kon tha vo jo ek tofan ki tarah aaya or chala gaya .
me colloge se nikal ke ek park me aa ke beth gaya .
thoda mood upset ho gaya tha .
kya me itna bura hu ki log mujhse darne lagte he .
yaha tak ki meri behene bhi darti he mujhe dekh ke .
me apni soch me duba hua tha .
tabhi ek choti bachi dikhi vo ro rahi thi .
me uska rona nhi dekh paya to uske pass gaya .
mane bola kya hua gudiya .
ladki roti hui boli vo mujhe nhi khelne dete .
mane bola aisa kyu .
vo boli vo bolti he apne bhaiya ke sath jaa ke khelo .
mane bola to tum apne bhai ke sath khel lo .
vo bade hi masoom chehere ke sath boli par mera bhai nhi he .
uski ye baat sun mujhe di ke bachpan ki baat yaad aagai .
kiss tarah bache use apne sath nhi khelne dete the .
mere peada hone ke baad .
di ki zindagi mere aas pass hi simat ke reh hai thi .
me bola me hu naa tumhara bhai .
ladki boli aap mere bhaiya ho .
uski ankho me chamak aa gai thi fr me bachi se bola kya naam he tumhara .
choti bachi boli raveena .
me ek dum se chock gaya .
usne bola bhaiya aap ka naam kya he .
mane bola ravi .
me bola acha batao kya khelogu .
choti bachi boli ghoda ghoda khelna he .