Incest Koi To Rok Lo~Pritam.bs~

Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 227}
____________________________

Ami boli “didi, mujhe bhi aalu aur chapati khana hai.”

Ami ki ye baat sunkar, keerti ne use samjhate huye kaha.

Keerti boli “ami, is khane me jara bhi mirch masala nahi hai. Ye tumhe bilkul acha nahi lagega. Tum ise mat khao.”

Keerti ki is baat par ami ne ne us se ulta sawal karte huye kaha.

Ami boli “yadi ye khana acha nahi hai to, fir bhaiya is khane ko kyo kha rahe hai.”

Keerti boli “ami, wo kya hai ki, mujhe ye khana jara bhi acha nahi lagta hai aur mai is khane ko khane me bahut na nukur karti hu. Isliye punnu mere sath dene ke liye ye khana kha raha hai. Taki mai khushi khushi ye khana kha saku.”

Keerti ki is baat ke jabab me ami ne kaha.

Ami boli “thik hai didi, fir mai bhi aapka sath dene ke liye ye khana khana chahti hu. Mujhe bhi ye khana do na.”

Keerti ami ko samjhane ki bahut koshish karti rahi. Lekin jab ami nahi maani to, keerti ne ami ko bhi aalu aur chapati khane ke liye de diye. Lekin ab keerti khana khate huye nimi ko dekh rahi thi.

Kuch der bad, nimi ki najar mere aur ami ke khane par pad gayi. Wo thodi der tak mere aur ami ke khane ko gaur se dekhti rahi. Fir achanak hi uski aankhon me aansu jhilmilane lage aur usne rona suru kar diya.

Nimi ko achanak se rote dekh kar, sabka dhyan uski taraf chala gaya aur sab hairani se nimi ko dekhne lage. Wo vaani didi ke bagal me baithi thi. Isliye vaani didi us se rone ki vajah puchhne lagi.

Nimi ka rona sunkar, mera dhyan bhi barkha didi ki baton se hat gaya. Mai fauran khana chhod kar nimi ke pas aaya aur us se uske rone ki vajah puchhne laga. Lekin wo kuch bol nahi rahi thi aur bas sisakti hi ja rahi thi.

Nimi ki is harkat ne sabko pareshani me daal diya tha. Keerti to nimi ki harkat pahle se hi dekh rahi thi. Usne jab sabko nimi ki vajah se pareshan hote dekha to, usne sabki is pareshani ko door karte huye kaha.

Keerti boli “nimi ko kuch nahi hua hai. Use bas is baat ka bura laga hai ki, punnu aur ami ek sa khana kha rahe hai. Lekin use alag sa khana diya gaya hai.”

Keerti ki baat sunkar, pahli baar mera dhyan ami ke khane ki taraf gaya. Ami ke khane me aalu aur chapati dekh kar, mere sath sath baki sabko bhi saara majra samajh me aa gaya. Maine nimi par thoda gussa karte huye kaha.

Mai bola “chhoti, ye kya hai. Yadi tujhe bhi aalu chapati khana thi to, ami didi ya keerti didi se maang li hoti. Iske liye rone ki kya jarurat thi. Kya hum tujhe ye khane se mana karte.”

Lekin nimi ne meri ye baat sunte hi, mere upar hi gusse me bhadakte huye kaha.

Nimi boli “jao, aap gande ho. Aap ami didi ko bas pyar karte ho, mujhe pyar nahi karte. Mujhe aap se koi baat nahi karni.”

Nimi ki ye baat sunkar, mujhe hansi aa gayi. Maine pyar se use manate huye kaha.

Mai bola “chhoti, tu puri pagal hai. Are maine ami ko ye khana nahi diya hai. Usne khud hi ye khana liya hai. Mujhe to iske baare me kuch pata hi nahi. Lekin tujhe bhi ye khana khana hai to, mai apni pyari nimmo ko khud apne hath se khana duga.”

Ye kahte huye maine aalu aur chapati utha kar nimi ki plate me rakh di. Ye dekhte hi nimi khush hokar muskurane lagi aur usne khana suru kar diya. Uski is harkat par sab hasne lage.

Bachpan se aisi hi thi meri nimmo. Gussa uski naak par, aansu uski aankhon me aur muskan uske hothon par pal bhar me hi aa jaya karti thi. Wo chahe kitni bhi naraj rahe. Lekin mere manate hi faruan maan jaya karti thi.

Aisa hi kuch abhi bhi hua tha. Mere manate hi, wo fauran maan gayi thi. Uski jagah yadi ami kisi baat par mujhse naraj huyi hoti to, fir use manana jara bhi aasan nahi tha.

Ami bachpan se meri chaheti thi aur use apni koi bhi baat manwane ke liye mujhse kabhi dusri baar nahi bolna padta tha. Mai pahli baar me hi uski har baat maan leta tha.

Iski vajah ye thi ki, ami bahut shant swabhav ki hone ke sath sath kabhi koi galat maang nahi karti thi. Uske umar ke bachchon ke muakable me uski har baat me samajhdari jhalakti thi.

Jis vajah se mai khud hi uski baat maan leta tha. Isliye use apni baat manwane ke liye kabhi jid karne jarurat hi nahi padi thi ya yun kah lo ki maine use jid karne ka mauka hi nahi diya tha.

Lekin yadi ami ke muh se kabhi kisi baat ke liye na nikal jaye to, fir uske muh se us baat ke liye haan kahlwana namumkin hi hota tha. Lekin uski sabse badi khasiyat ye thi ki, wo mujhse kabhi naraj nahi hoti thi.

Meri dono bahno me meri jaan basti thi aur mai hamesha unhe khush rakhne ki koshish karta tha. Yahi vajah thi ki, mai chah kar bhi priya ke mamle me ami ko kuch samjhane ki himmat nahi kar pa raha tha.

Yaha nimi ke khana khana suru karte hi baki sab bhi baat karte huye khana khane lage. Mai bhi wapas apni jagah par aakar baith gaya aur khana khate huye barkha didi se baat karne laga.

Barkha didi ne puchha ki, waha kya hua to, mai unhe nimi ki harkat ke baare me batane laga. Barkha didi bhi waha sabke sath khana kha rahi thi. Un ne nimi ki harkat ke baare me suna to, wo waha sabko nimi ki harkat batane lagi.

Jise sunkar waha par bhi sab hasne lage. Aise hi baat karte karte yaha aur waha dono jagah sabka khana khana ho gaya. Humara khana khana pura hote hi papa aur mausa ji uth kar drawing room me chale gaye.

Lekin meri abhi bhi barkha baat chal rahi thi. Fir barkha diid ne shikha didi ko call de diya to mai shikha didi se baat karne laga. Maine unko yaha ke sab logon ka haal chal diya aur fir unse puchha.

Mai bola “didi, priya ki vajah se aapko surat yaha wapas aana pad gaya tha. Lekin ab to priya ki bhi chhutti ho chuki hai aur hetal didi ki bhi surgery ho chuki hai. Ab aap surat kab ja rahi hai.”

Shikha didi boli “bhaiya, abhi jab tak hetal didi hospital me hai. Tab tak mera surat jana mushkil hai. Lekin aaj dhiru uncle ka phone aaya tha. Wo kah rahe the ki, kal ek jaruri meeting hai.”

“Isliye ye jarur kal surat ja rahe hai. Ab ye hetal didi ki dusri surgery ke samay par hi yaha aayege. Waise hetal didi aapko bhi us samay bulane ki baat kar rahi thi. Kya aap bhi unki surgery ke samay par aaoge.”

Mai bola “didi, hetal didi ne bhi mujhse ye baat boli thi aur maine unse aane ka haan bhi kah diya tha. Lekin meri padai ka bahut nuksan ho chuka hai. Isliye ab pata nahi ki, chhoti maa mujhe waha aane ki ijajat deti hai ya nahi deti.”

Shikha didi boli “haan, ye baat to hai. Aapka pura mahina hospital-hospital me hi nikal gaya hai. Fir bhi ho sake to, ek do din ke liye aa jana. Hetal didi ko acha lagega. Aap kahoge to, mai aunty se baat kar lugi.”

Mai shikha didi se ye sab baat karne me is tarah khoya hua tha ki, mujhe yaad hi nahi raha ki, abhi mai sabke sath baitha hua hu. Abhi meri shikha didi se ye baat chal hi rahi thi ki, tabhi vaani didi ne mujhe tokte huye kaha.

Vaani didi boli “kya hua.? Kis baat ke liye kah rahe ho ki, mausi tumhe ijajat deti bhi hai ya nahi deti.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ek pal ke liye mai sakpaka gaya. Lekin fir maine shikha didi ko thoda rukne ko kaha aur vaani didi ko hetal didi ki surgery wali baat batane laga. Jise sunne ke bad vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “thik hai, tum shikha se bol do ki, hetal ki surgery ke samay tum do din ke liye waha aaoge.”

Vaani didi ke muh se is baat ke liye haan sunkar, mujhe ek jhatka sa laga. Kyoki vaani didi in sab mamlo me bahut sakht thi aur mere itne dino ke school ke nuksan ko dekhte huye unke muh se haan nikalna itna aasan nahi tha.

Mujhe abhi bhi is baat par yakin nahi aa raha tha aur mai hairani se vaani didi ko dekh raha tha. Tabhi chhoti maa ne bhi apna sar hila kar, vaani didi is baat ke liye apni sahmati de di.

Chhoti maa ki bhi sahmati pakar meri khushi ka koi thikana nahi raha aur mai khushi khushi ye baat shikha didi ko batane ko hua. Tabhi ami ne mujhe tokte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, hum bhi aapke sath mumbai chalege.”

Ami ki ye baat sunkar, mujhe ek aur jhatka laga. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ami sach me mere sath Mumbai jana chahti hai ya fir wo sirf priya ki vajah se mere sath Mumbai ja rahi hai.

Is se pahle ki mai ami ki is baat me haan ya na kah pata. Vaani didi ne ami ki baat ko sunkar, us se puchha.

Vaani didi boli “tum kyo Mumbai jana chahti ho.”

Ami boli “didi, wo hetal didi ne apni surgery ke samay par hum se bhi Mumbai aane ko kaha tha.”

Ami ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “thik hai, tum log bhi Mumbai chali jana.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ek baar fir mujhe jhatka sa laga. Mujhe to is baat ka dar sata raha tha ki, kahi ami ki baat sunkar, vaani didi us par gussa na karne lage. Lekin yaha to ulta hi ho gaya.

Un ne badi aasani se ami ko bhi Mumbai jaane ke liye haan kar diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, vaani didi ye kya kar rahi hai. Un ne itni aasani se mujhe aura mi ko Mumbai jaane ke liye haan kaise kah diya.

Us se bhi badi tajjub ki baat ye thi ki, chhoti maa ne bhi vaani didi ki is baat par apni sahmati de di thi. Un ne ek baar bhi kisi se koi sawal jabab karne ki jarurat nahi samjhi thi.

Mujhe ami ke apne sath jaane se koi pareshani nahi thi. Isliye maine bhi kisi se koi sawal jabab nahi kiya aur shikha didi se bata diya ki, mai aur ami nimi hetal didi ki surgery ke samay par do din ke liye Mumbai aa rahe hai.

Iske bad maine shikha didi se thodi bahut baat karke call rakh diya. Call rakhe ke bad, mai keerti ko uski hands free wapas karne laga. Tabhi vaani didi ne mujhe tokte huye kaha.

Vaani didi boli “maine tumhe baat karne ke liye bluetooth headphones diya tha na. Fir tum use laga kar baat kyo nahi karte ho.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mai keerti ko ghoor kar dekhne laga. Lekin wo is baat se anjan bankar yaha waha dekhne lagi. Ab mai vaani didi ko kaise batata ki, unka diya hua headphones keerti hajam kar gayi hai. Isliye maine vaani didi se bahana banate huye kaha.

Mai bola “didi, mai barkha didi se sirf raat ko hi khane ke samay par baat karta hu aur unke siwa meri kisi se itni der baat nahi hoti hai. Isliye wo headphones ghar par hi hai. Mai raat ko unse wo headphones laga kar hi baat karta hu.”

Meri ye baat sunkar, vaani didi ne kuch nahi kaha. Shayad unhe meri baat sahi lagi thi. Lekin na jaane keerti ko kya sujhi ki usne meri baat sunte hi, fauran bich me kudte huye kaha.

Keerti boli “didi, mai to aapse pahle hi ise headphones dene se mana kar rahi thi. Lekin aapne meri baat suni hi nahi. Ab aapne khud hi apni aankhon se apni di huyi chij ki ijjat dekh li na.”

“Lekin iske liye to aapki di huyi chij ki koi ijjat hi nahi hai. Mujhse aapki chij ki itni beijjti dekhi nahi jati hai. Mujhe dekhiye, mai aapka diya hua bracelet kitne pyar se istemal karti hu.”

Ye kahte huye keerti apna bracelet vaani didi ko dikhane lagi. Ye bracelet Mumbai me mere dene ke bad se hi uske hath me tha. Mujhe keerti ki is harkat par bahut gussa aa raha tha.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, maine to iski harkat ko vaani didi se chhupaya hai. Fir ye kyo mujhe vaani didi ke samne fasa rahi hai. Keerti ki is harkat ke bad mujhse vaani didi se apni safayi me kuch kahte nahi bana.

Lekin keerti ki baat sunne ke bad, vaani didi ke kuch na kahne ki ummid karna bekar tha. Aisa hua bhi, keerti ki baat sunne ke bad, vaani didi kuch sochne lagi aur fir un ne mujhe chetavni dete huye kaha.

Vaani didi boli “keerti thik kah rahi hai. Yadi koi tumhe pyar se koi gift de to, tumhe bhi use pyar se istemal karna chahiye. Aainda is baare me mujhe tumhari koi shikayat na mile. Ab iske bad bhi yadi mujhe tumhari aisi koi shikayat mili to, fir tumhare pas baat karne ke liye ye mobile phone nahi rahega.”

Itna bol kar vaani didi chhoti maa, anu mausi aur dushyant mausa ji ke sath chanda mausi ke kamre me chali gayi. Ab yaha par mai keerti, ami, nimi, mehul aur neha bas the.

Keerti ki is harkat ki vajah se ami nimi use gusse me ghoor rahi thi. Lekin unse bhi jyada gussa mujhe keerti ki is harkat par aaya tha. Isliye vaani didi ke jate hi, maine us se kaha.

Mai bola “ye sab kya natakbaji thi. Tune khud hi wo headphones apne pas rakh liya hai aur ab khud hi vaani didi se meri shikayat bhi kar rahi hai. Aakhir tu chahti kya hai.”

Lekin keerti ne meri is baat ko ansuna kar diya aur ami nimi se baat karte huye kaha.

Keerti boli “ami nimi ye apna itna acha bluetooth headphones chhod kar meri is raddi si hands free ko laga kar baat kar raha tha. Mai is se bol bol kar thak gayi ki, ise bluetooth headphones laga kar baat karna chahiye. Lekin ye meri koi baat sunne ko hi taiyar nahi tha.”

“Ab tum hi batao, aise me maine vaani didi se iski shikayat karke kya bura kiya hai. Kya tum dono ko iska itna acha bluetooth headphones ko chhod kar is raddi si hands free ko laga kar baat karna acha lagta hai. Mujhe to bilkul bhi acha nahi lagta hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, ami nimi bhi uske jhanse me aa gayi. Ami ne keerti ki tarafdari karte huye kaha.

Ami boli “haan bhaiya, keerti didi thik hi kah rahi hai. Aapko bluetooth headphones laga kar hi baat karna chahiye. Ye hands free bilkul bhi acha nahi lagta.”

Ab jab ami ne kuch kaha tha to, fir nimi kaise pichhe rahti. Usne ami se bhi do kadam aage jate huye kaha.

Nimi boli “haan bhaiya, aap headphones laga kar baat kiya karo. Usme aap bilkul hero lagte ho.”

Ami nimi ki baat sunkar, mai hairani se unko dekhne laga. Kaha to thodi der pahle vaani didi ki baat sunne ke bad wo keerti ko kha jaane wali najro se dekh rahi thi aur kaha ab us baat ko bhool kar keerti ki haan me haan mila rahi thi.

Keerti ne ek teer se do shikar kiye the. Ek taraf to usne vaani didi se meri shikayat bhi kar di thi aur dusri taraf usne khud ko bhi ami nimi ki narajgi se saaf saaf bacha liya tha.

Mai keerti ka safed jhuth dekh kar aur apni dono bahno ki nadani dekh kar muskurane ke siwa kuch na kar saka. Abhi mai keerti aur ami nimi ki baton me uljha hua tha ki, tabhi mehul ka mobile bajne laga.

Usne mobile dekha to, richa aunty ka call aa raha tha. Wo us se khan eke liye puchh rahi thi. Mehul ne unhe bataya ki wo yaha khana kha chukka hai aur wo raat ko der se ghar aayega. Itni baat karne ke bad mehul ne call rakh diya.

Mehul ke call rakhte hi, vaani didi log bhi chanda mausi ke kamre se bahar aa gayi thi. Vaani didi ne hum logon se drawing room me aane ko kaha to, unke pichhe pichhe hum sab bhi drawing room me aa gaye.

Drawing room me papa aur mausa ji pahle se hi baithe huye the. Dushyant mausa ji aur anu mausi jakar mausa ji ke pas baith gaye. Wahi chhoti maa aur vaani didi papa ke pas jakar baith gayi.

Vaani didi ne hum logon se bhi baithne ko kaha to, hum sab bhi unke samne ke sofe par baith gaye. Vaani didi ka hum logon ko is tarah sabke sath baithane se ek baat samajh me aa rahi thi ki, unhe humse koi jaruri baat karna hai.

Lekin hum logon ke baith jaane ke bad bhi sab khamosh hi bathe rahe. Koi bhi kisi se kuch nahi bol raha tha. Tab chhoti maa ne is khamoshi ko todte huye vaani didi se kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, tu hi is baat ko kar, mujhe lagta hai ki, tu inhe is baat ko ache se samjha sakti hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “ji mausi.”

Iske bad vaani didi thodi der kuch sochti rahi. Fir un ne apni baat suru karte huye kaha.

Vaani didi boli “aaj humari nisha se baat huyi thi. Nisha ne chanda mausi ke doctor se salah karne ke bad hume bataya hai ki, chanda mausi ab bilkul thik hai aur ab wo kahi bhi aa ja sakti hai.”

Vaani didi ki is baat par maine khush hote huye kaha.

Mai bola “didi, ye to bahut khushi ki baat hai. Hum kal hi chanda mausi ko apne ghar lekar chalte hai.”

Lekin vaani didi ne meri is baat ke jabab me inkar karte huye kaha.

Vaani didi boli “nahi, tum chanda mausi ko kal ghar nahi le ja sakte.”

Mai bola “lekin kyo didi. Abhi to aapne kaha tha ki, wo bilkul thik hai aur kahi bhi aa ja sakti hai.”

Vaani didi boli “haan, maine aisa kaha hai. Lekin fir bhi tum unhe kal ghar nahi le ja sakte ho.”

Vaani didi ki is baat se maine pareshan hote huye kaha.

Mai bola “didi, mai wahi to puchh raha hu ki, aisa kyo.? Jab chanda mausi bilkul thik hai to, hum unhe apne ghar kyo nahi le ja sakte.”

Meri is baat ke jabab me vaani didi ne ek sapat sa jabab dete huye kaha.

Vaani didi boli “tum chanda mausi ko isliye apne ghar nahi le ja sakte. Kyoki wo chanda mausi ka ghar nahi hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, mere dil ko ek dhakka sa laga. Aisa hota bhi kyo na. Bhale hi duniya ki najar me chanda mausi meri koi nahi thi. Lekin mere liye wo meri mausi hi thi.

Maine apna hosh unki god me sambhala tha aur un ne mujhe beshumar pyar diya tha. Fir bhala mai is baat ko kaise sah sakta tha ki, mera ghar chanda mausi ka ghar nahi hai. Is baat ko sunkar mujhe dhakka to lagna hi tha. Mai dard se tilmila gaya aur maine bechain hote huye vaani didi se kaha.

Mai bola “didi, aap ye kya kah rahi hai. Aap aisa soch bhi kaise sakti hai.”

Vaani didi boli “isme sochna kya hai. Jo sach hai, mai wahi kah rahi hu.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, mai apni jagah par uth kar khada ho gaya aur maine unhe unki is baat ki safayi dete huye kaha.

Mai bola “nahi didi, ye sach nahi hai. Sach ye hai ki chanda mausi humari ghar ki ek sadasya hai. Mai hi nahi, ami, nimi aur chhoti maa bhi unhe apne ghar ka ek sadasya hi manti hai.”

Lekin vaani didi ne meri is baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “tumhare manne se kya hota hai. Sach ye hai ki, ye unka ghar nahi hai. Unka ghar, unka sasural hai aur unka sasural Mumbai me hai.”

Vaani didi ki is baat ke bad mere pas kahne ke liye kuch nahi bacha tha. Mujhe samajh me aa gaya tha ki, wo kya kahna chahti hai. Isliye mai nidhal sa hokar apni jagah par baith gaya aur maine unse puchha.

Mai bola “didi, mausi kab Mumbai ja rahi hai.”

Vaani didi boli “wo Mumbai nahi ja rahi hai. Wo Mumbai jaane ke liye taiyar hi nahi hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, ek baar fir mere chehre par ek chamak aa gayi. Shayad vaani didi mere chehre ki is chamak ko pahchan chuki thi. Isliye un ne mujhe tokte huye kaha.

Vaani didi boli “isme itna khush hone ki baat nahi hai. Maine sirf ye kaha hai ki, wo jaane ke liye taiyar nahi hai. Maine ye nahi kaha ki, wo Mumbai nahi jayegi.”

Vaani didi ki is baat se maine thoda bechain hote huye kaha.

Mai bola “to kya aap unhe jabardasti Mumbai bhejegi.”

Meri is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “mai nahi, tum unhe Mumbai jaane ke liye taiyar karoge.”

Waise to vaani didi ki kisi baat me palat kar jabab dene ki meri himmat nahi thi. Lekin sawal yaha mausi ke rukne ya jaane ka tha. Isliye maine vaani didi ki is baat se apna palla jhadte huye kaha.

Mai bola “mai kyo unhe is kaam ke liye taiyar karu. Unhe jabardasti Mumbai bhejne ka faisla aapka hai. Aap hi unhe iske liye taiyar kijiye.”

Meri is baat ko sunkar, vaani didi ne gusse me bifarte huye kaha.

Vaani didi boli “ye baar baar chanda mausi ke Mumbai jaane ka iljam mere upar dalna band karo. Ye faisla mera akela nahi, balki hum sabka hai.”

Lekin vaani didi ki is baat se bhi mere upar koi asar nahi pada. Maine fir apni pahle ki baat ko dohrate huye kaha.

Mai bola “thik hai, to aap sab mil kar unhe jabardasti Mumbai bhej dijiye. Lekin mai unhe jabardasti Mumbai bhejne me aapke sath nahi hu.”

Mujhe apni baat samajhte na dekh kar, vaani didi ne thoda naram pad kar, apni baat samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “tum samajhte kyo nahi ho. Jitna dukh tumhe chanda mausi ke yaha se jaane se hoga. Utna hi dukh hume bhi unke jaane se hoga. Lekin ek ladki ka sasural hi uska asli ghar hota hai.”

“Aise hi chanda mausi ka asli ghar Mumbai me hai. Unka wo ghar barso se chanda mausi ke aane ka intejar kar raha hai. Hum chanda mausi ko samjha samjha kar thak gaye hai.”

“Lekin wo humari koi baat samajhne ko taiyar hi nahi hai. Wo tumhe aur ami nimi ko chhod kar yaha se jaane ke liye taiyar hi nahi hai. Aise me hume sirf tum se ummid hai.”

“Tum chaho to, chanda mausi ke sasural ke barso ke is intejar ko khatam kar sakte ho. Yadi tum koshish karoge to wo khushi khushi apne sasural chali jayegi aur barso se unki suni padi jindagi me fir se bahar aa jayegi.”

“Waise to ek ladki ko uske sasural bhejne ka kaam uske bap ya bhai ka hota hai. Lekin chanda mausi ka is duniya me humare siwa koi nahi hai. Fir ye kaam hum nahi karege to aur kaun karega.”

“Wo tumhe apna beta hi manti hai. Kya aise me tumhara farz nahi banta ki, apni maa saman mausi ko khushi khushi unke sasural ke liye vida karo. Maine apni taraf se tumhe samjha diya hai.”

“Ab aage tumko faisla karna hai ki, tum unko jindagi bhar apne ghar me hi rakhna chahte ho ya fir unhe unka apna aisa ghar saupna chahte ho. Jis ghar me wo rani ki tarah raj kare.”

Vaani didi ki is baat ne sach me mujhe soch me daal diya tha. Mai apni khushi ke liye chanda mausi ki bhalai ki baat bhool raha tha. Lekin ab mujhe vaani didi ki baat samajh me aa chuki thi. Isliye maine vaani didi se kaha.

Mai bola “thik hai didi, mai chanda mausi ko Mumbai jaane ke liye jarur taiyar karuga. Lekin iske pahle meri chhoti maa se ek request hai.”

Meri aadhi baat sunte hi, sabke chehre khushi se khil gaye the. Lekin meri baat puri hote hi sab gaur se mujhe dekhne lage. Meri request wali baat ne sabko kisi soch me daal diya tha.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 228}
____________________________

“Waise to ek ladki ko uske sasural bhejne ka kaam uske bap ya bhai ka hota hai. Lekin chanda mausi ka is duniya me humare siwa koi nahi hai. Fir ye kaam hum nahi karege to aur kaun karega.”

“Wo tumhe apna beta hi manti hai. Kya aise me tumhara farz nahi banta ki, apni maa saman mausi ko khushi khushi unke sasural ke liye vida karo. Maine apni taraf se tumhe samjha diya hai.”

“Ab aage tumko faisla karna hai ki, tum unko jindagi bhar apne ghar me hi rakhna chahte ho ya fir unhe unka apna aisa ghar saupna chahte ho. Jis ghar me wo rani ki tarah raj kare.”

Vaani didi ki is baat ne sach me mujhe soch me daal diya tha. Mai apni khushi ke liye chanda mausi ki bhalai ki baat bhool raha tha. Lekin ab mujhe vaani didi ki baat samajh me aa chuki thi. Isliye maine vaani didi se kaha.

Mai bola “thik hai didi, mai chanda mausi ko Mumbai jaane ke liye jarur taiyar karuga. Lekin iske pahle meri chhoti maa se ek request hai.”

Meri aadhi baat sunte hi, sabke chehre khushi se khil gaye the. Lekin meri baat puri hote hi sab gaur se mujhe dekhne lage. Meri request wali baat ne sabko kisi soch me daal diya tha.

Sab gaur se mujhe dekh rahe the. Lekin koi kuch bol nahi raha tha. Tabhi chhoti maa ne is khamoshi ko todte huye kaha.

Chhoti maa boli “haan bolo, tumhari kya request hai.”

Mai bola “chhoti maa, mai yaha nahi, aapko akele me apni request batauga.”

Meri is baat ka chhoti maa ne koi virodh nahi kiya aur wo mujhe waha se apni baat kahne ke liye keerti ke kamre me le aayi. Waha aane ke bad chhoti maa ne mujhse kaha.

Chhoti maa boli “yaha ab humare siwa koi nahi hai. Ab tum apni request mere samne rakh sakte ho.”

Lekin ab mujhe chhoti maa se apni request kahne me kuch hichak si ho rahi thi. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mujhe chhoti maa se itni badi baat karni chahiye ya nahi karni chahiye.

Mujhe is baat ka dar bhi sata raha tha ki, chhoti maa ko meri ye baat pasand bhi aati hai ya nahi. Bas isi uljhan ki vajah se mai chahte huye bhi, chhoti maa se apni baat kahne ki himmat nahi kar pa raha tha.

Shayad chhoti maa meri is halat ko samajh gayi thi. Isliye un ne mere is dar ko door karte huye kaha.

Chhoti maa boli “mai tumhari maa hu. Apni maa se apne dil ki baat kahne ke liye na to tumhe darna chahiye aur na hi is tarah sochna chahiye. Tumhari kya request hai. Tum behichak hokar bolo.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mera hausla bada aur maine unse kaha.

Mai bola “chhoti maa, meri request bahut badi hai aur mai nahi janta ki, ye sahi hai ya galat hai. Ho sakta hai ki, ye aapko pasand na aaye. Isliye ise manne ya na manne ka faisla mai aap par chhodta hu.”

Chhoti maa boli “tum meri pasand napasand ki fikar mat karo. Tumhari khushi me hi meri khushi hai. Yadi mujhe tumhari requsest sahi lagi to, mai use jarur pura karugi. Tum nidar hokar apni request bolo.”

Mai bola “ji chhoti maa.”

Ye kahte huye mai chhoti maa ko apni request batane laga. Chhoti maa bade gaur se meri baat sun rahi thi. Meri baat puri hote hi, chhoti maa ke chehre par muskan aa gayi aur un ne mujhe apne gale se lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “mai janti thi ki, tu ab bahut samajhdar ho gaya hai aur bahut badi badi baten karne laga hai. Lekin ye to mai bhi nahi janti thi ki, tu apne parivar ke logon ke liye itni gahri soch rakhta hai.”

“Maine bhi bahut kuch karne ke liye socha tha. Lekin ye baat mere dimag me bhi nahi aayi thi. Lekin tu fikar mat kar aur mujhe bas thoda sa samay de. Mai teri ye request jarur puri karugi.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mera chehra khushi se khil utha aur maine khush hote huye kaha.

Mai bola “thanks chhoti maa, aap sach me duniya ki sabse achi maa ho.”

Meri baat sunkar, chhoti maa muskurane lagi aur un ne mere gaal par pyar se ek chapat lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “chal, ab jyada maska lagane ki jarurat nahi hai. Ab jaldi se bahar chal, bahar sab humara intejar kar rahe hai.”

Mai bola “ji chhoti maa.”

Iske bad mai chhoti maa ke sath sabke pas drawing room me aa gaya. Lekin humare waha pahuchte hi, anu mausi ne mujhe gusse me aankh dikhate huye kaha.

Anu mausi boli “to tu ab humara koi kaam karne ke humare samne shart rakhne laga hai.”

Anu mausi ki ye baat sunkar, mai thoda saham gaya. Lekin chhoti maa ne fauran mera bachaw karte huye kaha.

Chhoti maa boli “didi, isne humare samne koi shart nahi rakhi hai. Isne to bas humare samne ek chhoti si request rakhi hai.”

Magar chhoti maa ki ye baat sunkar bhi anu mausi ke tevar nahi badle aur un ne chhoti maa ki baat ko kaatte huye kaha.

Anu mausi boli “iski shart aur request me antar hi kya hai. Isne kaam karne ke badle hi to apni request rakhi hai. Matlab ki ab se hume isse apna koi kaam karwane ke liye iski baat bhi puri karna padegi.”

Anu mausi ki is baat par chhoti maa ne unhe samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “nahi didi, jaisa aap soch rahi hai, waisa kuch bhi nahi hai. Isne humare samne request jarur rakhi hai. Lekin use manna ya na manna humare upar chhod diya hai. Mujhe apne bête ki is baat par garv hai.”

Ye kahte huye chhoti maa ne mere kandhe par hath rakha aur mujhe apne kandhe se laga liya. Wahi anu mausi ne bhi naram padte huye chhoti maa se puchha.

Anu mausi boli “acha, jara mai bhi to sunu ki, iski aisi kaun si request hai, jise sunkar tujhe is par garv hone laga hai.”

Lekin chhoti maa ne unhe meri request batane se inkar karte huye kaha.

Chhoti maa boli “nahi didi, abhi mai iski request aapko nahi bata sakti. Pahle mujhe iski request ko puri kar lene dijiye. Fir mai aap sabko iski request bataugi.”

Anu mausi boli “dekh sonu, ab tu apne bête ki tarah jyada nakhre mat kar aur sidhe tarah se iski request hum sabko bata de.”

Lekin chhoti maa ne anu mausi ko meri request puri hone ke pahle batane se saaf mana kar diya. Chhoti maa ko meri request batate na dekh kar, baki sab bhi request batane ke liye kahne lage.

Magar chhoti maa kisi ki bhi baat sunne ke liye taiyar nahi huyi aur sabse intejar karne ke liye kahti rahi. Aakhir me chhoti maa ki is jid ke aage sabko jhukna pad gaya aur sabne unki baat maan li.

Vaani didi is pure wakye ko badi khamoshi se dekh rahi thi. Un ne chhoti maa se is baare me janne ki koi koshish nahi ki thi. Lekin jaise hi sab shant hokar baith gaye to, un ne mujhse kaha.

Vaani didi boli “ab to mausi ne tumhari request puri karne ki baat kah di hai. Ab tum chanda mausi ko Mumbai jaane ke liye kab taiyar kar rahe ho.”

Mai bola “didi, mai kal hi school se aane ke bad, mausi se is baare me baat karta hu.”

Vaani didi boli “ye to bahut achi baat hai. Yadi tumne kal hi mausi ko Mumbai jaane ke liye taiyar kar liya to, fir mausi bhi Saturday ko tum logon ke sath Mumbai ja sakegi.”

Mausi ke hum logon ke sath Mumbai jaane ki baat sunkar, maine vaani didi se puchha.

Mai bola “didi, hum logon ke sath kaun kaun Mumbai jayega.”

Vaani didi boli “abhi humne is baare me kuch socha nahi hai. Lekin tum aur ami nimi to Mumbai ja hi rahe ho. Yadi chanda mausi bhi taiyar ho gayi to, fir chanda mausi, dushyant mausa ji aur neha bhi tumhare sath hi jayege.”

Iske bad vaani didi sabse isi baare me baten karne lagi. Lekin unki sabse ajib baat ye thi ki, wo bich bich me papa se bhi is baare me salah mashwara kar rahi thi aur papa bade ukhde huye mood se unki haan me haan mila rahe the.

Mujhe vaani didi ki ye baat jara bhi pasand nahi aa rahi thi aur mai samajh nahi pa raha tha ki, vaani didi is baat ke liye us jaise jalil aadmi se koi salah mashwara kyo kar rahi hai.

Is dauran dushyant mausa ji bhi pure samay khamosh hi rahe. Wo bhi bas vaani didi ki har baat me haan me haan mila rahe the. Maine unko papa se ya papa ko unse abhi tak koi bhi baat karte nahi dekha tha.

Mujhe ye baat bhi samajh me nahi aa rahi thi ki, yadi papa aur dushyant mausa ji ke bich sulah ho gayi hai to, fir dono aapas me baat kyo nahi kar rahe hai. Ye baat bhi mere liye ek paheli hi bani huyi thi.

Mere man me is samay hajaron sawal uth rahe the. Jinke jabab mujhe vaani didi, chhoti maa, anu mausi, richa aunty ya chanda mausi hi de sakti thi. Lekin anu mausi se kiye vade ki vajah se mai kisi se koi sawal nahi kar pa raha tha.

Mai apni isi uljhan me uljha hua tha. Tabhi meri najar chhoti maa par padi. Wo gaur se mujhe hi dekh rahi thi. Lekin meri unse najar milte hi, wo vaani didi se raat jyada hone ki baat kah kar ghar chalne ko kahne lagi.

Jiske bad vaani didi ghar chalne ke liye uth kar khadi ho gayi. Un ne papa se bhi sath hi ghar chalne ko kaha to, papa ne kah diya ki, unhe abhi mausa ji se kuch jaruri baten karna hai. Isliye wo aaj raat mausa ji ke ghar par hi rukege.

Mujhe papa ke mausa ji ke yaha rukne se koi pareshani nahi thi. Magar neha ka waha hona mere man me khatak raha tha. Waise to dushyant mausa ji ke waha hone ki vajah se papa ka koi harkat kar pana sambhav nahi tha.

Lekin fir bhi mai nahi chahta tha ki, mere bap ki kisi harkat ki vajah se fir mujhe kisi ke samne sharminda hona pade. Mai riya ki tarah neha ke mamle me koi jokhim lena nahi chahta tha. Isliye maine neha se kaha.

Mai bola “neha, mai abhi yaha nahi tha. Isliye mai tumhe apna ghar dikha nahi paya. Kya tum mere ghar chalna pasand karogi. Chaho to subah wapas aa jana.”

Meri ye baat sunte hi, neha ne khush hote huye kaha.

Neha boli “haan, haan, jarur chalugi.”

Iske bad usne dushyant mausa ji se puchha.

Neha boli “baba, kya mai punnu ke sath uske ghar chali jau. Subah aa jaugi.”

Neha ki is baat par pahli baar dushynat mausa ji ne muskurate huye kaha.

Dushyant mausa ji bole “haan, tum shauk se ja sakti ho. Isme puchhne wali baat kya hai.”

Dushyant mausa ji ki baat sunte hi, neha ne mujhse kaha.

Neha boli “tum 2 min ruko, mai abhi apne kapde lekar aati hu.”

Ye kah kar neha apne kamere me chali gayi. Keerti bade gaur se meri is harkat ko dekh rahi thi. Shayad wo samajh gayi thi ki, maine aisa kyo kiya hai. Lekin mai iske siwa kar bhi kya sakta tha.

Mere pas apne dil ka dar nikalne ke liye aisa karne ke alawa koi rasta bhi to nahi tha. Mai apne bap ki jalil harkaton se bachne ke liye jo rasta apna sakta tha, wo hi rasta apna raha tha.

Kuch hi der me neha apne kapde lekar aa gayi. Iske bad humne sabse ijajat li aur ghar jaane ke liye nikalne lage. Lekin tabhi dushyant mausa ji ne mujhe rokte huye kaha.

Dushyant mausa ji bole “punnu beta, meri galti maafi ke layak to nahi hai. Lekin yadi ho sake to, mujhe maaf kar do.”

Mai bola “mausa ji, aap ye kis galti ki baat kar rahe hai. Mujhe to aapki koi galti yaad hi nahi aati hai. Plz aap mujhse maafi maang kar mujhe sharminda mat kijiye.”

Meri is baat ko sunkar, dushyant mausa ji ne mere samne hath jodte huye kaha.

Dushyant mausa ji bole “nahi beta, ye tumhara badappan hai ki, tum itna sab ho jaane ke bad bhi meri koi galti nahi mante ho. Lekin sach yahi hai ki, maine tumhari jaan lene ki koshish ki thi.”

“Shayad meri is galti ke liye mujhe upar wala bhi maaf nahi karega. Lekin yadi tum mujhe is galti ke liye maaf kar do to, kam se kam mere dil se ek bojh utar jayega aur mai tumhari mausi se najar milane ke layak ho jauga.”

Mai bola “mausa ji, mujhe sach me kisi baat me aapki koi galti najar nahi aati hai. Mujhe to aapki sirf wo achchaiyan yaad aati hai, jo maine shikha didi ke ghar me dekhi thi.”

“Meri chhoti maa kahti hai ki, bado ke hath maafi mangte huye nahi, balki aashirwad dete huye hi ache lagte hai. Isliye aap mere samne hath jod kar meri mausi ko chhota mat kijiye aur mujhe sirf apna aashirwad dijiye.”

Meri baat sunkar, dushyant mausa ji ne mere sar par hath fera aur mujhe apne gale se laga liya. Unse mil lene ke bad, hum sab ghar ke liye nikal pade. Pahle humne mehul ko uske ghar chhoda aur fir hum apne ghar aa gaye.

Hume ghar pahuchte pahuchte 11:30 baj gaye the. Raat jyada ho gayi thi. Isliye sab ghar aate hi apne apne kamre me chale gaye. Chhoti maa ne neha ko chanda mausi ke kamre me thahra diya.

Maine neha se thodi bahut baat ki aur fir apne kamre me aa gaya. Mai kamre me pahucha to, ami nimi dono hi mere kamre me baithi huyi thi. Unhe abhi tak baitha dekh kar, maine unke pas baithte huye kaha.

Mai bola “tum dono aaram se yaha kyo baithi ho. Kya kal school nahi jana hai.”

Meri ye baat sunkar, ami ne bade hi bholepan se kaha.

Ami boli “bhaiya, hum aaj hi to itne lambe safar se aaye hai. Kya humara kal se hi school jana jaruri hai.”

Ami ki baat sunkar, mai dhyan se uska chehra dekhne laga. Mere sath sath unka bhi school ka bahut nuksan ho chuka tha. Aise me mujhe unka apni padai ka aur jyada nuksan karna thik nahi lag raha tha.

Lekin ami ki ye baat bhi bilkul sahi thi. Wo log itne lambe safar se aayi thi. Aise me unhe apne safar ki thakan ko mitane ke liye kam se kam ek din ki chhutti to milna hi chahiye thi.

Mai apni dono masum bahno ko koi kasht dena nahi chahta tha. Lekin unki padai ka nuksan bhi karna nahi chahta tha. Abhi mai apni isi soch me uljha hua tha ki, ami ne fir se apni baat ko dohrate huye kaha.

Ami boli “boliye na bhaiya, kya humara kal se hi school jana jaruri hai.”

Ami ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “nahi, tumhara kal se hi school jana koi jaruri nahi hai. Tum log parso se school chali jana. Lekin humari padai ka bahut nuksan ho chuka hai. Isliye ab hume man laga kar padai karna hai.”

“Ab tum logon ko apna khelna kudna kam karke padai me apna man lagana hoga. Tum kal aaram karke parso se apni padai suru kar lena. Magar mai to kal se hi school jauga aur ghar aane ke bad bhi padai karuga.”

Meri ye baat sunkar, nimi to bahut khush ho gayi. Lekin ami ne kuch sochte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, yadi aap kaho to, hum log bhi kal se hi school jana suru kar dete hai.”

Ami ki ye baat sunkar, nimi ko jhatka sa laga aur uske chehre ki saari khushi gayab ho gayi. Wo fati fati aankhon se ami ko dekhne lagi. Mujhe nimi ki is halat par hansi aa gayi aur maine muskurate huye ami se kaha.

Mai bola “nahi, iski koi jarurat nahi hai. Tum log safar se thaki huyi ho. Tum log parso se hi school jana.”

Meri ye baat sunte hi, nimi ki khush wapas laut aayi aur usne bade hi joshile andaz me kaha.

Nimi boli “bhaiya, aap humari padai ki fikar mat karo. Hum log kal se hi apni padai suru kar dege aur parso se school bhi jaane lagege.”

Nimi ki baat sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi. Mai uski aadat ache se janta tha. Us se bada jhutha duniya me koi dusra nahi tha. Wo apna kaam nikalne ke liye bina soche samjhe kuch bhi kah jati thi.

Magar uski in nadani bhari harkaton ki vajah se kisi tanav me bhi mere chehre par muskurahat aa jati thi. Aisa hi kuch abhi bhi mere sath hua tha. Nimi ki baat sunkar mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine un dono se kaha.

Mai bola “chalo thik hai. Ab raat jyada ho gayi hai. Ab tum dono jakar so jao.”

Meri baat sunkar, dono ne mujhe good night kaha aur apne kamre me chali gayi. Unke jaane ke bad, maine kapde badle aur bed par let kar keerti ke aane ka intejar karne laga.

Tabhi meri najar bed par hi pade priya ke mobile par padi. Mai jaldi jaldi taiyar hone ke chakkar me us mobile ko ghar par hi bhool gaya tha. Maine mobile utha kar dekha to, usme priya ke 10-12 call the.

Priya ke is pagalpan ko dekh kar mujhe hansi aa gayi. Aaj bhi usne mere mobile par call na karke sirf apne wale mobile par hi call kiye the. Mera man priya se baat karne ka karne laga.

Lekin maine samay dekha to, 12 baj chuka tha. Isliye maine priya ko call lagane ka apna irada badal diya. Tabhi keerti bhi aa gayi. Usne aate hi darwaja band kiya aur fir mere pas aakar baithte huye kaha.

Keerti boli “yun akele baithe baithe kya soch rahe ho.”

Keerti ki is baat ko sunkar maine use priya ki harkat batate huye kaha.

Mai bola “kuch nahi, ye priya bhi puri pagal hai. Usne apne wale mobile par 10-12 call kiye hai. Lekin mere mobile par ek bhi call nahi kiya. Bas isi baare me soch raha tha.”

Keerti boli “isme sochna kya hai. Use call laga lo aur use bata do ki, tum abhi abhi ghar aaye ho.”

Mai bola “nahi, ab 12 baj gaye hai aur uski tabiyat bhi sahi nahi hai. Aise me use nind se jagana achi baat nahi hai.”

Keerti boli “to fir ek kaam karo. Tum abhi use ek msg kar do. Taki kal tumhare kahne ke liye rah jaye ki, tumne ghar aate hi use msg kiya tha.”

Mujhe keerti ki ye baat sahi lagi aur mai apne mobile me msg dudne laga. Lekin keerti ne meri is pareshani ko bhi hal kar diya aur apne mobile se mujhe ek msg send kar diya. Maine wahi msg priya ko bhej diya.

Mera Sms “Gam Na Ho Waha Jaha Ho Fasana Tera.
Khushiyan Dudti Rahe Aashiyana Tera.
Wo Wakt Hi Na Aaye Jab Tu Udas Ho.
Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Tera.”
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 229}
____________________________

Keerti boli “yun akele baithe baithe kya soch rahe ho.”

Keerti ki is baat ko sunkar maine use priya ki harkat batate huye kaha.

Mai bola “kuch nahi, ye priya bhi puri pagal hai. Usne apne wale mobile par 10-12 call kiye hai. Lekin mere mobile par ek bhi call nahi kiya. Bas isi baare me soch raha tha.”

Keerti boli “isme sochna kya hai. Use call laga lo aur use bata do ki, tum abhi abhi ghar aaye ho.”

Mai bola “nahi, ab 12 baj gaye hai aur uski tabiyat bhi sahi nahi hai. Aise me use nind se jagana achi baat nahi hai.”

Keerti boli “to fir ek kaam karo. Tum abhi use ek msg kar do. Taki kal tumhare kahne ke liye rah jaye ki, tumne ghar aate hi use msg kiya tha.”

Mujhe keerti ki ye baat sahi lagi aur mai apne mobile me msg dudne laga. Lekin keerti ne meri is pareshani ko bhi hal kar diya aur apne mobile se mujhe ek msg send kar diya. Maine wahi msg priya ko bhej diya.

Mera Sms “Gam Na Ho Waha Jaha Ho Fasana Tera.
Khushiyan Dudti Rahe Aashiyana Tera.
Wo Wakt Hi Na Aaye Jab Tu Udas Ho.
Ye Duniya Bhula Na Sake Muskurana Tera.”

Maine priya ko msg bheja aur fir keerti se baat karne laga. Lekin thodi hi der bad priya ka call aane laga. Mai priya ko call uthane laga. Tabhi keerti ne mujhe apni hands free thama di.

Mai uski is harkat ka matlab samajha gaya tha. Maine hands free lagayi to, keerti ne apne ek kaan me hands free laga li. Maine hands free lagane ke bad priya ka call uthate huye kaha.

Mai bola “sorry yaar, maine itni raat ko msg karke tumhe bevajah nind se jaga diya hai.”

Meri is baat par priya ne hanste huye kaha.

Priya boli “tum nind se mujhe tab jagate, jab mai so rahi hoti. Mai to jag rahi thi aur jab tumhara msg aaya, tab mai Tv dekh rahi thi.”

Priya ki ye baat sunkar, maine us par gussa hote huye kaha.

Mai bola “priya ye kya hai. Abhi tumhari tabiyat sahi nahi hai aur jag kar Tv dekh rahi ho. Tumhe to abhi tak so jana chahiye tha.”

Priya boli “are aisi baat nahi hai. Mai airport se aane ke bad hi so gayi thi. Uske bad nikki ke jagane khane ke samay par uthi hu. Isliye ab mujhe nind nahi aa rahi thi to, mai Tv dekhne lagi thi.”

Mai bola “chalo thik hai. Lekin abhi tum par dawaiyon ka asar hai. Yadi tum sone ki koshish karogi to, tumhe nind bhi aa jayegi. Isliye ab tumhe so jana chahiye.”

Priya boli “ok, mai abhi so jaugi. Lekin pls tum thodi der baat karo na.”

Mujhe priya ka dil todna acha nahi laga aur maine us se kaha.

Mai bola “thik hai, mai tumse 10 min baat karta hu. Lekin uske bad tum koi jid nahi karogi aur so jaugi.”

Priya boli “ok, tum 10 min baat karo, uske bad mai tumse koi jid nahi karugi aur so jaugi.”

Mai bola “ahca chalo thik hai. Ab ye batao ki, tumne mujhe apne dusre mobile par 10-12 call lagaye hai. Lekin mere maobile par koi bhi call nahi kiya. Tumne aisa kyo kiya.”

Priya boli “maine tumhare mobile par call isliye nahi kiya tha. Kyoki mai ye dekhna chahti thi, tum mere mobile ko kabhi dekhte bhi ho ya sirf use apne pas rakhe huye hai.”

Priya ki is baat par mujhe aur keerti dono ko hansi aa gayi. Maine hanste huye priya se puchha.

Mai bola “acha to fir tumne kya dekha.”

Priya boli “maine dekha ki, tum mere mobile ko dekhte ho.”

Mai bola “chalo acha hua, tumhe mere upar viswas to aaya. Ab ye batao nikki kaisi hai. Wo to mere yaha aate hi mujhe bhool gayi. Usne to ek call tak karne ki jarurat nahi samjhi.”

Priya boli “nahi, aisi baat nahi hai. Abhi thodi der pahle nikki bhi mere pas thi. Wo bhi tumse baat karna chahti thi. Lekin tum mere itna call lagane ke bad bhi mera call nahi utha rahe the. Isliye nikki ne tumhe call nahi lagaya tha.”

Priya ki is baat par maine chaukte huye kaha.

Mai bola “kya tumne nikki ko bataya tha ki, tum mere dusre number par call laga rahi ho.”

Priya boli “mai use kyo batati ki, mai tumhare dusre number par call laga rahi hu. Yadi mai use ye baat bata deti to, wo tumhe call laga leti aur fir tumhe pata chal jata ki, mai tumhare dusre number par call laga rahi hu.”

Mai bola “tum sach me puri pagal ho. Na to tumne khud mujhse baat ki aur na hi nikki ko mujhse baat karne di. Yadi tumne nikki ko ye baat bata di hoti to, uske sath sath meri tumse bhi tabhi baat ho gayi hoti.”

Priya boli “haan, meri tumse baat ho gayi hoti. Lekin tab mujhe ye kaise pata chalta ki, tum mera mobile dekhte bhi ho ya nahi dekhte ho.”

Mai bola “tumhari ye baat thik hai. Lekin tumko ye bhi to sochna chahiye tha ki, abhi tumhare wale mobile me waha ka sim card hi dala hua hai aur ab wo roaming me hai. Aise me mai tumse us mobile se kaise baat kar sakta hu.”

Priya boli “mujhe kuch nahi sunna hai. Maine tumhe wo mobile apne baat karne ke liye diya hai aur mai kal se tumse usi mobile par baat karugi. Warna mai tumse baat nahi karugi.”

Mai bola “dekho priya, abhi is baat ki jid mat karo. Mai yaha aate hi, ek jaruri kaam me fas gaya hu. Isliye mai chahte huye bhi abhi naya sim card lene ke liye samay nahi nikal pauga.”

“Lekin mai tumse vada karta hu ki, do teen din ke andar mai naya sim card le luga. Tum mujhe bas do teen din ka samay do. Uske bad mai jarur tumse tumhare wale mobile par hi baat karuga.”

Meri ye baat sunkar, priya ko bhi meri pareshani ka aehsas ho gaya aur usne mujhe sim card badalne ke liye samay dete huye kaha.

Priya boli “ok, mai tumhe sim card badalne ke liye teen din ka samay deti hu. Lekin iske bad mai tumari koi baat nahi sunugi.”

Mai bola “thanks, mere liye itna samay kafi hai. Mai tumhe shikayat ka koi mauka nahi duga. Lekin yadi tumhare pas bhi aisa hi sim card hota to, acha hota. Kam se kam hum free me baat to kar sakte the.”

Meri is baat ko sunkar, priya ne hanste huye kaha.

Priya boli “tum mere sim card ki fikar mat karo. Mere pas tumhare jaisa hi dusra mobile bhi hai. Tum bas apna naya number lo, mai bhi tumhe apna dusra number de dugi.”

Priya ki is baat par maine chaukte huye kaha.

Mai bola “jab tumhare pas pahle se hi aisa dusra mobile tha to, tumne ye baat mujhe pahle kyo nahi batayi.”

Priya boli “ab tum itne buddhu ho to mai kya kar sakti hu. Mai to tumhe pahle hi bata chuki thi ki is company ke mobile aapas me free ho jate hai. Tumhe tabhi ye baat sochna chahiye thi ki, jab mere pas is company ka number nahi hai to, fir mai ye mobile tumhe kyo de rahi hu.”

Priya ki ye baat sunkar, mai soch me pad gaya. Uska kahna puri tarah se sahi tha. Jab usne mujhe mobile gift me diya tha. Tab mai uske aur keerti ke ek se mobile dekh kar ulajh gaya tha.

Mai bas is baare me soch raha tha ki, keerti ko dusra mobile lene ki kya jarurat pad gayi thi. Us samay mujhe priya ke pas dusra mobile hone ki baat sujhi hi nahi thi. Lekin ab jab mujhe is baare me pata chala to, maine priya se kaha.

Mai bola “sorry, us samay mai kisi aur soch me uljha hua tha. Isliye mujhe tumhare mobile ke baare me puchhne ka yaad hi nahi raha.”

Meri is baat par priya ne hanste huye kaha.

Priya boli “mujhe pata hai ki, tum us samay kis baat me uljhe the. Tumhe us samay is company ke mobile ke baare me kuch nahi pata tha. Lekin aisa hi ek mobile tumhare pas bhi tha.”

“Tumhare us mobile par tripti ke call aa rahe the. Shayad usne apna mobile free karwa liya tha. Isliye wo tumhare mobile par call kar rahi thi. Tumhe shayad tripti ki yahi baat samajh me nahi aa rahi thi.”

“Isliye tum is baat me ulajh gaye the aur mujhse is company ke mobile ke baare me sawal kar rahe the. Shayad tripti ke dusre mobile ki vajah se hi, tumhe mere dusre mobile ke baare me puchhne ka yaad nahi raha tha.”

Priya ki ye baat sunkar, mai uske dimag ki daad diye bina na rah saka. Usne itne tanav ke samay me hi is baat par gaur kar liya tha. Lekin uski is baat ne mere dimag me kayi sawal bhi paida kar diye the.

Magar mai chah kar bhi priya se is baare me kuch puchh nahi sakta tha aur na hi kuch puchh kar uske man me keerti ke liye shaq paida karna chahta tha. Isliye maine is baat se pichha chhudane ke liye priya se kaha.

Mai bola “chalo acha hai. Ab mai jab bhi naya sim card luga, tab mai us number ko free bhi karwa luga. Fir tum jitna chaho, utna mujhse baat kar sakogi.”

Priya boli “wo to tum nahi bhi kahte, tab bhi mai tumhe pareshan karne se baaj nahi aati.”

Mai abhi priya se baat kar hi raha tha ki, tabhi keerti ne mera dhayan samay ki taraf dilaya aur maine priya se kaha.

Mai bola “thik tum mujhe jitna chaho, utna pareshan kar lena. Lekin ab raat jyada ho chuki hai aur tumhe so jana chaiye. Tumne mujhse 10 min ka kah kar mujhe apni baton me uljha kar 30 min se jyada baat kar li hai.”

Meri ye baat sunkar, priya ne khilkhilate huye kaha.

Priya boli “ye to tumhari galti hai. Tumhe khud hi baton me samay ka dhyan nahi raha. Lekin ab mai tumhe pareshan nahi karugi. Ab mai rakhti hu, tum apna khayal rakhna. Good night.”

Mai bola “ok, tum bhi apna khayal rakhna aur Tv mat dekhna, sidhe so jana. Good night.”

Iske bad priya ne call rakh diya. Priya ke call rakhne ke bad, maine keerti ki hands free use wapas karte huye us se kaha.

Mai bola “tune suna na, priya abhi baat karne ke liye kya kah rahi thi. Mujhe samajh me nahi aa raha ki, mai us se kaise kahu ki, mai raat ko 9:30 baje se 10:30 baje tak barkha didi se aur fir 11 baje se 1 baje tak tujhse baat karta hu.”

Meri is baat ko sunkar, keerti ne mujhe samjhate huye kaha.

Keerti boli “tumhe abhi to kya, kabhi bhi priya se is baare me kuch kahne ki jarurat nahi hai. Tumhare khane ke samay par barkha didi se baat karne ki baat priya bhi ache se janti hai.”

“Isliye wo khud tumhe is samay par pareshan nahi karegi. Rahi mere samay par tumhare us se baat ki baat to, mujhe is baat me koi pareshani nahi hai. Tum jitni der chaho, utni der priya se baat kar sakte ho.”

“Mai is baare me kabhi tumse koi shikayat nahi karugi. Bas tum mera call bas utha liya karna. Tum jitni der priya se baat karoge, utni der mai tumhari aawaj sunkar hi khush rah lugi. Fir uske bad mai tumse baat kar lugi.”

Keerti ki ye baat sunkar, mere dil se ek bahut bada bojh utar gaya tha. Usne mujhe priya ka dil dukhane ki galti karne se rok liya tha. Keerti ki is baat par mujhe us par bahut pyar aaya aur maine jhatke se uske mathe ko chum liya.

Meri is harkat ko dekh kar, keerti mujhe ghoor kar dekhne lagi. Fir usne mujh par gussa karte huye kaha.

Keerti boli “tum apni harkat se baaj nahi aaoge. Maine tumse kaha bhi tha ki, abhi koi kissy vissy nahi lena. Magar tum meri koi baat sunte hi nahi ho.”

Keerti ko naraj hote dekh kar, maine use manate huye kaha.

Mai bola “dekh, ab tu naraj mat ho. Maine kaun sat ere hothon par kissy li hai. Maine mathe par hi to ek chhoti si kissy li hai.”

Keerti boli “nahi, matlab nahi. Jab tak doctor nahi kah deta hai ki, mai puri tarah se thik ho gayi hu. Tab tumhe koi kissy nahi milegi.”

Mai bola “thik hai meri maa. Ab jab tak doctor tujhe thik nahi kah deta. Tab tak mai koi kissy nahi karuga. Ab tu apna mood kharab mat kar.”

Meri ye baat sunkar, keerti ka gussa shant ho gaya. Iske bad wo mujhse neha ke humare ghar aane ke baare me sawal karne lagi. Maine use saaf saaf bata diya ki, mai neha ko kis liye ghar lekar aaya hu.

Meri baat sunne ke bad, wo mujhe isi baare me samjhati rahi aur mai bevajah papa par apna gussa nikalta raha. Kafi der tak hum logon ke bich is baare me baten chalti rahi.

Magar mera mood papa ki taraf se thik hone ko taiyar hi nahi tha. Jab keerti ne mera mood thik hote nahi dekha to, wo mujhse meri chhoti maa se ki gayi request ke baare me puchhne lagi.

Jiske bad mai use apni chhoti maa se ki gayi request ke baare me batane laga. Meri request ke baare me sunkar, keerti ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Iske bad hum log kafi der isi baare me baat karte rahe.

Fir 1 baje ke bad keerti mujhe good night kah kar apne kamre me chali gayi. Keerti ke jaane ke bad, mai usi ke baare me sochte sochte gahri nind ki aagosh me chala gaya.

Fir meri nind subah 6 baje khuli. Aaj se mujhe school jana tha. Isliye mai bina samay barbad kiye fresh hone chala gaya. Fresh hone ke bad, mai school ke liye taiyar hone laga.

Lekin taiyar hote hote achanak hi mujhe chanda mausi ki yaad aa gayi. Itne salon me ye pahla mauka tha ki, mai school ke liye taiyar ho raha tha aur mera nashta nahi aaya tha.

Warna mere fresh hokar nikalne ke bad, mera taiyar hona suru karte hi, na jaane chanda mausi ko kaise pata chal jata tha ki, mai taiyar ho raha hu aur wo nashta lekar mere kamre me aa jati thi.

Itne salon me unka ye niyam kabhi nahi toota tha. Chanda mausi ki ye baat yaad aate hi, mujhe bahut jyada unki kami ka aehsas satane laga aur na chahte huye bhi meri aankhon me aansuon ki nami aa gayi.

Is se pahle ki mai apni aankhon me chhayi is nami ko saaf kar pata. Us se pahle hi keerti mere kamre ka darwaja kholte huye kamre ke andar aa gayi. Use dekhte hi mai apni aankhon me chhayi nami ko saaf karne laga.

Lekin tab tak keerti meri aankhon ki is nami ko dekh chuki thi. Usne fauran hi mere pas aate huye puchha.

Keerti boli “tumhe kya hua hai. Tum subah subah ro kyo rahe ho.”

Tab tak mai apni aankhon ko saaf kar chukka tha. Maine keerti ki baat sunkar, muskurate huye kaha.

Mai bola “mujhe kuch nahi hua hai. Mai ro nahi raha tha, bas meri aankh me kuch chala gaya tha. Isliye tumhe aisa lag raha hai.”

Meri baat sunkar, keerti gaur se mera chehra dekhne lagi. Fir kuch sochte huye usne kaha.

Keerti boli “thik hai, tum taiyar ho. Mai abhi aati hu.”

Itna kah kar wo mere kamre se chali gayi aur mai taiyar hone laga. Taiyar hone ke bad mai apne school ka bag jama raha tha, tabhi keerti nashta lekar aa gayi. Maine nashta kiya aur fir niche aa gaya.

Mai niche aaya to, chhoti maa ami nimi ko aaj school na jaane ke upar se daant rahi thi. Vaani didi aur neha unke pas khadi khamoshi se ye tamasha dekh rahi thi. Ye dekh kar maine ami se puchha.

Mai bola “kya tum dono ne chhoti maa se bataya nahi hai ki, maine hi aaj tum dono ko school se chhutti karne ko kaha hai.”

Meri ye baat sunkar, ami ne mujhse kaha.

Ami boli “bhaiya, humne mummy ko ye baat batayi hai. Lekin fir bhi mummy hum par gussa kar rahi hai.”

Wahi dusri taraf nimi jo abhi tak khamoshi se chhoti maa ki daant sun rahi thi. Mujhe dekhte hi uski aankhon me aansu aa gaye aur usne fauran mere pas aate huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, mummy ne hume bahut daanta hai aur hume ghar se nikal dene ka bhi bol rahi hai.”

Ye kahte huye wo bahut jyada sisakne lagi. Na jaane nimi ki siskiyon me kaun sa jahar tha ki, uski siskiyan sunkar mera seena chhalni ho jata tha aur mai uski siskiyon ke samne bilkul bebas sa ho jata tha.

Ye baat to wo khud bhi nahi janti thi ki, uski siskiyan mujh par kitna kahar dhati thi. Maine nimi ko sisakte dekha to, fauran uske pas aaya aur uske aansu ponchh kar, use apne seene se laga kar chup karane laga.

Jab nimi thoda shant huyi to, maine use apne seene se alag kiya aur chhoti maa par is baat ke liye gussa karte huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, ye kya hai. Aap in dono ko kyo bekar me gussa kar rahi hai. Maine hi aaj in dono ko chhutti karne ko kaha tha.”

Lekin meri ye baat sunkar, chhoti maa ne mere ulta mere upar hi gussa karte huye kaha.

Chhoti maa boli “tujhe inki jyada tarafdari karne ki jarurat nahi hai. Mai Mumbai se hi inki nautanki dekhte aa rahi hu. Mai waha sirf vaani ki vajah se chup thi. Lekin ab mai inki koi bhi baat sahan nahi karugi. Inhe yadi mere ghar me rahna hai to, mere hisab se hi chalna hoga.”

Mai chhoti maa ki baton se samajh gaya tha ki, wo shayad ami nimi ki priya ko lekar ki gayi harkaton ki vajah se naraj hai. Isliye wo is bahane se un par gussa kiye ja rahi hai. Mai unki is narajgi ko door karna chahta tha.

Isliye unki baat ko khamoshi se sun raha tha. Lekin chhoti maa ki aakhiri me kahi baat mere dil ko lag gayi aur maine jindagi me pahli baar chhoti maa se badtamiji se baat karte huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, aap aisa soch bhi kaise sakti hai. Itni chhoti chhoti bachchiyon se ye baat kahte huye aapko jara bhi sharam nahi aayi. Mai sab samajhta hu ki, aap in par kis baat ka gussa nikal rahi hai.”

“Lekin aap bhi meri baat kaan khol kar sun lijiye. Ye ghar inka hai aur is ghar me ye jaise chahe waise rahegi. Mere hote meri bahno se ye haq koi bhi nahi cheen sakta. Fir chahe wo aap hi kyo na ho.”

Mere itna kahte hi saara hall chatakkk ki aawaj se goonj gaya aur mera hath apne aap hi mere gaal par chala gaya. Vaani didi, keerti, neha aur ami nimi sabhi hairani se chhoti maa ko dekh rahe the. Lekin chhoti maa……”
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 230}
____________________________

Mai chhoti maa ki baton se samajh gaya tha ki, wo shayad ami nimi ki priya ko lekar ki gayi harkaton ki vajah se naraj hai. Isliye wo is bahane se un par gussa kiye ja rahi hai. Mai unki is narajgi ko door karna chahta tha.

Isliye unki baat ko khamoshi se sun raha tha. Lekin chhoti maa ki aakhiri me kahi baat mere dil ko lag gayi aur maine jindagi me pahli baar chhoti maa se badtamiji se baat karte huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, aap aisa soch bhi kaise sakti hai. Itni chhoti chhoti bachchiyon se ye baat kahte huye aapko jara bhi sharam nahi aayi. Mai sab samajhta hu ki, aap in par kis baat ka gussa nikal rahi hai.”

“Lekin aap bhi meri baat kaan khol kar sun lijiye. Ye ghar inka hai aur is ghar me ye jaise chahe waise rahegi. Mere hote meri bahno se ye haq koi bhi nahi cheen sakta. Fir chahe wo aap hi kyo na ho.”

Mere itna kahte hi saara hall chatakkk ki aawaj se goonj gaya aur mera hath apne aap hi mere gaal par chala gaya. Vaani didi, keerti, neha aur ami nimi sabhi hairani se chhoti maa ko dekh rahe the. Lekin chhoti maa……”

Chhoti maa ki aankhen gusse se laal thi aur wo bahut jyada gusse me bhari huyi thi. Mere gaal par jordar tamacha jad dene ke bad, un ne gusse me mujhe ungli dikha kar, chetawani dete huye kaha.

Chhoti maa boli “mujhse dobara unchi aawaj me baat karne ki galti kabhi mat karna. Mai tum logon ki koi bhi badtamizi sahan nahi karugi. Ab yadi dobara aisa hua to, mujhse bura koi nahi hoga.”

Chhoti maa ko itna jyada gusse me dekh kar, mujhse to apni safayi me kuch kahte nahi ban raha tha. Lekin vaani didi ne mera bachav karte huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, aap bhi kaha inki baton me aa rahi hai. Itni si baat me in par is tarah gussa karna thik nahi hai.”

Lekin chhoti maa ke gusse ka paara abhi kuch jyada hi chada hua tha. Un ne vaani didi ki is baat par unki hi khichai karte huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani, mujhe inke sath kab kaise pesh aana hai, ye tu mujhe sikhne ki koshish mat kar. Teri vajah se hi mai Mumbai se yaha tak in dono ki harkaten sahan karti aayi hu.”

“Upar se aaj is ladke ne to had hi paar kar di hai. Ise ye bhi yaad nahi raha ki, apni maa se kaise baat ki jati hai. Mujhse is tarah se baat karne ki iski himmat bhi kaise ho gayi.”

“Kya maine ise ye hi sikhaya hai. Kya maine ise ye hi sanskar diye hai. Aaj isne apni bahno ke samne bado ki ijjat utarne ka bada hi acha udaharan pesh kiya hai. Wo bhi aage chal kar isi ki tarah bado ki beijjati kiya karegi.”

Chhoti maa gusse me mujhe bake ja rahi thi. Jab vaani didi ne dekha ki, unke samjhane se bhi chhoti maa ka gussa shant nahi ho raha hai to, un ne mere upar hi ulta gussa karte huye kaha.

Vaani didi boli “ab tum yaha khade khade kya kar rahe ho. Kya itna tamasha karke bhi tumhe shanti nahi mili hai, jo abhi bhi besharmo ki tarah yaha khade huye ho. Jao, abhi tum apne school jao. Hum is baare me bad me baat karege.”

Vaani didi ki baat sunkar, maine ami nimi ki taraf dekha to, vaani didi ne ami nimi se kaha.

Vaani didi boli “tum dono bhi abhi apne kamre me jao.”

Maine bhi ami nimi ko waha se jaane ka ishara kiya to, wo dono apne kamre me chali gayi. Unke jaane ke bad mai bhi school ke liye nikal gaya. Mere aaj ke din ki suruaat behad hi tanav bhari huyi thi.

Lekin mere ye tanav ka daur school me bhi aise hi chalta raha. School me mere jo bhi teacher aa rahe the, wo mere padai me pichhad jaane ki baat kah kar, mujhe apni padai par jyada dhyan dene ke liye kah rahe the.

Unka ye kahna bhi bilkul sahi tha. Pichhle ek mahine se school na aane ki vajah se mera padai ka bahut nuksan ho chuka tha. Fir bhi mujhe is baat ka jyada tension nahi tha.

Kyoki meri class ka sabse hoshiyar student aslam mera dost tha aur mai uske sath padai karke apne is nuksan ko pura kar sakta tha. Isliye maine chhutti hone ke bad, aslam se is baare me baat karte huye kaha.

Mai bola “yaar aslam, mera padai me bahut nuksan ho gaya hai. Mai kal se tere sath hi padai karne ki soch raha tha.”

Meri ye baat sunte hi aslam khush ho gaya aur usne khushi khushi mujhse kaha.

Aslam bola “ye to bahut achi baat hai. Tu kal kis samay padne aayega.”

Mai bola “mai kal sham ko 5 baje tere ghar aauga. Lekin tu yaad se baji ko bhi ye baat bata dena. Mai Mumbai se aane ke bad unse bhi nahi mil paya hu.”

Aslam bola “tu fikar mat kar, mai baji ko bata duga ki, tu Mumbai se aa gaya hai aur kal se humare ghar padne aa raha hai.”

Abhi meri aslam se baat chal hi rahi thi ki, tabhi humare pas rahul aa gaya aur usne aslam ke hips par ek jordar chapat lagate huye kaha.

Rahul bola “meri jaan assu, kaisi hai.”

Rahul ki achanak ki gayi is harkat se aslam tilmila gaya aur usne bhannate huye rahul se kaha.

Aslam bola “bhosdi ke, meri g*nd ko apne bap ka godam samajh rakha hai kya, jo jab dekho, tab meri g*nd me ghusa chala aata hai.”

Magar rahul par aslam ke is tarah se bannane ka koi asar nahi pada aur usne fir se aslam ko chhedte huye kaha.

Rahul bola “ale le, meli jaan assu ko gussa aa gaya. Dekho kaise apne sajan par gussa kar rahi hai.”

Rahul ki harkat band na hote dekh kar, aslam ne use ek gandi si gaali baki aur apni bicycle uthane chala gaya. Aslam ke jaane ke bad maine rahul se kaha.

Mai bola “ye kya hai be, tu aslam ko itna pareshan kyo karta hai.”

Rahul bola “yaar mai kya karu. Wo mere chidane par chidta hai to, mujhe bhi usko chidane me maja aata hai.”

Mai bola “wo tujhe itni gaaliyan bakta hai. Kya tujhe ye acha lagta hai.”

Rahul bola “abe dosti me gaaliyan to Prasad ki tarah hoti hai. Inhe bhi pyar samajh kar rakh lena chahiye. Fir aslam to mera langotiya yaar hai. Uski kisi baat ka bura kya manna.”

“Ab tu us chhui mui ki baat chhod aur mujhe ye bata ki, tu itne din tak Mumbai me rah kar aaya hai. Tune waha par kuch maja vaja kiya ya aise hi sukha sukha wapas aa gaya hai.”

Mai bola “kamine, mai Mumbai me koi maja vaja karne nahi gaya tha aur na hi mujhe ye sab pasand hai. Ye sab harkaten tu apne liye bacha kar rakh.”

Rahul bola “chal jaane de. Mujhe pata tha ki, tu waha jakar bhi kuch nahi ukhad payega. Lekin tu abhi mere sath ghar chal, mai tujhe ek mast movie dikhata hu. Use dekh kar tujhe maja aa jayega.”

Mai bola “mujhe teri koi movie nahi dekhna. Ab mere ghar jaane ka samay ho raha hai. Mai apne ghar chala.”

Itna bol kar mai apni bike ki taraf bad gaya. Lekin rahul ne mere pichhe pichhe aate huye kaha.

Rahul bola “abe tu samjha nahi. Mai kisi aisi waisi movie ki baat nahi kar raha hu. Ye ladka ladki ke sex ki movie hai. Maine badi mushkil se is movie ka jugad kiya hai. Tu bhi dekhega to, khush ho jayega.”

Rahul ki ye baat sunkar, mai hairani se use dekhne laga. Kyoki kuch samay pahle uske bap ne use isi vajah se bahut buri tarah se peeta tha. Lekin apne bap se pitna rahul ke liye koi nayi baat bhi nahi thi.

Rahul ka bap bilkul jallad tha aur kisi bhi baat par rahul ko koot diya karta tha. Shayad yahi vajah thi ki, rahul ab bilkul kutela ho gaya tha aur us par apne bap ki maar ka koi asar nahi padta tha.

Rahul ke bap ki vajah se aslam bhi uske ghar jaane se katrata tha. Shayad yahi vajah thi ki, rahul ne us se apne sath chalne ko nahi kaha tha. Mai abhi yahi sab soch raha tha ki rahul ne mujhe tokte huye kaha.

Rahul bola “kya hua.? Tu kya soch raha hai.”

Rahul ki baat sunkar, maine apni soch se bahar nikalte huye kaha.

Mai bola “tu ab ye nayi musibat kaha se lekar aa gaya. Pichhli baar tere bap ne teri inhi harkaton ki vajah se tujhe kitna maara tha. Lekin lagta hai ki, tujhe us maar se koi farak nahi pada hai.”

Rahul bola “abe tu kyo gade murde ukhad raha hai. Mujhe us maar ki to yaad hi mat dila. Mere bap ne bilkul rui ki tarah mujhe dhuna tha aur mahine bhar meri chaukidari karta raha tha.”

“Lekin tu mere bap ki fikar kyo karta hai. Wo to abhi apne office me hoga aur mummy apni saheliyon ke sath mast hogi. Hum dono bade aaram se mere kamre me movie ka maja lege.”

“Waise bhi tune aaj tak aisi koi movie nahi dekhi hai. Tujhe bhi kuch naya dekhne aur sikhne ko mil jayega. Bad me yahi sab to humare girlfriend ke sath maja karne ke liye kaam me aayega.”

Rahul ki is baat ko sunkar, maine use fatkarte huye kaha.

Mai bola “tu apna ye bekar ka sex gyan apne hi pas rakh. Mujhse is sikhne me koi dilchspi nahi hai. Mujhe yadi ye sab sikhna hoga to, jab meri koi girlfriend banegi, mai us se seekh luga. Ab mai chalta hu.”

Rahul bola “abe tujhe itni jaldi kya hai. Tujhe movie nahi dekhna hai to, mat dekh. Lekin kam se kam mere ek fukki marne tak to mere pas ruk ja.”

Mai uski is baat ka matlab samajh gaya aur maine us se kaha.

Mai bola “chal thik hai. Lekin jyada der mat karna. Mujhe jaldi ghar bhi jana hai.”

Rahul bola “ok, tu apni gaadi utha, tab tak mai bhi apni gaadi nikal kar lata hu.”

Ye kahte huye rahul chala gaya. Mai apni bike par baitha rahul ke aane ka intejar karne laga. Kuch hi der me rahul apni luna moped lekar aa gaya aur hum dono school se bahar nikal aaye.

Hum dono abhi kuch hi dur pahuche hi the ki, rahul apni luna ko tej bhagane ke liye teji se pedal marne laga. Use aisa karte dekh kar maine us se kaha.

Mai bola “abe jab tujhe is luna me bhi pedal hi marna padte hai to, fir tu is khatara ko bech kar ek achi si bicycle kyo nahi le leta hai.”

Meri is baat ko sunkar rahul ne bade hi bholepan se kaha.

Rahul bola “bhai, tu meri luna ko khatara mat bol. Tu nahi janta ki, mere bap ne isi luna par hi kachchhe baniyan bech kar itna bada business khada kiya hai.”

Rahul ki is baat ko sunkar, maine use jhidakte huye kaha.

Mai bola “chal be, apni ye faltu ki emotional story sunakar kisi aur ko bevakuf banana. Sidhe se kyo nahi kahta hai ki, tera kanjus bap tujhe footi kodi bhi dene ko taiyar nahi hota hai.”

Meri is baat par rahul ne khijte huye kaha.

Rahul bola “kamine jab tujhe sab malum hai to, kyo meri lene par tula rahta hai.”

Aise hi baat karte karte hum school se thodi hi doori par bane bus stop ke pas ke ek paan, cigarette ke stall par pahuch gaye. Waha pahuch kar humne apni gaadi khadi ki aur fir stall par aa gaye. Us stall par aakar rahul bidi kharidne laga. Use bidi kharidte dekh kar maine us se kaha.

Mai bola “abe ye kya hai.? Tu cigarette se bidi par kab aa gaya.”

Rahul bola “mat puchh bhai, ye londiya baji ka chakkar bhi bahut kharab hai. Jab se mera dolly ke sath rishta jud gaya hai. Tab se saala meri jeb ka paise ke sath rishta hi toot gaya hai.”

Rahul ki ye baat sunkar, mai chuke bina na rah saka. Mujhe abhi bhi rahul ki is baat par yakin nahi aa raha tha. Dolly rahul ke hi pados me rahti thi. Rahul ne hi ek baar mujhe dolly ko dikhaya tha.

Dolly bhi humari hi umar ki thi aur sundar hone ke sath sath bahut hi sidhi saadi ladki thi. Wahi rahul ki badnami ka danka to uske ados pados lekar humare school tak me baja karta tha.

Aise me rahul ki dolly ke sath chakkar chalne wali baat mujhe hajam nahi ho rahi thi. Isliye uski is baat par maine chaukte huye kaha.

Mai bola “abe ye kab aur kaise ho gaya. Tune pahle kabhi mujhe is baare me bataya kyo nahi.”

Rahul bola “bhai, ye isi mahine ki baat hai. Lekin tu mujhe ek mahine se mila hi kaha hai. Tu bas ek baar mujhe aslam ke ghar se lautti samay hi mila tha. Tab bhi mai tujhe ye baat batana chahta tha.”

“Lekin tu jaldi hone ki baat bol kar chala gaya tha. Uske bad tere sath hadsa ho gaya. Tab bhi mai tujhse milne aaya tha. Lekin tab tu fir se Mumbai ja chuka tha. Uske bad se ab tu mujhe mil raha hai. Fir mai tujhe ye baat kab bata deta.”

Abhi mai rahul se is se aage kuch aur puchh pata ki, wo apni bidi ko khol kar uski tambaku bahar nikalne laga. Mai uski is harkat ko gaur se dekhne laga. Usne bidi se tambaku nikali aur fir apne bag me kuch dudne laga.

Fir usne bag me ek pouch nikala aur us pouch me se kuch nikal kar bidi me bhar diya. Iske bad usne fir usme thodi si tambaku bhari aur bidi ko band kar diya. Ye dekh kar maine us se puchha.

Mai bola “abe tune bidi me ye kya bhara hai.”

Rahul bola “bhai, ye bhole baba ki buti hai.”

Mai bola “abe, jyada paheliyan mat bujha aur sidhe sidhe bata ki, ye tune bidi me kya bhara hai.”

Rahul bola “ye gaanja hai.”

Rahul ki ye baat sunkar mai chauk gaya aur maine us par bhannate huye kaha.

Mai bola “saale, mujhse fukki marne ka bol kar yaha gaanja pi raha hai. Teri inhi harkaton ki vajah se tu badnaam hai.”

Magar tab tak rahul apni bidi jala chukka tha. Usne wahi baith kar, bidi ka ek lamba kash lagane ke bad mujhse kaha.

Rahul bola “abe ise pikar hawa me udne ka maja aata hai. Yadi tujhe yakin na ho to, tub hi ek kash laga kar dekh le.”

Mai bola “apni ye harkat tu apne tak hi rakh. Mujhe hawa me udne ka koi shauk nahi hai.”

Meri is baat par rahul ne mera majak udate huye kaha.

Rahul bola “Jisne Na Chakhi, Gaanje Ki Kali.
Us Launde Se Laundiya Hi Bhali.”

Uski ye baat sunkar, mai use aur bhi jyada bakne laga. Lekin wo hanste huye bidi ke kash par kash lagaye jar aha tha. Use apne me mast dekh kar, mai bhi yaha waha dekhne laga.

Tabhi ek aadmi us stall par meetha paan lene aaya. Use meetha paan lete dekh kar, mujhe yaad aaya ki, chhoti maa bhi kabhi kabhi meetha paan khati hai. Lekin aaj meri vajah se unka mood sahi nahi tha.

Aise me mere man me uska mood sahi karne ke liye meetha paan lekar jaane ka khayal aaya. Mai abhi is baare me soch hi raha tha ki, tabhi rahul ne mujhe tokte huye kaha.

Rahul bola “yaar, ye apne school ka patakha maal kaun hai. Pichhe se dekhne me ye kitni mast lag rahi hai.”

Rahul ki baat sunkar, maine bhi us ladki ki taraf dekha. Wo humari hi school ki koi ladki thi aur humari taraf uski peeth thi. Isliye rahul us ladki ka chehra nahi dekh paya tha.

Wo ladki bus stop par khadi bus ka intejar kar rahi thi aur uska chehra road ke dusri taraf tha. Rahul bidi ka kash khich raha tha aur mai us ladki ko pahchanne ki koshish kar raha tha.

Achanak hi us ladki ne road ki is taraf dekhne ke liye apna sar ghumaya aur mujhe uska chehra bhi dikhayi de gaya. Wo ladki koi aur nahi, balki shilpa thi. Shilpa ka chehra dekhte hi, maine rahul par bhadakte huye kaha.

Mai bola “kamine tu kya pagal ho gaya hai. Jo bina soche samjhe kuch bhi bake chale jata hai. Wo ladki koi aur nahi, shilpa hai.”

Meri baat sunkar, rahul fir se shilpa ki taraf dekhne laga. Lekin tab tak shilpa road ke dusri taraf dekhne lagi thi. Jis vajah se rahul ko uska chehra najar nahi aa saka. Lekin fir bhi rahul ne apni galti par pachhtate huye kaha.

Rahul bola “sorry yaar, maine sach me shilpa ko pahchana nahi tha. Lekin tu majak me bhi ye baat us habsi ko mat bata dena. Warna wo school me mera jeena haram kar dega.”

“Upar se yadi usne ye baat ise bata di to, ye bina der kiye ye baat apni mummy ko bata degi aur iski mummy mere ghar me aakar mere bap se mera bend bajwane ka pura intejam kar degi.”

Rahul ki ye baat sunkar, meri hansi chhut gayi aur mai palat kar chhoti maa ke liye meetha paan kharidne laga. Rahul ka mehul se is tarah se darna bevajah nahi tha. Wo mehul ki aadat ache se janta tha.

Mehul aaye din shilpa ki vajah se kisi na kisi ladke ko peet diya karta tha. Is vajah se sabhi ladke mehul se bahut jyada khauf khate the aur koi shilpa ke aas pas bhi nahi fatakta tha.

Wahi rahul bhi kuch kam nahi tha. Aaye din rahul ke kisi na kisi ladki ko chhedne ke kisse sunne ko milte rahte the. Yaha tak ki wo ladkiyon ke toilet me taank jhank karte huye bhi pakda ja chuka tha.

Duniya bhar ki saari kamini harkaten rahul ke andar bhari padi thi. Yahi vajah thi, ki mehul use jara bhi pasand nahi karta tha. Mehul mere dono doston me se sirf aslam se hi baat kiya karta tha.

Uski rahul se kabhi koi baat nahi hoti thi. Mehul rahul ko pasand nahi karta hai. Ye baat rahul se bhi chhupi nahi thi. Lekin rahul ke mera dost hone ki vajah se dono ke bich me kabhi koi takrar ki naubat nahi aayi thi.

Fir bhi rahul mehul se bahut darta tha. Wahi dusri taraf shilpa ka ghar rahul ke ghar se kuch hi doori par tha aur shilpa ki mummy ka bhi rahul ke ghar aana jana tha. Isliye rahul shilpa se bhi dar kar rahta tha.

Mai abhi rahul ki harkaton ke baare me sochte huye, paan lagwa hi raha tha ki, tabhi rahul ne mujhe tokte huye kaha.

Rahul bola “abe, tere liye ek achi khabar hai. Maine bhi mobile le liya hai.”

Rahul ki is baat par ke baar fir maine chaukte huye kaha.

Mai bola “kamine tune mobile le liya aur mujhe ek call tak nahi kiya. Dikha jara kaun sa mobile liya hai”

Rahul bola “mobile abhi mere pas nahi hai. Wo maine sirf dolly se baat karne ke liye kharida tha. Isliye use ghar par hi rakhta hu aur uska number bhi abhi tak kisi ko nahi diya hai.”

Mai bola “abe to kya tu mujhe bhi apna mobile number nahi dega.”

Rahul bola “bhai, tere liye to jaan hajir hai. Magar maang mat laiyo, kyoki aaj kal mai dolly ko apni jaan kahta hu.”

Ye kah kar wo hasne laga aur uske sath sath mai bhi hans diya. Abhi maine paan lekar apni jeb me rakha hi tha ki, rahul ne mujhe tokte huye kaha.

Rahul bola “age ye chirkut kaun hai. Lagta hai ki, shilpa ko pareshan kar rahe hai.”

Rahul ki baat sunkar, mai bhi shilpa ki taraf dekhne laga. Shilpa ke samne ek white color ki maruti van khadi thi aur uske pas hi do ladke khade hokar shilpa se kuch bol rahe the.

Unki baat sunkar, shilpa yaha waha dekhne lagi. Lekin uski najar abhi tak hum logon par nahi padi thi. Achanak hi shilpa bahut jyada gusse me un ladko ko kuch bakne lagi. Ye dekhte hi maine rahul se kaha.

Mai bola “aa chal jara dekhte hai ki, kya majra hai.”

Tab tak rahul ka bidi pina bhi ho chukka tha. Meri baat sunte hi wo uth kar khada ho gaya aur hum dono fauran hi shilpa ke pas pahuch gaye. Maine shilpa ke pas pahuchte hi, us se puchha.

Mai bola “kya hua.? Kya koi pareshani hai.”

Mujhe dekhte hi, shilpa ne saari baat batate huye kaha.

Shilpa boli “ye log bahut der se mujhe pareshan kar rahe hai aur bahut gandi gandi baten bol rahe hai.”

Wo dono ladke humse umar me bahut bade the. Lekin shilpa ki ye baat sunte hi, mujhe gussa aa gaya aur maine un par bhadakte huye kaha.

Mai bola “kyo be, kya tumhare ghar me maa bahan nahi hai. Jo dusron ki bahan betiyon ke sath chhed chhad karte ho.”

Meri ye baat sunte hi, unme se ek ladke ne mujhe gaali bakte huye kaha.

Pahla ladka “chal be madar ch*d, nikal yaha se humare fate me taang mat ada.”

Uske muh se gaali sunte hi, mera sabar ka bandh toot gaya aur maine uske jabde par ek jordar ghusa jama diya. Ye dekh kar, dusra ladka meri taraf bada. Lekin tab tak rahul bhi josh me aa chuka tha.

Us dusre ladke ke mere pas aate hi rahul ne uski gardan me hath daal kar use jamin par patak diya. Tab tak pahla ladka mere pas aaya. Maine uska bhi wahi haal kiya jo rahul ne dusre ladke ka kiya tha.

Dono ladke jamin par pade the aur hum un par laat juton ki barsat kar rahe the. Tabhi maruti van ka darwaja khula aur usme se teen ladke aur nikal aaye. Wo aate hi mere aur rahul ke upar jhapat pade.

Un teeno ne mujhe aur rahaul ko pakad liya. Tab tak wo dono ladke bhi uth kar khade ho gaye. Un dono ladko ne hum dono ke pet aur chehre par ghuson ki barsat kar di. Hume pitte dekh kar, shilpa kisi ko call lagane lagi.

Humne unki pakad se chhutne ki bahut koshish kar rahe the. Lekin wo 5 log the aur hum par bhari pad rahe the. Un ne hume jamin par patak diya aur bahut buri tarah se hum dono ko pitayi karne lage.

Abhi humari pitayi chal hi rahi thi ki, tabhi humare pas ek police ki jeep aakar ruki. Police ki jeep ko rukte dekh kar, rahul ne chikhte huye kaha.

Rahul bola “sir hum logon ko inse bachaiye.”

Tabhi us jeep me se pritam daudta hua humare pas aaya aur hume un ladko se chhudne laga. Pritam ko dekh kar, un ladko ne hume peetna band kar diya tha. Lekin wo abhi bhi gusse me hume dekh rahe the.

Pritam ne mujhe dekhte hi pahchan liya aur fir mujhse is jhagre ki vajah puchhne laga. Mai pritam ko jhagre ki vajah batane laga. Pritam se baat karte karte achanak meri najar uski jeep ki jeep ki taraf chali gayi.

Pritam ki jeep me vaani didi baithi huyi thi aur humari taraf hi dekh rahi thi. Vaani didi ko apne samne dekh kar, ek pal ke liye to meri jaan hi sookh gayi. Lekin agle hi pal mera hausla bhi dugna ho gaya.

Kyoki bhale hi vaani didi kisi se humara ladna jhagadna pasand nahi karti thi. Lekin ek sach ye bhi tha ki, unke rahte koi mujhe ek kharoch tak nahi pahucha sakta tha. Fir aaj to un ne khud in ladko ko mujhe peette huye dekha tha.

Aise me vaani didi ke gusse se in ladko ke bach pane ki koi ummid nahi thi. Bas isi baat ne mere andar se bhi vaani didi ka dar nikal kar mere hausle ko dugna kar diya tha.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 231}
____________________________

Tabhi us jeep me se pritam daudta hua humare pas aaya aur hume un ladko se chhudne laga. Pritam ko dekh kar, un ladko ne hume peetna band kar diya tha. Lekin wo abhi bhi gusse me hume dekh rahe the.

Pritam ne mujhe dekhte hi pahchan liya aur fir mujhse is jhagre ki vajah puchhne laga. Mai pritam ko jhagre ki vajah batane laga. Pritam se baat karte karte achanak meri najar uski jeep ki jeep ki taraf chali gayi.

Pritam ki jeep me vaani didi baithi huyi thi aur humari taraf hi dekh rahi thi. Vaani didi ko apne samne dekh kar, ek pal ke liye to meri jaan hi sookh gayi. Lekin agle hi pal mera hausla bhi dugna ho gaya.

Kyoki bhale hi vaani didi kisi se humara ladna jhagadna pasand nahi karti thi. Lekin ek sach ye bhi tha ki, unke rahte koi mujhe ek kharoch tak nahi pahucha sakta tha. Fir aaj to un ne khud in ladko ko mujhe peette huye dekha tha.

Aise me vaani didi ke gusse se in ladko ke bach pane ki koi ummid nahi thi. Bas isi baat ne mere andar se bhi vaani didi ka dar nikal kar mere hausle ko dugna kar diya tha.

Vaani didi wo aafat ki pudiya thi, jinke samne bade se bade mujrim bhi apna pants geela karte najar aate the. Fir ye to collage ke students the. Inka vaani didi ke samne tik pane ka sawal hi paida nahi hota tha.

Vaani didi ko apne pas pakar, un ladko par mera gussa bhi bad gaya tha aur mai isi gusse me pritam ko saari baten bata raha tha. Tabhi un ladko me se us ladke ne jisne mujhe pahle gaali di thi. Fir se gaali dete huye kaha.

Ladka bola “madar ch*d, kyo apni maa ch*da raha hai.”

Abhi wo ladka itna hi bol paya tha ki, uski gaali sunkar, mera gussa fir se fat pada aur mai uske upar jhapat gaya. Maine uski collar pakad kar use ek jordar mukka jad diya.

Mere is mukke se wo ladka hadbada gaya. Lekin us ladke par mujhe jhapatte dekh uske charon sathi mere pas aa gaye. Un charon ne ek baar fir se mujh par ghuson ki barsat kar di.

Ye dekh kar rahul aur pritam hume alag karne ki koshish karne lage. Lekin ab wo ladke rukne ke ka naam nahi hi le rahe the. Tabhi vaani didi gusse me bhari huyi humare pas aa gayi.

Un ne aate hi ek ladke ke bahut buri tarah se baaal pakad kar use mujhse alag kiya aur fir uske pet par apni kohni se aisi jordar maar maari ki wo door sadak par jakar gira.

Iske bad un ne dusre ladke ke jabde par ek jordar mukka jama diya. Wo ladka hadbadate huye pichhe hat gaya. Ye dekh kar teesra ladka vaani didi ki taraf jhapta. Magar uska aisa karna uske liye uski bahut badi bhool sabit huyi.

Kyoki vaani didi ne use apni taraf jhapatte dekha to, uske ling par apne ghutne se chot karke us ladke ko din me hi taare dikha diye. Wo ladka apne ling par hath rakh kar wahi jamin par let gaya.

Vaani didi ke teen ladko par kiye gaye is prahar se baki ke do ladke sakte me aa gaye. Lekin ye unke liye aur bhi mahga sabit hua. Kyoki wo agle hi pal vaani didi ne un dono ke sar ko pakad kar unke sar aapas me takra diye.

Tabhi jis ladke ko vaani didi ne mukka maara tha, wo vaani didi ke pichhe se unhe pakadne ke liye aage bada. Magar use pritam ne pakad liya. Ye dekh kar vaani didi ne pritam par chikhte huye kaha.

Vaani didi boli “pritam use chhod de, mere aur inke bich me koi nahi aayega. Mai bhi dekhu jara in logon me kitna dam hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, pritam ne us ladke ko chhod diya. Leki us ladke ne vaani didi ko dhamkate huye kaha.

Ladka bola “ladki, tu janti nahi hai ki, tu kis se panga le rahi hai. Ye shahar mere bap ka hai aur yaha mere bap ka sikka chalta hai. Mai teri is harkat ke liye teri wo halat karuga ki, tu kisi ko apna muh dikhane ke layak nahi rah jayegi.”

Us ladke ki is baat par vaani didi ne hanste huye kaha.

Vaani didi boli “murge ke baang dene se sawera nahi ho jata hai. Sirf tere kah dene se ye shahar tere bap ka nahi ho jayega. Tu home minister yash vardhan ka beta raj vardhan hai na.”

“Tere jaise chujon ka shikar to koi billi bhi kar sakti hai. Uske liye mere jaisi sherni ki jarurat hi nahi hai. Lekin tune mere bhai par hath uthaya hai. Iski saza to mai tujhe aur tere doston ko jarur dugi.”

Ye kahte huye vaani didi pichhe palti aur apne pichhe khade dono ladko par kisi sherni ki tarah jhapat padi. Un ne un ladko ko jara bhi sambhalne ka mauka diye bina hi, unki ruyi ki tarah dhunayi karna suru kar diya.

Ye dekh kar raj vardhan aur uske baki ke do dost ek baar fir se vaani didi ki taraf badne lage. Magar aaj shayad mujhse bhi jyada un pancho ka din kharab tha aur un logon ki kismat me vaani didi se maar khana hi likha tha.

Un teeno ke vaani didi ke pas pahuchte hi, vaani didi ne raj vardhan ko pair se kick maar kar door dhakel diya aur uske baki ke do dosto ki buri tarah se dunayi karna suru kar diya.

Tabhi mehul bhi aa gaya. Usne vaani didi ko akele ladta dekha to, wo fauran vaani didi ki madad karne ke liye aage bada. Lekin vaani didi ne us se chup chap khade rah kar tamasha dekhne ko kah diya.

Abhi jaha un ladko ke ek ladki ko chhedne ke samay par koi bhi unhe rokne ke liye aage nahi aaya tha. Wahi ab un ladko ko ek ladki se pitte dekhne ke liye bahut bhid jama ho gayi thi.

Vaani didi raj vardhan ke doston ki bahut buri tarah se pitayi kar rahi thi. Lekin raj vardhan jab unke pas aata to, wo use apne se door dhakel de rahi thi. Ye baat achi nahi lag rahi thi.

Kyoki raj vardhan ne hi mujhe do baar gaali baki thi. Aise me mujhe uska bachna acha nahi lag raha tha. Thodi der tak to mai ye sab khamoshi se dekhta raha. Lekin jab mujhse nahi raha gaya to, maine vaani didi se kaha.

Mai bola “didi, aap raj vardhan ko kyo chhod rahi hai. Isi ne mujhe do baar maa ki gaali baki thi.”

Vaani didi boli “tu chup karke tamasha dekh, thodi der me teri sab samajh me aa jayega.”

Khair vaani didi ki baat sunkar, mai khamoshi se un ladko ki pitayi hote dekhne laga. Lekin wo log vaani didi ki maar jyada der tak nahi sah paye aur past hokar jamin par pade karahne lage.

Raj vardhan ke doston ki ji bhar kar pitayi kar dene ke bad, vaani didi ne raj vardhan ko bhi jordar patakni dekar jamin par patak diya aur fir uski gardan par apne joote ka dabaw dete huye kaha.

Vaani didi boli “lagta hai, tujhe mujhse maar khane ka bahut shauk hai. Magar afsos mai teri ye ichha aaj puri nahi kar sakti hu.”

Ye kahte huye vaani didi ne meri taraf dekha aur fir mujhe apne pas bula kar kaha.

Vaani didi boli “isne tujhe maa ki gaali baki hai na. Ab tu ise itna maar ki, ye apni maa tak ko yaad karna bhool jaye. Mai ise tab tak maar khate dekhna chahti hu, jab tak mujhe iski chikhen sunayi dena band na ho jaye.”

Ye kahte huye vaani didi ne raj vardhan ki gardan se apna joota hata liya. Jiske hatte hi raj vardhan uth kar khada ho gaya. Lekin mai to pahle se hi raj vardhan par apne hath saaf karne ki talash me tha.

Vaani didi ki ijajat milte hi, mai raj vardhan par jhapat pada. Vaani didi ki pitayi se pahle hi rajvardhan ki halat kharab thi. Upar se jo kasar vaani didi ne chhod di thi, wo kasar ab mai puri kar de raha tha.

Thodi der ki hi hatha payi me maine raj vardhan ko jamin par patak diya aur us par laat jooton ki barsat karna suru kar diya. Wahi ye sab hote dekh kar, pritam ne vaani didi ko aisa karne se rokne ke liye kaha.

Pritam bola “madam, aap ye kya kar rahi hai. Aapka in logon ko marna chal jayega. Lekin punit ke isko marne se baat bahut bad jayegi aur bad me ye baat punit ko bhi mahgi pad sakti hai.”

“Fir yaha par itni public bhi jama hai aur ye baat niyam ke khilaf bhi hai. Isliye aap jajbati hokar koi aisa kadam mat uthaiye, jo bad me aapke aur punit ke liye nuksandeh sabit ho.”

Lekin vaani didi ne pritam ki is baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “tum thik kahte ho. Mai jo ye sab kar rahi hu, ye thik nahi hai. Lekin mai jajbati hokar kuch bhi nahi kar rahi hu. Ye sab log meri aankhon ke samne hi mere bhai ko maar rahe the.”

“Ye dekh kar bhi mai apne aapko shant kiye gaadi me baithi rahi aur sab shant hone ka intejar kar rahi thi. Mai soch rahi thi ki, ye tumhare samjhane se samajh jaye aur ye baat yahi khatam ho jaye.”

“Lekin jab ye tumhare samne hi, use dobara marne ki koshsi karne lage to, mere liye apne aapko shant rakh pana mushkil ho gaya aur mujhe in logon ki ye halat banana pad gayi.”

“Mujhe ye to nahi pata ki, in logon ke bich kis baat ko lekar jhagra hua. Lekin mai itna jarur janti hu ki, punit kabhi kisi se bevajah jhagra nahi karta hai. Isme jarur in ladko ki hi koi galti hogi.”

“Isliye mai chahti hu ki, wo apne man ki bhadas nikal le. Tum kisi baat ki fikar mat karo. Mere rahte kuch bhi galat nahi hoga. Mai sab sambhal lugi. Tum bas yaha jama bhid ko yaha se chalta kar do.”

Vaani didi ki baat sunkar, pritam se iske aage kuch bhi kahte nahi bana aur wo waha jama bhid ko waha se bhagane laga. Mehul ko aise kaam karne me bahut maja aata tha.

Wo bhi is kaam me pritam ke sath ho gaya aur waha jama bhid ko hatane laga. Wahi vaani didi phone par kisi se baat karne lagi aur mai man laga kar raj vardhan ki pitayi karne me laga raha.

Jab vaani didi phone par baat karke fursat huyi to, un ne dekha ki, mujhse pit pit kar raj vardhan ki halat bahut patli ho gayi hai. Tab un ne mujhe rokte huye kaha.

Vaani didi boli “ab bas bhi kar, kya use maar hi dalega.”

Vaani didi ki baat sunkar, maine raj vardhan ko marna band kar diya aur mehul logon ke pas aakar khada ho gaya. Saara mamla shant padte dekh, pritam ne vaani didi se puchha.

Pritam bola “madam, ab in sabka kya karna hai.”

Pritam ki baat sunkar, vaani didi ne ek najar un sabki halat ko dekha aur fir sawal karte huye kaha.

Vaani didi boli “lekin pahle mujhe pata to, chale ki yaha hua kya tha. Tabhi to mai aage ka kuch bata paugi.”

Vaani didi ki is baat par mehul ne chaukte kaha.

Mehul bola “didi, jab aapko kuch malum nahi hai to, fir aapne in logon ko itni buri tarah se kyo peeta hai.”

Vaani didi boli “wo to punnu se jhagra karne ki vajah se pit gaye hai. Lekin ye jhagra kyo hua tha. Ye mujhe abhi tak pata nahi chala hai.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi shilpa fauran vaani didi ke pas aa gayi aur usne jhagra hone ki vajah batate huye kaha.

Shilpa boli “didi, ye log mujhe chhed rahe the. Isi vajah se ye jhagra hua hai.”

Ye kahte huye shilpa vaani didi ko saari baat batane lagi. Abhi vaani didi shilpa ki baat sun hi rahi thi ki, tabhi aniruddha, niranjan aur manik aa gaye. Vaani didi ne unse thoda intejar karne ko kaha aur fir se shilpa ki baat sunne lagi.

Shilpa ki baat sun lene ke bad, vaani didi ne aniruddha, nirajnjan aur manik se baat karte huye kaha.

Vaani didi boli “tum teeno, in ladko ko apne sath le jao aur inhe apne pas rakh kar, inki ache se khatirdari karo. Lekin ek baat yaad rakhna ki, inme se ek home minister yash vardhan ka beta hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, wo teeni un ladko ki halat dekhne lage. Fir manik ne vaani didi se puchha.

Manik bola “lekin mem, inki aisi halat kisne kar di hai.”

Vaani didi boli “ye log punit se ulajh rahe the. Isliye mujhe inko sabak sikhana pad gaya. Tumhe inhe 24 ghante ke liye apne pas rakhna hai. Uske bad inhe pritam ke hawale kar dena. Fir pritam dekhega ki, use inke sath kya karna hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, un teeno ne raj vardhan aur uske doston ko apni gaadi me daala aur fir wo log wapas chale gaye. Unke jaane ke bad, vaani didi ne pritam se kaha.

Vaani didi boli “pritam mai punit ke sath ghar ja rahi hu. Tum aisa karo ki, shilpa ko uske ghar tak chhod do aur raat ko 8 baje aakar mujhse milo. Mujhe tumse kuch jaruri kaam hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, pritam ne un se ijajat li aur fir shilpa ke sath waha se chala gaya. Pritam ke jaane ke bad, vaani didi mere, mehul aur rahul ki taraf ghoor kar dekhne lagi.

Vaani didi ke ghurne se meri aur mehul ki to jaan sukhne lagi thi. Kyoki vaani didi ko humara ladna jhagadna jara bhi pasand nahi tha aur wo yadi hume kisi se ladte jhagadte dekhti thi to, hume bahut sakht saza deti thi.

Jaha vaani didi ke ghurne se meri aur mehul ki jaan sookh gayi thi. Wahi rahul vaani didi ke ghurne ka matlab jaane kya samjha ki, wo kisi dhor ki tarah daant nikal kar muskurane laga.

Use shayad vaani didi ka ye roop dekh kar bahut maja aaya tha aur wo is tarah se apni khushi jahir kar raha tha. Magar wo abhi vaani didi ke pal pal badalte swabhav ko achi tarah se nahi janta tha.

Use is baat ka bhi andaza nahi tha ki, ab un ladko ke bad humari bhi shamat aane ki naubat aa sakti hai aur rahul ke sath bhi kuch aisa hi hua. Vaani didi ne rahul ko is tarah se muskurate dekha to, us se puchha.

Vaani didi boli “kya naam hai tumhara.”

Rahul bola “ji, rahul khurana.”

Vaani didi boli “kaun sa nasha karte ho.”

Rahul bola “jiii.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, rahul ki aawaj uske halak me hi atak kar rah gayi aur us se koi jabab dete nahi bana. Aisa hi kuch haal vaani didi ka ye sawal sunkar, mera aur mehul ka bhi hua tha.

Hume ye lag raha tha ki, kahi rahul ki harkat ki vajah se vaani didi ke gusse ke shikar hum log na ho jaye. Wahi jab rahul ne vaani didi ki baat ka koi jabab nahi diya to, vaani didi ne apne sawal ko dohrate huye kaha.

Vaani didi boli “kya tumhe mera sawal sunayi nahi diya. Maine tumse puchha ki, tum kaun sa nasha karte ho.”

Rahul bola “ji, koi sa nahi.”

Vaani didi boli “jyada jhuth bolne ki koshish mat karo. Tumhari aankhne bata rahi hai ki, abhi bhi tum koi nasha kiye ho.”

Vaani didi ki is baat par rahul ne fauran apni safayi dete huye kaha.

Rahul bola “ji, wo to un ladko ne mujhe peeta tha. Usi maar ki vajah se meri aankh laal huyi hai.”

Rahul ki baat sunkar, vaani didi ne use gaur se dekha aur fir us se kaha.

Vaani didi boli “jara apna bag dikhao.”

Rahul bola “jiii.”

Rahul ki is baat par vaani didi ne khurrate huye kaha.

Vaani didi boli “kya ek baar kahne me tumhe samajh me nahi aata hai. Maine kaha mujhe apna bag dikhao.”

Vaani didi ki is baat ne meri rahi sahi jaan bhi nikal kar rakh di thi. Kyoki mujhe to ye ache se pata tha ki, rahul ke bag me gaanja rakha hua hai. Wahi rahul ne bhi darted arte apna bag vaani didi ko de diya.

Vaani didi rahul ka bag khol kar uski talashi lene lagi aur jaldi hi unke hath me gaanje ka pouch aa gaya. Wo us gaanje ko sunghne lagi. Ye dekh kar mehul ne dhire se kaha.

Mehul bola “abe ye iske bag me se kya nikla hai.”

Mai bola “chup kar, wo gaanja hai.”

Meri ye baat sunte hi, mehul ne mujhe aise dekha, jaise maine us par koi bomb gira diya ho. Usne fir mujhse dhire se kaha.

Mehul bola “tere is rahul ke chakkar me lagta hai ki, aaj meri bhi bend baj kar hi rahegi.”

Maine mehul ko aankh dikhayi aur fir vaani didi ko dekhne laga. Un ne gaanje ko sungha aur fir rahul se kaha.

Vaani didi boli “abhi thik se ande se nikle bhi nahi ho aur gaanje ka nasha karne lage ho. Lao apne bap ka phone number do.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, rahul ki halat kharab ho gayi. Wo vaani didi se iske liye maafi mangne laga aur aisi galti dobara na karne ki baat kahne laga. Lekin vaani didi ne uski koi baat nahi suni.

Un ne jab dhamkate huye rahul se uske papa ka number maanga to, aakhir me rahul ne unhe apne papa ka phone number de diya. Vaani didi ne humare samne hi rahul ke papa ko call laga diya.

Un ne rahul ke papa ko call laga kar rahul ke gaanja peene wali baat batayi aur us ki harkaton par nigrani rakhne ko kah kar call rakh diya. Iske bad un ne rahul ko samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “dekho, tum punit ke dost ho, isliye tumhe ek achi salah deti hu. Apni ye gaanje ke nashe ki aadat chhod do. Tum padne likhne wale bachche ho. Tumhe aise shauk nahi karne chahiye.”

“Shayad tum gaanje se hone wale nuksan ke baare me nahi jante ho. Is se yaad-daast to kamjor hoti hi hai. Sath hi sehat par bhi bura asar padta hai. Jo tum jaise padne wale bachcho ke liye jara bhi acha nahi hai.”

“Maine tumhare papa se isliye tumhari shikayat ki hai, taki wo tumhari in harkaton me sudhar la sake. Lekin sudharne ki asli koshish tumko hi karni hai. Ab tum ja sakte ho.”

Vaani didi ki jaane ki baat sunkar, rahul to apna bag lekar waha se gadhe ke sir se seeng ki tarah gayab ho gaya tha. Lekin jate jate apni harkat ki vajah se hume vaani didi ke samne mujrim bana kar khada kar gaya tha. Uske jaane ke bad vaani didi ne humse kaha.

Vaani didi boli “kya tum logon ke aise hi dost hai. Aaj ye gaanje ka nasha kar raha hai. Aage chal kar ye hi, drugs aur charas jaise nashe bhi karne lagega. Kahi tum dono bhi to ye nasha nahi karte ho.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, mehul ne fauran hi apni safayi dete huye kaha.

Mehul bola “nahi didi, mai koi nasha nahi karta aur na hi mera koi dost aisa nahi hai. Ye rahul mera dost nahi hai. Ye to sirf punnu ka dost hai.”

Mehul ki baat sunkar, vaani didi meri taraf dekhne lagi. Maine bhi bina der kiye apni jhuthi safayi dete huye kaha.

Mai bola “didi, mai bhi kabhi koi nasha nahi karta. Rahul mera dost jarur hai. Lekin uske gaanja peene wali baat mujhe bhi nahi malum thi. Maine use ek do baar cigarette peete jarur dekha tha.”

“Tab maine use iske liye gussa bhi kiya tha. Uske bad se wo mere samne cigarette bhi nahi peeta hai. Mujhe sach me nahi pata ki, use gaanja peene ki aadat kab se lag gayi.”

Meri baat sunkar, vaani didi gaur se mera chehra dekhne lagi. Shayad wo ye pata karne ki koshish kar rahi thi ki, kahi mai jhuth to nahi kah raha hu. Lekin mai unhe rahul ke cigarette peene wali baat sach sach bata chuka tha.

Shayad isi vajah se unhe meri is baat par viswas ho gaya tha ki, mai sach bol raha hu. Isliye fir un ne is baare me mujhse koi sawal nahi kiya. Lekin un ne apne sawal ki gaaj mehul par girate huye kaha.

Vaani didi boli “jab mai yaha aayi thi. Tab to tum yaha nahi the. Fir achanak tum yaha kaise aa gaye.”

Vaani didi ke is sawal ke jabab me mehul ke pas sach bolne ke siwa koi rasta nahi tha. Usne thoda darte huye kaha.

Mehul bola “wo didi jab mai ghar ja raha tha, tabhi raste me shilpa ka call aa gaya. Us ne hi mujhe bataya ki, yaha punnu ka kisi se jhagra ho gaya hai. Isliye mai aadhe raste se hi yaha wapas aa gaya tha.”

Vaani didi boli “acha to shilpa ne tumhe call kiya tha. Kya richa aunty ko shilpa ke baare me pata hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, mehul ne apne sar ko jhuka kar kaha.

Mehul bola “nahi didi, abhi unko shilpa ke baare me kuch nahi malum hai.”

Vaani didi boli “kyo, us din maine tumhe is shilpa ke call ki vajah se itna gussa kiya tha. Kya uske bad bhi aunty ne tumse is baare me kuch nahi puchha.”

Mehul bola “didi, us din aapke gussa karne ke bad, mummy ne ek do baar mujhse jarur is baare me puchha tha ki, kis ladki ka mere pas call aaya tha. Lekin maine unhe kuch nahi bataya tha.”

Vaani didi boli “chalo koi baat nahi. Shilpa achi ladki hai aur mujhe bhi pasand hai. Mai jaane ke pahle aunty se jarur is baare me baat karke jaugi. Lekin abhi tum in baton se jyada apni padai par dhyan do. Ye hi tumhare liye acha hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mai aur mehul hairan rah gaye. Hume vaani didi se is baat ki jara bhi ummid nahi thi. Mehul ki to khushi ka koi thikana hi nahi raha. Usne fauran hi vaani didi ki haan me haan milate huye kaha.

Mehul bola “ji didi, aap jaisa kahogi, mai bilkul waisa hi karuga.”

Vaani didi boli “thik hai, ab hume ghar chalna chahiye.”

Itna kahne ke bad, vaani didi ne mujhse apni bike lekar aane ko kaha. Mai bike lekar vaani didi ke pas pahucha to, wo mujhe bike se utarne ko kahne lagi. Mujhe unki ye baat samajh me nahi aayi.

Lekin mai unki baat sunkar, bike se utar gaya. Mere bike se utarte hi vaani didi bike par baith gayi aur mujhe pichhe baithne ko kahne lagi. Ye dekh kar mehul ne fauran hi vaani didi ko tokte huye kaha.

Mehul bola “didi, aap iski khatara bike kyo chala rahi hai. Ise chalane me aapko jara bhi maja nahi aayega. Yadi aapko bike chalana hi hai to, aap meri pulsar chala lijiye. Aapko bahut maja aayega.”

Mehul ki ye baat sunkar, mai use ghoor kar dekhne laga. Wahi vaani didi ne uski is baat ka jabab dete huye kaha.

Vaani didi boli “nahi, aaj nahi. Abhi tumko bhi ghar jaane ke liye der ho rahi hai. Abhi tum ghar jao. Mai fir kabhi tumhari bike chala lugi.”

Vaani didi ki baat sunkar, mehul ne apni bike utha li aur mai vaani didi ke pichhe baith gaya. Fir mehul apne ghar ke liye nikal gaya aur mai vaani didi ke sath apne ghar aa gaya.

Hum ghar pahuche to, ghar me bilkul hi sannata tha. Na to ami nimi kahi najar aa rahi thi aur na hi chhoti maa kahi najar aa rahi thi. Keerti aur neha hall me baithi baten kar rahi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 232}
____________________________

Lekin mai unki baat sunkar, bike se utar gaya. Mere bike se utarte hi vaani didi bike par baith gayi aur mujhe pichhe baithne ko kahne lagi. Ye dekh kar mehul ne fauran hi vaani didi ko tokte huye kaha.

Mehul bola “didi, aap iski khatara bike kyo chala rahi hai. Ise chalane me aapko jara bhi maja nahi aayega. Yadi aapko bike chalana hi hai to, aap meri pulsar chala lijiye. Aapko bahut maja aayega.”

Mehul ki ye baat sunkar, mai use ghoor kar dekhne laga. Wahi vaani didi ne uski is baat ka jabab dete huye kaha.

Vaani didi boli “nahi, aaj nahi. Abhi tumko bhi ghar jaane ke liye der ho rahi hai. Abhi tum ghar jao. Mai fir kabhi tumhari bike chala lugi.”

Vaani didi ki baat sunkar, mehul ne apni bike utha li aur mai vaani didi ke pichhe baith gaya. Fir mehul apne ghar ke liye nikal gaya aur mai vaani didi ke sath apne ghar aa gaya.

Hum ghar pahuche to, ghar me bilkul hi sannata tha. Na to ami nimi kahi najar aa rahi thi aur na hi chhoti maa kahi najar aa rahi thi. Keerti aur neha hall me baithi baten kar rahi thi.

Lekin mere liye ghar ka ye najara bilkul hi naya tha. Kyoki chhoti maa aur ami nimi roj hi mujhe mere school se aane ka intejar karti milti thi. Ghar aate hi sabse pahle mujhe ami nimi ka shor gul sunayi diya karta tha.

Wo bhale hi mere pahle school se wapas aa jati thi. Lekin khana wo mere sath hi khaya karti thi. Lekin aaj mujhe school se aane me kuch jyada hi der ho gayi thi aur wo dono aaj ghar me hi thi.

Fir bhi mujhe ummid thi ki, abhi tak un dono ne khana nahi khaya hoga. Apne ghar aate hi, unhe apne samne na pakar mujhe unki kami akharne lagi aur chhoti maa ko na dekh kar mujhe unke gusse ka dar bhi satane laga tha.

Vaani didi aate hi, muh hath dhone ki baat kah kar apne kamre me jaane lagi. Tabhi keerti ki najar bhi humare upar pad gayi. Usne meri halat dekhi to, ghabrate huye mujhse puchha.

Keerti boli “tumhari ye halat kaise huyi. Kya kisi ke sath jhagda hua hai.”

Keerti ki baat sunkar, vaani didi ne dhire se use chup karate huye kaha.

Vaani didi boli “tu abhi apna muh band rakh. Yadi mausi ne iski aisi halat dekh li to, abhi hungama suru ho jayega. Pahle ise apni halat sudhar lene de. Fir mai tujhe saari baat bata dugi.”

Abhi vaani didi itni hi baat bol payi thi ki, tabhi chhoti maa apne kamre se bahar nikal aayi. Un ne shayad andar se keerti ki aawaj sun li thi. Isliye wo is baat ko pata karne ke liye bahar aayi thi.

Lekin jab un ne bahar aakar meri ast vyast halat ko dekha aur mere kapdo par daag dhabbe lage dekhe to, unhe samajhte der nahi lagi ki, mera kisi ke sath jhagda hua hai. Un ne mere pas aakar gusse me puchha.

Chhoti maa boli “ye tune apni kya halat bana rakhi hai. Tu kiske sath jhagda karke aa raha hai.”

Chhoti maa ki is baat ke jabab me mujhse to apni safayi me kuch kahte nahi bana. Lekin vaani didi ne chhoti maa ki is baat ka jabab dete huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, kuch ladko ne ise bahut buri tarah se peeta hai. Wo to acha hua ki, usi samay mai pritam ke sath waha se gujar rahi thi aur maine inka jhagda dekh liya. Maine un ladko ko aisa sabak sikhaya hai ki, ab wo iski taraf aankh uthane ki bhi galti nahi karege.”

Lekin chhoti maa ke upar vaani didi ki is baat ka kuch asar nahi pada aur un ne vaani didi se ulte sawal karte huye kaha.

Chhoti maa boli “lekin ise kisi se maar peet karne ki kya jarurat pad gayi. Kahi kisi ladki ka chakkar to nahi tha.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai hadbada gaya. Mujhe laga kahi wo meri girlfriend ki vajah se mera jhagda hone ki baat to nahi soch rahi hai. Lekin vaani didi ne is baat ko saaf kate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi jaisa aap soch rahi hai. Waisa hi kuch hua hai.Yash vardhan ka beta aur uske dost nitika ki saheli shilpa ko chhed rahe the. Ye unhe aisa na karne ke liye samjhane laga to, un ne ise maa ki gaali de di.”

“Ab aap to janti hai ki, is se apni maa bahno ke khilaf kuch sahan nahi hota hai. Bas isi vajah se ye un se bhid gaya. Lekin wo 5 log the. Isliye is par bhari pad gaye aur sabne mil kar iski pitayi kar di.”

“Lekin ab unki ye pitayi, un par hi bhari padne wali hai. Maine un sabko hawalat ki hawa khane ke liye bhej diya hai. Ab yash vardhan bhi unhe aasani se bahar nahi nikal payega.”

Vaani didi ki puri baat sunkar, chhoti maa kuch pareshan si ho gayi aur un ne apni chinta jahir karte huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, tum logon ko yash vardhan ke bête se nahi ulajhna chahiye tha. Yash vardhan acha aadmi nahi hai aur wo mujhe bhi…”

Lekin achanak hi chhoti maa mujhe dekh kar, apni puri baat kahte kahte ruk gayi. Magar shayad vaani didi unki aage ki baat janti thi. Isliye un ne chhoti maa ko dilasa dete huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, yadi yash vardhan acha aadmi nahi hai to, mujhse bhi bura koi dusra nahi hai. Mere samne yash vardhan ki aukat itni bhi nahi hai ki, wo meri aasten ka ek button bhi nahi tod sake.”

“Aap bilkul bhi fikar mat kijiye. Yash vardhan ke bête ki ye galti, yash vardhan ko bahut bhari padne wali hai. Yadi maine yash vardhan ko aapke samne naak ragadne par majbur na kar diya to, mera naam bhi vaani nahi hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunne ke bad chhoti maa ke chehre par chinta ki rekhayen saaf dekhi ja sakti thi. Wo kuch pareshan si lag rahi thi aur kisi gahri soch me dubi huyi thi.

Lekin jaise hi unki najar mere hath par lagi kharoch par padi. Wo apni saari pareshaniyon ko jhatak kar mere hath ko dekhne lagi. Unhe aisa karte dekh kar, maine un se kaha.

Mai bola “mujhe kuch nahi hua chhoti maa. Bas hath me jara si kharoch aa gayi hai.”

Lekin chhoti maa ne mujhe chup karate huye kaha.

Chhoti maa boli “tu chup kar, keerti tu jakar jara mere kamre se dawa ka box lekar aa.”

Chhoti maa ki baat sunkar, keerti chhoti maa ke kamre me chali gayi aur chhoti maa mere hath dekhne lagi. Mere hath jamin par ghisatne ki vajah se thoda chhil gaye the. Jinse ab khoon aane laga tha.

Keerti dawa ka box lekar aayi to, chhoti maa ne mujhe wahi baitha diya aur mere jakhm saaf karke un me dawa lagane lagi. Unhe meri aisi halat dekh kar, un ladko par gussa aa raha tha aur un ne isi gusse me badbadate huye kaha.

Chhoti maa boli “kamino ne mere bete ki kya halat kar di hai. Wo mere samne aa jaye to, mai unka khoon hi pi jaugi.”

Chhoti maa ko un ladko par aise gussa karte dekh kar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, abhi to aap jhagda karne ki vajah se is par kitna jyada gussa kar rahi thi aur ab is par itna pyar luta rahi hai ki, un ladko ka hi khoon peene ko taiyar hai. Aapke is gusse aur pyar se to bhagwan hi bachaye.”

Vaani didi ki is baat par chhoti maa ne unhe jhidakte huye kaha.

Chhoti maa boli “tu chup kar vaani, tune dekha nahi ki, un jalimo ne ise kitni berahmi se maara hai. Un ne mere bete ki kya halat bana kar rakh di hai.”

Chhoti maa ki is baat par vaani didi ne thoda sanjida hote huye kaha.

Vaani didi boli “mausi, mujhse bhi iski ye halat nahi dekhi ja rahi thi. Isliye to mai khud hi bike chala kar ise ghar lekar aayi hu.”

Vaani didi ki is baat se mujhe samajh me aaya ki, wo mere sath bike chala kar kyo aayi hai. Warna mujhe to lag raha tha ki, aaj unka bike chalane ka man kar raha hoga. Isliye wo mere sath bike chalate huye aayi hai.

Abhi mai vaani didi ki is baat ke baare me soch raha tha ki, tabhi nimi sidiyon tak aayi aur fir mujhe dekh kar sidiyon se hi wapas chali gayi. Uski is harkat se mai samajh gaya ki, wo jasusi karne aayi hai.

Ab wo ye baat jakar ami ko batayegi. Asal me nimi ami ki jasus thi aur har khabar ami ko jakar deti thi. Aise hi ami nimi ki dhal thi aur nimi ko har pareshani se bachaya karti thi.

Nimi ke upar jaane ke thodi hi der bad, mujhe ami nimi dono sidiyon se niche utarti najar aayi. Lekin shayad dono ko meri is halat ka pata nahi tha. Isliye meri ye halat dekhte hi, ami bhagti huyi mere pas aayi aur mujhse puchha.

Ami boli “bhaiya, aapko kya hua. Aapki ye halat kisne ki hai.”

Ami ki is baat par vaani didi ne uska majak udate huye kaha.

Vaani didi boli “ye lo, ye aa gayi dadi amma. Ab koi inhe batao ki, inke bhaiya ko kya ho gaya hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, ami ka chehra utar gaya aur uska muh chhota sa ho gaya. Ami ka utra hua chehra dekh kar vaani didi ne apni baat ko sambhalte huye kaha.

Vaani didi boli “ammo, aise apna chehra mat utar. Tere bhaiya ko kuch bhi nahi hua hai. Kuch ladke shilpa ko pareshan kar rahe the. Isliye iska unse jhagda ho gaya tha. Ab ladai jhagda karne me aisi halat to hoti hi hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, ami ne mujhse shikayat karte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, shilpa didi ke liye aapko kisi se ladne ki kya jarurat thi. Uske liye mehul bhaiya to hai na.”

Ami to mere liye apni chinta jahir kar rahi thi. Lekin ami kuch kare aur nimi us se pichhe rah jaye, aisa hona namumkin sa tha. Ami ki ye baat sunte hi, nimi ne no ball me chhakka marte huye kaha.

Nimi boli “haan bhaiya, ami didi thik kah rahi hai. Shilpa didi ki shadi to mehul bhaiya ke sath hona hai. Fir wo hi shilpa didi ke jhagda kare na. Aapko unke liye jhagda karne ki kya jarurat hai.”

Nimi ki ye baat sunkar, sab hairani se nimi ko dekhne lage. Wahi chhoti maa ne nimi ko fatkar lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “tu ye kya bakwas kar rahi hai. Kuch sochti samjhti bhi hai ya kuch bhi bakti chali jati hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, ami ne fauran nimi ki kahi baat ko sambhalte huye kaha.

Ami boli “mummy, nimi ka kahne ke matlab tha ki, shilpa didi mehul bhaiya ke ghar aati jati rahti hai. Yadi aunty ko shilpa didi pasand aa gayi to, unki shadi mehul bhaiya se ho sakti hai. Waise bhi un dono ki jodi bahut achi lagti hai.”

Ami ki baat sunkar, chhoti maa ne use bhi daant lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “kiski jodi kiske sath achi lagti hai. Iska faisla karne ki abhi tumhari umar nahi huyi hai. Ye faisla hum logon ke hathon me rahne do. Ab dobara mujhe tum logon ke muh se aisi baat sunne ko na mile.”

Itni baat kahne ke bad, chhoti maa ne keerti se sabko khana khila dene ki baat kahi aur wapas apne kamre me chali gayi. Chhoti maa ke jaane ke bad vaani didi ne ami nimi se khana khane ke liye muh hath dhokar aane ko kaha.

Jiske bad ami nimi muh hath dhone apne kamre me chali gayi. Un dono ke jaane ke bad vaani didi ne mujhse kaha.

Vaani didi boli “ye ami to jarurat se jyada samajhdar hai. Usne kitni aasani se nimi ki galti par parda daal diya aur saari baat apne upar le li. Mujhe to uski ye hajir jababi dekh kar hairani ho rahi hai.”

Abhi is se pahle ki, mai vaani didi ki is baat ka jabab de pata ki, us se pahle hi keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “didi, aap ami ko chhoti bachchi samajhne ki galti bilkul mat kijiye. Wo iske pahle bhi kayi baar nimi ki harkato par parda daal chuki hai. Uska tej dimag dekh kar to mai bhi kabhi kabhi dang rah jati hu.”

“Ye hi nahi wo padhai aur khel kood me bhi bahut aage hai. Wo apni school ke har khel me hissa leti hai aur inam bhi jeetti hai. Uski dekha seekhi ab nimi bhi har khel me hissa lene lagi hai.”

Keerti ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “ye to bahut achi baat hai. School ke har khel me hissa lena hi chahiye. Pata nahi aage chal kar kab kis khel me bhavishya ban jaye. Waise dono ko sabse jyada kaun sa khel pasand hai.”

Keerti boli “waise to dono sabhi khel pasand hai. Lekin unhe sabse jyada swimming ka shauk hai. Lekin unke chhote hone ki vajah se mausi abhi unhe swimming sikhne nahi de rahi hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, neha ne baat ke bich me bolte huye kaha.

Neha boli “aunty galat sochti hai. Swimming sikhne ke liye ami ki umar bilkul bhi chhoti nahi hai. Priya ne bhi isi umar se swimming sikhna suru kiya tha aur isliye wo itni si umar me swimming champion ban payi thi.”

Neha ki baat sunkar vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “neha thik kahti hai. Ami nimi ko swimming karne se nahi rokna chaiye. Kya pata kal ko ami nimi me se hi koi priya ki tarah swimming champion ban jaye. Mai mausi se is baare me jarur baat karugi.”

Itni baat bolne ke bad, vaani didi ne mujhse muh hath dhone ko kaha aur fir apne kamre me chali gayi. Unke jaane ke bad mai bhi muh hath dhone apne kamre me aa gaya.

Kamre me aakar mai fresh hone chala gaya. Mai fresh hokar jab bathroom se bahar nikla to, ami nimi mere kamre me hi baithi huyi thi. Unhe dekh kar mai muskurate huye taiyar hone laga.

Kuch der tak dono khamoshi se mujhe taiyar hote dekhti rahi. Fir ami ne is khamoshi ko todte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, kya aapka mummy ke upar gussa khatam ho gaya.”

Ami ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “tujhse kisne kaha ki mai chhoti maa se gussa hu.”

Ami boli “wo subah mummy ne aapko maara tha na. Isliye mujhe laga ki, aap mummy se naraj hoge.”

Mai bola “nahi, mai chhoti maa se jara bhi naraj nahi hu. Wo meri maa hai aur unhe kisi bhi baat par mujhe marne ka pura haq hai.”

Meri baat sunkar ami ne thandi si saans lete huye kaha.

Ami boli “mai to dar hi gayi thi. Mujhe laga ki kahi aap mummy se naraj hokar kuch ulta sidha na kar lo.”

Ami ki is baat par maine hairani se use dekhte huye kaha.

Mai bola “tera mere kuch ulta sidha kar lene se kya matlab tha.”

Meri is baat par ami ne hanste huye kaha.

Ami boli “mujhe dar lag raha tha ki, kahi aap mummy se naraj hokar ghar chhod kar na chale jao.”

Mai bola “tu puri pagal hai. Maine chhoti maa ki kisi baat ka kab bura maana hai, jo ab bura manuga. Fir tere dimag me aisi baat aayi bhi kaise.”

Ami boli “lekin bhaiya, mummy ne iske pahle kabhi aapko is tarah se maara bhi to nahi tha. Isliye hum log bahut jyada dar gaye the.”

Ami ki is baat ko sunkar maine un dono ko samjhate huye kaha.

Mai bola “tum dono apne is dar ko hamesha ke liye apne dil se nikal do. Mai kabhi kisi bhi baat par naraj hokar chhoti maa aur tum dono ko chhod kar kahi nahi jauga. Mai chhoti maa aur tum dono ko bahut pyar karta hu.”

Ami boli “bhaiya, hum dono bhi aapse bahut pyar karte hai. Lekin hum dono se bhi jyada pyar aapko mummy karti hai. Wo humse jyada aapse pyar karti hai.”

Abhi mai ami ko is baare me kuch samjhane hi wala tha ki, tabhi nimi ne ami se do kadam aage badte huye kaha.

Ami boli “haan bhaiya, ami didi thik kahti hai. Mummy humse bhi jyada aapse pyar karti hai. Wo hamesha aapki pasand ki hi dishes banati hai. Meri pasand ke cutlets aur Manchurian kabhi nahi banati.”

Nimi ki baat sunkar, mujhe hansi aa gayi aur maine use pyar se daant lagate huye kaha.

Mai bola “nimmo tu bahut badi petu hai. Tujhe khane ke siwa kuch nahi sujhta hai. Are chhoti maa cutlets aur Manchurian isliye nahi banati hai. Kyoki ye ghar me itne ache nahi bante hai.”

“Chhoti maa tum dono ko mujhse bhi jyada pyar karti hai. Tum dono to is ghar ki jaan ho. Fir bhala hum tumhe pyar kyo nahi karege. Lekin tum dono bahut shararat karit ho. Isliye chhoti maa ko tum par gussa karne padta hai.”

Abhi mai ami nimi ko samjha raha tha ki, tabhi keerti khan eke liye bulane aa gayi. Fir mai aur ami nimi keerti ke sath khane ke liye niche aa gaye. Vaani didi pahle se hi niche chuki thi aur neha ke sath dining table par baithi huyi thi.

Lekin chhoti maa waha nahi thi. Ye dekh kar maine ami se chhoti maa ko bula kar lane ki baat boli to, usne chhoti maa ko bulane jaane se saaf mana karte huye kaha.

Ami boli “nahi bhaiya, aaj mummy bahut gusse me hai. Aaj mai unko bulane nahi jaugi.”

Ami ki baat sunkar, maine keerti se chhoti maa ko bula kar lane ko kaha to, usne bhi is baat se saaf mana karte huye kaha.

Keerti boli “na baba, ye mujhse nahi hoga. Mai ami nimi ke school na jaane aur inke nashta na karne ki baat ko lekar subah se do baar mausi ki daant kha chuki hu. Ab mujhe unki aur daant khane ka koi shauk nahi hai.”

“Yadi mausi ko khana khata hota to, wo mujhse sabko khana khila dene ki baat kyo kahti. Waise bhi mausi tumhari hi vajah se naraj hai. Tum hi jakar unhe mana kar le lao.”

Keerti ki is baat me vaani didi ne bhi uski baat ka samrthan kiya aur mujhse chhoti maa ko bula kar lane ki baat kahne lagi. Jiske bad mai chhoti maa ko bulane ke liye chala gaya.

Abhi mai chhoti maa ko bulane unke kamre ke andar jaane hi wala tha ki, unhe almari ke samne khade dekh kar mujhe laga ki, wo kapde badal rahi hai. Ye dekh kar maine bahar se aawaj lagate huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, kya mai andar aa sakta hu.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne kaha.

Chhoti maa boli “haan, tu andar aa sakta hai. Tujhe mere kamre me aane ke liye ijajat lene ki jarurat kab se padne lagi hai.”

Mai bola “nahi chhoti maa, wo maine aapko almari ke samne khada dekha to, mujhe laga ki, aap kapde badal rahi hai.”

Chhoti maa boli “nahi, mai kapde nahi badal rahi thi. Mai bas almari me kapde sahi se rakh rahi thi.”

Ye kahte huye chhoti maa mere pas aa gayi aur un ne mere sar par hath ferte huye kaha.

Chhoti maa boli “maine tujhe subah maara tha. Kya tu mujhse naraj hai.”

Mai bola “nahi chhoti maa, mai bhala aapse kyo naraj rahne laga. Mai to ulta is baat se bahut khush hu. Mujhe aapka dher saara pyar mila hai. Bas mere jeevan me aapse maar khane ki kami rah gayi thi. Lekin aaj aapne meri us kami ko bhi pura kar diya hai.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne mujhe apne gale se lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “tu ab bahut badi badi baten karne laga. Tu baith, mai tujhe ek pyari si chij dikhati hu.”

Ye kah kar chhoti maa apni almari se kuch nikalne chali gayi. Mai unke bed par aakar baith gaya aur unke wo chij dikhane ka intejar karne laga. Unki baton se mujhe samajh me aa gaya tha ki, ab wo mujhse bilkul najaj nahi hai.

Unka acha mood dekh kar mujhe bhi bahut khushi ho rahi thi. Waise to ye kamra papa aur chhoti maa dono ka tha. Lekin mere liye ye kamra sirf meri chhoti maa ka tha.

Mujhe apne kamre se jyada shukun ami nimi aur chhoti maa ke kamre me mila karta tha. Isliye kisi pareshani ya tanav ke samay par mai in dono me se hi kisi ek ke kamre ki sharan me chala jata tha.

Jaha ami nimi ke kamre me unki pyari pyari baten mere tanav ko kam kar deti thi. Wahi chhoti maa ke kamre me unka pyar aur dular mere tanav ko khatam kar diya karta tha.

Abhi mai is kamre se jude shukun ke baare me soch hi raha tha ki, tabhi chhoti maa mere pas aakar baith gayi. Un ne bade pyar se mere sar par hath fera aur fir mere hath me ek tasveer thama di.

Mai gaur se us tasveer ko dekhne laga. Mere sath sath chhoti maa khud bhi us tasveer ko dekh rahi thi. Us tasveer ko dekhte hi, mere chehre par khud-ba-khud muskurahat aa gayi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 233}
____________________________

Ye kah kar chhoti maa apni almari se kuch nikalne chali gayi. Mai unke bed par aakar baith gaya aur unke wo chij dikhane ka intejar karne laga. Unki baton se mujhe samajh me aa gaya tha ki, ab wo mujhse bilkul najaj nahi hai.

Unka acha mood dekh kar mujhe bhi bahut khushi ho rahi thi. Waise to ye kamra papa aur chhoti maa dono ka tha. Lekin mere liye ye kamra sirf meri chhoti maa ka tha.

Mujhe apne kamre se jyada shukun ami nimi aur chhoti maa ke kamre me mila karta tha. Isliye kisi pareshani ya tanav ke samay par mai in dono me se hi kisi ek ke kamre ki sharan me chala jata tha.

Jaha ami nimi ke kamre me unki pyari pyari baten mere tanav ko kam kar deti thi. Wahi chhoti maa ke kamre me unka pyar aur dular mere tanav ko khatam kar diya karta tha.

Abhi mai is kamre se jude shukun ke baare me soch hi raha tha ki, tabhi chhoti maa mere pas aakar baith gayi. Un ne bade pyar se mere sar par hath fera aur fir mere hath me ek tasveer thama di.

Mai gaur se us tasveer ko dekhne laga. Mere sath sath chhoti maa khud bhi us tasveer ko dekh rahi thi. Us tasveer ko dekhte hi, mere chehre par khud-ba-khud muskurahat aa gayi.

Ye meri mummy ki photo thi. Waise to mujhe meri mummy ki koi photo dekhe barso ho gaye the aur unhe pahchan pana mere liye aasan nahi tha. Fir bhi mai is photo ko dekhte hi, mummy ko faurna pahchan gaya tha.

Kyoki mai bachpan me is photo ko bahut dekha karta tha au rise dekhte hi, mere bachpan ki yaad taja ho gayi thi. Maine mummy ki tasveer ko gaur se dekhte huye chhoti maa se kaha.

Mai bola “chhoti maa, mummy is tasveer me kitni pyari lag rahi hai na.”

Chhoti maa boli “haan, didi is tasveer me bahut pyari lag rahi hai aur wo hakikat me bhi itni hi pyari thi.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, meri muskurahat aur bhi gahri ho gayi. Mujhe apni mummy par bahut pyar aa raha tha. Maine pyar se unki tasveer ko chumte huye chhoti maa se puchha.

Mai bola “chhoti maa, ye tasveer aapko kaha mili. Maine is tasveer ko bahut miss kiya hai.”

Chhoti maa boli “ye tasveer mere pas hi thi. Maine hi ise tujhse chhupaya tha.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai hairani se unki taraf dekhne laga. Un ne meri is hairani ko door karte huye kaha.

Chhoti maa boli “tu bachpan me is tasveer ko dekh kar bahut dukhi ho jata tha aur apni mummy ko yaad karke udas raha karta tha. Mujhse tera apni mummy ko yaad karke rona nahi dekha jata tha.”

“Isliye tujhe teri mummy ki yaad dilane wali har chij ko maine teri chori se tujhse chhupa kar, apne pas sambhal kar rakh liya tha. Unhi sab chijon me se ek ye tasveer bhi hai.”

Chhoti maa ki ye baat bilkul sahi thi. Chhoti maa mujhe bahut pyar karne lagi thi. Lekin iske bad bhi mai akele me apni mummy ki tasveer dekh kar, unki kami ko mehsus karke roya karta tha.

Chhoti maa is baare me mujhe bahut samjhati thi. Unke samjhane par mai kuch samay ke liye unki baat samajh jata tha. Lekin akele me meri mummy ki tasveer me mujhe unki kami ka aehsas kara kar mujhse rula diya karti thi.

Fir achanak hi ek din mere kamre se meri mummy ki ye tasveer kahi gayab ho gayi. Us din mai is baat ke liye bahut roya tha. Us din chhoti maa mujhe apne seene se laga kar hi soyi thi.

Us samay mai chhoti maa ki baton se bahal gaya tha. Fir dhire dhire meri mummy ki yadon ki jagah chhoti maa ke pyar ne mere dil me ghar kar liya aur fir ami nimi ke aa jaane se mai apni mummy ko puri tarah se bhool gaya tha.

Lekin aaj itne saalon bad, ek baar fir se apni mummy ki tasveer ko apne samne pakar meri purani yaden taja ho gayi thi aur mujhe mummy ki kami bahut jyada akharne lagi thi.

Na chahte huye bhi, mummy ko yaad karke meri aankhon me aansu aa gaye aur meri aankhne aansuon se bhigne lagi. Chhoti maa ne meri aankhon me aansu dekhe to, mere aasnsuon ko ponchhte huye kaha.

Chhoti maa boli “bas isi vajah se maine is tasveer ko tujhse chhupa kar rakha tha. Jaane wale to hamesha ke liye door chale jate hai. Lekin humare rone ke liye apni yaden chhod jate hai.”

“Tu us samay bahut chhota tha aur mai tujhe rota hua nahi dekh sakti thi. Isliye mujhe ye sab karna pada tha. Lekin mai ye nahi janti thi ki, tu apni mummy ko is kadar bhool jayega ki, tujhe unka chehra hi yaad nahi rahega.”

“Yaha tak ki jab teri judwa bahan priya apni mummy ka chehra liye tere samne aayi. Tab bhi tujhe is baat ka aehsas nahi hua ki, uski shakal teri mummy se bahut kuch milti hai.”

“Maine ye sab sirf teri bhalai ke liye kiya tha. Lekin aaj na jaane kyo mujhe is baat ka afsos ho raha hai ki, mujhe ye sab nahi karna chahiye tha. Mujhe teri mummy ki tasveer ko tujhse door nahi karna chahiye tha.”

“Yadi maine teri mummy ki tasveer ko tujhse door nahi kiya hota to, priya ko apne samne dekh kar, tere man ek baar ye khayal jarur aaya hota ki, uski shakal teri mummy se bahut milti hai.”

Itna bol kar chhoti maa chup ho gayi. Lekin unhe is baat ke liye afsos karte dekh kar, maine chhoti maa se kaha.

Mai bola “chhoti maa, aapko kisi baat ke liye afsos karne ki jarurat nahi hai. Mummy jab ye duniya chhod kar gayi thi. Tab mai bahut chhota tha. Isliye mere dimag me unke chehre ki dhundhli si hi tasveer hai.”

“Isliye priya ko apne samne dekh kar bhi mujhe kabhi is baat ka aehsas nahi hua tha ki, uski shakal mummy se milti hai. Lekin iska matlab ye to nahi hai ki, mai mummy ko bhool gaya hu.”

“Mai us samay chhota jarur tha. Lekin aaj bhi mujhe mummy ki bahut si baten yaad hai. Bas unka chehra sahi se yaad nahi tha. Magar aaj is tasveer ko dekh kar ek baar fir mummy ka chehra mere dil me sama gaya hai.”

“Mai mummy ko aaj bhi bahut miss karta hu. Lekin ye baat bhi sach hai ki, jab mujhse koi meri maa ke baare me puchhta hai to, meri aankhon ke samne sirf aapka hi chehra aata hai.”

“Aap duniya ki sabse achi maa hai aur ye meri khushnashibi hai hai ki, aap meri maa hai. Aap kabhi koi galti kar hi nahi sakti hai. Isliye aapko kabhi kisi baat ke liye mujhe ya kisi aur ko safayi dene ki koi jarurat nahi hai.”

“Aapne mummy ki tasveer ya unki chijon ko mujhse chhupa kar kuch bhi galat nahi kiya tha. Aapne jo bhi kiya tha. Apne bete ki bhalai ke liye kiya tha aur ek maa ko apne bachchon ki bhalai ke liye kuch bhi karne ka pura haq hai.”

Meri ye baat sunkar, chhoti maa ke chehre par muskurahat aa gayi aur un ne mere sar par hath ferte huye kaha.

Chhoti maa boli “jab tu itna sab kuch samajhta hai to, fir subah ami nimi ki baat ko lekar mujhse itni bahas kyo kar raha tha.”

Mai bola “chhoti maa, mai aapki subah ki baton se samajh gaya tha ki, aap ami nimi par, ami ki priya ko lekar ki gayi harkaton ki vajah se gussa kar rahi hai. Lekin jab aapne kaha ki, inhe yadi mere ghar me rahna hai to, mere hisab se hi chalna hoga.”

“Tab mujhe papa ki aapko kahi gayi baat yaad aa gayi. Un ne bhi aapse aisi hi kuch baat kahi thi. Lekin tab mai chhota tha aur chah kar bhi papa ki is baat ka koi virodh nahi kar paya tha.”

“Magar aaj jab maine aapko bhi papa ki tarah ye hi baat kahte dekha to, mai apne aapko is baat ka virodh karne se nahi rok paya aur mai aapke sath badtamizi karne ki galti kar gaya.”

Meri ye baat sunkar, chhoti maa ne thoda gambhir hote huye kaha.

Chhoti maa boli “dekh, mai manti hu ki, maine tere papa ki tarah hi ami nimi se ye baat ki thi. Lekin hum dono ke in baton ko karne ke pichhe chhupi vajah me bahut jyada antar hai.”

“Tere papa ne mujhse apni sharton par apne ghar me rahne ki jo baat kahi thi. Wo un ne sirf apni galtiyon par parda dalne ke liye kahi thi. Lekin mai ami nimi se ye baat sirf tum sabki bhalai ke liye kah rahi thi.”

“Mujhe richa didi ne tum logon ke Mumbai pahuchne ke pahle hi, ami ki priya ko apni bahan manne se inkar karne wali harkat ke baare me bata diya tha. Lekin vaani ne us samay mujhe shant rahne ko bol diya tha.”

“Isliye tum logon ke Mumbai aane par maine ami se is baare me koi baat nahi ki thi. Magar usne Mumbai me hi mere upar priya ki tarafdari karne ka iljam laga diya tha. Tab bhi mai vaani ke kahne par chup rah gayi thi.”

“Lekin mai ami ki in harkaton ko khamoshi se to dekh nahi sakti thi. Kyoki aaj jaise hum logon ko is baat ka pata chala hai ki, priya is ghar ki beti hai. Waise hi aaj nahi to kal priya ko bhi is baat ka pata chalna hai ki, wo is ghar ki beti hai.”

“Tab shayad priya ka is ghar me aane ka bhi rasta khul jaye. Lekin tab ami ki ye harkaten priya ke liye pareshani ka sabab ban sakti hai aur mai apne bachchon ke bich kisi tarah ka bhed dekhna nahi chahti hu.”

“Bas isliye mai aaj subah ami nimi ke sath itni sakhti se pesh aayi thi. Taki ami ki harkaton par abhi se lagam lagayi ja sake. Lekin tu bich me aa gaya aur mera saara gussa tujh par utar gaya.”

Keerti mujhe ami ki chhoti maa ke sath ki gayi harkate ke baare me pahle hi bata chuki thi. Isliye maine chhoti maa ki is baat ko sunkar, thoda gambhir hote huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, aapki ye baat sahi hai. Mai bhi ami ke man me priya ko lekar pal rahi is galatfahmi se pareshan hu. Lekin mujhe aapka ami ke sath is tarah sakhti se pesh aana sahi nahi lag raha hai.”

“Ami abhi bachchi hai aur aapki sakhti ka us par bura asar bhi pad sakta hai. Hume ami ko pyar se samjhana chahiye. Mujhe ummid hai ki, wo humare pyar se samjhane se jarur humari baat ko samajh jayegi.”

Meri is baat ko sunkar, chhoti maa ne muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “tujhe kya lagta hai ki, maine ya kisi aur ne ami ko pyar se samjhane ki koi koshish nahi ki aur maine achanak hi uske sath sakhti se pesh aane ka faisla le liya hai.”

“Jaisa tu soch raha hai, waisa kuch bhi nahi hai. Hum jab ami nimi ke sath Mumbai se yaha aaye the. Tab richa didi ne ami ko priya ke hosh me aane par uske sath pyar se pesh aane ke baare me samjhaya tha.”

“Lekin usne richa didi ke muh par hi saaf kah diya tha ki, keerti aur vaani ke alawa koi bhi uski didi nahi hai. Uski is baat par vaani ne use samjhana chaha to, usne vaani ko aisa jabab diya ki, vaani bhi uska muh dekhti rah gayi thi.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai hairan huye bina rah saka. Kyoki sirf keerti aur vaani didi ko hi apni didi manne wali baat to, ami mere samne bhi Mumbai jaane ke pahle bol chuki thi.

Lekin ami ke vaani didi ko palat kar jabab dene wali baat mujhe keerti ne nahi batayi thi aur mujhe ye baat hajam bhi nahi ho rahi thi. Isliye maine chaukte huye chhoti maa se puchha.

Mai bola “chhoti maa, ami ne vaani didi ko is baare me kya jabab diya tha.”

Chhoti maa boli “vaani ne jab tumhari pyari ammo ko richa didi se ye kahte suna ki, vaani aur keerti ke siwa koi uski didi nahi hai to, vaani ne use samjhate huye kaha ki, wo (vaani) aur keerti to punnu ki door ki bahan hai.”

“Lekin priya punnu ki judwa bahan hai. Isliye use priya ke sath mil kar rahna chahiye. Ye baat sunkar to ami ke tevar hi badal gaye aur wo ulta vaani ke upar hi bhadak gayi.”

“Usne vaani ke sath badtamizi karte huye kaha ki, didi aap priya ko jabardasti humari didi banane ki koshish mat kijiye. Priya bhaiya ki judwa bahan ho ya na ho. Lekin wo humari didi kabhi bhi nahi ban sakti.”

“Na hi hum log kabhi priya ko apne ghar me aane dege. Aapne priya ko dudne ke liye apni naukri to chhod hi di hai. Ab aap khud bhi Mumbai me hi jakar rahne lagiye.”

“Ami ki ye baat sunkar, mai use marne ko huyi. Lekin vaani ne ek baar fir se mujhe aisa karne se rok diya tha. Lekin mai ami ki is harkat ko chah kar bhi maaf nahi kar payi thi aur isi vajah se ami se naraj thi.”

Itna bol kar chhoti maa chup ho gayi. Lekin mujhe abhi bhi chhoti maa ki is baat par yakin nahi aa raha tha. Mai soch bhi nahi sakta tha ki, ami kabhi vaani didi ke sath itni jyada badtamizi se baat kar sakti hai.

Ami ne saaf saaf vaani didi ki beijjati karke rakh di thi. Yahi baat yadi maine ya mere bap ne vaani didi se kahi hoti to, hume iska anjam bhi turant dekhne ko mil gaya hota.

Mai ami nimi se bahut pyar karta tha aur kabhi un par gussa nahi karta tha. Lekin chhoti maa ki ye baat sunne ke bad, ab mujhe bhi ami ki is hakat par gussa aane laga tha.

Mujhe abhi bhi samajh me nahi aa raha tha ki, ami aisa kaise kar sakti hai aur vaani didi ami ki itni badi galti ko kaise andekha kar gayi. Mai abhi is baare me soch hi raha tha ki, tabhi chhoti maa ne mujhe tokte huye kaha.

Chhoti maa boli “kya hua.? Kya soch raha hai. Kya tujhe meri is baat par yakin nahi hai.”

Mai bola “nahi chhoti maa, aisi baat nahi hai. Mai to ye soch raha tha ki, ami vaani didi se itni badi baat kar bhi kaise sakti hai. Uske man me ye soch aayi bhi to, kaise aayi.”

Is se pahle ki chhoti maa mujhe meri is baat ka koi jabab de pati. Us se pahle hi vaani didi kamre me aa gayi. Un ne mujhe chhoti maa ke sath kisi baat me uljhe dekha to, mujhse kaha.

Vaani didi boli “hum sab bahar baithe tere mausi ko lekar aane ka intejar kar rahe hai aur tu yaha aaram se baith baten kar raha hai.”

Lekin maine vaani didi ki is baat ko ansuna karke, ulte unse hi sawal karte huye kaha.

Mai bola “didi, aapne ami ki itni badi galti ko andekha kaise kar diya. Yadi aap use kuch nahi kah sakti thi to, mujhe batana tha. Mai us ami ki bachchi ko aapke sath ki gayi is badtamizi ka ache se sabak sikhata.”

Meri ye baat sunkar, vaani didi chhoti maa ki taraf dekhne lagi. Chhoti maa ne unhe bataya ki, un ne mujhe ami ki harkat ke baare me bata diya. Jise sunne ke bad vaani didi ne muskura kar mere pas baithte huye kaha.

Vaani didi boli “acha chal, maan le ki maine tujhe ye baat bata di hoti to, tu ami ko kya sabak sikhata.”

Mai bola “mai us ami ki bachchi ko do lagata aur us se is baat ke liye aapse maafi mangne ko kahta.”

Meri is baat ko sunkar, vaani didi ne pyar se mere sar par chapat laga di. Lekin unki ye pyar ki chapat bhi mujhe jor se hi lagti thi. Aisa hi abhi bhi hua. Vaani didi ki chapat lagte hi, mai apne sar par hath ferne laga.

Ye dekh kar vaani didi mere sar ko sahlane lagi. Jab maine kaha ki, mujhe kuch nahi hua hai. Tab un ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “tu ami ko do lagane ki baat kar raha hai. Tu mujhe kabhi ami nimi par gusse me chilla kar hi dikha de. Mai maan jaugi ki, tu unhe sabak sikha sakta hai.”

Vaani didi ki ye baat jara bhi galat nahi thi. Mai chah kar bhi kabhi un par gussa nahi kar sakta tha. Fir bhi maine ami ki us harkat par thoda narajgi jahir karte huye kaha.

Mai bola “aap kuch bhi kaho didi, lekin ami ki is harkat se mujhe bahut dukh pahucha hai. Wo priya ko pasand nahi karti hai to, na kare. Magar use aapse is tarah se badtamizi nahi karna chahiye tha. Ami ki is nadani ke liye mai aapse maafi manta hu.”

Vaani didi boli “mere bhai, tumhe ami ki galti ke liye maafi mangne ki jarurat nahi hai aur na hi ami ki harkat se dukhi hone ki jarurat hai. Tumhe bas is samay ami ke man ki stithi ko samajhne ki jarurat hai.”

“Ami ki us harkat par mujhe bhi us par bahut gussa aaya tha. Lekin mai uske dil ka dar samajh gayi thi. Isliye maine us par koi gussa nahi kiya tha aur mausi ko bhi us par gussa karne se rok diya tha.”

“Ami is samay sirf is baat se dari huyi hai ki, priya tumhari judwa bahan hai. Yadi priya is ghar me aa gayi to, fir wo hi tumhare sabse karib ho jayegi aur ami nimi tumse door ho jayegi.”

“Ami ko apne aur nimi ke hisse ka pyar priya ke aane se batta hua najar aa raha hai. Isliye wo priya ko jara bhi pasand nahi kar rahi hai aur man hi man priya se nafrat bhi karne lagi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, maine vaani didi se kaha.

Mai bola “didi, mai ami ko ye baat samjhane ki koshish karuga. Mere samjhane se wo jarur is baat ko samjhne ki koshish karegi.”

Vaani didi boli “nahi, ami ko samjhane se kuch nahi hoga. Mai tumhe uske man ka dar pahle hi bata chuki hu. Jo bhi use samjhata hai, wo use hi apna dushman samajhne lagti hai.”

“Usne mausi aur mujhse bhi isi vajah se badtamizi ki thi. Ami ke dil me priya ke liye jo nafrat hai, wo uske sath sakhti karne se ya use priya ke baare me samjhane se nahi mit sakti hai.”

“Ami ke dil se is nafrat ko mitane ke liye hume ami ke dil me priya ke liye pyar aur apnapan jagana hoga. Is kaam me thoda samay lag sakta hai. Isliye hume thoda sabar se kaam lena hoga.”

“Abhi ami ne tumhare sath mumbai jaane ki baat sirf tumhe priya se door rakhne ke liye kahi thi. Lekin maine use Mumbai jaane ki ijajat isliye di hai. Taki isi bahane use priya ke karib laya ja sake.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mai ami ke baare me sochne laga. Tabhi keerti hume khane ke liye bulane aa gayi. Usne humse khana khane chalne ki baat kahi aur wapas jaane lagi.

Lekin tabhi uski najar meri god me rakhi mummy ki tasveer par padi aur wo ruk kar use gaur se dekhne lagi. Kuch der tasveer ko gaur se dekhne ke bad, usne vaani didi se kaha.

Keerti boli “didi, ye badi mausi ki tasveer hai na.”

Vaani didi boli “haan, ye purnima mausi ki hi tasveer hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar keerti ne chahakte huye kaha.

Keerti boli “didi, ye to bilkul priya jaisi dikhti hai.”

Keerti ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “pagal, ye priya jaisi nahi dikhti hai. Balki priya inke jaisi dikhti hai.”

Iske bad keerti ki vaani didi se thodi bahut isi baare me baat huyi aur fir chhoti maa ne wo tasveer wapas apni almari me rakh di. Iske bad hum sab khana khane ke liye bahar aa gaye.

Hum sab ne ek sath khana khaya aur khane ke bad sab baten karne lage. Tabhi mujhe yaad aaya ki, aaj Monday hai. Is baat ke yaad aate hi, mai aaj ka akhbaar utha kar dekhne laga.

Keerti ne mujhe aaj ka akhbaar dekhte dekha to, wo mere pas aa gayi aur usne mujhe tokte huye kaha.

Keerti boli “aaj bhi Tripti ki rachna nahi chhapi hai. Mai pahle hi isme dekh chuki hu.”

Keerti ki ye baat sunkar, mai kuch udas sa ho gaya. Mujhe is baat se udas hote dekh kar, keerti ne kaha.

Keerti boli “isme itna jyada udas hone ki kya baat hai. Are wo abhi abhi bimari se uthi hai. Isliye ho sakta hai ki, abhi wo kuch likh na payi ho. Tum chaho to, nikki se is baare me baat kar sakte ho.”

Mujhe bhi keerti ki ye baat sahi lagi aur maine us se kaha.

Mai bola “tune ye acha yaad dilaya. Kal priya ki vajah se mai nikki se baat nahi kar paya tha. Nikki bhi is baat se naraj hogi. Mai abhi us se baat kar leta hu.”

Keerti se itna bolne ke bad maine nikki ko call laga diya. Mere call jaane ke thodi hi der bad nikki ne call utha liya. Usne call uthate hi, mujhse shikayat karte huye kaha.

Nikki boli “tumhari ye aadat achi nahi hai. Tum apne ghar pahuchte hi mujhe bilkul bhool jate ho. Kam se kam ek call karke ye to bata hi sakte the ki, tum ache se ghar pahuch gaye ho.”

Mai bola “aisi baat nahi hai. Mai tumhe call karna chahta tha. Lekin ghar aate hi, mai chanda mausi ko dekhne keerti ke ghar chala gaya tha. Fir waha se raat ko 11:30 baje ke bad hi ghar wapas aaya. Isliye mai tumhe call nahi kar paya.”

Nikki boli “jyada bahane banane ki jarurat nahi hai. Mujhe sab pata hai ki, kal tumne yaha kis kis baat ki hai. Tumne kal aman bhaiya ke ghar sab se baat ki hai. Mujhe shikha didi ne sab bata diya hai.”

“Ye hi nahi, tumne kal raat ko 12 baje ke bad priya ko bhi call laga kar, us se baat ki hai. Tumhe sabse baat karne ka samay mil gaya. Bas ek mujhse baat karne ke liye tumhare pas samay nahi hai.”

Mai bola “yaar, mai tumhe kaise samjhau. Mai bilkul sach kah raha hu. Mujhe sach me raat ko 12 baje ke pahle samay nahi mil paya tha. Shikha didi logon se to, meri sirf barkha didi ki vajah se baat ho gayi thi.”

“Warna kal meri waha par bhi kisi se baat nahi ho pati. Haan aaj yadi tumhe school na jana hota to, mai jarur tumhe raat ko 12 baje ke bad call karke tumse baat kar leta.”

“Lekin aaj tumhara school hone ki vajah se maine tumhe raat ko call laga kar pareshan karna thik nahi samjha tha. Magar kal meri tumse baat na ho pane me thodi si galti priya ki bhi hai.”

Meri ye baat sunkar, nikki ne thoda chaukte huye kaha.

Nikki boli “kyo priya ne aisa kya kiya. Jis vajah se tum mujhse baat nahi kar paye.”

Mai bola “priya mere dusre mobile par call laga rahi thi aur wo mobile mai ghar par hi bhool gaya tha. Usne mere is mobile par koi bhi call nahi lagaya. Yadi usne mere is mobile par call lagaya hota to, meri usi samay uske sath sath tumse bhi baat ho gayi hoti.”

Meri ye baat sunkar, nikki ne priya ke upar khurrate huye kaha.

Nikki boli “kamini, tumhare dusre mobile par call laga rahi thi aur mujhse kah rahi thi ki, tum uska call nahi utha rahe ho. Uski yahi baat sunkar, maine tumhe call nahi lagaya tha.”

“Yadi mujhe uski is harkat ke baare me jara bhi pata hota to, mai tumhe jarur call laga leti. Usne kal mujhe acha bevkuf banaya. Tum ruko mai abhi ghar jakar uski ache se khabar leti hu.”

Nikki ke abhi ghar me na hone ki baat sunkar, maine us se puchha.

Mai bola “kya abhi tum ghar me nahi ho.”

Nikki boli “nahi, abhi mai uncle, raj, riya aur nitika ke sath priya ke liye car lene aayi hu.”

Nikki ki ye baat sunkar maine chaukte huye kaha.

Mai bola “lekin uncle achanak priya ke liye car kyo le rahe hai.”

Nikki boli “wo kal hum sab jab tumhe chhod kar ghar wapas aaye to, priya thakan hone ki baat kah kar apne kamre me aaram karne chali gayi. Ye dekh kar raj ne uncle se kaha ki, wo to apni car lekar office chale jate hai.”

“Lekin priya ki achanak tabiyat kharab ho jaane aur ghar me koi dusri gaadi na hone ki vajah se priya ko jaldi hospital le jaane me bahut takleef hoti hai. Isliye hume ek car aur le leni chaiye.”

“Is par uncle ne raj se kaha ki, tum khud ke istemal ke liye car lena chahte ho aur priya ki aad le rahe ho. Uncle ki ye baat sunkar raj ne kaha ki, wo sirf priya ke liye car lena chahta hai.”

“Taki bimari ki is halat me priya ko kahi aane jaane me ya doctor ke yaha aane jaane me koi takleef na ho. Yadi priya nahi chahegi to, wo car ko hath bhi nahi lagayega. Aap chahe to priya ki car ke liye ek driver bhi rakh sakte hai.”

“Wo sirf jarurat ke samay par hi priya ki car ko hath lagayega. Raj ki is baat par hum sabne bhi uski haan me haan milayi. Jiske bad uncle ne hum sabki baat maan kar priya ke liye car lene ka faisla kar liya.”

“Ye baat abhi priya ko malum nahi hai. Uncle ne iske liye aaj hum sabko apne office bulaya tha. Abhi hum uncle ke sath usi Audi car showroom me aaye hai. Jaha se humne shikha didi ke liye car uthayi thi.”

Nikki ki ye baat sunkar maine khush hote huye kaha.

Mai bola “ye to bahut achi baat hai. Lekin tum log kis color ki car le rahe ho.”

Nikki boli “hum wo hi car aur wo hi color le rahe hai. Jo humne shikha didi ke liye liya tha.”

Mai bola “wo car to thik hai. Lekin priya ko us samay red color se jyada black color pasand aaya tha. Isliye mujhe lagta hai ki, priya ke liye black color ki hi car lena chahiye.”

Nikki boli “ek min, tum is baare me khud hi raj se baat kar lo. Mai raj ko phone deti hu.”

Ye kahte huye nikki raj ke pas chali gayi. Kuch der bad, phone par raj ki aawaj aayi to, mai use priya ko car ka black color pasand hone wali baat batane laga. Meri baat sunne ke bad raj ne kaha ki, wo mujhse thodi der bad baat karta hai.

Itna kah kar usne wapas nikki ko mobile de diya. Mai nikki se baat kar hi raha tha ki, tabhi riya uske pas aa gayi. Nikki ne riya se baat karne ki baat kah kar riya ko phone de diya.

Nikki ki tarah riya bhi kal us se baat na karne ki baat ko lekar mujhse jhagda karne lagi. Mai use bhi wahi safayi dene laga. Jo maine nikki ko di thi. Kuch der baat karne ke bad riya ne wapas nikki ko phone de diya.

Mai nikki se baat karne laga. Kuch der bad raj ne aakar bataya ki, usne car ka black color final kar diya hai. Iske bad meri nikki se baat chalti rahi. Kuch der bad nikki ne ghar pahuchne ke bad baat karne ki baat kah kar call rakh diya.

Nikki ke call rakhne ke bad, mai chhoti maa logon ko uncle ki priya ke liye car lene wali baat batane laga. Abhi mai chhoti maa ko ye baat bata hi raha tha ki, tabhi vaani didi ka mobile bajne laga.

Vaani didi ne mujhe chup rahne ka ishara karte huye kaha ki, priya ka call aa raha hai. Vaani didi ki ye baat sunkar, mere sath sath baki sab bhi chauke bina na rah sake.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, priya ne vaani didi ko call kyo lagaya hai. Usne abhi tak chhoti maa ya keerti ko koi call nahi kiya tha. Aise me uske sidhe vaani didi ko call karne wali baat mujhe kuch hajam nahi ho rahi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 234}
____________________________

Nikki ki tarah riya bhi kal us se baat na karne ki baat ko lekar mujhse jhagda karne lagi. Mai use bhi wahi safayi dene laga. Jo maine nikki ko di thi. Kuch der baat karne ke bad riya ne wapas nikki ko phone de diya.

Mai nikki se baat karne laga. Kuch der bad raj ne aakar bataya ki, usne car ka black color final kar diya hai. Iske bad meri nikki se baat chalti rahi. Kuch der bad nikki ne ghar pahuchne ke bad baat karne ki baat kah kar call rakh diya.

Nikki ke call rakhne ke bad, mai chhoti maa logon ko uncle ki priya ke liye car lene wali baat batane laga. Abhi mai chhoti maa ko ye baat bata hi raha tha ki, tabhi vaani didi ka mobile bajne laga.

Vaani didi ne mujhe chup rahne ka ishara karte huye kaha ki, priya ka call aa raha hai. Vaani didi ki ye baat sunkar, mere sath sath baki sab bhi chauke bina na rah sake.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, priya ne vaani didi ko call kyo lagaya hai. Usne abhi tak chhoti maa ya keerti ko koi call nahi kiya tha. Aise me uske sidhe vaani didi ko call karne wali baat mujhe kuch hajam nahi ho rahi thi.

Waise bhi humare yaha ke logon me priya ki sabse jyada chhoti maa se patti thi. Yadi usne chhoti maa ko call lagaya hota to, mujhe kuch bhi ajib nahi lagta. Lekin uska vaani didi ko call lagana mujhe bahut ajib lag raha tha.

Mai abhi priya ki isi harkat me uljha hua tha ki, vaani didi ne priya ka call uthate huye kaha.

Vaani didi boli “haan priya bolo, tumhe aaj achanak meri yaad kaise aa gayi.”

Priya boli “……………” (didi, wo nikki ne shikha didi ko call lagaya tha. Unhi se pata chala ki, aap …………………..)

Vaani didi boli “haan priya, tumne bahut sahi suna hai. Lekin maine unhe ye baat kisi ko bhi batane se mana kiya tha.”

Priya boli “…………..” (didi, unne hume ye baat nahi batayi hai. Wo to humne nashte ke samay shikha didi ko call kiya tha. Isliye jab aman bhaiya nisha bhabhi ko ye baat bata rahe the to, humne bhi unki baat sun li thi.)

Vaani didi boli “chalo koi baat nahi hai. Lekin abhi tum ye baat kisi ko mat batana.”

Priya boli “……………” (didi, mai ye baat kisi ko nahi bataugi. Maine to aapko sirf isliye call lagaya hai. Kyoki humare …………………….…………………)

Vaani didi boli “ye to bahut achi baat hai. Lekin abhi baat karne ki jarurat nahi hai. Mai aaj raat ko Mumbai aa rahi hu. Mai kal kisi samay tumse mil kar is baare me baat karti hu.”

Priya boli “……………” (didi, ye to bahut achi baat hai. Mai raj bhaiya ko bol dugi. Wo aapko airport lene aa jayege.)

Vaani didi boli “nahi priya, iski jarurat nahi hai. Mai raat ko do baje waha pahuchugi. Isliye kisi ko pareshan hone ki jarurat nahi hai.”

Priya boli “……………” (didi, isme parehshani wali kya baat hai. Yadi aap mere shahar me aa rahi hai to, aapko humare ghar hi rukna padega.)

Vaani didi boli “priya samjha karo, mai apne kaam ke silsile me waha aa rahi hu aur mere aane jaane ka bhi koi samay nahi hai. Isliye is baar mujhe is baat ke liye maaf karo. Lekin agli baar jarur mai tumhare ghar me rukugi.”

Priya boli “…………….” (thik hai didi, mai kal aapke aane ka intejar karugi.)

Vaani didi boli “ok priya, mai kal waha pahuch kar tumse milti hu. Ab mai rakhti hu.”

Priya se itni baat karne ke bad, vaani didi ne call rakh diya. Hume priya ki baat sunayi nahi de rahi thi. Isliye hume samajh me nahi aaya ki usne vaani didi se kya baat ki hai.

Lekin vaani didi ki baton se itna jarur samajh me aa gaya tha ki, wo aaj raat ko Mumbai jaane wali hai. Unke achanak Mumbai jaane wali baat ne mere sath sath baki sabko bhi hairani me daal diya tha.

Wahi vaani didi ko priya se baat karte dekh kar ami pure samay unhe ghoor kar dekh rahi thi. Vaani didi ne bhi ami ki is harkat par gaur kar liya tha. Isliye un ne priya ka call rakhte hi, ami ko aankh dikhate huye kaha.

Vaani didi boli “tu mujhe is tarah se ghoor kar kyo dekh rahi hai. Kya mujhe kha jayegi.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, ami se unki baat ka koi bhi jabab dete nahi bana aur wo yaha waha dekhne lagi. Lekin nimi ko ami aur vaani didi ki chal rahi is baat chit ka matlab jara bhi samajh me nahi aaya.

Usne vaani didi ke sawal se ami ko pareshan hote dekha to, apni hi dhun me ami ki taraf se vaani didi ki baat ka jabab dete huye kaha.

Nimi boli “didi, aap ho hi itni jyada sundar ki humara dil karta hai, aapko dekhte hi rahe.”

Nimi ki baat sunkar, mere sath sath baki sabke chehre par muskurahat aa gayi. Lekin vaani didi ke Mumbai jaane wali baat ne chhoti maa ko chinta me daal diya tha. Un ne nimi ko daant lagayi aur fir vaani didi se kaha.

Chhoti maa boli “vaani, aaj jo kuch hua hai, uski vajah se mujhe kuch dar sa lag raha hai. Kya aisi halat me tera Mumbai jana jaruri hai.”

Vaani didi boli “mausi, mai aapke is dar ko samajh sakti hu. Lekin itni si baat ko lekar aapko itna darne ki jarurat nahi hai. Aap fikar mat kijiye. Mere yaha na rahne par bhi kahi kuch galat nahi hoga.”

“Mujhe apne parivar ki kab, kis se, kaise suraksha karna hai. Ye mujhe bahut achi tarah se aata hai. Isliye aap apne man ke har dar ko nikal dijiye aur befikar rahiye. Mere rahte kuch bhi bura nahi hoga.”

Vaani didi ki ye baat sunne ke bad, chhoti maa ne kuch nahi kaha. Lekin wo kuch soch me pad gayi thi. Unhe kisi soch me gum dekh kar, vaani didi ne unka dhyan is baat se hatane ke liye unse kaha.

Vaani didi boli “mausi, aapne punnu ke birthday ke liye jo gift mangaya tha. Wo ise de kyo nahi deti hai. Kya use agle saal ke liye bacha kar rakhi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, chhoti maa apni soch se bahar nikal aayi. Un ne muskurate huye meri taraf dekha aur fir apne kamre me chali gayi. Thodi der bad wo apne kamre se ek bag lekar wapas aayi.

Un ne muskurate huye wo bag mere hath me thama diya. Mai fauran hi wo bag khol kar dekhne laga. Bag kholte hi, mujhe usme ek laptop najar aaya. Laptop dekhte hi, maine khush hote huye chhoti maa se kaha.

Mai bola “thanks chhoti maa, lekin aap janamdin ke itne din bad mujhe gift kyo de rahi hai.”

Chhoti maa boli “maine tere janamdin me dene ke liye ek computer liya tha. Lekin tab tu Mumbai me tha. Isliye maine wo tere kamre me hi rakhwa diya tha. Magar tere wapas aane ke ek din pahle hi wo computer keerti se toot gaya tha.”

“Isliye tab mai tujhe kuch bhi nahi de payi thi. Mai tujhe dusra computer dene ke baare me soch hi rahi thi ki, tabhi vaani ne computer ki jagah tujhe ek laptop dene ki baat kah di.”

“Mujhe bhi vaani ki ye baat sahi lagi aur maine tere liye ye laptop manga liya. Lekin tujhe ye laptop dene ke pahle hi tere sath wo hadsa ho gaya aur mujhe tujhe ye laptop dene ka samay hi nahi mil paya.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai hairani se keerti ki taraf dekhne laga. Itne din me usne ek baar bhi mujhe is baare me kuch nahi bataya tha. Mujhe uski is baat par bahut gussa aa raha tha.

Mujhe apni taraf dekhte pakar keerti sar jhuka kar khadi ho gayi. Chhoti maa ne mujhe keerti ko gusse me ghurte dekha to, un ne mujhe samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “jaane de na, us computer ko tutna tha to, wo toot gaya. Itni si baat ke liye gussa hone ki jarurat nahi hai. Galti to sabse hoti rahti hai.”

Mai bola “chhoti maa, mujhe computer ke tutne ka is par jara bhi gussa nahi hai. Mujhe to is baat par gussa aa raha hai ki, ye itne din se mere sath hai aur isne ek baar bhi mujhse ye baat nahi batayi hai.”

Chhoti maa boli “beta, isme keerti ki koi galti nahi hai. Maine hi keerti aur ami nimi se mana kiya tha ki, jab tak mai tujhe janamdin ka gift nahi de deti hu, tab tak koi bhi is baare me tujhse baat nahi karega.”

Chhoti maa ki baat sunkar, ami ne bhi keerti ka bachaw karte huye kaha.

Ami boli “haan bhaiya, mummy ke mana karne ki vajah se hi hum logon ne abhi tak ye baat aapse nahi batayi thi.”

Ab ami boli thi to, nimi ke chup rahne ka sawal hi paida nahi hota tha. Lekin uski aadat har baat me apna fayda dekhne ki thi aur usne abhi bhi aisa hi kuch karte huye kaha.

Nimi boli “haan bhaiya, ami didi thik kah rahi hai. Humne isi vajah se ye baat aapko nahi batayi thi. Lekin ab to wo computer toot chuka hai aur wo jara bhi aapke kaam ka nahi hai.”

“Magar aap fikar mat kijiye. Hum us computer ko bekar nahi hone dege. Wo computer jab sudhar kar aa jayega to, hum use apne kamre me sambhal kar rakh lege aur usme game khela karege.”

Nimi ki ye baat sunkar ek baar fir sab hasne lage. Nimi ko itni samajh to thi nahi ki, wo sabki is hansi ka matlab samajh sake. Isliye jab usne sabko apni baat par hanste dekha to, wo khud bhi sabke sath hasne lagi.

Ye uski aadat thi ki, jab uski nadani wali baat par koi hansta tha to, use hasne ki vajah samajh me na aane par wo ise apni baat ki shabashi samajh kar wo bhi hasne lagti thi.

Lekin yadi use hasne ki vajah samajh me aa jaye to, wo naraj hokar rone me bhi pal bhar ki der nahi lagati thi. Nimi humare ghar ki aisi chahchahati chidiya thi, jiske chahchahane se ghar me hamesha hansi khushi ka mahaul bana rahta tha.

Neha ko bhi nimi ki baten sunkar, bahut maja aata tha. Usne nimi ki ye baat suni to, nimi ki haan me haan milate huye mujhse kaha.

Neha boli “nimi thik kah rahi hai. Ab wo toota hua computer sudharne ke bad bhi, tumhare koi kaam ka nahi hai. Isliye ab wo nimi ka ho gaya hai. Lekin tum yadi chaho to, apna ye laptop dekar nimi se wo computer wapas le sakte ho.”

Neha ne sirf nimi ka maja lene ke liye ye baat kahi thi aur neha ki baat sunne ke bad, aisa hi kuch hua. Nimi ne jaise hi neha ki ye baat suni to, fauran hi neha ki baat ka samarthan karte huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, neha didi thik kah rahi hai. Yadi aapko computer hi pasand hai to, aap laptop hume dekar, humse computer le sakte hai.”

Nimi ki baat sunkar, ek baar fir sabki hansi goonj gayi. Wahi maine pyar se nimi ke sar par hath ferte huye kaha.

Mai bola “meri pagal nimmo, wo computer bhi tera hai aur ye laptop bhi tera hi hai. Tera jab bhi man kare, tu mujhse ye laptop le sakti hai. Kya maine tujhe kabhi kisi chij ke liye mana kiya hai.”

Meri ye baat sunkar, nimi khush ho gayi. Tabhi mujhe paan ki yaad aayi aur maine apni jeb se paan nikal kar chhoti maa ko dete huye kaha.

Mai bola “chhoti maa, mai aapke liye ye meetha paan laya tha.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne pyar se mere gaal par hath fera aur mere hath se paan le liya. Lekin mujhe chhoti maa ko paan dete dekh kar vaani didi ne mujhe tokte huye kaha.

Vaani didi boli “ye mausi ko kis khushi me paan khilaya ja raha hai aur kya tujhe paan leti samay meri yaad nahi aayi thi. Jo tu mausi akele ke liye paan lekar aaya hai.”

Mai bola “didi, wo aaj chhoti maa mujhse naraj thi na aur wo kabhi kabhi meetha paan khati hai. Isliye unka mood sahi karne ke unke liye mai ye meetha paan lekar aaya tha. Mujhe nahi pata tha ki, aap bhi meetha paan khati hai.”

Vaani didi boli “mausi ki tarah mai bhi kabhi kabhi mai paan kha leti hu.”

Vaani didi ki is baat ke jabab me maine kaha.

Mai bola “to didi, aap bhi paan kha lijiye. Mai teen paan lekar aaya tha.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “tu teen paan kisliye laya tha. Kya ami nimi bhi paan khati hai.”

Mai bola “nahi didi, ami nimi paan nahi khati hai. Chhoti maa unhe kabhi paan khane hi nahi deti hai. Lekin keerti bhi yaha thi na. Ye chhoti maa se jid karke unka aadha paan kha jati hai. Isliye mai iske liye bhi paan tha aur ek paan extra le aaya tha.”

Meri baat sunne ke bad, chhoti maa paan ka pouch khol kar, vaani didi aur keerti ko paan dene lagi. Chhoti maa, vaani didi aur keerti ko paan khate dekh kar neha bhi paan khane ki baat bolne lagi.

Neha ki baat sunkar, vaani didi ne apne paan me se aadha paan neha ko de diya. Ami nimi badi gaur se sabko paan khate dekh rahi thi. Ye dekh kar keerti ne unse puchha.

Keerti boli “ami nimi kya tum dono bhi paan khaogi.”

Ami boli “nahi didi, mummy gussa karegi.”

Keerti boli “nahi, aaj mausi tumhe paan khane ke liye gussa nahi karegi. Tum dono kabhi paan nahi khati ho. Aaj tum dono mere paan me se aadha aadha paan kha lo. Mai mausi ke paan me se aadha paan kha lugi.”

Ye kahte huye keerti ne apne paan me se aadha aadha paan ami nimi ko de diya aur khud paan ke liye chhoti maa ke samne jakar khadi ho gayi. Ye dekh kar maine keerti se kaha.

Mai bola “tujhse chhoti maa ka paan bachane ke liye hi mai itne paan lekar aaya tha. Lekin tu ami nimi ki aad lekar fir se paan ke liye chhoti maa ke samne jakar khadi ho gayi.”

Meri is baat par keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “mai kya karu. Mai jab tak mausi ke paan me se aadha paan nahi kha leti hu. Tab tak mera man hi nahi bharta hai.”

Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ne muskurate huye apne paan me se aadha paan keerti ko de diya. Abhi sabke paan khane ka ye daur chal hi raha tha ki, tabhi ek ladki ne andar aate huye badi hi pyari si aawaj me kaha.

Ladki boli “aunty, kya mai andar aa sakti hu.”

Us ladki ki aawaj sunkar, maine palat kar uski taraf dekha. Wo pink top aur short black skirt pahne huyi thi. Uska rang bahut saaf tha aur chehre par chanchalta jhalak rahi thi. Jis vajah se wo bahut hi pyari lag rahi thi.

Wo mujhse umar sirf ek do saal chhoti lag rahi thi. Mai pahli baar use dekh raha tha. Wo shayad nayi nayi humari colony me aayi thi. Isliye mujhe samajh nahi aaya ki ye ladki kaun hai. Lekin chhoti maa ne use dekhte hi kaha.

Chhoti maa boli “dipti beta, aao, andar aao. Ye tumhara apna hi ghar hai aur tumhe yaha andar aane ke liye puchhne ki jarurat nahi hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, dipti ne andar aate huye kaha.

Dipti boli “aunty, aaj humara akhbar wala akhbar dekar nahi gaya hai. Kya aapke yaha aaj akhbar aaya hai.

Dipti ki is baat ka jabab keerti ne dete huye kaha.

Keerti boli “haan dipti, humare yaha aaj akhbar aaya hai. Ruko, mai abhi tumhe aaj ka akhbar deti hu.”

Ye kah kar keerti aaj ka akhbar lene chali gayi. Vaani didi ne dipti ko akhbar ke baare me baat karte dekha to, us se kaha.

Vaani didi boli “tujhe akhbar padne ka shauk kab se lag gaya. Aisa kya chhapa hai aaj ke akhbar me ki, tujhe akhbar pade bina chain nahi hai.”

Dipti boli “didi, mujhe akhbar padne ka shauk nahi hai. Wo kya hai ki, aaj ke din akhbar me achi achi kavitayen aati hai aur didi ko kavita padne ka bahut shauk hai. Isliye un ne hi kaha hai ki, ami nimi ke yaha se aaj ka akhbar le aao.”

Dipti ki baat sunkar, vaani didi muskura kar rah gayi. Tab tak keerti ne use aaj ka akhbar lakar de diya. Wo akhbar lekar wapas jaane ko huyi to, chhoti maa ne use tokte huye kaha.

Chhoti maa boli “dipti beta, aaj maine pulao banaya hai. Yadi tumhe pulao pasand hai to, khakar hi jao.”

Chhoti maa ki baat sunkar, dipti ne muskurate huye kaha.

Dipti boli “aunty, didi ko pulao aur biryani bahut pasand hai. Aap aisa kijiye, mujhe pulao de dijiye. Mai ghar jakar didi ke sath hi kha lugi.”

Dipti ki baat sunkar, chhoti maa uske liye pulao lene kitchen me chali gayi. Uski is baat se mujhe bhi yaad aa gaya ki, kuch din pahle vaani didi ne mujhse biryani bana kar khilane ki baat kahi thi.

Lekin apne sath huye hadse ki vajah se ye baat mere dimag se hi nikal gayi thi. Magar ab is baat ke yaad aate hi, maine bhi soch liya ki, vaani didi ke Mumbai se wapas aane ke bad, mai jarur unhe biryani bana kar khilauga.

Mai abhi isi baare me soch raha tha ki, tabhi chhoti maa ek tiffin me pulao pack karke le aayi. Un ne wo tiffin dipti ko diya aur fir dipti unse ijajat lekar chali gayi. Dipti ke jaane ke bad, chhoti maa ne mujhse puchha.

Chhoti maa boli “tu chanda mausi se baat karne kab jaane wala hai. Mujhe bhi unke pas jana hai.”

Mai bola “bas chhoti maa, mai ja hi raha hu. Aap taiyar ho jaiye, fir hum chalte hai.”

Chhoti maa boli “nahi, pahle tu unse apni baat kar le. Fir mujhe phone karke bata dena ki, wo jaane ke liye taiyar huyi ya nahi huyi. Teri unse baat ho jaane ke bad hi mai unse milne aaugi.”

Mai bola “thik hai chhoti maa, to fir mai akela hi chala jata hu.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “nahi, tumhe akele jaane ki jarurat nahi hai. Hum sab bhi tumhare sath chal rahe hai. Mai mummy aur baki sab logon ko kuch der ke liye waha se alag kar dugi. Taki tum aaram se apni baat kar sako.”

Mai bola “thik hai didi.”

Vaani didi boli “tum baitho, mai abhi taiyar hokar aati hu. Keerti, neha, ami, nimi tum log bhi chalne ke liye taiyar ho jao.”

Itna kah kar vaani didi apne kamre me chali gayi. Unke jaane ke bad, chhoti maa, ami, nimi aur neha bhi apne kamre me chali gayi. Lekin keerti mere pas hi baithi thi. Ye dekh kar maine us se kaha.

Mai bola “kya tujhe taiyar nahi hona hai.”

Keerti boli “mai to pahle se hi taiyar hu. Ab aur kaise taiyar hou.”

Uski baat sunkar, mai muskura kar rah gaya. Fir mujhe dipti ki yaad aayi to, maine keerti ne puchha.

Mai bola “abhi ye jo dipti aayi thi. Ye kaun hai. Kya ye humari colony me nayi aayi hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “are tumne ise pahchana nahi. Ye hi to saxena uncle ki bati aur ami nimi ki nayi saheli hai.”

Keerti ki ye baat sunkar maine chaukte huye kaha.

Mai bola “lekin tune to mujhse kaha tha ki, ami nimi ki saxena uncle ki chhoti beti ke sath dosti huyi hai.”

Meri is baat par keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “are buddhu, ye hi saxena uncle ki chhoti beti hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine aur bhi jyada chaukte huye kaha.

Mai bola “lekin ye to ami nimi se bahut badi lagti hai.”

Keerti boli “haan, ye ami nimi se bahut badi hai. Ye 8th class me hai aur abhi abhi iska naam meri school me likha hai. Lekin iski badi bahan ke chakkar me iske sath sath ab mera naam bhi mere school se katne wala hai.”

Keerti ki is baat ne mujhe aur bhi bada jhatka de diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, dipti ki badi bahan ne aisa kya kiya hai. Jiski vajah se dipti ke sath sath ab keerti ka naam bhi uske school se katne wala hai.
 

Top