Fantasy Ron~the dragon holder (completed)

Well-known member
1,171
1,372
143
Update-17
"Balladonna ki speed ko aur tej karo..hume jald hi aage badhna hain..."Seth ne apne logo ko instruction dete hue kaha..Captain Nair balladonna ke ek chhor par khada hokar samundar me uth rahi tej lahro ko dekh raha tha...
"captain..ab aap kaise ho..."seth bhi Nair ke pass khada ho gaya...
"jante ho seth zindagi me maine itni haar kabhi nahi jheli...Ron ke hatho lagatar mili shikast ne mujhe andar tak hila diya hain...main kisi bhi halat me balladonna ka captain kahlane layak nahi hoon..."Nair ki awaaj me udas jhalak rahi thi..."Captain hum navy se hain,.,humne isse bhi badi ladayi jeeti hain,hum itni jaldi haar nahi maan sakte.."
"tumne thik kaha Seth..humne isse bade bade jung jeeti hain..lekin kabhi socha nahi tha ki ek jungali ,jo khud ko shikari kahta hain..us bedhange se haar jaunga...."
seth abki baar chup raha...Raaj apne room se bahar nikalkar balladonna ke khule vatavaran meaa gaya..uske sar par nishan the..jo ki Ron ke sath hui ladayi ka nateeza tha..Raaj ne seth aur Nair ko balladonna par dekhkar unki taraf badh gaya..
"Raaj-balladonna ka engine kharab ho gaya tha..ab thik hain..
"Seth-puri tarah se toh thik nahi hua hain..lekin ye kaam kar raha hain..tum kaise ho..
"Raaj-mujhe hua hi kya tha..aisi muthbedh toh hoti rahti hain,,,ab main bilkul thik hoon...aur Ron ke sath agali mulakat ka besabri se intezar kar raha hoon...
"Nair-kya karoge usse mulakat karke ..is baar bhi wo chakma de jayega..hum kuch nahi kar payenge...
"befikra raho captain..yuddh me jab tak samne wala zinda ho..ladayi khatam nahi hoti..aur abhi toh hum sab thik hain..,jaroorat hain toh milkar kaam karne ki...phhir wo Chahe Ron ho ya Morgan ki darindi sena..koyi humare aage kuch nahi kar payega..."
"Nair-tum sahi kahte ho Raaj..aaj se hum teeno ka ek maksad hain ,..Ron ki tabahi...
"waise hum teen nahi char hain..aur Ron ki tabahi ke alawa bhi hum charo ka ek maksad hain..."
Nair,Seth aur Raaj ka dhyan Aawaj ki taraf gaya...Riya saamne se aa rahi thi...
"Riya-Raaj,tumne sahi kaha..hume milkar kaam karna hain....aur humare is nek kaam me balladonna bhi sath dega...
"Seth-balladonna ki speed badho namurado...itni tej kar do ki ek baar samundar bhi kaanp jaye....ab hume na toh Morgan rok sakta hain,..aur na hi The Ron....
****************************
 
Well-known member
1,171
1,372
143
hum inka mukabla kaise karenge..inki tadad bahut jyada hain...aaj uparwala hi bachayega hume in darindo se..."Aditya ki aawaj me dar saaf jhalak raha tha..
"Ron-baat toh sahi hain..par inke liye main akela hi kafi hoon...
Morgan ke dragons bhayankar aawaj nikalte hue teji se Unki taraf aa rahe the..pichhali baar mili shikast ka gussa saaf jhalak raha tha...
"Ron-ye kallu nahi dikh raha kahi..chupa hoga peechhe...
"Ronnnnnn........"tej awaaj me bolte hue Morgan dragon par baitha hua saamne aaya..
"Ron-ek toh teri awaaj itni bekar hain..upar se Ronnn chillakar kaan phad raha hain..kuch kaam tha kya..ya phhir aise hi meri yaad aa gayi..jo mujhse milne aa gaya..
"Morgan-tu bahut badi galti kar raha hain..tujhe atlantic samundar ki raksha kavach ko paar nahi karna chahiye tha....is baar tujhe yaha se zinda nahi jane dunga...
"Ron-aaja ladayi karte hain..mera baat karne ka mood nahi hain...
"bilandar-abey pagal hain kya..kyun Morgan ko uksa raha hain,,,tu shayad use nahi janta..
"ye Morgan kaun hain..main toh ise kallu bulata hoon...aur ye sab toh ek war me hi khatam hain..."
Ron ne naav me padi barood ki bori ko uthakar dragons ki taraf phenk diya..aur apni bandook se us barood par nishana laga diya...sabhi dragon teji se aage badh gaye...Barood hawa me jalne laga..
"Ron-ab toh gaye kaam se...chal apne priyajano ko yaad kar lete...
hain
Morgan-Ron..abhi tujhe marne ka waqt nahi aaya hain,,tere liye humne kuch aur hi soch rakha hain..pahle balladonna ko tabah karna padega..yadi dragon holder ka adesh hain...Morgan apne dragons ko lekar aage badh chala...Teeno dragons ko balladonna ki disha me jate hue dekhne lage...
"Ron-chalo Martin ka iceland jyada door nahi hain..
"Aditya-ghanta aag badhe..phad ke nikal gaya kallu..jab maine dekha ki tera war khali gaya hain...dekh ke goli nahi chala sakta tha..
"ek baar spiritual ship ko hath aane de..phhir in sabki....... "
Ron ko beech me hi Rokkar Aditya bol pada..."Captain mujhe banana..dekh kitna achchha lagega jab log kahenge..Captain Aditya..."isse thik toh Captain bilandar lagta hain...jahaj ka keval ek Captain hoga..wo hain The Ron.."
bilandar hasne laga..."kya sapne hain tum dono ke..lekin spiritual ship ka pata maloom hain..."
"pahle hum teeno ko Martin ke iceland me jana hain...ab mujhe iceland ka maloom karne do..."
Ron kuch samay ke charo taraf dekhta raha..phhir usne ek disha me kashti ko chalane ka adesh diya....
******************************Raaj-ab hum Martin ke shahar se jyada door nahi hain..abey ye kya Morgan ke dragon phhir aa rahe hain...
"Seth-daro mat..is baar Morgan ko sabak sikhane ka plan maine taiyar kar rakha hain...barood unki taraf phenko aur goli chala do..dragon kya dragon ki jaat tak nahi bachegi..
"Seth-sabhi barood lekar upar aayo..inko dikha de ki ,hum army hain...
 
Well-known member
1,171
1,372
143
"Aditya-ghanta aag badhe..phad ke nikal gaya kallu..jab maine dekha ki tera war khali gaya hain...dekh ke goli nahi chala sakta tha..
"ek baar spiritual ship ko hath aane de..phhir in sabki....... "
Ron ko beech me hi Rokkar Aditya bol pada..."Captain mujhe banana..dekh kitna achchha lagega jab log kahenge..Captain Aditya..."
"isse thik toh Captain bilandar lagta hain...jahaj ka keval ek Captain hoga..wo hain The Ron.."
bilandar hasne laga..."kya sapne hain tum dono ke..lekin spiritual ship ka pata maloom hain..."
"pahle hum teeno ko Martin ke iceland me jana hain...ab mujhe iceland ka maloom karne do..."
Ron kuch samay ke charo taraf dekhta raha..phhir usne ek disha me kashti ko chalane ka adesh diya....
******************************Raaj-ab hum Martin ke shahar se jyada door nahi hain..abey ye kya Morgan ke dragon phhir aa rahe hain...
"Seth-daro mat..is baar Morgan ko sabak sikhane ka plan maine taiyar kar rakha hain...barood unki taraf phenko aur goli chala do..dragon kya dragon ki jaat tak nahi bachegi..
"Seth-sabhi barood lekar upar aayo..inko dikha de ki ,hum army hain...
______________________________
Pahle Chalti goliya,
Baat me hoti baat
Dafa- teen sau saat


Update-18
"sabhi barood ke dibbo ko upar lao..yadi aaj susti dikhayi toh yaad rakhna ek-ek ki maut tay hain..kambakhto jaldi kaam karo.."Nair dragons ki aati hui awaaj me chillakar balladonna me maujood sabhi ko hukum de raha tha...Riya bhi apne hath mw gun liye aayi..
"Nair-mam,aap andar jaye..ye dragons bahut khatarnak hain...main,seth aur raaj in dragons ki dhajjiya udane ke liye kafi hain..
"Riya-captain..teen se bhale char..aane do in dragons ko...
dragons ka kafila teji se balladonna par attack karta hain..aag ki lapte pure balladonna ko tahas -nahas kar rahi thi...Nair ne barood se bhari hui ek bakse ko dragon ki taraf phenka..dragon ne us barood ko apne vishal nukile wale daanto me pakad liya..
"Nair-abey ye toh mere taraf aa raha hain...goli chalao be ispe..
Raaj turant apni gun lekar Nair ke samne aa gaya..aur bina der kiye fure kar diya..dragon wahi jalne laga..girte girte wo dragon balladonna ship se ja takraya..balladonna ek taraf jhukne lagi...
"Raaj-hamla jari rakho ...in dragons ko chun chun bhoon denge..Morgan apne dragon par baitha hua teji se hamla kiye ja raha tha..Morgan ka dragon bahut tej tha..palak jhapkate hi wo balladonna par maujood kayi logo ko ya toh apne mu me daboch leta..ya phhir apne aag ki lapto se jala deta tha..
"Seth-captain ..aap is chhor se dragon ke hamle ko roko main Morgan ke peechhe jata hoon..
seth apne hath me apni bandook liye Morgan ki taraf chal pada.."Morgan..himmat hain toh mujhse mukabla kar,."
Raaj bhi seth ki taraf aaya..."Seth main tumhare sath hoon.."Morgan apne hath me rakhe hue farse ko pakad kar balladonna me kud gaya..
"Morgan-aa jao bachhe aaj tum dono ko morgan ke hatho marne ka mauka mila hain..
"Raaj-baat na karke yadi mukabala kare toh..kallu...
Morgan apne hath me apne farse ko majbooti se pakad kar Raaj ki taraf dauda..Raaj ne Morgan ki taraf fyre kiya..lekin Morgan ne goli ko apne farse se rok liya..
"bas bachhe itna hi dam hain..."Morgan dahad marte hue bola...
"aaja kallu narak me tera intezar ho raha hain.."
Raaj ne apni gun ko lekar Morgan ki taraf badha..aur apni gun se Morgan par hamla karne laga..lekin Morgan Raaj ke har war ko badi asani se rok raha tha....Raaj ke hath chhutne lage..Morgan ke agle hi war me Raaj Raaj ki gun uske hath se chhut gayi..Morgan ne apni puri taqat lagakar apne farse ko hawa me uthaya,,lekin agle hi pal Morgan ko aisa laga ki uske peeth me kisi ne garam lohe ki rod ghusa di ho,,wo jor se chillata hua peechhe muda..Riya apne hath me gun liye hue khadi thi..Morgan Raaj ko chhodkar Riya ki taraf bhaga...Riya ka dil joro se thadak raha tha..tabhi Morgan ke pairo par seth ne kuch de mara ,Morgan ladkhada kar gir gaya..jaise hi Morgan gira seth ne apne hath me pakde hue hathiyar se Morgan ko marne laga..lekin jyada der nahi Morgan ne seth ke hatn ko pakad kar jor se uske pet me ek laat mari..seth balladonna ke neeche girte hue bacha..usne kinaro par lagi rod ko pakad liya..
"Morgan-ab tera kya hoga gulabi kali..phhir Morgan apne farse par hath phhirane laga.."ab tujhe is khooni farse se kaun bacha payega..pahle tere pet ke do tukde karunga..phhir sar ko alag kar dunga..aur main tujhe yakin dilata hoon..ye sab main do baar me hi kar dunga.."
Morgan dheere dheere Riya ki taraf badh raha tha..lekin Riya ke kadam wahi par ruk gaye the..kayi log Morgan ko rokne bhi aaye lekin Morgan ke farse ne un sab ka kaam tamam kar diya..aur ant me Morgan ne ek tej dahad laga kar Riya ki taraf farsa phenk diya..farsa Riya ko lagta isse pahle hi Raaj teji se daudta hua..farse ko pakad liya....
******************************
"abey ye iceland hain,...itna andhera me dooba hua hain..lagta hain kayi salo se yaha koyi nahi aaya..fala yaha ke ped bhi darawane hain..meri toh andar jane se pahle hi phhat rahi hain..."Aditya ne apne ankho se doorbin ko hatate hue kaha..
death iceland,Martin ke saltanat ke kinare teeno abhi bhi apni kashti me hi sawar the..din ka samay hone ke bawjood bhi death iceland ek ghane andhere se dooba hua tha,,
"bilandar-iske andar bhi jana hain kya..ki bahar se hi kaam ho jayega...bahut darawani jagah hain..
"Ron-isi liye ise death iceland kahte hain..aur tune kya socha tha ki jannat hoga yaha,,jaha 4-5 ladkiya apni kamar matkate hue tera swagat karengi..
sabse pahle Ron kashti se utar gaya..uske chehre par muskurahat jhalak rahi thi..
Ron ke baad Aditya aur bilanadar bhi death iceland ke zamini bhag me utar gaye...
"Aditya-Ron ,yaha ke toh ped bhi darawane haim..maloom nahi kitne salo se ye death iceland banjar pada hain..mashal ka intejam karo..ye ice.and bahut hi pyara lagta hain yadi ispar roshni pade.,lekin ye iceland shrapit hain.."
"Aditya-shrapit ,meri toh waise hi phhati padi hain..upar se tu aur dara raha hoon..
"Ron-fala khud ko captain bolta hain..chidiyaghar ka guard hona chahiye tujhe ....
Ron ne apni bandook ko kholkar uska barood nikal liya..aur usi barood se mashal jalayi..ek usne khud apne hath me li..aur dusari mashal Aditya ki taraf phenk di..
"Ron-lo be..aur jaha jaha main chalu wahi chalna..warna yaha bahut se jeev aise rahte hain.,jo tum dono ko kachcha chaba jayenge..tum dono ko ek khubsurat chiz bhi dikhaunga,,..
"Aditya-fala khud ko death iceland ka raja samajh raha hain.."
Aditya aur bilandar Ron ke nakshekadam par chalne lage..andhere se dhake hue death iceland me ek sannata pasra hua tha,,waha ke ped ,zameen death iceland ki situation bata rahe the ki ,yaha se jeevan kayi salo pahle hi samapt ho chuka hain...
"Ron-toh main raja Martin ki kahani suna raha tha..kaha tak pahuncha tha main....,Ron chalte chalte ruk gaya..aur apne mu me hatho ke nakhun chaba kar yaad karne laga...
Aditya aur bilandar abhi aage ki kahani nahi sunna chahte the..isiliye un dono ne talne ke liye kaha..
"bilandar-shayad kahani khatam ho chuki thi..hain na,..Aditya...
"Aditya-ha..haan Ron,kahani khatam ho chuki thi...
"Ron-chalo phhir tum dono hi suna do,,itni door paidal chal ke jana hain rasta jaldi kat jayega...
Aditya aur bilandar ek dusare ka chehra dekhne lage..
"Aditya-Ron is bilandar ne pahle haan bola..toh kahani ye sunayega,...
Aditya ne bilandar ki taraf ishara kiya..
"Ron-toh shuru ho ja billu..
Ron ashal lekar aage badh chala...bilandar peechhe mudkar Aditya se bola.."kyun be mujhe kyun fasa diya.."
"tune hi use bola tha pahle..."
"kaha rah gaye be dono..yadi bhatak gaye toh main dhoondne nahi aaunga..."
Aditya aur bilandar Ron ki taraf teji se chalne lage...
"Ron-ek baar phhir se suno...Martin jab chhota tha..toh wo ek naav banane wale ke yaha bhi kaam karta tha..us samay raja ki beti lisa aur Martin aksar iceland ke kinare chori chhupe baith kar ghanto baat kiya karte the..raat ko kinare ki ret me letkar dono ghanto asman ke taaro aur chand ko dekha karte the..dono ka ye pyar dheere dheere sabhi ko pata chalne laga..lekin riyasat me kisi ke pass itni himmat nahi thi ki wo raja se is baare me baat kare.....
Aditya ne Ron ko beech me toka..
"Ron maafi chahta hoon..lekin ek sawal puchh sakta hoon kya.."
"kaun sa sawal.."Ron ne chalte hue puchha..
"ye drahon holder kaun si bala hain ,jiska jikra Morgan ne kiya tha.."ue puchha..
"ye drahon holder kaun si bala hain ,jiska jikra Morgan ne kiya tha.."
"kallu fala kuch bhi bol deta hain,,aisi koyi chiz ka astitva nahi hain.."
itna bolkar Ron aage badh gaya..
"inko dragon holder ke baare me bata diya toh,,puri kahani jan kar hi dam lenge..ek baar mera dragon mil jaye.,phhir us kallu aur dragon holder ko isi samundar me dafan kar dunga,,.....
******************************
"Captain Nair ,main yaha neeche latka hoon..mujhe upar khincho.."seth ne Nair ko awaaj di..
Morgan khada hua,,ajib si bhasa me usne kuch kaha..jisse sabhi dragons ne balladonna ko charo taraf se gher liya...Nair ki madad se seth upar aa gaya..sabhi charo taraf dekhne lage,...
"Riya-ab kya karenge..aur ye dragons kya karne wale hain....
Raaj daudkar Riya ke pass aaya.."mam,ye ek sath hamla karne wale hain..hume jald hi neeche ,udna hoga.."
"Raaj tum pagal ho gaye ho ,.,yadi hum neeche kud bhi gaye toh kaha bachenge,..."
"aap chinta mat kijiye..death iceland ,Nakshe ke mutabik kuch hi doori par hain..yadi abhi kud gaye toh ho sakta hain ki humari jaan bach jaye..warna yaha ruk kar apni jaan gawana bewkoofi hain..."
Riya ko lekar Raaj neeche kud gaya.....
"Nair-ye phhattu raaj ,riya ko lekar kud gaya,,lekin hum dono mukabla karenge..,
Morgan apne dragon par baith gaya,.aur dragon ko kuch kaha,.sabhi dragons ne ek sath balladonna ko aag ki lapto se dhak diya...
"Seth-captain..ab hum yaha nahi ruk sakte waise bhi kuch hi log bache hain..chalo neeche kud jate hain...
Seth,aur Nair Morgan ne najro se bach kar neeche jhalang diya.........
 
Well-known member
1,171
1,372
143
Update-19
Ron,bilandar aur Aditya..abhi bhi death iceland ke andar chale ja rahe the..
"Bilandar-Aditya kahi ye rasta toh nahi bhool gaya..kab se ghumaye ja raha hain,.
"Aditya-chup rah,kahi usne sun liya toh lafda kar dega phhir se...
"Ron-ssshhhhh...lagta hain koyi khatarnak janwar aas pass hain..
Aditya aur bilandar chup ho gaye,,.
Ron dono ko wahi khada rahne ke liye kahkar thodi door tak aage gaya...
"Aditya-is bhayanak jungle me bhi koyi rahta hoga..billu..
"bilandar-sun be billu mat bola kar..aur rahi baat yaha kisi ke rahne ki toh Ron jaise prani jaroor rahte honge..
Ron -lagta hain tum dono meri tareef kar rahe ho..ho gaya yaro mana ki main great hoon..lekin itni tareef bhi mat karo..
Ron aage badh gaya..Aditya aur bilandar bhi uske kadam pe kadam milate hue chal diye...
"Aditya-Ron hum ja kaha rahe hain...aur yadi tujhe rasta nahu maloom toh hum dono ko yaha laya kyun...
Ron chalte hue rook gaya..aur peechhe mudkar bola.."maine toh tum dono ko keval itna kaha tha ki mere sath chalna hain ki nahi..jabarjasti toh dono ko utha nahi laya,."
Ron ki baat khatam hoti usse pahle hi Aditya bol pada"sun be..tune keval apne sath chalne ko nahi bola tha..tune ye bhi bola tha ki tu mujhe spiritual ship me sair karayega..."
Ron ne bilanadar ki taraf dekha"hum toh keval teri naav lekar bhag jate..lekin tu sath kyun aaya.."
bilandar kuch der chup raha,
"haqiqat ye hain ki maine bachpan se hi spiritual ship ke kisse sune hain..toh mera man karta tha ki ek din main bhi samundar ki shan kahe jani wali us murdo ki jahaj me safar karu..jiski rooh raksha karti hain.."
"Ron-phhir tum dono sahi bande aur us bande ne yani maine tum dono ko sahi jagah par laya hoon..Martin ki kabra se mujhe ek Naksha milega..dusara Morgan ke pass hain..jo main use markar hasil kar lunga,isme koyi badi baat nahi..aur teesara naksha hain Raaj ke pass....
"bilandar-tu chahta toh us din balladonna me jab tune Raaj ko jakhmi kar diya tha,toh badi asani se Raaj ke pass wo naksha le sakta tha..lekin tune aisa nahi kiya kyun...
"kyunki main chahta tha ki Raaj bhi waha aaye..jaha jaha main jaunga.."aunga.."
"bilandar-iski vajah jaan sakta hoon main..
"Ron-iski vajah toh tujhe Martin ka bhoot hi bata sakta hain..usi se puchh lenaRon hasne laga...
"abhi tum dono keval itna jaan lo ki jald hi murdo ka jahaj humare kabje me hoga..aur tum dono Captain The Ron ke under me safar karoge..hain na majedar baat.."
******************************
Riya...riya utho..lagta hain Riya behosh ho gayi.."Raaj apna sar pakad kar bola-ab kya kiya jaye..balladonna bhi hath se nikal gaya..aur is death iceland me hum dono akele..tabhi riya khanste hue apni ankh kholi..
"Raaj-uparwale ka shukra hain..tum uthi toh sahi..
Riya apne bheege hontho pe hath phhirate hue boli"hum kaha hain Raaj.."
"Martin ke iceland me aa chuke hain hum.."
Riya ne ek nazar death iceland pe daudayi.."kitna darawana hain Raaj..kahi koyi bhayanak jaanwar hua toh.."
"jab samundar ka Shikari tumhare sath hain toh phhir kyun darna.."
Raaj ne apna hath Riya ki taraf badhaya..aur riya ka hath pakadkar iceland ke andar chala gaya..jaha kuch der pahle Ron ,Aditya aur bilandar gaye the...Seth aur Nair bhi kinare par pahunche..
"Seth-Captain lagta hain,yahi death iceland hain..
"Nair-ab Captain mat bol,balladonna ko Morgan ne puri tarah tabah kar diya hoga..
"Seth-balladonna ke nahi hone se aap ke captain ka kad phhir bhi barkarar rahega..khas taur par mere liye..
"thank u Seth..ab is iceland ke andar chale.."
seth aur Nair bhi iceland ke andar ghus gaye..dusari taraf Morgan apne sathi Dragons ko lekar apne rahwas ki taraf chal diya..aaj Morgan bahut khush tha..pichhali do haar ka badla usne le liya tha..Morgan ne apne khooni farse ko hawa me upar ki taraf uthaya..
"aaj sabko maine narak me bhej diya..ab keval ek hain The Ron.. "
Morgan ne khusi ke maare ek jordar dahad mari..uske sathi dragons bhi chillane lage..bahut jald hi Moegan aur uska dal gayab ho gaya..is baat se bekhabar ki Raaj,Riya,seth aur Nair bach gaye hain...
******************************
Ron ke hath me jal rahi mashal ki roshani kam ho rahi thi..
"Ron-aaj aag ne bhi apni khunnas nikal rahi hain..
Ron ka itna kahna tha ki uske hath me rakhi hui mashal bujh gayi..Ron Aditya ke hath se mashal lekar aage ki taraf muda..samne gahri khayi thi..achanak apne samne vishal khayi dekhkar Ron ke hath se mashal chhut gaya,.aur khayi me ja gira..Ron ne apne danto se apni jeebh ko daba liya.."ab in dono ko kya bolu..kuch sochna padega..warna dono kahenge ki main ek khayi se dar gaya.."
Ron peechhe muda"hum teeno bahut bahadur hain..isliye is mashal ki koyi jaroorat nahi.."
Aditya aur bilandar ko maloom nahi tha ki samne vishal khayi hain..
"Aditya-chal phhir aage badh..ruk kyun gaya,,.
Ron ,bilandar ki taraf dekhkar bola..main ek khayi se dar gaya.."
Ron peechhe muda"hum teeno bahut bahadur hain..isliye is mashal ki koyi jaroorat nahi.."
Aditya aur bilandar ko maloom nahi tha ki samne vishal khayi hain..
"Aditya-chal phhir aage badh..ruk kyun gaya,,.
Ron ,bilandar ki taraf dekhkar bola..
"billu..main chahta hoon ki aage ka rasta tu hume dikhaye..tu bahut hoshiyar aur kabil hain..aaj se nahi abhi se tu leader hain.."
bilandar Ron ki chal ko nahi samajh paya..aur Ron se apni tareef sunkar apna seena chauda karta hua..aage badha..bilandar ki cheenk puri vatavaran me gunj uthi..
"Aditya-Ron,bilandar cheenkha kyun..fala yaha itna andhera hain ki kuch dikhayi hi nahi de raha hain..
"Ron-bilandar khayi me gir gaya..
"kyaaur tune use aage badhne se roka kyun nahi.."
"main khayi ki gahrayi naap raha tha..dekhna chahta tha ki ye khayi Martin ke tehkhane wali toh nahi.."
Aditya ko Ron ke upar bahut gussa aa raha tha,.."abey yadi tujhe khayi ki gahrayi hi maloom karni thi toh khud kud jata..dhokebaaj.."
"dhokebaaj..mera naya nam..par mujhe pasand nahi.."
"abey teri aisi ki taisi..main ja raha hoon wapas..tu mujhe bhi kisi musibat me daal kar nikal lega.."
Aditya wapas jaane laga..Ron apne shatir dimak me kuch sochne laga..
"Ron-Aditya ,rook ja,,
"ghanta nahi ruk, raha main.."
"soch le kahi raste me Morgan mil gaya toh,."
Morgan ka nam sunte hi Aditya ke kadam apne aap rook gaye,..Ron teji se Aditya ki taraf badha..
"Aditya maine bilandar ke sath aisa kyun kiya iski sahi vajah main tujhe bata sakta hoon.."
"bak jaldi..varna main abhi nikal lunga.."
"bilandar..Morgan ka sath de raha tha..aur chhup chhup ke hum dono ki jasoosi kar raha tha.."
"kya saboot hain tere pass.."
"itne andhere me tujhe saboot dikh jayega..lekin main tujhe bata deta hoon..Morgan ke gardan par ek nishan tha..aur maine usi tarah ka nishan bilandar ke gardan me bhi dekha tha..usi samay main samajh gaya tha ki ye billu hum dono ko apne jaal me phansa raha hain..aur jab Morgan hume death iceland ke bahar mila toh usne hum par hamla bhi isiliye nahi kiya..kyunki usne bilandar ko humare sath jo bhej rakha tha.."
Aditya soch me pad gaya..aur apne dimak par jor dene laga ki usne bhi bilandar ke gardan me koyi nishan dekha hain ya nahi..lekin use kuch yaad nahi aaya...
"Aditya-mujhe yaad nahi ki maine bilandar ke gardan par koyi nishan bhi dekha hain..lekin ek ajeeb kism ka nishan maine do jagah jaroor dekha hain..ek Raaj ke peeth par..aur dusara tere gardan ke peechhe wale hisse me..
Ron ek baar phhir se soch me pad gaya.."ab is namurad ko kya jawab du,."
"Ron tere sharir par bane nishan ke baare me kya bolega.."
"wo toh maine ladkiyo ko apni taraf akarsit karne ke liye gudwaya hain.."
"Aditya-ab chale..dusare raste se..
Ron,andaja lagate hue dusare raste ki taraf chal pada..
"jhoot bolna kitna saral kaam hain..billu wale mamle ko maine kitni safayi se suljha diya..sach me Ron tere mukabale is samundar me koyi nahi..keval ek ko chhodkar...
 
Well-known member
1,171
1,372
143
ke baare me kya bolega.."
"wo toh maine ladkiyo ko apni taraf akarsit karne ke liye gudwaya hain.."
"Aditya-ab chale..dusare raste se..
Ron,andaja lagate hue dusare raste ki taraf chal pada..
"jhoot bolna kitna saral kaam hain..billu wale mamle ko maine kitni safayi se suljha diya..sach me Ron tere mukabale is samundar me koyi nahi..keval ek ko chhodkar...

UPDATE-20
"Riya idhar se aao ,aaram se aana andhere me kuch dikhayi nahi de raha.."Raaj ne ,Riya ke hath ko kaskar pakad liya...
"ofo Raaj,yaha itna andhera kyun hain.."Riya ki awaj me jhallahat jhalak rahi thi..
Raaj ,Riya ka hath thame hue aage badh raha tha..uske kadam death iceland ke zameen ko naap-taul kar hi aage badh rahe the..lekin Riya in sab mamlo me tej nahi thi..chalte hue Riya ka pair ek patthar se takra gaya..
"oouch.."Riya ne apna hath jhatak kar apne pairo sahlane lagi..
"kya hua Riya.."
"dekh ke chalna chahiye tha..mera pair patthar se takra gaya.."
Raaj bhi wahi baith gaya..aur apne hath ko Riya ke pair ke taraf badhaya..
"ab kaisa lag raha hain Riya"Raaj apne hatho se Riya ke pair ko sahla raha tha..lekin Riya ne Raaj ka hath jhatak diya..
"yadi sahi pair ko sahlate toh main kuch nahi bolti..khud ko aur apne hath ko control me rakho.."
Raaj ne apne hath ko hata liya..
"yadi tumhe meri madad nahi chahiye toh phhir utho..abhi bahut chalna hain.."
Riya ka hath tham kar Raaj phhir aage badhne laga..
******************************
Seth aur Nair aage badh rahe the,,un dono ki bhi wahi condition thi jo Riya aur Raaj ki thi..seth aur Nair bhi andhere me apne anuman ke mutabik chale ja rahe the..death iceland me maujood kayi ped ki shakhaye zameen tak faili hui thi..aur bahut majboot bhi thi,..Nair ka pair usi me phans gaya..aur Nair ladkhada kar gir gaya..
"abey utha mujhe..kisi ne mujhe gira diya.."
Seth ne jaldi se Nair ko uthaya..
"Nair-koyi hain yaha par..samne aa jaye toh aisi laat marunga uske pichhwade me ki uska pichhwada hi alag ho jayega uske shareer se..
"Seth-captain,hume chalte rahna hain..yaha rukna khatre se khali nahi hain..
Dono aage aage kadam badhane lage..Nair ko apne pairo par kuch chipchipa sa mahsoos hua..
"Nair-seth tune apne pairo me kuch mahsoos kiya..kuch chipchipa sa..
"haan..kichad jaisa lag raha hain..lekin ye kuch aur hi hain.,"
"Captain kuch awaj bhi aa rahi hain..."
Nair ne jhuk kar apne pairo ke pass hath phhiraya.."seth bahut hi chipchipa material hain..ye kuch aur hi chiz hain..jaise kisi ande ke andar ka material..thik usi tarah ka hain.."
"seth-Captain ye iceland kahi Morgan aur uske dragons ka ilaka toh nahi..aur ye dragon ka anda ho...
***************************Morgan aur uske dragons ka ilaka toh nahi..aur ye dragon ka anda ho...
******************************
"Aditya tu rook main abhi aaya.."
"main bhi sath aaunga..tera bharosa nahi.."
"chal phhir yahi shuru ho ja.."
"main sar ke upar se gayi ye baat.."
Ron ne apna hath apne paint ki zib ki taraf le gaya.."halka hona hain mujhe.."
"phhir ja..pahle bata deni chahiye thi.."
Ron kuch der baad aaya..
'Ron-ab kaha chale..Martin ke kabra ki taraf ya phhir is iceland ki sabse khubsurat jagah..jaha Martin aur lisa mila karte the..
"abey ghonchu waha bhi andhera hoga.."
"keval wahi aisi jagah hain,,jaha Morgan ka kahar nahi hain..aur Martin ka kabra bhi usi raste me hain.."
Aditya kuch sochne ke baad bola"mere sawal ka jawab dega.."
"main kabhi school bhi nahi gaya..tere sawal ka jawab kya dunga.."
"Ron,jab tu kabhi school nahi gaya toh phhir tujhe raja Martin ki history kaise maloom.."
"Martin mera langotia yaar tha..ab tu bata direct Martin ki kabra me chale ya ...."
"ek aur sawal..lisa kaisi dikhti thi.."
"lisa..lisa apne ankho me bholi si masoomiyat liye rahti thi..uske gulab ki kali ke tarah honth se toh kudrat bhi sharma jaye..aur uske chehre ka rang ujale ka prateek tha.."
"Aditya-chal ab aage chalte hain,..
Ron aur Aditya aage badh chale..kuch der toh Aditya chup raha..lekin apni adat se majboor usne apna mu khol hi diya..aur Ron ke samne naya prashn dag diya..
"Aditya-Ron..ye Mogan aur dragon holder ka thikana bhi hoga na..
"mujhe kabhi us kallu ne bulakar dawat nahi di jo mujhe uska thikana maloom hoga..kuch der me Morgan yaha aa jayega..usi se puchh lena.."
"Morgan yaha aayega kya bak raha hain.."
"Shayad Morgan yaha aa chuka hain..asal me Morgan ka thikana yahi hain..isi iceland me Morgan rahta hain.."
"bad joke..mujhe hansi nahi aayi.."
"dhyan se sun kuch awaaj aa rahi hain.."
Ron ke kahne par Aditya ne khud ko shant karke aas pass ho rahi halchal ko sunne ki koshish karne laga..lekin Aditya kuch bhi nahi sun paya..
"Aditya-kuch sunayi nahi de raha hain..Ron tu mujhe dara raha hain kya..
"Ron-mujhe toh Morgan ki yaha hone ki aahat bahut pahle sd mil chuki thi..lekin yaad rakhna death iceland me dragons har samay maujood rahte hain..
"ab meri sahi me phhat rahi hain..band kar apni bakwas.."
******************************
"ab keval Ron hi bacha hain..aur mujhe maloom hain ki tu yahi chhupa hain Ron..nam badalne se teri shaksiyat nahi badal jayegi,,aaj tune mere saltanat me aaya hain,,tujhe koyi nahi bacha payega,."Morgan death iceland ke kinare khada hans raha tha,,use yakin tha ki aaj Ron uske shikange se nahi bach payega..apne farse ko neeche jhulata hua Morgan bhi death iceland ke andar ghus gaya,
 
Well-known member
1,171
1,372
143
shukriya Kahna pad raha hain tujhe ,Raaj..lekin mera man bilkul aisa karne ki ijajat nahi de raha hain..."
"tu apna shukriyada apne pass rakh..Ron..bas ek baat ka bilkul khayal rakhna ki mere raste me bilkul mat aana..warna anjaam tu soch bhi nahi sakta.."
"bilkul...aisa hi hoga.."
Ron ko sahi salamat dekhkar Gabriel neeche ki taraf aane laga...
"ise main dekh lunga Ron...tu peechhe hat.."Raaj ne Ron ko peeche dhakelne ki koshish ki..lekin Ron ne Raaj ke hath ko pakad liya..
"Raaj...ye tere bas ka nahi hain..."
"tune meri shaktiya nahi dekhi hain..ron isi liye aisa bol raha hain.."
Gabriel ne neeche aate hi aag ki lapte apne mu se nikalne laga...jisse bachne ke liye Ron reetili zameen me ulta let gaya..lekin Raaj ne apne bawandar se aag ko rok liya...
"Gabriel mere rahte tu jeet nahi payega..."
"ye teri galatfahami main abhi door kar deta hoon.."
Gabriel ne apne dono hatho ko hawa me khula chhod diya...uska shrir halka hone laga..Gabriel bina apne pankho ki madad se hawa me upar uth gaya...
"Raaj-Ron ye kya karne wala hain.."
"iska ye ramdev baba wala yoga bahut khatarnak hain...bhalayi isi me hain ki kisi majboot chiz ko sabhi pakad le..."
"main teri tarah kayar nahi hoon Ron...iske is yoga ka mutod jawab hain mere pass.."
"tu kar Gabriel ka samna...apun to chala..."
"ek baar phhir dar kar bhag raha hain..."
"jake Gabriel ke peechhe khada ho jaunga...Ron apne kahe anusar Gabriel ke peechhe khada ho gaya...gabriel wapas zameen par aa gaya...
"taiyar hain Gabriel...ho jaye do do hath.."
"rook jara..tujhe kuch sunayi diya.."
Gabriel ki baat sunkar sabhi kuch sunne ka prayas karne lage...lekin Raaj ne bina samay gawaye toofani bawandar khada karne laga...Raaj ne bawandar ko Gabriel ki taraf mod diya...lekin Bawandar Gabriel ke pass aata usse pahale hi samundar ka pani Raaj ke peechhe se vishal lahro ke sath aane laga...
"Seth-ye sunami kaha se aa gayi...
Seth bas itna bol paya tha ki samundar ke vishal lahro ne seth ko nigal liya...aur ek ek karke Aditya aur bilandar bhi usme sama gaye...Gabriel ne apni shakti se dewan aur lisa ko samundar ke vishal lahro se bhi upar kar diya...Riya apni jaan bachane ke liye Raaj ki taraf bhagi...
"Raaj...is samundar ki lahro ko roko..."
Raaj ne bawandar ko samundar ki vishal lahro ke samane kar diya...kuch der ke liye samundar ki vishal lahre tham si gayi...lekin kuch der aur hone par Raaj ke hatho me dard hone laga...usne mud kar Gabriel ki taraf dekha...Gabriel apne ek hath ko hawa me uthaye hue tha...
"abey Ron...kuch kar meri pakad dheeli ho rahi hain..."
"lekin tune to kaha tha ki main tere raste me na aau.."
"abhi sab kuch bhool ja..jaldi se kuch kar..."
"chal phhir tum dono apni ankhe band kar lo..."
"ye majak ka samay nahi hain Ron...sach me mera hath is vishal samundar ko sambhal nahi pa raha hain..."
"ankhe band karo...baki jimmedari meri..."
Raaj aur Riya ne apni ankhe band kar li...Ron ne Morgan ke farse ko jo usne chheena tha..use puri takat ke sath Gabriel ke peeth me ghusa diya...Gabriel apna santulan kho baitha..usne apni peeth ko sahlane laga...
"Ron...tune meri kamjori me hamla kiya hain...aaj to main ja raha hoon lekin wapas jaroor aaunga..."
"alwida Gabriel...aur yadi dubara mere pass aao to kisi ek dragon ki kaleji nikal kar lana..mujhe bahut pasand hain..."
Gabriel ...lisa aur dewan ko lekar waha se chala gaya...Raaj aur Riya apni ankhe ab bhi band kiye hue the..abey tu kuch karega ya nahi..."Raaj ne jhallate hue kaha..
ron dheere dheere aage badha...sabse pahale usne confirm kiya ki Riya aur Raaj ki ankhe sach me band hain ya nahi...jab use yakin ho gaya ki dono ne apni ankhe band kar rakhi hain...tab usne kuch pal ke liye apni ankhe band ki aur apni sharir ko kada karte hue apne dono hatho ko samundar ki taraf kiya...samundar ka vishal pani peechhe hatne laga...kuch der baad Ron ne samundar ko peechhe dhakel diya...Ron bahut thak gaya tha aisa karne se...Raaj aur Riya ne apni ankhe kholi...samane pani ki ek boond tak nahi thi...
"Riya-tum hanf kyun rahe ho Ron...
"bas pyas lagi hain...aur ye khara pani meri pyas nahi bujha sakta...lekin abhi bakiyo ko dhoondana hain...na jane kaha kaha latke honge..."
"Riya-latke honge matlab...
"janeman...jab jaan par aati hain to sab kuch samajh me aa jata hain..aur is baat ko tumse behatar koyi nahi janta.."
 
Well-known member
1,171
1,372
143
Update-32
"Riya-latke honge matlab...

"janeman...jab jaan par aati hain to sab kuch samajh me aa jata hain..aur is baat kotumse behatar koyi nahi janta.."
"Riya-Nair to ab nahi bacha..hum sabko afsoos hain ki hum sab milkar bhi uski jaan nahi bacha paye...lekin hume ab is iceland se bahar nikalna hoga...yadi kismat humare sath hogi to balladonna ko hum wapas samundar me chalne layak bana sakte hain...lekin uske liye seth aur Aditya ko dhoondana padega...
"Ron-bilandar ke baare me kya socha hain..
"wo balladonna ki saaf safayi karega.."
"khayal bura nahi hain..."
Ron,Raaj aur Riya death iceland me teeno ko dhoondane lage...seth ko Raaj ne ped par latka hua dekha...uska hath fisal raha tha...Tabhi usne Raaj ko dekha..
"Raaj mujhe bacha..meri pakad dheeli ho rahi hain.."
"kood ja neeche kuch nahi hoga..aur wo dono kaha hain.."
"mujhe nahi pata...ho sakta hain wo dono bhi meri tarah kahi latke ho.."kahte hue seth neeche gir gaya...iceland ki zameen gili thi,jiski vajah se seth ke kapde gande ho gaye...jise saaf karta hua seth bola"meri samajh me abhi tak nahi aaya ki samundar ka pani achanak kaise badh gaya...aur kuch der baad normal bhi ho gaya..."
"wo sab Gabriel ka kamal tha...lekin ab sab kuch thik hain..wo chala gaya.."
Ron ko seth aur Raaj ki baate dilchashp nahi lag rahi thi...jaanbuchkar jamayi lete hue Ron bola"tum dono ki bakwas band ho gayi ho aage chale.."
"abey main marne wala tha..aur tujhe bakwas lag raha hain ye sab.."seth ki aawaj me gussa saaf jhalak raha tha..Riya ne seth ko shant rahne ka ishara kiya.."chhodo ise seth...tumhe pata hi hain ki ye aisi baate hi karte rahta hain..."
"Ron-ab aage chale janeman...
Charo Aditya aur bilandar ko dhoondate dhoondate death iceland ke kinare tak aa pahunche lekin dono kahi dikhe...
"seth-lagta hain un dono ko samundar nigal gaya...
"Ron-mujhe to aisa nahi lagta..jara samane dekho...bilandar mu phade pada hain.."kahte hue Ron bilandar ki taraf pada...dam ghutne se bilandar behosh ho chuka tha..
"ye abhi zinda hain...jiska jawab iske chalti saanse de rahi hain..lekin Aditya kahi nazar nahi aa raha hain...lagta hain uska kaam tamam ho gaya..."
Ron ka itna kahna tha ki najdeek hi jaha samundar jyada gahra nahi tha..waha se Aditya khansta hua nikla...
"tu to yahi sochega kamine...tu to chahta hi hoga ki tera rahasya janne wala har ek khatam ho jaye..lekin main abhi zinda hoon..aur teri asliyat sabko bata ke rahunga ki tu kaun hain.."
"maine aisa kab kaha.."Ron ne Aditya ko ankho ke ishare se chup rahne ko kaha...lekin Ron ki asliyat Aditya janta hain ye sunkar sabko badi utsukta hui..sabhi Ron ki asliyat janna chahate the...aur unme sabse pahale tha Raaj...
"kya asliyat hain Ron ki.."sabse pahale Raaj ne Aditya se puchha...Ron ke ishare se Aditya ne uski asliyat na batane ka nirnay liya
"iski asliyat yah hain ki ye sach me samundar ka Shikari hain..iske karnamo se aisa nahi lagta tum sabko..."
"isme jara bhi sachchai nahi hain..lekin ab hume yaha se nikalna hoga balladonna kuch doori me hoga...yadi Morgan ne use tabah na kar diya ho..."
"Ron-balladonna sahi hoga..kyunki dragon kabhi khali jahaj ko tabah nahi karte...
"Raaj-dragons ki daya ka ye raj main jaan sakta hoon..ki wo aisa kyun karte hain..."
"yakin to mujhe bhi nahi hota..lekin ye sach hain.."
"hamesha ki tarah tu ab bhi joot bol raha hain.."
"Riya-Raaj ye sach bol raha hain...maine dragons ke upar likhi gayi kayi books padhi hain..aur uske mutabik Ron sach bol raha hain..dragon kabhi bhi khali jahaj ko nast nahi karte..."
"main to hamesha hi sach bolta hoon...lekin koyi yakin nahi karta..Lekin balladonna hain kaha mujhe to nazar nahi aa raha hain.."
"Ron...balladonna yaha se kuch doori par hain...waha tak hum sabko tair kar jana padega.."
"phhir der kis baat ki..."kahte hue Ron ne samundar me chhalang laga di..
"Riya...hum sab do do group me chalenge...taki beech me yadi koyi thak jaye to dusara uski madad kar sake..."
"baat to tum thik rahe ho..lekin Ron to akele chala gaya.."
"main jata hoon na uske sath...mujhe kuch janna hain usse...aur raste me achchha khasa time pass bhi ho jayega..."Aditya ne bhi samundar me chhaland laga di..
"Riya-bilandar aur seth tum dono ek sath rahna...main aur Raaj ek sath rahenge..."
"phhir hum bhi chale Riya...balladonna tumhara intezar kar raha hoga.."
Raaj aur Riya ke jane ke baad seth aur bilandar hi death iceland me rah gaye the...
"seth-sale laila majanu...ye riya khud Raaj par line maar rahi hain..."
"tu tujhe kya lena dean usse...dono ki apni zindagi hain...ab apun dono ko bhi yaha se khisak lena chahiye..."
Ron teji se tairte hue balladonna ki taraf badh raha tha...Aditya ,Ron ke mukabale thoda dheere tha...
"abey Ron ruk main bhi aa raha hoon.."
Aditya ki aawaj Ron ko sunayi di..wo wahi ruk gaya.."sala ab sawal pe sawal puchhega...behuda kahi ka.."
Kuch hi der me Aditya ,Ron ke pass pahunch gaya...Aur aate hi usne apna pahla sawal daga..
"Ron dekh mujhe maloom hain ki tu Martin hain...isliye sab sach batana,sabse pahle ye bata tu itne saal tak zinda kaise hain..."
"jab tu sach jaan hi gaya hain to tujhe sach bata deta hoon...tune mere gardan ke thoda neeche ek nishan dekha hoga..."
"dekha hain...lekin wo to kisi makadi ke jale ki tarah lagta hain...usme aisi kya dilchashp baat hain..."
"is tarah ke nishan wala main akela nahi hoon..lisa,dewan,Morgan aur Gabriel ke kandho par bhi ye nishan hain...aur is nishan ke hone se hum tab tak zinda rahenge jab tak humi me se koyi ek dusare ko na mare..."
"ek min. Ruk...iska matlab ye hua ki tu tabhi marega...jab tujhe in charo me se koyi mare..."
"ye thoda ajib hain...par ye sach hain..."
yadi ye sach hain to phhir mujhe ye bata ki tu tehkhane se zinda kaise aaya...lisa aur dewan ne to mere ankho ke samane tere pet me apni talware ghused di thi.."
"pahale balladonna par chalte hain...baki ke jawab wahi pe...meri ek kamjori hain..main jyada der yadi samundar me gujar leta hoon to mujhe thand lag jati hain.."
"jab tu samundar me rah nahi hi nahi sakta to khud ko Samundar ka Shikari kyun kahta hain..."
"wo to mujhe mere saltanat ke log kahte the...mere karnamo ki vajah se"
 

Top