Romance Tumhaare Liye- Ek Prem Kahaani (Complete)

Eaten Alive
4,118
4,186
143
Update 55
ye raghav is kahani mein kyun ghuse aa raha hai... Usko is kahani mein itna importance dene ka kaaran hi kya hai :dazed: Aur waise bhi side characters to mohit se jahnavi tak hai....agar us side character hawasi raghav ko itna hi importance diya jara hai , to ush hisap to unti hi bhumika mohit, jawed se leke jahnavi tak, in sabhi ki bhi badha deni chahiye ...
Khair...
so finally Sarita se raghu ki mulakaat hone wali hai... yaha ek twist ye hai ki raghu ek teer se do shikaar karne ke firak mein hai... sarita se pyar ka izhaar karna aur kisi planning ki tahat heera ko jamaanat pe riha karna , ye dono kaam ek sath karne wala hai shayad ek sath karne wala hai...

Well...Shaandaar update, shaandaar lekhni shaandaar shabdon ka chayan... aur sath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi.....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
expectations
23,522
15,522
143
UPDATE- 60


Jab ghayal gunde ne Sarita ko ye bataya ki Uske paas jo Tasvir hai wo uski jaan ki tasveer hai jo usne khud banayi hai to Sarita ko ek jhatka sa laga. Aur uske munh se ek tez Cheekh nikli.


Sarita- Bhaiyaaaa.....


Ji haan Ye Koi aur nahi balki Abhishek tha. Jo ghar chhodkar bhaag gaya tha. Aur Sarita ke hath me wo Tasweer thi jo abhishek ne sarita ke highschool paas hone wale din dono bahanon ki ek sath tasweer banaai thi. Usi tasweer me Sarita ne abhishek ko aadi tirachhi Tasweer banaayi thi. Jise abhishek ne panni mein Surakshit karke apne paas rakh liya tha.


aaj Sarita ne use dhoondh nikala tha, lekin is halat mein. Sarita to jaise apni sudh budh kho chuki thi apne bhai ko is halat mein dekh kar. Sarita ki aankho se jhar jhar aanshu bahane lage. Wo ekdam patthar ki moorat ki tarah jad ho gayi thi.


Mohit, Vikas aur Kaushal ko kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki ye kya ho raha hai aur Sarita ne Is gunde ko bhaiya kyo kaha aur wo ro kyon rahi hai. Mohit ne aage badhkar Sarita ke kandhe ko pakad kar hilata to Sarita hosh mein aayi. Mohit ne Sarita se kaha
.


Mohit- Madam Aap ro kyon rahi hain aur aapne ise bhaiya kyon kaha.

Sarita- Ye aanshu Khushi ke bhi hain aur dard ke bhi. Ye mere bhaiya hain abhishek bhaiya. Mera apne bhaiya. Jinko maine anjane mein goli maar di hai.


fir Sarita ko kuchh yada aaya ki Uska bhai bolte bolte behosh ho gaya hai to usne Abhishek ke kandho ko pakadkar aanshu bajaaye huwe jhakjhorte huwe kaha.


Sarita- Bhaiya. Aankhe khole bhaiya. Main Aapki bahan Sarita hoon bhaiyaa. Utho bhaiyaa Mujhse baat karo. Main aapke liye kitna tadpi hoon bhaiyaa. Aap apni aankhe kyon nahi khol rahe hain. Uthiye bhaiyaa. Aapne ghar mein sab ko bahut rulaya hai bhaiya. Uthiya bhaiya. Hamko aapki bahut jaroorat hai.

Mohit- Madam hosh mein aaiye. Inko goli lagi hai ye behosh ho gaye hain. Hame turant inhe hospital le chalna hoga. Isase pahle ki der ho jaye.

Sarita- Main apne bhaiya ko kuchh nahi hone doongi. Bhaiya aankho kholo. Mohit mere bhaiya ko bacha lo. Main dobara apne bhaiya ko nahi khona chahti. Plz Mohit mere bhaiya ko bacha lo.


Sarita ye kahte huwe phoot phoot kar rone lagi. Waha khade tino ki aankho mein bhi aanshu aa gaye. Kaushal ne kaha.


Kaushal- Aap hausala rakhiye madam. Ham aapke bhai ko kuchh nahi hone denge. Hamko turant inhe hospital le chalna hoga. Aap apne aap ko sambhaliye.


Itna kahkar Mohit aur Kaushal ne Abhishek ko sahara dekar use uthaya aur bahra jane lage. Bahar jate huwe mohit ne Vikas se kaha.


Mohit- Vikas. Tum yaha ka kam sambhal lena. Police force aati hi hogi. Ham inko lekar hospital ja rahe hain. Jaisa bhi hoga. Baat karte rahenge.


Itna bolkar Mohit aur Kaushal Abhishek ko sahara dekhar godam se bahar le aaye. Sarita ne Ek Hawaldar ko kahkar apni gadi mangwai aur Mohit Ne Hawaldaro ko kuchh nidesh diye aur abhishek ko gadi mein baithakar hospital ke liye rawana ho gaye. Raste mein hi Sarita ne apne papa ko phone kiya. Uske papa ne phone uthaya.


Aanand ji- Haa Sarita beta.

Sarita- (Rote huwe) Papaaa……


Sarita ne jab rote huwe papa kaha to Aanand Ji bahut pareshan ho gaye. Unhone turant Sarita se kaha.


Aanand ji- Kya baat hai Beta tum ro kyon rahi ho. Sab thik to hain ha.

Sarita- (Rote huwe) Kuchh thiik nahi hai papa. Bhaiya mil gaye hain. Maine anjaane mein bhaiya par goli chala di hai. Unhe goli lagi hai. Wo zindagi aur maut se lad rahe hain.

Aanand ji- (Chaukte huwe) Kyaa… Kyaaa.. kahaaa. Abhishek. Goliii. Main kuchh samjha nahi tum kya kah rahi ho.


Jis samay Sarita ne phone kiya tha us samay aanand ji ghar mein hi the. Raani ji aur Manisha uske aas paas hi thi. Aanand ji ke Chaukne, Sarita ke rone aur Abhishek ka naam sunkar Wo dono bhi Aanand ji ke paas aa gayi. Sarita ne aage kaha.


Sarita- (rote huwe) Haa papa. Bhaiya mil gaye hain. Lekin Meri gun se chali goli bhaiya ko lag gayi hai. Main bhaiya ko lekar hospital ja rahi hoon.

Aanand ji- (Chauk kar Uchalte huwe) Kya kaha. Abhishek mil gaya hai. use tumhari goli lagi hai. Lekin ye kaise huwa. Tumne aisa kaise kar diya Sarita.


Aanand ji ki baat sunkar Rani ji aur Manisha bhi Chauk gayi. Abhishek Mil gaya hai ye sunkar Tino bahut khush huwe. Lekin use goli lagi hai ye Jankar tino ko bahut dukh huwa. Tino ki aankho mein aanshu aa gaye. Sarita ne aage kaha.


Sarita- (Rote Huwe) Wo main baad mein bataungi papa. Abhi aap bas itna jaan lijiye ki bhaiya bahut galat sangat main pad chuke hain. Jiske karan mujhe goli marni padi. Wo to mujhe baad mein pata chala ki Jise maine goli mari hai wo Abhishek bhaiya hain. Mujhe bahut dar lag raha hai papa. Aap jaldi se yaha aa jaiye. Plz papa.

Aanand ji- Thik hai Tum use Hospital lekar pahucho ham log bhi aa rahe hain.


Itna kahkar Aanand ji ne phone rakh diya aur Manisha aur Rani ji ko turant kapde badalkar aane ke liye kaha. Chunki Is samay train nahi thi Jaunpur ke liye to Aanand ji ne Apne car wale dost ke paas phone kiya to pata chala ki wo kahi bahar gaya huwa hai.


Tab Unhone Auto se hi jane ka nishchay kiya. Auto se bhi kam se kam do se dhaai ghanta lagne the. Raani ji aur Manisha Jaldi se kapda badak kar aa gayi aur Auto se hi Jaunpur ke liye Nikal gaye. Raste mein Rani ji ke poochne par Aanand ji ne itna hi bataya ki Abhishek mil gaya hai,


Lekin Sarita ne use goli maari hai aur wo Hospital mein Zindagi aur maut se lad raha hai. Ye sunkar Raani ji ko Sarita ke upar gussa bhi aane laga. Manisha ko bhi kuchh samajh mein nahi aa raha tha ki Didiya ne bhaiya ko goli kyo mari.


Udhar ghar mein phone karne ke baad Sarita ne phone cut kiya aur Abhishek ke Sir ko Sahlati hui roti hui boli.


Sarita- (rote hue) Aapko kuchh nahi hoga bhaiyaa. Mummy papa aur Manisha bhi aa rahe hain. Main kuchh nahi hone dungi aapko. Is baar main aapko kahi nahi jane doongi. Ab bahut jaldi thik ho jayenge. Mohit. Thoda tez gadi chalao.


Thodi hi der mein Mohit ne gadi ek bade hospital ke samne roki. Kaushal Turant Hospital mein jakar Strature ke sath two wardboy ko lekar aaya. Abhishek ko turant uspar lita kar andar lekar jaya gaya. Kaushal ne daudkar doctor ko sari baat batai.


Ab police khud aai thi mareej ko lekar to doctor bhi turant harkat mein aa gaye. Poori formilities poori hone ke baad Abhishek ko OT mein le jaya gaya. Aur Operation shuru huwa.


Jo goli Sarita ne abhishek ko bhagte samay mari thi wo goli kandhe ke niche aur merudand ke bagal haddi mein dhans gayi thi. Jiske karan Doctors ko badi masakkat karni pad rahi thi.


Gadi park karte samay Mohit ne Phone karke Nishchal ko godam mein jo kuchh bhi huwa uski sari sachhai bata di thi. Nishchal bhi jald se jald hospital ana chahta tha, lekin Use SSP Sir ne phone karke milne ke liye bula liya tha. Isliye Nishchal waha chala gaya tha.


Sarita JEEWAJ JYOTI hospital ke Operation Teater Ke parisar me yahan se waha chakkar kaat rahi thi. chehare pura Pasine se bhiga huwa Tha. Uski aankhhe Aanshuo se bhari hui thi. Pasine se uski khaki Vardi Bheegkar Uske jism se chipak gayi thi.


Uski Vardi par jagah jagah khoon ke dhabbe dikhayi de rahe the. Lekin use is baat ka hosh nahi tha. Wahi paas ki bench par Mohit aur Kaushal bhi baithe huwe the. Jo Sarita ko Idhar Udhar Chakkar lagate huwe dekh rahe the.


Wo kabhi kabhi Apni Hatheli Maslne lagti to kabhi kabhi Apni Mutthiyan bheej leti. Uske chehre ke bhav Har second badal raha tha. Paas baitha Mohit se jab ye na dekha gaya to usne Sarita se kaha.


Mohit- Madam Aap pareshan mat hoiye. Aapke bhaai ko kuchh nahi hoga. Wo bilkul thik ho jayenge. Aap himmat se kaam lijie madam.

Sarita- Kaise Himmat se Kaam loon main Mohit ji haan. Main kaisi bahan hoon. Maine apne inhi hantho se apne bhaai ko goli mari. Jis bhaai ke hantho meine 14 sal rakhi bandhti thi, jiski salamti ki bhagwaan se duwa mangti thi. Usi bhaai ko maine apne inhi hanto se shoot kiya hai. Main bahan kahlane layak nahi hoon.

Kaushal- Nahi madam. Aapne kuchh galat nahi kiya. Aapne apna Farj nibhaya hai. Aapko thodi hi pata tha ki Wo aapke bhai hain. Wo to galti se aapne goli chalayi thi. Waise bhi Agar aapko iske bare me pata hota tab bhi aap apne farz se pichhe nahi hat-ti.

Sarita- Are aisa farj kis kaam ka. Jisko nibhane ke liye mujhe apne haantho se apne jaan se pyaare bhaai ko goli maarni pade. Aisi Vardi kis kaam ki jo mujhse mere bhaiya ko chheen le. Mujhe nahi chahiye ye Vardi, Ye Rutba, Mujhe sirf mera bhai bhahiye.

Mohit- Doctor Operation kar rahe hain Madam, Aapke bhai thik ho jayenge. Unhe kuchh nahi hoga.

Sarita- Agar unhe kuchh ho gaya to main apne aapko kabhi maaf nahi kar paungi.


Operation theater ke bahar lagbhag do ghanta se jyada samay se light jal rahi thi. Sarita, Mohit aur Kaushal bahut pareshan the. Ki aage kya hone wala hai. Tabhi hospital ke bahar ek auto aakar rukta hai us auto se Aanand ji, Raani ji aur Manisha utarkar bhaagti hui Hospilat me aati hai,


Rani ji ke aate hi Sarita kuchh bolne ko hui ki tabhi Uske gaal par ek jhannatedar thappad Pada. Ye thappad Raani ji ne mara tha. Rani ji rote huwe bolne Sarita se boli.


Raani ji- Ye kya kiya Sarita tumne. Ye kya kar diya. Mere bete ko maar diyaa tumne. Meri mamta ka khoon kiyaa hai tumne. Meri Khokh ujaadane ki koshish ki hai tumne. Are wo tera bhaai hai. Aur tune apne bhaai ke upar hi goli chala diii. Agar mere bete ko kuchh ho gaya na Saritaa to main tujhee jeewan bhar maaf nahi karungii.

Aanand ji- Ye kya Anap Sanap bole ja rahi ho tum bhagyawaan. Agar Abhishek tumhara beta hai to Sarita aur Manisha ka bhaai bhi hai. Tumse jyada ye dono apne bhaai se pyaar karti hain. Tumhe to apni beti par garv hona chahiye ki usne itni kathinaiyon aur Pareshaniyon ke bawjood bhi Sachhai ke raaste se nahi bhakti.

Usne apne Farz aur rishte me farz ko ahamiyat di. Aur tum usko hi dosh de rahi ho. Ek baar pahle ye to jaan leti ki Sarita ne aisa kyon kiya. Mujhe Sarita ne phone karke pahle hi sab kuchh bata diya hai.

Rani ji- Are aisi kaun si baat ho gayi jo isne mere bete ko goli maar di. Are wo iska bhai hai. Kam se kam ek baar ise apne bhaaii se baat to karni chahiye thi. Tumne bahut galat kiya hai Sarita. Agar Abhishek ko kuchh ho gaya to Main tujhe kabhi maaf nahi karungi.

Manisha- Ye kya bol rahi ho aap mummy. Aap didiya ko dekho. Inko dekhkar aapko lagta hai ki inhone Jaanbojh kar bhaiyaa par goli chalai hai, Jisme didiya ki jaan basti hai. Jise didiya aaj tak nahi bhooli hain usko jaan se marne ki koshish Karengi. Are kuchh to majboori rahii hogii didiya ki. Mujhe apniii didiya par puraa bharoshaa hai. Didiya koi galat kaam karr hii nahii sakti.


Itna kahkar wo Manisha jakar Sarita ke gale lag jati hai. Sarita apni bahan ke gale lagkar phoot phoot karr rone lagi. Manisha ka bhi wahi haal ho gaya. Rote huwe Sarita Manisha se kahti hain.


Sarita- Maine janboojhkar bhaiya ko nahi mara Manisha. Mujhse anjane mein ye galti ho gayi. Kya tumhe bhi mummy ki tarah lagta hai ki maine bhaiya ko janboojhkar mara hai.

Manisha- (Rote Huwe) Nahi didiya. Tum Kabhi galat kar hi nahi sakti. Mujhe tum par poora bharosha hai.


Tabhi Operation Theater ke bahar jalti hui red light band hui aur doctor Opration Teater ke bahar Nikle. Doctor ko dekhkar Sabhi Doctor ko gher lete hain. Rani ji Doctor se kahti hain.


Rani ji- Doctor Sahab. Mera beta kaisa hai. Use k uchh hoga to nahi na.

Doctor- Ghabrane ki koi baat nahi hai. Goli Unki Haddi me ghus gayi thi. isliye itna samay lag gaya. Hamne goli nikal di hai aur mareej khatare se bahar hai. Abhi unhe injection de diya hai. To abhi wo aaram kar rahe hain. Fir bhi abhi 24 ghante unke liye critical hain. Agar 24 ghante tak unki halat aisi hi bani rahi to fir aage khatre ki koi baat nahi hogi.

Raani ji- Kya main apne bete se mil sakti hoon.

Doctor- Dekhiye maa ji. Abhi patient so rahe hain. Hosh mein aane ke baad hi aap unse mil sakte hain. Aapko thoda intezar karna padega.


Uske baad doctor chale jate hain. Doctor ke jane ke baad Sabhi waiting room mein baithe rahte hain. Tabhi Sarita ka mobile bajne lagta hai. Sarita ne Jab Mobile mein dekha to Savita ka phone tha. Jo abhi abhi Ghar pahuchi thi. Sarita ne phone na uthate huwe Manisha ko phone pakda diya. Manisha ne phone lete huwe phone Recieve kiya.


Manisha- Hello.

Savi- Sarita kaisi ho tum.

Manisha- Didi main Manisha.

Savi- (Aashcharya se) Tum. Tum Jounpur mein ho. Sab thik to hai na.


Manisha Savita ki baat sunkar hichkiya lene lagi. Savita ko kuchh anhoni ki aashanka hui to Usne Manisha se kaha.


Savi- Kya baat hai Manisha Tum ro kyon rahi ho.

Manisha- Didi… woooo.. diii..


Iske aage Manisha kuchh nahi bol payi aur rone lagi. Mohit Paas mein hi khada tha to usne Manisha se phone le liya aur bola.


Mohit- didi main mohit.

Savi- Mohit. Kya baat hai. Aakhir Kya ho raha hai ye sab. Tum sab sath mein ho. Sab thik to hai na.

Mohit- Kuchh thik nahi hai di. ham abhi ………………. hospital mein hain. Madam aur unke gharwale bhi yahi par hain. Aap Yaha par aa jaiye.

Savi- Kya hospital. Ruko main aati hoon.


Savi ne phone rakh diya aur aur Turant Raghav ko bulakar Hospital chalne ke liye kaha. Idhar Nishchal SSP Sir ke sath uske cabin mein tha. SSP Sir Nishchal par bhadak rahe the ki Bina permission ke Sarita ne is mamle ko oprate kiya. Nishchal ne SSP Sir ko bataya ki Sarita ne Usase proper Permission li thi is opration ki, jo wo unhe batana bhool gaya.


Kaafi samjhane ke baad SSP Sir ka gussa shant huwa. Waha se nikalkar Nischal Sidha hospital pahucha. Sath mein jawed bhi tha. Nishchal aur Jawed chalte huwe sidhe Sarita aur Uske pariwar ke paas pahuch gaye. Waha pahuchne ke baad Nishchal ne poocha.


Nishchal- Ab kaisi Tabiyat hai Abhishek ki.

Aanand ji- Abhi 24 ghante kuchh kah nahi sakte. Doctor ne kaha hai ki 24 ghante baad hi kuchh bata payenge.

Nishchal- Aap log ghar chaliye. Kuchh kha pikar tab aaiyega.

Rani jji- Nahi beta. Main kahi nahi jane wali. Mujhe yahi par rahna hai.

Nishchal- Sarita Tum to ghar jakar apne kapde change kar lo. Tumhare pure kapde gande ho gaye hain.

Sarita- Nahi main thik hoon.


Uske baad Nishchal kuchh nahi bola. Wo bhi chupchap wahi par baith gaya.



Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..
Misunderstanding me goli mari thi usko na pata tha ki wo uska bhai hai Chalo achcha hua puri family mil gayi lekin inspector ka bhai gunda ban gaya
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
Update 56
so aakhir kar mulakaat ho hi gayi dono ki.... waise kaafi impressive tarike pesh aaya raghu to.... ki pehli mulakaat mein dost ban baitha Sarita ka....
Lekin...... ek baat hamesha yaad rakhni chaahiye ki kayi baar swabhaav se kuch zyada hi mitha aur achhayi ki murat show off karne wale kuch log andar se utne hi khatarnaak aur vehshee jaanwar wale nature ke hote hai...
Mana ki manisha ne gusse mein kuch bhi keh di ho lekin uska wo shaq raghu ke upar yun bebuniyaad nahi hai .... sabse bada kaaran, pehli mulakaat to manisha bhi thi...normally aise mein koi aur vyakti hota to itne mein hi aise gusse mein inkar nahi karta, lekin raghu khud ke swabhaav ke chalte ek dum se gussa ho gaya tha.... Manisha ne is baat ko notice kar li lekin Sarita.... Lekin Sarita to jaise raghu ki personality mein kahi si gayi :laugh1: ab aise mein kya khak shaq karegi raghu ke behavior pe :D

Well... Sarita ko baad mein pachtna na par jaaye raghu ki sath huyi is dosti ke chalte :D
Waise nischal jab indono ki dosti ki ke bare mein pata chalega to uski to pond jalegi :rolrun: :lol1:

..Shaandaar update, shaandaar lekhni shaandaar shabdon ka chayan... aur sath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi.....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
Update 57

bas do jaruri baaton ko chhod kar koi khas baat nahi is update mein...
Ek to ye ki Sarita galat track pakadne ki koshish kar rahi hai anjaane mein hi... kyunki raghu jaise mujrim se dosti kabhi ghatak sabit ho sakti hai..
aur dusri baat ye ki Nischal kuch zyada hi adhikaar jamaane laga hai Sarita pe.... wo hota koun hai hukum dene wala.... police station ki baat alag hai aur ghar ki baat alag...
Aur logically bhi,, rahi baat permission ki to health ko leke certificate doctor deta hai ki Sarita abhi fit & fine hai ki nahi duty join karne ke liye... To nischal apne kaam se matlab rakhe yehi behtar hai uske liye :mad3:
Is moment pe Meri nazar mein Sarita ka Gussa hona jayez hai...

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :clapping:
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
Sarita to apne khane mein vyast thi. Usne ek bhi shabd Nishchal se nahi bola tha, lekin nishchal khane ke sath sath Sarita ko bhi dekh raha tha.


Udhar Raghav bhi khan eke sath bich bich mein Manisha ko dekh leta tha. Savi khana khate huwe Nishchal ko hi dekh rahi thi ki uski najrein kaha par hain to usne Nishchal se kaha
Hey Mahi Maurya ji...is Savita ne to apne dono bhaiyo ke liye do ladki jugad kar di ghar pe hi ..:laugh1: nischal aur raghav ke to mauj hi hai ab to :akshay: :rolrun:
Baaki aage kuch bolungi to shayad.... :stopdevil: :hint:
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
Raghav bhi Savita ke sath hi gaya huwa tha.
waise kahani ke mutabik raghav ek businessman hai.... aur jaha tak khayal hai ki ek businessman kaafi busy rehta hai, lekin uske ulat yahan to raghav bas ya to ghar pe manisha ke sath hu tu tu karta phirta hai ya phir savita kahi bhi jaaye wo uski punch bankar uske piche piche ghumta rehta hai... :D to sawal ye hai ki ye business kab aur kis time par karta hai :D
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
Nishchal ne aage badhkar Sarita ki banh pakad li aur use kursi par hi dabakar bola.Nishchal ne bahut kaskar Sarita ki banh pakadi thi. Jiske karan usko bahut dard ho raha tha. Sarita ki aankho mein aanshu aa gaye.
Mahi Maurya ji ke mutabik ye hai kahani ka hero.... jo baaton se jeet nahi paya to physically hurt karne pe utaru ho jaata hai... Wo bhi ladki par.... itna kayar :sigh: ek jakhmi ladki ke sath aise hathapai pe utar aaye.. Dhikkaar hai is nischal par.. :sigh:

Badshah Khan Rahul Vaishnavi kya ab bhi ju log ko lagta hai ki is kahani ka ye kirdaar nischal hero banne ke layak hai... :D
 
expectations
23,522
15,522
143
Mahi Maurya ji ke mutabik ye hai kahani ka hero.... jo baaton se jeet nahi paya to physically hurt karne pe utaru ho jaata hai... Wo bhi ladki par.... itna kayar :sigh: ek jakhmi ladki ke sath aise hathapai pe utar aaye.. Dhikkaar hai is nischal par.. :sigh:

Badshah Khan Rahul Vaishnavi kya ab bhi ju log ko lagta hai ki is kahani ka ye kirdaar nischal hero banne ke layak hai... :D
Bilkul nahi hai sarita ka kisi aur se chakkar chalwao
 
Eaten Alive
4,118
4,186
143
Update 58

Mahaz kuch dino baar baar alag alag new mobile no se phone karna, aur jis number se bhi call karta tha us number pe dubara phone lagane par switch off show hona.. ye sabhi baatein ishi aurr ishara kare ki daal mein jarur kuch kala hai... are koi aam admi bata dega ye phone karne wala insaan thik na hai.. jarur uske mann mein koi khot hai... Lekin is mamle mein Sarita police wali hoke bhi dhyan nahi diya...
Shayad raghu ki personality ko dekhke mohit ho gayi ho Sarita...
usse respect ke sath mithi mithi baate karta hai isike chalte Sarita mann mein koi raghu ko leke koi shaq ki gunjayish nahi...
lekin Sarita bahot badi galti kar rahi hai, wo ek saap se dosti kar baithi hai... shayad saap dase nahi lekin ye raghu jarur dasega ek na ek din..

Well...
Shaandaar update, shaandaar lekhni shaandaar shabdon ka chayan... aur sath hi dilchasp kirdaaro ki bhumika bhi.....

Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 

Top