Incest Koi To Rok Lo~Pritam.bs~

Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 235}
____________________________

Mai bola “abhi ye jo dipti aayi thi. Ye kaun hai. Kya ye humari colony me nayi aayi hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “are tumne ise pahchana nahi. Ye hi to saxena uncle ki bati aur ami nimi ki nayi saheli hai.”

Keerti ki ye baat sunkar maine chaukte huye kaha.

Mai bola “lekin tune to mujhse kaha tha ki, ami nimi ki saxena uncle ki chhoti beti ke sath dosti huyi hai.”

Meri is baat par keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “are buddhu, ye hi saxena uncle ki chhoti beti hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine aur bhi jyada chaukte huye kaha.

Mai bola “lekin ye to ami nimi se bahut badi lagti hai.”

Keerti boli “haan, ye ami nimi se bahut badi hai. Ye 8th class me hai aur abhi abhi iska naam meri school me likha hai. Lekin iski badi bahan ke chakkar me iske sath sath ab mera naam bhi mere school se katne wala hai.”

Keerti ki is baat ne mujhe aur bhi bada jhatka de diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, dipti ki badi bahan ne aisa kya kiya hai. Jiski vajah se dipti ke sath sath ab keerti ka naam bhi uske school se katne wala hai.

Mai abhi keerti se is baare me puchhne hi wala tha ki, tabhi use chhoti maa aati huyi najar aa gayi aur usne mujhe is baare me bad me karne ki baat kah kar, abhi mujhe kuch bhi puchhne se rok diya.

Chhoti maa mere pas aakar baith gayi aur fir mujhe samjhane lagi ki, chanda mausi ko jaane ke liye mujhe kaise taiyar karna hai. Meri chhoti maa se baat chal hi rahi thi ki, tabhi neha bhi taiyar hokar aa gayi.

Wo humare pas khadi hokar badi gaur se chhoti maa ki baten sunne lagi. Thodi der tak wo khamoshi se chhoti maa ki baten sunti rahi. Lekin kuch der bad usne chhoti maa ke samne apni chinta jahir karte huye kaha.

Neha boli “aunty, aai ne humare sath Mumbai jaane ko lekar aapki aur vaani didi ki koi baat nahi maani hai. Aise me mujhe nahi lagta ki, wo punit ke kahne par humare sath Mumbai jaane ko taiyar ho jayegi.”

Neha ki is baat par chhoti maa ne muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “tumhe abhi apni aai se mile sirf kuch hi din huye hai. Isliye abhi tum unhe ache se janti nahi ho. Tumhari aai punnu ko apni jaan se bhi jyada pyar karti hai.”

“Isliye to un ne apni jaan ki parvah kiye bina, iski taraf badti har goli ko apne upar le liya tha. Un ne hi iske paida hone se lekar aaj tak iska khayal rakha hai. Isiliye wo ise chhod kar jana nahi chahti hai.”

“Lekin wo iski kabhi koi baat nahi kaatti hai aur mujhe yaki hai ki, wo iski ye baat bhi jarur manegi. Isliye tum fikar mat karo. Tumhari aai tumhare sath jarur Mumbai jayegi.”

Usi samay vaani didi bhi taiyar hokar aa gayi. Wo chhoti maa ki aakhiri ki baat sun chuki thi. Isliye un ne humare pas aate huye neha se kaha.

Vaani didi boli “mausi sahi kah rahi hai. Chanda mausi punnu ki har baat manti hai. Isiliye to unhe jaane ke liye taiyar karne ke liye kal mujhe ise itna maska lagana pada tha. Warna mai iske kaan ke niche do laga kar bhi is se apni baat manwana janti hu.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, sab hansne lage aur vaani didi neha ko samjhane lagi. Vaani didi ke mere kaan par jamane ki baat sunkar, mujhe unke diye bluetooth headphones ki yaad aa gayi.

Abhi unka mood meri taraf se sahi chal raha tha. Aise me mai apni kisi harkat ki vajah se unhe naraj karna nahi chahta tha. Isliye maine vaani didi ke is gusse se bachne ke liye dhire se keerti se kaha.

Mai bola “dekh, kal tunhe bluetooth headphones ko lekar vaani didi ko bhadka diya tha. Ab yadi aaj wo mere pas bluetooth headphones nahi dekhegi to, naraj ho jayegi. Isliye tu mujhe wo headphones de de.”

Lekin meri baat sunkar, keerti ne bahana banate huye kaha.

Keerti boli “lekin wo headphones to mai ghar par hi bhool aayi hu.”

Mai bola “dekh, jyada natak mat kar, mujhe achi tarah se pata hai ki, wo headphones tere pas yahi par hai. Mujhe bekar me pareshan mat kar aur jab tak vaani didi yaha hai, tab tak ke liye wo headphones mujhe de de.”

Meri baat sunkar keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “chalo, mai tumhari ye baat maan leti hu. Lekin vaani didi ke yaha se wapas jate hi, mujhe wo headphones wapas chahiye.”

Mai bola “haan, mai imandari se tujhe wo headphones wapas kar duga. Ab tu jakar use le aa.”

Meri baat sunkar, keerti muskurate huye apne kamre me jaane lagi. Tabhi vaani didi ne use tokte huye kaha.

Vaani didi boli “ab tu kaha ja rahi hai. Kya tujhe chalna nahi hai.”

Keerti boli “didi, mai ami nimi dekhne ja rahi hu. Itni der ho gayi aur abhi tak wo aayi nahi hai.”

Itna bol kar keerti chali gayi aur vaani didi neha se baat karne lagi. Kuch der bad keerti wapas aa gayi. Use akele wapas aaya dekh kar, vaani didi ne us se puchha.

Vaani didi boli “kya hua.? Tu akeli kyo aayi hai. Kya ami nimi abhi tak taiyar nahi huyi hai.”

Keerti boli “didi, ami to taiyar ho gayi hai. Lekin nimi nahane lagi thi aur ab wo taiyar ho rahi hai.”

Nimi ke nahane ki baat sunkar, vaani didi ne chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “ye dono to subah hi naha chuki thi. Fir nimi ko dobara nahane ki kya jarurat thi.”

Keerti boli “didi, maine bhi nimi se yahi puchha tha to, wo boli ki, vaani didi hum sabko shopping ke liye le ja rahi hai. Isliye mai naha kar aur ache se taiyar hokar chal rahi hu.”

“Ami ne usko samjhaya bhi tha ki, vaani didi ne aisa kuch nahi kaha hai aur wo hume kahi lekar nahi ja rahi hai. Lekin nimi ne ami ki baat nahi maani. Uska kahna hai ki, vaani didi bina bataye sabko le ja rahi hai.”

Ye kah keerti hanse lagi. Lekin keerti ki baat sunkar, vaani didi ne thoda gambhir hote huye kaha.

Vaani didi boli “nimi kah to thik rahi hai. Maine un dono se shopping ke liye kaha bhi tha. Lekin fir samay na hone ki vajah se mai unhe shopping nahi karwa payi thi aur aaj bhi mere pas iske liye samay nahi hai.”

Keerti boli “didi, aap bhi kaha nimi ki baton me aati hai. Nimi ki to khayali pulao pakate rahne ki aadat hi hai. Aap uski in besir pair ki baton ke baare me jyada mat sochiye.”

Lekin keerti ki ye baat sunne ke bad bhi vaani didi kuch soch me pad gayi. Fir un ne apna mobile nikala aur kisi ko call lagane lagi. Magar shayad jisko vaani didi ne call lagaya tha. Usne unka call nahi uthaya tha.

Isliye vaani didi koi dusra number lagane lagi. Us number par unka call uth gaya aur call ke uthte hi un ne kaha.

Vaani didi boli “hello, niranjan, ye aniruddha kaha hai. Mai use call laga rahi hu. Wo mera call utha hi nahi raha hai.”

Niranjan bola “……………” (ji madam, wo aniruddha is samay raj vardhan aur uske doston ke pas hai. Shayad is samay uska mobile uske pas na ho, isliye usne aapka call nahi uthaya hai.)

Vaani didi boli “kyo, aniruddha un logon ke pas kya kar raha hai. Unhe to manik sambhal raha tha na.”

Niranjan bola “……………” (madam, unko manik hi dekh raha tha. Lekin raj vardhan ki kisi baat par manik ko gussa aa gaya. Usne raj vardhan aur uske doston ko bahut buri tarah se dho diya.)

(Manik ke gusse ko shant karne ke liye hi, aniruddha ne use ghar bhej diya hai aur wo khud un sabki halat ka jayja le raha hai. Kya mai aniruddha se aapki baat karwau.)

Vaani didi boli “nahi, iski jarurat nahi hai. Maine ye kahne ke liye call kiya tha ki, mujhe achanak kuch jaruri kaam aa gaya hai. Isliye mai abhi waha nahi aa pa rahi hu. Mai shayad 7 baje ke bad waha aa pau.”

Niranjan bola “……………” (ok madam, mai ye khabar aniruddha aur manik ko de dgua. Aap befikar hokar apna kaam nipta kar aaiye. Hum aapka intejar karege.)

Vaani didi boli “ok mai bad me milti hu. Tum log apna kaam jaari rakho.”

Niranjan se itni baat karne ke bad, vaani didi ne uska call rakh diya aur fir keerti se kaha.

Vaani didi boli “lo, ami nimi ke shopping par jaane ka intejam ho gaya. Ab mai apna kaam bad me nipta lugi.”

Keerti boli “kya didi, aap bhi nimi ki kin baton me aa gayi. Uska to shopping ke naam se kabhi pet hi nahi bharta hai.”

Vaani didi boli “aisi baat nahi hai. Maine un dono se shopping karwane ka vaada kiya tha. Isliye abhi jab maine kaha ki, mai sabko waha se alag kar dugi to, nimi ko laga ki, mai un logon ko shopping karwane le ja rahi hu.”

“Waise bhi mai jab se yaha aayi hu. Kaam me itna uljhi huyi hu ki, ami nimi ko shopping karwane ka samay hi nahi nikal pa rahi hu. Ab nimi ki is baat ki vajah se kam se kam mai unhe shopping to karwa paugi.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, chhoti maa ne bhi unhe samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, keerti thik kah rahi hai. Tu kyo nimi ki baton me aakar bekar me pareshan ho rahi.”

Vaani didi boli “nahi mausi, isme pareshani wali koi baat nahi hai. Ye to un dono ka haq banta hai. Wo dono meri bahan hai aur unki har ichha puri karna mera farz hai.”

“Mai unke sath Mumbai tak ho aayi hu. Lekin unhe jara bhi samay nahi de payi hu. Aaj shopping ke hi bahane me unke sath thoda ghoom lugi aur unke sath thoda samay bhi bita lugi.”

Chhoti maa boli “chal thik hai. Lekin mai tujhe aur punnu ko ek baat batana bhool hi gayi hu. Abhi geeta ne call karke yaad dilaya to, mujhe yaad aaya ki, parso geeta ki beti ki shadi hai.”

“Usne hum sabhi ko shadi me bulaya hai. Wo jab humare ghar shadi ki khabar dene aayi thi. Tab tu yaha aayi nahi thi aur use tere yaha aane ki baat pata bhi nahi thi. Isliye usne tujhe shadi ki khabar nahi di thi.”

“Lekin abhi tu yaha thi. Isliye jab maine geeta ko tere yaha hone ki baat batayi to, use tujhe shadi ki khabar na de pane ka bahut afsos hua aur wo tujhe apne sath hi shadi me lane ki baat kahne lagi.”

“Us samay mujhe tere Mumbai jaane ki baat nahi malum thi. Isliye maine geeta se kah diya tha ki, mai tujhe apne sath le aaugi. Magar tu to aaj Mumbai ja rahi hai. Kya aise me tu parso shadi me shamil ho sakegi.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, vaani didi ke sath sath mai bhi thoda chauk gaya tha. Kyoki geeta aunty ki beti juhi didi is saal college ke first year me thi. Aise me unki itni jaldi shadi hone ki baat mere gale se nahi utar rahi thi.

Juhi didi sundar hone ke sath sath padai me bahut hoshiyar bhi thi aur wo ek civil engineer banna chahti thi. Shayad ye baat vaani didi bhi janti thi. Isliye un ne chhoti maa ko tokte huye kaha.

Vaani didi boli “lekin mausi, juhi abhi abhi to 18 saal ki huyi hai aur padai me bhi bahut hoshiyar hai. Aise me geeta aunty ko uski shadi ki itni jaldi nahi karna chahiye thi. Unhe abhi juhi ko padne dena chahiye tha.”

Chhoti maa boli “tera kahna thik hai. Maine bhi geeta ko yahi baat samjhayi thi. Lekin wo kahne lagi ki, ladka aur uska parivar bahut acha hai. Un logon ko juhi bahut pasand aayi hai.”

“Unhe shadi ke bad juhi ke padne me bhi koi aapatti nahi hai. Lekin wo shadi ke liye rukne ke liye taiyar nahi the. Aisa ladka aur parivar aasani se nahi milta hai. Isliye hume bhi shadi ke liye haan kahna pad gayi.”

Chhoti maa ki is baat par vaani didi ne apni narajgi jahir karte huye kaha.

Vaani didi boli “aap kuch bhi kahiye mausi. Lekin juhi meri chhoti bahan ki tarah hi hai aur mujhe geeta aunty ka ye faisla jara bhi pasand nahi aaya hai.”

Chhoti maa boli “jaane de na vaani, ye unke ghar ka mamla hai. Is mamle me humara jyada bolna thik nahi hai. Tu ye bata ki, tu parso shadi me shamil hone ke liye yaha aa sakti hai ya nahi aa sakti hai.”

Vaani didi boli “nahi mausi, mera parso bhi Mumbai se laut kar aa pana mushkil hai. Lekin mai Mumbai jaane se pahle jarur geeta aunty se mil kar aur is baare me baat karke jaugi.”

Chhoti maa boli “lekin tu abhi geeta se nahi mil sakti. Ladke wale Durgapur ke hai aur wo log shadi bhi wahi se kar rahe hai. Isliye geeta aur uska pura parivar abhi Durgapur me hi hai.”

Chhoti maa ki is baat par vaani didi ne feeki si muskan me muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “ye lo, geeta aunty ka kahna hai ki ladke wale bahut ache hai. Lekin un logon ne to shadi ke pahle hi, apni sharten thopna suru kar diya hai. Mujhe afsos hai ki, mai yaha rahte huye bhi juhi ke liye kuch nahi kar payi.”

Vaani didi ki is baat par chhoti maa ne unhe samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani, tu bekar me hi juhi ke liye pareshan ho rahi hai. Geeta koi nasamajh to hai nahi. Wo ek company ki M.D. hai aur usne kuch soch kar hi apni beti ke bhale ke liye ye kadam uthaya hoga.”

Vaani didi boli “mausi aap kuch bhi kaho. Lekin mai is baat se jara bhi khush nahi hu. Magar ab is baare me bahas karne se bhi koi fayda nahi hai. Mai to is shadi me nahi ja paugi.”

“Lekin aap apne sath mummy ko le jaiyega aur meri taraf se geeta aunty se shadi me shamil na ho pane ke liye maafi bhi maang lijiyega. Waise aap log shadi me shamil hone ke liye yaha se kab nikal rahi hai.”

Chhoti maa boli “hum shadi me shamil hone ke liye kal Durgapur ke liye nikal rahe hai. Shayad anu didi ne badi didi ko bhi is baare me bata diya ho.”

Vaani didi boli “thik hai mausi, mai ami nimi ke sath shopping ke liye to ja hi rahi hu. Wahi se juhi ki shadi ke liye bhi mummy ko shopping karwa dugi.”

Abhi vaani didi ne ye baat boli hi thi ki, tabhi ami nimi bhi taiyar hokar aa gayi. Unke aate hi, vaani didi ne hum sabse chalne ke liye kaha aur hum sab unke sath bahar aa gaye.

Chhoti maa bhi hume bahar tak chhodne ke liye aa gayi. Vaani didi ko ami nimi aur bua ji ke sath shopping ke liye jana tha. Isliye wo chhoti maa ki car ki jagah tata safari nikalne jaane lagi.

Abhi vaani didi tata safari nikalne jaane hi wali thi ki, tabhi hume ek car porch ke andar aate huye dikhayi di. Use aate dekh kar vaani didi humare pas hi ruk gayi. Kuch hi pal me car humare samne aakar khadi ho gayi.

Car ke rukte hi, usme se ek ladki utar kar bahar aa aayi. Mai use dekhte hi pehchan gaya. Uska naam reshma tha aur uski umar 24-25 saal ke aas pas hogi. Wo papa ke office me kaam karti thi.

Wo aksar cheque book ya kinhi dusre documents par chhoti maa ke signature lene ke liye unke pas aaya karti thi. Maine ek baar chhoti maa se is baare me sawal kiya tha.

Tab un ne mujhe bataya tha ki, papa apna kuch business unke naam par bhi karte hai. Isliye kabhi kabhi unhe cheques ya dusre documents par signature karna pad jate hai.

Isliye fir kabhi maine chhoti maa se is baare me koi sawal jabab nahi kiya tha. Reshma ke car se utarne ke bad, do aadmi bhi car se utar kar bahar aaye. Reshma ne unka chhoti maa se parichay karwate huye kaha.

Reshma boli “madam, aapne mujhe jin architect ke baare me jataya tha, mai unhe lekar aa gayi hu. Ye Mr. samapt aur ye Mr. ankur hai. Ye dono hi apne kaam me mahir hai. Aap inhe apne kaam ke baare me bata sakti hai.”

Reshma ki baat sunkar, vaani didi ne chaukte huye chhoti maa se puchha.

Vaani didi boli “mausi, aapne architect ko kis liye bulaya hai. Kya ghar me kuch kaam karwana hai.”

Chhoti maa boli “haan vaani, abhi ke hisab se to humare ghar me paryapt kamre hai. Lekin mai aane wale samay ki soch kar kuch guest room banwana chahti hu. Isliye maine inhe bulaya hai.”

Vaani didi boli “mausi, ye to aapne bilkul sahi socha hai. Ab punnu ki Mumbai aur surat me rishtedari jud gayi hai. Yadi sabke sab ek sath aa gaye to, sach me ghar ke kamre kam pad jayege.”

“Aise me ghar me kuch guest room ka hona jaruri hai. Lekin mai soch rahi thi ki, aap guest room ke sath sath punnu ke liye ek gym bhi banwa lijiye. Is se roj punnu ka workout bhi hota rahega.”

Chhoti maa boli “thik hai, tu khud hi in se iski baat kar le.”

Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi un architect se guset room aur gym ki baat karne lagi. Un ne guest room banne ki jagah ke baare me puchha to, chhoti maa ne unhe second floor ka bata diya.

Jiske bad, wo ghar dekhne ki baat kahne lage. Unki baat sunkar, chhoti maa ne unhe pahle ground floor aur first floor dikhayi. Iske bad wo unhe second floor ka chhat dikhane lagi.

Chhoti maa aur vaani didi ke sath sath hum sab bhi upar chhat par aa gaye. Un logon ne puri chhat ka muayna kiya. Unhe chhat par guest room aur gym ke liye bahut jagah samajh me aa rahi thi.

Iske bad wo upar chhat se hi ghar ke charo taraf ka muayna karne lage. Humare ghar ke pichhe aur dahini taraf bahut bada garden bana hua tha. Jabki ghar ke samne bahut lamba porch tha.

Ghar ke bayin taraf car garage aur kuch servants quarters bane the. Magar pichhle kuch saalon se un quarters ka koi upyog nahi ho raha tha. Isliye abhi wo band pade huye the.

Iske alawa bhi bayin taraf bahut jyada khali jagah padi huyi thi. Un logon ko gym ke liye second floor sahi samajh me aaya. Lekin guest room ke liye unhe ghar ke bayin taraf ki khali jagah pasand aayi thi.

Unka kahna tha ki, us jagah par guest room banane se guest room ko aasani se makan ke sath joda ja sakta hai aur aisa karne se guest room bhi makan ka hi ek hissa ban jayega.

Iske alawa ghar me aaye guest ko bhi second floor tak nahi aana padega. Vaani didi ko bhi un logon ki ye baat sahi lagi aur wo chhoti maa se wahi par guest room banwane ki baat kahne lagi.

Abhi mai chhoti maa aur vaani didi ki ye baat sun hi raha tha ki, tabhi nimi kisi ko jor jor se aawaj lagane lagi. Nimi ko is tarah se aawaj lagate dekh kar mai chauk gaya aur hairani se keerti ki taraf dekhne laga
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 236}
____________________________

Iske bad wo upar chhat se hi ghar ke charo taraf ka muayna karne lage. Humare ghar ke pichhe aur dahini taraf bahut bada garden bana hua tha. Jabki ghar ke samne bahut lamba porch tha.

Ghar ke bayin taraf car garage aur kuch servants quarters bane the. Magar pichhle kuch saalon se un quarters ka koi upyog nahi ho raha tha. Isliye abhi wo band pade huye the.

Iske alawa bhi bayin taraf bahut jyada khali jagah padi huyi thi. Un logon ko gym ke liye second floor sahi samajh me aaya. Lekin guest room ke liye unhe ghar ke bayin taraf ki khali jagah pasand aayi thi.

Unka kahna tha ki, us jagah par guest room banane se guest room ko aasani se makan ke sath joda ja sakta hai aur aisa karne se guest room bhi makan ka hi ek hissa ban jayega.

Iske alawa ghar me aaye guest ko bhi second floor tak nahi aana padega. Vaani didi ko bhi un logon ki ye baat sahi lagi aur wo chhoti maa se wahi par guest room banwane ki baat kahne lagi.

Abhi mai chhoti maa aur vaani didi ki ye baat sun hi raha tha ki, tabhi nimi kisi ko jor jor se aawaj lagane lagi. Nimi ko is tarah se aawaj lagate dekh kar mai chauk gaya aur hairani se keerti ki taraf dekhne laga.

Wahi nimi saxena uncle ke ghar ki taraf dekh kar tripti didi, tripti didi ki rat lagaye huye thi. Nimi ko is tarah chillate dekh kar chhoti maa ne use daant kar chup kara diya.

Saxena uncle ke chhat par ek ladki baithi kuch pad rahi thi. Chhoti maa ke daantne se nimi chup ho gayi thi. Lekin tab tak wo ladki nimi ki aawaj sun chuki thi aur ab wo nimi ko dekh kar hath hila rahi thi.

Mai us ladki ka tirpti naam sunkar chauk gaya tha. Isliye mai uski taraf guar se dekhne laga. Wo mujhe kuch jani pahchani si lag rahi thi. Use gaur se dekhte hi mai fauran hi use pahchan gaya.

Ye wahi wheelchair wali masoom si ladki thi, jise maine hospital me dekha tha. Ye baat samajh me aate hi, maine keerti se puchha.

Mai bola “ye ladki saxena uncle ki kaun hai.”

Keerti boli “ye saxena uncle ki badi beti hai. Jiske baare me abhi mai tumhe bata rahi thi. Kya tumne pahle bhi kabhi ise dekha hai.”

Mai bola “haan, jab chanda mausi hospital me thi aur ankita mujhse milne aayi thi. Usi samay ye bhi waha kisi ko dekhne aayi thi. Us samay mere sath sath ankita aur sheza ne bhi ise dekha tha.”

Keerti boli “ye chanda mausi ko hi dekhne hospital gayi hogi. Ye humare ghar kabhi nahi aati. Lekin chanda mausi ka ami nimi ko bulane ke liye iske ghar aana jana laga hi rahta hai. Isliye ye unko dekhne hospital gayi hogi.”

Mai bola “lekin tune mujhe ye baat pahle nahi batayi thi ki, saxena uncle ki badi beti ka naam tripti hai.”

Keerti boli “mujhe khud pahle iska naam pata nahi tha. Isliye mai tumhe ye baat bata nahi payi thi. Mai raat ko aaram se tumhe saari baat batati hu.”

Keerti ki ye baat sunne ke bad, maine us se aage koi sawal nahi kiya aur tripti ki taraf dekhne laga. Wo ab fir se kuch padne me lag gayi thi. Shayad wo aaj ke akhbar me chhapi kavita aur dhero shayari hi padne me lagi huyi thi.

Lekin ab tripti ko dekh lene ke bad, mere liye is baat par yakin kar pana mushkil sa ho gaya tha ki, uske jaisi masoom si ladki ki vajah se keerti ka uske school se naam katne ki naubat aa gayi thi.

Mai yahi sab sochte huye gaur se tripti ko dekhne me laga hua tha. Tabhi keerti ne na jaane kya soch kar, mujhse dhire se kaha.

Keerti boli “tum itna kya soch rahe ho. Mai raat ko tumhe saari baat batati hu na.”

Keerti ki ye baat sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine us se kaha.

Mai bola “mai kuch bhi nahi soch raha hu. Tu bekar me pareshan mat ho.”

Meri baat sunkar, keerti ke bhi chehre par muskurahat aa gayi aur hum chhoti maa logon ki baten sunne lage. Thodi hi der me chhoti maa aur vaani didi ka un architect se samajhna samjhana ho gaya aur hum log niche aa gaye.

Kuch der bad, reshma apni gaadi me baith kar, un architect ke sath wapas chali gayi. Unke jaane ke bad, hum log bhi chhoti maa ko jata kar, vaani didi ke sath anuradha mausi ke ghar aa gaye.

Vaani didi pahle hi phone karke anu mausi aur bua ji ko taiyar rahne ki baat bol chuki thi. Isliye humare pahuchte hi, vaani didi unse shopping par chalne ke liye kahne lagi. Dushyant mausa ji unke sath jana nahi chahte the.

Lekin fir vaani didi ke bahut kahne par un ne vaani didi ki baat maan li aur shopping par jaane ke liye taiyar hone chale gaye. Vaani didi bua ji se baat karne me lagi thi. Ye dekh kar maine keerti se kaha.

Mai bola “tu mujhe dene ke liye wo bluetooth headphone layi thi. Wo mujhe de kyo nahi rahi hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne apne handbag se bluetooth headphone nikalne lagi. Lekin usne wo headphone nikal kar apne kaan me laga liya. Use aisa karte dekh kar maine us se puchha.

Mai bola “ye kya kar rahi hai. Kya ise laga kar tujhe kisi se baat karna hai.”

Keerti boli “nahi, mujhe kisi se koi baat nahi karna hai. Mai to ise bas aise hi lagayi hu. Jab vaani didi log wapas aaye, tab tum bhi mujhse ye wapas le lena.”

Keerti ki is harkat ko dekh kar mere chehre par muskurahat aa gayi. Kuch der bad dushyant mausa ji taiyar hokar aa gaye. Fir mujhe keerti aur neha ko chhod kar baki sab shopping karne ke liye nikal gaye.

Keerti mujhe aur neha ko chanda mausi ke pas chhod kar khud chay banane chali gayi. Mai aur neha chanda mausi se baat karne lage. Kuch hi der me keerti chay lekar aa gayi aur usne hum sabko chay di.

Hum sab baat karte huye chay peene lage. Lekin abhi bhi keerti ke kaan me bluetooth headphone laga hua tha. Mujhe keerti ke is pagalpan par hansi aa rahi thi. Isliye maine use tokte huye kaha.

Mai bola “jab tujhe headphone laga kar kisi se baat hi nahi karna hai to, fir ise paglon ki tarah laga kar kyo ghoom rahi hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne badi hi masumiyat se kaha.

Keerti boli “ye headphone itne dino se mere pas hai. Lekin maine kabhi ise laga kar nahi dekha hai. Ab mai ise tumhe wapas kar rahi hu. Isliye mai ise lagane ki apni ichha puri kar lena chahti hu.”

Keerti ki ye baat sunkar mere sath sath neha bhi hasne lagi. Lekin keerti par hum logon ke hasne ka koi asar nahi pada aur wo headphone ko waise hi apne kaan me lagaye rahi.

Humara chay peena hone ke bad, keerti neha ko apne sath lekar bahar chali gayi. Ab chanda mausi ke pas mai akela hi tha. Lekin meri samajh me nahi aa raha tha ki, mai chanda mausi se apni baat kaise suru karu.

Mai isi uljhan me uljha hua, chanda mausi se yaha waha ki baten karne laga. Tabhi keerti wapas kamre me aayi aur yaha waha kuch talash karne lagi. Mujhe samajh me nahi aaya ki, wo kya talsha kar rahi hai.

Mai abhi us se is baare me kuch puchhne hi wala tha ki, wo wapas bahar chali gayi. Uske jaane ke bad mai fir se chanda mausi se baten karne laga. Aise hi baton baton me maine chanda mausi se kaha.

Mai bola “mausi, aaj subah maine aapko itna miss kiya ki, meri aankhon me aansu hi aa gaye.”

Chanda mausi boli “kyo baba, aaj subah aisa kya hua, jo mujhe yaad karke aapki aankhon me aansu aa gaye.”

Mai bola “mausi, aaj subah mai school ke liye taiyar ho gaya. Lekin taiyar hone ke bad bhi mera nashta nahi aaya tha. Aisa mere sath pahli baar hua hai. Warna aapke rahte aisa kabhi nahi hua.”

“Aap rahti thi to, mere taiyar hone ke pahle hi, nashta lekar mere kamre me aa jati thi. Aapki yahi baat yaad karke mujhe aapki bahut kami akhri aur meri aankhon me aansu aa gaye.”

Chanda mausi boli “baba, isme itna pareshan hone wali kya baat hai. Bas kuch din ki baat aur hai. Fir sab kuch pahle jaisa ho jayega.”

Mai bola “nahi mausi, ab kuch bhi pahle jaisa nahi ho sakta. Aapko Mumbai bhi to jana hai na.”

Chanda mausi boli “nahi baba, mai aapko aur ami nimi ko chhod kar kahi bhi nahi ja rahi hu. Maine aapke mausa ji aur bahurani se Mumbai jaane ke liye saaf mana kar diya hai.”

Mai bola “lekin mausi aapko Mumbai jarur jana chahiye. Jaise mai aapka beta hu. Waise hi priya bhi to aapki beti hai. Wo is samay waha bilkul akeli hai.”

Chanda mausi boli “lekin baba, bahurani to kah rahi thi ki, wow aha bahut khush hai aur waha wale use bahut pyar karte hai.”

Mai bola “haan mausi, chhoti maa sahi kah rahi hai. Wo sab log bahut ache hai aur priya ko bahut pyar karte hai. Priya ko waha kisi chij ki koi talleef nahi hai. Wo waha bahut khush hai.”

“Lekin aap ye baat bhi to sochiye. Aaj nahi to kal priya ko ye baat pata chal hi jayegi ki, wo humare ghar ki beti hai. Tab kya wo is baat ko nahi sochegi ki, hum logon ne is sachchai ko jante huye bhi use uske haal par chhod diya tha.”

“Hum logon ne uske baare me kabhi kuch nahi socha aur uske baare me jante huye bhi uski taraf se apni aankh moond li thi. Aap hi sochiye ki use us samay is baat ko jaan kar kitna dukh hoga.”

Chanda mausi boli “lekin baba, mai yadi waha chali bhi gayi to, mai kya kar sakti hu. Priya to mujhe janti tak nahi hai.”

Mai bola “nahi mausi, aisa nahi hai. Maine priya ko apne ghar ke sabhi logon ke baare me bataya hai. Wo aapko bhi ache se janti hai. Use jab pata chalega ki, aap waha rahne aa rahi hai. Tab wo khud hi aapse milne chali aayegi.”

“Wo dil ki bahut achi hai. Lekin dil ki marij bhi hai. Is samay uske pas humare parivar ka koi nahi hai. Mujhe jabse pata chala hai ki, priya meri bahan hai. Tab se mujhe uski chinta lagi rahti hai.”

“Lekin mai chah kar bhi apni bahan ke liye kuch kar nahi sakta hu. Mai aur chhoti maa to uske pas rah nahi sakte hai. Lekin aapko to ye mauka mil raha hai. Aap is mauke ko apne hath se mat jaane dijiye.”

“Yadi aap waha chali gayi to, priya ke pas humare parivar ka bhi koi rahega aur meri tarah use bhi aapka pyar mil sakega. Aapke waha rahne se mujhe uski khabar bhi milti rahegi aur mujhe uski utni chinta bhi nahi rahegi.”

Meri is baat ne chanda mausi ke upar asar kiya aur un ne mujhe dilasa dete huye kaha.

Chanda mausi boli “baba, aapko priya ki chinta karne ki jarurat nahi hai. Aapke aur priya ke liye mai jarur Mumbai jaugi. Lekin mujhe to phone karna nahi aata hai. Kabhi mujhe aapko koi khabar deni huyi to kaise dugi.”

Mai bola “mausi, aapko iski fikar karne ki jarurat nahi hai. Mai aaj hi aapko ek naya mobile la deta hu. Keerti aur neha aapko mobile chalana sikha degi. Kuch hi dino me aapse mobile chalana aane lagega.”

“Yadi aap yaha par mobile chalana nahi seekh payi to, waha par neha aur priya mil kar aapko mobile chalana sikha degi. Mai neha se waha ke sim ka bhi jata duga. Wo waha pahuchte hi, aapke mobile me waha ki sim daal degi.”

Meri baat sunkar, chanda mausi ne muskurate huye kaha.

Chanda mausi boli “thik hai baba, aapko jo thik lage, aap wo kijiye. Lekin pahle bahurani ko mere Mumbai jaane ki baat bata dijiye. Wo is baat ko lekar bahut pareshan thi.”

Chanda mausi ki ye baat sunkar, maine chhoti maa aur vaani didi ko call laga kar chanda mausi ke maan jaane ki baat bata di. Dono ne hi kuch der me yaha pahuchne ki baat kah kar call rakh diya.

Iske bad maine neha aur keerti ko bhi kamre me bula kar unhe chanda mausi ki maan jaane ki baat bata di. Jise sunkar dono bahut khush huyi aur neha chanda mausi se lipat kar unse laad karne lagi.

Maine keerti ke kaan me abhi bhi bluetooth headphone lage dekha to, use ek baar fir se toka. Is baar usne mujhe bina koi bahas kiye apne kaan se headphone nikal kar mujhe de diya.

Iske bad maine mehul ko ye baat batane ke liye call laga diya. Lekin use ye baat pahle se hi pata thi. Usne bataya ki wo is samay mere hi ghar par hai aur thodi hi der bad chhoti maa ke sath mere pas aa raha hai.

Mehul ka call rakhne ke bad, meri chanda masui logon se baat hoti rahi. Kuch der bad ghar ki doorbell bajne lagi. Jise sunkar hum sab samajh gaye ki chhoti maa aa gayi hai.

Hum sab uth kar bahar aa gaye. Keerti ne darwaja khola to, mehul kuch carry bag liye ghar ke andar aa gaya. Uske hath me carry bag dekh kar, maine us se puchha.

Mai bola “ye tu kya lekar aaya hai. Ye kiske bag hai.”

Mehul bola “mai aunty ke sath yaha pahucha to, vaani didi log yaha pahuch chuki thi. Ye anu mausi aur bua ji ke bag hai.”

Ye kahte huye mehul ne wo carry bag keerti ko pakda diye. Keerti un bag ko andar rakhne lagi. Thodi hi der me vaani didi ke sath chhoti maa aur baki sab bhi andar aa gaye.

Maine khushi khushi ek baar fir chhoti maa ko chanda mausi ke maan jaane ki baat batane laga. Meri baat sunkar chhoti maa ke sath sath baki sab bhi khush najar aa rahe the.

Maine chhoti maa se chanda mausi ke liye mobile lene jaane ki baat jatayi. Jise sunkar, chhoti maa ne mujhe mobile kharidne ke liye paise diye. Mai aur mehul apni bike nahi laye the.

Isliye mai keerti ki scooty lekar bajar jaane laga. Lekin keerti bhi mere sath mobile kharidne chalne ki jid karne lagi. Jiske bad mai keerti ke sath bajar ke liye nikal gaya.

Bajar aakar humne mobile ki dukan se chanda mausi ke liye ek acha sa mobile kharida iske bad mai priya ke mobile ke liye bhi sim kharidne laga. Mujhe nayi sim kharidte dekh kar keerti ne mujhe tokte huye kaha.

Keerti boli “ye tum priya ke mobile ke liye le rahe ho na.”

Mai bola “haan, ab yaha tak aaya hu to, socha ki lage hath ye kaam bhi nipta lu.”

Keerti boli “tab to tum apne laptop ke liye ek Wi-Fi bhi le lo. Us se tumhare laptop me net bhi chalne lagega.”

Mujhe keerti ki ye baat sahi lagi aur maine ek Wi-Fi bhi le liya. Apni kharidi karne ke bad hum ghar wapas aane lage. Tabhi mujhe nimi ki subah ki cutlets aur manchurian wali baat yaad aa gayi aur maine keerti se kaha.

Mai bola “yadi hum sabke khane ke cutlets aur manchurian le chale to, kaisa rahega.”

Keerti boli “ye to bahut achi baat hai. Isi bahane nimi ki jeebh ko bhi thoda aaram mil jayega.”

Ye kah kar keerti hasne lagi aur uski is baar par mai bhi apni hansi na rok saka. Kuch hi der bad maine ek restaurant ke samne gaadi rok di aur waha se hum sabke liye cutlets aur Manchurian pack karwane lage.

Abhi hum usi restaurant me ye sab pack karwa rahe the ki, tabhi chhoti maa ka call aa gaya. Un ne mujhe bataya ki, wo log chanda mausi ko ghar lekar ja rahi hai. Mai sidhe ghar hi aa jau.

Chhoti maa se baat karne ke bad, maine ye baat keerti ko batayi. Iske bad hum wo sab dishes pack karwa kar ghar ke liye nikal pade. Kuch hi der me hum ghar pahuch gaye.

Chanda mausi ke ghar wapas aa jaane se ghar me hansi khushi ka mahol bana hua tha. Chhoti maa aur ami nimi chanda mausi ke pas baithe the. Jabki mehul aur neha bahar hall me baithe baten kar rahe the.

Lekin vaani didi kahi bhi najar nahi aa rahi thi. Mai aur keerti bhi mehul logon ke pas aakar baith gaye. Maine mehul se vaani didi ke baare me puchha to, usne kaha.

Mehul bola “hum logon ko ghar chhodne ke bad vaani didi bhi apna koi kaam niptane ke liye chali gayi hai. Lekin ye humare liye bhi acha hai ki, wo jab tak yaha rahe, tab tak apne kaam me busy hi rahe.”

Mehul ki ye baat sunkar, maine thoda chaukte huye kaha.

Mai bola “abe aaj hi un ne teri aur shilpa ki shadi pakki karne ki baat ki thi aur tu aaj ke aaj hi unki burayi karne laga.”

Mehul bola “shilpa wali baat sunkar, khushi to mujhe bhi huyi hai. Lekin mai vaani didi ki aadat ko bhi ache se janta hu. Wo humse 10 gram pyar jata kar humara 100 gram khoon bhi choos leti hai.”

“Wo to aaj unka mood acha tha. Isliye un ne teri jhagde wali aur rahul wali baat ko andekha kar diya tha. Warna aaj tere jhagda karne aur rahul ke bag se gaanja nikalne wali baat par humara band bajna pakka tha.”

Mehul ki is baat ko sunkar, mujhe uski subah wali harkat yaad aa gayi aur maine use taana marte huye kaha.

Mai bola “haan, isiliye tune fauran rahul ki harkat ka saara iljam mere upar daal kar mujhse kinara kar liya tha. Aaj tune badi achi dosti nibhayi hai.”

Lekin mehul ke upar mere taana marne ka koi asar nahi pada aur usne is baat se fir se apna pichha chhudate huye kaha.

Mehul bola “ab tujhe jo samajhna hai, tu samajhta rah. Lekin vaani didi ki aankhon ke samne rahul ke bag se gaanja nikalne wali baat itni bhi chhoti nahi thi ki, mai vaani didi ke samne khushi khushi rahul ko apna dost maan leta.”

“Wo to humari kismat achi thi ki, rahul ki is harkat ki gaaj sirf rahul par hi giri hai. Aaj rahul ke bap ne rhaul ko itni buri tarah se maara hai ki, kaho wo ab do teen din tak school bhi na aa sake.”

Mehul ki is baat par maine chaukte huye kaha.

Mai bola “ye tujhe kisne bataya hai.”

Mehul bola “ye mujhe shilpa ne bataya hai. Wo jab pritam ke sath apne ghar pahuchi to, use school se aane me der ho jaane ki vajah se uski mummy thoda pareshan thi aur use pritam ke sath dekh kar wo or bhi jyada pareshan ho gayi.”

“Tab pritam unhe saari baten samjhane laga. Wahi dusri taraf rahul ka bap vaani didi se baat hone ke bad, rahul ki khabar lene sidha apne ghar pahuch gaya aur rahul ke ghar aane ka intejar karne laga.”

“Rahul ke apne ghar pahuchte hi, uske bap ne use ghar ke bahar hi kutton ki tarah peetna suru kar diya. Shilpa ke ghar jab is shor sharable ki aawaj pahuchi to, pritam ke sath sath wo sab bhi ghar se bahar nikal aaye.”

“Un logon ne dekha ki, rahul ka bap, apne ghar ke samne rahul ko ghasit ghasit kar maar raha hai. Shilpa ne pritam ko bataya ki, ye wahi ladka hai, jo abhi punit ke sath un ladko se lad raha tha.”

“Pritam aur shilpa ko to rahul ki gaanja wali harkat ka pata nahi tha. Isliye shilpa ki mummy ke sath sath pritam bhi rahul ke bap ke pas pahuch gaya aur unhe rahul ko marne se rokne laga.”

“Pritam ko dekh kar, rahul ka bap kuch shant hua aur use rahul ki harkat ke baare me batane laga. Rahul ki harkat ke baare me sunkar, pritam ke sath sath baki mohalle wale bhi hairan rah gaye the.”

“Lekin rahul ke bap ki baat se pritam samajh gaya tha ki, use vaani didi ne call karke ye khabar di hai. Isliye pritam ne rahul ke bap ko vaani didi ke baare me bataya aur us se kaha ki, aap rahul ki harkaton par najar rakhiye.”

“Mohalle walo ne bhi rahul ke bap ko samjhaya. Tab jakar ye saara mamla shant hua aur rahul ki mummy rahul ko utha kar ghar ke andar le gayi. Vaani didi ke ek call ne rahul ki jindagi ko tahas nahas kar diya hai.”

“Ab tum jara khud socho ki, rahul ki is harkat par vaani didi ne ek call karke rahul ki ye halat banwa di hai to, wo khud is baat ki vajah se hum logon ki kya halat bana sakti thi.”

Mehul ke muh se rahul ki halat ke baare me mai soch me pad gaya tha. Wahi keerti aur neha bhi mehul ki baat bade dhyan se sun rahi thi. Mehul ki baat khatam hote hi keerti ne hume darate huye kaha.

Keerti boli “rahul ki nasha karne wali harkat jara bhi achi nahi hai. Lekin us se bhi ajib baat ye hai ki, vaani didi ne itni badi baat ko itni aasani se andekha kar diya hai aur tum logon par jara bhi shaq nahi kiya hai.”

“Mujhe to ye tufan ke aane ke pahle ki shanti lagti hai. Tum dono sawdhan rahna aur us rahul se bhi door hi rahna. Vaani didi ki gaaj kabhi bhi tum logon ke upar gir sakti hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine uske upar khijte huye kaha.

Mai bola “aisa kuch nahi hoga. Tu hume bekar me hi dara rahi hai.”

Keerti boli “mai bekar me hi nahi dara rahi hu. Tum shayad bhool gaye ho ki, aaj hi vaani didi ne mausi se tumhare liye gym banwane ki baat ki hai. Iska matlab saaf hai ki, un ne aaj ke jhagde ko jara bhi andekha nahi kiya hai.”

“Wo tumhe majbut banana chahti hogi. Isliye pahla mauka lagte hi, un ne gym banwane ki baat samne rakh di. Aise hi wo is baat ki bhi chhan been jarur karegi ki, kahi tum log bhi to koi nasha nahi karte ho.”

“Yadi unhe dhokhe se bhi kahi se ye pata chal gaya ki, tum log koi nasha karte ho to, wo tum logon ki aisi gat banayegi ki, tumhare farishte bhi tumko pahchan nahi payege.”

Ye kahte huye keerti gusse me mujhe goorne lagi. Mai uski is aakhiri kahi baat aur uske is tarah se goorne ka matlab samajh gaya tha. Uska ishara meri sharab peene wali harkat ki taraf tha.

Isliye mujhse apni safayi me kuch bhi kahte nahi ban raha tha. Lekin keerti ki is baat par mehul ne fauran hi apni safayi dete huye kaha.

Mehul bola “iske aur mere dost alag alag hai. Iske doston ki tarah mere kisi bhi dost me nasha karne ki buri aadat nahi hai aur na hi mai kabhi koi nasha karta hu. Isliye kam se kam mujhe to is baat se darne ki jarurat nahi hai.”

Ek to keerti pahle hi meri sharab peene ki baat ko lekar mujhe gusse me ghoor kar dekh rahi thi. Upar se mehul ke is tarah se safayi dene wali baat ne uski gusse ki aag me ghee dalne ka kaam kar diya tha.

Mujhe mehul ki is harkat par bahut gussa aa raha tha aur mera dil kar raha tha ki, iski saari pol abhi ke abhi keerti ke samne khol kar rakh du. Lekin mai chah kar bhi aisa kuch kar nahi sakta tha.

Mehul meri is khamoshi ka pura fayda utha raha tha. Wo apni aur apne doston ki sharafat ke kisse bad chad kar keerti aur neha ko sunaye ja raha tha. Jis se keerti ka gussa mere upar badne laga tha.

Wo mujhe kha jaane wali najro se ghoor rahi thi. Mai keerti ke is gusse ko shant karne ke liye aankhon hi aankhon me us se maafi maangne me laga hua tha. Lekin mehul meri aur keerti ki is aankhon hi aankhon ki baat se anjan tha.

Wo to bas apni baten bad chad kar keerti aur neha ko batane me laga hua tha. Thodi der tak keerti mujhe gusse me ghoorti rahi aur khamoshi se mehul ki ye baten sunti rahi.

Magar fir achanak hi keerti ka mehul ke upar gussa fat pada aur usne mehul ko bakna suru kar diya. Jab keerti ne bolna suru kiya to, mehul ki bolti band ho gayi aur mere kaan se dhuaan nikalne laga.

Mai aur mehul hairani se keerti ko dekhne lage. Wahi keerti ki baat sunne ke bad, neha bhi hairani se keerti ko dekh rahi thi. Lekin jaise hi neha ki najar meri aur mehul ki patli halat par padi to, wo khilkhila kar hasne lagi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 237}
____________________________

Mehul meri is khamoshi ka pura fayda utha raha tha. Wo apni aur apne doston ki sharafat ke kisse bad chad kar keerti aur neha ko sunaye ja raha tha. Jis se keerti ka gussa mere upar badne laga tha.

Wo mujhe kha jaane wali najro se ghoor rahi thi. Mai keerti ke is gusse ko shant karne ke liye aankhon hi aankhon me us se maafi maangne me laga hua tha. Lekin mehul meri aur keerti ki is aankhon hi aankhon ki baat se anjan tha.

Wo to bas apni baten bad chad kar keerti aur neha ko batane me laga hua tha. Thodi der tak keerti mujhe gusse me ghoorti rahi aur khamoshi se mehul ki ye baten sunti rahi.

Magar fir achanak hi keerti ka mehul ke upar gussa fat pada aur usne mehul ko bakna suru kar diya. Jab keerti ne bolna suru kiya to, mehul ki bolti band ho gayi aur mere kaan se dhuaan nikalne laga.

Mai aur mehul hairani se keerti ko dekhne lage. Wahi keerti ki baat sunne ke bad, neha bhi hairani se keerti ko dekh rahi thi. Lekin jaise hi neha ki najar meri aur mehul ki patli halat par padi to, wo khilkhila kar hasne lagi.

Keerti bahut der se mehul ke muh se uski aur uske doston ki badai aur meri burayi sun rahi thi. Lekin jab us se meri burayi sahan nahi huyi to, uska gussa fat pada aur usne mehul ko bakte huye kaha.

Keerti boli “mai bahut der se tumhare muh se punnu ki burayi sun rahi hu. Tum mere samne apna muh band hi rakhte to, tumhare liye acha hota. Tumne mera muh khulwaya hai to, ab ye bhi sun lo ki, tum aur tumhare dost kya hai.”

“Tumhara dost aayan bhi rahul se kuch kam nahi hai. Wo school ke toilet me chhup kar cigarette peeta hai. Ye hi nahi, mai to ye bhi bahut ache se janti hu ki, tum har hafte apne doston ke sath Recency beer bar me beer peene jate ho.”

“Isliye kam se kam mere samne to tum apne dhoodh ke dhule hone ka natak dubara kabhi mat karna. Warna mai tumhari saari ki saari pol uncle aunty ke samne khol kar rakh dugi.”

Keerti ko mehul par is tarah se bhadakte dekh kar mere aur mehul ke sath sath neha bhi hairani se use dekh rahi thi. Lekin jaise hi neha ki najar meri aur mehul ki halat par padi wo khilkhila kar hasne lagi.

Keerti ko itna jyada gusse me dekh kar mujhse to mehul ke bachav me kuch kahte nahi bana. Mai to is baat ki khair manane me laga tha ki, keerti ko jis kisi ne bhi ye sab baten batayi hai. Usne use mere baare me kuch nahi bataya hai.

Warna aaj mehul ke muh chalane ki vajah se uske sath sath mai bhi keerti ke gusse ka shikar ban gaya hota. Mehul ko to wo do char baten suna kar chhod hi degi. Lekin mujhe wo itni aasani se chhodne wali nahi thi.

Mai abhi isi baat ki khair manane me laga tha ki, keerti ki baton se kuch der tak hairan rahne ke bad, mehul ne is baat me apna bachav karne ki koshish karte huye keerti se kaha.

Mehul bola “ye tu kya bake ja rahi hai. Mujhe lagta hai ki, tujhe mere aur mere doston ke baare me kuch galatfahmi huyi hai. Jaisa yu bake ja rahi hai, hum aisa kuch bhi nahi karte hai. Jarur tujhe kisi ne galat khabar di hai.”

Lekin mehul ki safayi ka bhi keerti par koi asar nahi pada. Usne mehul ki di gayi is safayi ko nakarte huye kaha.

Keerti boli “mujhe koi galatfahmi nahi huyi hai aur na hi meri ye khabar jhuthi hai. Fir bhi yadi tumhe meri ye baat jhuthi lag rahi hai to, mai aaj hi ye baat vaani didi ko bata deti hu.”

“Vaani didi khud hi is baat ki sachchai pata kar legi aur doodh ka doodh aur pani ka pani kar degi. Fir tum aasam se sabke samne apni aur apne doston ki sarafat ki maala japte rahna.”

Keerti ki ye baat sunte hi mehul ki sitti pitti gum ho gayi aur usne fauran hi keerti ke pas aakar use manate huye kaha.

Mehul bola “meri maa, teri mujhse kya dusmani hai. Jo tu mere pichhe us hitler ko lagana chahti hai. Mai manta hu ki tujhe koi galatfahmi nahi huyi hai aur teri sabhi baten sach hai.”

“Mai tujhse vada karta hu ki, mai aaj ke bad aisi koi harkat nahi karuga. Lekin tu pls is baat ke baare me vaani didi ya kisi aur se kuch mat kahna. Warna mera rahul se bhi bura haal hoga.”

Ye kah kar mehul apni meethi meethi baton se keerti ko manane laga. Neha ko keerti aur mehul in baton me bahut maja aa raha tha. Wo maje lekar unki ye baten sun rahi thi.

Tabhi use chhoti maa chanda mausi ke kamre se bahar nikalti najar aayi aur usne ye baat hum logon ko batayi. Chhoti maa ko aate dekh kar mehul aur keerti ke bich ki ye baten band gayi.

Lekin chhoti maa hum logon ke pas nahi aayi. Wo sidhe kitchen me khana banane chali gayi. Chhoti maa ke aane se keerti ka gussa bhi shant ho gaya tha. Isliye usne bhi mehul se ye baat kisi ko na batane ka vada kar diya.

Iske bad mehul mujhe jata kar ghar wapas jaane laga. Lekin mujhe apne naye laptop ki yaad aa gayi. Mai mehul ko laptop dikhne ke liye apna laptop yaha waha dekhne laga. Mujhe laptop dudte dekh kar neha ne kaha.

Neha boli “hum jab ghar aaye the. Tab maine ami ko laptop upar le jate dekha tha.”

Neha ki baat sunkar, keerti ne khilkhilakar hanste huye kaha.

Keerti boli “ye lo, nimi to tumhara laptop lene ki baat sirf puchh hi rahi thi. Lekin ami to laptop ko lekar bhi chali gayi.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine us se kaha.

Mai bola “nahi, ami aisa nahi kar sakti. Uski aadat kisi ki chij par niyat kharab karne ki nahi hai. Wo jarur use mere kamre me rakhne le gayi hogi.”

Mai abhi keerti se ye baat bol hi raha tha ki, tabhi ami nimi bhi chanda mausi ke kamre se bahar aa gayi. Unhe dekh kar maine ami se puchha.

Mai bola “betu, kya tune mera laptop dekha hai.”

Ami boli “ji bhaiya, hum jab mausi ke ghar se wapas aaye to, wo laptop yahai rakha tha aur ye nimi uske sath chhed chad kar rahi thi. Isliye mai kharab hone ke dar se use aapke kamre me rakh aayi hu. Kya mai use lekar aau.”

Ami ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “nahi rahne de. Mai upar jakar hi mehul bhaiya ko wo laptop dikha deta hu.”

Iske bad mai mehul ke sath apne kamre me aa gaya. Maine mehul ko laptop dikhaya. Iske bad mehul ghar wapas chala gaya. Mehul ke jaane ke bad, mai kapde badal kar let gaya aur fir aise hi lete lete meri nind lag gayi.

Fir meri nind 8 baje ami ke jagane par khuli. Wo kuch ghabrayi huyi lag rahi thi. Usne mujhe hila kar jagate huye kaha.

Ami boli “bhaiya jaldi utho, ghar me police wale uncle aaye hai.”

Ami ki baat sunkar, mai samajh gaya ki, pritam aaya hai. Vaani didi ne use 8 baje ghar aane ko kaha tha. Isliye maine laparwahi ke sath ami se kaha.

Mai bola “are wo vaani didi se milne aaye aur unse mil kar chale jayege. Ab tu mujhe thodi der sone de.”

Lekin ami ne meri baat ko kaatte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, vaani didi ghar me nahi hai aur niche mummy akeli hai. Isliye mujhe dar lag raha hai. Aap jaldi se niche chalo.”

Mai bola “isme darne ki kya baat hai. Keerti aur neha bhi to niche hai na.”

Ami boli “wo dono to nimi ko lene dipti ke ghar gayi hai aur mummy ghar me akeli hai. Pichhli baar un uncle ne vaani didi ke sath kitna jyada jhagda kiya tha. Mujhe bahut dar lag raha hai. Aap jaldi se niche chalo na.”

Ami ko meri baat samajhte na dekh kar mujhe uski baat maan lena hi thik laga aur maine us se kaha.

Mai bola “chal thik hai. Mai jara muh hath dho lu. Fir tere sath niche chalta hu.”

Ami boli “thik hai, lekin jyada der mat lagana.”

Mai bola “haan, meri maa, mujhe bas 2 min de.”

Ami se itna kah kar maim uh hath dhone chala gaya. Maine jaldi se muh hath dhoya aur fir chehra sahi se kar ke niche aa gaya. Mai jab niche pahucha to, chhoti maa pritam se baat kar rahi thi.

Keerti, neha aur nimi bhi unke pas hi baithi huyi thi. Mai chhoti maa ke pas aur ami nimi ke pas jakar baith gayi. Pritam ne chhoti maa se vaani didi ke ghar wapas aane ki baat puchhi to, chhoti maa ne us se kaha.

Chhoti maa boli “vaani ghar wapas aane ka kuch bol kar nahi gayi hai. Ho sakta hai ki, aapke 8 baje ghar aane ki baat uske dimag se nikal gayi ho. Isliye behtar yahi hoga ki, aap use call karke apne yaha pahuch jaane ki baat use bata de.”

Lekin pritam ne chhoti maa ki is baat ko talte huye kaha.

Pritam bola “are mausi ji, mujhe kahi dusri jagah nahi jana hai. Madam jarur kisi kaam me fas gayi hogi. Aise unhe me unhe call karke pareshan karna thik nahi hoga. Mai yahi baith kar unke aane ka intejar kar leta hu.”

Pritam abhi bhi shayad vaani didi ke ghamndi aur gusse wale swabhav ki vajah se unhe call karne se katra raha tha. Waise bhi vaani didi ne pahli mulakat me pritam ki achi khasi khichai ki thi.

Lekin mujhe ab ye baat samajh me nahi aa rahi thi ki, jab pritam abhi bhi vaani didi se itna jyada darta hai to, fir wo dopahar me vaani didi ko apni jeep me lekar kyo ghoom raha tha.

Mai abhi pritam ki isi baat me uljha hua tha ki, tabhi bahar kisi gaadi ke rukne ki aawaj aayi. Hum sab samajh gaye ki, shayad vaani didi aa gayi hai. Sab vaani didi ke aane ka intejar karne lage.

Kuch hi der me vaani didi ghar ke andar aa gayi. Vaani didi ko dekhte hi pritam uth kar khada ho gaya aur unhe salute marne laga. Ye dekh kar vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “maine tumhe din me bhi mana kiya tha ki, ab tumko mujhe salute marne ki jarurat nahi hai. Lekin tum fir mujhe salute marne lage.”

Pritam bola “lekin madam, aap meri afsar hai aur aapko salute marne ka mera farz banta hai.”

Vaani didi boli “ye tum kaisi baat kar rahe ho. Mai bahut pahle hi apni naukri se istifa de chuki hu. Kya commissioner sahab ne abhi tak tumhe mere istife wali baat nahi batayi hai.”

Vaani didi ki is baat par pritam ne chaukte huye kaha.

Pritam bola “madam, aap ye kya kah rahi hai. Mujhe to abhi bhi apne kaano par viswas nahi ho raha hai. Subah meri commissioner sahab se aapke baare me baat jarur huyi thi.”

“Lekin un ne mujhe is baare me kuch bhi nahi bataya hai. Balki un ne to ulta mujhse aapke order ko follow karne ko kaha tha. Mujhe to abhi bhi aapki koi baat samajh me nahi aa rahi hai.”

Vaani didi boli “isme na samajh me aane wali kya baat hai. Jis din meri tumse pahli mulakat aur jhadap huyi thi. Maine usi din sham ko Mumbai jaane se pahle apni naukri se istifa de diya tha.”

“Ab mai koi CID officer nahi hu. Isliye tumhe mujhe salute karne ki koi jarurat nahi hai. Ab mai bhi baki sab logon ki tarah hi ek aam shahri hu. Tum chaho to, ab mujhe kisi bhi jurm me andar kar sakte ho.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, pritam ne thoda sharminda hote huye kaha.

Pritam bola “madam, ye aap kaisi baat kar rahi hai. Mai aur mera parivar aapke baare me kabhi aisa soch hi nahi sakte hai. Lekin meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, aapki har baat to, media ki surkhiyan ban jata hai.”

“Fir aapke istife ki itni badi baat abhi tak media se kaise chhupi rah gayi aur CID ke officer abhi bhi aapke order ko kyo follow kar rahe hai. Kya iski koi khas vajah hai.”

Vaani didi boli “haan, mere istife wali baat ko abhi saxena uncle ki vajah se media ke samne jahir nahi kiya gaya hai. Lekin commissioner sahab is baat ko ache se jante hai.”

“Magar saxena uncle aur commissioner sahab chahte hai ki, jab tak mujhe saupe gaye ansuljhe mamle sulajh nahi jate hai. Tab tak mai yahi rah kar un mamlo ko suljhane me unki madad karti rahu.”

“Isliye CID officer ko mere order follow karne ke liye saxena uncle ne kaha hai aur shayad commissioner sahab ne bhi isi vajah se tumhe mera order follow karne ko kaha hai.”

“Lekin ab tum aisa karne ke liye majbur nahi ho aur mai tumhe kisi baat ke liye majbur karugi bhi nahi. Ab tum meri kisi bhi baat ko manne se bejijhak hokar inkar kar sakte ho.”

Vaani didi ki baat sunkar, pritam kuch sakte me aa gaya tha aur us se kuch kahte nahi ban raha tha. Lekin unki aakhiri baat sunte hi, usne kaha.

Pritam bola “madam, aapko suru me samjhne me mujhse kuch bhool jarur huyi hai. Lekin ab mai aapki dil se ijjat karta hu. Aap mujhse kisi bhi kaam ke liye kah sakti hai. Aapke kisi bhi aadesh ka palan karne me mujhe khushi hogi.”

Pritam ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “chalo, ye bhi dekh leti hu ki, tumhe mere aadesh ka palan karne me kitni khushi hoti hai. Aaj maine tumhe isiliye yaha bulaya hai.”

Pritam se itna kahne ke bad, vaani didi ne meri taraf dekhte huye kaha.

Vaani didi boli “punnu, meri gaadi me kuch file padi hai. Tum jakar jara un me se bharti naam ki file le aao.”

Vaani didi ki baat sunkar, mai fauran utha aur chhoti maa ki car ki taraf bad gaya. Maine car me se bharti naam ki file nikali aur vaani didi ko lakar de di. Vaani didi ne wo file pritam ko thamate huye kaha.

Vaani didi boli “ye lo, tum apni aur apne parivar ki khushiyan sambhalo.”

Vaani didi ki baat sunkar, pritam ne chaukte huye kaha.

Pritam bola “madam, ye aap kya kah rahi hai. Mai kuch samjha nahi.”

Pritam ki is baat par vaani didi ne kuch jyada hi jor se hanste huye kaha.

Vaani didi boli “pritam, tum kuch jyada hi nasamajh ho. Tumhe har baat khul kar samjhana padti hai. Are jab mai apne parivar ke sath tumhare ghar gayi thi. Tab maine koyal aur payal se ek vada kiya tha.”

“Maine un se vada kiya tha ki, mai apne jaane ke pahle tumhara aur tumhare parivar ka khoya hua maan samman lauta kar jaugi. Bas ye file meri taraf se tumhare aur tumhare parivar ke liye wahi bhent hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, pritam hairani se pahle vaani didi ko fir us file ko dekhne laga. Kuch der tak file ke panne palat kar dekhne ke bad, usne vaani didi se kaha.

Pritam bola “lekin madam, is mamle ko to aapne apni mehnat se suljhaya hai. Is par sirf aapka hi adhikar banta hai. Mai bhala is par apna adhikar kaise jata sakta hu.”

Vaani didi boli “haan, tumhari ye baat sahi hai ki, is mamle ko maine suljhaya hai aur mai kisi bhi mamle ko puri tarah se suljhane me hi yakin rakhti hu. Fir chahe use suljhane me mujhe koi galat tarika hi kyo na istemal karna pade.”

“Aise hi ye mamla tabhi sahi tarike se sulajh sakega. Jab tumhe tumhara khoya hua maan samman fir se wapas milega aur mera koyal payal se is baat ke liye kiya gaya vada pura hoga.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, pritam soch me pad gaya aur fir usne apni duvidha jahir karte huye kaha.

Pritam bola “lekin madam, mai aisa kaise kar sakta hu.”

Vaani didi boli “are abhi thodi der pahle hi to, tumne mere har aadesh ka palan karne ki baat kahi thi aur ab mera aadesh palan karne ke liye itna soch rahe ho.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, pritam ke chehre par muskurahat aa gayi aur unse vaani didi ki baat par apni sahmti dete huye kaha.

Pritam bola “thik hai madam, mai aapke is aadesh ka palan jarur karuga.”

Pritam ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “lekin abhi tumhe kuch samay ke liye is file ko apne pas daba kar rakhna hai aur jo file tumhe kal manik dega, us par tumhe is mamle ko aage badana hai.”

Vaani didi ki is baat par pritam ne thoda chaukte huye kaha.

Pritam bola “lekin madam, us file me aisa kya hai.”

Pritam ki baat sunkar, vaani didi use kal saupi jaane wali file ke baare me batane lagi. Jise sunkar pritam ke pasine chhutne lage. Lekin mere to kaan se hi dhuan nikalne laga.

Aisa hi kuch haal neha aur keerti ka bhi tha. Wo dono bhi fati fati aankhon se vaani didi ko dekh rahi thi. Wahi vaani didi ki is baat ko sunne ke bad chhoti maa kuch jyada hi pareshan najar aane lagi thi.

Vaani didi ki baat sunkar, waha par maujud sabhi logon ke chehre ki hawaiyan udh rahi thi. Lekin ami nimi ke upar is baat ka ulta hi asar pada tha. Wo dono vaani didi ki ye baat sunne ke bad, kuch jyada hi khush najar aa rahi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 238}
____________________________

Pritam bola “thik hai madam, mai aapke is aadesh ka palan jarur karuga.”

Pritam ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “lekin abhi tumhe kuch samay ke liye is file ko apne pas daba kar rakhna hai aur jo file tumhe kal manik dega, us par tumhe is mamle ko aage badana hai.”

Vaani didi ki is baat par pritam ne thoda chaukte huye kaha.

Pritam bola “lekin madam, us file me aisa kya hai.”

Pritam ki baat sunkar, vaani didi use kal saupi jaane wali file ke baare me batane lagi. Jise sunkar pritam ke pasine chhutne lage. Lekin mere to kaan se hi dhuan nikalne laga.

Aisa hi kuch haal neha aur keerti ka bhi tha. Wo dono bhi fati fati aankhon se vaani didi ko dekh rahi thi. Wahi vaani didi ki is baat ko sunne ke bad chhoti maa kuch jyada hi pareshan najar aane lagi thi.

Vaani didi ki baat sunkar, waha par maujud sabhi logon ke chehre ki hawaiyan udh rahi thi. Lekin ami nimi ke upar is baat ka ulta hi asar pada tha. Wo dono vaani didi ki ye baat sunne ke bad, kuch jyada hi khush najar aa rahi thi.

Hum sabhi vaani didi ki ye baat sunkar, sann rah gaye the. Lekin is baat ko sunne ke bad, ami nimi ki khushi ka koi thikana nahi tha aur ami ne isi khushi me chahkte huye vaani didi se kaha.

Ami boli “wah didi, aapne us ladke ko sabak sikhane ka bahut acha plan banaya hai.”

Ami ke sath sath nimi bhi khamoshi se hum sabki baten sun rahi thi. Lekin jaise usne ami ke muh se ye baat suni to, usne bhi josh me aate huye kaha.

Nimi boli “haan didi, us ladke ne bhaiya ka thoda sa khoon nikala tha. Lekin aap uske khoon ki nadiyan baha dena aur use hamesha ke liye jail me band kar dena.”

Ami nimi ki ye baten sunkar, vaani didi chauk gayi. Ami nimi neha ke sath ek kinare baithi huyi thi. Isliye abhi tak vaani didi ka dhyan un par nahi gaya tha. Lekin ami nimi ki is baat ne sabko unki bhi upastithi ka aehsas kara diya tha.

Ami nimi ki ye baat sunkar, kuch pal ke liye to vaani didi chauk gayi thi. Lekin agle hi pal un ne ami nimi par gussa karte huye kaha.

Vaani didi boli “tum dono yaha sabke bich baithi baithi kya kar rahi ho. Subah mausi ne tum dono se kaha bhi tha ki, jab bade koi jaruri baat kar rahe ho to, tum dono ko waha nahi rahna hai.”

“Iske bad bhi tum dono yaha humari baton me kaan lagaye sabki barabari se baithi huyi ho aur ab mujhe salah bhi de rahi ho ki, mujhe kya karna chahiye. Mai dekh rahi hu ki, aaj kal tum logon ki juban kainchi ki tarah chalne lagi hai.”

“Tum logon ko bade chhote ka koi adab hi nahi rah gaya hai. Mai tumhari ye badtamiji dobara sahan nahi karugi. Tum dono fauran andar jao. Warna mai maar maar kar tumhari halat kharab kar dugi.”

Vaani didi ne ami nimi ko bahut buri tarah se daant diya tha. Jiske bad ami nimi ek pal bhi waha nahi ruki aur chanda mausi ke pas chali gayi. Lekin ami nimi ko daant padte dekh kar na jaane kyo neha ko hansi aa gayi.

Magar neha ka is tarah se hasna neha ke upar hi baari pad gaya. Vaani didi ne neha ko bhi buri tarah se fatkarte huye kaha.

Vaani didi boli “tum yaha baithi baithi apne daat kyo dikha rahi ho. Kya tumhe aur keerti ko yaha se jaane ke liye alag se kahna hoga.”

Neha ki hansi apne sath sath keerti ko bhi le dubi thi. Ami nimi ki harkat ki vajah se vaani didi kuch jyada hi gussa ho gayi thi. Unke gusse ka agla shikar mai bhi ban sakta tha.

Isliye mai vaani didi ke gusse ka agla nishana banne se bachne ke liye keerti aur neha se bhi pahle chanda mausi ke kamre me aa gaya. Mere pahuchne ke bad keerti aur neha bhi waha aa gayi.

Ami nimi chanda mausi ke pas khamoshi se baithi thi. Lekin hum logon ko bhi ek ke bad ek waha aate dekh kar, unhe kuch hairani huyi. Magar unke kuch puchh pane ke pahle hi, neha ne vaani didi par apni narajgi jatate huye kaha.

Neha boli “ye vaani didi bhi ajib hai. Are ami nimi ka gussa mere upar nikalne ki kya jarurat thi. Mai to is ghar ki mehman hu. Kya koi mehman ke upar bhi is tarah se gussa karta hai.”

Neha ki baat sunkar, mai aur keerti to hans kar rah gaye. Lekin chanda mausi ne use samjhate huye kaha.

Chanda mausi boli “tum bhale hi apne aapko is ghar ka mehman manti ho. Lekin vaani aisa nahi manti hai. Isliye usne tumhari kisi galti par tumhare upar gussa kar diya hoga.”

Chanda mausi ki baat sunkar, neha ne unhe bahar ki baat batate huye kaha.

Neha boli “lekin aai, maine to kuch kiya hi nahi hai. Wo pritam se bahut ache se baat kar rahi thi. Usi bich ye ami nimi unki baat ke bich me bol padi aur wo in par bahut jyada gussa karne lagi.”

“Mujhe bas unke isi pal pal badalte roop ko dekh kar hansi aa gayi thi. Lekin wo to mujh par hi is baat ke liye bhadak gayi aur mujhe bevajah khari khoti sunakar waha se bhaga diya.”

Neha ki baat sunkar, chanda mausi ne fir use samjahte huye kaha.

Chanda mausi boli “vaani suru se hi aisi hai. Use kisi ka badtamiji karna jara bhi sahan nahi hai aur use gussa bhi bahut jaldi aata hai. Wo gusse me bada chhota, apna paraya kuch nahi dekhti hai.”

“Lekin wo dil ki bahut saaf hai aur use apne parivar ke sabhi logon ki fikar rahti hai. Tum bhi uske liye uski chhoti bahan ki tarah hi ho. Isliye usne bina kisi bhed bhav ke ami nimi ke sath tumhe bhi daant diya.”

“Kyoki wo apne bhai bahno ki taraf se jara bhi laparwah nahi hai aur unhe koi galti karte dekhna pasand nahi karti hai. Isliye wo sabko is tarah baat baat par gussa karti rahti hai.”

“Lekin iske sath hi ek sach ye bhi hai ki, wo apne sabhi bhai bahno se bahut pyar karti hai aur unme se ek tum bhi ho. Isliye tum uski is baat ko jara bhi apne dil se mat lagao aur uski in baton ki aadat daal lo.”

Chanda mausi ki ye baat sunkar, neha ki vaani didi se narajgi door ho gayi aur uske chehre par muskurahat aa gayi. Lekin ami shayad abhi bhi vaani didi se naraj thi aur usne apni isi narajgi ko jahir karte huye kaha.

Ami boli “lekin mausi, ye vaani didi ka hum logon se kaisa pyar hai ki, hum unke samne kisi se hansi majak tak nahi kar sakte. Aur to aur kisi se baat karte samay unhe humara baithna tak pasand nahi hai.”

Ami ki baat sunkar, chanda mausi ne pyar se uske sar par hath fera aur fir use samjhate huye kaha.

Chanda mausi boli “vaani tum logon par gussa karti hai to, iska matlab ye nahi hai ki, wo tum logon se pyar nahi karti hai. Balki wo to tum dono ko punnu baba se bhi jyada pyar karti hai.”

“Isliye wo kabhi tum dono par hath nahi uthati hai aur na hi kabhi bahurani ko tum logon par hath uthane deti hai. Warna punnu baba se puchho ki, vaani inko aur mehul ko kitni maar lagati thi.”

“Vaani ko hansi majak jara bhi pasand nahi hai aur wo bade chhote ke adab ko bhi bahut jyada manti hai. Isliye in logon ki jara si bhi galti par wo in logon par hath utha deti thi.”

“Ye dono to vaani ka samna karne se bhi ghabrate the. Yaha tak ki mehul to vaani ke yaha aate hi apne mama ke ghar bhagne ki koshish karne lagta tha aur punnu baba to vaani ke bina bulaye apne kamre se hi nahi nikla karte the.”

“Tum dono ke sath vaani ne kabhi bhi sakhti nahi ki hai. Wo tum dono ko bahut pyar karti hai. Isliye usne tum dono ko itni chhut de rakhi hai ki, tum us se kisi bhi baat ko lekar bahas kar leti ho.”

“Tum dono ko vaani se bahas karte dekh kar to, kabhi kabhi mujhe bhi dar lagne lagta hai ki, vaani kahi tum dono par hath na utha de. Lekin wo aisa kabhi nahi karti hai.”

“Aisa sirf isliye hai. Kyoki wo tumhe bahut pyar karti hai. Warna vaani ke samne to, uske mummy papa, keerti ke mummy papa aur tumhare mummy papa ki bhi kuch kahne ki himmat nahi hoti hai.”

Hum sab chanda mausi ki ye baten gaur se sun rahe the. Unki is baat me puri tarah se sachchai thi. Lekin maine bhi kabhi is baat ke baare me itni gharayi se nahi socha tha.

Keerti aur chhoti maa bhi mujhe bata chuki thi ki, vaani didi ke pichhe hi chhoti maa ami par gussa karne se khud ko roki huyi thi. Vaani didi ke ami ke liye itna sab karne ke bad bhi, ami ne unke sath badtamiji kar di thi.

Lekin vaani didi ne tab bhi ami ko kuch nahi kaha tha. Mai abhi ami ko isi baare me samjhane ke liye soch hi raha tha ki, tabhi usne fir se vaani didi ke khilaf bolte huye kaha.

Ami boli “nahi mausi, aap kuch bhi kaho. Lekin sach ye hai ki, vaani didi hume nahi, balki priya ko jyada pyar karti hai. Un ne to priya ke liye apni naukri tak chhod di hai.”

Ami ki ye baat sunkar, mera dimag hi ghoom gaya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ami apne chhote se dimag me ye kaisa vaham pale huye hai. Pahle to wo sirf priya ke hi khilaf thi.

Lekin ab uske tevar vaani didi ki taraf se bhi badle huye lag rahe the. Priya ke liye vaani didi ki naukri chhodne wali baat to mai chhoti maa ke muh se bhi sun chuka tha aur ab fir se ami apni usi baat ko dohra rahi thi.

Priya ke khilaf to ami ke bolne par mai chup rah gaya tha. Lekin vaani didi ke khilaf uske bolne par mai chup na rah saka aur maine pahli baar us par gussa karte huye kaha.

Mai bola “tu ye kya bakwas kar rahi hai. Sabko ache se pata hai ki, vaani didi ne sirf meri vajah se apni naukri chhodi hai. Iske bad bhi tere muh me jo aa raha hai, tu vaani didi ke khilaf bakti ja rahi hai.”

“Wo hum logon ko itna pyar karti hai aur tu hai ki, unhi ke upar ungli uthaye ja rahi hai. Ab dobara tum dono me se kisi ne vaani didi ke khilaf aisi koi bakwas ki to, mujhse bura koi nahi hoga.”

Meri baat sunkar, nimi ne hairat se meri taraf dekhte huye badi hi masumiyat se kaha.

Nimi boli “bhaiya, aap mujh par gussa kyo ho rahe hai. Maine to vaani didi ko kabhi kuch kaha hi nahi hai.”

Lekin ami ne nimi ki is baat ko ansuna karte huye mujhse kaha.

Ami boli “bhaiya, mai koi bakwas nahi kar rahi hu. Mai jo bhi kah rahi hu, sach hi kah rahi hu. Mai hum logon ke Mumbai jaane ke pahle se hi janti thi ki, vaani didi ne apni naukri chhod di hai.”

Ami ki ye baat sunkar, mai chauke bina na rah saka. Kyoki mujhe khud vaani didi ke naukri chhod dene wali baat mere Mumbai pahuchne ke bad hi pata chali thi. Uske pahle mai is baare me kuch nahi janta tha.

Fir ami is baat ko pahle se hi kaise janti thi. Ye sochne wali baat thi. Mai abhi is baare me ami se puchhne hi wala tha ki, tabhi meri najar darwaje par padi. Vaani didi darwaje par tek lagaye bade gaur se humari baten sun rahi thi.

Un ne jaise hi mujhe apni taraf dekhte paya to, mujhe chup rahne ka ishara kiya. Vaani didi ki ka ishara pakar mai chup to ho gaya. Lekin ab mujhe is baat ka dar bhi sata raha tha ki, kahin ami koi nayi bakwas na kar de.

Mere alawa abhi kisi ki bhi najar vaani didi par nahi padi thi. Isliye ami ki ye baat sunne ke bad, keerti ne bhi thoda chaukte huye us se puchha.

Keerti boli “hum sab ko to Mumbai me rahte huye bhi ye baat tab tak pata nahi chali thi, jab tak vaani didi ne khud hume ye baat nahi batayi thi. Fir tujhe Mumbai pahuchne ke pahle hi ye baat kaise pata chal gayi.”

Ami boli “wo aap logon ke Mumbai jaane ke bad hospital me mausi ko dekhne ke liye tripti didi aayi thi. Un ne hi mujhe bataya tha ki, vaani didi ne priya ke pas Mumbai jaane ke liye apni naukri chhod di hai.”

Ami ki ye baat sunkar, mujhe us din ki yaad aa gayi. Jis din maine pahli baar tripti ko dekha tha. Tripti ke I.C.U. room me jaane ke kuch hi der bad ami nimi bhi chanda mausi ko dekhne andar gayi thi.

Shayad usi samay tripti ki ami nimi se ye baat huyi thi. Mai abhi tripti aur ami ke bich huyi isi baat ko sochne me uljha hua tha ki, tabhi keerti ne ami ke samne dusra sawal dagte huye kaha.

Keerti boli “chal mai teri is baat ko bhi maan leti hu ki, vaani didi ne priya ke liye hi apni naukri chhodi hai. Tab bhi mujhe ye baat samajh me nahi aa rahi hai ki, tujhe vaani didi ke naukri chhod dene se itni pareshani kyo ho rahi hai.”

Ami boli “hume kyo pareshani nahi hogi. Vaani didi pahle humari didi hai. Uske bad hi wo kisi aur ki didi hai. Un ne priya ke liye apni naukri chhod kar hume apne school me kisi ke samne muh dikhane layak nahi chhoda hai.”

Ami ki ye baat sunkar, keerti to hairani se use dekhti rah gayi. Lekin neha ne hanste huye ami se puchha.

Neha boli “are vaani didi ke naukri chhod dene se bhala tum dono apne school me kisi ke samne muh dikhane layak kyo nahi rahi. Tumhare school me to koi vaani didi ko janta bhi nahi hoga.”

Ami boli “didi, aisi baat nahi hai. Humari saari saheliyan vaani didi ko ache se janti hai. Hum apni saheliyon ko hamesha hi vaani didi ki bahaduri ke kisse sunate rahte the aur wo is baare me sunkar hum se jal jati thi.”

“Kyoki unke ghar me vaani didi jaisa koi nahi tha. Lekin ab wo hi log vaani didi ke naukri chhod dene ki baat ko lekar humara majak udayegi aur hume unse muh chhupa kar rahna padega.”

Ami ki ye baat sunkar, mujhe uske dil ki halat ka aehsas ho gaya tha. Kyoki vaani didi ke naukri chhodne ki baat ka mere upar bhi kuch waisa asar hua tha. Jaisa ki abhi ami ki baton se uske upar samajh me aa raha rahi tha.

Apni dhun me apne man ki baat kahe ja rahi thi aur hum sab uski ye baat sun rahe the. Tabhi vaani didi ne kamre ke andar aate huye kaha.

Vaani didi boli “jaisa tu soch rahi hai. Aisi koi bhi baat nahi hai. Maine punnu ya priya ke liye apni naukri nahi chhodi hai. Maine naukri sirf apni kasam ko rakhne ke liye chhodi hai.”

“Maine kasam khayi thi ki, mai C.I.D. officer ki haisiyat se mumbai me kadam nahi rakhugi. Lekin ab punnu aur priya ki vajah se mera mumbai jana jaruri ho gaya tha. Jis vajah se mujhe apni naukri chhodna padi thi.”

“Isliye meri naukri chhutne me punnu ya priya ka koi hath nahi hai. Maine jo kiya sirf apne privar ke liye kiya hai. Apne parivar ki bhalai ke liye apni kisi chij ka tyag karna bhi ek bahaduri wala hi kaam hota hai.”

“Tumhe to ye baat apni saheliyon se seena thok kar kahna chahiye ki, tumhari didi ne apne parivar ki bhalai ke liye aisa kadam uthaya hai. Tumhe iske liye unse muh nahi chhupana chahiye.”

“Ab yadi meri ye baat sunne ke bad bhi tumhe meri naukri jaane ka dukh hai to, mai tumse vada karti hu ki, mai bahut jaldi hi tumhe is se bhi badi naukri karti najar aaugi aur tumhe kisi se apna muh nahi chhupana padega.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ami gaur se vaani didi ka chehra dekhne lagi. Shayad use vaani didi ki is baat ka viswas nahi ho raha tha. Ye dekh kar vaani didi use pyar se samjhane lagi.

Iske bad un ne chanda mausi se kuch jaruri baat karne ki baat kah kar hum sabse bahar jaane ko kaha to, hum bahar aa gaye. Chhoti maa kitchen me raat ka khana taiyar karne me lagi huyi thi.

Pritam ke aa jaane ki vajah se unhe apna kaam chhod kar uske pas baithna pad gaya tha. Jis vajah se unhe khana taiyar karne me der ho gayi thi. Waise to mai raat ke khane ke liye cutlets aur manchurian pahle hi le aaya tha.

Lekin baki ka khana to chhoti maa ko hi taiyar karna tha. Waise to humare ghar me baki sabhi kaamo ke liye kaam wali lagi huyi thi. Lekin kitchen ka kaam sirf chhoti maa aur chanda mausi hi dekha karti thi.

Isliye abhi chanda mausi ki tabiyat sahi na hone ki vajah se chhoti maa ko kuch jyada hi pareshani uthana pad rahi thi. Chhoti maa ko akela pareshan hote dekh kar keerti bhi unki madad karne kitchen me chali gayi.

Lekin thodi der bad wo muh latka kar wapas aa gayi. Use is tarah se muh latkaye wapas aaya dekh kar maine us se kaha.

Mai bola “kya hua. Tu to kitchen me chhoti maa ki madad karne gayi thi. Fir is tarah se muh latka kar kyo aa gayi.”

Keerti boli “mausi ne meri tabiyat sahi na hone ki baat bol kar mujhe wapas bhej diya hai. Meri tabiyat sahi na hone ki vajah se unke upar mera khana alag se banane ka bojh bhi pad raha hai.”

Mai bola “humare mumbai se aane ke pahle nisha bhabhi ne tera check up kiya tha. Tere us check up ki report ka kya hua.”

Keerti boli “humare waha se aane ke samay tak uski report nahi aayi thi. Isliye nisha bhabhi ne kaha tha ki, wo phone karke mujhe iske baare me bata degi. Lekin un ne abhi tak is baare me koi phone nahi kiya hai.”

Mai bola “wo jarur kaam me fas kar is baare me batana bhool gayi hogi. Tu khud hi unhe phone laga kar report ka pata kar le na.”

Keerti ko meri baat sahi lagi aur usne nisha bhabhi ko call laga diya. Nisha bhabhi ne call uthate hi keerti se kaha.

Nisha bhabhi boli “……………” (bolo keerti, achanak meri yaad kaise aa gayi. Mai to samjhi thi ki, tum apne ghar pahuchte hi mujhe bhool jaogi.)

Keerti boli “bhabhi aap ye kaisi baat kar rahi hai. Mai bhala aapko kaise bhool sakti hu. Wo to kal mujhe yaha aane ke bad jara bhi samay nahi mila. Warna maine aapko kal hi phone laga liya hota.”

Keerti ki is baat par nisha bhabhi ne hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “……………” (are mai to majak kar rahi hu. Mai khud ghar pahuchne ke bad tumhe call lagane wali thi.)

Keerti boli “are bhabhi, aap kya abhi itne samay tak hospital me hi hai.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan, aaj ek bad ek do surgery karna pad gayi. Jis vajah se itne samay tak hospital me rukna pad gaya. Bas abhi ghar ke liye nikalne hi wali thi ki, tumhara call aate dekh kar ruk gayi.)

Keerti boli “sorry bhabhi, mera call aane ki vajah se aap ghar ke liye nahi nikal payi. Aapko ghar pahuchne me der ho rahi hai. Aap aisa kijiye, aap abhi mera call rakhiye. Mai aapse bad me baat karti hu.”

Nisha bhabhi boli “……………” (are mujhe ghar jaane me koi der nahi ho rahi hai. Ghar me sabko pata hai ki aaj mujhe ghar aane me der hogi. Tum ye batao ki, kya tumne apni report ke baare me pata karne ke liye call kiya hai.)

Keerti boli “haan bhabhi, itne dino se ubla hua khana kha kha kar mera bura haal hai. Isliye maine apni report ke baare me pata karne ke liye aapko call kiya hai.”

Keerti ki is baat ko sunkar nisha bhabhi ne hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “……………” (tab to tum khush ho jao. Ab tumhe ubla hua khana khane ki koi jarurat nahi hai. Tumhari report sahi aayi hai aura b tum puri tarah se thik ho. Isliye ab tum bhi baki sabki tarah khana kha sakti ho.)

Nisha bhabhi ki baat sunkar keerti ne khush hote huye kaha.

Keerti boli “bhabhi, matlab ki aaj se mai sab kuch kha sakti hu. Mujhe kisi tarah ka parhej karne ki koi jarurat nahi hai.”

Nisha bhabhi boli “……………” (haan, tumhe kisi tarah ka koi parhej karne ki koi jarurat nahi hai. Lekin abhi abhi tumhare kamjor liver ka ilaj chal raha hai aur use thik hone me thoda wakt lagega. Isliye kuch samay ke liye tum jyada tel masale ka khana khane se khud ko bachao.)

Nisha bhabhi ki ye baat sunkar, keerti ne thoda nirash hote huye kaha.

Keerti boli “bhabhi, iska matlab to yahi hai ki, abhi bhi mujhe khane se parhej hi karna padega.”

Nisha bhabhi boli “……………” (nahi, aisa nahi hai. Tum chaho to sab kuch kha sakti ho. Lekin yadi tum apne liver ki kamjori se jaldi chhutkara pana chahti ho to, tumhe kuch samay tak aise khane se parhej karna hi padega.)

Keerti boli “thik hai bhabhi, mai aapki ye baat jarur manugi. Lekin kya aap ye baat mausi ko samjha degi. Taki kam se kam mujhe is uble huye khane se to chhutkara mil jaye.”

Keerti ki is baat par nisha bhabhi ne muskurate huye kaha.

Nisha bhabhi boli “……………” (haan, kyo nahi. Yadi aunty tumhare pas hai to, unhe call do. Mai abhi unhe ye baat bata deti hu.)

Keerti boli “bhabhi, ek min mai abhi mausi ko phone deti hu.”

Ye kahte huye keerti bhagti huyi kitchen me chhoti maa ke pas chali gayi. Keerti ki ye baten mai, neha aur ami nimi bhi sun rahe the. Keerti ko sab kuch khane ki chhut milte dekh kar, nimi ne sabse jyada khush hote huye kaha.

Nimi boli “wah, aaj se to didi ke maje ho gaye. Ab unhe bhi hum sabki tarah khana khane ko milne lagega.”

Mai nimi ke is tarah se khush hone ka matlab samajh raha tha. Aaj khane ke liye uski manpasand dishes cutlets aur Manchurian aayi thi. Ab yadi mai aur ami wo dishes nahi khate to, fir nimi ka bhi unko khana mushkil tha.

Lekin ab keerti ko sab kuch khane ki chhut milne se nimi ka bhi is roj roj ke uble huye khane se chhutkara mil gaya tha. Isliye keerti se jyada is baat ki khushi nimi ko ho rahi thi.

Apni isi khushi ko pakka karne aur andar chal rahi baton ki jaankari lene ke liye thodi der bad nimi bhi uth kar kitchen me chali gayi. Neha bhi kal se ami nimi ki khane ko lekar ki jaane wali nautanki ko dekh rahi thi.

Use keerti ke sath sath ami nimi ka bhi ubla hua khana khana ajib lag raha tha. Isliye jab usne is baat se nimi ko khush hokar keerti ke pichhe jate dekha to, maje lete huye kaha.

Neha boli “lagta hai nimi ye pakka karne gayi hai ki, aunty keerti ko sab kuch khane ki chhut deti hai ya nahi deti. Warna aaj fir se ami nimi ko wo hi sab khana padega.”

Neha ki baat sunkar, maine ami ke sar par hath ferte huye kaha.

Mai bola “haan, tum bilkul thik kah rahi hu. Nimi bahut chatoru hai aur badiya khane ki bahut shaukin hai. Wo khane ki koi bhi achi si chij dekh kar bahut jaldi lalcha jati hai. Iske alawa khane me nakhara bhi bahut karti hai.”

“Lekin meri betu bilkul bhi aisi nahi hai. Betu sabhi chije shauk se khati hai. Kabhi kisi chij ko khane me nakhra nahi karti hai. Isi vajah se nimi ko bhi majburi me wo sab khana padta hai.”

“Kyoki nimi chahe kitni bhi shaitan aur nakhrebaj kyo na ho. Magar wo betu ka sath kabhi nahi chhodti hai. Use koi baat pasand ho ya na ho. Lekin wo us baat me betu ka sath jarur degi.”

Meri is baat par neha ne bhi muskurate huye kaha.

Neha boli “haan, ye to mai bhi dekh chuki hu. Ami nimi ki jodi bilkul seeru didi aur selu didi ki jodi ki tarah hi hai. Ye dono bhi unki tarah ek dusre ka sath kabhi nahi chhodti hai.”

Neha ki ye baat sunkar, mere aur ami ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Usi samay vaani didi aur chanda mausi aa gayi. Abhi wo dono humare pas aakar baithi hi thi ki, tabhi keerti aur nimi khush hote huye humare pas aa gayi.

Vaani didi ko dekh kar, keerti khushi khushi unhe nisha bhabhi se huyi baat ke baare me batane lagi. Abhi hum logon ki aapas me ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi papa ghar aa gaye.

Waise to papa office se aane ke bad, sabse pahle apne kamre me jakar muh hath dhote hai. Fir aakar bahar sabke sath baithte hai. Lekin abhi vaani didi ko baitha dekh kar, wo bhi unke pas hi aakar baith gaye.

Mujhe apne bap ki kabhi koi harkat samajh me nahi aati thi. Vaani didi hospital me unke sath kis tarah se pesh aayi thi. Ye baat mujhse chhupi huyi nahi thi. Meri peeth pichhe bhi na jaane vaani didi unke sath kaise pesh aayi hogi.

Mujhe mere bap ki is beijjati se koi farak nahi pada tha aur na hi shayad is se mere bap ko koi farak pada tha. Kyoki wo bhi vaani didi ke pas aise aakar baith gaya tha. Jaise uski vaani didi se bahut hi achi tarah se patti ho.

Mere man me abhi bhi mere bap ke liye bahut nafrat thi aur use dekhte hi, mujhe us par gussa aane lagta tha. Isliye ab mujhe waha baithne me uljhan si hone lagi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 239}
____________________________

Vaani didi ko dekh kar, keerti khushi khushi unhe nisha bhabhi se huyi baat ke baare me batane lagi. Abhi hum logon ki aapas me ye baten chal hi rahi thi ki, tabhi papa ghar aa gaye.

Waise to papa office se aane ke bad, sabse pahle apne kamre me jakar muh hath dhote hai. Fir aakar bahar sabke sath baithte hai. Lekin abhi vaani didi ko baitha dekh kar, wo bhi unke pas hi aakar baith gaye.

Mujhe apne bap ki kabhi koi harkat samajh me nahi aati thi. Vaani didi hospital me unke sath kis tarah se pesh aayi thi. Ye baat mujhse chhupi huyi nahi thi. Meri peeth pichhe bhi na jaane vaani didi unke sath kaise pesh aayi hogi.

Mujhe mere bap ki is beijjati se koi farak nahi pada tha aur na hi shayad is se mere bap ko koi farak pada tha. Kyoki wo bhi vaani didi ke pas aise aakar baith gaya tha. Jaise uski vaani didi se bahut hi achi tarah se patti ho.

Mere man me abhi bhi mere bap ke liye bahut nafrat thi aur use dekhte hi, mujhe us par gussa aane lagta tha. Isliye ab mujhe waha baithne me uljhan si hone lagi thi.

Lekin vaani didi ke baithe rahne ki vajah se mai achanak waha se uth kar bhi nahi ja sakta tha. Mai abhi isi uljhan me uljha hua tha ki, tabhi ami ne dhire se mujhe tokte huye kaha.

Ami boli “bhaiya chaliye na, hum aapke kamre me chalte hai. Mujhe aapka laptop dekhna hai.”

Mai to waha se bhagne ka mauka hi dud raha tha. Ami ki is baat ko sunkar, mere chehre par bhi muskurahat aa gayi aur mai ami nimi ke sath uth kar apne kamre me aane laga.

Mujhe aur ami nimi ko waha se jate dekh kar, keerti ne mujhse iski vajah puchhi to, maine use bata diya. Jiske bad keerti ke sath neha bhi humare sath mere kamre me aa gayi.

Kamre me aane ke bad mai sabko apna naya laptop dikhane laga. Abhi sab mera laptop dekhne me lage huye the ki, usi samay vaani didi bhi upar aa gayi. Wo apne kamre me ja rahi thi.

Lekin jab un ne sabko mere kamre me dekha to, wo bhi mere kamre me aa gayi. Keerti ne mere laptop ko dekhne ke bad, nimi ki tarah apni niyat kharab karne wali harkat dikhate huye kaha.

Keerti boli “tumhara laptop to bahut hi acha hai. Ise dekh kar to ab mera man bhi ek laptop lene ka karne laga hai. Lekin papa ne abhi abhi mujhe mobile dilaya hai. Wo itni jaldi mujhe laptop dilane ko taiyar nahi hoge.”

Keerti ki is baat ko sunkar, maine use fatkar lagate huye kaha.

Mai bola “tu fir suru ho gayi. Lagta hai teri nimi ki tarah meri chij par apni niyat kharab karne ki aadat kabhi nahi jayegi. Lekin tu fikar mat kar, is valentines day par mai tujhe ek laptop gift kar duga.”

Mai apni dhun me keerti se apne dil ki ye baat bol to gaya tha. Lekin is baat ko bolne ke bad mujhe aehsas hua ki, mai vaani didi, ami nimi aur neha ke samne apni ye baat bol gaya hu.

Is baat ka aehsas hote hi, mai sabki pratikriya janne ke liye sabki taraf dekhne laga. Meri is baat ko sunkar, keerti dang rah gayi thi aur hairani se mujhe dekhe ja rahi thi.

Shayad use bhi is baat ki jara bhi ummid nahi thi ki, mai vaani didi, neha aur ami nimi ke samne aisi koi baat bol sakta hu. Isliye wo is baat ko sunne ke bad bebak si mujhe dekhe ja rahi thi.

Wahi vaani didi meri baat ko sunkar mand mand muskura rahi thi to, neha meri baat ko sunne ke bad keerti ko muskurate huye dekh rahi thi. Nimi bhi apni tulna keerti se kiye jaane ki vajah se khushi se fuli nahi sama rahi thi.

Magar ami par is baat ka kuch ulta hi asar pada tha. Usne jab meri ye baat suni to, apna chehra utarte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, us din to mera janamdin rahta hai aur uske pahle nimi ka janamdin bhi aata hai. Yadi aap valentines day ko keerti didi ko laptop gift me doge to, fir humare janamdin ka kya hoga.”

Ami ki baat sunkar, mere chehre par muskurahat aa gayi. Asal me jaise abhi mera aur priya ka janamdin ek din ke antar se padta tha. Waise hi ami aur nimi ka janamdin bhi ek din ke antar se padta tha.

Ami ka janamdin valentines day yane ki 14 february aur nimi ka janamdin 12 february ko padta tha. Isliye ami valentines day par keerti ko gift dene ki baat se pareshan ho gayi thi. Maine uski is pareshani ko door karte huye kaha.

Mai bola “betu, tu is baat ko lekar kyo pareshan hoti hai. Mere keerti ko laptop gift karne se tere aur nimi ke janamdin ke gift par koi asar nahi padega. Mai tum dono ke janamdin par bhi ek badiya sa gift jarur duga.”

Meri is baat se ami ke chehre par bhi muskurahat aa gayi aur maine bhi ye dekh kar rahat ki saans li ki, meri is baat ki vajah se kisi ke man me koi aisa waisa sawal nahi aaya tha.

Keerti ne bhi jab meri baat ka kisi ke upar koi galat asar padte nahi dekha to, wo bhi is baat se khush hokar meri taraf dekh kar muskurane lagi. Hum logon ki ye baten sunne ke bad neha ne bhi muskurate huye kaha.

Neha boli “bahut samay se mera man bhi ek laptop aur scooty lene ka kar raha hai. Mere baba ne mujhse mere janamdin par vada kiya hai ki, wo bahut jaldi hi mujhe ye dono chije jarur se dila dege.”

Neha ki ye baat sunkar, hum sab use laptop aur scooty milne ki advanced me badhai dene lage. Neha ki laptop aur scooty wali baat sunne ke bad vaani didi ne bhi use tasalli dete huye kaha.

Vaani didi boli “mujhe lagta hai ki, ab tumhe laptop aur scooty ke liye jyada intejar nahi karna padega. Kyoki kuch hi din bad tum apne ghar chali jaogi aur waha tumhe kisi bhi chij ki koi kami nahi rahegi.”

Lekin vaani didi ki ye baat sunkar, neha ne apna man girate huye kaha.

Neha boli “nahi didi, mujhe un logon se kuch nahi chahiye aur na hi mujhe apne ghar jaane ki koi jaldi hai. Mai apne baba ke sath bahut khush hu. Mere baba mujhe jitna pyar karte hai, utna pyar wo log mujhe nahi kar payege.”

Neha ki ye baat sunkar vaani didi ne use samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “nahi, aisi baat nahi sochte hai. Wo sab tumhe bahut pyar karte hai aur sabko tumhari ghar wapsi ka bahut besabri se intejar hai.”

Lekin neha ne vaani didi ki is baat ko kaatte huye kaha.

Neha boli “didi, aap kis pyar ki baat kar rahi hai. Mai kitne saalon bad un logon ko mili aur fir milte hi apne baba ke sath yaha aa gayi. Mere yaha aane ke bad kisi ne bhi meri khabar lene ki jarurat nahi samjhi.”

“Mai un logon ke sath rahu ya na rahu. Un logon ko koi farak hi nahi padta hai. Yaha tak ki aaj wo sab log priya ke liye nayi car lene gaye the. Lekin kisi ne is baare me mujhe kuch batane ki jarurat hi nahi samjhi.”

“Wo log to mujhe apne ghar ka sadasya hi nahi samjhte hai. Yadi wo sach me mujhe apne ghar ka sadasya samajhte hote to, un ne mujhe nayi car kharidne wali baat jarur batayi hoti.”

Neha ke man ki ye baat sunkar, mai sann rah gaya. Lekin uski ye baat puri tarah se galat bhi nahi thi. Wo itne saalon bad apne ghar walon ko mili thi. Aise me uske ghar walon ka use andekha karna us se sahan nahi ho raha tha.

Mai priya ka bhai hone ki vajah se neha ki is baat ko priya se jalan hone ki baat se bhi jod kar dekh sakta tha. Lekin fir bhi sachchai yahi thi ki, neha ki kahi koi bhi baat jhuth nahi thi.

Usne apne ghar walon se bichhad jaane ki vajah se itne saal dushyant mausa ji ke sath abhav bhari jindagi gujari thi. Jis ladki ke pas sukh suvidha ki har chij hona chahiye thi, wo aaj chhoti chhoti chijon ke liye taras rahi thi.

Usne apni maa ke hote huye bhi apna pura bachpan apni maa ke pyar ke liye taraste huye bita diya tha. Iske bad bhi usne is baat ke liye kisi se koi shikayat nahi ki thi.

Magar aaj jab use uska parivar wapas mila tha to, use apne parivar walon ki aankhon me na to apne milne ki koi khushi najar aa rahi thi aur na hi use koi uski parvah karte huye najar aa raha tha.

Apne parivar ki is berukhi ko mehsus karke use dard to, hona hi tha aur uska wo dard kisi na kisi tarah se bahar nikal kar bhi aana tha. Jo ab vaani didi ki is baat ko sunkar is tarah se bahar nikal aaya tha.

Mujhe is baat me kisi bhi tarah se neha ki priya ke liye jalan najar nahi aa rahi thi. Balki uske dil ki wo tees samajh me aa rahi thi. Jo wo na jaane kab se apne man me daba kar rakhi thi.

Use apne parivar walon ka ye vyvhar jara bhi samajh me nahi aa raha tha. Lekin shayad vaani didi neha ke man ki halat samajh gayi thi. Isliye un ne neha ko samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “jaisa tum soch rahi ho. Aisi koi baat nahi hai. Tumhare ghar walon ko tumhare milne ki bahut khushi hai aur un ne tumhari khushi ka khayal karke hi tumhe yaha dushyant mausa ji ke sath aane diya hai.”

“Tum shayad apni us samay ki halat ko bhool gayi ho ki, dushyant mausa ji ko jail ho jaane ki baat aur unki tabiyat sahi na hone ki baat ko lekar tumne ro ro kar apni kya halat bana li thi.”

“Tumhari us samay ki halat dekh kar tumhare ghar walon ko is baat ka dar sata raha tha ki, kahi priya ki tarah tumhe bhi kuch na ho jaye. Isliye us samay un logon ne jaisa tum chahti thi, waisa hi hone diya.”

“Magar iska matlab ye nahi hai ki wo tumhari taraf se jara bhi laparwah hai ya unhe tumhari koi parvah nahi hai. Wo log roj mujhse ya mausi se tumhara haal chal lete rahte hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar neha ko apni us samay ki halat ki baat yaad aa gayi aur uske tevar apne ghar walon ki taraf se kuch naram pad gaye. Lekin fir bhi usne vaani didi se shiakayat karte huye kaha.

Neha boli “thik hai didi, mai aapki is baat ko maan leti hu ki, un logon ne meri us samay ki halat ko dekh kar hi mujhe yaha aane diya tha. Lekin maine un logon ko apna parivar manne se kab inkar kiya hai.”

“Fir un logon ko aapko ya aunty ko call laga kar mera haal chal lene ki kya jarurat hai. Wo sidhe mujhe call karke bhi to, mera haal chal le sakte the. Unki ye baat to yahi batati hai ki, unhe mujhse koi pyar nahi hai.”

Neha ki baat par vaani didi ne use bade hi pyar se samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “pagal ladki, teri samajh me itni si baat nahi aa rahi hai ki, tere ghar walon ne aisa sirf teri hi khushi ke liye kiya hai. Fir bhi yadi tujhe aisa lagta hai ki, un logon ne tujhe call na karke koi galti ki hai to, iske liye sirf tere papa aur mai doshi hu.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, neha ke sath hum sab bhi hairani se vaani didi ko dekhne lage. Hume vaani didi ki ye baat samajh me nahi aa rahi thi. Lekin vaani didi ne apni is baat ko saaf karte huye kaha.

Vaani didi boli “tumhare ghar walon ne tumhe yaha sirf meri vajah se bheja hai. Maine unhe yakin dilaya tha ki, tumhe yaha kisi baat ki takleef nahi hogi aur mai sakushal tumhe tumhare ghar pahuchaugi.”

“Us samay tumhari halat ko dekh kar tumhare papa ko bhi meri ye baat sahi lagi thi aur un ne apne ghar walon se kaha tha ki, jab tak tum yaha se wapas nahi laut aati ho, tab tak koi tumhe yaha call karke pareshan nahi karega.”

“Tumhare papa ki isi baat ki vajah se tumhare ghar se koi bhi tumhe call nahi kar raha hai. Lekin sabhi badi besabri se tumhare mumbai wapas laut aane ka intejar kar rahe hai.”

“Tumne ye soch bhi kaise liya ki, tumhare mummy papa ko tumhari jara bhi fikar nahi hai. Kisi maa bap ki kitni bhi santan kyo na ho. Magar mata pita ke liye apni sabhi santane barabar hoti hai.”

“Mata pita apni kisi bhi santan ko kam pyar nahi karte hai. Tumhe to ye pata hi nahi tha ki, tumhare mata pita koi aur hai. Isliye tum abhi tak is baat se puri tarah se befikar ji rahi thi.”

“Lekin tumhare mummy papa to apni beti ki judai ka gam sah rahe the aur uski yaad me andar hi andar jal rahe the. Wo bechare to apne is dard ko kisi se kah bhi nahi pa rahe the.”

“Tum nahi janti ki unhe tumhe wapas pakar kitni jyada khushi huyi hai. Acha hua ki, tumhari ye baat un ne nahi suni. Warna tumhari is baat ko sunkar unhe bahut takleef pahcuhi hoti.”

“Tumhe lagta hai ki, tumhare ghar wale tumhe yaad nahi karte hai ya unhe tumhari koi parvah nahi hai to, mai tumhari is galatfahmi ko abhi ke abhi door kar deti hu.”

Ye kahte huye vaani didi apne mobile se call lagane lagi. Un ne ek number lagaya aur mobile ko speaker par kar diya. Dusri taraf se aakash uncle ne call uthte hi kaha.

Akash uncle bole “hello, vaani beta, kaisi ho. Neha kaisi hai. Wo thik to hai na. Use waha koi takleef to nahi hai. Wo mumbai kab wapas aa rahi hai. Wo hum logon ko yaad karti hai na.”

Akash uncle ne vaani didi ko kuch bolne ka mauka diye bina, ek hi saans me un se dher saare sawal kar daale the. Unki is harkat par vaani didi ne hanste huye kaha.

Vaani didi boli “are uncle, mujhe bhi to kuch bolne ka mauka dijiye. Aapne to ek hi saans me itne saare sawal kar daale hai. Maine kal hi to aapko neha ka saara haal chal diya tha na.”

Vaani didi ki is baat ke jabab me akash uncle ne thoda bhavuk hote huye kaha.

Akash uncle bole “sorry beta, wo tumhara call aaya to, mai khushi ke maare sab kuch bhool gaya. Mai 15 saal apni is beti ko dekhne ke liye tarsa hu. Isliye ab wo mili hai to, us se door raha nahi ja raha hai.”

“Tum batao na, waha sab thik hua ya nahi hua. Neha ko aur waha kitna samay lagna hai. Wo mumbai kab wapas aa rahi hai. Use dekhne ke liye mera bahut man kar raha hai.”

Akash uncle ki ye baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “uncle, maine yahi batane ke liye aapko call kiya hai. Yaha sab thik ho gaya hai. Neha bilkul thik hai aur is Saturday ko punnu logon ke sath mumbai wapas aa rahi hai.”

Vaani didi ki is baat par akash uncle ne khush hote huye kaha.

Akash uncle bole “ye to tumne bahut hi achi khabar sunayi hai. Magar mujhe to ye Saturday bhi bahut door samajh me aa raha hai. Mai aaj se hi neha ke aane ki taiyari me lag jata hu.”

Akash uncle ki is baat par vaani didi ne chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “uncle mai samjhi nahi, aap kis taiyari ki baat kar rahe hai. Neha to abhi kuch samay dushyant mausa ji ke sath hi rahegi na.”

Akash uncle bole “haan vaani beta, ye to mujhe bhi malum hai. Meri nidhi se is baare me baat huyi thi. Nidhi ne mujhse kaha hai ki, priya ke exam ke bad hi, hum use neha ke uski bahan hone ki baat batayege.”

Vaani didi boli “to fir aap neha ke aane ki kis taiyari ki baat kar rahe hai.”

Akash uncle bole “wo kal jab punit log ghar wapas ja rahe the to, us samay mai ghar par nahi tha. Mai unse milne ke liye office se sidhe airport pahucha tha. Lekin tab tak unki flight chhut chuki thi.”

“Mai jab waha pahucha to, mujhe priya log airport ke bahar mili thi. Un ne mujhe bataya ki, punit logon ki flight chhut chuki hai. Iske bad wo log ghar ke liye nikal gayi aur mai barkha se neha ke baare me baat karne laga.”

“Tab maine barkha se neha ka ghar dekhne ki ichha jahir ki thi aur usne kal mujhe wo ghar dikhaya, jisme abhi neha rahti hai. Neha ka wo ghar dekh kar meri aankhon me aansu aa gaye.”

“Meri jis phool jaisi beti ko makhmal me palna tha. Usne apne maa bap se door rah kar na jaane abhi tak kitni takleefe sahi hai. Lekin ab mai apni beti ko koi bhi takleef nahi sakne duga.”

“Wo bhale abhi dushyant ke sath rahe. Lekin ab use kisi bhi sukh suvidha ke liye tarasna nahi padega. Mai uski har khushi puri karuga aur ab use kisi baat ki takleef nahi hone duga.”

“Mera dil apni beti ko seene se lagane ke liye tadap raha hai. Wo abhi mujhe mili bhi thi to, mai use jee bhar ke apne seene se laga bhi nahi paya tha. Lekin ab jab wo milegi to, mai use jee bhar ke apne seene se lagana chahta hu.”

Ye kahte kahte akash uncle ki aankhen chhalak aayi. Unki baton ne hum sabki aankhon me bhi nami paida kar di thi. Akash uncle ki in baton ko sunkar neha bhi apne aansu chhalakne se rok nahi payi thi.

Akash uncle ki baton me neha ke liye chhupe dard ne kuch pal ke liye hum sabko bhavuk karke rakh diya tha. Fir vaani didi ne is mahaul ko halka banane ki koshish karte huye uncle se kaha.

Vaani didi boli “uncle, apne aapko sambhaliye. Ye neha ki khushkismati hai ki, use aap jaise pyar karne wale pita mile hai. Aapke rahte neha ko kabhi koi dukh ki parchhai chhu bhi nahi sakti hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, akash uncle ne khud ko sambhalte huye kaha.

Akash uncle bole “haan beta, mai bhi yahi chahta hu ki, meri betiyan hamesha khush rahe. Maine aaj hi priya ke liye ek nayi car kharidi hai. Kuch hi din bad neha bhi ghar aa jayegi.”

“Fir dono bahne usi car me sath sath ghooma karegi. Un dono ka school bhi ek hi hai. Dono usi car me apne school bhi jaya karegi. Mai apni betiyon ko kabhi kisi baat ki koi kami nahi hone duga.”

Akash uncle ki ye baat sunkar, hum sabke chehre par muskurahat aa gayi. Wo abhi office se ghar ke liye nikalne wale the. Isliye vaani didi ne unse thodi bahut baat karne ke bad call rakh diya.

Hume laga tha ki, vaani didi ab neha ko kuch samjhayegi. Lekin un ne fir se ek number laga kar mobile ko speaker par kar diya.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 240}
____________________________

Akash uncle ki baton me neha ke liye chhupe dard ne kuch pal ke liye hum sabko bhavuk karke rakh diya tha. Fir vaani didi ne is mahaul ko halka banane ki koshish karte huye uncle se kaha.

Vaani didi boli “uncle, apne aapko sambhaliye. Ye neha ki khushkismati hai ki, use aap jaise pyar karne wale pita mile hai. Aapke rahte neha ko kabhi koi dukh ki parchhai chhu bhi nahi sakti hai.”

Vaani didi ki baat sunkar, akash uncle ne khud ko sambhalte huye kaha.

Akash uncle bole “haan beta, mai bhi yahi chahta hu ki, meri betiyan hamesha khush rahe. Maine aaj hi priya ke liye ek nayi car kharidi hai. Kuch hi din bad neha bhi ghar aa jayegi.”

“Fir dono bahne usi car me sath sath ghooma karegi. Un dono ka school bhi ek hi hai. Dono usi car me apne school bhi jaya karegi. Mai apni betiyon ko kabhi kisi baat ki koi kami nahi hone duga.”

Akash uncle ki ye baat sunkar, hum sabke chehre par muskurahat aa gayi. Wo abhi office se ghar ke liye nikalne wale the. Isliye vaani didi ne unse thodi bahut baat karne ke bad call rakh diya.

Hume laga tha ki, vaani didi ab neha ko kuch samjhayegi. Lekin un ne fir se ek number laga kar mobile ko speaker par kar diya. Dusri taraf se riya ne call uthte hi kaha.

Riya boli “hello didi, kaisi hai aap.”

Vaani didi boli “mai achi hu. Tum sunao, tum kaisi ho.”

Riya boli “mai bhi achi hu didi. Lekin ami nimi ke yaha se chale jaane ki vajah aaj bahut khali khali sa lag raha hai. Hum logon ko unki pyari pyari baten sunne ki aadat si ho gayi hai.”

Riya ki ye baat sunne ke bad maine ami nimi ki taraf dekha to, riya ki ye baat sunte hi, nimi ke chehre par muskurahat khil uthi. Wahi ami bhi kaan laga kar bade dhyan se riya ki baat sunne me lagi huyi thi.

Lekin shayad vaani didi ami nimi ko kuch aur hi baat sunana chahti thi. Isliye un ne riya ki is baat ko sunne ke bad, us se ami nimi ki harkat ki burayi karte huye kaha.

Vaani didi boli “mere samne to un dono shaitano ka naam bhi mat lo. Waha par priya bimar thi aur wo dono pure samay mumbai hi ghumne me lagi huyi thi.”

Vaani didi ki is baat ko sunne ke bad, riya ne ami nimi ka bachav karte huye un se kaha.

Riya boli “aisi baat nahi hai didi. Pirya ko to khud is baat afsos ho raha hai ki, ami nimi pahli baar mumbai aayi thi aur wo apni tabiyat ki vajah se na to unhe mumbai ghuma payi aur na hi unke sath jyada samay bita payi.”

“Abhi jab use pata nahi hai ki, ami nimi uski bahan hai to, use is baat ka itna jyada afsos ho raha hai. Yadi use is baat ka pata chal jaye ki, ami nimi uski bahan hai to, aap khud hi sochiye ki, use is baat ka kitna afsos hoga.”

Vaani didi boli “haan, ye baat to hai. Priya ami nimi ko bahut jyada pasand karti hai. Mujhse bhi usne jataya tha ki, agli baar jab punnu mumbai aaye to, mai uske sath ami nimi ko bhi jarur bheju.”

“Isliye maine Sunday ko hetal ki hone wali surgery ke liye punnu ke sath sath ami nimi ko bhi mumbai jaane ki ijajat de di hai. Priya se kahna ki ab dil khol kar ami nimi se mil le.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, riya ne khush hote huye kaha.

Riya boli “kya ye sach hai didi. Ami nimi kab mumbai aa rahi hai.”

Vaani didi boli “haan ye bilkul sach hai. Punnu aur ami nimi Saturday ko mumbai pahuch rahe hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, riya ne kuch sochte huye dhire se kaha.

Riya boli “didi, ek baat puchhu.”

Vaani didi boli “haan, puchho.”

Riya boli “didi, wo neha kab mumbai wapas aa rahi hai.”

Riya ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “kyo, kya neha ki bahut yaad aa rahi hai.”

Riya boli “haan didi, jab se mujhe pata chala hai ki, neha meri chhoti bahan hai. Tab se mera man uske sath samay bitane ko kar raha hai. Lekin use to humari koi fikar hi nahi hai. Wo to aaram se waha jakar baithi huyi hai.”

Riya ki ye baat sunkar vaani didi ne hanste huye kaha.

Vaani didi boli “aisi baat nahi hai. Neha ko dushyant mausa ji ne bade pyar se pala hai aur aaj jab unke upar musibat aayi to, neha ka bhi unke liye kuch farz banta tha. Neha apne usi farz ko nibhane ke liye yaha padi huyi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, riya ne bhi garv mehsus karte huye kaha.

Riya boli “haan didi, mujhe bhi neha ki ye baat bahut achi lagi ki, usne dushyant mausa ji ki vajah se itne saal tak apne parivar se door rah kar na jaane kitni musibaten jheli hai.”

“Iske bad bhi usne dushyant mausa ji se kisi baat ki koi shikayat nahi ki aur aaj bhi unki apne pita ki tarah hi ijjat karti hai. Mujhe apni chhoti bahan ki is baat par bahut naz hai aur mera dil use gale lagan eke liye karta hai.”

Riya ki is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “tum bahut jaldi hi apni bahan ko apne gale se laga paogi. Kyoki Saturday ko punnu logon ke sath neha bhi mumbai aa rahi hai.”

Vaani didi ki is baat par riya ne chahakte huye kaha.

Riya boli “kya sach didi. Kya waha sab kuch thik ho gaya hai.”

Vaani didi boli “haan, ye sach hai. Yaha sab kuch thik ho gaya hai. Maine yahi baat tumko aur aunty ko batane ke liye call kiya hai.”

Riya boli “didi, ek min rukiye. Mai abhi mummy ko call deti hu. Aap khud hi ye baat unko bata dijiye.”

Is baat ke bad riya ki aawaj aana band ho gayi. Wo shayad phone lekar padmini aunty ke pas ja rahi thi. Kuch der bad hume phone par padmini aunty ki aawaj sunayi di.

Padmini aunty boli “haan vaani bolo, ye riya bol rahi hai ki, tum mujhe koi khushkabri sunana chahti ho.”

Vaani didi boli “ji aunty, maine aapko ek khushkhbari sunane ke liye hi call kiya hai. Khushkhabri ye hai ki, yaha sab thik ho gaya hai aur neha Saturday ko mumbai wapas aa rahi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar padmini aunty ne bahut jyada khushi jahir karte huye kaha.

Padmini aunty boli “vaani, ye to tumne sach me bahut badi khushi ki khabar sunayi hai. Meri bachchi apne ghar wapas aa rahi hai.”

Lekin padmini aunty is se aage kuch bhi na bol payi aur unki aankhon ne chhalakna suru kar diya. Riya unke pas hi khadi thi to, wo unhe sambhalne ki koshish karne lagi.

Riya ki baton se hum logon ko bhi waha ke is samay ke mahol ka aehsas ho raha tha. Apni mummy ki aisi halat dekh kar neha ki aankhen bhi puri tarah aansuon se bheeg chuki thi.

Kuch der tak vaani didi phone par hello hello kahti rahi. Fir kuch der bad unhe wapas padmini aunty ki aansu bhari aawaj sunayi di to, un ne padmini aunty ko samjhate huye kaha.

Vaani didi boli “kya aunty, maine to aapko khushkhabri sunane ke liye call lagaya tha. Lekin aapne to khud bhi rona suru kar diya aur yaha neha ko bhi rula kar rakh diya hai.”

Neha ka naam sunte hi, padmini anuty ne khud ko sambhalte huye kaha.

Padmini aunty boli “kya neha tumhare pas hai. Kaisi hai meri bachchi.”

Ye kahte huye ek baar fir hume padmini aunty ke aansu bahne ka aehsas hone laga tha. Padmini aunty ki ye halat dekh kar, unko shant karwane ke liye vaani didi ne neha ko call pakda diya.

Lekin yaha neha ki halat bhi bahut kuch padmini anuty ki tarah hi thi. Uski aankhen bhi puri tarah se aansuon se bheegi huyi thi. Wo vaani didi se phone lene ke bad phone par sirf itna hi kah payi.

Neha boli “mummy….”

Neha ke muh se mummy sunkar, use bilkahte dekh kar padmini aunty ne khud ko sambhalte huye kaha.

Padmini aunty “meri bachchi, kaisi hai tu. Tere muh se is ek shabd ko sunne ke liye mere kaan kab se taras rahe the.”

Neha boli “mummy…”

Lekin neha iske aage fir se kuch nahi bol payi aur uski aankhon se barsat hone lagi. Kuch der tak neha mummy mummy kah kar roti rahi aur padmini aunty use sambhalti rahi.

Fir vaani didi ne neha ko shant karaya aur padmini aunty ko neha ke mumbai wapas aane ki baat bata kar call rakh diya. Lekin neha ke aansu abhi bhi thamne ka naam nahi le rahe the. Ye dekh kar vaani didi ne us se kaha.

Vaani didi boli “tumne apne mummy papa aur bahan ki halat to apni aankhon se dekh hi li hai. Iske bad bhi yadi tum chaho to, mai tumhe tumhare dada ji aur bhai ki bhi aisi hi halat dikha sakti hu.”

Lekin neha ne vaani didi ko aisa karne se rokte huye kaha.

Neha boli “nahi didi, mujhe ab kisi ki bhi halat nahi dekhni hai. Mere andar unke dard ka samna karne ki takat hi nahi hai. Mai apne parivar walon ko bahut galat samjhi thi. Lekin ab mujhe apni is galti ka ache se aehsas ho gaya hai.”

Itna kahne ke bad, neha ne ek baar fir se aansu bahana suru kar diya. Vaani didi ne pyar se neha ko apne gale se laga liya aur use chup karate huye is baare me samjhane lagi.

Abhi vaani didi neha ko is baare me samjha hi rahi thi ki, tabhi chanda mausi ne sabko niche aane ke liye aawaj laga di. Wo sabko khana khane ke liye niche aane ko kah rahi thi.

Chanda mausi ki aawaj sunkar, vaani didi ne sabse niche chalne ko kaha aur khud muh hath dhone apne kamre me chali gayi. Vaani didi ke jaane ke bad, keerti ko chhod kar baki sab niche chale gaye.

Mujhe laga tha ki, keerti shayad mujhse valentines day ke gift ke baare me baat karne ke liye ruk gayi hai. Lekin keerti ne mujhse neha ke baare me baat karte huye kaha.

Keerti boli “neha ko dushyant mausa ji ki galti ki vajah se kitni takleef uthana pad rahi hai na.”

Mujhe bhi keerti ki ye baat bilkul sahi lagi. Isliye maine uski is baat ka samarthan karte huye kaha.

Mai bola “haan, tu bilkul thik kah rahi hai. Ek taraf priya ke liye car aa rahi hai to, dusri taraf neha ko laptop aur scooty jaisi chhoti chhoti chijon ke liye bhi tarasna pad raha hai.”

Keerti boli “chalo koi baat nahi. Use thodi din ki pareshani aur jhelna hai. Iske bad wo bhi apne ghar walon ke sath khushi khushi rah sakegi. Waise ek baat to hai ki, neha bhi apni bahan riya ki tarah bahut sundar aur sexy hai.”

Mai bola “haan, teri ye baat bilkul sahi hai. Neha par bilkul riya ki hi chhap padi hai aur wo riya jitni hi sundar hai.”

Keerti boli “nahi, neha riya se bhi jyada sundar aur sexy dikhti hai. Neha ki neeli aankhen use riya se bhi jyada sundar aur sexy banati hai.”

Keerti ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “haan, haan, neha riya se bhi jyada sundar aur saxy hai. Ab khush ya abhi aur jyada neha ki tarif karu.”

Meri baat sunkar keerti khilkhila kar hasne lagi. Tabhi mujhe neha ki neeli aankhon ke upar se anu mausi ki baat yaad aa gayi aur maine is baat ka keerti se jikar karte huye kaha.

Mai bola “neha ki neeli aankhon ke upar se abhi abhi mujhe anu mausi ki kahi ek baat yaad aayi. Shayad tujhe is baat ke baare me pata nahi hai.”

Meri baat sunkar, keerti hairani se meri taraf sawaliya najro se dekhne lagi. Maine apni is baat aage badate huye kaha.

Mai bola “jis din tu chhoti maa ke sath priya ko dekhne mumbai gayi thi. Us din anu mausi ne baton baton me mujhe aur mehul ko bataya tha ki, ek accident me chhoti maa ki aankhon ki roshni chali gayi thi. Tab meri mummy ne unhe apni aankhe dekar, unki andheri jindgi ko fir se roshan banaya tha.”

Keerti hairani se meri is baat ko sun rahi thi. Is se pahle ki wo mujhse is baare me koi sawal kar pati. Usi samay fir se chanda mausi ne use aawaj laga di aur wo mujhse is baare me bad me baat karne ki baat kah kar niche chali gayi.

Keerti ke jaane ke bad, maine priya wala mobile nikala aur usme naya sim card dalne ke bad priya ko call laga diya. Lekin mere do teen baar call lagane ke bad bhi priya ne mera call nahi uthaya.

Wo shayad anjan number dekh kar mera call nahi utha rahi thi. Ye baat dimag me aate hi, mai use apne wale mobile se call lagane ko hua. Usi samay vaani didi niche jati huyi dikhayi di.

Wo shayad jab hum log laptop dekh rahe the. Us samay apne kamre me gayi thi aur ab niche khana khane ja rahi thi. Un ne mujhe kamre me baithe dekha to, wo niche na jakar mere pas aa gayi aur mujhse puchha.

Vaani didi boli “kya hua.? Tum abhi tak yahi kyo baithe huye ho. Kya tum niche khana khane nahi chal rahe ho.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mai thoda saham gaya. Kyoki unki aadat kisi bhi baat ki jad tak pahuchne ki thi. Isliye maine badi sawdhani se unki is baat ka jabab dete huye kaha.

Mai bola “didi, mai to raat ka khana roj apne kamre me hi khata hu.”

Meri is baat par vaani didi ne thoda chaukte huye kaha.

Vaani didi boli “lekin, maine to tumhe hamesha raat ka khana sabke sath hi khate dekha hai.”

Mai bola “wo didi, aapki vajah se mai kuch din se sabke sath khana kha raha tha. Warna mai raat ka khana apne kamre me hi khata hu. Abhi kuch hi der me mera khana upar aa jayega.”

Abhi mai itna hi bol paya tha ki, tabhi keerti mera khana lekar aa gayi. Vaani didi ne ye sab dekha to, thoda gusse me mujhse puchha.

Vaani didi boli “ye sab kya chal raha hai. Tumhe niche sabke sath baith kar khana khane me pareshani kya hai.”

Vaani didi ki is baat ka mere pas koi jabab nahi tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, ab mai unhe kya jabab du. Wahi jab keerti ne vaani didi ko mujh par gussa karte dekha to, usne mera khana table par rakhte huye vaani didi se kaha.

Keerti boli “didi, aap is se ye sab baten bad me pata kar lena. Abhi aapko apni flight bhi pakadna hai. Isliye aap pahle niche chal kar khana kha lijiye. Warna aapko flight pakadne me der ho jayegi.”

Keerti ki baat sunkar, vaani didi ne gusse me meri taraf dekhte huye kaha.

Vaani didi boli “mai tumse is baare me khan eke bad baat karti hu.”

Itna kak kar vaani didi niche chali gayi. Aaj yadi keerti mere pas na hoti aur yadi aaj vaani didi ko apni flight na pakadni hoti to, aaj is baat ko lekar meri shamat aana pakki thi.

Meri samajh me nahi aa raha tha ki, ab mai vaani didi ko apne niche khana na khane ki kya vajah batau. Mai abhi isi uljhan me uljha hua tha ki, tabhi keerti ne mujhe tokte huye kaha.

Keerti boli “abhi to maine vaani didi ko tumse ye baat puchhne se rok liya hai. Lekin wo dobara tumse is baare me sawal jabab jarur karegi.”

Mai bola “haan, ye to mai bhi janta hu. Lekin ab meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, mai unhe is baat par apni kya safayi du.”

Keerti boli “meri maano to, tum unhe sab kuch sach sach bata do. Wo tumhare baare me tumse jyada hi janti hai. Wo is baare me job hi faisla legi, tumhari bhalai ke liye hi hoga. Isliye unse kuch mat chhupao.”

Itna kah kar keerti khana khane ke liye niche chali gayi. Lekin uski is baat ne mujhe soch me daal diya tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai vaani didi se is baat ko kaise kahu.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 241}
____________________________

Vaani didi boli “mai tumse is baare me khane ke bad baat karti hu.”

Itna kak kar vaani didi niche chali gayi. Aaj yadi keerti mere pas na hoti aur yadi aaj vaani didi ko apni flight na pakadni hoti to, aaj is baat ko lekar meri shamat aana pakki thi.

Meri samajh me nahi aa raha tha ki, ab mai vaani didi ko apne niche khana na khane ki kya vajah batau. Mai abhi isi uljhan me uljha hua tha ki, tabhi keerti ne mujhe tokte huye kaha.

Keerti boli “abhi to maine vaani didi ko tumse ye baat puchhne se rok liya hai. Lekin wo dobara tumse is baare me sawal jabab jarur karegi.”

Mai bola “haan, ye to mai bhi janta hu. Lekin ab meri samajh me ye nahi aa raha hai ki, mai unhe is baat par apni kya safayi du.”

Keerti boli “meri maano to, tum unhe sab kuch sach sach bata do. Wo tumhare baare me tumse jyada hi janti hai. Wo is baare me job hi faisla legi, tumhari bhalai ke liye hi hoga. Isliye unse kuch mat chhupao.”

Itna kah kar keerti khana khane ke liye niche chali gayi. Lekin uski is baat ne mujhe soch me daal diya tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai vaani didi se is baat ko kaise kahu.

Mujhe keerti ki vaani didi ko sab kuch sach sach bata dene wali baat sahi lag rahi thi aur mai vaani didi ko sab batana bhi chahta tha. Lekin ye baat aisi bhi nahi thi ki, mai bejijhak vaani didi se sab kuch kah saku.

Mai vaani didi ke aane ke pahle apne dusre mobile se priya ko call lagane wala tha. Lekin vaani didi se baat hone ke bad, priya ko call lagane wali baat mere dimag se nikal hi gayi thi.

Mai vaani didi se huyi baton me hi ulajh kar rah gaya tha. Mai abhi inhi baton me uljha hua tha ki, tabhi mera mobile bajne laga. Maine mobile dekha to, barkha didi ka call aa raha tha.

Barkha didi ka call aate dekh kar mujhe priya ko bhi call karne wali baat yaad aa gayi thi. Lekin maine priya ko khana khane ke bad call karne ki baat sochi aur bluetooth headphone laga kar barkha didi se baat karne laga.

Mai barkha didi se baat karte huye khana bhi khata ja raha tha. Unhe mere aur ami nimi ke mumbai aane wali ka baat ka pata to kal hi chal chuka tha. Lekin abhi unhe mere Durgapur jaane wali baat ka pata nahi tha.

Isliye mai unhe apne juhi didi ki shadi me Durgapur jaane ki baat ke baare me batane laga. Meri baat sunne ke bad barkha didi ne kaha.

Barkha didi boli “iska matlab hai ki kal meri tumse khane ke samay par baat nahi ho sakegi.”

Mai bola “didi, sirf kal hi nahi. Ab meri aapse do teen din tak khane ke samay par baat nahi ho sakegi. Kyoki juhi didi ki shadi parso Wednesday ki hai. Hum log unki shadi me shamil hone ke liye kal sham ko yaha se niklege.”

“Iske bad parso hum unki shadi me shamil honge aur fir uske agle din unki vidai ke bad hi sham ko kisi samay hum logon ki ghar wapsi ho sakegi. Isliye ab meri aap se Thursday ke pahle khane ke samay par baat nahi ho payegi.”

Meri baat sunkar, barkha didi ne muskurate huye kaha.

Barkha didi boli “koi baat nahi. Tum khushi khushi shamil hone jao. Hum log uske bad baat kar lege.”

Iske bad meri barkha didi se kafi der tak isi baare me baat chalti rahi. Inhi baton ke chalte mera aur unka khana khana bhi ho chuka tha. Mai hath dhone ke bad fir se unse baat karne laga.

Humara khana khana to ho chuka tha. Lekin abhi bhi humari baten chal hi rahi thi. Ab barkha didi mujhe waha ke logon ka haal chaal de rahi thi. Mai barkha didi se baat karne me laga hua tha, tabhi keerti aa gayi.

Usne mujhe abhi bhi baton me lage dekha to, khamoshi se khane ke bartan uthaye aur wapas niche chali gayi. Lekin kuch hi der bad wo fir se wapas aa gayi aur mere pas aakar baith gayi.

Kuch der tak to wo mere pas baithi kamoshi se mujhe barkha didi se baat karte dekhti rahi. Lekin kuch der bad usne mere sath shararat karke mujhe pareshan karna suru kar diya.

Kabhi wo mujhe gudgudi laga kar pareshan kar rahi thi to, kabhi mere kaan me lage bluetooth headphone ke sath chhed chhad karne lagti thi. Uske aisa karne se mujhe barkha didi se baat karne me pareshani ho rahi thi.

Usi samay barkha didi se nisha bhabhi ne phone le liya aur mai nisha bhabhi se baat karne laga. Maine keerti ko shararat karne se mana kiya. Lekin wo apni aadat se baaj nahi aa rahi thi aur abhi bhi mujhe pareshan karne me lagi huyi thi.

Aakhir me us se pareshan hokar, mai uske pas se uth kar, uske samne bed ke dusri taraf aakar baith gaya. Mujhe apne pas se uth kar door jakar baithte dekh kar keerti bhi uth kar mere pas aane lagi.

Lekin maine use gusse me aankh dikhate huye use wahi baithe rahne ka ishara kiya. Mujhe is tarah se gussa karte dekh kar, wo muskurati huyi wahi baith kar meri baten sunne lagi.

Ab hum dono ek dusre ke samne pair faila kar baithe huye the. Meri peeth darwaje ki taraf thi. Lekin keeti ke chehra darwaje ki taraf tha aur wo bahar najar rakhte huye abhi bhi mere sath shararat karne me lagi huyi thi.

Mai ek taraf keerti ki in shararat ka aanand le raha tha aur dusri taraf nisha bhabhi se baat karne me laga hua tha. Aise hi baton baton me mai nisha bhabhi ko pritam aur vaani didi ke bich huyi baton ke baare me batane laga.

Mujhe nisha bhabhi se is baare me baat karte dekh kar keerti bhi meri baat ko gaur se sunne lagi. Nisha bhabhi bhi bade gaur se meri baten sunne me lagi huyi thi. Meri baat puri hote hi nisha bhabhi ne kaha.

Nisha bhabhi boli “iska matlab to yahi hua ki, ab pritam fir se police inspector ban jayega.”

Mai bola “ji bhabhi, vaani didi aur pritam ki aaj ki baton se to mujhe yahi lag raha hai ki, pritam ko jaldi hi uski inspector ki post wapas mil jayegi.”

Meri ye baat sunkar, nisha bhabhi ne vaani didi ki tarif karte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “kuch bhi kaho, lekin tumhari ye bahan kamal ki hai. Usne koyal aur payal se jo vada kiya tha. Use pura karke dikha diya.”

Nisha bhabhi ke muh se vaani didi ki tarif sunkar, maine bhi khush hote huye kaha.

Mai bola “ji bhabhi, meri vaani didi jaisa koi bhi nahi hai. Wo jo kahti hai, karke bhi dikha deti hai. Unse paar pana kisi ke bas ki baat nahi hai.”

Nisha bhabhi boli “haan, tumhari ye baat bilkul sahi hai. Maine aaj tak vaani jaisa diler, janbanj aur dimag ka tej kisi ko nahi dekha hai. Aadhe mujrim to uska naam sunkar hi bhag jate hai aur aadhe mujrimo ko wo maar girati hai.”

Nisha bhabhi ki is baat ko sunkar, maine unse kaha.

Mai bola “bhabhi, aap to sirf mujrimo ki baat kar rahi ho. Humare yaha hum logon ki to ye halat hai ki, hum se koi vaani didi ke samne muh kholne tak ki himmat nahi kar pata hai.”

“Sabko bas is baat ka hi dar laga rahta hai ki, pata nahi kab vaani didi ke gusse ki gaaj us par gir jayegi. Hum logon ko to unke samne kuch bolne ke pahle bhi sau baar sochna padta hai.”

Meri ye baat sunkar, keerti mujhe aankh dikhane lagi. Wahi meri ye baat sunne ke bad nisha bhabhi ne hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “ye sirf tumhare waha ki halat nahi hai. Humare yaha bhi sab vaani se bach kar rahna hi pasand karte hai. Uske samne to humari seeru bhi apna shaitani dimag chalane se katrati hai.”

Nisha bhabhi ki ye baat sunkar, maine bhi unki haan me haan milate huye kaha.

Mai bola “haan bhabhi, aapki ye baat bilkul sahi hai. Vaani didi ke samne kisi ki ek nahi chalti hai. Wo puri hitler hai. Mehul aur ami nmi to unki peeth pichhe unhe hitler didi kah kar hi bulate hai.”

Meri baat sunkar, nisha bhabhi khilkhilakar hasne lagi. Lekin meri is baat ko sunkar, keerti mujhe apni aankhne badi karke dekhne lagi. Shayad use mera vaani didi ki burayi karna pasand nahi aa raha tha.

Lekin mujhe nisha bhabhi se vaani didi ke baare me baten karke bahut acha lag raha tha. Isliye mai keerti ke is tarah aankhne badi karke dekhne ki koi parvah nahi kar raha tha aur apni baton me mast tha.

Udhar shayad nisha bhabhi ko bhi meri in baton me maja aa raha tha. Isliye un ne meri is baat ko aage badate huye kaha.

Nisha bhabhi boli “acha to, mehul aur ami nimi vaani ko hitler didi kahte hai. Lekin tum aur keerti vaani ko kya kahte ho.”

Mai bola “bhabhi, keerti ka to aap is baare me naam hi mat lo. Keerti vaani didi ki sabse jyada ladli hai aur vaani didi keerti ki sabse pyari didi hai. Keerti se to vaani didi ki koi bhi burayi sahan hi nahi hoti hai.”

“Abhi bhi wo mere pas hi baithi huyi hai aur mujhe vaani didi ki burayi karte dekh kar, mujhe kha jaane wali najro se ghoor rahi hai. Uska bas chale to, is baat ke liye mujhe kachcha hi kha jaye.”

Meri baat sunkar keerti ne mujhe aankh dikhate huye, apni gardan par hath rakh kar gardan kat jaane ka ishara kiya. Lekin mai samajh nahi paya ki, wo ye ishara kyo kar rahi hai.

Mujhe laga ki, wo mujhe dhamki de rahi hai. Isliye uski is harkat par mai muskura kar rah gaya. Wahi nisha bhabhi ne bhi meri is baat sunne ke bad hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “tab to tum keerti se bach kar hi rahna. Kahin aisa na ho ki, wo ye sab baten vaani ko bata de aur fir tumhari shamat aa jaye.”

Nisha bhabhi ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “nahi bhabhi, mujhe keerti se is baat ki jara bhi ummid nahi hai. Wo to ulta mujhe vaani didi ke gusse se bacha leti hai. Yadi keerti na hoti to, pata nahi vaani didi abhi tak kitni baar mere kaan ke niche baja chuki hoti.”

Meri ye baat sunkar, keerti ne apna sar peette huye apne hath se pahle meri taraf aur fir khud ki taraf ishara kiya. Mujhe uske is ishare ka thoda bahut matlab samajh me aa gaya tha.

Wo shayad mujhse ishare me kah rahi thi ki, tum khud bhi dubo aur apne sath mujhe bhi duba do. Uske is ishare ka matlab samajh me aate hi, mere chehre par muskurahat aa gayi.

Wahi nisha bhabhi bhi meri is baat ko sunne ke bad hanse bina na rah saki. Lekin un ne fir se apni pahle ki hi baat ko kuredte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “tumne ami nimi aur mehul ki pol to khol di ki, wo vaani ki peeth pichhe use kya kahte hai. Lekin jab is baare me khud ki baat batane ki baari aayi to, ab tum keerti ki aad lekar bachna chahte ho.”

Mai bola “nahi bhabhi, aisi koi baat nahi hai. Bhale hi vaani didi kitna bhi mere kaan ke niche baja le aur mai unse kitna bhi pareshan kyo na ho jau. Lekin mai kabhi vaani didi ke liye kabhi kisi galat shabd ka istemal nahi karta hu.”

Meri ye baat sunkar, nisha bhabhi ne meri is baat ko kaatte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “mere se jyada jhuth bolne ki koshish mat karo. Vaani ne us din hum sabke samne tumhari pol khol kar rakh di thi ki, tum kaise abhi aur vaani ki baat ko lekar keerti se dil khol kar burayi karne me lage huye the.”

Nisha bhabhi ki is baat ko sunkar, mujhe mumbai me vaani didi ki abhi jiju aur unki baat par hansi udane wali baat yaad aa gayi aur maine is baat par apni safayi dete huye kaha.

Mai bola “bhabhi, us din bhi mai vaani didi ki tarif hi kar raha tha. Mai to keerti se bas ye bol raha tha ki, vaani didi ka sab par kitna jyada khauf hai. Yadi wo shikha didi jaisi shant hoti to, kitna acha rahta.”

Meri is baat ko sunkar, nisha bhabhi ne bhi thoda sanjida hote huye kaha.

Nisha bhabhi boli “haan tumhari ye baat to sahi hai. Lekin tum is baat se bhi inkar nahi kar sakte ho ki, vaani tum sabko bahut pyar karti hai.”

Mai bola “bhabhi, isme inkar karne wali koi baat hi nahi hai. Is baat me koi shaq nahi hai ki, vaani didi hum sab se bahut pyar karti hai. Lekin ye baat bhi sach hai ki, wo apne aage kisi ki bhi nahi sunti hai.”

“Jo kuch bhi unke dil me aata hai, bas karti chali jati hai. Kabhi kisi se kisi baat ke liye puchhne ki jarurat hi nahi samajhti hai. Mujhe unki isi baat par bahut jyada chid chhutti hai.”

“Aapne to khud dekha hai ki, un ne apni kitni achi naukri ko laat maar di hai. Mujhe to laga tha ki, unki is baat ka sirf mujhe hi bura laga hai. Lekin aaj ami ki baton se pata chala ki, use bhi vaani didi ki ye baat achi nahi lagi hai.”

“Lekin vaani didi ko humari in sab baton se koi farak nahi padta hai. Wo to aisa jatati hai, jaise kuch hua hi na ho. Ye to acha hai ki, wo mujhse badi hai. Yadi wo mujhse chhoti hoti to, mai unhe is baat ka acha sabak sikhata.”

Meri ye baat sunkar, nisha bhabhi to khilkhila kar hasne lagi. Lekin keerti jo abhi tak mujhe ishara karke mujhse kuch kahne ki koshish kar rahi thi. Usne gusse me pahli baar apna muh kholte huye kaha.

Keerti boli “aaj tum bahut buri tarah se pitoge.”

Keerti ka is tarah se mujh par gussa karne ka matlab mujhe samajh me nahi aaya. Lekin jab maine use mujh par gussa karne ke bad darwaje ki taraf dekhte dekha to, mere dil me vaani didi ka khayal aaya.

Mujhe laga ki, kahi vaani didi to mere pichhe nahi khadi hai. Ye baat dimag me aate hi, mera dil dhakk se ho gaya aur maine apni is baat ki tasalli karne ke liye fauran apne pichhe palat kar dekha.

Lekin pichhe palat kar dekhte hi, mere hosh udh gaye. Vaani didi sham ko jaise darwaje se tik kar ami ki baat sun rahi thi. Bilkul waise hi abhi bhi darwaje se tik kar khadi meri ye baten sunne me lagi huyi thi.

Vaani didi ko apne samne dekhte hi, meri bolti band ho gayi. Ab mujhe keerti ke itni der se ishare karne ka matlab bhi samajh me aa raha tha. Magar maine keerti ke in isharon ko samajhne me bahut der kar di thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 242}
____________________________

Meri ye baat sunkar, nisha bhabhi to khilkhila kar hasne lagi. Lekin keerti jo abhi tak mujhe ishara karke mujhse kuch kahne ki koshish kar rahi thi. Usne gusse me pahli baar apna muh kholte huye kaha.

Keerti boli “aaj tum bahut buri tarah se pitoge.”

Keerti ka is tarah se mujh par gussa karne ka matlab mujhe samajh me nahi aaya. Lekin jab maine use mujh par gussa karne ke bad darwaje ki taraf dekhte dekha to, mere dil me vaani didi ka khayal aaya.

Mujhe laga ki, kahi vaani didi to mere pichhe nahi khadi hai. Ye baat dimag me aate hi, mera dil dhakk se ho gaya aur maine apni is baat ki tasalli karne ke liye fauran apne pichhe palat kar dekha.

Lekin pichhe palat kar dekhte hi, mere hosh udh gaye. Vaani didi sham ko jaise darwaje se tik kar ami ki baat sun rahi thi. Bilkul waise hi abhi bhi darwaje se tik kar khadi meri ye baten sunne me lagi huyi thi.

Vaani didi ko apne samne dekhte hi, meri bolti band ho gayi. Ab mujhe keerti ke itni der se ishare karne ka matlab bhi samajh me aa raha tha. Magar maine keerti ke in isharon ko samajhne me bahut der kar di thi.

Is baat ko sabhi achi tarah se jante the ki, vaani didi ko hansi majak bilkul bhi pasand nahi hai aur yadi koi chhota kisi bade ka majak udaye to, ye baat unhe jara bhi sahan nahi hoti thi.

Shayad vaani didi ke mere pichhe khade hone ki vajah se hi keerti mujhe isharon me aisa karne se rokne ki koshish kar rahi thi. Lekin mai bevkuf uske in isharon ko uski shararat samajhne ki bhool kar baitha tha.

Ab mujhe apni is bhool ka inam bhi milta hua najar aa raha tha. Vaani didi darwaje se tiki mujhe hi gusse me ghoor rahi thi. Unhe gusse me dekh kar meri to halat hi kharab ho gayi.

Vaani didi jab se yaha aayi thi. Tab se mai kisi na kisi ki vajah se unse maar khane se bachta aa raha tha. Lekin ab mujhe lag raha tha ki, aaj mujhe vaani didi se pitne se koi nahi bacha sakta hai.

Magar marta, kya na karta. Maine vaani didi ke gusse se bachne ki garaj se hasrat bhari najar se keerti ki taraf dekha ki, shayad wo hi apni kasam dekar vaani didi ko yaha se chalta kar de.

Meri ye koshish rang layi. Keerti meri halat aur vaani didi ke gusse ko samajh gayi thi. Usne fauran hi mauke ki najakat ko dekhte huye, vaani didi ka dhyan meri taraf se hatane ki garaj se kaha.

Keerti boli “didi, wo aapko….”

Lekin vaani didi ne keerti ko apni ye baat bhi puri nahi karne di aur use aade hathon lete huye kaha.

Vaani didi boli “tu chup karke baith, tujhse to mai bad me niptugi. Pahle mai jara is se kuch baat kar lu.”

Ye kahte huye vaani didi meri taraf badi chali aayi. Mai samajh gaya ki ab kya hone wala hai. Maine bhi vaani didi se maar khane ke liye apni peeth pakki kar li aur vaani didi ke agle sawal ka intejar karne laga.

Ye humari vaani didi ki bahut achi aadat thi. Wo dusro ki piatyi karte samay pahle unhe peetti thi, uske bad hi unse koi sawal karti thi. Lekin vaani didi hum logon ko bahut jyada pyar karti thi.

Isliye wo humse pahle sawal karti thi aur fir apne sawal ka jabab milne par hume dil khol kar apne hathon se inam diya karti thi. Aisa hi kuch abhi bhi mere sath hone wala tha.

Keerti to mujhe bachane me puri tarah se nakamayab rahi. Aise me mujhe mehul ki bahut jyada yaad satane lagi. Yadi mehul hota to, is samay mujhe hone wale aadhe dard ko usne bhi baant liya hota.

Mai abhi apne upar bitne wale pal ke baare me sochne me laga hua tha ki, tabhi vaani didi ne bilkul mere samne aate huye kaha.

Vaani didi boli “kya bol raha tha tu. Tu yadi bada hota to, mujhe kya sabak sikhata.”

Ab mai vaani didi ki is baat ka jabab kaise deta. Mai yadi unse kahta ki, ye baat mai sirf majak me kah raha tha. Tab bhi vaani didi ko mujhe unka majak udane ke upar se peetna hi tha.

Isliye maine is baat me khamosh rahna hi thik samjha. Mujhe apne sawal ka koi jabab dete na dekh kar vaani didi ne fir se apne sawal ko dohrate huye kaha.

Vaani didi boli “mai puchh rahi hu ki, tu mujhse bada hota to, mujhe kya sabak sikhata. Ab jabab kyo nahi de raha hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mere dil me aaya ki, mai unse kah du ki, mera bap to aapse kitna bada hai. Usne bada hokar aaj tak aisa kaun sa teer maar diya hai, jo mai aapko sabak dikhane ki koi baat bhi soch saku.

Lekin ye sirf sochne ki baat thi. Hakikat me to mai sirf vaani didi ka gussa shant hone ka intejar kar raha tha. Lekin mujhe apni baat ka koi jabab dete na dekh kar, vaani didi ne gusse me kheech kar mere gaal par do teen thappad jama diye.

Kahne ko to sirf ye thappad the. Lekin ye thappad itne jordar the ki, in do teen thappad me hi, mera saara badan tharra gaya tha aur mere kaan me laga hua bluetooth headphone keerti ke pas jakar gira tha.

Bluetooth headphone ko dekhte hi, keerti ko vaani didi ka gussa shant karne ka tarika samajh me aa gaya aur usne fauran hi headphone ko utha kar vaani didi ki taraf badate huye kaha.

Keerti boli “didi, aap iski khabar bad me le lena. Abhi phone par nisha bhabhi hai aur ye unse hi baat kar raha tha. Kam se kam ise unko bye kah kar phone to rakh lene dijiye.”

Lekin keerti ki vaani didi ka meri taraf dhyan hatane ki ye koshish bhi bekar hi gayi. Vaani didi ke tevar jara bhi nahi badle the. Un ne keerti ki baat sunne ke bad us se kaha.

Vaani didi boli “nisha se abhi thodi der wait karne ka bolo. Iski khabar lene ke bad mai khud us se sorry bol dugi.”

Vaani didi ki baat sunne ke bad keerti ne bhi majburi me nisha bhabhi ke samne vaani didi ki kahi baat ko dohra diya. Idhar vaani didi ne fir se mere samne apne usi sawal ko dohra diya.

Lekin aaj mai bhi vaani didi ke samne paidaishi goonga ban kar baitha tha. Kyoki mai vaani didi ki aadat ko bahut ache se janta tha. Yadi mai unke is sawal ka jabab de bhi deta, tab bhi unke sawal khatam nahi hona the.

Unko jabab dete dete mere saare jabab khatam ho jana the. Magar unke sawalon ka koi ant nahi hona tha. Wo mere uncle ke sath mumbai jaane se lekar salim ke sath jhagda karne tak ki baat par sawal karna suru kar sakti thi.

Yadi ye baten ek baar fir se khul jati to, in baton ki saza abhi hone wali pitayi se bhi kahi jyada bhayanak honi thi. Kyoki vaani didi in baton ko lekar pahle se hi mujhse khaar khayi huyi thi.

Isliye is samay mujhe vaani didi ke samne apni juban nahi kholne me hi apni bhalayi najar aa rahi thi. Lekin mere koi jabab na dene se vaani didi ka gussa bhi bad raha tha.

Un ne jab dekha ki, mai unke kisi sawal ka koi jabab nahi de raha hu to, un ne gusse me aakar mere baal pakde aur meri peeth par dhamadham mukko ki barsat karna suru kar diya.

Idhar jis samay vaani didi meri peeth par dhamadham mukko ki barsat karne me lagi thi. Thik usi samay sidiyon par se ami nimi aur neha upar chadti huyi chali aa rahi thi.

Vaani didi ko mujhe peette dekh kar neha aur nimi ke kadam to wahi thithak kar rah gaye the. Lekin ami daud laga kar bhagti huyi humare pas aa gayi. Usne fauran vaani didi ko rokte huye kaha.

Ami boli “didi, aap ye kya kar rahi hai. Niche….”

Abhi ami apni baat puri bhi nahi kah payi thi ki, vaani didi ne pichhe palat kar ami ke gaal par ek tamacha jad diya. Ami ki baki ki baat uske muh me hi atak kar rah gayi.

Nimi aur neha bhi sidiyon par se ye najara dekh rahi thi. Nimi ne jaise hi ami ke gaal par tamacha padte dekha, usne apne hath me thami huyi chij neha ko pakdayi aur bijli ki teji se sidiyan chadti huyi apne kamre me bhag gayi.

Lekin neha nimi ki tarah tej nahi thi. Use kuch samajh me nahi aa raha tha ki, ab wo kya kare aur kaha jaye. Kuch pal wo sidiyon par hi khadi sochti rahi. Lekin fir achanak hi usne bhi wapas niche ki daud laga di.

Udhar nimi aur neha pal bhar me hi sidiyon se gayab ho chuki thi aur idhar ami vaani didi ka thappad khane ke bad apne gaal par hath rakhe unke samne khadi huyi thi. Vaani didi ne apna gussa ami par nikalte huye kaha.

Vaani didi boli “bitte bhar ki ladki, mere bich me bolne ki teri himmat kaise huyi. Tum logon ne mujhe samajh kya rakha hai aur ye hitler didi kaun hai.”

Vaani didi ke muh se hitler didi sunte hi ami ko to saanp hi soongh gaya aur uski halat bhi bahut kuch meri jaisi hi ho gayi. Wo fati fati aankhon se vaani didi ko dekh rahi thi.

Lekin ab uske muh se bhi kuch nahi nikal raha tha. Mujhe bachane ke chakkar me wo khud hi vaani didi ke samne fas gayi thi. Vaani didi bahut hi jyada jiddi aur gusse wali thi.

Wo yadi ek baar kisi baat ke pichhe pad jaye to, fir aasani se us baat ka pichha nahi chhodti thi. Ami nimi ka vaani didi ke gusse se kam hi samna hua tha. Lekin vaani didi ka khauf wo log bhi khati thi.

Ami bhale hi, vaani didi ka acha mood hone par ek baar unke samne badtamizi karne ki galti kar chuki thi. Lekin is baat ko wo bhi achi tarah se janti thi ki vaani didi kisi ki badtamizi bardasht nahi karti hai.

Ye vaani didi ka ami ke liye pyar hi tha ki, wo ami ki us samay ki galti ko andekha kar gayi thi. Lekin is baar vaani didi ne ami par jara bhi taras nahi khaya tha aur bich me bolne ke upar se use tamacha jad diya tha.

Vaani didi ka thappad khane ke bad, ami ki aankhon se aansu bahne lage the. Lekin vaani didi ko us chhoti si bachchi ki is halat par jara bhi taras nahi aaya aur un ne uske samne apne sawal ko dohrate huye kaha.

Vaani didi boli “meri baat ka jabab kyo nahi deti. Maine tujhse puchha hai na ki, ye hitler didi kaun hai.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, ami ne aur bhi jyada jor se rona suru kar diya. Lekin ami ka ye rona bhi uske kaam nahi aaya. Use rote dekh kar vaani didi ne use dhamkate huye kaha.

Vaani didi boli “yadi tujhe nahi batana hai to, tu nimi ko bula kar la. Mai us se hi puchh leti hu ki, ye hitler didi kaun hai.”

Vaani didi ke muh se nimi ka naam sunte hi, mai samajh gaya tha ki, ab ami vaani didi ke samne sab kuch sach sach bak degi. Kyoki wo to khud nimi ki dhal thi. Wo bhala nimi ko vaani didi ke samne kaise fasa sakti thi.

Lekin is baat se abhi ami bhi anjan thi ki, vaani didi ne bhale hi uske upar hath utha diya ho. Magar wo kisi bhi halat me nimi ke upar hath nahi uthayegi. Wo nimi se bahut jyada laad karti hai.

Nimi ka naam vaani didi ne sirf ami ko darane ke liye liya tha. Ye baat ami ki samajh me nahi aayi thi. Isliye usne nimi ko bulane ki baat sunte hi, fauran apna muh kholte huye kaha.

Ami boli “sorry didi, wo hum sirf majak me kahte the.”

Vaani didi boli “maine tumse ye nahi puchha ki, tum ye kaise kahte the. Maine ye puchha ki, tum ye kise kahte ho.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, ami se kuch kahte nahi bana. Lekin jab vaani didi ne dobara us se yahi sawal kiya to, usne sirf itna kaha.

Ami boli “aapko….”

Ami ki baat sunkar, vaani didi ne kuch pal ami ko dekha aur fir us se puchha.

Vaani didi boli “tum logon se kisne kaha ki, mai hitler hu.”

Vaani didi ka ye sawal sunte hi keerti ne dhire se budbudaya.

Keerti boli “ek wicket aur gira.”

Mai keerti ki is baat ka matlab samajh gaya tha. Isliye ab mere kaan bhi ami ke jabab par lage huye the. Vaani didi ka ye sawal sunne ke bad, ami ne dhire se jabab dete huye kaha.

Ami boli “wo mehul bhaiya aapko hitler didi kahte hai.”

Ami ki baat sunne ke bad, vaani didi ne use dhamkate huye kaha.

Vaani didi boli “tumhari juban aaj kal bahut kainchi ki tarah chalne lagi hai. Ab yadi tum mujhe dobara juban chalati najar aayi to, mai maar maar kar tumhari khaal kheech lugi. Ab jao apne kamre.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, ami ne fauran apne kamre ki taraf daud laga di. Usi samay chhoti maa bhi upar aa gayi thi. Wo vaani didi ko ami ke upar gussa karte dekh chuki thi. Isliye un ne ami ke jate hi vaani didi se kaha.

Chhoti maa boli “vaani tu yaha inke sath apna samay barbad kar rahi hai aur niche aniruddha tera intejar kar raha hai. Teri flight ka samay ho raha hai. Kya tujhe jana nahi hai.”

Chhoti maa ki baat sunkar, vaani didi ka gussa thoda shant hua aur un ne chhoti maa se kaha.

Vaani didi boli “bas mausi, mai ja hi rahi hu. Mai to bas niche aane hi wali thi. Lekin in logon ki harkat dekh kar yaha ruk gayi thi. Aap chaliye, mai apna bag lekar abhi niche aati hu.”

Vaani didi ki baat sunkar chhoti maa niche chali gayi. Vaani didi bhi apne kamre me jaane ko huyi. Lekin unne jaane ke pahle ek najar meri aur keerti ki taraf palat kar dekha.

Tabhi unki najar keerti ke hath me thame bluetooth headphone par padi aur un ne keerti ki taraf apna hath bada diya. Keerti unke is tarah se hath badane ka matlab samajh gayi thi.

Isliye usne vaani didi se bina koi sawal kiye headphone unko pakda diya. Vaani didi ne headphone kaan me lagane ke bad kaha.

Vaani didi boli “hello nisha, kya abhi tum phone par ho.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, nisha bhabhi ne fauran hi jabab dete huye kaha.

Nisha bhabhi boli “……………” (haan vaani, mai abhi phone par hi hu. Lekin tum un logon par itna jyada gussa kyo kar rahi ho. Punnu bas thoda sa majak hi to kar raha tha.)

Vaani didi boli “majak karna buri baat nahi hai. Lekin apne se bado ka majak udana bahut buri baat hai. Mai inhe isi baat ki saza de rahi thi. Tum jara ek min ruko, mujhe ek jaruri call karna hai.”

Ye kahte huye vaani didi ne apna mobile nikal kar call laga diya. Dusri taraf se call uthte hi, vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “hello niranjan, tum subah kitne baje jogging ke liye jate ho.”

Niranjan bola “……………” (ji, subah 5 baje.)

Vaani didi boli “ok, tum punit aur mehul ko jante ho na.”

Niranjan bola “……………” (ji janta hu.)

Vaani didi boli “kya tumne mehul ka ghar pata hai.”

Niranjan bola “……………” (ji haan, maine mehul ka ghar dekha hai.)

Vaani didi boli “good, acha tum roj kitne kilometer jogging karte ho.”

Niranjan bola “……………” (ji mai roj koi 20 se 30 min jogging karta hu. Mere hisab se 2 se 3 kilometer jogging to ho hi jati hogi.)

Vaani didi boli “good, ab tum mera ek kaam karo. Kal se punit aur mehul ko bhi apne sath subah 5 baje jogging ke liye le jao. In dono ko kam se kam 5 kilometer daudana hai.”

“Mai inhe 20 min me 5 kilometer daudte dekhna chahti hu. Mumbai se wapas aane ke bad mai khud bhi inhe daudte huye dekhugi. Tab tak tum inhe is daud ke liye taiyar karo.”

Niranjan bola “……………” (lekin madam, itne kam samay me 5 kilometer daudne ke liye taiyar hone me to inhe kam se kam ek mahine ka samay bhi lag sakta hai.)

Vaani didi boli “tum inke samay ki parwah mat karo. Inke pas daudne ke liye samay hi samay hai. Lekin tum kal se hi inhe daudana suru kar do. Mai punit ko is baare me bata dugi. Tum mehul ko call karke is baare me bada dena.”

Niranjan bola “……………” (ok madam, mai kal se hi in dono ko daudana suru kar deta hu aur abhi mehul ko bhi call karke is baare me bata deta hu.)

Vaani didi boli “ok, ab mai call rakhti hu.”

Itna kah kar vaani didi ne niranjan ka call rakh diya. Lekin vaani didi ki hum logon ko 5 kilometer daudane ki baat sunkar, meri to halat hi kharab ho gayi thi. Ab pata nahi niranjan ki baat sunne ke bad mehul ka kya haal hone wala tha.

Waise to mehul subah 5:30 baje uth jata tha. Isliye use subah 5 baje uthne wali baat par meri tarah jyada pareshani nahi hona thi. Waise bhi mehul bahut utsahi tha aur har kaam bahut utsah ke sath karta tha.

Mehul ko aisi baton me bahut jyada maja aata tha. Lekin vaani didi ne hume roj 5 kilometer daudane wali baat kahi thi. Aise me mujhe mehul ke bhi is baat se khush hone ki ummid kam hi najar aa rahi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 243}
____________________________

Vaani didi boli “tum inke samay ki parwah mat karo. Inke pas daudne ke liye samay hi samay hai. Lekin tum kal se hi inhe daudana suru kar do. Mai punit ko is baare me bata dugi. Tum mehul ko call karke is baare me bada dena.”

Niranjan bola “……………” (ok madam, mai kal se hi in dono ko daudana suru kar deta hu aur abhi mehul ko bhi call karke is baare me bata deta hu.)

Vaani didi boli “ok, ab mai call rakhti hu.”

Itna kah kar vaani didi ne niranjan ka call rakh diya. Lekin vaani didi ki hum logon ko 5 kilometer daudane ki baat sunkar, meri to halat hi kharab ho gayi thi. Ab pata nahi niranjan ki baat sunne ke bad mehul ka kya haal hone wala tha.

Waise to mehul subah 5:30 baje uth jata tha. Isliye use subah 5 baje uthne wali baat par meri tarah jyada pareshani nahi hona thi. Waise bhi mehul bahut utsahi tha aur har kaam bahut utsah ke sath karta tha.

Mehul ko aisi baton me bahut jyada maja aata tha. Lekin vaani didi ne hume roj 5 kilometer daudane wali baat kahi thi. Aise me mujhe mehul ke bhi is baat se khush hone ki ummid kam hi najar aa rahi thi.

Mehul ko to abhi ye pata hi nahi tha ki, yaha par kitna kuch ho chuka hai. Lekin meri vajah se apni pol vaani didi ke samne khulne wali baat par uska mere upar bhadakna tay hi tha. Wo kisi ajube se kam nahi tha.

Waise mere ghar me bhi ajubon ki koi kami nahi thi. Mere ghar ka sabse pahla ajuba to mera bap hi tha. Jiski aadat ke baare me sabhi jante hai. Isliye uske baare me mai kuch batane ki jarurat nahi samajhta hu.

Lekin is mamle me meri param pujya mata ji chhoti maa bhi kuch kam nahi thi. Unke pyar aur gusse ki tulna to kisi ke sath bhi nahi ki ja sakti thi. Lekin unke sath bhi ek ajib hi baat judi huyi thi.

Unki sabse ajib baat ye thi ki, unhe nayi car ka bahut shauk tha aur wo har do char mahine me apni car badalti rahti thi. Yadi unki yahi ek aadat rahti to, ise ajib nahi kaha ja sakta tha.

Magar unki is se bhi ajib aadat ye thi ki, wo aksar hi apni car par akeli hi long drive ke liye nikal jaya karti thi. Unhe long drive par apne sath kisi ko bhi le jana pasand nahi tha.

Yaha tak ki, wo mujhe ami nimi aur keerti ko bhi apne sath long drive par le jana pasand nahi karti thi. Yadi dhokhe se hum me se koi unke sath chalne ki baat kah deta to, wo us par bhadak uthti thi.

Suru suru me to hume unki ye aadat bahut buri lagti thi. Lekin bad me humne unki is aadat ke sath samjhauta kar liya aur unhe long drive par jate samay tokna band kar diya.

Lekin vaani didi is mamle me bahut lucky thi. Wo yadi kabhi chhoti maa ke sath long drive par jaane ki baat kahti thi to, chhoti maa unhe kabhi apne sath le jaane se mana nahi karti thi.

Iski vajah shayad ye thi ki, vaani didi ko bhi nayi car ka bahut jyada shauk tha. Wo jab kabhi bhi humare ghar aati thi, sabse pahle chhoti maa ki car par hi apna kabja jamati thi.

Ek tarah se unke humare ghar me rahne tak chhoti maa ki car unki car hi ban jati thi. Lekin vaani didi ki is harkat ko ajib nahi kaha ja sakta tha. Kyoki ek tarah se ye unka haq tha.

Unki is harkat ka kabhi chhoti maa ya hum me se kisi ne bhi virodh nahi kiya tha. Ami nimi bhi is baat ko achi tarah se samajhti thi aur wo bhi vaani didi ki is baat ki kabhi koi burayi nahi karti thi.

Vaani didi aur keerti ke mamle me ami nimi ka dil bahut saaf tha. Wo vaani didi aur keerti ke humare ghar me na rahne par bhi jis kamre me wo aakar thahra karti thi, us kamre ko unka kamra kah kar hi pukara karti thi.

Ami nimi sirf mere mamle me hi vaani didi aur keerti ke kilaf apne virodhi tevar dikhaya karti thi. Aise hi kuch tevar abhi ami priya ko lekar bhi dikhane me lagi huyi thi.

Khair ami ki baat hum bad me karege. Pahle hum vaani didi ki baat kar lete hai. Vaani didi ajib harkaten karne me sabse aage thi. Unka gussa ek baar suru hota tha to, fir itni aasani se khatam hone ka naam nahi leta tha.

Waise to unhe chhoto ka kisi se badtamizi karna jara bhi pasand nahi tha. Lekin wo khud kisi se bhi badtamizi karne me koi kasar baki nahi chhodti thi. Unke liye us samay bade chhote sabhi ek barabar ho jate the.

Hum sab unki peeth pichhe unki is baat ki burayi karte huye najar aate the. Lekin unke samne unki is baat ki burayi karne ki himmat humare ghar ke bado me bhi nahi thi.

Ek tarah se mehul ne unhe hitler didi naam bilkul bhi galat nahi diya tha. Wo puri tanashah hi thi aur har kisi ko apni ungliyon par nachane ki unki aadat thi. Unke samne kisi ki ek nahi chalti thi.

Unke isi dar ki vajah se humne unse uncle ko ilaj ke liye mumbai le jaane ki baat ko bhi chhupa kar rakha tha. Warna unne puna me baithe baithe bhi hum logon par mumbai me lagam lagane me koi kasar nahi chhodi hoti.

Hum log mumbai me chain se rahna chahte the. Isliye humne ye baat vaani didi se chhupa li thi. Lekin tab hum log bhi ye nahi jante the ki, kuch din bad vaani didi khud humare yaha aane wali hai.

Warna humne unse ye baat chhupane ki galti kabhi nahi ki hoti aur khud hi kisi ache bachche ki tarah unhe saari baat bata di hoti. Khair vaani didi ki aisi hajaron buraiyan hai, jine ek sath nahi bataya ja sakta hai.

Isliye ab mai apne ghar ke agle ajube ke baare me baat karta hu. Mere ghar ki agli ajuba meri pyari ammo thi. Wo jitni jyada chhoti thi, utni hi jyada shant aur komal bhi thi.

Use badi se badi baton par bhi kabhi gussa nahi aata tha. Lekin yadi wo kabhi kisi se kisi baat par gussa ho jati thi to, use manana hi namumkin sa ho jata tha. Kyoki wo bhale hi abhi chhoti thi. Lekin dimag ki bahut tej thi.

Uske samne to chacha chaudhri ka dimag bhi pani bharne ke liye chala jata tha. Wo samne wale ke aage itne jyada tark rakh deti thi ki, samne wale ke liye uski baat ko kaatna hi muhshkil ho jata tha.

Wo kabhi kisi se bina soche samjhe naraj nahi hoti thi. Yadi koi kisi se soch samajh kar naraj ho to, use manana fir itna aasan nahi hota hai. Bas aisa hi kuch ami ke sath bhi tha.

Wo apni narajgi ke aage tarkon ki itni majboot diwar khadi kar deti thi ki, jise tod pana har kisi ke bas ki baat nahi hoti thi. Aisa hi kuch aaj usne vaani didi ki naukri chhodne wali baat ko lekar unke sath bhi kiya tha.

Ye alag baat thi ki, vaani didi ne apni li huyi kasam ki aad lekar apni naukri mere aur priya ki vajah se jaane ki baat ko puri tarah se nakar diya tha. Lekin is sachai ko khud vaani didi bhi janti thi ki, ami jhuthi nahi hai.

Yahi vajah thi ki, vaani didi khud bhi ami ke samne is baat ko lekar apni safayi pesh karti najar aayi thi. Us samay to ami ne bina koi sawal jabab kiye vaani didi ki baat maan li thi.

Lekin uske chehre ke haav bhav bata rahe the ki, wo vaani didi ki pesh ki gayi safayi se bilkul bhi sahmat nahi hai aur usne sirf vaani didi ki baat rakhne ke liye hi unki kahi baat ko sach maan liya hai.

Ami ki yahi buri aadat mujhe us se priya ke mamle me darne ko majbur kar rahi thi. Kyoki wo yadi priya ko pasand nahi kar rahi hai to, usne priya ko pasand na karne ki ek nahi, kayi vajah talash karke rakhi hogi.

Isliye vaani didi ke mana kar dene ke bad bhi, maine ami se is baare me baat karne ka faisla kar liya tha. Mai us se baat karke uske man me priya ko lekar jo galatfahmi thi, use khatam kar dena chahta tha.

Mujhe puri ummid thi ki, ami meri baat ko jarur samjhegi. Khair ami me is ek burayi ke siwa koi bhi burayi nahi thi. Isliye ab iske bad mai apne ghar ke agle ajube ki taraf chalta hu.

Mere ghar ki agli ajuba meri pyari nimmo thi. Jo chanchal thi, shararati thi, natkhat thi aur baki ladle bachchon ki tarah jiddi bhi bahut thi. Lekin ye sab to uski khubiyan thi.

Uski sabse buri aadat ye thi ki, wo duniya ki sabse badi jhuthi thi. Maine uske jaisa jhutha koi dusra nahi dekha tha. Wo bina kisi dar ke bilkul safed jhuth bola karti thi.

Ami ko to apna dimag chalane ke liye thoda bahut sochna bhi padta tha. Lekin nimi ko jhuth bolne ke liye bilkul bhi nahi sochna padta tha. Wo bina kuch soche samjhe jhuth bol jati thi.

Nimi itni badi jhuthi thi ki, wo aapke samne hi apne muh me rasgulla rakh kar aap se kah sakti thi ki, maine rasgulla khaya hi nahi hai. Lekin is jhuth ko nimi ka safed jhuth kahna, nimi ke jhuth bolne ke hunar ki tauhin karna hi tha.

Kyoki nimi is se bhi bade bade jhuth bola karti thi. Waise to mere aur ami ke chacha, chachi, bua, fufa, mama, mami koi bhi nahi hai. Lekin nimi ke ye sab hai aur uske liye gift bhi late rahte hai.

Ye hi nahi, bhale hi abhi mere aur ami ke nana, nani jinda na ho, lekin nimi ke to nana nani bhi abhi jinda hai. Aapko ye baat sunkar kuch ajib lagi na. Lekin nimi ke jhuth bolne ke hunar ka sach yahi hai.

Mujhe bhi nimi ka ye jhuth sunkar ek jhatka sa laga tha aur mai khud ko nimi ke is jhuth me fasne se bachane ke liye fauran hi waha se bhag nikla tha. Aapke liye shayad is baat par yakin karna thoda mushkil ho.

Lekin fir bhi sach wahi hai, jo mai aapko bata raha hu. Mere samne bhi nimi ke is jhuth ki pol tab khuli, jab ami nimi ki school ki saheli sakshi aur phalakshi unse milne ke liye humare ghar aayi.

Itefak se us din mai ami ki jid ki vajah se uske aur nimi ke sath unke kamre me khel raha tha. Usi samay ami nimi ki saheli sakshi aur phalakshi bhi ami nimi se milne aa gayi. Ami nimi apni saheliyon se mera parichay karwane lagi.

Sakshi aur phalakshi bhi ami nimi ki tarah hi bahne thi aur dono ami nimi ki school me hi padti thi. Sakshi ami ki saheli thi aur usi ki class me thi. Jabki sakshi ki chhoti bahan phalakshi nimi ki saheli thi aur nimi ki class me thi.

Is tarah ami ke school me ami nimi aur sakshi, phalakshi ek sath ek group bana kar raha karti thi. Ami nimi to bahut baar unke ghar ja chuki thi. Lekin wo log pahli baar humare ghar aayi thi.

Sakshi mujhse mil kar bahut khush huyi aur mere ami nimi ke sath khelne ki baat ki bhi tarif karne lagi. Usne bataya ki, ami nimi bhi hamesha us se meri tarif karti rahti hai.

Sakshi ki ye baat sunkar, mai muskura kar rah gaya aur fir un logon se do char baten karne ke bad mai ami nimi ko jata kar waha se aane laga. Lekin tabhi nimi ki saheli phalakshi ne nimi se kaha.

Phalakshi boli “nimi, tu apne mama ki di huyi bilayti doll ki bahut tarif karti hai na. Mujhe bhi apni wo doll dikha na.”

Phalakshi ki is baat ne mere bahar ki taraf badte huye kadmo ko rok diya aur mai wahi khade hokar phalakshi ki baat sunne laga. Nimi ki apni doll ki tarif karne wali baat mere liye koi nayi nahi thi.

Kyoki nimi ko doll bahut pasand thi aur wo sabhi se apni har doll ki tarif kiya karti thi. Lekin phalakshi ki mama ki doll wali baat sunkar mujhe jarur kuch ajib laga tha aur mai isi ka raz janne ke liye waha ruk gaya.

Phalakshi ki is baat ko sunkar, sakshi bhi nimi se uski doll dekhne ki jid karne lagi. Phalakhsi aur sakshi ki ye baat sunkar, nimi to bahut khush huyi. Lekin ami kha jaane wali najron se nimi ko dekhne lagi.

Ami ko gusse me dekh kar, nimi ki ami se kuch bhi kahne ki himmat nahi huyi. Lekin usne sakshi ko uski baat ka jabab dete huye kaha.

Nimi boli “haan didi, mai aapko phallo ko apni doll jarur dikhaugi. Ye hi nahi, mai aap logon ko apne baki ke bhi saare gift dikhaugi.”

Ye kahte huye nimi sakshi ka hath pakad kar use apni almari ke pas le gayi. Unke sath sath phalakshi bhi unke pichhe pichhe chali gayi. Unke humare pas se jaane ke bad, maine dhire se ami se puchha.

Mai bola “ye humare mama kaha se aa gaye.”

Meri baat sunkar, ami ne gusse me bhanbhanate huye kaha.

Ami boli “bhaiya, is jhuthi ne school me apni saheliyon se jhuth bolne ke sath sath meri saheliyon se bhi bahut jhuth bole hai. Aap thodi der humare pas rukiye. Abhi iske aur bhi jhuth ki pol aapke samne khul jayegi.”

Ami ki baat sunkar, mai wahi ruk gaya. Thodi der me nimi apni almari se dher saare gift nikal kar bed par aakar baith gayi. Uske sath hi sakshi aur phalakshi bhi baith gayi.

Ami bhi bhanbhanayi si unke pas hi baith gayi. Wo charo bed par baithi huyi thi aur meri taraf unki peeth thi. Mai unki baton me dhyan lagaye huye tha. Nimi ne sabse pahle ek doll sakshi ko dikhate huye kaha.

Nimi boli “didi, ye hai meri bilayti doll. Ye mere mama Singapore se laye the.”

Nimi ka itna bada jhuth sunkar, mai fati fati aankhon se nimi ko dekhne laga. Nimi ki wo doll sach me bahut sundar thi. Wo doll lakdi ki bani huyi thi aur bilkul kisi chini ladki ki tarah dikhti thi.

Lekin wo doll nimi ke liye uske mama Singapore se laye the, ye baat bilkul safed jhuth thi. Is baat me sabse bada jhuth ye tha ki, humare to koi mama hi nahi the aur dusra jhuth ye tha ki, wo doll mehul nimi ke liye laya tha.

Yadi is baat me kisi tarah ki sachai thi to, sirf ye sachai thi ki, wo ek sundar si doll thi aur mehul ko wo bahut pasand aayi thi. Isliye wo apne mama ke gaon se use nimi ke liye laya tha.

Lekin nimi ne to mehul ke mama ko hi apna mama aur unke gaon ko Singapore bana daala tha. Mujhe lag raha tha ki, sakshi aur phalakshi nimi ke bilayti doll wale jhuth ko fauran hi pakad legi.

Magar aisa kuch bhi nahi hua. Sakshi aur phalakshi ne us doll ko dekha to, dekhti rah gayi aur dil khol kar nimi ki bilayti doll ki tarif karne lagi. Apni doll ki tariff sunkar nimi fuli nahi sama rahi thi.

Mai nimi ke is jhuth ko dekhne ke bad, abhi apni hairani se bahar bhi nahi nikal paya tha ki, tabhi nimi ne sakshi ko ek frock dikhate huye kaha.

Nimi boli “didi, ye hi wo frock hai, jo mere chacha chachi mere liye japan se laye the.”

Nimi ka ye jhuth sunkar to mai dang hi rah gaya. Kyoki mai uski is frock ki sachai bhi janta tha. Use ye frock richa aunty ne ye kah kar di thi ki, wo is frock me bilkul japani gudiya ki tarah dikhegi.

Lekin nimi ne to richa aunty ko apni chachi bana liya tha aur unki di huyi frock ko hi japani bata diya tha. Iske bad nimi sakshi aur phalakshi ko vaani didi ke diye gift dikhate huye kaha ki, wo uski bua ji America se layi thi.

Jo sarasar jhuth tha. Wo sab gift vaani didi puna se lekar aayi thi. Haan nimi ke un sab gift me ek digital watch jarur thi, jo abhi jiju ne America se bheji thi. Lekin abhi tak nimi ne wo watch sakshi phalakshi ko nahi dikhayi thi.

Abhi tak nimi ne sakshi aur phalakshi ko ek bhi videshi gift nahi dikhaya tha. Lekin usne apne dikhaye sabhi gift ko videshi gift batate huye, humare mama, mami, chacha, chachi, bua ke na hote huye bhi unko lakar khada kar diya tha.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, jab nimi ke asli videshi gift dikhane ki baari aayegi to, wo kis ko lakar khadi karegi. Abhi mai is baare me soch hi raha tha ki, tabhi nimi ne wo digital watch sakshi ko dikhate huye kaha.

Nimi boli “didi, ye hai meri wo watch, jo mere nana, nani ne mere liye London se bheji hai.”

Nimi ki ye baat sunte hi, mere kaano se dhuan nikal gaya. Mai nimi ke mama, mami, chacha, chachi aur bua wale jhuth ko to hajam kar gaya tha. Lekin nimi ka nana nani wala jhuth hajam kar pana mere bas ki baat nahi thi.

Nimi ke ye jhuth sunkar mujhe lagne laga tha ki, ab yadi ek pal bhi mai yaha ruka to, mujhe khud hi nimi ke jhuth ki pol kholna pad jayegi ya fir mujhe bhi sakshi phalakshi ke samne nimi ke is jhuth me shamil hona pad jayega.

Mujhe us samay waha se bhag lene me hi apni bhalayi najar aayi aur mai ek pal ki bhi der kiye bina dabe panv waha se bhag nikla. Nimi ne to jhuth bolne ki sabhi hade paar kar li thi.

Log to jhuth ki sirf nadiyan baha sakte the. Lekin nimi to jhuth ke samundar par samundar khali karne par tuli huyi thi. Jinme dubne se bach pana, hum me se kisi ke liye bhi mumkin nahi tha.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 244}
____________________________

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, jab nimi ke asli videshi gift dikhane ki baari aayegi to, wo kis ko lakar khadi karegi. Abhi mai is baare me soch hi raha tha ki, tabhi nimi ne wo digital watch sakshi ko dikhate huye kaha.

Nimi boli “didi, ye hai meri wo watch, jo mere nana, nani ne mere liye London se bheji hai.”

Nimi ki ye baat sunte hi, mere kaano se dhuan nikal gaya. Mai nimi ke mama, mami, chacha, chachi aur bua wale jhuth ko to hajam kar gaya tha. Lekin nimi ka nana nani wala jhuth hajam kar pana mere bas ki baat nahi thi.

Nimi ke ye jhuth sunkar mujhe lagne laga tha ki, ab yadi ek pal bhi mai yaha ruka to, mujhe khud hi nimi ke jhuth ki pol kholna pad jayegi ya fir mujhe bhi sakshi phalakshi ke samne nimi ke is jhuth me shamil hona pad jayega.

Mujhe us samay waha se bhag lene me hi apni bhalayi najar aayi aur mai ek pal ki bhi der kiye bina dabe panv waha se bhag nikla. Nimi ne to jhuth bolne ki sabhi hade paar kar li thi.

Log to jhuth ki sirf nadiyan baha sakte the. Lekin nimi to jhuth ke samundar par samundar khali karne par tuli huyi thi. Jinme dubne se bach pana, hum me se kisi ke liye bhi mumkin nahi tha.

Yadi nimi ki baton me kisi sach ki kadi ko joda bhi jaye to, hum mehul ke mama, mami ko apne mama, mami maan sakte the. Rajesh uncle aur richa aunty ko bhi chacha, chichi maan sakte the.

Isi tarah keerti ki bua yane ki vaani didi ki mummy ko bhi apni bua maan sakte the. Lekin nimi ne to jhuth bolne ki sabhi hade paar karte huye, humare nana, nani ko bhi jinda karke London me khada kar diya tha.

Mai bahut der tak nimi ki is harkat ke baare me hi sochta raha. Sakshi aur phalakshi ke chale jaane ke bad ami nimi mere kamre me aa gayi. Mere kamre me aate hi, ami ne nimi ki shikayat karte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, aaj aapne is jhuthi ki harkat dekhi na. Jis din iske jhuth ki pol unke samne khulegi, us din mai bhi un logon ke samne jhuthi ban jaugi.”

Ami ki baat sunkar maine nimi par gussa karte huye kaha.

Mai bola “chhoti, ye sab kya harkat thi. Ye tere mama, mami, chacha, chachi, bua aur nana, nani kaha se paida ho gaye. Tune un logon se itna jyada jhuth kyo bola.”

Is mamle me nimi bilkul keerti ki hi chhoti bahan thi. Keerti ki tarah wo bhi kabhi kisi baat me apni galti manti nahi thi. Usne fauran hi apni is galti ka saara iljam sakshi aur phalakshi ke upar hi dalte huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, mai nahi, wo log jhuthi hai. Wo log mujhse sab jhuth jhuth kahti thi. Isliye maine bhi unse sab jhuth jhuth kah diya.”

Nimi ki is baat par ami ne bhadakte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, wo log nahi, ye hi sabse badi jhuthi hai. Aap hi is se puchho ki un logon ne is se kya baat jhuth boli.”

Ami ki baat sunkar maine nimi ki taraf dekha to, usne apni baat rakhte huye kaha.

Nimi boli “bhaiya, is jhuth ki suruaat maine nahi, phallo ne ki thi. Wo hi baat baat par mujhse jhuth kahti thi ki, uski mausi uske liye America se bahut saare gift bhejti rahti hai.”

“Wo mujhe apne gift videshi hone ki baat kah kar jalati rahti thi. Isliye maine bhi us se jhuth kah diya tha ki, mere bhi sabhi rishtedar mere liye videsh se dher saare gift late hai.”

Nimi ki ye baat sunkar, ami ne phalakshi ki baat ki tarafdari karte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, ye bekar me hi un logon ki baton ko jhuth manti hai. Jabki sakshi ki mummy ne khud hi unki bahan ke America me hone wali baat hum logon ko batayi thi.”

Mai nimi ki jhuth bolne ki aadat ko bhi ache se janta tha aur is se ami ko hone wali pareshani ko bhi samajh raha tha. Isliye maine nimi ki is harkat par gussa karte huye kaha.

Mai bola “chhoti, tune ye bahut galat kiya hai. Teri vajah se ammo ko bhi un logon ke samne jhutha padna pad raha hai. Tu fauran murga ban ja. Warna aaj ke bad mai aur ammo tujhse bilkul baat nahi karege.”

Meri ye baat sunkar, ami to khush ho gayi. Lekin nimi apni saza sunkar bura sa muh bana kar mujhe dekhne lagi. Maine bhi use ghaur se dekhte huye usko murga banne ka ishara kiya.

Jab nimi ko mere aur ami ke gusse se bachne ka koi rasta samajh me nahi aaya to, wo chupchap jakar murga ban gayi. Nimi ko murga bane dekh kar, ami ne apni pareshani mere samne rakhte huye kaha.

Ami boli “lekin bhaiya, iske murga bas ban jaane se kya hoga. Isne to humare kitne saare rishtedaron ko unke samne lakar khada kar diya hai. Yadi iska ye jhuth khul gaya to, mai unke samne jhuthi pad jaugi.”

Ami ki ye baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “aisa kuch nahi hoga. Mai jaisa kah raha hu. Tu waisa hi, un logon se kah dena. Is se iske jhuth ki pol bhi nahi khulegi aur un logon ke samne saara sach bhi aa jayega.”

Meri is baat ko sunkar ami ne khush hote huye puchha.

Ami boli “wo kaise bhaiya.”

Mai bola “rajesh uncle aur richa aunty humare liye chacha, chachi ki tarah hi hai. Aise hi mehul ke mama bhi humare mama hi lage. Vaani didi ki mummy ko to hum bua ji bolte hi hai.”

“Isliye tu nimi ke jhuth par parda dalne ke liye inhi logon ko unke samne apna rishtedar bana kar pesh kar dena aur unko samjha bhi dena ki, ye sab bhale hi humare sage rishtedar nahi hai. Lekin humare liye ye us se bhi bad kar hai.”

Meri baat sunkar ami ko kuch tasalli huyi. Lekin fir usne apni agli pareshani jahir karte huye kaha.

Ami boli “lekin bhaiya, hum iske nana, nani wale jhuth ka kya karege. Waha par to mujhe jhutha padna hi padega. Yadi mai ise dam nahi deti to, isne abhi tak unse humare dada, dadi ke baare me bhi jhuth bol diya hota.”

Mai bola “haan, ye to sach me pareshani wali baat hai. Is chhoti ne sach me tujhe apne jhuth ke jaal me buri tarah se fasa diya hai. Hume is baat ko samne lane ke baare me bhi kuch sochna hoga.”

Mai aur ami abhi nimi ke is jhuth ka tod dudhne me lage huye the ki, tabhi nimi ne humari baat sunne ke bad, murga bane bane hi kaha.

Nimi boli “bhaiya, abhi jiju ke mummy papa to London jate rahte hai na. Hum unhi ko apne nana, nani bata sakte hai.”

Nimi ki ye baat kuch had tak sahi bhi thi. Lekin aisa karna sirf ek jhuth se bachne ke liye dusra jhuth bolna hi hota aur mai ami ko nimi ke is jhuth ke jaal se bahar nikalna chahta tha. Isliye maine nimi ko daant lagate huye kaha.

Mai bola “tu chup kar chhoti. Ye sab tere bole gaye jhuth ki vajah se hi ho raha hai. Khabardar ab yadi aaj ke bad tune un logon se fir koi naya jhuth bolne ki koshish ki to, mujhse bura koi nahi hoga.”

Meri baat sunkar, nimi khamosh ho gayi aur mai fir se ami ki is pareshani ka hal dudne laga. Mai kisi aise ke baare me sochne laga. Jo humara nana nani lagta ho. Tabhi mujhe juhi didi ki nani ki yaad aa gayi.

Juhi didi ki nani ko hum log bhi nani hi kahte the. Ye baat yaad aate hi, maine khush hote huye ami se kaha.

Mai bola “teri is pareshani ka hal bhi mujhe mil gaya. Hum juhi didi ki nani ko nani hi kahte hai. Tu bas yahi baat un logon ke samne bhi rakh dena ki, nimi ne jin nani ki baat ki thi, wo humari sagi nani nahi hai.”

“Aisa karne se nimi ke bole gaye har jhuth par parda bhi pad jayega aur tera in jhuth se hamesha ke liye pichha bhi chhut jayega. Lekin ab tu bhool se kabhi iske kisi jhuth me iska sath mat dena.”

“Ab yadi ye dabara kabhi tujhe un logon se koi naya jhuth bolti najar aaye to, tu khud hi iski saari pol unke samne khol kar rakh dena aur iske jhuth bolne ki baat mujhe bhi batana. Mai ise aur bhi sakht saza duga.”

“Warna jaise aaj mujhe iske jhuth ki vajah se un logon ke pas se muh chhupa kar bhagna pada tha. Waise hi tujhe bhi iske jhuth ki vajah se un logon se muh chhupana pad sakta hai.”

Ami ko meri ye baat sahi lagi aur usne meri haan me haan milate huye kaha.

Ami boli “bhaiya, mai to iske jhuth me pahle se hi sath nahi thi. Mujhe to iske is jhuth ka pata sakshi se chala tha. Mai bas iski pol khulne ke dar se unke samne chup rah gayi thi.”

“Lekin is jhuthi ke un jhuth ki vajah se mai bahut dino se pareshan thi. Aaj badi mushkil me mujhe iske un jhuth se bahar nikalne ka rasta mila hai. Ab yadi isne dobara unse koi jhuth bola to, mai sach me iski pol khol kar rakh dugi.”

Ami ko is tarah se gussa karte dekh kar, nimi ne murga banna chhod kar, apne kapde jhadte huye, humare pas aakar kaha.

Nimi boli “didi, aap fikar mat karo. Aaj ke bad mai kisi se koi jhuth nahi bolugi.”

Lekin nimi ki is baat par mere sath sath ami ko bhi viswas nahi hua. Ami ne fauran hi uski shikayat karte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, ye dekhiye. Ye apni saza adhuri chhod kar humare pas aa gayi hai. Ise fir se murga banne ko khaiye.”

Lekin nimi ko jyada saza dene ka mera dil gavara nahi kar raha tha. Isliye maine ami ko samjhate huye kaha.

Mai bola “ab jaane de, iske liye abhi itni hi saza bahut hai. Lekin fir yadi isne aisi koi harkat ki to, hum ise bilkul nahi chhodege.”

Us din nimi ko jhuth bolne ki vajah se saza milne ka jo silsila suru hua tha. Wo abhi bhi ba-dastur waise hi jaari tha. Magar us ladki ki jhuth bolne ki aadat abhi bhi nahi gayi thi.

Khair nimi humare ghar ki nanhi pari hai aur uske kaarname itne majedar hai ki, unhe kitna bhi batate jao, man hi nahi bharega. Isliye mai apne ghar ke agle ajube yaane ki khud ki taraf rukh karta hu.

Lekin yaha mere akele ka jikar kiya jana thik nahi hoga. Priya meri judwa bahan hai. Isliye yaha mai hum dono ki hi ek aadat ka jikar karna chahta hu. Jo bahut ajib hai aur ek dusre ke bilkul viprit hai.

Ye aadat hasna aur rona hai. Jaha ek taraf priya bade se bade dard me bhi hamesha muskurati rahti hai. Wahi dusri taraf meri aankhon me chhoti se chhoti baat par bhi aansu aa jate hai.

Wo bade se bade dard ko bhi hanste huye sah jati hai aur mai chhote se chhota dard bhi sah nahi pata tha. Humari is aadat ko dekh kar aisa lagta hai ki, jaise humne apni maa ki kokh me hi apne aansu aur muskan ka batwara kar liya tha.

Isliye priya ke chehre se kabhi bhi muskan nahi jati thi aur meri aankhon me kabhi bhi aansu aa jate the. Hum bhale hi judwa bhai bahan the. Lekin humari ye aadat ek dusre ke bilkul hi viprit aur bahut jyada ajib thi.

Humare bich me aisi aur bhi bahut si aadte thi, jo ek dusre se viprit thi. Lekin filhal maine humari sabse ajib aadat ka jikar kar diya hai. Ab humare ghar ke ajubon ka jikar ho aur keerti ka naam na aaye. Aisa ho hi nahi sakta.

Waise to keerti me sabhi achi aadten thi. Lekin uski sabse ajib aadat ye thi ki, wo bahut jyada jiddi thi. Jiddi to nimi aur vaani didi bhi bahut thi. Lekin keerti ke jid karne ka tarika in dono se bahut alag tha.

Keerti kisi baat ki jid jarur karti thi. Lekin wo apni jid ko pura karwane ke liye hath dhokar kisi ke pichhe nahi padti thi. Balki wo samne wale ko apni jid ko pura karne ke liye bharpur samay deti thi.

Magar badte samay ke sath uski jid ka dayra bhi badta jata tha. Maan lo ki usne coffee peene ki jid ki hai. Lekin yadi aap samay rahte uski is jid ko pura nahi kar rahe ho to, fir uski is jid ka dayra dhire dhire badne lagega.

Matlab ki samay badne ke sath uski coffee ki jid me sandwich, burger, pizza, noodles, masala dosa jaisi chijen bhi shamil hoti jayegi. Lekin iske bad bhi aapka coffee se pichha nahi chhutega.

Keerti ki jid puri huye bina na to kabhi khatam hoti hai aur na hi uska dayra badna rukta hai. Keerti ki isi aadat ki vajah se humare yaha sabhi samay rahte hi keerti ki jid ko pura diya karte the.

Mai vaani didi ko niranjan se humare baare me baat karte dekh kar apne ghar ke namuno ke baare me sochne me khoya hua tha ki, vaani didi ke niranjan ka call rakhte hi, keerti ne usne kaha.

Keerti boli “didi, aapne ami ke upar hath utha kar jara bhi acha nahi kiya hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, vaani didi ne keerti ko gusse me ghoor kar dekha. Unka gussa abhi bhi shant nahi hua tha. Isliye un ne keerti ki is baat ko sunne ke bad, use hi aade hathon lete huye kaha.

Vaani didi boli “kyo, kya tujhe ami se hamdardi ho rahi hai. Lekin mere samne inki kisi badtamizi par inki hiteshi banne ki jara bhi koshish mat karna. Warna jo haal abhi inka hua hai. Wo hi haal tera bhi hoga.”

Magar keerti bhi kam jiddi nahi thi. Vaani didi ke is tarah se dhamakane ka bhi uske upar koi asar nahi pada aur usne apni baat ko fir se dohrate huye kaha.

Keerti boli “didi aap kuch bhi kahiye. Lekin aapne ami par hath utha kar jara bhi acha nahi kiya hai. Wo abhi bachchi hi hai.”

Keerti ki ye baat sunkar vaani didi ki paara chad gaya aur unhe keerti par kuch jyada hi gussa aa gaya. Un ne keerti par bhadakte huye kaha.

Vaani didi boli “ami bachchi hai na. Lekin tu to bachchi nahi hai. Mai tujhe to maar sakti hu.”

Ye kahte huye vaani didi ne chatakkk se apne ulte hath ka ek tamacha keerti ke gaal par bhi jama diya. Keerti awak si vaani didi ko dekhti rah gayi. Keerti ko thappad padte huye dekh kar mai bhi kuch kam hairan nahi tha.

Kyoki keerti chahe kitni bhi badi galti kyo na kar le. Lekin vaani didi kabhi us par hath nahi uthati thi. Ye hi aadat unki ami nimi ke liye bhi thi. Lekin aaj wo apni har aadat ko chhodne ke mood me najar aa rahi thi.

Vaani didi ke ami ke bad ab keerti ko bhi thappad jama dene wali baat ye batane ke liye kafi thi ki, vaani didi aaj apne aape me nahi hai aur unka ye gussa itni aasani se shant hone wala nahi hai.
 

Top