A
Avni
Javed ghar aa hi gaya. mafi bhi mang li.Halat aur baat ki gambhirta ko samjh ke aakhirkar Javed ne shadi ke liye han keh di. sayad wo na kehta to uske pariwar ko fir se kabile walo ka rules apnane hote.Update - 5
* Omar Khan - Height 6"1, rang gora aur chehre par beard rakhte hai. Bahut hi bade builder hai hamari city ke aur iske alawa inko sarkar me bahut achi dakhal hai.
*Fatima Khan - Height 5'4, fair colour In dono ke 4 bacche hai.
* Saad Khan - Height - perfect 6 feet , fit body , gora rang . light beard rakhte aur charo mamu me sabse handsome hai.
* Mehreen Khan - Height - 5'7 - Achi height hai aur apni jawani me kisi model ki tarah lagti thi. Charo mamiyo me sabse sundar lagti hai. Aaj bhi apna figure maintain rakhti hai. In dono ke love marriage huyi thi. Inke 1 ladka aur 1 ladki hai.
Mai aur saad mamu ghar aaye toh badi mami aur choti mami hall me sofe par bethi huyi thi aur apas me bate kar rahi thi. Hame dekh kar wo dono hi ruk gayi.........aur badi mami aayi aur mujhe gale laga liya aur samjhane lagi.
"aisi choti-2 bato par bhala gussa hote hai" Mami ne mujhe sofe par bithaya, mai dono mamiyo ke bich me betha tha aur saad mamu bhi paas wale sofe par baith gaye. Choti mami ne bhi mujhe gale laga liya side se.........Hum hall me hi batein kar rahe the tabhi wo sab log kamre se bahar aa gaye aur mujhe waha baitha dekh kar sabne rahat ki saans li.
Nani paas aakar mujhe gale lagaya aur boli " agar agli baar ye kuch kahe na toh sidha mere paas aana, mai thik karungi iska dimag.... "
ammi ne nani ki baat sunkar muh bana liya aur jhute gusse me jaisa wo hamesha karti hai " ha toh ise apne sath le jao, bahut bada ho gaya na. Ab kyu wapas aaya, ja..........." aage ammi ko kuch bolti us se pehle hi mai aage badha or unko tight hug kar liya, jaise bahut dino ya salo baad mile ho, Na unke muh se koi na aawaj aayi na mai kuch bola.... dono hi 2 min tak aise hi khade rahe......... " Naraj hai mujhse " ammi bas itna hi bol payi.......
"sorry ammi.........." is se jyada mai kuch bol nahi paya aur unke pyare chehre ko dekhne laga jo iss waqt aansuo se bhara hua tha....maine unka chehra aur aankhe saaf kari.
"chal hat rula diya meri pyari behan ko....." is emotional scene ko saad mamu ne hi toda. "ab hum garibo ko sone do bhai ya raat bhar yahi karna hai." Ab sab khush the hamesha ki tarah, ammi ne mujhe room me jane ke liye kaha. Mai sabko sabakhair (good night ) bol kar upar apne room me aa gaya..........Niche baki sab bhi jane lag gaye the, waise bhi time bahut ho gaya tha. Nana ne sabko kal milne ke liye kaha. Is matter ke bare me wo log kal subah sab baccho ke school jane ke baad discuss karenge.
Sabke jane ke baad abbu aur ammi dono room me aa gaye. Thodi der room me shanti chhayi rahi.............
Phir abbu ne hi baat shuru ki....." Dekho zeenat, mujhe pata hai tum javed ko lekar bahut possesive ho. tumhe lagta hoga ki mai apne bete se bilkul pyar nahi karta hu aur uski jindagi barbad kar raha hu ye sab kar ke par aisa nahi hai. Mai bas apne pariwar walo ko us kabile se dur rakhna chahta hu. Mai nahi chahta ki Rubina ki shadi us kabile me ho. " Phir Abbu ne ammi ko wo sab bataya jo wo karna chahte hai aur kis tarah ye sab thik ho sakta hai.
" Maine aisa toh nahi kaha kabhi........ Tum bhi us se utna hi pyar karte ho jitna mai ya mujhse bhi jyada. bas tum jahir nahi karte kabhi aur mai kabhi khudko rok nahi pati jab bhi usko dekhti hu." ammi jaise yaad kar ke muskara rahi thi " tumhe yaad hai hasan jab javed hua tha , tumse jyada khush koi bhi nahi tha. Mujhe pata hai tumne ye faisla apne pariwar walo ke baato me aakar liya hai, tum kabhi unke real intention samajh nahi paoge. "
" Aisi koi baat nahi hai, tum bewajah shak karti rehti ho. Wo log sudhar gaye hai, ab wo bhi apne kabile se hatkar normal life jeena chahte hai. Ha bas faris thoda aisa hi hai par wo bhi dhire dhire badal raha hai. " Hasan ne zeenat ko baho me bharte huye kaha " Aur waise bhi wo tumse bahut darta hai toh aisa waisa kuch karne ki sochega bhi nahi............ " Abbu ki baat sunkar achanak unke haste chehre par ek dard ki lehar ubhare lagi.
" Hasan mujhe tumhari yahi baat achi bhi lagti aur kharab bhi ki, tum bahut jaldi kisi pe vishwas kar lete ho. Lekin mai nahi bhul sakti wo din jab hamara zindagi aur maut ke jhool raha tha, wo bhi sirf tumhare pariwar walo ki wajah se. Mai tumse pyar karne ki koi bhi keemat chuka sakti lekin agar wo keemat mera beta hai toh hargiz nahi. "
" tum bhi kesi baat karti ho, wo koi gair thodi na hai hamare apne hai. Aur galtiya sabse hoti hai aur is sab me unka koi hath nahi tha wo toh un kabile walo ne kiya tha. Ab tum hi batao itne salo baad abba ne mujhse kuch manga hai. Pehle toh maine mana hi kiya tha lekin wo toh mere pair pakad ne lag gaye the ki unke pariwar ko bacha lu. Ab tum hi batao koi beta ye kese dekh sakta hai ke uska baap uske pair pakde............. Kya tum chahogi ke kal mai javed ke perr......." Abbu aage kuch bolte ammi ne unke muh par hath rakh diya...
" khabardar jo dubara kabhi aisa kaha toh....... mana wo thoda ziddi hai par tumhari kabhi koi baat nahi talta wo aur tumse bahut pyar karta hai. Lekin tum hi us se dur dur rehte ho. Chaho toh abhi bhi koshish kar sakte ho, jao ek baar usko bhi bata do ye sab. Wo bina soche samjhe ha kar dega. Ye bhi nahi sochega ke uski zindagi ka kya? "
" Tum raji ho kya is shadi ho, phir toh us se puchu "
" mai chahti toh nahi hu lekin mere paas koi or tarika bhi nahi hai is sab ko thik karne ka.......lekin aaj maine mana kar diya toh phir tumhe ye malal rahega ki tum apne us pariwar ke liye kuch nahi kiya jisne tumhari biwi ka accident karwaya aur tumhe marne ki koshish ki kai baar. Mai ye faisla tumhare upar chhodti hu, .....Lekin ek baat yaad rakhna agar tumhare pariwar ya kabile walo ki taraf se kuch bhi upar niche hua toh tum us purani zeenat ko bhi jante ho. Jao mil lo apne bete se "
" Lekin aakhiri faisla tumhara hi hoga zeenat " ye kek kar abbu kamre bahar aa gaye aur ammi ne almira se night gown nikal kar change karne chali gayi.
Mai upar room me aaya aur saad mamu ne jo bataya uske bare me sochne laga ke ye kya chutiyapa hai. Abhi to meri 12th bhi complete na hui or shadi...... Mujhe kuch samajh nahi aa raha tha aur ammi bhi shayad isi wajah se pareshan hai. Waise bhi unko papa ka pariwar itna pasand nahi hai. Wo keval Asma bua se hi jyada baat karti hai aur thodi bahut najiya bua aur sadiya chachi se..........mai pata nahi kitni der tak usi jagah par baitha sochta raha. Tabhi mere gate par knock hua " javed so gaya kya beta"
"nahi abbu......aap.........kuch kaam tha kya........mujhe bula liya hota mai aa jata " maine jakar gate khola toh samne abbu khade. Pata nahi kitne dino baad aaj wo mere room aaye honge. Mujhe ye bhi yaad nahi last time mere room me wo kab aaye the.
"kyu mai nahi aa sakta kya tere room me........."
"nahi abbu aisi toh koi baat nahi....bas aise hi....."
" chal aa mere pas tujhse kuch baat karni hai " abbu jakar chair par baith aur mujhe bhi paas baithne ko kaha
" Ji abbu kahiye " Phir abbu ne mujhe wo hi sab baat batayi jo saad mamu ne bataya tha lekin thoda detail me ki kya hua , iski jarurat kya hai. ye kyu jaruri hai. Abbu ne mujhe apne pariwar ki story jo mujhe bilkul samajh na aayi. Ab jake mujhe thoda bahut samajh aaya ke ye majra kya hai.
Mere dada ka pariwar ek kabile se belong karta jo yaha se 150 km dur rehta hai. Us kabile ki population 1000 ke aas pass hai. Ye bahut hi garib log the jo bade logo or mantriyo ke liye taskari ke sath or bhi kahi sare gair kanuni kaam karte hai. Mere dada ke papa us kabile ke sardar the. Lekin wo garibi se tang aa chuke the. Itna jokhim bhara kaam karne ke bawajood unhe kuch nahi milta tha. Toh unhone apne kuch sathiyo ke sath milkar apne seth ki hatya kardi aur uske pariwar ke sare members ko maar diya. Phir sara kaam apne under le liya. Unke 2 bhai aur the,jo kabile ka dhyan rakhte the. Dada ke papa ne apne kabile ki halat to sudhar di lekin wo log bahut hi backward soch aur conservative kism ke insan the. Wo waha par kisi ka bhi dakhal bardasht nahi karte the. Abhi waha kya hota hai ye unhe nahi pata ya unhone mujhe jaan bhujkar nahi bataya. Abbu ne unko last time tabhi dekha tha jab unki ammi se shadi hone wali thi. Uske bad wo unse kabhi nahi mile.
Ab mera dada, wajid taya aur faris chacha ko chhodkar koi bhi waha apni ladki dene ko raji nahi hai. Pehle toh waha bado ke samne aurto aur baccho ke bolne tak ke ijajat nahi thi magar jabse abbu ne us ghar ki kaman sambhali hai, waha sabko apni baat rakhne ki aajadi hai. Ghar ke kuch sadasyo ko ye pasand nahi aaya lekin wo kuch kar bhi nahi sakte kyoki abbu ki wajah se unhe dhandhe bahut fayda hota hai toh wo log unko naraj nahi karna chahte isliye jab tak wo ghar par rehte hai unki baat mante hai phir unke jane ke baad wapis se wo hi sab shuru ho jata hai. Ab problem ye hai ke agar maine shadi nahi ki toh wo log unki shadi waha kar denge jo hamare pariwar ke liye bilkul bhi sahi nahi aur phir papa bhi kuch nahi kar payenge. Agar ek baar un logo ka dhakal iss ghar me ho gaya toh wo ise wapas kabile jaisa bana denge. Waha aurto aur ladkiyo ko ghar se bahar jane ki ijazat nahi hai. Wo kisi naach gane me hissa nahi le sakti.... aur aisi bahut si bate hai. Thoda bahut toh is bare me mujhe bhi pata chala tha jab mai summer vacation me gaon gaya tha aur sana or anisa ne bhi mujhe kuch bate batayi thi.
Abbu ne meri taraf hath jod kar bole " beta tu meri aakhiri ummed hai, pls mana mat karna..... " Abbu ko aisa karte dekh mujhe bahut bura laga. Maine unke hath niche kiye " abbu , dubara kabhi aisa mat karna..........aap bas hukum karo jaisa aap kahoge waisa hi hoga aur aap ammi ki chinta mat karo unhe mai mana lunga " Maine soch liya tha ke un kabile walo najar tak apne pariwar par nahi padne dunga. Hum abhi baat kar rahe the ke darwaja khula..........Maine udhar dekha toh ammi thi. Unhone is waqt ek blue silk night gown pehana huya tha, Jisme wo bahut pyari lag rahi thi.
" tum ne abhi tak kapde nahi badle " ammi ne mujhe abhi tak school ke kapdo me dekh kar pucha. Wo bhi ek chair par hamare pass hi baith gayi thi.
" bas mai karne hi wala tha. par abbu aa gaye the unse baat karne lag gaya "
"chal ja, waise hi aaj bahut late ho gaye hai, baki bate kal kar lena " Mai waha se uthkar kapre badalne chala gaya...ammi ne abbu muskara kar dekha " bahut khush lag rahe ho, matlab tumhare bete ne haa kardi hai "
" ha wo maan gaya." ye kehkar abbu sone chale gaye. Mai bhi short aur tshirt pehan kar aa gaya. Ammi mere kapde jo idhar udhar ho rahe the unko sahi kar rahi thi.
"ammi rehne do inko, chalo sote hai mujhe nind aa rahi hai" maine unka hath pakda unhe bed par lekar aa gaya aur khud bhi bed par aa gaya. Ammi ne apne baal khol diye jo bandhe huye the. Aur wo bhi mere sath blanket me let gayi. Ammi ke blanket me mai unke paas khisak gaya aur unhe side se hug karke aankhe band karli. Toh unhone bhi meri taraf muh kar liya. Abhi hum dono ka chehra ek dusre ki taraf tha, maine ammi ka hath ko apne seene se laga liya aur aankhe band karli. Ye meri bachpan se aadat thi jab bhi mai ammi ke paas sota tha. Ammi mere balo ko sehlati huyi mere chehro ko nihar rahi thi jaise kisi soch me ghum ho.
" kya hua itna jaldi so raha hai, waise rat bhar play station khelta rehta aur aaj mai aayi toh jaldi so raha " Ammi mere ko sehlati huyi keh rahi thi. Maine dhire aankh kholi toh woh mujhe hi dekh rahi thi.
" aaj bahut thank gaya hu " Wo mere itna karib thi ki mujhe unke badan ki bhini khusbu bahut bha rahi thi aur mai ek chote bacche ki tarah unke seene me dubak gaya. Ye dekh kar wo or muskarane lagi. Kyoki mai hamesha aisa hi karta tha, ye unke liye koi nayi baat nahi thi.
" betu thodi der baad so jana, tere abbu se teri abhi baat huyi hogi na...." Maine uth kar unki taraf dekha aur haa mai gardan hilayi " Mujhe usi bare me baat karni hai "
" Ammi abhi nahi, hum kal baat karenge iss bare me...." phir maine ammi ke hontho par jaldi se ek kiss kiya, jaisa mai hamesha karta tha aur blanket me ghus kar dusri taraf muh kar liya.
" Badmash......sudhar ja tu, nahi toh bahut maar khayega mere se. or subah jaldi uth jana " ammi muskara rahi thi meri harkat par, 5 min tak wo kuch sochti rahi aur Phir jab unhone meri taraf dekha ki mai so gaya hu toh unhone bhi jagane ki koshish nahi ki. Ammi ne mere mathe ko chuma aur mujhse subah jaldi uth kar baat karne ka sochkar, wo bhi let gayi.