Update-3
Aur phir mai apne room me jaake saans li.
Mai- Bach gya. Haahh lekin baad me khadus chodega nhi. Kuch toh jarur karega. Baad ki baad me dekhenge lekin avi exam haa yaar exam bhul hi gya bhosdike. Jaldi jaldi fresh hua aur ek t-shirt aur lower pahan ke sidha maa ke room me kitab lene pahuch gya. Waha Pooja didi, urvi didi aur riddhi didi aur Ishani didi v thi. Wahi woh baith ke Ludo khel rahi thi aur dairy milk khaa rahi thi. Maine Ishani didi ka dairy milk chinn liya aur khaane laga. Maa bagal me khadi thi. Toh didi ne unse kaha.
Ishani- mami iss chilgoze ne meri chocolate le li. ( Baccho jaisa munh banate hue). Didi ko aise bacchon jaisa munh banate dekh mujhe shaam ka scene yaad aa gya. Sahi me yaar ek baar dimag me scene yaad aate hi saans hi gale me atak jati hai. Aur fir unki dhulai yaad aate hi. Mai jor jor se hasne laga. Thodi der hasta raha aur bed par hi lotpot hota raha. Ishani didi aise haste dekh chidd gyi. Fir kyaa tha meri dhulai kar di. Magar meri bahne thehri najuk kaliyan unse kya hoga magar mai fir hasta raha. Sab aise dekh muskura rahe the. Tabhi picche se kisine awaj lagayi.
" Padhna hota nhi aur bass Masti hi sujhti hai tumhe"
Mai- ( anajane me hi) yeh khadus ki awaj kaha se aa rahi hai.
Mere aise kahte hi sabki muskurahat gayab ho gyi.
Papa- barkhurdar idhar v dhyaan dijiye.
Mai- ( turant uthte hue)- sorry papa.
Ishani ( mujhe aankh marte hue)- mamu isne meri chocolate le li aur ulta mujhpe hass raha tha. ( Bacchon jaise bolte hue). Fir yeh bacchon jaisa munh banate dekh fir mai hasne laga.
Mai- hahhhaahhaha sorry papa but control nhi ho Raha hai. Hahahaha hahahaha hahahaha.
Ishani- mamu dekho yeh aise hi mujhpe tabhi se hass raha tha.
Mai- papa hahhahahhhahaha mai ( control karte hue) mai didi par nhi hass raha tha. Abhi jab mai aa raha tha ghar tab kuch raste me dekh liya tha isiliye hass raha tha.
Iss baat par sabne apna matha pit liya. Sab samjh gye ki maine apni pole khudse khol li hai papa ke samne.
Urvi didi (bich me hi baat ko morte hue)- accha bata kyu hass raha tha. Fir maine poori kahani bata di. Didi maa aur papa v hasne lage.
Thodi der baad...
Papa - ghade tujhe yeh karne ki jarurat kyaa thi mukhiya ko pata lag gya na toh woh meri band baza dega. Lekin ladki thi bahadur.
Maa- accha mere bete ne kar diya toh galti magar jawani joh aapne Kiya the mai yaad dilau kyaa??
Papa- kyaa Indra tum v , mai bass samjh Raha tha.
Mai- papa tension mat lo maine apna chehra chipa rakha tha aur jab v aankh kholte the toh mai mittu daal deta tha aankhon me.
Pooja didi - maa papa ne kiya kya tha?? Aap joh abhi bol rahi thi batao na.
Papa- chalo niklo tumlog bahar padhayi karo bhago yaha se.
Maa- bete beti ko v pata chalne do aap kitne bade teesmaar khaa the.
Papa- indra... ( Papa ki aankhon me iltaza thi).
Maa- jaao tum log abb padhai Karo aur iss gadhe ko v tumlog apne sath baithana exam nazidk aa gye hai aur avi tak ek page nhi khola hai isne.
Papa- kyu bhai aise me toh lagta hai iss baar tumhari lathi se maramat karni hogi.
Mai- nhi papaaappapa papa maa toh aise bol rahi mai padh lunga. Kyaaa nhi nhi Abhi jata hu abhi padhne jata hu.
Aur mai sidha waha se nikal ke pressha didi ke kamre me ghus gya.
Mai- preesha didi ( jor se).
Preesha- abb kya hua tujhe. ???
Mai- aap puch rahe ho. Papa mere piche pad gye hai. Plzz thoda sa padha do abhi.
Pressha- accha jaa zaldi jaa kitab laake yaha baith.
Mai - thik hai. Thank you aap best didi ho. ( Didi ko gale lagate hue).
Preesha - accha makkhan baad me lagana jaake jaldi aa jaa kitab leke.
Mai turant gya aur kitab leke aa gya. Aur baith ke padhne laga.
In London:-
Ek Aadmi phone par:-
Aadmi- Hello. ( Raubdar awaj me).
Dusri traf se koi ladki thi.
Ladki - Hello apka kaam ummid se jaldi ho raha hai aur aap chahte hai ki kaam ho. Toh meri maa ko chod do. Chahe toh mere baap ko rakh lo.
Aadmi- nhi jab tak kaam pura nhi hota tab tak nhi.
Ladki- thik hai rakho mujhe kya waise v mere baap waise hi mera dushman bana baitha Hain. Maa gyi toh Teri saari nibe hila dungi. Bata du yaha kya gaav me. Tere khandan ki saari izzat mitti me mil jaayegi isiliye jaisa kah rahi hu. Waise kar ( gusse me).
Aadmi- ( daant bhichte hue majburi me) thik hai kal Teri maa tere pass hogi.
Unknown place:-
Aadmi- hello bhai.
Ladka- haa bolo.
Aadmi- kisi ne aapke bhai par hamla kiya tha.
Ladka-kuch hua toh nhi na.
Aadmi- Nhi bhai bahut himmat hai. Aaj tak itna chalak nhi dekha hai.
Ladka- accha thik hai dhyaan rakhna kuch nhi hona chahiye.
Aadmi- thik hai bhai. Aap samne kyu nhi aa jaate hain.
Ladka- dimag se paidal ho kyaa??? Bas Nazar rakho kisi ko kuch nhi hona chahiye aur kaam ka kya hua.
Aadmi- sab ho gya bhai. Details subah bhej dunga.
Ladka- thik hai rakhta hu.
Aise time paas hota raha. Aur khaane ka samay ho gya. Sab niche hall me baithe the. Abhi v hamare ghar me niche baith ke hi khaya jata hai. Ya guest aate hai toh halka ucha table aur gaddi diya jata hai.
Ham sab wahi baith gaye.
Dada ji- aaj kaha the bhar din barkhurdar.
Mai- dada ji aaj toh kitab lene gya tha. Aapka beta piche pada tha.
Dadi (chapat lagate hue)- chup kar, sun lega na yahi danda se dhona chalu kar dega.
Dada- hahahaha. Accha aur daaruk ke sath kaisa chal Raha hai.
Mai- ek dam masstt dadu. Best.
Daaruk- Babu ji bahut accha khelne laga hai. 1-2 saalo me aapko v piche chod dega.
Dada ji - chal kam se kam padhayi me piche hai toh khel me aage hai. Aise hi khelte rahna. Thoda padh v lena accha rahega. Gyaan kabhi v vyarth nhi jaati yaad rakhna chahe woh kaisa v ho.
Mai- Ji daadu.
Dada ji- ( chote dada se) kheto ka kaam kaisa chal Raha hai.
Chote dada- sab accha hai bhaiya. Baas ek baar kheto me acche se pani dalna hai.
Papa- ( aate hue) chacha ji machine kyu nhi le lete. Bahut paise bachenge.
Chote dada- beta kheto ki machine lene laga na toh bahut paise lag jayenge.
Papa- kaise lagenge. Aap 2 tractor le lo season me kheto ki jutai karna. Aur na ho toh bade bhaiya ko de Dena Mandi me.
Dada ji- baat toh sahi hai lekin itne paise ek saath.
Papa- aap chinta mat karo mai dekh lunga bass aap bata dena document kiske naam ke jama Karu.
Dada ji- kiske naam ka kya janki ke naam ka hoga.
Janki- nhi bhaiya Babu( veer) ke naam kar do. Aur joh alag se kamai hogi usi ke khaate me daal dena.
Maa- maa ji abhi use iski jarurat nhi hai. Abhi yeh sab iske bade bhaiyon ki milna chahiye khass kar Rohan ko.
Janki- lekin unhe....
Dadi- bahu sahi kah rahi hai. Rohan bahar padhta hai usme v bade collage me Hai. Bade logo ke sath uthta baithta hai. Jeb me kuch paise rahenge toh thik rahega.
Papa- sahi kaha maa iss nalayak ko deke koi laabh v nhi hai. Iske bhai bade bade collage padhte hai. Yeh yaha uss paise se awara gardi karta firta rahega. Pata nhi kis Janam ka chuk tha.
Mai- maa mai jaa raha hu. Baad me khaa lunga. Abhi mujhe khate dekh kuch logo ko chain nhi hai. ( Aur mai sidha upar chala gya).
Papa- dekha bau ji kuch kaho toh bass aise hi taish dikhata hai. Aap sabne isko sar par chada rakha hai.
Dadi- acchi jaise tu bada bhola tha iss umar chup chap khaa nhi toh saari raat ghar se bahar kar dungi.
Iss baat par ghar ke sabhi log halke se muskura gye . Magar kuch logo ko bura v laga unka chahta khane se uth gya.
Andar kitchen me:-
Preesha- mami kyaa jarurat thi betu ko Aisa bolne ki aadhe me uth gya khaate hue. ( Nam aankhon se). Mujhe bilkul accha nhi lagta. Sabko malum hai use khana aram se khaane ki aadat hai aur bich me uth jata hai toh mushkil se khata hai.
Bhavna- haa indra samjhati kyu nhi ashok ko. Sabko padhne likhne me mann nhi lagta toh kya uske saath jor jabardasti kare. Inhe hi dekh le abb padhe likhe nhi hai toh kya hua Mandi me apni dukan hai. Petrol pump hai. Woh nalayak sab ghar se bhaag gye unhe hamari aur parivar ki koi chinta hi nhi hai. Woh udhar hi shaadi karke ghar basa lenge. Koi toh yaha ghar me rahe aur sambhale. Mera beta iss sab jaydad ka malik hain. Usse kisi chiz ki kami hai kyaa.
Maa- accha didi aap batao. Yadi woh acche se padhega nhi toh itna sab sambhalega kaise aur aaj ki duniya woh computer aur mobile se chalti hai. Thoda bahut v gyaan nhi hoga toh kaise itna sambhalega. Jayde na padhe kam se duniya kaise chal rahi hai uski thodi bahut anubhav le le. Uske baad woh jo kare. Magar kisi v sansar ke sambhalne ke liye gyaan bahut jaruri hota. Aaj ham hai kal ko na rahe toh. Kaun sambhalega. Aap hi ne kaha hai uske bhai abb ghar mushkil se hi aayenge. Mai jitna janti hu woh apni bahano aur aap sabke pallu ko chod kar kahi na jaane wala hai. Toh Kam se kam thoda bahut Sikh le aur yahi rahe. Kya isme v kuch galat hai. Ant me indrani ke majak karne ke lahze se sabki chahre par halki muskurahat aa jati hai.
Madhu- haa indra magar woh utna toh padh hi leta hai. Jitna kis kaalej me dakhila ho jaye. Toh phir uske piche devar ji utna kyu pade rahte hai.
Maa- rutba janti ho naa didi. Inke office me inke sare sath walo ke bacche bahut acche jagaho se padh rahe bass. Inke samne aake dikhane lagte hai. Inke v mann mai hai ke yeh v dikhaye mera beta yaha hai yeh kar raha hai.
Mohini- magar yeh galat baat hai. Mera baccha bahut hi accha hai. Mujhe na kisi ko dikhana hai na kuch karna hai. ( Preesha se) preesha roti me ghee laga le aur yeh daal v le ja aur jaa usse apne hatho se khila ke aa ya fir yahi ro le, deri se jayegi toh woh nhi khayega. Jaa jaldi isme hi apna v leja sath khaa lena.
Preesha jaldi se sab leke upar chali jati hai .
Madhu- waise v hamne uska Bachpan waise hi.....
Maa- shhhhhh iske baare me baat nhi karna hai didi yaad rahe bhul ke v kisi ko kaano khabar nhi lagni chahiye yeh sab hamare bich me rahe wahi sahi hai.
Preesha ko jaate hue uski daadi dekh leti hai.
Dadi ( papa se)- itna bada ho gya tujhe samjh nhi hai. Khaane ke samay usse na danta kar uski bahno aur uski maao ko accha nhi lagta. Yaadi woh thik se nhi khata toh usko bahne v thoda bahut khaa ke so jaati hai khaas karke Teri ladli. Kitni baar kaha hain magar tu kyu uske piche pada rahta hai. Usse padne me mann nhi lagta hai magar khelne me accha hai. Usse Tere sapne jarur poore ho jayenge. Pata nhi kiss bat ki rat hai sarkari Naukri chahiye.
Daaruk- haa bhaiya woh khel me sach me bahut accha hai. Mujhe lagta aise hi kuch saal khelta raha toh jarur apne rajya ka naam raushan karega.
Papa- accha maa maaf karde. Aage se dhyaan rakhunga. Bass meri ladliyon ko khila Dena.
Aise baat chit hote hue khana khane lage sabhi. Aur veer ko v preesha mana ke khana khilane lagi.
Saal 2019 Tarik 4 July.
Aadmi- manhus tu yaha se chala ja warna.....