ki meri sadness ke liye tu ek nahi,hazar relationship chhod sakta hai...
par tujhe pata hai ki agar tu aisa karta toh woh friendship nahi,tera mujhpar ehsaan hota...taras hota...
isiliye thanks... mujhpar taras naa khaakar mujhe apna dost hi maane rakhne ke liye...
MAI-tu kabse itni samajhdar ho gayi re...!!!
ANJALI-bhul raha hai... VERONICA PAUL AHARYA ki beti hun...samajhdari toh hogi hi...
Abe chomu jab sanvy jis side ho waha impossible bhi possible ho jayega. Sanvy ki presence hi 1% KoPARAG-galathfehmi kisse hai,mere race complete karne ke baad clear ho hi jaana hai..
Ye baat kuch hajam na huyi. Dimple Hari wo bhi sanvy se wo bhi apni Khushi seDIMPLE-haare hum sirf aapse hain janab aur woh bhi apni khushi se..
Thanks brotherAgain shows princi's sense of humour
Ye hint thi sanvy ke liye ki what's his Target.
Nits aur sanvy ki six sense jagrat ho gayi. Nikal lo bhaiya Verna L lagne wale
Udasi hai to udas hona to banta hai
Anjali bhi truth janti hai aur one sided love kabhi success na hota aur dono khush na rehte. Better to move on. An Veronica Ko maa banaya hai to uske sath ka asar to padega hi.
Abe chomu jab sanvy jis side ho waha impossible bhi possible ho jayega. Sanvy ki presence hi 1% Ko% Bana deti hai.
Ye baat kuch hajam na huyi. Dimple Hari wo bhi sanvy se wo bhi apni Khushi sebig joke.
sanvy se training Lene ke liye kitne paapd bele aur Hari apni khushi se. I bet wo nahi jit pati kabhi bhi agar sanvy loose karna na decide kare.
Are story hero pahli baar yun chot kha gaya kaise ho gaya sab log to rahe hainAB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF PRINCI STUDENTS KO SPORTS PRACTICE SE MAIN EVENT TAK HONE WAALE VISUAL MONITORING KE BAARE BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF SAM PARAG KO AUR DIMPLE CHARVI KO RACE ME HARA DETE HAIN.
AB AAGE:-
CHAPTER-1
(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)
UPDATE-75
DATE-1ST DECEMBER
CITY-DEHRADUN
PLACE-JOGGERS PARK
HEY SMARTY...
abhi mere jogging ka first lap complete hua hi tha ki tabhi achanak NEW GIRL mere side me aa mere saath run karne lagi...
subah ke 5.45 hue the...pahadi ilaaka hone ki wajah se suraj ne ab tak aasman ko dhang se apna mooh nahi dikhaya tha lekin phir bhi andhere ke baawjud NEW ke chamakte chehre se jaise aas paas ke mahoul ujale se bhar utha tha...
slim fit streched black track suit me thi NEW GIRL par phir bhi uska appearance GUCCI ya PRADA jaise international brand ko pehne kisi supermodel ko bhi araam se maat de sakti thi...
aur aisi beintehan khubsoorati ki misaal meri G.F hai...
shayad yahi wajah thi ki naa sirf doudna band ho chuka tha mera balki sab kuch bhool suraj chamakne ke waqt apne saamne khade chaand ko ek tak dekh raha tha mai...
DIMPLE-kya hua...???
MAI-meri kaise ho gayi tum...???
mere sawal ka matlab samajh gayi thi NEW GIRL...
chehre par aayi uske halki si laali saboot thi is baat ka...
DIMPLE-tum kabse khud ko underestimate karne lag gaye...???
MAI-zameen kitna hi bada kyun naa ho jaaye,aasman se chota hi hota hai...
DIMPLE-aur pakshi aasman me kitna hi uncha kyun na ud le,aana wapas usse zameen par hi padta hai...
theek waise hi jaise mai tumhare paas aa gayi...
mere kareeb aate hue kahi thi apni baat NEW GIRL ne...uske raw skin ki mehek naak se hote hue mere dimag me samati chali gayi thi...
ab bhi khamosh tha mai aur NEW GIRL... mujhe kuch na kehta dekh ab usne apna sharir mere chest se halka laga sa diya tha...
YE AAJ KAL KE BACCHE...KAHIN BHI SHURU HO JAATE HAIN...
hamare baaju de hokar guzar rahe do ladies me se ek ne mooh banate hue badbadayi thi ye baat jisse sun turant ek dusre se thoda door ho gaye mai aur NEW GIRL...
MAI-ab bataogi,aaj yahan kaise...???
DIMPLE-kyun,mai apne B.F ke saath jog karne nahi aa sakti kya...???
MAI-bilkul aa sakti ho par abhi toh kamsekam yunhi nahi aayi ho...
DIMPLE-and,why do you say that...???
MAI-yahan park me tumne ek bhi round nahi maara hai phir bhi vest half dried paseene se bhiga hua hai tumhara...
ab itne cool weather me soaking wet waali haalath kamsekam half an hour ke strong jog ke bina toh possible ho nahi sakti...
which means ki tumne apne aaj ka jogging kota pehle hi pura kar liya hai aur phir yahan aayi hun...
that brings back my previously asked question...why are you here...???
51.7 seconds...
apne right hand me pehle smart watch ko jisme is waqt ek paused timer tha,aage kar diya tha NEW GIRL ne...
exactly 51.7 seconds me halted tha timer jisse dekh aadha maajra samajh gaya tha mai...
MAI-toh tumne SAM ki 400 metres sprint ki timing match kar li...
ek week me... impressive...
waise toh ek nano second kuch bhi nahi hota...blink of the eye se pehle guzar jaata hai ye waqt par 400 metres ke sprint me yahi nano second ek minute se kam nahi hota...
aur sirf ek hafte me NEW GIRL ne apne aur SAM ke beech ka fark khatm kar diya tha...
too much of dedication...par ye tha NEW GIRL ke yahan aane ka first angle... second abhi bhi untold tha isiliye...
MAI-waise mai school aa raha tha aaj...
DIMPLE-mai bhi...
MAI-toh apni achivement ke baare me tum mujhe wahan bhi bata sakti thi...
DIMPLE-par tum wahan woh karne ke liye kabhi nahi maante jo yahan kar sakte ho...
MAI-and what's that...???
DIMPLE-let's race...
MAI-ya, right...
DIMPLE-oh common...just one race...
pleading aankhein aur cute sa face bana mere saamne khadi thi NEW GIRL jisse dekh halki si hasi aa gayi thi mujhe...
MAI-i get it...toh kisi chiz me mujhe straight aur easy harana chahti ho tum...nice...
NEW GIRL-oh common...G.F hun tumhari and that too officially...
kamsekam mujhse toh ab secretive rehne ki zaroorat nahi hai...
MAI-secretive...!!!tumne dekha hai kabhi mujhe run karte and that too as fast as SAM...
i am not into this stuff...
DIMPLE-you don't need to be...ab tak itna toh samajh hi gayi hun mai ki tumhari kisi bhi chiz me grabbing capability unmatched hai...
haan,SAM ke jitni joki ab meri bhi speed hai,utna tez doud sakte ho ki nahi tum, ye nahi jaanti mai par i can put my life on line to bet that tum ho fast...
aur yahi jaanane ki curiousity hai mujhe...so please...
MAI-ok, let's run...
kandhe uchka apni baat bol jog path ki taraf wapas chal pada mai...
wahin mujhe turant maan jaate dekh halki shocked ho gayi NEW GIRL...
DIMPLE-really...!!!
MAI-yup...
DIMPLE-koi debate nahi... koi i don't wanna do it,i will not do it,kuch nahi...just like that...you agree to race...
MAI-yup...
DIMPLE-why...!!!
MAI-yaar tum girls bhi....smart, ordinary ya stupid... ek baat teeno hi catagories me common hoti hai...
humse jo chahiye,woh mil jaaye toh bhi sawal aur naa mile toh bhi sawal...
DIMPLE-kyunki jawab ke saath us jawab ka reason bhi utna hi important hota hai...
MAI-right...!!!bhale hi jawab obvious hi kyun naa ho...tum chahti ho mai race karun,i don't find a reason not to do it,toh kar raha hun mai...simple...
DIMPLE-aur ye race authentic hogi... casual nahi hoge tum...!!!
MAI-nopes...
DIMPLE-you swear...!!!
MAI-i swear ki abhi raat ho rahi hai...
DIMPLE-par abhi toh din nikal raha hai...
MAI-exactly...point is kasam sirf ek shabd hai mere liye...mai nahi maanta isme...
what i believe is my word... maine kaha,mai doudunga,means mai doudunga...
run authentic hai ya nahi,itni toh experienced ho ho tum ki race ke baad guess kar sako...
DIMPLE-true that...ok then,shuru karte hain...
apne smart watch par new timer button set karne ke baad NEW GIRL bhi mere baaju me jog path par khadi ho gayi thi...
breadth diameter 8 feets plus tha jog path ka jiska matlab tha ki collision ka chance nahi tha aur dusre joggers ko bhi badi asaani se unke left right taraf se cross kar aage badh sakte the hum dono...
GO...
NEW GIRL ke timer on karte hi bhaag pade the hum dono...
damn,this girl is really fast...race shuru hone ke chand seconda baad NEW GIRL se halka piche tha mai aur puri jaan laga apne aage doud rahi NEW GIRL ki speed dekh aur feel kar wakayi usse impress hua tha mai...
wahin dusri taraf bhale hi mujhse aage thi NEW GIRL par bas do inches se...
woh mehsoos kar paa rahi thi meri moujudgi apne just piche...
aur saarvajanik darshak...woh saare log jo garden me moujud the aur jinko left right se cross karte hue hum dono tezi se aage nikal rahe the,sabke sab rook hum dono ko dekhne lage the...
kuch ko hum dono hi paagal lag rahe the par jin logon ki thodi si bhi ruchi thi sports me,hum dono ke hi aur khaas kar NEW GIRL ke speed ko dekh woh sabhi bohot prabhavit ho rahe the...
LAST 100...
aakhri 100 metres bach gaye the aur abhi bhi NEW GIRL mujhse halki aage thi par guzarte palon ke saath ye secenerio change hone laga tha...
SHIT...
race khatm ho chuka tha aur ye "SHIT" shabd nikla tha NEW GIRL ke mooh se...
reason...
jeet nahi paayi thi woh ye race...haan haari bhi nahi thi woh kyunki ek hi time par apna race pura kiya tha hum dono ne...
lambi lambi saansein lene ke beech apne stopped timer lar nazar padi uski jisme 51.7 seconds flash ho raha tha...
par is beech mujhe apni paini nazaron se dekhna bhi nahi bhula tha NEW GIRL ne...
honth band the mere par nostrils se tez nikalti hawa aur stressed aakhein joki physically thakne ka saboot hoti hai,dhyan se observe kar rahi thi woh...
haan mera stamina acha tha par phir bhi jab 400 metre jaisa race 100 metre jitni jaan lagakar doudo toh chuppane ki koshish karne ke baad bhi tired symptoms face par saaf dikhte hain aur wahi dikh raha tha mere face par...
DIMPLE-so you didn't fake... wakayi authentically doude tum...
MAI-told you i would...
DIMPLE-you are as good as SAM... participate karna chahiye tumhe is baar...
MAI-woh toh kar raha hun mai...
DIMPLE-really...!!!mujhe laga tha ki tum...
MAI-mazak kar raha tha...naa...i am participating...
DIMPLE-ye sudden limelight me aane ki wajah...!!!
MAI-aur kya...!!!or should i say kaun...MR JAIDEN CHOWDHARY...
mere mooh se JAIDEN CHOWDHARY ka naam sun NEW GIRL kuch seconds ke pause ke saath aakhein badi kar mujhe dekhti rahi aur phir...
DIMPLE-wow...MR JAIDEN CHOWDHARY ki taarif maine school me lagbhag sabko karte dekha tha...
unhe admire karte dekha tha siway tumhare...
mujhe laga tha ki you are the only person who doesn't gives a crap about his legacy...
MAI-kyunki maine kuch kaha nahi,koi reaction nahi diya iska matlab ye nahi ki he is not a motivational figure for me...
he is the best SIRIUS has ever produced...
DIMPLE-aur isiliye you wanna participate infront of him...
MAI-best dena hai toh best ke saamne hi dena chahiye...
DIMPLE-nice...matlab ab tak jis SANVEER ko sirf maine dekha hai,jaana hai,ab pura SIRIUS, SIRIUS kya pura dehradun usse dekhne aur jaanane waala hai...
meri baanh pakadte hue mere saath aage badh gayi thi NEW GIRL...
MAI-you like that haan...
DIMPLE-i love that...
MAI-kyun...???
DIMPLE-because i love you...
PLACE-SIRIUS
HA...HA...HA...HA...
lambi lambi saans lene ke beech ground ke grass covers par bich sa gaya tha NITS...
RAJAT-kya hua bhai...???sirf 6 rounds hi hue hain sprint ke...4 abhi baaki hain...chal aaja,uth...
NITS-bas bhai...fat ke chaar ho chuki hai...aur douda toh fatne ke liye kuch bachega hi nahi...
SONU-kkya hua bbe...cchalo nna...
RAJAT-iska toh ho gaya kaam..chal,apne rounds complete karte hain...
SONU-ttu jjaa mmai aata hun...
SAM aur uske saath 50,50 metres ke sprint kar rahe ladko ki taraf bhaag pada tha RAJAT aur RAJAT ke palaththe hi SONU ne maari ek tapli NITS ke chote magaj me...
SONU-abbe loudu chand,aise impress karega ANJALI ko... teri current speed ke hisaab se race ka pehla round hi cross nahi kar paayega tu...
kamsekam final round tak qualify kar jaaye,itna toh speed gain kar le be...
NITS-apne school se jitne bhi bande race me participate karte hain, woh sab SAM ko khudka competition maante hain isiliye sprint practice bhi saal bhar karte hain...
ab tu bata,kya ek mahine ki practice se loude ka ussain bolt ban jaaunga mai...
izzat ka kachumar hi hona hai udhar...jab gaand marana hi hai toh khaali fokat mahine bhar saans kyun phulaun...!!!
SONU-alag llevel kka ledra hai be ttu...abbe ANJALI ko impress karne ke baare me hi soch le...
NITS-ussi ke baare me hi soch raha hun...doudkar impress karne ke chakkar me depress kar dena hai maine usse...
SAM-hey guyzzz...SONU,chal, rounds pure kar apne aur tu be...
NITS-yahinich khilla maarkar baith gaya hai apun...uthna chhod hilunga bhi nahi...
EKPREET ke saath apni sprint puri kar louta tha SAM aur uski baat sun jahan ek taraf SONU turant apne bache rounds pure karne nikal pada tha wahin NITS ki baat sun has pada tha SAM...
MAI-hil hil kar bolta hai,hilunga bhi nahi...chutiya saala...
NITS-kahan tha be tu saale...???
MAI-classroom me...kal mila physics assignment complete kar raha tha...
EKPREET-ohhohoho...masumiyat toh dekho lounde ke chehre par...
RAJAT-tu kabse assignments pure karne lag gaya be...tere saare assignments toh pehle ye SONU puri karta tha aur ab ANJALI karti hai...
ANJALI-correction...iske saare homeworks,assignments shuru se hi mai puri karte aa rahi thi...
beech me SONU ne ye responsibility le li thi par ab it's back with me...
ANJALI jiske saath NEW GIRL aur baaki girls bhi the, pahunche the hum boys ke paas...
NITS-satyavachan...saale ne shuru se hi gazab ki kismat paayi hai...har chiz me jugaad mil jaata hai kameene ko...
MAI-beta kismat aur relationship ek se hote hain...yunhi nahi bante,banaane padte hain...
RAJAT-satyavachan and that which back the original question... kahan tha be tu...???
RASHI-tu naa yaar RAJAT...ek ladka jiski saalon se ek g.f hai,bohot dumb sawal karta hai tu...
KHANAK-yaar,abhi abhi ye dono couple bane hain...aise me jitna bhi personal time mile,kam hi lagega naa...
NAISHA-true that...aadha school yahan ya phir indoor stadium me practice kar raha hai aur baaki bhi in dono jagah par chill kar rahe hain...
class rooms hain khaali...aise me un rooms ko inki tarah love birds hi utilize karenge naa...
ohhooooo.....
NAISHA ki baat par na maine koi jawab diya aur naahi NEW GIRL ne jisse dekh hum dono ko dekh hooting karne lage the sab...
HEY SAM,HANSH IS HERE...
hum se ek saal senior banda tha ye jiski awaaz sun hum sab palte uski taraf...
SAM-HANSH...!!..HANSH PATEL...
SENIOR-yup...permission nahi li thi usne isiliye entry me wait kar raha hai tera...
HANSH PATEL...is saal ka second year college freshman hai ye...
par usse pehle tak SAMRAT ka student tha ye aur 3 saal pehle tak interschool 100 metre champ bhi the HANSH PATEL...
early 2019 me SAM woh pehla ladka tha jisne HANSH ko haraya tha aur champion ka khitaab usse chhina tha...
apne school ke last year me haarna aur woh bhi ek junior boy se,kaafi insult feel kiya tha HANSH ne...
acha khaasa back lash hua tha HANSH aur SAM ke beech par SAM ke strong background ki wajah se zyada kuch kar nahi paaya tha HANSH par phir woh khud hi shaant ho gaya tha...
apne school ke aakhri din he invited SAM to his farewell party and there,dono ne apna dispute call off kar diya...
SANVY nahi gaya tha us party me par us shaam ki detailing puri thi uske paas...
khair,HANSH ke college jaane ke baad he and SAM never met... abhi tak toh nahi...
yahi wajah thi ki HANSH ka naam sun khush ho gaya tha SAM...
SAM-aata hum guyzz...
turant khada ho entry gate ki taraf badh chuka tha SAM...
NITS-abbe...teri G.F toh idhar hi baithi hai... phir ghadi dekh kidhar khisak raha hai tu...???dekh le DIMPLE, kahin aur taanka bhidakar naa rakha ho tere majnu ne...
MAI-usse dekhne ki koi zaroorat nahi hai...
"jab godh me mere chaand gira hai, phir aasman me kis chiz ki talab rakhun mai"...
NAISHA-OHHHOOO..kya baat hai SANVY...!!! how romantic yaar...
MAI-aata hun washroom se...
jahan ek taraf NAISHA ko wink kar aage badh gaya mai wahin meri baat sun sharm se gaal laal ho gaye the NEW GIRL ke...
MAI-PURAN bhaiya...SAM aaya tha is taraf...!!!
PURAN-haan...kuch ladke aaye the usse milne..unhi ke saath udhar PRIMEVAL ki taraf gaya hai woh...
kyun,kuch problem hai kya...???
MAI-nahi,woh mujhe bhi bulaya tha usne idhar... isiliye pucha...
PRIMEVAL SIRIUS ke old kindergarten ko kaha jaata hai joki main campus se bahar right hand side hai...
PRIMEVAL ka centre point ek bohot hi khubsoorat aur dense tulip garden hai jiske dono chhoron par baithne ke liye permanent couches aur benches bane hue hain...
khair, PURAN bhaiya ke location batate hi mai us PRIMEVAL ke taraf badh chala tha...
aur jaise hi mai PRIMEVAL ke andar ghusa, saamne ke nazaren ne mere yahan aane ke shak ko sahi kar diya...
HANSH ke bulaawe par uske jis farewell party me gaya tha SAM, EKPREET bhi gaya tha uske saath...
SAM toh busy ho gaya tha HANSH ke saath joki usse badi khushi ke saath time spend kar raha tha par EKPREET ne HANSH ke friend's ko notice kiya tha jo badi khunnas ke saath SAM ko ghure jaa rahe the...
SAM ko bataya tha usne ye baat par SAM ne ye bolkar taal diya tha ki har group me kuch chutiya toh hote hi hain...
mai bhi tha us waqt wahan isiliye mere dimag me bhi woh baat baith chuki thi aur acha hi hua ki i remembered kyunki ussiki wajah se aaj mai sahi time par yahan pahunch gaya tha...
mujhse thodi door kul 5 log moujud the ek shed ke neeche jinme se chaar SAMRAT ke lounde the...
ek unme se HANSH tha aur baaki chaar jinhone is waqt SAM ko dobocha sa hua tha,woh SAMRAT ke current lounde the..
unme se ek DUSHYANT bhi tha...wahi jisse pichle saal uske hi school ke paas pela tha maine...
aur us din ki tarah scene aajka bhi same hi tha...HANSH ke haath me SAM ki taang todne ke liye ek hockey stick thi par filhal SAM ne usse apni chhor se pakda hua tha...
mobile nikaal kuch type kiya maine aur...
MAI-hockey pakadne se kya hoga be loudu...jhatka dekar le apne haathon me aur...
MAAR MADARCHODON KO...
aaj kaafi dino baad apna takiya kalaam bola tha maine jiske baad mere kadam rook nahi paaye...
tez bhaaga mai SAM ki taraf aur ye dekh jiski haalath sabse zyada patli hui, woh tha DUSHYANT...
abhi mai chand metres door tha un sabse ki tabhi DUSHYANT jisne SAM ka ek kandha jakda hua tha,uski pakad dheeli hoti chali gayi aur aise hote hi jhatka de us haath ko chhudate hue apne dono haathon se hockey stick pakad liya tha SAM ne...
CHR...
DHAKKK...DHAKKKK......
pahunchne hi waala mai HANSH ke paas ki tabhi right ki taraf ke tulip me kuch hulchal mehsoos ki maine...
un sabke saath aaya ek aur banda hi tha ye jisse shayad DUSHYANT ne aise hi kisi time ke liye jab mai aaun,chhupa kar rakha hua tha...
par isse pehle ki woh mujhpar jhapat paata,mai HANSH ke sir par pahunch chuka tha..
ek tez punch maara tha maine uske thobde par jispar ek tez karah ke saath woh side me girta chala gaya...
par uske girne se uske aur SAM ke haathon ke beech fasa HOCKEY STICK jisne un dono ke darmiyan ek balance bhi banaya hua tha,woh balance off ho gaya...
issi disbalance ne SAM ke haathon ke grip ko bhi dheela kar diya...
result,hockey stick neeche gir gaya tha...
khair, mere punch se HANSH bhale hi knock out ho gaya tha par mai movement me hi raha...
ghumte hue naa sirf maine us chuppe bande ke grip me apne aap ko aane se bacha liya,balki agle hi pal meri ek rotating leg hit uske thobde par padh chuki thi...
DHAKK...DHAKKK...BHAKKKK...
SHIT....AHHHH.....
SAM-SANVY...
MAADARCHOD...
DUSHYANT toh pehle hi PRIMEVAL ke dusre gate ki taraf bhaag nikla tha...baaki ke bache teen loundo ko bhi round punches aur knee up hit maar abhi zameen par pade hi the mere pair ki tabhi ek baar phir apne right taraf ke TULIP me hulchal mehsoos ki maine...
ek aur banda tha ye SAMRAT ka joki phoolon ke mote jhurmut ki aad me chuppa hua tha...
usne bahar aate hi jump laga di thi mujhpar jispar halka side hath uske ek baanh ko hawa me hi lock kiya maine aur ghumate hue usse dusri taraf fek diya par tabhi...
left ki taraf bane tulip ke jhurmut se ek aur banda bahar aa chuka tha...itna hi nahi,zameen par pada woh hockey stick bhi uske haathon ke grip ke beech fasa hua tha jisse badi tezi se ghuma diya tha usne...
nishana uska mere ghutne the par nano seconds pehle dekh liya tha maine uske hand swing ko aur isiliye upar jump laga thi maine par thodi der ho ho gayi...
ghutna toh miss ho gaya par knee ke just neeche SHIN ko hit kar gaya HOCKEY STICK...
aisa hote hi turant zameen par gir pada th mai...leg ke sabse nukile aur nikle hue haddi par pada ke joint par pada tha hockey isiliye pain unbearable tha...
chillaya toh nahi mai par dard itna zyada tha ki ghutne mod apne pair ko pakadne ke beech mere aankhon ne mujhse bina puche hi jawab de diya tha...
chalak pade the mere aansu jinhe peete hue mai ho rahe asahaniya dard ko bardasht karne ki koshish kar raha tha...
DHAKKK...
DIMPLE-SANVY......
NITS-MAADARCHODON...rooko,tumhari maiya ki daiya chodu,loudo...
jisne mere pair par waar kiya tha,uske haath se hockey chhin uske gaand par ek zor ka stick swing kiya tha SAM ne...
apna pichwada pakad tezi se aage badh gaya tha woh...
wahin HANSH aur baaki sab bhi humse thoda door ho chuke the aur jab DIMPLE ke saath mere baaki dost bhi pahunche spot par toh un sabko dekh turant DUSHYANT ki tarah second exit door ki taraf bhaage woh sab...
SAM un sabke piche bhaagne hi waala tha par meri haalath dekh hockey stick chhod woh mere paas aa gaya tha par NITS aur SONU nahi ruka...
maadarchhod aur jitne bhi chod hote hai,un sabko bakte hue woh dono bhaage SAMRAT waalon ke peeche par faayda kuch hona tha nahi...
distance unke beech achi khaasi thi aur jis jis tarah se planned attack kiya tha un sabne, matlab saaf tha ki escape ke liye pehle hi us exit gate ke bahar vehicle rakha hua tha un sabne...
DIMPLE-SANVY...
MAI-aaah,that hurts...
DIMPLE ne mere sir ko godh me ke liya tha aur ANJALI ne mere injured leg ko pakda hua tha...
body parts mere dono alag hold kiye hue the dono ne par expression dono ka ek hi tha...
aansuon se bhiga hua tha un dono ka face...
MAI-stop....
chot dekhne ke liye meri pant upar karne lagi thi ANI par kyunki halki narrow pehenta hun mai apni school pant isiliye movement hote hi ragad feel hui mere SHIN me increasing my pain...
turant rook gaye the ANI ke haath...
NITS-bhaag gaye saale... behenchod plan karke aaye the sab...
SONU-llekin cchoddenge nnahi saalon ko...
EKPREET-naa...pange ka rule bhul gaya kya...
jo hota hai,on the spot hota hai...unhe bas bhasad macha yahan se nikalna tha jo nikal gaye woh...
ab hum kuch bhi karen,kisi na kisi ko beech me daal compro ka rona royenge saale...
NITS-bhosdike,mootne gaya tha tu toh...saale,idhar aa raha tha toh hume saath nahi laa sakta tha gaandu...
aur tu loude,tere tau ka ladka lagta hai kya woh HANSH jo maiya chudaane mooh uthakar aaya tha idhar akele...
SAM-arre,we ended his last season on good terms...mujhe laga ki itna bada event hone waala hai isiliye wish karne aaya hai woh...
NITS-saale tere har bhasad ke baare me is chutiya ko hamesha andaza ho jaata hai par tu jhaantumal hamsha bhonda bana rehta hai...
kaahe ka intelligent hai be tu...!!!
MAI-bas karo be chodu log.. pair ka dard dimaag me pahuncha diye ho dono...
DIMPLE-SANVY,lete raho...i have called for my car...aati hi hogi,we will go to the hospital...
MAI-home...drop me home...
DIMPLE-are you nuts...!!!bone crack, serious fracture ho sakta hai, we have to treat you...we will treat you...
MAI-i will be treated but i am going home...
DIMPLE-SANVY...
ANJALI-its ok DIMPLE...nahi maanega woh...he hates hospitals...waise bhi,this is not the first time jab ladh kar injure hua hai ye...
pehle toh har hafte ki kahani thi ye...10 se zyada fractures mere saamne hue hain isse...
MAA ke ek family doctor hain,aise time me wahi isse ghar me hi treat karte hain...
but most importantly,jab bhi pain me hota hai ye,he needs his MOM...unki moujudgi pain killer ka kaam karti hai iske liye...
ANI ke clarification ke baad kuch kaha nahi DIMPLE ne par haath uske meri hatheli par kaste chale gaye the...
jis pair me laga tha mujhe,it was shaking aur ye dekh mere dard ka andaza ho gaya tha usse...
infact koi bhi kuch nahi keh raha tha...bas apna apna sir pakde mujhe yun bebas sa lete dekh man hi man kudh rahe the sab...
TAPPP...TAPPP...TAPPP...TAPPP...
aankhein band kar apne dard ko pee hi raha tha mai ki tabhi NEW GIRL ke aankhon se nikle aansuon ki kuch boondein mere gaal par gir pade...
aankh khul gayi thi meri aur aisa hote hi meri nazar NEW GIRL ki laal ho rahi aankhon me theher si gayi...
phir hua ek chamatkar...
chot meri thi,par aankhen mere mehboob ki RONE LAGI THI...
ashk uske mere chehre par padh padh ke usse BHIGONE LAGI THI...
ab tak sirf MAA ke aanchal tale thi woh taaqat thi magar...
aaj meri mohabbat ki baahon me bhi meri taklif KAM HONE LAGI THI...
AAJ KE LIYE ITNA HI...
AAPKA APNA V...J...