- 1,531
- 1,642
- 143
Ko To Rok Lo {Update - 174}
____________________________
Hum log 10:45 baje airport pahuch gaye. Is thodi se samay me hi chhoti maa ne mujhe dher saari baten samjha di. Jab unki flight ka samay ho gaya to, wo baki sab logon se bhi milne lagi.
Iske bad un ne mujhe gale laga kar, mera matha chuma aur fir hum sabko bye kah kar apni flight ki taraf bad gayi. Chhoti maa ke jaane se ek baar fir meri aankhon me nami chha gayi thi.
Mai unhe jate huye dekh raha tha. Tabhi achanak un ne palat kar humari taraf dekha, unki aankhon me nami si najar aa rahi thi. Lekin un ne meri taraf muskura kar dekhte huye, mujhe aansu na bahane ka ishara kiya.
Jise dekh kar maine fauran apni aankhon ko pochh liya. Un ne mujhe ek pyari si muskan di. Magar fir achanak hi unki aankhe chhalakne lagi. Un ne faurna hi apni aankhon ko ponchha aur palat kar tej kadmo se apni flight ki taraf bad gayi.
Kuch hi der me wo humari najro se ojhal ho gayi. Magar mera dil abhi bhi waha se jaane ka nahi kar raha tha aur mai apni nam aankhen liye, abhi bhi usi taraf dekhe ja raha tha, jis taraf chhoti maa gayi thi. Mujhe aisa lag raha tha, jaise ki chhoti maa fir se muskurati huyi wapas aa jayegi.
Mai bahut der tak waha waise hi khada raha aur mere sath sath baki log bhi waha khade rahe. Jab sabko waha khade huye kafi der ho gayi to, barkha ne mujhse kaha.
Barkha boli “aunty ki flight to kab ki ja chuki hai. Ab hum logon ko bhi yaha se chalna chahiye.”
Barkha ki baat sunkar, mai bhari dil se sab ke sath bahar aa gaya. Bahar aane ke bad, nikki ne hum sab ko bye kaha aur wo wapas ajay ke ghar ke liye nikal gayi. Nikki ke jaane ke bad, hum sab bhi wapas barkha ke ghar jaane ke liye nikal pade. Kuch hi der me hum barkha ke ghar pahuch gaye.
Mehul humare pahuchne ke pahle hi, waha pahuch chuka tha aur sabka hisab karne me laga tha. Raj uske pas chala gaya aur riya, nitika, neha barkha ke sath andar jakar hum sab ke khana khane ki taiyari me lag gayi.
Mai priya ke sath upar aa gaya aur apne kapde pack karne me lag gaya. Mujhe apne saman ki packing karte dekh kar, shayad priya ko mere jaane ki baat satane lagi thi. Jis vajah se uska chehra kuch murjha sa gaya tha.
Mai uske man ki is haalat ko samajh sakta tha. Isliye maine uska dimag is baat se hatane ke liye, baat banate huye us se kaha.
Mai bola “mujhe ami nimi aur ghar ke baki logon ke liye kuch kharidi karni hai. Kya tum mere sath shopping karne chalogi.”
Meri baat sunte hi priya ke chehre par muskurahat aa gayi aur usne fauran mujhse kaha.
Priya boli “haan, jarur chalugi. Lekin shopping par sirf hum dono hi jayege. Hum dono ke alawa koi teesra humare sath shopping par nahi jayega.”
Priya ki is baat par maine bhi muskurate huye haan kah diya. Abhi meri priya se baat chal hi rahi thi ki, tabhi barkha aa gayi. Usne mujhe apne kapde pack karte huye dekha to, achanak hi uske chehre ki muskurahat gayab ho gayi aur usne mujhse kaha.
Barkha boli “kya ab tum humare yaha nahi rukoge.”
Mai bola “didi, aisi koi baat nahi hai. Lekin ab kal hum logon ko ghar ke liye nikalna hai. Uske pahle mai ami nimi aur ghar ke baki logon ke liye thoda shopping karna chahta hu. Shopping karne ke bad, mujhe apne saman ki packing bhi karni hai.”
“Isliye mai apne ye kapde le ja raha hu. Taki raat ko aaram se apni packing kar saku. Ab rahi baat aapke sath rahne ki, to aap bilkul fikar mat kijiye. Mai jab tak yaha hu, tab tak mera khana aapke sath hi hoga.”
Meri baat sunkar, barkha ke chehre ki muskurahat wapas aa gayi. Usne muskurate huye kaha.
Barkha boli “chalo koi koi baat nahi. Sabke liye shopping na bhi karo, tab bhi chal jayega. Lekin ami nimi ke liye to shopping karna bahut jaruri hai. To fir tum shopping ke liye kab jaane wale ho.”
Mai bola “bas didi, khana khane ke bad, mai aur priya shopping ke liye nikal jayege.”
Meri baat sunkar barkha ne mujhse kaha.
Barkha boli “mujhe bhi ami, nimi aur aunty ke liye kuch saman bhejna tha. Yadi tum logon ko bura na lage to, kya mai bhi tumhare sath shopping ke liye chal sakti hu.”
Mai bola “didi, isme bura lagne wali kaun si baat hai. Maine to aapse sath chalne ke liye sirf isliye nahi bola tha. Kyoki mujhe laga tha ki, aapko yaha par koi kaam na ho. Yadi aap humare sath chalna chahti hai to, jarur chal sakti hai.”
Meri baat sunte hi barkha ne kaha.
Barkha boli “to thik hai, tum log jaldi se niche se aa jao. Tab tak mai sabke liye khana lagati hu. Fir uske bad hum log shopping par chalte hai.”
Maine bhi barkha ki baat me, haan me haan mila di aur meri baat sunte hi wo niche chali gayi. Lekin barkha ke bhi humare sath jaane ki baat ko lekar, priya ka muh ban gaya. Mai uski is narajgi ko samajh sakta tha.
Lekin barkha ko apne sath jaane se rokna mere bas me nahi tha. Mai barkha ka dil dukhane ki baat soch bhi nahi sakta tha. Jis vajah se mujhe priya ka dil dukhana pad gaya tha. Maine uska bana hua muh dekh kar, us se kaha.
Mai bola “sorry, mai janta hu ki, tumhe barkha didi ka humare sath jana acha nahi lag raha hai. Lekin mai unko jaane ke liye mana karke unka dil dukhana nahi chahta tha. Mere pas unko sath lekar chalne ke alawa koi rasta nahi tha.”
Maine apni baat priya ko samjhane ke liye kahi thi. Lekin uske upar meri is baat ka ulta hi asar hua. Meri baat sunte hi, uski aankhon me aansu chamakne lage aur unse mere upar bhadakte huye kaha.
Priya boli “tumko sabki khushi ka khayal rahta hai. Lekin tumhe kabhi meri kisi khushi ka khayal nahi rahta hai. Mere liye tumne khud to kabhi apne man se kuch kiya nahi tha.”
“Upar se aaj jab maine khud tumse kuch karne ko kaha to, tumse mere liye wo bhi na ho saka. Ab mujhe tumhare sath kisi shopping par nahi jana. Tum barkha didi ke sath hi jakar apni shopping kar lo. Aaj ke bad mai kabhi tumse kuch bhi nahi kahugi.”
Ye kahte huye wo gusse me mere pas se uth kar niche chali gayi aur mai hairani se use jate huye dekhta rah gaya. Mai ye to janta tha ki, priya ko meri ye baat buri lagegi. Lekin mujhe is baat ki jara bhi ummid nahi thi ki, wo mujhse is had tak naraj ho jayegi ki, mere sath jaane se hi mana kar degi.
Hamesha har kisi ki baat par hanste rahne wali ladki ka, meri jara si baat par is tarah se naraj ho jaane ki, mujhe bas ek vajah najar aa rahi thi aur wo vajah thi ki, usne kal apne dil ka saara haal mere samne khol kar rakh diya tha.
Iske bad bhi usne mujhe apne sath hamdardi jatane tak ka mauka nahi diya tha. Aise me mera uski kahi ek chhoti si baat ko bhi pura na kar pane se, uske dil ko chot pahuchi thi. Ye baat chahe mere liye bahut choti thi.
Lekin jis ladki ne apne liye, kabhi kisi se kuch na maanga ho, uske liye ek bahut badi baat thi. Ye hi vajah thi ki, meri baat se priya ke dil ko chot pahuchi thi aur ab mere sath shopping par jana nahi chahti thi.
Mai abhi priya ke khayalon me khoya hua tha ki, tabhi barkha ne khana khane ke liye niche aane ki aawaj laga di aur mai niche aa gaya. Mere aate hi sab khana khane baithne lage.
Mai bhi sabke sath khana khane baith gaya. Lekin priya jo mere pas baithne ka kabhi koi bhi mauka nahi chhodti thi. Aaj mujhse gussa hone ki vajah se nitika ke pas jakar baith gayi.
Wo ek baar bhi najar utha kar meri taraf nahi dekh rahi thi. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai use kaise samjhau. Jab mujhe kuch samajh me nahi aaya to, maine khana khate khate ek Sms priya ko bhej diya.
Mera Sms “Aaj Kuch Kami Si Hai Tere Baigar.
Na Rang Hai Na Roshini Hai Tere Bagair.
Waqt Apni Raftaar Se Chal Raha Hai,
Bas Dhadkan Thami Huyi Hai Tere Baigar.”
Mera Sms pahuchte hi priya ne apna mobile nikal kar dekha aur fir Sms padne lagi. Mere Sms ko padne ke bad, usne meri taraf dekha to nahi, lekin uski ungliyan mobile par chalane lagi. Jise dekh kar nitika ne use tokte huye kaha.
Nitika boli “ye kya kar rahi hai. Mobile ke sath bad me khel lena. Pahle ache se khana to kha le.”
Nitika ki baat sunkar, priya ne muskurate huye us se kaha.
Priya boli “kuch nahi, bas ek faltu ka Sms aa gaya tha. Use delete kar rahi thi.”
Ye kah kar, wo fir se khana khane lagi. Uske is tarah mere Sms ko delete kar dene se hi pata chal raha tha ki, abhi uska gussa kam nahi hua hai. Lekin mere pas usko manane ke liye na to abhi samay tha aur na hi Sms karne ke siwa koi dusra rasta tha. Isliye maine use fir se Sms bhej diya.
Mera Sms “Wo Ek Dost Jo Pyara Sa Lagta Hai.
Bahut Pas Hai Fir Bhi Juda Sa Lagta Hai.
Aaya Nahi Koi Paigam Uska,
Shayad Kisi Baat Pe Khafa Sa Lagta Hai.”
Lekin priya ne mere is Sms ka bhi wo hi haal kiya, jo usne mere pahle Sms ka kiya tha. Uski is harkat se mai samajh gaya tha ki, wo itni aasani se nahi manegi. Fir bhi maine ek aakhiri koshish karte huye use ek Sms or bhej diya.
Mera Sms “Najar Se Najar Churaoge Kab Tak.
Dosti Humari Bhulaoge Kab Tak.
Yu Hi Milte Rahenge Paigam Humare,
In Paigamon Ko Mitaoe Kab Tak.”
Magar mere is Sms ka bhi priya ne wo hi haal kiya. Jo mere usne mere pichhle do Sms ka kiya tha. Priya ko manane ki meri saari koshish bekar ho chuki thi. Isliye ab mai bhi haar maan kar khana khane laga.
Khana khane ke bad, barkha taiyar hone chali gayi. Mai priya se baat karne ki koshish me laga tha. Lekin wo mujhe baat karne ka koi bhi mauka nahi de rahi thi. Tabhi keerti ka call aa gaya aur mai bahar aakar keerti se baat karne laga.
Maine use chhoti maa ke ghar wapas laune ki baat batayi. Uske bad mai use priya ki narajgi ki baat bhi batane laga. Jise sunte hi keerti hasne lagi. Use hanste dekh kar, maine us par gussa karte huye kaha.
Mai bola “mai barkha didi aur priya ke bich fasa hua hu aur tujhe meri is haalat par hansi aa rahi hai.”
Keerti boli “mai hansu nahi to or kya karu. Tum mujhe to kabhi mana nahi pate ho aur priya ko manane chale ho.”
Mai bola “chal, ab apni bak bak band kar, barkha didi aa rahi hai. Ab tu call rakh. Hum raat ko baat karte hai.”
Keerti boli “ok, mai call rakh rahi hu. Lekin mai tumko ek Sms bhejti hu. Tum usko bhej kar dekhna, shayad tumhara kaam ban jaye.”
Ye kah kar keerti ne call rakh diya aur mai uska Sms aane ka intejar karne laga. Thodi hi der me keerti ka Sms aa gaya aur maine wo Sms priya ko bhej diya.
Keerti ka Sms “Ho Jaye Koi Bhool To Na Dil Se Lagana.
Jo Bhi Shikayat Ho Mil Ke Batana.
Samjho Jo Apna To Haq Hum Pe Jatana,
Sachchi Hai Agar Dosti To Dil Se Nibhana.”
Maine keerti ka ye Sms priya ko bhej to diya. Lekin mujhe priya ke maan jaane ki jara bhi ummid nahi thi. Mai abhi ghar ke bahar tha. Isliye mai ye jaan nahi pa raha tha ki, priya par mere is Sms ka kya asar pada hai.
Lekin hua wo hi, jiski mujhe jara ummid nahi thi. Mere Sms bhejne ke kuch hi der bad, priya ka Sms aa gaya aur mai uska Sms padne laga.
Priya ka Sms “Panchhi Kah Rahe Hai Ki Hum Chaman Chhod Denge.
Sitare Kah Rahe Hai Ki Hum Gagan Chhod Denge.
Agar Hum Tumhari Dosti Me Mar Bhi Jaye To,
Tum Dil Se Pukar Lena Hum Kafan Chhod Denge.”
Priya ka ye Sms padte hi, mai ghar ke andar jaane ko hua. Magar tabhi priya aur barkha mujhe bahar aati dikh gayi. Unhe aate dekh mera chehra khushi se khil gaya. Barkha mere pas aakar mujhse baat karne lagi.
Lekin priya aate hi, seedhe gaadi me jakar baith gayi. Shayad uski narajgi abhi bhi kam nahi huyi thi aur wo abhi bhi mujhse najar nahi mila rahi thi. Lekin fir bhi mujhe is baat ki khushi thi ki, wo humare sath jaane ko taiyar ho gayi hai.
Ab mujhe is mauke ka fayda utha kar, kisi na kisi tarah uski is narajgi door karna thi. Priya ke gaadi me baithte hi, mai aur barkha bhi gaadi me baith gaye. Kuch hi der me humari gaadi ek shopping mall ke samne jakar ruk gayi.
Hum log gaadi se utre aur mall me apni shopping karne chale gaye. Maine papa ke alawa ghar ke sabhi logon ke liye kuch na kuch kharidi ki aur uske bad ami nimi ke liye khilone dekhne laga.
Is bich barkha aur priya bhi ami nimi aur chhoti maa ke liye kuch kharidi karne lagi. Hum logon ko apni shopping karne me 3 baj gaye. Humari achi khasi shopping ho gayi thi.
Iske bad hum log ghar ke liye wapas nikal pade. Lekin is sab me mere hath se priya ko manane ka ye mauka bhi nikal chuka tha aur priya ki narajgi abhi bhi mujhse kam nahi huyi thi.
Hum ghar pahuche to, mehul log raj ke sath ghar wapas ja chuke the. Mai aur priya kuch der waha ruke aur fir hum bhi priya ke ghar ke liye nikal pade. Priya ke ghar wapas pahuchne me hume 4 baj gaye.
Ghar pahuchte hi priya, sidhe apne kamre me chali aur mai shopping ka saman lekar apne kamre me aa gaya. Kamre me aane ke bad maine apne kapde badle aur let kar priya ki narajgi ke baare me sochne laga.
Mai chah kar bhi priya ki narajgi ko door nahi kar saka tha. Yahi baat sochte sochte pata nahi kab meri nind lag gayi. Do raat lagatar jagne ki vajah se mujhe itni gahri nind aayi ki, mujhe kisi baat ka hosh hi raha.
Fir meri nind sham ko 7 baje priya ke jagane par khuli. Maine uth kar darwaja khola to, priya ne beman se kaha.
Priya boli “jara apna mobile dekho, kaun kaun tumko, kab se call lagaye ja raha hai.”
Priya ki baat sunkar, maine apna mobile utha kar dekha to, usme chhoti maa, keerti, barkha, shikha didi, ajay aur seeru didi ke dher saare call the. Un sabke call dekhne ke bad, maine priya se kaha.
Mai bola “kya hua, ye log mujhe itna call kyo laga rahe hai.”
Priya boli “shikha didi aur baki sab tumhe waha bula rahe hai. Barkha didi, kuch hi der me hume lene yaha aane wali hai. Isliye ab tum jaldi se taiyar ho jao.”
Priya ki baat sunkar, maine use chay ka jataya aur fir mai fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad, mai taiyar hone laga. Ab mai aman ke diye kapde pahan raha tha. Mere taiyar hote hi priya bhi chay le aayi.
Hum dono chay peene lage. Abhi humara chay peena hua hi tha ki, tabhi nitika ne aakar bataya ki, barkha aa gayi hai. Barkha ke aane ki baat sunkar, hum dono uske sath bahar aa gaye.
Bahar raj, mehul, riya bhi taiyar khade the. Barkha ke sath, neha aur hitu bhi the. Mere unke pas pahuchte hi barkha ne jaldi chalne ki baat kahi aur hum sab ghar ke bahar aa gaye.
Bahar aakar sab alag alag car me baithne lage. Lekin mai bike uthane laga to, barkha ne iski vajah puchhi, tab maine use bataya ki, ye bike mujhe ajay ke bungalow me wapas rakhna hai.
Iske bad sab car me baith kar aage bad gaye aur maine bhi apni bike aage bada di. Ajay ke bangalow me car rakhne ke bad, mai ek najar bangalow ko dekhne laga. Yaha maine apna bahut hi keemti samay bitaya tha.
Isliye is bangalow se door jate huye mujhe kuch dukh bhi ho raha tha. Mai abhi bangalow ko nihar hi raha tha ki, tabhi priya log aa gayi. Maine bangalow me taala lagaya aur fir priya logon ke sath aman ke ghar ki taraf bad gaya.
Kuch hi der me hum log aman ke ghar pahuch gaye. Aman ka ghar kisi rajmahal se kam nahi lag raha tha. Humare waha pahuchte hi humara swagat seeru didi ne kiya.
Wo hum logon ko sidhe waha lekar aa gayi, jaha ajay aur aman ke sath ghar ke baki log the. Maine aman ki mom aur chacha chachi ke pair chhukar, unse aashirwad liya.
Iske bad, meri najar shikha didi ko yaha waha talash karne lagi. Shayad seeru didi meri in najro ka matlab, samajh gayi thi. Usne fauran hi mujhe tokte huye kaha.
Seerat boli “tum bekar me hi apni didi ko yaha waha dud rahe ho. Wo to sham ko hi aru, hetal aur dhiru uncle logon ke sath surat chali gayi hai. Wo bechari jaane se pahle tumse milna chahti thi. Isliye tumko call laga rahi thi. Lekin tumne unka call hi nahi uthaya aur unhe tumse mile bina hi jaana pada.”
Seeru didi ki ye baat sunkar, mera chehra chhota sa ho gaya aur ab mujhe waha kuch acha sa nahi lag raha tha. Maine ajay ko uske bangalow ki chaabi di aur use bataya ki, maine bike wahi rakh di hai.
Itna kah kar mai beman se wahi baith gaya. Meri baat sunkar, ajay kuch bolne ko hua. Lekin tabhi selu ne use tokte huye kaha.
Selina boli “bhaiya, humne aapse kuch karne ko kaha tha. Yadi aap wo nahi kar sakte hai to, aap yaha se chale jaiye.”
Selu ki baat sunkar, ajay ne mujhe baithne ko kaha aur mai uske pas baith kar chup chap sabki baten sun ne laga. Mujhe chup chap dekh kar, aman ki mom ne kaha.
Aunty boli “kya baat hai beta, yaha sab log kuch na kuch baat kar rahe hai. Lekin tum bilkul chup ho. Tumhe jara bhi sharmane ki jarurat nahi hai. Ye tumhara hi ghar hai.”
Aunty ki baat sunkar, maine kaha.
Mai bola “aunty, aisi koi baat nahi hai. Baat asal me ye hai ki, do din se meri nind puri nahi ho payi hai. Isliye mere sar me thoda sa dard hai.”
Meri ye baat sunte hi seeru didi ne kaha.
Seerat boli “are isme pareshani wali kya baat hai. Humari bhabhi doctor hai, wo abhi chutki bajate hi tumhara saara sar dard door kar degi.”
Mai seeru didi ko aisa karne se rokna chahta tha. Lekin un ne meri baat ko ansuna karte huye, ghar ke andar ki taraf aawaj lagate huye kaha.
Seerat boli “bhabhi yaha aapka chhota devar sar dard se parshan ho raha hai aur aap ho ki kitchen se bahar nikalne ka naam hi nahi le rahi hai. Aap saara kaam chhod kar jaldi se yaha aaiye.”
Seeru didi ki aawaj sunte hi, nisha bhabhi apne hath ponchhte huye humare pas aa gayi. Wo shayad sach me hi kitchen se aa rahi thi. Unko dekhte hi mere chehre par muskurahat aa gayi. Mai khada hone laga to, un ne mujhe tokte huye kaha.
Nisha bhabhi boli “are baithe raho hero aur ye batao ki, tumhare sar ko kya hua hai.”
Mai bola “kuch nahi bhabhi, bas nind puri na hone ki vajah se sar me jara sa dard hai. Nind puri hote hi wo bhi chala jayega.”
Meri baat sunkar, nisha bhabhi ne kaha.
Nisha bhabhi boli “fikar mat karo. Mere pas tumhare is sar dard ki dawa bhi hai. Mai chutki bajate hi, tumara saara sar dard gayab kar dugi”
Nisha bhabhi ki ye baat sunkar, mai kuch kahne hi wala tha ki, tabhi un ne kitchen ki taraf dekh, kar aawaj lagate huye kaha.
Nisha bhabhi boli “nidhi, jara waha se sar dard ki dawa to lekar aana.”
Nisha bhabhi ki aawaj sunte hi kitchen se nidhi bahar nikli. Lekin uske hath me khane ka bartan tha. Wo use lekar sidhe dining table ki taraf bad gayi aur use waha rakh kar humari taraf muskura kar dekhne lagi.
Abhi mai hairani se nidhi ko dekh hi raha tha ki, tabhi mujhe fir se kitchen ki taraf se kisi ke aane ki aahat huyi. Maine palat kar dekha to ye nikki thi. Uske hath me bhi ek khane ka bartan tha.
Wo bhi use lekar sidhe dining table ki taraf bad gayi aur use waha rakh kar, mujhe dekh kar, muskurane lagi. Mujhe kuch samajh me nahi aa raha tha ki, ye sab kya ho raha.
Lekin abhi mera or jyada hairan hona baki tha. Kyoki kuch hi der bad, kitchen se hetal aur aru nikal aayi. Un ne bhi wo hi kiya, jo nidhi aur nikki ne kiya tha. Hetal aur aru ko dekhne ke bad, meri najar is baar khud-ba-khud becheni se kitchen ki taraf chali gayi.
Kyoki hetal aur aru ko dekh kar, ab mujhe aisa lag raha tha ki, mere sath majak kiya ja raha hai aur shikha didi yahi par hai. Mujhe is tarah kitchen ki taraf dekhte dekh kar, seeru didi ne mujhe tokte huye kaha.
Seerat boli “are ab kitchen ki taraf kya dekh rahe ho. Saara khana to dining table par saj chuka hai aur sajane wale bhi sab yahi hai.”
Lekin mujhe seeru didi ki baat par yakin nahi aa raha tha. Maine ajay ki taraf dekha to, usne mujhe kitchen me dekh lene ka ishara kiya. Ajay ka ishara pakar mai uth kar kitchen ki taraf jaane laga.
Mujhe kitchen ki taraf jate dekh kar, seeru didi aur selu mujhe rukne ke liye kahne lagi. Lekin mai unki baat ko ansuna karke kitchen ki taraf bad gaya. Waha pahuchte hi mujhe shikha didi dikhayi de gayi.
Wo man laga kar puriyan tal rahi thi. Shayad unhe mere aane ki khabar nahi di gayi thi. Unhe dekhte hi mere chehre ki raunak wapas aa gayi. Maine unse dhire se kaha.
Mai bola “didi.”
Meri aawaj sunte hi, un ne palat kar dekha aur mujhe apne samne pate hi, unke chehre par saare jamane ki khushiyan simat kar aa gayi. Un ne mere upar sawalon ki bauchhar karte huye kaha.
Shikha didi boli “kya bhaiya, aapko pata hai, maine aapko kitne call lagaye the. Inke yaha niyam hai, ki shadi ke bad, pahli rasoi nayi dulhan hi pakati hai. Isliye maine aap sab ko bhi yaha bulane ki ijajat le li thi.”
“Lekin aap ka call tha ki, uth hi nahi raha tha. Isliye maine priya aur barkha se aapko sath lane ko kaha tha. Magar aap log kab aaye. Barkha aur priya log kaha hai. Kya wo log aapke sath nahi aayi hai.”
Shikha didi ko apne samne dekh kar, mujhe bhi aisa lag raha tha ki, jaise mai unhe barso bad dekh raha hu. Unke saare sawalon ka maine msukurate huye ek chhota sa jabab dete huye kaha.
Mai bola “didi, sab log aaye hai. Aap khud hi dekh lijiye.”
Meri baat sunkar, shikha didi mere sath bahar sabke pas aa gayi. Barkha aur neha un se milne lagi. Nisha bhabhi ne nidhi aur hetal ko kitchen ka kaam dekhne ke liye bhejte huye mujhse kaha.
Nisha bhabhi boli “kaho hero, ab tumhara sar dard kaisa hai.”
Nisha bhabhi ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.
Mai bola “bhabhi, ab mera sar dard acha hai. Lekin aap logon ne to mujhe sach me dara hi diya tha.”
Meri baat sunkar, sab hasne lage aur barkha shikha didi ko saari baten batane lagi. Iske bad hum sabne sath baith kar khana khaya aur fir uske bad bahut der tak humari baten chalti rahi.