- 1,131
- 1,471
- 143
Chapter Four : Mere Dil Main Tu Hi Tu Hai
update 1
amit apni mom ko unke office drop kar ke aaya, Indira car drive kar ke jana nahi chahti thi ..uska to man hi nahi tha office jane ka lekin amit ne use jane ko kaha jis se uska man thoda halka hoga.
Amit ne kaajal se bhi baat kiya tha usi beech aur kaajal se milna bhi chahta tha…kaajal ne kaha ki vo kuchh der me uske ghar hi aa rahi hai.
Es samay amit kaajal ka wait kar raha tha apne ghar pe , baar baar ghari pe najar chali jati aur us se minutes bitana bhi bhari lagne laga tha. Usne ek Jagjit singh ka ghazal ki cd music player me lagayi aur sofe pe let gaya. Sofe pe let kar aankhe band kar li usne aur vo ghazal sunne laga.
Mere dil main tu hi tu hai dil ki dawa kya karoon
Dil bhi tu hai jaan bhi tu hai tujhpe fidaa kya karoon
khud ko khoke tujhko paake kya kya mila kya kahoon
teri hoke jeene main kya aaya maza kya kahoon
Amit abhi ghazal sun hi raha tha ki bell baji aur use samajh me aa gaya ki kaajal aa gayi hai. Darwaje ki taraf lapka aur darwaja kholte hi usne dekha ki kaajal khari hai..kisi apsara ki tarah lag rahi thi us samay…amit use dekhta hi rah gaya..uski badi badi aankho me dubta chala gaya vo. Use jaise kuchh yaad hi nahi raha, kisi statue ki tarah khara bas use dekhe hi ja raha tha.
“ hello mr . amit kahan kho gaye janab” kaajal ko akhirkar bolna hi para
Kaajal ki aawaj kaan me padte hi amit uske husn ke jadoo se aazad hua aur usne use andar bulaya. Andar music system me jagjit singh ke romantic ghazal chal hi rahe the.
“ kya baat hai bahut romantic ho gaye ho” kaajal ne muskurate huye kaha
“ nahi bas tumhare intezar me ye sun raha tha” amit ne bhi muskurate huye jabab diya
Amit aage badha aur kaajal ko pichhe ke apni bahon me bhar liya, kaajal bhi uske bahon me samati chali gayi usne bhi apni aankhe band kar li aur apne aapko uske bahon ke hawale kar diya.
“ tum ko pakar main fir se jindagi jeene laga hu kaajal…tum kya chali gayi aisa lag raha tha main kuchh nahi hu” amit ne apna sar uske kandhe pe rakhte huye kaha, kaajal uski garam saanso ka ehsas apne chehre pe kar rahi thi, lekin usne apni aankhen nahi kholi. Amit apne chehreko aura age kar raha tha aur uska chehra kaajal ke chehre ke bilkul inch bhar ki duri pe tha.kaajal ki bhi saanse tej ho rahi thi, lekin use sab achha lag raha tha. Use bhi amit ka saath bahut pasand tha.
“ to fir mujhe manane kyo nahi aaye tum..main naraz thi tumse lekin pyar bhi to tumhe hi karti thi na”kaajal ne waise hi aankh band kiye huye kaha
“ dar lagta tha…kahi tum mujhe hamesha ke liye na chhor do…sahi samay ka intezar kar raha tha..jab tumhara gussa kam ho..lekin shayad hi koi pal raha ho jab tumko bhula paya ho” amit ne apne gaal ko uske gaal se laga diya tha aur kaajal ko uska tap mehsus ho raha tha.
“ to fir tum kaise us ladki ke saath ……” kaajal ne bas etna hi bola, vo amit ko chot nahi pahuchana chahti thi.
Amit ne kaajal ki baat pe use chhora nahi lekin vo samajh gaya ki vo kya kehna chahti thi. Use bhi apni galti ka ehsas tha.
“ maine jyada drink kar liya tha aur mujhse vo sab kuchh ho gaya…main aaj se vada karta hu tumse ki main tumhare alawa kisi ke saath drink bhi nahi karunga…main kisi bhi cheez ko apni kamjori nahi banne dunga…mujhe apne aap pe gussa aa raha hai us baat ke liye …” amit ne ye kaha aur usne kaajal ko aage se pakad ke palat diya aur apne hatho me uske chehre ko le liya..kaajal ne bhi apni aankhe kholi …amit ne uske mathe ko chuma…fir uske galo ko ..aankho ko aur uske sar ko aur najdeek lake uske hotho pe apne hoth laga diye aur use chumne laga…kaajal ne to jaise apne aapko uske hawale kar hi diya tha…vo bhi amit ka saath dene lagi.
Agle kuchh pal tak vo dono waise hi drawing room me khare khare ek dusre ko chumte rahe. Fir amit ko yaad aaya ki darwaja khula hua hai aur usne use jakar band kiya …tab tak kaajal sofe ke baith gayi thi, lekin vo kahi khoyi huyi thi, uske gaalon pe lali aa gayi thi, amit ke harkat ki wajah se uske chehre ki chamak aur badh gayi thi.
Amit lauta to sidhe kitchen gaya aur drawing room me kaajal aankhe band kiye huye sofe pe leti rahi aur jagjit singh ke ghazal sunti rahi. Amit agle kuchh minute me coffee ka mug hath me liye pahucha aur use table pe rakha aur kaajal ke bagal me vo bhi baith gaya.
“ coffee pina hai na” amit ne kaajal ko toka aur kaajal uski aawaj sunke aankh kholi aura age badh ke usne coffee ka mug uthaya. Dono coffee ki chuskiya lene lage.
“ achha amit ,aunty ne kya kaha case ke bare me..koi problem nahi hai na” kaajal ne poochha
“ mom to confident hai , ki kuchh nahi hoga aur unka investigation jari hai lekin mujhe bhi mom ki madad karni padegi” amit ne kaha
“ rohit bhi madad karega tumhari , usne kaha hai mujhe…tum uske contact me rehna” kaajal ne kaha aur usne apna mug table pe rakh diya.
“ haan , mom bata rahi thi ki vo aaya tha yahan mom ko such diya bhi hai usne..mom uske touch me hai” amit ne bhi apna mug table pe rakh diya.
“ aur kya plan hai aaj ka?” amit uski taraf muskurakar dekhte huye bola
“ plan? Tum batao kya karna hai” kaajal ne uski aankho me dekhte huye apni aankhe jhapkai.
“ tumko paas pake main control nahi kar pa raha hu..kya karu” amit ne kaha aur kaajal ki taraf jhukte huye us se lipat gaya.
“ to kisne roka hai tumhe ….jo man me dabe arman hai use pura kar lo” kaajal ne haste huye kaha aur uske sar ke balon me ungaliyan ferne lagi.
Amit kuchh nahi bola kyoki vo apne hath aur muh ko kaajal ke body ke upar ferne laga tha aur kaajal aankh band kiye huye muskura rahi thi aur usko sab kuchh karne de rahi thi.
To be continued….