- 4,118
- 4,186
- 143
. Ye scene dekh kar mere dono bhai to upar hi chhup gaye, kahi unka number na lag jaye....


Ye kaise bhai hai jo door se tamasha dekh ke popcorn kha kha ke

. Ye scene dekh kar mere dono bhai to upar hi chhup gaye, kahi unka number na lag jaye....
Kya baat hai.... Mere comments to lustyweb pe bhi famous hai...Thanks for such nice words... Ye meri dusri story hai aur mujhe nahi laga tha ke mai shayad itna acha likh paya. Mai bhi pichle 4 saal se stories read kar raha hu. Aap ke comments bahut si achhi kahaniyon par maine dekhe hai. So thanks.....
nice updateUpdate - 3
Mai apne dosto ke sath party karne nikal gaya......inke bare me jab kahani me jarurat hogi tab bataunga. Nani, saad mamu aur badi mami bhi inke sath gaye the. Pata nahi aisa aisa kya kaam aa pada jo ye sab log waha gaye. Mujhe bhi thoda bahut doubt ho raha tha kyonki sab log gaon jate the lekin omar mamu kabhi nahi jate. Par aaj wo bhi gaye hai. Iska matlab koi badi baat hai. Ye sab log 2 car me gaye the. Ek me nana,nani, ammi aur bade mamu the.
"Baba, aap bhi kuch nahi bata rahe aur wo bhi keh rahe hai, gaon chalo wahi baat karenge. Aesa kya kaam hai jo omar bhai ko bhi chalna pad raha hai, ye toh waha kabhi nahi jate " ammi ne nana se pucha aur bade mamu car drive kar rahe the aur nani ammi ke bagal me bethi thi. Ammi ke alawa baki sab ko pata tha ki baat kya hai lekin sab ammi ko batane se katra rahe the..nana ne mamu ki taraf dekha to unhone na me gardan hilai.....ammi ne ye dekh liya lekin wo kuch nahi boli aur chupchap seat pe sar tika liya aur bahar ki taraf dekhne lagi.....
" Zini, tu kab se itni utawali hone lag gayi, jo bhi baat hai waha chal rahe hai na" ammi ne nani ki baat ka koi jawab nahi aur aankhe band kar ke let gayi. Subah se unka dil ghabra raha tha. 1 ghante baad wo log gaon pahunch gaye. Mere dada ka pura khandan wahi mojud tha. Dada bahut khush the ki nana unki baat maan kar waha aaye. Dada ne gaon me bahut badi haweli banwayi thi.
Aadmi log alag kamre me baith gaye aur auraten andar chali gayi. In sab ka aapas me milna milana hua aur phir baten shuru hui.
Mehaman kamre me ek sofe par dada aur nana baithe the. Abbu , omar mamu aur saad mamu ek taraf. Mere papa ke pancho bhai, unke chacha, do ladke wahi baithe the.....
" Tumhe to pata hi hai khalid, meri majboori nahi hoti toh mai ye baat tumse kabhi nahi kahta aur zeenat beti ko bhi keval tumhi mana sakte ho " dada ne nana ka hath apne hath me lekar kaha....
" Mazhar mai tumhari baat samajhta hu lekin tum bhi samjho hamari mushkil, Javed ke liye wo kabhi nahi manegi, wo uske zigar ka tukda hai. Tumne kisi aur ke liye kaha hota toh mai ek baar use mana bhi leta magar ye baat us se bolne ki himmat mujh me nahi hai" nana hath jodkar dada mafi mangni chahi toh unhone mana kar diya ki aisa na kare....
Ab aap soch rahe honge ki ye chal kya raha hai toh chalte hai ek saal pehle,
Abbu ke khandan ka riwaj jisme shadi pariwar me hi hoti hai, wo abhi tak chal raha hai. Lekin ab mushkil ye thi pariwar me itna bada ladka hi nahi tha jo Rubina se shadi kar sake. Rashid bada tha lekin wo uska saga bhai tha toh ye mumkin nahi tha. Rubina sab bhai behano me sab se badi thi aur abhi tak uski hi shadi nahi hui thi. Pura khandan pareshan tha ki kya kare. Pichle saal dada aur sajid taya ne abbu ko unse meri shadi Rubina se karne ko kaha. Lekin us waqt papa ne mana kar diya. Lekin dada aur dadi ne unke khub manaya toh wo maan gaye lekin unko pata tha ammi iss baat ke liye kabhi raji nahi hogi. Aur agar galti se bhi unhone ye baat ammi se kahi toh wo unhe ghar se bahar nikal degi...
Abbu ne unhe samjhaya ki bahar kisi achhe pariwar me shadi kar denge lekin wo log apne kabile aur khandan ke riwajo ka wasta dene lag gaye. Aise karke pichle ek saal me unhone pure pariwar ko mana keval ammi chhod kar kyonki unse ye baat kehne ki himmat kisi me nahi thi. Toh wo sab log aaj isi liye ikkatha huye the.. Ab sab log intezar kar rahe the ki ammi ko batane ki shuruaat kese aur isiliye ye log nani ko lekar aaye the. Kyuki ek wahi insaan hai jo ammi ko samjha sakti ya tu keh lo ki rok sakti hai. Toh iss waqt sari aurte ek kamre me baithi hui thi aur itni khamoshi thi hawa bhi aawaj kar rahi thi. Aur to aur auraten itni der chup reh jaye ye bahut badi baat thi aur itna hi bada ye matter tha kyonki Rubina mujhse 7 saal badi thi. Dadi ne nani ko ishara kiya, toh nani uth gayi aur dadi se kaha
" Aisa karte hai pehle ye baat hum akele me kar lete hai, toh aap chaliye, zini beta chalo......" Nani ne charo dadi ko sath chalne ke liye kaha aur phir ruk kar " aisa karo Fatima aur najiya tum dono bhi chalo....
" Mai bhi chalti hu " ye aawaj shakila bua ki thi...lekin nani ne unhe mana kar diya aur wo ek kamre me chale gaye aur use andar se band kar diya. Nani ne ammi ko apne paas baithaya aur baki sab bhi apni jagah baith gaye..
" Dekh zini puri baat dhyan se sun na, phir kuch bolna humne iss baat pe bahut socha hai phir tujhe batane ke bare me socha...." Ammi ne haan me gardan hilai
" Tumhare saas sasur Rubina ki shadi Javed se karna chahte hai " jaise hi nani ne ye kaha , ammi bilkul shocked ho gayi. Unhe bilkul ummed nahi thi wo kuch aisa kahengi...ammi gardan niche kar ke baith gayi aur kuch der tak room me shanti chhayi rahi... Is shanti ko nani ne hi bhang kiya
" Beta kuch to bol " charo dadi ki najre ammi par hi thi aur najiya bua bhi unhe hi dekh rahi thi. Badi mami ko shayad iss bare me pata tha.
" Ab kya bolu ammi, mujhe lagta tha aap duniya ki aakhiri insaan hogi jo mujhse aesi baat karegi, baki sab ka toh ek baar man lo ki wo aisa kar sakte par aap.. aap to inn logo ki taraf dari mat kijiye " ye bolkar ammi nani ko dekhne lagi
" Beta is pariwar ke taraf bhi tumhare shohar ki jimmedari banti hai aur ye inka riwaj hai toh isme hum bhi kya kar sakte hai aur waise bhi tumhare bhai Hamza ki shadi bhi toh tumhari bua ki ladki se hui thi"
" Nahi ammi, aisa kabhi nahi hoga, aap socho toh un dono ki age me kitna antar hai. Ek baar ko mai maan bhi jati agar love marriage hoti toh lekin aise nahi hai aur bhai wali baat aur inke pariwar ka mamla alag hai. Omar bhai ki shadi toh dusri jagah huyi thi na.... Mera manti hu jiska jaha mann ho wo waha shadi kare bas khush rahne chahiye.... Lekin inn logo ko auraton ki khushi se koi matlab nahi, kab tak chalega aisa.... Aur aap sab kaan khol kar sun lo.. khabardar jo mere bete ko iss sab me lane ki koshish ki toh " phir agle ek ghante tak iss par khub behas chali lekin koi natija nahi nikala.
" Wo dekh samne us aurat par kya beet rahi hogi jiski beti ki abhi tak shadi nahi hui hai. Wo to bechari dono taraf se mar rahi hai. Idhar tum nahi maan aur udhar uska pati " nani ne ammi ko najiya bua taraf moda. Najiya bua ro rahi thi aur unhone ammi ke samne hath jod liye. Ammi unhe dekhkar bahut bura laga lekin is sab me wo apne bete ki zindagi kharab nahi kar sakti aur wo uthkar bahar aa gayi.....
Udhar aadmiyo ke kamro me bhi yahi baat chal rahi thi...tabhi bahar se aawaj aayi...
" Saad bhaiii " ye aawaj ammi ki thi, udhar sari aurte bhi aa gayi thi aur mehman room se bhi
" Car ki chabi kaha hai, bhai "
" Mere paas hai, kya hua" saad mamu ammi ke karib aaye
" Mai ja rahi hu, aap log aa jana " ammi ne mamu ki jeb se chabi nikali aur haweli se bahar ki taraf chali gayi.. piche se abbu, omar aur saad bhi doudte huye unke piche aaye ....
" Zini ruk, mai chal raha hu tere sath " omar mamu ne ammi ko rokte huye kaha
" Aap ko pata tha na bhai, phir bhi aap yaha aaye, saad bhai aap chal rahe ho"
Ammi aur saad mamu dono wha se chale gaye. Toh long story short, ammi nahi mani aur upar se naraj aur ho gayi thi sabse. Ammi ghar par aakar apne room me chali gayi aur sar dard ka bahana bana kar sham tak andar hi rahi aur koi bulane bhi aaya toh wo nahi gayi. Sham ko 7 baje jab wo bahar aayi toh dekha sab log yahi the kewal javed ko chhod kar
" Sehrish, javed kaha hai "
" Mami, wo to abhi tak aaya hi nahi "
Ammi ne mujhe call lagaya par maine uthaya hi nahi. Thodi der baad abbu bhi ghar aa gaye lekin ammi ne unse koi baat nahi aur yaha tak ke unki taraf dekha bhi nahi.
Ammi mujhe kai call kiye par maine ek bhi call pick nahi kiya....Jab hum log free huye toh maine ammi ke miss call dekhe aur jaldi se ghar aaya, sath me unki favorite pastry leta aaya. Abhi 9 baj chuke the. Sabne khana kha liya siwaye ammi ke, puchne par unhone mana kar diya ki unhe bhuk nahi hai aur wahi hall me baithi rahi.... Jab andar enter hua toh ammi meri taraf hi dekh rahi thi aur thode gusse me thi.
Sab log apne kamro me the....
" Kha tha itni der " ammi ne gusse me pucha
" Sorry ammi, pls aaj maaf kardi " mai ammi ki taraf badha aur unke gale lagane laga toh unhone mere hath jhatak diye. Aur chilla kar.
" Maine pucha kaha tha itni der, subah se gaya hua hai, 12 ghante se upar ho gaya hai tujhe " Mai ise jhutha gussa samajh raha tha lekin aaj kuch alag tha. Jo mujhe pata nahi tha. Ammi ki itni tej aawaj sunkar abbu ke sath baki log bhi bahar aa gaye. Mere dono bhai upar se dekh rahe the.
" Ammi sorry na, dubara nahi hoga " maine apne bag se pastry laya tha wo nikali. Jab bhi mujhe aaj ammi gussa karegi toh mai pehle hi unhone manane ki tayari kar ke rakhta tha.
" Ammi, ye l...." Mere shabd mere muh reh gaye. Jaise maine ammi ko khilane ke hath badhaya unhone mera hath jhatka aur pastry chhen kar fek di aur mujhe collar se pakad kar khicha aur thappad marne ke liye hath uthaya lekin gaal tak lakar ruk gayi...tabhi piche se abbu ki aawaj aayi
" Zeennnattt...." Ammi ne unhe dekha aur ignore kar diya. ammi ne aaj tak mujhe marna toh dur kabhi danta bhi nahi hoga. Ye scene dekh kar mere dono bhai to upar hi chhup gaye, kahi unka number na lag jaye....
" Ek baar me samaj nahi aata, bata kya kar raha tha itni der bahar..... Meri hi galti hai, maine hi tujhe sar chadhaya hai, teri aadatein bigad kar....lekin ab bas " mai bas ek tak unhe dekhe ja raha tha. 5 min tak jab meri taraf se koi response nahi aaya toh unhone mujhe hilaya. Ye mere liye ek sadme ki tarah tha, subah sab thik tha abhi kya hua. Unki sab bato ko ignore kar ke maine car ki chabi unko di aur wapis ghar ke bahar ki taraf jane lag gaya....
" Javed kha ja raha hai, andar aa " ammi ke aawaj laga ne par bhi jab mai wapis nahi muda toh wo bhi mere piche aane lag gayi... Pehle toh wo gusse me boli lekin mujhe jata dekh kar unko ahsas hua ki unhone subah ka gussa mujh par nikal diya..
" Javed ruk ja.......betu ruk pls ......kaha ja raha hai....." Ammi bhi gate par aa gayi thi aur ab wo rone bhi lag gayi thi. Piche se abbu bhi aa gaye. Saad mamu aur choti mami haweli ke bahar lawn me walk kar rahe the. Ammi ki aawaj wo bhi idhar aane lage aur jab mujhe gusse me bahar jata dekha toh wo bhi mere sath chal diye. Saad mamu ki yahi khas baat thi ki wo har situation ko calmly handle karte the. Unki jagah koi aur hota toh mujhe jabardasti rokne ki koshish karta. Par mere sath hi chal diye, jaha bhi mai ja raha tha
Aur choti mami ammi ke paas chali gayi. Ammi mujhe aawaj dete huye wahi darwaje par hi baith gayi. Abbu mere piche aane lage toh choti mami ne unhe omar mamu ko bulane ke liye kaha.