- 306
- 58
- 28
UPDATE 71
"Dekh mujhe vaise to haweli mein aaye 10 saal se uper ho chuke hain" Payal uthkar kamre mein chehal kadmi karne lagi "Par mere aane ke kuchh waqt tak hi ye haweli ek ghar thi. Uske baad to jaise ek veeran khandhar ho gayi jahan main aur Pitaji bhoot ki tarah base hue hain"
Bindiya ne sehmati mein sar hilaya
"Mere pati ka marna meri sabse badi badkismati thi. Par usse bhi zyada bura haweli ka yun barbard ho jana hai. Main janti hoon ke haweli aur Pitaji ke ghar khandaan ke baare mein kaafi kuchh aisa hai jo main nahi janti par malum karna chahti hoon" Rupali ye sab kehte hue jaise andhere mein teer chala rahi thi. Use Bhusan ki kahi hui vo baat aaj bhi yaad thi ke uske pati ki hatya ki vajah yahin haweli mein dafan hai kahin, jise usko pata karna hai.
"Aap kya keh rahi hain Malkin?" Bindiya ne puchha
"Main ye keh rahi hoon ke tera mard to hamesha se thakur sahab ke liye kaam karta tha aur tu bhi bade waqt se yahin hamari zameeno par kaam kar rahi hai. Kya tu mujhe kuchh aisa bata sakti hain jo main nahi janti par jis baat ki khabar mujhe honi chahiye?"
"Aap karna kya chahti hain Malkin?" Bindiya ne thodi fikar bhari aawaz mein puchha
"Main is haweli ko dobara ghar banana chahti hoon. Yahan dobara khushiyan dekhna chahti hoon. Phir se ise vaise hi dekhna chahti hoon jaisi ke ye pehli thi aur iske liye zaroori hai ke mujhe pehle sab kuchh pata ho taaki main barbadi ki har vajah ko mita sakun. Samjhi?" Rupali ek saans mein boli
Bindiya ne haan mein sar hilaya
"To ab bata" Rupali uske saamne bistar par bethte hue boli "Tu janti hai aisa kuchh?"
"Chhota munh badi baat ho jayegi Malkin" Bindiya ne hichkichate hue bola
"Tu fikar na kar. "Rupali ne kaha "Bas kuchh janti hai hai to bata mujhe"
"Main nahi janti Malkin ke aapke liye kya zaroori hai kya nahi ya aap kya janti hain kya nahi. Main bas apne hisab se aapko kuchh baaten bata deti hoon jo mujhe lagta hai ke aapse chhupayi gayi hongi. Is ghar ki nayi bahu se jo ki aap aaj se 10 saal pehle thi." Bindiya ne kaha to Rupali ne haan mein sar hilaya
"Aapko kya lagta hai ke thakur sahab ki barbadi ka sabse bada zimmedar kaun hai?" Bindiya ne puchha to Rupali ne apne kandhe hilaye jaise keh rahi ho ke pata nahi
"Aap apne dewar Jai ke baare mein janti hain na?" Bindiya ne puchha "Thakur sahab ke chhote bhai ka beta"
Rupali ne haan mein sar hilaya
"Vo hain aasteen ka asli saanp jo aapke pati ne paal rakha tha. Aapke pati ke marte hi usne thakur sahab ka sab kuchh aise hadap liya jaise kabe mauke ki taak mein betha ho" Bindiya ne aawaz yun neechie ki jaise bahut bade raaz ki baat bata rahi ho
"Malum hai mujhe" Rupali ne kaha
"Aap janti hain usne aisa kyun kiya jabki thakur sahab ne apne teen beton ke saath use bhi apne chauthe bete ki tarah pala tha" Bindiya ne puchha
Rupali ne phir inkaar mein sar hilaya
"Kyunki gaon mein har koi ye kehta hai ke thakur sahab ne poori jaaydad ke liye khud apne bhai ka khoon kiya tha" Bindiya ne kaha
Rupali par jaise koi bomb gira ho
"Main nahi manti. Bakwaa hai ye" Usne Bindiya se kaha
"Main bhi nahi manti malkin par gaon aur aas paas ke saare ilake mein har koi yahi kehta hai. Aur jahan tak mera khyaal hai Jai ke kaano mein bhi yahi baat pad gayi isliye to khud apne chacha ke khilaf dil mein zeher palta raha" Bindiya ne jawab diya
"Par Pitaji aisa kyun karenge?" Rupali boli
"Vahi to." Bindiya ne kaha "Aapke sasur aur unke bhai mein bahut banti thi. Bhai kam dono dost zyada tha isliye to thakur sahab ne apne bhai ke bete ko apne bete ki tarah pala"
"Jai ke mata pita ki maut kaise hui thi?" Rupali ne puchha
"Car accident tha. Gaadi khai mein ja giri thi. Sab kehte hain ke thakur sahab ne hi gaadi mein kuchh kharabi ki thi jiski vajah se accident hua tha." Bindiya boli
"Kori bakwaas hai ye" Rupali thoda gusse mein boli "Main janti hoon Pitaji ko. Vo aisa kuchh kar hi nahi sakte"..