Thriller HAWELI ~The vampire~ completed

306
58
28
UPDATE 113

Rupali ne koi jawab nahi diya. Kuchh der tak na vo boli aur na Khan
"Achha kher ye baat chhodiye. Jab aapke pati ka khoon hua tha us waqt aap kahan thi?" Khan ne thodi der baad doosra sawal kiya
"Kya matlab?" Rupali ne hairat se puchha "Haweli mein aur kahan"
"Is baat ka koi gawah hai aapke paas?" Khan ne phir puchha
"Thakur sahab" Rupali ne kehna shuru hi kiya tha ke Khan beech mein bol pada
"Jo ki zinda hain ya mar gaye samajh nahi aata. Jabse accident hua hai vo to hosh mein hi nahi aaye" Khan ne taana sa marte hue puchha
"Meri saas" Rupali ne apni saas ka naam liya
"Jo mar chuki hain" Khan ne phir taana sa maara
"Meri nanad" Rupali ne teesra naam liya
"Kamini jo kahan hai na aapko pata na mujhe" Khan ne ye baat bhi kaat di
"Ghar ke naukar" Rupali ke paas ye aakhri naam tha
"Baat kar li maine unse bhi. Unmen se kisi ne bhi aapki us waqt haweli mein nahi dekha tha" Khan ke paas jaise is baat ka bhi jawab tha
"Kyunki us waqt main apne kamre mein thi. Main un dino zyada waqt apne kamre ke pooja ghar mein hi bitaya karti thi" Rupali jaise lagbhag cheekh padi
Uski ye baat sunkar Khan hasne laga. Jaise Rupali ne koi joke sunaya ho
Tabhi Police station ka darwaza zor se khula aur thaane mein bethe 3 constables aur ek hawaldar uthkar khade ho gaye, jaise kisi bahut bade aadmi ke aane par naukar uski izzar mein uth khade hote hain. Rupali ne palatkar dekha. Darwaze par Tej khada tha. Uska chehra gusse mein laal ho raha tha.
"Aap bahar jaiye Bhabhi" Usne Rupali se kaha
"Ek minute" Rupali jaane hi lahi thi ke Khan bol pada "Mujhe inse kuchh aur sawal puchhne hain"
Uski ye baat sunkar Tej uski taraf aise badha jaise sher apne shikar par lapakta hai. Khan bhi uski is achanak harkat se ek kadam pichhe ko ho gaya
"Tujhe jo baat karni hai mujhse kar" Tej uske bilkul saamne aa khada hua "Saale 2 kaudi ke policewale, teri himmat kaisi hui hamare ghar ki aurat ko police station bulane ki"
"Yahan kisse kya puchha hai aur kise bulana hai ye faisla main karunga" Khan bhi ab sambhal chuka tha aur uski aawaz bhi oonchi ho gayi thi "Ye mera ilaaka hai"
"Apne charon taraf dekh Khan" Tej ne khade hue constables ki taraf ishara kiya "Mere kadam rakhte hi ye saare uth khade hue. Ye rutba hai hamara. Aur jab tak main na keh doon ye bethenge nahi. Ab soch ke ilaaka kiska hai"
Rupali ne Tej ko bahut din baad is roop mein dekha tha. Aaj use 10 saal purana vo Tej nazar aa raha tha jiske saamne bolne ki himmat khud usne pita Thakur Shaurya Singh bhi nahi karte the
"Beth jao" Khan khade hue constables aur hawaldar par chillaya par koi nahi betha. Usne doosri baar aur phir teesri baar hukum diya par sab aise hi khade rahe.
Tej has pada
"Chaliye Bhabhi ji" Usne Rupali se kaha
Rupali darwaze se bahar nikli. Tej uske pichhe hi tha.
"Main janta hoon" Pichhe khada Khan phir gusse mein bola "Ye policewale jinhen tumne haweli ka kutta bana rakha tha inke dam par hi tumne apne bhai ke khoon ko dhaka hai na? Main janta hoon saalon ke ye kaam tumhara hi hai aur tumhari gardan dabake rahunga main"
Tab tak Rupali aur Tej police station se bahar aa chuke the. Khan ki ye baat sun Tej ek baar phir andar jaane ko muda. Vo janti thi ke is baar vo andar gaya to Khan par haath uthayega isliye usne fauran Tej ka haath pakadkar roka aur use gardan hilakar mana kiya. Uske mana karne par Tej bhi ruk gaya aur dono saamne khadi Rupali ki car ki taraf badhe.
"Aap aage chaliye" Rupali ke car mein bethne par Tej ne kaha "Main apni car mein pichhe aa raha hoon".
 
306
58
28
UPDATE 115

Rupali aur Tej dono hi haweli pahunche.
"Aapko kya zaroorat thi yun police station jaane ki?" Tej ne Rupali se haweli mein ghuste hi puchha
Rupali ne koi jawab nahi diya
"Vo policewala apne aapko bahut bada sher samajhta hai" Tej ab bhi gusse mein jal raha tha "1 din mein hekdi nikal doonga. Aaj tak kisi ki himmat nahi hui ke is haweli ki shaan mein gustakhi kare"
Bolkar Tej apne kamre ki aur badha hi tha ke Rupali ki aawaz sunkar ruk gaya
"Kaun si shaan ki baat kar rahe ho Thakur Tejveer Singh"
Tej Rupali ki taraf palta
"Is haweli mein ab ullu bhi nahi bolte. Log is taraf aane se bhi katrate hain. Vo to phir gair hain chhodo, yahan to apne bhi haweli mein kadam nahi rakhte. Kis shaan ki baat kar rahe hain aap?" Rupali ne puchha to is baar Tej ke paas koi jawab nahi tha.
"Zara bahar nikalkar nazar daaliye Tejveer Ji. Is haweli par ab manhoosiyat barasti hai. Bahar se dekhne se aisa lagta hai jaise yahan barso se koi nahi raha. Is haweli ki shaan mein gustakhi to guzarte waqt ne kar di hai vo policewala kya karega." Rupali bolti rahi aur Tej chup khada uski taraf dekhta raha
"Hamari zameen hamara hi apna koi hamari nazar ke saamne se chura le gaya. Jo reh gayi vo banjar padi hain. Bachi hui jo daulat hai vo khatam ho rahi hai. Is haweli ke malik hospital mein pade hain. Aapke bhai ko beech sadak kisi ne goli maar di thi. Aapne naam par log haste hain. Aur aap haweli ki shaan ki baat kar rahe hain?" Rupali ne jaise apne dil mein jama saara zeher Tej par ugal diya aur apne kamre ki taraf badh chali.
"Aur haan" Jaate jaate vo phir palti "Jab ghar ke aadmiyon ka kahin ata pata na ho to ghar ki auraton ko hi police station jana padta hai"
Rupali ne ek aakhri taana sa maara aur apne kamre ki taraf badh chali. Apne pichhe use Tej gusse mein per patakta hua haweli ke bahar jata hua dikhai diya.
Kamre mein pahunch kar Rupali ke aansu nikal pade. Usne jo kuchh Tej se kaha tha vo gusse mein tha par in baaton ne uske khud ke zakhm harey kar diye the. Kuchh der tak yun hi aansu bahane ke baad usne saamne rakha phone uthaya aur Devdhar ka number milaya
"Haan Rupali ji kahiye" Doosri taraf se devdhar ki aawaz aayi
Rupali ko vo zamana yaad aa gaya jab Devdhar jaise use chhoti thakurain ke naam se bulate the. Aaj uski itni aukaat ho gayi thi ke use naam se bula raha tha. Vo ek thandi bharkar reh gayi. Dil mein janti thi ke ye galti Devdhar ki nahi balki thakur khandaan ki hi hai. Jab apne hi sikke khote hon to koi kya kare.
"Maine aapse kaha tha ne ke aane se ek din pehle phone karungi." Rupali ne jawab diya
"To aap kal aa rahi hain?" Devdhar uski baat ka matlab samajh gaya
"Haan" Rupali ne jawab diya "Kal subah yahan se niklenge to dopahar tak aapke paas pahunch jayenge."
"Jaisa aap theek samjhen" Devdhar ne kaha "Vaise aap ek baar bata deti ke kis baare mein baat kari hai to main papers vagerah taiyyar rakhta"
"Ye aakar hi batati hoon" Kehkar Rupali ne phone kaat diya. Apni halat theek ki aur phir neeche aayi.
Payal bade kamre mein bethi TV dekh rahi thi.
"Teri maan kahan hai?" Rupali ne puchha
"Ji vo nahane gayi hain" Payal ne TV ki aawaz dheere karte hue kaha
"Aur Chander?" Rupali ne puchha to Payal ne kandhe hila diye
"Pata nahi"
Rupali haweli se nikalkar Bindiye ke kamre ki taraf badhi. Vo kamre ki nazdeek pahunchi hi thi ke Bindiya ke kamre ka dawza khula aur vo maathe se paseena saaf karti hui bahar nikli. Pichhe Chander tha. Rupali fauran samajh gayi ke vo kya karke aa rahe hain par kuchh nahi boli.
"Agar tu naha li ho to mere kamre mein aa. Kuchh baat karni hai" Rupali ne kaha to Bindiya ne haan mein sar hila diya.
Rupali Chander ki taraf mudi
"Aur tujhe maine kaha tha safai ke liye. Us taraf dekh" Rupali ne haweli ke compound mein us taraf ishara kiya jahan ab bhi kuchh jhaadiyan thi. Uske chehre par ab bhi halke gusse ke bhaav the. Chander ne fauran ishare se kaha ke vo abhi safai shuru kar dega.
Rupali apne kamre ki taraf badh chali. Kal raat ke baad usne ab pehli baar Chander ko dekha tha. Jis andaaz se Chander ne uski taraf dekha tha usse Rupali sochne par majboor ho gayi thi. Usmen aisa koi andaz nahi tha jaisa ki use chodne ke baad hona chahiye tha. Chander ne ab bhi use usi izzat se dekha tha jaise pehle dekha tha aur ab bhi vaise hi uska hukum mana tha jaise pehle manta tha..
 
306
58
28
UPDATE 116

Thodi der baad Bindiya aur Rupali dono Rupali ke kamre mein bethe the aur Rupali gusse se Bindiya ko ghoor rahi thi.
"Apni rang raliyan zara kam kar. Din mein is waqt? Vo bhi tab jab teri beti yahin bethi thi? Agar Tej dekh lete to kaat dete tujhe aur us Chander ko bhi"
Maan kar dijiye Malkin" Bindiya ne sar jhukaye kaha "Ab nahi hoga"
Rupali vahin uske saamne bistar par beth gayi
"Kal raat ka bata. Kya lagta hai tujhe? Khush tha Chander tere saath bistar par?" Rupali ne Bindiya se puchha to vo muskura uthi
"Khush? Malkin kal poori raat sone nahi diya mujhe" Bindiya boli
"Tune manaya kaise Tej ko?" Rupali ne puchha
"Zaroorat hi kahan padi manane ki. Vo to pehle hi taiyyar bethe the" Bindiya ne jab dekha ke Rupali ka gussa thoda kam ho raha hai to vo bhi khulkar baat karne lagi
"Matlab?" Rupali ne puchha
"Matlab ye ke raat apne kamre mein jaane se pehle unhone mujhse kaha ke ek cup chaay unke kamre mein le aaon. Main usi waqt is samajh gayi ki mujhe kuchh karne ki zaroorat nahi aur mujhe kamre mein chaay ke bahane kyun bulaya ja raha hai. Maine chaay banayi aur lekar unke paas jaane se pehle Payal ke kamre mein pahunchi. Vahan jakar mein apni choli utari aur Payal ki pehen li"
"Payal ki choli? Vo kyun?" Rupali ne hairat se puchha
"Kyunki Payal ki chhatiyan mujhse kaafi badi hain. Kabhi kabhi to mujhe khud ko hairani hoti hai. Zara si umar mein hi uski chhatiyan mujhse duguni ho gayi hain" Bindiya ne kaha
"Tu apni hi beti ki chhatiyan kyun dekhti hai?" Rupali ne muskurate hue puchha
"Maan hoon malkin" Bindiya ne kaha "Jawan beti ghar mein ho to sab dekhna padta hai. Aur vaise bhi us zara se bachchi ke jism par sabse pehle uski badi badi chhatiyan hi dikhati deti hain"
Rupali ka dil kiya ke usko bataye ke jise vo zara si bachchi keh rahi hai uske jism mein maan se bhi zyada aag hai aur ek lund le bhi chuki hai.
"Achha vo chhod" Rupali boli "Tune Payal ki choli kyun pehni?"
"Malkin uski choli mujhe dheeli aati hai kyunki meri chhatiyan itni nahi" Bindiya ne apni chuchiyon ki taraf dekhte hue kaha. Rupali ne bhi apni nazar udhar hi daali
"Uski chhatiyan badi hone ki vajah se agar main uski choli pehen loon to saamne se itni dheeli ho jaati hai ke halka sa jhukte hi saara nazara saamne aa jata hai" Bindiya ne samjhate hue kaha
"Oh ab samjhi. Phir?"
"Phir main chaay lekar unke kamre mein pahunchi aur cup bilkul unke saamne rakha. Cup rakhte hue main jhuki aur bas. Meri chhatiyan aapke dewar ke saamne thi" Bindiya boli
"Tej ne dekhi?" Rupali ab bejhijhak sawal puchh rahi thi.
"Dekhi? Haath badhakar sidha ek chhati pakad li." Bindiya haste hue boli
Rupali dil hi dil mein Tej ki himmat ki daad diye bina na reh saki
"Pakad li? Tune kya kaha?" Usne Bindiya se puchha
"Main kya kehti. Main to pehli hi taiyyar thi. Chhati pakadkar chhote thakur ne halka sa dabav daala aur kaha ke meri chhatiyan kaafi sakht hain. Is umar mein zara bhi dheeli nai hain. Ab baari thi meri taraf se ishare ki."
Rupali chup chap bethi sun rahi thi
"Main muskurayi aur kaha ke chhote thakur choli ke uper se haath lagake kahan pata chalta hai ke chhatiyan sakht hain ya umar ke saath dheeli pad gayi hain" Bindiya ne baat jaari rakhi "Itna ishara kaafi tha. Vo uthe aur choli mere jism se aise alag ki jaise phaad rahe hon. Jab main uper se nangi ho gayi to unhone meri chhatiyon par haath phera aur kaha ke main sahi tha. Tumhari chhatiyan sahi mein kaafi sakht hain aur haath se dabane laga. Tab tak main khud bhi garam ho chuki thi. Main unke baal sehlane lagi. Vo kabhi meri chhatiyon ko dabate to kabhi mere nipples ko sehlate. Thodi der tak yahi khel chalta raha. Jab mujhse aur bardasht na hua to maine unka sar aage ko khincha aur unka munh apni chhati par daba diya. Mera ek nipple sidha unke munh mein gaya aur vo aise choosne lage jaise aaj ke baad koi aurat nangi dekhne ko nahi milegi."
"Tujhe maza aaya?"Rupali ne puchha
"Mere nipples mere shareer ka sabse kamzor hissa hain malkin. Mujhe sabse zyada maza nipples chuswane mein aata hai " Bindiya ne phir ek baar apni chhatiyon par nazar daali "Par meri kismat ke na to mera mard ye baat samajh saka aur na hi Chander. Dono hi meri chhatiyon par kuchh khaas dhyaan nahi dete the isliye jab chhote thakur ne tasalli ke saath mere nipples ko ragda to main vahi pighal gayi. Maine khud apna lehenga kholkar neeche gira diya aur unke saamne nangi ho gayi. Unke haath mere poore jism par phirne lage aur jakar meri gaand par ruk gaye. Unhone meri aankhon mein dekhte hue nipple munh se nikala aur bole ke unhen sabs zyada meri gaand pasand hai aur ye kehte hue gaand ko halke se daba diya."
"Phir?"Rupali itna hi keh saki
"Main samajh gayi ke aaj meri choot ke saath saath gaand ka bhi number lagega. Main muskurayi aur boli ke thakur sahab main to poori aapki hoon par pehle aapko taiyyar to kar doon. Ye kehte hue main unke saamne beth gayi aur unka pajama neeche sarka kar unka lund bahar nikala" Bindiya ne kaha
Kaisa tha, ye baat Rupali ke munh se nikalte nikalte reh gayi. Use fauran ye ehsaas hua ke vo apne dewar ke baare mein baat kar rahi hai aur Bindiya se is tarah ka koi sawal galat saabit ho sakta hai. Doosra use khud ye hairat hui ke vo Tej ke lund ke baare mein jaanna chahti hai. Usne baat fauran apne dimag se jhatki..
 
306
58
28
UPDATE 117

"Thodi hi der baad main nangi unke saamne bethi thi aur lund mere munh mein tha" Bindya ne kaha to Rupali man masos kar reh gayi. Vo ummeed kar rahi thi ke Bindiya khud ye kahegi ke use Tej ka lund kaisa laga
"Mera irada to ye tha ke bistar par main jo janti hoon vo karun taaki chhote thakur ko khush kar sakun par aisa ho na saka. Thodi der baad unhone lund mere munh se nikala aur mujhe bistar par aane ko kaha. Main muskurate hue bistar par aayi aur unke saamne letkar apni taange phela di. Par unka irada kuchh aur hi tha. Unhone meri taange phir band ki aur mujhe ghumakar ulta kar diya" Bindiya ne kaha
"Matlab teri......" Rupali ne baat adhuri chhod di
"Haan" Bindiya samajh gayi ke vo kya kehna chah rahi thi "Main samajh gayi ke pehla number meri gaand ka lagne wala hai aur aisa hi hua. Tej ne apne poore lund par tel laga liya aur thoda meri gaand par. Unki is harkat se main samajh gayi ke vo pehle hi kisi aurat ki gaand maar chuke hain"
"Phir?" Khud Rupali bhi ab garam ho rahi thi
"Phir vo aakar mere uper aakar beth gaye aur dono hathon se meri gaand ko phela diya. Aur phir lund meri gaand par dabaya aur bina ruke dheere dheere poora lund andar ghusa diya. Main dard se karah uthi" Bindiya ne kaha
"Dard? Par tu to pehle bhi ye kar chuki hai" Rupali ne hairan hote puchha
"To kya hua malkin" Bindiya ne bhi usi andaz mein puchha "Koi choot thode hi hai ke pehli baar mein hi dard ho. Gaand mein lund ghusega to dard to hoga hi. Chahe pehli baar ho ya baar baar."
"Achha phir ?" Rupali ne use aage batane ko kaha
"Chhote thakur bhi bistar par khiladi the. Gaand mein lund jaate hi samajh gaye ki main aage se kya pichhe se bhi kunwari nahi hoon. Dheere se mere kaan mein bole ke achha to yahan bhi koi hamse pehle aake ja chuka hai. Main kaha ke thakur sahab ye koi sadak nahi hai jahan se log aaye jaayen to sadak kharab ho jaaye. Yahan to kitne bhi aakar chale jaayen koi farak nahi padta. Jagah vaise ki vaisi hi rehti hai, Thodi der baad vo mere uper lete the aur lund mere andar bahar ho raha tha. Mujhe bhi maza aa raha tha isliye main bhi poora saath de rahi thi par ulti leti hone ki vajah se main zyada kuchh kar nahi pa rahi thi aur ye baat thakur bhi samajh gaye. Thodi der aise hi gaand maarne ke baad unhone mujhe uper aakar lund gaand mein lene ko kaha. Phir vo sidha let gaye aur main unke uper beth gayi. Lund ek baar phir gaand mein ghus gaya. Phir main kabhi aaram se hilti to kabhi tezi se uper neeche hoti. Kabhi apni chhatiyan khud dabati to kabhi unke munh mein ghusa deti. Bas ye maaniye ke maine tab tak haar nahi maani jab tak ke main khud bhi jhad gayi aur thakur ka pani apni gaand mein na nikal liya. Uper bethkar sab mujhe karna tha isliye main khyaal rakha ke koi kami nai rehne doon aur thakur ko khush kar doon" Bindiya muskurate hue aise boli jaise koi jung jeet kar aayi ho
"Shabash" Rupali ne kaha "Matlab poori raat choot aur gaand li gayi teri?"
"Kahan malkin" Bindiya ne kaha "Thakur ne choot ki taraf to dhyaan hi nahi diya. Poori raat bas meri gaand mein hi marte rahe. Kabhi litake maari, to kabhi uper bithake. Kabhi khadi karke maari to kabhi jhukake."
"Poori raat?" Rupali ne phr hairani se kaha. "Tune kaha nahi aage se karne ko?"
"Main to bas choot mein lund lene ka sochti hi rahi par kaha nahi kyunki main thakur ko jo vo chahen bas vo karne dena chahti thi." Bindiya boli
"Phir?" Rupali ne puchha
"Chander bhi raat ki zid kar raha tha aur mera bhi choot mein lund lene ka dil ho raha tha isliye main use aane se pehle ishara kar aayi thi ke raat ko haweli ke pichhe jo tehkhana hai vahan aa jaaye" Bindiya ne kaha to Rupali chaunk padi
"Kya? Basement mein? Kyun?"
"Malkin ab thakur ke paas se uthkar apne kamre ki taraf jaati to unhen shak ho sakta tha kyunki unke kamre ki khidki se mera kamra saaf nazar aata hai. Ye maine pehle hi dekh liya tha isliye maine Chander ko keh diya tha ke ab se har raat mujhe vahin mila kare kyunki main raat ko Payal ke kamre mein soya karungi aur bahar nahi aa sakungi"
Bindiya ki ye baat sunkar Rupali ko kal raat ki kahani samajh aa gayi aur ye bhi samajh aa gaya ke Chander ke bartav mein koi badlav kyun nahi tha. Use to pata bhi nahi tha ke basement ke andhere mein usne Bindiya ki nahi Rupali ki choot maari thi.
"To phir tu gayi?" Rupali pakka karna chahti thi ke Bindiya ne vahan aakar use chudte hue dekha to nahi
"Kahan malkin" Bindiya haste hue boli "Gaand mein se lund nikalta to jaati na"
"Aur Chander?" Rupali ne kaha
"Subah ishara kar raha tha ke raat ko basement mein maza nahi aaya. Ab vahan nahi karenge. Pata nahi kya keh raha tha. Main to vahan gayi hi nahi to maza kaisa. Pakka koi sapna dekha hoga aur bevakoof use hi sach samajh betha" Bindiya ne kaha to Rupali ki jaan mein jaan aa gayi..
 
306
58
28
UPDATE 118

Vo raat guzarni Rupali ke liye jaise maut ho gayi. Uske jism mein aag lagi hui thi. Bindiya ke saath ki garam baaton ne uski garmi ko aur badha diya tha. Bistar par pade pade vo kaafi der tak karwat badalti rahi aur jab sukoon nahi mila to usne apni nighty ko uper khincha aur choot ki aag ko apni ungliyon se thandi karne ki bekar koshish karne lagi.
Tej shaam dhale ghar vapis aa gaya tha aur Bindiya aaj raat bhi uske kamre mein thi. Rupali us din hospital nahi ja paayi thi par phone par Bhushan se baat hui thi. Thakur ki haalat ab bhi vaisi hi thi. Bistar par pade pade thakur ke dimag mein sirf thakur ka lund ghoom raha tha. Jab ungliyon se baat nahi bani to vo pareshan hokar uthi aur Tej ke kamre ke saamne pahunchi. Kaan lagakar suna to andar se Bindiya ke aah ooh ki aawzen aa rahi thi. Rupali thodi der tak vahin khadi sunti rahi. Andar se kabhi Bindiya ke "dheere thakur sahab" to kabhi "aaram se kariye na" ki aawazen aa rahi thi. Uski aawaz sunkar Rupali muskura uthi. Lagta hai Tej uske liye bistar par kaafi bhari pad raha tha.
Subah uthi to Rupali ka poora jism phir se dukh raha tha. Gayi poori raat vo bistar par pareshan karwat badalti rahi aur dhang se so nahi paayi. Dimag mein kayi baar uthkar Payal ke paas jaane ka khyaal aaya par phir usne apna irada badal diya aur Payal ko sukoon se sone diya.
Usne aaj Devdhar se milne jana tha. Gaon se sheher tak jaane mein use kam se kam 4 ghante lagne wale the to vo subah savere hi uthkar nikal gayi. Dopahar ke takreeban 11 baje vo Devdhar ke office mein bethi thi.
Devdhar Patel koi 45 saal ka ek mota aadmi thi. Sar se aadhe baal ud chuke the. Uska poora khandaan vakeel hi tha aur shuru se vo hi thakur ka khandaani vakeel tha. Usse pehle uska baap ye kaam sambhala karta tha aur vakeel banne ke baad Devdhar ne apne baap ki jagah le li.
Usne Rupali ko fauran bethaya aur apni secretary ko kisi ko andar na aane dene ko kehkar Ruapli ke saamne aa betha.
"Kahiye chhoti thakurain" Usne Rupali se kaha
Rupali ummeed kar rahi thi ke vo use naam se bulayega par Devdhar ne aisa nahi kiya.
"Sidhe matlab ki baat pe aati hoon" Rupali ne kaha "Main thakur sahab ki vaseeyat ke baare mein jaanna chahti hoon"
"Mujhe laga hi tha ke aap is baare mein hi baat karengi."Devdhar muskurate hue bola "Asal mein vaseeyat thakur sahab ki nahi aapke pati ki hai, thakur Purushottam Singh ki"
Rupali ye baat Khan ke munh se pehle hi sun chuki thi
"Main janta hoon ke aap ye baat pehle se janti hain isliye ismen aapke liye hairani ki koi baat nahi"
"Aapko kaise pata?" Rupali ne puchha
"Vo Khan pehle mere paas aaya tha. Zor zabardasti karke sab ugalva gaya. Main janta tha ke vo aapse is baare mein baat karega" Devdhar ne chor nazar se Rupali ki aur dekhte hue kaha
"Aap ek khandani vakeel hain. Aur aapko paise hamare ghar ke raaz police ko batane ke nahi milte. Aur agar aap kahen ke ek policewala aapse zabardasti sab ugalva gaya to ye baat kuchh hazam nahi hoti Devdhar ji" Rupali zara gusse mein boli
"Main ek vakeel hoon chhoti thakurain. Mere bhi haath kai jagah phase rehte hain jahan hamen police ki madad leni padti hai. Aisi hi kai baaton mein mujhe uljhake sab maalum kar gaya vo kameena par main mafi chahta hoon" Devdhar ne nazar neechi karte hue kaha
"Khair" Rupali bhi janti thi ke ab is baat par behes karne se koi fayda nahi "Matlab ki baat par aate hain. Ye saari jaaydad meri kaise hai?"
"Dekhiye baat saaf hai" Devdhar kuchh kagaz kholte hue bola. Ek kagaz ka usne Rupali ki taraf sarkaya "Ye aapke sasur Thakur Shaurya Singh ke pita ki vaseeyat hai jismein unhone apna sab kuchh aapke pati ke naam kar diya tha. Tab hi jab Purushottam Singh chhote the."
"Par Khan ne to kuchh aur hi kaha" Rupali thodi hairan hui "Vo to keh raha tha vaseeyat Sarita Devi ki thi"
"Yahan aakar baat thodi tedhi ho jaati hai" Devdhar ne doosra kagaz aage sarkaya "Ye pehli vaseeyat hai jismen sab kuchh Thakur Shaurya Singh ke bhai Thakur Gaurav Singh ke naam kiya gaya tha.
Phir Devdhar ne ek dosra kagaz aage sarkaya
"Jab Thakur Gaurav Singh aur unki patni ki car accident mein maut ho gayi aur pichhe unka eklauta beta Jai hi reh gaya to ye doosri vaseeyat banayi gayi jismen sab kuchh aapki saas Sarita Devi ke naam kiya gaya tha."
Phir ek chautha kagaz aage kiya
"Aur ye aapke pati ki vaseeyat hai jo unhone marne se kuchh din pehle banayi thi. Ismen sab kuchh aapke naam kiya gaya hai."
Rupali pareshan si apne saamne rakhe papers ko dekhne lagi
"To ab dekha jaaye to pehle ye jaaydad Thakur Shaurya Singh ke bhai ke paas gayi, phir unki patni ke paas, phir unke bade bete ke paas aur ab unki bahu ke paas. Unke paas to kabhi aayi hi nahi."
Rupali thodi der khamosh rahi
"Ye mujhe tab kyun nah bataya gaya jab mere pati ki maut hui thi?" Usne Devdhar se puchha
"Aap shayad apne sasur ko nahi janti. Is ilaake mein raaj tha unka jo kuchh hadh tak ab bhi hai. Is ilaake ke neta aur ministers bhi unke aage munh nahi kholte aur aapke dewar Tej ke to naam se logon ki hawa nikal jaati thi. Apni jaan mujhe bhi pyaari thi. Meri kya majaal jo main unke hukum khilaf jata" Devdhar Rupali ki aankhon mein dekhte hue bola
"Aapko thakur sahab ne mana kiya tha?" Rupali ne puchha to Devdhar ne haan mein sar hila diya
"Is vaseeyat ke baare mein kis kisko pata hai?" Rupali ne kagz uthate hue kaha
"Ab to sabko pata hai par aapke pati ke marne ke baad sirf thakur sahab ko pata tha. Aapke pati ki maut ke baad jab main aapse milne haweli pahuncha to mujhe aapse milne nahi diya gaya. Aapke pati ke marne ke baad hi is vaseeyat ka pata thakur sahab ko chala tha. Usse pehle sirf main janta tha ke jaaydad aapke naam ho chuki hai" Devdhar ne jawab diya..
 
306
58
28
UPDATE 119

"Ek baat samajh nahi aayi" Rupali ne Devdhar ki aur dekhte hue kaha "Thakur Gaurav Singh ke naam se jaaydad meri saas ke naam par isliye gayi kyunki vo maare gaye. Par meri saas ke naam se jaaydad hatakar meri pati ke nam kyun ki gayi jo ki us waqt sirf mushkil se 10 saal ke the? Aur doosri baat ye ke kyun kabhi jaaydad Thakur ke naam nahi hui jo ki apne Pita ki bade bete the?"
Devdhar ki paas in sawalon ka koi jawab nahi tha
"Ye baat to Shayad sirf Thakur Shaurya Singh ke pita bhi bata sakte the" Devdhar bola "Thakur ke naam jaaydad na karne ki vajah shayad unka gussa ho sakta tha jo hamesha se hi bada tez tha. Sirf 15 saal ki umar mein unhone ghar ke naukar ko goli maar di thi jabki unke pita iske bilkul ulta the. Vo ek shaant aadmi the jo har kisi se pyaar se baat karte the. Shayad unhen Thakur Shaurya Singh ke gusse ka dar tha isliye unke naam kuchh nahi kiya. Par aapki saas ke naam se jaaydad hatane ki vajah main khud bhi nahi janta."
"Vaseeyat aapne hi badli thi?" Rupali ne puchha to Devdhar hasne laga
"Main to us college mein hi tha shayad. Vaseeyat mere pitaji ne badli thi"
"Aur vo kahan hain?" Rupali ne puchha to Devdhar ne apni ek anguli aasman ki taraf utha di. Rupali samajh gayi ke Devdhar ka baap mar chuka tha.
"Aur phir mere naam? Vo vaseeyat to aapne badli hogi?" Rupali ke is sawal par Devdhar ne haan mein sar hilaya
"Marne se kuchh din pehle Thakur Purushottam mere paas aaye the. Kaafi pareshan lag rahe the. Maine vaseeyat badalne ki vajah puchhi to haskar kehne lage ke bhai aadmi ka sab kuchh uski biwi ka hi to hota hai"
"To agar main court mein pahunch jaoon ke ye sab mera hai aur bechna shuru kar doon to mujhe koi nahi rok sakta?" Rupali ne puchha
"Itna aasan nahi hai" Devdhar ne kaha "Ek ye baat ke vaseeyat baar baar badli gayi aapke khilaaf ja sakti hai. Koi bhi aapke pati ki vaseeyat ko court mein challenge kar sakta hai aur jab tak court ka faisla na ho jaaye, tab tak kuchh bhi kisi ko nahi milega"
"Kaun challenge kar sakta hai?" Rupali boli
"Koi bhi" Devdhar ne haath phelate hue jawab diya "Thakur sahab, aapke dewar Thakur Tejveer, sabse chhote dewar Kuldeep, aapki nanad Kamini aur sabse badi pareshani khadi karega Thakur sahab ka bhateeja Jai"
"Jai?" Rupali phir se hairan hui
"Dekhiye Jai ne thakur sahab ki jaaydad aadhi apne naam is liye kar li kyunki thakur sahab ke naam par kabhi kuchh nahi tha. Sab kuchh aapke pati ke naam par tha aur thakur sahab ne mujhe aapke pati ki vaseeyat ka zikr karne se mana kiya tha. Maine nayi vaseeyat ke baare mein munh nahi khola aur is hisab se sab kuchh maut ke baad bhi aapke pati ke naam par tha. Ab aapke pati ko apne cousin Jai par itna bharosa tha ke unhone use power of attorney de rakhi thi jiska fayda Jai ne unke marne ke baad uthaya aur dheere dheere properties apne naam par karta raha. Papers mein usne ye likh diya ke asal malik ab zinda nahi hai aur business ke bhale ke liye ye faisla liya jana zaroori hai. Ab agar aap court pahunch jaati hain ye kehte hue ke sab kuchh aapka hai to jo kuchh Jai ne apne naam par kiya tha vo sab bhi challenge ho jaayega. Kyunki phir ye baat uth jaayegi ke pati ke marte hi sab kuchh aapka ho gaya tha to aapke pati ki di hui power of attorney bhi bekar ho jaati hai. Aur uska fayda uthakar aapke pati ke marne ke baad usne jo bhi naye papers banaye the vo sab bhi bekaar ho jaayenge. Is hisaab se sab kuchh phir aapki jholi mein aa girega aur Jai sadak par aa jayega"
Devdhar se thodi der aur baat karke Rupali vapis haweli ki aur chal padi. Khan ne jo kuchh kaha tha us baat par Devdhar ne sachchai ki mohar laga di thi. Rupali ki aankho ke aage duniya jaise ghoom rahi thi. Use samajh nahi aa raha tha ke kispar bharosa kare aur kispar nahi. Har koi use ek ajnabi lag raha tha. Pichhle sawalon ke jawab mile nahi the ke naye kuchh aur uth khade hue.
Kyun Thakur ne us tak Devdhar ko pahunche nahi diya. Kyun usse ye baat chhupayi gayi? Shayad pehle na batane ki vajah uska chup chup rehna tha par ek baar jab vo T hakur ke saath so chuki thi to tab Thakur ne usko kuchh kyun nahi kaha? Doosra use sab kuchh apni saas ke naam se hatakar uske pati ke naam par kar dene ki baat bahut ajeeb lagi? Aur Purushottam marne se pehle itne pareshan kyun the? Kya unhen ehsaas ho gaya tha ke unhen nuksaan pahunchaya ja sakta hai aur agar haan to unhone Rupali se is baat ka zikr kyun nahi kiya?
Ab tak ye baat Rupali ke saamne saaf ho chuki thi ki uski pati ki maut ki vajah ye saari jaaydad hi thi. Par sawal ye tha ke maut ka zimmedar kaun tha? Uske saamne sabke chehre ghoomne lage aur use har koi ek hatyara nazar aane laga.
"Jai aisa kar sakta tha. Sabse zyada vajah usi ke paas thi kyunki vo thakur ke khandaan se chidta tha. Par Tej bhi to ho sakta hai. Apni ayyashi ke liye use paisa chahiye jo bahut jaldi milna band ho jaata kyunki saari jaaydad Purushottam ke paas thi. Aur sabse chhota bhai Kuldeep. Vo bhi to uske pati ki maut ke waqt yahin tha. Chup chup rehta hai par hai bahut tez aur is baat ka saboot thi uske kamre se mili vo bra. Kya Thakur Sahab khud? Haan kyun nahi. Ye jaaydad bada hone ke naate unhen milni chahiye thi par mili nahi. Kabhi nahi mili. Yahan se vahan hoti rahi par unke naam nahi hui. Aur phir Devdhar ko bhi to unhone munh kholne se mana kiya tha. Bilkul kar sakte hain vo aisa. Sarita Devi? Ye saari jaaydad achanak hi unke naam se hata di gayi thi.Haath aayi itni saari daulat nikal jaaye to kya beta aur kahan ka beta. Ho sakta hai unhone kiya ho aur Purushottam marne se pehle unhen hi to chhodne mandir gaye the. Kamini? Ladki thi par aisa karne ki himmat bilkul thi usmen. Uska kisi se pyaar tha aur ye baat thakur bardasht na karte. Par agar saari daulat uski ho jaati to koi kya kar sakta tha"
Kamini ke premi ke baare mein sochte hi Rupali ko dhyaan aaya ke vo ab janti hai ke uska premi kaun tha. Uska apna chhota Bhai Inder jisne usse hamesha ye raaz chhupakar rakha. Par kyun? Usko bhala kya aitraaz hota agar Inder Kamini se shaadi karna chahta. Rupali apne khyaalon mein itna khoyi hui thi ke kai baar accident hote hote bacha. Shaam ke kareeb 4 baje vo haweli vapis pahunchi aur haweli mein kadam rakhte hi chaunk padi. Bade kamre mein khada tha uska chhota bhai Inder. Thakur Indrasen Rana..
 
306
58
28
UPDATE 120

"Vo aaye hain mehfil mein chandni lekar, ke roshni mein nahane ki raat aayi hai" Rupali ko aata dekh Inder khada hua
"Kab aaya Inder?" Ek pal ke liye apne bhai ko dekhkar Rupali jaise sab kuchh bhool gayi
"Main to subah hi aa gaya tha Didi" Indra behen ke gale lag gaya "Pata chala ke aap subah se kahin gayi hui hain"
"Haan kuchh kaam tha" Ruapli bhai ke sar par haath pherte hue boli "Aa betha na"
"Thakur Sahab ke baare mein pata chala" Tej ne kaha "Bahut afsos hua. Main aate hue hospital hota hua aaya tha. Abhi bhi behosh hain"
"Haan janti hoon" Rupali saans chhodte hue boli
Indrasen Rana kareeb 30 saal ka ek bahut khoobsurat aadmi tha. Usko bhagwan ne aisa banaya tha ke ladkiyan dekhkar dil thaam len aur ladke jal jaaye. Lamba chauda kad, gora rang, Tandrust shareer aur jab bolta tha to lagta tha ke jaise phool jhad rahe hon. Rupali kaafi der tak Inder ke saath vahin bethi baat karti rahi aur pata hi nahi chala ke kab raat ke 9 baj gaye. Waqt ka ehsaas tab hua jab Tej haweli mein dakhil hua. Inder ko saamne betha dekh vo ek pal ke liye ruka aur phir haath aage karta Inder ki taraf badha.
"Kaise hain Thakur Indrasen?" Vo hamesha Inder ko uske poore naam se hi bulata tha
"Main theek hoon bade bhaiyya" Inder ne bhi aage badhkar haath aage milaya
"Aaj is taraf kaise aana hua?" Tej ne puchha to Inder ne muskura ke kandhe jhatkaye
"Aise hi aap logon ki yaad aayi to milne chala aaya"
Khane ki table par teeno saath the. Rupali ne dhyaan diya ke Payal ki nazar Tej par kuchh zyada hi thi. Vo uska khaas taur par dhyaan rakh rahi thi. Baar baar aakar usse puchhti ke kuchh chahiye to nahi. Inder ko dekh kar muskurati. Rupali bhi dil hi dil mein uski harkat dekh kar muskura uthi. Ye pehli baar nahi tha ke usne apne bhai ke aas paas ladkiyon ki pagal hote hue dekha tha. Uske bhai ke pichhe pagal hone wali ek to uski apni nanad hi thi.
Inder ko usne ground floor par hi kamre de diya. Jab vo aur Tej apne kamre mein chale gaye to vo Bindiya aur Payal ko kitchen saaf karne ka kehkar apne kamre mein pahunchi. Vo Tej se Kamini ke baare mein aur aak hui Devdhar se mulaqat ke baare mein baat karna chah rahi thi isliye ek nighty pehenkar Tej ke kamre mein pahunchi.
Tej ke kamre ka darwaza khula hua tha. Vo andar dakhil hui. Ek nazar kamer mein daudayi to Tej kahin nazar nahi aaya. Rupali ne use bulane ke liye aawaz deni chahi hi thi ke achanak uske per hawa mein uth gaye. Ek haath pichhe se uski kamar par hota hua sidha nighty ke uper se uski choot par aaya aur doosra uski ek chhati par aur use hawa mein thoda sa uper utha diya gaya. Apni kamar par use kisi ki chhati mehsoos hui aur neeche se ek lund uski gaand par aa daba.
"Aaj itni der kahan laga di thi?" Pichhe se Tej ki aawaz aayi
Ye sab ek pal mein hua. Rupali ko kuchh kehne ya karne ka mauka hi nahi mila. Aur uske agle hi pal Tej ko ehsaas hua ke usne Bindiya ko nahi balki Rupali ko pakad rakha hai. Uske haath Rupali ke jism se fauran hat gaye jaise Rupali mein achanak se current daud gaya ho. Vo jaldi se 2 kadam pichhe ko hua aur pareshan nazar se Rupali ko dekhne laga.
"Maaf kijiyega Bhabhi" Use samajh nahi aa raha tha ke kya kahe "Vo mujhe laga ke..... ke....."
Use samajh nahi aaya ke kaise Rupali se kahe ke vo ghar ki naukrani ko chod raha tha.
Dono ke liye vo situation itni ajeeb ho gayi ke Rupali chah kar bhi kuchh keh na saki. Vo Tej se kuchh baat karne aayi thi par us waqt usne kuchh na kehna behtar samjha aur chupchap kamre se nikal gayi.
 
306
58
28
UPDATE 121

Apne kamre mein pahunch kar vo bistar par gir padi. Ye doosri baar tha ke Tej ne use is tarah se pakda tha. Ek baar nashe mein aur doosri baar anjane mein. Usni Rupali ki chhati ko pakadkar itni zor se dabaya tha ke Rupali ko ab tak dard ho raha tha. Usne apni chhati ko sehlaya aur tabhi use Tej ka vo chehra yaad aaya jab vo use khada dekh raha tha. Aur phir jis tarah se vo ye nahi keh paya tha ke usne Bindiya ka sochkar Rupali ko pakda tha vo sochkar Rupali ki halki si hasi chhut padi. Use kya pata tha ke Bindiya usse chudwa sirf isliye rahi hai kyunki Rupali ne aisa kaha tha.
Aaj ki raat bhi koi alag raat na thi. Aaj ki raat bhi Rupali bistar par padi apne jism ki aag mein jal rahi thi. Use samajh nahi aa raha tha ke kya kare. Uska jism vasna se tap raha tha jaise bukhar ho gaya ho. Thodi der ke liye usne apne haath ka sahara lena chaha par baat bani nahi. Uska gala sookhne laga tha. Usne uthkar apne kamre mein rakhe jug ki taraf dekha par usmein paani nahi tha. Bistar se uthkar usne apne kapde theek kiye aur neeche utarkar kitchen ki taraf badhi.
Kitchen mein khadi vo pani pee hi rahi thi ke use kisi ke kadmo ki aawaz sunai di. Raat ka sannata har taraf phel chuka tha aur us khamoshi mein kisi ke chalne ki aawaz saaf sunai de rahi thi. Koi sidhiyan chadh raha tha. Rupali ko hairat hui ke is waqt kaun ho sakta hai. Usne kitchen se bahar nikalkar dekha to Inder sidhiyan chadhkar Kamini ke kamre ki taraf ja raha tha. Uske chalne ka andaz hi choron jaisa tha jais vo ghar mein chupke se chori karne ke liye ghusa ho. Kamini ke kamre tak pahunchkar usne idhar udhar dekha aur phir dheere se darwaza kholne ki koshish ki. Darwaza locked tha. Rupali ko sabse zyada hairat us waqt hui jab Inder ne apni jeb se ek chabhi nikali aur Kamini ke kamre ka darwaza kholkar andar dakhil ho gaya.
Rupali ek pal ke liye vahi khadi rahi. Vo Inder se abhi Kamini ke baare mein baat nahi karna chahti thi. Uska khyaal tha ke sahi waqt dekhkar Inder ke saamne ye baat uthayegi par Inder ko Kamini ke kamre mein yun ghusta dekh Rupali se raha nahi gaya.
Vo halke kadmon se sidhiyan chadhkar pehle apne kamre mein pahunchi. Usne almari se Kamini ki diary nikali aur phir Kamini ke kamre ke saamne aayi Inder ne apne pchhe Kamini ka kamre band andar se kar liya tha par Rupali ke paas haweli ke har kamre ki chaabi thi. Usne apni chaabi se room ka lock khola, handle ghumaya aur ek jhatke mein poora darwaza khol diya.
Saamne Inder Kamini ki almari ke saamne khada uske kapdo mein kuchh dhoondh raha tha. Darwaza yun khol diye jaane se vo palta aur saamne Rupali ko dekhkar uske pairon ke neeche se zameen khisak gayi. Chehra yun safed ho gaya jaise kaato to khoon nahi. Haath mein pakde Kamini ke kuchh kapde uske haath se chhutkar zameen par gir pade.
"Kya dhoondh rahe ho Inder?" Kamini ne puchha
Inder se jawab dete na bana
"Kya dhoondh rahe the?" Rupali ne apne pichhe darwaza band kar liya aur thodi oonchi aawaz mein puchha
"Ji Didi ... vo .... main..... "Inder ki zubaan ladkhada gayi
Ruapli ne apne haath mein pakdi Kamini ki diary aage ki
"Ye to nahi dhoondh rahe the?"
Rupali ke haath mein diary dekhkar Inder samajh gaya ke uska raaz khul chuka hai. Vo nazaren neechi karke zameen ki aur dekhne laga
"Kabse chal raha tha ye sab?" Rupali ne vahin khade khade puchha
Jab Inder ne jawab na diya to usne apna sawal phir dohraya.
"Ji aapki shaadi hone se takreeban ek saal pehle se....." Inder ko is baar jawab dena pada.
Is baar hairan hone ki baari Rupali ki thi
"Tum meri shaadi hone se pehle se Kamini ko jante the?
 
306
58
28
UPDATE 122

Thodi der baad vo dono Rupali ke kamre mein bethe the. Rupali ko laga ke yun Kamini ke kamre mein khade hokar baat karna theek nahi hoga. Koi bhi jaag sakta hai. Vo Inder ko apne aath apne kamre mein le aayi.
"Mujhe sab kuchh malum karna hai, SAB KUCHH " Rupali ne pehle Kamini ki diary Bistar par Inder ke saamne phenki aur phir vo kagaz jispar Inder ne ek sher likha tha "Aur tum shayri kabse karne lage? Aur vo bhi itni achhi urdu mein?"
"Meri nahi hain" Inder sar jhukaye bola " Kamini ko shayri bahut pasand thi isliye main kahin se padhkar use ye sab bhejta tha. Aap janti hain Shayri karna mere bas ki baat nahi"
"Kaise shuru hua ye sab?" Rupali apne bhai ke saamne bethte hue boli
"Mere ek dost ki shaadi mein mili thi mujhe Kamini. Vo ladki walon ki taraf se aayi thi. Vahan hamari jaan pehchaan ho gayi. Ghar aakar ham aksar phone par baat kiya karte the aur ye kab ye dosti pyaar mein badli mujhe pata hi nahi chala" Inder kisi tote ki tarah kahani suna raha tha.
"Irada kya tha?" Rupali ka gussa ab thoda thanda ho chala tha
"Shaadi karna chahta tha main usse." Rupali ko Inder ki ye baat sunkar bada ajeeb laga. Inder shakal surat se aisa tha ke vo jis ladki ki taraf dekh leta vo ladki use apni khush naseebi samajhti jabki Kamini ek behad mamuli si shakal soorat wali ladki thi.
"Phir ise kismat kahiye ya kuchh aur ke aapki shaadi bhi Kamini ke ghar mein hi hui. Us waqt ham log bahut khush the. Kamini khud bahut khush thi. Maine kai baar chaha ke vo aapse baat kare aur hamare baare mein bataye par vo hamesha aapke saamne is baare mein baat karne se sharmati thi. Kehti thi ke bhabhi pata nahi kya sochengi." Inder ne aage kaha
Uski ye baat sunkar Rupali ko jaise apne ek sawal ka jawab mil gaya. To ye vajah thi ke Kamini uske saamne aane se katra jaait thi. Us waqt Rupali bahut zyada pooja paath mein raha karti thi to Kamini ka ye sochna ke kahin vo uske aur apne bhai ke rishte ke khilaf na ho jaaye jayaz tha. Uski jagah koi bhi ladki hoti to darti. Khaas taur se jab baap aur bhai Thakur Shaurya Singh aur Tej jaise hon.
"Ham log sheher mein hi mila karte the. Vo apne driver aur bodyguard ko haweli mein hi chhodkar mujhse milne sheher aa jaaya karti thi." Inder ab bina puchhe hi sab bata raha tha
Uski is baat ne Rupali ke doosre sawal ka jawab de diya.To vo Inder hi tha jisse milne Kamini jaaya karti thi, akele. Tabhi use Bindiya ki kahi vo baat yaad aayi jab uske mard ne kheton mein bane tubewell wale kamre mein Kamini ko chudwate hue dekha tha.
"Jab sheher mein milte the to yahan kheton mein milne ki kya zaroorat thi? Darr nahi laga tum dono ko?" Rupali ne puchha
"Kheton mein?" Inder ne hairani se puchha "Aap mazak kar rahi hain? Yahan milna to khud maut ko dawat dene jaisa tha"
"Kya?" Rupali kuchh aise boli ke uski hairani uski aawaz mein chhalak uthi "Tum use tubewell wale kamre mein nahi milte the?"
"Tubewell?" Inder ne puchha "Kaun sa tubewell?"
Rupali samajh gayi ke use is baare mein kuchh pata nahi tha aur vo uski aankhen dekhkar bata sakti thi ke vo sach bol raha hai
"Nahi kuchh nahi" Rupali baat taalne ke andaz mein boli "Vo uski diary padhkar mujhe laga ke tum log yahin kheton mein mila karte the"
"Nahi yahan kahin aas paas to vo khud hi nahi milna chahti thi. Maine use kai baar kaha ke ham ghar par baat kar lete hain par vo jaane kyun har baar mana kar deti thi. Aur phir vo dheere dheere badalne lagi. Mujhse uski baat bhi kaafi kam ho gayi. Maine kai baar usse puchhne ki koshish ki par usne har baar taal diya. Aur phir ek din uska phone aaya ke vo mujhse shaadi nahi karna chahti kyunki vo mere layak nahi hai. Ye kehkar usne phone rakh diya"
"Kabki baat hai ye?" Rupali ne puchha
"Theek usi din jab Jijaji ka khoon hua tha. Uska phone rakhne ke thodi der baad hi hamen haweli ke naukar ka phone aaya tha aur usne mujhe bataya ke Bade Bhai sahab ka khoon ho gaya tha." Inder ne kaha
Rupali ki dhadkan tez hone lagi par usne apne chehre par kuchh zahir na hone diya
"Phir kabhi baat nahi hui?" Usne Inder se puchha
"Maine kai baar use phone karne ki koshish ki par vo har baar meri aawaz sunkar phone kaat deti thi. Aur phir ek din mujhe pata chala ke vo videsh chali gayi aur bas hamari kahani khatam ho gayi" Inder sar jhukaye bola
Kamre mein thodi der khamoshi rahi
"To tum ab uske kamre mein kya dhoondh rahe the?" Rupali ne khade hote hue puchha
"Ye" Inder ne us kagaz ki taraf ishara kiya jo Rupali ko Kamini ki diary se mila tha "Aur aise kai aur papers. Mujhe dar tha ke agar ye aap ke haath kabhi lag gaya to aap meri handwriting pehchaan jayengi..
 
306
58
28
UPDATE 123

Agle din subah Rupali Rupali Inder ke saath hospital pahunchi. Doctor ne bataya ke Thakur ki halat mein ab bhi koi sudhar nahi aaya tha. Bhushan ab bhi Thakur ke saath hospital mein hi tha.Thodi der vahin ruk kar Rupali haweli vapis aa gayi. Subah ke 10 bas chuke the. Tej Rupali ko bade kamre mein betha mila.
"Tej hamen aapse kuchh baat karni hai. Aap hamare kamre mein aa jaiye" Rupali ne Tej se kaha aur uske jawab ka intezaar kiye bina hi apne kamre mein chali aayi
Thodi der baad hi Tej Rupali ke kamre men dakhil hui
"Darwaza band kar dijiye" Rupali ne Tej se kaha
Darwaza band kar dete hi Tej ne apne dono haath jod diye
"Hamen maaf kar dijiye Bhabhi. Bahut bada paap ho gaya hamse kal raat. Par vo sab anjaane mein hua"
Rupali ne ishare se Tej ko bethne ko kaha.
"Koi baat nahi. Hamne us baare mein baat karne ke liye nahi bulaya hai aapko. Hamen kuchh aur zaroori baat karni hai" Kehte hue Rupali apni table tak gayi aur Drawer se Purushottam Singh ki vaseeyat nikali
Tej Hairani se uski aur dekh raha tha. Use ummeed thi ke Rupali usse kal raat ke baare mein sawal jawab karegi par vo to us baare mein koi baat hi nahi karna chah rahi thi. Jaise kuchh hua hi na ho
"Aapne Kamini se aakhri baar baat kab ki thi?" Ruapli Tej ki aur dekhte hue boli
"Uske videsh jaane se pehle" Tej ne sochte hue kaha
Rupali samajh gayi ke Tej ko Kamini ke baare mein koi jaankari nahi hai
"Aur Kuldeep se?" Rupali ne puchha to Tej soch mein pad gaya
"Shayad jab vo aakhri baar haweli aaya tha tab."
"Phone par baat nahi hui aapki kabhi?" Rupali ne puchha to Tej ne inkaar mein sar hila diya. Rupali ko isi jawab ki ummeed thi. Tej ko ayyashi se time milta to apne bhai aur behen ke baare mein sochta
"Ye Kamini ka passport hai" Rupali ne apne haath mein pakda passport Tej ko thama diya "Agar ye yahan hai to Kamini videsh mein kaisi ho sakti hai?"
Tej Hairani se Passport ki taraf dekhne laga
"Matlab? To kahan hai Kamini?" Usne Rupali se puchha
"Hamen laga ke aapko pata hoga" Rupali ne jawab diya
"Ye kahan mila aapko?" Tej ne phir sawal kiya
"Vo zaroori nahi hai" Rupali ne use basement mein rakhe box ke baare mein batana zaroori nahi samjha "Zaroori ye hai ke ye yahan Haweli mein mila, jabki hindustan mein hi nahi milna chahiye tha"
Tej Khamoshi se betha apni soch mein khoya hua tha
"Ek baat aur hai" Rupali ne kaha aur Purushottam ki vaseeyat Tej ke haath mein thama di aur chup rahi. Tej khud hi vaseeyat kholkar padhne laga.Jaise jaise vo pages palat raha tha, vaise vaise uske chehre ke bhaav bhi badal rahe the. Jab vo poori vaseeyat padh chuka to vo thodi der tak zameen ki taraf dekhta raha aur phir nazar uthakar Rupali ki taraf dekha
"Kuchh galat mat sochna Tej" Isse pehle ke vo kuchh kehta Rupal khud bol uthi "Main aisa kuchh nahi chahti. Main ye vaseeyat khud badalne wali hoon"
Tej ab bhi khamoshi se use dekhta raha
"Mujhe ye daulat nahi chahiye Tej. Main sirf apne ghar ko, is haweli ko ek ghar ki tarah dekhna chahti hoon. Tum chaho to main abhi phone karke vakeel ko bula leti hoon. Ye daulat saari mujhe mil jaaye, main nahi chahti ke aisa ho"
"Aisa main hone bhi nahi doonga" Tej ne kaha aur isse pehle ke Rupali kuchh keh paati vo uthkar kamre se bahar chala gaya
Rupali jo karna chahti thi vo ho gaya. Use dekhna tha ke kya Tej ko daulat ko bhookh hai aur vo usne dekh liya tha. Agar Tej khamoshi se betha rehta to is baat ka sawal hi nahi hota tha ke is daulat ke liye usne apne bhai ko mara ho par yahan to ulta hi hua. Rupali ne use abhi bataya tha ke uski behen 10 saal se gayab hai aur uski fikar karne ke bajay vo haath se nikalti daulat ke pichhe chillata hua kamre se chala gaya tha. Jisko apni behen ki koi fikar nahi, vo daulat ke liye apne bhai ka khoon kyun nahi kar sakta. Bilkul kar sakta hai.
 

Top