mane apni kapde pehel liye .
fir hatim ko bola chalo me ready hu .
ruksana boli aap kuch kha lo .
hatim bola fikar mat karo me mehel me khila dunga .
raja intzaar kar rahe he waqt nhi humare pass .
fir hum bahar aaye hatim ne ek kalin bicha di or bola hum udd ke jayenge waqt kum he . hum dono kalin pe beth ke jase hi udde mane dekha yaha to bahut log kalin ka istemaan transpot ki tarah kar rahe he .
mane fr dekha mehel jamin pe na ho ke badal pe bana hua tha . bahut sare log mehel me jaa rahe the .
udate huye kalin pe jeen log nigrani kar rahe the .
hum mehel ke darwaje pe pahuche to ek admi aage aaya or bola senapati aap ka intzaar kafi der se ho raha he .
or ye kon he .
hatim bola ye mera dost ravi he ise ne rajkumari rehana ki jaan bachai he .
fir hum dono bade se darwaje se andar aa gaye .
hum ek darbaar ke bicho bich khade the .
humare charo taraf jeen hi jeen the or samne ek rajsihasan pe jeeno ke raja sartaz betha hua tha .
ek dum mota bhens jasa admi tha .
par chehere pe ek tob saf nazar aa raha tha uske pass hi uski begen ruksana bethi hui thi . hume dekh ke sartaz bola aao aao bahut intzaar karwya senapati or adam tumne bhi . hatim ne apna sar jhuka he use salam kiya .
me khada raha .
sartaz bola adam tumne humari behen ki jaan bachai hum pe upkar he mango kya mangte ho.
mane bola mane hi tumko tumhari behen sahi salamat di he tum kya de sakte ho mujhe . sartaz bola haa hume malum he .
duniya me aisi koi chij nhi jo hum tumko nhi de sakte .
mane bola mere pass sab kuch he .
or agar kuch chahiye hoga to bol dunga .
sartaz bola adam tum humari duniya me kyu aaye ho hume pata he .
par tum jis chij ko dhundh rahe ho vo tumko hasil nhi ho sakti .
mane bola me adam ke sath shetan bhi hu or me jis chij ko hasil karnw pe Ata hu use pa ke rehta hu .
vese ye bataiye aap log takshak se itna darte kyu ho.
sartaz bola uski wajah vo laal kitab he .
us kitab me asim jadui takat he jise takshak dhere dhere hasil kar raha he .
agar usne kitab ki sari takat hasil kar li to use harana namumkin ho jayega .
mane bola to vo kitab le lo .