Incest Koi To Rok Lo~Pritam.bs~

Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 201}
____________________________

Pritam bola “ye meri chhoti bahan payal hai. Humara saara ghar iski payal ki khan khan se hi ghunjta rahta hai.”

Pritam ki baat sunkar, hum sabke chehre par muskurahat aa gayi. Lekin thodi si hairani bhi huyi. Kyoki payal ki umar 20-22 saal ke aas pas lagti thi. Jabki pritam ki umar 35-36 saal ke aas pas lagti thi.

Aise me payal ke pritam ki sagi bahan hone ki ummid kam hi lagti thi. Fir bhi hum me kisi ne bhi is baare me koi sawal nahi kiya. Pritam ne hume ghar ke andar lakar baithaya aur fir ghar ke andar ki taraf aawaj lagate huye kaha.

Pritam bola “koyal, jaldi aao, mehmaan aa gaye hai.”

Pritam ki aawaj sunte hi, ek aurat bhagti huyi humare pas aayi aur hum sab se namaste karne lagi. Pritam ne humse uska parichay apni patni ke roop me karaya aur usko bhi hum sabka parichay dene laga.

Lekin pritam ki patni ko dekh kar, hum sab hi hakke bakke se rah gaye. Humare hakke bakke rahne ki vajah ye thi ki, uski sirf aawaj hi koyal ki tarah meethi nahi thi. Balki uska rang roop bhi koyal ki tarah hi kaala tha.

Pritam dekhne me ek aakarshak naujawan tha. Aise me koyal ke sath uski jodi bilkul bemel lag rahi thi. Pritam ki harkaten to, humare liye pahle hi kisi paheli ki tarah thi. Us par ab uski patni koyal aur uski bahan payal bhi humare liye kisi paheli se kam nahi thi.

Koyal ne humko muh hath dhone ko kaha aur khud khana lagane ki taiyari karne lagi. Pritam ne khane me koi meetha nahi dekha to, wo humare mana karne ke bad bhi, meetha lene chala gaya.

Hum sab muh hath dhone ke bad, khane ke liye pritam ke aane ka intejar karne lage. Payal aur koyal dono hi vaani didi par sawalon ki bauchhar karne me lagi thi. Aise hi baton baton me vaani didi ne payal se kaha.

Vaani didi boli “maaf kijiyega, yadi aapko bura na lage to, kya mai jaan sakti hu ki, aap dono ki arranged marriage huyi hai ya fir love marriage huyi hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, koyal to sharma kar rah gayi. Lekin payal ne muskurate huye kaha.

Payal boli “madam, aapko is baat par yakin nahi hoga. Magar sach yahi hai ki, mere bhaiya bhabhi ki love marriage huyi hai aur inko bhi apni shadi ke liye utne hi papad belne pade the. Jitne ki baki love marriage karne wale jodo ko belna padte hai.”

“Meri baat sunkar, aapko lagega ki, inki shadi me pareshani humare parivar walon ki taraf se aayi hogi. Lekin aisa nahi tha, ye pareshani bhabhi ke parivar walon ki taraf se thi. Unhe bhaiya me to koi kharabi najar nahi aayi thi. Lekin unhe humare parivar ka mahol pasand nahi tha.”

“Asal me mai pritam bhaiya ki sauteli bahan hu. Bhaiya jab 8th class me the. Tabhi unki sagi maa ka dehant ho gaya tha. Unki maa ke dehant ke ek saal bad, papa ne meri maa se shadi kar li.”

“Papa ke pas daulat ki koi kami nahi thi. Jis vajah se nana nani ne meri mummy ke ache bhavishya ki sochte huye, meri mummy ke kisi ki dusri patni na banne ki baat ko bhi najar andaz kar diya tha.”

“Jis samay papa aur meri mummy ki shadi huyi. Us samay unki umar me bhi bahut antar tha. Tab papa ki umar 40 saal aur mummy ki umar 22 saal thi. Bhaiya us samay 9th class me the.”

“Shadi ke bad, mummy ne papa ke umar aur unki dusri patni kahlane ki baat se to, samjhota kar liya. Lekin uske bete ko wo kabhi apna beta na maan saki aur mere janam hone ke bad to, mere bhaiya ki jindgi narak se bhi badtar ho gayi.”

“Unke sath bhi wo hi sab jyadtiyan hone lagi. Jo kisi ki sauteli maa ke aane par uske sath hoti hai. Itne bade ghar ke bete hone ke bad bhi, kabhi kabhi bhaiya do sukhi roti khane ke liye bhi taras jaya karte the.”

“Yaha tak ki yadi kabhi bhaiya mummy ki kisi baat ki papa se shikayat karte to, mummy bhaiya par hi ulta sidha iljam laga kar, unhe papa se janwaron ki tarah pitwa diya karti thi.”

Ye kahte kahte, payal ki aankhen chhalak gayi. Mai pahli aisi ladki dekh raha tha, jo apne sautele bhai ki, tarafdari karne ke liye apni sagi maa ki burayi kar rahi thi. Payal ki aankhon me aansu dekh, koyal ne pyar se uske sar par hath fera.

Jise dekh kar payal ne apne aapko sambhala aur apne aansu ponchhte huye, fir se apni baat ko aage badate huye kaha.

Payal boli “mere janam ke bad, bhaiya ki pareshani isliye bad gayi thi. Kyoki mere janam ke bad, meri mummy sochne lagi thi ki, yadi bhaiya ye ghar chhod kar chale jaye to, papa ki saari jaydad par sirf unka aur unki beti ka adhikar rah jayega.”

“Isi vajah se mere janam ke bad, un ne bhaiya par aur bhi jyada julm karna suru kar diya tha. Mummy ke is julm se ghabra kar bhaiya bhi ghar chhod kar jaane ki baat sochne lage the.”

“Lekin unhe aisa karne se koyal bhabhi rok diya karti thi. Koyal bhabhi suru se hi humare pados me rahti thi aur sirf ye hi ek aisi thi, jinko dekh kar bhaiya ko lagta tha ki, is duniya me unka koi apna hai.”

“Bhaiya bhabhi bachpan se hi ache dost the. Bhabhi apne ghar walon se chhupa chhupa kar, bhaiya ke liye kuch na kuch lati rahti thi aur jab kabhi bhaiya ko maar padti to, ye ghanton bhaiya ke pas baith kar roti rahti thi.”

“Inhe suru se hi bhaiya se pyar tha. Lekin apne sundar na hone ki vajah se, in ne kabhi bhi apne is pyar ko bhaiya ke samne jahir nahi kiya tha. Magar man hi man ye bhaiya ko apna sab kuch manti thi.”

“Dusri taraf mai thi, jiske janam ke bad, bhaiya par maa ke julm bad gaye the. Fir bhi bhaiya ne mujhse kabhi nafrat nahi ki thi. Unhe mujhe khilne ki to door ki baat thi, mujhe chhune tak ki ijajat nahi thi.”

“Iske bad bhi, jab kabhi bhaiya ko mauka milta, wo mujhe apni god me utha kar, ghumane chale jate the aur iske badle me wapsi par mummy ki taane jhidkiya aur papa ki maar khate the.”

“Bas wakt aise hi gujarta ja raha tha. Ek taraf mummy ki nafrat thi, jo ek pal bhi bhaiya ka ghar me rahna sahan nahi kar pa rahi thi to, dusri taraf bhabhi ki dosti thi, jo unhe is sab ko sahne ka hausla dila rahi thi.”

“Aise hi chalte chalte bhaiya ne college ki padai puri kar li aur ab wo papa ke sath unke business me hath batane ki baat soch rahe the. Un ne ye baat papa ke samne rakhi to, papa ne unki is baat ko maan liya.”

“Lekin mummy ne ye baat sunte hi, saare ghar me kohram macha diya. Kyoki ab papa ke sath unke business ko wo bhi sambhal rahi thi aur unko papa ke business me bhaiya ka aana jara bhi pasand nahi aa raha tha.”

“Magar ab bhaiya bhi apne pairon par khade hone layak ho chuke the. Un ne jindagi me pahli baar mummy ki is baat se bagawat kar di. Lekin is baar bhi papa ne mummy ka hi sath diya.”

“Jis gusse me, aakhir itne saal bad, bhaiya apne ghar ko chhodne ke liye majbur ho gaye. Un ne apna saman uthaya aur jaise hi ghar se jaane ko huye, unke samne mai rakhi lekar khadi ho gayi.”

“Bhaiya mere paida hone ke bad se hi, mujhse apni kalayi par rakhi bandhwane ke liye taras rahe the. Lekin mummy ne kabhi unhe mujhse rakhi bandhwane nahi di thi aur mujhe bhi unhe rakhi bandhne nahi deti thi.

“Aise me jab bhaiya ne mere nanhe nanhe hathon me rakhi dekhi to, unke kadam khud-ba-khud ruk gaye. Us din maine pahli baar unki kalayi me sirf rakhi hi nahi bandhi, balki unke ghar chhod kar jaane ke irade ko bhi badal diya tha.”

“Ab bhaiya ne papa ke sath business karne ke irade ko chhod kar, naukri karne ka man bana liya tha aur kuch samay bad, unki ye mehnat bhi rang le aayi. Unhe police me naukri mil gayi aur wo training ke liye chale gaye.”

“Wo jab apni police training karke wapas laute to, un ne ye khabar bhabhi ko sunayi. Jise sunkar bhabhi bahut khush huyi aur un ne bhi bhaiya ko ek khabar sunayi ki, unke ghar walon ne ek ladka dekha aur uske sath jaldi hi ab unki shadi karne ka soch rahe hai.”

“Bhabhi ki shadi ki baat sunkar, bhaiya ne unhe dher saari badhai di. Bhabhi bhaiya ke muh se apni shadi ki baat sunkar, upar se muskurati rahi. Lekin dil hi dil me bahut ro rahi thi.”

“Us samay to bhaiya ko unki shadi ki baat sunkar, bahut khushi huyi. Lekin jab raat ko un ne akele me baith kar, bhabhi ki shadi ke baare me socha to, unko laga ki, jaise unka sab kuch luta ja raha hai.”

“Us din bhaiya ko aehsas hua ki, jise wo sirf dosti samajhte hai. Asal me wo unka bhabhi ke liye pyar hai. Ye baat samajh me aate hi, unke liye subah tak ka intejar kar pana mushkil ho gaya.”

“Wo badi becheni se subah hone ka intejar karne lage. Subah doodh dene wala, doodh dene aaya to, wo bhi uske pichhe pichhe, bhabhi ke ghar pahuch gaye. Bhabhi ne unko dekha to, chauk gayi.”

“Lekin is se pahle ki bhabhi kuch samajh pati bhaiya unke ghar ke andar the. Bhaiya ko is samay apne ghar me dekh kar, bhabhi ghabra gayi. Us samay unke ghar ke sab log so rahe the. Isliye bhabhi bhaiya ko apne kamre me le aayi.”

“Bhaiya ne jab apne dil ki baat bhabhi ko batayi to, bhabhi dil hi dil me bahut khush huyi. Magar apne sundar na hone ki vajah se, wo bhaiya ke pyar ko apnane ko taiyar nahi ho rahi thi. Aakhir me unhe bhaiya ki jid ke aage jhukna hi pad gaya aur bachpan ki dosti pyar me badal gayi.”

“Bhaiya ne jab ye baat apne ghar me batayi to, is baat ko sunkar, sabse jyada khushi meri mummy ko huyi. Kyoki wo bhaiya ke liye aisi hi bahu chahti thi aur wo is shadi ke liye fauran taiyar ho gayi.”

“Lekin jab ye baat koyal bhabhi ke ghar walon ko pata chali to, un ne is shadi ke liye saaf mana kar diya. Kyoki meri mummy ka baratv un se chhupa nahi tha aur wo kisi bhi haalat me bhabhi ko humare ghar me dena nahi chahte the.”

“Is baat ke pata chalte hi, wo jaldi se jaldi bhabhi ki shadi karne me lag gaye. Lekin unke kuch kar pane ke pahle hi, bhaiya bhabhi ne ghar se bhag kar shadi kar li aur meri mummy ne khushi khushi is shadi ko apna liya.”

“Meri mummy ki soch thi ki, aisi ladki se shadi karke, bhaiya ko sabke samne sharminda hona padega aur bhaiya ki jindagi kuch hi din me narak se bhi jyada badtar ho jayegi.”

“Lekin iska ulta hi hua, bhabhi se shadi karne ke bad, bhaiya hamesha khush rahne lage aur bhabhi apne vyavhar se sabka dil jeetne lagi. Magar is se bhi bada jhatka mummy ko tab laga, jab bhabhi ne ek pyare se bete ko janam diya.”

“Tab mummy ko papa ki jaydad ka ek aur hissedar najar aane laga aur ab wo bhaiya ke sath sath bhabhi ko bhi pareshan karne lagi. Fir ek din un ne aisi chaal chali, jisne bhaiya bhabhi ko ghar chhodne par majbur kar diya.”

“Mummy ne papa ke samne bhaiya par ye iljam lagaya ki, bhaiya mummy ke upar buri najar rakhte hai aur un ne papa ki gair maujudgi me mummy ke sath jabardasti karne ki koshish bhi ki hai.”

“Us samay tak mai thodi bahut samajhdar ho chuki thi. Maine papa ke samne mummy ke is iljam ko jhuthlaya. Lekin papa ne meri ek bhi baat nahi suni aur bhaiya bhabhi ko usi samay ghar se nikal jaane ko kah diya.”

“Bhaiya bhabhi bhi apni is beijjati ko sah nahi paye aur un ne usi samay ghar chhod diya. Mai roti rahi aur bhaiya bhabhi ko rokti rahi. Magar mummy ne mujhe mere kamre me band kar diya.”

“Us din mujhe meri mummy se nafrat ho gayi aur maine un se baat chit band kar di. Bhaiya bhabhi ke ghar se chale jaane se mummy ke raste ka kaanta hat gaya aur wo papa ki gair maujudgi me unke manager ke sath ghar me hi aiyyashi karne lagi.”

“Mere man me mummy ke liye nafrat to thi hi aur mujhe apne bhaiya bhabhi ki beijjati ka badla bhi lena tha. Isliye ek din jab mummy apne kamre me manager ke sath thi, tabhi maine papa ko phone karke bula liya.”

“Magar abhi tak mai apni mummy ke nichta ko sahi tarike samajh nahi payi thi. Papa ne aakar jab un dono bahut bhala bura kaha aur mummy ko talak dene ki baat kahi to, un dono ne papa ko kamre me band kar liya.”

“Wo is baat se anjan the ki, ye sab khabar maine papa ko di hai aur mai chhup kar un dono ki is harkat ko dekh rahi hu. Jab maine unko papa ko kamre me band karte dekha to, mai ghabra gayi.”

“Maine fauran bhaiya ko phone karke saari baten bata di. Lekin jab tak bhaiya ghar aa pate, tab tak mummy aur manager papa ka gala daba kar, unki hatya kar chuke the. Wo hatya karte range hath pakde gaye aur unhe umar kaid ho gayi.”

“Us ghar me papa ki hatya huyi thi aur mujhe us ghar me rahne se dar lag raha tha. Isliye mai bhaiya ke sath aa gayi. Bhaiya ne wo ghar bech kar ye ghar banwa liya aur papa ki saari jaydad mere naam karwa di.”

“Mujhe apne papa ke marne ya mummy ke jail jaane ka jara bhi dukh nahi hai. Mai apne bhaiya bhabhi ke sath bahut khush hu. Mere bhaiya bhabhi mujhe apni beti bana kar hi rakhte hai.”

“Mere bhaiya bhabhi ke do bachche hai. Lekin jab kabhi koi inse puchhta hai ki, inke kitne bachche hai to, mere bhaiya bhabhi hamesha yahi kahte hai ki, inke teen bachche hai. In ne ye kabhi nahi kaha ki, inke do bachche hai.”

Itna kah kar payal chup ho gayi. Lekin uski aakhiri baat ne hum logon ko bhi uski baat ki sachchai ka yakin dila diya tha. Kyoki pritam ne ghabrahat me hone ke bad bhi, hum logon ke samne ye hi kaha tha ki, uske teen bachche hai.

Mai abhi pritam ki us baat ke baare me soch hi raha tha ki, tabhi payal ke chup hote hi, koyal ne baat ko aage badate huye kaha.

Koyal boli “madam ji, humare ghar me bhagwan ka diya hua, pahle se hi bahut kuch hai. Humare ghar me beimani ka ek paisa bhi nahi aata. Mere pati ek imandar inspector the aur puri imandari se apna farz nibhate the.”

“Aap unki is baat par koi yakin kare ya na kare, lekin hum logon ko pura yakin hai ki, unhe jhuthe case me fasa kar, inspector se sub-inspector banaya gaya. Iske bad bhi wo apne farz ko imandari se nibha rahe hai.”

Ye kahte kahte, koyal ki aankh bhi chhalak aayi. Lekin vaani didi ne uth kar, uske aansuon ko ponchh kar, pahli baar apni khamoshi ko todte huye kaha.

Vaani didi boli “mujhe aapke pati ki imandari par pura yakin hai. Yadi aisa na hota to, mai na to apne parivar ke sath aapke ghar khane par aayi hoti aur na hi maine aapke pati ko apne parivar ki suraksha ki jimmedari saupi hoti.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, sirf koyal aur payal hi nahi, balki hum sab bhi unhe hairani se dekhne lage. Koyal ne vaani didi ki is baat ko sunkar unse kaha.

Koyal boli “yadi aisa hai to, fir aapne ek sub-inspector ko apna driver kyo bana diya.”

Koyal ki is baat ko sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “waise to mere kaam karne ka andaz aisa hai ki, mai apne dayen hath ko bhi khabar nahi hone deti ki, mera bayan hath kya karne wala hai. Lekin aap is baat se itni pareshan hai to, mai apne aisa karne ki vajah aapko bata deti hu.”

“Mere aisa karne ki do vajah hai. Pahli vajah to ye hai ki, chahe bade ho ya chhote, mai kabhi kisi ki badtamizi sahan nahi karti hu. Pritam ne ye jante huye bhi ki, mai ek CID officer hu, mere sath badtamizi karne ki galti ki thi. Isliye use sabak sikhana jaruri ho gaya tha.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, koyal ne thoda sa mayus hote huye kaha.

Koyal boli “aur dusri vajah kya thi.”

Vaani didi boli “dusri vajah ye thi ki, mai janti thi, aapke pati ek imandar officer hai aur mai ek imandar officer ko apne samne barkhast hote nahi dekh sakti thi. Maine aapke pati ko apna driver bana kar, na sirf barkhast hone se bachaya hai, balki unhe aise aage aane wale bahut se khatron se bhi door kar diya hai.”

“Kyoki aapke pati imandar bhale hi ho, magar unme chalaki jara bhi nahi hai. Wo to abhi tak ye bhi nahi pata kar paye ki, unke inspector se sub-inspector banne ke pichhe kiska hath tha aur unhe kyo fasaya gaya hai.”

“Ye humare desh ki bidambna hai ki, kuch satta ke lalchi aur beiman log, hume ache dino ka lalach dikha kar, satta hathiya lete hai. Humare ache din to nahi aate, lekin hum jarur lambi kataron me lage, kabhi insaf ke liye to, kabhi apne haq ke liye bhikh mangte najar aate hai.”

“Iske bad bhi humari aankh nahi khulti aur hum unhi beiman logon ke hathon ki kathputliyan ban kar, unke liye apna bhale chahne walon ka hi bura karne lagte hai. Aisa hi kuch bura yaha ki janta ne, ek CBI officer ke sath bhi kar diya. Jiski aanch me aapke pati bhi jhulas gaye hai.”

“Mai yaha sirf school student bharti ke gang-rape ke case ko suljhane nahi aayi hu. Balki mujhe yaha CID aur CBI ki ek sanyukt team ka head bana kar, aise hi bahut se cases ka pardafas karne ke liye bheja gaya hai.”

“Isliye abhi aap apne pati ke usi kaam me khush rahiye, jo maine unko diya hai aur meri is baat par yakin rakhiye ki, mai yaha se sirf har sazish ka pardafash karke hi nahi jaugi, balki aapke pati ki, inspector ki vardi aur unka khoya hua maan samman bhi unhe wapas dilwa kar jaugi.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, koyal aur payal dono ke chehre ki muskan wapas aa gayi. Wahi hum sabke chehre par pahle se bhi jyada hairani ke bhav aa gaye. Nisha bhabhi ne dhire se mere kaan me kaha.

Nisha bhabhi boli “tumhari ye bholi bhali si gudiya dikhne wali didi to, ek aafat ki pudiyan hai. Pata nahi, ab ye kis kis ki band bajane wali hai.”

Nisha bhabhi ki baat sunkar, meri hansi chhut gayi aur maine muskurate huye, dhire se kaha.

Mai bola “aage ka to pata nahi, lekin abhi to bas ek ki hi band bajne ke aasar dikh rahe hai.”

Ye kahte huye maine mehul ki taraf ishara kar diya. Wo badi hasrat bhari najar se dining table par saje khane ko nihar raha tha. Use dekh kar, nisha bhabhi ki bhi hansi chhut gayi.

Hum dono ko hanste dekh kar, barkha didi nisha bhabhi se iski vajah puchhne lagi aur nisha bhabhi unhe iski vajah batane lagi. Tabhi pritam meetha lekar aa gaya. Lekin wo kuch ghabraya hua sa lag raha tha. Vaani didi ne use ghabraya hua sa dekha to, us se kaha.

Vaani didi boli “Mr. pritam, aap thik to hai na. Aapke chehre ke 12 kyo baje huye hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, pritam ne apne aas pas ke sabhi logon par najar daali aur fir apne ghabrahat ki vajah batate huye kaha.

Pritam bola “madam, abhi kuch der pahle gauranga ke do aadmiyon ne police commissioner sahab par hamla kar diya hai. Jis vajah se commissioner office me arfa tarfi ka mahol bana hua hai.”

Pritam ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “are to isme itna ghabrane ki jarurat kya hai. Bade bade cases me hath dalne par, aisi chhoti moti vaardat to hoti hi rahti hai. Aap is sab ki fikar mat kijiye aur aaram se baith kar khana khaiye.”

“Aapka khana khatam hone ke pahle hi, meri team ke ladke, un dono ko pakad kar, police commissioner ke hawale kar dege. Lekin suna hai ki, laashen kabhi kuch bola nahi karti hai.”

Ye kah kar, hanste huye, vaani didi ne khana suru kar diya. Unhe khana khate dekh, hum sabne bhi khana khana suru kar diya. Magar sabhi kisi na kisi gahri soch me khoye huye se lag rahe the.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 202}
____________________________

Vaani didi boli “Mr. pritam, aap thik to hai na. Aapke chehre ke 12 kyo baje huye hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, pritam ne apne aas pas ke sabhi logon par najar daali aur fir apne ghabrahat ki vajah batate huye kaha.

Pritam bola “madam, abhi kuch der pahle gauranga ke do aadmiyon ne police commissioner sahab par hamla kar diya hai. Jis vajah se commissioner office me arfa tarfi ka mahol bana hua hai.”

Pritam ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “are to isme itna ghabrane ki jarurat kya hai. Bade bade cases me hath dalne par, aisi chhoti moti vaardat to hoti hi rahti hai. Aap is sab ki fikar mat kijiye aur aaram se baith kar khana khaiye.”

“Aapka khana khatam hone ke pahle hi, meri team ke ladke, un dono ko pakad kar, police commissioner ke hawale kar dege. Lekin suna hai ki, laashen kabhi kuch bola nahi karti hai.”

Ye kah kar, hanste huye, vaani didi ne khana suru kar diya. Unhe khana khate dekh, hum sabne bhi khana khana suru kar diya. Magar sabhi kisi na kisi gahri soch me khoye huye se lag rahe the.

Wahi dusri taraf vaani didi ki is baat ko sunkar, mere man me bhi ek sawal goonjne laga tha ki, kahi police commissioner ke upar is hamle ke pichhe vaani didi ka hath hi to nahi hai.

Mai abhi apni isi udhed bun me laga hua tha ki, tabhi nisha bhabhi ne mujhe kohni marte huye, dhire se kaha.

Nisha bhabhi boli “kahi police commissioner par hamla vaani ne hi to nahi karwaya.”

Nisha bhabhi ki is baat ne mujhe chauka diya. Kyoki mai to khud abhi yahi baat soch raha tha. Maine bhi dhire se nisha bhabhi ki is baat ke jabab me un se kaha.

Mai bola “bhabhi, mere man me bhi abhi ye hi sawal aa raha tha. Didi ki baat se to, aisa hi lag raha hai ki, jaise kya hua hai aur kya hone wala hai. Unhe sab kuch pahle se hi pata hai. Fir bhi yadi un dono hamla karne walon ki laash police ko milti hai to, fir hume ye hi manna padega ki, iske pichhe inhi ka hath tha.”

Hum dono aapas me baat karne me lage the. Tabhi koyal ki aawaj sunkar, humara dhyan uski taraf chala gaya. Koyal ne mehul ko khana khate nahi dekha to, usne mehul se kaha.

Koyal boli “bhaiya, aap kyo chup chap baithe hai. Aap bhi khana khaiye na.”

Koyal ki baat sunte hi, hum sabke chehre par muskurahat aa gayi. Wahi mehul ne bura sa muh banate huye kaha.

Mehul bola “nahi bhabhi, aaj subah se mera pet sahi nahi hai. Isliye aaj mai kuch nahi kahuga.”

Lekin koyal us se kuch na kuch kha lene ki jid karti rahi thi aur mehul unhe mana karta raha. Magar wo baar baar vaani didi ki taraf is ummid se jarur dekh raha tha ki, shayad koyal ki baat sunkar hi, unka dil pighal jaye aur wo use khana khane ke liye kah de.

Lekin vaani didi ne aisa kuch bhi nahi kiya to, mehul ki bhi kuch khane ki himmat nahi huyi. Wo sirf sabko khana khate dekhne ke siwa kuch na kar saka. Abhi humara khana chal hi raha tha ki, tabhi pritam ka call aa gaya.

Wo phone par baat karne laga aur baat kahatm hote hi, usne hume bataya ki, jin do logon ne police commissioner par hamla kiya tha. Unhe CID ne maar giraya hai aur unki laash police commissioner ko saunp di gayi hai.

Lekin pritam ki is baat ko sunne ke bad bhi, vaani didi aise khana khati rahi. Jaise ki kuch hua hi na ho. Ab mera shaq puri tarah se yakin me badal gaya tha ki, ye sab vaani didi ka hi kiya hua hai.

Magar meri samajh me ye nahi aa raha tha ki, vaani didi ne ye sab kyo kiya hai. Ye hi sab baten sochte sochte, sabke sath sath mera bhi khana khana ho gaya. Khana khane ke bad, hum sab koyal aur payal se wapas jaane ki ijajat lene lage.

Koyal aur payal dono hume ghar ke bahar tak chhodne aayi. Hum bahar aaye to, waha CID officer aniruddha khada tha. Vaani didi ne use akele me kuch baat ki aur fir humare pas aakar, chhoti maa se kaha.

Vaani didi boli “mausi, mujhe ek jaruri kaam se jana hai. Aap log aniruddha aur pritam ke sath hospital jaiye, tab tak mai bhi apna kaam nipta kar aati hu.”

Vaani didi ko akele jate dekh kar, chhoti maa ko unki chinta hone lagi. Lekin wo ye baat vaani didi se sidhe sidhe nahi kah pa rahi thi. Isliye un ne apni baat ko ghumate huye, vaani didi se kaha.

Chhoti maa boli “beta, tu humari fikar mat kar aur inko apne sath hi le ja. Hum log pritam ke sath hospital chale jayege.”

Lekin vaani didi chhoti maa ki is baat ka matlab samajh gayi thi. Isliye un ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi aap meri jara bhi fikar mat kijiye. Jab tak aapka aashirwad mere sath hai. Tab tak mujhe kuch nahi ho sakta. Haan aapki car ko jarur thodi bahut kharonch aa sakti hai.”

Ye kah kar, vaani didi hanste huye, chhoti maa ki car me humari najron se ojhal ho gayi. Unki baton se chhoti maa ke chehre par muskurahat jarur aa gayi thi. Lekin unke chehre par chinta ki lakiren bhi saaf dekhi ja sakti thi.

Vaani didi ke jate hi, ami, nimi keerti aur chhoti maa pritam ke sath aur mai, barkha didi, nisha bhabhi aur mehul aniruddha ke sath gaadi me baith kar, hospital ke liye nikal pade.

Raste me nisha bhabhi ko shararat sujhi aur wo barkha didi se koyal ke banaye khane ki tarif karne lagi. Mehul nisha bhabhi ki is shararat ko samajh gaya tha. Usne palat kar unhe dekhte huye kaha.

Mahul bola “bhabhi, yaha meri bhookh ke maare jaan nikli ja rahi hai aur aapko majak sujh raha hai. Mai to vaani didi ke gusse se bachne ke liye kal mama ke ghar bhag raha tha. Lekin iski aur keerti ki baat sunkar, yaha ruk gaya aur ab yaha rukne ka natija bhi bhog raha hu.”

Mehul ki ye baat sunkar, mai use kuch bakne hi wala tha ki, tabhi barkha didi ne meri tarafdari karte huye kaha.

Barkha didi boli “are, tum is sab ka dosh ise kyo de rahe ho. Ye sab to tumhari khud ki galti se hua hai. Tumne unse jhuth kyo kaha tha.”

Mehul bola “are mujhe laga tha ki, ami nimi mere is jhuth me mera sath degi. Isliye maine bina kisi dar ke vaani didi se jhuth bol diya.”

Mehul ki is baat par barkha didi ko kuch hairani huyi aur un ne mehul se puchha.

Barkha didi boli “lekin tumko ye galatfahmi kyo ho gayi thi ki, wo dono is jhuth me tumhara sath degi.”

Mehul bola “didi, mujhe koi galatfahmi nahi huyi thi. Un dono ne hi parso mujhse kaha tha ki, vaani didi ne unko bahut pareshan kiya hai. Ab hum sab mil kar vaani didi ko sabak sikhayege. Ab mujhe kya pata tha ki, wo dono churki murki itni jaldi paala badal legi.”

Mehul ki is baat ko sunkar, nisha bhabhi aur barkha didi hansne lagi. Lekin maine nimi ka bachav karte huye, barkha didi se kaha.

Mai bola “didi, nimi ke iska sath na dene me bhi iski hi galti hai. Aapko yaad hoga ki, isne nimi ko moti kaha tha aur usne rona suru kar diya tha. Nimi moti kahne par chidti hai. Iske bad bhi isne use moti kah kar naraj kar diya tha. Jiska badla nimi ne iske jhuth me sath na dekar aur ise motu kah kar nikal liya.”

Meri baat sunkar, ek baar fir barkha didi aur nisha bhabhi ki hansi goonj uthi. Nisha bhabhi ne mehul ko fir se chhedte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “tum kuch bhi kaho. Lekin nimi ke tumhare sath na dene se tumhara bhala hi hua hai. Ab to vaani tumhari shadi pakki karwa kar hi dam legi.”

Nisha bhabhi ki is baat par mehul ne chidchidate huye kaha.

Mehul bola “kya bhabhi, kya vaani didi meri khichai karne ke liye kam thi, jo aap bhi suru ho gayi. Shilpa ne to vaani didi ki aawaj sunkar, aise mobile band kiya hai ki, abhi tak uska mobile band hai.”

“Vaani didi ko abhi aap ache se janti nahi hai. Yadi wo dhokhe se bhi shilpa ke ghar chali gayi to, shadi pakki hona to door ki baat hai. Shilpa ke sar se mere pyar ka bhoot bhi utar jayega.”

“Upar se ye saara lafda mummy ke samne hua hai. Ab wo alag ghar jakar meri khichai karegi aur mujhse ye janne ki koshish karegi ki, mujhe call karne wali wo ladki kaun thi. Vaani didi ki vajah se to, ab mera jeena hi haram hone wala hai.”

Mehul ki baat sunkar, nisha bhabhi ne use dilasa dene ki garaj se kaha.

Nisha bhabhi boli “tumhari ye baat to bilkul sahi hai. Mujhe to un mujrimo se kahi jyada is vaani se dar lag raha hai. Ye to gajar mooli ki tarah logon ko kaat deti hai aur apne aage kisi ko kuch samajhti hi nahi hai.”

“Ye har pal aise jhatke de rahi hai ki, yadi humari jagah koi kamjor dil wala iske sath hota to, use pata nahi, ab tak kitni baar dil ka daura pad gaya hota. Iske sath surakshit rahne se acha to, mujrimo ke changul me fase rahna hai.”

Nisha bhabhi ki ye baat sunkar, hum sabki hansi chhut gayi. Aise hi hansi majak karte karte hum hospital pahuch gaye. Hospital me anuradha mausi, richa aunty aur mohini aunty teeno baithi baten kar rahe thi.

Hum sab bhi unhi ke pas jakar baith gaye. Nisha bhabhi logon ko yaha aaye, bahut der ho chuki thi aur wo jab se aayi thi, tab se hi humare sath hi lagi huyi thi. Isliye chhoti maa unse ghar chal kar, aaram karne ki baat kahne lagi.

Nisha bhabhi ko bhi chhoti maa ki ye baat sahi lagi. Un ne ek baar chanda mausi ko dekh lene ki baat kah kar, ghar chalne ki sahmati de di. Iske bad, wo chanda mausi ko dekhne chali gayi.

Nisha bhabhi ke chanda mausi ke pas jaane ke bad, chhoti maa barkha didi se baat karne lagi. Mai keerti ko yaha waha dekhne laga. Wo mujhe sabse alag thalag baithi, akhbaar padti najar aa gayi.

Mai jakar uske pas baith gaya. Uske hath me aaj ka akhbaar dekh kar, mujhe yaad aaya ki, aaj budhvar (Wednesday) hai. Ye baat yaad aate hi, maine us se akhbaar le liya aur us me Tripti ki rachna talashne laga.

Keerti meri is harkat ko hairani se dekhne lagi. Tabhi mujhe Tripti ki rachna dikhayi de gayi. Uski aaj ki rachna ka shirshak “Zaruru To Nahi” tha. Mai uski ye rachna padne laga.

“Zaruri To Nahi”
“Unko Bhi Mujhse Mohabbat Ho Zaruri To Nahi.
Ek Si Dono Ki Hi Haalat Ho Zaruri To Nahi.

Dil Ki Chahat To Kai Khwaab Jaga Deti Hai,
Haan Magar Sath Me Kismat Ho Zaruri To Nahi.

Meri Tanhaiyan Karti Hai Jinhe Yaad Sada,
Unko Bhi Meri Zarurat Ho Zaruri To Nahi.

Wo Vada Karke Bhool Jaya Karte Hai.
Bhulna Meri Bhi Fitrat Ho Zaruri To Nahi.

Muskurane Se Bhi Ho Jate Hai Bayan Dil Ke Gum,
Mujhko Rone Ki Bhi Aadat Ho Zaruri To Nahi.

Unke Pahlu Me Hi Dam Tode “Tripti.”
Puri Meri Ye Hasrat Ho Zaruri To Nahi.”

Tripti ki is rachna ko pad kar, ek baar fir meri aankhon ke samne priya ka bhola bhala chehra ghumne laga. Is rachna ki har pankti mujhe priya ke dil ka haal kahti, najar aa rahi thi.

Mere sath sath keerti bhi is rachna ko pad rahi thi. Is rachna ko padne ke bad, usne mujhse mera mobile maanga aur fir usme se priya ka ek Sms khol kar mere samne rakh diya. Mai priya ka Sms dekhne laga.

Priya ka Sms “Vada Karke Nibhana Unki Aadat Ho Zaruri To Nahi.
Bhool Jana Meri Fitrat Ho Zaruri To Nahi.
Meri Tanhaiyan Karti Hai Jinhe Yaad Sada,
Unko Bhi Meri Zarurat Ho Zaruri To Nahi.”

Priya ka wo Sms Tripti ki rachna se kaafi milta julta dikh raha tha. Lekin mai keerti ki is baat ka matlab samajh nahi paya aur hairani se uski taraf dekhne laga. Mujhe is tarah hairan dekh kar, keerti ne mujhse kaha.

Keerti boli “kya tumhe is rachna aur priya ke Sms me kuch khas dikhayi diya.”

Mai bola “haan, priya ke Sms ki line is rachna se bahut kuch milti julti hai. Lekin tu kahna kya chahti hai.”

Keerti boli “mujhe lagta hai ki, kahi priya hi to Tripti nahi hai.”

Mai bola “tu pagal ho gayi hai kya. Akhbaar me chhapi rachna ko, koi bhi bhej sakta hai.”

Keerti boli “tumhara kahna sahi hai. Lekin sochne wali baat ye hai ki, kisi rachna ke chhapne ke pahle hi, koi kaise uski line bhej sakta hai.”

Keerti ki is baat ko sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “tu sach me pagal ho gayi hai. Tujhe aaj kal har baat ke pichhe priya hi najar aati hai. Are ye bhi to ho sakta hai ki, ye rachna iske pahle kisi dusre akhbaar me chhapi ho aur priya ne usi me se padkar isko bheja ho.”

Meri ye baat sunkar, keerti kuch sochne lagi aur mai muskurate huye, use dekhne laga. Mai keerti ke chehre ko dekhne me khoya hua tha ki, tabhi chillane ki aawaj sunkar, hum dono chauk gaye aur chhoti maa ki taraf dekhne lage.

Chhoti maa ke pas papa aur mausa ji khade the. Papa kisi baat ko lekar chhoti maa par gussa kar rahe the. Mujhe ye samajhte der na lagi ki, wo yaha huye hadse ki khabar na dene ke upar se chhoti maa par gussa kar rahe hai.

Ye baat samajh me aate hi, mai uth kar unke pas jaane ko hua. Lekin keerti ne mera hath pakad kar, mujhe wapas baithate huye kaha.

Keerti boli “abhi waha par nisha bhabhi aur barkha didi bhi hai. Tum waha jakar gusse me koi naya hangama khada mat kar dena. Tum fikar mat karo, mausa ji ke sath papa bhi hai. Papa sab sambhal lege.”

Keerti ki baat sunkar, mai chhoti maa ke pas jaane se ruk gaya. Udhar mausa ji papa ko samjhane ki koshish kar rahe the. Lekin papa fir bhi chhoti maa par gusse kiye hi ja rahe the.

Nisha bhabhi aur barkha didi ke samne, papa ke chhoti maa par chillane se mujhe bahut gussa aa raha tha. Mai jyada der tak ye sab na dekh saka aur chhoti maa ke pas jaane ke liye uth kar khada ho gaya.

Lekin tabhi waha vaani didi pahuch gayi. Un ne papa ko chhoti maa par gussa hote dekha to, wo papa ka hath pakad kar, unhe pas bane kamre me le gayi. Ab un dono ko koi nahi dekh pa raha tha.

Lekin mai aur keerti us kamre ke samne hi baithe the. Isliye wo dono hume saaf saaf najar aa rahe the. Us kamre me jaane ke bad, papa ki vaani didi se bhi kuch jyada hi bahas hone lagi.

Pahle to vaani didi papa se barabari se bahas karti najar aa rahi thi. Lekin fir achanak hi, un ne gusse me apni revolver nikal kar, papa ke muh me thoos di aur unhe kuch dhamki dene lagi.

Jise sunne ke bad, papa ke pasine chhut gaye. Kuch der tak vaani didi bolti rahi aur papa sunte rahe. Fir un ne papa ke muh se apni revolver nikal li aur papa se kuch kaha. Jiske bad, papa apni jeb se rumal nikal kar, pasina pochhne lage.

Papa ke pasina ponchh lene ke bad, vaani didi aur papa bahar aa gaye. Bahar aane ke bad, vaani didi to muskura rahi thi. Lekin papa ke chehre ki muskurahat gayab thi aur wo sabke pas aakar, mausa ji ke sath wapas laut gaye.

Unke jate hi, mai aur keerti bhi sabke pas aa gaye. Jab hum sabke pas pahuche to, vaani didi sabko papa ke baare me bata rahi thi.

Vaani didi boli “bade mausa ji (keerti ke papa) ne mausa ji (papa) ko call karke yaha ke hadse ke baare me bataya tha. Jis vajah se unhe yaha ki chinta hone lagi thi aur wo apni jaruri meeting chhod kar yaha bhagte huye aa gaye the.”

“Isi vajah se wo sab par itne gusse me the. Lekin maine unhe yaha sab kuch thik hone ka viswas dila diya hai aur ab wo kisi baat par, kisi se gussa nahi hai. Wo yaha se befikar hokar, apni meeting puri karne wapas chale gaye hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, sabne rahat ki saans li. Lekin vaani didi ke sabse kahe gaye, aadhe sach aur aadhe jhuth ko mai aur keerti achi tarah se jante the. Isliye hum dono ke chehre par rahat ke koi bhav nahi the.

Vaani didi abhi papa se huyi jhuthi sachi bata rahi thi ki, tabhi nisha bhabhi ka mobile bajne laga. Wo sabko baat karta chhod kar, mobile par baat karne hum se door chali gayi.

Lekin jab wo humare pas wapas aayi to, wo bahut jyada ghabrayi huyi si lag rahi thi. Unhe ghabraya hua dekh kar, hum sabka man bhi kisi ashanka se bhar gaya. Nisha bhabhi ne humare pas aate hi, chhoti maa se kaha.

Nisha bhabhi boli “sorry aunty, mujhe aur barkha ko abhi hi mumbai wapas lautna hoga. Waha achanak hi priya ki tabiyat kharab ho gayi hai.”

Nisha bhabhi ki ye baat sunte hi, mohini aunty ne ghabrate huye kaha.

Mohini aunty boli “meri priya ko kya hua. Mai to use acha bhala chhod kar aayi thi.”

Mohini aunty ki is baat ke jabab me nisha bhabhi ne kaha.

Nisha bhabhi boli “aunty, abhi mujhe khud bhi sahi se kuch nahi malum hai. Abhi abhi mere pas aman ka call aaya tha. Usne hi bataya ki, priya achanak coma me chali gayi hai.”

“Use lekar, is samay waha sabhi pareshan hai. Isliye aman ne mujhe waha fauran laut aane ko kaha hai. Ab priya ko kya hua hai. Ye baat to hume waha pahuchne par hi pata chal sakegi.”

Nisha bhabhi ki is baat ne, mere sath sath waha khade, sabhi logon ke pairon ke niche ki jamin khiska di thi. Priya ke coma me chale jaane ki baat ne, ek hi pal me hum sabke dil aur dimag ko hila kar rakh diya tha
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 203}
____________________________

Lekin jab wo humare pas wapas aayi to, wo bahut jyada ghabrayi huyi si lag rahi thi. Unhe ghabraya hua dekh kar, hum sabka man bhi kisi ashanka se bhar gaya. Nisha bhabhi ne humare pas aate hi, chhoti maa se kaha.

Nisha bhabhi boli “sorry aunty, mujhe aur barkha ko abhi hi mumbai wapas lautna hoga. Waha achanak hi priya ki tabiyat kharab ho gayi hai.”

Nisha bhabhi ki ye baat sunte hi, mohini aunty ne ghabrate huye kaha.

Mohini aunty boli “meri priya ko kya hua. Mai to use acha bhala chhod kar aayi thi.”

Mohini aunty ki is baat ke jabab me nisha bhabhi ne kaha.

Nisha bhabhi boli “aunty, abhi mujhe khud bhi sahi se kuch nahi malum hai. Abhi abhi mere pas aman ka call aaya tha. Usne hi bataya ki, priya achanak coma me chali gayi hai.”

“Use lekar, is samay waha sabhi pareshan hai. Isliye aman ne mujhe waha fauran laut aane ko kaha hai. Ab priya ko kya hua hai. Ye baat to hume waha pahuchne par hi pata chal sakegi.”

Nisha bhabhi ki is baat ne, mere sath sath waha khade, sabhi logon ke pairon ke niche ki jamin khiska di thi. Priya ke coma me chale jaane ki baat ne, ek hi pal me hum sabke dil aur dimag ko hila kar rakh diya tha.

Mere liye priya kya thi, ye to mai khud bhi nahi janta tha. Mai bas itna janta tha ki, use khush dekh kar, mujhe khushi hoti thi aur use kisi dard me dekh kar, mujhe us se bhi kahi jyada dard hone lagta tha.

Aisa hi kuch abhi bhi mere sath ho raha tha. Priya ke coma me jaane ki baat sunte hi, meri aankhon me priya ka hansta muskurata chehra ghumne laga aur mujhe aisa lagne laga, jaise ki uski ye muskurahat mujhse door ja rahi ho.

Is baat ka aehsas hote hi, meri aankhon me aansu jhilmilane lage. Keerti mere pas hi khadi thi. Usne jab meri aankhon me jhilmilate aansuon ko dekha to, mere kaandhe par hath rakhte huye kaha.

Keerti boli “apna dil chhota mat karo, priya ko kuch bhi nahi hoga. Wo jaldi hi hume pahle ki tarah hansti muskurati najar aayegi. Lekin abhi tum mumbai call laga kar baat kar lo. Tumhare baat karne se un logon ko bhi kuch hausla milega.”

Mujhe keerti ki ye baat sahi lagi aur maine mumbai call lagane ke liye apna mobile nikala. Lekin tabhi mere mobile par shikha didi ka call aane laga. Mere call uthate hi, shikha didi ne ghabrate huye kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, aap thik to hai na, waha sab thik thak to hai na. Aapko kahi koi chot to nahi aayi.”

Shikha didi bahut ghabrayi huyi lag rahi thi aur un ne ek hi saans me mujhse dher saare sawal kar daale the. Unko ghabraya hua dekh kar, maine unko dilasa dene ki niyat se kaha.

Mai bola “didi, aap jara bhi pareshan mat hoiye. Mujhe kahi koi chot nahi aayi hai aur baki sab bhi yaha puri tarah se thik hai. Yaha kisi ko bhi koi chot nahi aayi hai.”

Lekin meri aakhiri baat sunte hi, shikha didi ne meri baat ko kaatte huye kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, mujhe jhutha dilasa dilane ki koshish mat kijiye. Maine Tv par waha ki saari news dekhi hai aur mujhe pata hai ki, aapko bachate huye, kisi mahila ko goli lagi hai.”

“Mai ye bhi achi tarah se janti hu ki, nisha didi aur barkha aapke pas hi gayi hai. Aap sab ne mujhse is hadse ke baare me chhupa kar, jara bhi acha nahi kiya. Kya mujhe is musibat ki ghadi me bhi, aapke pas rahne ka koi haq nahi hai.”

Itna kah kar, shikha didi ne rona suru kar diya. Unhe rote dekh kar, maine unhe samjhane ki koshish karte huye kaha.

Mai bola “didi, plz aap rona band kijiye. Mujhe bas isi baat ka dar tha ki, aap is khabar ko sun kar, ghabra jayegi aur fir surat nahi ja payegi. Mai aapko khushi khushi apni sasural me kadam rakhte dekhna chahta tha.”

“Isliye maine hi nisha bhabhi ko apni kasam dekar, aap sabko ye baat batane se rok diya tha. Isme nisha bhabhi ya kisi ka koi dosh nahi hai. Mai sach me bilkul thik hu. Yadi aapko meri baat par yakin nahi hai to, aap khud barkha didi se puchh lijiye.”

Ye kahte huye maine barkha didi ko mobile thama diya. Barkha didi ne call par aate hi, shikha didi se kaha.

Barkha didi boli “didi, aap punit ki bilkul fikar mat kijiye, wo bilkul thik hai. Is hadse me uski mausi gayal huyi hai. Mai nisha didi ke sath, unhi ko dekhne yaha aayi thi aur ab uski mausi bhi khatre se puri tarah se bahar hai.”

Lekin barkha didi ki baat sunkar bhi, shikha didi kuch samajhne ko taiyar nahi thi aur rote huye, barkha didi ko hi ulta sidha bolne lagi. Wo bechari kisi ki baat ko samajhti bhi to, kaise samajhti.

Apne ek bhai ko to, wo pahle hi ek hadse me kho chuki thi aur aise me jab unhe mujh me apna bhai najar aane laga tha to, meri jaan par bhi hamla ho gaya tha. Yahi ek baat unhe kisi ki bhi koi baat samajhne nahi de rahi thi.

Jab barkha didi unhe samjha kar haar gayi to, un ne wapas mobile mujhe thama diya. Maine mobile liya to, mujhe fir shikha didi ke rone ki aawaj sunayi dene lagi. Aise me mujhe unhe chup karane ka sirf ek hi rasta dikhayi diya aur maine usi raste ko apnate huye sikha didi ne kaha.

Mai bola “didi, plz aap rona band kijiye, aapko meri kasam hai. Mai yaha bilkul thik hu. Vaani didi ne mujh par hamla karne wale sabhi mujrimo ko pakad liya hai aur ab mujhe yaha kisi baat ka koi khatra nahi hai.”

Meri kasam ne shikha didi ke upar asar dikhyaa aur unka rona tham gaya. Lekin ab un ne mere pas aane ki, jid karte huye kaha.

Shikha didi boli “thik hai, mai nahi roti. Lekin aapko dekhe bina mujhe chain nahi aayega. Isliye mai abhi waha aa rahi hu.”

Mujhe shikha didi ke yaha aane se koi pareshani nahi thi. Lekin is samay priya ki tabiyat kharab hone ki vajah se mujhe shikha didi ka uske pas jaane ki jagah, mere pas aana kuch thik nahi lag raha tha. Maine apni isi baat ko unke samne rakhte huye kaha.

Mai bola “didi, aapke yaha aane se bad kar, mere liye aur kya khushi ki baat ho sakti hai. Lekin shayad aapko pata nahi hai ki, abhi achanak priya ki tabiyat bahut jyada kharab ho gayi hai.”

“Nisha bhabhi aur barkha didi bhi isi vajah se thodi hi der me wapas mumbai ke liye nikalne wali hai. Aise me mujhe aapka priya ke pas jaane ki jagah mere pas aana kuch thik sa nahi lag raha hai.”

Lekin shikha didi ne meri is baat ko bich me hi kaatte huye kaha.

Shikha didi boli “mujhe nikki se priya ki haalat ka pata chal chuka hai. Mai bhi priya ke pas ja rahi hu. Lekin uske pas jaane se pahle, ek baar mai aapko sahi salamat dekh kar, tasalli kar lena chahti hu.”

Shikha didi ki is baat ke bad, mere pas unko samjhane ke liye kuch nahi tha. Isliye maine un se nisha bhabhi se baat karne ko kah kar, mobile nisha bhabhi ki thama diya. Un ne shikha didi ko samjhate huye kaha.

Nisha bhabhi boli “shikha, mai jo kah rahi hu, use samajhne ki koshish karna. Mai tumko yaha punit ke pas aane se rokna nahi chahti hu. Lekin tumko is baat ko samajhna hoga ki, abhi priya ki tabiyat sahi nahi hai.”

“Tum ye bhi achi tarah se janti ho ki, priya ka jo blood group hai. Us group ka blood kitni mushkil se milta hai. Priya aur aru ka blood group ek hi hai. Lekin is samay aru tumhare sath hai.”

“Aise me yadi priya ko achanak hi, kisi vajah se blood dene ki jarurat pad gayi to, uske liye bahut mushkil ho jayegi. Isliye is samay tum logon ka yaha aane se jyada jaruri, priya ke pas pahuchna hai.”

“Ab yadi ye sab janne ke bad bhi, tum priya ke pas jaane ki jagah yaha aana chahti ho to, mai tumko yaha aane se bilkul nahi rokugi. Tum jo bhi karna thik samjho, tum wo kar sakti ho.”

Nisha bhabhi ki is baat ne shikha didi ke dil par teer ki tarah asar kiya aur wo yaha aane ki jagah, mumbai jaane ke liye taiyar ho gayi. Shikha didi se baat hone ke bad, nisha bhabhi isi baare me ajay aur seeru didi se logon se baat karne lagi.

Nisha bhabhi ke bad, meri aur chhoti maa ki bhi ajay aur seeru didi logon se thodi bahut baat huyi. Un sab se baat karke call rakhne ke bad, maine nisha bhabhi se kaha.

Mai bola “bhabhi, yadi priya ko blood ki jarurat hai to, kya mai blood dene ke liye aapke sath chalta hu.”

Meri baat sunkar, nisha bhabhi ne muskurate huye kaha.

Nisha bhabhi boli “nahi, tumhe blood dene ke liye mere sath jaane ki koi jarurat nahi hai. Maine to blood ki baat sirf shikha ko samjhane ke liye kahi thi. Yadi sach me hi priya ko blood ki jarurat hoti to, aman khud hi aru ko wapas bula leta.”

Meri aur nisha bhabhi ki is baat ko sunte hi, vaani didi ne humari baat ko bich me hi kaatte huye, mujhse kaha.

Vaani didi boli “tum priya ko blood kaise de sakte ho. Kya tumko pata bhi hai ki, kisi ko blood dene ke liye, dono ka blood group ek sa hona jaruri hai.”

Vaani didi ki is baat ke jabab me maine unse kaha.

Mai bola “didi, mai priya ko blood de sakta hu. Kyoki mera aur priya dono ka blood group ek sa hi hai.”

Meri is baat par nisha bhabhi ne bhi apni sahmati dete huye kaha.

Nisha bhabhi boli “ye thik kah raha hai. Iska, priya aur aru, teeno ka blood group AB- (AB negative) hi hai.”

Nisha bhabhi ki is baat ko sunkar, vaani didi kuch soch me pad gayi aur fir un ne mujhse kaha.

Vaani didi boli “ye priya wo hi ladki hai na, jiske baare me maine tumse video dekhti samay puchha tha.”

Mai bola “ji didi, wo hi sundar aur hansmukh si ladki priya hai.”

Meri ye baat sunkar, vaani didi ne kuch sochte huye kaha.

Vaani didi boli “kya tum priya ki janam tarikh aur janam sthan ko jante ho.”

Vaani didi ka ye atpata sa sawal sunkar, mere sath sath baki sab log bhi chauke bina na rah sake. Fir bhi maine unke is sawal ka jabab dete huye kaha.

Mai bola “didi, mujhe priya ke janam sthan ka to, pata nahi hai. Magar uska janamdin, mere janamdin ke ek din bad padta hai. Wo mujhse sirf ek din chhoti hai.”

Meri ye baat sunte hi, vaani didi ne mohini aunty ki taraf dekhte huye, unse kaha.

Vaani didi boli “aunty, aap to priya ki chachi hai. Aapko to pata hi hoga ki, priya ka janam sthan kya hai.”

Vaani didi ka aise mauke par, priya ke baare me ye sab sawal karna, kisi ko bhi acha nahi lag raha tha. Lekin wo apni aadat se majbur thi aur kisi baat ke unke dimag me aane par, wo usko jaan kar hi rahti thi.

Unki is baat ko sunkar, mohini aunty kuch pareshan si ho gayi. Lekin fir un ne apne aapko sambhalte huye, vaani didi se kaha.

Mohini aunty boli “priya ka janam hospital me hua tha.”

Lekin ye baat bolte bolte, mohini aunty ke chehre se pasina chhutne laga tha. Unke chehre se pasina chhutte dekh kar, vaani didi ne thoda gambhir hote huye kaha.

Vaani didi boli “aunty, asal me baat ye hai ki, priya ko video me dekh kar, mujhe apne ek khas parichit ki yaad aa gayi thi. Bas isi vajah se mai priya ke baare me ye sab janna chahti thi.”

“Mere sawal ko sunkar, aapko jara bhi pareshan hone ki jarurat nahi hai. Mai bhi aapki beti ki tarah hu aur yadi aap mujhe is baare me kuch batana nahi chahti to, mai bhi aapke sath koi jabardasti nahi karugi.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mohini aunty kuch soch me pad gayi aur fir un ne apni khamoshi todte huye kaha.

Mohini aunty boli “priya ka janam kolkata ki hi ek hospital me hua tha. Lekin us se bhi bada sach ye hai ki, priya meri bhatiji nahi hai.”

Mohini aunty ki ye baat sunte hi, hum sabko ek jordar jhatka laga. Lekin chhoti maa aur richa aunty is baat ko sunte hi, fauran mohini aunty ke agal bagal aakar khadi ho gayi. Richa aunty ne hadbadate huye mohini aunty se kaha.

Richa aunty boli “fir priya aap logon ko kaise mili.”

Richa aunty ki is baat ko sunkar, mohini aunty kisi gahri soch me pad gayi. Unhe khamosh dekh kar, chhoti maa ne bechain hote huye kaha.

Chhoti maa boli “bataiye na didi, priya aap logon ko kaise mili.”

Chhoti maa ki baat ko sunkar, mohini aunty ne ek najar sabki taraf dekha aur fir apni khamoshi ko todte huye kaha.

Mohini aunty boli “ye baat nitika ke janam ke bad ki hai. Nitika ke janam hone ki khabar sunkar, mere sasur aur jeth jethani bhi use dekhne yaha aaye the. Us samay meri jethani padmini ka bhi aathwa mahina chal raha tha.”

“Jis vajah se mai unse apne pas hi rukne ki jid karne lagi. Mere sasur ko bhi meri ye baat sahi lagi. Un ne faisla kiya ki bachche ke janam hone tak wo aur meri jethani yahi par rukege.”

“Mere jeth ji, ko bhi unka ye faisla sahi laga aur wo un dono ko mere pas chhod kar, wapas mumbai chale gaye. Iske kuch din bad, meri jethani ne yahi ke ek hospital me ek ladki ko janam diya.”

“Meri jethani ladki ko janam dene ke bad, behosh thi aur mai hospital ke phone par sabko ladki ke janam ki khabar dene me lagi thi. Jab mai apni jethani ke pas wapas aayi to, wo abhi bhi behosh hi thi aur jhule me unki bachchi nahi thi.”

“Ye dekhte hi, mai ghabra gayi aur jaise hi pichhe palti to, kamre ki diwar se sat kar, ek aadmi ek bachchi ko apni god me lekar chhup kar khada tha. Uske hath me bachchi ko dekhte hi, maine uske hath se bachchi ko chhin liya aur shor machana suru kar diya.”

“Mujhe shor machate dekh kar, wo ghabra kar, bachchi ko chhod kar bhag gaya. Maine bachchi ko wapas apni jethani ke pas lakar lita diya. Lekin ab mujhe hospital walon ki is laparwahi par bahut gussa aa raha tha.”

“Tabhi mere sasur aa gaye. Maine unhe saari baat batayi aur fir gusse me hospital walon ki khabar lene kamre se bahar nikal aayi. Mai abhi kamre se nikal kar, thodi hi door gayi thi ki, tabhi ek nurse mere pas aayi.”

“Usne mere pas aakar, ek bachchi ko meri god me dete huye bataya ki, ye aapki bachchi hai. Bachchi ki maa behosh thi aur aap phone par baat karne gayi thi. Isliye mai bina bataye hi, bachchi ko nahlane ke liye le gayi thi.”

“Itna bol kar, wo nurse chali gayi. Lekin ab mai apni god me apni jethani ki bachchi ko dekh kar, soch me pad gayi ki, yadi ye meri jethani ki bachchi hai to, fir wo maine jabardasti kiski bachchi ko chheen liya hai.”

“Abhi mai in sab baton ko sochne me hi lagi thi ki, tabhi achanak fir se wo aadmi aa dhamka aur mere hath se meri jethani ki bachchi ko, wo dusri bachchi samajh kar, mujhse chheen kar le gaya.”

“Mai usko pakadne ke liye shor machaya. Lekin tabhi hospital ke dusre hisse se bhi kisi bachchi ke gayab hone ki aawaj aane lagi. Ye aawaj sunkar, mere sasur bhi mere pas aa gaye.”

“Maine unko ab tak huyi saari ghatna batayi to, wo bhi gahri soch me pad gaye. Lekin fir un ne gambhir faisla karte huye kaha ki, padmini ke to pahle hi ek ladka aur ek ladki hai. Wo apni bachchi ko khone ka dard apne dusre bachchon ko dekh kar sah sakti hai.”

“Lekin jis maa bap ki ye bachchi hai, pata nahi unki koi dusri aulad hai bhi ya nahi hai. Hume unki bachchi ko, unke hawale kar dena chahiye. Bhagwan ne chaha to, humari bachchi hume jarur wapas mil jayegi.”

“Apne sasur ki ye baat sunkar, mai us bachchi ko lekar uske maa bap ke pas chali gayi. Lekin jaise hi mai unke kamre ka darwaja khatkhatane ko huyi. Mujhe ek aadmi ki aawaj sunayi di.”

“Wo shayad is bachchi ka bap tha aur kisi aurat se kah raha tha ki, wo meri ek bachchi ko lekar bhaga hai. Meri koi badi bhari jaydad nahi le gaya. Mere andar jab tak mardangi hai. Tab tak mai aisi kayi bachchiyan paida kar sakta hu.”

“Us aadmi ki ye baat sunkar, meri use bachchi saupne ki himmat nahi huyi aur mai apne sasur ke pas wapas aakar, saari baten batane lagi. Tabhi meri jethani ko hosh aa gaya aur wo apni bachche ko dekhne ki jid karne lagi.”

“Mere sasur ne wo bachchi meri jethani ki god me daal di aur mujhe ye baat meri jethani ko batane se mana kar diya. Tab se wo bachchi meri jethani ki beti ban kar hi, humare parivar me pal rahi hai aur wo bachchi priya hi hai.”

Itna kah kar, mohini aunty chup ho gayi. Lekin unki is baat ne baki sab ki bhi bolti band kar di thi. Sab unhe hakke bakke se dekh rahe the aur kisi ko kuch bhi nahi sujh raha tha.

Wahi vaani didi, chhoti maa, anuradha mausi aur richa aunty ek dusre se aankhon hi aankhon me baat kar rahi thi. Mujhe bhi priya ke baare me ye sab jaan kar, bahut dhakka pahucha tha.

Lekin is samay mujhe in sab baton ko janne se jyada, priya ki tabiyat ki chinta sata rahi thi aur isi vajah se maine sabki baton par khijte huye kaha.

Mai bola “aap logon ko sirf is baat ki fikar sata rahi hai ki, priya kiski beti hai aur kiski beti nahi hai. Kisi ko bhi priya ki tabiyat ka jara bhi khayal nahi hai. Yadi aap log aise hi bahas karne me lage rahe to, aap logon ko faisla karne ke liye priya nahi, uski laash hi milegi.”

Mai abhi itna hi bol paya tha ki, chatakkk ki aawaj ke sath meri bolti band pad gayi. Mere gaal par vaani didi ka ek jordar tamacha pada tha. Jiske padte hi, mere sath sath, baki sab bhi vaani didi ko dekhne lage.

Wo bahut hi jyada gusse me mujhe ghoor rahi thi. Unko itne gusse me dekh kar, ek pal ke liye to, mai bhi saham gaya. Wahi vaani didi ne mujh par apna gussa utarte huye kaha.

Vaani didi boli “tere muh me jo kuch bhi aata hai, bina soche samjhe bakta chala jata hai. Ab yadi priya ke liye ek bhi galat shabd tere muh se bahar nikla to, mai abhi ke abhi tera muh tod dugi.”

“Tu janta bhi hai ki, yadi mohini aunty ki ye baat sahi nikalti hai to, fir priya se tera kya rishta niklega. Mohini aunty ki is baat ke sahi nikalne ka matalab hai ki, priya teri judwa bahan hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunte hi, mai, keerti, mehul, barkha didi aur mohini aunty chauk kar rah gaye. Lekin chhoti maa, anu mausi, richa aunty aur nisha bhabhi ke chehre ke bhav kuch alag hi the. Jinhe mai samajh nahi pa raha tha.

Mere samne meri jindgi ke ek aise raz ka khulasa hua tha. Jiski kalpna maine kabhi apne sapne me bhi nahi ki thi. Mere sath ye sab kuch itna achanak hua tha ki, mai kuch bhi samajh nahi pa raha tha aur kisi sadme ki haalat me sa, vaani didi ko dekhe ja raha tha.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 204}
____________________________

Mai abhi itna hi bol paya tha ki, chatakkk ki aawaj ke sath meri bolti band ho gayi. Mere gaal par vaani didi ka ek jordar tamacha pad tha. Jiske padte hi, mere sath sath, baki sab bhi vaani didi ko dekhne lage.

Wo bahut hi jyada gusse me mujhe ghoor rahi thi. Unko itne gusse me dekh kar, ek pal ke liye to, mai bhi saham gaya. Wahin vaani didi ne mujh par apna gussa utarte huye kaha.

Vaani didi boli “tere muh me jo kuch bhi aata hai, bina soche samjhe bakta chala jata hai. Ab yadi priya ke liye ek bhi galat shabd tere muh se bahar nikla to, mai abhi ke abhi tera muh tod dugi.”

“Tu janta bhi hai ki, yadi mohini aunty ki ye baat sahi nikalti hai to, fir priya se tera kya rishta niklega. Mohini aunty ki is baat ke sahi nikalne ka matalab hai ki, priya teri judwa bahan hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunte hi, mai, keerti, mehul, barkha didi aur mohini aunty chauk kar rah gaye. Lekin chhoti maa, anu mausi, richa aunty aur nisha bhabhi ke chehre ke bhav kuch alag hi the. Jinhe mai samajh nahi pa raha tha.

Mere samne meri jindgi ke ek aise raz ka khulasa hua tha. Jiski kalpna maine kabhi apne sapne me bhi nahi ki thi. Mere sath ye sab kuch itna achanak hua tha ki, mai kuch bhi samajh nahi pa raha tha aur kisi sadme ki haalat me sa, vaani didi ko dekhe ja raha tha.

Mai apni jindagi ke ek aise sach se samna kar raha tha. Jis par yakin karna mere liye itna aasan nahi tha. Lekin mere aas pas is samay jo kuch ghat raha tha, use itni aasani se jhuthlaya nahi ja sakta tha.

Mohini aunty ki baat se mai itna to samajh chuka tha ki, hospital me un ne jis aadmi ki apni mardangi dikhane wali baat suni thi, wo koi dusra nahi, balki mera kamina bap hi tha.

Kyoki apni aulad ke kho jane par bhi, uske liye dukh manane ki jagah apni mardangi ki shokhiyan bagharne jaisi nich harkat mere bap ki jagah koi dusra insan nahi kar sakta tha.

Ye baat dimag me aate hi, maine is baat ki sacchai janne ke liye palat kar chhoti maa ki taraf dekha. Is samay unki najar mujh par hi tiki huyi thi. Lekin jaise hi maine unki taraf dekha, un ne apne sar ko jhuka liya.

Unki aankhon me is samay nami aur chehre par pareshani saaf dekhi ja sakti thi. Shayad wo is baat ke is tarah se khul jaane ki vajah se is sab ka samna karne ke liye khud ko taiyar nahi kar pa rahi thi.

Unhe shayad is baat ka dar sata raha tha ki, ab is baat ke khul jaane se pata nahi kya kya sawal karuga. Mai unki kisi pareshani ko badana nahi chahta tha. Isliye maine apne man ke har sawal ko apne man me hi dabaye rakhna thik samjha aur chhoti maa ke pas aate huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, aapne suna ki, vaani didi kya kah rahi hai. Ye kah rahi hai ki, priya bhi aapki beti hai. Yadi inki baat sahi nikli to, aap usko kaise sambhalegi. Wo to hum sabse jyada shararti hai.”

Meri ye baat sunte chhoti maa ki aankhon ki nami aansuon me badal gayi. Un ne mujhe apne seene se laga liya aur fut fut kar rona suru kar diya. Unke ye aansu kisi dukh ke nahi, balki is khushi ke the ki, unka beta unko samajhne laga hai.

Magar ye haal sirf chhoti maa ka nahi tha. Is samay waha khade sabki aankhen aansuon se bhigi huyi thi. Un ne mere pas aakar, mere mathe chumte huye chhoti maa se kaha.

Richa aunty boli “sonu, humara beta sach me bahut bada ho gaya hai. Ye ab sab kuch samajhne laga hai. Tujhe ab iski fikar karne ki jara bhi jarurat nahi hai.”

Ye kahte huye, un ne bhi mujhe apne gale se laga liya. Mai thodi der aunty se milta raha. Fir maine chhoti maa se kaha.

Mai bola “chhoti maa, humari baten to, bad me bhi hoti rahegi. Abhi nisha bhabhi ka mumbai wapas lautna bahut jaruri hai. Hume inke jaane ka intejam kar dena chahiye.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne fauran hi, nisha bhabhi se kaha.

Chhoti maa boli “aap log chinta mat kijiye. Mai abhi hi aap logon ki wapsi ki ticket karwa deti hu.”

Magar vaani didi ne chhoti maa ki is baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, aapko inki ticket ke liye pareshan hone ki jarurat nahi hai. Ab mai bhi mumbai ja rahi hu. Ye log mere sath hi chali jayegi. Aap yadi mere sath chalna chahti hai to, befikar hokar chal sakti hai. Anu mausi aur richa mausi milkar, yaha chanda mausi ka khayal rakh legi.”

Vaani didi ki is baat ki sahmati, anu mausi aur richa aunty ne bhi de di. Jiske bad chhoti maa vaani didi ke sath jaane ko taiyar ho gayi. Chhoti maa ke mumbai jaane ki baat sunte hi, keerti ne bhi fauran bich me kudte huye kaha.

Keerti boli “mausi yadi aap mumbai jayegi to, fir mai bhi aapke sath mumbai chalugi. Warna mai aapko bhi mumbai nahi jaane dugi.”

Keerti ki ye baat sunte hi, mai use ghoor kar dekhne laga. Lekin us par mere is ghurne ka koi farak nahi pada aur wo ulta mujhe hi ghoor kar dekhne lagi. Wahin dusri taraf chhoti maa ne use samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “nahi, abhi teri tabiyat sahi nahi hai. Aisi haalat me mai tujhe apne sath mumbai nahi le ja sakti.”

Chhoti maa ki baat sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi aur mai keerti ko chidate huye dekhne laga. Lekin wo abhi bhi mumbai jaane ki jid par adi huyi thi. Keerti ko mumbai jaane ki jid karte dekh, nisha bhabhi ne chhoti maa se kaha.

Nisha bhabhi boli “aunty, mujhe lagta hai ki, keerti ko piliya hua hai. Yadi mera ye andaza sahi hai to, aap befikar hokar ise apne sath mumbai le chal sakti hai. Iske piliya ko puri tarah se thik karne ki jimmedari meri hai.”

Nisha bhabhi ki baat sunkar, chhoti maa use bhi apne sath le chalne ko taiyar ho gayi aur mai muh bana kar keerti ko dekhne laga. Sabke mumbai jaane ki baat ko sunkar, mohini aunty ne kuch sankoch sa karte huye vaani didi se kaha.

Mohini aunty boli “vaani beta, kya mai bhi tum logon ke sath mumbai chal sakti hu.”

Mohini aunty ki is baat ke jabab me vaani didi ne muskurate huye, unse kaha.

Vaani didi boli “aunty, isme puchhne wali kya baat hai. Aap bhi humare sath mumbai chal sakti hai. Lekin aap apne chalne ki taiyari jaldi kar lijiye. Kyoki hume abhi hi yaha se nikalna hai.”

Abhi vaani didi ki mohini aunty se baat chal hi rahi thi ki, tabhi fir se mera mobile bajne laga. Maine mobile dekha to, nikki ka call aa raha tha. Mere call uthate hi, nikki ne rote huye kaha.

Nikki boli “wo priya… pata nahi priya ko kya ho gaya hai. Wo kisi se baat nahi kar rahi hai. Plz tum jaldi yaha aa jao. Hum sab yaha bahut pareshan hai.”

Nikki ka rona sunkar, meri aankhon me bhi nami chhane lagi. Fir bhi maine khud ko sambhalte huye, nikki se kaha.

Mai bola “tum ro mat, humari priya ko kuch bhi nahi hoga. Wo jaldi hi thik ho jayegi.”

Lekin nikki par meri is baat ka koi asar nahi pada aur usne fir se rote huye kaha.

Nikki boli “mujhe ye sab nahi sunna. Mai ye sab sunte sunte thak gayi hu. Plz tum fauran yaha aa jao. Mujhe pura yakin hai ki, tumhare uske pas rahne se wo jaldi hosh me aa jayegi.”

Nikki ko is tarah rote dekh kar, mera hausla jabab de raha tha. Fir bhi maine khud par kabu paane ki kosis karte huye nikki se kaha.

Mai bola “haan, haan, tum chinta mat karo, mai fauran hi waha aa raha hu. Humari priya ko kuch bhi nahi hoga.”

Magar itna kahte hi, meri aankhon ke samne priya ka chehra ghoom gaya. Ek taraf priya ke muskurate huye chehre ne aur dusri taraf nikki ke lagatar rone ki aawaj ne mujhe tod kar rakh diya tha.

Meri aankhon se aansuon ka samundar bah nikla aur mujhse nikki se iske aage kuch bhi kahte nahi bana. Meri is haalat ko dekhte hi, nisha bhabhi ne mujhse mobile le liya aur wo nikki ko samjhane lagi.

Wahin dusri taraf barkha didi ne mujhe apne kandhe se laga kar, mujhe dilasa dete huye kaha.

Barkha boli “mere bhai, us ladki ne hanste hanste bahut bade bade dard sahe hai. Aise me ye dard uska kuch bhi nahi bigad payega. Yakin rakho, wo jaldi hi thik ho jayegi.”

Barkha didi ki is baat se mujhe thoda hausla mila aur maine apne aansu ponchh liye. Lekin ab bhi meri aankhon me priya ka chehra ghum raha tha.

Mai fauran hi priya ke pas jaana chahta tha.

Magar chanda mausi ko aisi haalat me chhod kar jaane ko bhi mera dil ganwara nahi kar raha tha. Udhar nisha bhabhi ne nikki ko samjhane ke bad, call rakhte huye mujhse kaha.

Nisha bhabhi boli “mujhe lagta hai ki, tumhe bhi humare sath, mumbai chalna chahiye. Tumhare waha hone se sabko hausla milega.”

Lekin maine nisha bhabhi ke sath mumbai jaane se mana karte huye kaha.

Mai bola “bhabhi, priya ka khayal rakhe ke liye to, wahan bahut se log hai aur ab chhoti maa bhi wahan ja rahi hai. Magar yahan chanda mausi hosh me aate hi, mujhse aur chhoti maa se milna chahegi.”

“Ab chhoti maa ke yahan na rahne par, mera chanda mausi ke pas rahna bahut jaruri ho gaya hai. Wo mere parivar ka ek hissa hai aur mai unko aisi haalat me akela chhod kar, nahi ja sakta.”

Meri is baat ke samarthan me chhoti maa ne bhi nisha bhabhi se kaha.

Chhoti maa boli “ye thik hi kah raha hai. Chanda mausi se bhale hi humara koi rishta na ho, lekin fir bhi wo humare parivar ka ek hissa hi hai. Mai to iski jindgi me bahut bad me aayi hu. Lekin chanda mausi iske janam se hi iske sath hai.”

“Jab ise sambhalne wala koi nahi tha. Tab wo hi ek maa ki tarah hi iska khayal rakhti thi aur aaj jab iske pas iska khayal rakhne ke liye hum sab hai, tab bhi wo ek maa ki tarah hi iska khayal rakh rahi hai. Hum sab unhe, ghar ke kisi bade bude ki tarah hi, pyar aur samman dete hai.”

“Jis tarah is samay priya ke parivar ka uske pas rahna jaruri hai. Usi tarah chanda mausi ke parivar ka bhi unke pas rahna jaruri hai. Isliye jab tak mai mumbai se wapas nahi aa jaati, tab tak ye aur iski dono bahne yaha chanda mausi ke pas rah kar, unka khayal rakhege.”

Chhoti maa ki is baat ko sunkar, nisha bhabhi ne bhi mere yahi rukne ki baat par sahmati de di. Jis samay humari ye baat chal rahi thi. Us samay vaani didi mumbai jaane ki taiyari kar rahi thi.

Humhari baat khatam hote hi, un ne chhoti maa, keerti aur mohini aunty se apne chalne ki taiyari karne ke liye kah diya. Jiske bad, chhoti maa keerti ke sath aur mohini aunty mehul ke sath ghar chali gayi.

Vaani didi ne keerti se apne kamre se unka saman bhi le aane ko jata diya tha. Unke jaane ke bad, vaani didi ki nisha bhabhi aur barkha didi se baat chalti rahi. Kuch hi samay bad, chhoti maa, keerti aur mohini aunty wapas aa gayi.

Mohini aunty ke sath nitika bhi thi. Wo priya ki tabiyat ki vajah se bahut pareshan lag rahi thi. Usne vaani didi se unke sath mumbai chalne ki baat puchhi to, vaani didi ne use bhi sath chalne ke liye haan bol diya.

Iske bad, hum sab airport ke liye nikal gaye. Mujhe keerti ke mumbai jaane ki baat par bahut gussa aa raha tha. Lekin pata nahi, use mumbai jaane ki kaisi dhun chadi thi ki, wo mere gusse ki koi parwah nahi kar rahi thi.

Usne mujhse mumbai wali sim bhi le li thi aur mumbai pahuch kar usi se baat karne ki baat kah rahi thi. Mai uske jaane se khush to nahi tha, lekin uski khushi ke liye, mai use hanste hanste mumbai ke liye vida kar raha tha.

Khair 8:30 baje unki flight ka samay ho gaya aur sab humse vida lekar flight ki taraf bad gaye. Unki flight ke chhutte hi, mai aur mehul, ami nimi ke sath wapas hospital aa gaye.

Nisha bhabhi aur barkha didi ko to, wapas jaana hi tha. Lekin unke sath sath, chhoti maa, vaani didi aur keerti ke bhi chale jaane ki vajah se mujhe bahut khali khali sa lag raha tha.

Jabki vaani didi ke chale jaane se mehul bahut hi jyada khush najar aa raha tha. Usne hospital wapas aate hi, richa aunty se kaha.

Mehul bola “mummy, nisha bhabhi ne kaha hai, chanda mausi ko der raat ko hi hosh aayega. Isliye aap log ami nimi ko lekar ghar chali jaiye aur hum dono ke khane ke liye kuch ko bhej dijiyega.”

Richa aunty ko mehul ki ye baat sahi lagi aur un ne mehul se kaha.

Richa aunty boli “tu thik kahta hai. Ami nimi din bhar se pareshan ho gayi hai. Mai abhi inko lekar ghar chali jati hu aur inhe subah jaldi lekar aa jaugi. Punnu bhi humare sath ghar jakar hi khana kha lega.”

Richa aunty ki baat sunkar, mehul ne bhi unki baat ki sahmati dete huye kaha.

Mehul bola “thik hai, aap ise apne sath le jaiye aur mere liye khana yahi bhej dijiyega.”

Mehul ki is baat ko sunkar, richa aunty ne use dhamakte huye kaha.

Richa aunty boli “vaani tera khana kal subah tak ke liye band karke gayi hai. Yadi tune kal subah ke pahle kuch bhi khane ki kosis ki to, mai vaani ko teri sikayat kar dugi. Tujhe kal ke pahle kuch bhi khane ko nahi milega.”

Richa aunty ki ye baat sunte hi, mehul ki saari khushi gayab ho gayi. Wo richa aunty ko manane ki kosis karne laga. Lekin un ne mehul ki koi bhi baat nahi suni aur mujhe apne sath lekar ghar aa gayi.

Humare sath sath anu mausi bhi khana khane aayi thi. Unhe raat ko chanda mausi ke pas hi rukna tha. Isliye wo apne ghar nahi gayi thi. Hum richa aunty ke ghar pahuche to, waha par uncle ke pas kamal ke sath sath shilpa bhi thi.

Shilpa ko itne samay waha dekh kar, jitni hairani mujhe ho rahi thi, utni hi hairani richa aunty aur anu mausi ko bhi ho rahi thi. Lekin kamal ne humari is hairani ko door karte huye, richa aunty se kaha.

Kamal bola “aunty, shilpa didi aaj raat ko nitika didi ke pas ruk kar padne aayi thi. Magar nitika didi yaha thi to, ye bhi yaha chali aayi. Ye dono mil kar, humara khana taiyar kar rahe the ki, tabhi mehul bhaiya aa gaye.”

“Un ne aakar nitika didi ko priya ki tabiyat aur unki mummy ke mumbai jaane ki baat batayi to, nitika didi bhi mumbai jaane ki jid karne lagi. Jiske bad mehul bhaiya ne unse chalne ki taiyari kar lene ko kaha aur nitika didi apne ghar chali gayi.”

“Jab nitika didi apni mummy aur mehul bhaiya ke sath hospital jaane lagi to, wo shilpa didi se humara khana taiyar karne ki baat kah gayi thi. Jis vajah se ye khana taiyar karne yahi ruk gayi thi.”

“Humara khana taiyar karne ke bad, ye akeli hi ghar jaane lagi to, maine inko rok liya tha. Maine inse kaha tha ki, jab koi ghar wapas aa jayega to, mai inko inke ghar chhod aauga.”

Itna bol kar kamal chup ho gaya. Lekin uske ek hi saans me itni lambi chaudi baat bol jaane se, mai itna to samajh gaya tha ki, iske pichhe bhi mehul ka hi hath hai. Wo bas thodi der ke liye hi, ghar aaya tha.

Magar usne us thodi hi si der me kamal ko sab kuch samjha diya tha aur shilpa ka bhi uske ghar ki rasoi me pravesh karwa kar, ghar walon ke dil me ghar banane ka rasta khol diya tha.

Ab jab usne itna kar diya tha to, rahi sahi kasar maine bhi puri kar dene ki baat sochi aur shilpa se kaha.

Mai bola “aap to apne ghar se aaj raat ko nitika ke ghar rukne ka bol kar aayi thi aur ab raat bhi jyada ho gayi hai. Yadi aapka ghar wapas lautna jaruri na ho to, aap aaj raat ko yahi ami nimi ke pas ruk jaiye. Ye dono aaj yahi rahne wali hai.”

Meri ye baat sunte hi, kamal ne fauran meri haan me haan milate huye kaha.

Kamal bola “haan didi, aap yahi ruk jaiye. Mai subah aapko ghar chhod duga.”

Meri aur kamal ki baat sunkar, shilpa uncle aunty ki taraf dekhne lagi. Jab uncle ne bhi us se yahi ruk jaane ki baat kahi to, wo iske liye taiyar ho gayi. Iske bad, aunty log khana lagane lagi.

Hum sabne sath mil kar khana khaya. Khana khane ke bad, maine ami nimi ko kuch jaruri baten samjhayi aur fir mai anu mausi ke sath wapas hospital ke liye nikal gaya.

Hum log jab hospital pahuche to, mehul maje se apne dost atul ke sath baitha khana khane me laga tha. Atul wo hi ladka tha, jo mere accident ke samay, mehul ke sath, mujhe aur keerti ko lene aaya tha. Mehul ko atul ke sath khana khate dekh kar, mujhe laga ki, atul hi mehul ke liye khana lekar aaya hai. Ye dekhte hi, maine atul se kaha.

Mai bola “tumne iske liye khana lakar, bahut badi musibat mol li hai. Yadi vaani didi ko ye baat pata chal gayi to, wo iske sath sath tumhari khatiya bhi khadi kar degi.”

Meri baat sunte hi, khana khate khate, atul ke hath ruk gaye aur usne safayi dete huye kaha.

Atul bola “mai kaha iske liye khana laya hu. Mai to bas is se milne aaya tha. Ye khana kha raha tha aur isne mujhse khana khane ko kaha to, mai bhi iske sath khane ke liye baith gaya.”

Mai bola “to fir ye khana kaun lekar aaya.”

Meri baat sunkar, humare pas khade pritam ne kaha.

Pritam bola “ye khana mai lekar aaya tha. Vaani madam jaati samay bol kar gayi thi ki, unke gusse ki vajah se yadi aunty mehul ko khana khane se mana kar de to, mai isko khana lakar de du.”

Pritam ki baat sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine pritam se kaha.

Mai bola “humari vaani didi bhi kamal hai. Ek taraf khud hi ise khana khane se mana kiya tha aur dusri taraf khud hi ise khana dene ki bhi bol kar gayi hai.”

Meri baat sunkar, pritam ne kaha.

Pritam bola “madam ne mehul ke hospital me rahne ki vajah se hi, aakhiri samay me iski ye saza maaf kar di hai. Warna wo aisa karne ke mood me bilkul nahi lag rahi thi.”

Mai bola “hum logon ka khana to ho gaya hai. Lekin aapke khane ka kya hua.”

Pritam bola “mai to apne ghar jakar hi khana khauga. Abhi kuch der me vishwa aa jayega. Uske aate hi, mai ghar chala jauga.”

Pritam se itni baat karne ke bad, mai chanda mausi ko dekhne andar chala gaya. Chanda mausi ko abhi bhi hosh nahi aaya tha. Thodi hi der bad, anu mausi aa gayi to, mai uth kar bahar aa gaya.

Bahar aane ke bad, maine sabse alag thalag jakar, nikki ko call laga diya. Nikki ke call uthate hi, maine use nisha bhabhi ke sath, chhoti maa, vaani didi aur keerti ke aane ki baat batane laga.

Lekin jab use mere na aane ki baat pata chali to, wo mujh par gussa hone lagi aur usne isi gusse me call riya ko pakda diya. Maine riya se priya ka haal chal puchha aur use bhi chhoti maa aur keerti ke waha aane ki baat bata di.

Iske bad meri raj se thodi bahut baat huyi aur fir raj ne wapas nikki ko call thama diya. Maine apne waha na aa pane ki baat par nikki ko apni safayi dena chaha. Lekin usne mujhe koi safayi dene ka mauka diye bina hi call rakh diya.

Mai nikki ki is narajgi ko achi tarah se samajh sakta tha. Wo is baat ko lekar naraj thi ki, priya mujhe apni jaan se bhi jyada pyar karti hai aur mai uski aisi haalat ki baat sunkar, bhi uske pas nahi aaya.

Lekin wo is hakikat se anjan thi ki, mai sirf priya ka pyar hi nahi, balki uska bichhda hua judwa bhai bhi hu. Magar is wakt mere liye priya se jyada chanda mausi ke pas rahna jaruri tha.

Kyoki priya ke pas to, is samay uska saara parivar tha. Lekin chanda mausi ke liye to, unka saara parivar mai hi tha. Un ne ek maa ki tarah sirf meri dekh bhal hi nahi ki thi, balki aaj meri taraf badne wali maut ko bhi apne upar le liya tha.

Mai unki mamta ke is karz ko to, kabhi nahi chuka sakta tha. Lekin is samay unke pas rah kar, ek bete ka farz to nibha hi sakta tha. Yahi vajah thi ki, mai chahte huye bhi priya ke pas nahi ja paya tha.

Lekin mere priya ke pas na jaane ka ye matlab hargij nahi tha ki, mujhe priya ki fikar bilkul bhi nahi thi. Priya ko lekar is wakt mere dil me ek aisa dard tha, jise mai chah kar bhi kisi ke samne bayan nahi kar pa raha tha.

Jab se mujhe pata chala tha ki, priya meri bahan hai. Tab se mai kisi ke samne dil khol kar, priya ki is haalat par ro bhi nahi pa raha tha. Mujhe apne dard se jyada, mere apno ka dard mehsus hone laga tha.

Ek tarah se priya khud to besudhi ki nind me soyi huyi thi. Lekin wo apni jhuthi muskan, apni dard chhupane ki aadat mujhe de gayi thi. Mere andar jo baat baat par ro dene wala chhota sa baccha tha, wo na jaane kaha kho gaya tha.

Aaj bhale hi meri aankhon me aansu nahi the. Lekin aaj mai mehsus kar pa raha tha ki, priya apne muskurate huye chehre ke pichhe kitna jyada dard chhupa kar rakha karti thi.

Priya ka chehra baar baar meri aankhon ke samne ghoom raha tha aur mere uske pas na jaane ki vajah se, jo dard mujhe ho raha tha, us dard ka aehsas nikki to kya koi bhi nahi kar sakta tha.

Mai apni yahi haalat nikki ko batana chahta tha. Magar usne mujhe apni koi baat kahne ka mauka hi nahi diya tha. Mai nikki se jara bhi naraj nahi tha. Lekin priya ke liye pareshan jarur tha.

Meri isi pareshani ne mujhe mere dil ki baat nikki se kahne par majbur kar diya aur maine jindagi me pahli baar apne dil se kuch likh kar nikki ko bhej diya.

Mera Sms “Aaj Acchi Si Koi Saza Do Mujhe.
Chalo Aisa Karo Aaj Rula Do Mujhe.
Usko Bhoolu To Maut Aa Jaye Mujhe.
Apne Dil Ki Gahrayi Se Ye Dua Do Mujhe.”

Nikki ko Sms bhejne ke bad, mai aankh band karke baith gaya aur priya ki baton ko yaad karne laga. Thodi hi der bad, mere pas nikki ka Sms aa gaya.

Nikki ka Sms “Ek Parinde Ka Dard Bhara Fasana Tha.
Tute The Pankh Aur Udte Huye Jana Tha.
Toofan To Jhel Gaya Par Hua Ek Afsos,
Wahi Daali Tooti Jispe Uska Ashiyana Tha.”

Ye Sms mujhe nikki ne bheja tha. Lekin is Sms me mujhe priya ka chehra aur uski bebasi najar aa rahi thi. Priya ki bebasi aur uske dard ko mehsus karte hi, mai chah kar bhi, apni aankhon ko chhalakne se na rok saka aur meri aankhon se aansuon ki barsat hone lagi
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 205}
____________________________

Aaj bhale hi meri aankhon me aansu nahi the. Lekin aaj mai mehsus kar pa raha tha ki, priya apne muskurate huye chehre ke pichhe kitna jyada dard chhupa kar rakha karti thi.

Priya ka chehra baar baar meri aankhon ke samne ghoom raha tha aur mere uske pas na jaane ki vajah se, jo dard mujhe ho raha tha, us dard ka aehsas nikki to kya koi bhi nahi kar sakta tha.

Mai apni yahi haalat nikki ko batana chahta tha. Magar usne mujhe apni koi baat kahne ka mauka hi nahi diya tha. Mai nikki se jara bhi naraj nahi tha. Lekin priya ke liye pareshan jarur tha.

Meri isi pareshani ne mujhe mere dil ki baat nikki se kahne par majbur kar diya aur maine jindagi me pahli baar apne dil se kuch likh kar nikki ko bhej diya.

Mera Sms “Aaj Acchi Si Koi Saza Do Mujhe.
Chalo Aisa Karo Aaj Rula Do Mujhe.
Usko Bhoolu To Maut Aa Jaye Mujhe.
Apne Dil Ki Gahrayi Se Ye Dua Do Mujhe.”

Nikki ko Sms bhejne ke bad, mai aankh band karke baith gaya aur priya ki baton ko yaad karne laga. Thodi hi der bad, mere pas nikki ka Sms aa gaya.

Nikki ka Sms “Ek Parinde Ka Dard Bhara Fasana Tha.
Tute The Pankh Aur Udte Huye Jana Tha.
Toofan To Jhel Gaya Par Hua Ek Afsos,
Wahi Daali Tooti Jispe Uska Ashiyana Tha.”

Ye Sms mujhe nikki ne bheja tha. Lekin is Sms me mujhe priya ka chehra aur uski bebasi najar aa rahi thi. Priya ki bebasi aur uske dard ko mehsus karte hi, mai chah kar bhi, apni aankhon ko chhalakne se na rok saka aur meri aankhon se aansuon ki barsat hone lagi.

Abhi meri aankhon ne barasna suru hi kiya tha ki, tabhi mujhe mehul meri taraf aate dikha. Use dekhte hi, mai apni aankhon ko saaf karne laga. Mehul ne mere pas aate hi kaha.

Mehul bola “abhi nikki ka call aaya tha. Usne bataya hai ki, nidhi didi ne kaha hai ki, kabhi kabhi dimag par chot lagne ya kisi mansik aaghat ki vajah se, marij gahri behoshi me chala jata hai.”

“Lekin kuch hi samay bad, wo behoshi se bahar bhi aa jata hai. Isliye abhi hume priya ke coma me jaane ki baat soch kar, nirash nahi hona chahiye aur priya ke hosh me aane ki puri ummid rakhna chahiye.”

Mehul ki is baat ko sunkar, mai samajh gaya ki, nikki bhale hi mujhse naraj thi. Lekin wo mujhe pareshan hote bhi nahi dekhna chahti thi. Isliye usne mehul ko call karke ye sab baten batayi thi.

Abhi meri mehul se baat chal hi rahi thi ki, tabhi anu mausi ne aakar bataya ki, chanda mausi ko hosh aa raha hai. Anu mausi ki ye baat sunte hi, mai aur mehul fauran hi, unke sath chanda mausi ke pas aa gaye.

Chanda mausi ko hosh me aate dekh kar, meri aankhon me khushi ke aansu chhalak aaye aur mai aakar unke pas baith gaya. Chanda mausi ke aankh kholte hi, unki najar sabse pahle mere upar hi padi.

Wo apne hathon se mere sharir ko tatol kar dekhne lagi. Mehul ne chanda mausi ko mere sharir ko tatolte dekha to, muskurate huye un se kaha.

Mehul bola “mausi, aap iski fikar mat karo. Ye bilkul thik hai. Aapne iske badan par ek kharoch tak nahi aane di. Ye bahut khushnashib hai ki, ise aap jaisi pyar karne wali mausi mili hai. Mujhe to koi pyar hi nahi karta.”

Mehul ki baat sunkar, chanda mausi ne haule se muskurate huye, use apne pas bulaya aur fir uske sar par bhi hath ferne lagi. Fir wo chhoti maa aur baki logon ke baare me puchhne lagi. Unki is baat ke jabab me anu mausi ne un se kaha.

Anu mausi boli “chanda, abhi thodi der pahle sab yahi tumhare pas the. Tumhare operation ke liye mumbai se nisha aur barkha aayi thi. Sunita ko kisi kaam se achanak unke sath mumbai jana pad gaya. Keerti aur vaani bhi sunita ke sath mumbai gayi hai.”

Anu mausi ki ye baat sunkar, chanda mausi kuch soch me pad gayi. Unhe soch me pada dekh kar, anu mausi ne unhe tokte huye kaha.

Aun mausi boli “kya hua chanda, tum kis soch me pad gayi.”

Anu mausi ki baat sunkar, chanda mausi apni soch se bahar nikal aayi. Lekin un ne anu mausi ki is baat ka koi jabab nahi diya. Humare ghar me papa ke alawa sabhi chanda mausi ko chanda mausi kah kar bulate the.

Lekin chanda mausi umar me anu mausi aur richa aunty se chhoti thi. Jis vajah se ye log chanda mausi ko unka naam lekar bulati thi. Magar ye log bhi chanda mausi ko wo hi maan samman deti thi, jo unhe chhoti maa deti thi.

Anu mausi ne jab chanda mausi ko unki baat ka jabab dete nahi dekha to, wo shayad unki is khamoshi ka matlab samajh gayi thi. Un ne chanda mausi ko samjhate huye kaha.

Anu mausi boli “chanda, tum kisi baat ki fikar mat karo. Sunita jaldi hi wapas aa jayegi. Tab tak tumhara khayal rakhne ke liye, mai tumhare pas hu aur fir tumhare ye dono bacche bhi to tumhare pas hi hai.”

“Tum nahi janti ki, nisha to punnu ko bhi apne sath mumbai le jana chahti thi. Lekin isne tumhe aisi haalat me chhod kar jaane se saaf mana kar diya. Kya ye sab janne ke bad bhi, tumhe kisi baat ki chinta karne ki jarurat hai.”

Anu mausi ki ye baat sunkar, chanda mausi ki aankhon me aansu aa gaye aur wo anu mausi se ami nimi ke baare me puchhne lagi. Unki is baat ke jabab me anu mausi ne kaha.

Anu mausi boli “richa aur ami nimi bhi abhi yahi the. Kuch der pahle punit unko ghar chhod kar aaya hai. Ami nimi abhi richa ke pas hi hai aur ab wo subah richa ke sath tumse milne aayegi.”

Iske bad, anu mausi ne chanda mausi se aaram karne ko kaha to, wo aankh band kar ke let gayi. Thodi hi der me unki nind lag gayi. Unki nind lagte hi, mai aur mehul bahar aa gaye. Bahar aate hi mehul ne mujhse kaha.

Mehul bola “ek baat bata, kya pahle kabhi tujhe kisi ne bataya tha ki, teri koi judwa bahan bhi hai.”

Mehul ki baat is baat ke jabab me maine us se kuch kaha to nahi, lekin use ghoor kar dekhne laga. Mere is tarah ghurne se mehul samajh gaya ki, mujhe uski is baat par gussa aa raha hai.

Kyoki hum dono ke bich kabhi kisi baat ka parda nahi tha. Yadi keerti ki baat ko chhod diya jaye to, meri koi bhi baat mehul se chhupi nahi thi. Apni baat par mujhe gusse hote dekh, mehul ne fauran hi apni baat ko badalte huye kaha.

Mehul bola “abe gussa kyo hota hai. Maine to aise hi is baat ko puchh liya tha. Lekin ab tu jaan gaya hai ki, teri koi judwa bahan bhi hai aur wo koi or nahi, balki priya hi hai to, aise me tera uske pas jana banta hai.”

“Ab to chanda mausi ko bhi hosh aa gaya hai. Aise me ab tu befikar hokar waha ja sakta hai. Meri baat maan aur tu kal hi mumbai nikal ja. Yadi ami nimi tere sath jana chahe to, unhe bhi le ja. Mai yaha sab kuch sambhal luga.”

Mujhe bhi mehul ki ye baat thik lag rahi thi. Isliye maine is baat par thoda gambhir hote huye kaha.

Mai bola “tu kah to thik raha hai. Lekin tune dekha nahi ki, meri judwa bahan ki baat khulte hi, chhoti maa, richa aunty aur anu mausi kis tarah se ghabra gayi thi. Un ne kuch soch kar hi, aaj tak is baat ko humse chhupa kar rakha tha.”

“Mohini aunty ki baat se hume ye to samajh me aa gaya ki, koi aadmi hospital se meri judwa bahan ko lekar bhaga tha. Lekin wo aadmi kaun tha aur usne aisa kyo kiya, ye baat abhi tak ek raz hi hai.”

“Kahin aisa to nahi ki, is sab ke pichhe chhoti maa ka hi koi hath ho aur is sab me richa aunty aur anu mausi bhi unke sath ho. Tabhi to is baat ke khulte hi, teeno is tarah se ghabra gayi thi.”

Meri baat abhi puri bhi nahi ho payi thi ki, mehul ne mera gireban pakad liya aur mujhe fatkarte huye kaha.

Mehul bola “apni juban ko lagam de. Yadi tune aunty ke baare me ek shabd ki galat kaha to, mai tera muh tod duga. Un ne ami nimi se jyada tujhe pyar kiya hai aur meri mummy ne bhi mujhse jyada tujhe pyar kiya hai.”

“Anu mausi jarur tujhe pasand nahi karti thi. Lekin un ne bhi kabhi tere sath kuch galat nahi kiya. Ye baat un logon ne tujhse chhupayi jarur hai. Magar ho sakta hai ki, wo log ye baat tujhe batane ke liye kisi sahi samay ka intejar kar rahi ho.”

“Un ne is tarah se is baat ke tere samne aa jane ki kabhi ummid nahi ki hogi. Isliye wo log us samay ghabra gayi thi. Magar aaj tujhe teri bahan ka pata kya chala gaya ki, tune ek pal me hi un sabke pyar ko paraya kar diya.”

“Mujhe meri mummy aur anu mausi par tere shaq karne ki baat ka jara bhi bura nahi laga. Mujhe bura is baat ka laga ki, tune aunty ke pyar par shaq kiya. Aaj tujhe apna dost kahte huye mujhe sharam aa rahi hai.”

Mehul us samay bahut gusse me tha, isliye maine use kuch bhi kahne se nahi roka. Lekin apni aakhiri baat kahte kahte, uski aankhon me nami aa gayi. Maine uske hath par apna hath rakhte huye kaha.

Mai bola “jitni takleef tujhe meri is behuda baat ko sunkar pahuchi hai. Us se bhi jyada takleef mujhe chhoti maa, risha aunty aur anu mausi ka ghabraya hua chehra dekh kar pahuchi thi.”

“Tu kahta hai ki, anu mausi mujhe pasand nahi karti. Lekin un ne bhi kabhi mere sath kuch galat nahi kiya. Mai bhi teri is baat ko galat nahi manta aur mujhe lagta hai ki, wo bhi mujhe kisi se kam pyar nahi karti hai.”

“Isliye us samay mai un sab ke ghabraye huye chehre ko dekh kar, apne man me uth rahe, har sawal ko bhool gaya tha. Mujhe yaad tha to, sirf itna yaad tha ki, wo teeno meri maa hai.”

“Unke man se is ghabrahat ko mitane ke liye, maine apne man ke har sawal ko hansi me udha diya tha. Yadi priya meri bahan na hoti to, chanda mausi ke hosh me aate hi, mera mumbai jana bahut aasan tha.”

“Lekin ab priya ke meri bahan hone ki vajah se mera mumbai ja pana itna aasan nahi hai. Mai kuch pal pahle mili bahan ke liye, mai in sabke barso ke pyar ko chhota nahi dikha sakta.”

Itna bol kar mai chup ho gaya. Lekin meri baat sunte hi, mehul ne mujhe apne gale se lagate huye kaha.

Mehul bola “mai bekar me hi tujhe galat samajh raha tha. Mummy sahi kah rahi thi. Tu to sach me bahut samajhdar ho gaya hai. Lekin fir bhi priya humari bahan hai aur tujhe is samay uske pas rahna hi chahiye.”

Mai bola “mujhe kab mumbai jaana hai, iska faisla mujhe nahi, balki chhoti maa, richa aunty ya fir anu mausi ko karna hai. Inke bole bina mai mumbai jaane ki baat soch bhi nahi sakta.”

Mehul bola “yadi tu mumbai nahi ja sakta to, fir mai mumbai jauga aur kal hi jauga.”

Abhi mehul itni hi baat bol paya tha ki, tabhi hume anu mausi ki aawaj sunayi di. Un ne mehul ki is baat ko sunne ke bad, hume tokte huye kaha.

Anu mausi boli “nahi, tumko mumbai jaane ki koi jarurat nahi hai. Mumbai punnu hi jayega aur tum yahi rah kar chanda ka khayal rakhoge.”

Anu mausi ki is baat sunkar, hum dono hi chauk bina na rah sake. Pata nahi wo kab se, hum dono ke pichhe khadi, humari baten sun rahi thi. Anu mausi ko apne samne dekh kar, hum dono se hi kuch kahte nahi ban raha tha. Lekin anu mausi ne humare pas aate huye kaha.

Anu mausi boli “priya ki jitni fikar tum logon ko hai. Us se jyada hume priya ki fikar hai. Humne bhale hi, is baat ko tum bacchon se chhupa kar rakha tha. Lekin fir bhi hum log hamesha priya ki talash me lage rahe the.”

“Jo aadmi priya ko lekar bhaga tha. Use kuch saal pahle uske ek parichit ne mumbai me dekha tha. Uska wo parichit tum logon ke mumbai jaane ke kuch din pahle humse mila tha aur usne ye baat hume batayi thi.”

“Humne is baare me vaani se baat ki thi. Us samay wo kisi case me busy thi aur usne kaha tha ki, wo jaldi hi kolkata aa rahi hai aur yaha aakar, wo us aadmi ki naye sire se talash suru karegi.”

“Usi samay tum log bhi mumbai ja rahe the. Lekin us aadmi ko talash karne ki baat yadi tumhare samne sunita ya richa rakhti to, tum is baat ko lekar un se sawal karna suru kar dete.”

“Isi vajah se un ne ye kaam mujhe karne ko kaha tha aur maine tumko uska mumbai me pata karne ka kaam saunpa tha. Lekin tumhari is talash se hume nirasha hi hath lagi thi.”

“Magar shikha se baat karke is baat ki khushi bhi huyi thi ki, maine tumhe jis pate par us aadmi ko talash karne ka kaam diya tha. Waha shikha rahti hai. Meri shikha se isi baare me thodi bahut huyi thi.”

“Maine shikha se bataya tha ki, mai jis aadmi ki talash kar rahi hu, wo meri saheli ka pati hai aur apni bacchi ko lekar gayab hai. Humhare pas uski koi tasveer nahi hai. Jis vajah se hum use abhi tak dud nahi paye hai.”

“Lekin ab uski talash karne ke liye meri bhatiji vaani waha aa rahi hai. Wo ek CID officer hai aur hume ummid hai ki, wo use jarur dud nikalegi. Isliye ab is baare me punnu se koi baat na ki jaye.”

“Iske bad hum log vaani ke yaha aane ka intejar karne lage. Lekin vaani ke yaha aane ke pahle hi, tumhare sath waha ek ke bad ek hadse ho gaye. Jise dekh kar, hume laga ki, kahin in sab hadso ke pichhe usi aadmi ka hath to nahi hai.”

“Bas isi dar ki vajah se sunita fauran waha pahuch gayi thi. Magar iske bad waha koi hadsa na hone se hume laga ki, shayad ye sab hum logon ka vaham tha aur humne is baat ko apne dimag se nikal diya tha.”

“Magar aaj jab tum par huye hamle ke bad, vaani ko un hadson ka pata laga to, usne usi aadhar par saari karyawahi karna suru kiya. Tum par hamla gauranga ne karwaya tha, isliye vaani ne use uske giroh ke sath girftar kar liya.”

“Gauranga se ki gayi puchh tachh me ye saaf ho gaya ki, usne tumhare naam ki supari lekar, tum par hamla kiya tha aur tumhare naam ki supari mumbai se ek aadmi dekar gaya tha.”

“Vaani ne gauranga aur uske sathiyon ke bayan ke aadhar par us supari de jaane wale aadmi ki tasveer banwayi aur wo tasveer hume dikhayi to, humne fauran pehchan liya ki, ye wo hi aadmi hai, jo tumhari bahan ko lekar bhaga tha.”

“Tum itne din mumbai me rahe. Lekin tumne ek baat par jara bhi gaur nahi kiya ki, waha tumhare ghar ke jo bhi bade the. Wo nikki ke keerti ke hamsakal hone ke bad bhi, use dekh kar jitna nahi chaukte the, us se jyada priya ko dekh kar chaukte the.”

“Priya pahli najar me hi sabki ladli ban jati thi. Sabka jhukav priya ke taraf hone ki vajah ye thi ki, jaise nikki ki shakal keerti se milti thi. Waise hi priya ki shakal bhi bahut kuch tumhari mummy se milti hai.”

“Yaha tak ki priya ki muskurahat, uska chulbulapan aur uski shararaten bhi bahut kuch tumhari mummy se milti julti hai. Lekin is sabke bad bhi, humare dimag me ye baat nahi aayi thi ki, priya hi tumhari bahan ho sakti hai.”

“Lekin vaani ne jaise hi, shikha ki shadi ke video me priya ko dekha, uske man me priya ke baare me janne ki utsukta bad gayi thi. Bas isi vajah se usne tumse priya ki janam tarikh aur janam sthan ke baare me sawal kiya tha.”

“Lekin is sawal ko karte samay, use bhi shayad is baat ki ummid nahi thi ki, uska kiya ye ek sawal hi, tumhari khoyi huyi judwa bahan ko, itni jaldi hum sabke samne lakar khada dega.”

“Mohini ki baton se ye baat to saaf ho gayi thi ki, priya hi tumhari judwa bahan hai aur jo mohini ki asli bhatiji hai, wo is samay us aadmi ke pas hai. Magar abhi hum is sachai ko nahi jante hai ki, ye raz mohini ke parivaar me kaun kaun janta hai.”

“Bas isi vajah se vaani aur sunita mumbai gayi hai. Wo pahle mohini ki asli bhatiji ko dudna chahti hai. Iske bad hi, wo priya ke tumhari judwa bahan hone ki baat mohini ke parivaar ke samne rakhna chahti hai.”

“Hume is wakt sabse jyada is baat ka dar sata raha hai ki, jo aadmi tumhe dekhte hi, tumhare khoon ka pyasa ho gaya tha. Usne mohini ki bhatiji ke sath, tumhari judwa bahan ke dhokhe me, pata nahi kya saluk kiya hoga.”

“Hum log is samay sirf priya ki salamati ke liye hi nahi, balki padmini ki asli beti ke liye bhi, ye dua maang rahe hai ki, uske sath koi anhoni na huyi ho. Kyoki humne ek maa ko apni bacchi ki judai me ghut ghut ke marte dekha hai.”

“Hum nahi chahte ki, aisa hi kuch padmini ke sath bhi ho. Yadi padmini ki beti ke sath koi anhoni ho gayi hogi to, humare liye priya ke tumhari judwa bahan hone ki baat uske samne rakh pana bahut hi mushkil ho jayega.”

Itna bol kar anu mausi chup ho gayi. Unka ye roop mere liye bilkul hi naya tha. Unki baton se saaf samajh me aa raha tha ki, wo sirf meri maa ko hi ache se nahi janti thi, balki mere atit ki baton ko bhi ache se janti thi.

Lekin is samay unke muh se meri mausi nahi, balki ek maa bol rahi thi. Jiske man me ek dusri maa ke dard ka aehsas chhupa hua tha. Mai bhi is padmini aunty ko pahuchne wale dard ka aehsas kar sakta tha. Isliye maine anu mausi se kaha.

Mai bola “mausi, aapka kahna jara bhi galat nahi hai. Padmini aunty ki haalat aisi nahi hai ki, wo apni beti ko khone ka dard sah sake. Yadi aisi ko stithi aati hai to, mai yahi chahuga ki, padmini aunty ke samne priya ki sachai ko kabhi na khola jaye.”

“Mai ye to nahi janta ki, unke parivaar me is sachai ko kaun kaun janta hai. Lekin maine ye apni aankhon se dekha hai ki, dada ji is sachai ko jante huye bhi, priya ko bahut pyar karte hai aur use riya, raj se jara bhi alag nahi samajhte hai.”

“Sirf dada ji hi nahi, balki aakash uncle, padmini aunty, raj aur riya ki bhi wo bahut ladli hai. Wo unke ghar ki raunak hai aur un sabki jaan hai. Priya bhi un sabko bahut pyar karti hai.”

“Na to wo log priya ke bina rah sakte hai aur na hi priya unke bina rah sakti hai. Aise me ye sachai un sabke samne rakhne ka matlab, sirf un sabki khushiyon ko khatam karna hi hoga.”

“Priya wahan un sabke sath bahut khush hai aur mai yahan apni bahno ke sath bahut khush hu. Isliye acha yahi hoga ki, aap log bhi is baat ko bhool jaye ki, priya meri bahan hai aur un sab ko pahle ki tarah khush rahne de.”

Meri baat sunkar, anu mausi ne aage bad kar, mujhe apne gale se laga liya. Meri jindgi me ye pahla mauka tha, jab anu mausi ne itne pyar se mujhe apne gale lagaya tha. Un ne pyar se mere sar par hath ferte huye kaha.

Anu mausi boli “mujhe maaf kar de. Maine hamesha tujhe dukh hi diya hai. Mujhe lagta tha ki, tu bhi apne bap ki tarah hi niklega. Lekin mai bilkul galat thi. Tu apne bap ki tarah nahi, balki apni maa ki tarah hai. Teri maa sach me bahut khushnashib thi, jise tera jaisa beta mila.”

Anu mausi ki baat sunkar, itne saalon me pahli baar, meri aankhon me janam dene wali maa ko yaad karke, aansu aa gaye. Lekin maine aansu bhari aankhon se, ek dard bhari muskan ke sath muskurate huye kaha.

Mai bola “mausi, aap meri maa ki kis khushnashibi ki baat kar rahi ho. Meri maa to duniya ki sabse badnashib maa thi. Jinke bete ne unhe unke marne ke bad hi, bhula diya. Yahan tak ki mujhe to, unka chehra tak yaad nahi hai.”

“Tabhi to priya ko dekhne ke bad, mai us se kahta tha ki, aisa lagta hai ki, jaise mera tumse pichhle janam ka koi rishta hai. Lekin mai us se ye kabhi na kah saka ki, tumhari surat meri maa se milti hai.”

“Lekin mai priya se ye baat kahta bhi to kaise kahta. Mujhe to apni maa ka chehra tak yaad nahi tha. Ab aap hi batao, jis maa ke bete ko uska chehra tak yaad nahi hai. Wo maa ek khushnashib maa kahlayegi ya fir badnashib maa kahlayegi.”

Meri baat sunkar, anu mausi ne mere aansu pochhte huye kaha.

Anu mausi boli “jis maa ka tera jaisa beta ho. Wo kabhi badnashib ho hi nahi sakti. Fir teri maa purnima to kisi poonam ke chand ki tarah thi. Jitna ujla uska tan tha, us se bhi jyada ujla uska man tha. Wo, mai aur richa teeno bahut pakki saheliyan thi.”

“Wo apni beti ki judai sah nahi payi aur isi gam me usne ghut ghut kar apni jaan de di. Lekin marne ke bad bhi, wo apne bete ko roj apni aankhon se dekhti hai aur aaj barson bad, apni khoyi huyi beti ko bhi apni aankhon se dekhegi.”

Anu mausi ki baten sunkar, mere sath sath mehul ki aankhen bhi puri tarah se bheekh chuki thi. Lekin anu mausi ki aakhiri baat sunkar, hume kuch samajh me nahi aaya aur hum dono hairani se unki taraf dekhne lage.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 206}
____________________________

Mai bola “mausi, aap meri maa ki kis khushnashibi ki baat kar rahi ho. Meri maa to duniya ki sabse badnashib maa thi. Jinke bete ne unhe unke marne ke bad hi, bhula diya. Yahan tak ki mujhe to, unka chehra tak yaad nahi hai.”

“Tabhi to priya ko dekhne ke bad, mai us se kahta tha ki, aisa lagta hai ki, jaise mera tumse pichhle janam ka koi rishta hai. Lekin mai us se ye kabhi na kah saka ki, tumhari surat meri maa se milti hai.”

“Lekin mai priya se ye baat kahta bhi to kaise kahta. Mujhe to apni maa ka chehra tak yaad nahi tha. Ab aap hi batao, jis maa ke bete ko uska chehra tak yaad nahi hai. Wo maa ek khushnashib maa kahlayegi ya fir badnashib maa kahlayegi.”

Meri baat sunkar, anu mausi ne mere aansu pochhte huye kaha.

Anu mausi boli “jis maa ka tera jaisa beta ho. Wo kabhi badnashib ho hi nahi sakti. Fir teri maa purnima to kisi poonam ke chand ki tarah thi. Jitna ujla uska tan tha, us se bhi jyada ujla uska man tha. Wo, mai aur richa teeno bahut pakki saheliyan thi.”

“Wo apni beti ki judai sah nahi payi aur isi gam me usne ghut ghut kar apni jaan de di. Lekin marne ke bad bhi, wo apne bete ko roj apni aankhon se dekhti hai aur aaj barson bad, apni khoyi huyi beti ko bhi apni aankhon se dekhegi.”

Anu mausi ki baten sunkar, mere sath sath mehul ki aankhen bhi puri tarah se bheekh chuki thi. Lekin anu mausi ki aakhiri baat sunkar, hume kuch samajh me nahi aaya aur hum dono hairani se unki taraf dekhne lage. Anu mausi ne hume is taraf hairan dekha to, un ne humari hairani ko door karte huye kaha.

Anu mausi boli “isme itna hairan hone wali koi baat nahi hai. Ek accident me sunita ki aankhon ki roshni chali gayi thi. Purnima ne use apni aankhe dekar, uski adheri jindgi ko fir se roshan banaya tha.”

“Aaj sunita bhale hi purnima ki di huyi aankhon se ye duniya dekh rahi hai. Lekin is sachai ko wo khud bhi nahi janti hai ki, uski andheri jindgi ko roshan banane wali aankhne purnima ki hai.”

“Tumhari maa ek bahut hi mahan aurat thi aur uske dil me har ek ke liye beshumar pyar tha. Kya tumhe kabhi sunita ki aankhon me apni maa najar nahi aati. Jo tumhe apni maa ek badnashib maa lagti hai.”

Anu mausi ki is baat ko sunkar, maine apna chehra saaf karte huye kaha.

Mai bola “mausi, chhoti maa sirf aankhon se hi nahi, balki sar se lekar paanv tak meri maa hai. Unke pyar ne kabhi mujhe maa ki kami mehsus nahi hone di aur isi vajah se mujhe meri janam dene wali maa ka chehra tak yaad nahi raha.”

“Mujhe janam dene wali maa kitni mahan thi, ye to mai nahi janta. Lekin mai ye achi tarah se janta hu ki, meri chhoti maa duniya ki sabse achi maa hai aur ye meri khushnashibi hai ki, mai unka beta hu.”

Meri baat sunkar, anu mausi ne muskurate huye, ek baar fir mujhe apne gale se laga liya. Tabhi unka mobile bajne laga. Un ne mobile dekha to, chhoti maa ka call aa raha tha. Unke call uthate hi chhoti maa ne, unse kaha.

Chhoti maa boli “didi, hum log mumbai pahuch gaye hai aur ab priya ko dekhne hospital ja rahe hai. Waha chanda mausi ka kya haal hai aur punnu kaisa hai.”

Anu mausi boli “chanda ko hosh aa gaya hai aur abhi wo so rahi hai. Punnu aur mehul dono mere pas hi hai. Tu khud hi punnu se baat kar le.”

Ye kahte huye, anu mausi ne mujhe mobile thama diya. Chhoti maa ne mujhse sabka haal chaal puchha aur fir mujhe sabka dhyan rakhne ke liye samjhane lagi. Mujhse baat karne ke bad, wo fir se anu mausi se baat karne lagi.

Chhoti maa ke bad, anu mausi ki vaani didi se baat hone lagi. Un ne vaani didi se mujhe mumbai bhejne ke baare me puchha. Magar vaani didi ne abhi mujhe mumbai bhejne ke liye mana kar diya.

Vaani didi se baat hone ke bad, anu mausi mujhse aur mehul se aaram karne ko kah kar, wapas chanda mausi ke pas chali gayi. Unke jaane ke bad, meri mehul se baten hone lagi.

Mehul ne bataya ki, jab mai khana khane ghar gaya tha, tab shereen baji aur sheza aayi thi. Wo log tab bhi aayi thi, jab hum pritam ke ghar khana khane gaye the. Mehul ki baat sunkar, mai shereen baji ke baare me sochne laga.

Jab mai shereen baji ke ghar gaya tha, tab wo ghar par nahi thi aur jab wo mujhse milne hospital aayi to, tab mai yaha nahi tha. Mai jab se wapas aaya tha, tab se meri unse mulakat nahi ho payi thi.

Yadi unke pas mobile hota to, meri unse baat ho sakti thi. Lekin na to unke pas mobile tha aur na hi unke ghar me phone tha, jis vajah se meri abhi tak unse koi baat bhi nahi ho payi thi.

Mai abhi isi baare me soch raha tha ki, tabhi mujhe mehul ke kharraton ki aawaj sunayi dene lagi. Wo mujhse baat karte karte hi so gaya tha. Maine time dekha to raat ke 12:15 baj chuke the.

Ab mujhe bhi nind satane lagi thi. Lekin mai keerti se baat kiye bina nahi sona chahta tha. Magar uska call aane ka naam nahi hi le raha tha aur aakhir me uske call ka intejar karte karte meri nind lag gayi.

Subah 6 baje meri nind kisi ke mere sar par hath ferne se khuli. Maine aankh khol kar dekha to, meri bagal me shereen baji, ek kaale rang ka dushala odhe baithi muskura rahi thi.

Shereen baji umar me mujhse 8 saal badi thi aur jyada padi likhi nahi thi. Un ne apni school tak ki padai puri ki thi aur ab duniyadari ke college me apni padai puri kar rahi thi. Jisne unhe hum sab se kahin jyada samajhdar bana diya tha.

Shereen baji bahut jyada sundar thi aur unke kaale lambe ghane baal unki sundarta me char chand laga dete the. Keerti ke baal bhi bahut lambe the.

Lekin baji ke mukable me uske baal kuch bhi nahi the.

Keerti ke baal uski kamar ke niche tak aate the. Jabki baji ke baal unke ghutno tak aate the. Yahi vajah thi ki, mai jab kabhi bhi baji ke lambe baalon ki tarif karta to, keerti jal bhun jati thi.

Baji mujhe bahut pyar karti thi. Unhe keerti ka mujhse ladna jhagadna aur mujhe pareshan karna jara bhi pasand nahi aata tha. Wahin keerti ko mera baji ke pas itni der-der tak baithe rahna pasand nahi aata tha.

Yahi sab vajah thi ki, keerti aur baji ke bich me kabhi nahi patti thi aur dono ek dusre ko jara bhi pasand nahi karti thi. Unke hamesha ke is jhagre me mai pis jata tha. Isliye mai unke samne ek dusre ka naam lene se hi bacha karta tha.

Shereen baji ke ghar me, unke alawa aslam, sheza aur unki ammi thi. Unke abba ka kuch saal pahle intekal ho gaya tha. Unke abba ek sarkari naukri me the aur unki jagah ab shereen baji ko naukri mil gayi thi.

Tab se lekar aaj tak shereen baji hi apne parivar ki saari jimmedari nibhati aa rahi thi. Mai shereen baji ke pas baitha, un se ghanto baten kiya karta tha aur aisi hi kuch aadat shereen baji ko bhi lag gayi thi.

Wo har chhutti ke din mere aane ka intejar karti rahti thi aur jab kabhi mai unke ghar nahi ja pata tha to, wo pareshan ho jaya karti thi. Pichhle ek mahine se, mai keerti aur uncle ke chakkar me unke pas nahi ja paya tha.

Jis vajah se wo mujhe dudte huye pahle ghar tak aur ab hospital tak aa gayi thi. Maine unhe itni subah subah apne samne dekha to, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine muskurate huye unse kaha.

Mai bola “baji, aap itni subah subah yaha kya kar rahi hai.”

Meri baat sunkar, baji ne muskurate huye kaha.

Baji boli “tumko dekhe huye bahut din ho gaye the. Isliye socha ki, tumko sote me hi pakad liya jaye. Warna fir se tumse mil pana mushkil ho jayega.”

Baji ki is baat par maine sharminda hote huye kaha.

Mai bola “sorry baji, mai aapse milne gaya tha. Lekin aap ghar par nahi thi. Mai kal sham ko aapse milne aata. Magar uske pahle hi ye sab ho gaya.”

Meri is baat par baji ne pyar se mere gaal par chapat lagate huye kaha.

Baji boli “pagal, mai sab janti hu. Mujhe tujhse koi shikayat nahi hai. Mai khush hu ki, tu bilkul sahi salamat hai. Warna tujh par huye hamle ki baat sunkar to, meri jaan hi nikal gayi thi. Ab tu ye sab bekar ki baten chhod aur uth kar nashta kar le. Mai tere liye apne hathon se nashta bana kar layi hu.”

Baji ne abhi itna hi bola tha ki, mehul fauran uth kar humare pas aa gaya aur usne baji ke hath se tiffine lete huye kaha.

Mehul bola “baji aapne ye bahut acha kaam kiya. Mujhe subah uthte hi bhookh lagne lagti hai.”

Ye kahte huye mehul tiffine khol kar mere samne rakh diya aur mujhe nashta karne ko bol kar, khud bhi nashta karne laga. Maine nashta karte huye baji se kaha.

Mai bola “baji, aaj aap akeli hi kyo aayi ho. Kya wo hari mirch abhi tak sokar nahi uthi hai. Acha hua ki, aap use apne sath lekar nahi aayi. Warna wo subah subah hi mere dimag ka dahi kar deti.”

Meri ye baat sunte hi, mehul ko ek jordar thaska lag gaya. Use thaska lagte dekh, maine us par gussa karte huye kaha.

Mai bola “abe aaram se nashta kar, nashta kahin bhaga nahi ja raha hai.”

Magar wo meri baat sunkar bhi, fatifati aankhon se mujhe hi dekhe ja raha tha. Uske is tarah se dekhne se mai itna to samajh chuka tha ki, mujhse hi kahin koi galti ho gayi ho.

Lekin mere kuch samajh me nahi aaya to, mai mehul ki is harkat ko janne ke liye, sawaliyan najron se baji ki taraf dekhne laga. Baji ne mujhe apni taraf dekhte paya to, un ne mujhe apne pichhe dekhne ka ishara kiya.

Baji ka ishara samajh me aate hi, maine fauran apne pichhe palat kar dekha aur pichhe dekhte hi, meri bhi bolti band ho gayi. Mere pichhe hare rang ke salwar suit me sheza khadi thi.

Sheza umar me mujhse ek saal chhoti thi aur 9th class me padti thi. Uske upar baji ki hi parchayi padi thi. Wo baji ki tarah hi bahut sundar thi. Uske baal baji ke barabar to nahi the. Lekin baki ladkiyon se kahin jyada bade the.

Magar uski khasiyat uske chehre ki muskan thi. Uske chehre par har samay ek muskan thirakti rahti thi. Jo use aur bhi jyada sundar banati thi. Wo bahut hansmukh aur chanchal thi.

Pal bhar me naraj hona aur pal bhar me hi maan jana uski aadat thi. Meri us se jyada baat chit to nahi hoti thi. Lekin thodi bahut hansi majak chalta rahta tha aur wo kabhi mere kisi majak ka bura nahi manti thi.

Lekin is samay maine uska jo majak udhaya tha. Use sunkar, wo gusse me tamtamayi huyi mujhe dekh rahi thi. Meri us se najar milte hi, usne gusse me bhadakte huye shereen baji se kaha.

Sheza boli “appi aapne sun liya na. Bhaijan meri peeth pichhe kaise meri burayi kar rahe hai. Ab mai inse kabhi baat nahi karugi.”

Ye kahte hi, uski gusse me tamtamayi aankhon me aansu jhilmilane lage. Mai hamesha hi sheza ka isi tarah se majak udhaya karta tha aur wo bhi mere is majak ka kabhi bura nahi maana karti thi.

Magar aaj mai uska ye majak uski peeth pichhe udha raha tha. Jis vajah se mera ye majak uske dil ko chubh gaya tha. Lekin uski aankhon me aansu dekhte hi, maine fauran baat ko sambhalne ki kosis karte huye kaha.

Mai bola “are mai sirf majak kar raha tha aur tu mere is majak ko sach samajh kar, aansu bahane lagi. Maine to tujhe mere pichhe khade, pahle hi dekh liya tha.”

Meri baat sunkar, sheza ne sisakte huye kaha.

Sheza boli “bhaijan, ab jhuth bolne ki kosis mat kijiye. Mai janti hu ki, aapne mujhe nahi dekha tha.”

Sheza kah to sach rahi thi. Lekin ab usko manane ke liye mere pas apni galti par parda dalne ke siwa koi rasta nahi tha. Maine use apni safayi dene ke liye ek aur jhuth bolte huye kaha.

Mai bola “mai sach bol raha hu. Maine tujhe hara salwar suit pahan kar mere pichhe khade dekh liya tha. Tabhi to maine tujhe hari mirch kaha tha.”

Meri baat sunkar, sheza ka sisakna band ho gaya aur wo kuch soch me pad gayi. Use soch me pada dekh kar, baji ne bhi mera sath dete huye kaha.

Baji boli “sheza yadi tujhe iske majak ka itna hi jyada bura lagta hai to, aaj ke bad ye tujhse bilkul bhi majak nahi karega. Ye pahle se hi bahut pareshan hai. Ab tu subah subah aansu baha kar iski pareshani ko aur mat bada.”

Baji ki fatkar sunte hi, sheza ne fauran apna mood badalte huye kaha.

Sheza boli “appi aap bhi mujhe hi gussa kar rahi hai. Bhaijan ko to aapne kuch bhi nahi kaha, jab dekho, tab mera majak udhate rahte hai.”

Baji boli “ise ghar aane de, mai ise bhi bahut gussa karugi. Lekin abhi tu apni sikayat ka pitara band kar aur in dono ko chay de de.”

Baji ki is baat ko sunne ke bad, sheza apna gussa bhool kar, mujhe aur mehul ko chay nikal kar dene lagi. Hum logon ke chay peene ke bad, baji aur sheza chanda mausi se milne andar chali gayi.

Unke andar jaane ke thodi hi der bad anu mausi bahar aa gayi. Un ne bahar aate hi, mujhse aur mehul se kaha.

Anu mausi boli “shereen abhi richa ke aane tak yahi ruki hai. Isliye mai ab ghar ja rahi hu. Tum dono me se jo bhi mere sath ghar chalna chahta ho, wo ghar chal sakta hai.”

Abhi mehul ke ghar me shilpa ruki huyi thi. Isliye maine mehul ko hi anu mausi ke sath ghar bhej diya. Unke jaane ke bad, mai apna mobile nikal kar dekhne laga. Usme raat ko 1:30 baje ke aas pas keerti ke 3 call aaye the.

Lekin abhi subah ke 7 baj jane ke bad bhi, uska koi call nahi aaya tha. Isliye maine khud hi usko call laga lena thik samjha aur use call laga diya. Magar usne mera call jate hi, call kaat diya.

Uske call kaatne se mai itna to, samajh gaya tha ki, wo sokar uth chuki hai aur is samay kisi ke sath hai. Lekin meri samajh me abhi tak ye baat nahi aa rahi thi ki, aakhir is bandi ko mumbai jaane ki itni jyada utawli kyo padi thi.

Kahan to mere kahe kahe bhi, wo mumbai aane ko taiyar nahi thi aur ab kahan mujhe yaha akela chhod kar, apni itni tabiyat kharab hone ke bad bhi, jid karke mumbai me jakar baithi thi.

Mujhe uske mumbai jaane se koi pareshani nahi thi. Lekin abhi uski tabiyat sahi na hone ki vajah se uski fikar sata rahi thi. Mai abhi keerti ke baare me soch hi raha tha ki, tabhi uska call aane laga.

Uska call aate dekh kar, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine fauran hi uska call utha kar, muh fulane ka natak karte huye us se kaha.

Mai bola “tujhe mujhse baat karne ki badi jaldi fursat mil gayi. Ab itni jaldi bhi call karne ki kya jarurat thi. Sidhe yaha wapas aane ke bad hi baat karna tha na.”

Meri baat sunte hi, keerti khilkhila kar hasne lagi. Use hanste dekh kar, maine us par jhutha gussa dikhane ka natak chalu rakhte huye kaha.

Mai bola “kisi ka majak udane ki bhi had hoti hai. Mai tere upar gussa kar raha hu aur tujhe meri baat par hansi aa rahi hai.”

Meri is baat ke jabab me keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “ae tumhara ye jhutha gussa dikhane ka natak bahut ho gaya. Apna ye natak band karo aur sidhe tarike se baat karo. Yadi tum sach me hi gussa hote to, apna muh fula kar baithe hote. Aise ek hi baar me mera call na utha liya hota.”

Keerti ki ye baat sunkar, meri bhi hansi chhut gayi. Maine gussa karne ka natak band karte huye us se kaha.

Mai bola “acha baba, ab tu ye bata ki, teri tabiyat kaisi hai.”

Meri ye baat sunkar, keerti ne thoda gambhir hote huye kaha.

Keerti boli “meri tabiyat bilkul thik hai. Magar priya ko abhi tak hosh nahi aaya hai. Mai aur vaani didi to raat ko 1 baje barkha didi ke sath, ajay bhaiya ke bungalow me aa gaye the. Lekin mausi riya ke ghar walon ke sath saari raat hospital me hi thi.”

“Abhi jab tumne mujhe call kiya tha, tab hi wo ajay bhaiya ke sath hospital se wapas lauti thi. Wo priya ki tabiyat ko lekar bahut jyada pareshan thi aur vaani didi se tumhe yaha bulane ki baat kar rahi thi.”

“Vaani didi ne unse dopahar tak intejar karne ko kaha hai. Shayad aaj raat tak ya fir kal kisi samay tumhe bhi ami nimi ke sath yaha ke liye nikalna pad sakta hai. Tum apni aur ami nimi ki yaha ke liye nikalne ki taiyari karke rakhna.”

Priya ki haalat ke baare me sunte hi, meri aankhon me nami chha gayi. Shayad keerti ko bhi meri is haalat ka aehsas tha, isliye usne mujhe samjhate huye kaha.

Keerti boli “tum fikar mat karo, priya ko kuch nahi hoga. Priya ka ilaj nidhi didi kar rahi hai. Nisha bhabhi bata rahi thi ki, nidhi didi ek bahut achi Neurosurgeon hai aur wo priya ki tabiyat par pal pal najar rakhe huye hai.”

“Mai janti thi ki, tum abhi yaha nahi aa paoge. Lekin tumhe waha priya ki tabiyat ki chinta satati rahegi. Isliye mai jid karke yaha aa gayi thi. Taki mai tumhe yaha ka saara haal batati rahu.”

“Maine tumhari mumbai wali sim chalu kar li hai. Tum bhi apne mobile me meri sim daal kar chalu kar lena. Wo sim se baat karna abhi bhi free hi hai. Us se tum yaha ki saari baat chit apne kaano se sun sakoge.”

Keerti ne thodi bahut baten karne ke bad, mujhse uski di huyi sim mobile me daal kar, ek missed call dene ki baat jata kar call rakh diya. Uske call rakhne ke bad, maine uski di huyi sim mobile me daali aur use ek missed call de diya.

Keerti ko missed call dene ke bad, mai uske baare me sochne laga. Wo jid karke mumbai sirf meri vajah se hi gayi thi. Is se hi pata chalta tha ki, wo meri soch se kahin jyada gahrayi tak mujhse judi huyi thi.

Mai abhi keerti ke baare me soch raha tha ki, tabhi sheza aa gayi. Usne mujhe gum-sum sa baithe dekha to, hansi majak karke mera dil bahlane lagi. Uske is hansi majak se mera saara tanav door ho gaya.

Aise hi sheza se baat karte karte 9 baj gaye. Abhi meri sheza se baat chal hi rahi thi ki, tabhi kisi ladki ki aawaj ne mujhe chauka diya. Maine pichhe palat kar dekha to, mere samne red color ka patiyala salwar suit me ankita khadi thi.

Ankita ko is tarah se achanak apne samne dekh kar, mere to pasine chhut gaye. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ye achanak yaha kaise aa gayi aur ab mai iske baare me sheza ko kya samjhauga.

Wahi dusri taraf sheza kabhi ankita ki taraf to, kabhi meri taraf gaur se dekhe ja rahi thi. Mujhe is baat ka dar bhi sata raha tha ki, kahin ankita sheza ke samne kuch ulta sidha na bol jaye. Isliye ankita ke kuch bolne ke pahle hi, maine us se kaha.

Mai bola “aap yaha kaise.? Kya aapka bhi koi yaha bharti hai.”

Meri baat sunkar, ankita ne muskurate huye kaha.

Ankita boli “are nahi, mera yaha koi bharti nahi hai. Wo to kal maine TV par news dekhi thi aur abhi meri friend se meri baat huyi to, us se pata chala ki, abhi aap yahi ho. Isliye mai aap se milne yaha chali aayi.”

Ankita ki ye baat sunkar, mai samajh gaya ki, abhi uski keerti se baat huyi hai aur keerti ne use yaha aane diya hai to, iska matlab hai ki, usne sab kuch samjha kar hi ankita ko bheja hoga.

Is baat ke samajh me aate hi, mere man me ankita ke aane se jo bhi dar tha, wo nikal gaya tha aur mere chehre par muskurahat aa gayi thi. Maine muskurate huye ankita se kaha.

Mai bola “un news walon ne to, raai ka pahad bana diya. Pata nahi unko aisa karne me kya mil gaya.”

Lekin ankita ne jaise meri is baat ko suna hi nahi tha. Usne sheza ki taraf ishara karte huye kaha.

Ankita boli “aapne inse to mera parichay karwaya hi nahi hai.”

Anikta ki baat sunkar, maine uska sheza se parichay karwate huye kaha.

Mai bola “ye mere dost ki bahan sheza hai aur sheza ye meri friend ankita hai.”

Mere un dono ka parichay karwa dene ke bad, dono aapas me baten karne lagi. Abhi un dono ki baat chal hi rahi thi ki, tabhi wheelchair par ek ladki ko hospital ke andar aate dekh kar, hum teeno ki hi najren us par jakar tik gayi.

Wo ladki is samay ek black skirt top pahni thi aur sheza ki umar ki lag rahi thi. Uske baal jyada lambe to nahi the. Lekin uske khule huye baal, uske chehre ko khoobsurat jarur bana rahe the.

Wo na to sheza ki tarah sundar thi aur na hi sheza ki tarah uske chehre par koi muskan thirak rahi thi. Fir bhi uske chehre par ek masumiyat jhalak rahi thi. Jo humara dhyan uski taraf khich rahi thi.

Us masoom se chehre wali ladki ko wheelchair par dekh kar, na jane kyo mujhe uske sath hamdardi si ho rahi thi. Aisa hi kuch shayad sheza aur ankita ke sath bhi ho raha tha. Wo dono bhi bade gaur se usi ladki ko dekh rahi thi.

Ek aadmi us ladki ki wheelchair ko dhakelte huye, use I.C.U. room ke andar le gaya. Us ladki ke humari najron se ojhal hote hi, sheza ne uske sath hamdardi jatate huye, mujhse kaha.

Sheza boli “bhaijaan, us ladki ka chehra kitna pyara lag raha tha. Lekin lagta hai ki, us bechari ke pair kharab hai.”

Maine bhi sheza ki is baat ki sahmati di. Iske bad, ankita hum dono se ijajat lekar, wapas jaane lagi. Sheza muskurati huyi, ankita ko jaate huye dekhne lagi. Mai janta tha ki, ab ye uske jaate hi, mere upar sawalon ki bauchhar kar degi.

Lekin ankita ke hospital se bahar nikalte hi, hume richa aunty aur ami nimi hospital ke andar aate dikhayi de gayi. Richa aunty ko aate dekh kar, maine bhi rahat ki saans li ki, ab mera sheza ke sawalon se pichha chhut jayega.

Richa aunty ne humare pas aakar sheza se ek do baten ki aur fir mujhse chanda mausi ki tabiyat ke baare me puchhne lagi. Maine unhe chanda mausi ki tabiyat ka bataya aur fir vaani didi ki anu mausi se huyi baat ka hawala dete huye kaha.

Mai bola “aunty, raat ko anu mausi ki vaani didi se baat huyi thi. Vaani didi ne kaha hai ki, wo jaldi hi mujhe bhi mumbai bula legi. Mujhe kisi bhi samay ami nimi ke sath mumbai ke liye nikalna pad sakta hai.”

Meri baat sunne ke bad, richa aunty mujhe mumbai jaane ki taiyari karne ke liye samjhane lagi. Lekin tabhi humari mumbai jaane ki baat sunkar, ami ne mujhe tokte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, abhi meri school me exam chal rahe hai aur mai apne exam chhod kar mumbai nahi ja sakti hu. Yadi mai mumbai nahi gayi to, nimi bhi mere bina mumbai nahi jayegi.”

“Abhi yaha mummy aur keerti didi bhi nahi hai. Aapko pata hai ki, nimi raat ko akele me kitni jyada dar jaati hai. Aise me aap hum dono ko akele chhod kar mumbai kaise ja sakte hai.”

Ami ki ye baat sunkar, mere sath sath richa aunty bhi sann rah gayi. Kyoki kal priya ke baare me jo bhi baten huyi thi, wo ami nimi ke samne hi huyi thi. Wo dono apne kaano se sun chuki thi ki, priya meri judwa bahan hai.

Wo ye bhi achi tarah se janti thi ki, chhoti maa mumbai kyo gayi hai aur hum logon ko mumbai kyo jaana hai. Iske bad bhi ami ka ye baat kahna mere gale se niche nahi utar raha tha.

Nimi to abhi nasamajh thi aur us se is tarah ki baat karne ki ummid ki bhi ja sakti thi. Lekin ami me in sab baton ki achi khasi samajh thi aur us se is tarah ki baat karne ki ummid hargij nahi ki ja sakti thi.

Wo ek tarah se mujhe mumbai jaane se rokna chahti thi. Usne kolkata me ek aisa bomb foda tha. Jiski goonj mujhe mumbai tak sunayi de rahi thi aur jiske dhamake ne mere man me ek anjana sa dar paida kar diya tha.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 207}
____________________________

Meri baat sunne ke bad, richa aunty mujhe mumbai jaane ki taiyari karne ke liye samjhane lagi. Lekin tabhi humari mumbai jaane ki baat sunkar, ami ne mujhe tokte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, abhi meri school me exam chal rahe hai aur mai apne exam chhod kar mumbai nahi ja sakti hu. Yadi mai mumbai nahi gayi to, nimi bhi mere bina mumbai nahi jayegi.”

“Abhi yaha mummy aur keerti didi bhi nahi hai. Aapko pata hai ki, nimi raat ko akele me kitni jyada dar jaati hai. Aise me aap hum dono ko akele chhod kar mumbai kaise ja sakte hai.”

Ami ki ye baat sunkar, mere sath sath richa aunty bhi sann rah gayi. Kyoki kal priya ke baare me jo bhi baten huyi thi, wo ami nimi ke samne hi huyi thi. Wo dono apne kaano se sun chuki thi ki, priya meri judwa bahan hai.

Wo ye bhi achi tarah se janti thi ki, chhoti maa mumbai kyo gayi hai aur hum logon ko mumbai kyo jaana hai. Iske bad bhi ami ka ye baat kahna mere gale se niche nahi utar raha tha.

Nimi to abhi nasamajh thi aur us se is tarah ki baat karne ki ummid ki bhi ja sakti thi. Lekin ami me in sab baton ki achi khasi samajh thi aur us se is tarah ki baat karne ki ummid hargij nahi ki ja sakti thi.

Wo ek tarah se mujhe mumbai jaane se rokna chahti thi. Usne kolkata me ek aisa bomb foda tha. Jiski goonj mujhe mumbai tak sunayi de rahi thi aur jiske dhamake ne mere man me ek anjana sa dar paida kar diya tha. Wahin jab richa aunty ne ami ki ye baat suni to, use samjhate huye kaha.

Richa aunty boli “ami beta, tum ye kaisi baat kar rahi ho. Tum janti ho ki, priya tumhari didi hai. Abhi is wakt uski tabiyat sahi nahi hai. Aise me tum sab ka mumbai jaana bahut jaruri hai.”

Lekin ami ne unki ye baat sunkar, tunakte huye kaha.

Ami boli “keerti didi aur vaani didi bas hi humari didi hai. Inke siwa humari koi didi nahi hai. Hume kisi ko dekhne mumbai nahi jana hai aur hum mumbai se bhi yaha kisi ko nahi aane dege.”

Ami ki is baat ne uske dil ka dar khul kar, humare samne la diya tha. Abhi tak kisi ne bhi is baat par dhyan nahi diya tha ki, chhoti maa aur keerti ko mumbai jaate dekh kar bhi, ami nimi ne unke sath mumbai jaane ki jid kyo nahi ki thi.

Lekin ab nimi ke is jabab se unke mumbai na jaane ki baat ka matlab samajh me aa gayi thi, unke man me ye dar ghar kar gaya hai ki, kahin priya ki vajah se mai un se door na ho jau.

Ami ki baat sunne ke bad, richa aunty ne unhe samjhana chaha. Lekin maine richa aunty ko chup rahne ka ishara kiya aur fir ami ne kaha.

Mai bola “betu, aisa nahi kahte. Tu priya ko apni didi nahi manti hai to, tujhe koi use apni didi manne ke liye majbur nahi karega. Lekin tu is baat ko kyo bhulti hai ki, priya ke humari bahan hone wali baat hume abhi pata chali hai.”

“Jabki priya to abhi is baat ko janti bhi nahi hai. Mumbai se tum logon ke liye sabse jyada gift usne hi bheje hai. Usne sirf tum logon ke liye gift hi nahi bheje hai. Balki mumbai me meri jaan bhi bachai hai.”

“Wo humari bahan bad me, uske pahle wo meri ek bahut achi dost hai. Magar mere liye priya se bad kar tum dono ki khushi hai. Yadi ye sab janne ke bad bhi, tum dono mumbai jaana nahi chhati ho to, hum hargij mumbai nahi jayege.”

Ami gaur se meri baat sun rahi thi. Abhi wo kuch bolne hi wali thi ki, tabhi shereen baji aa gayi. Un ne aate hi kaha ki, chanda mausi ami nimi ko puchh rahi hai. Unki baat sunkar, maine ami nimi ko chanda mausi ke pas jaane ka ishara kiya.

Jiske bad, ami ne nimi ka hath pakda aur dono chanda mausi ke pas jaane lagi. Usi samay wo wheelchair wali ladki I.C.U. room se wapas nikal aayi. Wo shayad waha kisi se milne aayi thi.

Mere dekhte hi dekhte wo ladki hospital se bahar nikal gayi. Wahin dusri taraf shereen baji ne hum sabko kisi gahri soch me dekha to, hum se iski vajah puchhne lagi.

Maine unhe kal se lekar abhi tak ki saari baten batane laga. Jise shereen baji aur sheza badi hairani ke sath sunti rahi. Jab mai apni baat bol kar chup hua to, shereen baji ne kaha.

Baji boli “ami nimi to abhi bacchi hai. Lekin tum to samajhdar ho. Tumhe ami nimi ko samjhana chahiye ki, priya unki didi hai aur unhe is samay uske pas rahna chahiye. Magar tum ho ki, unki haan me haan mila rahe ho.”

Mai bola “baji, aapki baat sahi hai. Lekin is samay unhe samajhne se jyada, unke dil se dar ko nikalna jaruri tha ki, priya ke meri bahan hone se, mere dil me unke liye jo pyar hai, usme koi kami nahi aayi hai.”

“Mujhe ummid hai ki, meri is baat ko sunne ke bad, wo khud hi khushi khushi mumbai jaane ke liye taiyar ho jayegi. Fir rahi baat unke priya ko apni didi manne ki to, is baat ko hum bad me bhi samjha sakte hai.”

Meri baat sunkar, richa aunty ne bhi meri baat ki sahmati di aur fir wo mujhse ghar jakar aaram karne ki baat kah kar, chanda mausi ke pas chali gayi. Kuch der bad, ami nimi humare pas wapas aa gayi.

Shereen baji aur sheza unse baat karne lagi. Lekin ab koi bhi mumbai ke baare me baat nahi kar raha tha. Jab ami ne kisi ko bhi mumbai ke baare me baat karte nahi dekha to, fir usne khud hi is baat ko suru karte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, yadi hum teeno bhi mumbai chale gaye to, fir yaha chanda mausi ka khayal kaun rakhega.”

Ami ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “chanda mausi ka khayal rakhne ke liye yaha par anu mausi, mausa ji, richa aunty aur mehul hai. Baji bhi yaha roj aati rahegi. Lekin jab hume waha jaana hi nahi hai to, fir iske baare me sochne ka kya fayda hai.”

Ami boli “nahi bhaiya, un ne aapki jaan bachayi thi. Hum unko dekhne jarur jayege. Lekin aap saare samay humare sath hi rahoge.”

Ami ki baton se mere sath sath shereen baji aur sheza ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Maine pyar se ami nimi ke sar par hath ferte huye kaha.

Mai bola “tum log jaisa chahti ho, waisa hi hoga. Mai hum logon ke chalne ki taiyari kar leta hu.”

Ami, nimi, baji aur sheza se thodi bahut baat aur karne ke bad, mai aaram karne mehul ke ghar jaane ke liye hua to, shereen baji mujhe hospital ke bahar tak chhodne ke liye aa gayi.

Mujhe laga tha ki, wo aise hi mujhe bahar tak chhodne aa rahi hai. Lekin aisa nahi tha, un ne bahar aate hi, mujhe kuch aisi baat batayi. Jise sunkar mujhe keerti ke upar gussa aane laga.

Lekin mai apna gussa dabaye, chup chap baji ki baten sunta raha. Apni baat khatam hone ke bad, baji ne muskurate huye mere hath me ek chhota sa box thama diya. Jise dekh kar, maine baji se kaha.

Mai bola “lekin baji aapke pas itne paise kaha se aaye.”

Baji boli “are mai job karti hu. Kya mere pas itne paise bhi nahi ho sakte. Ise tu apne janamdin ka gift samajh kar rakh le.”

Mai bola “kab se aap apne liye ek mobile lene ki soch rahi hai. Lekin aaj tak aap ek mobile nahi le payi aur aaj aapke pas achanak itne saare paise aa gaye ki, aap mujhe sona gift karne lagi.”

“Ab aap bekar me mujhe bahlana band kijiye aur sidhi tarah se bataiye ki aapke pas itne paise kaha se aaye hai. Yadi aapne mujhe sach nahi bataya to, fir aaj ke bad, mai bhi aapko kuch nahi batauga.”

Baji boli “tum jid kar rahe ho to suno. Maine jo paise apne mobile ke liye jode the, unse hi ye liya hai.”

Mai bola “baji, aap fir mujhse jhuth bol rahi hai. Yadi aapne itne paise apne mobile ke liye jod liye hote to, aapka mobile kab ka aa gaya hota. Yadi aap sach batana nahi chahti to, jhuth bhi mat bataiye.”

Baji boli “mai jhuth nahi bol rahi. Kuch paise mere mobile ke liye jode huye the aur baki ke paison ke liye maine apne kaan ke jhumke girvi rakhe hai.”

Baji ki baat sunkar, mai hairani se unki taraf dekhne laga. Mujhse to wo kabhi koi mahnga gift leti nahi thi aur aaj mere liye apne kaan ke jhumke tak, girvi rakh diye the. Is se pahle ki mai unse kuch bolta, un ne mujhe tokte huye kaha.

Baji boli “abhi tum is sabke baare me mat socho. Na to mai kahin bhagi ja rahi hu aur na hi mere jhumke kahin bhage ja rahe hai. Hum is baare me fursat se baith kar baten kar lege. Abhi tum ghar jakar aaram karo.”

Maine iske badle me baji se kuch bolna chaha to, un ne mujhse chup kara diya. Mujhe bhi unki ye baat manna sahi laga aur mai unse ami nimi ka khayal rakhne ki baat bol kar mehul ke ghar ke liye nikal liya.

Mai jab mehul ke ghar pahucha to 10:30 baj chuke the. Uncle apne kamre me the aur mehul, kamal ke sath baitha TV dekh raha tha. Shilpa dikhayi nahi di to, puchhne par pata chala ki, wo apne ghar ja chuki hai.

Mehul ne mujhse khane ka puchha to, maine sokar uthne ke bad, khana khane ki baat boli aur fir mai mehul ke kamre me aa gaya. Kamre me aakar maine kapde badle aur fir priya ke baare me sochte sochte meri nind lag gayi.

Fir meri nind 1:30 baje nimi ke jagane par khuli. Wo aur ami shilpa ke sath ghar aayi thi. Maine uth kar fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad, mai taiyar hokar bahar aaya to, ami, nimi, kamal aur mehul khane par mera intejar kar rahe the.

Unke sath shilpa bhi thi. Shilpa ko fir se yahi dekh kar, mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, abhi to nitika yaha nahi hai. Fir ye apne ghar me kya kah kar is tarah yaha ruki huyi hai.

Mai mehul se ye baat puchhna chahta tha. Lekin mai ye bhi janta tha ki, uske pet me ye baat jyada der tak nahi pach sakti. Wo mujhe khud hi saari baat bata dega. Isliye mai chup chap khana khane laga. Khana khane ke bad, maine mehul se kaha.

Mai bola “dekh, vaani didi ka call aate hi, mujhe kabhi bhi mumbai ke liye nikalna pad sakta hai. Mujhe apne mumbai jaane ke liye koi khas taiyari nahi karna hai. Lekin ami nimi ke saman ki packing karna bahut jaruri hai.”

“Tu aisa kar ki, shilpa aur ami nimi ko lekar ghar chala ja. Shilpa ami nimi ke saman ki packing kar degi aur tu mere saman ki packing dekh lena. Mai jo bag mumbai le gaya tha. Wo abhi waisa ka waisa hi mere kamre me rakha hua hai.”

“Maine usme se sirf pahne huye kapde alag kiye hai. Tu usme sirf kuch kapde rakh dena, iske siwa tujhe kuch bhi nahi karna hai. Mai keerti ko phone kar deta hu, wo shilpa ko sab bata degi.”

Maine mehul se packing ke bad, humare bag yahi laane ki baat bhi jatayi aur fir keerti ko bhi call karke saari baat bata di. Iske bad, mehul, shilpa aur ami nimi ko apne sath lekar mere ghar ke liye nikal gaya.

Ab mai aur kamal akele hi ghar me the. Thodi der mai kamal se yahan wahan ki baten karta raha. Iske bad kamal ne khud hi shilpa ke mehul ke ghar me ruke rahne ka saara raz khol kar diya.

Kamal se aise hi yahan wahan ki baat karte karte 4 baj gaya aur mehul log wapas aa gaye. Mehul ke aane ke bad mai uske sath hospital jane laga to, ami nimi bhi hospital jaane ki jid karne lagi.

Lekin maine unhe samjhaya ki, chhote bacchon ka hospital me jyada der rahna unki sehat ke liye acha nahi hota hai. Mere samjhane par wo meri baat samajh gayi aur fir mai mehul ke sath hospital ke liye nikal gaya.

Shereen baji aur sheza, roze ki vajah se, mere hospital pahuchne ke kuch der pahle hi ghar ja chuki thi. Ab chanda mausi ki haalat me bhi bahut kuch sudhar tha. Lekin abhi unhe kam se kam ek hafte ICU me hi rahna tha.

Din ke samay me chanda mausi ke pas richa aunty aur bua ji (vaani didi ki mummy) thi. Jabki raat ke samay me unke pas anu mausi ko rukna tha. Chhoti maa ke na rahne par bhi bahut achi tarah se chanda mausi ka khayal rakha ja raha tha.

Itne saare logon ke chanda mausi ke pas bane rahne se mujhe kisi baat ki koi chinta nahi thi. Shayad apne parivar ke sath rahne ka sabse bada fayda yahi hota hai ki, badi se badi musibat ghadi bhi apna jyada asar nahi dikha pati hai.

Mai hospital aane ke bad, baki ke saare samay hospital me hi raha. Bich bich me meri chhoti maa, vaani didi, keerti, shikha didi aur raj logon se bhi baat hoti rahi. Lekin nikki abhi bhi mujhse baat nahi kar rahi thi.

Aise hi dekhte dekhte sham ke 7 baj gaye aur mujhe ami nimi, shilpa ke sath hospital ke andar aati najar aayi. Unhe itni samay hospital me dekh kar, mai unhe gusse me ghurne laga. Lekin ami ne mere pas aate hi, apni safayi dete huye kaha.

Ami boli “bhaiya, humne hospital aane ki jara bhi jid nahi ki thi. Aunty ne hi ghar phone karke kaha tha ki, tum dono shilpa didi ke sath yaha aa jao. Fir hum charo ghar wapas chalege.”

Ami ki is baat ke bad, mere pas us par gussa karne ke liye kuch nahi bacha tha. Fir bhi maine apni baat rakhne ke liye us se kaha.

Mai bola “tum teeno yaha ho to, fir abhi uncle ke pas kaun hai.”

Ami boli “abhi uncle ke pas kamal bhaiya aur atul bhaiya (mehul ka dost) hai. Mehul bhaiya ne hi atul bhaiya ko uncle ke pas ghar bheja hai.”

Ami ki baat sunkar, maine use chanda mausi ke pas jaane ko kaha aur mai mehul ki taraf dekhne laga. Mehul ne is baat par safayi dete huye kaha.

Mehul bola “mai ye baat tujhe batane hi wala tha. Magar tu us samay kisi se phone par baat karne me laga tha. Uske bad ye baat mere dimag se hi nikal gayi.”

Itna kah kar, wo mujhse pichha chhudane ke liye ami nimi ke pichhe pichhe chanda mausi ke pas chala gaya. Mai uski is harkat ko achi tarah se samajh gaya tha. Isliye uski is harkat par muskuraye bina na rah saka.

Asal me shilpa abhi ek baar bhi chanda mausi se milne nahi aayi thi. Isliye mehul ne ami nimi ke bahane se shilpa ko hospital bulaya tha. Usne ghar me mujhe ami nimi ko hospital aane se mana karte bhi dekh liya tha.

Jis vajah se use is baat ka dar bhi laga hua tha ki, kahin mai ami nimi ke hospital aane ki baat sunkar, unhe hospital aane se mana na kar du. Isliye usne ami nimi ke shilpa ke sath, yaha aane ki baat mujhe nahi batayi thi.

Wo jarurat se bahut jyada tej bhag raha tha aur is teji me wo ye tak bhool gaya tha ki, shilpa ke baare me vaani didi sab kuch janti hai. Abhi wo bahut si baton me uljhi hone ki vajah se is baat ko thande baste me daal kar chali gayi hai.

Lekin yahan na hote huye bhi, unki bahut si aankhen yahan lagi huyi hai aur unhe yahan ki pal pal ki khabar mil rahi hai. Jab wo mumbai se yahan wapas aayegi to, iski ye saari harkaten, iske sath sath pata nahi kis kis ko le dubegi.

Mai abhi inhi sab baton me khoya hua tha ki, tabhi richa aunty phone par baat karte huye bahar aayi. Un ne mere pas aakar mujhe bataya ki, vaani didi ka phone hai. Mere hello kahte hi, vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “tumhare liye ek achi khabar hai. Ab tum kisi bhi samay yaha aa sakte ho. Tum fauran apne yaha aane ki taiyari kar lo.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, mere chehre par khushi ki lahar daud gayi aur maine dhadakte dil se un se kaha.

Mai bola “didi, meri wahan aane ki saari taiyari hai. Lekin kya padmini aunty ki ladki ka pata chal gaya hai.”

Vaani didi boli “haan, uska bhi pata chal gaya hai. Tum yaha aa jao, tumhe bhi sab pata chal jayega. Tum 8 baje se 10:30 baje tak ki, jis bhi flight se yaha aana chaho, us se aa sakte ho.”

“Mai abhi manik ko call kar deti hu. Wo kuch hi der me tumhare pas pahuch jayega. Tum us se jis flight ka bologe, wo us flight se tumhare yaha aane ka intejam kar dega.”

Iske bad, vaani didi ne mujhe kuch jaruri baten samjha kar, call rakh diya. Unke call rakhne ke bad, maine saari baten richa aunty ko batayi to, un ne kaha.

Richa aunty boli “haan, vaani mujhe ye sab baten bata chuki hai. Maine ami nimi ki bhi vaani se baat karwa di thi. Warna wo fir se koi naya natak suru kar deti.”

Richa aunty ki ye baat sunkar, meri hansi chhut gayi. Fir unke sath chanda mausi se milne aa gaya. Maine un se apne aur ami nimi ke mumbai jaane ki baat batayi to, un ne bade pyar se mujhe aashirwad diya.

Meri chanda mausi se baat chal hi rahi thi ki, tabhi manik aa gaya. Usne mujhse flight ka puchha to, maine us se 9:30 baje ki flight ka jata diya. Usne hum logon se airport par milne ki baat kahi aur wo chala gaya.

Uske jaate hi, hum chanda mausi, richa aunty aur bua ji se ijajat lekar, mehul ke ghar ke liye nikal pade. Shilpa bhi humare sath hi ghar wapas ja rahi thi. Ratse me maine ye baat batane ke liye, anu mausi ko call laga diya.

Lekin chhoti maa ne anu mausi ko call karke ye baat pahle hi bata di thi aur ab wo mehul ke ghar me humare aane ka intejar kar rahi thi. Kuch hi der me hum log mehul ke pahuch gaye.

Hume waha anu mausi aur uncle se milkar sidhe airport ke liye nikalna tha. Magar waha khana laga dekh kar, hum sab chauk gaye. Hume hairan dekh kar, anu mausi ne tokte huye kaha.

Anu mausi boli “jyada chaukne ki jarurat nahi hai. Tum sabko to der se khana khane ki aadat hai. Lekin mai ami nimi ko khana khaye bina yahan se nahi nikalne dungi. Isliye inke sath tum sabko bhi khana khana padega.”

Anu mausi ki ye baat sunkar, meri aankhon me keerti ka chehra aa gaya. Usne bhi chhoti maa ko bina khana khaye, ghar se nahi nikalne diya tha.

Maine ami nimi se khana khane ko kaha aur mai bhi unke sath khane ke liye baith gaya.

Waise to jab se maine priya ki tabiyat ka suna tha, ek niwala bhi mere gale se nahi utarta tha. Magar apni dono bahno ki khushi ke liye mujhe unke sath khane ke liye baithna hi padta tha.

Lekin aaj anu mausi ke pyar ne mujhe khane ke liye baithne par majbur kar diya tha. Hum sabne ek sath mil kar khana khaya. Khane ke bad, uncle aur anu mausi se ijajat lekar, hum airport ke liye nikal pade.

Hum 9 baje airport pahuche. Lekin manik ke wahan hone se, hume airport me kahin koi pareshani nahi huyi. Kuch hi der me humari flight ki ghoshna bhi ho gayi aur hum mehul se vida lekar flight ki taraf bad gaye.

Kuch hi der bad, mai ami nimi ke sath plane me tha. Ami nimi ka plane me safar karne ka ye pahla mauka tha. Isliye dono is safar ko lekar bahut hi jyada utsahit najar aa rahi thi.

Humhari flight ke udan bharte hi ami nimi ka josh dugna ho gaya. Wo viman ki khidki se viman ko dharti se upar jaate dekh rahi thi. Viman ke upar jaane se chhote chhote makano ko dekh kar nimi shor machane lagi.

Mai nimi ko shor machane se mana kar raha tha. Lekin wo bhi apni aadat se majbur kuch der chup rahne ke bad, fir se shor machane lagti thi. Kuch der tak aise hi chalta raha.

Lekin kuch der bad, nimi achanak hi chup ho gayi aur apne dono hathon se apne kaano ko masalne lagi. Fir achanak hi usne rona suru kar diya aur rote huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, mere kaan sunya ho gaye. Mere kaan kharab ho gaye hai.”

Nimi ki baat sunkar, ami ne bhi uski haan me haan milate huye kaha.

Ami boli “bhaiya, mere kaan bhi sunya ho gaye hai. Mujhe bhi kam sunayi de raha hai.”

Unki baat sunkar, maine unhe samjhate huye kaha.

Mai bola “chhoti, tum dono bekar me dar rahi ho. Hum humara plane ab aasman me hai aur hawa ka dabaw kam hone ki vajah se aisa ho raha hai. Tumhare kaan ko kuch bhi nahi hua hai. Wo bilkul sahi hai.”

Meri baat sunkar, dono ne rahat ki saans li aur fir se plane ke bahar dekhne lagi. Ami nimi ki chhoti moti shararaton ke bich humara mumbai tak ka safar pura ho gaya aur 12 baje flight ne udan bharna band kar diya.

Mai ami nimi ke sath plane se niche utar aaya. Vaani didi ne kaha tha ki, wo hume lene aayegi. Isliye mai unko dekhte huye, waiting lounge ki taraf bad gaya. Waiting lounge me hume vaani didi, keerti aur barkha didi najar aa gayi.

Unko dekhte hi, nimi ne keerti ki taraf daud laga di. Mai aur ami bhi jaldi se unke pas pahuch gaye. Vaani didi ne mujhe apne gale se laga liya aur fir mere baalon par hath fer kar mera swagat karne lagi.

Barkha didi ne bhi muskurate huye mera swagat kiya. Keerti bhi mujhe dekh kar, bahut khush najar aa rahi thi. Lekin mai us se narajgi vajah se us ki taraf dekh bhi nahi raha tha.

Kuch hi der me hum airport se bahar aa gaye. Barkha didi, keerti aur ami nimi gaadi me pichhe baith gayi aur mai vaani didi ke sath gaadi me aage baith gaya. Lekin ab keerti mujhe gusse me dekh rahi thi.

Isi sabke bich hum log hospital pahuch gaye. Mere mumbai aane ki khabar sabko ho chuki thi. Isliye itni raat ho jaane ke bad bhi, abhi tak sabhi log hospital me hi ruke huye the.

Hospital me is samay chhoti maa, alka aunty, shikha didi, nisha bhabhi, ajay, aman, seeru didi, nikki, aakash uncle, padmini aunty, mohini aunty, raj, riya, nitika aur neha maujud the.

Chhoti maa ne mujhe dekhte hi apne gale se laga liya. Ami nimi bhi aakar chhoti maa se lipat gayi. Chhoti maa se milne ke bad, mai shikha didi se mila. Un ne bhi mujhe apne gale se laga liya.

Mujhe apne samne sahi salamat dekh kar, unki aankhon se khushi ke aansu chhalak nikal aaye. Maine unke aansu ponchhte huye kaha.

Mai bola “didi, ab to aapne dekh liya na ki, mai bilkul sahi salamat hu. Ab aap bilkul bhi aansu nahi bahayegi. Mujhse to aapne bahut laad kar liya. Ab apna thoda sa laad, meri do nanhi shaitano ke liye bacha kar rakh lijiye.”

Ye kahte huye maine ami nimi ko apne pas bulaya aur unhe shikha didi se milane laga. Ami nimi ko shikha didi ke pas chhod kar, mai padmini aunty ke pas aa gaya. Priya ki vajah se unki aankhen aansuon se bhari huyi thi.

Unhe dilasha dene ke bad mai aakash uncle aur raj, riya se mila. Un se milne ke bad, mai ajay aur aman se mila. Fir seeru didi se milne ke bad, mai nikki ke pas aa gaya. Nikki abhi bhi mujhse naraj lag rahi thi.

Mai uski narajgi ko door karna chahta tha. Magar uske liye ye samay sahi nahi tha. Isliye maine nikki se priya ka haal puchhte huye kaha.

Mai bola “priya ab kaisi hai. Kya mai abhi priya se mil sakta hu.”

Nikki boli “haan tum priya se mil sakte ho. Tum chal kar khud apni aankhon se dekh lo ki, wo kaisi hai.”

Ye kahte huye, usne mujhe apne sath chalne ka ishara kiya. Mai nikki ke sath priya ke pas jaane laga. Hume priya ke pas jaate dekh kar, nisha bhabhi riya aur keerti bhi humare pichhe aane lagi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 208}
____________________________

Mujhe apne samne sahi salamat dekh kar, shikha didi ki aankhon se khushi ke aansu chhalak aaye. Maine unke aansu ponchhte huye kaha.

Mai bola “didi, ab to aapne dekh liya na ki, mai bilkul sahi salamat hu. Ab aap bilkul bhi aansu nahi bahayegi. Mujhse to aapne bahut laad kar liya. Ab apna thoda sa laad, meri do nanhi shaitano ke liye bacha kar rakh lijiye.”

Ye kahte huye maine ami nimi ko apne pas bulaya aur unhe shikha didi se milane laga. Ami nimi ko shikha didi ke pas chhod kar, mai padmini aunty ke pas aa gaya. Priya ki vajah se unki aankhen aansuon se bhari huyi thi.

Unhe dilasha dene ke bad mai aakash uncle aur raj, riya se mila. Un se milne ke bad, mai ajay aur aman se mila. Fir seeru didi se milne ke bad, mai nikki ke pas aa gaya. Nikki abhi bhi mujhse naraj lag rahi thi.

Mai uski narajgi ko door karna chahta tha. Magar uske liye ye samay sahi nahi tha. Isliye maine nikki se priya ka haal puchhte huye kaha.

Mai bola “priya ab kaisi hai. Kya mai abhi priya se mil sakta hu.”

Nikki boli “haan tum priya se mil sakte ho. Tum chal kar khud apni aankhon se dekh lo ki, wo kaisi hai.”

Ye kahte huye, usne mujhe apne sath chalne ka ishara kiya. Mai nikki ke sath priya ke pas jaane laga. Hume priya ke pas jaate dekh kar, nisha bhabhi riya aur keerti bhi humare pichhe aane lagi.

Priya ke room ki taraf badte har kadam ke sath sath, mere dil ki dhadkane bhi teji se bad rahi thi. Mai abhi priya ke kamre ke pas pahucha hi tha ki, tabhi mera mobile bajne laga.

Maine mobile nikal kar dekha to, anu mausi ka call aa raha tha. Maine sabko ye baat batayi aur sabse andar chalne ko kah kar, mai mausi se baat karne ke liye bahar hi ruk gaya.

Meri baat sunkar, sab andar chale gaye. Magar keerti mere pas hi khadi thi. Maine uski taraf dekha to, wo yaha waha najar ghuma kar dekhne lagi. Maine uski is harkat ko andekha karte huye, mausi ka call utha kar kaha.

Mai bola “hello mausi.”

Anu mausi boli “tum sab ache se pahuch gaye ho na. Vaani tumko lene samay par pahuch gayi thi na.”

Mai bola “ji mausi, hum sab yaha pahuch gaye hai. Vaani didi bhi hume lene samay par aa gayi thi aur abhi hum sabke sath, yaha hospital me hai.”

Mausi boli “tu priya se mila ki nahi, ab priya ki tabiyat kaisi hai.”

Mai bola “nahi mausi, abhi mai priya se nahi mila hu. Mai us se milne ja hi raha tha ki, tabhi aapka call aa gaya. Mai abhi priya ke kamre ke bahar hi khada hu.”

Mausi boli “chal thik hai, tu priya se mil le. Maine sirf ye kahne ke liye call kiya tha ki, maine tujhse jo kuch bhi kaha hai, wo sab tu sunita se mat kah dena. Sahi samay aane par, wo khud hi tujhe saari baten bata degi.”

Mai bola “mausi, aap jara bhi fikar mat karo. Chhoti maa mujhe kuch bataye ya na bataye, mai unse koi sawal jabab nahi karuga aur na unke samne aapse huyi kisi baat ka jikar karuga.”

Meri baat sunkar, anu mausi ne rahat ki saans li aur fir priya ka haal batane ki kah kar call rakh diya. Unke call rakhne ke bad, maine keerti ki taraf dekha to, wo bade gaur se meri aur anu mausi ki baten sunne me lagi thi.

Mere uski taraf dekhte hi, wo fir se yaha waha dekhne lagi. Use samajh me to aa gaya tha ki, mai uski mummy se baat kar raha hu. Lekin mera bigda hua mood dekh kar, uski mujhse kuch puchhne ki himmat nahi ho rahi thi.

Uski is harkat par mujhe hansi to, bahut aa rahi thi. Lekin mai kisi tarah se apni hansi ko rokte huye priya ke kamre ki taraf bad gaya. Mujhe priya ke kamre me jaate dekh kar, keerti bhi mere pichhe pichhe aane lagi.

Sabko bahar khade dekh kar, meri samajh me nahi aa raha tha ki, is samay priya ke pas kaun hai. Lekin priya ke kamre me kadam rakhte hi, dada ji ko waha dekh kar, meri ye hairani khud ba khud door ho gayi.

Ek najar waha khade sab logon par dalne ke bad, maine priya ki taraf dekha to, wo behoshi ki haalat me bed par leti thi. Uske chehre par abhi bhi jamane bhar ki masumiyat tair rahi thi.

Use dekh kar aisa lag raha tha ki, jaise wo bahut gahri nind me so rahi ho aur abhi uth kar, hum sab se baten karne lagegi. Uske is masoom chehre ko dekh kar, mere kaano me uski hansi goonjne lagi.

Mai abhi priya ko dekhne me hi khoya hua tha ki, tabhi dada ji mere pas aa gaye. Unki aankhen aansuon se bheegi huyi thi. Mere pas aate hi, un ne mere gale lagte huye kaha.

Dada ji bole “beta dekho, humari priya ko kya ho gaya hai. Ye kal se aankh tak nahi khol rahi hai. Is se bolo na, hum sab se baat kare.”

Dada ji ki baat sunkar, mera dil bhar aaya. Lekin maine apne aapko sambhalte huye un se kaha.

Mai bola “dadu, aap fikar mat kijiye. Priya ko jaldi hi hosh aa jayega. Humari priya ko…………”

Lekin mai apni baat puri bhi nahi kar paya tha ki, meri aankhon ke samne priya ka hansta khilkhilata chehra aa gaya aur mere kaano me priya ki hansi goonjne lagi. Jiske goonjte hi, mera gala rundh gaya.

Mujhse aage kuch bhi kahte nahi bana aur priya ka chehra dekh dekh kar meri aankhon me nami chhane lagi. Jo ladki mere aane ki aahat se hi, mujhe pehchan jaya karti thi. Aaj use mere uske pas aane ka koi aehsas nahi tha.

Jo ladki mujhse hamesha saaye ki tarah chipki rahna chahti thi, wo aaj mujhe aankh khol kar dekh tak nahi rahi thi. Jo ladki mujhe apni jaan se bhi jyada pyar karti thi, wo hi mere samne bejan padi thi.

Magar mere liye sabse dard dene wali baat ye thi ki, jo ladki mere samne bejan si padi thi, wo meri judwa bahan thi. Mai uski khushi ke liye na to kal kuch kar saka tha aur na hi aaj uske liye kuch kar pa raha tha.

Meri is bebasi ne meri aankhon ki nami ko aansuon me badal diya. Mai dada ji ko dilasa dete dete khud hi un se lipat kar rone laga. Keerti ne mujhe rote dekha to, usne mere kandhe par hath rakha aur mujhe samjhane lagi.

Magar keerti ko apne pas pakar, meri rahi sahi himmat bhi jabab de gayi. Wo hi to ek thi, jo mere dard ko achi tarah se samajh sakti thi. Uske siwa meri haalat ko samajhne wala koi nahi tha.

Keerti ke samajhane ke mere upar koi asar nahi pada aur mai us se hi lipat kar rone laga. Mere is tarah rone ne keerti ki aankhon ko bhi aansuon se bhar diya aur uska mujhe samjhana band ho gaya.

Wo mujhe samjhana chahte huye bhi, apne khud ke bahte aansuon ki vajah se mujhse kuch bol nahi pa rahi thi. Wo apne honthon se apne aansu peeti ja rahi thi aur meri peeth par hath ferte huye, mujhe shant karwane ki kosis kar rahi thi.

Nisha bhabhi ne jab mujhe is tarah se rote dekha to, wo mere pas aa gayi. Un ne pyar se mere sar par hath fera aur mujhe hausla rakhne ko kahne lagi. Unki baton ka mere upar asar hua aur mai apne aapko sabhalne ki kosis karne laga.

Abhi wo mujhe hausla rakhne ke liye samajh hi rahi thi ki, tabhi nikki ne hum sabko chaukate huye kaha.

Nikki boli “bhabhi, bhabhi, ye dekhiye, priya ki aankh se aansu nikal rahe hai.”

Nikki ki baat sunte hi, nisha bhabhi mere pas se hat kar, priya ke pas chali gayi aur hum sab ki najar bhi priya ke chehre par jakar jam gayi. Priya ki aankhon ke kinaron se sach me aansu ki dharayen bah rahi thi.

Ye dekhte hi, nisha bhabhi ko laga ki, priya ko hosh aa raha hai. Wo priya ke gaal thapthapa kar use jagane ki kosis karne lagi. Lekin priya ke sharir ne koi bhi harkat nahi ki aur wo behosh hi padi rahi.

Nisha bhabhi ne nikki se fauran aman ko bulane ko kaha aur wo khud nidhi didi ko call karke ye sab baten batane lagi. Nisha bhabhi ki baat sunte hi nikki ne bahar ki taraf daud laga di.

Nisha bhabhi ne nidhi didi se baat karke phone rakha hi tha ki, nikki ke sath aman aur baki log bhi humare pas aa gaye. Nisha bhabhi ne priya ke aansu wali baat aman ko batayi to, wo bhi priya ko dekhne laga.

Lekin use bhi priya ke sharir me koi harkat hoti najar nahi aayi. Magar priya ke aansuon ne hum sabke man me priya ke hosh me aane ki ek ummid ki kiran jarur jaga di thi.

Kuch hi der me nidhi didi bhi aa gayi. Un ne aakar priya ko dekha aur uski kuch jaruri janch karne ke bad hum sab se kaha.

Nidhi didi boli “priya ki abhi ki report se to uski haalat me koi sudhar hota najar nahi aa raha hai. Lekin uske aansu nikalne se is baat ki ummid jarur jatayi ja sakti hai ki, wo jaldi hi hosh me aa sakti hai.”

Nidhi didi ki is baat ko sunkar, ek baar fir hum sab ke chehre latak gaye. Humare latke huye chehre dekh kar, aman ne hume samjhate huye kaha.

Aman bola “are aap sab is tarah nirash kyo hote hai. Aap logon ko shayad malum nahi ki, ek accident me aru ki haalat priya se bhi kahin jyada kharab ho gayi thi aur wo teen din tak hosh me nahi aayi thi.”

“Sabko lag raha tha ki, aru coma me chali jayegi. Lekin maine ummid nahi chhodi thi aur mai ghanton aru ke pas baith kar baten kiya karta tha aur aise hi meri baten sunte sunte teesre din aru ko hosh aa gaya tha.”

“Abhi bhi shayad aap logon ke bich chal rahi baton ki vajah se hi, priya ke aansu nikal aaye. Aap log yadi apni nirasha ko chhod kar, priya se baten karte rahege to, use jaldi hi hosh aa jayega.”

Hum sab gaur se aman ki baten sun rahe the. Mai nisha bhabhi aur ajay se is baare me pahle hi sun chuka tha. Isliye mujhe aman ki ye baat sahi lag rahi thi. Lekin nidhi didi ne aman ki is baat ko kaatte huye kaha.

Nidhi didi boli “kya jiju, aap ek doctor hokar bhi ye kaisi baten kar rahe hai. Abhi priya ke dimag ne puri tarah se kaam karna band kar diya hai. Jis vajah se wo humari kisi baat ko sun aur samajh nahi sakti hai.”

“Uske kaano tak humari baten jaati to jarur hai. Lekin humari baten uske kaan ke parde me padte hi, kisi kaanch ki tarah toot kar bikhar jaati hai aur uska dimag un baton ko jod nahi pata hai.”

“Isliye humhare kuch bhi bolne ya karne ka us par koi asar nahi padega aur na hi humare kuch karne se uska sharir koi harkat karega. Ye to abhi kisi sui ki chubhan tak mehsus nahi kar sakti.”

Ye kahte huye, nidhi didi ne ek injection liya aur priya ke hath me lagane lagi. Unke priya ko injection lagane par bhi priya ke sharir me koi harkat nahi huyi. Priya ko injection lagane ke bad, nidhi didi ne kaha.

Nidhi didi boli “aap log bilkul bhi nirash mat hoiye, priya ko jaldi hosh aa jayega. Yadi priya ko kal tak hosh nahi aaya to, parson hum priya ko apne naye hospital me shift kar dege.”

“Parson humare naye hospital ka lokarpan (Inauguration) hai aur usme mere guru Dr. robert bhi aa rahe hai. Dr. robert duniya ke Number One neurologist hai aur unki safalta ka pratishat, shat-pratishat (Cent percent) hi raha hai.”

“Meri unse priya ke baare me charcha ho chuki hai aur wo khud bhi aakar priya ko dekhege. Lekin uske pahle mai aap sab se priya ko lekar kuch jaruri baten karna chahti hu.”

Ye kahte huye nidhi didi ne hum sab se apne sath chalne ka ishara kiya aur wo priya ke kamre se bahar nikal gayi. Maine ek najar priya ki taraf dekha aur fir sabke sath sath mai bhi nidhi didi ke pichhe pichhe jane laga.

Nidhi didi hum sabko nisha bhabhi ke room me lekar aa gayi. Un ne hum sabko baithne ko kaha aur fir apni baat ko aage badate huye kaha.

Nidhi didi boli “aap sabko pata hai ki, priya dil ki marij hai aur is hadse ke bad wo dimag ki marij bhi ban gayi hai. Coma ek aisi bimari hai, jisme marij ka dimag so jaata hai aur uske dil ke alawa baki ka sharir kaam karna band kar deta hai.”

“Coma ke marij ke liye ye kahna mushkil hota hai ki, wo kab coma se bahar aayega. Kabhi kabhi to coma ka marij jindgi bhar hi coma me rahta hai aur kabhi kabhi aisa hota hai ki, coma ke marij ke coma se bahar aa jaane ke bad bhi, uske sharir ke kuch hisse jindgi bhar kaam nahi kar pate.”

“Ye sab baten aapko batane ke pichhe mera maksad aapko darane ya aapse ye kahne ka nahi hai ki, priya puri tarah se thik nahi ho sakti. Balki mai aapko sirf itna samjhana chahti hu ki, priya ke coma bahar aa jane ke bad bhi, uske dimag ko puri tarah se thik hone me ek lamba samay lag sakta hai.”

“Priya ke dil ki marij hone ki vajah se uske liye koi bhi sadma pahle hi jaan lewa tha. Aise me ab uske dimagi taur par bhi bimar ho jaane ki vajah se uski haalat aur bhi jyada sangeen ho gayi hai.”

“Ab koi bhi sadma uske dil aur dimag dono par bahut jyada asar karega aur yadi aisi haalat me use pata lage ki, wo itne barson tak jis ghar me pali badi, wo us ghar ki beti nahi hai to, is baat ka us par bura asar pad sakta hai.”

“Use aakash uncle ki beti na hokar, punit ki bahan hone wali baat ka hargij pata nahi chalna chahiye. Hume uske coma se bahar aane ke bad bhi, uske samne wahi mahol bana kar rakhna hoga, jo uske coma me jaane se pahle tha.”

“Yadi use bhoole se bhi is baat ki bhanak lag gayi aur wo fir se coma me chali gayi to, fir use dobara coma se bahar la pana humare to kya, bhagwan ke bas ki bhi baat nahi hogi.”

Itna bol kar nidhi didi chup ho gayi. Lekin unki ye baat sunte hi padmini aunty fafak kar ro padi. Unhe rote dekh kar, chhoti maa ne unhe dilasa dete huye kaha.

Chhoti maa boli “priya ko kuch nahi hoga. Wo jaldi hi thik ho jayegi. Wo thik ho jaye, is se jyada mujhe kuch nahi chahiye. Aapka aaj bhi priya par utna hi haq hai, jitna aaj se pahle tha.”

“Aap jab tak use apni beti bana kar rakhna chahe, rakh sakti hai. Priya aapke ghar ki nahi, humare ghar ki beti hai, ye baat mere ya mere ghar walon ke muh se ye baat kabhi bhi nahi niklegi.”

“Hum isi baat se santosh kar lege ki, humari beti sahi salamat hai aur ek aise parivar me hai, jahan use apne ghar se bhi jyada pyar mil raha hai. Fir bhi use humare ghar ki har chij par utna hi adhikar rahega, jitna ki punnu ko hai.”

Itna bol kar chhoti maa chup ho gayi. Lekin unke muh se priya ke padmini aunty ki beti bankar hi rahne ki baat sunkar, padmini aunty ke sath sath aakash uncle ki aankhon se aansu aa gaye.

Wo priya se kitna pyar karte the, ye baat mujhse chhupi nahi thi. Maine unhe sabse jyada priya se hi laad karte dekha tha. Aise me priya ke unse door hone ki baat se unke dil par kya gujari hogi, ye to unke siwa koi nahi jaan sakta tha.

Lekin is samay unke chehre par jo khushi jhalak rahi thi. Wo hum sabko jarur dikhayi de rahi thi. Lekin ye haal sirf padmini aunty aur aakash uncle bas ka nahi tha, balki raj aur riya ka bhi kuch aisa hi haal tha.

Un ne bhi jab chhoti maa ke muh se ye baat suni to, unki aankhon me bhi aansu jhilmilane lage aur dono uth kar, chhoti maa ke pas aa gaye. Riya aakar chhoti maa se lipat gayi aur raj ne jhuk kar, chhoti maa ke pair pakad liye.

Chhoti maa ne raj ko apne pairon se uthaya aur riya ke sath sath use bhi apne gale se laga liya. Riya ne chhoti maa ko apni bahon me jor se jakadte huye kaha.

Riya boli “aunty, humne jitna socha tha, aap to us se bhi jyada mahan hai. Aapne ek pal me hi humare ghar ki saari raunak, saari khushiyan hume wapas kar di.”

Raj aur riya dono chhoti maa se lipte huye the aur unki aankhon se khushi ke aansu bah rah the. Ye najara dekh kar, hum sabki aankhen bhi nam ho gayi. Wahin chhoti maa ne riya ki baat par samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “nahi beti, maine koi mahan kaam nahi kiya. Mai bhi ek maa hu aur ek maa ke dard ko achi tarah se samajh sakti hu. Punnu ko maine nimi ki umar se paala hai aur aaj meri khud ki do betiyan hai.”

“Iske bad bhi yadi aaj koi mujhe punnu se alag kar de to, meri jaan hi nikal jayegi. Fir tumhari maa ne to priya ke janam ke bad se hi, use apna dudh pila kar paala hai. Unke liye to priya ko chhod pana aur bhi jyada mushkil kaam hai.”

“Aaj jise tum meri mahanta kah rahi ho. Kal yahi baat jab logon ko pata chalegi to, wo ye hi kahege ki, meri khud ki do betiyan thi, isliye maine punnu ki sagi bahan ko us se door kar diya. Kyoki mai ek sauteli……”

Abhi chhoti maa apni baat puri bhi nahi kar payi thi ki, maine fauran hi unki baat ko bich me hi kaat kar, gusse me bhadakte huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, kaun log, kaise log, aap logon ke kuch kahne ki parwah mat kijiye. Mai manta hu ki, aapne jo faisla liya hai. Bilkul sahi faisla liya hai. Mai aapke is faisle ke sath hu.”

“Lekin apne muh se dobara kabhi bhi is baat ko mat nikalne dena ki, aap meri sauteli maa hai. Aap sirf meri maa hai. Mere liye aapse bad kar, duniya me na to koi tha, na hi koi hai aur na hi kabhi koi hoga.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ke chehre par muskurahat aa gayi aur baki sab bhi hanse bina na rah sake. Wahin jab vaani didi ne mujhe ye kahte suna to, pyar se mere sar ke pichhe chapat laga di.

Lekin vaani didi ki ye pyar se lagayi chapat bhi itni jordar thi ki, mai apne sar ke pichhe hath ferne laga aur sab vaani didi ko gaur se dekhne lage. Vaani didi ko bhi apni is galti ka aehsas hua aur un ne baat ko sambhalte huye kaha.

Vaani didi boli “ye pahle se bahut samajhdar ho gaya hai. Lekin gussa abhi bhi iski naak par hi baitha rahta hai. Pata nahi iski ye jara jara si baat par gussa karne ki aadat kab jayegi.”

Vaani didi ki baat sunkar, ek baar fir sabki hansi chhut gayi. Ab jab hansi majak chal raha ho aur seeru didi chup rah jaye. Aisa kaise ho sakta tha. Un ne vaani didi ki baat sunte hi, fauran sabko apni upastithi ka aehsas karate huye kaha.

Seerat boli “yadi iske gussa karne ke bad, aap ise aisi hi pyar bhari chapat lagati rahi to, mujhe ummid hai ki, iska gussa jaana to door ki baat hai, aana bhi bhool jayega.”

Seeru didi ki baat sunkar, ek baar fir sabke kahkahe goonj gaye. Ab sabke chehro par muskurahat najar aa rahi thi. Lekin neha kisi gahri soch me padi huyi thi. Vaani didi neha ko kisi soch me pada dekha to, sabka dhyan apni taraf khichte huye kaha.

Vaani didi boli “humne is baat ka faisla to kar liya ki, priya abhi padmini aunty ke pas hi rahegi. Lekin kisi ne ye nahi socha ki, neha to padmini aunty ki beti hai aur ab unke sath hi rahegi.”

“Ab yadi neha padmini aunty ke sath rahegi to, hume priya ko neha ke baare me kuch to batana hi padega ki, wo ab uske ghar me kis haisiyat se rah rah rahi hai. Ye baat to hum priya se chhupa kar rakh nahi sakte.”

Vaani didi ke muh se neha ke padmini aunty ki asli beti hone ki baat sunkar mujhe ek jhatka sa laga. Kyoki abhi tak mai padmini aunty ki asli beti kaun hai, is baat se puri tarah se anjan tha.

Lekin neha ke padmini aunty ki beti hone ki baat pata chalte hi, mujhe ye baat bhi samajh me aa gayi ki, durjan hi wo aadmi tha, jo priya ko bachpan me lekar bhaga tha. Magar usne aisa kyo kiya tha, ye baat abhi bhi mere liye ek raz hi thi.

Mai abhi isi soch me khoya hua tha ki, tabhi vaani didi ki baat sunte hi, raj ne tapak se kaha.

Raj bola “didi, isme pareshani wali koi baat nahi hai. Neha aur priya dono hi humari bahan hai. Hum punnu ki jagah neha ko priya ki judwa bahan bata dege aur baki ki kahani wo hi bata sakte hai, jo abhi hai.”

Raj ki ye baat sabhi ko sahi lagi aur sabne is baat par apni sahmati de di. Is baat ko sunte hi, neha ke chehre par bhi khushi jhalakne lagi. Aakhir us ghar ki asli beti to, wo hi thi aur usko andekha kiye jane se uska pareshan hona bhi galat nahi tha.

Lekin vaani didi ki samajhdari ne uske man ke is dar ko bhi alag kar diya tha aur ab sab khush najar aa rahe the. Lekin ab neha ke padmini aunty ki beti hone ki baat ne mere man me bahut saare sawal paida kar diye the.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 209}
____________________________

Vaani didi ke muh se neha ke padmini aunty ki asli beti hone ki baat sunkar mujhe ek jhatka sa laga. Kyoki abhi tak mai padmini aunty ki asli beti kaun hai, is baat se puri tarah se anjan tha.

Lekin neha ke padmini aunty ki beti hone ki baat pata chalte hi, mujhe ye baat bhi samajh me aa gayi ki, durjan hi wo aadmi tha, jo priya ko bachpan me lekar bhaga tha. Magar usne aisa kyo kiya tha, ye baat abhi bhi mere liye ek raz hi thi.

Mai abhi isi soch me khoya hua tha ki, tabhi vaani didi ki baat sunte hi, raj ne tapak se kaha.

Raj bola “didi, isme pareshani wali koi baat nahi hai. Neha aur priya dono hi humari bahan hai. Hum punnu ki jagah neha ko priya ki judwa bahan bata dege aur baki ki kahani wo hi bata sakte hai, jo abhi hai.”

Raj ki ye baat sabhi ko sahi lagi aur sabne is baat par apni sahmati de di. Is baat ko sunte hi, neha ke chehre par bhi khushi jhalakne lagi. Aakhir us ghar ki asli beti to, wo hi thi aur usko andekha kiye jane se uska pareshan hona bhi galat nahi tha.

Lekin vaani didi ki samajhdari ne uske man ke is dar ko bhi alag kar diya tha aur ab sab khush najar aa rahe the. Lekin ab neha ke padmini aunty ki beti hone ki baat ne mere man me bahut saare sawal paida kar diye the.

Jinke jabab chhoti maa, vaani didi, keerti ya nikki me se hi koi de sakta tha. Magar chhoti maa se mujhe kuch puchhna nahi tha aur vaani didi se kuch puchhne ki mere andar himmat nahi thi.

Mai sirf keerti aur nikki se hi kuch puchh sakta tha. Lekin is samay apni narajgi ke chalte, mai keerti se baat karna nahi chahta tha. Jabki nikki apni narajgi ke chalte, mujhse baat nahi kar rahi thi.

Mai abhi isi soch me khoya hua tha ki, tabhi sabke kahkahe sunkar, mai apni soch se bahar nikal aaya aur ye dekhne laga ki, achanak sab hasne kyo lage hai. Sabki najar aman aur nisha bhabhi par tiki huyi thi.

Mujhe itna to samajh me aa gaya tha ki, sab inhi ki vajah se hans rahe hai. Lekin ye samajh me nahi aaya ki, aakhir hua kya hai. Jab meri kuch samajh me nahi aaya to, maine mere bagal me baithi barkha didi se kaha.

Mai bola “didi, kya hua.? Sab log aman aur nisha bhabhi ko dekh kar, hans kyo rahe hai.”

Meri baat sunkar, barkha didi ne mujhe hairani se dekhte huye kaha.

Barkha didi boli “tum yaha baithe baithe so rahe ho kya, jo tumko nahi malum nahi ki, yaha par abhi kya hua hai.”

Barkha didi ki baat sunkar, maine thoda sharminda sa hote huye kaha.

Mai bola “didi, mai kisi soch me khoya hua tha. Isliye mera dhyan yaha ki baton par nahi tha.”

Meri baat sunkar, barkha didi ne hanste huye kaha.

Barkha didi boli “jaisa abhi tumhara haal hai, waisa hi aman jiju ka bhi haal tha. Nidhi didi unse kuch puchh rahi thi. Magar wo bas ek-tak vaani didi ko dekhne me khoye huye the.”

“Jab nidhi didi ke do teen baar puchhne par bhi un ne koi jabab nahi diya to, nisha bhabhi ne unhe jor se kohni maari aur wo hadbada kar, yaha waha sabko dekhne lage. Bas isi vajah se hum sabko hansi aa gayi.”

Barkha didi ki baat sunkar, mai bhi aman aur nisha bhabhi ki taraf dekhne laga. Nisha bhabhi dhire dhire unhe khari khoti suna rahi thi aur aman unko apni safayi dene ki kosis kar raha tha.

Aman ki baat sunne ke bad, nisha bhabhi ke chehre par muskurahat aa gayi aur un ne muskurate huye, vaani didi se kaha.

Nisha bhabhi boli “vaani, tum apne jiju ka is tarah se tumko ghurne ka koi galat matlab mat nikal lena. Asal me tumhare jiju ek Plastic and Cosmetic Surgeons hai aur inhe logon ke chehre ki sundarta jyada prabhavit karti hai.”

“In ne khalid bhai se suna tha ki, vaani ek bahut khatarnak CID officer hai. Inko laga tha ki, vaani koi bahut sakht mijaj ki kathor chehre wali ladki hogi. Lekin tum to dekhne me bhaut sundar aur bahut najuk lagti ho.”

“Tumko dekh kar, inhe yakin nahi ho raha hai ki, ek chhuyi muyi aur najuk si dikhne wali ladki, khatarnak se bhi khatarnak mujrim ke chhakke chhuda deti hai. Ye isi soch me gum the ki, tum itna sab kuch bina kisi dar ke kaise kar leti ho.

Nisha bhabhi ki baat sunkar hum sabki hansi chhut gayi. Wahin vaani didi ne muskura kar, aman ki taraf dekhte huye kaha.

Vaani didi boli “aisa nahi hai. Sabki tarah mujhe bhi dar lagta hai. Magar mujhe kisi mujrim ka nahi, balki is baat ka dar lagta hai ki, mere hath se kabhi koi masoom ya begunah na maara jaye.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, neha ne pahli baar apna muh kholte huye kaha.

Neha boli “didi, mere baba begunah hai. Mai manti hu ki, un ne mujhe mere mata pita se door kar diya tha. Lekin un ne meri parvarish me kabhi koi kami nahi ki hai aur mujhe bade laad pyar se paala hai.”

“Yaha tak ki, garibi ke mahol me rahne ke bad bhi, un ne mujhe bade se bade school me padaya aur meri har chhoti badi khwahish ko pura kiya hai. Un ne ek pal ke liye bhi mujhe aehsas nahi hone diya ki, mai unki beti nahi hu.”

“Fir bhala mere baba gunahgaar kaise ho sakte hai. Aap alka bua aur shikha didi se puchh kar dekh lijiye ki, mere baba kaise hai. Is sabko karne ke pichhe jarur unki koi majburi rahi hogi. Warna mere baba itna bura kaam kabhi nahi karte.”

Ye kahte kahte neha ki aankhen aansuon se bhig gayi. Uski bheegi aankhon ko dekh kar hi pata chal raha tha ki, wo durjan se kitna jyada pyar karti hai. Use rote dekh kar, vaani didi uske pas aayi aur use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “mujhe kisi se kuch puchhne ki jarurat nahi hai. Tumhe sahi salamat dekh kar hi, mujhe samajh me aa gaya ki, un ne tumhare sath kuch bhi bura nahi kiya hai.”

“Lekin tum ye baat kyo bhulti ho ki, un ki vajah se ek maa ne apni bacchi ke liye tadap tadap kar jaan de di aur tumhe apni maa ke hote huye bhi, uski chhati se lag kar doodh pina nashib nahi hua. Tum jindgi bhar maa ke pyar ke liye tarasti rahi.”

“Ek bacche ko uski maa se door karna, sirf kanoon hi nahi, balki insaniyat ki najar me bhi gunah hai. Fir ye bhi to dekho ki, un ne punnu ke upar bhi jaan lewa hamla karwaya hai.”

Magar neha par vaani didi ki is samjhaish ka koi asar nahi hua. Usne fir durjan ka bachav karte huye kaha.

Neha boli “didi, mai nahi janti, mere baba ne aisa kyo kiya. Mai bas itna janti hu ki, jab se hosh sambhala hai. Tab se maine mere baba ko kabhi koi galat kaam karte nahi dekha.”

“Ye bhi to ho sakta hai ki, aap sabko koi galatfahmi ho rahi ho. Mere baba ne aisa kuch kiya hi na ho aur unko fasane ki kosis ki ja rahi ho. Mere baba kabhi aisa kaam kar hi nahi sakte.”

“Wo bechare abhi bahut bimar chal rahe hai. Unhe abhi ilaj ki bahut jarurat hai. Yadi mere baba ko kuch ho gaya to, mai unke bina jee nahi pahugi.”

Itna kah kar, neha fir bilakh kar rone lagi. Use is tarah se durjan ke liye rota dekh kar, mujhe bhi uske upar taras aane laga aur ab mera dil bhi yahi chah raha tha ki, durjan ko uske kiye ki, saza na di jaye.

Wahin neha ko rote dekh kar, shikha didi aur alka aunty uske pas aa gayi. Shikha didi neha ko chup karwane lagi aur alka aunty ne neha ke sar par hath ferte huye vaani didi se kaha.

Alka aunty boli “vaani beta, neha thik kah rahi hai. Durjan bhaiya pahle chahe jo rahe ho aur pahle un ne chahe jo kiya ho. Lekin ab wo waise bilkul bhi nahi hai. Wo puri tarah se badal chuke hai.”

“Kisi samay wo mambai ke maane huye gunde hua karte the. Lekin jaise jaise neha badi hoti gayi. Unke andar ka bura insan marta gaya aur uski jagah ek bap ne le li. Un ne neha ki dekh bhal bilkul sage bap ki tarah ki hai.”

“Maine neha ko apne inhi hathon ne paala hai. Mujhse is bacchi ka dukh dekha nahi ja raha hai. Tum se yadi ho sake to, durjan bhaiya ko chhod do. Punnu mera bhi beta hai aur mai jababdari leti hu ki, punnu ko unse koi khatra nahi hoga.”

Apni baat kahte kahte alka aunty ki aankhe bhi aansuon se bhig chuki thi. Neha aur alka aunty ke aansuon ne hum sabki aankhon me bhi nami la di thi. Wahin is mahol ko dekh kar, vaani didi bhi kuch pareshan si najar aane lagi thi.

Shayad wo is baare me kuch soch rahi thi. Vaani didi abhi apni soch me hi khoyi huyi thi ki, tabhi chhoti maa ne unke pas aate huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, yadi gunah karne wala gunahgaar hai to, gunah karne ke liye majbur karne wala bhi utna hi bada gunahgaar hai.”

“Yadi gunah karne wale ko saza mil rahi hai to, fir gunah karne ke liye majbur karne wale ko bhi saza milni chahiye aur yadi gunah ke liye majbur karne wale ko saza nahi di ja rahi hai to, fir gunah karne wale ko bhi saza nahi di jaani chahiye.”

Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi fati fati aankhon se chhoti maa ko dekhne lagi. Lekin us samay chhoti maa ke chehre par koi bhav nahi the. Unka chehra bahut sakht sa ho gaya tha.

Mujhe chhoti maa ki ye baat samajh me nahi aayi aur mai hairani se unko dekhta rah gaya. Magar shayad vaani didi unki baat ka matlab samajh chuki thi. Un ne chhoti maa ki is baat ke jabab me kaha.

Vaani didi boli “mausi, mai aapki baat ko manti hu. Lekin kanoon sirf sabuton ko manta hai aur abhi saare sabut unke khilaf hai. Gauranga aur mohini aunty ke bayan hi, unko saza dilwane ke liye kafi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, mohini aunty ne fauran hi kaha.

Mohini aunty boli “yadi sab nahi chahte ki, unko saza mile to, mai apna bayan badalne ke liye taiyar hu. Mai kah dungi ki, mujhse unko pehchan ne me galti ho gayi thi.”

Mohini aunty ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “aunty sirf aapke bayan badal lene se kuch nahi hoga. Unke sabse bade gunah ka gawah to gauranga hai aur wo bhala apna bayan kyo badalne laga.”

Abhi vaani didi ki baat puri bhi nahi ho payi thi ki, ek aawaj ne hum sabko chauka diya.

Aane wali aawaj “gauranga kya, apun to gauranga ke bap ka bhi bayan badalwa dega.”

Is aawaj ko sunte hi, hum sabne pichhe palat kar dekha. Khalid bhai apni mast chaal me, humare pas hi chale aa rahe the. Unki najar ajay aur aman par thi aur un ne apni us baat ke bad, aman logon se kaha.

Khalid bola “mai waha priya aur dada ji ke pas baitha, tum logon ke aane ka intejar kar raha tha aur tum dono chindi chor yaha mahfil jama kar baithe ho.”

Ye kahte huye khalid bhai ajay aur aman ki taraf bade aa rahe the. Lekin tabhi seeru didi ko na jaane kya sujha ki, wo daud kar khalid bhai ke samne jakar khadi ho gayi aur unse kaha.

Seerat boli “bhai jaan, acha hua aap aa gaye. Hum yaha mahfil saja kar nahi baithe hai. Hum sabko police ne hirasat me le liya hai.”

Seeru didi ki baat sunte hi, khalid bhai ko gussa aa gaya. Un ne gusse me aag babula hokar apni revolver nikalte huye kaha.

Khalid bola “mere rahte kisi police wale ki itni aukat nahi ki, wo tum logon ko hath bhi laga sake. Kaun hai wo saala, jisne tum logon ko hirasat me liya hai.”

Ye kahte huye khalid bhai yaha wahan dekhne lage. Wahin seeru didi ne badi hi masumiyat se kaha.

Seerat boli “bhai jaan, wo saala nahi, saali hai.”

Ye kahte huye, seeru didi unke samne se hat gayi. Seeru didi ke unke samne se hatte hi, khalid bhai ki najar sidhe vaani didi par padi aur unhe seeru didi ki saari shararat samajh me aa gayi.

Un ne apni revolver ko wapas jeb me wapas rakha aur seeru didi ki taraf badne lage. Unhe apni taraf badte dekh, seeru didi kahkahe lagate huye nisha bhabhi ke pichhe aakar khadi ho gayi. Khalid bhai ne seeru didi ko ghurte huye kaha.

Khalid bola “tune fir apun ko mamu bana diya.”

Seeru didi se itna kahne ke bad, khalid bhai vaani didi ke pas aaye aur unse kaha.

Khalid bola “madam aap aur mumbai me, mujhe abhi bhi apni aankhon par yakin nahi ho raha hai. Aap ne to kasam khayi thi ki, aap ek CID officer ki haisiyat se kabhi mumbai me kadam nahi rakhegi.”

Khalid ki ye baat sunte hi, aman ne aage aate huye khalid se kaha.

Aman bola “abe tu aate hi ye kya bakwas lekar baith gaya. Kya tujhe pata nahi hai ki, punit inka bhai hai. Uske liye to inko yaha aana hi tha.”

Aman ki baat sunkar, khalid bhai ne sharminda sa hote huye kaha.

Khalid bola “sorry madam, mera irada aapko chot pahuchane ka nahi tha. Asal me mujhe aapki pichhli baten yaad aa gayi thi. Punit aapka hi nahi, mera bhi bhai hai. Maine jab TV par news dekha to, mera bhi khoon khaul gaya tha.”

“Yadi aapne gauranga ko nahi pakda hota to, uski is galti ke liye, mai khud waha jakar uska game baja dalta. Aapko yadi us se koi bayan dilwana hai to, mujhe bataiye. Mere ek ishare par wo koi bhi bayan dene ko taiyar ho jayega.”

Khalid ki baat sunkar, vaani didi chhoti maa ki taraf dekhne lagi. Chhoti maa ne unhe haan me sar hila kar, ishara kiya. Jiske bad, vaani didi ne khalid se kaha.

Vaani didi boli “neha ke pita ne gauranga ko punnu ke naam ki supari di thi. Jis vajah se usne punnu par jaan lewa hamla kiya tha. Iske jabab me maine gauranga ke char sathiyon ka khatma karke, uske pure giroh ko hirasat me le liya.”

“Gauranga ke bayan ke anusar humne supari dene wale ki tasweer banayi aur usi aadhar par humne neha ke pita ko hirasat me le liya hai. Lekin ye sab chahte hai ki, neha ke pita ko iski saza na mile aur unko sudharne ka ek mauka diya jaye.”

Itna kah kar vaani didi chup ho gayi. Magar khalid bhai jaise Don ke samajhne ke liye itni hi baat kaafi thi. Un ne vaani didi ki is baat ke jabab me kaha.

Khalid bola “madam samajiye ki, aapka ye kaam ho gaya. Apne diye gaye bayan se mukarna mujrimo ke liye koi nayi baat nahi hai. Punnu par hamla gauranga ne karwaya tha to, ab uski saza bhi wo ya uska koi aadmi hi bhogega.”

Khalid ki ye baat sunte hi, neha ke chehre par muskurahat aa gayi aur wo aakar vaani didi se lipat gayi. Vaani didi ne pyar se uske sar par hath ferte huye kaha.

Vaani didi boli “mai is sabke sakht khilaf hu. Magar sirf tumhari vajah se ek mujrim ka sath de rahi hu. Kal subah tak tumhare baba tumhare pas honge. Lekin ye ab tumhari jababdari hai ki, tum apne baba ko sahi raste par lekar aao.”

Vaani didi ki baat sunte hi, neha ne chahakte huye kaha.

Neha boli “thanks didi, aap fikar mat karo. Mai kahugi to, mere baba aapki sab baat manege. Wo kabhi meri koi baat nahi kaatte hai. Wo aapko sikayat ka koi mauka nahi dege.”

Neha ki baat sunkar, khalid bhai ne bhi durjan ki wakalat karte huye kaha.

Khalid bola “madam, mai durjan ko achi taraf se janta hu. Wo ek bahut acha aur diler insan hai. Pata nahi, usne aisa ghatiya kaam kis khunnas me aakar kar diya. Mai bhi use apni taraf se samjhane ki kosis karuga.”

“Aapko yadi meri pahli wali baat buri lagi ho to, mai uske liye maafi chahta hu. Aap yakin maniye, aapko ek CID officer ki haisiyat se, ek baar fir se mumbai me dekh kar, mujhe sach me bahut khushi ho rahi hai.”

Khalid bhai ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “mai mumbai me jarur hu. Lekin ab mai ek CID officer nahi hu. Mumbai aane ke pahle hi, maine apni naukri se istifa de diya tha aur mere anurodh par mera istifa manjur bhi kar liya gaya hai.”

Vaani didi ki is baat ne ek-dam se sabko chauka diya tha. Nitika aur mohini aunty ke alawa, sabhi se vaani didi ko mile ek do din se jyada nahi hua the.

Iske bad bhi is baat ko sunte hi sabke chehre murjha gaye.

Lekin is baat ne sabse bada jhatka mujhe pahuchaya tha. Kyoki ek to unki ye naukri meri vajah se hi gayi thi aur dusra mujhe unke CID officer hone se, apne aap par bahut naaz tha.

Mai unke kaarname apni school me bahut bada chada kar bataya karta tha. Unke gauranga ko pakadne ke kaarname ne bhi pure west bangal me tahalka macha kar rakha kar rakha tha aur jis vajah se mera seena garv se chauda ho gaya tha.

Mujhe ummid thi ki, wo schoolgirl ke rape-case ko bhi chutkiyon me hal kar degi. Lekin unke istifa dene ki baat ne mera saara ghamnd choor choor karke rakh diya tha aur isi gusse me mai unko kha jaane wali najron se ghoor kar dekh raha tha.

Magar wo meri is haalat se anjan, aise muskuraye ja rahi thi, jaise ki kuch hua hi na ho. Achanak hi unki najar mujh par padi aur un ne mujhe is taraf se ghoorte dekha to, hanste huye kaha.

Vaani didi boli “ye tumhe kya hua. Tum aise kha jaane wali najron se mujhe kyo dekh rahe ho.”

Vaani didi ki baat ko sunkar, mai to khamosh hi raha. Lekin ajay ne pahli baar apna muh kholte huye kaha.

Ajay bola “aapke istife ki baat sunkar, jab hum logon ko itna bada jhatka laga hai to, fir punit ko to aur bhi bada jhatka laga hoga. Aakhir aapne ye sab usi ki vajah se hi to kiya hai.”

Magar ajay ki ye baat sunkar bhi vaani didi ke chehre par koi shikan nahi aayi. Wo mere pas aayi aur mere kandhe par hath rakh kar, pahle ki tarah hi, muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “tumhe to mere kaam ki vajah se mai vaani nahi, sunami lagti thi na. Lo ab maine sunami wala kaam chhod diya aur apni juban ko bhi shikha ki tarah meetha kar liya hai.”

“Ab mere ‘I love u’ bolne par tumhare hone wale jiju ko na bolne ki himmat bhi aa jayegi aur unhe shadi ke bad, USA chhod kar india bhi nahi aana padega. Ab to tumhare jiju ki kismat kharab nahi hogi na.”

Vaani didi ye baat sirf mujhe chhedne ke liye kah rahi thi. Lekin unki in baton se samajh me aa raha tha ki, un ne mehul ke ghar me mere aur keerti ke bich, unke baare me huyi saari baten sun li thi.

Is baat ka aehsas hote hi, mera sar sharam se jhuk gaya aur maine is baat par sharminda hote huye unse kaha.

Mai bola “didi, mai keerti se wo baten sirf majak me kah raha tha aur jab aap aayi tab mai jiju ki kismat kharab hone ki baat nahi kah raha tha. Mai keerti se kahne wala tha ki, humhare jiju ki kismat achi hai. Lekin meri baat puri bhi nahi ho payi aur aap mere samne aa gayi. Jis vajah se meri baat adhuri rah gayi thi.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “to apni us baat ko abhi sabke samne pura kar lo.”

Lekin mai vaani didi ki ye baat sunkar, bhi chup hi khada raha to, un ne fir se mujhe is baat ko pura karne ko kaha aur unke sath sath seeru didi bhi mujhe baat pura karne ke liye uksane lagi.

Kyoki vaani didi ki baton se shayad wo bhi samajh chuki thi ki, mai dil khol kar vaani didi ki burayi karne me laga hua tha aur aage ki baat bhi aisi hi kuch niklegi. Aakhir me unke baar baar kahne par maine apni us baat ko pura karte huye kaha.

Mai bola “didi, us din mai keerti se kahne wala tha ki, humhare jiju ki kismat achi hai, jo unki shadi humari didi se ho rahi hai. Unhe shadi ke bad, duniya me kisi se bhi dar nahi lagega.”

Itna kah kar mai ruk gaya. Mujhe baat puri karte na dekh kar, vaani didi ne mujhse kaha.

Vaani didi boli “aage bolo, tumhare jiju kyo kisi se dar nahi lagega.”

Mai bola “kyoki………”

Lekin iske aage kahne ki meri himmat hi nahi ho rahi thi. Mujhe aage ki baat kahne se hichakte dekh kar, seeru didi samajh gayi ki asli baat ab hi aane wali hai. Un ne mere pas aakar, mera hath hilate huye kaha.

Seerat boli “haan, haan, ruk kyo gaye. Tum tarif hi to kar rahe ho. Ab kyoki ke bhi aage bolo.”

Seeru didi ki baat sunkar, mai unko ghurne laga. Lekin wo mujhe chhedte huye baat puri karne ko kahne lagi. Jiske bad, maine apni baat ko pura karte huye kaha.

Mai bola “kyoki aap khud hi dar ka dusra naam ho. Shadi ke bad, jiju aap se hi itna dar jayege ki, unhe aapke dar ke alawa koi dar pareshan nahi kar payega.”

Meri ye baat sunte waha khade sabhi log hasne lage aur mai sar jhuka kar khada ho gaya. Aaj pahli baar maine vaani didi se itni majak bhari baten ki thi. Lekin ab andar hi andar mujhe unse dar bhi lag raha tha.

Kyoki vaani didi in sab baton me wo bahut sakht thi aur unhe chhoto ka bado ka majak udhana jara bhi pasand nahi tha. Yadi aur koi samay hota to, is baat ke kahne par un ne abhi tak mere kaan ke niche ek do baja diye hote.

Lekin aaj apne istife ki vajah mujhe pareshan dekh kar, un ne mera dil halka karne ke liye khud hi is baat ko chheda tha. Taki mai unki is baat me ulajh jau aur unke istife wali baat mere dimag se nikal jaye.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 210}
____________________________

Mai bola “kyoki………”

Lekin iske aage kahne ki meri himmat hi nahi ho rahi thi. Mujhe aage ki baat kahne se hichakte dekh kar, seeru didi samajh gayi ki asli baat ab hi aane wali hai. Un ne mere pas aakar, mera hath hilate huye kaha.

Seerat boli “haan, haan, ruk kyo gaye. Tum tarif hi to kar rahe ho. Ab kyoki ke bhi aage bolo.”

Seeru didi ki baat sunkar, mai unko ghurne laga. Lekin wo mujhe chhedte huye baat puri karne ko kahne lagi. Jiske bad, maine apni baat ko pura karte huye kaha.

Mai bola “kyoki aap khud hi dar ka dusra naam ho. Shadi ke bad, jiju aap se hi itna dar jayege ki, unhe aapke dar ke alawa koi dar pareshan nahi kar payega.”

Meri ye baat sunte waha khade sabhi log hasne lage aur mai sar jhuka kar khada ho gaya. Aaj pahli baar maine vaani didi se itni majak bhari baten ki thi. Lekin ab andar hi andar mujhe unse dar bhi lag raha tha.

Kyoki vaani didi in sab baton me wo bahut sakht thi aur unhe chhoto ka bado ka majak udhana jara bhi pasand nahi tha. Yadi aur koi samay hota to, is baat ke kahne par un ne abhi tak mere kaan ke niche ek do baja diye hote.

Lekin aaj apne istife ki vajah mujhe pareshan dekh kar, un ne mera dil halka karne ke liye khud hi is baat ko chheda tha. Taki mai unki is baat me ulajh jau aur unke istife wali baat mere dimag se nikal jaye.

Magar unki is kosis ke bad bhi ye baat mere dimag se nahi nikal saki thi. Sabka hasna rukte hi, maine fir se usi baat par wapas aate huye kaha.

Mai bola “didi, mai koi baccha nahi hu, jo aap mujhe in baton se bahlana chahti hai. Yadi aap ek CID officer ki haisiyat se mumbai nahi aana chahti thi to, aapko yaha aana hi nahi chahiye tha.”

“Aapko meri vajah se istifa dekar mumbai aane ki koi jarurat nahi thi. Mujhe aapke CID officer hone ka bahut ghamand tha. Lekin aaj aapne istifa dekar mere saare ghamand ko choor chhor kar diya.”

Meri baat sunkar, vaani didi ke chehre ki muskurahat gambhirta me badal gayi aur un ne mujhe samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “dekho, mere liye mere farz se bad kar, kuch bhi nahi hai. Maine apne har farz ko puri imandari ke sath nibhaya hai aur apne farz ko nibhane se kabhi pichhe nahi hati.”

“Abhi maine jo bhi kiya hai, wo mere parivar ke liye mera farz tha. Mere is farz ko nibhane me meri naukri ek diwar ban kar khadi thi aur maine us diwar ko tod diya. Jiska mujhe jara bhi afsos nahi hai.”

Itna kahne ke bad, unke chehre par wapas wahi muskan thirakne lagi. Unki is baat me gahri sacchai thi aur iski gawahi unka chehra de raha tha. Jisme unki naukri chale jaane ke bad bhi, ek shikan najar nahi aa rahi thi.

Un ne bina kisi soch vichar ke aur bina kisi ko is baat ki khabar lage, mere liye wo sab kuch kar diya tha. Jise laakh baar sochne ke bad bhi, mera bap kabhi nahi kar sakta tha.

Mujhe hamesha se yahi lagta tha ki, vaani didi sabse jyada keerti ko pyar karti hai. Lekin aaj unki is baat ne sabit kar diya tha ki, unke dil me mere liye bhi keerti se kam pyar nahi hai.

Shayad unhe kisi se apna pyar jatana aata hi nahi tha ya fir unhe kabhi is baat ki parwah hi nahi rahi ki, unke baare me kaun kya sochta hai. Wo bas apne hi banaye usulon par chalti rahi.

Unki itni jyada kamyabi ki ek vajah shayad ye bhi thi ki, un ne ghar ya bahar kisi ki bhi baat ki koi parwah nahi ki thi. Lekin mujhe unki parwah ho rahi thi aur unke is kadam se mere dil ko thes bhi pahuchi thi.

Shayad vaani didi is baat ko achi tarah se samajh rahi thi. Isliye jab un ne mujhe apni baat sunne ke bad bhi, kamosh dekha to, fir se mujhe samajhate huye kaha.

Vaani didi boli “ab tum kis soch me pade ho. Kya tum ye nahi jante ki, mai shadi karke USA me basna chahti thi. Magar apni naukri ki vajah se aisa kar nahi pa rahi thi. Lekin ab naukri chhod dene se meri shadi ka rasta bhi saaf ho gaya hai.”

“Tumhe to khush hona chahiye ki, tumhari vajah se mere shadi karne ka rasta khul gaya hai. Ab yadi iske bad bhi tumhe meri naukri jaane ka dukh ho raha hai to, mere pas tumhare is dukh ko door karne ka bhi ek rasta hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mere sath sath baki sab bhi sawaliya najron se vaani didi ki taraf dekhne lage. Vaani didi ne humari is hairani ko door karte huye kaha.

Vaani didi boli “mere pas CID officer se bhi badi ek naukri ki peshkash aayi hai. Sarkar mere kaam karne ke tarikon se prabhavit hokar mujhe Undercover agent banana chahti hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, sabke muh khule ke khule rah gaye. Kisi ki samajh me nahi aa raha tha ki, aakhir vaani didi kya bala hai. Un ne ek naukri ko laat maari to, us se badi dusri naukri khud hi unke pas chal kar aa gayi. Mai bhi unki is baat ko sunkar, bas unhe dekhta rah gaya. Un ne apni baat ko aage badate huye kaha.

Vaani didi boli “ab tum khud hi faisla le lo ki, mujhe ab shadi kar lena chahiye ya fir abhi bhi ye hi sab kaam karte rahna chahiye.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, sabke chehre par khushi ki lahar daud gayi. Kyoki ab wo dono me se chahe koi bhi kaam karti baat khushi ki hi thi. Lekin unki is baat ne mujhe uljhan me daal diya tha.

Kyoki mai dil se chahta tha ki, wo shadi kar le. Lekin unke kaam se unki khud ki ek pehchan thi aur shadi ke bad, unki wo pehchan khatam hone wali thi. Meri samajh me nahi aa raha tha ki, mai unhe kya jabab du. Mai apni isi uljhan me uljha hua tha ki, tabhi keerti ne humari baat ke bich me kudte huye kaha.

Keerti boli “didi aap shadi kar lo. Hum log kab se aapki shadi hone ka intejar kar rahe hai.”

Keerti ki is baat par chhoti maa aur nitika ne bhi haan me haan mila di. Un sabko aisa karte dekh kar, maine bhi is baat par apni sahmati ki mohar laga di. Jiske bad vaani didi ne apna faisla sunate huye kaha.

Vaani didi boli “thik hai, mai abhi se baat karti hu. Waise bhi wo priya ko dekhne aane hi wala hai. Usi samay hum baki sab baten bhi tay kar lege.”

Vaani didi ki baat sunte hi, pahli baar ami ki aawaj sunayi di. Wo vaani didi ki shadi hone ki baat sunkar, bahut khush najar aa rahi thi. Lekin nimi keerti ki god me baithi baithi so chuki thi.

Yadi is samay nimi jaag rahi hoti to, usne jarur ye baat sunte hi nachna suru kar diya hota. In sab baton ke chalte 3 kab baj gaye, kisi ko pata hi nahi chala. Jab nidhi didi ne ghar jaane ki ijajat mangi, tab sabka dhyan is taraf gaya.

Iske bad, baki sab bhi ghar jaane ki taiyari karne lage. Raj bhi apne ghar walon ko ghar jaane ke liye kahne laga. Pahle to koi bhi ghar jaane ko taiyar nahi ho raha tha. Lekin bad me raj ke samajhane par wo bhi ghar jaane ke liye taiyar ho gaye.

Lekin nikki aur riya dono fir se hospital me rukne ki baat par aapas me bahas karne lagi. Unhe bahas karte dekh, raj ne nikki ko samjhaya aur use bhi baki logon ke sath ghar jaane ke liye taiyar kar liya.

Kuch hi der bad, mujhe raj aur riya ko chhod kar baki sab ghar jaane lage. Sabse pahle nidhi didi ghar ke liye nikli. Unke jaane ke bad dada ji, aakash uncle, padmini aunty, mohini aunty, nitika, neha aur nikki ghar ke liye nikale.

Iske jaane ke bad, chhoti maa, vaani didi, keerti, ami, nimi aur barkha didi bhi ghar chali gayi. Fir sabse aakhiri me khalid bhai, ajay, aman, nisha bhabhi, shikha didi, alka aunty aur seeru didi bhi ghar chale gayi.

Ajay mere sath hospital me hi rukna chahta tha. Lekin kal use apne naye hospital ki taiyari bhi dekhna tha. Jis vajah se maine jabardasti use ghar bhej diya tha. Ab riya andar priya ke pas baithi thi aur mai raj ke sath bahar baitha tha.

Bich bich me mai aur raj andar priya ko dekhne chale jaate aur fir wapas aakar wahi baith kar baten karne lagte. Meri raat bhar raj se yaha wahan ki baten hoti rahi aur aise hi humara saara samay kat gaya.

Subah ke 7 bajte hi aakash uncle hospital aa gaye. Unki aankhne bata rahi thi ki, humne unhe jabardasti ghar to bhej diya tha. Lekin wo ghar jakar bhi shukun ki nind so nahi paye aur subah hote hi wapas hospital aa gaye.

Wo aate hi, hum logon se ghar jaane ki bolne lage. Lekin hum unhe akela chhod kar jaana nahi chahte the. Isliye hum unke sath wahi ruke rahe. Fir 7:30 baje ajay aur shikha didi bhi aa gaye.

Unke aate hi, aakash uncle fir hum logon se ghar jaane ko kahne lage. Uncle ki baat sunkar, shikha didi ne humse kaha ki, ab wo priya ke pas rahegi. Hum log befikar hokar ghar jaye.

Ajay ne apne driver ko hume ghar chhodne ko kaha aur fir hum log ghar ke liye nikal pade. Pahle maine raj aur riya ko unke ghar chhoda aur fir mai ajay ke bungalow ke liye nikal pada.

Mujhe wahan pahuchte pahuchte 8:30 baj chuke the. Jab mai waha pahucha to, chhoti maa aur vaani didi taiyar baithi huyi thi. Maine unhe itni subah subah taiyar baithe dekha to, chhoti maa se kaha.

Mai bola “chhoti maa, aap sab itni subah subah kaha ja rahi hai. Kya aap log hospital ja rahi hai.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.

Chhoti maa boli “haan, hum log abhi hospital hi ja rahe hai aur wahi se chanda mausi ko dekhne ghar bhi jaana chahte hai. Hum soch rahe the ki, aaj hi mausi ko dekh kar wapas aa jaate.”

“Magar ye ami nimi humare sath ghar jaane ko taiyar hi nahi ho rahi hai. Dono jid kiye baithi hai ki, wo tumhare sath yaha aayi thi aur tumhare sath hi ghar wapas jayegi. Barkha aur keerti unko dusre kamre me samjha rahi hai.”

“In dono ladkiyon ne to meri naak me dam karke rakh diya hai. Dono ki jid dino din badti ja rahi hai. Ab inko sambhalna mere liye mushkil hota ja raha hai. Meri samajh me nahi aata ki, mai in dono ladkiyon ka kya karu.”

Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ne unhe samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, unke bigadne me aapka koi dosh nahi hai. Unko bigadne me pura hath isi ka hai. Isne hi unko sar par chada rakha hai. Jis vajah se un ki jid dino din badti ja rahi hai.”

“Yadi mai chahti to, mere chutki bajate hi, wo dono humare sath jaane ko taiyar ho jati hai. Magar tab hume inki dramebaji dekhne ko nahi mil pati. Ab ye laat-saab aa gaye hai to, inki aur inki ladliyon ki dramebaji bhi dekh lijiye.”

Ye kahte huye, vaani didi ne keerti ko aawaj lagayi aur us se ami nimi ko bahar le aane ko kahne lagi. Usi samay seeru didi, selu didi aur aru aa gayi aur wo log chhoti maa se chalne ke baare me puchhne lagi.

Chhoti maa unko ami nimi ke baare me bata hi rahi thi ki, tabhi keerti aur barkha didi, ami nimi ke sath bahar aa gayi. Un ne mujhe dekha to, sidhe mere pas aa gayi aur mujhse chhoti maa ki sikayat karne lagi.

Seeru didi unki baat sunkar, kuch bolne hi wali thi ki, vaani didi ne unko chup rahkar, humari baat sunne ka ishara kiya. Jiske bad wo bhi chup chap ami nimi ki baten sunne lagi.

Jab ami nimi ki sikayat karna band kiya to, maine bhi unki tarafdari karte huye kaha.

Mai bola “tum dono ki baat bilkul sahi hai. Tum dono mere sath yaha aayi ho aur tumhe mere sath hi ghar wapas jaana chahiye. Mere rahte tumhe kisi baat ki chinta karne ki jarurat nahi hai.”

“Mai sham ko sokar uthne ke bad, tum dono ko ghumane bhi le jauga. Lekin mai to din bhar yaha sota rahuga aur aaj naye hospital ki vajah se seeru didi logon ke pas samay nahi hai. Aise me tum dono yaha din bhar bor ho jaogi.”

“Chhoti maa sirf din bhar ke liye hi ghar wapas ja rahi hai. Yadi tum dono din bhar ke liye unke sath jaana chahti ho to, ja sakti ho. Mujhe tumhare jaane ka jara bhi bura nahi lagega aur mai tumhare aane ke bad, tumhe ghumane le jauga.”

Meri baat sunkar, ami soch me pad gayi aur nimi, uska chehra dekhne lagi. Ami shayad mere din bhar aur apne akele bor hone ki baat soch rahi thi. Kuch der sochne ke bad, usne mujhse kaha.

Ami boli “thik hai bhaiya, yadi aapko humare jaane ka bura nahi lag raha hai to, hum dono mummy ke sath ghar chale jaate hai. Aap fikar mat karna, hum log mummy ke pichhe pad kar, unhe sham tak jarur wapas le aayege.”

Ami ki baat sunte hi sabke chehre par muskurahat aa gayi. Wahin vaani didi ne chhoti maa se kaha.

Vaani didi boli “dekh liya mausi, mujhe pata tha ki, ye hi sab hona hai. Mai isi vajah se chup thi aur aapse bhi shanti banaye rakhne ko kah rahi thi. Ab aap apna gussa khatam kijiye aur jaldi chaliye. Hume apni flight bhi pakadna hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa uth kar khadi ho gayi. Un ne mujhe kuch jaruri baten samjhane lagi aur barkha didi sokar uthne par khane ke liye call lagane ki baat jatane lagi. Iske bad sab chhoti maa ke sath chale gaye.

Unke jaane ke bad, maine darwaja band kiya aur kamre me aakar muh hath dhone laga. Muh hath dhone ke bad, maine kapde badle aur aakar bed par lette huye mehul ko call laga diya.

Mehul se baat karke maine uska call rakha hi tha ki, tabhi keerti ka call aa gaya. Wo mujhe us se sahi se baat na karne ki vajah se ladti rahi. Uske call rakhne ke bad, mai uske aur priya ki tabiyat ke baare me sochte sochte so gaya.

Fir meri nind kisi ke doorbell bajane ki aawaj sunkar khuli. Koi lagatar doorbell bajaye ja raha tha. Maine samay dekha to, 4:30 baj gaye the. Mai uth kar darwaja kholne chala gaya.

Maine darwaja khola to samne barkha didi aur nikki khadi thi. Wo mere liye khana lekar aayi thi. Unhe khana liye dekh kar, maine barkha didi se kaha.

Mai bola “didi, aapko mere khane ke liye pareshan hone ki jarurat nahi thi. Maine aapse kaha to tha ki, mai sokar uthte hi aapko call kar duga.”

Barkha didi boli “mujhe pata hai aur mai ye baat shikha didi ko bhi samjha rahi thi. Magar wo 12 baje ke bad se hi, mere pichhe padi thi. Fir jab wo khud hi yaha khana lekar aane ki baat kahne lagi to, mujhe yaha aana hi pad gaya.”

Unki baat sunkar, maine unhe bataya ki, mai abhi sokar utha hu aur mujhe taiyar hone me samay lagega. Mai nahane ke bad khana kha luga. Iske bad, mujhse thodi bahut baat karne ke bad, wo wapas chali gayi.

Unke jaane ke bad, mai fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad, maine khana khaya aur fir taiyar hokar hospital ke liye nikal gaya. Mujhe hospital pahuchte pahuchte 6:30 baj gaye.

Abhi hospital me padmini aunty, raj, riya, nikki aur barkha didi thi. Shikha didi ko puchhne par pata chala ki, wo barkha didi ke mere pas se wapas aate hi, ghar chali gayi thi. Jabki nisha bhabhi aur seeru didi log naye hospital me thi.

Is samay priya ke pas riya thi. Sabse milne ke bad, mai barkha didi ke sath priya ke pas chala gaya. Abhi mujhe priya ke pas thodi hi der huyi thi ki, fir se uski aankhon se aansu nikalne lage.

Ye dekhte hi, barkha didi ne fauran nidhi didi ko call laga diya. Nidhi didi bhi is samay naye hospital me thi. Un ne saari baat sunne ke bad kaha ki, unhe aane me thoda samay lagega. Wo priya ki janch karne duty doctor ko bhej rahi hai.

Unke call rakhne ke thodi hi der bad, ek doctor aaya aur priya ki janch karne laga. Priya ki janch karne ke bad, us ne nidhi didi ko call karke saari report de di. Tab tak riya ne bhi bahar jakar sabko ye baat bata di.

Sabhi bhagte huye, priya ke pas aa gaye. Abhi bhi priya ki aankhon se aansu bahne ke alawa, uske sharir me koi harkat nahi ho rahi thi. Magar is samay uske ye aansu sabko is baat ki ummid dila rahe the ki, shayad wo hosh me aa jaye.

Pichhle 48 ghanton se behosh padi, priya ke aansu bhi, is samay sabke liye uski muskan se kuch kam keemti nahi the. Magar uski is haalat ko sahan kar pana mere bas me nahi tha.

Jab mere sahan karne ki shakti khatam hone lagi aur meri aankhon me nami chhane lagi to, mai waha se bahar aa gaya. Mai bahar samundar ke kinare aakar baith gaya aur tanhai me priya ke baare me sochne laga.

Mai dekh to samundar ki taraf raha tha. Lekin mujhe najar sirf priya ka chehra aa raha tha. Meri aankhon me priya ka hansta hua chehra najar aa raha tha aur mai us chehre ko dekh dekh kar aansu bahaye ja raha tha.

Mere aansu bahte ja rahe the aur mai unhe ponchne ki kosis bhi nahi kar raha tha. Mai priya ko yaad karne me itna khoya hua tha ki, mujhe aehsas hi nahi hua ki, kab koi mere pas aakar khada ho gaya.

Mujhe is baat ka aehsas tab hua, jab kisi ne mere kandhe par hath rakha. Maine jab apna sar utha kar pichhe dekha to, mere pichhe keerti khadi thi. Use apne samne dekhte hi, mai fauran apne aansu ponchhne laga.

Mera aansuon se bhara chehra dekh kar, keerti ki aankhon me bhi aansu jhilmilane lage the. Usne mere pas baithte huye kaha.

Keerti boli “kya hua, mujhe dekh kar chup kyo ho gaye. Samajh lo mai tumhare pas hu hi nahi aur is tufan ko apne andar se bahar nikal jaane do. Apni bahan ke dard me aansu bahana koi buri baat nahi hai.”

“Magar tun na jaane kyo, kab se is tufan ko apne andar chhupaye huye ho aur andar hi andar ghute ja rahe ho. Aaj ise bahar nikal jaane do aur apne har dard ko isme bah jaane do. Shayad is se tumhare dil ka bojh kuch kam ho jaye.”

Keerti ki baat sunkar, maine apna chehra uske kandhon me chhupa liya aur ek baar fir meri aankhon se aansu chhalakne lage. Ab mujhse priya ka dard sahan nahi ho pa raha tha aur maine is dard se karahte huye kaha.

Mai bola “mujhse ab priya ki haalat dekhi nahi ja rahi hai. Wo upar wala pata nahi, us se kis baat ka badla le raha hai. Pahle use janam lete hi, uske mata pita se door kar diya. Wo is baat se anjan hone ki vajah se khush thi.”

“Magar us upar wale se uski ye khushi bhi nahi dekhi gayi. Usne use ek aisi bimari de di, jiski vajah se use uske sabse bade sapne swimming ko bhulna pad gaya. Fir bhi us ladki ne us upar wale par se viswas nahi uthaya.”

“Magar us upar wale ko itne ke bad bhi us masoom par raham nahi aaya aur usne uske dil me mere liye pyar paida kar diya. Wo shayad ise ek sundar sapna samajh kar bhool bhi jaati.”

“Lekin fir us upar wale ne mujhe uske samne lakar khada kar diya aur mere hi hathon se uska dil tudwa diya. Magar itna sab ho jaane ke bad bhi us masoom ne kisi se koi sikayat nahi ki aur har dard sahkar bhi muskurati rahi.”

“Shayad us upar wale ko uska muskurana hi pasand nahi tha. Usne abki baar us ladki ko paalne wale maa bap ko hi, us se paraya kar diya aur jis ladke ko wo apni jaan se jyada pyar karti hai, use uska bhai bana kar uske samne lakar khada diya.”

“Bas us upar wale ne us bejuban par ek mehrbani kar di ki, use coma me bhej diya. Warna is sacchai ko janne ke bad, wo chah kar bhi muskura nahi pati aur sunte hi, apna dam tod deti.”

“Hum dono judwa bhai bahan hai. Fir us upar wale ka ye kaisa insaf hai ki, mai hamesha hi khushiyon me palta raha aur meri masoom judwa bahan hamesha hi dukh dard sahti rahi.”

“Tum sab mujhse hamesha puchhte the na ki, mai jara si baat par ladkiyon ki tarah kyo rone lagta hu. Aaj mujhe samajh me aa raha hai ki, mai jara jara si baat par kyo rone lagta tha.”

“Mai isliye rota tha, kyoki meri bahan ko dard me bhi rona nahi aata. Apni bahan ke hisse ke aansu bhi mai hi baha liya karta tha. Mai abhi bhi jindgi bhar aise hi rone ko taiyar hu.”

“Bas wo upar wala meri bahan ke har dukh dard ka ant kar de aur uske chehre ki muskurahat use wapas kar de. Us masoom par wo raham kar de. Iske badle me wo chahe to, meri jaan le le.”

Mai keerti ke kandhe par apna chehra chupaye, rote huye, apne dil ka har gubar bahar nikale ja raha tha aur keerti chup chap meri baat sunti ja rahi thi. Uski aankhen bhi aansuon se bhari huyi thi.

Lekin wo na to khud ke aansuon ko bahne se rok rahi thi aur na hi mere aansuon ko bahne se rok rahi thi. Jab mai apni baat kahte huye shant ho gaya to, usne apne aansu ponchhe aur fir meri aankhon ko saaf karte huye kaha.

Keerti boli “nikki bata rahi thi ki, priya Siddhi vinayak ko bahut manti hai. Hum aisa karte hai ki, kal Siddhi vinayak mandir chalte hai. Wo humari prarthna jarur sunege aur unke aashirwad se priya jaldi thik ho jayegi.”

Keerti ki baat sunkar, mai uske chehre ko dekhne laga. Mujhe bhi uski ye baat sahi lag rahi thi. Is samay priya ko duaaon ki bahut jarurat thi. Lekin kal priya ko naye hospital me bhi le jaya jana tha. Isi baat ko dhyan me rakhte huye maine kaha.

Mai bola “lekin kal to priya ko naye hospital me shift kiya jana hai aur kal hi naye hospital ki suruaat bhi hai. Kya aise me humara waha jana thik hoga.”

Keerti boli “priya ko 2 baje ke bad yaha se shift kiya jayega aur naye hospital ka Inauguration ka samay10:30 baje ka hai. Hum subah jaldi waha chalege aur 10:30 baje ke pahle wapas bhi aa jayege.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine use chalne ki sahmati de di. Abhi humari is baare me baat chal hi rahi thi ki, tabhi hume dudte huye, barkha didi ke sath ami nimi humare pas aa pahuchi. Un ne aate hi keerti se kaha.

Ami boli “didi, aap yaha bhaiya ko bulane aayi thi aur aap khud hi yaha baith kar rah gayi.”

Ami ki baat sunkar, keerti ne apni safayi dete huye kaha.

Keerti boli “mai to ise bulane hi aayi thi. Lekin iske sar me dard tha to, ye thodi der aur yaha baithne ki baat karne laga. Isliye mai bhi iske sath yahi baith gayi aur tum logon ko ghumne le chalne ki baat karne lagi.”

Keerti ki baat sunkar, ami gaur se mera chehra dekhne lagi. Mujhe laga ki wo ye dekh rahi hai ki, kahin keerti us se jhuth to nahi bol rahi hai aur ab shayad wo is baare me mujhse kuch sawal karegi.

Lekin jaisa mai soch raha tha, waisa kuch bhi nahi tha. Ami ne mera chehra gaur se dekhne ke bad, mujhse to kuch nahi kaha. Lekin barkha didi ki taraf dekhte huye, unse puchha.

Ami boli “didi, kya aaj bhaiya ne khane ke bad, chay nahi pi thi.”

Ami ki ye baat sunkar, barkha didi ne apna sar peette huye kaha.

Barkha didi boli “sorry, shikha didi ne mujhse kaha bhi tha ki, khane ke bad ise chay dena na bhulu. Lekin isne khana lekar hum logon wapas bhej diya tha. Maine bhi socha tha ki, jab ye yaha aayega to, tab yahi se chay lekar ise pila dugi. Magar jab ye yaha aaya to, ye baat mujhe yaad hi nahi rahi.”

Barkha didi ki baat sunkar, nimi ne ami se ek kadam aage badte huye kaha.

Nimi boli “humare bhaiya ko jab khane ke bad, chay nahi milti to, unka sar dard karne lagta hai. Mai abhi shikha didi ko jakar batati hu ki, barkha didi ne bhaiya ko chay nahi di thi.”

Ye kah kar nimi hospital ke andar jaane ke liye mud gayi. Lekin barkha didi ne fauran uska hath pakad kar, use rokte huye kaha.

Barkha didi boli “meri maa, tu shikha didi se kuch mat bol, warna wo abhi sabke samne mujhe khari khoti sunane lagi. Tu chal mere sath, mai abhi ise chay lekar deti hu.”

Ye kahte huye, barkha didi nimi ka hath pakad kar, chay lene jane lagi. Maine unhe rokne ki kosis karta raha, magar wo nahi ruki. Barkha didi aur nimi ko jaate dekh, ami bhi unke pichhe pichhe chali gayi. Mai aur keerti tab tak unhe jaate huye dekhte rahe, jab tak ki wo log humari aankhon se ojhal nahi ho gaye.
 

Top