Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF NORMAL HONE KE BAAD VIDEOUS APNE PEHLE CLASS KE TASK ME FAIL HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KI KOSHISH BHI FAIL HO JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-72



PLANET-ELYSIAN


PLACE-STELLARS COLONY





HEY MAHI... WHAT'S UP....????


shaam ka waqt hai.... MAHI apne ABODE se kuch door bane ek bohot hi khubsoorat garden me neeche ghaans par baithi uske aas paas jo darjano varieties ke alag alag phool uge hue the,unhe dekh kuch soch hi rahi thi ki tabhi uske piche se awaaz aayi jisse sun jab wo piche palti toh...


MAHI-VIDEOUS,tum yahan...????


thoda surprise hote hue kahi thi ye baat MAHI ne jispar...


VIDEOUS-haan mai..kyun???kya mai yahan nahi aa sakta....!!!!


apni baat kehte hue VIDEOUS MAHI ke paas aa gaya tha aur fir wo bhi MAHI ki hi tarah neeche ghaans par baith gaya....

wahin uske sawal ko sun...


MAHI-well, logically toh nahi..tumhe yahan aane ki zaroorat nahi padni chahiye kyunki tumne bataya tha ki tumhara ABODE pichle lane me hai jo yahan se kareeb ek kilometer door hai...

aur thik aisa garden wahan bhi moujud hai..infact har lane me ek aisa hi hubahu garden bana hai,fir bhi tum apne ABODE ke paas waale garden ko chhod kar yahan aaye ho,toh logically ye galat hi hai naa...

VIDEOUS-fir is lihaz se toh tumhare logics bhi galat hue...kyunki maine kuch dino pehle tumhe bhi mere lane waale garden me dekha tha...


VIDEOUS ki baat sun muskura uthi MAHI aur...


MAHI-haan..mai tumhare lane ke garden me gayi thi..infact me yahan ke har lane me bane gardens me jaa chuki hun...

VIDEOUS-puch sakta hun kyun??

MAHI-puch toh liya....par pehle tum batao ki tum yahan kya kar rahe ho....???

VIDEOUS- curiousity.... jab mujhe pata chala ki yahan hamare STELLAR'S colony ke har lane me ek ek aisa garden banaya gaya hai jahan universe ke har living PLANET me hone waale phool ugte hain toh mera man kiya ki kyun naa check kiya jaaye sabhi garden ek jaise hain yaa fir kisi garden me kuch aisa bhi hai jo baakiyon me nahi hai...

MAHI-no way...arre mai bhi isiliye hi sabhi gardens ko checkout karti rehti hun.. infact yahan ki har jagah aur un jagahon ki history ke baate me janane ki kosish karti hun mai...

VIDEOUS-now that's a coincidence... mujhe bhi hamesha kuch naya janana aur sikhna acha lagta hai....


VIDEOUS ki baat sunkar MAHI muskura di...usse acha laga ye jaankar ki koi toh hai jo uski hi tarah sochta hai....

warna ALFREEN aur MABEL toh kabhi kabhi uski hadh se zyada curious nature ko lekar usse chhidhati rehti hain...

khair, VIDEOUS ki baat sunane ke baad...


MAHI-ek sawal hai jo kaafi time se mai tumse puchna chahti thi....???puchun...???

VIDEOUS-sure..go ahead...

MAHI-jab SOVEREIGN ne tumhe introduce karwaya tha,tab unhone kaha tha ki kuch personal reasons ki wajah se tum last PHASE join nahi kar paaye the..

can i know the reason...???

VIDEOUS-mai apne PLANET me apne parents ke saath ek forest me rehta tha...aur yahan ke hisaab se pichle saal mere parents lapata ho gaye the...

ussi waqt mujhe yahan aane ka bulawa aaya tha par mujhe apne parents ko dhundna tha isiliye mai yahan nahi aana chahta tha...

isiliye SOVEREIGN mujhse milne aaye aur meri problem ko dekh aur samajh unhone kaha ki agar mai chahun toh wahin apne PLANET me hi yahan ke task ki practice kar sakta hun...

unhone mujhe tasks ke baare me bataya aur unhe karne ka tarika bhi samajhya...

saari cheezon ke baare me jaan mai yahan aane ke liye behad excited feel kar raha tha but mujhe apne parents ko bhi dhundna tha, isiliye mai nahi aa paaya...


jahan VIDEOUS ke parents ka sun MAHI ko bura laga wahin ye jaankar ki VIDEOUS bhi ussiki tarah ek forest me pala badha hai,usse acha bhi laga tha..

MAHI-toh fir kya tumhare parents??

VIDEOUS-nahi...i didn't find them....


MAHI ke sawal ko samajh VIDEOUS ne jawab de diya...


MAHI-ohh..really feeling sorry for your loss....

but kya SOVEREIGN ne tumhare mom dad ko khojne ki koshish nahi ki..unke liye toh ye koi badi baat nahi hai...

VIDEOUS-nahi..unhone kaha ki unhe aisa karne ki ijazat nahi hai....

MAHI-thats rediculous...itni shakti hone ka kya faayda jab wo kisike kaam nahi aa sakti...

VIDEOUS-theek hi hai naa..ye bhi ek lesson hi hai ki khudko itna strong banao ki kisiki help leni hi naa pade...

MAHI-i disagree...koi kitna bhi taakatwar kyun naa ho jaayen,par kabhi naa kabhi help ki zaroorat har kisiko padti hai...

VIDEOUS-help bhi do tarike ka hota hai MAHI..ek jo maanga jaaye,aur dusra jo bina maange mil jaaye..

maangna,iska matlab hai weakness aur bina maange mil jaane ka arth hai to be powerful...

aur ye jo dusra tarika hai naa,iske kaam me laane ke liye strong, bohot strong,sabse strong hona padta hai...

always remember MAHI...agar tum sach dheere se bhi bologe toh koi nahi sunega par agar jhooth chilla chilla kar bhi kahoge toh har koi naa sirf sun bhi lega balki us jhooth ko sach maan kar vishwas bhi kar lega....

MAHI-damn man...apni age se bohot zyada badhkar baatein karte ho tum....i am impressed...

VIDEOUS-well thankyou...waise ab kya mai kuch puch sakta hun...???

MAHI-ab itna acha gyan diya hai tumne,toh mana kaise kar sakti hun mai...???


MAHI ki baat sun halka sa muskuraya VIDEOUS aur...


VIDEOUS-mai jab tumhare paas aa raha tha tab maine gour kiya ki tum ek hi jagah par bina palke jhapkayen dekh rahi thi..

aksar aisa tab hota hai jab hum kuch deep sochte hain...??kya soch rahi thi tum...???

MAHI-hmm...haan soch rahi thi mai....mai us reason ko talash rahi thi jis wajah se last PHASE ke mukable is PHASE me meri ability kam padh gayi hai....


HAHAHAHA.....


MAHI ki baat sun hans diya VIDEOUS jisse sun hairani se uski taraf dekhne lagi MAHI aur jab VIDEOUS ki hasi rooki toh..


MAHI-aisi kaun si hidden code chuppi thi meri baat me jisse sun has diye tum...???

VIDEOUS-code...!!!tumhari puri baat hi mazak thi..

MAHI-matlab...!!!!!

VIDEOUS-ek baat batao..agar bike fuel se chalti ho..bike ki average 50 ho toh ek litre fuel me wo kitni door jaayegi...

MAHI-what kind of a question is this..???50 hi jaayegi,aur kya..???

VIDEOUS-par agar distance 100 km ho par fuel ek litre hi daali gayi ho toh kya bike apni destination tak pahunch jaayegi...

MAHI-nahi...

VIDEOUS-par bike aadhe me hi rook jaaye toh kya iska matlab ye hai ki engine ki shamata kam ho gayi...???

MAHI-bilkul nahi...shamata wahi hai,petrol kam pad gaya hai...but what's the connection...???

VIDEOUS-connection is ki us bike ki hi tarah tumhari efficiency ya shamata kam nahi hui hai,bas tumhe tumhare destination ki doori badh gayi hai...

first PHASE ki doori 50 km ki tarah thi,jahan tumhari bike bina kisi problem ke pahunch gayi par ye PHASE 100 km jitna door hai...

aur isiliye petrol yaani effort zyada lagega madam...


VIDEOUS ki baat sun MAHI ektak uski taraf dekhne lagi....

dekh toh VIDEOUS bhi sakta tha MAHI ko par main baat toh ab karni thi usse aur isiliye...


VIDEOUS-par mujhe nahi lagta ki tum zyada effort laga paaogi...???

MAHI-kyun..???kyun nahi laga paaogi...

VIDEOUS-ek old saying hai ki if u wanna better urself,then be with people who are better than u...

par tum aisa kar paaogi nahi,toh fir growth rate badhne ke chances kahan se honge...???

MAHI-are you mad or what..??tum keh reh ho ki mujhe apne friends ke saath nahi rehna chahiye...???

VIDEOUS-mujhe laga hi tha ki tum aisa hi kuch sochogi..mere bolne ka matlab tha ki jitna waqt tum apne frnz ko,aur apne kareebiyon ko deti ho,tumhe us waqt ko kam karna chahiye...

jitna ho sake utna kam....taaki us waqt ko tum utilize kar sako apne skills ko nikharne me...and if you want any help in that, I'll help you...


VIDEOUS ki kahi baat par MAHI sochne lag gayi thi aur aisa hote dekh...


VIDEOUS-dekho,mujhe nahi lagta ki is baare me zyada sochne ki zaroorat bhi hai..tu achieve something big,we all have to make sacrifices...

haan,agar tum ye soch rahi ho ki agar tumne apne friends ko kam waqt diya toh wo bura maan jayenge toh fir mere hisaab se toh true friends mom dad ki tarah hote hain..

jaise humare ache progress ke liye hamare mom dad hume khudse door boarding tak me bhejne se nahi katrate thik waise hi true friends bhi hamare passion ko aur us passion ke liye hume jo karna hota hai,un saari chizen ko naa sirf samajhte hain balki support bhi karte hain...

example main khud hun....mai jahan se hun,wahan par mera bhi ek jigri dost tha..hum bachpan se hi saath the aur jab usse pata chala ki mai yahan aane waala hun toh woh bohot sad ho gaya tha par phir bhi he supported me...


EXAMPLE.... VIDEOUS ne jo example diya tha,wo us nishane ki tarah tha jo apne spot ko kabhi miss nahi karta,yahi wajah thi ki MAHI ki soch aur gehri hone lagi thi..


MAHI-shaam dhal rahi hai...i think mujhe jaana chahiye..bye....


apni baat keh MAHI uthi aur apni soch ke saath apne ABODE ki taraf nikal gayi...

wahin uske uthkar jaate hi....


VIDEOUS-mai bhale hi tere dimag me jhaank nahi sakta par khel toh sakta hun...

tujhe apne saath mila paaun yaa naa mila paaun,par baakiyon se toh tujhe mai alag kar hi dunga....

teri taakat ki hadh nahi dikhti mujhe par akela kar tujhe mentally kamzor
bana dunga mai....






PLACE-THE BREEZE




WOW MAN....KYA JAGAH HAI YAAR.....


saamne ke scene ko dekh hadh se zyada impressed ho kahi thi ye baat SLUNDER ne....

THE BREEZE....

ye ek arificial SEA SWIMMING POOL zone hai.....

kareeb 20 acre me faila ha ye pool zone...

jisme se 9 acre artificial lehre paida karte sea ne ghera hua hai aur baaki bache 1 acre me snack stalls aur group chill areas bane hue hain...

aur filhal shaam ka waqt hai...unlike STELLARS, GROOMERS ko chaaron LUXURY GATEWAYS milte hain,har gateway ka use wo mahine me sirf do baar hi kar sakte hain...

ETHRIUM ke is mahine ka use ACCHUTA, SLUNDER aur RAAZ bowling club aur poison pub me kar chuke the isiliye aaj unhone BLUE COIN ko use me laane ki sochi aur isiliye hi teeno yahan THE BREEZE naam ke is ARTIFICIAL SEA SWIMMING POOL zone me aaye hain aur yahan ka behatarin nazara dekh SLUNDER ne ye baat kahi thi jispar...


ACCHUTA-bhai,ekdum khari baat boli hai tune.... pehli baar itni khubsoorat machliyon ko paani ke andar nahi,baahar ghumte dekha hai...


chaaron taraf kaafi beautiful girls thi jinhe dekh ACCHUTA ne ye baat kai thi jispar...


SLUNDER-abbe tharki..saale jab dekho ladkiyon ko dekhkar laar tapkata rehta hai..

mai saamne bane us arificial sea pool ki baat kar raha hun...

ACCHUTA-yahi toh fark hai tujhme aur mujhme..

tujhe arificial chizen pasand aati hain aur mujhe,kudrat ki banayi natural khubsoorati bhaati hai...


ACCHUTA ki baat par SLUNDER kuch kahe ki usse pehle hi...


MAI-ek ek thappad kaafi hoga shayad tum dono ke dimag ko aur mooh se har waqt nikalne waale bakwas ko thikane lagane ke liye...


waise toh baat maine normally kahi thi,par jo kahi thi,uske sach hone ke baad ke haal ko feel kar...


ACCHUTA-haan naa bhai,ye saala jab dekho bakwas hi pelta rehta hai..

ab jo karne aayen woh karna chhod baaki sab karega ye..


ye bol bina kuch sune sea pool ki taraf bhaaga ACCHUTA aur uske piche rook bolta hua doud pada SLUNDER...

wahin un dono ke piche chalta hua mai bhi pool ke paas pahunch gaya...


ACCHUTA aur SLUNDER ne ab tak apna top wear utar diya tha aur kood chuke the sea pool me aur unke piche maine bhi apna t-shirt utara aur paani me utar gaya.....

thik ussi waqt humse thodi door...


WOW...NOW THAT'S WHAT I CALL REAL HOTNESS...


ye shabd dheere se hi sahi,par nikle the MORANA ke mooh se jo pool se thodi door right taraf bane ek group rest me apne group ke saath baithi hui thi...

wahin uske baaju me baithe ANWIR ne uski baat thik se suni nahi isiliye..


ANWIR-hmm, what..???kuch kaha kya tune...???

MORANA-nothing..mai pool se aati hun...

ANWIR-arre,abhi toh aaye hain,fir mood ho gaya kya..???

MORANA-asli mood toh abhi hua hai..tu chill kar,mai aa rahi hun..


apni baat keh MORANA pool ki taraf yaa fir ye kahun ki meri taraf chal padi...

wahin MORANA jis taraf gayi,jab ANWIR ne us taraf dekha toh usse pool ke us area me mai dikha jiske baad wo MORANA ke mood me aane ka reason samajh gaya...

wo bhi uthkar MORANA ki taraf aane hi waala tha ki...


BUDDY,THIS IS THE GUY I WAS TALKING ABOUT...


ANWIR ke ek friend ne kahi thi ye baat usse jisse sun ANWIR ki apne dost ke saath khade ladke par nazar gayi aur..


ANWIR-toh tu hai VALDIS.....




MORANA:-



MAI-what are you doing...???


apne peeth par kisike touch ko feel kar jab mai piche palta toh dekha ki MORANA theek mere piche khadi mujhe dekh rahi hai...

aur isiliye maine ye baat kahi jispar....


MORANA-paani thanda hai toh socha ki kuch HOT touch kar lun...


ab MORANA ka haath mere chest par tha jisse mai hathane hi wala tha ki tabhi meri nazar MORANA ke theek piche thodi door baithe ANWIR par gayi jo hume hi dekh raha tha aur filhal uski aankhon me ghussa tha aur ye dekh..

MAI-hotness sirf tumne chhua hai..mehsoos karna baaki hai...

MORANA-toh karado mehsoos....i would love to feel it...


MORANA ki baat khatm hote hi maine uske waist ko pakda,usse kheecha aur uske agle hi pal hum dono pool ke paani ke andar the...

filhal hum 5 feet paani me hi the par kuch aage paani gehra hone waala tha..

mai filhal ulta tha aur MORANA mujhse chipke mere upar..usse issi position me pakad mai paani ke andar hi andar aage badh gaya tha...

meri body ek saamp ki tarah lachakte hue jisse MORANA ki bhi body judi hui thi,usse ragad khaa aage badh rahi thi..


aapko yaad hoga ki EARTH me apne orphanage ke aage ek lake tha jahan mai ghanto baitha karta tha..

ussi lake me maine ye karna sikha tha...is tarah swim karne se thand me bhi ek garmahat mehsoos hoti hai aur kyunki meri body se MORANA ki body constant ragad khaa rahi thi, isiliye filhal is garmahat ko wo feel kar paa rahi thi...

tairte hue maine ek pura circle cross kar liya tha . kyunki paani crystal clear tha aur iske andar bhi dekha jaa sakta tha,isiliye is pure douran MORANA lagatar mujhe dekh rahi thi...

paani ke andar hi andar tairte hue hum wapas wahin pahunch chuke the jahan se ye swimming humne shuru kiya tha aur isiliye paani k baahar aa...


MAI-garmi....mehsoos hui......

MORANA-bohot ache se..par thoda sa aur mehsoos karna reh gaya hai...

MAI-so once more...

MORANA-zaroorat nahi hai..bacha part yahin pura ho jayega..


ye bol apne honth mere honthon ki taraf badha diye MORANA ne....




BACK TO ANWIR:-




VIDEOUS-us raat tune jo un dono
WEAKLINGS looser ke saath kiya tha,wo bataya mujhe isne...

and i like it...wo baat bhi mujhe pasand aayi aur tu bhi.. isiliye aaj se tu hamare group me...the strongest and the most powerful group of CHOSENS...

so welcome to the gang...

VALDIS-thanks brother..maine bhi bohot suna hai aapke group ke baare me and it's an honor to join you guyzz...

ANWIR-aa baith..have a drink...


VALDIS turant ANWIR ke baaju me baith gaya jiske baad ek ek drink ke saath wo apni baaton me lag gaye..

par un baaton ke dauran VALDIS ne gaur kiya ki ANWIR baar baar pool ki taraf dekh raha hai aur jab us direction me uski bhi nazar gayi toh wo chownka kyunki wahan khada tha RAAZ MORANA ke saath aur uske thode aage apne me hi khoye masti kar rahe the ACCHUTA aur SLUNDER....


VALDIS-ye toh wo looser RAAZ hai..ye MORANA ke saath kya kar raha hai...???

ANWIR-tu jaanta hai isse...???

VALDIS-ofcourse..isse hi maarna chahta tha mai us raat par ye nahi aaya toh iske dono doston ko,jo uske thode aage khade hain,unhe maara maine...

ANWIR-toh isse kyun chhod diya..baat me mouka dekh isse bhi baja deta...


ab ANWIR ko VALDIS ye toh bata nahi sakta tha ki wo RAAZ ko maarna toh door,hila bhi nai paaya tha.. impression down ho jaani thi lounde ki toh isiliye....


ANWIR-bohot baar try kiya maine par ye saala kabhi akele me mila hi nahi..har waqt kuch log hote hi the iske saath...

ANWIR-aaj toh akela hi hai...bas wo dono looser dost hi hain saath me...aaj iski bhi marmmat kar de...

VALDIS-karna toh chahta hun brother par ek problem hai..wo kya hai naa ki i like a girl aur wo ladki iski achi friend hai toh agar maine isse maara toh ye usse bata dega aur agar aisa hua toh meri love story shuru hone se pehle hi khatm ho jaayegi....

brother,kya tum ye kar sakte ho..isse mai saamne bhi nahi aaunga aur meri khwahish bhi puri ho jaayegi...

ANWIR-bilkul chote..ab tu hamare group me hain...itna toh banta hai...




BACK TO MORANA:-




MAI-itni bhi kya jaldi hai...honth mile,isse pehle hum thik se mil len toh behtar hoga...


isse pehle ki MORANA ke honth mere honthon ko chhute,maine apne honth ke aage ek ungli rakh di jisse takraye MORANA ke honth..


wahin meri baat sun MORANA ne meri us ungli ko hi chum liya aur...


MORANA-MORANA ko mana kar rahe ho tum...waise toh ye meri khubsoorati ki insult hai par i like tough guyzz...

intezar rahega agli mulakat ka...


ye bol meri wo ungli jo ab bhi mere aur MORANA ke darmayan thi,usse halka sa lick kar palat gayi MORANA....

aur aisa hote hi..


MAI-chalo guyzzz...kaafi late ho gaya hai..


meri baat sun ACCHUTA aur SLUNDER jinhone mere aur MORANA ka pura action miss kiya tha,wo meri taraf palte aur fir we were out of the pool....




GROOMERS PARKING:-



ACCHUTA-bhai,maza aa gaya yaar.....

SLUNDER-haan,mujhe toh laga tha ki tu pura time ladkiyon ko taadne me hi nikal dega..

par thank god aisa nahi hua...

ACCHUTA-saale,mai kya bol raha hun aur tu kya bol raha hai...???maza aaya ki nahi,ye bata...

SLUNDER-arre puch mat bhai..bohot maza aaya...


ABHI TOH AUR MAZA AAYEGA LOOSERS....


hamare piche se aayi thi ye awaaz jisse sun jab hum piche palte toh dekha ki kuch 10 bande hamare paas aa rahe the...


ACCHUTA-ab ye kaun hai yaar.saalon ki aankhon me humare liye khunnas dikh raha hai...

SLUNDER-abbe ye PHASE 3 ke WICKEDS hain..pure CHOSENS ke sabse bad group ke bande hain ye...

maine bohot suna hai in logon ke baare me..

ACCHUTA-par humne inka kya bigada hai bhai jo hume aise ghoor rahe hain ye....???

SLUNDER-abbe WICKEDS hain ye..inhe reason nahi chahiye hota kisika kuch bigadne ke liye..

par fir bhi, right side ke dono teeno bando ko dekh..ye teeno wahin hain jinhone us raat VALDIS ka saath diya tha hume maarne ke liye...

ACCHUTA-abbe haan...saalon ne us din gher kar marwaya tha hume..par koi nahi,aaj RAAZ hai humare saath..aaj pelenge inhe...


yahan ye dono baat kar rahe the aur wahan ANWIR aur uske chele chalte hue thik humare saamne aakar khade ho chuke the...

ANWIR thik mere saamne khada meri aankhon me jhaank mujhe ghoor raha tha par jab usse meri aankhon me naa dar dikha naa pareshani toh...


ANWIR-kya baat hai...mujhe toh laga tha ki jab mai tere saamne aaunga toh meri aankhon me dekh teri aankhon me khouf aa jaayega par tu toh bilkul dara nahi....

ACCHUTA-beta dar kya hota hai,ye abhi jaanta nahi tu..abhi tu isse ghur raha hai, agar ye tujhe ghoorne lag gaya naa toh apna lu**d apni hi ga**d me ghusa baithega tu..


ACCHUTA ki baat sun ANWIR kuch kahe ki usse pehle un teeno me se ek jinhone VALDIS ki us raat madad ki thi,wo bol utha...


LADKA-bhai,iski zuban bohot zyada chalti hai..us din bhi ye iske baare me aisi hi baatein kar raha tha ki agar ye wahan hota toh hum kuch nahi kar paate...

ANWIR-acha..itni badi top hai ye...zara dekhen toh....


CHATTAKKHHH......


apni soul ki taakat se maara tha ye thappad ANWIR ne mujhe jiske baad mai ghumte hue piche jaa gira...

thappad ke impact se mere gaal phat chuke the,itna hi nahi mujhe chakkar bhi aa gaya tha jiski wajah se niche girne ke baad mai uth bhi nahi paa raha tha..

wahin ANWIR ke thappad se meri haalat dekh shocked ho gaye ACCHUTA aur SLUNDER..

unhe waise bhi kuch dino se meri haalat dekh mujhpar shak ho raha tha aur abhi jo hua tha,usse dekh inhe yakin ho gaya tha ki something is wrong with me...

khair,wo dono turant mere paas aaye aur..


ACCHUTA-RAAZ...tu thik hai bhai..yaar tujhe ho kya gaya hai..aise aire gaire bhi maar de rahe hain tujhe...


ACHHUTA ki baat sun bhadak gaye ANWIR aur uske saathi...


LADKA 2 -saale teri zubaan bohot chalti hai..teri toh aaj special marramat karunga mai..

ANWIR-ye dono tum sabke. bas is RAAZ ko koi haath nahi lagayega...ye mera shikar hai....

ye bol ANWIR ne apna haath meri taraf kiya aur apne ANGRY REFINER ke tahat SAMPURN KRODHAM spell ke saath ASUKA spell ko merge kar man hi man uccharit kiya ANWIR ne jiske baad uske haathon se ray nikal meri hody par padi aur....

meri puri body dard ki adhikta se vibrate karne lagi....pura sharir kaamp raha tha mera par ANWIR lagatar is pain spell ko mujhpar use karta raha...

wahin ACCHUTA aur SLUNDER par toh ANWIR ke saathiyon ne spell bola hi nahi tha...

wo sab un dono par laath aur ghusse barsane lage the..

ACCHUTA aur SLUNDER ne retaliate karne ki koshish ki par WICKEDS jaise strong bando ke aage unki chalne toh wali thi nahi isiliye kuch hi seconds me unka retaliation kham ho gaya aur aisa hote hi wo dono bhi un sabke punching bags ban chuke the...

pure lahun luhan ho chuke the ACCHUTA aur SLUNDER aur unki haakat dekh..


ANWIR-yaar, taklif bhale tujhe zyada ho rahi hai par jo haalat tere in dono doston ki hain naa,mujhe tujhe bhi us haalat me dekhna hai...


apni baat keh mujhe apne magic se khada kiya ANWIR ne aur aisa hote hi..

DHOOB,DHOOB,DHOOB......


ek ke baad ek kamsekam 50 punches maare mere chehre,chest aur pet me ANWIR ne jiske baad meri haalat ACCHUTA aur SLUNDER se bhi kharab ho chuki thi..

par in sabke beech ek chiz thi jisne ANWIR ko hairani me daala hua tha aur wo ye ki itni maar aur punishment ke baad bhi mere mooh se ek awaaz nahi nikli thi..

ye pura torture maine chupchaap saha tha....khair, ANWIR ke punch se dil bharte hi usne apna magic hata diya jiske baad meri body lehrate hue niche gir gayi...


ACCHUTA aur SLUNDER,wo dono toh pehle hi behosh ho chuke the,aur ab neeche girte hi meri aankhen bhi band ho gayi jiske baad ek baar meri haalat par has ANWIR aur uske saathi wapas jaane ke liye palat gaye....

par un sabne kuch kadam hi aage badhaye the ki tabhi....


MAI-A...N....W.....I......R.......


apni bachi saari taakat batorkar cheekha tha mai jiske baad jab ANWIR palta toh hairan ho gaya...

reason...

mai apni jagah par khade hone ki kohish kar raha tha jisme baar baar mai ladkhada jaa raha tha par finally mai khada ho gaya aur....


MAI-itna toh maar ki mai kamsekam behosh toh ho jaaun....

taaki tujhe jaan se maarte waqt mujhe ye yaad rahe ki kamsekam tune kuch bura kiya tha mere saath...

kyunki abhi tak jo tune kiya hai,wo toh mere liye bas training thi....ab iske liye tujhe jaan se maar dun,toh maza nahi aayega mujhe...


bohot simple way me kahi thi maine ye saari baat par intensity ab bhi meri baaton me pehle jaisi hi thi jisse sun ek pal ke liye hi sahi, ANWIR aur uske saath uske saathi boukhla se gaye the..


ANWIR-kya bakwas kar raha hai tu...training....!!!kaisi training...????

MAI- REFINER activation ke waqt bohot taklif hoti hai...sehen nahi hota wo pain aur task adhure me hi reh jaata hai...

tere spell se jo pain hua tha mujhe,fir tere physical hone se mila pain,wo pain bhi kuch kuch waisa hi tha par dekh bina mooh khole bina behosh hue jhel liya maine sab...

LADKA 2-abbe kya bakwas kiye jaa raha hai...rook teri toh mai...

MAI-na na na na... tujhe ye dono maarenge..meri maar tu seh nahi paayega...

mujhe isne maara hai,aage bhi haath yahi lagayega....mool kisi aur ko,aur byaj kisi aur ko nahi diya jaata..

mool tune diya hai,byaj bhi tu hi de.....waada raha,ek naa ek din sudh samet chuka dunga mai....


hakke halke lehrate hue bol raha tha mai ye saari baatien jisse sun behad ghusse se aage badha ANWIR aur...

ek ke baad kayi punches diye usne mujhe aur fir finally mere sir ko usne apne knee par maara aur aisa hote hi kisi kate ped ki tarah jhoomta hua gira mai...

firse mujhe laath maarne ke liye usne pair aage badhaye hi the ki tabhi.....


LADKA 1-rehne de yaar..aur maara toh mar jaayega...


apne dost ki baat sun ANWIR apne pair wapas kheenchne ko hua par tabhi maine uske pair ko hawa me hi pakad liya...

aankhen bhaari ho chuki thi meri, behoshi mujhpar sawar hone hi waali thi par behosh hote hote mere mooh se nikle aakhri lines...


MAI- mai toh zinda hun par.....



galatfehmi mat paalna ki tujhe,
zinda CHHOD DUNGA MAI....

wo hawa jisse tu saans leta hai,
uska rookh bhi MOD DUNGA MAI...

sharir toh teri kategi hi par itna kaafi nahi,


jism ke saath saath teri rooh ko bhi,
NICHOD DUNGA MAI.....











AAJ KE LIYE ITNA HI......









AAPKA APNA V...J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VIDEOUS MAHI KO MANUPALATE KARNE KI KOSHISH KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ, ACCHUTA AUR SLUNDER ANWIR AND GROUP SE MAAR KHAATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-73



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLAR'S CLASS:-






BRILLIANT MAHI.....EK BAAR PHIRSE TUMNE SAABIT KAR DIYA HAI KI WHY YOU THE BEST SAVENT OF THIS BATCH....


bohot excited hokar REGIS ne ye baat kahi thi...

reason....

finally abhi abhi MAHI ne bhi apne first REFINER ko average power tak refine kar liya hai....

wahin REGIS ki baat sun...


MABBA-best usse kehte hain REGIS....


VIDEOUS ki taraf point karte hue MABBA ne ye baat kahi jisse sun sabki nazar VIDEOUS ki taraf chali gayi jo ab bhi apne CEREBRATION process ko paused kiye baitha hua tha....

kal ki hi tarah aaj bhi uske jabde bheenche hue the,halka halka kaamp raha tha wo par in saare odds ko jhelte hue bhi uska focus hundred percent par tha...


VALDIS-chaar minutes ho gaye yaar..what do you think, kya aaj ye complete power tak pahunch jaayega...


apne left me baithi MABEL se kahi ye baat VALDIS ne jispar...


MABEL-who knows..!!!may be....


MABEL aur VALDIS ki hi tarah puri class yahi sab speculation laga rahi thi..

wahin in sabke beech MAHI,jiski saansen abhi bhi fooli hui thi,wo bhi VIDEOUS ki taraf dekhe jaa rahi thi...

par in saare speculations se anjaan puri concertration ke saath lage hua VIDEOUS apne man me us prakash waali jagah ke kareeb chalta chala jaa raha tha joki asal me uski manzil thi....

jaise jaise wo praksh badh raha tha, VIDEOUS ki taklif bhi badh rahi thi jiska saaksh tha uska body jo ab kisi mirgi patient ki tarah vibrate kar raha tha....

uski is haalat ko dekh sabko lagne laga tha ki shayad VIDEOUS shayad aaj bhi naakam hoga par tabhi....

achanak se VIDEOUS ki body vibrate hona band ho gayi aur aisa hote dekh sabhi SAVENTS hairan ho gaye..

par jahan SAVENTS hairan the,wahin WHIZZ aur WHIZZDERS khush....

reason....

us tez chamak ke paas jaate hue VIDEOUS ke SOUL ne hazar rukawaton ke baad bhi aakhirkar us roshni ko chhu hi liya aur jab aisa hua toh uska dard dheere dheere kam hone laga...

usse apne pure sharir me ek bijli si doudti hui mehsoos hui...

ye bijli aur kuch nahi balki wahi REFINER power thi jo khudko VIDEOUS ke pure sharir me faila rahi thi aur jab us power ka safar pura hua toh jhatke khaate VIDEOUS ka sharir bhi shaant ho chuka tha...

is process se teeno WHIZZ aur WHIZZDERS waakif the aur isiliye hi unke chehro par muskaan aa gayi thi..

wahin,process pura hote hi VIDEOUS ki aankhen khul gayi aur jab aisa hua toh...


MABBA-congrats VIDEOUS..apne pehle REFINER ko pura activate karne aur saath hi apne SOUL ko 4 percent tak AMPLIFY karne liye....


jahan REFINER waali baat sunkar SAVENTS ke chehron par khushi ke bhaav the wahin AMPLIFICATION ki baat sun sabhi chownke jisse notice kar..


MABBA-yes SAVENTS..you heard right... VIDEOUS ka naa sirf first REFINER complete trigger hua hai balki uska soul bhi 2 se sidha 4 percent tak AMPLIFY ho gaya hai..


SAPIUS-baat darasal ye hai ki 2 percent AMPLIFICATION waale SAVENT ka sharir REFINER ke power ko jhel nahi sakta isiliye jab bhi koi 2 percent AMPLIFICATION waala SAVENT is REFINER ke process ko activate karne ki koshish karta hai toh uska SOUL iske AMPLIFICATION process ko bhi iske saath attach kar aage push karta hai..

yahi kaaran tha ki VIDEOUS ko zyada taklif sehni padh rahi thi..

WHIZZDER ki baat sun saare SAVENTS VIDEOUS se aur impressed ho gaye the...

aur in SAVENTS me MAHI bhi thi jo naa sirf VIDEOUS ke aaj ke achievement se impressed thi balki saath hi uski kahi kal ki baatein ab usse kahin naa kahin sahi lagne lagi thi...

khair,class ka time off ho chuka tha isiliye ek baar firse VIDEOUS ko congratulate kar teeno WHIZZES aur WHIZZDERS class se nikal gaye aur aisa hone ke baad MAHI VIDEOUS ki taraf aane ko hui toh usse dekh ALFREEN, MABEL aur VALDIS bhi ussi taraf ho liye....


MAHI-congrats VIDEOUS....


MAHI ki baat par VIDEOUS react kare,usse pehle hi...


ALFREEN-arre congrats to the both of you yaar.....

VIDEOUS-both of you matlab..??

ALFREEN-arre aaj MAHI ne bhi apne REFINER ke average power ko activate kar liya..

VIDEOUS-really..congrats yaar....


VIDEOUS ki baat sun muskura bhar di MAHI...

MABEL-guyzz..aaj toh double party banti hai...

ALFREEN-exactly..and i have a plan... kyun naa aaj yahan se sidhe PHASE checkout karne chalen...

bohot si jagah hai jisse ab tak humne explore nahi kiya hai,aaj sab jagah chalte hain....aaj full afternoon aur evening party karte hain...

VALDIS-great plan yaar..chalo fir,bohot maza aayega..

VIDEOUS-tum log jaao guyzz..mai library jaa raha hun...

MAHI-library,abhi..!!!

VIDEOUS-yup..abhi... actually, maine suna hai ki REFINER activate hone ke baad bohot se techniques hain,jinhe power demonstration ke liye sikha jaa sakta hai...

us baare me kaafi books hai yahan ke library me...

aur ab jab finally mera first REFINER activate ho chuka hai, toh i am very curious to check out those books..

ALFREEN-toh kal kar lena..ab toh institution ka time bhi off ho chuka hai..

VIDEOUS-institution ka hua hai..sikhne ka nahi...you guyzzz go,mai fir kabhi saath chalunga...

MAHI-kya sirf complete power activation ke baad use me aane waale tariko ki books hain library me...

VIDEOUS-nahi... average power ki bhi hai... aur saath hi aur bhi kayi spell utilization ki books bhi hain..

mai toh regularly padhta hun unhe....

MAHI-toh fir mai bhi chalti hun...

ALFREEN-wo wo...hang on a sec..mai bhi chalti hun matlab...??tu kahin nahi jaa rahi..tu hamare saath chal rahi hai..

VIDEOUS-ok then..see you tommorow...


ye bol VIDEOUS class se nikal gaya aur aisa hote hi..


MAHI-sorry guyzzz..par mai nahi aa rahi...you guyz carry on...

MABEL-arre, common MAHI... kal chali jaana...aaj humare saath chal..

ALFREEN-arre puch kya rahi hai isse..??ye hamare saath hi chal rahi hai...


ye bol ALFREEN ne MAHI ka haath pakad liya jispar...


MAHI-guyzz, understand yaar..ye first PHASE nahi hai.. second hai,and its more tough here...

mujhe zyada mehnat karni padegi yahan....mai apna time in faaltu ke hangouts me nahi waste karna chahti...


halki irritate ho kahi ye baat MAHI ne jo kisi aur ko nahi par ALFREEN ko pasand nahi aayi aur isiliye...


ALFREEN-faltu ke hangout...matlab hum sab faltu hain...

MAHI-u now thats not what i meant AL...mai apni baat kar rahi hun..

tu ghumna firna chahti hai,fine...but mai apna time insab me nahi bitana chahti...

i want to spend most of my time learning...mujhe acha lagta hai ye... isiliye please understand...


jahan apni baat keh MAHI turant class se nikal gayi wahin ALFREEN usse jaata hua dekhti rahi...


MABEL-chhod naa yaar..usse man nahi hoga ghumne ka..aur agar wo aur zyada focused hokar padhna chahti hai toh isme galat hi kya hai..??

ALFREEN-haan..yahi toh bas padhti hai yahan...hum toh bas ghumne aate hain..

MABEL-yaar,chhod naa..usse nahi jaana toh naa sahi..hum chalte hain..

ALFREEN-ab mood nahi hai yaar...ghar chalte hain....


ALFREEN ka chehra aur uske mood ko dekh MABEL ne bhi aage kuch nahi kaha aur uske saath ho li...


wahin VALDIS jo ab tak ek mook darshak bana hua tha, ALFREEN aur MABEL ke jaate hi....


VALDIS-saala in logon ke friendship ke chakkar me meri gaadi road par nahi aa pa rahi hai...

par kab tak....!!!sooner or later,i will get you MABEL and then, u will be the dish that i am gonna enjoy as per my wish....





WEAKLINGS CLASS:-




OH SHIT....YE FIR SAME STATE ME JAA RAHA HAI....


mujhe dekh kahi thi ye baat EDWINA ne...

reason!!!

aaj balki abhi ek baar firse apne REFINER ko activate karne ke process me kal hi ki tarah meri body zoron se vibrate ho rahi thi...

aur saath hi pehle mere aankhon ke dono side se jahan aansu nikane rahe the, wahin ab khun nikalne laga tha....

aur yahi sab dekh EDWINA ne ye baat kahi thi...

jahan EDWINA ke saath puri class filhal mera haal dekh rahi thi wahin PETRA aur ROVEL,dono hi meri haalat dekh mere CEREBRATION ko wapas chalu karna chahte the,par kal jo baatein maine kahi thi,usse yaad kar wo kuch kar nahi rahe the....

saath hi teeno WHIZZES aur WHIZZDER ko ye samajh nahi aa raha tha ki mujhe itna zyada pain ho kaise raha hai...???

kyunki is process me pain toh normal tha par jitna pain mai jhel raha tha,utna unhone apni life me kisi SAVENT ko hote aur jhelte nahi dekha tha...

aur in sab se alag mai apne SOUL strength ki puri jaan laga us roshni ki taraf badh raha tha joki meri manzil thi...

dard itna zyada ho raha tha mujhe ki aisa lag raha tha maano aaj khatm ho jaaunga mai..

pura sharir ek blast ke saath fath jaayega par in saare negetives ke baawjud mai dheere dheere aage badh raha tha...

aur is tarah kuch seconds aur beete par fir...


PETRA-holy shit....iski toh body fatni shuru ho chuki hai....


PETRA ki baat sach thi..ab meri haath ke pores strech hone lage the jisse dekh sabhi ghabra gaye the aur isiliye...


ROVEL-enough is enough..we cant let him kill himself...


ye bol mere CEREBRATION process ko wapas shuru karne ke liye ROVEL ne apna haath aage kiya par isse pehle ki wo SPELL bolte..


EDWINA-ek second ROVEL...look,iski body streching,shaking aur aankhon ke kinare se blood nikalna ab nahi ho raha...


EDWINA ki baat sun ROVEL ka haath niche ho gaya aur fir unhone aur saath hi PETRA ne bhi gour kiya ki EDWINA sahi bol rahi hai...

aur dekhte hi dekhte mere body ki puri kampan band ho gayi jisse dekh behad khush ho gaye teeno WHIZZES aur WHIZZDERS....

wahin body ke kampan khatm hone ke kuch seconds baad meri aankhen khuli aur jab aisa hua toh..


EDWINA-SAVENTS....a big round of applause for the very first SAVENT of aur catagory who has successfully activated the average power of his first REFINER...RAAZ...


EDWINA ki baat sun sabhi mere liye clapping karne lag gaye the jisse dekh maine koi expressions nahi diya tha...

wahin EDWINA ki baat ko aage badhate hue...


ROVEL-ek baat aur...kisi 2 percent AMPLIFICATION holder ke apne first REFINER ko completely activate karne par uska SOUL AMPLIFICATION bhi 2 percent tak badh jaata hai....

aur kyunki RAAZ tumne apne aadhe REFINER power ko activate kar liya hai, isiliye tumhari soul bhi 1 percent aur AMPLIFY ho chuki hai..

now you stand as a 3 percent AMPLIFICATION holder..

PETRA-aur jis din tumne apne REFINER ke complete power ko activate kar liya,naa sirf tum 4 percent AMPLIFICATION holder ban jaaoge,balki saath hi tumhari catagory bhi upgrade ho jaayegi..

tum ek GROOMER se sidhe STELLAR me convert ho jaaoge...


EDWINA-and one more thing...ye toh aapko pata hai ki LIBRARY me ab tak koi GROOMER allowed nahi tha..

ye isiliye tha kyunki library me yaa toh STELLARS because of there top position,ek advantage ke tahat jaa sakte hain yaar fir unhe chhod agar koi SAVENT joki kisi aur catagory se ho toh us SAVENT ko kamsekam apne REFINER ke average power ko activate karna padega,tab hi wo wahan enter kar sakta hai..

aisa is wajah se hai kyunki library me rakhi books me jo metaphysical activities hain,unhe use me laane ke liye SAVENT ka REFINER activation zaroori hai bhale hi wo activation average power hi kyun naa ho...

aur ab kyunki RAAZ tumhari ye power activate ho chuki hai, isiliye tum library jaa sakte ho...


pure excitement se kahi thi ye aaari baatein teeno WHIZZES aur WHIZZDER ne par iske baad bhi jab mere expressions normal hi rahe toh..


EDWINA-kya hua RAAZ..???aren't you happy with what you have achieved and the things which will happen after your next achievement...

MAI-what achievement.....!!!averege power...

ye power mid term exam ki tarah hai jiski value bas itni hi hai ki isse final exam ki taiyari pata chalti hai..

aadhi shakti aadhe syllabus ki tarah hoti hai,jisse gyan bhi aadha hi milta hai isiliye koi bhi chiz jo adhuri ho,wo mere kaam ki nahi...

i want full power..full control....aur jab ye hoga, I'll be happy...


meri baat sun hairan the SAVENTS aur saath hi teeno WHIZZ aur WHIZZDERS...

ab se pehle mere jaisi soch waala banda jo nahi takraya tha unse..

khair,class over ho chuki thi isiliye WHIZZ aur WHIZZDERS class se nikal gaye aur unke baad sabhi SAVENTS bhi one by one nikalne lage...

wahin jo blood nikla tha mera, usse saaf kar jab mai utha aur bahar jaane ko hua toh...


RAAZ....CAN WE TALK.....!!!


ye thi SLUNDER ki awaaz jisse sun mai uske aur ACHHUTA ki taraf palta jo aaj class me mere saath nahi balki alag baithe the...

infact kal se abhi tak ye first time tha jab dono me se kisine mujhse baat ki thi...

reason..

kal ki dhulayi....jisme behoshi chhane ke kuch der baad pehle mujhe hosh aaya aur hosh me aate ho maine us kaadhe ke ek shishi jo SHAILA ne mujhe di thi aur jiske 2,3 sheeshi mai hamesha carry karta tha,usme se ek pi liya jiske kuch der baad hi mere pura pain jaata raha...

ye kaadha bas pain se nijaat dilata tha isiliye pain jaane ke baad bhi chehre aur body me jahan jahan sujhan aur cuts pade the,wo waise hi the..

khair,unki bhi tention thi nahi kyunki STELLARS ki hi tarah strap tapes hume bhi mile the par jahan STELLARS ke wounds par un tapes ko lagane ke liye ELUSORY hote haon,wahi ye kaam hume khud karna tha..

anyways,kadha peene ke baad maere pass jo extra do sheeshiyan thi, unhe maine ACCHUTA aur SLUNDER,jo tab bhi behosh the,unke mooh khol kar udel di jiske kuch der baad un dono ko bhi hosh aa gaya..

kuch seconds lage unhe, situation ko samajhne me par fir ek baar mujhe dekh wo dono apni apni bikes par chupchaap baith nikal gaye aur tab se ab tak ye haal hai..

apne apne ABODES pahunch strap tapes ki madad se un dono ke zakhm toh bhar gaye par jo hua tha,wo usse nahi bhul paaye the..

aur isiliye hi subah se mujhe avoid kiya dono ne par kab tak...

baat toh karni hi thi un dono ko aur isiliye...

class me jaise hi hum teen hi bache toh awaaz di mujhe SLUNDER ne jispar mai bas usse dekh chup khada raha jispar...


SLUNDER-agar wakayi hume dost maanta hai toh kya ek sawal ka sawal ka jawab sach sach dega...???

MAI-sach bolne ke liye mujhe tere dost hone ki zaroorat nahi hai..anyways,puch par haan,bina ghumaye ek baar me sawal khatm karna aur jawab mai sirf ek sawal ka hi dunga...


meri baat sun ek baar ek dusre ko dekh...


SLUNDER-tu RAAZ hi hai naa yaa fir koi aur...???

kyunki jiske paas itni shakti hai ki ek pure planet tak ko chutkiyon me tabah kar de,jisse agar ek mountain bhi takra jaaye toh bhi usse koi pressure feel naa ho,wo AMPLIFICATION ke pressure se weak padh jaa raha hai...

teri body itni weak kaise ho gayi ki usse khoon nikalne laga aur kal...!!

tu maar tak khaa gaya wo bhi SAVENTS se...ye sab kaise possible hai..??

MAI-meri shaktiyan ek waqt tak ke liye seal ho chuki hain..aur filhal mai tum logon ki hi tarah normal hun..


sidhe sapat tarah se bata di maine utni sacchayi jitni mai in dono ko bata sakta tha par meri baat sun buri tarah chownke wo dono..

aur isiliye wo aage kuch bolne ko hue par tabhi..


MAI-bas..sawal ka kota pura hua..maine kaha tha ki mai sirf ek sawal ka jawab dunga..wo maine de diya hai...ab aur koi sawal nahi..

meri baat sun un dono ke agle sawal ugalne waale khule mooh band ho gaye aur saath hi mere liye jo shakh tha unke andar,wo bhi jaata raha..


ACCHUTA-koi nahi bhai..wo teri special power nahi hai toh kya hua...?? SAVENTS ki power toh hai naa jisse hard work se badhaya jaa sakta hai..

usse badhayenge hum aur fir pelenge un sabko jinhone hume pela hai...

MAI-powers bolne se nahi badhte, uske liye focus aur mehnat dono lagti hai..

isiliye faaltu ki baatien sochna chhodo aur apna pura focus apni shakiyan badhane me lagao..

ye mat bhulna ki ye CHOSENS hai...kab kya ho jaaye,kya bharosa...aur taakat hi ek aisi chiz hai jo yahan har kaam asaan karti hai..

isiliye baatein kam karo aur kaam zyada...

SLUNDER-done brother...par filhal ghar chalen...

MAI-tum log jaao,mai late aaunga....

ACCHUTA-kyun,tu kahan jaa raha hai...????

MAI-LIBRARY.......






PLACE-LIBRARY





NATIJE APNE AAP MILNE LAGTE HAIN JANAAB.....

BAS FAISLA "WAHI" HO JO "SAHI"HO.....



library me enter kar ek section ki taraf MAHI badh hi rahi thi ki tabhi uske piche se ye awaaz yaa fir ye kahun ki shayari jo ki VIDEOUS ne kahi thi, aayi jisse sun muskurate hue palti MAHI aur...


MAHI-kya baat hai...tum shayar bhi ho...!!!

VIDEOUS-socha ki sach ko ghuma kar kahun..shayad isse asar zyada ho...

wo sab chhodo,tum yahan!!!gayi nayi apne frnz ke saath...

MAHI-socha library jaakar apne activities ke liye help le lun..shayad isse asar zyada ho....


MAHI ki baat par muskura utha VIDEOUS aur....


VIDEOUS-aur tumhare friends.....unhe tumhara yun unke plans ko taal yahan aana bura nahi laga...!!!!

MAHI-kisine mujhse kaha tha ki true friends mom dad ki tarah hote hain...

hamare liye kya zyada important hai,samajhte hain wo.....

VIDEOUS-kya baat hai..hamare tark yaad rehte hain tumhe...

MAHI-boli kisine bhi ho par agar baat pate ki ho,toh yaad rehni chahiye..

VIDEOUS-well said...toh fir batao,kuch help chahiye...

MAHI-shayad....kuch zyada hi badi library hai...kaafi sections dikh rahe hain yahan toh...kaise pata chale ki kaam ki chiz kahan hai...???

VIDEOUS-yahan toh har book kaam ki hai..par haan,mujhe lagta ki shuru tumhe spells aur magic ke sahi use aur tarike ko samajhna se karni chahiye..

MAHI-maine bhi yahi socha tha tabhi toh is SPELL section me aayi....but is section me bhi kaafi blocks hain...

VIDEOUS-sidhi 50 metres jao,then take a left...2nd block me DEFENSE aur OFFENSE se related bohot si books hain..

take a look...

MAHI-wow yaar..tumhe toh bohot kuch pata hai yahan ke baare me...

VIDEOUS-haan starting ke din bas is jagah ko explore karne me hi nikala tha maine..

MAHI-waise tum kya padhne waale ho....

VIDEOUS-BODY UTILIZATION.....

MAHI-isme kya hota hai...???

VIDEOUS-hamari main shakti SOUL se hoti hai...aur soul ki shakti ko utilizile SPELL se kiya jaata hai...

par isse body se bhi kaam me laaya jaa sakta hai..agar apni body ka sahi istemal karna sikh liya jaaye toh isse bhi soul power jitna kaam me laaya jaa sakta hai..


VIDEOUS ki baat sun MAHI hairan ho gayi..last PHASE me SOUL AMPLIFICATION se ralated ek book padhi thi usne..

us book me baaki teeno AMPLIFICATION modes ko bhi SOUL ki tarah use me laane ka ek chota sa brief tha...

par waisa karna bohot zyada kathin hota tha aur yahi wajah thi ki kaafi saalon se us technique ka istemal CHOSENS me hua hi nahi...

par VIDEOUS ussi technique ki baat kar raha jisse sun aur samajh...


MAHI-par VIDEOUS...jo tum keh rahe ho,wo tarike hadh se zyada tough hai..maine padha hai uske baare me...

us technique ko sikhne bhar se kayi baar puri body damage ho jaati hai jisse recover karna bhi mushkil hota hai...

isiliye hi us tarike ko,us technique ko CHOSENS me sikana band kar diya gaya...

i dont think ki tumhe wo karna chahiye..its damn tough and too risky...

VIDEOUS- i love these two words...tough,risky....agar cheezon me ye dono elements naa hon,toh VIDEOUS excite hota hi nahi...

u go... I'll join u in a bit....


muskurate hue kahi ye saari baatien VIDEOUS ne aur fir dusri disha ki taraf chal pada...

wahin VIDEOUS ke courage and more over uske ATTITUDE ki man hi man taarif kar jahan usne ne bataya tha,us taraf chal padi MAHI...


MAHI-yahan se left....second block... right..... pahunch gayi...ab kahan se shuruat karun..???


khudse baat karti hui MAHI shelf par rakhi kitabon ko checkout karne lagi...

waise toh saari kitaben kaam ki thi par MAHI ko aise kitab ki talash thi jo shuruat ke hisaab se sahi ho aur asardaar bhi..

yunhi ek book ko checkout karte hue MAHI ki nazar apne right ki taraf bane shelf par gayi jahan waise toh kaafi kitaben thi,par ek book jiski right patti par uska naam likha hua tha,THE TRICKS,usse padh usse us book ko checkout karne ka man kiya....

MAHI us book shelf ki taraf badhi aur us book ko wahan se nikalne ke
liye usne apna haath badhaya par tabhi....

shelf ke dusre taraf se bhi ek haath us book ki taraf badha tha aur isse pehle ki MAHI us book ko hold kar paati,us dusre haath ne us book ko nikal liya tha aur aisa hote hi us bande ka chehra MAHI ko dikha jisne us book ko nikala tha jisse dekh...


MAHI-RAAZ......


halke zor se kahi MAHI ne ye baat jisse sun mai jisne book ko nikalne ke baad shelf ke dusri taraf nahi dekha tha,wahan ab meri nazar gayi..

us jagah par MAHI khadi mujhe ghoor rahi thi jisse ek pal dekh maine apna focus wapas THE TRICKS naam ki us book par laga diya..

wahin mera naam ghusse se le MAHI ne ek pal mujhe ghoora aur fir dusri taraf se ghumti hui wo mere saamne aakar khadi ho gayi..

par aisa hone ke baad bhi maine uski taraf nahi dekha aur book ko checkout karne me laga raha....


MAHI-ye book mujhe chahiye...


halke rude tone me kahi ye baat MAHI ne jispar...


MAI-mai book bechne nahi nikla hun....

MAHI-apni ghatiya sense of humor apne paas rakho aur ye book mere hawale karo..isse pehle maine dekha tha...

MAI-competition chal raha hai kya yahan...??maine pehla dekha tha,mujhe do...crap talk.....

ye mere haath me hain matlab filhal ye meri hai..end of discussion....

MAHI-dekho RAAZ..mai tumhare saath behas nahi karna chahti... chupchaap book mujhe de do...

MAI-correction babes..tum mujhse behas kar hi nahi sakti... you are not that good...aur chupchaap tumhe jaana chahiye yahan se..

kyunki book toh mai tumhe dunga nahi...agar request ki hoti tumne,toh shayad de bhi deta...

par ye jo fake ATTITUDE dikhane ki koshish ki hai naa tumne,toh ab forget it...

MAHI-mai aur tumse request karun..???soch bhi kaise liya tumne...

MAI-kisne kaha maine socha...mai wahi sochta hun jo ho sakta hai..jo tumhare bas ka hi nahi,usse kyun sochun mai.???

MAHI-what do you mean...???kya Mai request nahi kar sakti..???bilkul kar sakti hun,par tumse nahi...

MAI-itna special hun mai tumhare liye...???sabke liye ek soch aur mere akele ke liye ek soch....

MAHI-special my foot...u are a terrible person RAAZ....jo sirf kamzoron ko maarna jaanta hai....

MAI- jaanta toh mai bohot kuch hun but filhal tum ye jaan lo ki agar tumhe ye book chahiye, toh tumhe mujhe request karni hogi.... fir mai sochunga....


jahan apni baat keh mai wapas book me dekhne laga wahin meri baat sun behad ghusse se ghurne lagi MAHI mujhe....

MAHI ki zidh joki uska sabse bada hathiyar rahi hai,jiske dum par usne har activity jeeti hai,wahi zidh aaj uski dushman bani hui thi...

request wo mujhse karna nahi chahti thi par mujhse baat kar uske man me us book ko haasil karne ki zidh ne janm le liya tha jiski wajah se uska man do raahon me bat gaya tha...

ek raah keh rahi thi ki jaane de book ko aur dusri keh rahi thi ki book toh leni hi hai kyunki aisa karne se MAHI mujhse BOOK HAASIL KARNE KI JUNG jeet jaayegi...

bakwas thought hai par jab baat zidh ki ho,aur wo zidh MAHI jaisi bandi ki ho toh ek hadh tak jaayaz hai...

yahan MAHI mujhe ghoor apne man se ladh rahi thi wahin hum dono se thoda door khada tha VIDEOUS jo hamare saamne aana nahi chahta tha...

reason...

wo jaanta tha ki mai ye jaanta hun ki wo koi bhi kaam bina kisi maksad ke karta nahi hai toh fir aise me uska MAHI ke saath hone par mujhe shak hona laazmi tha aur ye hone dena wo afford nahi kar sakta tha..

yahi kaaran hai ki kuch der khade rehne ke baad VIDEOUS palat kar chala gaya...

khair,kuch der tak khudse hi ladhte rehne ke baad finally MAHI ki zidh jeet gayi aur isiliye....


MAHI-fine...mujhe ye book chahiye...can i please have it...


halke niche sur ko laga kahi ye baat MAHI ne jispar maine usse ek pal ke liye dekha aur...


MAI-no you cant....


jahan ye bol mai palatkar wapas jaane laga wahin meri baat sun pehle toh MAHI chownki par fir mujhe jaata dekh...


MAHI-what....hey, tumne kaha tha ki request karne se book de doge...


MAHI ki baat sun mai rooka, palta wapas uske saamne aaya,uski aankhon me aakhen daal usse dekha aur...


MAI-correction....maine ye kaha tha ki request karo toh mai sochunga..aur maine soch liya ki....




jahan teri chale,
ye wo MEHFIL NAHI HAIN.......

teri zidh ko naa samjhen,
hum itne bhi GAAFIL NAHI HAIN.....

tujhe kitab ki talab hai,tune iltaja bhi ki,


par filhal teri khwahish puri karne ka,
hamara DIL NAHI HAI.....









AAJ KE LIYE ITNA HI.....









AAPKA APNA V...J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF VIDEOUS APNE REFINER KE COMPLETE POWER KO,AUR MAHI,RAAZ AVERAGE POWER KO ACTIVATE KAR LETE HAIN,WAHIN DUSRI TARAF LIBRARY ME EK BOOK KE LIYE MAHI AUR RAAZ KE BEECH BEHES HO JAATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-74



PLANET-ELYSIAN


PLACE-WEAKLINGS STAY







dhyan tera hamesha us churre par raha,
jo sabne tujhe GHOMPA hai....

bhul gayi tu us CHOT ko,
jiske liye mila tujhe KUDRAT se ek TOHFA HAI.....

jhaank apne zindagi me,
ki tu kuch aisa JAAN JAAYEGI...

apni kamzori hi dikhi hai tujhe,
tatol khudko,apni shakti bhi tu
PEHCHAAN JAAYEGI....


AISA KAUN SA NAZARIYA HAI,JISSE MAI DEKH NAHI PAA RAHI....

APNE BAARE ME HI WO KAUN SI BAAT HAI JO MAI SAMAJH NAHI PAA RAHI HUN MAI.....


shaam ka waqt hai..aur filhal wo paheli numa baat jo RAAZ ne HIDA se kahi thi,usse repeat karte hue apne man me soch rahi thi ye baat HIDA...

infact jis din RAAZ ne ye paheli kahi thi,ussi din se lagatar iske baare me hi sochti aayi thi HIDA par natija ab tak kuch bhi nahi nikla tha...

par aaj itne waqt ke baad jo uske saath hua tha,uske baad RAAZ ki paheli ko samajhne ka jaise ek junoon sa chha gaya tha HIDA me...

par aisa kya ho gaya bhala achanak aaj...chaliye,aage badhne se pehle ek baar aaj morning me ghate ek FLASHBACK me jaate hain....


FLASHBACK:-




PLACE-CHOSENS



WEAKLINGS CLASS:-




KYA HAAL HAI HIDA....????




HIDA ne abhi abhi apni class jisme ab sirf BRAWNY hi tha,usse close kiya hi tha ki tabhi uske kaano me ye awaaz padi jo aur kisiki nahi MABBA ki thi....

MABBA...jo ab tak RAAZ ki battamizi aur fir pehli baar HIDA ke challenge except karne waali baaton ko bhuli nahi thi,uska aaj apni class khatm karne ke baad yahan WEAKLINGS class me aane ka man kiya aur isiliye wo yahan thi...

wahin MABBA ko dekh HIDA ka mood off ho gaya tha par firbhi usne khudko shaant rakh MABBA ko avoid kiya aur apne saamne desk par rakhe SPELLAR and other stuff collect karne lagi...

aur jab usne sab collect kar liya toh...


HIDA-ok BRAWNY,kal milte hain...

MABBA-aur wo sab try karte hain jinka result wahi niklega jo ab tak nikalta aaya hai...kuch bhi nahi...


ek khilli udane waali hasi ke beech aage badhayi HIDA ki baat MABBA ne par HIDA ne is baar bhi uski baaton ko avoid karna hi sahi samjha aur class se bahar nikalne lagi par wo aisa kar nahi paayi...

reason....

MABBA ne uska rasta rok liya tha...

wahin BRAWNY jo ab tak sirf isiliye rooka hua tha taaki pehle uski WHIZZ bahar nikle,jab usne MABBA ki harkat dekhi toh wo samajh gaya ki wo fir HIDA se kuch ulta sidha bolegi...

BRAWNY nahi chahta tha ki uski WHIZZ uske saamne sharminda feel kare isiliye....


BRAWNY-ok WHIZZ..i will take your leave now....


ye bol BRAWNY bahar nikalne ko hua par jab wo MABBA ke kareeb pahuncha toh...


MABBA-awww..so sweet...itni respect..i will take your leave now...


BRAWNY ka bhi raasta rok uske gaal ko kheenchti hui ye baat kahi MABBA ne..

MABBA ke yun khudka raasta rokne se aur fir uske gaalon ko kuch zor se kheenchne se BRAWNY dar bhi gaya aur saath hi usse dard bhi hua...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


MABBA-wow yaar HIDA..finally.....aakhir kisi ne toh tujhe respect di....

aur de bhi kyun naa,aakhir tune pehli baar apni zindagi me koi challenge jo accept kiya hai...

haan,wo baat alag hai ki bhale hi us competition me teri haalat badh se battar ho jaayegi par thik hai naa..

tujhe toh aadat hai...najaane kitne saalon se maar aur zillat sehti aayi hai tu...ek baar aur sahi...

aur is baar toh tere paas company ke liye itna talented SAVENT bhi hai...

jisne abhi tak apne SOUL ko AMPLIFY karna toh chhodo,trigger tak nahi kiya hai...bhai waah,ye hua asli talent..


MABBA ki baat sun sharm se jhuk gaya sir BRAWNY ka jispar...


MABBA-aww.bura laga...beta abhi toh shuruat hai..tu imagine bhi nahi kar sakta ki ek WEAKLING ke liye CHOSENS hell se bhi buri jagah hai..

par koi naa,abhi toh shuruat hai..dheere dheere sab samajh bhi aane lagega aur aadat bhi ho hi jaayegi....

apne liye kahi baat toh HIDA hamesha ki tarah sun bhi leti aur seh bhi par MABBA ka uske SAVENT ka mazak udana usse sehen naa hua aur...


HIDA-enough MABBA...tumhe joi hakh nahi hai mere SAVENT se aise baat karne ki....


halki loud awaaz me kahi ye baat HIDA ne jiske agle hi pal...


CHATTAKKKKH......


ek zordar thappad rasid kiya MABBA ne HIDA ke gaal par..


apne METAPHYSICAL power ke saath maara tha ye thappad MABBA ne HIDA ko aur yahi wajah thi ki us thappad ka impact itna zyada tha ki piche ki taraf tezi se ghumte hui giri HIDA...

gaal uske halke fath chuke the aur kaan pure suunn ho chuke the...

par ye damage bohot zyada bhi ho sakta tha kyunki jis force se HIDA gir rahi thi,us hisab se uska sir floor se takrane waala tha par isse pehle ki aisa hota, BRAWNY aage badha aur usne apna haath aage kar diya jiski wajah HIDA ka sir uske haathon ke daayre ki wajah se niche floor se takrate takrate bach gaya..

thappad ki power ki wajah se chakkar aa gaya tha HIDA ko isiliye BRAWNY usse sahara dekar uthane ko hua par tabhi...


DHAKKK....


BRAWNY ke bum par ek laath padi jo ki obviously MABBA ne hi maari thi aur aisa hone par HIDA aur BRAWNY jo ki half uth chuke the,wo wapas gir gaye...


MABBA-dobara mere saamne unchi awaaz me baat karne ki himmat mat karna HIDA...

aur tu, yaad rakh,har WEAKLING yahan sirf ek noukar ki tarah hai aur kuch nahi... isiliye apni aukaad kabhi mat bhulna....

bohot shouk ha naa competition me participate karne ka,dekhte jaao tum dono,wo haal bana dungi mai tum dono ka wahan ki tum dono ke gharwaale bhi tumhe pehchaan nahi paayenge...

bloody loosers...


ye bol MABBA palti aur jaane ko hui par jaate jaate wo ek baar rooki,palti aur...


MABBA-aur wo SAVENT, RAAZ usse bhi bol dena ki bhale hi wo ab GROOMER hai par meri nazar me wo ab bhi ek WEAKLING hai aur isiliye uska aur uske wo dono loosers doston ka bhi haal tum dono jaisa hi hone waala hai....

apni baat keh nikal gayi MABBA aur uske jaane ke kuch der baad HIDA aur BRAWNY bhi uthe aur apne apne raah nikal gaye...

jahan HIDA ke liye ye sab ab common hi tha par aaj apne SAVENT ke saamne aisa hua,ye soch kar wo sharmshaar ho rahi thi
wahin BRAWNY jo ab tak apne under achievements ki wajah se bas dukhi rehta tha,par ab uske man me janm le chuki thi ek ajeeb si FRUSTRATION....



FLASHBACK ENDS:-




toh aise aaj MABBA ne ek baar firse HIDA ko uski us asliyat se roobaroo karwa diya tha jisse wo bhul si gayi thi.

uske LOOSER hone ki wajah se aaj usse apne hi SAVENT ke aage beizzaat hona pada....

itna hi nahi,uske SAVENT ko ussike saamne aaj humiliate kiya tha MABBA ne...


itne saare negetives....yahi wajah thi ki kareeb 5 ghanton tak try karne ke baawajud naa samajh aane ke baad bhi ek baar firse apne dimag me aur pressure daalte hue jo shuru se sikhaya jaata hai ki start se start karo,us baat ko dhyan me rakh HIDA ne ek baar firse paheli ki first do lines ke baare me sochna shuru kiya....


HIDA-RAAZ ne kaha tha ki mera dhyan hamesha us chhure par raha jisne mujhe sabhine ghompa hai...

is line ka matlab toh woh humiliation aur pain hai,jo itne saalon se mujhe milta aa raha hai...

par chot ko RAAZ ne GOD GIFT kyun kaha...???chot bhi bhala kabhi koi gift hoti hai kya...???


tahalte tahalte khudse hi ye sawal puch rahi HIDA aur fir achanak KUCH HUA.....


aur us KUCH ka ganit achanak badi tezi se ghumne laga HIDA ke dimag me....

aur finally uski soch ne saare dots jode toh.....


HIDA-holy fu**k....ye baat kaise nazarandaaz kar sakti hun mai...???

itni badi baat dhyan me nahi aayi mere...HIDA, you fool...tu wakayi wo sab humiliation deserve karti hai...

dhakkan....

**** *******....


jo baat yaa fir ye kahun ki jis shakti ko RAAZ ne HIDA ko figure out karne ko kaha tha,zor se naam liya us shakti ka HIDA ne...


waise ye bas HIDA ne apni excitement me kiya tha par uske aisa karte hi...


DHAMMM......

HIDA ladkhada kar gir gayi...

reason....

us shakti kaa naam lete hi HIDA ko apne BRAIN,BODY,BLOOD aur SOUL in short apne chaaron AMPLIFICATION modes me ek bijli doudti hui si mehsoos hui thi jiske liye HIDA taiyar nahi thi aur isiliye wo neeche gir gayi...

wahin girne ke baad HIDA ko kuch seconds lage normal hone me par jab wo normal hui toh usse apne andar ek alag hi energy feel hui...

wo turant khadi hui aur khade ho wo bahar jaane ko hui par jaate jaate uski nazar aaiyne par padi aur aisa hote hi wo chownk gayi...

reason....

uski hieght 1 inch tak badh chuki thi..uska face jo hamesha dull aur murjhaya hua dikhta tha,usme ek glow dikhne laga tha...

apna ye sudden change dekh HIDA jitni hairan hui, utni hi khush bhi aur yahi kaaran tha ki wo turant apne flat se nikal ek disha me badh gayi...

ab ye HIDA kahan jaa rahi hai,aayiye khud jaan lijiye.....


....................................................



KNOCK KNOCK KNOCK....

COME IN.....



raat ka waqt hai....ACCHUTA aur SLUNDER ke saath yuhni apne apartment ke baahar bane common garden me ghumne ke baad mai abhi abhi apne flat me pahunch hall ke sofe me baitha hi tha ki tabhi mere darwaze par knock hua....

wahin mere ijazat milte hi door ka knob ghuma aur mere flat ke gallery se hall me enter hui WHIZZ HIDA....

jinhe waise toh yun achanak dekh expressions shock ka nikalna chahiye par jo normal nikle wo expressions RAAZ ke ho nahi sakte..

yahi wajah thi ki unhe dekh mere chehre par smile aa gayi aur...


MAI-toh finally tumhe meri paheli aur tumhara khud ka secret samajh me aa gaya...

meri baat sun pehle toh HIDA halki chownki par fir usne socha ki jo banda uske baare me wo baat tak jaan sakta hai jo khud usse tak nahi maalim thi,uske liye kuch aur janana kaun si badi baat hogi...!!!

khair,meri baat sun...


HIDA-kuch puch sakti hun tumse...???

MAI-yahi naa ki maine kaise wo baat jaan li jo khud tum nahi jaan paayi apne baare me...!!!

HIDA-haan,par pehle ye batao ki kya har kiske man me chal rahe thoughts ko jaan lete ho..

MAI-jaan leta tha..ab ye hunar nahi mujhme...

HIDA-matlab!!!mai samjhi nahi...

MAI-bas itna samajh lo ki filhal mai bhi yahan ke sabhi SAVENTS ki hi tarah hun...

HIDA-ye kaise ho sakta hai...??agar aisa hai toh fir tumne mere baare me...

MAI-maine kaha filhal..matlab present me... aur isse zyada mere baare me janana tumhare syllabus se bahar hai...


HIDA ki baat kaat maine apni baat kahi jisse sun usne pehle toh kuch seconds mujhe dekha aur fir...


HIDA-agar ab tum baakiyon ki tarah normal hi toh fir tumhe kaise pata chala ki mujhe mera secret pata chal chuka hai...

MAI-commen sense aur intelligence naam ki bhi koi chiz hoti hai...

WHIZZ, WHIZZDERS ke apartments yahan se 20 block door hain matlab kareeb 1 km door...

par raat ke is waqt tum yahan mere saamne ho,uske upar pehli baar itni zyada khush...

ye symptoms kaafi hain ye batane ke liye ki you know what had to be known...

ek aur baat bata deta hun.. jaise hi tumhe tumhara secret pata chala,tumhe ek jhatka laga aur tum neeche gir gayi...


meri baat sun HIDA ke chehre par hairani dikhne lagi aur fir...


HIDA-ab ye tumhe kaise pata...???

MAI-hieght me tumhare halka sa hi sahin,izafa hua hai..face ki dullness gayab hai..

glow jo andar skin ke andar chuppi thi,wo bahar dikhne lagi hai.....

ye sab tabhi possible ho sakta tha jab tumhari wo power jo ab tak tumhare anjaan rehne ki wajah se chuppi aur dabi hui thi,wo baahar nikli ho...

aur powers ka achanak baahar nikalna current ko chunne jaise hai,jhatka lagta hi hai....


mere mooh se nikle revalations ko sun HIDA hairan bhi thi aur khush bhi..

par sawal bhi bohot the,uske man me aur isiliye...


HIDA-kya is GIFT ke aur bhi faayde hain..i mean...

MAI-i know what you mean...

talwar, zaroorat padne par waar ko rokti bhi hai aur zaroorat par aghaath bhi pahunchati hai....

isiliye haan,tumhare GIFT ke bohot faayde hain aur unhe batane se accha hoga dikhana....

par usse pehle,meri kuch shartein hain jinhe manana hoga tumhe..

agar maanti ho toh thik nahi toh tumhari shaktiyan,tumhara gift sirf temporary hoga..jis din mai wapas waisa bana jaise pehle tha,i will kill you...

and trust me,mujhe aisa karne se koi nahi rok sakta...


meri baat sun chownke ke saath dar bhi gayi HIDA...ab itna toh usse ehsaas ho hi gaya tha ki mai koi baat hawa me nahi karta aur naahi meri baat kaati jaa sakti hai aur isiliye...


HIDA-thik hai...mujhe tumhari jo bhi shartein hongi,wo sab manzoor hai...

MAI-good..

meri pehli shart hai,kyunki ab tumhari life badalne waali hai...tum wo sab karne ke laayak banane waali ho jiske tumne aaj tak sirf sapne dekhe the...

par yun life ke badalne ka matlab ye nahi hai ki tum show off karogi...bilkul nahi..

jab tak mai naa kahun,tab tak jaise abhi tak khudko sametkar rakha hai tumne,waise hi rehna hoga tumhe...

manzoor...????

HIDA-manzoor....

MAI-dusri shart,har taakat ko nurture karne ke liye practice karni padti hai...tumhe bhi karni hogi..

par khule me tum ye nahi kar sakti....aur khule ka matlab baahar nahi pura CHOSENS,pura ELYSIAN hai...


meri ye dusri shart sunkar chownk uthi HIDA..aur chownka laazmi bhi tha...kyunki meri shart ke hisaab se toh fir woh kahin bhi practice nahi kar sakti thi toh kya usse planet chhodna hoga...

wo ye sab soch hi rahi thi ki...


MAI-jab RAAZ saamne ho,toh sochne ka kaam nahi karna chahiye...you will fail yourself..

practice tum akele me kahin bhi kar sakti ho,par uske liye tumhe band hona hoga...

HIDA-mai samjhi nahi....


HIDA ki baat sun maine man hi man pukara...

WOOGER......


mere man me aisa kehte hi mere aur HIDA ke beech ek choti par tez roshni ne janm liye jisse dekh HIDA ki aankhen badi ho gayi aur..


HIDA-tumne toh kaha tha ki tum normal ho gaye ho..fir ye...!!!!

MAI-meri taakat sirf mere andar hi nahi,mere aas paas bhi hoti hai..


meri baat puri hote hote us roshni ne HIDA ki size ka transparent human form liya aur uski taraf badh gayi aur aisa hota dekh HIDA dar kar piche hatne lagi...


MAI-ghabrao mat..ye tumhe niksaan nahi pahunchayegi..

HIDA-par ye hai kya..????

MAI-tumhara hideout...iske chalte koi tumhare GIFT ko, tumhare extra power ko sense nahi kar paayega....

ab suno,apne CEREBRATION process ko paused kar apni aatma me jhaankte hue tumhare saamne khadi is ray ko accept karna hai tumhe....

make it quick...


meri baat sun HIDA ne turant apni aankhen band kar li aur aisa hone ke agle hi pal uska CEREBRATION process paused ho chuka tha...

par aisa hone ke baad usse laga ek jhatka...

aur wo isiliye kyunki process paused hone ke agle hi second uska brain uske antarman se jud gaya tha..

aur itni asaani se yaa fir ya kahun ki automatically pehle aisa kabhi nahi hua tha...

khair, apne antar man me jhaank jaisa maine kaha tha, HIDA ne waisa hi kiya aur uske waise karte hi uske saamne khadi ray uske sir se lekar paawn tak usse chipak kar gayab ho gayi....

wahin approval dene ke baad jab HIDA ne aankh kholi toh wo ray gayab thi....


HIDA-arre,wo ray kahan gayi...???

MAI-tumhare body se attach ho chuki hai...

HIDA-aur mujhe pata bhi nahi chala..waise bata sakte ho ki tumne aisa kyun kiya..???

MAI-tum ek exceptional case ho HIDA..aur tumhare jaise rare logon ke rare gifts ko churane waalon ki kami nahi hai..


exceptional..rare..aise shabd apni life me pehli baar sun rahi thi HIDA jis wajah se woh man hi man bhaavuk hone lagi par tabhi...


MAI-teesri shart...jab bhi
mai chahun,tum apni shakti mujhe dogi....


emotional mood me thi HIDA par meri baat sun wo mood swing turant hairani me badla par usse maalum tha ki meri shart ka kaaran mai usse bataunga nahi aur saath hi kahin naa kahin usse feel ho raha tha ki uski life sirf meri meherbaani se change hone waali thi aur isiliye...


HIDA-thik hai...

MAI-aise nahi...ek baar phir se apne CEREBRATION process ko pause kar apni aatma se mere naam ko le aur chehre ko yaad kar ye kaho ki meri shakti RAAZ jab chahe use kar sakta hai...


meri baat sun jaisa maine kaha, HIDA ne kiya aur aisa karte waqt uske antarman se ek roshni nikal mujhme sama gayi jiska matlab tha ki wo property jispar ab tak sirf HIDA ka hakh tha,uspar ab raj RAAZ ka bhi tha...

khair kriya khtam karte hi HIDA ki aankhen khul gayi aur aisa hote hi....

MAI-ek aakhri shart bhi hai par wo baad me...chalo...


apni baat keh mai HIDA ko cross karte hue aage badh gaya..

mujhe flat se bahar nikalta dekh HIDA kuch puchne ko hui par fir idea drop kar wo chupchaap mere piche ho li...

wahin flat se nikal mai stairs se upar ki taraf jaane laga aur kuch hi der me mai aur HIDA mere apartment ke terrace par the...


MAI-wo saari activities,kriya,jo ek WICKED aur MORAL level ke SORCERER kar sakte hain, un saari ACTIVITIES ke baare me pata toh hoga hi tumhe...

HIDA-haan,padha aur jaana toh maine wo sab kuch hai jo yahan ke best SAVENTS kar paate hain..bas khud kabhi us laayak nahi ban paayi ki us theory ko practical me badal sakun...


halke sad tone me kahi ye baat HIDA ne jispar...


MAI-hmm...hand combat naam ki physical technique ko modify kar metaphisycal way me use karna sikhaya jaata hai best SAVENTS ko...

pata hai naa tumhe...!!!

HIDA-ofcourse...aur mujhe wo kriya dekhna bohot pasand hai..

MAI-dekhna..!!aur karna...!!!

HIDA-karna..!!waisa karne ke liye kamsekam 5 percent tak AMPLIFICATION holder banana padhta hai aur saath hi do REFINERS active hona compulsary hai aur mere toh...


aadhi baat kar ek lambi saans chhod udaas dikhne lagi HIDA jispar...


MAI-ab jo bolta hun, without if's and but's,dhyan se suno aur fir karo...

sabse pehle,apne GIFT ke baare me socho...us GIFT ko apne andar tak mehsoos karo..

ussi khushi ko ek baar fir feel karo jo tumhe tab feel hui thi jab apne GIFT ke bhedh ko samajh tumne uska naam liya tha....

tumhare waise karte hi ek pain feel hoga tumhe apne andar..

tez pain...bina us pain ke baare me soche khudme ussi Khushi ko samete hue tumhe ussi hand combat style ki wo kriya,jo yahan sikhayi jaati hai,us processs ko mujhpar try karna hai...

bina kisi shak ke karna hai ye tumhe..kriya karte waqt ek percent bhi doubt nahi hona chahiye tumhare man me...

result ki parwah mat karna.. just go with the flow jaise rat rahi ho kisi writing ko..


meri baat sun HIDA kuch pal mujhe dekhti rahi par fir usne apne man ko mazboot kar jaisa maine kaha tha,waisa hi karne ki sochi..

aur usse result toh laana tha nahi,bas act karna tha, feel ke saath..aur ye karna koi badi baat nahi thi...

isiliye jaisa maine kaha, HIDA ne waisa karna shuru kiya...

apne man me apne GIFT ke baare me sochne lagi wo...apne flat par jab usne apne GIFT ke bhedh ko jaana tha,aur usse jaankar behad khushi me pehli baar uska naam pukara tha, ussi feeling ko dobara jeene lagi HIDA..

us pal ko yaad karte hi automatically khush ho gayi thi HIDA aur aisa hote hi...

ek baar fir usse apne pure body me wahi current feel hua jo usse apne flat par hua tha par is baar kyunki wo maansik roop se ready thi, isiliye us current ka prabhav kuch ulta pada...

toh hua ye ki body me current ke doudte hi HIDA ke man me ek tez prakash ne janm liya..

aur us tez prakash ke janm lete hi,jaisa ke maine bataya tha, HIDA ke andar ek tez pain utha jisse meri hidayat ke anusar nazarandaz karne ki koshish karte hue usse jo khushi feel ho rahi thi,usse barkarar rakh usne un saare hand combat stlye ko yaad kiya aur aisa karte karte hi wo meri taraf superman jaise udta hai,us position me uchli aur uske aisa karne ke agle pal jo hua,usse khud HIDA hairan reh gayi...

toh hua ye ki jab HIDA apni kriya kar rahi thi,tab mai thoda aur piche chala gaya tha..

filhal meri doori usse kuch 15 metre thi...aur jab HIDA ne sirf ek act ke tahat wo challang maari toh.....


SOOBH.........


uski body se ek force nikla jisne naa sirf usse halka kar diya balki uske sharir me ek aisi urja paida ki jisse uski maamuli challang bhi kisi goli ke speed se nikli..

mai behad satark tha....yahi kaaran tha ki HIDA ke sharir ke mujhse takrane se pehle hi mai apne right ki taraf hath chuka tha..

par tabhi ek aur kamal hua....

aur wo ye ki hawa me tairti HIDA ne naa sirf mujhe haththe dekh liya balki mera wo tez moovement bhi usse kaafi slow feel hua...

itna hi nahi,hawa me aage badhte apne sharir ko usne rookne ko kaha aur uske aisa kehte hi uska body jo abhi mere baaju me hi pahuncha tha,wahin rook sidha ho gaya...

ek second se bhi kam samay me ye sab ho gaya tha..

apne aankhon ki aur apne dimag ki itni zyada tezi dekh aur mehsoos kar HIDA hairain ho chuki thi aur badi badi aankhen liye mujhe dekh rahi thi...

par hairan hone ke liye abhi bohot time tha aur isiliye...


MAI-focus HIDA.. proccess pura karo..


meri baat sunte hi HIDA ke brain me pure hand combat technique ki ek jhalak ghum si gayi aur aisa hone ke agle hi pal...

mere chest ki taraf HIDA ka haath badha...REFINER...ye sirf SPELLS ki power hi nahi badhata balki ekaagrata,focus bhi strong karta hai..

yahi kaaran tha ki HIDA ke bijli si tez haath ko bhi maine apni aur aata hua dekh liya aur apne right gand se us attack ko block kar diya..

par HIDA ka daaw normal hand combat toh tha nahi..ye ek metaphysical hand combat tha jisme sirf haath hi nahi balki haath ke ird gird bane AURA ki shakti bhi release hoti hai .

yahi kaaran tha ki HIDA ke attack ko,uske daaw block karne ke process me jab mera haath uske haath se touch hua toh mere haath ko ek tez jhatka laga...

wahin apne pehle daaw ke baad HIDA rooki nahi balki uske baad toh uske dono haath badi tezi se alag alag angles banate hue mujhpar chalne lage jinhe mai badi mushkil se jhatke khaate hue jhel raha tha...

par kab tak... HIDA ke haath har beetathe second ke saath aur tez hote jaa rahe the aur yahi kaaran tha ki kuch 30 seconds tak uske waaron ko block karne ke baad...


DHAAK....


HIDA ka right hand mere block ko bhedte hue mere chest se jaa laga aur aisa hote hi mai piche ki taraf ud sa gaya aur sidhe terrace ke end par bane halt par jo ki mere last position se kuch 10 metre door tha,
jaakar takraya....


HIDA-RAAZZZZ....


mujhe yun udkar halt se takrata dekh HIDA jaise hosh me aayi aur mera naam pukarte hue meri taraf bhaagi...

wahin jaise hi mai neeche gira..


MAI-ye sahi hain..shakti kya gayi,har koi bajaye jaa raha hai...


khudse hi ye bol muskura utha mai....

ab tak HIDA mere paas aa chuki thi....


HIDA-sorry RAAZ... pata nahi kaise par,mujhe aisa lag raha tha jaise mai us technique ko nahi,balki wo tenchnique mujhe chala rahi thi...

isiliye tumhe hurt kar baithi..i am really sorry...

MAI- technique tumhare bas me nahi thi, isiliye mai is halt se takraya,agar tum us technique ko control kar rahi hoti aur same pressure se mujhe dhakka lagta jisse abhi laga,toh mai yahan nahi girta,agli building me jaakar girta....

HIDA-what...!!!mai samjhi nahi..aur ye sab maine kiya kaise..???ye sab toh sirf wahi kar sakta hai jiska SOUL kamsekam 5 percent tak AMPLIFIED ho aur kisi bhi do REFINERS ko usne complete power tak trigger kar liya ho...

MAI-AATMAM TAVASYAM....

yaad hai naa ye SPELL..jisse tumne class me meri SOUL strength ko check kiya tha..ek baar khudki check karo....


meri baat sun ek baar mujhe hairani se dekh apne chest par haath rakh..


HIDA-AATMAM TAVASYAM....


HIDA ke aisa kehte hi uske dimag me uski SOUL STRENGTH dikhne lagi jisse dekh uski aankhen jhat se khul gayi..

hairan toh wo ab tak lagatar hi hui thi par abki baar uski hairani aasman ko chhu chuki thi..

wahin uski hairangi ko nazarandaaz kar....


MAI-kitna dikha...

HIDA-4 percent...par kaise,ye toh mere actual se double hai...

MAI-mujhe laga hi tha..aur HAPPY REFINER tumhara average power tak hi activate hua tha naa..!!!

HIDA-haan...!!!

MAI-ghar jaakar SPELLAR se check kar lena...wo bhi double ho chuka hoga....

matlab ab tumhara first REFINER complete power tak trigger ho chuka hai...

meri baaton ko sun bina kuch kahe bas hairani se dekh rahi thi HIDA mujhe..


MAI-hairan mat ho..batata hun... process shuru karte waqt wo jo pain feel hua tha tumhe apne andar,wo darasal tumhare SOUL aur REFINER ke trigger hone ki wajah se hi hua tha...

HIDA-par un dono proccess me toh bohot zyada pain hota hai...aur mujhe toh..

MAI-tum bhul rahi ho ki tumhara GOD GIFT activate ho chuka hai.. isiliye usne pain ko kam kar process ki speed ko bhi tez kar diya tha...

HIDA-par is power ke saath bhi maine wo combat kaise kar liya...???wo bhi itni asaani se...??

uske liye toh mai abhi bhi ineligible hun...

MAI-wo bhi tumhare GIFT ki wajah se hi possible ho paaya hai...

bhale hi tum abhi 4 percent AMPLIFICATION par ho,par apne GIFT ki wajah se tum kisi 8 percent AMPLIFICATION holder ke jitni taakat rakhti ho..

itna hi nahi,tumhare ek REFINER me baaki SAVENTS ke do REFINERS jitni shamata hai...

ek baat aur....

yaad hai maine kaha tha ki technique ko agar tum control karti toh result aur behtar hota...

wo isiliye kaha tha kyunki proccess karte waqt tum puri tarah genuine feel nahi kar rahi thi..

tumhara focus hairani ki wajah se bat jaa raha tha aur yahi kaaran tha ki tumhare brain ne tumhare use karne waale hand combat technique ko apne hisaab se control kiya tha aur yahi reason tha ki uska asar kam tha...

you need to focus...hairan hona chhod do...think big HIDA...tabhi ye shaktiyan handle bhi kar paaogi aur master bhi...

otherwise itni shakti hone ke baad bhi ek baar firse piche reh jaaogi tum...

ek mouka mila hai tumhe,to turn tha table around...dont miss it...

HIDA-i wont...i promise..and thank you....you have come like an ANGEL in my life....

MAI-or a DEVIL in disguise....

HIDA-agar devil tumhare jaise hote hain toh devil bhi chalega...

MAI-yahi problem hai tum jaise logon ki..baat baat par emotional ho jaate ho...

bhulo mat ki ye CHOSENS hai..yahan emotions bhi sirf REFINERS ke roop me kaam aate hain....

isiliye relax..ghar jaao..aaj tumhe bohot sukoon ki neend aayegi...

isiliye chill..kal se tum khud apni zindagi ka naya chapter shuru karogi...

bas itna yaad rakhna,ki miracles just don't happen...you have to make them happen...

HIDA-can i hug you...???


minnat,izzat, khwahish,ye teeno hi bhaav the HIDA ki request me jisse sun...


MAI-hot dikhne lagi ho..aur jaise jaise apni shaktiyan refine karti jaogi,hotness aur badhti jaayegi....

isiliye yes..you can hug me....


meri baat sun muskurate hue HIDA aage badhi aur pure dil se mujhse gale lag gayi....

wahin uske gale lagne ke kuch seconds baad..


MAI-meri shartein mat bhulna...


meri baat sun mujhse alag ho...


HIDA-kabhi nahi..par tumne apni last shart ab bhi nahi batayi...

MAI-kal bataunga...good night....

HIDA-good night....


ye bol ek baar firse respect bhari aankhon se mujhe dekh HIDA chali gayi aur uske jaate hi...


MAI-


jitna jaana,usse
ye SIKHA HAI.....

ki dusro ke ghar me mujhe
apna thikana DIKHA HAI....

teri khushi me hi meri khushi hai,


kyunki,shakti bhale hi teri hai,par
uspar naam RAAZ KA LIKHA HAI...









AAJ KE LIYE ITNA HI.....











AAPKA APNA V...J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF WEAKLINGS CLASS ME GHUS MABBA HIDA AUR BRAWNY KO HUMILIATE KARTI HAI,WAHIN DUSRI TARAF RAAZ HIDA KO USKI HIDDEN POWER KI SHAMATA DIKHATA HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-75



PLANET- ELYSIAN


PLACE- WEAKLING'S STAY








PLEASE BETA..KAB TAK ROTA RAHEGA...?? NAHI DEKH SAKTI MAI TUJHE AISA...

KUCH TOH BATA KI HUA KYA HAI...???KUCH KAHA KYA TUJHE KISINE AAJ INSTITUTION ME...

KYA US RAAZ NE FIR PARESHAN KIYA TUJHE....KUCH TOH BATA MERE BACCHE....


BRAWNY ko apne seene se lagakar khud bhi ussiki tarah roti hui kahi ye saari baat uski maa NAOMI ne...

raat ka waqt hai....aaj INSTITUTION me MABBA ne jo kiya uske baad BRAWNY jo RAAZ ke diye maansik zakhm se dheere dheere ubhar raha tha,uska wo zakhm aaj phir hara ho gaya tha...

INSTITUTION se apne ghar tak ka lamba safar bhi usne bas aansu bahate aur sunya ko ghur chalte hue hi pura kar liya tha....

wo raaste bhar cheekhna chahta tha,chilla chilla kar apne dard ke kaale rango se mahoul ko rang dena chahata tha,par kisi tarah usne apne awaaz ko khudme simtaye rakha....

par apne quater pahunchte hi jaise uske kaano me uski maa ki awaaz padi,toh uske saare emotions ek jhatke me baahar nikal aaye..

wo foot foot kar rone laga jisse dekh uski maa aur uske pitah ghabra gaye...

par naa toh BRAWNY ne koi jawab diya aur naahi uska rona band hua..

aur tab se ab tak yahi haal hai....

khair,apne bete ko seene se laga khud bhi bhari hui aankhon se NAOMI ne SHALTON ki taraf dekha jo ek kinare par khade bas chupchaap apne bete ki haalat ko dekh aansu baha rahe the....

par apni biwi ki khaamosh zubaan aur minnat bhari nazaron ko dekh aur samajh wo apne bete ki taraf aage badhe aur uske sir par apna haath firate hue...


SHALTON-shaant hojaa mere bacche....aur jo bhi baat hai,usse bol de...

jitni der tak apne andar rakhega,taklif utni badhegi....

NAOMI-haan beta...bata kya hua hai..??kya kisine kuch kaha hai INSTITUTION me...


HAA BETA,BATA.... MUMMY PAPA KO BATA...TERE BATATE HI TERE MUMMY PAPA TURANT JAAYENGE AUR TUJHE SATENE WALON KI HAALAT KHARAB KAR DENGE....


ek khilli se bhari awaaz padi BRAWNY aur uske parents ke kaano me jiske baad jab un teeno ki nazar apne quater ke wooden halt par gayi toh...


NAOMI-tummmm.!!!yahan kya karne aaye ho...nikal jaao mere ghar se....

ghusse se bhar saamne ki taraf dekh kahi ye baat NAOMI ne jahan khada tha MAI.....

HIDA ke jaate hi mai turant yahan WEAKLINGS stay ki taraf nikal gaya tha....

reason....

aaj class se nikalte waqt maine BRAWNY ko joki apni class se nikal hi raha tha,dekh liya tha...

uski aankhen nam thi aur chehre par frustration...

WOOGER ke zariye mujhe BRAWNY ke saath aaj jo hua, uske baare me aur saath hi uske baad uske antarman ke bhaav,dono ke baare me hi pata chal gaya tha aur yahi wajah thi ki mai yahan tha...

khair, NAOMI ki baat sun....


MAI-mera ghar..!!ye ghar hai..isse behtar haalat toh bathrooms ke hote hain...


mujhe naa jaata dekh aur meri baat sun NAOMI uthne ko hui par tabhi SHALTON ne uska haath pakad liya..

SHALTON jaante the ki mai NAOMI ke aurat hone ka lihaz nahi karunga
isiliye unhone aisa kiya tha...

par in sabke beech wo BRAWNY ko bhul gaye jisne jaise hi mujhe dekha aur fir uski mom se meri kahi batein suni toh uska control khudse chhut gaya aur turant khade ho meri taraf bhaaga...

wahin apne bete ke reaction se shock ho gaye uske parents par isse pehle ki wo kuch kar paate, BRAWNY mere paas aa chuka tha..

par ladhna toh usse aata tha nahi...

yahi wajah thi ki mere paas pahunch mujhe maarne ke liye bas tezi se haath pair hilane laga wo par isse pehle ki wo mujhe chhuta,maine turant man hi man kuch kaha aur turant ek side hata aur uske piche aate hue uske gardan par apne haath fasa diye..

ab bhale hi mai normal tha,par itna strong toh tha hi ki BRAWNY ko araam se lapet lun...

khair,mere aisa karte hi BRAWNY meri giraft se chhutne ke liye chhatpatane laga par wo kaamiyab ho nahi paaya...

wahin jaise hi BRAWNY mere haathon ke giraft me aaya,uske mom dad ki haalat kharab ho gayi..

SHALTON ke saath maine kya kiya tha, SHALTON ne wo jhela tha aur NAOMI ne usse dekha aur mehsoos kiya tha..

unhe laga ki mai unke bete ki gardan tod dunga...

aur isiliye....


NAOMI-please mere bacche ko kuch mat karna...

MAI-arre waah..badi jaldi sur badal gaye....

aur tu,saale naphunsak,badi himmat aa gayi tujhme...badi garmi hai naa tujhme..

chal check karte hain....


BRAWNY ko dhakka dete hue mai uske mom dad ke paas le gaya aur....


MAI-tod dun tere bete ki gardan..


NAOMI ki aankhon me dekh maine ye baat kahi jisse wi andar tak sihar gayi aur..


NAOMI-nahi please..jo kahoge,karungi.bas dont harm my son...

MAI-..strip yourself.....

NAOMI/SHALTON-WHAT...!!!!!

MAI-i said,strip yourself....aur bina noutanki kiye agle dus second me ye karna hai tumhe or else your son is dead....


jahan meri baat sun NAOMI aur SHALTON ek sadme waali haalat me chale gaye the wahin BRAWNY ghusse se bhar aur tezi se chattpatane laga tha...

par time limit jo maine di thi,uska khayal kar NAOMI ne naa sirf khudko sambhala,balki agle hi second usne jo MAXI jaisi dress khudpar daali hui thi,usne usse khud se alag kar diya aur ab wo sirf undergarments me thi...

wahin NAOMI ke strip karte hi...


MAI-dekh BRAWNY...ek bete ke liye kya isse zyada sharm ki baat ho sakti hai...!!!

ek anjaan bande ne tere saamne teri maa ke kapde aur izzat dono hi utar di aur tu kuch bhi kar nahi paa raha...

kya jeene ka haq bhi hai tujhe....


ye aakhri line bolte bolte hi maine BRAWNY ko zor se push kiya jiske baad wo lehrata hua neeche gir gaya...

BRAWNY maansik tanaav bardasht naa kar paane ki wajah se behosh ho gaya tha jisse dekh NAOMI jo bas sharm se sir jhukaye khadi thi,wo turant apne bacche ki taraf badhi aur uske saath uske SHALTON bhi..

wahin BRAWNY ko chhodne ke agle hi second mai muda aur tezi se quater ke baahar nikla aur fir bhaagte kuch door aage badh...

DHAMMMMM.....AHHHHHHH....

neeche zamin par ghutno ke bal girte hue ek karah nikal gayi mere mooh se....

reason....

mere right haath aag me tapne se jaise hota hai,waise hi pure laal ho gaya tha...

aur iska reason....

BRAWNY.......

aapko yaad hoga ki jab wo meri taraf badha tha tab maine kuch kaha tha..

darasal maine WOOGER kaha tha jiske baad WOOGER ki shakti se bani ek parat mere us haath ke jisne BRAWNY ko pakad rakha tha,uspar chadh gayi..

aur BRAWNY ko maine nahi, ussi parat ne,us shakti ne lapeta hua tha...

aur itna sab sirf isiliye hua kyunki BRAWNY ka frustration us waqt 25 percent par tha aur aisa hote hi uske sharir se uski energy ke kan nikalne lage jisse filhal mai jis condition me hun,jhel nahi sakta tha aur yahi wajah thi WOOGER se help lene ki...

par har beethete second ke saath BRAWNY ki frustration badhne lagi aur aisa hone par uski energy WOOGER ki parat se hote hue meri skin ko touch karne lagi jisse meri skin garam hone lagi thi..

aur jab NAOMI ne strip kiya tab BRAWNY ki frustration 75 percent par pahunch chuki thi aur kuch ki seconds me wo frustration apni limit todne waali thi par agar aisa ho jaata, toh uske asar se ye puri jagah blast ho jaati...

aur yahi reason tha ki WOOGER ki shakti ne BRAWNY ke senses kheench liye aur BRAWNY behosh ho gaya...

par meri lag gayi thi...haath bhale jale nahi the,par jalan hadh se zyada ho rahi thi...

par is jalan se zyada taklif mujhe apne andar mehsoos ho rahi thi jisse mujhe bhi frustration feel hone lagi thi aur isiliye kaadha peekar mai turant apne bike par baitha aur nikal pada ek direction ki taraf...





PLACE-ASTER





TEJASV OLOKA

AURA SCAN




ASTER ke ussi artificial field me paalthi maar kar baith apne chith ko shunya ki gehrayiyon me daalne ke baad is SPELL ko uccharit kiya tha FALLON ne...

waise ye pehli baar nahi tha jab FALLON ne is SPELL ko uccharit kiya tha...

ek hafte pehle MASTER ki di gayi chunouti ka aaklan kar FALLON is natije par pahunchi ki agar usse ASTER me rehne waale har vyakti ko ek saath hawa me ucchalna hai toh uska ek hi tarika hai..

aur wo hai dhyan me baith sabse pehle is jagah ke har vyakti ke sharir se nikalne vaale AURA ko complete scan kar us power ko khudse jodne ka kyunki bina saare logon ko feel kiye usse diya gaya kaam ho hi nahi sakta tha...

aur isiliye pichle 1 hafte se apne kareeb 12 ghante FALLON ne is kaam ko diye the jisme wo lagbhag aadha percent hi kaamiyab ho paayi thi....

aur wo isiliye kyunki human AURA ko scan kar uske power ko khudse ek chain ki tarah jodna hadh se zyada kathin tha...

kyunki ye kaam apne man ki shakti se ho raha tha bina un logon ke anumati liye jinhe use me laana tha aur aise me jab bhi FALLON AURA scan karne ki koshish karti thi,toh us scan ke jawab me ek reverse force bhi un sabhi logon ke body se release ho raha tha jiski wajah se FALLON ka sampark un AURAS se baar baar toot jaa raha tha..

itne dino se continously ki kayi 12 ghante ki koshish ke baad FALLON ke body ki puri shakti khtam ho gayi thi...

aur aaj bhi same process ko repeat karte hue FALLON ko kuch 4 ghante ho chuke the par result kuch bhi nahi nikla tha...

abhi bhi SPELL ko uccharit karne ke kuch hi minutes baad FALLON ka sampark AURA se toot gaya aur aisa hote hi uski aankhen khul gayi...


FALLON-dammit....ye kaisa task diya hai yaar MASTER ne.....how is this even possible....???

itne dino se se try kar rahi hun par har baar kuch logon se khudko jodte hi ek jhatke se saara connection khatm ho jaata hai...

but mai connection tak jod hi nahi paa rahi hun toh fir sabko hawa me kya khaakh utha paaungi...


AGAR YUNHI FRUSTRATE RAHI TOH KISI AUR KO TOH KYA,TUM KHUDKO BHI HAWA ME UTHANE KI KALA BHOOL JAAOGI....


saamne se aa rahe MASTER ne ye baat kahi thi jisse sun ab bhi dhyan mudra ki position me baithi FALLON khadi ho gayi aur...


FALLON-frustration toh hogi hi naa ek hafte se har din pure 12 ghante practice ki hai maine aur aaj bhi 4 ghante se upar ho chuke hain mujhe ek hi kriya ko baar baar dohrate hue..

par bas kuch logon ke AURA se khudko jodne ke alawa aur kuch success nahi mila hai mujhe..

aur wo connection bhi kuch time baad toot jaata hai...

aise me without touch ek strong push ke saath mai 2 logon ko 2 feet tak bhi shayad uchhal paaungi toh fir aise me ye task complete ho toh bhi kaise...???

MASTER-ab isme toh mai tumhari koi madad nahi kar sakta..you are completely on your own...

par haan,ek choti si kahani hai,sun lo aur sunkar ganit lagao...shayad pata chal jaaye ki kya aur kaise karna chahiye...


MASTER ko baat lar aankhon me sawal liye bas chup chaap unhe dekhti rahi FALLON jispar MASTER ne apni baat yaa fir ye kahun ki kahani shuru ki....


MASTER-ek baar ki baat hai..ek kisaan apne raajya ke maharaj ki darbaar me apni ek shikayat lekar pahuncha...

maharaj ke sammukh ho usne unse kaha,ki maharaj,mujhe aapse ek shikayat hai....

aur wo shikayat ye hai ki ek taraf mai hun jisne din bhar kheton ke apna khoon pasina bahaya hai aur itne kathin parishram ke baad bhi mai bas itna hi kama pata hun ki ledekar mera aur mere pariwar ka guzara bas ho paata hai...

wahin dusri taraf maine dekha hai ki aapke mehel me ek vyakti baiththa hai jo mehel ki shaano shaukat ka lutf uthate hue bas ek jagah baith kar bahi khaate me kuch kuch likhta rehta hai..(ACCOUNTANT,MUNIM)

kabhi kabhar hi wo mehel se bahar nikalta hai aur usme bhi wo koi mehnat waala,pasina nikalne waala kaam nahi karta..

wo bas raajya ke alag alag bhandaron me,udyogon me ghumta hai,baat karta hai, apni bahi me kuch likhta hai aur wapas mehel aa jata hai..

par itne hi kaam ke liye usse dher saara dhan milta hai,rehne ke liye ek behtarin awaas aur saari sukh suvidhayen...

kya ye nainsaafi nahi hai....??


us kisan ki baat sun maharaj halke muskuraye aur...


MAHARAJ-baat toh tumne thik kahi...mehnat tum zyada karte ho, aur fal hamare MUNIM ko zyada milta hai..

thik hai,hum tumhari aamdani,tumhara rehen sehen hamare yahan ke munim se behtar kar denge...


apne maharaj ki baat sun kisaan khush ho gaya..wo unki jayjaykar karne hi wala tha ki tabhi..


MAHARAJ-par usse pehle,kya tum hamara ek kaam karoge....???

KISAAN-agya den maharaj.. zaroor karunga...

MAHARAJ-bohot achhe..kuch der pashchat humare raajya ki seema par ek dusre raajya ki bail gaadi pravesh karegi..

tum us bail gaadi ke chalak se puch kar aao ki wo kahan se aa raha hai...???

apne maharaj ki baat sun kisan turant bhaaga aur fir kuch hi der baad lout kar aaya aur...


KISAN-maine pata laga liya hai maharaj...wo bailgadi sohanpur se aayi hai...

MAHARAJ-acha..aur wo jaa kahan rahi hai...???

KISAN-par maharaj...aapne mujhse ye puchne ke liye toh kaha nahi hi nai tha..

MAHARAJ-koi baat nahi..ek fir se jaao aur pata kar ke aao...

KISAN turant wapas bhaaga aur fir kuch der baad louta aur..

KISAN-maharaj wo bailgadi vilaykaas jaa rahi hai....

MAHARAJ-bohot ache...acha ye batao ki kya wo bail gaadi khaali thi....???

KISAN-nahi maharaj..usme bohot se bore lade hue the...

MAHARAJ-kya tha un boron me...???

KISAN-ye mujhe gyat nahi..aapne bola hi nahi tha uske baare me puchne ke liye...

MAHARAJ-koi baat nahi..ab bol dete hain..jaao aur pata lagakar aao ki kya samaan hai un boron me...


apne maharaj ki baat sun ek baar fir bhaaga kisan aur kuch der baad jab wo louta toh uski saanse halki chaddhi hui thi...

kuch shan apne saanson ko durust kar....


KISAN-maharaj un boron me gehun aur baajre hain...

MAHARAJ-acha..waise kitni maatra me hain wo gehun aur baajre...


maharaj ke sawal par kisaan ka mooh utar gaya kyunki usse toh ye pata karne ke liye maharaj ne kaha hi nahi tha...

par usse pata tha ki ab maharaj usse pata karne ke liye kahenge hi isiliye...


KISAN-mai pata karke aata hun maharaj..


ye bol wo ek baar firse bhaaga aur fir jab kuch der baad wo louta toh is baar uski saanse kuch zyada hi chadhi hui thi aur wo isiliye kyunki wo bailgadi jiske liye wo gaya tha,wo raajya ke aakhri chhor tak pahunch chuka tha aur isiliye uska ye round usse kaafi lamba pada tha....

wo yunhi haafte haafte bola ki...


KISAN-maharaj..us bail gaadi me 1000 kilo gehun aur 800 kilo baajre the...


kisan ki baat par maharaj kuch bolte ki tabhi...


MAHARAJ KI JAY HO....


ye bolte hue unka MUNIM chalte hue unke saamne aakar khada ho gaya...


MAHARAJ-aao munim..waise hum tumhe bulane hi waale the..kuch der pehle hamare raajya me ek dusre raajya ke bailgaadi ne pravesh kiya tha...

hume uski jaankari chahiye..


MUNIM-mai ussi silsile me aapke sammukh upastith hua hun..maine us bailgaaadi ke baare me sab pata laga liya hai maharaj..

wo bailgaaadi sohanpur se aayi thi aur vilaykaas jaa rahi hai..us bailgaadi me 1000 kilo gehun aur 800 kilo baajre ki boriyan ladi hui hain...

aur bailgaadi ke chalak ne hamare raajya me pravesh karte hi upyukt kar chuka diya hai..

MAHARAJ-bohot ache..jaa sakte hain aap...


jahan maharaj ki baat sun munim toh chala gaya par uske saare jawabon ko sun kisan ka sir sharm se jhuk gaya tha jispar...


MAHARAJ-humara udeshya tumhe sharmsaar karna nahi tha...hum toh bas tumhe kuch samjhana chahte the...

ummid hai ki tum samajh gaye hoge..

KISAN-jee maharaj...mai ache se samajh gaya hun..buddhi ke aage bal hamesha chota hi hota hai...

jitna kaam mai apni taakat ke dum par nahi kar paata,usse zyada wo munim apne dimag ke dum par baithe baithe kar leta hai..

aur isiliye uska ohda bada aur aamdani zyada hai...

kahani khatm ho chuki thi aur saath hi FALLON ko lesson bhi mil chuka tha...


FALLON samajh gayi thi ki wo bas kisi tarah apni taakat ka istemal kar forcefully sabse khudko jodne ki koshish kar rahi hai aur ye kaam bina kis neeti ke ho raha tha aur aise me wo kaamiyab nahi ho sakti...


wahin MASTER bhi FALLON ke chehre ko dekh samajh gaye the ki the lesson has been learnt aur isiliye...


MASTER-talwar sui se badi bhi hoti hai aur taakatwar bhi par jahan zaroorat sui ki ho,wahan talwar ka koi kaam nahi...

tumhe bas wo SUI dhundni hai..wo maarg,wo tarika jisse tumhara task apne anjaam tak pahunch sake..


ye bol MASTER mude aur wapas chal diye par fir thoda aage jaakar ruke,palte aur...


MASTER-kisi bhi experiment se pehle research hoti hai... tumhe wahi wahi karna chahiye..

pehle sawal ko samjho,uska vishlehsan karo, dhundo, aur fir jab saari kadiyan jud jaayen,tab apna abhyas shuru karo....

aur haan, vishleshan waale bhaag ke samay apni nazaron ko tez rakhna mat bhulna...kaam aur asaan ho jaayega...







PLACE- SHEELA'S ABODE






ARRE KYA BAAT HAI....KAHANI KE MUKHYA KIRDAAR KE CHARAN AAJ HAMARE GHAR PAR PADH GAYE....HUM TOH DHANYA HO GAYE....


SHAILA ka ABODE hi hai wo thikana jahan mai BRAWNY ke ghar se sidhe pahuncha tha..

ABODE mere kadam rakhte hi SHAILA jo saamne hall me hi AKSHAANT ke saath baithi hui thi,usne ye baat kahi thi....

wahin uski baat khtam hote hi..


AKSHAANT-aao RAAZ baitho....


AKSHAANT ki baat sun mai uske aur SHAILA ke saamne couch par baith gaya jiske baad....


SHAILA-haath dikhao...


SHAILA ki baat par maine apne haath aage kiya jispar garmahat ki wajah se aayi laali ab bhi thodi bachi thi jisse dekh.....


SHAILA-hmm..sahi waqt par haath hata liya tumne warna hatane ke liye haath bachta hi nahi....


SHAILA ki baat sun maine usse ghura jispar...


SHAILA-what..!!!ye toh nahi soch rahe ho ki mujhe tumhare condition ke baare me kaise pata chala...???

common man, maana ki ye kahani tumhari hai par jis jagah par tum bathe ho,ye hamari shakti se bani hai..

ye pura PLANET bana hai....

hastakshep nahi kar sakte hum is kahani me toh kya hua...????dekh toh sakte hi hain..

aur sach bataun,mujhe toh bada maza aa raha hai is kahani ko dekhne me....


MAI-sahi kaha hai kisine...

some habbits never die...

manushya yoni chhodkar ANGEL ban gayi tum par insaano jaisi faaltu baatein aur show off karna nahi chhoda tumne...

tumhe kaise pata chala,ye nahi soch raha tha mai...mai bas ye soch raha tha ki tum us mudde par,jiske liye mai yahan aaya hun,kab aaogi..???

AKSHAANT-toh tum hi aa jaao mudde par....batao,kyun aaye ho..???

MAI-tum dono ko hi pata hai ki mai kyun aaya hun...ye human emotion merge nahi ho paa rahe hain meri soul se..

bohot taklif hoti hai mujhe... BRAWNY ke ghar par bhi ho raha tha mujhe ye pain...aur woh bhi unbearable...

aur ye tumhara diya temporary ilaaj nahi pasand mujhe....

mai weak hun,ehaas dilata hai ye mujhe...

is pain ke saath apne first REFINER ke average power tak toh pahunch gaya mai,par complete power tak nahi pahunch paaunga...

wahan pahunchne se pehle hi body fath jaayegi meri...

summary....tell me the permanent way...

AKSHAANT-bata toh sakte hain par uska kuch faayda hoga nahi...

kyunki wo ilaaj sirf batane se toh ho jaayega nahi...

us ilaj tak pahunchne ke liye tumhari body ko aur strong hona padega..

utna jitna SHAILA ne bataya hai...4 percent AMPLIFICATION aur complete power of first REFINER...

itna hone ke baad hi tumhara ilaaj possible hai....

is kahani ke wo kirdar ho tum jo VIDEOUS se takrane waala hai...

itne kamzor toh nahi ho sakte tum jo yunhi haar jaao...

SHAILA-hum bhi toh dekhen ki without your power,how strong are you...!!!

MAI-fir un teen jokaron se (class WHIZZES and WHIZZDERS)keh dena ki meri haalat jo bhi ho, they will not interfere...

SHAILA-done...


apni baat keh,mai utha,palta aur jaane laga par tabhi mujhe AKSHAANT ki kahi baat click hui aur isiliye..


MAI-ilaaj kiya jaata hai,par tumne kaha ki mujhe ilaaj tak pahunchna hai....iska kya matlab...???

AKSHAANT-mai soch hi raha tha ki tumne wo baat catch kaise nahi ki..???

well,mere kehne ka matlab tha ki...

SHAILA-nananana...kya kar rahe ho...???aise nahi AKSHAANT...jo baat batani hai,wo sea off se pehle ki line hai , isiliye usse waise hi boli jaani chahiye jaise aise time par RAAZ bolta hai...

shayri me....

isiliye arz kiya hai ki....




filhal toh ye emotions ka PHAL,
tere andar hi PHALEGA....

ye teri wo ladhayi hai jo tu,
khud se hi LADEGA....

jeet isse,aur mil apne RAICHAITA se.....

kyun thik tujhe sirf VIKRAM hi KAREGA....











AAJ KE LIYE ITNA HI....









AAPKA APNA V...J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ EK BAAR PHIR BRAWNY KO HARRASS KARTA HAI,DUSRI TARAF FALLON APNE MASTER KE DIYE TASK KO KARNE ME BAAR BAAR FAIL HOTI HAI WAHIN TEESRI TARAF SHAILA RAAZ KO BATATI HAI KI USKE PAIN KA PERMENANT ILAAJ VIKRAM HI KAR SAKTA HAI.


AB AAGE:-


CHAPTER-2

(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-76



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



PLACE- THE GROUND






GOOD MORNING SAVENTS.....AAP SAB SOCH RAHE HONGE KI WHY ARE WE ALL OUT HERE....???


bohot josh aur excitement ke saath SAPIUS ne ye baat kahi thi saamne khade sabhi SAVENTS se jisse badi excitement se bhar sun rahe the sab...

par saath hi saare STELLARS aaj thode hairan bhi the aur wo isiliye kyunki aaj unke dusri side par GROOMERS catagory bhi apne teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ke saath khadi thi....

unhe samajh me nahi aa raha tha ki bhala GROOMERS ka unke beech kya kaam...???

khair, SAPIUS ki baat ko aage badhte hue...


REGIS-aur wo isiliye kyunki aaj ki class yahin hogi...par ye class kam aap sabka is PHASE me first magic demonstration zyada hoga...

aur ye demonstration aap sabko denge aap sabke hi beech ke teen SAVENTS...

hamari catagory matlab STELLARS se VIDEOUS aur MAHI aur inke saath ye demonstration denge GROOMERS se RAAZ.....

VIDEOUS, MAHI, RAAZ....yahan aayiye aap teeno....


REGIS ke pukarte hi mai unki taraf badh gaya wahin meri hi tarah STELLARS se MAHI aur VIDEOUS bhi aage badh gaye the...

aage badhte hue hum teeno hi REGIS ke side me khade ho gaye..

last corner me VIDEOUS,beech me MAHI aur uske baaju me mai khada tha...

aage badhte waqt aur fir saath khade hone ke time MAHI ki nazar jisme ghussa tha,usne 2,3 baar meri taraf dekha tha par maine usse ignore hi kiya hua tha...

khair, aisa pehli baar ho raha tha jab koi GROOMER is tarah PHASE 2 ke first magic demonstration class me participate kar raha tha..

us demonstration me jisme aaj se pehle tak sirf STELLARS hi part lete aaye the...

yahi reason tha ki mere catagory ke WHIZZES aur WHIZZDER behad khush aur proud feel kar rahe the..

par wahin in sab ke beech khadi thi MABBA jisse kisi GROOMER ka aur khaas kar mera unke SAVENTS ki barabari me khada hona raas nahi aa raha tha....

unhe ye ek insult ki tarah lag raha tha par wo kuch kar bhi nahi sakti thi...

reason....

SOVEREIGN'S....mera is demonstration me participate karna, SOVEREIGN'S ka order tha aur wo jaanti thi ki ye order jaayaz bhi hai...

ek 2 percent AMPLIFICATION holder hone ke baawjud maine apne REFINER ko average power tak trigger kar liya tha aur aisa aaj se pehle kabhi hua nahi tha..

ye sach naa toh MABBA pacha paa rahi thi aur naahi apne andar se bahar nikal paa rahi thi.

khair,hamare khade hote hi...


SAPIUS-sabse pehle RAAZ,congrats...you are the very first SAVENT ever of GROOMERS who has triggered his REFINERS average power....

aur tumhari issi uplabdhi ki wajah se aisa pehli baar hua hai jab koi GROOMER is PHASE ke first magic demonstration me STELLARS ke saath participate kar raha hai...


jahan SAPIUS ko laga tha ki mujhe unki baat sun khushi hogi as ye taarif ek STELLAR WHIZZDER ke mooh se nikli thi,wahin MAHI jo bhale hi mujhe pasand nahi karti thi,par meri achievement ke baare me jaan wo bhi man hi man mujhe appreciate kar rahi thi..

par SAPIUS ki baat khatm hote hi....


MAI-can we start the demonstration.......


to the point baat nikli mere mooh se jisse sun jahan ek taraf mere WHIZZES aur WHIZZDERS has diye wahin SAPIUS, REGIS aur unke saath MAHI bhi hairan ho gayi....

wahin MABBA ka ghussa jo pehle se hi chaddha hua tha,wo aur badh gaya tha aur isiliye....


MABBA-ATTITUDE haan.....beta ATTITUDE unhiko dikhana chahiye jo uske laayak hon....

ek GROOMER ko ye ATTITUDE suit nahi karta....

MAI-WHIZZ EDWINA..kya aapko pata hai ki is demonstration ka proccess kya hai...???isme karna kya hota hai...???


MABBA ki baat ko nazar andaaz kar maine ye baat kahi jispar....

EDWINA-haan pata hai....

MAI-so can we not waste time and get on with it...yahan faaltu ki baatein suanane nahi aaya hun mai....


meri baatein sun jahan EDWINA, ROVEL aur PETRA,teeno hi has diye the wahin unke saath meri puri catagory bhi hasne lagi thi..


STELLAR'S me bhi kuch chehre the jaise ALFREEN aur MABEL jinke chehre par meri baat sun muskurahat dikhne lagi thi par apne WHIZZ ki wajah se unhone apne expressions control kar liye..

par MABBA...!!!uska toh sab kuch sulag chuka tha meri baat sunkar.....

aur ye baat uske saath khade REGIS aur SAPIUS bhi samajh gaye the aur isiliye hi MABBA kuch react kare,usse pehle...


REGIS- sirf STELLARS catagory ke WHIZZ aur WHIZZDERS hi demonstration proccess ko define karte hai RAAZ...

MAI-ye purani baat hai..aur ye isiliye hota aaya hai kyunki aaj se pehle koi GROOMER is demonstration ka part bana hi nahi....

par ab jab aisa nahi hai toh ye rule bhi nahi hai...yahan mujhe kya karna padega,ye meri catagory ki WHIZZ hi mujhe batayegi...

aur koi nahi..aur agar aisa nahi hua then i am not interested in this demonstration...


meri baat sun yaa fir ye kahun ki demand sun jahan baaki sab hairan the wahin SLUNDER aur ACCHUTA behad khush...

unhe ye dekhkar accha laga ki jis institution me STELLARS ko chhod aur kisiko kuch bhi nahi samjha jaata hai wahan mai unhi STELLARS se apni baat manwa raha tha aur isiliye...


ACCHUTA-WHIZZ, WHIZZDERS...ye STELLARS, GROOMERS....inki ehmiyat baakiyon ke liye hai, RAAZ ke liye nahi...

ye wahi karta hai jo iska dil karta hai...and trust me,koi isse apne hisaab se kuch bhi nahi kara sakta...

baaki, STELLARS ke WHIZZ, WHIZZDERS hain aap teeno..samajhdaar toh honge hi...


ek taana sa tha ACCHUTA ki baat par jisse paara aur high ho gaya MABBA ka par isse pehle ki wo kuch keh paati...


MAI-toh shuru karna hai yaa fir mai jaaun...???i dont like waiting....


meri baat sun ek baar ghura MABBA ne mujhe....par fir kuch aaya uske dimag me aur aisa hote hi uske chehre par muskaan aa gayi aur...


MABBA-sahi kaha tumne.. pehle toh aisa kabhi hua nahi ki kisi GROOMER ne second PHASE ke first magic demonstration me participate kiya ho but you have made it...

aur mujhe aisa lagta hai ki tum hamare dono top SAVENTS, VIDEOUS aur MAHI se bhi strong ho...

aur jo itna strong ho,uska demonstration bhi thoda zyada tough aur strong hona chahiye,right....!!!


MABBA ki baat sun sabhi samajh gaye the ki wo zaroor kuch aisa karegi jisse mujhe nuksaan ho...

aur isiliye EDWINA kuch kehne hi waali thi ki tabhi...


MAI-bring it on...i am ready...


pehli baat MABBA ko dekh aur fir dusri line apni WHIZZ EDWINA ko dekh kahi maine jiske baad unhone kuch kehna sahi nahi samjha...

reason......

meri zidh dekh chuki thi wo aur itna toh wo ab tak samajh hi chuki thi ki jab maine faisla le liya,so le liya.. there's no backing out...

wahin meri baat sun MABBA ke chehre ki muskaan aur badh gayi aur...


MABBA-great then...toh shuru karte hain....is magical demonstration me aap teeno ke saamne do options hain...


pehli-FLY.....

dusri-INVISIBLE.....


flying option me hum aapko gurutwakarshan force ko kaat hawa me uth ek jagah se dusri jagah jaane ka tarika batayenge jiske baad aap teeno iska ek live demonstration sabko dikhaoge aur invisible option me aap hum aapko antardhyan ho ek dusre se dusri jagah teleport hone ka spell aur tarika batayenge jisse aap teeno demonstrate karoge..

waise knowledge ke liye bata dun ki ye dono hi options zyada alag nahi hain..

dono hi me ek jagah se dusri jagah par jaaya jaa sakta hai bas invisible waale option me speed roshni ke speed se bhi bohot zyada hoti hai aur initial stage me ye khatarnaak bhi ho sakti hai...

kaise,ye baad ki baat hai....

filhal yaa toh aaj aap teeno pehli baar ud kar dikhayenge yaa fir gayab hokar ek jagah se dusri jagah pahunch kar dikhayenge...

choose kijiye,kya karna chahte hain aap teeno...???


MABBA ki baat khatm hi hui thi ki..


HUM TEENO-FLY.....


first option ek saath nikla hum teeno ke mooh se jiske baad humne ek baar ek dusre ko dekha par fir saamne dekhne lage...

wahin hamare options choose karte hi....


MABBA-fantastic.... toh ab suniye ki fly aap kaise karenge...???


MABBA ki baat sunte hi mai EDWINA ki taraf chal pada jisse dekh...


MABBA-hey you..where are you going..???

MAI-maine kaha tha ki mere demonstration ka tarika WHIZZ EDWINA batayegi....


ye bol mai EDWINA ke saamne jakar khada hi gaya jispar ek pal toh unhone mujhe dekha par fir mujhe le wo ek side chali gayi...


wahin meri baat sun MABBA ne kuch pal mujhe ghoora par fir..


MABBA-

MAKSIKA.....

VIYAKARA....


in dono hi SPELLS ka arth hai FLY par inse hone waale moovement alag alag hain...

toh ab suno ki kya karna hai tumhe...???ab jab tum apne SOUL me jhaankoge, toh SOUL me mix ho chuka tumhara first REFINER bhi active ho jaayega...

apne SOUL me jhaank apne REFINER ko yaad kar tumhe man hi man MAKSIKA spell uccharit karna hai....

aisa karte hi tumhari body gurutwakarshan force ke niyam ko kaathe hue hawa me uthne lagegi jisse tum apni soch ke hisaab se utha ya gira sakoge....

par isme practice lagti hai..jab tak tumhara SOUL aur usme basa REFINER sayyamit tarike se body ki udaan ko control nahi karega,tab tak tumhari body hawa me unstable rahegi....

anyways,hawa me uth thoda sa hi sahi,balance karne ke baad tumhe dusra SPELL VIYAKARA apne man me uccharit karna hai..

is spell se hawa me thehri tumhari body jahan bhi tum chahoge,us taraf badh jaayegi....

par ye bhi filhal disbalanced hoga...aage badhne ki gati ko tumhe apne SOUL power se control karna hai but mai bata dun ki its tough...

speed zyada bhi ho sakti hai aur ek dum kam bhi...usse niyantrit karna tumhe khud sikhna hoga....

aage badhti hui tumhari body tumhare sochne maatr se rook bhi jaayegi aur neeche bhi utar jaayegi par focus strong hona chahiye....

so,this is the way how flying is done...samajh gaye....


VIDEOUS/MAHI-yes WHIZZ....


VIDEOUS toh normal hi tha par MAHI apni pehli udaan ke liye bohot zyada excited thi...

wahin in sab se thodi door EDWINA ne bhi mujhe udne ko lekar same chizen batayi aur fir...


EDWINA-so,samajh gaye...!!!

MAI-hmm...acha ye invisible hone ka kya tarika hai....???

EDWINA-invisible hone ka....???uske baare me kyun janana hai tumhe...????tumne toh FLY demonstration chuna hai naa..!!!

MAI-so..kya iska ye matlab hai ki dusre demonstration mode ke baare me mujhe nahi pata hona chahiye....!!!

WHIZZ MABBA mera ye demonstration tough karne waali hai....toh aise me i need backup....

EDWINA-jisse tum backup keh rahe ho,wo ulta bhi ho sakta hai.... starting stage me directly invisible hona hi tough hota hai toh fir aise me jab tumhari body flying mode me hogi,toh us waqt ek naya magic karna wo bhi invisible hone ka joki flying ka hi ek advanced version hai, khatarnaak ho sakta hai...

MAI-agar khatarnaak nahi hota,toh mai puchta bhi nahi...i only seek stuffs that either will kill me or else,will make me stronger...

third option chahiye hi nahi mujhe....


meri baat sun kuch pal dekhti rahi EDWINA mujhe aur fir...


EDWINA-fine..agar yahi chahte ho toh theek hai fir...


ye bol wo mujhe invisible hone ke baare me batane lagi...puri baat batane ke baad...


EDWINA-all the best..and take care of yourself.. pata nahi wo MABBA kya karne waali hai...???


EDWINA ki baat sun mai rooka nahi aur MABBA ki taraf chal pada aur jab mai uske paas pahuncha toh...


MABBA-oho...so the champ is here...shuru karen...???


chehre par khilli udane waali hasi ke saath kahi EDWINA ne ye baat jisse sun...


MAI-haan....

MABBA-great.....toh VIDEOUS,tum ground ke left end me jaoge...aur MAHI tum right end me...

and the great RAAZ...aapki udaan yahin se shuru hogi....

apni position me pahunchne ke baad mere ishare par tum teeno apna apna demonstration shuru kar sakte ho...

tum teeno ko hawa me uth apne position se ekdum sidhe direction me udte hue jaana hai..

us direction me yahan se 20 kms door FORBIDDEN FOREST ki sarhad shuru hoti hai..

tum teeno ko wahan pahunch jo bhi pehla tree dikhe,uska ek leaf lekar yahan wapas aana hai...

as simple as that...now move....


ground bohot bada tha..jin do ends ki baat HIDA ne ki thi,wo mujhse 500 metres door the...

MABBA ki bat sun VIDEOUS left ki taraf badha aur MAHI right ki taraf....

MAHI aur VIDEOUS ke jaate waqt ALFREEN, MABEL aur VALDIS ne unhe all the best bola tha.....

aur kuch der jab wo dono apni apni jagah pahunche toh...


MABBA-yaad toh hai naa ki kya tay hua tha...tumhara ye demonstration thoda hatke hoga..

aur jaante ho ki ye hatke kya hai....???

saamne upar ki taraf dekho...


ye bol MABBA ne apna haath aage kiya aur uske aisa karte hi...


SAB-HOLY SHIT....

ye baat sabke mooh se nikli thi...

reason....

upar aasman me jis sidhe direction me mujhe jaana tha,us direction par hawa me teen teen ke pair liye line se bade bade khambe float ho rahe the....

aur un khambo ka koi anth dikh nahi raha tha jiska matlab tha ki wo khambe last tak matlab FORBIDDEN FOREST tak bichaye gaye hain.....

mujhe un float hote khambo ke beech se bachte hue aage badhte hue FORBIDDEN FOREST tak jaakar wapas aana tha aur ye wakayi tough tha, bohot tough..

ye meri as a normal SAVENT,first self flight thi jisme mera udna meri shakti jo ki filhal bohot kam thi,uske hisaab se hona tha...

toh aise me ye floating khambe numa hurdles ko cross karna,it was damn tough....

khair,ab kar toh kuch sakte the nahi isiliye maine bhi khudko mentally prepare kar liya...

wahin jahan is hurdle ko dekh mere catagory ke SAVENTS aur teeno WHIZZES aur WHIZZDER pareshan the wahin ACCHUTA aur SLUNDER ko mujhpar bohot bharosa tha aur isiliye...


ACHHUTA-koi naa bhai...hume pata hai,tu faad dega....

SLUNDER-yes RAAZ....you are the best....

MABBA-best,my foot....


SLUNDER ki baat sun MABBA halke se gurrayi jisse waise sun toh liya tha maine par react nahi kiya aur...


MAI-lets start then....


MABBA ne apne dono haath failaye aur uske aisa karte hi uske dono haathon me ek ek rumal aa gaya aur aisa hote hi do baar in rumalon ko lehra MABBA ne usse chhod diya jiska matlab tha ki the game is on....


MAKSIKA......


apni apni jagahon par khade apne SOUL aur usme merge ho chuke REFINER ko yaad kar hum teeno ke mooh se ek saath ye SPELL uccharit hua jiske agle hi pal...

hum teeno hi dagmagane lage...

par jahan complete power ke ACTIVATE hone ki wajah se VIDEOUS ki dagmati body jaldi hi halki balace hote hue upar uthne lagi wahin usse ulat mai aur MAHI hawa me uthe toh zaroor par aisa hone ke agle hi pal hamari body puri ulti ho gayi...

hum dono hi hawa me ulte latke hue aur upar uthne lage the...

aur aisa hota dekh saare SAVENTS excited bhi ho gaye the aur hamari haalat dekh wo sab hasne bhi lag gaye the....

apne dimag ko sayyamit kar maine khudko sidha karne ki koshis karni shuru kar di par ek baar me ye aisa karna sambhav nahi tha..

mere aisa sochne se meri body sidhi toh hui par fir turant baad wo 360 degree me gol gol ghumne lagi.same chiz MAHI ke saath bhi ho rahi thi...

wahin VIDEOUS ki body bhi unstable hone ki wajah se idhar udhar ho rahi thi par apne REFINER power ki wajah se wo gol nahi ghum raha tha aur isiliye uske paas ek extra advantage bhi tha aaur wo tha focus karna...

jahan gol gol ghumne ki wajah se mujhe aur MAHI hum dono ko hi apne concentration level ko maintain karne me hi taklifen aa rahi thi wahin VIDEOUS ke saath aisa nahi tha..

hilte hue hi sahi,par sidhe rehne ki wajah se uska concentration level solid tha aur yahi wajah thi ki zameen se kuch 200 feet upar uthne ke baad usne khudko hawa me rok bhi liya aur jab aisa hua toh wo wahin khade ho khud ke hilte dulte body ko stable karne ki koshish me lag gaya aur aisa karne me usse kuch hi der me kaamiyabi bhi haasil ho gayi...

aur jaise hi uski body stable hui toh...

VIYAKARA...

hawa me aage badhne ka SPELL uccharit kiya VIDEOUS ne jiske baad uski body tezi se aage badh gayi...

par ab VIDEOUS ke saamne ek nayi chunouti thi...aur wo ye ki hawa me ek hi direction me ek sidh par udna asaan nahi tha..

ye waisa hi tha jaise bina scale ki madad se straight line kheenchna....tough....

aisa karne ke liye brain ko train karni ki zaroorat thi aur isiliye idhar udhar hawa me udta VIDEOUS apne mind ko set karne meag gaya...

wahin yahan mai aur MAHI dono hi hawa me gol gol ghume jaa rahe the par ab dheere dheere hi sahi, hamare gol ghumne ki gati kam hoti jaa rahi thi aur VIDEOUS ki hi tarah,200 feet upar pahunchte pahunchte humara gol ghumna band ho chuka tha....

ab baari thi khudko stable karne ki par isme MAHI ko ek advantage tha...

aur wo ye ki usse apne REFINER se
jo ki emotions se bana tha, koi takleef nahi ho rahi thi par isse ulat meri haalat kharab hone lagi thi...

happy REFINER ke through hi mai ye activity kar raha tha aur PERMENANT ILAAJ naa hone ki wajah se ye REFINER numa emotion mujhe pain de raha tha...

par ab mere BRAIN, BODY, BLOOD aur SOUL ko maine is pain se dosti karne ko keh diya tha air yahi wajah thi ki itne pain me bhi mera focus strong tha...

khair, MAHI ne pehle kiya khudko stable aur aisa hote hi wo bhi hilte dulte aage badh gayi aur uske kuch palon baad maine bhi kaafi hadh tak khudko stable kar aage badh liya..

par ab thi main problem...wo floating khambe aur uske upar mai khudbhi float hi toh ho raha tha...

jahan MAHI idha udhar dhulte hue thodi tezi se aage badh chuki thi wahin mai kaafi dheere dheere aage badh raha tha par fir bhi jaise hi un floating khambo ka daayra shuru hua toh..

DHAKKK..DHAKKK...DHAKKK.....

ek ke baad ek 2 lines ke teen khambo se takraya mai jiske baad mera focus hila aur aisa hote hi mai girne laga niche..

mujhe neeche girte dekh jahan ek taraf MABBA ke chehre par smile aa gayi wahin baaki WHIZZES,WHIZZDERS aur unke saath SAVENTS dar se gaye...


EDWINA toh mere fall ko rokne ke liye SPELL bolne hi waali thi par tabhi....


kareeb 100 feet tak neeche girte hue jaane ke baad maine apne focus ko restore sa kiya aur aisa hote hi mera girna rook gaya....

hawa me sthir rehna toh sikh hi liya tha maine isiliye jahan par mai tha,wahin par apni aankh band kar mai sochne laga..

meri band aankhon ke aage wo saare floating khambe the aur unki moovement jisse deekh aur unke float hone ki chaal ko samajh maine apni aankhen kholi aur turant upar hawa me utha...

hawa me uth VIYAKARA spell ko uccharit kar mai turant aage badha aur ab dheere nahi balki normal speed se un khambo se bachte hue aage badhne laga...

wahin meri body ke yun rookne,phir upar uthkar ek point par pahunch araam se aage badhne ko dekh sabhi hairan hi gaye...

meri learning speed se taajjub hue the sab aur sabse zyada hui thi MABBA.

usse yakin nahi tha ki itni jaldi mai itna sab catch bhi kar lunga aur situation ke according khud ko adapt bhi...

in sab sochon ke beech mai,aur mere se pehle nikle VIDEOUS aur MAHI,hum teeno hi ab tak sabki nazar se ojhal ho chuke the aur yahi reason tha ki hamare door jaate hi REGIS ne sabke saamne teen chalchitra bana diye..

har chalchitra me hum me se ek dikh raha tha....

sab dekh rahe the ki ab tak jahan ek taraf VIDEOUS stable hokar aadhe se bhi zyada raasta cross kar chuka tha wahin MAHI bhi ab kaafi hadh tak stable ho chuki thi...

aur in dono ke baad jab sabki nazar mere chalchitra par gayi toh sab ek baar fir hairan reh gaye..

aur wo isiliye kyunki meri raah bohot mushkil thi..mere aage lagatar floating khambe the jinhe mai dodge deta hua ek achi speed se aage badh raha tha..

dodge dete waqt kabhi kabhi meri body un khambo ki side se ragad khaa rahi thi par baawjud is ragad ke bina reducing my speed,mai aage badh raha tha....

jahan ye sab dekh baaki sabhi khush bhi the aur mujhse impressed bhi wahin MABBA ka toh khun hi jal chuka tha ab tak par fir...

achanak uske dimag me ek nahi chaal ne ghar kiya jiske baad usi khoyi muskaan lout aayi aur ab wo bas us waqt ka wait kar rahi thi..

kis waqt ka..???khud jaan lijiye...

aadhe se zyada safa pura kar chuka tha mai aur tabhi maine un floating khambo ke beech se dekha
VIDEOUS ko jiske haathon me leaf thi aur wo wapas CHOSENS ki taraf jaa raha tha..
nazar uski bhi mere taraf hi thi aur mujhe dekh ek smile de aage badh chuka tha wo par uski us smile ne mujhe jaise challenge kar diya..

aur isiliye, agle hi second ek saath do cheezen hui..

pehli...mera focus aur strong ho gaya aur mai dugni raftar ke saath aage badhne lage...

is process me un khambo se ragad bhi badh gayi meri aur isse meri body bhi chhillane lagi par is baat se ab naa mujhe fark padh raha tha aur naahi meri speed ko..

dusri..jitna zyada focus strong hua,mere REFINER numa emotion par utna pressure pada jiska natija tha meri anduri pain me izafa..

woh bhi unbearable....jabde bheenche dard ko sehte mai aage badhne laga aur finally mai FORBIDDEN FOREST ke sarhad par tha....

VIDEOUS ke kuch der baad maine MAHI ko bhi return hote dekha tha isiliye saamne dikh rahe leaf ko tod waapsi ke liye mai turant palta par tabhi..

palaththe hi jo scene mere saamne tha,wo wakayi surprising tha..sirf mere liye hi nahi balki ground par khade sabhi SAVENTS aur unke saath WHIZZES aur WHIZZDERS ke liye bhi siway ek ke...

MABBA...kyunki jo surprise sabko mila tha,wo uska hi kiya dhara tha...

darasal jahan ab tak mere saamne floating hote hue khambe the wahin ab waapsi mere mere aage jo khambe the,wo float nahi ho rahe the,balki behad tezi se ghum rahe the...

unki speed itna zyada thi ki agar mai unke beech se niklu aur ek nano second ki bhi der ho jaaye toh wo khambe mujhse takrakar meri aisi ki taisi kar denge...

wahin is scene ko dekh EDWINA ko samajh aa chuka tha ki ye MABBA ki karamat hai aur isiliye wo turant uake paas pahunchi aur...


EDWINA-you just can't except your defeat, right MABBA....!!!jab tumne dekha ki RAAZ tumhare challenge ko araam se complete kar lega tog tumne ye cheap tactic apnayi, haina....!!!!


EDWINA ki baat sun ek pal ke liye usse ghoorne ke baad..


MABBA-get one thing straight.. MABBA never looses... bhale hi uske liye kuch bhi kyun naa karna pade...


ye bol MABBA ne apna haath aage kiya aur uske aisa karte hi mere aage bhi ek chalchitra ban gaya jisme mujhe dikhi MABBA...


MABBA-so RAAZ... here's the deal...yaa toh in circulate hote khambo se hote hue yahan pahunchon jo ki impossible hai yaa fir except your defeat...

and one more thing.. VIDEOUS toh kuch hi der me yahan hoga aur uske baad MAHI bhi yahan pahunch jaayegi..

aur ek baar MAHI yahan pahunch gayi that means tum waise bhi haar gaye...

bhale hi ye koi competition nahi hai par last toh last hi hota hai...

bottom line,time nahi hai tumhare paas.. isiliye jut except your defeat..


MAI-MAHI abhi pahunchi nahi hai MABBA...aur jab tak aisa nahi hota, just shut your fucking filthy dirty mouth...


MABBA WHIZZ thi aur wo bhi STELLARS ki...aur ek STELLAR ki top WHIZZ ko jo kaha tha maine,usse sun sulag gayi wo par wo kuch kehti usse pehle hi...


EDWINA-you give respect..u take respect..u talk shit,u get shit...


EDWINA ki baat sun usse ghusse se ek baar ghur mere chalchitra ki taraf dekhne lagi MABBA aur wait karne lagi mere haarne ka...

wahin soch toh mai bhi raha tha ki kaise paar kiya jaaye is tough hurdle ko.. waise tarika toh mujhe pata tha par wo tarika risky bhi tha aur unused bhi..

isiliye pehle maine udkar jaane ki hi sochi aur dhyan se un tez ghumte khambo ko ek bar dekh aur unke movements ka aaklan kar...

mai full focus ke saath tezi se aage badha aur tabhi..

DHAAKKKHHH.....

do lines hi cross kar paaya mai..third tak pahunchte hi wahan ke khambe ki nok lagi mujhe aur mai wapas jahan se shuru kiya tha,wahan pahunch gaya..

is daaw se andruni aur baahri,dono hi tarahon se taklif hui thi mujhe par us dard ki parwah naa kar mai ek baar fir aage badha par is baar bhi same natija nikla...

ek ghumte hue khambe se takrakar walas back to zero...

ab mere body se bleading bhi shuru hi chuki thi....

jahan un sabhi odds ke saath mai laga hua tha wahin mujhe aur demoralize karne ke liye MABBA ne mere saamne ek aur chalchitra khol diya jisme dikh raha tha ki VIDEOUS toh already ground par pahunch chuka tha,saath hi MAHI abhi kuch der me pahunchne hi waali thi..

in saari cheezon ko dekh maine do teen baar aur un khambo se hote hue nikalne ka try kiya par all in vain...

koi faayda nahi hua aur isiliye ab baari thi us tarike ko apnaane ki jisse mera yahan se nikalna possible tha..

THE INVISIBLE OPTION...


wo option jiske baare me maine EDWINA se pucha tha aur ab usse try karne ke alawa mere paas aur koi option nahi tha..

par ye karna tough tha..bohot tough..

pehle toh mouka mere paas bas ek hi tha..kyunki invisible hone ke baad bhi meri body light se bhi zyada tezi se aage nikalne waali thi par aisa bhi wo un rotation khambo ke beech se hi karne waali thi jiska matlab tha ki agar mere invisible jump me ek nano second ki bhi galti hui,that means meri body fath jaani thi..

saath hi kyunki ye mera first attempt hone wala tha, aur isse pehle udkar maine pehle hi kaafi energy loss kar di thi,isiliye iske use karte hi mere REFINER numa emotion ne mujhe mere jadh tak hila dena tha..

in saare odds ke saath try karna tha mujhe ye jump..mai ye soch kar calculation kar hi raha tha ki tabhi..


MABBA-see RAAZ..tum haarne hi waale ho.. MAHI sirf khch seconds me hogi yahan...


chehre par ghamand ke saath kahi ye baat MABBA ne jiske baad maine ek baar saamne dekh apne aankhen band ki aur apne SOUL ke core tak jhaankna shuru kiya maine..

aisa karte hi ek dard ki ek tez leher doud gayi mere andar jisse feel karte hue maine apni aankhen kholi...

meri puri body pain se vibrate hone lagi thi...pain ke pressure se mere naak se khoon nikalne laga tha..

saansen tez chal rahi thi meri..in sab ke baawjud meri palke ek baar side ki taraf palti jahan chal rahe chalchitra me maine dekha ki MAHI kuch 10 seconds me ground par hone wali thi...

wahan nazar ghuma maine saamne dekha jahan woh tezi se gol ghum rahe khambe mujhe jaise chidha se rahe the..

but i saw through it..unke aar paar dekha maine aur aisa hote hi..


DURJAYA.....

man hi man bola nahi balki gurraya maine ye SPELL aur aisa hote hi...

soobhhhh.....

DHAKKKHHHH.....


un saare khambo ke beech se hota hua mera sharir pratyaksh roop se gayab ho light se bhi zyada speed se aage badha aur agle hi pal mai ground me tha...

mai theek MABBA ke saamne aakar gira tha aur mere aate yaa fir ye kahun ki girne ke agle hi second pahunchi MAHI...


RAAAZZZZZZ......

khoon se latpath ho chuka tha mai aur isiliye mera naam pukarte hue jahan ek taraf bhaage meri taraf ACCHUTA aur SLUNDER wahin dusri taraf MABBA ka toh mooh hi khul chuka tha...

wo kabhi mujhe dekhti toh kabhi us
chalchitra ki taraf jahan mai ek second pehle tha...

hairan toh EDWINA aur unke saath sabhi WHIZZES,WHIZZDERS aur SAVENTS bhi the kyunki sabhi ko pata chal chuka tha ki mai invisible
hokar yahan pahuncha hun aur ye baat un sabke liye kisi miracle jaisi thi....

MAHI jo yahan jab pahunchi aur meri haalat dekh shocked hui,jab ALFREEN aur MABEL ne usse saari baat batayi toh uski bhi hairani ka thikana nahi raha..

yahan tak ki VIDEOUS bhi maine jo kiya tha,usse dekh bina kisi chhal ke aaj muskuraya tha jaise keh raha ho ki chalo,takkar do dega ye mujhe...

wahin in sab ke beech neeche pada mai ab bhi lambi lambi saansein le raha tha...

taklif toh mujhe hadh se zyada ho rahi thi...itni ki mujhe pata tha ki kuch seconds me behosh ho jaana hai maine par bina MABBA ki aankhkon me apni jeet ki jalan dekhe,us jalan ko bina aur badhaye mai behosh kaise ho sakta tha...???

aur isiliye, ACCHUTA aur SLUNDER ka sahara le mai khada hua aur dheere dheere aage badh theek MABBA ke saamne khada hua jo mujhe abhi bhi awishwas bhari nazaron se dekh rahi thi..

ek pal side me dekh,khoon ko thuk mai wapas MABBA ki taraf palta aur...



MAI-


ab bataiye,kaun BADA HAI....????

aapka guroor toh mere pairon ke
neeche GADA HAI.....

zubaan sirf apne jaiso ke saamne chalaaiye,

mooh band rakhiye agar saamne
RAAZ KHADA HAI.........










AAJ KE LIYE ITNA HI.....

 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI APNE FIRST MAGICAL DEMONSTRATION ME RAAZ MABBA KI CHUNOUTIYON KO SUCCESSFULLY PAAR KAR LETA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-77



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



WEAKLINGS CLASS:-




GOOD MORNING BRAWNY.....


HIDA ne kahi thi ye baat BRAWNY se jisse sun aur saath hi HIDA ko dekh BRAWNY behad chownk gaya...

reason....

jahan ek taraf HIDA ki awaaz me aaj pehli baar hadh se zyada confidence tha, wahin dusri taraf uski appearence bhi kaafi confident dikh rahi thi..

face complexion fair ho gaya tha,baal jo hamesha bandhe rehte the,aaj khule hue the,overall personality bhi kaafi enhance dikh rahi thi HIDA ki..

ek din me itne drastic change ko dekh kisiko bhi hairan toh hona tha hi...

kuch waise hi jaise bahar ground me is waqt sabhi RAAZ ke performance se hairan ho rahe the.

khair, jab wish karne ke baad bhi HIDA ne dekha ki BRAWNY ne jawab toh kuch diya nahi ulta usse ghur ghur kar hairani bhare expressions de raha hai toh...


HIDA-apne WHIZZ ko yun ghurna achi baat nahi hai BRAWNY...???


gazab ka postive ATTITUDE jhalak raha tha aaj HIDA ki awaaz me jisse sun ek taraf BRAWNY hairan hua toh dusri taraf uski baat sun hadbada bhi gaya....

par fir khudko sambhal...


BRAWNY-nahi WHIZZ..wo actually mai kuch soch raha tha toh...


atakte atakte aadhi baat hi kar paaya tha BRAWNY par wo aage kuch kehta ki tabhi....


HIDA-soch rahe the toh... WHIZZ ke greeting ka jawab bhi nahi doge kya..???

anyways,class shuru karte hain....pause karo apne CEREBRATION aur trigger karo apne SOUL ko...


HIDA ki baat sun BRAWNY ko laga jaise bola nahi balki ek authority jaisi order di hai HIDA ne jisse sun pehle toh wo ek baar firse hairan hua par fir jaldi se khud ko normal kar band ho gayi uski aankhen jiske agle hi pal paused ho chuka tha uska CEREBRATION....

kal jo RAAZ ne kiya tha,wo harkat bilkul taazi thi BRAWNY ke dimag me jiski wajah se wo mentally kaafi disturbed bhi tha aur yahi reason tha ki CEREBRATION pause hone ke kuch seconds baad hi wo toot bhi gaya aur aisa hote hi aankhen khul gayi BRAWNY ki aur jab ye hua toh....


HIDA-what the hell BRAWNY.....!!!!kya tha ye..isse kehte hain kua koshish...!!!10 second bhi apne CEREBRATION ko paused nahi rakh paaye tum...

how can you underperform like this....


halki frustration thi HIDA ki awaaz me jisse sun ek bar firse hairan ho gaya tha BRAWNY...

kyunki isse pehle HIDA ne kabhi usse is taraf se baat nahi ki thi..

uska behavior hamesha soft hi raha tha par aaj aisa nahi tha...

HIDA ki baat sun BRAWNY ko laga jaise wo chiddi hui hai usse par kuch keh toh wo sakta tha nahi isiliye...


BRAWNY-sorry WHIZZ...

HIDA-oh common BRAWNY...naa tum 5th grade me ho aur naahi ye koi maamuli regular INSTITUTION hai..

yahan SAVENTS, matlab extra ordinary skill waale bache padhte hain and you are one of them..

so dont let yourself and this INSTITUTION down with such low performances...

chalo,ek baar fir try karo,and this time, i want result...

BRAWNY-ok WHIZZ...

halke bharraye hue awaaz me nikli ye baat BRAWNY ke mooh se aur fir ek baar firse band kar li usne apni aankhen...

par is baar aankhen band karte hi usne apne CEREBRATION ko bhi pause nahi kiya balki kuch seconds usne khudko shaant karne me lagaye aur jab uska mastishk thoda halka hua toh bina kisi soch ko apne upar haawi hone diye bina usne apne CEREBRATION process ko pause kiya...

apne antarman me jhaankta BRAWNY apne SOUL ko khudme merge karne ko koshish me lag chuka tha aur aisa hone ke kuch seconds baad hi usse uske antarman ki roshni dikh gayi jisse dekh wo turant us aur badha..

par jaisa hota aaya hai,aage badhte hi usse taklif hone lagi thi...

apni capacity ke hisab se us dard ko sehen kar BRAWNY dheere dheere aage badh raha tha....

par is dard me aaj BRAWNY ko wo mental pain ka bhi ehsaas ho raha tha jisse wo aaj tak aur khaas kar yahan aane ke baad se guzarta aaya hai....

wo saare pain kisi ball ki tarah uski taraf tezi se aa rahe the jisse dodge deta hua BRAWNY aage badh raha tha par un balls ki matlab wo pain ke saath soul ka pain bhi added tha aur yahi wajah hai ki un saare pain ne aakhirkaar BRAWNY ke CEREBRATION ko jhatka de hi diya aur aisa hote hi khul gayi BRAWNY ki aankhen....

ek lambi safar tay karkar aaya ho jaise, aaankh khulne ke baad BRAWNY waisi hi lambi lambi saansein le raha tha aur fir jab thoda relaxed hone ke baad usne saamne dekha toh....


CLAP...CLAP.....CLAP.......


HIDA jo ki uske thik saamne hi khadi thi,usse dekhkar clap karne lagi..

pehle toh HIDA ka clap karna BRAWNY ko samajh me nahi aaya par phir jab uski nazar HIDA ke chehre par gayi toh wo samajh gaya ki ye taali HIDA uski khilli udane ke liye baja rahi thi...

BRAWNY ne apna sir neeche kar liya par tabhi...


HIDA-arre arre..sir kyun niche kar liya aapne...??? you should be toh proud of yourself.....

jitni consistency aapne lagatar pichle PHASE se is PHASE tak dikhayi hai,that is commendable....
apni position ko continously hold karkar rakhna asaan thodi naa hota hai..

but you my boy,have nailed this quality...hats off man...


khilli se bhari awaaz liye HIDA ne kahi ye saari baat jisse sir jhukaye sunta raha BRAWNY...


HIDA-look up BRAWNY....


HIDA ke kehne par BRAWNY ne dheere se apna sir upar kiya jisme is waqt aansu bhare hue the jinhe dekh...


HIDA-fir rona shuru...agar koi task rone ka bhi hota toh tum sabse aage hote BRAWNY...

pathetic.....kya tumhe zara sa bhi andaza hai ki apne saath you are also degrading your parents..

mujhe nahi lagta ki abhi tak tumhare parents PHASE ghumne nikle hain kyunki agar aisa hua hota toh fir STELLARS aur PHASE 3 SAVENTS unki aisi haalat karte ki they would have died facing that humiliation...

itni khubsoorat jagah hai ye PHASE 2..kitna kuch hai yahan explore karne ke liye...

jaakar dekho STELLARS ko,even GROOMERS ko..

kaise wo apne parents ko yahan ki duniya dikhate hain aur enjoy karwate hain..

khud ko lagatar excel karwakar ek waaris hone ka,bete aur beti hone ka pura farz nibha rahe hain..

aur tum kya kar rahe ho...???kuch nahi..kuch bhi nahi....tum pehle aise SAVENT ho jiske mom dad hone ke baad bhi ek lawaris jaise hi ho...

par in saari baaton se tumhe kya fark padhta hai...???universe ke sabse bade INSTITUTION ka bhaag banane ka mouka mila tumhe...

GOD GIFTED hone ka khitab bhi mila hai tumhe but what have you done with that quality...nothing....

you know what, nothing has made you his twin...and now you are also a BIG GOOD FOR NOTHING... congrats for this marvelous achievement BRAWNY...


ek ek shabd jo HIDA ne kahe the,khaas kar uske mom dad se related,unhe sun andar hi andar toot sa gaya tha BRAWNY....

bhale hi uski saansein chal rahi thi,par he was feeling himself as dead....

wahin class ka waqt pura hone ko tha isiliye...


HIDA-waise toh kuch minutes baaki hain par hona toh tumse kuch hai nahi...

apne worthless emotions ko khudme lapet baithe rahoge tum...

isiliye jaaiye ghar aur apne mom ke aanchal me khudko samet apna dhukhda royiye....aur kuch toh hoga nahi tumse...


SAVENT toh tum bure ho hi,par ab toh lagta hai ki you dont even have a man's balls...so, with that first man's vagina you are hiding, get lost....


aur rooka nahi gaya BRAWNY se isiliye wo turant utha aur sharm aur khud par ho rahe dhikkar ko feel karte hue ghar ki taraf nikal gaya...

wahi uske jaate hi HIDA ka wo sakht chehra jo ab tak usne banaya hua tha,wo soft hone laga aur agle hi par usme aansu aa gaye....

reason....

wo aakhri shart toh yaad hogi RAAZ ki jo bachi hui thi..

jo wo usse aaj batane waala tha..yahi thi wo shart...to constantly humiliate BRAWNY...

class aane se pehle mulakat hui thi uski HIDA se aur tab jab HIDA ne RAAZ ki ye shart suni toh usse behad bura laga tha par wo kar bhi kya sakti thi..

ek toh usne RAAZ ki har sharth maanane ke liye pehle hi waada kiya hua tha aur uske upar,usse lag raha tha ki she even owes her life to RAAZ...

isiliye mana kar wo sakti thi nahi...ek hard heart se usne RAAZ ki aakhri shart maani aur result,jo abhi hua...

khair, BRAWNY ke jaane ke baad kuch der tak HIDA aansu bahati rahi par phir...


BRAWNY-i am sorry BRAWNY...mere paas RAAZ ki baat manane ke alawa aur koi option nahi tha...

mai jaanti hun ki meri baat sun tum hurt hue ho..bohot hurt..par mai ye bhi jaanti hun ki bhale hi RAAZ ne mujhe tumhe humiliate karne ka reason nahi bataya par wo jo bhi reason hoga,it will only benifit you...






PLACE- GROOMERS STAY:-




KNOCK KNOCK KNOCK.......


IS WAQT KAUN AAYA HOGA...???



mere flat ke front door par hui thi ye knock jisse sun mere saamne baithe ACHHUTA ne kiya ye sawal jispar...


SLUNDER-DOOR KHOLEGA TOH APNE AAP PATA CHAL JAAYEGA....

ACCHUTA-accha...!!!mai kyun kholun....!!!!tu khol....

SLUNDER-tera door se distance mere distance se kam hai, isiliye tu khol...

ACCHUTA-haan beta,100 kms door baitha hai tu toh, kyun...????


in dono ke bakwas ke beech ek baar aur knock ho chuki thi door par jisse unsuna kar ye apne hi faaltu ki behes me lage hue the aur isiliye mai hi apne bed se uthne ko hua jisse ACCHUTA aur SLUNDER,dono ne hi dekh liya aur isiliye...


ACCHUTA-abbe tu kahan uth raha hai...???tere wounds abhi bhi bhare nahi hai...

rook,mai kholta hun door....

ye bol ACCHUTA turant mere bedroom sw bahar nikla...

aaj demonstration me jo mujhe chot aayi thi,meri body par cuts hue the,chillan hui thi,usse uth rahe dard se toh kaadhe ne nijaat dila diya tha,par wounds itne zyada the ki strap tapes bhi puri tarah asar nahi kar paaye the..

abhi bhi kaafi cuts aur wounds baaki the...yahi wajah thi ki INSTITUTION se aane ke baad se hi ACCHUTA aur SLUNDER mere room me hi dera daale baithe hue the...

khair,jab ACCHUTA ne door khola toh saamne khade logon ko dekh thoda hairan hua...

is waqt ACCHUTA ke saamne FLORIN, MARIA aur unke saath MABEL, ALFREEN aur MAHI khade the....

aaj INSTITUTION me jo hua,uske baare me apne ABODE pahunch ALFREEN ne FLORIN aur MARIA ko bata diya tha par jahan ALFREEN RAAZ ki achievement batana chah rahi thi,wahin FLORIN aur MARIA ko us achievement ke beech ka wo segment,jisme RAAZ ke body ko hui damage ke baare me bataya tha ALFREEN ne,wo dono wahin stuck ho gaye the aur yahi reason tha unke yahan aane ka..

ALFREEN aur uske saath MABEL bhi unke saath ho li thi aur in sabke saath MAHI jo wakayi aaj RAAZ ne jo kiya tha,usse impressed thi,wo bhi in sabke saath yahan aayi thi....

wahin in sabko dekh....


ACCHUTA-arre aap sab,yahan...!!!

FLORIN-ye RAAZ ka hi apartment hai naa...!!!

ACCHUTA-yes uncle...wo andar room me hai...

MARIA-kya hum andar aa sakte hain...???

ACCHUTA-oh,sorry aunty....of course,aayiye naa, please.....


ek side haththe hue ACCHUTA ne ye baat kahi jiske baad wo sab apartment ke andar aa gaye...

unhe guide karta hua ACCHUTA RAAZ ke room ki taraf chal pada...

is beech jahan ek taraf GROOMERS kaise rehte hain,ye dekh rahe the teeno ladkiyan wahin dusri taraf MARIA aur FLORIN ye soch kar khush aur santusht the ki RAAZ ki life style thik ho chuki hai..

kyunki pehle jab wo ek WEAKLING tha,toh uske life style ke baare me apne ELUSORY se jaankar bohot dukhi hue the wo dono....

khair,gallery aur fir hall se hote hue jab wo sab pahunche mere room me jahan mai is waqt leta hua tha...

mere haath aur chehre halke laal aur foole dikh rahe the aur har jagah strap tapes abhi bhi lage hue the jisse dekh....


sabko dekh mai bhi uth kar baith gaya aur mujhe aisa karte dekh..


MARIA-arre arre,lete raho beta....

MAI-i am good aunty....

FLORIN-good kyun nahi hoge,itne strong jo ho...


FLORIN jaante the ki RAAZ ko pyar jatana bhi sympathy jaisa lagta hai isiliye unhone ye baat kahi thi..

par ek aadmi ke dil aur aurat ke dil me fark hota hai..jahan pyar hai,fikr hai,us feeling ko ek banda bhale hi daba de par ek aurat....!!!usse naa ho payega...aur isiliye....


MARIA-what strong..!!!aisi strongness ka kya faayda jo aisi haalat ho jaaye....!!!!


MARIA ki baat sun mai bas muskura diya.....


ALFREEN-waise RAAZ,manana padega..aaj jo tumne kiya hai, that's commendable...

MABEL-haan yaar,bhale hi MABBA hamari WHIZZ hai,par jaisa behavior aaj unhone dikhaya wo bhi ek SAVENT ke liye,thats was so not right....

par you didn't backoff...aur finally you became victorious....

MAI-thats all i know...winning...


bina kisi show off ke normal way me hi kahi maine ye baat jispar wo sabhi has diye...


MAHI-aaj ke performance ke liye congrats RAAZ...you were really good...

MAI-tell me something i don't know....


jahan meri baat sun baaki sabhi ek baar firse has diye wahin MAHI ne ghoor kar dekha mujhe...


MARIA-ok enough now...now healing time... ELUSORY.....


MARIA ke pukarte hi unka ELUSORY hamare beech prakat hua jisse dekh...


ACCHUTA-oye teri.....ye kya item hai...!!!


ELUSORY ko dekh hadbade hue kahi thi ye baat ACCHUTA ne jisse sun sab has diye aur...


FLORIN-ye ELUSORY hai..har STELLAR ko milta hai ye...ye saare odd jobs karta hai STELLARS ke...

MAI-par ye yahan kyun hai..???

FLORIN-tumhe completely heal karne ke liye....

MAI-nahi uncle..i dont need it..aapko pata hai i dont like favours...

ALFREEN-and why do you think ki ye koi favour hai...tumhari aaj ki achievement ki wajah se ye ek consolation prize ki tarah hai aur ye hum nahi de rahe hain,its SOVEREIGN SHAILA'S order....

unhone kaha hai tumhe STELLARS treatment dene ke liye aur STELLARS se behtar perform kiya hai tumne aaj toh logically bhi dekhen toh it's a fair deal...


ALFREEN ki baat ke baad maine kuch nahi kaha jisse postive lete hue FLORIN ne apne ELUSORY ko mujhe heal karne ko kaha jiske baad...


ELUSORY-aap sab side hath jaaiye..


ELUSORY ki baat maante hue jab sabhi log side hue toh usne apna haath aage kiya aur uske aisa karte hi mere saamne ek portable HEALING COMPARTMENT ban gaya.

portable isiliye kyunki ye normal size se chota tha jisme ek time me ek hi banda ghus sakta tha..

khair,us compartment ke aate hi...


ELUSORY-aayiye RAAZ... compartment ke andar bane bed par let jaayiye...


ELUSORY ki baat sun mai dheere se utha aur aisa karte waqt mere wounds streched hue jisse ubhre aur expressions dekh MARIA aur FLORIN mere pain ko bhaamp gaye aur isiliye out of care wo dono turant aage aaye aur mujhe ek ek side se pakad liya par unke aisa karte hi..

ek zor ka jhatka laga mujhe apne andar....us jhatke me ek aisa pain tha jo ab tak mujhe mile saare pain se zyada tha...

wahin itna strong pain receive karne ke baad bhi kyunki wahan itne log the,maine us tagde jhatke ko jeetna ho saka zabt kiya...

bas halki si hi kampan hui meri body me jo FLORIN aur MARIA ko normal hi lagi..unhe ya kisiko bhi andaza nahi tha ki andar hi andar meri haalat behad kharab ho chuki thi...

ek point se utha wo pain puri body me ghumne laga tha jisse bohot mushkil se zabt kiya mai aage badha aur us compartment ke andar ghus bed par let gaya aur aisa hote hi...


ELUSORY-RAAZ....aapko intensive wounds hue hain..yahi wajah hai ki strap tapes se bhi aap puri tarah heal nahi hue...

aapke ye wounds healing rays se thik ho jaayenge par isme thoda time lagega aur saath hi aapko thoda pain bhi hoga...


thoda pain..!!!pain ke samandar me dooba hua tha mai is waqt toh aise me thoda pain us samandar me daale ek lote paani ki tarah hi tha...


MAI-shuru karo....

ELUSORY-aap sab bahar jaaiye..is process me ek pressure release hota hai jisse FLORIN sir, MARIA ma'am,aap dono ki body jhel nahi paayegi...


ACCHUTA-par hum toh rook sakte hain naa...

MAI-no need..tum log bhi bahar jaao....


sabko maalum tha ki mujhse behes karke koi faayda toh tha nahi isiliye ek ek kar wo sabhi bahar chale gaye..

wahin un sabke jaate hi meri lower me jo maine kaadhe ki teen shishiyan rakhi thi,unme se ek nikalkar maine pee li,par jahan mere aisa karne ke baad hamesha pain par turant asar hota tha, wahin aaj aisa nahi hua..

pain thoda sa hi kam hua tha par ab bhi kaafi pain feel kar raha tha mai aur isiliye ek ke baad ek maine baaki ke dono sheeshiyan bhi khaali kar di jiske baad meri pain kaafi kam ho gayi par khatm ab bhi nahi hui thi...

wahin ab healing rays bhi nikalni shuru ho chuki thi jiske baad mere sharir ka har wo part jisme wound tha,wahan pain hone laga jisse aankh band kar mai zabt karne laga..

ye process kuch 30 minutes ka tha...mujhe chupchaap lete kuch 15 minutes ho chuke the..ab tak 50 percent of my wounds theek bhi ho chuke the...

mujhe thoda relax feel hona shuru hua hi tha ki tabhi mere room ka door knob ghuma aur koi andar aaya...

ye aur koi nahi thi MAHI jo mere saamne compartment ke bahar aakar khadi ho gayi aur...


MAHI-feeling better RAAZ....!!!

MAI-come to the point MAHI...jab se yahan aayi ho,tumhari aankhon me sawal tair rahe hain....pucho,kya puchna hai...


bina uski taraf dekhe aankhen band kiye kahi ye baat maine jispar...


MAHI-kamal hai..aankhen padhne ka hunar bhi hai tumme,par logon ki bhaavnaayen,unhe padhna,samajhna,samman karna,nahi sikh paaye tum...

sawal bhi mera yahi hai..aakhir ho kaun tum...??sacchayi kya hai tumhari..???ye jo abhi dikh raha hai yaa fir wo jo BRAWNY ke saamne dikha tha....

us maasoom ladke ko kyun maara tha tumne???wo bhi itni buri tarah....

aaj tumhari performance dekhkar mere andar respect jaagni chahiye tumhare liye par aisa ho nahi paa raha hai...

sirf tumhare us din dikhaye ghatiya ATTITUDE ki wajah se...

why RAAZ...???why...???tumhe beta maante hain FLORIN uncle aur MARIA aunty...??kaisa lagega unhe tumhari asliyat jaankar....???

don't you think and realize ki tumhe khudko change karna chahiye...

MAI-and dont you think ki galat jagah pahunch chuki ho tum....

EARTH par hi itne saare motivational blog writings ke sites hain,channels hain jahan apni is unmatchable bullshit talks ko bech you would have earned a lot of bucks...

MAHI-man,i was right...!!tum ek complete fake bande ho jo bas dikhane ke liye uncle aunty ke saamne acha behave karta hai...

you are a disgusting human being RAAZ....


mera healing process khatm ho chuka tha.. isiliye us compartment se bahar nikal mai MAHI ke saamne khada hua aur...


MAI-hmm....ek baat batao,kya uncle aunty ko tumne bataya hai ki ye saari baatein bolne ke liye tum yahan unke saath aayi thi..!!!!

nahi naa...and you say i am fake....i am what i am..and i without shame except myself...

par tum nahi kar paaogi ye...jaanti ho kyun, parameters...

wo parameters,jo tumne sahi aur galat ko taulne ke liye apne andar banaye hue hain...proof dun???

try and HIT me.....


mere achanak kahe is baat ko sun hadbada gayi MAHI aur...


MAHI-WHAT...????


MAI-you heard me...hit me... pure focus ke saath dheere se hi sahi,hit me...


meri baat sun ek baar mujhe ghur MAHI ne turant puri speed se mere chest ki aim lete hue apne palm ko aage kiya aur tabhi..

fraction of a second se bhi kam waqt me mai turant side hata..itna hi nahi,jab tak MAHI ka haath neeche aata,mai uske piche pahunch chuka tha aur mere haathon ne usse piche se jakad liya tha..

meri speed aur focus se hairan ho gayi thi MAHI...uska palm bohot tezi se meri taraf aaya tha par jis tarah se maine usse dodge diya aur uske piche pahuncha,wo uske liye behad hairani ki baat thi...


chaliye aage badhne se pehle bata deta hun ki maine ye kaise kiya..??

wo book toh yaad hi hogi aapko jisse maine library se uthaya the..THE TRICKS...

us book me combat technique ke shortcuts likhe the..us book ke ek part me likha tha ki attack se pehle aankhen hi ek aisi cheez hai jo halki si move karti hai..

aur agar us movement ko catch kar liya jaaye toh har attack se bacha jaa sakta hai..bas wahi technique apnayi thi maine jo successful bhi hui...

khair, jaise hi maine MAHI ko piche se jakda toh...


MAHI-what the fuck..!!!! leave me RAAZ....agar tumhari taakat ke upar maine taakat lagayi toh ek power wave niklega jisse door toot jaayega..

sab moujud hain yahan and i dont wanna create a scene here....


MAHI ki baat khatm hote hote hi chhod diya tha maine usse jiske baad wo meri taraf palat mujhe ghurne lagi jispar..


MAI-so the bottom line is this, ho sakta hai ki mai jaisa ki tumne kaha,ek disgusting human being hun, par tum..???

you are a disgust to human form... you are just a baby girl jo bas sahi galat ka rona roti rehti hai....

8 percent AMPLIFICATION ke saath pichle PHASE ki best SAVENT thi tum.

aur abhi jo hua,usse kya saabit hota hai, ab kahan ho tum...???kahin nahi...

ek saying hai ki when the going gets tough,the tough gets going....

mai is saying ka jeeta jaagta saboot hun aur tum complete opposite...

MAHI-haarne se naa mai shame feal karti hun aur naahi ghabrati hun...

i love being defeated kyunki aisa hone par i get a chance to defeat the person who dared to defeat me...

aur tumhari aaj ki jeet se mai wakayi khush thi,infact hun..bura mujhe bas ye soch kar lagta hai ki itne talent aur strong will power waale bande ka ATTITUDE utna hi galat hai..

and trust me,tumhara ye ATTITUDE tumhari sabse badi haar ka kaaran ban jaayega...

isiliye waqt hai,badal lo apne aap ko...


apni baat keh MAHI palti aur room se bahar jaane lagi par door tak pahunch wo wapas palti aur...


MAHI-jaise tum ho,agar waise nahi hote,toh hum DOST HOTE...


ye bol MAHI room se nikal gayi wahin uske jaate hi...


MAI-jaisa mai hun,agar waisa nahi hota toh mera WAJOOD hi nahi hota....





PLACE-CHOSENS LIBRARY




VIPARALTAGATI.........

VIPARALTAGATI..........

VILARALTAGATI.........

INVERSE EFFECT.....



aadhi raat ka waqt hai.. library ke beech jagah bana paalthi maar ek circle me baithe hain is waqt VIDEOUS ke teeno DEVOTEES...

jahan unse door chair par baitha hua tha VIDEOUS wahin un teeno DEVOTEES ke beech us library ki kaafi books rakhi hui thi jiski taraf apne dono haath kar wo teeno DEVOTEES VILARALTAGATI spell ko lagatar uccharit kar rahe the....

unke waisa karne se un teeno ke haathon se kaali urja ki ek moti si parat nikal un saare books par padh rahi thi....

kaafi der se kar rahe the wo teeno ye process jo ab finally khatm hua aur aisa hote hi....


1ST- kaam ho gaya LORD.....in saare books me likhe tarike aur SPELLS me BLACK ENERGY ki shakti ko merge kar diya hai humne...

but kya hum is layak hain ki aap humne jo kiya hai,uska reason hume bata saken...!!!


bohot naap taul kar kahi apni baat pehle DEVOTEE ne jispar pehle toh VIDEOUS muskuraya aur phir...


VIDEOUS-kaam tum teeno ne kiya hai..janane ka hakh kamaya hai tumne...

ye sab MAHI ke liye hai....mai uski soch ko sirf un kaamo par hi divert kar sakta hun jo bhale hi usse physically sabse alag karega,par mentally nahi...

baahar se,she is impenetrable...but what cannot be holed from outside,has to be penetrated from inside...

ye saari wo books hain jinhe MAHI practice karne waali hai..aur ab tum teeno ke bole SPELLS aur uske effect ki wajah se inme likhi saare metaphisycal methods dark hokar CURSED ho chuke hain..

jo bhi inhe practice karega,inhe bolega,ye methods us bolne waale ke mooh se hote hue uske chaaron enhancement metaphysical modes
ko modify kar denge...

BLACK ENERGY ke milawat ki wajah se SPELLS aur methods ka asar toh zyada hoga hi,par saath hi aisa karne me thought proccess bhi hinder honge...

will power jitna bhi strong kyun naa ho,wo tab bhi change hone se nahi rok paayega MAHI ka ATTITUDE...


VIDEOUS ki baat sun uske teeno DEVOTEES ke man me uske liye ek hi shabd gunja, GENIUS.....

aur ye sach bhi tha...MAHI ko read naa kar paana,uske ATTITUDE tak ko nahi dagmaga paana,ye bohot badi baat thi VIDEOUS ke liye par ab jo usne kiya tha,usse khel ka ye bhaag uski taraf hone waala tha jo shayad RAAZ ke baad uski sabse badi chunouti bhi thi...

khair, VIDEOUS ke revelation ke baad DEVOTEES ne saare books unki sahi jagah par rakh diye aur aisa karne ke baad in teeno ne pehle VIDEOUS ko uske ABODE antardhyan kiya aur fir apni raah nikal gaye..

wahin ABODE pahunchne ke baad ek vijayi smile thi VIDEOUS ke chehre par aur fir khuli uski zubaan....


VIDEOUS-tujhe banane waale ne socha tha ki.....


wo tere saare RAAZ CHHUPAYEGA....

is kahani ko mujhse door LEKAR JAAYEGA...

par ho nahi sakta aisa,

kyunki tera khudka wajood ab tujhe
TADPAAYEGA....

tujhe tera har sach,ye VIDEOUS
apne tarike se DIKHAYEGA.....










AAJ KE LIYE ITNA HI.....

 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF RAAZ KI SHARTH KI WAJAH SE HIDA BHI BRAWNY KI INSULT KARTI HAI,DUSRI TARAF RAAZ AUR MAHI KE BEECH FIRSE BEHES HO JAATI HAI WAHIN TEESRI TARAF VIDEOUS NE MAHI KE MAN KO CORRUPT KARNE KE LIYE LIBRARY KI BOOKS KO CURSED KARWA DIYA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-78



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S





AB JAANE BHI DO MABBA...TUM BINA WAJAH HYPER HO RAHI HO....

HAAN MABBA...AAJ CLASS ME BHI TUM CONCENTRATE NAHI KAR PAA RAHI THI...

JUST LEAVE IT.....


ye saari baatein kahin thi SAPIUS aur REGIS ne MABBA ko jiske chehre par ghussa saaf dikh raha tha....

aaj ka class off ho chuka hai...class chalne ke pure douran MABBA ke chehre par negetivity saaf dekhi jaa sakti thi...

SAPIUS aur REGIS,dono ko hi is negetivity ka reason maalum tha..RAAZ....

aur isiliye hi ye saari baatien in dono ne kahi jispar..


MABBA-i am not gonna leave anything.. MABBA hun mai,no one talks shit to me and survives...

aisi haalat karungi us RAAZ ki that nobody will ever dare to challenge me again....


apne jabdon ko bheenche ye saari baat gurrayi MABBA ne jisse sun...


SAPIUS-MABBA...challenge usne nahi tumne usse diya tha..aur wo bhi ek nahi do,do..

aur usne un dono challenges me excel kiya..

as a WHIZZ,you should be proud of what he did...

MABBA-ofcourse i am proud..very proud....aur usse uski achievement ka reward bhi milega...

i am going to show him hell without letting him die...


SAPIUS aur REGIS,dono ko hi pata tha ki MABBA apni galti toh maanegi nahi...

wo apni galti ko ghuma sab kuch RAAZ par hi daalegi aur usse bewajah punish karegi.....

par wo dono aisa chahte nahi the isiliye...


REGIS-look MABBA..tum ab koi SAVENT nahi ho jo kisi SAVENT se bhid jaao..you are a WHIZZ...

and that to of STELLARS...you should atleast care about your reputation...

MABBA-mai STELLARS se nahi, STELLARS mujhse hai..

ye mat bhulo ki mai apni batch ki topmost SAVENT thi...

aur jitni shakti mere paas hai,utne me tum dono milkar bhi mujhe takkar nahi de sakte...

aur rahi baat mere ek WHIZZ hokar SAVENT ko punish karne ki toh you both dont have to worry about that...

kyunki us RAAZ ko punish mai nahi karungi,ye sab karenge...


aage ki taraf ishara karte hue kahi ye baat MABBA ne jisse sun jab SAPIUS aur REGIS ne saamne dekha toh wo dono shock bhi hue aur RAAZ ke liye unki fikr badh bhi gayi...

reason...

saamne se aa rahe the ANWIR,MORANA and group...

SAPIUS aur REGIS, dono hi ye jaante the ki ANWIR aur MORANA MABBA ke advanced version hai...

un dono ki soch MABBA se kaafi milti julti hai,khaas kar ANWIR ki...

wo dono samajh gaye ki MABBA ANWIR aur MORANA ke zariye RAAZ ko chot pahunchana chahti hai aur saath hi unhe ye bhi pata tha ki wo dono aisa hone dene se rok nahi paayenge..

aur in saari baaton ko samajh ab SAPIUS aur REGIS ko MABBA par ghussa aa gaya aur...


SAPIUS-you know what MABBA...jaante hain hum ki karogi toh tum apne man ki hi..bhale hi wo karm kitna hi galat kyun naa ho.

par normally ye sab jaan jitna bura mujhe lagna chahiye,utna lag nahi raha..

aur jaanti ho kyun..??ussi SAVENT RAAZ ki wajah se...

jo kal usne kiya,waisa pehle kabhi kisine nahi kiya tha..not even you...

uske jitna focus maine kisibhi SAVENT me pehle nahi dekha hai...

REGIS-bang on SAPIUS..aur kal task pura karne ke baad,last me jab wo hadh se zyada pain me tha, behosh hone waala tha,tab bhi uski aankhon me waisa hi confidence tha jaise task se pehle dikh raha tha...

ek hi baar aamna saamna hua hai mera us SAVENT se,par itna samajh gaya hun mai ki he is the last person anybody should mess with...

abhi jab is metaphisycal duniya me apni journey ki bas shuruat hi ki hai usne,itne kam waqt me usne apni capability ka jo namuna dikhaya hai,one could only imagine ki aage kaisa banega wo...!!!

ho sakta hai ki tum in sabke zariye usse abhi taklif pahuncha do, but wo taklif bas us ball ki tarah hogi jisse diwar par ek force ke saath pheka jaata hai...

aur us diwar se takrane ke baad wo ball double force se wapas bhi aati hai...

isiliye jo bhi karna,us double force ko dhyan me rakh kar karna..jo bhale hi tum turant feel nahi karogi,par kabhi na kabhi karogi zaroor..


SAPIUS aur REGIS ki baat sun inhe ghoor..


MABBA-are you two trying to threaten me...???woh bhi ek GROOMER SAVENT se...

SAPIUS-GROOMER..!!!?yesterday,he was better than every STELLAR....

aur threatening kya hoti hai, time will tell you..tab tak you enjoy..


ANWIR and group ab tak paas aa chuke the in teeno ke isiliye apni baat kehne ke baad SAPIUS aur REGIS rooke nahi aur dusri disha ki taraf badh gaye..

wahin SAPIUS aur REGIS ko jaate dekhte hue ANWIR, MORANA aur un dono ke friends saamne pahunch gaye MABBA ke aur...


ANWIR/MORANA-good afternoon WHIZZ..


ANWIR aur MORANA ke baad uske doston ne bhi MABBA ko greet kiya jiske baad..


MORANA-ye dono WHIZZDERS ko kya hua,chehron me inke rudeness dekhi maine.. fight hui kya aap teeno ki...???

ANWIR-fight barabar waalon me hoti hai MORANA...aur ye dono kahin se bhi hamari WHIZZ MABBA ke aas paas bhi nahi hain...


ANWIR ki baat par muskura uthi MABBA aur...


MABBA-thik waise hi jaise koi bhi SAVENT tumhare match ka nahi hai...

ANWIR-wo toh hai and thanks to your training..aapne out of the box jaakar meri aur MORANA ki capabilities ko badhane ke liye apna kaafi time diya tha last PHASE me...we owe you for that..

MABBA-wo isiliye kyunki mujhe tum dono me mera aks dikha tha.

meri qualities dikhi thi...completely self centered and greed for power....

aur jahan tak baat tumahare owe ki hai toh mera ek kaam karo..the owe thing will vanish...

ANWIR-bataiye....

MABBA-GROOMERS ka ek SAVENT hai...RAAZ....

ANWIR-that looser...kya kya usne...???


jahan RAAZ ka naam sunte hi ANWIR ke mooh se ye nikla wahin MORANA bhi is naam ko sun chownki thi...


MABBA-u know him....

ANWIR-haan,kuch dino pehle achi sutayi ki thi maine uski...

MORANA-what...???


MABBA se pehle MORANA ka reaction aaya jisse dekh pehle toh ANWIR muskuraya aur fir..


ANWIR-you heard me... tumhare new crush ko khub pela tha maine...any problem...???

MORANA-pehle ye batao ki didn't he retaliate...??usne fight back kiya and was he a competition....

ANWIR-competition my ass....sirf peeta hai wo mujhse....wo bhi behosh hote tak... INSTITUTION ki baat naa hoti toh i would have killed him...

MORANA-then why would i care...mujhe toh uski personality dekhkar laga tha ki he is different..strong hai jo is PHASE me bohot kuch achieve karega..

par agar wo ek looser hai then woh jiye yaa mare,i don't give a shit...

MABBA jo ANWIR ki baat bade dhyan se sun rahi thi, MORANA ki baat khatm hote hi...


MABBA-i want you ki jo tumne kiya, repeat that...par is baar with BLACK ENERGY....

uske sharir ke har ang ko todkar usme complete disability trigger karne waale dark spells uccharit karna hai tumhe taaki kisi bhi tarah se uska ilaaj possible naa ho..

wo marega toh nahi par zinda bhi kisi laash ki tarah hi rahega...

ANWIR-pata hai WHIZZ,mai kabse kisi human par wo saare dark spells jo is PHASE me hum sikh rahe hain, istemal karna chahta tha and thanks to you,ab mai ye kar paaunga...

MABBA-par ye kaam open me nahi kar sakte tum...koi aisi jagah dhundni hogi jahan ye kaam asaani se ho jaaye aur koi problem naa ho..

MORANA-pehle problem ho sakti thi par is baar toh correct opportunity khudbakhud mil gay hai..

MABBA-matlab....

ANWIR-matlab is baar PHASE 2 me ek extra syllabus jo juda hai... FORBIDDEN FOREST ka jisme SAVENTS ko 2 din aur 2 raat tak ussi forest me rehna hai..

wahan RAAZ ka kaam araam se without disturbance ho jaayega...

MORANA--aur ab sirf do hafte hi bache hain wahan jaane ke liye...


ANWIR aur MORANA ki baat sunkar muskura uthi MABBA... timing wakayi sahi thi uske kaam ko anjaan dene ke liye....


MABBA-cool..2 weeks then....aur haan, ek baad yaad rakhna..make sure,he suffers...

ANWIR-oh don't u worry about that WHIZZ..dard ko bhi itna dard nahi hota hoga,jitna dard hum denge usse...

right guyzzzzz..

SAB-rightttt......

ANWIR-ok WHIZZ..we will take your leave now...


ye bol ANWIR and party chali gayi aur unke jaane ke baad...


MABBA-you shouldn't have messed with me RAAZ....hasti mita dungi teri mai... kuch din jee le araam se,apni jhuti akad ke saath..

fir toh sharir ke saath tere ghamand ko bhi toot hi jaana hai...






PLACE-GROOMER'S STAY





WELCOME RAAZ...AAO BAITHO....KYA LOGE TUM....???


apne flat me mujhe greet karte hue kahi ye saari baat HIDA ne jispar...


MAI- terrace chalien....


jahan ye bol mai wapas muda aur stairs ki taraf chal pada wahin HIDA bhi turant mere piche ho li....

raat ka waqt hai abhi...

aaj INSTITUTION me class ke waqt maine apne REFINER ki power ko badhane ka proccess bilkul try nahi kiya tha...

waise toh pain aur wounds,dono hi gayab ho chuke the mere par REFINER ki shamata ko badhane ka mera agla padhaw kitna mushkil tha,iske andaza toh aap sabko mere SHAILA se kiye baat chit se pata chal hi gaya hoga...

aur isiliye bina kisi strong support ke mai is proccess ko aage nahi badha sakta tha....

aur wo support thi HIDA...matlab uski wo shakti jispar waise toh mera bhi adhikar tha par kyunki wo shakti bhi ek alag hi GOD GIFT thi aur saath hi uska full potential GOD LEVEL ka tha isiliye ab uska wo bhaag jo maine HIDA se khudke liye liya tha,wo mere ALOUKIK shaktiyon ke saath merge ho chuka tha aur isiliye bina mere aloukik shaktiyon ke baahar nikle mai us shakti ko use me nahi laa sakta tha...

par ek tarika aur tha aur wo tarika thi khud HIDA....uski shakti ka adha bhaag joki uske andar active ho chuka tha,uska AURA ek maatra aisi shakti thi jo meri FIRST REFINER ke complete power ko activate karne me kaam aa sakti thi...

yahi wajah thi ki class ke baad mai HIDA se mila aur usse pucha ki uski training dekhne mai uske ghar aana chahta hun jispar wo khushi khushi maan gayi, result,mera yahan hona....

khair,hum HIDA ki apartment ke terrace par pahunch chuke the aur isiliye....


MAI-practice kaise karti ho tum....????

HIDA-mai apne CEREBRATION process ko pause kar jo bhi dil kare us meta physical activity ko apne SHAKTI ke saath jod kar try karti hun...

MAI-result....????

HIDA-sudhar aa raha hai dheere dheere..waise bhi abhi toh 2 din hi hue hain...

MAI-tum bhul rahi ho ki jaise tumhara 4 percent AMPLIFICATION baakiyon ke 8 percent ke barabar hai thik waise hi tumhare 2 din ki practice baakiyon ke 2 mahino ke barabar hai..

aur ye bhi sirf tab jab tum apne potential ke half shakti ko use me laaogi..puri potential kya kar sakti hai,ye tum imagine bhi nahi kar sakti..

apne half potential ke saath apne se double AMPLIFIED bande se takkar le sakti ho tum,par agar tumne apne full potential ko use me laana sikh liya toh abhi jitni AMPLIFIED ho tum,bas itne me hi kisi 15 percent AMPLIFICATION waale bande ko aggressive attacks me hara dogi aur defensive me toh ek 25 percent AMPLIFICATION holder bhi tumhara kuch nahi bidag sakta....

par ye sab tab hoga jab tum apni potential ko naa sirf pehchanogi balki usse use me laaogi..

aur aisa karne ke liye right procedure zaroori hai jo tum kar nahi nahi ho...

tumhe apne CEREBRATION ko pause karne ke baad kisi metaphisycal activity ko trgger karne ke baare me sochne ki zaroorat hai hi nahi,balki bas apne SHAKTI ko apne antarman se jodna hai...

tumhare aisa karte hi tumhare BRAIN me tumhe har wo activity dikhne lagegi jiske baare me tumne kabhi bhi padha hai yaa fir dekha hai..

tum unme se jo chaho,us metaphysical activitiy ko chun sakti ho..aisa karte hi wo activitiy tumhare soul aur shakti ke saath milkar active ho jaayegi...

HIDA-really...itna asaan hai...

MAI-jitni mushkilen jhelni thi,ab tak ki life me jhel chuki ho tum....

fir bhi,asaan activity ko select karna bhar hai..mushkil hai apni Shakti ko apne antaman se attach karna...

isiliye pura focus sirf us kriya par hi rakhna..shuru karo...


mere bolte hi HIDA neeche baith gayi jiske agle hi pal uska CEREBRATION process paused ho chuka tha...

wahin HIDA ke baad mai bhi theek uske saamne baitha aur aisa karne ke baad mera CEREBRATION process bhi paused ho chuka tha...

apne averege REFINER ko yaad kiya maine aur....


RADVAYA AURAVA

RUB OFF THE AURA


saamne waale ke body se nikalne waale AURA ko use me laane wala SPELL tha ye....

library se us din THE TRICKS naam ki book ki tarah THE EXTREME SPELLS naam ki ek aur book bhi li thi maine aur ussi book me tha ye khatarnaak spell jisse abhi abhi maine uccharit kiya tha...

khatarnaak ye mere liye tha aur wo isiliye kyunki isse uccharit kar sahi se bina kisi problem kaam me laane ke liye uske user ka REFINER complete power tak activate ho jaana chahiye aur else iske asar se iske user ke body galni shuru jo jaati hai....

par mera REFINER toh sirf average power tak hi activate tha uske baawjud maine is SPELL ko bola tha..

reason...

aur koi choice nahi thi mere paas....
HIDA ke proccess shuru karte hi uski hidden shakti se bana AURA uske puri body ke outer layer ko cover karta tha aur ussiki zaroorat thi mujhe....

par jab zaroorat aukad se bahar ho toh consequences bhi taiyar rehte hain apna asar dikhane ke liye aur mere saath bhi kuch aisa hi hua..

SPELL bolte hi ek saath dohri maar padi mujhe..andar se bhi aur bahar se bhi...

SPELL bolte hi jahan ek taraf mere andar mera REFINER vibrate hone aur aisa hote hi mere pure anduri bhaag dheere dheere squash hone lage wahin dusri taraf HIDA ke body se nikalne waala uski shakti se bana AURA bhi usse nikal meri body ko touch ho gaya jiski wajah se meri puri body me tez current lagne laga...

mai baithe baithe hi niche ludakh gaya..mere honthon ke side se khoon nikalne laga tha..

puri body aise jhatka khaa rahi thi thi maano jhanjhorte hue mujhse mere is stupidity ka reason puch rahi ho...

wo AURA mere body ke andar ghusna chah raha tha aur mera REFINER apne full potential me naa hone ki wajah se usse aisa karne nahi de raha tha...

push karne ki ek jung si chhidi thi us AURA aur mere REFINER ke beech jisme pis raha tha mai...

aur phir, shuru hua wo proccess jo user ke ineligible hone par shuru hota hai..

meri body parts dheele hone lage jiska matlab tha ki meri body ka galna shuru hone waala hai..

kuch pal aur,fir meri kahani ko khatm ho jaana tha...

taklif ab itne badh chuki thi ki ab aankhen bhi pathrane lagi thi...

wahin in sabse bekhabar HIDA apne kriya me lagi hui thi...

meri pathrili aakhen bojhil ho band hone waali thi aur agar aisa ho jaata toh fir in aankhon ko kabhi khulna nahi tha....

aur shayad aisa ho hi jaana tha par tabhi...

HIDA ki abhi ke liye kriya puri ho gayi aur aisa hote hi usne apni aankhen khol di par jab usne meri haalat dekhi toh hadbada si gayi aur..


HIDA-RAAZZZZ...


mera naam zor se pukar HIDA ka haath jisme ab bhi uski shakti doud rahi thi,wo mujhe chhune ke liye aage badha aur jaise hi usne mujhe chhua toh...


HHHHHH.......


ek aur jhatka laga mujhe..par ye jhatka waisa hi tha jaisa band ho chuke heart ko wapas chalu karne ke liye diya jaata hai....

HIDA me mujhe chhute hi uske haathon ke sparsh aur uski AURA jo meri body me chipki thi,un dono ki power ek ho gayi aur aisa hote hi uska AURA mere andar ghus gaya...

AURA ke andar ghuste hi meri puri body ek baar chamki jiska matlab tha ki js AURA ko meri body ne apna liya hai..

wahin us chamak ko dekh HIDA ne bhi jhat se apna haath hata liya aur fir..

mai jhat se uth kar baith gaya...

saansen toh meri ab bhi tez chal rahi thi par mai ab normal ho raha tha...

wahin mujhe thik dekh HIDA ko bhi chain aaya aur...


HIDA-kya hua tha tumhe RAAZ...???

MAI-nothing..


naa isse aage maine kuch kaha aur naahi HIDA me himmat hui dobara puchne ki...


MAI-jaisa aaj kiya hai,waise hi aage bhi karna...chalta hun mai..


ye bol bina kuch sune mai wahan se nikal gaya....

rookne ka kaaran bhi toh ab nahi tha..jo chahiye tha,wo mil chuka tha mujhe...


HIDA ki shakti se bana AURA..aisa nahi tha ki ab AURA mil gaya hai toh aage ki raah asaan hai..

aisa bilkul nahi tha..pain ab bhi mujhe utna hi hona tha, jitna ab tak hota aaya tha..shayad usse bhi zyada..

aur ab toh waise bhi REFINER trigger karne ka proccess thoda extra lamba ho chuka tha..

jahan pehle 2 minute tha,wahin ab teen minute mujhe is asahaniya dard ko jhena tha...

par positive aur sabse important baat ye thi pain bhale hi kitna bhi zyada kyun naa ho,par pehle meri body is proccess ke pressure ko naa jhel paakar jahan phatne waali thi,wahan ab aisa nahi hoga..

pain kitna bhi zyada kyun naa ho,par at the end meri body intact rehne waali thi aur mere liya itna hi bohot tha...

kyunki maine pehle bhi kaha tha ki,


THE THING THAT DOESN'T KILL ME,WILL ONLY MAKE ME STRONGER....







PLACE-WEAKLINGS STAY






EK BEHTAR ZINDAGI KI KHWAHISH AUR UMMID LIYE AAYA THA MAI YAHAN....

SOCHA THA APNE MOM DAD KO WO SUKOON BHARI AUR ACHI LIFE DUNGA JO WO KABHI BHI JEE NAHI PAAYE THE.....

PAR KUCH BHI NAHI KAR PAAYA MAI....KHUDKO TOH LOOSER SAABIT KIYA HI MAINE,PAR APNE SAATH APNE MOM DAD KO BHI HARA DIYA....

AM I REALLY A GOD GIFT...!!!!!

khudse hi ye sawal pucha BRAWNY ne....

raat ka waqt hai.....apne quater se bahar sukhi ghaans par baitha tha is waqt BRAWNY aur uski ab tak ki puri life yaa fir ye kahun ki us life me uski har naakamiyabi uski aankhon ke saamne kisi film ki tarah chal rahi thi...

kal hi ki tarah aaj bhi HIDA ne kaafi sunaya tha BRAWNY ko uski inefficiency ko lekar jisse uske maansik dard me aur izafa ho gaya tha...


khair,khudse hi puche sawal ka jawab dete hue....


BRAWNY-no..i am no GOD gift..i am GOD'S curse....us RAAZ,aur aaj HIDA ne jo bhi kaha mere baare me,wo sab sach hai....

mai kisi laayak nahi...i am good for nothing....aur mujh jaise curse ko paida kar mere mom dad ka bhi struggle sirf badha hai,aur kuch nahi.....

but not anymore....mai apne mom dad ko meri wajah se aur suffer karne nahi dunga...


ye line bolte waqt aansu nikal gaye the BRAWNY ke jiski ek boond ko apni ek ungli se saaf kar us aansu ki boond ko dekh muskuraya BRAWNY....

reason...

is pure safar me bas ye aansu hi toh the jisne BRAWNY ka saath kabhi nahi chhoda tha...

bhari bheed me bhi jab BRAWNY khud ko akela mehsoos karta tha,tak ek dost ki tarah company dene ke liye ye aansu nikal hi aate the bahar...

yahi wajah thi ki abhi apne is ek loute dost ko dekhte hue ek bohot purani par mashoor shayri yaad aa gayi BRAWNY ko...


BRAWNY-humne in aansuon ko laakh samjhaya,ki tanhayi me aaya karo,yun bhari mehfil me aakar hamara mazak naa banaya karo....

toh aansuon ne chhalak kar kaha,ki bhari mehfil me bhi aapko tanha paate hain,tabhi toh bin bulaye hi chale aate hain....


man hi man is shayri ko bol apni us ungli ki tip par adhikar jamaye us aansu ki boond ko dekh...


BRAWNY-ab tera bhi adhikar khatm mere dost..jitna behna tha,beh liya tune...ab bas ek aakhri baar mulakat hogi hamari..

par usse pehle kuch din apne mom dad ke saath ache se bitalun...un dono ke chehre apne aatma se mila is life ke liye shukriya keh loon...

fir milenge ek aakhri baar hum...kyunki uske baad ek naye dost ko gale lagaunga mai...

ek aisa dost jo pura khayal rakhega mera...naa toh dard dega,naa hi koi aur tarah ki taklif...

jo taklif is zindagi ne di hai..usse puri tarah mita dega mera wo dost jisse MAUT kehte hain....

aur mere future friend,tu bhi sun le ki.....





tere saamne ae MAUT,bilkul nahi DARUNGA MAI...

ye aakhri padhav,bohot ache se paar KARUNGA MAI.....

mere hisse ka sukoon tere paas hi hai,
zindagi bhale hi udaasi me beeti,

par us chain ki khaatir badi khushi se MARUNGA MAI.....











AAJ KE LIYE ITNA HI.....




 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABBA ANWIR AUR MORANA KE THROUGH RAAZ KO SABAK SIKHANE KA PLAN BANATI HAI,DUSRI TARAF RAAZ REFINER ACTIVATION PROCCESS ME KHUDKO BACHANE KE LIYE HIDA KE POWER AURA KO KHUDME SAMA LETA HAI WAHIN TEESRI TARAF BRAWNY SUICIDE KARNE KA FAISLA KARTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-79



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S



GROOMERS CLASS:-






REFINER ACTIVATION CHALLENGE......DAY 1




SAMPURN AANANDITAM.....



man hi man REFINER ACTIVATION SPELL ko uccharit kiya maine jiske baad wahi hua jo ab tak hota aaya hai..

PAIN...par aaj pain thoda alag tha yaa fir ye kahun ki teen tarfa tha....

REFINER ACTIVATION PROCCESS me hone waale pain ke saath saath mujhe wo AURA bhi pain de raha tha jisse kal raat maine HIDA ki body se liya tha....

SPELL bolte hi mere andar ghum rahe ACCHUTA aur SLUNDER ke parents ke emotions,mere REFINER waale emotion se takrakar mujhe andar se dard dene lage the..

ye dono dard mere khoon ke saath mere body se mere khoon ke saath bahar nikalna chah rahe the jisse wo AURA jo mere internal body par chipka hua tha,wo bahar aane se rok raha tha aur aisa hone par ek extra pain jhelna padh raha tha mujhe...

aur yahi reason tha ki dard ki adhikta naa jhel paane ki wajah se 2 minute aur sirf 5 second baad hi meri aankhen khul gayi aur aisa hote hi...


MAI- dammit.....


badi zor se chillaya mai jisse sun jahan baaki saare SAVENTS hadbada gaye wahin saamne khade teeno WHIZZES aur WHIZZDERS muskura diye....

parso jo maine ground me kiya tha,usse dekh un teeno ke hi man me mere liye respect ki bhaavna jaag gayi thi...

mera rude behavior, arrogance jo pehle unhe pasand nahi tha,ab wo teeno in sabko hi wo fuel maanane lage the jo mujhe lagatar aage push karta tha aur yahi reason tha ki abhi jab mai ye proccess kar raha tha,aur asahaniya pain ki wajah se meri body vibrate kar rahi thi,tab bhi bina tention liye wo teeno bas mujhe dekh rahe the..

unhe bas ek baat samajh nahi aa rahi thi ki is REFINER ACTIVATION kriya me mujhe baakiyon se zyada pain kyun ho raha tha par saath hi un teeno ko pura yakin tha ki mai saare odds se ladhte hue apne target ko zaroor pura karunga...

khair,thodi der tak lambi lambi saansein lene ke baad maine dobara apni aankhen band kar li aur lag gaya apne REFINER ACTIVATION me par is baar bhi result same hi raha....

ek taraf REFINER, dusri taraf mere andar ghum rahe dusron ke emotions jinpar mera koi control nahi tha,aur teesri taraf HIDA ka shakti AURA...

ek saath in teen alag alag pains ne meri body ko andar se aisa maroda ki meri aankhen dobara khul gayi...

is baar proccess ke dauran jhatke khaate hue meri body neeche ludakh si gayi thi...yahi wajah thi ki mere class ke sabhi SAVENTS mujhe aankhen faade ghur rahe the..

par un sabki ghurti aankhen mujhe pareshan nahi kar rahi thi...mujhe pareshan kar rahi thi meri naakamiyabi...

mere chehre par frustration saaf dikh rahi thi jisse samajh EDWINA mujhe cheer up karne ke liye aage badhi par tabhi...

mai apni jagah se utha aur class se bahar nikal gaya...

mujhe yun jaata dekh ROVEL aur PETRA kuch bolne ko hui par EDWINA ne unhe ishare se aisa karne ke liye mana kar diya....

EDWINA meri determination aur khudse jo mere hopes the,unhe samajhne lagi thi aur isiliye woh jaanti thi ki mujhe is waqt akela chhodna hi behtar hoga....




REFINER ACTIVATION CHALLENGE.......... DAY 5





SAMPURN AANANDITAM





ek baar firse aakhen band ho gayi thi meri...pichle 4 dino se lagatar asafal hota aaya tha mai...

average power ka stop point joki 2 minute hota hai,usse bas 20 second hi aage badh paaya tha mai..

jiska matlab tha 5 second per day ke hisaab se growth ho rahi thi meri..

baakiyon ko toh meri ye growth bohot sahi lag rahi thi par mujhe hi pata hai ki itne slow growth se mujhe kitni frustration ho rahi thi..

khair,aankhen band kiye apne REFINER ACTIVATION PROCCESS ko shuru kar diya tha maine...

jabde sakhti se bheenche kisibhi haal me is proccess ko pura karne me laga tha mai...

har haar ke baad meri determination kam naa hokar badh rahi thi...aur yahi wajah thi ki jahan pichle 4 dino me mai bas 20 second tak aage badh paaya tha,wahin aaj 3 minute hone ko aaya tha, par kisi tarah maine apni proccess chaalu rakhi thi par ab pain itna zyada ho chuka tha ki bardasht ki wo limit jo kabka paar kar chuka tha mai,wo bhi toot gaya aur khul gayi meri aankhen...


CHATTAKHHH....


ek zor ka thappad maara maine khudko aur...


MAI-bloody looser...good for nothing..


khudko hi ye pyar bhare shabd kehte hue mai class se nikal gaya...

jahan pehle mere determination ko dekh sab hairan the,phir mere khudko hi thappad maarte dekh shocked hue,aur fir aakhir me maine khudko hi jo looser bola,usse sun sabki hairat aur badh gayi thi..

un sabko ussi hairani me chhod mai class se nikal gaya jiske baad..


ROVEL-ye paagal toh nahi hai...

EDWINA-har genius paagal hi lagta hai ROVEL....haan,iski harkatein sabse alag hai,par ye khud bhi rare hai...

aisa determination maine pehle kabhi nahi dekha hai...

par ek baat hai jo ajeeb zaroor hai....baaki saare SAVENTS magic sikhne aur apne metaphisycal capabilities ko nikharne ke liye yahan practice karte hain,par is bande ko dekh lagta hai jaise iska goal kuch alag hi hai...

jisse haasil karne ke liye ye kuch bhi kar sakta hai...ye strong bhi hai,cold bhi hai aur hadh se zyada focused bhi hai...

billion me koi ek hota hai jinme ye saari chizen ek saath milti hai..

aur ye combination dangerous hai.... bohot dangerous... ummid hai ki itne talented aur hardworking SAVENT ki buddhi galat naa nikle...



REFINER ACTIVATION CHALLENGE........DAY 8



YOU WERE ABSOLUTELY RIGHT EDWINA...THIS GUY IS SOMETHING ELSE...



ROVEL ke mooh se mere liye ye taarif isiliye nikli thi kyunki aaj saade teen minute hone ko aaye the aur jis wajah se meri body hil nahi rahi thi,balki aisa lag raha tha maano koi mujhe pakad kar zor se jhakjhor raha ho,aur itne negetive situation me bhi mai kisi tarah apne proccess me laga hua tha...

par ab mera sabr pichle 7 dino ki hi tarah khatm hone waala tha par tabhi...

jabde bheenche apne antarman me jhaank raha tha mai aur aisa karte hue achanak meri indriyon ke beech dikhi mujhe ek hulchal...

ye hulchul aur kuch nahi un bhaawnaon ka machalna tha jo ACCHUTA aur SLUNDER ke parents se maine li thi...

jaise hi meri indriyon ne us hulchul ko pehchana toh...

PHHHHH.....

ek invisible steam si nikli mere body se jisse naa SAVENTS ne sense kar paaya aur naahi teeno WHIZZES aur WHIZZDER ne..

par is waqt class me kuch aise bhi JEEV the jinse ye invisible steam aur uski energy bach nahi paayi.

ye aur koi nahi VIDEOUS ke teeno DEVOTEES the jinhe VIDEOUS ne meri class me growth par nazar rakhne ka kaam diya hua tha...

laaparwah se the wo teeno par jaise hi meri body se wo invisible steam bahar aayi,na sirf wo teeno satark hk gaye balki chownk se..

reason...

normal hone ke baad meri body se nikli har energy baaki SAVENTS ki hi tarah thi jo asaani se detect ki jaa sakti thi..

par jo steam mere andar se bahar aayi thi, uske force se jo energy create ho rahi thi,wo mere MORTAL FORM ki nahi thi,ye sense kar liye un teeno ne isiliye hi chownke the wo..

par chownkne ke agle hi pal unme se ek ne man hi man VIDEOUS se sampark saadha aur jo usne mehsoos kiya,usse bata diya jisse sun...


VIDEOUS-us energy ki root ko dhundo aur pata karo ki kiske emotions khudme samaye hue hai RAAZ.....


VIDEOUS ke aadesh ko sunte hi teeno DEVOTEES apne kaam ko anjaam dene ke liye gayab ho gaye...

wahin in sab baaton se anjaan us energy steam ke nikalne se mujhe ek extra boost mil gaya tha par ye boost bhi mere zyada der tak kaam aaya nahi...

haan kuch extra seconds zaroor mil gaye the mujhe par uske baad mera pain ekdum se 10 times badh gaya aur aisa hote hi meri aankhen jhat se khul gayi..

saansen tez,chehre par naagwari ke bhaav liye apni jagah par baitha hua tha mai....

har chadhti utarti saans le saath bas yahi baat ghum rahi thi mere dimag me ki...

4 minutes...itne der tak pahunch paaya tha mai aaj apne proccess me...

1 minute aur.....and then,mujhe meri is EMOTION waali problem ka solution mil jaayega....

jaisa pain mai lagatar jhelta aa raha hun,uske saath is aakhri ek minute ka safar kaafi tough hone wala tha mere liye par jo safar tough naa ho,uska raahgir RAAZ nahi ho sakta...

haan, frustrated tha mai abhi,par saath hi ek waada bhi tha jo chamak raha tha meri aankhon me ki har taklif ko raasta bana apni manzil dhund lunga mai....

man me ye bol maine apne pant ki jeb me haath daala aur nikala RIPPLE,THE YELLOW coin ko jisse ek mahine me sirf ek baar hi use kar sakta tha ek GROOMER....

ab ye coin hi tha jiske zariye mai us raaste tak pahunch sakta tha jo mujhe meri manzil tak pahunchane waala tha..

aur wo raasta tha THE ANYLIZER..

us coin ko ek baar dekh mai nikal pada ANYLIZER building ki taraf.....

yahan pichle 8 dino se mai lagatar apne target ko achieve karne ke liye bhida hua tha aur wahan....






STELLAR'S CLASS:-






WELL DONE VIDEOUS...YOU ARE REALLY VERY IMPRESSIVE....

IS SESSION KO SHURU HUE AAJ SIRF 22 DIN HUE HAIN AUR ITNE KAM DINO ME TUMNE APNE SECOND REFINER SAD KO BHI USKE AVERAGE POWER TAK ACTIVATE KAR DIYA HAI.... UNBELIEVABLE....


behad khushi ke saath kahi ye baat SAPIUS ne jiske baad....


MABBA-yes VIDEOUS....you even have impressed me... bohot rare hai tumhare jaisa talent..ummid hai mujhe ki future me tum apne talent ko uska sahi sthan doge...


WICKEDS...yahi ishara tha MABBA ki baat ka jisse SAPIUS aur REGIS samajh gaye the...

par wo is baare me baat karna nahi chahte the isiliye..


REGIS-and MAHI...i must say, tumhari progress se bhi hum kaafi impressed hain...4 minutes tak apne proccess par control paa liya hai tumne..

sirf ek minute aur,uske baad tumhara bhi first REFINER complete power tak activate ho jayega...


MAHI-i will try my best WHIZZ....


MABBA-MABEL, ALFREEN,VALDIS...aap teeno bhi last PHASE ke best SAVENTS me se ho..

i know ki apne first REFINER ko activate karna sabse mushkil hota hai par aap jaise SAVENTS se hi toh hard tasks me excel karne ki ummid hoti hai...

isiliye, buckle up.. extra effort daaliye apne har performance me...


ALFREEN/MABEL/VALDIS-sure WHIZZ..we will try our best....

MABBA-class dismiss....


apni baat keh MABBA aur uske saath baaki dono WHIZZDERS class se nikal gaye..

aisa hone par ALFREEN MAHI se kuch kehne ko hui par isse pehle ki wo kuch keh paati, MAHI turant apni jagah se uthi aur VIDEOUS ki taraf chal padi...

reason....

THE PROCEDURE

4 dino pehle library me ek section se nikal kar yahi book di thi VIDEOUS ne MAHI ko..

THE PROCEDURE naam ki us book me kisi bhi base kriya ko sahi tarike se karne ke techniques bataye gaye the....

in chaar dino me MAHI ne is puri kitab ko do baar rat daali thi...

aur isme likhi techniques ki practice wo apne REFINER ACTIVATION PROCCESS me karti aa rahi thi..

aur yahi kaaran hai ki jahan 4 din pehle tak MAHI apne REFINER ke averege power ki timing se bas 20 second tak hi badha kar paayi thi,wahin in beeten chaar dino me un techniques ki madad se MAHI ne aaj 4 minute tak apne proccess ko continue kiya tha...

yahi reason tha ki MAHI VIDEOUS ko us book ke liye thanks kehne uski taraf chal di thi wahin MAHI ko yun uth VIDEOUS ki taraf jaate dekh ALFREEN thodi hairan ho gayi...


kyunki MAHI ALFREEN ko completely nazarandaaz kar aage badhi thi..

wahin, VIDEOUS ke saamne pahunch..


MAHI-thanks VIDEOUS..us din tumne jo book di thi,usme likhe techniques se kaafi faayda hua hai mujhe..

VIDEOUS-wo toh dikh hi raha hai...aur mujhe thanks mat kaho,kamiyabi ka tarika toh har koi kabhi na kabhi jaan hi leta hai,par kaamiyab hote bohot kam log hi hain..

and you are one of them MAHI...waise ek tarika aur hai jisse tum apne REFINER ko complete power tak activate karne ke liye bache 1 minute jaldi hi cover paogi....


VIDEOUS ki baat sun aankhen chamak uthi MAHI ki aur..


MAHI-really...kaun sa tarika...???


ye bolte waqt MAHI ki excitement dekhte hi ban rahi thi...

wahin in dono se thodi door khadi ALFREEN kuch seconds toh hairain hi rahi par fir apne dimag ko jhatak wo MAHI aur VIDEOUS ki paas pahunch gayi jahan MAHI ke sawal ka jawab VIDEOUS dene hi waala tha ki....


ALFREEN-oho..aisi bhi kya baat hai jo tum dono yun side me khade akele me kar rahe ho...???


VIDEOUS MAHI ko jawab deta,usse pehle hi interrupt karte hue kaha ALFREEN ne jisse sun ek dum tezi se chaddha MAHI ke dimag me ghussa par kisi tarah usse control kar..


MAHI-aur kya baat karenge...?? REFINER ACTIVATION ki baat chal rahi hai...

ALFREEN-offo....kya har waqt issi topic par baat karte rehte ho yaar...???class khatm ho chuki hai, now chill.


ALFREEN ki baat sun MAHI fir palti uske taraf....

uske aisa karte waqt uske brain se ek negetive energy jisse feel kiya tha VIDEOUS ne aur aisa hote hi ek bohot hi halki smile naach gayi uske face par..

wahin ALFREEN ki taraf palat...


MAHI-ofcourse..class khtam matlab sikhna bhi khatm....!!!right AL...???


jis tarah se ye baat boli thi MAHI ne usse sun ek baar fir hairan hui ALFREEN..

kaafi rosh dikh raha tha is waqt MAHI ke chehre par jisse dekh ALFREEN kuch kehti ki usse pehle hi..


MAHI-class khatm toh fir ek hi kaam hona chahiye..chill....right..??? clubs,pubs, shopping,yahi toh hai asli life..haina AL...???


maine pehle hi kaha tha ki mujhe teri jaisi life jeene me koi interest nai hai...

lagatar sikhna khushi deta hai mujhe...mai apni puri life aise hi bitana chahti hun...

par tu ye kabhi nahi samjhegi.... KYUNKI jo baat mai kar rahi hun,uske liye complete focus ki zaroorat hoti hai..

wo focus jo tere paas hai hi nahi...hota toh ab tak is PHASE me kuch toh achieve kar chuki hoti tu...???

par kiya kya tune....???nahi..kyun,fursat kahan hai madam ko nayi nayi jagah checkout karne se...ghume firne se..

fine,kya maine kabhi toka tujhe tere life style ke liye...???nahi....fir tu kyun baar baar mere thought process par mujhe pinch karti rehti hai...??

listen AL....last baar bol rahi hun..jab mera concentration,meri baatein sikhne ki,learning ki hoti rehti hai naa, toh us time keep yourself out of it...

mai yahan sirf aur sirf sikhne aayi hun..i want to be the bloody best...aur kuch nahi chahiye iske alawa mujhe...

jaise FLORIN uncle aur MARIA aunty teri life hain haa,waise hi learning aur achieving meri life...

iske alawa mujhe aur kuch nahi chahiye...

isiliye please,apne kisi bhi thrilling plan me mujhe hissa mat banana...mujhe bohot kuch karna hai yahan, isiliye, just let me be....

VIDEOUS, bahar chalte hain.....


ye bol MAHI class se bahar nikal gayi....

bahar jaate waqt usne ek baar bhi ALFREEN ke chehre ko nahi dekha jispar dard aur aankhon me aansu tairne lage the...

wahin MABEL aur VALDIS,jo is waqt ALFREEN ke piche hi khade the, unhe bhi MAHI ke is achanak badle hue ATTITUDE ko dekhkar kaafi hairani hui..

MAHI ke jaate hi MABEL ALFREEN ke saamne aayi aur ALFREEN ki aankhon me aansu dekh usse bohot bura laga aur...


MABEL-hey,please ro mat yaar.. friends me behes ho jaati hai. abhi MAHI ghusse me hai,shaant hote uski khabar lenge hum...

ALFREEN-zaroorat nahi hai MABEL... ghusse me hi sahi, usne kuch galat toh nahi kaha...


wo ek champion hai,aur mai looser...mere saath kaise reh sakti hai wo...???

toh kya hua agar sister maana hai maine usse...

uski tarrakki ke beech speed breaker ban gayi hun mai....

toh kya hua agar uski har achievement par usse zyada khush hoti aayi hun mai...

kyun parwah hogi usse meri feelings ki,blood relation thodi naa hai humare beech,

toh kya hua agar uske liye apne khoon ko bahane se bhi peeche nahi hatungi mai....

dil hi toh dukha hai bas...toh kya hua....????



aakhri baat bolte waqt puri tarah ladhkhada gayi thi ALFREEN ki awaaz....

aur is awaaz ki ladkhadahat ko feel kar MABEL ki bhi aankhon se aansu chalak gaye the...

wahin apni baat kehne ke baad itni himmat nahi bachi thi ALFREEN me ki wahin khade rahe aur isiliye wo turant class se nikal gayi aur usse bas chupchaap jaata hua dekhte rahe MABEL aur VALDIS.....







PLACE-ANYLIZER







ARRE HAAN..ANYLIZER...YE JAGAH TOH NIKAL HI GAYI THI MERE DIMAG SE...


ek badi si building ke bahar jiske diwal par ek board me us building ka naam likha hua tha,THE ANYLIZER, wahan pahunch MAHI ke mooh se ye saari baatein nikli jiske baad...


VIDEOUS-yup... ANYLIZER...aur yahi hai woh jagah jahan se tumhe apne REFINER ko complete power tak activate karne ka idea milega...


(NOTE:-ANYLIZER...yaad toh hogi aap sabko ye jagah aur is jagah ki speciality... ANYLIZER wo jagah hai jahan SAVENT institute me jo bhi sikhte hain,usse yahan aakar seconds wise tak dekh, samajh aur jo galtiyan huin hai,unhe rectify karne ke tarike sikhte hain....)

khair, VIDEOUS ki baat sun MAHI kuch kehti ki tabhi unke baaju se hota hua koi aage building ke entrance ki taraf badha jispar nazar padte hi...


MAHI-tum......tum yahan kya kar rahe ho....???


MAHI ki baat sunane ke baad uske side se aage nikla shaksh jo ki mai tha,rooka,palta,ek baar MAHI aur uske side me khade VIDEOUS ko dekh wapas palat aage badh gaya..

wahin mujhe bina kuch kahe jaata dekh MAHI kuch kehne ko hui par tabhi....


VIDEOUS-tum bhi MAHI.. illogical sawal karti ho...yahan kyun aayega koi...???ussi reason se hi naa jiske liye hum dono aaye hain...


jahan VIDEOUS ki baat sun MAHI ne bas haan me apna sir hilaya wahin VIDEOUS,jo bahar se casual hi dikh raha tha,uske man ka haal utna hi ulta tha...

RAAZ ko dekh uske ganit badal gaye the...wo toh yahan isiliye aaya tha taaki ANYLIZER me wo MAHI ke brain ki gatividhiyon ko dekh samajh paayega ki uske DEVOTEES dwara bole dark SPELL ka asar uspar kitna ho raha hai par iske liye usse MAHI ke saath rehna tha par RAAZ ke bhi yahan hone se ab wo aisa kar nahi sakta tha..


khair,ab sochne se koi faayda tha nahi isiliye RAAZ hi ki tarah VIDEOUS aur MAHI bhi ANYLIZER naam ki is building ke entrace ki taraf chal pade....


RAAZ ke andar ghusne ke baad entrace gate band ho chuka tha...

entrace par ek coin hole tha jisme baari baari se MAHI aur VIDEOUS ne apne yellow colour ke RIPPLE coins daale aur aisa hone ke kuch seconds baad gate khul gaya aur ye dono andar chale gaye....

waise toh MAHI is jagah ke baare me pehle hi padh chuki thi aur yahan kaam kaise lena hota hai,us proccess se bhi wo waakif thi..

par theory kitni bhi achi tarah rato, practical ki baat aur excitement alag hi hoti hai...

aur yahi haal MAHI ka bhi tha..

andar ghuste hi usne dekha ki andar se ye building kaafi badi hai.

building ke dono taraf bade bade kaanch ke rectangular boxes bane hue the aur inme se hi kisi ek box me har SAVENT ko jaana hota tha...

MAHI ne dekha ki RAAZ saamne se hi right ki taraf pehle box me ghus chuka hai..

MAHI ye sab hi rahi thi ki...


VIDEOUS- MAHI...go to any box u like...aur procedure ke baare toh pata hi hoga tumhe...


haan me apne sir ko hilaya MAHI ne aur fir thik mere opposite box me chali gayi...

wahin VIDEOUS bhi aage ki kisi box ke andar ghus chuka tha..

jaise hi MAHI ne box me kadam rakha toh...


WELCOME SAVENT....ON YOUR RIGHT END, YOU WILL SEE A HEAD GEAR...WEAR IT AND ASK WHAT YOU WANT TO KNOW...


ek computerized awaaz gunj uthi us box me jiske baad jaisa us awaaz ne kaha tha, MAHI ne kiya...

ek helmet jaisi head gear jo wahin uske right end me rakhi thi,usse pehen saamne kaanch ki taraf dekh...


MAHI-show me the inside movements during my whole REFINER proccess....


MAHI ki baat khatm hote hi us head gear se do invisible ray nikal pehle MAHI ke sir se hote hue uski puri body me ghume aur fir saari infos nikalte hue wapas bahar nikal gaye aur aisa hone ke agle hi pal ek tez ray padi saamne lage kaanch me aur fir shuru hui projection...


jo thi MAHI ke REFINER ACTIVATION PROCCESS ke insight ki thi....

MAHI ne dekha ki us kaanch ke upar uske brain me lage head gear se ek badi ray nikal images create kar rahi hai...

kaanch ke rectangular ends me kul chaar red colour me round shaped balls ban gayi thi..


BRAIN,BODY,BLOOD aur SOUL...

chaaron hi AMPLIFICATION modes the ye chaaron balls...

uske baad un charaon balls ke beech ek nayi colour ki ball jo ki grey colour ki thi,wo banane lagi..

ye ball thi REFINER.....

is REFINER numa ball ke banane ke baad usne ghumna start kiya aur dheere dheere us ball ki speed badhne lagi.

MAHI dekh rahi thi ki uska REFINER uske chaaron AMPLIFICATION MODES ko touch karte hue ghum raha tha...

par ek aur baat bhi thi...wo REFINER numa ball kisi ek direction me nahi ghum raha tha..

beech beech me uska direction change bhi ho raha tha..

ye sab dekh MAHI samajh gayi thi ki kyun REFINER ACTIVATION PROCCESS me itni taklif aur problem hoti hai....

REFINER lagatar AMPLIFICATION modes ko hit karta hai aur fir kayi baar jab us mode par uska user dhyan de raha hota hai tabhi REFINER dusre mode par attack karta hai..

har AMPLIFICATION mode ke yun pinch hone ki wajah se andruni body hinder hoti rehti hai aur natija, proccess adhura reh jaata hai....

MAHI bade dhyan se REFINER ki chaal ko samajh rahi thi.. uski movement,uska strike point,sab bade gour se dekh rahi thi MAHI....


wahin apne box me mai bhi REFINER ACTIVATION ka same process hi dekh raha tha...

par mere saamne jo nazara tha,wo thoda zyada hi advanced tha....

aur wo aise ki mere REFINER ke speed itni zyada thi ki nangi aakhon se usse dekhna hadh se zyada mushkil tha..

aur uske upar REFINER ki movement zig zag thi..wo ek AMPLIFICATION mode se takrakar kabhi normally aage badh jaati toh kabhi dobara takrakar aadhe se reverse maar leti...

kehne ka matlab ye tha ki uske pattern ko samajhna bohot hi tedhi kheer thi..

ek aur chiz bhi ho rahi thi...aur wo ye ki jahan AMPLIFICATION modes se REFINER ek baar ek me ek hi baar takrara chahiye,wahin mere case me REFINER har mode se do baar takra raha tha..

yahi wajah thi ki mujhe extra pain hota aaya tha...

yahan bohot hi zyada focus ke saath mai is pure ganit ko samajhne me laga tha aur wahan MAHI ka task pura ho chuka tha....

aur isiliye head gear wapas rakh wo apne box se bahar aa gayi..

VIDEOUS ko dekhne ke liye usne aage badhte hue baaki boxes check kiye par VIDEOUS hota toh dikhta....

wo toh RAAZ ki wajah se pehle hi ANYLIZER building se bahar nikal chuka tha...

khair,jab saare boxes me dekhne ke baad bhi VIDEOUS nahi dikha toh MAHI bahar jaane ke liye palat gayi....

par chalte hue MAHI ki nazar us box par gayi jahan mai tha...mujhe dekh uske dimag me kuch aaya aur wo mere box ki taraf ho li...

ab tak mera homework bhi lagbhag ho hi gaya tha aur isiliye ab mai casually apne saamne lage kaanch me activity dekh raha tha par tabhi...

mujhe apne piche se kisi ke aane ka abhaas hua jiske baad maine turant apna head gear utar diya aur aisa hote hi saamne glass ka scene band ho gaya..

head gear nikaal me palta toh dekha ki mere saamne miss MAHI khadi hai...

wahin mujhe palaththe dekh...


MAHI-kya baat hai...aisa kya secret checkout kar rahe the ki mujhe dekhte hi chhupa liya...!!!

MAI-agar wakayi mai koi secret checkout kar raha tha,toh tumhe nahi lagta ki secrets bataye nahi jaate..

kabhi toh value add karne waale sawal puch liya kar...

MAHI-value add karne waale sawal unse puche jaate hain jinkli value ho..

aur tere jaise LOOSER SAVENT ki bhala kya value....????


ye pehli baar tha jab ek SAVENT ke taur par kisiko looser kaha tha MAHI ne...

wahin uski baat sun chehre par ek smile laa...


MAI-tabhi moral value ki dukan liye mere aage piche ghumti rehti hai tu...

MAHI-hun nahi thi...ab mai samajh gayi hun ki kutte ki puch hai tu,sidhi toh hone se raha....

MAI-matlab ab tak kutte ki punch ko pakadne ka job kar rahi thi tu..

STELLAR hai yaar tu...dhang ki job dhund le...

MAHI-you know what.. waise toh tu deserve nahi karta,par mai chahti hun ki tu jald se jald hamare catagory me khudko upgrade kare....

tujhe saamne se harane me bohot maza aayega...

MAI-wahi khwab dekh jo pure ho saken...jo toot jaayen,aise sapno ko jodne ka kya faayda...

MAHI-mai wo diwal hun RAAZ jisse takrakar gir jaana hai tujhe,race koi bhi ho,laga lena edi se choti tak ka zor,jeet meri hi hogi....



aise nazaare dikhaungi tujhe ki teri
aatma ki hadh tak tu DAR JAAYEGA

chunouti koi bhi ho,yaa toh haarega tu,yaa fir MAR JAAYEGA....




DIALOGUE.....wo bhi mere saamne....

ab baat aisi hai,ki bhale hi mere paas meri aloukik shaktiyan nahi hain,par zubaan toh hai..

aur us zuban ko fuel dene ke liye bhara pada hai mere andar mera ATTITUDE.....


aur isiliye,MAHI ki saari baatein yaa fir ye kahun ki challenge jo usne ek series me kahi thi, usse sun mai aage badha,thik uske saamne khada hua aur...


MAI-




diwal kitni hi unchi kyun naa ho,usse faand JAAUNGA mai....

har race ki finishing line me, sabse
pehle, sirf nazar AAUNGA mai...

zindagi ki kadar nahi hai mujhe,naahi kisi ka dar,

maut bhi agar bhide mujhse,toh
usse bhi ........kafan ODHAUNGA mai........










AAJ KE LIYE ITNA HI.......






 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF TEENO DEVOTEES KO RAAZ KE ANDAR SE KISI AUR KA EMOTION FEEL HO JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF ANYLIZER ME RAAZ AUR MAHI,DONO HI APNE APNE REFINER PROCCESS ME AA RAHI PROBLEMS KE BAARE ME JAANTE HAIN...


AB AAGE:-


CHAPTER-2

(UNEARTH THE IMMORTALS)


UPDATE-80



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S



GROOMERS CLASS:-





REFINER ACTIVATION CHALLENGE.......DAY 12



OK SO SAVENTS,BEFORE STARTING TODAY'S CLASS,EK ANOUNCEMENT HAI,SUNIYE....


class me enter karne ke baad EDWINA ne ye baat kahi jisse sun sabhi SAVENTS uski taraf dekhne lag gaye jispar.....


EDWINA-aap sabko yaad toh hoga hi ki is PHASE me ek extra activity add hui hai jisme teeno hi catagory ke SAVENTS FORBIDDEN FOREST me 2 din aur 2 raat rehne waale hain..

SAB-yes WHIZZ...

EDWINA-wahan basic magical aur metaphisycal chizon se aap apne abilities nikharenge...

ye do din aapke liye bohot hi interesting toh honge hi,par saath hi un activities se release hone waale pressure ki wajah se aap sabke liye ye do din kaafi exhausting bhi honge....

FORBIDDEN FOREST me aap sabki ye do dino ke practical ACTIVITIES parso se shuru honge...

and as i said that kyunki ye do din jo ki parso aur the day after that hain,aapke liye kaafi exhausting hone waale hain isiliye kal class nahi lagegi...

aap sabhi ko ek din ka off diya jaa raha hai...kal aap sab apni body ko pura relax kijiye...


WHIZZ ki baat sun sabhi SAVENTS kaafi khush ho gaye the..

reason do hain...pehli toh FORBIDDEN FOREST me ek tarah ki camping ki excitement aur dusri ye ki REFINER proccess se release hone waali pressure ki wajah se unke bodies ache karne lage the aur isiliye un sabki bodies ko ek break ki zaroorat waise bhi thi joki unhe mil chuki thi...

jahan baaki SAVENTS EDWINA ki baat sun khush ho rahe the wahin uski kahi baat mere liye ek challenge ki tarah thi...

aur wo aise ki maine khudko challenge kiya hua tha ki ek mahine ke andar hi mai apne REFINER ke complete power ko activate karke rahunga...

aur FORBIDDEN FOREST ki added activitiy ki wajah se is mahine ke aakhri din kal ka tha....

par EDWINA WHIZZ ki announcement se ab wo aakhri din aaj ka ho gaya tha....

iska matlab tha ki anyhow mujhe aaj hi complete power tak pahunchna tha jisse mai filhal 30 seconds door tha...

us din ANYLIZER se mujhe apne REFINER ki movement ko read karne me madad toh mili thi par saath hi next day se ek extra problem bhi mujhe gift me mila tha...

aur wo ye ki REFINER ACTIVATION proccess ke dauarn un movements ko bhi apne brain se mujhe jodna hota tha jiski wajah se REFINER mere brain me lagatar attack karte the...

result..paused CEREBRATION me bhi mujhe chakkar aane lagte the..

aisa lag raha tha jaise mere andar panap rahe dusro ke EMOTIONS kisi bhi haal me mujhe kaamiyab nahi hone dena chahte the..

par jo dusri ki chahaton par kurbaan ho,wo RAAZ nahi...mai bhi puri dhithatha ke saath laga hua tha aur ussi zidh ka natija tha ki mai bas 30 seconds hi door tha apne target se..

but thanks to EDWINA,time limit ke ghatne se ab ye target apne aap bada ho gaya tha...

khair, announcement ho chuka tha, isiliye hum sab apni apni jagah par baith chuke the,band ho chuka tha hum sabka CEREBRATION aur shuru ho chuki thi proccess...


SAMPURN AANANDITAM...


man hi man uccharit kar is SPELL ko lag gaya mai teehri maar aur added brain pressure ko jhelne me...

wahi jabdon ko bheenche rehna,wahin teehri taklif,wahin brain pressure...

in teeno hi odds ko jhelte hue REFINERS ki movements ki calculation kar raha tha mai...

jaisa ki ANYLIZER me maine dekha tha,mere andar ghum rahe REFINER mere chaaron AMPLIFICATION modes se takra rahe the,wo bhi continously do se teen baar...

mai yahi dekh aur samajh raha tha ki kis mode par REFINER kis waqt chot kar raha tha aur uske according apne us mode par mera focus zyada ho raha tha...

aur issi tarah taklifon ke pahad ko jhelte hue mere proccess ka waqt badhta gaya aur....

5,4,3,2,1.....

baaki SAVENTS ki toh aankhen khul hi chuki thi aur is countdown ke khatm hote hi jab 4 aankhen khuli toh...


ROVEL-congrats ACCHUTA, SLUNDER....


finally aap dono ne apne apne REFINER ke averege power ko activate kar liya hai...

jahan ROVEL ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ke chehre par smile aur garv dono dikhne lage wahin unki achievement dekh baaki SAVENTS ne unki badhayi ke roop me desk bajate hue hooting ki...

ROVEL ke baad PETRA aur EDWINA ne bhi ACCHUTA aur SLUNDER ko badhayi thi jispar thanks bol wo dono meri taraf palte kyunki un dono ki is achievement ka reason kahin na kahin kuch hadh tak mai bhi tha...

aur wo isiliye kyunki kaafi dino se mai un dono ko lagatar unki REFINER activate karne ke liye alag alag tarikon se provoke karta aa raha tha..

maine underperformance ko lekar kaafi insult bhi ki thi un dono ki jisse chupchaap sunte aaye the wo..

par kal finally maine unke andar aag jala hi di...kal maine unse kaha ki agar kal ko unke kisi family member ki insult ANWIR aur MORANA karen,toh kya wo capable hain us insult ka jawab dene ke liye..

meri is baat ne un dono ko andar tak hila diya tha aur result aaj sabke saamne hai..

khair,mujhe thanks kehne ke liye palte wo dono meri taraf par kyunki mera proccess abhi bhi chalu tha, isiliye wo dono rook gaye..

wahin hamesha ki tarah aaj meri body lagatar shake nahi kar rahi thi...

REFINER ke attack timing ke ganit ko samajhne ki wajah se meri body thodi control me thi par phir bhi rook rook kar mai jhatke zaroor khaa raha tha...

aur issi tarah jhatke khaate khaate...


EDWINA-amazing yaar... sirf 30 seconds reh gaye hain RAAZ ke REFINER ko complete power milne se...and i think he will achieve this feat today..

ROVEL/PTERA-hope so...


teeno WHIZZES,WHIZZDERS aur unke saath sabhi SAVENTS aankhon me curiousity liye meri taraf dekh rahe the aur tabhi..


KHONNNN....

khaansi ke saath ek jhatka laga mujhe jiske baad khoon ki ek ulti si hui mere mooh se jisse dekh hadbada se gaye ACCHUTA aur SLUNDER aur unke saath puri class...

ACCHUTA turant badha meri taraf par tabhi..


EDWINA-wait....sirf dus seconds hi baaki hain RAAZ ki process puri hone me..dont ruin his hardwork...


EDWINA ki baat sun khudko control kiya ACCHUTA ne aur man hi man pray karte hue dekhne laga meri taraf...

wahin jab mai itne pain ke baad bhi paused CEREBRATION me hi raha toh mere andar ghumte REFINER ne khudko chaar bhaagon me baat liya tha aur ek saath mere chaaron AMPLIFICATION modes par attack kar rahe the aur yahi reason tha mere mooh se nikle khoon ka...

par phir bhi mai kisi tarah data hua tha...ab sirf 5 seconds hi bache the mere target ko pura hone me par tabhi.....

double force se mere chaaron AMPLIFICATION modes par attack kiya REFINER ne jiske baad..


KHON,KHON.....

ek saath do baar khoon ki ulti hui mere mooh se jisse dekh dar se gaye ACCHUTA, SLUNDER aur baaki ki class..

wahin is khoon bhari khaasi ke saath mera brain bhi collapse hone laga tha aur yahi kaaran tha ki meri body neeche ludhakne lagi thi par isse pehle ki ye hota....

aankh khul gayi meri.....

reason..


TASK COMPLETED.....


finally maine apne REFINER ke complete power ko activate kar liya tha aur isiliye mere aankh khulte hi, badi zor se taali bajayi EDWINA ne....

waise hooting toh sabhi kar rahe the par EDWINA ki clapping sabse loud thi..

hadh se zyada khush dikh rahi thi wo...aisa dedication unhone pehle kabhi nahi dekha tha aur jab aise dedication ko appropriate result milta hai toh taarif aur khushi honi hi chahiye...

wahin in sab se alag ACCHUTA aur SLUNDER the jo khush toh the hi par meri haalat jo bohot kharab dikh rahi thi,usse dekh chintit bhi the jisse dekh..


MAI-mai thik hun....


kamzori ki wajah se halke ladkhadate hue kahi maine ye baat jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER ko meri lharab haalat ka pura andaza jo chuka tha..

wahin kuch der tak meri achievement par khush hone ke baad....


EDWINA-RAAZ... REFINER ke COMPLETE POWER ko activate kar tumne apne SOUL ko bhi 4 percent tak AMPLIFY kar liya hai....

isiliye,you have upgraded yourself as a new STELLAR....

tumhare FLAT me aaj tumhara aakhri din hai..kal se,you will move to your new self earned ABODE....

aur most importantly,parso tum ek GROOMER ke hisaab se nahi balki ek STELLAR ki authority ke saath us prestigious group ke new member ki haisiyat se FORBIDDEN FOREST jaaoge...

badi excitement aur garv ke saath kahi ye baat EDWINA ne jisse sun mai normal hi raha.....

anyways, ye sab toh common tha jo hona hi tha,main aur important baat ye thi ki ab maine wo taakat haasil kar ki thi jiske baad meri ye REFINER ki problem khatm hone waali thi...

aankhen halki halki bojhil ho rahi thi meri,sharir me jaan nahi bacha tha,par in sabke beech ek satisfaction tha mere andar aur ussi satisfaction ko khudme samete maine man me kaha..


MAI-apne problem ka solution lene mai aa raha hun LORD OF ANGELS.....





STELLAR'S CLASS:-




SAMPURN AANANDITAM

SAMPURN ANTARDUKHAM



jahan ek taraf MAHI aur baaki ki puri class HAPPY REFINER ko trigger karne me lagi hui thi,wahin VIDEOUS apne second REFINER SAD ko ACTIVATE karne ki koshish me laga tha....

ANYLIZER jaane ka wakayi faayda hua tha MAHI ko kyunki us din ke baad se uski per day growth me kaafi izafa hua tha aur yahi reason tha ki kal MAHI bas 10 seconds chuk gayi thi apne REFINER ke complete power ko activate karne me par aa usse aur uske saath teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko bhi ummid thi ki wo bache 10 seconds MAHI aaj zaroor cross karegi..

wahin dusri taraf tha VIDEOUS jisne apne second REFINER ke average power tak ko activate kar liya tha aur ab complete power ki taraf badh raha tha..

teesri taraf the ALFREEN aur MABEL jo apni puri jaan laga rahe the aaj taaki kamsekam apne first REFINER ko activate kar paayen aur aaj finally aisa ho bhi gaya..

par ALFREEN ka nahi,balki MABEL ka....

ALFREEN ki aankhen 1 minute 30 seconds me hi khul gayi thi par MABEL ne pure do minute tak alne CEREBRATION process ko pause rakh apne REFINER ke averege power ko activate kar hi liya jiske baad teeno WHIZZ, WHIZZDERS aur ALFREEN ne usse badhayi thi...

MABEL ko badhayi dene ke daur chal hi raha tha ki tabhi....

VIDEOUS ki aankhen khul gayi..woh bas 1 minute hi door tha ab apne second REFINER ki full power se...

aankh khulne ke baad VIDEOUS apne performance ka man hi man aaklan kar hi raha tha ki MAHI ki anakhen khul gayi but not before activating her REFINERS COMPLETE POWER jisse dekh...


MABBA-well done MAHI... finally tumne bhi apne REFINER ko uski complete power tak activate kar hi liya...


jahan MABBA ke baad baaki sabhi ne MAHI ko congratulate kiya wahin MAHI ki best friends MABEL aur ALFREEN ne bhi usse congrats kiya par formally..

wo khushi aur excitement nahi tha unke badhayi me jo pehle hua karta tha...

reason toh pata hi hai sabko...us din ALFREEN ko jo kuch bhi MAHI ne kaha,uske baad in dono me doori aa gayi thi aur MABEL ne bhi MAHI se baat karna kam kar diya tha..

ab bacche toh hain nahi ye sab ki katti katti khelen...

baat karte the ye par bohot formally aur casually...

naa MAHI ne us din ke apne bartaav ke liye ALFREEN se maafi maangi aur naahi ALFREEN aur MABEL ne us baare me kuch kaha usse...

khair,aaj ki class khatm hone ka waqt ho chuka tha....

GROOMERS CLASS ki tarah yahan bhi class ke start me hi kal off hone ki baat bata di gayi thi isiliye sabhi kaafi relaxed the....

par in sabke beech thi MABBA jo relaxed hone ke saath saath excited bhi thi kyunki kal ke baad jo suraj nikalne waala tha,wo uske apmaan ke badle ka din tha....

aur isiliye...


MABBA-ek din aur...relax kar le RAAZ..zaroori bhi hai ye...kyunki mai nahi chahti ki jo tera haal hone waala hai,usse pehle tere sharir me thakaan rahe...

sukoon ki chaadar odhe body ki chamdi udhedene ka maza hi kuch aur hota hai....





PLACE-SHEELA'S ABODE





AAO AAO RAAZ....WELCOME..MUJHE PATA THA, TUM ZAROOR AAOGE....


mere main door ke andar ghuste hi saamne hall me baithi SHAILA ne kahi ye baat...

raat ka waqt hai.. institution se aane ke baad kamzori ki wajah se din bhar sota hi raha tha mai...

par kuch der pehle jab meri neend tooti toh mai turant yahan SHAILA ke ABODE ke liye nikal gaya....

khair, SHAILA ki baat sun.....


MAI-toh,kab jaana hai mujhe...????


point par aate hue kahi ye baat maine jispar..


SHAILA-pehle ye batao kahan jaana hai...???

MAI-wahin,jahan aapke LORD rehte hain..HEAVEN....

SHAILA-HEAVEN kyun..???

MAI-tour pe...dekho,ye ghuma firakar baat karna pasand nahi hai mujhe...tumne kaha tha ki meri EMOTION se uthne waale lagatar pain ka ilaaj LORD OF ANGELS ke paas hai....

SHAILA-excatly yahi kaha tha maine....par ek baat batao,tumhe ANGELS emotion pain de rahe hain yaa fir HUMAN emotion...

MAI-human..

SHAILA-toh fir iska ilaaj heaven me basa ANGEL kaise karega...???

tumhara ilaaj LORD OF ANGELS hi karenge,par naahi wo ye heaven me karenge aur naahi as LORD karenge,balki wo ye as a HUMAN karenge but with the power of LORD....

MAI-matlab...kya wo phirse human form me paida hue hain...???

SHAILA-nahi..unka janm ek baar hi hua tha aur ye equation change nahi hoga...

MAI-SHAILA...,say something that makes sense....


meri baat sun muskurayi SHAILA aur....


SHAILA-tumhe us daur me jaana hoga,jab LORD OF ANGELS human the,wo VIKRAM the...

2025 me....

aur ye tum kar paaoge...

MAI-PARIVARTAK se.....


SHAILA ki baat ka mukhya bhaag pura kiya maine jispar...


SHAILA-sahi jawab....PARIVARTAK ki madad se tum LORD OF ANGEL ke human time me travel karoge...

par PARIVARTAK yantra ko lene tumhe sabse pehle YELUPTUS jaana hoga jahan SAMAY SANCHALAKON tumhe us PARIVARTAK ke dwara us time zone me bhejenge...


MAI-hang on...SAMAY SANCHALAK...par ZEAL me jo maya bhram maine dekha tha,uske hisaab se toh PARIVARTAK SAMAY SANCHALAKON ki aisi property hai jisse wo kabhi kisiko nahi dete..

phir wo mujhe kyun uska istemal karne denge...???

SHAILA-correction....CREATURE OF JUDGEMENT waale test me tumhe maya bhram dikhaya gaya tha par jo tumne SAMAY SANCHALAKON ke saath experience kiya tha, wo sach tha jo ussi PARIVARTAK ke through possible ho paaya tha..

kyunki us ghatna se us waqt ka koi bhi kaam hinder nahi hua tha, isiliye tumhara wo safar sach tha...

aur us safar me PARIVARTAK dete waqt tumne ek waada liya SAMAY SANCHALAKON se...wo waada toh yaad hi hoga tumhe...

MAI-haan,agar kabhi mujhe jo ki us waqt LORD the, unhe yaa fir unse jude kisiko bhi PARIVARTAK ki zaroorat padi toh wo usse de denge...

SHAILA-exactly..ab bhala LORD ki kahi baat SAMAY SANCHALAK kaise kaat sakte hain...

aur finally dekho,LORD ki baat puri hone ka wo waqt aa hi gaya..LORD na sahi,unki rachna ko zaroorat padh gayi PARIVARTAK ki.....

MAI-agar wo sab sach tha,toh mai wakayi ghus nahi sakta YELUPTUS me....

kyunki mere through LORD ne YELUPTUS ke chaaron taraf shield lagayi thi taaki koi bhi negetive energy waala banda ghus nayi paaye wahan...

SHAILA-HIDA ka AURA aur uske saath ACCHUTA, SLUNDER ke mom dad ke EMOTIONS jo filhal tumhare REFINERS ko temporary trigger kar rahe hain,wo kab kaam aayenge...

wo dono hi chiz pure hain aur apne pehle REFINER ko haasil karne ki wajah se wo EMOTIONS aur AURA tumse aur zyada jud chuke hain...

bas un dono ke mishran ko ek baar aur use kar touch karna SHIELD ko,usse sirf tumhara wo bhaag sense hoga jo LORD ki urja se bana hai....

MAI-cool...shuru karen phir...

SHAILA-haalat dekho apni RAAZ...bhale hi wo shield tumhe ghusne dega,par AURA aur emotion ke ek saath use lene par tumhari haalat bohot kharab ho jaayegi..

isiliye waisa karte waqt tumhara fit hona zaroori hai jo filhal tum nahi ho..

ghar jaao,3,4 sheeshi kaadhe ke piyo,strap tapes lagao aur so jaao...

safar kal karna....waise bhi kal INSTITUTION off hai,toh koi problem hogi nahi...

MAI-aur parso..???parso FORBIDDEN FOREST jaana hai toh kya meri absense se koi problem nahi hogi...

SHAILA-main baat toh reh hi gayi... time loss bilkul nahi hoga..

jis second tum VIKRAM ki duniya ke liye nikloge,ussi waqt wapas bhi loutoge...

matlab tumhara jaana bhi kal ka hai,aur wapas aana bhi kal ka hai...


saari baat ho chuki thi aur ab rookne ka koi matlab tha nahi isiliye mai wapas palat apne flat ke liye nikal gaya...

wahin mujhe jaata dekh...



SHAILA-


jinhone tujhe banaya,kal wo
tere SAATH HONGE....

par uske baad bohot ajeeb
tere HAALAT HONGE....

ki tera ab tak ka har faisla BHAAV RAHIT tha....

par tab kya hoga,jab tere andar bhi JAZBAAT HONGE.....










AAJ KE LIYE ITNA HI.....





 

Top