UPDATE- 75
Savita ki engagement ka sara function bahut achhi tarah se ho gaya. Anant ke ghar wale wida hokar apne ghar chale gaye the. 1.5 Mahine baad Shadi ka muhurt nikla tha.
Sab apne apne kaam par laut chuke the. Sabki jindagi pahle ki tarah hi samanya chalne lagi. Engagement ke 2din baad Nishchal bhi apni duty par laut aaya aur taiyar hokar siddha Sarita ke paas usase milne ke liye chala gaya. Jab Sarita ne use dekha to chaukate huwe boli.
Sarita-Aapp?? Aap kab aaye.
Nishchal- (Jhooth bolte huwe) Kal hi aa gaya tha.
Sarita- Achha. Aur sab achhe se ho gaya na waha par.
Nishchal- Hmmmm.
Sarita ko samajh mein hi nahi aa raha tha ki Nishchal Uske paas kyon aaya hai isliye usne nishchal se poochaa.
Sarita- Koi kaam tha kya aapko mujhse.
Nishchal- (hadbada kar) Nahii….mera matlab hai Haan.
Sarita- Ji boliye.
Nishchal ke paas bolne ke liye kuchh bhi nahi tha. Wah to bas Sarita se milne ke liye aaya tha, yah dekhne aaya tha ki wah thik hai ya nahi, lekin Sarita se ye baat bol bhi nahi sakta tha, kyonki agar Nishchal Sarita se kuchh kahta to Sarita jhagda karne lagti. Wo chup bhi nahi rah sakta tha. Isliye wo kisi tarah baat banate huwe bola.
Nishchal- v.. vo main ye kah raha tha ki…. Ki mujhe in 3 dinon ki report de dena.
Sarita- Thik hai Sir. Islke liye aapko yaha aane ki kya jaroorat thi. main aapko PS mein hi sab kuchh hand over kar deti.
Nishchal- (man me) Iske paas har baat ka jawab rahta hai. Kuchh bolo usase pahle hi apne hathiyar ke sath taiyar rahti hai. Ab main ise kaise bataun ki koi kaam nahi tha main to bas aise hi ise dekhne chala aaya tha.
Sarita nishchal ke chehre ko bade dhyan se dekh rahi thi. wo Nishchal ke chehre ke samne apne hanth hilate huwe boli.
Sarita- Are Sir Kya huwa. Hosh mein to hain na aap.
Nishchal- Haan main hosh mein hi hoon. Tum jyada hawa hawai mat bana karo.
Nishchal ki baat sunkar Sarita ne use ghoor kar dekha to Nishchal Muskurane laga. Fir dono ek sath PS ke liye nikal gaye. PS pahuchkar Sarita ne Nishchal ko 3 din ki poori report di aur apne kam mein lag gayi.
********
Udhar Bachha singh Apne bhaai Raghu Singh ke pakde jane se pareshan tha aur baukhalaya huwa tha. Boss aur Sarkar Ne use chhudane ki apni koshish kar li thi, lekin wo dono Nakam rahe.
Jiske karan Bachha Singh ne waha ke Sthaniya neta se baat ki to usne Bachha singh ko Aashwasan diya ki Jald se Jald Raghu Jail ki salakhon se bahar Hoga. Neta ne apne muchho par tav dete huwe kaha.
Neta- Tum Uski bilkul bhi chinta mat karo. Usko jail se bahar nikalne ki jammedari hamari hai. ham kaise bhi karke usko jail se bahar nikal kar hi dam lenge.
Bachha Singh- Aapka bahut bahut dhanyawad neta ji. Hamko pata tha ki ye kaam aapke alawa aur koi nahi kar sakta hai. Agar aapne hamare bhaai ko jail se chuda diya to ham aapka ye upkar jeewan bhar nahi bhoolunga. Aap jo bhi kaam kahenge main wo kaam karunga.
Neta- wo wakt aane par main tumhe bata dunga. Pahle Raghu ko to bahar nikal loon.
Bachha Singh- Thik hai neta ji.
Itna kahkar Bachha singh Ne neta se kuchh aur baat cheet ki aur waha se chala gaya.
*******
Shaam ka samay tha. Sarita files mein apna Sir khapa rahi thi ki tabhi Achhanak use Amit ka dhyan aaya. Wo kai din se PS nahi aaya tha. Usne kai baar Janhavi aur Kaushal se poochha tha, lekin unhone kuchh bhi nahi bataya. Sarita ne Is baar Jawed ko bulaya. Jawed Sarita ke cabin mein aaya aur bola.
Jawed- Ji madam . Aapne mujhe bulaya.
Sarita- Haan Jawed ji. Mujhe aapse kuchh jankari chahiye thi.
Jawed- Haan madam ji poochiye.
Sarita- Ye bataiye ki ye Amit Abhi tak duty par aaya kyon nahi. Uski training Abhi aur kitne din chalegi.
Jawed- Wo to mujhe nahi pata madam. DSP Sir ko pata hai iske bare mein.
Sarita- Jhoot mat boliye Jawed ji. Agar DSP Sir ko pata hai to aapko bhi pata hoga. Bataiye mujhe ki wo kab aayega Traning khatam karke.
Jawed- Ab wo kabhi nahi aayega yaha par madam.
Sarita- (hairani se) Kyon nahi aayega.
Jawed- Kyonki Use suspend kar diya gaya hai.
Ye Sunkar Sarita apni kurshi se uchhalkar khadi ho gayi aur Aashcharya se Jawed ki taraf dekhte huwe boli.
Sarita- Kyaa. Kyon Suspend kiya gaya use. Aakhir aisa kya ho gaya.
Jawed- Sir ne aapko nahi bataya kya.
Sarita- Agar Sir ne mujhe bataya hota to main aapse poochhti kya. Yahan par jab Sari ramayan khatam ho jati hai to tab mujhe pata chalta hai ki sita maiya kaun thi. mera matlab hai ki jab sara kissa khatam ho jata hai to mujhe uske bare mein pata chalta hai. meri samajh mein ye nahi aata ki yahan ki head main hoon ya aap aur aapke Sir.
Sarita ki baat sunkar Jawed apni Sir niche karke hansne laga. Ye dekhkar Sarita ko gussa aa gaya aur usne gusse se kaha.
Sarita- hasiye mat Jawed ji. Mujhe poori baat bataiye.
Jawed- Amit kuchh paiso ke liye bik gaya tha. Isliye Sir ne use Suspend kar diya.
Sarita- (Aashcharya se) Kya. Kya kaha.
Jawed- Haan madam. Amit ne chand paiso ke liye apna iman bech diya tha. Isliye us din aapke phone par baat ho jane ke baad bhi wo waha par nahi pahucha. Wo Raghu aur Bachha Singh ko hamari lagbhag poori jankari deta tha. Khaskar Aapse judi hui jitni bhi bate thi. Wo to achha huwa ki Sir ne aapka phone tap karwaya. Jiski wajah se ham log Raghu tak pahuch sake.
Aapko yaad hai madam jab aapne Duty join karne se ek din pahle Raghu se baat ki thi aur milne ke liye kaha tha. Us Recording ko Amit ne delete kar diya tha. Nahi to ham ek din pahle hi alart ho gaye hote.
Doosre din Jab Sir Aapka call record check kar rahe the to ek Unknown Number se call list mein show kar raha tha, lekin uski Recording gayab thi. Tabhi Sir ko Shak ho gaya ki Department ke kisi aadmi ka hath hai is recording ke gayab hone ke pichhe.
Uske baad Sir Recording Room mein chhup kar baith gaye. Kuchh ghante baad Amit Aaya. Wah aapki aur Raghu ki sabere hui Recording ko delete kar raha tha tabhi Sir ne use range hantho pakad liya.
Uske phone Record khangalne par hame ye jankari mili ki wah Police Department mein rahkar Raghu aur Bachha Singh ke liye kaam karta tha. Yaha ki har ek information unhe deta tha. Tabhi to ham log unhe pakad nahi paa rahe the. Hamare pahuchne se pahle hi wo log bhag jate the.
Sarita- Oohhhhh. Itna sab kuchh ho gaya aur kisi ne mujhe batana bhi jaroori nahi samjha.
Jawed- Ab sab thik hai madam. Aap bilkul bhi pareshan mat ho.
Sarita- Hmmmm. Ab mujhe samajh mein aaya ki wo aane mein itna late kyon kar raha tha. Miane 1 ghante wait kiya tha. Par wo nahi aaya. Wo to achha huwa ki aap sab sahi samay par waha aa gaye the. Nahi to mera pata nahi kya hota. Meri to gun bhi usne chheen li thi. Mujhe uske aadmiyo ne gher bhi liya tha. Mera to waha se nikalna hi mushkil lag raha tha.
Jawed- Madam. Jab tak Sir yaha par hain tab tak aapko kuchh nahi hoga.
Yaha par Jawed ki juban fisal gayi. wo jaldbazi mein ye bol gaya. Uski baat sunkar Sarita Ganbhir hote huwe boli.
Sarita- kyaa. Kya matlab hai aapka.
Jawed- (bat sambhalte huwe) Mera matlab hai ki jab tak ham sab aapke sath hain aapko kuchh nahi hoga.
Jawed ki baat sunkar Sarita Ne uski taraf dekha aur muskurane lagi. Usne jawed ko jane ka ishara kiya aur files check karne lagi. File check karte huwe Sarita sochne lagi.
Sarita- maine pata nahi kya kya Sir ko suna diya us din. Jab Sir ne mera phone tap kiya tha mera. Agar Sir mera phone tap nahi karte to aaj pata nahi main kish haal mein hoti.
Amit ne to mujhe fansa hi diya tha. Wo to achha huwa ki Sir ne aakar mujhe bacha liya aur maine kya kiya. Thanks bolne ki jagah unhe hi ulta siddha bol diya. Ab chalkar Sir se maafi mang lungi.
Isi tarah din gujar gaya. Sham ko Sarita Wapas apne kamre par aayi aur fresh hokar chaai banayi aur apne bister par baithkar chaai ki chuskiya lene lagi. Kuchh der baad Sarita ka mobile bajne laga. Sarita ne dekha to Savita ka call aa raha tha. Sarita ne phone uthaya.
Sarita- Hello di. kaisi hain aap.
Savi- main Achhi hoon. Tum batao.
Sarita- main bhi Achhi hoon di.
Savi- PS se aa gayi.
Sarita- Haan di. 7 baje hi aa gayi thi.
Savi- Achha. Mujhe tumhari ek help chahiye thi Sarita.
Sarita- Haan di boliye.
Savi- Wo kya hai na ki aaj Kaka kisi kaam mein fans gaye hain to aaj wo aaye nahi. To kya tum Nishu ke liye khana bana dogi.
Sarita- Thik hai di. main bana dungi, lekin Sir ne to mujhe ek baar bhi nahi bataya iske bare mein.
Savi- Uska nature to tum janti hi ho. kabhi kisi se kuchh kahta hi nahi hai. sabse badi baat ye hai ki wo bahar ka khana bhi nahi khata, isliye subah bhi bina khaye piye chala duty par chala gaya. Main agar use phone nahi karti to wo batata bhi nahi.
Sarita- Thik hai di. Sir to abhi aaye nahi honge to main jakar tab tak khana bana deti hoon.
Savi- Thank You Sarita.
Sarita- Isme thank You ki kya baat hai di. main baad mein baat karti hoon aapse.
Itna kahkar Sarita ne phone rakh diya. Use Subah ki baat yaad aane lagi jab Nishchal Usase milane ke liye aaya tha. Sarita man mein hi sochne lagi.
Sarita- Main bhi kitni pagal hoon. Subah Sir isiliye aaye honge aur main bina unki baat sune unhe bahut kuchh kah diya. ek baar bhi unse nashte ke liye nahi poochha. Abhi jakar khana bana deti hoon.
Yahi sab sochkar Sarita Apne kamre se bahar nikali. Abhishek ko ek din pahle hi Nishchal ne apne doosre wale ghar mein sift kar diya tha to Sarita pahle usase milne ke liye chali gayi.
Waha ka guard Sarita ko janta tha to usne Sarita ko andar jane diya. Andar Abhishek ek papar par kuchh bana raha tha. Sarita jakar uske paas baith gayi. Abhishek na jab use dekha to bola.
Abhishek- Are Sarita tum. Kaisi ho.
Sarita- Main thik hoon bhaiya. Aap kaise hain.
Abhishek- main bhi thik hi hoon.
Sarita- kya bana rahe the abhi aap.
Abhishek- Kuchh nahi bas Boss aur Sarkar ka chehra banane ki koshish kar raha tha, lekin kuchh missing lag raha hai jo mujhe yaad nahi aa raha hain. Kuchh to main bhool raha hoon. Mujhe thoda aur samay chahiye. Taki main tumhari poori madad kar paaun.
Sarita- Koi baat nahi hai bhaiya. Aap Aaram se samay lekar un dono ki tasvir banaiye.
Abhishek- Achha ye bata. Manisha kaisi hai. wo nahi aayi mujhse milne ke liye.
Sarita- Wo bhi thik hai bhaiya. Aapko to pata hai ki abhi kya setuation chal rahi hai. aapke paas sabko aana allow nahi hai. Wo ghAr chali gai hai. baki sabkuchh bahut jald thik ho jayega.
Abhishek- Main samajh sakta hoon Sarita. Main tumhara achha bhaai nahi ban saka Sarita. Meri wajah se tumhe hamesha pareshani aur dukh jhelna pada hai. mujhe maaf kar do.
Sarita- (nam aankho se) ye kaisi baat kar rahe hain aap bhaiya. Aap mujhe wapas mil gaye hain is Khushi ke samne koi dukh dard mayne nahi rakhta. Aap apne dilo dimag se ye baat nikal dijiye ki aapki wajah se mujhe koi pareshani hogi. Bas sabkuchh achhe se ho jaye fir ham log hamesha sath mein rahenge. Waise aapko yaha koi pareshani to nahi hai na.
Abhishek- Nahi Sarita. Mujhe koi pareshani nahi hai yaha par. DSP Sir ne sara intezam karke rakha huwa hai.
Sarita- (chauk kar) Are main to bhool hi gayi. mujhe Sir ke liye khana banana hai. Thik hai bhaiya main chalti hoon. Fir aaungi aapse milne ke liye. Aap koshish karke jaldi se un dono ki tasvir bana dijiye.
Itna kahkar Sarita waha se chali gayi. fir Sarita Nishchal ke Aawas par gayi. Jab Sarita Andar pahuchi to Nishchal ghar aa chuka tha aur kitchen mein hi kuchh bana raha tha. Sarita kitchen mein aate huwe boli.
Sarita- Sir Aap hatiye main bana deti hoon.
Nishchal- (chaunkar) Tum… tum yaha kya kar rahi ho.
Sarita- Khana banane aayi hoon.
Nishchal- (hanskar) kya baat hai miss joshi. Tum Ab Police ki naukari chhodkar cook ka kaam karne lagi kya.
Sarita- (ghurkar) Very funny. Maza bilkul bhi nahi aaya. Ab aap yaha se jaiye aur mujhe kaam karne dijiye.
Nishchal- Par tumhe bataya kisne ki aaj Kaka nahi aaye hain. Maine to kuchh nahi bataya tumhe. Kya tum antaryami ho jo tumhe pata chal gaya.
Sarita- Haan yahi samajh lijiye.
Nishchal- Achha thik hai tum banao main tumhe saman deta hoon.
Sarita- Nahi. Main khud hi Saman lekar khana bana dungi. Aap bahar jaiye.
Nishchal- Bilkul nahi Saman to main hi dunga.
Sarita- Maine kaha na ki main khud saman le lungi. Aap bas saman slab par rakh dijiye.
Nishchal- Tum itni ziddi kyon ho. jab main bol raha hoon to maan kyon nahi leti meri baat.
Sarita- Achha thik hai ladai mat kijiye. Aap saman dete jaiye aur main use use karke aapko deti jaungi. Aap wapas rakh dijiyega.
Nishchal ye sunkar khush ho gaya aur sarita ke bagal mein khada hokar Sarita ke batane par use wo saman dene laga. Sarita khana banane lagi aur jaroori saman Nishchal use deta raha.
Daal chawal aur roti ban gaya to Sarita ne dal mein chaunka lagane ke liye nishchal se tel manga aur tel wapas karne lagi to teil ka dibba gir pada. Jiske karan poora tail kitchen mein bikhar gaya. Farce pakka hone ke karan poore kitchen mein tail hi tail najar aane laga.
Asal mein huwa you tha ki chhote dibbe mein tel khatm ho gaya tha to Nishchal ne Bada dibba Wala tel sarita ko diya. Jab Nishchal ne Sarita ko tail ka dibba diya to Sarita usme se tail nikalne lagi. Tail nikalne ke baad Sarita ne bina Nishchal ki taraf dekhe dibba uski taraf badha diya. Sarita ne socha ki Nishchal ne dibba pakad liya hai to usne dibba chhod diya.
jabki Nishchal Sarita ko tail ka dibba dene ke baad Namak ka dibba nikal raha tha. Sarita ne Use kuchh bola bhi nahi ki dibba pakadna hai. to Isi galatfahmi mein ki Nishchal ne dibba pakad liya hoga Sarita ne dibba chhod diya aur Dibba jameen par gur pada aur fath ki aawaz ke sath hi dibba fat gaya aur poora tail kitchen mein bikhar gaya.
Iske Aage ki Kahaani Agle Bhag mein..