chalo ik baar phir se ajnabī ban jaa.eñ ham donoñ
na maiñ tum se koī ummīd rakhūñ dil-navāzī kī
na tum merī taraf dekho ġhalat-andāz nazroñ se
na mere dil kī dhaḌkan laḌkhaḌā.e merī bātoñ se
na zāhir ho tumhārī kashmakash kā raaz nazroñ se
tumheñ bhī koī uljhan roktī hai pesh-qadmī se
mujhe bhī log kahte haiñ ki ye jalve parā.e haiñ
mire hamrāh bhī rusvā.iyāñ haiñ mere maazī kī
tumhāre saath bhī guzrī huī rātoñ ke saa.e haiñ
ta.āruf rog ho jaa.e to us kā bhūlnā behtar
ta.alluq bojh ban jaa.e to us ko toḌnā achchhā
vo afsāna jise anjām tak laanā na ho mumkin
use ik ḳhūb-sūrat moḌ de kar chhoḌnā achchhā