- 2,152
- 8,506
- 175
bhai bohat dhanayavaad... aap ne aik shabd bhi na story ke baare me likha ke kessi lagi....Bhai update purane update jaldi post karo
Wetting new update
Bilkul sahi baatBahut sammaanapoorvak, main sabhee paathakon se anurodh karata hoon ki krpaya apane sandesh post karate samay kuchh shishtaachaar dikhaen.
Kahaanee kee saraahana ke liye kam se kam ek ya do shabd post karen... like button click karen aur phir apna anurodh karen; aapakee jo bhee maang hai .... wo lekhak ke saamne rakhen!!!!
Bahut bahut dhanayavaad![]()
DhanayavaadBilkul sahi baat
koi nahi bro.... aap to regularly appreciate karte ho.... aik ya do shabd se antar nahi hota.... dhanayavaadMast update tha bhai ji mera man thoda asant hai kuch din se bahut busy chal raha hun waise bhi mai bada reply jaldi post nai kar pata hun ishiliye aap please meri feeling samjhiye
Bahut hi khubsurat aur Emotions se bhara update hai.Recap from Episode - 1...
Govind, 18 saal ka gharib nojawaan ek Sadhu Maharaj ki help karta he aur Saahu us ko ik Shakti se prapt karta he...
Shakti yeh he ke Govind kissi ke bhi khayyal jaan sakta he aur soch parh sakta he...
ab aage kya hota he dekhiye....
EPISODE – 2
Govind kaafi daer ke baad jese kissi khawab se bedaar hua… aur ye sab usse koi afsana ya khayali waqia lag raha tha… magar us ka zehen kuch bojhal sa ho chukka tha… jese koi bojh sa ho dimaagh par aur jism par…
Govind gaanv ke school se matric kar chukka tha… education aage barhana chata tha magar Bapu ki maali halat kuch achi nhe the… Matric bhe, Govind ne scholarship se kiya tha…ek mehenti aur zaheen student tha…
College shehar mein tha aur itne pese nhe the ke college mein admission le kar sheher mein reh sake…
Pichle 1 saal se, Govind Zameendar ke pas nokri kar raha tha… is ke zimme kuch kam Kheton par, aur kuch haveli mein tha…
Saath saath jab driver chutti pe hota to Zameendar ki ya us ke bete ki car bhi Govind chalata tha… kabhi kabhi munshi ji ke sath beth kar hisaab kitaab bhe dekh leta he…
Govind ka bara bhai, “Parkash” bhe zameendar ke khet par kaam karta he pichle 2 saal se… Parkash ko education mein koi dilchaspi nhe he… wo sirf 5 class tak parh saka… Govind ka Bapu bhe Zameendar ke pas he kam karta he… Govind, us ka Bapu aur us ka bhai teeno kaam karte hein phir bhe ghar ka kharch mushkil se chalta he aur kafi tangi rehti he…
Govind ka bapu hamesha se gharib nhe tha… aur na he is gaanv ka baasi… wo kahan se aaye the is baat ka khulasa aage chal kar hoga…
Kailash Naath (Govind ka Bapu) ne do (2) saal pehle jab us ke pass kuch pese the… us ne “Daulat Pur”, sehahr, ke ek bare beopaari, Seth Girdhari Lal, ke sath partnership ki… dono ke darmiyaan written agreement hua aur sara pesa invest kiya gaya aur bohat sare mal maveshi kharide gye… shehar ke pas ek farm house pe sare mal maveshi rakhe gye… Kailash khud sare mal maveshi ki nigrani karta tha aur wahi farm house pe rehta tha… unhi dinon us ko gaanv se ek letter aaya jis mein likha tha ke us ki wife sakht bimar he… wo foran sab kuch chor kar gaanv ki taraf chal nikla… gaanv pohanch kar pata chala ke wo letter fake thaa… wo ek din gaanv me ther kar farm house wapis pohncha to sare mal maveshi ghayab the… wahan moujood mualzim ne bataya ke daku aaye the aur sare mal maveshi trauck mein load kar ke le gye…
Seth Girdhari Lal ne sara ilzaam Kailash Naath (Govind ke Baap) par dhar diya… Seth ka shehar mein bara asar rasookh tha us ne police ke pas Kailaash ko arrest kara diya… aur Kailash ko kaha gaya ke wo Das lakh (1,000,000) jurmana bhare… Kailash apni sari raqam pehli hi Seth Girdhari ko de chukka tha aur ab us ke pas kuch bhe na tha… is bat ke faisle ke liye ek jirgaa bithaya gaya… Jirge ke logon par bhi Seth Girdhari Lal ka asar tha… aur unhone ne ye faisla kiya ke Kailash Naath apni do betiyon Varsha aur Akshara ki shaadi Seth Girdhari Lal ke beton se kare ga… Seth ke do bete hein aur ek beti… Bare bete, Chetan Lal, ki umar 40 sal thi aur us ki pehle shadi hui thi jis mein talaaq ho gayee…. Doosre bete, Bipin Lal, ki umar 38 saal thi wo aayash tha us ne shadi nhe ki thi… Majbooran, Kailash ko apni betiyon se bat karni pari aur us ki betiyon ne apne baap ki izzat ki khatir apne se 20 saal bare mardon se shadi ki haami bahr li… Seth girdhari lal ne shart rakhi thi ke ye Kailash aur us ki family se Varsha aur Akshara ka shadi ke baad koi mail jol aur sambandh na hoga… aur yun ye shadiyan ho gayee…
Ab aate hein Govind ki taraf… dekhen us ke sath kya ho raha he, Maharaj se milne ke baad??
Govind ko is waqt khet se haveli ki taraf jana tha aur wahan se phir apne ghar ki taraf rawana hona tha… magar abhi jungle me hue waqye ke baad wo pareshani ke aalam mein ghar ki taraf chal para…
Ghar se kuch pehle wo ek darakht ke neeche beth gaya aur phir sochne laga ke kya ye sab haqeeqat the aur Sadhu Maaharj ne us se jo kuch kaha kya wo sach tha aur kya Govind ko kissi kism ki koi Shakti prapt ho chuki he… magar ye Shakti kya he aur is ko is ko aur is ki family ko kya faida ho ga…
Govind kaafi daer yehi sochta ra aur phir usse dur se apna Bapu ghar ke darwaze se nikalta hua dikha… Govind foran uth khara hua aur ghar ki taraf rukh kiya… raste mein apne Bapu se mila aur us ke paer chuye…
Bapu ne aashiwad diya…
Govind ne Bapu ki taraf dekha to Bapu ko kuch pareshan paya… Govind ne jesse he Bapu ki taraf ghaur kiya aur dhayan lagaya to usse aesa laga jesse wo Bapu ki awaaz sun raha he… magar us ke Bapu ka munh to band tha… ye aawaz kahan se aa rahi he…
Govind ko foran ye khayal aaya ke kya sach mein wo Bapu ki soch ko jaan pa raha he… jessa ke Sadhu Maharaj ne kaha tha??
Govind ne phir dhayaan lagaya Bapu ki taraf jo ki ab aage ki taraf qadam barha chukka tha… ab ki bar jab Govind ne dhayan lagaya to mehsoos hua ke us ka Bapu ye soch raha he ke ghar ka darwaza repair hona he aur Sunday ke din darwaze ko theek kare ga…
Govind apne ghar ke darwaze ke taraf barha to waqiee ghaur karne par dekha ke darwaze ke ik taraf ka lakri deemak kha rahi he…. Who heraan reh gaya ke waqyee us ko Shakti prapt ho gyee he ke wo logon kee soch parh sake…
Govind ko ye to pata chal gaya ke wo kissi ka khayaal jaan sakta he aur soch parh sakta he… magar sahyeta kese kare ga ye usse abhe maloom nhe tha aur ye khayaal usse pareshan kar raha tha…
Baharhaal… Govind ghar mein daakhil hua …. Maa ka aashirwad liya…
Maa… “beta, aaj jaldi aa gye… khaer to he”
Govind apni Maa ko pareshan na karte hue, bahana banaya ke Maa ghar ka darwaza theek karna he… aur kitchen mein ja kar Kerosene oil liya aur ek purana kapra uthaya aur jahan jahan deemak thi wahan us ne kerosene oil me bheega kapra lagata gaya…. Sari deemak saaf kar di… us ke baad… Govind ne kuch aetmaad mehsoos kiya… aur bojhal pan door ho gaya…
Govind ko laga ke us ko ye ek bari Shakti milli he ke wo apne pyaro ke khayaal jaan kar un ki madad kar sakta he…
Govind ne sehn mein lage nalke se hath munh dhoya aur kamre ki taraf barha jahn us ki judwa pyari behn Eshana parh rahi thi… Eshana, Govind ki judwa behn he… matric ki student he…. Bohat pyari aur susheel larki he…
Eshana… Govind ko dekhte he uchal pari aur bhai ke gale lag gayee… Govind ne apni pyari behna ka matha chooma… aur na chahte hue bhe dhayaan lagana shuroo kar diya…
Eshana ki soch… “Bahiya kitni mehnat karte hein.. Bhaiya ke hath kitne sakht hein… bharpoor mardana hath…” ek aur soch ubhri …
“yeh maths kitni fazool he… quadratic equation samajh mein he nhe aa rahe…”
Govind, apni behn ki soch parh kar muskaraya…
Govind…“kya parh rahi ho… kuch samajh na aye to pooch lo…”
Eshana… “haan Bhaiya, yeh quadratic equation samjha do…”
Govind, Eshana ko parhane laga… Eshana bare dhayaan se samjh rahi thi aur bohat jaldi us ne pick kar liya…. Kamre se nikal kar… Govind apni Maa ke pas kitchen mein chala gaya… Jahan par Maa raat ka khana bana rahi thi….
Govind ne Maa ko zehn me late hue dhayaan lagaya…
Maa ki soch… “paer bare dard kar rahe hein… Eshu parh le to us ko kehti hu ke tael ki maalish kar de…”
Govind chupke se uthaa aur sarson ka tael ek choti katori mein le kar us ko thora garam kiya…
Maa… “Beta, ye tael kyun garam kar rahe ho…”
Govind chup raha aur tael halka sa garam kar ke … Maa ke pas beth gaya aur Maa ke paon par tael lagane laga… Govind ko maloom tha ke Maa khud se kabhi us ko takleef ka nahe kahe gi…
Maa… “Beta, tu rehne de… thaka hua aaya he… Eshu laga de gi mujhe tael…”
“aur yeh tujhe kis ne kaha ke mere paon mein dard he???”
Govind… “Maa, mein tera he hissa hun … tum se judaa nahe hun… teri takleef mehssos kar sakta hun…”
Maa ke aankhen num ho gayeen aur dher sari duayen dene lagi… Jab Govind maalish kar chukka to… Maa ne us ke haath choom liye…
Govind ko bohat acha laga… us ne apni Maa ko bethe bethe gale laga liya…. Ik ajeeb si khushi aur itminaan tha is pyaar mein…
Bhai story achi lgati h tabhi to padte hbhai bohat dhanayavaad... aap ne aik shabd bhi na story ke baare me likha ke kessi lagi....
seedhe mudde par... waah bhai waah kya baat he.... :clap: :