lahore ke daro dewaar sazashi hain, pritam ke sath mile hue hain, "rab panj wele te sajjan har wele" ki kaifiyat se dil kabhi nikalta hi nahi, agar bazor'e jabar dil ko yaar ki yaad se hata bhi luun to is shehr ke baamwird apne andar uljha lete hain
androon ki tareek galiyan, aseeb sa seher lie mujh pardesi ka isteqbal karti hain,
6 simton se buland kar ke7 simat ki taraf rehnumai karti hain, ungli pakad kar waqt me safar karati hain, teer talwar ki ladayan, mehlaat me jaam bharti surahyan, shahi nakhoot me uthhte badshahoon ke kadam aur darbaron me raqsaan neem aryaan badan , sab dikhlati hain
maazi ke is safar se nikalta haal me kadam rakhta hun to ek herat kada alag aabad pata hun, qasre shahi ko muh chirhati tameerat aur raniyoun ko aaina dikhati aurtein muntazir milti hain, kadamat ki kenchli se nikla, jadeediat me machalta ik jahan hai jo aankh jhukne nahi deta, palak jhipakne nahi deta, un nazaroon ko chunte meri halat shehad ki makkhi ki si ho jati hai jo bahaar me ji rahi hon har rang ke phool ka ras choste jo apne zanboor khane(chatta) ko shehad se bhar chuki hon aur phir use yaqeen hone lage ke ye garam din kabhi khatam na hon ge.
is lutaf par mustrid pritam ki yaad... mera guman hai ke mujhe mohabbat ho gayi hai... ishq ho gya hai, haan ye ishq hai aur aakhri ishq hai, jo man bhawna hai, jaise
"jaan jaye gi aur kya hoga..."