Ab tak sare updates read karloya I must say you
Destiny know how to put emotions in a light way

Kahani mai jaha ek taraf rajendra aur surbhi hai jo apne pariwar se bohut zyada lagaw rakhte hai aur ek ache mukhiya ki tarah pariwar ko sambhal kar le chal rahe hai jaha surbhi raghu aur pushpa ke siwa apasyu ko bhi utni hi mamta deti hai jaise wo bhi uska Maa saga beta ho.
Wahi ek bhai hai jo sirf property ke khatir apne hi pariwar ka dushman bana huwa na jane usne property ke chakkar kitne hi logon ko maut ke ghar utar diya apna sach chupane ke liye.
Wahi ek aur sukanya jiska character starting mai laga ki ye bhi apne pati ki tarah hi hai but agey pata chala ki iski bhi apni majburi jaha Kehne ko ek bhai hai jo usse majbur kar raha hai aise karne ko but antai usne faisla leliye ki ab wo pariwar ke logon ke sath ache se pesh ayegi.
Sukanya ne bura vyavahar sirf surbhi se hi kiya na ki kabhi raghu aur pushpa se uske liye wi dono waise hi hai jaise surbhi je liye apasyu.
Ek aur raghu hai jo apne Maa Baap ke sikhayegaye sanskar par chalne mai hi vishwas rakhta hai.
Pushpa is ghar ke ladli and sab par rub jatane wali maharani jiski saza sach mai hi khatarnak hai pata nahi bechare ashish ka kya hoga shadi ke Baad.
Wahi apasyu hai jo pata nahi apne hi logon par kitne zulm karta huwa araha ha ab usey pachtawa ho raha hai but mujhe nahi lagta jo galiya usne ki hai wo Maafi ke kabil bhi hai usne jo bhi kaam kiye unsab ko nazar andaz kiya ja sakta hai but jo usne aurto aur ladkiyon ki izzat ke khela uski Maafi to katai nahi honi chahiye.
Raman ek sacha dost jo humesha har hal mai apne dost ke sath khada hota hai.
Kamla is story ki sabse hatke character jab tak gussa nahi aya tab tak bohut hi sweet hai but ek baar jab gussa ajaye uske Baad to chandi hai ab lagta hai ravan par ye kamla Naam Ka grahan bohut jald hi lagega.
Overall such a nice story with a good writing skills


