- 412
- 3,543
- 123
Update 21
Ehsaas- Kuch Naye (2)
"Kya hum ek dusre ko jaante hai.?" Arjun ka sawaal Preeti ke dimaag ke sath dil par bhi kisi sooi ki tarah chubha.
"Dekha na maine kaha tha ke ye mera veham hai. Lekin kya karu pata nahi aisa lagta hai ke jaise tumhari aankhen mai pehle bhi bahut baar dekh chuka hu.
Bahut kareeb se. Lekin yaad kuch nahi aa raha. Shayad kisi aur ko hongi ya fir koi sapna bhi ho sakta hai." Arjun ab nirantar apni baat bolta raha.
"sorry wo bas aise he keh dia. Mai toh koi 8 saal se hostel tha. Aur fir ghar bhi saal me ek baar aata tha. Tum bhi abhi aai ho yaha toh ye mere veham
se jyada kuch nahi hai." Arjun ye baat keh kar chup sa ho gaya aur idhar dono mukhya bajar me aa gaye the. Ye kaafi jyada badi market thi jo pas ke
2-3 sheharo me bhi prachalit thi. Har tarah ka samaan yaha milta tha. Kapde, gehne, ghar ka samaan, office ka saman, khaane peene ke kai restra aur
hotel bhi the. Kahi badi dukane toh kahi rehdi market. Andar scooter par jana thik nahi tha toh Arjun ne pravesh karte he Scooter ko wahi gaadi-dopahiya
ke liye banaye ek plot par khada kia aur wapis bahar Preeti ke paas aa gaya tha. Preeti chup thi lekin ab uske chehre pe chinta nahi thi.
"ye dukaan jara pooch le kisi se? Thoda he time hai nahi toh band ho jayegi." Arjun ne fir ek baar koshish ki Preeti se baat karne ki. Uski chuppi
Arjun ko buri lag rahi thi.
"Thik hai."
Pas me he ek thele wale se usne poocha, 'Bhaiya ye Shringaar Ghar kidhar hai.?"
"Sahab ye seedhi sadak par chale jao.Saamne gol chakkar ke us taraf 2 manila dukaan hai. Dikh jayegi wahi se." Wo aadmi jo chaat-paapdi bech raha tha bola.
"Shukriya bhaiya." Bolkar dono thele wale ki batai disha me chalne lage. Footpath par chalte hue Preeti niche dekhti chal rahi thi aur Arjun kabhi usko
toh kabhi saamne. Shanivar tha toh bheed bhi bahut thi. Har jagah kahi bahar log samaan bech rahe the aur kahi dukano par saste daam ke chart chipke the.
Gol chakkar ko paar karte samay bhi Preeti ka dhyan niche he tha. Arjun sadak ko teji se paar karne ke chakkar me thoda aage hua toh piche muda. Ek gaaye
uski taraf he bhaagti aa rahi thi. Arjun ne teji se Preeti ki aur bhadkar usko apni taraf kheench. Aur utni he der me gaaye uski peeth ke piche se nikal gai.
"Meri baat se naaraj ho toh mat baat karo lekin sadak par najar toh rakh lo. Abhi kuch ho jata toh mai Col uncle ko kya jawaab deta?" Usne pehli baar sakhti
se kisi se baat kahi thi. Yaha Preeti uske seene se jaa lagi thi. Dono wapis alag ho kar chal diye. Is baar Arjun aage chal raha tha lekin usne Preeti ka
hath aise thaam rakha tha ke jaise koi baap apni ziddi aulaad ko us dukaan se dur le ja raha ho jaha khilone tange ho. Wo kabhi Arjun ki taraf dekhti toh
kabhi aaspas. Kisi ko unki parwah nahi thi aur aise he woh us dukaan par aa gaye. Yaha Arjun ne hath chodd diya tha aur shayad Preeti ko ye atcha nahi laga
"Ji kahiye?" Dukaan kaafi badi thi lekin abhi waha sirf 2 he log the. Ek ladka jo andar samaan pack kar raha aur ek ye uncle jo mukhya counter par baithe
paise gin rahe the.
"Ji mujhe Malhotra uncle ne bheja hai.", itna he kaha tha ke saamne wale ne Ek bada sa bag Arjun ki taraf badhate hue kaha, "Beta tumhara he intjaar kar
raha tha. Ye lo beta jaisa kaha tha sab waisa kar dia hai."
"Ji Shukriya. Aur paise kitne hue?" Arjun ne jab poocha toh unhone bag par lagi parchi par nigah dali. "Beta 3500 hue hai. Ye extra kaam tha. Lehnge ki
keemat phele he Malhotra ji de chuke hai." Arjun ne noto ki gaddi se 35 note unko diye aur baaki waise he wapis rubber se bandh jeb me rakh liye. Fir
Preeti ki taraf dekh sheeshe ke darwaje ko khola. Dono bag lekar bahar aa gaye.
"Tumhe bhi kuch lena tha na? Tumhare dadaji ne bataya tha." Arjun ki baat sunkar Preeti ne uski taraf dekha toh Arjun ko uski wo aankhe ab kisi heere si
chamakti dikhi. Shayad suraj ki roshni se.
"Ha wo mujhe bhi kuch kapde lene hai. Lekin mujhe jyada kuch pata nahi market me ki kaha se atche kapde mil sakte hai." Preeti ki baat sunkar Arjun ne
usko rukne ka ishara kia aur wapis us dukan me ghus gaya jis se lehnga lia tha. Ab waha wo ladka tha jo pehle andar ki taraf tha.
"Bhaiya yaha ladkiyo ke atche kapde kaha milte hai. Kisi khaas din ke liye?"
"Bhai mil toh yaha bhi jaate lekin abhi dukaan badha di hai bas. Lekin waha saamne Natraj Hotel hai. Uske sath jo gali andar jaa rahi hai woh sirf ladies
ke kapdo aur samaan ki dukano se bhari hai. Har tarah ka kapda waha mil jayega. Aur kuch kami hoti hai toh jyadatar dukano me darji bhi baithe hai." Itna
kehkar usne chaabiyon ka guchaa uthaye hue he andar se darwaja khola aur dono bahar aa gaye. "Shukriya bhai." Fir se ab dono log chal pade. Aage Arjun aur
us se ek kadam piche Preeti. "Ab dhyaan se paar karna." Arjun ne ye baat kahi toh Preeti jo ab tak chup thi boli, "Mujhe kuch ho jata toh kya tumhe bura
nahi lagta?". Arjun ne uski baat suni aur fir gali me ghuste hue he bola. "Abhi tum meri jimmedari ho aur agar tumhe kuch ho jata toh mujhe bilkul bhi
nahi pata ke mai kya karta. Kyonki mere pas iska koi jawaab nahi hota."
"Matlab agar mujhe chott lag jaati toh tumhe farak nahi padta?", Preeti ki baat sunkar Arjun ke pair wahi ruk gaye.
"Mai khud ko maaf nahi kar pata. Bas itna kahunga." Aur fir apna purani baat dohrai, "Batao kya tum mujhe jaanti ho?"
"Ha tumhe jaanti hu tabhi toh yaha aa gai tumhare sath. " Preeti itna bolkar ek badi dukaan me chali gai jaha bade sheeshe se andar lagi kai khoobsurat
poshak dikh rahi thi. Arjun bhi piche ho lia. Andar se toh ye dukaan aur bhi badi thi. Koi 5 counter the yaha bheed thik thak he thi. Arjun gor se har
taraf dekhne laga.
"Bhaiya wo statue par laga black wala suit available hai.?" Preeti shayad us suit ko dekh kar he andar aai thi. Tha bhi woh behad he umda kalakari wala
"Ji Madam. Ye ready to stich suit hai aur kaafi popular bhi ho raha hai." Dukandaar ne aur bhi bahut tareef ki us suit ki jisme reshmi kapde pe kaanch
ki kaarigari ki hui thi.
"Aap kitna waqt lenge isko tayar karwane me? Hume thodi jaldi hai." Bina daam pooche he Preeti kisi choti bachi ki tarah baar baar usko dekh rahi thi.
"Ji aap maap dijiye hamari madam isko 2 ghante me he tayaar kar dengi. Salwar sirf chudidaar ho tayaar hoga. Mai ye pehle bata deta hu. Poora suit 4300 ka
lagega. Jisme humne 300 he sirf silai ke jode hai." Dukaandar ne ek he baar me apni baat keh di. Preeti ne Arjun ki taraf dekha jaise pooch rahi ho ke kya kare
"Ji Uncle aap suit tayaar kijiye. Abhi 12 bajne waale hai hum 2 baje aa kar le jayenge." Arjun ne he Preeti ki jagah jawaab dia toh Preeti niche dekh kar
muskurane lagi. Arjun ne paise dene ke liye apna batua nikala toh Preeti hairaan hoti uski taraf dekhne lagi lekin thodi furti se usne apne handbag se 500
ke 9 note dukandaar ke saamne rakh diye. Dukaandar bhi dono ki taraf dekh muskura dia. Arjun ne jhempte hue batua wapis pichli jeb me rakh lia.
"Poonam ye suit jara jaldi tayar karna hai pehle aakar yaha maap le lo." Dukandaar ne awaaj lagai toh chasma pehne ek aurat andar bane ek kamre se bahar
nikal kar counter ki taraf aai. Uske haath me ek pencil aur feeta tha. "Aaiye aape mere sath chaliye. Aur chotu jo suit inhone pasand kia hai uska naya
piece andar bhijwa do." Unhone itna kaha toh Preeti andar chali gai aur ek ladka peeche ke counter se suit nikalne laga.
"Chalo yaha se toh faarig ho gaye bas abhi ek aur dress leni hai." Preeti ne na jane kaise counter par aate he Arjun ki baah thaam li aur uske bahar
le chal di. Arjun stabdh sa bahar aa gaya. "Waha tum paise kyo de rahe the?" Usne ab muskura kar poocha toh Arjun se jawaab dete na bana. Bas ek
sharmili si muskaan ke sath sar jhuka lia. "Dada ji ne mujhe pehle he kaafi paise dekar bheja hai. Aur tum toh mujhe kuch samajhte nahi fir tumhare
paise toh mai waise bhi nahi lene wali thi." Thoda pyaar se kia tanj kaam kar gaya. "Kyo? Mere paise nakli hai kya? Aur tumhare pas paise nahi bhi
hote toh bhi mai bina kahe dene wala tha. Mujhe bhi suit pasand aaya tha aur jis tarah tum usko dekh rahi thi, mere dil ne kaha ke mai khud he tumhe
dilwa du." Fir se gadbad kar di thi Arjun ne . Yahi toh kami thi uski ki shabdo ko naaptol nahi rakh pata tha.
"Chalo mujhe kal ke liye bhi ek dress leni hai.", Aur wo usko lekar sabhi dukano ko bahar se he dekhne lagi. Kahi ek pal rukti fir chal deti. Arjun
bhi ghar se bahar aaj pehli baar is tarah ghoom rha tha. Usko bhi atcha lag raha tha aise Preeti ke sath ghoomna. "Yaha chalo mere sath." Arjun ne
dekha toh ye ek bahut he shandar aur badi si dukaan thi. Pehle wali se kahi teen guni badi aur bahut tadak bhadak wali. Dono andar gaye toh dukaan
ki poori chat par bahut si light lagi thi. Har taraf ek se badhkar ek poshak tange the ya aadamkad mahila roopi plastic ki murato par pehnaye gaye
the. Arjun ke mooh se bas itna he nikla. "Waah." Kahi shaadi ke jode, toh kahi saariya aur suit. Khoobsurat lehnge aur Lambi skirt bhi waha tangi
thi. "Sahi jagah hai na ye? Ab tum batao mujhe kya lena chahiye?" Preeti Arjun se keh rahi thi aur Arjun ek poshak ko ghur raha tha. "Wo hamre kaam
ki nahi hai. Usko dulhan pehanti hai." Preeti ki baat sunkar Arjun apni bagle jhankne laga. Ek murat par laal choode, ghoongat, choli aur lehnga
pehnaya hua tha. Behad he khoobsurat thi woh. Lekin Arjun ko ye sab nahi pata tha. "Atcha ye dekho ye kaisi dress hai.?" Preeti ne uska dhyaan ek
paschimi poshak ki taraf kia. Ye ek bahurangi phulo wali shirt aur ghutno se thodi niche tak ki laal skirt thi. "Mujhe ye jara bhi pasand nahi aai.
Ek baar isko dekho." Usne counter ke peeche tange hue ek halke gulaabi lehnga-choli ki taraf ishara kai. Jispe sunehari aur chandi ke rang ki karigari
ki gai thi. Ye koi jyada tadak bhadak wala lehnga nahi tha jaisa aamtor par dikhai deta hai. Us counter par khade navyuvak ne Arjun ki baat sunkar
kaha, "Hamare pas isme 2 aur bhi rang hai. Idhar aaiye mai dikhata hu appko." dono us counter ki taraf chal diye jaha wo yuvak counter ke niche se
alag lehnge nikal raha tha. "Ye dekhiye bhai. Ye rang bhi thoda alag hai aur aankhon me chubhta nahi." Usne ek mehroon rang ka lehnga dikhaya jo
bilkul waisa he tha jaisa diwar par laga tha. Aur fir dusra dikhaya jo halka naarangi aur laal tha. Arjun ne dono ko mana kar dia. "Ek baar wahi utaar
dijiye." Arjun ne ishara kia toh yuvak ne ek gol lakdi ki madad se lehnga niche utaar dia. "Isko laga kar dekho jara khud par." Arjun ke bolte he
Preeti ne handbag counter par rakha aur lehnge ho dono hatho me pakad kamar ke saamne lagaya. Counter wale ladke ne uske sath ki taaro se buni hui gulabi
kinaro ki chunni Arjun ki aur ki toh Arjun ne nasamjhi se woh Preeti ke sar par kar di. "Hahaha. Isko gale me lete hai yaha sar par nahi. Lagta hai
abhi bhi tumhara dhyaan us dulhan ki dress me hai." Unki harkat dekh kar aaspas 3-4 log aur woh counter pe khada ladka bhi muskura dia. "Mai koi
ladki toh nahi. Aise he ho gaya." Arjun ne safaai di fir counter ki taraf sar ghuma ke daam poocha. "Ye set kitne ka hai bhai? Aur kya isme bhi
darji ki jarurat padegi?"
"Jarurat toh rahegi bhai. Choli ko maap ke hisaab se tayar karna aur lehnge ki lambaai bhi pehan ne wale ke hisab se karni padti hai. Isme 2 din ka time lagega.
Aur jaise ki abhi ye off time hai toh iski keemat bhi 50% kam hai. Abhi ye 6000/- ka lagega tayaar karne ke baad."
"Kya hume ye kal tak mil sakta hai.?" Preeti purse se paise nikalti hui boli aur grahak ko tayaar dekh kar yuvak bola. "Aap ek minute rukiye." Itna bolkar
wo mukhya counter ki taraf gaya aur idhar ek ladka tray me 2 gilas pani lekar un dono ke pas aaya. Paani peene ke baad dono ne uska dhanyawad kia.
"Ji madam, ye kal 3 baje tak aapko mil jayega. Aap advance counter par jama karwa dijiye aur agar koi aur ye lene aaye toh unko ye parchi jarur sath
dekar bhejna." Poore paise jama karwa kar ek raseed lekar dono chal diye wapis jis taraf se aaye the.
"Mujhe abhi kuch aur bhi lena hai. Tumne wo dress dilwai toh ab mere pas koi chudiyan ya payal toh hai nahi." Arjun Preeti ki baat sunkar muskura
utha. "Uske baad toh kuch nahi lena.?" Usne Preeti ko thoda majaak me ye baat kahi toh Preeti sochne ke andaaj me boli, "Ha sahi kaha. Mujhe ab
kuch aur bhi lena padega." Dono chal rahe the toh ek dukan ke bahar sondarya prasadhan aur chudiyon ka board laga tha. Is badi dukaan me atchi khasi
bheed thi aur jyadatar college jane wali ladkiya apni maa ke sath thi aur kuch saheliyon ke.
Ek counter par Arjun ne he kaha, "Chudiyan aur Payal dikha dijiye." Wo ladki takriban 22-23 saal ki thi. Usne dono ko dekha aur kaha, "aapko kis
tarah ki chudiyan chahiye?"
"Ek toh black suit ke saath matching ki aur ek gulabi lehnge ke sath." Preeti ne jawaab dia. Unke sath wale counter par bhi ek ladki khali khadi thi
toh usko dekh kar Arjun ne apni jeb se Malhotra uncle ki di hui parchi nikal kar uski taraf badha di. "Ye samaan yaha mil jayega?" Ladki ne sarsari
nigah daali aur ha me gardan hila kar wo parchi le li. "Aap itne chudiyan pasand kijiye mai ye samaan nikalti hu." Arjun thoda nischint ho kar wapis
pehle wali ladki ki aur dekhne laga. Preeti alag alag tarah ki chudiyan dekh rahi thi ki Arjun beech me bol pada, "Kya aap kaali aur safed chudiyon
ka set dikha sakti hai.?" Hanskar us ladki ne haa kaha aur furti se 12-12 chudiyon ke 2 set tayaar kar unke saamne rakh diye. 2 safed 2 kaali ke hisab
se wo bane the. "Kamaal hai yar. Tumne toh problem ek chutki me solve kar di." Preeti prashansa ke bhaav se boli. "Wo suit bhi kuch aisa he tha toh
mujhe laga ke ye sahi rahengi."
"Thik hai aap inhe pack kar dijiye. Aur koi golden gulabi chudiyon ka set ho toh woh bhi dikha dijiye." Itna bolkar woh aaspas dekhne lagi.
"Lijiye ye thodi bhaari hai aur lehnge ke sath thik rahengi. Dono haatho me 6 thik rahengi." Ladki apne kaam me daksh thi. Arjun ko bhi wo pasand aai.
"Ek jodi paayal bhi dikha dijiye." Bina he Preeti ki taraf dekhe usne agla hukum dia jaise. Ladki counter se nikal kar andar chali gai.
Ab Preeti ne kaha, "Maine toh waise he bola tha payal ke liye."
"Dress poori he achi lagti hai. Kuch bhi kam ho jaye toh wo adhurapan ek kami ka ehsaas kara he deta hai. Galat toh nahi kaha." Arjun apni baat par adag tha.
"Dekhiye madam, ye single line ki chote ghunguro wali payal hai. Ek yehai jo thodi chaudi patti ki hai aur niche ghungru hai. Aur ek ye wali hai jiske niche
chain ka design hai." Jaise he us ladki ne wo sab payal sheeshe ke counter par rakhe Arjun ne choti choti chain lagi wo payal utha li. Uspar bilkul he
maheen morpankh se bane thi jinke niche janjeer judi thi aur poori golaai tak ye design tha. "Ye wali pack kar dijiye." Usne wo payal ladki ki taraf
badha di. Preeti bas pyaar se Arjun ki taraf dekh rahi thi. "Lagta nahi ki kismat aise meharbaan hoti hogi har kisi par." bas usne mann me yahi socha.
Idhar bhi sara samaan pack kar dia tha dusri ladki ne aur sab jodkar ek parchi darwaje wale counter ki taraf badha di samaan ke sath.
"Aapka sab samaan ka hua 3750/-" Jo aunty waha baithi thi unhone Arjun se kaha toh usne unse 2 parchi banane ko kaha. "Dekhiye ye samaan ki alag parchi
bana dijiye." Usne Malhotra uncle wali parchi unke saamne kar di. Uski baat sunkar Preeti ko thodi hairaani hui aur uska haath fir purse ki taraf chala
gaya jisko Arjun ne dekh lia tha. Usne apna haath wahi Preeti ke haath par rakh kar halke se daba dia. matlab nahi.
"Ye sab hua 2800/-" Arjun ne wo parchi le li aur unko Malhotra uncle ke paiso se 2800 diye aur fir apne batue se 950/-. Sara samaan khud utha lia aur
Preeti se kaha, "Madam chale." Wo bhi hansti hui bahar aa gai.
"Ab agar kaho toh mai bhi kuch kharid lu?" Arjun ne vinti he kar di thi ab Preeti se.
"Pehle kuch khilao fir hum tumhare liye kuch lenge." Preeti ki baat sunkar wo sar par hath rakh kar chal dia. Saamne he Natraaj resta/hotle dekh dono
waha chal diye. Preeti ne menu utha ke ek pal ke liye dekh fir boli, "Mere liye ek Masala Dosa aur lemonade. Aur tumhe kya khana hai"
Arjun ne ek baar Preeti ko dekh aur fir menu par najar daali. "mere liye milk badaam. Bas aur kuch nahi." Baira unka order lekar chal dia 10 minute
ka bol kar.
"Kaisa laga yaha aakar?" Preeti ne ye sawaal kia. "Pehle toh laga tha ke Malhotra uncle ne kaha fansa dia. Fir tum par binawajah thoda gussa aaya tha.
Lekin ab soch raha hu toh atcha lag raha hai. Aaj pehli baar mai thoda ajaadi se ghoom raha hu."
"Tumhe shayad khud ki aadat ho gai hai. Mera matlab ye tha ki mere sath aakar kaisa laga." Nautanki karne lagi thi Preeti ab Arjun ke sath aur usne bhi
bakhubi kaha, "Col uncle ne kabhi koi sahi kaam kia hai kya? Aaj tumhaare sath bhej dia samaan uthaane ke liye." Aur hansne laga.
"Kitna saaf dil hai ye. Aaj bhi waisa he hai. Duniya badal gai lekin shayad iska wakt aaj bhi wahi ruka hua hai. Bacho ki tarah saaf, seedha aur nirmal."
Usko hansta dekh wo ladne ki jagah bas ektuk dekhti rahi.
"Lijiye aapka order." Preeti khaane lagi aur Arjun araam se apna milk badaam peene laga. Preeti ne us se bhi poocha ki wo uske sath kha le. lekin uska
mann nahi tha. Waha se faarig hokar unhone Arjun ke liye 2 jodi kapde liye jo Preeti ne pasand kiye. Arjun ne bhi khud se usko ek atchi si half pant
jo jeans ke kapde se bani thi dilwai. Preeti ne sirf ek baar usko dekha tha ki Arjun ne agle he pal sirf itna poocha tha, "Tumhari waist kitni hai?"
"28" aur usne dukaan ke andar jaa kar woh girl's denim short le liya tha. Ab takriban 3 baj chuke the aur Arjun dono kandho par samaan laade Preeti ke
sath sabse pehli dukan ki aur chal dia. Waha suit tayar aur pack tha. Usko lekar dono jis disha se aaye the udhar chal diye.
"Ye sab aayega kaise?" Arjun ne jab itna samaan dekha toh khud se he kaha.
"Ek kaam karo, ye samaan aur chudiyon wala bag tum samne scooter ke box me rakh do. Tumhare dress wala bag mere bag ke sath aage huk ke daal do aur
ye Shaadi wala lehnga mai pakad kar baith jaungi." Naari sarvopari.. Matlab aurat ke pas sab samsya ka hal hota hai. Aur Arjun ne thik waisa he kia.
Ab scooter par Preeti pehle se alag tarah se baithi thi. Uska haath ab Arjun ki kamar par tha aur dusre hath me lehnge wala packet. Dono nikal pade
wapis ghar ki taraf. Kuch khwaab ankahe se le kar.