Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF TEENO SOVEREIGN'S KO HOSH AA JAATA HAI,DUSRI TARAF RAAZ APNE POWERS KO LIMIT KARNE KE LIYE EK SPELL BOL RAHA HAI,TEESRI TARAF WOOGER NE ACCHUTA AUR SLUNDER KO UNKE PLANETS ME WAPAS BHEJ DIYA HAI WAHIN CHOWTHI TARAF VIDEOUS NE BEELZEBUB AUR DEFENDER KI SOUL KO KAID KAR UNHE MURCHIT KAR DIYA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-54



PLANET-ELYSIAN


PLACE-FORBIDDEN FOREST





YE SAB ACHANAK KAISE HO GAYA??? IS FORBIDDEN FOREST KI SHIELD AISE HI GAYAB HO GAYI, YUNHI....

KAUN HO SAKTA HAI JISNE IS NAYI SHIELD KO YAHAN LAGAYA AUR FIR BADE AARAM SE ISSE HATA BHI DIYA...BINA SAAMNE AAYE....


FORBIDDEN FOREST ki SHIELD ke haththe hi uske pressure ke absense ko feel kiya tha chattan ke andar khudko chupaye hue DORIAN ne aur aisa feel hote hi wo us chattan se baahar aaya aur jab us saamne dekha toh SHIELD ko gayab dekh hairan ho gaya...

usse samajh me nahi aa raha tha ki ye anhoni aakhir hui kaise par jab kaafi der baad bhi uske dimag me uske sawal ka koi jawab nahi aaya toh usne apne dimag ko jhatka aur FORBIDDEN FOREST ki dehliz ko paar kar uske andar pahuncha...

A+ level ka banda tha DORIAN...nidar,takatwar aur aatm vishwas se bharpoor par aaj jab uske FORBIDDEN FOREST ke andar ghusne ka barso purana sapna pura ho raha tha,usko jo daayitv mila tha,wo usse pura karne waala tha,toh uske man me ek ajeeb si ghabrahat ,bechaini aur khushi,teeno ne janm le liya tha...

fihal raat ka waqt tha,har taraf andhera hi andhera tha,par apne chamakdaar vision ke sahare DORIAN aage badhta chala jaa raha tha...

chalte hue uski nazaren har taraf ghum rahi thi aur wo un saari cheezon ko dekh raha tha,jisse usne aaj se pehle sirf FORBIDDEN FOREST ki book me padhi thi...

usse is baat ki bohot khushi thi ki aisa karne waala wo pehla banda ban chuka tha par saath hi usse CHOSENS ke current SAVENTS par halka koft bhi ho raha tha aur wo isiliye kyunki yahan aisi aisi cheezen thi,jisse current SAVENTS explore kar khudko aur nikharne waale the...

khair, FORBIDDEN FOREST ke un saare hisson ko jo ki uske yahan ke manzil par pahunchne se pehle aane waali thi,un sabko checkout karte hue finally wo us jagah par pahunch hi gaya jahan usse pahunchna tha...


ASPRIT CRYSTAL....


wo chiz jiske liye wo yahan aaya tha... ASPRIT CRYSTAL ek trikon shape liye BLUE CRYSTEL tha par filhal DORIAN ke saamne uska desired CRYSTEL nahi balki ek PED tha jiska naam tha CUPOLA jiska ek matlab VAULT bhi hota hai...

ek pal us ped ko dekh DORIAN aage badha aur usne us ped ke saamne pahunch usse khudme aise lapeta jaise usse gale laga raha ho aur...


APRADHATA SAKRAYATE SHAKTIYEM

RELEASE THE COMPLETE POWER


ped ko upar uthane ki koshish karte hue DORIAN ne is SPELL ko uccharit kiya jiske baad uski sharirik shakti chaar guna badh gayi aur aisa hote hi....

CRCRCRCR.......

ek ajeeb si awaaz ke saath us ped ka jad ukhadne laga....

is waqt chaaron PRIMES ki shakti moujud thi DORIAN ke andar par uske baad bhi usse kaafi masakkat karni padh rahi thi us ped ko ukhadne me par dheere dheere hi sahi, CUPOLA naam ke us ped ka root aakhir ukhad hi gaya par aisa hote hi jahan CUPOLA ka jad tha,wahan se ek tez prakash baahar aaya jiske prabhav se DORIAN ki aankhen kuch palon ke liye band ho gayi....

us prakash ki teevrata se aaspaas ka saara drishya bhi ab saaf dikhne laga tha...

kuch der tak aakhen band rakhne ke baad DORIAN ne apni aakhen kholi...

tej toh ab bhi utna hi tha par us roshni se DORIAN ki ankhon me koi taklif nahi ho rahi thi aur isiliye DORIAN ne neeche jhuk haath aage kiya aur agle hi pal CUPOLA ped ki jad se usne baahar nikala THE ASPRIT CRYSTAL jo ki ek dues ball ke size ka triangular shaped CRYSTEL tha...

apni is uplabdhi ko kuch pal tak mehsoos karta raha DORIAN aur fir wo us ASPRIT CRYSTAL ke saath gayab ho gaya...




PLACE-CHOSENS




IMPOSSIBLE...????MUJHE FORBIDDEN FOREST KI SHIELD MEHSOOS KYUN NAHI HO RAHI HAI....????


soyi hui thi MARILIZA WHIZZ par phir achanak unhe unke lagaye sensors se jo ki missing SAVENTS ke maamle ke baad unhone sirf CHOSENS me hi nahi balki pure ELYSIAN me laga diya tha,FORBIDDEN FOREST ki SHIELD mehsoos hona band ho gaya jiski wajah se unki aankhen khul gayi...

ab ye koi choti baat toh thi nahi..pehle bhi ek baar SHIELD badal chuki thi aur jab aisa hua tha toh unke INSTITUTION ke teen SAVENTS lapata ho gaye the aur ab toh SHIELD hi gayab ho chuki thi jiske baad pata nahi kya hone waala tha....

yahi sab soch MARILIZA turant apne bed se utri aur wo FORBIDDEN FOREST ke saamne jaane ke liye antardhyan hone hi waali thi ki tabhi....


KAHIN JAANE KI ZAROORAT NAHI HAI MARILIZA....


WHIZZ MARILIZA ke saamne ek saath teen tez roshniyan prakat hui jisme se ye awaaz aayi thi

wahin kuch wo teen roshniyan dheere dheere maanav aakruti me badalne lagi aur jab wo aakruti puri tarah se human form me aayi toh WHIZZ MARILIZA hairan bhi hui aur khush bhi...

teeno SOVEREIGN'S uske saamne the toh aise me hairan aur khush hona toh laazmi hi tha par fir achanak se hi MARILIZA ke chehre ke bhaav badle aur wo nirash ho gayi jisse dekh teeno SOVEREIGN'S muskura uthe...


SHAILA-kya baat hai MARILIZA...???kya aap hume dekhkar khush nahi hui...???

MARILIZA-aisa kabhi nahi ho sakta SOVEREIGN....!!!!par mai aapke saamne aane ke laayak nahi hun...

aap teeno ne is INSTITUTION ki zimmedari mujhe di thi par unfortunately me fail ho gayi..

CHOSENS ke 25 thousand years ke itihaas me aisa pehli baar hua jab yahan se SAVENTS gayab ho gaye aur ye hua mere incharge hone ke baad...


sir ko neeche rakh MARILIZA ne ye baat kahi jispar...


AKSHAANT-isme aapki koi galti nahi hai MARILIZA...???jo hua,wo bas ek sanjog tha....



AKSHAANT ki baat samajh me nahi aayi MARILIZA ko...


MARILIZA-mai samjhi nahi...

ab sach toh bata nahi sakte the SOVEREIGN'S aur kya batana hai,ye toh unhone pehle hi soch liya tha aur isiliye....


MOKALSAR-ye toh aapko pata hi hai ki us FOREST ki SHIELD humari shaktiyon se bani thi...

par ab us SHIELD ki zaroorat nahi hai...

par usse ek jhatke me hataya nahi jaa sakta tha kyunki wo SHIELD sirf zamin ke upar hi nahi balki uske andar is grah ke core tak dhasi hui thi...

aur isiliye hume pehle usse uske jad se hilana tha,usse kamzor karna tha aur wahi humne kiya...

par jab humne ye kiya, toh durbhagyapurn vash ye wahi waqt tha jab us SHIELD ke paas wo teeno SAVENTS moujud the...

humare pehli koshish me wo SHIELD kamzor hui aur dusri koshish ke baad SHIELD hat gayi par aisa hote waqt us SHIELD se ek gravitational pull ENERGY ke form me baahar nikla aur un teen SAVENTS se takraya jiski wajah se wo teeno FORBIDDEN FOREST ke andar kheencha gaye...

MARILIZA-oh..par jab SHIELD hatane ka waqt aa gaya tha toh fir wahan pichle kuch samay tak ek dusri SHIELD lagi hui thi...aisa kyun hua aur wo SHIELD kisiki thi...???

AKSHAANT-humse upar bhi shaktiyan hain MARILIZA aur wo SHIELD unhi shaktiyon me se ek ki thi...

aur wo laga isiliye tha kyunki jaisa ki MOKALSAR ne bataya ki hamari SHIELD ka asar is PLANET ke core tak tha toh isiliye jab humara SHIELD hata toh uska asar yahan ke core me bhi hua aur usse thik karne ke kiye hi naya SHIELD lagaya gaya aur ab jab core ne khudko stable kar liya hai toh aise me us SHIELD ki koi zaroorat nahi thi isiliye wo SHIELD bhi hat gaya...

MARILIZA-aur un missing SAVENTS ka kya hua.???sabse important sawal toh ye hai ki CHOSENS se itni door wo gaye kaise...???

aur kya abhi bhi wo wahin hain...??i hope they are alright now...???


ek saath kayi sawal kar diye MARILIZA ne jispar...


SHAILA-nahi wo teeno ab wahan nahi hain..darasal FORBIDDEN FOREST ke andar pull hone se pehle hi wo teeno behosh ho chuke the aur wo sab kaafi injured bhi the...

aur jab unhe us force se FOREST ke andar kheencha gaya toh unki haalat aur kharab ho gayi..

isiliye humne unhe ek dusri jagah par shift kar diya tha jahan unka upchaar ho sakta tha... filhal toh wo teeno behosh hi hain par bohot jald unhe hosh aa jaayega aur wo wapas aa jaayenge...

aur rahi baat ki wo teeno wahan FOREST ke paas pahunche kaise toh ye tum khud hi dekh lo...


SHAILA ke aisa bolte hi uske haathon se wk ray nikal MARILIZA ke saamne hawa me rook gayi...

ye ray ek chalchitra thi par khaas baat ye thi ki ye ek fake, jhutti chalchitra thi jisse MARILIZA ke man ko shaant karne ke liye banaya gaya tha..

khair, chalchitra shuru ho chuka tha aur aisa hote hi MARILIZA hairan ho gayi...

reason....

chalchitra me scene ye tha ki ek taraf RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER khade the aur dusri taraf MORANA aur ANWIR khade the jinhone apne puri SOUL AMPLIFICATION ki shakti ka istemal karte hue un teeno par ray chhoda jiske prabhav se RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER,teeno hi hawa me piche ki taraf ud gaye aur ussi condition me zakhmi aur behosh hokar unki bodies FORBIDDEN FOREST ke saamne jakar giri...

scene ke yahan pahunchte hi chalchitra band hi gaya...


MARILIZA- ANWIR aur MORANA toh PHASE 2 me the aur ye teeno PHASE 1 me...aise me inki kya dushmani ho sakti hai....???

AKSHAANT-ye CHOSENS hai MARILIZA..yahan taakatwar kamzor ke saath kuch bhi kar sakta hai...

aur jahan tak mujhe maalum hai, RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER PHASE 1 ke sabse kamzor SAVENTS the aur ANWIR aur MORANA kamzoron ko kaise treat karte hain,ye chuppi baat toh hai nahi...

unke khudke PHASE me unhone najaane kitne SAVENTS ko takleef pahuchayi hai...

MARILIZA-par ye niyam second PHASE se lagu hota hai..aur ye teeno first PHASE ke the...

inke saath kuch galat karne ki permission PHASE 2 ya 3 ke SAVENTS ko nahi thi...

AKSHAANT-par jis jagah wo teeno khade the,wo PHASE 3 ki thi..unhe secure rakhne ke liye har waqt kisi strong SAVENT ka yaa fir WHIZZ aur WHIZZDER ka unke saath hona zaroori tha par aisa hua nahi...

aur waise bhi,ye sab purani baatein hain,isiliye is baare me soch kar koi faayda nahi...

important hai aage jo hone waala hai, uske baare me sochna...

aur issi baare me baat karne ke liye hum yahan aaye hain....


iske baad SHAILA ne MARILIZA ko kuch baatein batayi jisse sun...


MARILIZA-par SOVEREIGN,ye kaise possible hai..??

AKSHAANT-kiske liye...???


AKSHAANT ki baat sun MARILIZA chup ho gayi...

reason....

MARILIZA flow flow me ye bhul gayi thi ki uske saamne wo teen shaksh khade hain jinhone is institution ki rachna ki hai toh aise me jo bhi hoga,unke hisaab se hi hoga...

wahin jab SOVEREIGN'S ko laga ki MARILIZA saari baatein samajh gayi hain toh wo teeno bhi baat ko lamba naa kheenchte hue gayab ho gaye...





PLANET-THE PAGAN



PLACE-OUTSIDE THE CONCEAL





FINALLY!!!!HUME ASPRIT CRYSTAL MIL HI GAYA.....


DORIAN ASPRIT CRYSTAL haasil kar sidhe yahan CONCEAL ke saamne pahuncha tha...

uske haathon me ASPRIT CRYSTAL chamak raha tha jisse dekh behad khushi ke saath GASTON ne ye baat kahi thi jispar...


TRISTEN-wo sab toh thik hai par us nayi SHIELD ke yun achanak gayab hone ke baare me kuch pata chala...


DORIAN ko dekh TRISTEN ne ye sawal kiya....


DORIAN-nahi...jo bhi hua,wo itne achanak aur gupt tarike se hue ki kuch pata hi nahi chala....

UBEL-par ye ache sanket nahi hain... kyunki jis shield ko hum chaaron ki samast shakti bhi milkar tod nahi paayi,usse banane waala humare liye kitna khatarnaak saabit ho sakta hai,iska hum andaza bhi nahi laga sakte...

TRISTEN-bilkul satya kaha tumne...hume kisi bhi tarah us SHIELD aur usse lagane waale ke baare me pata lagana padega....


KAAM TUM SABKO BAS WAHI KARNA HAI JISKA TUMHE AADESH MILE...AUR KUCH NAHI....


ek nayi awaaz padi un chaaron ke kaano par jisse sun us awaaz ki disha me ghum gaya chaaron ka sir aur jab aisa hua toh un chaaron ki aankhen badi ho gayi...

reason...

jis CONCEAL numa shakti ke baahar wo chaaron khade the,us CONCEAL ke beech ka area khul gaya tha aur uske beech ek kaafi young but handsome aur lamba chowda ladka khada un chaaron kl dekh raha tha...

us ladke ke chehre me,uski personality me ek aisi vibe thi jisse mehsoos kar un chaaron ko apne andar ek ajeeb sa dar mehsoos hua jisse wo samajh nahi paa rahe the...

wahin apni baat keh woh ladka aage badha aur theek un chaaron ke beech DORIAN ke saamne jaakar khada ho gaya aur aisa karne me baad usne DORIAN ki taraf apna haath aage badhaya..

pata nahi kya tha us bande me ki uske aisa karte hi DORIAN ne bina kuch kahe uske haathon me ASPRIT CRYSTAL rakh diya....

ASPRIT CRYSTAL ko haath me lekar wo ladka ek baar muskuraya aur fir...


UNKNOWN-VIDEOUS naam hai mera...aur mai wahin hun jisse tum chaaron ka astitv hai..

jisse tum sabko shakti bhi milti hai aur aadesh bhi....


bina koi bhumika baandhe VIDEOUS ne apne baare me bata diya jiske baad kuch pal ke liye wo chaaron shocked ho gaye par fir wo sab turant apne ghutno par aane ko hue jispar...


VIDEOUS-kya mujhe dekhkar,mere saamne khade hokar tum chaaron ko dar lag raha hai....???


VIDEOUS ki baat sun un chaaron ne ek baar ek dusre ko dekha aur fir...


SAB-ji....

VIDEOUS-toh fir jhukne ki zaroorat nahi hai..meri moujudgi se man me paida hone waala dar hi mujhe diya jaane waala samman hai....

aur kisi samman ki mujhe zaroorat nahi hai....


ye bol VIDEOUS firse ASPRIT CRYSTAL ko dekhne laga...wahin is ASPRIT CRYSTAL ke baare me jaanane ki tivr icha hui uske saamne khade un chaaron ke andar jisse VIDEOUS jaan chuka tha aur isiliye...


VIDEOUS-ELYSIAN, CHOSENS aur FORBIDDEN FOREST....

in teeno ka nirman ek hi waqt par hua tha..

saath hi un chizon ka bhi jo FORBIDDEN FOREST ke andar hain siway is ASPRIT CRYSTAL ke....

iski utappati ka waqt thik uske baad ka hai jab FORBIDDEN FOREST ke aage uski SHIELD lag rahi thi..

parat dar parat FORBIDDEN FOREST ki SHIELD lagi thi aur jab baari aayi thi us aakhri parat ki jiske baad FORBIDDEN FOREST impenetrable hone waala tha,tab maine ek alag si urja mehsoos ki thi...

jo SHIELD ke us aakhri hisse ke lagne se pehle FOREST ke andar ghussi thi...

ussi urja ke kuch kan us jungle ke ek bhaag me gire the...

aur unhi kano se bana tha ye ASPRIT CRYSTAL....

DORIAN-oh.. toh iske zariye aap us anjaan urja ke baare me pata laga paayenge...

VIDEOUS-hmm... khair,tum chaaron ke jaane ka waqt ho chuka hai...


VIDEOUS ke aisa kehte hi un chaaron ke dimag me unke aage ka kaam,unka daayitv ek circular ki tarah ghum gaya jiske baad ek baar apna apna sir VIDEOUS ke aage jhuka wo chaaron gayab ho gaye...

ab us jagah par akela bacha tha VIDEOUS aur isiliye....

VIDEOUS ne apne right hand ke index finger ko us CRYSTEL ke upar rakha aur...


GATHIYAME RAHASYAM

UNFOLD THE HIDDEN TRUTH


SPELL ke uccharit hote hi VIDEOUS ki ungli se wo ray nikli jisme uski WHITE ENERGY ki shakti thi aur aisa hote hi ek kamal ke phool ki tarah wo CRYSTEL khul gaya aur jab aisa hua toh....

ek AURA nikli uske andar se aur VIDEOUS ke ussi index finger ke tip me sama gayi jisse VIDEOUS ki aankhen band ho gayi...

is waqt VIDEOUS ka dimag us AURA ke through us crystal ke RAAZ ko jaanane ki koshish me lag gaya par usse isme koi safalta nahi mili...

uske baad VIDEOUS ka dimag us crystal ka central point matlab uske origin ko dhundne me lag gaya aur is baar usse mili safalta aur aisa hote hi jhatt se khul gayi VIDEOUS ki aankhen....


VIDEOUS-toh aap dono hain iske piche RONIT aur ANJALI....

hahahahaha.....

koi baat nahi,koi baat nahi.....




SANKET banaye hain aapne..
mai unhe ULJHAUNGA...

raaste aapke hain,aapke hi rahenge,

mai toh bas un raaston me
KAATEIN BICHAUNGA.....








AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAPKA APNA V...J...
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SOVEREIGN'S MARILIZA KO RAAZ, ACCHUTA AUR SLUNDER KE GAYAB HONE KI EK JHUTI KAHANI BATATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF VIDEOUS KO ASPRIT CRYSTAL KE BAARE ME AADHI HI JAANKARI MILTI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-55



PLANET-ARROW


PLACE-THE KING'S BEDROOM





AAHHHH........


ek halki si karah ke saath aankh khuli ACCHUTA ki...

par sir me uth rahe bhaaripan ki wajah se usne turant apni aankh band kar li aur us bhaaripan aur pain ko zabt karne laga....

wahin in sab ke beech ek shaksh ACCHUTA ke thik saamne khada usse hi dekh raha tha...

ye shaksh aur koi nahi MAI tha....

apni shaktiyon ko apne SWORD ke andar daal mai apne agle padhav ki pehli sidhi ARROW planet pahuncha tha aur CHETNA BUTI ki madad se maine ACCHUTA ke senses usse wapas louta di thi...

par itne waqt tak us VEGITATIVE STATE ne rehne ki wajah se uske dimag ko thik se kaam karne me thoda waqt lagna tha aur filhal wahi lag raha tha...

aankhen band kiye ACCHUTA ka dimag filhal toh khaali tha par ye khaalipan bhi bas kuch pal ka hi mehmaan tha aur hua bhi wahi...

aaankhen band kiye ACCHUTA ke dimag me achanak uske saath hue aakhri drishya ghum gaye....

wahi drishya jisme ek shaksh ke haath se ek badi gaadhi ray nikal uske dimag me padi thi jiske baad uska sir bhaari hone laga tha aur fir wo chakkar khaate hue gir gaya tha...

is scene ke yaad aate hi ACCHUTA ko apne sir ke bhaaripan ka kaaran pata chal gaya par tabhi....

ACCHUTA ke dimag me wo drishya bhi ghum gaya jisme ussi shaksh ne usse pehle uske maata pitah ko bhi VEGITATIVE STATE me bheja tha aur ye yaad aate hi jhat se ACCHUTA ki aankhen khul gayi par aisa hote hi wo ekdum se hadbada bhi gaya...

reason....

apni gehri kaali aankho se jhaankta hua mai uske thik saamne khada usse hi dekh raha tha...

chehra mera sthir tha par us sthir chehre par bhi ek ajeeb si kathorta aur dridhta thi jisse dekh ACCHUTA chah kar bhi bol nahi paa raha tha par bolna toh tha hi aur isiliye...

ACHHUTA-kaun ho tum???aur yahan ROYAL CHAMBER me kya kar rahe ho...???

MAI-RAAZ naam hai mera....apne left dekho...


pehla sawal hi appropriate tha uska isiliye maine bas uska hi jawab diya...

wahin mere kehne par jaise hi ACCHUTA ne apne left ki taraf dekha toh uske agle hi pal wo hairan aur pareshan dono ho gaya....

reason...

uske baaju me uske mom aur dad ussi VEGITATIVE STATE me pade hue the jisme kuch der pehle tak wo bhi tha...

apne mom dad ko yun besudh pada dekh ACCHUTA ki aankhon me aansu aa gaye....

MOM,DAD kehte hue wo un dono se lipat kar rone laga....

kuch der tak yunhi rote rehne ke baad usse yaad aaya ki ek aur shaksh bhi is kamre me moujud hai...

usse lagne laga tha ki mai un do logon ka saathi hun jinhone uske mom dad ko us haal me pahunchaya tha...

is khayal ke uske man me uththe hi usse mujhpar behad krodh aaya par fir usse wo scene yaad aaya jab bina kisi prahar kiye un do logon ne uske mom dad ko is condition me pahuncha diya tha aur aise me agar mai unka saathi tha toh wo yaa fir uski sena bhi mera kuch bigad nahi paayegi...

is soch ke uske dimag me ubharte hi pehle usne khud ko shaant kiya aur wo wapas meri taraf palta....


ACCHUTA-kya tum bhi un dono ke saathi ho jisne mere MAATA PITAH ko is haal me pahunchaya tha...???

MAI-dusri taraf dekho....


meri baat ko sun pehle toh usne mujhe hi ajeeb nazar se dekha par fir jaise hi uski gardan uske right taraf mudi,usse laga jhatka....

reason...

uske right ki taraf jahan us bade se CHAMBER ka diwar hona chahiye tha,wahan is waqt ek bade se sqaure shape me khaali space bani hui thi jiski dusri taraf ek alag CHAMBER dikh raha tha par us CHAMBER ki banawat ACCHUTA ke mahal me bane CHAMBERS se bilkul alag thi...

wahin apni baat keh mai us diwar waali jagah jahan is waqt maine WORLD DOOR banaya hua tha,uski taraf badha aur...


MAI-mere piche aao....


apni baat keh mai aage badha aur us DOOR ke beech pahunch gaya...

wahin ACCHUTA ab bhi apni jagah par hi baitha mujhe dekhe jaa raha tha aur isiliye mai palta aur...


MAI-mujhe baatein dohrane ki aadat nahi hai ACCHUTA....


meri awaaz ko sun andar tak sihar sa utha ACHHUTA aur aisa hote hi uski body apne aap hi harkat me aayi jiski wajah se wo turant khada hua aur meri taraf badhne laga...

wahin mai bhi wapas palta aur WORLD DOOR se hota hua dusri taraf pahunch gaya jahan thik ACHHUTA ke hi parents ki tarah teen log besudh ek bed par pade hue the...

wahin mere piche piche world DOOR se hota hua jab ACCHUTA us room me enter hua toh saamne ka scene yaa fir ye kahun ki bed par lete logon ko dekhkar wo chownk pada....

reason....

SLUNDER aur uske mom dad jo ki is waqt saamne bed par lete hue the, ACHHUTA jaanta tha unhe...

(DORIAN AUR GASTON NE JAB WO ACCHUTA AUR SLUNDER KE BHESH ME THE,TAB UNHONE APNI KAHANI BATATE WAQT IS BAARE ME BATAYA THA KI ACCHUTA AUR SLUNDER UNKE SOLAR SYSTEM KE VARSHIK VYAPAR SAMMELAN KE DAURAN MILE THE)


SLUNDER aur uske mom dad ko dekhna ACCHUTA ne bilkil bhi expect nahi kiya tha aur isiliye....


ACCHUTA-ye teeno toh CARAPACE PLANET ki royal family se hain...ye yahan ARROW me kya kar rahe hain...???

MAI-ye teeno ARROW me nahi,tum is waqt CARAPACE me ho..


meri baat aun ACCHUTA behad chownka par isse pehle ki wo kuch kehta...


MAI-ye jo beech me ek nayi jagah si bani hui hai,ye ek WORLD DOOR hai jiske ek taraf tumhara PLANET aur tumhara CHAMBER hai aur dusri taraf hai ye jagah jo ki CARAPACE PLANET hai aur is waqt tum yahan ke ROYAL CHAMBER me ho....

jahan meri baat sun ACCHUTA ki aankhen hairani se badi ho gayi wahin apni baat keh maine apna haath aage kiya jiske baad mere haath se 1 Jyoti jo ki asal me CHETNA BUTI thi, bahar nikli aur aage badhte hue bed lar lete SLUNDER ke dimag me ghus gayi aur aisa hone ke kuch pal baad hi dheere dheere SLUNDER ki aankhen khulne lagi...

ACCHUTA ko toh kuch samajh me hi nahi aa raha tha isiliye aakhon me aascharya aur dher saare sawal liye wo bas mujhe dekhe jaa raha tha...

wahin jaisa aankh khulne ke baad ACCHUTA ke saath hua tha,wahi SLUNDER ke saath bhi hua...

sir ke behad bhaari lagne ki wajah se wo kuch der tak apni aakhen band kar baitha raha par fir jab uski aankhen khuli aur usne apne saamne ek anjaan shaksh yaani ki mujhe dekha toh wo behad haran hua par sabse zyada hairani usse tab hui jab usne mujhse thodi door khade ACCHUTA ko dekha aur isiliye...


SLUNDER-tum toh PLANET ARROW
ke prince ho naa...!!!tum yahan kaise...???

kahin tumne hi toh us shaksh ko nahi bheja tha jisne hamare saath hamare MAATA PITAH ko....


aage ki baat SLUNDER ke mooh ke andar hi reh gayi kyunki baaton baaton me jab uske mooh se MAATA PITAH nikla toh usse wo beeta hua scene yaad aa gaya jo uske aur uske parents ke saath ghata tha aur isiliye usne jhat se pehle apne right aur fir left ki tarar jahan uske mom dad behosh pade hue the,apni nazar ghumayi..

apne mom dad ko us haalat me dekh uski aankhon me bhi aansu aa gaye....

kuch der tak yunhi rote rehne ke baad...


SLUNDER-tumne karwaya hai naa PRINCE OF ARROW ye sab???


SLUNDER ki baat ka ACCHUTA koi jawab de,usse pehle hi....


MAI-tum aur tumhare mom dad ke saath jo hua tha wahi cheez is ACCHUTA par aur iske mom dad ke saath bhi hui thi...

aur ye kiya tha DORIAN aur GASTON naam ke do logon ne...

SLUNDER-par kyun...???kyun kiya un dono ne aisa humare saath...???

MAI-kuch chahiye tha unhe jisse sirf tum dono ki families ke through hi wo haasil kar sakte the..

unhe laga ki tum sab ko us PERSITANT VEGITATIVE STATE ki haalat me pahuncha kar unka kaam ho jaayega...


meri baat suanane ke baad SLUNDER toh khamosh hi raha par ACCHUTA jo khud toh usse di gayi mout si neend se jaag hi chuka tha par saath hi jisne mujhe SLUNDER ko bhi thik karte hue dekha tha,uski aankhen chamak gayi...

usse yakin ho chala tha ki uske aur SLUNDER ki hi tarah mai un dono ke mom dad ko bhi thik kar sakta hun aur isiliye....


ACCHUTA-tumne hum dono ko us mout ki neend se jagaya hai...iska arth hai ki tum hamare mom dad ko bhi thik kar sakte ho, haina..???


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ki ankhen bhi chamak uthi aur wo bhi mujhe ummid bhari nazaron se dekhne laga..

wahin un dono ki baat sun maine kuch kaha nahi bas apna right hand aage kar diya jiske baad mere hatheli ke upar chaar roshniyan chamakne lagi jo ki asal me CHETNA BUTI hi thi...


MAI-ye chaar jyot,roshniyan tum dono ke mom dad ko jaga dengi...


meri baat sun un dono ki aankhon ki chamak aur badh gayi thi...


SLUNDER-toh der kis baat ki..mere mom dad ko jaldi se thik kar do...mai tumhara ye ehsaan kabhi nahi bhulunga...

ACCHUTA-haan...mere MAATA PITAH ke ilaaj ki roshniyan mujhe de do.. mai turant usse apne MAATA PITAH ko hosh me le aaunga...


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER hairan bhi hua aur saath hi ACCHUTA ke piche ka scene matlab WORLD DOOR dekhkar usse jo pehle se hi hairani hi rahi thi,wo bhi badh gayi aur isiliye..


SLUNDER-turant kaise hosh me laaoge...???aur ye tumhare piche khaali sthaan jaisa kya hai..??wahan toh is room ki deewar thi naa...???

ACCHUTA-ye khali sthan nahi hai..ye ek PLANET DOOR jaisi koi chiz hai jiske dusri taraf mera PLANET hai jahan mere mom dad bhi tere mom dad ki sthithi me pade hue hain..


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ki hairani aur badhi jiske baad wo kuch kehne ko hua par in dono ki aukaad se zyada mai inhe explain kar chuka tha aur isiliye mere chest se jahan meri SWORD aur uske saath meri chuppi hui shakti thi,wahan se do rays nikal tezi se aage badhi aur sidhe un dono ke dimag me sama gayi aur jab aisa hua toh....

un dono ki aankhen ek baar firse band ho gayi....

aur uske baad un dono ke dimag me unke PERSISTENT VEGITATIVE STATE me jaane ke baad kya kya hua,wo sab unhe dikhne laga....

DORIAN aur GASTON ka unka roop lena, AKSHAANT aur SHAILA ka un dono ke PLANETS me aana aur unka roop dhare GASTON aur DORIAN ko unke mom dad ke saath kya hua hai,uske baare me batana, CHOSENS ke baare me janana,wahan un dono ke behroopiyon ka padhna,sab kuch jo un dono behroopiyon ne unka bhesh dhar sikhne ki acting ki,wo unhe dikhne laga...

saath hi yahan unke PLANETS me unke SAMRAT,unki wife aur bacche ko us marne jaisi haalat me dekh yahan ke logon ne unhe thik karne ke liye kiye gaye prayas bhi unhe dikhe...

itna hi nahi,is drishyam ke dauran un dono ka dimag ek baar firse bhaari ho gaya tha aur saath hi un dono ko apne sharirik aur aantarik jagahon par behad tez dard feel hone laga tha par in sabke beech un dono par is waqt ek sammohan tha...

mera sammohan jiski wajah se us tez dard ke bawjud un dono ki naa toh aankhen khuli aur naahi unhe dikhne waala drishyam gayab hua...

mai kaun hun aur mere saath DORIAN aur GASTON ne kya kiya tha,is cheez ko chhod un dono se related drishya un dono ko dikhne lage....

saare drishya aur unse judi baatein jaanane ke baad ACCHUTA aur SLUNDER ki aankhen khul gayi jisme is waqt dard aur hairani dono hi dikh rahi thi par waqt ke saath dard toh chala hi gaya par unki harani ab bhi wahin thi aur isiliye...


ACCHUTA-hum pichle 18 mahino se behosh the aur is dauran itna kuch ho chuka hai...

SLUNDER-par ek baat samajh me nahi aayi ki wo dono jinhone hume aur hamare mom dad ko behosh kiya tha,wo dono hamara bhesh dhar CHOSENS me kyun gaye...???

MAI-kya is baare me drishyam me kuch dikhaya gaya tha...???

SLUNDER-nahi...

MAI-iska matlab hai ki wo baat tumhare kaam ki nahi hai...aur matlab unhi chizon se rakhna chahiye jo tumhare kaam ki ho..

isse zinda rehne ke chances bane rehte hain..


SLUNDER ki aankhon me dekh maine ye baat kahi jisse uske puri body me ek sihran si doud gayi...

usse aisa laga jaise mout uski aankhon se jhaankti hui uski rooh ko dekh rahi hai aur wo feeling dar ki aakhri hadh thi jisse SLUNDER aur uske saath hi is waqt ACCHUTA bhi feel karne laga tha...


MAI-is waqt tum dono ke hi kaam ki do chizen hain...

pehli....jo dard tum dono ke BRAIN BODY aur BLOOD ne feel kiya tha,wo dard asal me tum dono liye ek gift thi...

ACCHUTA-gift wo bhi dard...!!!hum samjhe nahi...???

MAI-CHOSENS ke first PHASE me BRAIN,BODY aur BLOOD ko AMPLIFY karne ke liye har din jis dard se guzarna padta hai,ye wahi dard tha..

aur ab tum dono ke hi brain, BODY aur BLOOD AMPLIFY ho chuke hain...


DRISHYAM me dikhaye scenes ki wajah se ACCHUTA aur SLUNDER dono hi CHOSENS ke first PHASE ke saare classes aur unme sikhane waali chizen aur vidhi,in sabhi ke baare me jaan chuke the aur ab jab unhe ye pata chala ki 4 me se 3 classes me hone waali AMPLIFICATION me ab wo dono bhi paarangat ho chuke hain toh woh dono kaafi khush ho gaye the...


MAI-dusri kaam ki chiz hai ye RAYS jinme tumhare mom dad ke senses hain....


apna wo haath jisme wo do roshniyan chamak rahi thi,unhe aage karte hue maine ye baat kahi jisse sun un dono ki aankhon me ek baar firse chamak aa gayi aur isiliye...


ACCHUTA-please inhe jaldi se istemal kar hamare mom dad ko hosh me laa do...

MAI-bilkul...par ek choti si problem hai...!!!

SLUNDER-problem...???kaisi problem..???hume batao,shayad hum kuch madad kar paayen...


aakhri baat bolte waqt SLUNDER ki zuban ladhkhada si gayi thi aur wo isiliye kyunki usne mujhe madad karne ki baat kahi thi jo usse lagne laga tha ki uske haisiyat se baahar ki chiz hai par...


MAI-shayad nahi, sirf tum dono hi ho jo meri madad kar sakte ho...

ACCHUTA-agar aisa hai toh bolo..apne mom dad ke liye mai apni jaan bhi de sakta hun...

SLUNDER-mai bhi..

MAI-wahi toh chahiye....


meri baat sun hadbada se gaye wo dono aur...


SLUNDER-hum samjhe nahi...kya hume marna hoga...????

MAI-maut bohot sasti chiz hai..keemat zindagi ki hoti hai...

ACCHUTA-matlab???

MAI-jaise ek insaan me,jaanwar me,ped poudhon me zindagi hoti hai thik waisi hi zindagi us PLANET me bhi hoti hai,jahan ye sab rehte hain...

mujhe wahi zindagi chahiye...mujhe ARROW aur CARAPACE,ye dono hi PLANETS chahiye...


aankhen hi fat gayi ACCHUTA aur SLUNDER ki meri baat sunkar....unhe samajh me hi nahi aa raha tha ki wo kaise react karen...???


ACCHUTA-tumhe hamare PLANETS chahiye....ye PLANETS hain,koi chiz nahi jo hum utha kar tumhe de denge...

MAI-mere liye ye PLANETS chiz hi hain...agar chahun toh inhe zabardasti le sakta hun... aur yakin maano,agar maine aisa karna chaha toh aisa koi nahi hai jo mujhe rok sakta hai...


ye bol maine ek baar fir jhaanka un dono ki ankhon me aur mere aisa karte hi meri taakat ka ek chota sa ansh un dono ko feel hua par itna kaafi tha unki haalat kharab karne ke liye...

mooh me jaise lakwa maar gaya un dono ka... aur isiliye maine apni baat ko age badhaya....


MAI-par mai aisa karna nahi chahta...tum dono apne apne planets ke heir ho,yuvraj ho, isiliye mai chahta hun ki ye faisla tum dono ki razamandi se ho.....


ACCHUTA-hum yuvraj hain,SAMRAT nahi..wo padh hamare PITAJI ka hai...toh faisle bhi wahi karenge naa...!!!

MAI-faisla mai karta hun ACCHUTA aur log us faisle ko follow karte hain....

aur jo nahi karte, unka patan nishchit hai...

rahi baat tum dono ke yuvraj hone ki toh mere liye itna hi kaafi hai...jis tarah se mai chahun,tum dono mujhe us tarah se vachan doge aur jab aisa hoga,toh yakin maano,apne mata pitah ko convince karna tum dono ke liye asaan ho jaayega...


meri baat sun dono hi gehri soch me padh gaye aur...


SLUNDER-ek baat batao...tumhe hamare PLANETS chahiye...iska kya matlab hai...???

kya tum hamare PLANETS ke naye SAMRAT banana chahte ho...???

MAI-nahi...mai chahta hun ki tum dono apne apne planets ko evacuate karwa lo....mujhe ye dono PLANETS khaali chahiye...

SLUNDER-par fir humare log kahan jaayenge...???

MAI-ye bhi mai hi bataun...??11 living PLANETS hain tumhare aur ACCHUTA ke PLANETS ko chhod kar is SOLAR SYSTEM me..

unme se kisi bhi planet me reh sakte hain tumhare log..waise bhi, ARROW aur CARAPACE is SOLAR SYSTEM ke sabse powerful PLANETS hain...

sadiyon se baaki ke 11 PLANETS in dono PLANETS par hi dependent rahe hain..toh ab ek return favour ke tahat itna toh wo sab kar hi sakte hain...


meri baaton ko sun SLUNDER aur ACCHUTA,dono hi tention me a gaye the...


MAI-zyada sochne se bhi koi faayda hoga nahi...agar mai chahun toh yahan rehne waale har shaksh ko maar kar in PLANETS ko khaali kara sakta hun par mai aisa chahta nahi...

toh ho sake toh mujhe aisa chahne par majboor mat karo...


meri baat sun un dono ne ek dusre ko dekha...bebasi aur dar..ye dono hi bhaav un dono ke chehron par saaf dikh rahe the...

par wo jaante the ki wo kuch nahi kar sakte the aur isiliye un dono ne kuch der tak dimagi manthan kiya aur fir....


ACCHUTA/SLUNDER-hum taiyar hain...

MAI-moukhik manzoori nahi chahiye mujhe...aantarik razamandi chahiye...

SLUNDER-aantarik razamandi..!!!iska kya arth hai....???

MAI-mere saamne aakar khade ho jaao....


meri baat sun kuch pal toh wo dono hichkichaye par fir wo mere saamne aakar khade ho gaye...

aisa hone par maine dono ke chest par haath rakha aur....


MAI-apni aakhen band karo aur man hi man dil se jo maine chaha hun,usse razamandi do....


jahan meri baat sun dono ne apni aankhen band ki aur meri khwahish par razamandi dene lage wahin un dono ke aisa karte waqt..


ANNJAVI SAMUDEYA BINJAVATI


maine ek DARK SPELL bola jiske uccharit hote hi ACCHUTA aur SLUNDER ki soul ka ek bhaag unke rakht ke saath milkar bahar nikla aur mere andar sama gaya...

is kriya ke douran un dono ne apne andar halka sa pain aur saath hi ek ajeeb sa khaalipan mehsoos kiya tha...

unhe lag raha tha jaise unka kisi chiz se wireless connection tha par ab wo connection toot raha tha...

wahin kuch hi palon me meri kriya samapt ho chuki thi aur isiliye maine apna haath un dono ke chest se hata liya aur mere aisa karte hi un dono ko aisa laga jaise unke andar se koi bohot hi ehem aur keemti cheez baahar nikal gayi thi...

is ehsaas ne ek baar phirse unke sir me bhaaripan paida kiya jiske asar se wo dono niche girte hue phir se behosh ho gaye....



MAI-jahan HADH ki SARHAD hai,
mai uske bhi paar JAA RAHA HUN..

tera KHEL tere saath KHELNE,
mai tere paas AA RAHA HUN....







AAJ KE LIYE ITNA HI....






AAPKA APNA V...j....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI RAAZ ACCHUTA AUR SLUNDER SE UNKE PARENTS KO HOSH ME LAANE KE BADLE UNHE UNKE PLANETS KHAALI KARNE KE LIYE KEHTA HAI JISSE WO DONO MAAN JAATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)




UPDATE-56





PLANET-ELYSIAN


PLACE-ALFREENS ABODE





EK BAAT BATAYIYE MR FELLAR....???AAPKE PLANET ME 1 KING RULE HAI TOH AISE ME KYA EK PURE PLANET KO MANAGE KARNE ME PROBLEM NAHI HOTI HOGI...!!!!????


FELLAR-problem..!!!!bilkul nahi...haan,thodi bohot siyasati mushkilen aati rehti hain par wo toh har kingdom me common baat hai par aaj tak kabhi koi major problem nahi aayi hai...

FLORIN-wow, that's commendable....

FELLAR-waise aapne bataya ki aapke planet me KINGS rule nahi karte...???toh kya wahan KINGDOMS,RIYASATEN nahi hoti...

aur law and order ko kaise manage kiya jaata hai...???

FLORIN-well,hamare PLANETS me bhi KINGDOMS hoti hain par wahan unhe COUNTRIES kehkar bulaya jaata hai...

aur rahi baat unhe chalane ki toh jaise aapke planets me KINGS RULE chalta hai,waise hi hamare yahan P.M ya fir PRESIDENT rule chalta hai...

law and order kaayam rakhne ke liye har country ke apne apne laws hote hain...

har countries me bohot se state hote hain aur un states ko sambhalne ke liye bhi bohot se log appoint kiye jaate hain..


FLORIN ki baat ko samajhte hue FELLAR ne apne sir ko halki jumbish di...


subah ka waqt hai....MR & MRS FELLAR dono hi ALFREEN ke abode me aaye hue hain..

pichle PHASE ke waqt toh sabke ABODES ek dusre se kaafi door the aur socializing ka bhi mouka wahan milta nahi tha par kyunki second PHASE first ke complete opposite tha isiliye ab sabhi PHASE 2 ke PARENTS according to there wards catagory,ek dusre se jam karne waale the...

pichle kuch dino me FLORIN,MARIA,FELLAR aur unki wife GRACE ek dusre ke ache friends ban gaye the aur lagbhag har din ye chaaron ek dusre ke ghar gather hua karte the jaisa ki abhi hi raha tha..

khair, FLORIN aur FELLAR apni baat aage badhate ki tabhi...


AAP DONO KI POLITICAL TOPICS PAR BAATEIN KABHI KHATM HONE WAALI TOH HAI NAHI..

ISILIYE PEHLE BREAKFAST KAR LETE HAIN,FIR AAP LOG APNI BAATEIN KARTE RAHIYEGA...


jahan hall me enter hote hue MARIA ne ye baat kahi wahin unke saath aati hui GRACE....


GRACE-ELUSORY......jao...bacchiyon ko breakfast ke liye bula lao...

ELUSORY-right away MA'AM....


GRACE ki baat sun kuch door khadi ELUSORY ne apne sir ko jhukate hue ye baat kahi aur baahar bane pool ki taraf jahan is waqt MABEL, ALFREEN aur MAHI swimming kar rahi thi,chal padi aur kuch hi der me wo un teeno ko lekar hall me aa chuki thi...

wahin baccho ko dekh....


MARIA-tum teeno din bhar us pool me hi rehti ho,kahin tabiyat kharab ho gayi toh...!!!!

ALFREEN-oh common mom...humari kabhi tabiyat kharab nahi ho sakti..we are damn tough,right girls....

MAHI/MABEL-right....

MAHI-aur waise bhi aunty.... entertainment ke liye ye pool aur bahar garden ko chhod filhal hamare paas aur hai hi kya...???

GRACE-what are you saying...???itna khubsoorat, advanced aur happening PHASE hai ye... regularly checkout kiya karo...

MABEL-yaa right....check out???kya check out karen...yahan CLUBS hain,PUBS hain,MALLS hain,PARTY PALACES hain,PLAY ZONES hain,aur bhi bohot kuch hai par filhal hume kisi bhi jagah ke andar jaana allowed hai nahi..

matlab jo bhi dekhenge,wo baahar se hi dekh paayenge...toh kya faayda hua....???

MAHI-haan toh ELUSORIES ne bataya toh hai naa ki jab tak tum sabka ye PHASE shuru nahi ho jaata,tab tak har poshe aur entertainment wali jagah par hum nahi jaa sakte...

entry ke liye special cards hote hain jo hume PHASE 2 ke first day par allot kar diye jaayenge..

uske baad toh hume har jagah explore karni hi hai....

FLORIN-bilkul...waise hum bhi kaafi exited hain yahan ki har jagah ko check out karne ke liye...

waise bhi ab tum logon ke PHASE 2 start hone me zyada waqt bacha hi kahan hai....???

MABEL-just a WEEK uncle..aaj se thik saath din baad next session shuru...

which means in a week,we would be the official TRIO STELLAR of PHASE 2....






PLANET-CARAPACE/ARROW


PLACE-THE ROYAL CHAMBERS





KYA KIYA THA TUMNE HAMARE SAATH...???HUM BEHOSH KYUN HO GAYE THE...????


kuch der ki hi behoshi chaayi thi ACCHUTA aur SLUNDER par...

kuch der baad jab dono hi hosh me aaye toh ek baar firse un dono ne mujhe apne saamne paaya jiske baad SLUNDER ne mujhse ye sawal kiya jispar...


MAI-piche dekho...


SLUNDER ke sawal ko darkinaar kar maine apni baat kahi jisse sun un dono ne pehle toh ek pal mujhe hi ghoora par phir jab wo dono piche palte toh ek baar fir un dono ki aankhen chamak uthi...

reason....

mere haathon se chaar jyoth jo ki CHETNA BUTI thi nikal kar aage badh chuki thi jinme se do baaju ke room jahan ACCHUTA ke PARENTS the,wahan chali gayi thi aur baaki do yahin is room me SLUNDER ke mom dad ke paas jaa rahi thi jisse dekh wo dono samajh chuke the ki unke mom dad bhi ab hosh me aane waale hain....

is baat ka ehsaas hote hi dono ye bhi bhul gaye ki kuch der pehle wo behosh hue the...

aabhar vyakt karne ke liye wo dono turant wapas meri taraf palte par tabhi...


MAI-ye lo.....


mere aisa kehte hi mere saamne hawa me ek ray ban kar rook gayi..


ACCHUTA-ye kya hai..???

MAI-jo dene ka vachan tum dono ne hi mujhe diya hai,uski pushti toh tumhare MAATA PITAH hi karenge naa...

un chaaron ke hosh me aate hi tum meri baat unke saamne rakhoge aur tab agar meri khawahish se tumhare mom dad iteffaq naa rakhen toh un chaaron ko is ray ko chunne ko keh dena...

aisa karte hi unhe tumhari baat samajh aa jaayegi...

unke haan kehte hi mai wapas aa jaaunga....


jo baatein maine ACCHUTA aur SLUNDER ko batayi thi,wahi baat mai un dono ke parents ke saamne repeat nahi karna chahta tha aur isiliye hi apni baat keh mai gayab ho chuka tha...

wahin ab tak CHETNA BUTI ne apna kaam kar diya tha... ACCHUTA aur SLUNDER ke parents hosh me aa chuke the...

aur aisa hote hi SLUNDER apne mom dad aur ACCHUTA apne parents ke paas pahunch unke gale log ro rahe the...

kyunki DORIAN aur GASTON dono ne hi in sabko sote hue hi us STATE me pahunchaya tha, isiliye un chaaron ko toh bas aisa lag raha tha jaise wo so kar uthe hain...

aur aise me jab unke bacche unke gale lag rone lage toh unhe kuch samajh me nahi aaya aur isiliye unhone is sudden emotion
ka kaaran pucha aur fir....

us taraf ACHHUTA aur is taraf SLUNDER apne apne mom dad ko unke saath ab tak kya kya ghat chuka hai,wo sab batate chale gaye jisse sun dono hi taraf ke KING aur QUEEN ki aankhen hairat se badi hoti chali gayi.....

un sab ko yakin hi nahi hua ki abhi abhi wo sab jis neend se jaage hain,wo neend 19 months lambi thi...

khair,abhi toh un sabko aur hairan hona tha...

jab unke bacchon ne bataya ki unke room ke beech se dusri duniya jo ki unka rival PLANET tha,wahan ka raasta bana hua tha,toh un sabki aakhen badi ho gayi...

unhe is baat par yakin nahi hua tha aur isiliye wo sab us raaste ki disha me badh chale...

ACCHUTA aur SLUNDER,dono ke hi parents ek hi time par us WORLD DOOR ke saamne pahunche aur jab un sabne ek dusre ko dekha tab jaakar unhe apne bacchon ki har wo baat jo ab tak unhe batayi gayi thi,uspar unhe yakin hone laga...


ACCHUTA FATHER-hume toh ab bhi ye sab ek bure sapne ki tarah lag raha hai...

SLUNDER FATHER-sach kaha...par jab hume us mout ki neend me sula diya gaya tha toh fir hum hosh me kaise aaye aur aap dono ko itna sab pata kaise chala...???


SLUNDER ke father ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ne RAAZ ne jo unhe bataya tha,wo sab bata diya...

ye jaankar ki RAAZ naam ke ladke ne un sabko unki chetna loutayi hai,wo sab uske liye aabhar mehsoos karne lage par fir jab ACCHUTA aur SLUNDER ne unhe bataya ki kis shart ke tahat RAAZ ne ye sab kiya hai,wo jaankar un dono ke hi maata pitah ko krodh aa gaya aur...


SLUNDER FATHER-uska itna dushaas...hamare PLANETS ke badle usne hume hamari chetna loutayi hai....hume ye souda manzoor nahi....

ACCHUTA FATHER-sahi kaha..aur aap dono jo ki apne apne PLANETS ke yuvraaj hain,aapne uski baat par samarthan kiya kaise...???

aapke liye sabse mahatvpurn aapka PLANET aur yahan ke log hone chahiye naa ki hum...

uske prastaav ko sunte hi aapko usse mana kar dena chahiye tha...

ACCHUTA-wo prastaav nahi tha,uska aadesh tha...aur humne bhi uski baat isiliye nahi maani kyunki hume aap sabko CHETNA loutani thi,balki isiliye maani kyunki hum nahi chahte the ki hamare faisle ki wajah se hamare log maare jaayen..

hum chahen ya naa chahen, PLANETS toh hume usse dene hi hain toh aise me hum kyun vyarth me apne logon ki bali den....

ACCHUTA FATHER-aap kaisi baatein kar rahe hain...

usne aap dono ko dhamkaya aur aap dono dar gaye...

itna toh sochiye ki baat 2 PLANETS ki ho rahi hai,do raajyon ki nahi...wo hoga shaktishali,par hamari sainya shakti bhi kisise kam nahi....

agar usne zabardasti ki toh usse iska moohtod jawab milega....


krodh se bhar ACCHUTA ke FATHER ne ye baat kahi thi..

wahin ACCHUTA aur SLUNDER jinhone RAAZ ki shakti ke ek maamuli se bhaag ko mehsoos kiya tha,jisse mehsoos kar wo jaan gaye the ki ladhna toh door,un dono ke PLANETS ki puri sena milkar bhi uske saamne khade tak nahi ho paayenge aur isiliye....


ACCHUTA-aapko kya lagta hai ki humne is baat par vichar nahi kiya hoga...??

par yakin maaniye,hum dono PLANETS ki samast sena,yahan tak ki hamare SOLAR SYSTEM ke pure 13 PLANETS ki taakat bhi agar mila di jaaye toh bhi hum us RAAZ ka kuch bigad nahi paayenge....

SLUNDER-haan PITASHRI...aur is baat ka ek jeeta jaagta pramaan hum sabhi hain..

humne aapko bataya naa ki CHOSENS naam ke ek institution me jahan maayavi sikhsha di jaati hai,wahan hum dono ka selection ho gaya tha aur jahan humara bhes dhar hume is mout si neend me sulane waale dono vyakti chale gaye the...

us CHOSENS ko jinhone banaya tha,jinme apaar shakti hai fir bhi wo hum sabko us neend se jagane me asamarth the par us RAAZ ne hum sabko ek jhatke me theek kar diya..

zara soch ke dekhiye ki wo kitna taakatwar hoga...


ACCHUTA aur SLUNDER ki baat sunane ke baad bhi unke parents RAAZ ki shart ko nahi maan rahe the aur isiliye ab ACCHUTA aur SLUNDER ke paas bas ek aakhri raasta hi bacha tha...

raasta tha wo ray jo RAAZ ne aise hi waqt ke liye wahan chhodi thi aur jo ab bhi apni jagah par rooki hui thi..

dono ki hi nazar us ray ki tataf ghum gayi aur fir...


SLUNDER-jisse ladhne ke baare me aap sab soch rahe hain,uske paas ALOUKIK shaktiyan hain..aisi shaktiyan jinse lada nahi jaa sakta...

khair,agar aapko fir bhi lagta hai ki aap log usse yudh kar sakte hain toh usse pehle ek baar wo jo ray dikh rahi hai,usse touch kar lijiye..


us ray ki taraf ishara karte hue SLUNDER ne ye baat kahi....


ACHHUTA-wo ray ussi ne wahan rakhi hai aur kaha hai ki agar aap sab uski baat se sehmat naa hon toh ek baar us ray ko chhu kar dekh len...


ACCHUTA FATHER-aisa kya hai us ray me???

ACCHUTA-khud check kar lijiye...


halke dar aur ghabrahat ke beech SLUNDER aur ACCHUTA ke FATHERS aage badhe aur us ray ke saamne jaakar khade ho gaye...

ek pal sochne ke baad un dono ne hi us ray ko chhu liya par tabhi....


SATYA DARPAN....


yahi naam tha us ray ka...jisse chhute hi.....


BOOM.........


dono ke kaano me ye awaaz gunj uthi jisse un dono ko ek tez jhatka laga...


reason.....

RAAZ us PLANET ke saath kya kya kar sakta hai,us ray ko chhute hi ye dikhne laga tha un dono ko..

unhone dekha ki sirf ek waar se RAAZ is pure PLANET ko uske core sahit nasht kar raha hai jisse hua tha wo dhamaka...

dono hi PLANETS ke log us waar ki wajah se jalkar raakh ho gaye....pal bhar me hi do livings PLANETS chote chote meteors ka roop dhar pure bramhaand me fail gaye the....

ye sab scene dekh dono ke haath pair kaampne lag gaye....jo ladhne ka jasba un dono ke andar jaaga tha,wo ek second me gayab ho gaya...

jaise hi SATYA DARPAN ke scenes khatm hue aur wo ray gayab hua toh....


ACCHUTA FATHER-thik hai....jaisa wo chahta hai,waisa hi hoga....

SLUNDER FATHER-haan..par sabse pehle hume hamare sahiyogi PLANETS ko ye suchit karna hoga ki hum aur hamare PLANETS ke log wahan basne waale hain...

baat pure PLANET ke logon ki evacuation ki hai..isme waqt lagega....

hamare paas jitne bhi SPACE SHIPS hain,unme hamare PLANETS ke har baashinde ko bhar kar kahin aur shift karane me bhi kaafi waqt lagega...

hume ummid hai ki wo hame is kaarya ke liye ucchit waqt denge...


ab bhi halke halke kaampte hue dono hi SAMRATON ne ye baat kahi jispar unki patniyan shocked hui par isse pehle ki wo kuch kahen...


MAI-ek hafta hai aap logon ke paas, apne logon ko yahan se rukhsati ke liye mana lijiye...


ek gehra kaala dhuan jiske beech ek white ray chamak rahi thi,wo ubhri un sabke saamne jiske andar se ye awaaz aayi thi...

wahin kuch hi palon me us dhuen ne human form le liya jiska matlab tha ki un sabke saamne MAI khada tha....

mujhe dekhkar jaisi feeling SLUNDER aur ACCHUTA ko aayi thi,thik waisi hi sarsarahat un dono ke MAATA PITAH ko bhi mujhe dekhte waqt hui..

meri aankhon me dekhte waqt uski khamoshi ko un sabne apne andar ek virani me badalte hue mehsoos kiya jiski wajah se un sabme ek ajeeb sa ghabrahat bharne laga tha..

haalat bolne waali nahi bachi thi un sabki par prakat hote hote jo baat maine kahi thi,us baare me toh unhe baat karna hi tha aur isiliye...


SLUNDERS FATHER-ek hafta..??par ek hafte me evacuation kaise possible hai...???

ACCHUTAS FATHER-itne waqt me hum apne apne logon ko yahan se nikalne ke liye convince zaroor kar sakte hain,par yahan se lejaane ke process me toh waqt lagega hi...


MAI-aap sab sirf apne apne planets ke logon ko yahan se lejaane ke liye ready kijiye..

unhe bhejne kaise hai,iski chinta karne ki aapko zaroorat nahi hai...

ek hafte ke andar jab bhi aap dono ke PLANETS ke baashinde maan jaayen toh ...

jis bhi Planet me aap aur aapke log jana chahenge,wahan ke liye thik is DOOR ki hi tarah jitni zaroorat hogi,utne WORLD DOORS khul jaayenge jisse hote hue sab apne naye ghar me jaa sakenge....


meri awaaz un sabko sirf sunayi hi nahi de rahi thi,balki ye awaaz un sabko apne andar gunjti hui si mehsoos ho rahi thi..


aur is wajah se un sabko apne andar ek ajeeb sa dar feel hua tha aur mujhe ye DAR ACHA LAGA...


meri baat sun un sabke mooh se kuch nikla nahi..un sabne bas haan me apna sir hilaya jispar...


MAI-ACCHUTA,SLUNDER...do options hain tumhare paas...

pehli...apne family aur logon ke saath raho...

dusri....wo shiksha jo tumhare bhesh me ab tak tumhare behroopiyon ne li hai,usse ab tum aage badhao ..

waise bhi,jo shiksha un do behroopiyon ne li thi,usse maine tumhare andar daal diya hai...


meri baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ke PITAH kuch bolne ko hue jispar...


MAI-aap dono jo chaah rahe hain,wo ho nahi paayega...


meri baat un dono ko hi samajh me nahi aayi aur isiliye...


ACCHUTAS FATHER-hum samjhe nahi....

MAI-mere options dete waqt aap dono ye soch rahe the ki aapke putron ko aapke saath hi rehna chahiye taaki jab aap sab nayi jagah par basen, tab aapke putr jo ki aapke sourya mandal me sabse goonvaan the,wo sabki madad kar saken..


meri baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ke dads ki aankhen badi ho gayi thi...

ek aisa vyakti jo unke man me chal rahe vichar tak padh sakta tha,ye jaankar unka mere prati dar aur badh gaya tha...

wahin apni baat ko aage badhate hue....


MAI-aapki is soch se koi faayda nahi hoga...

kyuki agar ye dono CHOSENS nahi gaye,toh inka extra tez dimag inse chinn liya jaayega...


meri baat sun wo sab behad shocked ho gaye the wahin apni baat ko aage badhate hue,


MAI-ACCHUTA aur SLUNDER,in dono ke hi dimag sirf isiliye hi tez hain kyunki ek din inhe CHOSENS me padhna tha...

jiski shuruat ek tarike se ho bhi chuki hai...ye dono bhale hi wahan ab tak nahi gaye hain,par inke behroopiyen toh wahan first PHASE me ek bada bhaag bita hi chuke hain...

aur ab ye dono wahan PHASE 2 me jaane waale hain..

aur us PHASE 2 ka ek niyam ye bhi hai ki agar koi wahan pahunchne ke baad backout karta hai toh usse uska extra tez chalne waala dimag aur hunar wapas le liya jaata hai...

ye dono yahan reh sakte hain par sirf ek common bande ki tarah jaise ki baaki sab hain...


jahan meri baat sun chaaron parents gehre soch me chale gaye the wahin ACCHUTA aur SLUNDER jinhone ab tak ki puri zindagi ek genius ke tag ke saath bitayi thi,wo soch rahe the ki bina us tag ke wo kaise survive karenge..!!!

ek aur chiz thi jo un dono ke man me chal rahi thi aur wo thi CHOSEN'S aur wahan ki exciting activities aur life...

wo life jo un jaison ke liye hi bani thi toh aise me bhala wo dono kaise wahan jaane se khud ko rok sakte the aur isiliye...


ACCHUTA-mom dad...mai CHOSENS jaana chahta hun.. wahi meri asli jagah hai...

SLUNDER-mai bhi...aur sochiye,yahan toh hum sirf science ke through ki achievement haasil kar paayenge par wahan ki studies se humare andar supernatural capabilities bhi jaagengi jisse hum humare naye thikane me kitna kuch kar sakenge...


SLUNDER ki baat me dum tha aur isiliye...


SLUNDERS/ACCHUTA FATHER-thik hai...jaise hi hum hamare logon ke saath yahan apne Planet se shift honge,tum CHOSENS chale jaana...

MAI-ek hafta...is ek hafte me aap sab CARAPACE aur ARROW khaali karenge aur tum dono,

BRAIN,BODY aur BLOOD..tumhare in teen bhaagon ko maine AMPLIFY toh kar diya hai par in bhaagon se milne waali shakti filhal tumhare andar unstable hain...

isiliye is ek hafte me jitna waqt use me laa sakte ho,lao aur apne AMPLIFIED powers ko stabelize karo...


uske baad tum dono chaloge mere saath......CHOSENS.....





PLANET-ELYSIAN


PLACE-PHASE 2




WELCOME TO PHASE 2....MAI EK ELUSORY HUN AUR AGLE DONO PHASE KE LIYE MAI AAPKI SLAVE HUN...


saamne khade ek shaksh ko dekhte hue ELUSORY ne ye baat kahi jispar wo shaksh bas muskura diya...

wahin apni baat kehne ke baad us ELUSORY ne u shaksh ke liye CHARIOT prakat ki aur...

ELUSORY-aayiye,aapke DESTINATION ki taraf chalte hain...

ELUSORY ki baat sun aur CHARIOT ko apne saamne dekh wo shaksh aage badha aur usme baith gaya..

uske baiththe hi CHARIOT aage badhta chala gaya.. gallery se hota hua wo CHARIOT PHASE 2 ki duniya me enter hua jahan ke nazare ko dekh us bande ke chehre par smile aa gayi...

wo yunhi har chiz ko checkout karta hua aage badhta chala jaa raha tha...

aage badhta hua uska CHARIOT us poshe colony me enter hua jahan usse jaana tha aur tabhi...

ELUSORY- welcome home..... MASTER VIDEOUS......








AAJ KE LIYE ITNA HI......








AAPKA APNA V...J......
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABEL BATATI HAI KI EK WEEK ME PHASE 2 SHURU HO JAAYEGA, DUSRI TARAF RAAZ ITNA HI WAQT DETA HAI ACCHUTA AUR SLUNDER KE DADS KO UNKE PLANETS KHAALI KARNE KE LIYE WAHIN TEESRI TARAF VIDEOUS BHI PHASE 2 KI DUNIYA ME PAHUNCH CHUKA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



MEGA UPDATE-57




PLANET-ELYSIAN


PLACE-THE GREAT HALL






WOOO.THIS PLACE IS HUGE MAN......



THE GREAT HALL me enter karti hui ALFREEN ne ye baat kahi thi jispar MAHI aur MABEL ne bhi haami bhari....

THE GREAT HALL....jahan aaj naye session ke pehle din PHASE 2 aur PHASE 3 ke SAVENTS ikattha hone waale the.....

500 metres se bhi thoda lamba aur utna hi chowda hai THE GREAT HALL....

wahin is HALL ke end me kareeb 50 se zyada doors the jinke dusri taraf MAGICAL ROOMS the aur saath hi METAPHYSICAL ACTIVITIES ko trigger karne waali mayavi equipments bhi thi par ye kuch khaas rooms me hi moujud thi...

PHASE 2 aur 3 ke zyadatar practice sessions yahin issi HALL me hote hain....

hall ke chaaron taraf dekhti hui MAHI, MABEL aur ALFREEN HALL ke centre ki taraf jahan sitting arrangements ki gayi thi,badh rahi thi...

wahan pehle se hi bohot se SAVENTS aa gaye the jo apne apne groups me khade yaa fir jahan unke CATAGORIES ka naam likha tha,wahan baithe hue the...

wahin jahan SAVENTS ki sitting arrangements hui thi,uske theek aage hall ke beech me ek bada sa stage bana hua tha jahan filhal bohot se WHIZZ, WHIZZDERS aur saath hi the THREE SOVEREIGN'S bhi baithe hue the...

aage badhti hui MABEL ki nazar jab GROOMERS ke uniform par gayi toh...


MABEL-yaar,wo dekho, categorically uniforms me bhi differentiation hain...


saamne ek taraf jahan GROOMERS ka section tha,wahan khade SAVENTS ko dekh kar MABEL ne ye baat kahi thi....

reason....


PHASE 2 me teeno catagories ke SAVENTS ke uniform bhi alag alag the....


jahan is waqt MAHI, MABEL aur ALFREEN jo ki STELLARS the,unhone WHITE ROBE pehna hua tha wahin GROOMERS bhi robes hi pehente the par us ROBE ka colour pure white naa hokar muddy white tha saath hi unke uniform me use hone waale kapde ki quality bhi average thi jo dekhte hi samajh me aa rahi thi wahin WEAKLINGS catagory ke SAVENTS robes nahi balki normal MUDDY colour ki shirt aur faded black pant pehente the jisse dekhkar aisa lagta tha maano kisi ne barso use kiye jaa chuke second hand kapde pehne ho...

khair, GROOMERS ko ek baar dekhte hue wo teeno aage badh rahi thi ki tabhi ALFREEN ki nazar hall me right wing ki taraf gayi jahan khade the ANWIR aur MORANA...


ALFREEN-yaar dekho ye ANWIR aur MORANA ne WICKEDS se milte julte kapde pehne hue hain...


ALFREEN ki baat sun jab MAHI aur ALFREEN ne uski point ki hui jagah ki taraf dekha toh unhe ANWIR aur MORANA unke group ke saath dikhe...


saath hi unse kuch door ek dusra bada sa group bhi tha jinhone MORALS ke jaise kapde pehne hue the...


MAHI-hoga PHASE 3 ka kuch..

MABEL-ye dono pakka is saal hamare liye problems create karenge...

MAHI-wo hamare liye karenge toh hum unke liye karenge...


MAHI ki baat sun ALFREEN aur MABEL muskura diye aur yunhi baat karte hue wo teeno pahunchne apne catagory STELLARS waali jagah par jahan unke liye LUXURIOUS COUCHES rakhe hue the aur filhal un couches par already 3 SAVENTS baithe hue the jinme se ek VALDIS bhi tha...

MAHI, ALFREEN aur MABEL,ye teeno bhi jaakar COUCHES me baith gaye..

32 SAVENTS the kul FIRST PHASE me jinme se sirf 6 logon ne hi STELLARS catagory ke liye qualify kiya tha aur wahi 6 is waqt couches me baithe hue the...



wahin couch par baith MAHI ne dekha ki GROOMERS ke liye couches nahi balki normal chairs rakhe gaye the aur bachi WEAKLING catagory...

unhe yahan baithna tak allowed nahi tha..is catagory ke SAVENTS ko jo ki filhal sirf BRAWNY tha,is hall me khada hi rehna tha aur isiliye BRAWNY filhal apna sir neeche kiye hue ek jagah par khada hua tha jisse MAHI ne dekh liya tha..


MAHI-ek educational institution bhi itna biased ho sakta hai,kabhi socha nahi tha...


MAHI ki baat MABEL aur ALFREEN ne sun ki thi ayr isiliye...


ALFREEN-yaar us SAVENT ko waise dekhkar bura toh mujhe bhi lag raha hai par ab kar bhi kya sakte hain...???

is baare me toh pehle hi clear kiya jaa chuka tha...yahan par agar acche se survive karna hai toh performance is must...

ab wo aisa nahi kar paaya isiliye wahan us position ke liye bounded hai...


ALFREEN ki baat par koi kuch kehta ki usse pehle...



GOOD MORNING SAVENTS....AAP SABKO PHASE 2 AUR PHASE 3 ME PAHUNCHNE KI BOHOT SAARI SHUBKAAMNAAYEN...



stage ke beech me khadi hui SHAILA ne kahi ye baat jiske baad sabhi SAVENTS ka dhyan unki taraf ghum gaya...


SHAILA-sabse pehle PHASE 2 ke SAVENTS...aap sabhi apni apni catagory ke WHIZZ aur WHIZZDER ko jaan lijiye....

sabse pehle STELLARS....aap sabki class ke WHIZZES aur WHIZZDERS hain MABBA,SAPIUS aur REGIS...


SHAILA ke aisa bolte hi unke side me MABBA, SAPIUS aur REGIS aakar khade ho gaye....


MABBA-STELLARS sirf ek catagory nahi hai,balki ek bohot badi zimmedari bhi hai....

zimmedari khud ke talent ko ek nayi unchayi par lejaane ki jisse STELLARS group ki garima bani reh...

aap sabse pehle jitne bhi batches is catagory se paas out hue hain,un sabne ye zimmedari bakhubi nibhayi hai,aur mujhe aap sabse bhi yahi ummid hai...


apne chir parichit ghamand se bhare awaaz ke saath MABBA ne ye baat kahi jispar SAPIUS aur REGIS bas muskura diye....


AKSHAANT-now GROOMERS...ye hain aapke WHIZZES aur WHIZZDER...

EDWINA,ROVEL and PETRA...


AKSHAANT ke bolte hi stage ke dusri side do WHIZZ jinme se ek EDWINA aur dusri PETRA thi,wo khadi ho gayi aur unke baaju me khade the WHIZZDER ROVEL....

but unlike MABBA, apne intro ke baad bhi ye teeno muskurakar apne group GROOMERS ko dekhte hue bilkul shaant khade rahe....


MOKALSAR-and lastly WEAKLINGS catagory ki WHIZZ hain HIDA.....


MOKALSAR ke is naam ko pukarte hi ROVEL ke baaji me ek patli si choti kad ki lady jo ki WEAKLINGS catagory ki WHIZZ HIDA thi,aakar khadi ho gayi aur jab aisa hua toh...



HAHAHAHAHAHAHA.....


HIDA ko dekhte hi ANWIR & MORANA ka group zoron se hasne lag gaya jisse dekh jahan ek taraf PHASE 2 ke sabhi SAVENTS halke hairan hue wahin WHIZZ HIDA jo pehle hi dekhne par kaafi under confident lag rahi thi,unka chehra sharm se aur neeche ho gaya...


HIDA..... pichle 15 PHASES se WEAKLINGS ki eklouti WHIZZ jiski har naye session me us session ke STELLARS catagory ke kaafi SAVENTS ke through lagatar beizzati hoti chali aa rahi hai...

aur beizzati karne me ab tak sabse aage rahe the MORANA or ANWIR ka group jinhone pichle PHASE me lagatar laghbhag har din WHIZZ HIDA ki alag alag tarike se khichayi ki thi aur yahi wajah se thi ki HIDA ka naam anounce hote hi ANWIR ka group HIDA ki khilli udaane waali hasi hasne laga tha...

khair,HIDA ka intro ho chuka tha aur isiliye baat ko aage badhate hue...


SHAILA-aapke is PHASE ki classes kaise lagengi,aap sabke apne PHASES aur catagories ki complete activities,saath hi wo ACCESS CARDS jinki madad se aap PHASE 2 ke sabhi luxuries ka apne catagory ke hisaab se lutf utha paayenge,unke baare me aap sabko aapke appointed WHIZZES aur WHIZZDERS ke through pata chal jaayega...

and for PHASE 3 SAVENTS...chune hue har WICKEDS aur MORALS ko hamari shubkaamnayen...

par jin SAVENTS ka chunaav in do groups me nahi ho paaya hai,wo PHASE 2 ke STELLARS catagory ke saath dobara khud ko nourish karenge...

hum ummid karte hain ki is session ke PHASE 2 aur PHASE 3 ke SAVENTS khudko ab tak ke CHOSENS ke itihas ke best SAVENTS saabit karenge.....


SAVENTS ke fresh allots se SOVEREIGN'S ki baat ho chuki thi aur isiliye sabhi SAVENTS ko ye laga ki ab essembly conclude hone waali hai par aisa tha nahi...

kyunki ab waqt tha aaj ke ya fir ye kahun ki ab tak ke sabse bade aur ehem announcements ki aur isiliye....


AKSHAANT-well humare paas teen news hai jo hum aap sabke saath share karna chahte hain...

pehli....aap sabko ye baat toh pata hi hai ki CHOSENS se kuch kilometers door ek FOREST hai... FORBIDDEN FORREST....

wo forest aisi bohot si cheezon se bhara hua hai jinse aap sabko apni metaphysical capabilities ko nikharne me madad mil sakti hai aur saath hi naye aur exciting adventures karne ke liye bhi us forest me kaafi spots hai...

aur kyunki wo forest ek empenitrable SHIELD se covered raha hai isiliye wahan koi kabhi jaa nahi paaya hai..

par ye jaankar aap sabko behad khushi hogi ki ab aisa nahi hai...us FOREST ke chaaron taraf lagi SHIELD hata di gayi hai aur isiliye aap sab ab wahan jaakar us FOREST ko explore kar paayenge but with supervision...

khudse wahan jaana khatre se bhara ho sakta hai isiliye aisa karna allowed nahi hai....


AKSHAANT ki baat sunkar sabhi SAVENTS bohot excited ho gaye the aur hona bhi chahiye....

jis jagah ke baare me un sabne sirf padha tha,us jagah ko,us FOREST ko ab wo sab explore kar sakte the aur ye koi choti baat nahi thi...

sabhi SAVENTS iske baare me ek dusre se baat kar hi rahe the ki tabhi....



MOKALSAR-shaant ho jaaiye....


gunj si uthi MOKALSAR ki awaaz us HALL me jiske turant baad pure hall me pin drop silence ho gaya tha...


MOKALSAR-dusri news ye hai ki jaisa ki aap sabko pata hai ki har saal pure universe ke alag alag planets se yahan CHOSENS me SAVENTS laaye jaate hain jo yahan metaphysical activities ki study karte hain...

pichle saal bhi ye kriya dohrayi gayi thi jiska natija yahan moujud PHASE 2 ke SAVENTS hain...

but aap sabhi ki tarah ek SAVENT aur tha jisse pichle session me CHOSENS join karna tha par kuch serious problems ki wajah se wo aisa kar nahi paaya...

wo SAVENT bhale hi yahan nahi aa paaya par humne usse uske hi PLANET me PHASE 1 ki study karwayi thi jisme usne acha perform karte hue apne soul ko 2 percent tak AMPLIFY kar liya tha...


jiska matlab hai ki us SAVENT ne PHASE 2 ke STELLARS catagory me khudko qualify karwa liya hai...

aur isiliye is session me wo yahan PHASE 2 ke STELLARS catagory ka hissa hoga...


MOKALSAR ki baat sun sabhi SAVENTS shocked ho gaye...kyunki aisa kuch pehli baar ho raha tha...

wahin ye sab sun MAHI, MABEL aur ALFREEN us naye SAVENT se jo ki ab unke hi catagory ka hissa tha,milne ke liye excited ho gaye the...

khair,ye toh thi dusri news par ab baari thi new number 3 ki aur isiliye.....



SHAILA-PHASE 2 SAVENTS...aap sabko yaad hoga ki aapke pichle PHASE me SWEEP-STAKE COMPETITION ke waqt aapke teen PHASE MATES,RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER laapata ho gaye the...

achi khabar ye hai ki wo teeno bilkul thik hain aur is PHASE me wo teeno aap sabko join karne waale hain...

infact,wo abhi thodi der me aap sabke saamne honge...


SHAILA ki baat sun sabhi PHASE 2 ke sabhi SAVENTS suprise bhi hue aur khush bhi...

ALFREEN ke man me bhi RAAZ par waar karne ka jo ek bojh sa tha,wo bhi ab kam hone laga tha...

MAHI bhi SHAILA ki baat sun behad khush thi par uski khushi ka reason kuch alag tha...

aur wo reason the MARIA aur FLORIN... MAHI ko pata tha ki wo dono RAAZ ke gumshuda hone ki wajah se sabse zyada dukhi hue the aur ab jab RAAZ wapas aa gaya hai,toh wo dono bhi kaafi khush hone waale the...

khair,baat ko aage badhate hue...


SHAILA-ye thi wo teen news...


aur ab sabse pehle aap sab apne us PHASE MATE se mil lijiye jo CHOSENS me sidhe PHASE 2 ke STELLARS catagory me enter karne waala hai...

VIDEOUS....


saamne ki taraf point karte hue halke zor se SHAILA ne ye naam pukara jisse sun...



MAHI-VIDEOUS....wierd name....


dheere se kaha MAHI ne ye aur uske baad uska aur uske saath sabhi ka chehra piche ki taraf jahan SHAILA ne point kiya tha,ghum gaya aur tabhi....


OH....MY...GOD.....



ek saath nikle ye shabd kayi ladkiyon ke mooh se...

reason....


VIDEOUS......naam hi kaafi hai...


STELLARS ki uniform pehne ek gora,muscular banda jiske chehre par itna tej tha ki pata nahi nahi chal raha tha ki zyada kya chamak raha hai...

wo white robe jo usne pehna hua tha ya fir uska confidence aur ATTITUDE se bhara handsome chehra...

aankhon me chamak,chehre par halki si muskaan aur chaal me zabardast confidence liye aage badhta chala aa raha tha VIDEOUS...

aur yunhi chalte hue jaise hi wo MAHI, ALFREEN aur MABEL ke couch ke paas pahuncha toh....

uski nazar un teeno ki taraf yaa fir ye kahun ki MAHI ki taraf ghumi...

wahin MAHI jo ussiko dekh rahi thi,jab VIDEOUS ne usse dekha toh usne apni nazar sidhi kar li.....

ek pal ke liye hi dekha VIDEOUS ne MAHI ko aur fir nazar sidhi kar aage badh chala...


VIDEOUS ki personality se impress sirf girl SAVENTS hi nahi hui thi balki stage par khadi MABBA, EDWINA,PETRA aur yahan tak ki WHIZZ HIDA bhi hui thi jo ektak VIDEOUS ko dekhe jaa rahi thi....

stage par pahunch ek baar sabhi WHIZZ, WHIZZDER aur SOVEREIGN'S ko dekh VIDEOUS SAVENTS ki taraf face karkar khada ho gaya...


AKSHAANT-kuch kehna chahoge VIDEOUS....


AKSHAANT ki baat sun ek baar uski taraf dekh muskuraya VIDEOUS aur fir...


VIDEOUS-SHAKTI,is bramhaand ki sabse badi shiksha bhi hai aur ek maatra SACH bhi...

aur CHOSENS is shiksha aur sach ka ek jeeta jaagta swaroop hai...


mujhe khushi hai ki mai yahan hun..aur jin logon ki soch mere jaisi hai,woh aaj toh khush hain hi,aage bhi rehne waale hain......

ek karkashta thi VIDEOUS ki awaaz me jo naa sirf wahan moujud har kisike kaano me padh rahi thi balki kaano se utarti hui uski awaaz sabke dil tak ko jhanjhor rahi thi...

VIDEOUS ne jo kaha,usse koi aur khush ho naa ho par MABBA jiski soch bhi waisi hi thi jaisa VIDEOUS ne bola tha,bohot khush hui thi...

wahin VIDEOUS ki baat sun teeno SOVEREIGN'S muskura uthe....


MOKALSAR-ab baari hai aap sabki apne unhi teen missing PHASE MATES se milne ki...





PLACE-OUTSIDE THE INSTITUTION




WOW........




PHASE 2 ke pure area se guzarte hue finally institution ke sarhad par pahunchne tak bas ye WOW shabd hi nikalta raha ACCHUTA aur SLUNDER ke mooh se...


subah ka waqt hai aur finally wo din aa hi gaya jab PHASE 2 shuru hone waala tha aur isiliye ACCHUTA aur SLUNDER yahan CHOSENS me pahunch chuke the aur filhal institution ke PHASE 2 block ke gate ke baahar khade the...

ACCHUTA aur SLUNDER ke grah jis SOLAR SYSTEM me hai, wahan waise toh baaki sabhi grah in dono ke grah ki izzat karte the,par in sabke beech 2 aise Planets bhi hain jo CARAPACE aur ARROW ke sabse bade samarthak bhi hain aur us SOLAR SYSTEM ke area wise sabse bade PLANETS bhi...

ACCHUTA aur SLUNDER ke FATHER'S ne unhi do PLANETS se khudke aur khudke Planet ke logon ki survival ke liye refuge maangi thi jisse un dono PLANETS ke KINGS ne saharsh maan liya tha aur isiliye hi aaj subah hi RAAZ ke dwara khole gaye asankhya WORLD DOORS ki madad se CARAPACE aur ARROW ke pure log apne naye PLANET aur aashiyane me shift ho gaye the...

wahin in sab se alag ACCHUTA aur SLUNDER ke saamne jo WORLE DOOR khula tha,wo yahan ELYSIAN ka tha jiske dusri taraf tha PHASE 2 jahan pahunch chalte chalte PHASE 2 ki khubsoorat duniya ka deedar karte hue ACCHUTA aur SLUNDER yahan institution ke gate ke baahar pahunche the...


ACCHUTA-bhai,aakhir pahunch hi gaye...

SLUNDER-haan,par ek baat samajh nahi aati ki RAAZ ne kaha tha ki wo bhi hamare saath hi yahan padhenge fir wo hamare saath kyun nahi aaye....???

ACCHUTA-toh yahan tak ka raasta tere phupha ne bataya hai kya...???


ACCHUTA ki baat sun SLUNDER ne usse ghur kar dekha par iska ACCHUTA par koi fark nahi pada...


ACCHUTA-RAAZ ne hi toh hamare brain se judkar hume yahan tak ka raasta bataya hai..wo yahin hai bas saamne nahi aaya hai ab tak....


SLUNDER-hmm..chal hum toh andar chalte hi hain....

is gate se hote hue SLUNDER aur ACCHUTA dono hi institution ke gate se hote hue andar daakhil ho gaye....

wahin kuch door chalne ke baad un dono ko ek giant size ka hall dikha aur aisa hote hi unke dimag me unhe ussi hall ke andar jaane ka sanket diya....

ye sanket RAAZ ke through hi unhe mila tha jisse jaankar un dono ne apne kadam us HALL ke taraf hi badha diye..

par abhi un dono ne apna apna ek kadam hi aage badhaya tha ki tabhi....


SLUNDER-arre,ye kya ho raha hai...???ye kaise kapde aa gaye hakn mere sharir par...???

ACCHUTA-sirf tere nahi humare...???

saala ye kaise kapde hain..???kichad ki colour ka crushed shirt aur ye ghisi hui kaali pant...aisa lag raha hai jaise kisi bhikari ne 15 saal pehenane ke baad apne kapde daan diye hue hon...

SLUNDER-aur inka size bhi humare size se kaafi bada hai...


hall ke andar ghus age badhte hue dono ke mooh se ye baatein nikli thi par isse aage wo kuch kehte ki tabhi padi un dono ke kaan me ek awaaz jisme....



MOKALSAR-RAAZ ACCHUTA, SLUNDER,.....



RAAZ ke saath un dono ka naam bhi anounce ho chuka tha jisse sun dono ka hi dhyan saamne ki taraf gaya jahan is waqt bohot se bacche jo ko unke hi age ke lag rahe the,baithe hue the aur un sabke aage ek bada sa stage laga hua tha jahan bohot se log khade hue the aur unhike beech se unke naam pukare gaye the...

aur isiliye halki hickichahat ke saath wo dono aage stage ki taraf badh gaye...

wahin naam anounce hote hi sabhi SAVENTS aur khaas kar ALFREEN aur MAHI ne turant apni nazar puche ghumayi jahan unhe dikhai diye SLUNDER aur ACCHUTA par unhone dekha ki filhal RAAZ abhi nadarad tha...

wahin in sabse alag sabse zyada utsukta dikh rahi thi stage ke ek side me khade VIDEOUS ki jo obviously RAAZ ko dekhne liye hi thi par jab usne RAAZ ko ACCHUTA aur SLUNDER ke saath nahi dekha toh uske maathe par sochne ke bal padhne lage the...

in sabke beech ab tak ACCHUTA aur SLUNDER stage ke paas pahunch gaye the par isse pehle ki wo dono stage par chadhte....


JISSE DEKHKAR TUM DONO KE ANDAR MUJHE DEKHNE SE HONI WAALI GHABRAHAT MEHSOOS HO,JAWAB USSI KO DEKHKAR DENA...


RAAZ ki awaaz gunj uthi un dono ke dimag me jispar ek pal ke liye toh wo dono thithak se gaye par fir ek baar ek dusre ko dekh wo dono aage badh gaye...

stage ki sidhiyan chadhte waqt un dono ki nazar upar khade har shaskh par gayi aur aisa hote hote jab unki nazar VIDEOUS par gayi jo unhe hi dekh raha tha toh un dono ko laga wahi dar jo unhe RAAZ ki aankhon me dekhkar lagta tha...

halki halki ghabrahat ke beech wo dono MOKALSAR ke saamne pahunch gaye...


MOKALSAR-RAAZ kahan hai..???wo toh tumhare hi saath tha naa???

MOKALSAR ki baat sun ek baar ek dusre ko dekh un dono ne apni gardan ghumadi VIDEOUS ki taraf jo unke answer ki hi pratiksha kar raha tha...

ACCHUTA/SLUNDER-RAAZ ne kaha hai ki wo aa raha hai...tab tak intazar kijiye...

halki zor ki awaaz me kahi ye baat ACCHUTA aur SLUNDER ne jisse sun ek saath alag alag reactions saamne aaye...

jahan ek taraf teeno SOVEREIGN'S aur unke saath VIDEOUS ke chehte par bhi muskaan aa gayi wahin stage par khade baaki sabhi WHIZZ aur WHIZZDER hairan reh gaye par unke beech khadi MABBA ko aa gaya krodh...


ek SAVENT ne jo ki ek WEAKLING tha,usne un sab ko wait karne ke liye kaha tha,ye jaankar MABBA ko krodh toh aana hi tha...


MABBA-tum dono jaante bhi ho ki kya keh rahe ho aur kisse keh rahe ho...???

daanton ko bheenche hue halki halki gurrate hue MABBA ne ye kahi jisse sun ACCHUTA aur SLUNDER dono hi thode sehem gaye...

SLUNDER kuch kehne ko hua par tabhi ACCHUTA ki nazar saamne gayi aur....


ACCHUTA-HE IS HERE...RAAZ aa gaya....


haath aage point kar kahi thi ye baat ACCHUTA ne...


par sehme hue hone ki wajah se zara zyada zor se bol gaya ACCHUTA jis wajah se wahan moujud sabhi ko uski baat sunayi de gayi aur isiliye sabhi ki gardan ek baar firse piche ki taraf palti aur jab aisa hua toh....



BLOODY HELL.....WOW.........



nazar rook si gayi sabki wahan jahan is waqt khada tha...................MAI.................

aur jo shabd mujhe dekh nikle the,waise toh wo shabd wahan moujud har bandi aur shayad har bande ke dil me bhi gunja hoga par mooh se ye shabd nikle the MORANA ke jisse sun uske baaju me khade ANWIR ne usse ek look diya par MORANA mujhe dekhne me kuch aisi khoyi hui thi ki uska dhyan kahin aur gaya hi nahi....

wahin ek pal khade rehne ke baad mai badha aage...

filhal hum ek hall me the jahan par environment ko magic se cool banaye rakhne ke liye halki halki hawa chal rahi thi aur us hawa me lehra rahe the mere halke lambe baal...

jaw line meri perfect thi jisse mera fair chehra aur behtar bana raha tha...

gore chehre ke beech meri gehri kaali aankhen itni deep thi ki door se dekhne par bhi iski gehrayi saafi nazar aa sakti thi aur filhal wahan moujud lagbhag har bandi ki aankhen meri inhi kaali aankhon me jhaank rahi thi....

wahi muddy shirt pehni hui thi maine jo mere chowde biceps aur piche ki taraf cuts bana kar nikalte hue triceps me chipak kar ek alag hi look dene lagi thi.....

neeche ki meri faded pant narrow thi jo mere thighs se chipakne ki wajah se alag hi dikh rahi thi...

kuch pal khade rehne ke baad maine apne kadam aage badha diye aur badh chala mai stage ki taraf...


HAAYEEEE.........


har row jisse hote hue mai aage badh raha tha,wahan baithi bandiyon ke mooh se ek thandi aah nikal rahi thi par un sab bewajah ke human compliments ko ignore karte hue mai aage badh raha tha..

wahin insab ke beech sabse alag reactions the MAHI aur ALFREEN ke chehre par...

unhe yakin hi nahi ho raha tha ki jo ladka unke saamne se chala aa raha hai,ye wahi RAAZ hai jisse wo jaanti thi...

kahan wo dabbu sa,saanwla aur patla RAAZ aur kahan dusri taraf mai jo hatta katta tha aur jiski height 6 feet se bhi upar nikal rahi thi....

jiski naa toh hieght,naahi baaki koi personality us RAAZ se match khaati thi jisse wo dono jaanti thi...

kuch hi palon me mai unke row tak pahunch chuka tha par wahan pahunchne ke baad bhi maine un dono ki taraf ek second ke liye bhi apni nazarein nahi ghumayi aur sidhe stage ki taraf badh chala...

jab side se guzarte hue bhi maine MAHI ki tarar nahi dekha toh usse behad ajeeb feel hua tha...

wahin stage par khade har shaksh ki aankhen bhi mujhpar hi tiki hui thi....

jahan SOVEREIGN'S mere wajood ke pura hone ke baad pehli baar mujhe dekh khush ho rahe the,wahin WHIZZ aur WHIZZDERS toh bas ek tak mujhe dekh hi rahe the..

un sabka dimag jaise mere presence me atak sa gaya tha....

MABBA jo mere aane se pehle ACCHUTA ki baat sun uspar aur mujhpar naaraz thi,wo bhi jaise apna wo ghussa bhul si gayi thi...

ACCHUTA aur SLUNDER ne toh mujhe dekhte hi apni nazarein neechi kar li thi...

aur in sabse alag khada tha VIDEOUS...jo behad chaaw aur excitement ke saath mujhe hi dekh raha tha...

wahin VIDEOUS se ulat maine uski taraf dekha tak nahi aur stage par chaddh gaya....


SHAILA-welcome back RAAZ..apne PHASE MATES se kuch kehna chahoge...????


SHAILA ki taraf ek baar dekh maine saamne dekha jahan sabki nazar mujhpar hi thi...


MAI-SHAKTI.....is bramhaand ka sabse bada JHOOTH hai ye shabd....

ye woh shabd hai jisse kaayar apni kaayarta chuppane ke liye istemaal karte hain...

universe ka ek maatra sach hai DAR....kyunki ek dar hi hai jo zinda hone ka pura ehsaas dilata hai....

mujhe khushi hai ki mai CHOSENS dobara aaya hun,aur jin logon ki soch mere jaisi hai ,wo filhal khush ho yaa naa hon,par bhavishya me wo khush rehne waale hain...


jab mai bol raha tha tab wahan moujud har SAVENT ko aur yahan tak ki mere baaju me khade WHIZZ aur WHIZZDERS tak ko apne andar ek halka sa kampan mehoos ho raha tha par wo us feeling ko samajh nahi paa rahe the...

wahin VIDEOUS ne jo kaha tha,maine theek uska ulat bola jisse sun ek taraf mere sabhi PHASEMATES shocked the kyunki gayab hone se pehle jahan maine kabhi normal conversation bhi kabhi nahi ki thi par aaj maine ek mini speech de di thi,dusri taraf VIDEOUS jisne meri baatein jo uske ulat thi,usse sun wo halke se has diya tha aur teesri taraf MABBA jo VIDEOUS ki baat se itifaaq rakhti thi aur aise me jab maine ek alag hi baat kahi thi toh isiliye wo ghussa jo unka mujhpar mere aane se pehle tha,wo wapas jaag gaya tha aur isiliye...


MABBA-ek WEAKLING hokar itni badi badi baatein karna tumhe suit nahi karta ladke....


mujhe ghurti hui MABBA ne ye baat kahi jispar...


MAI- SOVEREIGN'S...kya ye aurat WEAKLINGS ko padhayengi....!!!

MABBA-mind your tounge young man...mai yahan ek respectable WHIZZ hun aur tum mujhe aurat keh rahe ho....

MAI-thik waise hi jaise mai yahan ek SAVENT hun aur aap mujhe ladka keh rahi hain...


meri baat sun MABBA ka ghussa aur badh gaya tha...wo fir se kuch kehne ko hui par...


MAI- SOVEREIGN'S...yahan WEAKLINGS ki WHIZZ kaun hai..???


MABBA ko point karte hue maine ye baat kahi jispar...


AKSHAANT-..HIDA..ye hain aapki WHIZZ...


HIDA WHIZZ ki taraf point karte kaha AKSHAANT ne...


MAI-then why is this WHIZZ talking to me...???


MABBA ki taraf dekh maine ye baat kahi aur fir bina kuch sune mai stage se utar us taraf badh chala jahan BROWNY khada tha...

wahin meri baat sun aur meri unhe yun ignore kar chale jaane se man hi man fat si padi thi MABBA par SOVEREIGN'S ke saamne hone ki wajah se wo kuch kar sakti nahi thi isiliye filhal ke liye unhone khudko shaant kar liya...

wahin kyunki ab saari announcements ho chuki thi isiliye....


AKSHAANT-so SAVENTS..we wish all of you a great PHASE ahead...

baaki ki baatein aapke appointed WHIZZ aur WHIZZDERS aapse apne CATAGORY aur group ke hisaab se karenge....


ek baar VIDEOUS aur ek baar meri taraf dekh teeno SOVEREIGN'S stage se utarkar chale gaye....

wahin SOVEREIGN'S ke jaate hi sabhi WHIZZES aur WHIZZDERS apne apne groups ke paas jaane lage....


MABBA-aayiye VIDEOUS...aap hamare saath apne catagory ke PHASE MATES ke paas chaliye...

jahan ye bol MABBA, SAPIUS aur REGIS STELLARS ki taraf chal pade
wahin unke jaate hi VIDEOUS ek dusri taraf chal pada...


WEAKLINGS catagory jahan filhal WHIZZ HIDA ke saath ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY khade the,unke baaju se hota hua VIDEOUS thoda aage chal diya jahan apni peeth karke akele khada hua tha MAI...

aur mai yahan khada bhi isiliye hi hua tha kyunki mujhe maalum tha ki sabse pehle VIDEOUS mere paas hi aayega aur wo hi gaya...


VIDEOUS-ye bohot galat baat hai...jiske astitv ki wajah se tujhe tera astitv mila, usse ab tak milna toh door dekha bhi nahi tune....

MAI-tere astitv ki wajah se nahi,balki tere astitv ko mitane ki wajah se mila hai mujhe mera astitv..

aur jab ek din tujhe gayab hi ho jaana hai, toh fir tujhe dekhne ka,tujhse milne ka kya faayda...!!!


VIDEOUS ki taraf palaththe hue uski aankhon me jhaank maine ye baat kahi jisse sun...


VIDEOUS-manushya sadharan ho yaa fir asadharan..ek baat toh sabme common hoti hi hai...khwab dekhna...tu bhi dekh le...isme koi burayi nahi...

MAI-dhyan se dekh mujhe...naa toh mai soya hua hun aur naahi meri aankhen band hai...

aur jaagte hue sapne dekhne ki mujhe aadat nahi....

aankh teri band thi hazaron saalon se,toh khwab aur us khwab me khudke liye galatfehmi paalna,tera kaam hai,mera nahi....

VIDEOUS-jinki rooh,jinka dimag apne hisaab se kaam karta hai,unhe aate hai khwab...

tere saamne the last level GENIUS KHADA HAI,

VIDEOUS khada hai.....

jiska dimag aur rooh dono hi uske hisaab se chalte hain...mere khwab dikhte baad me hain,pure pehle ho jaate hain....

MAI-ye baat tab tak sach thi jab tak MAI nahi tha...ab tere khwab pure ho naa hon,par tere din zaroor pure ho chuke hain....

bohot shouk hai naa tujhe competition ka,dekh tere saamne khada hai RAAZ...

wo naam jo agar kisi competition me likha hai,toh uska matlab hai,FIRST PLACE RESERVED...

VIDEOUS-tu sirf ek khiladi hai RAAZ....par mai koi khiladi nahi balki pura KHEL hun...

mujhme khela jaata hai,mujhse khela nahi jaa sakta...

MAI-har khel me khiladi hote hain... par kabhi na kabhi koi aisa khiladi zaroor aata hai jiske baad wo khel us khiladi ke naam se jaana jaata hai...

mai wahi khiladi hun VIDEOUS...is khel ke rules tune banaye hain,maidan bhi tune chuna hai(CHOSENS)...


ab dekh,tere hi saamne,
tere hi rules ke saath
tere hi KHEL ka,

NAKSHA BADAL DUNGA MAI....


tere har daav,tere har paitre
teri har chaal ko tujh par
hi palat ek din,

TUJHKO BHI MASAL DUNGA MAI...










AAJ KE LIYE ITNA HI.....










AAPKA APNA V...J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF PHASE 2 KA PEHLA DIN SHURU HO CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ AUR VIDEOUS PEHLI BAAR AAMNE SAAMNE AATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)




UPDATE-58



PLANET-PHASE 2


PLACE-THE GREAT HALL





HMM..TOH AAP SAB HAIN IS SESSION KE STELLARS....


THE GREAT HALL ke side me bane aneko rooms me se wo room jisse STELLARS catagory ke liye rakha gaya tha,wahan VIDEOUS ko milakar kul saath SAVENTS ek taraf bane seats par baithe hue the jinhe dekh MABBA ne ye baat kahi thi...

wahin un saathon ke group se kuch doori banaye hue ek aur 19 logon ka group baitha hua tha...

aur ye group the pichle 2 sessions ke PHASE 2 ke STELLARS SAVENTS jinhe is session me naa toh WICKEDS me aur naahi MORALS ki team me jagah mili thi aur isiliye wo sab bhi apna PHASE 2 repeat kar rahe the...

VIDEOUS ke group se ek baar mukhatib hone ke baad WHIZZ MABBA ki nazar ussi dusre group ki taraf ghumi aur....


MABBA-tum sab jaisi hi haalat hoti hai aksar un sabki jab jo taakat se upar kisi aur chiz ko rakhta hai...

STELLARS the tum pichle session me aur sirf ussiki wajah se is saal bhi is prestigious catagory me jagah mili hai tum sabko...

PHASE 3 me naa chune jaane se tum sabne bas ek hi chiz saabit ki hai aur wo ye hai ki you guys are good for nothing...

loosers hi ho tum sab...par fir bhi mouka mila hai tumhe,try karna ki pichli baar jaisi aadhi adhuri will power aur incompetency repeat naa ho....got it....


SAB-yes WHIZZ...


sharm se sar jo jhukaye hue un 19 SAVENTS ne ye kaha tha...


MABBA-waise tum sabke motivation ke liye kuch live example tumhare is batch me hi moujud hai..

MAHI,ALFREEN,MABEL,VALDIS yahan aayiye...


WHIZZ MABBA ke bulate hi ye chaaron aage badhte hue unke paas jaakar khade ho gaye....


MABBA-yahan moujud baaki sabhi SAVENTS first PHASE me apne apne SOUL ko 2 percent tak AMPLIFY kar paaye the par unlike you all, mere saath jo ye chaar SAVENTS khade hain,wo tum sabse,infact har session me padhte chale aa rahe SAVENTS se aage nikal gaye hain...

jahan VALDIS ki soul 4 percent tak amplified ho gayi hai wahin ALFREEN aur MABEL ne apne SOUL ko 5 percent tak AMPLIFY kar diya hai...

aur in sabse aage hai MAHI...jisne first PHASE me apne SOUL ko 8 percent tak AMPLIFY kiya hua hai jo ki CHOSENS ke ab tak ke itihaas me sabse zyada hai....

aise AMPLIFICATIONS har session me dekhne ko nahi milte aur isiliye hi inke talents se sikh tum sab bhi khudko nikharne ki koshish karo...

REGIS-MAHI, MABEL, ALFREEN, VALDIS...we are really very proud of you...

SAPIUS-absolutely...aur hume tum chaaron se is session me bhi kaafi
ummiden hain...

CHAARON-thanks WHIZZDERS..we will give our best....


jab REGIS aur SAPIUS in chaaron ko congratulate kar rahe the,tab MABBA ki nazar baaki ke SAVENTS par padi jinme jitni bhi girls SAVENTS thi,wo sab VIDEOUS ko hi checkout kar rahi thi aur isiliye....


MABBA-focus SAVENTS....


girls ko ghurti hui MABBA ne ye baat kahi jispar wo sabhi girls hadbada kar saamne dekhne lagi..

wahin MABBA ki nazar VIDEOUS par aakar rooki jo unki taraf hi dekh raha tha...


MABBA-VIDEOUS..speech toh tumne bohot achi aur satik di thi...mujhe pasand aaya par SOUL AMPLIFICATION ke maamle me tum filhal borderline ko touch karke hi yahan STELLARS me jagah bana paaye ho jo ki bohot common baat hai...

par kyunki tumne ye yahan nahi balki apne planet me kiya hai joki karna wakayi mushkil hai isiliye mujhe lagta hai ki tum bohot aage jaa sakte ho...

mujhe tumse bohot ummiden hain....

MABBA ki baat sun VIDEOUS halke se muskura utha aur...


VIDEOUS-its just a matter of time WHIZZ..i will surprise you....

behad shaant par confident tarike se kahi VIDEOUS ne ye baat jisse sun MABBA ke chehre par bhi ek muskaan aa gayi...


MABBA-jaao,apni jagah par baith jaao....


MABBA ke aisa bolte hi MAHI, ALFREEN, MABEL aur VALDIS apni apni jagah par jaakar baith gaye...


REGIS-well aap sabki actual classes kal se shuru hongi...abhi hum aap sabko aapke is PHASE me hone waale important activities ke baare me batayenge aur saath hi institution se baahar jo PHASE 2 ki duniya hai,jo ki aap sabhi STELLARS aur aapki families ke liye kisi heaven se kam nahi hai,usse explore karne ke liye jin ACCESS CARDS aur teen different coins ki zaroorat padti hai,wo aapko provide karenge aur aapko in chizon ko use karne ke tarika bhi hum batayenge...

SAPIUS-so lets start...is PHASE me aapke kul 2 hi class honge...

pehli class ka naam hai CLASS OF EXPANSIONaur dusri ka CLASS OF ELABORATION...

details aapko kal class ke waqt bataya jaayega....

in do classes me aap jo bhi sikhenge,us growth ko 2 baar EXERTION naam ke ek test me check kiya jaayega...

baaki ke jo do catagories hain,wo bhi is test ka hissa hote hain...

PHASE 2 ka aapka tenure bhi 18 months ka hi hota hai par ye 18 mahine do bhaagon me divided hote hain...

har bhaag 8 months ka hota hai aur uske beech ke do mahine jo ki 9th aur 10th hota hai,usme PHASE 2 aur PHASE 3 ke SAVENTS ko majority choice ke hisaab se kisi ek tourist PLANET par le jaaya jaata hai...

details aur bhi hain par wo time ke saath saath aap sabko batayi jaayengi...

MABBA-ye thi INSTITUTION ke andar ki baat...ab baat karte hain aapki us life ki jo aap aur aapke saath aapki family INSTITUTION ke bahar enjoy karne waali hain....

aur enjoy karne ke liye aap sabko jin chizon ki zaroorat padne waali hai,wo hain ye...


apni baat keh MABBA ne hawa me hi apna haath lehraya jiske turant baad sabhi SAVENTS ke saamne line se chaar chizen prakat hui jisse dekh wo sab hairan bhi hue aur un chizon ko dekh khush bhi...


MABBA-in chaaron ke combination ko LUXURY GATEWAYS kaha jaata hai...

ye jo tum sab ke left me RED CARD hai,yahi hai is duniya ka ACCESS CARD....

is card ka use yahan kuch bhi kharidne ke liye kiya jaa sakta hai...

is card ki koi limit nahi hai par jaisa ki maine bataya tha ki is PHASE me 2 baar EXERTION naam ka ek test hota hai jisme tum sabki progress record ki jaati hai,us test ke result ka asar is card aur saath hi baaki ke teen LUXURY GATEWAYS par bhi padta hai...

ACCESS CARD ke side me jo PURPLE COIN hai,ye hai ETHERIUM...

ETHERIUM ka use tum sab pubs,clubs aur bohot si alag alag night life places me entry ke liye kar sakte ho...

third me rakhi BLUE COIN hai TETHER...magical thrill parks,private party venues,the SEA SWIMMING POOL,aisi alag alag amusing jagahon par aap sirf is TETHAR ko dikhakar jaa sakte hain....

and lastly jo yellow coin hai,ye hai RIPPLE....ye coin tumhare parents nahi balki sirf tumhare liye hai...

is coin se tum sab the ANYLIZER naam ki jagah me jaa sakte ho aur ye facility sirf STELLARS ko hi mili hui hai...

haan agar tum chaahon toh dusre catagory ke SAVENTS ko apne zimmedari me wahan le jaa sakte ho...

ANYLIZER ek aisi jagah hai jahan tum sabne jo kuch bhi yahan institution me sikha hai, usse wahan jaakar seconds wise tak dekh, samajh aur apni galtiyon ko rectify karna sikh sakte ho...

par kyunki woh jagah extreme metaphisycal activities ke har moov tak ko detect karti hai, isiliye wahan par air pressure bohot zyada hota hai jis wajah se zyada der tak wahan par rehna bohot muhskil hai....

toh ye hain in chaaron LUXURY GATEWAYS ke kaam...got it...!!!

ALFREEN-WHIZZ ye chaaron toh sirf ek,ek hi available hain..kya hamare parents bhi inhi ek GATEWAYS se sabhi cheezen access kar paayenge...

MABBA-family strength ke hisaab se hi cards aur coins baatein gaye hain...

tumhare GATEWAYS ke andar tumhare parents ke GATEWAYS moujud hain....

ACCESS CARD ko hold karo...


MABBA ke aisa kehte hi ALFREEN ne apne saamne pade ACCESS CARD ko utha liya...


MABBA-card ko do baar jhatko....


MABBA ke kahe anusar jab ALFREEN ne card ko do baar jhatka toh....

ek ke baad ek do baar us card ke andar se same do aur cards bahar aaye...


MABBA-tumhare haath me jo card hai, usse baari baari baaki ke dono cards ko touch karo...

MABBA ke kehne par jab ALFREEN ne waisa kiya toh wo dono cards automatically ALFREEN ke card ke andar sama gaye...

MABBA-coins ke saath bhi same process karna hota hai...

bas ek RIPPLE ko chhod kar..wo ek hi hota hai jisse sirf usse allot kiya hua SAVENT hi use kar sakta hai...

any questions....

VIDEOUS-EXERTION test me WEAKLINGS bhi participate karte hain naa!!!!


jaanbujh kar pucha tha ye sawal VIDEOUS ne aur jis maksad se pucha tha,wo maksad pura ho gaya...

kyunki jaise hi uske mooh se WEAKLING nikla,toh MABBA ke dimag me pehle ACCHUTA aur SLUNDER ki wo wait karne waali baat aur fir RAAZ ki usse ki gayi insult yaad aa gayi jiske zehen me uththe hi MABBA ka daba ghussa bahar aa gaya tha...


SAPIUS-haan,ye test har catagory ke liye hota hai bas tarike thode badle hote hain...

REGIS-aur wo aise ki unka us test me participation STELLARS par depend karta hai...

STELLARS agar chahen,aur jis tarah se chaahen, WEAKLINGS ka use us test me kar sakte hain..

but kyunki wo test ek average aur below average SAVENT ke liye khatarnaak ho sakte hain, isiliye zyada tar WEAKLINGS ko us test ke bade aur important tasks ke daayre se door rakha jaata hai...

MABBA-par is baar aisa nahi hoga..is baar hum WEAKLINGS ko bhi barabari ka mouka denge...

aakhir unhe bhi toh EXERTION test ka maza chakhna chahiye...


halki devilish muskaan ke saath MABBA ne ye baat kahi thi jisse sun pehle toh REGIS aur SAPIUS hairan hue aur wo isiliye kyunki isse pehle MABBA kabhi bhi WEAKLINGS ka kisi bhi task me involvement pasand nahi karti thi par jald hi wo samajhne lage the ki MABBA ye sab un teen SAVENTS ko sabak sikhne ke liye keh rahi jinhone jo pichle saal missing ho gaye the aur filhal WEAKLING catagory me the....

khair, STELLARS ko saari infos de di gayi thi aur isiliye...


MABBA-ok,toh ab aap sab apne apne ABODES jaaiye...PHASE 2 ki duniya ka key card aur coins ke roop me aapko mil chuka hai...

explore aur enjoy kijiye...kal milte hai aapki first class me...


ye bol teeno WHIZZ aur WHIZZDERS room se nikal gaye par jaate waqt MABBA ke man me jo khayal aa chuka tha,usse pura karne ke liye wo hall se bahar jaane ki jagah ek dusri taraf nikal padi...

wahin baaki ke sabhi SAVENTS bhi apne apne cards aur coins ko lekar PHASE enjoy karne ki excitement se bhare room se nikal apne ABODES ki taraf chal pade par in sake beech tha VIDEOUS jo room se toh nikla par fir hall se bahar naa jakar wo bhi us disha ki taraf chal pada jahan gayi thi MABBA....





GROOMERS ROOM:-




TOH YE HAIN AAPKE ACCESS CARD AUR TEENO COINS KA KAAM...


card aur coins ke use ki details ko batane ke baad kaha WHIZZ EDWINA ne....

SAVENTS toh jaan gaye,chaliye aap bhi thoda bohot GROOMERS ke is PHASE me hone waale major activities aur unhe mile hue card aur coins ke baare me jaan lijiye..

waise procedure is catagory ka bhi STELLARS catagory jaisa hi hai but with some restrictions..

aur wo aise ki jahan STELLARS EXERTION me directly bhaag lete hain wahin GROOMERS ko bhi aisa karna allowed hota hai par har GROOMER ko nahi...

sirf wo GROOMERS jinki apni padhyai me growth rate STELLARS jitni hoti hai,wahi us test me directly as a participant involve hote hai aur baaki GROOMERS WEAKLINGS ki tarah hi as a SIDE KICK STELLARS ki marzi ke hisaab se us test me involvement rakh paate hai..

wahin baat karen agar GROOMERS ko mile card aur coins ki toh iska bhi ek limit tay hota hai jo unke session me kiye performance ke hisaab se fluctuate hota rehta hai...

saari details ko disclose karne ke baad GROOMERS ke teen WHIZZ aur WHIZZDERS EDWINA, ROVEL aur PETRA ne class ko conclude kiya aur class se nikal gaye wahin is dauran WHIZZ MABBA aur unke piche piche VIDEOUS pahunche...





PLACE-THE GREAT HALL....




BHAI,ISSE NAA DOUBLE LOUD SPEAKER KI ZAROORAT HAI....BOL KYA RAHI HAI,KUCH SAMAJH ME HI NAHI AA RAHA..!!!!


HIDA,jo ki WEAKLINGS ki ek maatra WHIZZ thi,wo wahan moujud unke catagory ke chararon SAVENTS ko is session me unke activities ke baare me bata rahi thi,par unki awaaz itni kam thi aur saath hi baat karte waqt wo itna atak rahi thi ki unki kahi ab tak ki koi bhi baat un chaaron ko thik se sunayi bhi nahi de rahi thi aur isiliye hi ACCHUTA ne ye baat kahi thi jispar...


SLUNDER-mujhe toh ye samajh nahi aa raha hai ki ek educational INSTITUTION me itna bhed bhaav kaise ho sakta hai...???

haan un do behroopiyon ki wajah se hume WEAKLING catagory me aana pada par SAVENTS ke saath itna apmaan janak vyavahar meri samajh se pare hai....

baaki dono catagories ke liye rooms allot kiye gaye hain aur hum yahin hall me hi hain aur toh aur humare liye baithne ka bhi koi prabandh nahi hai...

this is so embarrassing....

ACCHUTA-bhai ye toh shuruat hai..pata nahi aage kya kya dekhna pade..par mujhe ek baat samajh me nahi aati ki RAAZ kyun is catagory me hai...???

SLUNDER-puch ke dekh le...

ACCHUTA-puch ke dekh le..!!sidhe bol naa marwa ke dekh le...aise hi meri shakal kuch khaas nahi hai,uspar agar maine inhe kuch keh diya toh pata nahi mere thobde ka kya bhugol ban jaayega...

SLUNDER-kharabi ki aakhri hadh hai tera chehra..isse zyada aur kya kharab hoga...

ACCHUTA-haan bhai,tere chehre se toh noor tapak raha hai,kyun!!!!..

beta jinke ghar sheeshe ke hote hain naa,wo dusro ke ghar me pathar nahi maarte...

saale,bandar ke pichwade ki shakal liye tu mere thobde ki burayi kar raha hai....


is tarah SLUNDER aur ACCHUTA ek dusre ki burayi karne me lag gaye, WHIZZ WIDA hume dheere dheere atak kar hamara schedule batati rahi jo ki naa ke hi barabar tha,BRAWNY toh bas chupchaap gumsoom sa hokar hi khada tha wahin mai in sabke beech hokar bhi nahi tha..

nazarein bhale hi meri saamne thi par andar hi andar mai pure ELYSIAN ko scan kar raha tha...

reason....

mujhe ye toh nahi pata tha ki mera agla step kya hone waala hai par itna zaroor andaza tha ki jo bhi hoga,wo yahin ELYSIAN ke andar hi hoga aur isiliye mere sharir se SEARCH RAY nikal pure ELYSIAN me ghum rahe the aur tabhi...

mere chehre par ek halki si muskaan aa gayi aur wo isiliye kyunki maine mehsoos kiya hamare paas aate hue WHIZZ MABBA aur VIDEOUS ko...

aisa hote hi pehli baar mera dhyan gaya mere saamne khadi WHIZZ HIDA par joki behad under confident dikh rahi thi aur ussi jhijhak ke saath baat bhi kar rahi thi par ye dekh meri smile halki gehri ho gayi....

HIDA jinki baat sirf unhe hi sunayi de rahi thi,unhone pura schedule abhi batana complete hi kiya tha ki tabhi....


OHO....DEKHO TOH....LAGTA HAI KOI ZABARDAST PLANNING HO RAHI HAI STELLARS KO COMPETITION DENE KI....


WHIZZ MABBA ki thi ye awaaz jo hamare piche se aayi thi...

awaaz sun BRAWNY palta aur uske saah hi ACCHUTA aur SLUNDER bhi palatne waale the lekin....


PALATNE KI ZAROORAT NAHI HAI....


meri awaaz gunj uthi un dono ke dimag me jiske baad un dono ne meri taraf dekha aur fir wapas saamne dekhne lage...

wahin BRAWNY ke saath saath WHIZZ HIDA ki nazar bhi hamare piche gayi thi aur jab unhone MABBA ko dekha toh wo kaafi nervous ho gayi...

reason...

10 saal pehle WHIZZ MABBA bhi yahan ek SAVENT thi aur tab wo bhi bohot pareshan kar chuki thi WHIZZ HIDA ko..

aur ab jab wo khud ek WHIZZ hain,tab bhi wo aisa karne se baaz nahi aati thi par ye sab wo SAVENTS ke saamne nahi karti thi lekin aaj wo yahan hamare beech unke paas aa rahi thi,toh zaroor kuch na kuch negetive aur apmanjanak baat WHIZZ HIDA se karengi hi,yahi soch kar WHIZZ HIDA nervous feel karne lagi thi...

par in sabke beech jab MABBA ne ye dekha ki unki awaaz sunkar bhi naa toh mai palta hun,aur naahi ACCHUTA aur SLUNDER toh unka ego pinch sa ho gaya...

hamare side se hokar hume ghurti hui wo WHIZZ HIDA ke paas jaakar khadi ho gayi...

wahin apne saamne MABBA ko dekhkar HIDA ki nazarein neechi ho
gayi thi aur dar ke maare wo halki kaampne bhi lagi thi...

ek vyang se bhari muskaan se WHIZZ HIDA ko dekh MABBA ki nazar hamari taraf ghumi par tabhi....

VIDEOUS jo humse thode piche hi khada har taraf dekh raha tha yaa fir ye kahun ki place checkout karne ka naatak kar raha tha,uspar WHIZZ MABBA ki nazar padi aur...


MABBA-VIDEOUS...tum yahan kya kar rahe ho..???

VIDEOUS-pehli baar yahan aaya hun WHIZZ toh bas is GREAT HALL ko checkout kar raha tha..

MABBA-hmm..chalo,idhar aao...


WHIZZ ke bulate hi mere baaju se apne shoulder ko halka takrate hue VIDEOUS aage badh gaya aur tabhi....


dekhne waalo ko VIDEOUS ka aisa karna mahaz ek shrug ki tarah hi lagna tha par asal me VIDEOUS ne apni shakti ka ek bohot bada bhaag apne shoulder ke through release kiya tha aur isiliye hi uske shoulder ke mere shoulder se takrate hi mujhe ek tez jhatka laga aur mai aage ki taraf girne ko hua par maine turant apna balance bana liya jisse mai girne se bach gaya...

par jahan VIDEOUS ke shrug se mere disbalance hone par ACCHUTA aur SLUNDER hairan ho gaye wahin MABBA ke chehre par ek khilli udane waali muskaan naach gayi...


MABBA-arre VIDEOUS..dhyan diya karo..ye WEAKLINGS hain, STELLARS nahi..

ye kamzor hote hain..tumhara chhuna bhi inke liye dhakke se kam nahi hoga....

waise bhi body bana lene se taakat nahi aa jaati..ye sab sirf ek show off hai...aur iski sirf kadh aur zuban hi lambi hai...hai toh ye bhi har WEAKLING ki tarah khokla hi...


MABBA ki baat sun jahan VIDEOUS muskura diya, HIDA ka sir ek baar fir se jhuk gaya wahin mai bilkul shaant hi khada tha...

kuch der tak mujhe ghurte rehne ke baad MABBA palti HIDA ki taraf aur...


MABBA-arre,aap itni nervous kyun ho rahi hain..???aapko toh khush hona chahiye kyunki mai yahan aapko ek khushkhabari dene aayi hun...


MABBA ki baat sun HIDA ki sawal bhari nazar uspar tik gayi...


MABBA-najaane pichle kitne hi sessions se aap mujhse har EXERTION test ke waqt request karti aayi hain ki mai aapke WEAKLINGS ko bhi thoda hi sahi par participate karne ka mouka dun...

par maine kabhi aisa karne ki ijazat nahi di...lekin is baar aisa nahi hoga..is session ke pehle EXERTION me aapke SAVENTS bhi bhaag lenge..

aur wo bhi test ke kisi ek part me nahi,balki STELLARS ki tarah pure test me....

jahan MABBA ki pehli baat jisme usne WEAKLINGS ko bhi EXERTION me hissa lene ke liye haan kaha tha,sunkar HIDA khush ho gayi thi wahin uski aage ki baat sunkar HIDA ke chehre par dar dikhne laga tha...

reason...

EXERTION test kaafi dangerous tha jisme STELLARS tak fail bhi hote hai aur chotil bhi toh aise me WEAKLING ki kya haalat ho sakti thi us test me,iska toh andaza bhi nahi lagaya jaa sakta tha...

aur isiliye HIDA aisa karne ke liye MABBA ko mana karne waali thi par tabhi...

ek invisible ray nikli mere chest se jo kisi aur ko toh nahi par VIDEOUS ko dikh gayi thi..

wo ray jo ki ek MIND MANIPULATOR thi,nikal sidhi HIDA ke dimag me ghus gayi aur jab aisa hua toh unke chehre ke expressions badal gaye..

dar,ghabrahat sab gayab ho gaya unke chehre se aur fir..


HIDA-challenge accepted...agar mukabla barabari ka hone waala hai,toh theek se taiyar karna apne SAVENTS ko...

kyunki WEAKLINGS se jeetne ki ummid bhale kisiko ho naa ho,par unhi WEAKLINGS se STELLARS haar jaayen,aisa kisi ne socha bhi nahi hoga...

par is baar hoga aisa hi...


halki unchi confident bhari awaaz se ye shabd nikle HIDA ke mooh se jisse sun MABBA ko laga jhatka....

jis HIDA ne kabhi ek puri line tak thik se ek saath nahi boli thi, abhi abhi usne naa sirf pure confidence se baat ki thi balki MABBA ke challenge ke jawab me ulta ek naya aur naamukin sa lagne waala challenge tak de diya tha...

aise me jhatka toh lagna hi tha...

wahin VIDEOUS, jisne us ray ko mujhse hokar HIDA ke dimag me samate dekha tha,wo mujhe hi dekhkar aise muskura raha tha maano maine koi bachkani harkat ki ho par wo ye nahi jaanta tha ki ek aur ray thi jo mujhse nikalkar kahin aur jaa ruki thi par bohot jald usse pata lag hi jaana tha..

kaise,aayiye khud dekh lijiye...

HIDA ki baat sun kuch pal lage MABBA ko shock se recover karne ke liye par fir...


MABBA-aukad se badi baat bol gayi aap HIDA...aap darpok hi thik thi..

pehli baar kuch confidence ke saath nikla aapke mooh se toh kya .???bewakufi se bhari bachkani baat....

CHOSENS shatranj ke khel ki tarah hai... jisme RAJA aur RANI hum hain,STELLARS...

GROOMERS hote hai WAZIR aur GHODE ki tarah jinka kamsekam ek respected ohda toh hota hi hai...

par WEAKLINGS sirf un PYADON ki tarah hote hain jo hum STELLARS naam ke KING aur QUEEN ke isharon par chalte hain..

unke khudka kuch wajud nahi....


hume dekhte hue kahi thi ye baat MABBA ne aur fir..


MABBA-chalo VIDEOUS...


ye bol MABBA aage badh gayi..


wahin HIDA jinke andar se meri ray ab gayab ho chuki thi,unka sir us ray ke release hone ka pressure jhel nahi paaya aur isiliye unhe chakkar aane laga aur wo ladkhadane lagi jisse ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ne dekh liya aur turant unki taraf badhe...

mujhe ghurte hue mere baaju se hote hui MABBA aage nikli aur unke piche mujhe muskurakar dekhte hue nikalne laga VIDEOUS aur tabhi...

maine apna kandhe se uske kandhe ko halka jhatka diya...

is jhatke me bohot pressure tha par VIDEOUS ko mere aisa kuch karne ka andaza pehle se hi hi tha aur isiliye wo taiyar tha...

issi wajah se us jhatke ka uspar koi asar nahi hua par wo mere baaju me rook zaroor gaya...


VIDEOUS-tu toh baccha nikla re RAAZ...ya fir wo jo MABBA ne abhi abhi bola..ek mamuli pyada jo bas badi badi baat hi kar sakta hai aur kuch.....


DHAPP...........DHAAMMM


NAHI....ye shabd VIDEOUS ke mooh se nikal hi nahi paaya kyunki usse pehle hi usse piche se uske right kandhe par ek tagda pressure pada aur aisa hote hi pura ek flip maarte hue niche gira VIDEOUS ...

ab ye kaise hua...????

toh ye hua us ray se jisse maine ACCHUTA ki body par bheja tha aur jo uski body se ek inch aage rook gaya tha..

wo ray mere BODY AMPLIFICATION ki shakti thi...aur jab HIDA ko sambhalne ke liye SLUNDER aur BRAWNY ke saath ACCHUTA aage badha toh maine usse aadhe raaste me hi mind to mind jodte hue bata diya ki usse kya karna hai..

aur isiliye ACCHUTA wapas palta aur tezi se aage badhte hue VIDEOUS ko apne shoulder ke through jahan meri body ki shakti thi,usse ek jhatka diya aur natija sabke saamne tha....

jahan ACCHUTA ki wajah se ghumte hue khudko neeche girta hua dekh VIDEOUS hairan ho gaya wahin MABBA jo thodi hi aage gayi thi,takrane aur girne ki awaaz sun jab wo palti toh unki bhi aankhen badi ho gayi..

kabhi wo neeche gire hue VIDEOUS ko dekhti toh kabhi uske baaju me muskukar khade hua mujhe aur fir hile mere honth....


MAI-arre WHIZZ...aapka KING toh ek PYADE se hi gir gaya...

par isme is bechare ki bhi kya galti...naahi isse aur naahi aapko shatranj ki baazi ke baare me thik se pata hai...

sahi waqt par sahi chaal chalte hue agar ek PYADA aage badhe toh wo aakhri ghar tak pahunch jaata hai aur jab aisa hota hai toh RAJA ho yaa RANI,us pyade ke aage har sir ko jhukna hi padta hai....


MABBA ki aankhon me jhaankte hue maine ye baat kahi thi jisse sun wo bolna toh bohot kuch chahti thi par uske lab khul hi nahi paaye..

ek baar VIDEOUS ko jo ab uth chuka tha,usse dekh aur ek baar mujhe ghoor MABBA wapas palti aur aage badh gayi...

wahin MABBA ke palaththe hi mai bhi VIDEOUS ki taraf palta aur..


MAI-sahi bola tha tune...baccha hi hun mai..dekh, khel hi toh raha hun tere saath...

par in a spirit of sportsmanship,ek raaye deta hun tujhe...


Kota jitna ho,
utna hi BAK...

nazar bhale saamne ho,
dhyan har taraf RAKH....


waise maalum hai mujhe ki...


dekhne ke maamle me
tu ek BAAZ hai...

par jiska waar dikhayi hi naa de,
wahi toh.........RAAZ...... hai.....











AAJ KE LIYE ITNA HI.....







AAPKA APNA V...J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF WHIZZ AUR WHIZZDERS APNE APNE CATAGORY KO PHASE 2 KE DETAILS DETE HAIN WAHIN DUSRI TARAF EK BAAR FIRSE VIDEOUS AUR RAAZ KA AAMNE SAAMNE HOTA HAI JISME RAAZ ACCHUTA KE THROUGH VIDEOUS KO NEECHE GIRA DETA HAI


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)




UPDATE-59




PLANET-ELYSIAN


PLACE-WEAKLINGS STAY





AHHH.....AHHHHH....AHHHH.......


ek saath teen baar ACCHUTA ke mooh se dard bhari AHHHH nikli thi...kyun..???aayiye khud jaan lijiye...


ACCHUTA-abbe saale kaise macchar hain ye...???saalon ka size toh normal maccharon ka one fourth bhi nahi hai par kamine kaaththe normal maccharon se 10 guna zyada tagda hain...


apne haath ke us jagah ko masalte hue ACCHUTA ne ye baat kahi jispar abhi abhi ek saath teen baar maccharon ne kaata tha aur ussi wajah se uske mooh AHHHH nikli thi...

shaam ka waqt hai..halka halka andhera chaane laga hai par kyunki WEAKLINGS ki quarter jahan is waqt ACCHUTA aur SLUNDER baithe hain,wahan light ki suvidha nahi hai, isiliye wahan andhera abhi se ghar kar chuka hai...

RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER...in teeno ko ek hi quarter allot hua hai wahin BRAWNY aur uske parents ke liye ek quater jo in teeno ke quater se thode hi door me hain....

aaj classes ke baad ye teeno yahan paidal hi pahunche the jo ki institution se aur PHASE 2 ke city se kuch 6 kms door hai....

jab ACCHUTA aur SLUNDER yahan quater pahunche toh yahan ki haalat dekh jo ki dekhne layak thi hi nahi,unki haalat kharab ho gayi...

baithne ke liye chairs, couches ya sofa nahi balki ek hi badi si chatayi thi aur sone ke naam par bed nahi balki teen khatiya...

paani peene ke liye ek bada sa matka jiske side me teen glass pade the..ek chota sa kitchen jisme naam maatra ki kitchen equipments the aur saath hi mahine bhar ka rashan bhi jisse inhe khud pakana tha...

toilet aur bathroom ek ek hi the aur unki haalat toh aisi thi ki pucho hi mat...

jahan RAAZ toh institution se aate hi apne search rays ko aur shaktishali banane ke liye quarter se bahar ek ghane se ped ke niche paused CEREBRATION me baith gaya wahin ye sab dekhte hi ACCHUTA aur SLUNDER is jagah ki hazar nooks nikalne me lag gaye the....

khair, ACCHUTA ki baat sun.....


SLUNDER-tu toh aise bol raha hai jaise apne planet ke maccharon ke kaatne ke impact ko measure kiya hua hai tune..


apne haath ko idhar udhar hilakar maccharon ko khudse door karte hue kaha SLUNDER ne...


ACCHUTA-bhai,tere har sadhe hue mazak ko tere chehre ki tarah hi jhel lunga mai par filhal apna mooh band rakh...

saale in invisible maccharon ne haath pair ko kaat kaat kar ga**d ki tarah suja diya hai...

SLUNDER-mujhe toh yakin nahi aata ki apne planet ka yuvraj hokar mai aisi ghatiya jagah par reh raha hun...

ACCHUTA-abbe kya sirf tu hi yuvraj hai...???mai kya apne planet ke kisi school ka chaprasi hun...!!!

mujhe kaun si aadat hai aisi jagah par rehne ki par ab jab sir okhki me daal hi diya hai toh kar bhi kya sakte hain...???


SABSE PEHLE COMPLAINT KARNA BAND KARO...????


quater ke darwaze par ek parchayi joki MERI thi,dikhi ACCHUTA aur SLUNDER ko jiske mooh se ye baat nikli thi aur meri awaaz aur baat ko sunane ke baad toh wo dono rehna chhodo jeene ki bhi complaint karne ki haalat me nahi rehte the...

wahin apni baat keh mai un dono ki taraf badha aur SLUNDER jis khatiye par baitha hua tha,uspar baith gaya...

par mere baiththe hi SLUNDER aur ACCHUTA turant mere saamne khade ho gaye...


MAI-mujhe dekh ghabrana,sir jhukakar khade rehna,ye sab akele me allowed hai tum dono ko... institution me ya fir city me mere saath tum dono ko ek normal PHASE MATE ki tarah hi behave karna hai..

SLUNDER/ACCHUTA-jee....


mai itna taaktwar hun,fir kyun mai aisi jagah par reh raha hun..???agar mai chahun toh is jagah ko turant ek rajmahal me badal sakta hun...???fir kyun maine ab tak aisa nahi kiya....???

ye sab baatein chal rahi thi ACCHUTA aur SLUNDER ke dimag me is waqt jispar...


MAI-jo baat ghum rahi hai tum dono ke dimag me is waqt,wo ho nahi sakta...!!!


meri baat sun meri taraf hairani se dekhne lage dono..ye baat alag thi ki andhere ki wajah se mai unhe dikhayi nahi de paa raha tha..

par fir jab unhe ehsaas hua ki mai unke man ki baat bhi padh sakta hun toh...


SLUNDER-kya mai jaan sakta hun kyun??


halke dar aur sankoch bhare awaaz se pucha tha SLUNDER ne ye sawal jispar...


MAI-CHOSENS ek maidan jaisa hai aur iska har PHASE aur uske niyam us maidan me khele jaane waale khel ke niyam ki tarah hai jinhe mai bhi nahi tod sakta...


OH....


dono ke mooh se bas itna hi nikal paaya par wo dono ek baar firse udas hone lage the jispar...


MAI-samasya ka samadhan sirf samasya ko khatm karkar hi nahi balki us samasya se khudko bachakar bhi nikala jaa sakta hai...

ACCHUTA/SLUNDER-matlab...!!!hum samjhe nahi..???

MAI-DRISHTI VARDHANAM

apne apne BRAIN, BODY aur BLOOD ko jodte hue is SPELL ko uccharit karo,pata chal jaayega...

meri baat sun ek pal ke liye ek dusre ko dekh wo dono wahin neeche baith gaye aur kiya apne apne CEREBRATION ko pause...

jab ARROW aur CARAPACE ke kings apne apne logon ke PLANET shifting par kaam kar rahe the tab mere kahe anusaar ACCHUTA aur SLUNDER, dono hi apne AMPLIFICATION ke teeno active chakron ko steady karne me lage hue the..

waise toh dono hi kaafi hunarmand the,par maine jab unke BRAIN, BODY aur BLOOD ko AMPLIFY kiya tha toh saath hi unke seekhne ke process ko bhi thoda trigger kar diya tha jiski wajah se in dono ne 3 din ke andar hi apne teeno AMPLIFICATION ko sthir kar liya tha..

aur yahi wajah thi ki abhi jab dono ne apne apne CEREBRATION ko pause kiya toh uske kuch hi palon baad un dono ke teeno AMPLIFICATION chakra jud chuke the aur aisa hote hi.....


DRISHTI VARDHANAM....

ENHANCE THE VISION....


AADHESHAM mode ke antargat un dono ke mooh se ek saath ye baat uccharit hui jiske baad....

un dono ke aankhon se hota hua ek ray unki puri body me failne laga....

ACCHUTA aur SLUNDER jinki aankhen filhal band thi,un dono ne bhi apni aankhon se hote hue apne pure sharir me ek thandak feel ki thi...

aur kuch der baad jab unhe wo thandak feel honi band hui toh dono ne hi apni apni aankhen khol di aur aisa karte hi...


ACCHUTA-iski maa kaa,uski maa,sabki maa....mujhe toh sab clear dikh raha hai...


aankhen kholte hue ACCHUTA ne dekha ki ab usse andhere me bhi sab kuch clearly dikhne laga tha wahin SLUNDER bhi ab is andhere me clearly dekh paa raha tha..


MAI-tum dono ki bodies me jo chill tumne feel kiya tha,wo ek guard tha jiski wajah se ab tumhe yahan ke macchar pareshan nahi karenge...

meri baat sun un dono ka dhyan bhi apni body par gaya jispar ab wakayi me koi macchar nahi kaat raha tha...


SLUNDER-thank tou RAAZ.....

ACCHUTA-haan bhai,bohot bohot thank you...agar in maccharon ne mujhe yunhi kaatna jaari rakha hota toh mai pehla aisa banda hota jisne maccharon ke kaatne se pareshan hokar suicide kiya hota...

MAI-chalo, city ghum kar aate hain..


apni baat bol mai utha aur bahar ki taraf badh chala wahin ACCHUTA aur SLUNDER bhi mere piche piche bahar aa gaye..

aage badhte hue jab hum teeno BRAWNY ko alloted quarter ke baaju se nikle toh hume andar se halke halke rone ki awaazen sunayi di jo ki BRAWNY aur uske parents ki thi...


SLUNDER-bechara BRAWNY aur uske parents...wo bhi royal bloods hain...pata nahi kaise yahan survive karenge...???


SLUNDER ki baat sun mai uski taraf palta aur jab aisa hua toh uski haalat kharab ho gayi..usse laga ki usne kuch aisa bol diya hai jo usse nahi bolna chahiye tha...


MAI-humdardi se sirf bheek milti hai aur CHOSENS bhikariyon ki jagah nahi hai...

ye ek jungle hai..and every one who lives here,has to fight to survive here...

rone do usse...USKA FRUSTRATE HONA BOHOT ZAROORI HAI...


apni baat keh mai aage badh gaya wahin meri baat ka matlab naa samajh ek pal ke liye ACCHUTA aur SLUNDER ne ek dusre ko dekha aur fir dimag ko jhatak mere piche hi liye...





PLACE-ALFREEN'S ABODE




WHAT....!!!! ITNI BADI BAAT AUR TUM YE HUME AB BATA RAHI HO...AUR ITNI DER TAK KAHAN THI TUM...???KYA CLASS ITNI LATE TAK CHALI....!!!!


sidhe shaam ke waqt pahunchi thi ALFREEN apne ABODE aur wapas aakar jaise hi usne MARIA aur FLORIN ko bataya ki RAAZ wapas aa chuka hai,toh laga un dono ko jhatka aur ek ke baad kayi sawal kar daale MARIA ne usse....


ALFREEN-mom itne dino se is jagah ko dekhne ka itna zyada man tha ki hum teeno INSTITUTION se nikalte hi sidhe kuch jagahon ko checkout karne ke liye nikal gaye the...

wahan waqt ka pata hi nahi chala aur isiliye aane me thodi der ho gayi..

pata hai pops,mom,ye jagah hamare imagination se bhi zyada cool hai....

hum bas teen hi jagah gaye the..ek tha ROYAL CLUB..it was like a KING'S PALACE with a modern touch..

dusra tha VENOM naam ka ek pub and that place was awesome...pata hai pops,us pub me pure universe ke har planet ke best music's play hote hain....

and lastly,hum gaye ek ILLUSIONARY OCEANERIUM me and guys,u have too see it..mai bataungi toh maza nahi aayega,aap sab khud hi check out kijiyega....


jahan ALFREEN yahan ke happening places ke baare me bata rahe the,wahin MARIA aur FLORIN ka dhyan RAAZ par hi atak gaya tha....

un dono ke andar usse dekhne bhar ki tez iccha jaagi hui thi aur isiliye....


FLORIN-AL.....RAAZ kis catagory me hai..???

ALFREEN-WEAKLINGS me....


ALFREEN aage kuch kehti,usse pehle hi FLORIN ne apni baat keh di thi...

wahin puche gaye sawal ka jawab dene ke baad ALFREEN ko bhi samajh aa gaya tha ki uske mom dad ne RAAZ ke return hone waale baat ke aage ki koi baat par dhyan nahi diya hai...

saath hi usse ye bhi realize hua ki usse pehle INSTITUTION se aakar ye khabar apni mom dad ko deni thi aur fir ghumne jaana tha par ab jo ho gaya so ho gaya...

wahin ALFREEN ki baat sun...


MARIA- ELUSORY....kya tumhe WEAKLING catagory ke SAVENTS ke alloted quarters kahan hai,ye pata hai...???

ELUSORY-yes MISTRESS...

MARIA-then lets go there...


MARIA aur FLORIN dono bahar jaane ke liye uthe aur hall se hote hue bahar lawn ki taraf chal diye...

lawn me unki CHARIOT khadi thi jispar wo teeno baithne hi waale the ki tabhi....


HAIN...!!!AAP TEENO HUMARE BINA HI CITY EXPLORE KARNE JAA RAHE HAIN....


un teeno ke piche se aayi ye awaaz jo ki MAHI ki thi..awaaz sun jab MARIA, FLORIN aur ALFREEN palte toh dekha ki MAHI apne kamar par dono haath tikaye unhe ghoor rahi thi aur uske saath khadi thi MABEL aur uske parents jinhe dekh ye teeno unki taraf badhe aur...


MARIA-tumne aisa kaise soch liya ki tum sabke bina hum city explore karenge...

MABEL-toh fir aap teeno CHARIOTS me baithkar kya apne hi ghar ke rounds maarne waale the..

MARIA-chup badmash...actually beta hum RAAZ se milne jaa rahe the...


RAAZ ka naam sunte hi MAHI ka ghurna bhi band ho gaya tha...usse bhi realize ho gaya tha ki jab tak uncle aunty RAAZ se mil nahi lete,tab tak unhe chain nahi aayega...

wahin mr and mrs FELLAR ke liye ye naam naya tha aur isiliye...


FELLAR-RAAZ!!!ye kaun hai..???


FELLAR ke sawal par FLORIN unhe RAAZ ke baare me sab batane lage jisse sun...


FELLAR-oh.. poor child...chaliye fir,hum bhi mil lete hain RAAZ se...

MAHI-haan uncle,hum sab chalte hain...


FELLAR aur MAHI ki baat sun FLORIN aur MARIA ek dusre ko dekhne lage...

reason....

bhale hi wo RAAZ se milne ke liye excited the,par wo jaante the ki RAAZ kaisa hai...???

usse kabhi dusro ki feelings se matlab nahi raha tha aur naahi zyada logon ko apne aas paas dekh wo kabhi comfortable feel karta tha...

toh aise me sabka uske saamne jaana,ye koi acha idea nahi tha..pata nahi RAAZ un sabko dekhkar kaise react karta aur agar usne apne aadat ke anusar kuch ulta sidha bol diya toh unki MR & MRS FELLAR ke saamne beizatti ho jaani thi...

FLORIN aur MARIA ki ye soch koi aur bhaampe naa bhaampe par MAHI bhaamp chuki thi aur isiliye...


MAHI-zyada mat sochiye uncle aunty..kuch nahi hoga...aur waise bhi ab aapka RAAZ wo purana RAAZ nahi raha..kaafi badal gaya hai...

appearence se bhi aur aadaton se bhi..pata hai,jo ladka kabhi kisi ek bande se bhi baat karne me uneasy
feel karta tha,aaj usne pure PHASE ke saamne ek choti si specch de di thi...


MAHI ki baat sun hairani dikhne lagi FLORIN aur MARIA ke chehre par..


wahin apni baat ko aage badhate hue...


MAHI-hairani bacha kar rakhiye.. kyunki asli hairani aap dono ko tab hogi jab wo aapke saamne aayega..pehchaan nahi paayenge aap usse...


MARIA-matlab...

MAHI-khud dekh lijiyega...ab chalen...


sir haan me hilate hue MARIA aur FLORIN wapas palte aur ALFREEN ke saath apne CHARIOT me jaakar baith gaye...

wahin baaki sab bhi apne apne CHARIOT me baith gaye jiske baad teeno ELUSORIES ne unke chariot ke navigation system me WEAKLING CATAGORY ka destination code daal diya aur aisa hote hi teeno CHARIOTS apni manzil ki taraf badh gaye...




BACK TO RAAZ:-




BHAI,HUM YAHAN KYUN AAYE HAIN...???


halki jhijhak ke saath pucha ye sawal ACCHUTA ne muhse jispar...


MAI-sabr ek aisi medicine hai jisse zinda rehne me asaani hoti hai..


ek baar ACCHUTA ki taraf nazar ghuma maine ye baat kahi aur uske baad wapas saamne us bade se gate ki taraf dekhne laga jiske bahar hum khade the...

wahin meri baat sunkar jahan SLUNDER ACCHUTA ko dekhkar hasne laga wahin ACCHUTA ka mooh sirf band hi nahi hua balki seal ho gaya...

khair,jiske liye mai yahan khada tha,wo pal aa chuka tha aur isiliye...

humse kuch door par laga wo automatic gate bin awaaz ke khulne laga aur jab wo pura khula toh...

ek saath teen teen chariot us gate se hote hue baahar nikle jinke andar FLORIN & party baithe hue the...

wahin jo chariot hamari taraf thi,wo MAHI ki thi aur isiliye sabse pehle mujhpar ussiki nazar padi thi aur aisa hote hi...


MAHI-UNCLE,AUNTY,wo dekhiye RAAZ...


meri taraf point karte hue halki chilla si uthi MAHI jiske baad...


FLORIN-stop....


CHARIOTS voice command bhi follow karte the aur isiliye FLORIN ke stop bolte hi unki CHARIOT rook gayi wahin unke baad baaki dono CHARIOTS bhi rook gaye...

FLORIN aur MARIA,dono ne hi mujhe ab tak dekha nahi tha..unhone toh bas MAHI ki baat sunte hi CHARIOT rukwa di thi par CHARIOT ke rookte hi jab wo dono usse utre toh har taraf dekhne lage..

unhe unse kuch door teen ladke zaroor dikhe par unme se koi bhi unhe RAAZ nahi laga tha aur isiliye....


FLORIN-beta MAHI..kahan hai RAAZ...???

MAI-mai yahan hun....


isse pehle ki MAHI meri taraf point kare,meri awaaz FLORIN aur MARIA ke kaano me gunj uthi jiske baad aankhon me avishwas liye wo dono meri taraf dekhne lage..

wahin apni baat keh mai unki taraf badh gaya aur thik unke saamne jaakar khada ho gaya...

mai bilkul un dono ke saamne khada tha aur wo dono aankhen phaade mujhe dekh rahe the aur fir..


MAI-kehte hain ki waqt ke saath sharir badal sakta hai,aakar badal sakta hai, chehra bhi badal sakta hai par aakhen nahi badalti...

meri aankhon me dekhiye,mere RAAZ hone ka saboot mil jaayega...


meri baat sun un dono ki nazar turant meri aankhon ki taraf gayi aur jab aisa hua toh....

mere wajud ke pura hone se pehle waale appearance me sirf meri aankhen hi aisi thi jo dekhne layak thi..

jab mai bohot chota tha,chal nahi sakta tha tab MARIA bohot baar kaafi der tak mujhe godh me liye meri aankhkon me dekhti rehti thi..

kabhi kabhi FLORIN bhi aisa karte the aur yahi wajah thi ki meri aankhon me dekhte hi wo dono mujhe pehchaan gaye aur aisa hote hi...

RAAZ....

FLORIN ke mooh se nikli thi ye awaaz jo halki bhaari bhi ho gayi thi..

aankhen nam MARIA ki bhi thi..wo dono hi mujhe gale lagana chahte the par mere swabhav ko yaad kar hichkicha rahe the par tabhi laga un dono ko aur unke saath thoda piche khadi ALFREEN aur MAHI ko ek tez jhatka...

reason...

chehre par halki muskurahat ke saath aage badh mai FLORIN ke gale lag gaya...

mere aisa karte hi pehle toh FLORIN ekdum jadh se ho gaye par fir unhone bhi mere ird gird apni baahein lapet li..

kaafi chowde the mere shoulder aur uske upar meri height joki FLORIN se zyada hi thi isiliye unke dono haath mere shoulders ke bas three fourth area ko hi cover kar paa rahe the...

kuch der FLORIN se gale lage rehne ke baad mai unse alag hokar MARIA ke gale lag gaya....

mujhse gale lagte hi ek baar firse MARIA aankhon se bhi aansu nikalne lage the..

wahin in sabse alag MAHI aur ALFREEN jo is scene ko aankhen faade dekh rahe the,wo,.....


ALFREEN-yaar,ye RAAZ nahi ho sakta..zaroor ye koi aur hi banda hai... kyunki shakal badal sakti hai,par fitrat nahi...

MAHI-agar hum apne planet me hote toh mai bhi yahi bolti..par mat bhool ki hum CHOSENS me hain aur isse SOVEREIGN'S lekar aaye hain...aur wo dokha nahi khaa sakte...

apni apni baat keh wo dono bhi hamare paas aa gaye aur ab tak gale lagne ka daur bhi tham chuka tha aur isiliye...


MAHI-tum yahan gate bahar kya kar rahe the...???

MAI-aap dono se milne hi aaya tha mai yahan..??par WEAKLINGS ko aapke colony me ghusna allowed nahi hai..

par mujhe laga tha ki city dekhne aap log nikloge hi, isiliye yahin wait kar raha tha...


MARIA ko dekhkar ye baat kahi maine jiske baad un dono ka dhyan mere pehne kapde par gaya jo ki WEAKLINGS ka uniform hi tha..


MARIA-ye kaise kapde pehne hue hain tumne...???

MAI-WEAKLINGS ko extra kapde nahi diye jaate...bas 2 uniforms hote hain,that sit...


meri baat sun MARIA aur FLORIN ko bohot bura laga aur isiliye...


MARIA-chalo fir,sabse pehle tunhare liye shopping karenge...


MARIA ki baat sun mere chehre par ek baar fir se smile aa gayi aur...


MAI-hum CHOSENS ke PHASE 2 me hain..yahan yunhi kuch nahi milta...

yahan har cheez haasil karni padti hai aur filhal mai extra kapde deserve nahi karta..but its just a matter of time...bohot jald ye equation badal jaayega...

tab tak mai aise hi rehna chahta hun...


MARIA aur FLORIN jaante the ki mai maanunga nahi isiliye unhone is baare me aur kuch nahi kaha..

par meri baat sun MAHI khudko bolne se nahi rok paayi aur...


MAHI-oho..matlab is baar tum bhi humare saath competition me part lene waale ho...

MAI-tumhara competition mujhse nahi,in dono se hoga...mera COMPETITION kisi aur se hai...


ACCHUTA aur SLUNDER ki taraf ishara karte hue maine kaha jispar...


MAHI-kisi aur se...???kisse...

MAI-jis competition ka hissa tum hone hi nahi waali,uske baare me jaan kar kya faayda...

MABEL-ye toh bata hi sakte ho ki tumhare appearence me itna change kaise aa gaya..???


MABEL jisne subah jab se mujhe dekha tha,tab se hi mere is badle hue appearence ke baare me puchna chahti thi,aaakhir usne puch hi liya jispar maine usse aur baaki sabko jo kahani SOVEREIGN'S ne MARILIZA ko mere gayab hone ki batayi thi,wo bata di aur saath hi bataya ki ussi wajah se mere appearence me change aaya hai...

baaaton ke dauran meri nazar ALFREEN par gayi jo mujhe hi ghoor rahi thi par jaise hi meri nazar uspar padi,usne apni nazarein ghuma li...

khair,saari baat batane ke baad....


MAI-acha uncle,aunty, I'll take your leave now..kuch kaam hai mujhe...

mere FLORIN aur MARIA ko uncle aur aunty bulane par wo dono bohot khush ho gaye aur wo isiliye kyunki ye do shabd rishte se baandhne waale the..wo rishte jinke naam se hi mujhe hamesha allergy rahi thi...


MARIA-thik hai..par promise karo ki tum ghar aaoge...

MAI-promise...

FLORIN-smile tumhare chehre par bohot achi lagti hai beta...hamesha aise hi muskurate raho...

MAI-aisa mat boliye uncle...kabhi kabhi kisi ek ki khushi kisi dusre ki taklif ban jaati hai...

MARIA-jisse taklif hogi,wo apna dekh lega..tum bas muskurate raho...


MARIA ki baat sun mai ek baar firse muskura diya aur fir un dono se bye bol ACCHUTA aur SLUNDER,jo bilkul chupchaap ab tak ka mere conversation ko sun rahe the,unhe lekar nikal pada...

MARIA ki aakhri me kahi baat,"JISSE TAKLIF HOGI,WO APNA DEKH LEGA..TUM BAS MUSKURATE RAHO...."

is line ko yaad kar maine apna sir shake kiya aur....


MAI-

sharafat bhare alfaaz,
BADSULOOKH ho gaye....

pehle sirf naadan the log,
par waqt ke saath,

BEWAKOOF ho gaye...









AAJ KE LIYE ITNA HI.....[\B]
 
Last edited:
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ACCHUTA AUR SLUNDER APNE QUATER KO DEKHKAR NAAKHUSH HOTE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ FLORIN AUR MARIA SE MILTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)




UPDATE-60





PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSEN'S




STELLAR'S CLASS





TOH PHASE 2 KI AAPKI PEHLI CLASS SHURU KARTE HAIN...


bade excitement se REGIS ne apne CATAGORY ke SAVENTS jo ki STELLARS the,unse ye baat kahi jispar sabhi SAVENTS double excitement aur attentiveness ke saath sidhe alert mode me baith gaye the...

wahin in sabke beech baitha tha VIDEOUS jo abhi bhi casually relax hokar baitha hua tha....


subah ka waqt hai aur finally wo ghadi aa gayi thi jiska intazar sabhi SAVENTS kaafi dino se kar rahe the....

PHASE 2 ki classes jo ab shuru ho chuki thi...sabhi STELLAR'S wahin ussi THE GREAT HALL ke room me baithe the,jahan kal baithe the..

khair,REGIS ki baat ko aage badhte hue,


MABBA-jaisa ki kal maine aap sabko brief dete waqt bataya tha ki
is PHASE me aapke kul 2 classes hongi....

pehli hai CLASS OF EXPANSION aur dusri hogi CLASS OF ELABORATION....

class bhale hi do hain par in classes ko agar define kiya jaaye toh ye do classes us tree ki tarah hai jinme kaafi branches hote hain par root ek...


MABBA ki baat kisi SAVENT ko samajh me nahi aayi thi aur issi wajah se sabhi halke confuse dikh rahe the...


(JAB SAB SAVENTS KAHA JAAYE TAB USME RAAZ AUR VIDEOUS INCLUDE NAHI HONGE)


khair, MABBA ki baat ko aage badhate hue...


SAPIUS-confuse hone ki zaroorat nahi hai SAVENTS..abhi kuch der me sab clear ho jaayega...

sabse pehle,ye toh aap sabko pata hi hai ki elaboration aur expansion ka matlab kya hota hai aur dono me fark kya hota hai .???

elaborate matlab detailing hoti hai aur expansion ka arth hota hai kisi bhi chiz ko chote se bada karna...

yahi dono methods jisse magic ke through apni dono classes me aap sab sikhne waale hain...

pichle PHASE me aap sabne sirf apne apne BRAIN, BODY, BLOOD aur SOUL ko AMPLIFY karna sikha tha...

ek tarah se kahun toh aap sabne khudko magic karne ke layak banana sikha tha aur aapke SOUL AMPLIFICATION ussi seekh ko multiply kar rahe the...

par ye sab sirf METAPHYSICAL ACTIVITIES ka base tha..asli magic kya hota hai,wo aap is PHASE me sikhenge..

waise us magic ka ek chota sa example aap sab pichle session ke waqt SWEEP-STAKE COMPETITION me MORALS aur WICKEDS ke beech dekh hi chuke hain...

wo saari adhbhudh chizen jo MORALS aur WICKEDS kar rahe the,uska main kaaran yahi do classes hain jo aap is session me padhne waale hain...

kaise,ab ye jaan lijiye....


REGIS-METAPHYSICAL ACTIVITIES kahen yaa fir MAGIC...ye trigger toh AMPLIFICATION se hote hain par inhe apne mutabik asar ke saath use karna ek alag chiz hoti hai aur yahin kaam me aata hai EXPANSION aur ELABORATION...

jis SPELL BOOK ki madad se spells ko memmorize kar aap sabne pichla session nikala tha,us book me bas BASE MAGIC ke SPELLS likhe hue the jo sirf ek had tak aapke AMPLIFICATION me kaam aane me madad karte the..

par is saal aap advanced MAGIC sikhne waale hain jiske liye second level MAGIC SPELLS use kiye jaate hain aur isiliye...


aage kuch kaha nahi REGIS ne bas apna haath halka sa saare SAVENTS ki taraf ghuma diya aur uske aisa karte hi,sabhi SAVENTS ke aage ek bohot moti si book aa gayi thi jiske upar likha tha ENHANCE....

sabhi SAVENTS us book ko dekh hi rahe the ki...


SAPIUS-ye book do hisso me divided hai.. pehle bhaag me aapko ek hi MAGIC ke liye alag alag spells milenge...

for example ASRAVA...is spell ke madad se aap apne pratidwandi ke sharir me pain paida kar sakte hain..

par ye pain normal hoga..par ASUKA spell jiska matlab bhi pain hi hota hai,iske uccharit karte hi pain ka level badhne lagta hai...

aise hi aur teen spells likhe honge in do spells ke neeche jinka kaam ek hi hai...pain,dard dena par alag alag asar ke saath...

aur isiliye is book ka pehla bhaag aapke pehle class EXPANSION ke liye hai...

kyunki aap is class me apne har spell aur hunar ko expand karna sikhenge...

understood...

SAB-yes WHIZZDER.....

MABBA-ab baat karte hain aapke dusre class jo ki ELABORATION ki hai,uske baare me...

ELABORATION class ek bohot hi complex class hai kyunki isme hoti hai aap sabke individual potential ki detailing....

jin SPELLS ko aap is saal padhkar istemaal me laane waale hain,wo aap yunhi nahi kar sakte....

aisa karna depend karega aapke BRAIN,BODY, BLOOD aur SOUL ke determination par....

jab bhi aap koi spell bolte hain,toh us spell se teeno AMPLIFICATION modes ke through aapke sharirik,maansik aur aatmik shakti ka ek hissa bhi release hota hai....

aur jitne strong aapke chaaron sources honge,utna strong aapka bola hua spell hoga aur saath hi utni hi jaldi aap agle spell ko bolne ke liye taiyar ho paayenge..

ELABORATION class me aap sabke chaaron sources ki shakti ko interlink karkar ek kiya jaata hai taaki spell bolte waqt uska asar aapke manmutabik ho aur saath hi aap ki recovery nano seconds tak tez ho jaaye...

itna hi nahi,har spell ke asar ke beech ek naye spell ko uccharit kar kuch naya bhi kiya jaa sakta hai,aur aisa karna bhi is class me sikhaya jaata hai....

is technique ko HOAX HIT kaha jaata hai..ye technique kisi bhi competition me bohot bada role play karta hai aur jitna zyada aap is technic me master kar paayenge, competitions me jitne ki aapke chances utne zyada badh jaayenge...

GOT IT....

SAB-yes WHIZZ....


jahan pure excitement ke saath sabhi SAVENTS ne ye baat kahi thi wahin VIDEOUS bas shaant baithkar ye sab sun raha tha jisse MABBA ne bhi note kiya tha..

kal WEAKLINGS ke saamne jo hua tha,wo MABBA bhuli nahi thi aur kal ki hui beizatti ka kaaran wo VIDEOUS ko hi maan rahi thi aur abhi jab MABBA ko lag raha tha ki VIDEOUS class me attentive nahi hai,toh uska ghussa andar hi andar aur badhne laga tha...

usne VIDEOUS ko punish karne ki thaani hui thi aur iske liye uske man me ek plan bhi tha jo wo ab apply karne waali thi...


SAPIUS-class ki shuruat me MABBA ne dono classes ko define karte hue ek tree ka example diya tha jiske bohot se branches hote hain par root ek...

ab mai aapko batata hun is example ka matlab kyunki ye example hi aapke dono hi classes ko naa sirf define karta hai balki aapke is PHASE me excel karne ki chaabi bhi yahi hai...

MABBA-par usse pehle, abhi tak humne jo bhi baatein aapko batayi hai,uska ek chota sa demonstration hoga...


SAPIUS ki baat ko kaaththe hue MABBA ne ye baat kahi jispar...


SAPIUS-demonstration!!!!


aakhon me sawal liye bas itna hi shabd nikla SAPIUS ke mooh se jisse avoid karte hue...


MABBA-jaise ki maine bataya tha ki har uccharit kiye spell par sharirik, maansik aur aatmik asar padta hai...

waise toh aap sabke AMPLIFICATION percentage ko jaante hue hume aapki capabilities ka pura andaza hai par kyunki ye PHASE 2 hai isiliye sirf AMPLIFICATION yahan kaam nahi aati..

jitna strong aapka will power hoga,is book me likhe spell bolte waqt release hone waale pressure ko absorb aur digest karne me utni asaani hoti hai aur abhi hum yahi demonstrate karenge....


MABBA ki baat sun buri tarah chownke SAPIUS aur REGIS aur


REGIS-ye kya bol rahi ho MABBA tum..???ENHANCE book me likhe spell ka asar bohot strong hota hai aur bina un baaton aur zariyon par kaam kiye jinse spell ka pressure kam kiya jaa sake,aisa karna SAVENTS ke liye dangerous ho sakta hai....


kaafi dheere se MABBA ke kaan ke paas aakar REGIS ne ye baat kahi jispar....


MABBA-tumhe nahi lagta ki mujhe mera kaam tumse zyada pata hai REGIS.... isiliye agar SAVENTS ke saamne apna mazak nahi banana chahte toh dobara naa toh meri baat kaatna aur naahi mujhe gyan dene ki koshish karna...


MABBA ne ye baat bhale hi REGIS se kahi thi par nazar uski SAPIUS par bhi thi jiska matlab tha ki ye baat uske liye bhi thi...

REGIS aur SAPIUS jaante the ki MABBA ko ab kuch bhi bolne ka koi matlab hoga nahi aur isiliye un dono ne aage baat ko nahi badhaya...

wahin REGIS ko warn karne ke baad....


MABBA-is demonstration ke liye mujhe aapme se kuch SAVENTS ki zaroorat padegi aur mai chahungi ki pichle PHASE ke top four SAVENTS, MAHI, ALFREEN, MABEL aur VALDIS aap chaaron saamne aayen...

par dhyan rahe,is demonstration me tum sabko taklif hogi...


MABBA ki baat sun taklif waali baat ko completely ignore karte hue pure excitement se bhar wo chaaron aage aakar khade ho gaye...


MABBA-VIDEOUS....bina INSTITUTION join kiye hue bhi tumne khudko STELLARS ke liye qualify karwaya hai.

isiliye mai chahti hun ki tum bhi is demonstration ka hissa bano agar tumhe dar nahi lag raha hai toh...


MABBA ki baat chehre par muskaan aur man me MABBA ki chaal ko samajh uspar haste hue VIDEOUS bhi baaki chaaron ke saath aakar khada ho gaya....

aur ab jaisa ki MABBA ne kaha tha,waqt ho chala tha ek demonstration ka jisse ek taraf khade SAPIUS aur REGIS pareshan the,dusri taraf dekhen waale aur demonstration me bhaag lene waale SAVENTS excited the, teesri taraf MABBA jo ye sab bas VIDEOUS ko kal uske kamzor padne ke liye punish karne ke liye ab taiyar thi, wahin in sab se alag chowthi taraf khada tha VIDEOUS jo man hi MABBA ki bachkani harkat par has raha tha....





PLACE-WEAKLINGS CATAGORY





AAP CHAARON KE PHASE 2 KI ACTIVITIES KO START KARNE KA SAFAR TAB TAK NAHI HO SAKTA JAB TAK AAP SAB APNE APNE SOUL KO TRIGGER NAHI KAR LETE..

KYUNKI IS PHASE KI HAR ACTIVITY SOUL KE TRIGGER HONE KE BAAD HI KI JAA SAKTI HAI...


apni aadat ke anusar halki dabi hui awaaz me kahi ye baat WHIZZ HIDA ne jiske baad ACCHUTA aur SLUNDER kaafi excited ho gaye..

ho bhi kyun naa..un dono ke liye CHOSENS me officially ye pehla task jo tha...

pichle PHASE me un dono ke behroopiyon ne unhe jo looser ka tag pehna diya tha,ab waqt aa chuka tha us tag ko hatane ka...

wahin BRAWNY jisne pichle PHASE me kaafi under perform kita tha,uska confidence ab bhi shattered tha aur rahi sahi kasar PHASE 2 ki ghatiya life jo wo aur uski family jee rahe the,usne puri kar di thi...

aaj bhi hum ussi great hall ke open area me niche zamin par baithe jisse uska confidence aur hinder ho raha tha....

aur filhal ussi negetive ATTITUDE ke saath wo is class me baitha hua tha...

wahin in teeno se alag bilkul shaant baitha tha MAI...meri aankhen bhale hi saamne thi par mere nazaron ke aage ek saath do drishya chal rahe the...

ek jo ki mere saamne ka hi tha aur dusra drishya tha STELLAR ki claas ka aur wahan mai kyu dekh raha tha,ye toh aapko pata hi hai....

khair, WIDA ki baat sun ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY teeno hi paalthi maar kar baith gaye aur agle hi pal un teeno ki CEREBRATION process paused jo chuki thi...


ANTARAKA NIRUPAMA

SEARCH THE CORE....

apne apne brain,body aur blood ko interconnect karne ke baad un teeno ne hi is spell ko uccharit kiya jiske baad SOUL trigger karne ke process me jo hota hai,wo hone laga..

un teeno ke heart waali jagah ke upar ek halki si roshni jo ki unke soul ki shakti ka ek chota sa bhaag tha,prakashit hui jiske baad unhe apne sharir ke andar bhaar mehsoos hone laga jisse wo teeno zabt karne me lag gaye...

wahin in teeno ke beech baitha tha mai aur filhal meri bhi aankhen band thi par mai kuch aur kar raha tha...

mai apne sword ko jo ki mere andar thi,uske andar chhuppi meri shakti ke ek chote se bhaag ko invisible ray me badal apne body par kisi oil ki tarah mal raha tha...

mere is kaam ko meri SWORD ki shield ki wajah se koi detect nahi kar sakta tha, VIDEOUS bhi nahi par koi tha jo bhale hi mere is kaam ko detect nahi kar paa raha tha,par mai jo kar raha tha,usse nikalne waale strong aura ko wo thoda sa hi sahi,sense zaroor kar paa raha tha....

aur ye koi thi WHIZZ HIDA jo aankhon me hairani liya mujhe hi dekhe jaa rahi thi....

khair,jahan ek taraf BRAWNY ek baar firse us bhaar ko jo uske , BRAIN, BODY aur BLOOD feel kar rahe the,jhel nahi paaya aur haar kar aakhen khol baitha,wahin dusri tataf ACCHUTA aur SLUNDER lage rahe aur yahi kaaran tha ki thodi der baad....

in dono ke chest ke upar ek tez roshni khil uthi jisse dekh jahan ek taraf BRAWNY firse maayus ho gaya wahin dusri taraf WHIZZ HIDA khush ho gayi....

aur kuch der baad jab wo roshni kam hui aur ACCHUTA aur SLUNDER ne apni aankhen kholi toh....


HIDA-congrats ACCHUTA, SLUNDER...aisa pehli baar hua hai ki class ke pehle hi din kisi WEAKLING ne apne SOUL ko trigger kar liya ho....


kaafi waqt ke baad dil se khush dikh rahi thi HIDA wahin uski baat sun aur apni is achievement ko mehsoos kar ACCHUTA aur SLUNDER, dono hi khush ho gaye...

aur is beech BRAWNY bas ye soch raha tha ki kya wo kabhi bhi apne SOUL ko trigger kar paayega bhi ki nahi....

ACCHUTA aur SLUNDER ko congratulate karne ke baad...


HIDA- BRAWNY nirash mat ho...aur try karte raho...ek na ek din tum zaroor kaamiyab hoge...


BRAWNY ke chehre par dikhne waali nirasha ko bhaampte hue HIDA ne ye baat kahi jiske baad BRAWNY dobara paalthi maarkar baith gaya taaki firse try kar sake...

aur uske aisa karne ke baad..


HIDA-RAAZ....is taraf aao....


ACCHUTA aur SLUNDER se thoda door jaati hui HIDA ne mujhe apne saath aane ke liye kaha jispar mai unki taraf badh chala...





BACK TO VIDEOUS:-




MABBA-thodi der pehle pain ke liye jin do SPELLS ke baare me bataya gaya tha,ASRAVA,ASUKA..in do SPELLS ke baad pain ko badhane ke order me aur teen SPELLS aate hain jo hain PRAISA,AGHA aur finally bola jaata hak VIRADHANA jo ki dead spell se bhi zyada dard deta hai...

maine saare spells pain growth ke hisaab se hi ascending order me bole hain,inko issi order me memmorize kariye...


jahan MABBA ke bolte hi un chaaron ne turant un paanchon SPELLS ko memmorize kar liya wahin VIDEOUS bas shaant hi khada raha...


SAB-done WHIZZ...


spell memmorize karte hi chaaron SAVENTS ke mooh se ye nikla jiske baad...


MABBA-MAHI aur ALFREEN aap dono ek dusre ki taraf chehra karkar khade ho jaaiye...


MABEL aur VALDIS,aap bhi aisa hi kijiye...


MABBA ne jaisa bola,chaaron ne waisa kar diya jiske baad..


MABBA-VALDIS...aap mere saath ye demonstration karenge isiliye aap mujhe face karkar mere saamne khade ho jaaiye....


jahan MABBA ki baat sun VIDEOUS turant unke saamne aakar khada ho gaya wahin MABBA ki baat sun ek baar firse REGIS aur SAPIUS hauran bhi ho gaye aur saath hi pareshan bhi...

wo dono hi jaan chuke the ki MABBA ab VIDEOUS ko pain dene waali hai par wo dono ye nahi samajh paa rahe the ki wo aisa kyun kar rahi hai par wo dono kuch kar bhi toh sakte nahi the aur isiliye wo shaant hi rahe..


MABBA- COMMAND MODE ke tahat aap sabko ye spell man hi man uccharit karna hai....shuru kijiye..

MABBA ke bolte hi un chaaron ne pehle apne CEREBRATION ko pause kiya aur fir AADSHAM bolne ke baad


ASRAVA.....


man hi man is spell ko uccharit kiya ek dusre ko dekh kar un chaaron ne jiske baad un sabhi ke body me pain hone laga...

wahin spell bolne ki wajah se un sabko apne andar ek bhaaripan bhi mehsoos hone laga tha...

wahin VIDEOUS ko dekh MABBA ne bhi man hi man ASRAVA kaha tha aur fir kuch der wait karne ke baad usne apne man me kaha ASUKA jo ki second level pain ka SPELL tha...

par jahan is SPELL ko uccharit karne ke baad iske dono hi prabhav,pain aur spell uccharit karne par lagne waale bhaaripan ki wajah se MAHI, ALFREEN, MABEL aur ALFREEN ki haalat kharab ho chuki thi wahin VIDEOUS ke chehre par halki si dard ki lakeer tak nahi dikhi thi jisse dekh MABBA hairan ho gayi thi....

wahin ye sab dekh REGIS aur SAPIUS bhi hairan the.....

VIDEOUS ne ab tak khud koi spell nahi bola tha,wo bas shaant khada hi tha jisse dekh...


MABBA-tum bhi spell bolo VIDEOUS...


MABBA ki baat sun man hi man hasta hue VIDEOUS ke labh hile aur....


VIDEOUS-waar karna asaan hota hai WHIZZ...usse jhelna mushkil... isiliye spell bas aap boliye..i will receive it....


yahan VIDEOUS ki baat sun MABBA ki hairani aur badh gayi thi wahin dusri taraf second level pain ke spell ko kuch der jhelne ke baad ALFREEN, MABEL aur VALDIS ki haalat kharab ho chuki thi aur isiliye un teeno ne quit kar liya tha aur apne dard ko zabt karte hue neeche baith gaye the...

waise halat toh MAHI ki bhi kuch khaas nahi thi par wo third level tak jaane ki haalat me zaroor thi par kyunki uske saamne khadi competitor ALFREEN quit kar chuki thi isiliye MAHI bhi uske saath shaant hokar neeche baith gayi thi..

wahin VIDEOUS ki baat se pehle toh MABBA hairan hui par fir unhe laga jaise VIDEOUS unhe challenge kar raha hai aur isiliye...


PRAISA....third level pain spell man hi man unhone uccharit kiya jiske asar se ab uske andar bhi bharipan ne karwat lena shuru kar diya tha...

wahin ab VIDEOUS ke chehre par bhi dard ki lakeer dikhne lagi thi..(FAKE)

par jab kaafi der tak bhi wo ussi pain waale face ke saath chupchaap khada hi raha toh MABBA ki hairani aur ghussa,dono hi badh gaye...

MABBA jaise bhul hi gayi ki wo koi SAVENT nahi balki ek WHIZZ hai.unhe ab ye ek challenge ki tarah lagne laga tha aur isiliye....


AGHA.....last second level pain ka SPELL uccharit kiya man hi man MABBA ne jiske baad unki khudki haalat thodi thodi kharab honi shuru ho chuki thi..

wahin ab VIDEOUS ke chehre par bhi kaafi dard dikh raha tha par sabko surprise kar wo ab bhi shaant khada hi tha...

aur in sabse alag REGIS aur SAPIUS jinhone MABBA ke man me SPELL uccharit karte waqt usse nikalte AURA ki wajah se ye jaan liya tha ki abhi filhal MABBA ne AGHA spell uccharit kiya hai,unka toh jaise dimag hi fuse ho chuka tha..

pehle toh wo ye nahi samajh paa rahe the ki MABBA ek fresher PHASE 2 SAVENT ke saath jiski aaj pehli hi class hai,aisa kaise kar sakti hak wahin VIDEOUS ki sehensheelta ko dekh bhi unhe achambha hua tha..

kyunki pehle aisa kuch unhone kabhi nahi dekha tha....

khair,kaafi der baad bhi jab VIDEOUS ne quit nahi kiya toh MABBA ka confidence jaise shatter hone laga..unhe laga jaise wo jo kabhi kisise haari nahi thi,aaj ek SAVENT se haarne waali thi aur is khayal ke man me ufante hi unka dinag bhi ufan gaya aur isiliye unhone man hi man PAIN ke final level spell ko uccharit karne ki thaani aur wo aisa kar bhi deti ki...


REGIS-ENOUGH.... aaj ke liye itna kaafi hai....


MABBA ki aankhon me dikhti chingari ko bhaamp gaya tha REGIS aur isiliye usne aisa kaha jiske baad jaise neend se jaagi thi MABBA...

unhe bhi suddenly ehsaas hua ki ghusse me wo kya karne jaa rahi thi...waise toh unhe kisi ke pain se koi lena dena nahi tha par agar jo wo soch rahi thi,wo kar deti toh unhe baaki SAVENTS ke saath pura PHASE nikalna mushkil ho jaata..

wahin is dauran baaki sabhi SAVENTS VIDEOUS ke chehre par ufante dard ko dekh rahe the... MAHI, ALFREEN, MABEL aur VALDIS ko lag raha tha ki MABBA ke dusre level pain ASUKA spell ke prabhaav se hi VIDEOUS ke chehre par dard dikh raha tha aur us dard ko usne itni der tak jhela tha,ye dekh wo sab VIDEOUS se kaafi impressed ho gaye the aur isiliye REGIS ke interference ke baad wo chaaron turant uthe aur VIDEOUS ke paas jaakar usse congratulate karne lage...

wahin kuch der tak khud ko cool karne ke baad....


MABBA-i must say VIDEOUS...kaafi control hai tumhara khudpar...bohot aage jaaoge tum...

SAVENTS,aaj ki class khatm hoti hai...we will see you tomorrow....


ye bol MABBA aur uske saath REGIS aur SAPIUS teeno class se nikal gaye wahin unke jaane ke baad baaki ke SAVENTS bhi class se nikal gaye...

sabke jaane ke baad...


VIDEOUS-bewakuf ladki....kehti hai tum bhi spell bolo...

mere mooh se nikle sukoon dene waale SPELLS bhi dard dete hain...

AGAR MAINE DARD DENE WAALE SPELL BOL DIYE TOH TERI WO NASL JO AB TAK PAIDA BHI NAHI HUI,WO BHI TADAP UTHEGI.....





BACK TO RAAZ:-





KAHIYE WHIZZ...???KYA BAAT HAI...???


mere sawal par HIDA kuch der tak mujhe dekhti rahi aur fir...


HIDA-jab baaki teeno SAVENTS apne SOUL ko trigger karne me lage the,tab tum kya kar rahe the..??


WHIZZ thi HIDA...ek SAVENT se baat kar rahi thi par ab bhi wo behad underconfident lag rahi thi..


MAI-mai SOUL AMPLIFY kar raha tha...


meri baat sun chownki HIDA aur...


HIDA-AMPLIFY!!!par bina SOUL trigger kiye AMPLIFICATION kaise ho sakta hai..???

MAI-hone ko bohot kuch ho sakta hai WHIZZ...bas tarika maalum hona chahiye....


meri baat HIDA samajh toh sakti thi nahi aur isiliye...


MAI-relax WHIZZ...mazak kar raha tha...maine apne SOUL ko pehle hi trigger kar liya hai....


ek baar fir meri baat sun hairan hui HIDA aur fir unhone apna ek haath mere chest par rakha aur...


HIDA- AATMAM TAVASYAM...

SOUL STRENGTH.....


SOUL ke strength ko janane ke liye bola jaata hai ye spell aur HIDA ke aisa karte hi unke haath se ek ray nikal mere andar sama gayi aur aisa hote hi unhe pata chal gaya ki mai sach keh raha tha..

yaani meri SOUL trigger ho chuki thi aur ye pata lagte hi HIDA ki hairani aur badh gayi...

unhone apne haath ko mere chest se hata liya par aisa karte waqt unhe is baat ki bhanak nahi lagi ki unke haathon se ek extra ray nikal mere andar chali gayi thi...

khair,apna haath hata....


HIDA-fir tum WEAKLINGS me kya kar rahe ho..??aaj is PHASE me tumhari pehli class hai aur jab tumne pehle hi apne SOUL ko trigger kar liya tha toh fir tumhe GROOMERS catagory me hona chahiye....


MAI-maine apne soul ko trigger CHOSENS me nahi,balki bahar kiya tha aur isiliye kisiko is baare me maalum nahi hai..

aur waise bhi SOUL trigger karkar GROOMERS me jagah bana paana,ye PHASE 1 ka niyam tha..

PHASE 2 me agar ek WEAKLING ko GROOMERS me shaamil hona hai,toh fir usse apne SOUL ko kamsekam 2 percent AMPLIFY bhi karna hota hai jo filhal mai nahi kar paaya hun...

ek SAVENT kuch bhi kar sakta tha WEAKLING se GROOMERS catagory me upgrade hone ke liye par meri baaton ko sun HIDA ko aisa laga jaise mujhe aisa karne ki koi jaldi nahi hai aur ye baat unki hairani ko aur badhane ke liye kaafi thi...

wahin apni baat keh mai wapas jaane ke liye palat gaya aur maine apne kadam aage badhaye hi the ki...


HIDA-kaun ho tum RAAZ...??? aur kya chhupa rahe ho.....????


akhir wo sawal HIDA ke mooh se nikal hi gaya jo unke man me us waqt se chal raha tha jab se unhone mujhse koi shakti feel ki thi..

wahin unke sawal ko sun mai wapas unki taraf palta aur....


MAI-kya tum jaanti ho ki tum kaun ho...???aur kya chuppa hua hai tumhare andar....


aap ki jagah tum kaha maine par andaz mere bolne ka aisa tha ki andar tak hil si gayi thi HIDA...

saalon saal SAVENTS ne harass kiya tha unhe par tab bhi unhe waisa dar kabhi nahi laga jaisa filhal unhe meri aankhon me dekh kar lagne laga tha...

wahin apni baat keh mai aur thoda aage badha aur thik HIDA ke saamne khada ho gaya...


MAI-

ye dar jo teri aankhon me hai,
ye bas mujhtak hi RAHEGA.....

bohot seh liya tune,
ab tujhe satane waala SAHEGA...

jinhone nikale hain tere aansu,
ab ashk unki aankhon se BAHEGA....

MUJHE MAAF KARDO,tere kahe ye alfaz ab,tera har satane waala tujhse KAHEGA...









AAJ KE LIYE ITNA HI....[\B]
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABBA VIDEOUS KO PUNISH KARNE KI KOSHISH KARTI HAI JISME WO NAAKAMIYAB HOTI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ HIDA SE EK PARABLE KE THROUGH BAAT KARTA HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)




UPDATE-61




PLANET-ELYSIAN


PLACE-WEAKLING'S STAY







WAISE AAP TEENO KIS PLANET SE HAIN...???

BETA HUM WOOZY PLANET SE HAIN...



SLUNDER ke sawal par BRAWNY ke father SHALTON ne ye jawab diya tha...

shaam ka waqt hai...par jahan STELLARS catagory ke SAVENTS ke paas is PHASE ki duniya me karne ke liye bohot kuch hai, GROOMERS bhi is duniya ko limited way me hi sahi enjoy toh kar hi sakte hain,wahin WEAKLINGS ke paas institution se aane ke baad karne ke liye kuch hota nahi hai aur isiliye ACCHUTA aur SLUNDER BRAWNY ke quarter me chit chat karne ke liye pahunch gaye...

quater me aa ACCHUTA aur SLUNDER ke khudke intro ke baad BRAWNY ke dad SHALTON aur mom NAOMI ne bhi apna intro diya jiske baad SLUNDER ne unse unke PLANET ke baare me pucha jiska jawab SHALTON ne abhi abhi diya tha...

wahin SHALTON ki baat sun....


ACCHUTA-waise aap log wahan apne PLANET me kya karte the...???

NAOMI-beta hum wahan ke royal family se the...

SLUNDER-arre waah...aap log bhi royal family se belong karte hain..hum dono bhi apne apne PLANETS ke royal family se hain...

NAOMI-wakayi...!!!!....

ACCHUTA-haan aunty.. bhale hi ye shakal se prince dikhta nahi hai par unfortunately yahi iska kadwa sach hai..

SLUNDER-abbe,meri shakal ke baare me bolne se pehle kabhi toh self analysis kar liye kar....

ACCHUTA-haww...uncle aunty baithe hain aur phir bhi tune abbe bola..matlab gaali di...

dekha uncle,dekha aunty,bola naa bhale hi shakal lafango waali ho,baat karte waqt lofaron waali ulti nikalti ho,par fir bhi unfortunately ye ek prince hai...


ACCHUTA aur SLUNDER ki nok jhonk dekhkar najaane kitne waqt ke baad SHALTON, NAOMI aur BRAWNY ke chehre par muskaan aayi thi jisse dekh ACCHUTA aur SLUNDER bhi apni behes ko rok muskura uthe...

reason...

BRAWNY aur uske parents ke chehre par muskaan laane ke liye hi ACCHUTA aur SLUNDER ek dusre ka mazak uda rahe the aur ab jab aisa ho gaya tha toh...


SLUNDER-uncle,aunty....aap dono naa,yunhi muskurate raha kijiye....


SLUNDER ki baat sun apni wo vaastavikta jisse SLUNDER aur ACCHUTA ki behesbaazi ka maza uthate hue SHALTON aur NAOMI bhul se gaye the,wo unhe wapas yaad aa gaya jiske baad unke chehre ke muskaan wapas chali gayi jisse dekh...


SLUNDER-kya hua uncle,aunty...??aap dono firse udaas kyun ho gaye....kya maine kuch galat keh diya...????

ACHHUTA-galat sirf teri shakal hai,aur kuch nahi...uncle,aunty,hum sabhi filhal ek hi catagory me hain..

ek tarah se dekha jaaye toh hum abhi ek family hi hain...toh agar aapko thik lage toh aapki problem aap humse share kar sakte hain...

problem kam ho haa ho,par share karne se shayad aapka dard zaroor kuch kam ho jaayega....!!!


jahan ek taraf ACCHUTA ki baat sun BRAWNY aur uske PARENTS usse ek tak dekhne lage the wahin dusri taraf SLUNDER bhi hairani se ACCHUTA ko dekhe jaa raha tha...

usse vishwas nahi ho raha tha ki wo ACCHUTA jo hamesha har baat ko yunhi mazak me udaa deta hai,wo aaj itni gehri baat kar raha tha...

ACCHUTA ki baat sun wakayi SHALTON aur NAOMI ko wo aur SLUNDER family ki tarah hi lagne lage the...

iske do reasons the..

pehli ye ki filhal ACCHUTA aur SLUNDER dono hi unke bete ki tarah WEAKLINGS the jiska matlab tha ki yahan jo taklif wo mehsoos kar rahe the,waisa hi kuch ye dono bhi kar rahe the aur dusri ye thi ki SHALTON, NAOMI aur BRAWNY ke puri life me unke parwar me kabhi bhi kisine bhi bina apne matlab ke un teeno se hamdardi nahi rakhi thi...

aisa kyun??? aayiye un dono ki zubani hi jaan lijiye...

ACCHUTA ki baat sun SHALTON aur NAOMI ne pehle ek baar ek dusre ki taraf aur fir apne bacche ki taraf dekha jo band zuban aur khamosh aankhen liye un dono ko hi dekh raha tha aur fir....

SHALTON-beta kuch taklif zakhm ban itne purane ho jaate hai jinhe jitna khodo,wo utne gehre hote chale jaate hain....

SLUNDER-aapki taklif toh hum nahi jaante uncle par aapki baat ko sun us taklif ki gehrayi ko zaroor mehsoos kar rahe hain..

agar aapko lagta hai ki hume batane ke baad aapka gum kam naa hokar aur badh jaayega toh rehne dijiye...

hume batane ki koi zaroorat nahi hai...


SLUNDER ki baat par NAOMI ke chehre par ek fiki hasi aa gayi aur fir....


NAOMI-batayen yaa naa batayen,haalat toh same hi rahenge...

ab tak chup rehhna try kiya hai,aaj bata kar dekh lete hain....

darasal hum apne planet me bhale hi royalty the,par ye royalty sirf naam ki thi...

ACCHUTA-matlab...!!!

SHALTON-darasal humare planet WOOZY me ONE KING RULE nahi hai...wahan rule ek CHAIN karti hai..

CHAIN ka matlab hai a group of people...

is chain me kamsekam 3 logon ka hone zaroori hai...

har pidhi me jo us waqt ke current ruler hote hain,unke khandaan me kamsekam 3 waaris hone chahiye jo is CHAIN system ko carry forward kar saken..

agar aisa nahi hai toh fir current royalty ke family members ke kaabil bacchon ko next CHAIN me shaamil kiya jaata hai...

jab mai chota tha toh ek jaanleva bimari jo ki failti bhi thi,uske chalte mere mom dad ki death ho gayi thi...

us waqt mere dad ke saath unke dono bhai hamare PLANET ke rulers the...

waise toh dekhne waalon ko ye lagta tha ki teeno bhaiyon me bohot pyar hai,par andar hi andar mere dono uncles mere dad se nafrat karte the aur wo isiliye kyunki un teeno me mere dad sabse efficient the aur bhale hi PLANET ke har faisle teeno bhai milkar lete the par mere dad ke liye har faisle ko,unki raay ko hamari praja hamesha sabse zyada samman deti thi aur yahi wajah thi jiske kaaran mere dono uncles apne bhai aur mere PITAH se man hi man nafrat karte the...

aur kyunki mai bhi apne pitah par hi gaya tha jis kaaran hamari praja mere pitah ke baad mujhe hi apna shashak manane lagi thi,is wajah se unke man me mere liye krodh bhi prachand hi raha tha...

aise me jab mere MAATA PITAH ki akaal mrtiyu hui toh jaise mere uncles ki man ki murad puri ho gayi thi..

niyam ke mutabik mere dono uncles ne CHAIN ko pura karne ke liye apne ek relative ko jo ki unka chamcha jaisa tha,usse apne saath ruler niyukt kar diya...

aur fir hui mere bure dino ki shuruat...

mujhe apne hi mahal se nikal diya gaya....itna hi nahi,mera naam mere school se bhi katwa diya gaya tha...

par kyunki hamare PLANET ke log mere pitah ka bohot samman karte the, isiliye unhone mere liye apne beech ek chota sa ghar banwa diya jahan mai rehne laga...

par ye bhi mai kuch hi din tak kar paaya.... mere uncles ke aadesh par PALACE ke sainik har din mujhe mock kiya karte the,bewajah mujhpar haath utha diya karte the...

issi beech ek din mere uncles ne sainikon ko mujhe maarne ka aadesh de diya aur ek raat jab mai yunhi raaste par bhatak raha tha toh maine sainikon ko apne ghar ki taraf jaate hue dekha..

unke haav bhaav dekhkar mujhe andesha hua ki wi punah mujhe haani pahunchane ki mansha liye hi mere ghar jaa rahe hain..

maine unka picha kiya aur is dauran unki baat sun mera shak yakin me badal gaya...

unke mooh se ye sun ki mere uncles ne unhe mujhe marne ka aadesh diya hai,ab mera city me rehna khatre se khaali nahi re gaya tha aur isiliye maine turant city chhodne ka nirnay le liya...

mai apne city se bahar nadi ke kinare ek jhopda banakar rehne laga....

khaane aur aag jalane ke liye mai us nadi ke aage bane ek jungle jaaya karta tha..

ussi jungle ke beech ek kasba tha jahan meri mulakat BRAWNY ki maa NAOMI se hui aur isse dekhte hi mujhe isse pyar ho gaya...

humari mulakatein hoti rahi aur isse bhi mujhse pyar ho gaya tha...

parivaar ke naam par NAOMI ki bhi bas ek daadi hi thi jinhone apne aakhri waqt me NAOMI ka haath mere haath me de diya tha....

humne shaadi kar li...par ye baat najane kaise mere uncles ke kaano me pahunch gayi....

mere raaton raat city ko yun chhod dene ka kaaran wahan ke log mere uncles ko hi maan rahe the...

kuch groups ne PALACE aur wahan rehne logon ke khilaf aandolan bhi chhed diya tha...

aur aise me jab mere uncles ko pata chala ki meri shaadi ho gayi hai toh unhe ye dar satane laga ki kahin mere waaris ko hi saare log WOOZY ka naya ruler naa manane lage aur isiliye unhone turant apne sainik bheje taaki mera aur meri patni ka kissa hi khatm kar den..

par ek baar fir mujhe is baare me pata chal gaya aur mai NAOMI ke lekar bhaag nikla...

hum har kuch mahino me apna thikana badalte rahe....aur issi beech paida hua BRAWNY....

pata nahi kyun par BRAWNY paida hone ke baad se hi hamesha kaafi underconfident aur halka dara dara rehta tha..

bachpan me toh sabhi bache rote hain,par BRAWNY kuch zyada hi roya karta tha...

jab ye 3 saal ka hua toh maine jaise taise iske liye kuch books arrange kiya aur isse padhane laga...

par aashcharya mujhe tab hua jab isne utni choti umar me hi mere laaye sabhi books kuch dino me hi padh bhi liye aur puri tarah samajh bhi liye...

ye jab thoda bada hua toh chupchaap schools chale jaaya karta tha aur class ke window se hi jo bhi andar padhaya jaata tha,wo ye padh bhi leta tha aur ek baar me samajh bhi leta tha..

par itna honhar hone ke baawjud ye hamesha underconfident hi raha...aur fir aaya wo din jab hume is jagah CHOSENS ke baare me pata chala...

aur issi ke saath ye bhi pata chala ki kyun hamara baccha itna tez dimag waala hai..

aakhir wo ek SAVENT jo hai...

aur fir hum yahan aa gaye...yahan aakar aur pichle PHASE me us aalishan ABODE me rehkar hume laga ki ab humari saari pareshaani khatm ho jaayegi par aisa kuch khaas toh hua nahi...

is PHASE me hum wapas fir wahi andhere me aa gaye par dekha jaaye toh ye jagah fir bhi thik hi hai..

kamsekam yahan humari jaan ko toh koi khatra nahi....

bas itni si hi hai hamari kahani....


ACCHUTA aur SLUNDER jo bohot dhyan se SHALTON ko sun rahe the,unhe bhi in teeno ke liye bohot bura lag raha tha...


ACCHUTA-itni painful kahani hai aapki...par aakhri me jo positive baat kahi na aapne,hats off uncle..

ATTITUDE aisa hi hona chahiye..negetive se negetive situation me bhi kuch naa kuch positive nikalna...

NAOMI-hume yahan koi shikayat nahi hai..bas BRAWNY ke liye bura lagta hai...

kyunki,isse lagta hai ki iske under perform karne ki wajah se hume ye zindagi jeeni padh rahi hai jabki humne isse kayi baar bataya hai ki aisa kuch bhi nahi hai aur hume ispar naaz hai...


ACCHUTA-toh isiliye din bhar rondhu rehta hai tu...arre yaar,kya milta hai hai tention lekar...

haasil kuch hona nahi,bina matlab bas present kharab karna hai...

bhai,bhale hi tu underperform kar raha hai,ek WEAKLING hai par tu ye kaise bhul gaya ki tu ek SAVENT bhi hai...

SAVENT...matlab samajhta hai naa is word ka...GOD GIFTED hai tu...aur jo GOD ko nazar me ek GIFT ho,usse kis baat ki tention...

bindas reh,dekhna sab kuch thik ho jaayega....


ACCHUTA ki baat sun SHALTON aur NAOMI ke saath saath BRAWNY ke chehre par bhi ek smile aa gayi jisse dekh..


SLUNDER-ab ye hui naa baat..aise hi smile karte raha kar..isse problems ki jalti hai...

ACCHUTA-aur filhal hamare saath chal... PHASE ghoom kar aate hai..

BRAWNY-abhi!!!!

ACCHUTA-nahi..agle saal chalte hain...


ACCHUTA ke sarcasm ko samajh...


BRAWNY-par yaar wahan jaakar bhi kya faayda..??entry toh hume wahan ke kisi jagah par milegi nahi....

wahan toh sirf STELLARS ka hi roll hai...

ACCHUTA-arre mere bhai,jinka pet bhara ho,unhe khaane ki keemat aur swad,dono ka hi sahi andaza nahi hota,sirf bhooko ko hota hai..

STELLAR bhale hi PHASE ki har activity ko explore karne ke liye qualified hain par wo sab wahan ki har jagah ke andar jaakar bhi utna maza nahi utha paayenge jitna hum bahar se hi bas aankhon se sekh kar utha lenge..

isiliye bataon me waqt mat gawa aur chal...


BRAWNY-tum log chalo,mai fresh hokar aata hun...

SLUNDER-ye bhi sahi hai..chal hum bhi fresh ho jaate hain..

ACCHUTA-tu ho..meri handsomeness hamesha ek si hi rehti hai.....


apne baal ko sawarte hue ACCHUTA ne ye baat kahi jispar wahan baithe sabhi has diye...

BRAWNY ko jaldi fresh hone ko bol ACCHUTA aur SLUNDER unke quater se nikal apne quater ki taraf chale diye..

apne quater me ghuste hi,jahan ab andhere ne ghar kar liya tha par kal bole un dono ke SPELL ki wajah se wo us andhere me bhi saaf dekh sakte the,un dono ne dekha khatiye par baithe mujhe,aur meri nazar un dono par hi thi....

mujhe dekh wo dono meri taraf badhe hi the ki tabhi...

achanak unka sir ghoom gaya..

reason...unki aankhon ke aage ek drishyam nachne laga tha....

us drishyam ko dekh un dono ki hi haalat kharab ho gayi thi...

kyun...???aayiye,khud dekh lijiye...


DRISHYAM....:-


ACCHUTA aur SLUNDER dono meri taraf badhe hi the ki...


KHACHH.....KHACHH.....UMMMM.....UMMMMM.....


ek talwar tezi se unki taraf badhi aur agle hi pal un dono ke haath kat chuke the...

aur issi wajah se ek tez chikh nikalne ko hui un dono ke mooh se par isse pehle hi aisa ho paata,un dono ke mooh bhi sil gaye the jis wajah se unki cheekh unke gale ke andar hi reh gayi.....


DRISHYAM ENDS:-


DRISHYAM ko dekh un dono ki ghiggi si bandh gayi thi..halki halki thartharahat ke saath wo meri taraf dekh rahe the...

wahin mai bhi apni jagah se utha aur theek un dono ke saamne jaakar khada ho gaya...


MAI-zyada taklif kisme hoti hai...??jab haath kate hon ya fir jab haath katne se hone waale dard ke baawjud cheekha naa jaa sake..!!!

tum dono ko dikha DRISHYAM tumhara bhavishya bhi ho sakta hai...

maine kal kaha tha naa ki rone do BRAWNY ko fir bhi tum dono usse motivate karne,uska dard baatne chale gaye...

jab khudki zindagi udhaar ki ho toh dusro ko jeene ke falsafe nahi sikhaye jaate...

waqt hai,samajh jaao,kyunki mera samjhana tum dono ko pasand nahi aayega...


meri baat sunane ke baad bhi wo dono jadh hokar hi khade the...

jo DRISHYAM un dono ne dekha tha,wo itna real tha ki wo usse bahar hi nahi aa paaye the..

wahin apni baat keh mai unke baaju se hokar baahar jaane laga aur..


MAI-BRAWNY aa raha hai..jao, PHASE ghumna hai aajao ghumkar...

apni baat keh mai toh aage badh gaya par meri baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ki hairani aur badh gayi..

ek pal pehle ek khatarnaak DRISHYAM ke through maine unhe BRAWNY se ek tarah se door rehne ko kaha tha aur ab mai khud unhe uske saath PHASE ghumne ke kiye keh raha tha..

ab aise me dimag toh ghumega hi....

khair, options toh the nahi becharon ke paas aur isiliye dono chupchaap mere piche ho liye...

SLUNDER jo fresh hone aaya tha,wo baat bhi jaise wo bhul hi gaya tha...

wahin mere quater se bahar niklate hi mujhe dikha BRAWNY aur jab uski nazar mujhpar padi toh...


BRAWNY-hi RAAZ....


aaj pehli baar tha jab BRAWNY ne mujhse baat ki thi aur wo isiliye kyunki yahan aane ke baad aaj pehli baar wo thoda khush tha..

wahin uske greet par maine naa toh kuch kaha aur naahi uski taraf dekha.bas aage badh gaya jisse usse halki hairani toh hui par fir wo mere quater ki taraf badh gaya jahan entrance par hi usse ACCHUTA aur SLUNDER mil gaye...


BRAWNY-chalen...!!!


BRAWNY ki baat par dono ne bas apna sir haan me hilaya aur uske saath aage badh gaye..


BRAWNY-yaar ek baat batao..ye RAAZ kuch weird nahi hai..abhi maine usse dekha toh greet kiya..

par usne kuch kaha bhi nahi aur toh aur mujhe ignore bhi kar diya...


BRAWNY ki baat sun ACCHUTA aur SLUNDER ki phat gayi..

BRAWNY meri burayi kar raha tha aur unhe maalum tha ki aisa karna uske saath saath un dono ke liye bhi musibat laa sakta tha aur isiliye..


ACCHUTA-usse kisi se zyada baat karna pasand nahi..


ACCHUTA ki baat par BRAWNY fir kuch bolne waala tha ki...


SLUNDER-arre jaldi chalo yaar.. waise bhi PHASE yahan se kaafi door hai..

baat ko palaththe hue SLUNDER ne ye baat kahi jispar wo teeno hi thoda tez chalte hue PHASE ki taraf nikal pade..

par kuch door aage badhne ke baad jab un teeno ko mai dikha toh....


ACCHUTA-ab jaldi jakar bhi kya karna hai..koi time limit toh hai nahi....aaram se hi chalte hain.


BRAWNY ko nahi pata tha ki mere ghusse se bachne aur mujhse jitna ho sake door rehne ki wajah se ACCHUTA ne ye baat kahi thi aur isiliye bina zyada soche un dono ke saath wo bhi slow ho gaya..





PLACE-CITY





WOWWW.YOU WERE RIGHT AL...THIS PLACE IS ACTUALLY MAGNIFICENT.....


ye shabd nikle the FLORIN ke mooh se...

reason...is waqt FLORIN, MARIA, ALFREEN, MAHI,MABEL, FELLAR aur GRACE ILLUSIONARY OCEANERIUM ke andar khade the aur yahan ke nazare ko dekh kar hi FLORIN ke mooh se ye shabd nikle the...

kal RAAZ se milne ke baad MARIA aur FLORIN ka aur kajin jaane ka man hi nahi kiya aur unke aisa kehne par sabhi ne agle din city explore karne ka plan kiya..

aur aaj sabse pehle ye sab yahan OCEANERIUM me hi pahunche the....

khair,

ILLUSIONARY OCEANERIUM....ek ajeebogarib par adhbhudh OCEANERIUM...

ajeeb isiliye kyunki OCEANERIUM ocean ke andar lipte hue banta hai par yahan aisa kuch tha nahi..ye OCEANERIUM OCEAN ke illusion ko paida karkar banaya gaya tha..

aur adhbhudh isiliye kyunki is OCEANERIUM me bramhaand ke har PLANET ke ocean me rehne waale durlabh jeev moujud the aur unhe hi dekhkar FLORIN aur baaki sab eccited ho gaye the..

itna hi nahi,glass ke us taraf jahan jeev dikh rahe the,wahan har wo jeev jisse dekhkar unke baare me janane ke liye man me jigyasa jage,agar unhe dekh kar point kiya jaaye toh us jeev ki puri detail,uski har khoobi live digital way me ussi jeev ke through dikhti thi aur ye wakayi ek thrilling experience tha...

yahi kaaran tha ki early evening se yahan aaye ye sab pichle 4 ghante se issi jagah par hi atak gaye the...


ALFREEN-guyzzz..ab chale yahan se...dusri jagah check out karte hain...

MARIA-aaj nahi beta..aaj toh yahin itna maza aa gaya..baaki kal karte hain...aur waise next hume shopping karni hai aur uske liye kaafi time chahiye..

ab agar wahan gaye toh hi kaafi late ho jaayega....

MARIA ki baat par FLORIN aur saath hi mr and mrs FELLAR ne bhi haami bhari jiske baad sabhi ne apne apne ABODE jaane ka faisla kiya aur OCEANERIUM se bahar aa gaye...


MARIA-agar RAAZ bhi saath hota toh kitna acha hota naa...!!

FLORIN-haan ye toh hai...par mujhe nahi lagta ki wo hamare saath kisi bhi jagah ke andar chalta....

MARIA-hmm.par mujhe usse dekhne ka man tha...kal pehli baar wo humse jis tarah mila,i wanted that to experience one more time..


ab tak sab OCEANERIUM se bahar aa chuke the...

MARIA ki baat par muskurate hue FLORIN ki nazar saamne ki taraf gayi toh....


FLORIN-lo,GOD ne sun li tumhari...dekho RAAZ aa raha hai...


MARIA ko laga ki FLORIN unse mazak kar rahe hain aur isiliye bina saamne dekhe...


MARIA-haha..very funny...aap mujhe bewakuf bana rahe hain...


GOOD EVENING UNCLE..GOOD EVENING AUNTY....


MARIA ke sawal par FLORIN kuch kehte,ki usse pehle hi un dono ke kaano me ye awaaz padi jisse sun MARIA chownkte hue saamne ki taraf ghumi aur unke aisa karte hi unhone dekha ki mai wakayi unke saamne hun...

mujhe dekh khush ho MARIA aage badhi aur mujhe hug kiya..

aur unke baad FLORIN ne bhi mujhe hug kiya....

wahin hum sab se thodi door halke andhere me jahan par kisiki nazar turant nahi padegi,khada tha VIDEOUS...

aur jab usne MARIA aur FLORIN ko mujhe hug karte hue dekha toh uske mooh se bas itna hi nikla...


VIDEOUS-interesting......



khair,MAHI, ALFREEN,MABEL aur uske parents jo kuch door khade hokar baatein kar rahe the,unhone bhi meri awaaz suni thi aur mujhe saamne dekh wo bhi meri taraf badh gaye...


FELLAR-young man..kal humse toh tumhari mulakat ho hi nahi paayi....

hello,i am FELLAR...

GRACE-and i am GRACE....


mr FELLAR ne apna intro dekar apna haath aage badhaya jisse maine pakad liya tha....

aur aisa hone par..


FELLAR-wooo..you are damn strong my boy..i can feel the strongness of your hands...yakin nahi hota ki tumhari jaisi handsome aur strong personality bhi WEAKLINGS me ho sakti hai...

MAI-uncle,taakatwar bande aksar buddhiman aur hoshiyar logon ke body guards hote hain...

ek tarah se wo bhi WEAKLINGS bhi hue naa...takat toh hai sharir me,par zindagi kisi aur ke sahare chal rahi hai...


mere tark par MARIA, FLORIN, FELLAR aur GRACE thode stunned hue par ALFREEN aur MAHI toh kuch zyada hi stunned ho gaye the..

mere tark un dono ne hi pehle bhi sune hue the,infact jhele hue the par abhi jo maine kaha tha wo ek deep intellectual baat thi, jisse wo dono kaafi impress ho gaye the...


FELLAR-that was really good my boy..aur tumhari is baat ne ye bhi saabit kar diya ki tum sirf strong hi nahi,balki kaafi intelligent bhi ho...

waise hum MABEL ke parents hain...


MABEL-aur MABEL mai hun...pichle PHASE me saath hi padhe the hum par baat kabhi nahi ho paayi thi.. isiliye hi...


muskurati hui MABEL mere paas aayi aur apna haath aage badhaya jisse maine jaise hi thaama,mujhe hua kuch feel jisse mehsoos kar mere chehre par aa gayi ek muskaan..

kyun,ab ye bhi mere naam ki hi tarah hai...RAAZ.....

khair,chehre par muskaan liye mai jhukta chala gaya aur agle hi pal mere honthon ne MABEL ke haathon ko chhu liye,i mean chum liye jisse dekh alag alag reactions aaye...

jahan MABEL halki blush karne lag gayi thi wahin ek normal greeting gesture soch FELLAR aur unki wife normal hi khade rahe...

FLORIN aur MARIA,mujhe aisa kuch karte dekh halke shocked ho gaye the par sabse bada shock laga tha ALFREEN aur MAHI ko jo aankhen faade mujhe hi dekh rahe the...

waise, shock aur uske saath ek aur feeling wahan thode door khade ek bande ke man bhi aayi thi,par wo kaun hai aur wo feeling kya hai,iska khulasa kal hoga....

khair,thodi der chaaron budhaun logon se kuch aur baat karne ke baad...


MAI-okay then..i will take ur leave now... already kaafi late ho chuka hai...mujhe chalna chahiye...

FLORIN-chalo,hum chhod dete hai tumhe..

MAI-nahi wo mere kuch friends bhi yahi aas paas hi hain..mai unke saath chala jaaunga...

FLORIN-are you sure...???

MAI-always uncle....


mere jawab ko sun has diye wo chaaron aur fir wo sab apne apne CHARIOT me baith nikal gaye...

wahin chehre par halki muskaan liye....


MAI-


kise pata tha,mere honthon ki hadh
tere haathon par FISLEGI...

mere ilm ko bhi khabar naa thi,ki tu
mere kaam ki NIKLEGI.....









AAJ KE LIYE ITNA HI......[\B]
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SHALTON AUR NAOMI ACCHUTA AUR SLUNDER KO APNE BAARE ME BATATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ MABEL KE HAATHON KO CHUMTA HAI JISSE DEKH SABHI SHOCKED HO JAATE HAIN.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-62



PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLAR'S CLASS:-





EXPANSION AUR ELABORATION US TREE KI TARAH HAIN JINME BOHOT SE BRANCHES HOTE HAI AUR SAATH HI EK ROOT BHI..

IN DONO HI CLASSES KO DEFINE KARNE KE LIYE KAL MAINE AAPKO YE EXAMPLE DIYA THA...YAAD TOH HOGA HI AAP SABKO...!!!!

SAB-YES WHIZZ....


aaj ki class shuru karte hue WHIZZ MABBA ne ye baat kahi jispar pehle toh sabhi SAVENTS ne haami bhari par fir..


MABEL-par WHIZZ,us example ka matlab hume samajh nahi aaya tha...

MABBA-jaanti hun...aur aaj ka hamara topic bhi wahi example hi hai...

kal class me PAIN spell ka ek demonstration hua tha jisme MAHI, ALFREEN, MABEL, VALDIS aur VIDEOUS ne part liya tha...

MAHI, ALFREEN, MABEL, VALDIS..aap chaaron ye bataiye ki SPELL bolte waqt aap sab kya soch rahe the...???


MABBA ki baat par pehle toh un chaaron ne ek dusre ko dekha par fir...



MAHI-kuch nahi.. humne toh bas dimag ko sthir rakh spell bola tha....

MABBA-ofcourse tum chaaron ne yahi kiya tha par tum sabko karna kuch aur tha....

aur wo kuch hai EMOTIONS.....aur ye EMOTIONS hi hain jo ki aapke ped numa dono classes ki root hain....

REGIS-exactly...kyunki ab aap sabke SOUL kuch naa kuch percentage ke saath AMPLIFIED hain, isiliye aapke bole har spell me aapki SOUL power involved hoti hai aur aise me us power ko enhance karne ke liye aapko zaroorat hoti hai apne emotions ko trigger karne ki...

SAPIUS-magic me emotions paanch tarah ke hote hai..

HAPPY,SAD,ANGRY,LOVE & HATE....

hum in paanchon ko THE REFINERS kehte hain aur wo isiliye kyunki ye paanchon emotions aapke spells ki shakti ko nourish karkar badha dete hain...

aur yahi paanchon REFINERS hain aapke dono classes waale ped ke wo BRANCHES aur inka root hai EMOTIONS jo ki in paanchon ko maayne deta hain...

itna hi nahi,in paanchon REFINERS ko aap jitna master karenge, utna aap sab ki body SPELLS ki power ko jhelne ke laayak bhi ho jaayegi..

got it....!!!!

SAB-yes WHIZZDER...

MABBA-good..aur ab hoga ek aur demonstration...


MABBA ki baat sun sabhi SAVENTS ek dusre ko dekhne lage the..

reason..kal ke demonstration se un chaaron SAVENTS ka kya haal hua tha,ye sabne dekha hua tha aur isiliye sabhi halke nervous dikhne lage the jisse teeno WHIZZ aur WHIZZDERS samajh rahe the aur isiliye...

SAPIUS-relax...aaj ka demonstration aap sabke upar nahi hoga..waise bhi aapko bataya gaya hi hai ki REFINERS ko apne hisaab se master karne ke baad hi aap spells ko jhel paayenge aur filhal aisa hua nahi hai...


yahan SAPIUS ki baat khatm hui aur wahan unke baaju me khadi MABBA ke haath me ek yantra,ek device chamak utha jisse sabhi SAVENTS dhyan se dekh rahe the..

wo device transparent tha aur halka lamba tha,usme teen lambe pipes lage hue the jaise bandookh me lage hote hain...


MABBA-is device ko SPELLAR kehte hain..

ye device SPELLS ki taakat ko measure karne ke kaam aata hai...

ye jo teen pipes isme lage hue hain,ye hai is device ke measuring scale...

is device par jab bhi koi spell bola jaata hai,us spell ka power un pipes ke through pata chalta hai...

is SPELLAR par spell bolte hi iske teeno pipes me teen alag alag rang ke liqiud bharte hain....

YELLOW,ORANGE AND RED....

YELLOW liqiud ka matlab hai ki SPELL ka asar KAMZOR tha,ORANGE liquid ka matlab hai spell ka asar AVERAGE tha aur red liquid ka matlab hai POWERFUL...

REGIS-waise ek aur colour ka liquid bhi hai jo SPELLAR spell ke power ke hisaab se create kar sakta hai aur wo colour hai GREY....

is colour ke liquid ke aane ka matlab hai INVINCIBLE STRENGTH...

SPELL ka aisa power jisse defend nahi kiya jaa sakta...

par CHOSENS ke 25 thousands year ke itihaas me aisa kabhi nahi hua ki koi SAVENT SPELLAR ke TUBES ko GREY liqiud se bhar paaya ho....


jahan REGIS ki baat sun baaki sabhi SAVENTS bohot excitement se us SPELLAR ko dekh rahe the wahin in sabse alag VIDEOUS ke mooh se wahi baat nikli jo kal raat RAAZ ko MARIA aur FLORIN ke gale lagte hue dekh nikli thi...


VIDEOUS man me-interesting.... very interesting... wo shakti jo sirf mere aur RAAZ ke andar hai,uske asar ko bhi option banakar introduce karwaya hai FATHERS ne....!!!

KYUN??????


yahan VIDEOUS apne khayalon me khoya tha aur wahan MABBA ne saamne ek khaali table ke upar rakh diya tha SPELLAR ko aur fir...


MABBA-and now, demonstration time..

ab pehle SAPIUS aapke saamne kal aap logon ke dwara yaad kiye uccharit paanchon pain spells me se pehla aur sabse low level pain spell ASRAVA bolenge aur wo bhi ussi tarah jaise kal SAVENTS ne kaha tha..

wthout the use of RIFINERS...


MABBA ki baat puri hote hi SAPIUS ne apna haath aage kiya aur...

SAPIUS-ASRAVA....


SAPIUS ke SPELL uccharit karte hi unke haath se ek light beam nikal SPELLAR se jaa taktayi aur aisa hone ke alge hi pal SPELLAR yellow liquid se bharne laga tha...

MABBA-dekha aapne...kyunki SAPIUS ne bina REFINERS ki madad ke spell bola toh kya result hua...???

REGIS, tumhari baari...


MABBA ki baat par apne sir ko halki jumbish dete hue REGIS ne apna right haath aage kiya aur...

HAPPY REFINER ke tahat ASRAVA SPELL uccharit kiya par aisa karte waqt unhone apne REFINER par sirf aadha hi dhyan lagaya tha aur isiliye inke hathon se nikli beam jab SPELLAR se takrayi toh uske agle hi pal SPELLAR ke andar orange colour ka liquid bharne laga tha jisse dekh...


MABBA-liquid ke colour me fark isiliye aaya hai kyunki REGIS ne SPELL REFINER ke saath bola hai..

aur aisa karne se aaya fark toh aap dekh hi rahe hain....ek low level SPELL ke asar ko bhi REFINERS badha dete hain...

ek baat aur, REGIS ne SPELL bhale hi REFINER ke through bole hain par SPELL bolte waqt us REFINER ka asar REGIS par aadha hi tha aur isiliye hi SPELL ka power bhi aadha hi hua...

agar REGIS ne REFINER ko khudpar haawi kar SPELL bola hota tha ye hota...


apni baat keh MABBA ne apna haath aage kar wahi ASRAVA SPELL ko uccharit kiya jiske baad jab uske haath se nikla beam SPELLAR se takraya tha uske turant baad SPELLAR ke teeno tubes red liquid se bhar gaye...


MABBA-dekha, REFINER ko khudpar haawi kar SPELL bolne se result kitna alag nikalta hai...

toh sab samajh me aa gaya hai yaa fir any questions..!!!!

SAB-no WHIZZ...we understood everything...

MABBA-good...and now task time....


SAMPURN AANANDITAM

SAMPURN ANTARDUKHAM

SAMPURN KRODHAM

SAMPURN SNEHAM

SAMPURN DVESHAM

HAPPY,SAD, ANGRY,LOVE,HATE...bataye gaye paanchon spells wo tarika hai jisse aap apne paanchon REFINERS ko activate kar sakte hain...

aur aisa karne ke liye aapko apne attach mode ke tahat apne SOUL AMPLIFICATION ki kriya ko dohrana hoga....

apne apne CEREBRATION process ko pause kar apne SOUL me jhaankte hue aapko ek ek kar in paanchon spells ko man hi man uccharit karna hai...

ek roshni jo aapke antarman me chamkegi,usse aapko pata chal jaayega ki SOUL ne REFINER ko apna liya hai...

ab se lekar us din tak jab tak aap aisa nahi kar lete,apne paanchon REFINERS par kaabu nahi paa lete,aap sab bas yahi karenge...

REGIS-par dhyan rahe,ye asaan nahi hoga..aur kyun,ye aap sabko is kriya ke dauran pata chal hi jaayega....

toh shuru karen...!!!

sabse pehle SAMPURN AANANDITAM se shuru kijiye....


REGIS ke kehte hi sabhi SAVENTS apni apni jagah se khade hue aur aage badhkar niche zameen par baith gaye aur aisa karte hi sabki aankhen band ho chuki thi aur saath hi pause ho chuka tha sabka CEREBRATION....




WEAKLINGS CATAGORY:-




PRATIBANDHANA.....



ek taraf jahan is SPELL ko uccharit kar ACCHUTA aur SLUNDER dono hi apne SOUL ko AMPLIFY karne me lag gaye the wahin BRAWNY ki bhi aankhen band thi aur wo bhi apne SOUL ko trigger karne koshish me lag gaya tha...

wahin in sabke beech aankhen meri bhi band thi par mai wahi kar raha tha jo kal kar raha tha...

apne SWORD me chuppi apni shakti ko apne body me shrug karne ka kaam.....

aur is kaam se nikalne waale AURA ko ek baar firse WHIZZ HIDA thoda thoda mehsoos kar rahi thi...

meri hi taraf apni nazarein tiki hui thi unki aur unke man me chal rahe the ye vichar.....


HIDA man me-aakhir kaun hai ye ladka...???kuch toh hai iske baare me jo normal nahi hai...

aur kal jo isne bola,MUJHE MAAF KARDO,ye isne yunhi bola tha yaa isse sab kuch pata hai.....

ye aakhri baat sochte waqt HIDA wapas unhi yaadon me kho gayi jahan se uske tootne ki shuruat hui thi aur jiski sabse badi zimmedar thi MABBA....


MABBA jab PHASE 2 me as a SAVENT aayi,tabse hi wo ek bohot badi bully rahi thi...

ek aisi ladki jisse kisike emotions se koi matlab nahi raha... HIDA tab bhi WEAKLINGS ki WHIZZ thi...

SAVENTS ke through uski khinchayi toh shuru se hi hoti aayi thi par wo khinchayi hamesha ek limit par hi rahi par wo MABBA thi,jisne is hadh ko toda tha....

MABBA alag alag tarikon se HIDA ki leg pulling karti thi jisse HIDA kaafi pareshan rehti thi aur yunhi ek din ek SAVENT se jo HIDA se thik se pesh aata tha,usne MABBA ki harkaton ke baare me discuss kiya...

par HIDA nahi janti thi ki jis SAVENT se usne MABBA ke baare me baat ki thi,wo MABBA ka chahne waala tha aur jisne namak mirch lagakar MABBA ko HIDA ki chugli kar di aur jab aisa hua toh...

kyunki HIDA bhale hi WEAKLING ki sahi,par ek WHIZZ thi isiliye usse bhi GROOMERS ki hi tarah ek apartment allot hua tha but unlike GROOMERS,usse WEAKLINGS ki hi tarah manually saara kaam karna padta tha...

ek din jab HIDA normal time se kuch late INSTITUTION se apne flat ki taraf nikli toh raaste me usse MABBA aur uske kuch PHASEMATES ne daboch liya aur uske mooh ko daba usse institution se bahar le gaye...

aur fir shuru hua HIDA ka physical aur mental harassment ka daur...

MABBA aur uske doston ne HIDA ke saare kapde faad diye..usse pura nude kar diya...

aur uske chehre aur body par apne haath aur laath ki baarish kar di...

MABBA ne HIDA ke baalon ko tedha medha kaat diya aur saath hi uske chehre par thook bhi diya...

par harassment ki limit tab touch hui jab MABBA ke kehne par uske male friends ne HIDA ke upar mooth diya...

aur in sabke beech HIDA ke mooh se bas ek hi baat nikalti rahi,MUJHE MAAF KARDO....

but finally HIDA ki haalat par haste hue wo sab wahan se chale gaye....

kaafi der tak HIDA yunhi wahi padi apni haalat aur kismat par aansu bahati rahi par fir wo dheere se uthi aur uske wo kapde jo fate hue idhar udhar pade the,unse jaise taise khudko dhak apne flat ki taraf chal padi....

par next day jab wo institution pahunchi tab usse laga ek jhatka aur wo ye ki MABBA aur uske friends ne kal ki saari ghatna PHASE me faila di thi jisse sun HIDA aur zyada toot gayi...

usne suicide karne ki bhi sochi par uske liye bhi kaafi himmat chahiye jo HIDA me thi nahi...

MABBA ne jo HIDA ke saath kiya tha, uske baad toh jaise har negetive minded SAVENT ke liye apne frustration ko nikalne aur apne timepass ka zariye ban gayi thi HIDA...

jahan har session me SAVENTS uski insult karne ke records banate gaye wahin HIDA ke mooh se jaise bas takiyakalam nikalta raha,MUJHE MAAF KARDO....

kal bhi RAAZ ki baat aur uske aakhri me kahe phrase ko sun purane zakhm hare ho gaye the HIDA ke aur aaj bhi yahi hua tha...

yahi sab sochte hue chehre par gehre dard ke bhaav liye HIDA ki nazar jab mujhpar padi toh unke chehre ke bhaav turant badle...

jahan ab tak dukh tha,taklif thi ab us chehre par dikh rahi thi hairani...

reason...

jahan BRAWNY ek baar firse fail hokar apna sur jhukaye baitha hua tha, ACCHUTA aur SLUNDER abhi bhi AMPLIFICATION process me lage hue the,wahin in sabse alag meri aankhen khul chuki thi aur chehre par halki muskaan liye mai HIDA ko hi dekh raha tha...

waise toh HIDA hamesha hi ghabrayi hui si rehti thi par meri muskaan dekh unki ghabrahat dar me badal jaati thi par abhi mujhe muskurata dekh unhe aisa laga jaise maine unke bhaav aur unki soch ko padh liya tha...

waise ye baat bhi sach hi thi...

khair,kuch pal mujhe dekhte rehne ke baad wo mujhse kuch bolne ko hui par tabhi....

hamare aas paas ka pura area roshni se naha gaya jiska matlab tha ki ACCHUTA aur SLUNDER ne apne SOUL ka first percent AMPLIFICATION pura kar liya tha....

jahan is baat ki realization se ek taraf BRAWNY bhi un dono ke achievement se khush tha par saath hi khud ke under performance se dukhi bhi wahin dusri taraf HIDA ACCHUTA aur SLUNDER ke do dino me do achievements ko dekhkar bohot hairan bhi thi aur khush bhi...

roshni khatm hone ke baad jab ACCHUTA aur SLUNDER ki aankhen khuli toh HIDA ne unhe unki achievement ki badhayi di jisse sun wo dono khush ho gaye...

class ka waqt khatm ho chala tha aur isiliye HIDA ne class off karne ki baat kahi jiske baat hum chaaron hall se bahar jaane ko hue par tabhi...


HIDA-ek minute RAAZ...tum rooko,mujhe kuch baat karni hai tumse....


HIDA ki baat sun mai wapas palta aur theek unke saamne jaakar khada ho gaya...

mere aisa karte hi ek baar firse unki haalat kharab ho gayi thi par baat toh unhe karni hi thi isiliye....


HIDA-kal tumne kuch kaha tha RAAZ...???kya matlab tha uska...???

MAI-sawal jitna specific hota hai,jawab bhi utna hi accurate milta hai... isiliye exactly jo puchna hai,wo puchiye...

HIDA-kya jaante ho mere baare me...???

MAI-utna jitna tum khud apne baare me nahi jaanti...EAL PLANET se ho tum...tumhare mom dad aur eklouti behen tumhare bachpan me hi ek accident me mar gaye the...

jis bullyness se tum darti ho,kabhi bachpan me tum khud bhi wahi hua karti thi..apne jaanane waalon ko tum bully karti thi but ek healthy way me...

par tumhare mom dad aur sister ko death ka tumhari soch par, ATTITUDE par gehra asar pada...

us din ke baad tumhare andar ek ajeeb se dar ne ghar karna shuru kar diya jisne tumhe underconfident bana diya...

par kyunki tum ek SAVENT thi, isiliye underconfident hone ke baawjud apne aas paas ke har bande se aage thi...

par fir wo din aaya jab tumhe har SAVENT ki tarah CHOSENS aana pada..

aur yahan aakar, apne takkar ki competition ko dekhkar tumhari halat aur kharab ho gayi....

tumhare dar ne dheere dheere tumhe itna neeche dhakel diya ki tum kabhi theek se aage badh hi nahi paayi....

aur yahi wajah hai ki CHOSENS me 3 PHASES as a SAVENT nikalne ke baad aur uske baad itne saalon tak ek WHIZZ ki post me rehne ke baad bhi tumhara soul AMPLIFICATION bas 2 percent hi touch hua hai...



jahan meri baaton ko aankhen aur mooh dono faade sun rahi thi HIDA wahin meri aakhri baat jisme uski achievement ka zikr tha,usse sun sharm se sir jhuk gaya HIDA ka par fir...


MAI-jo MABBA ne tumhare saath kiya,wo tum deserve karti thi HIDA....


meri baat sun jhat se sir upar ho gaya HIDA ka...usse yakin nahi ho raha tha ki mai aisa kuch kahunga...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


MAUI-achayi,burayi,paap punya....ye sab sirf shabd hain HIDA...

sacchayi sirf ek shabd me nihit hai aur wo shabd hai SHAKTI....

aur CHOSENS me yaa fir bramhaand ke kisi bhi planet me kamzoron ke liye koi jagah nahi...

zindagi bhar apni chunoutiyan ka saamna karna chhod unse chhupti aur bachti aayi ho tum....

bajaye ladhne ke tum bas GOD se pray karti rahi is ummid se ki ek din wo sab thik kar dega...


BULLSHIT....agar mera lakshya kuch aur nahi hota toh mai is bramhaand ko tum jaise kaayaron ke rakht se nehla deta....


ek WEAKLING tha mai aur HIDA meri WHIZZ...par jo baat abhi abhi maine kahi thi aur jis tarah se kahi thi usse sun HIDA ki rooh tak kaamp gayi thi...

mere sharir se nikalte mere AURA aur uski shakti ko mehsoos kar paa rahi thi HIDA jisse wo itna toh samajh hi gayi thi ki unke saamne khada banda wo bilkul bhi nahi hai,jo wo khudko dikha raha hai aur isiliye....


HIDA-KAUN HO TUM!!!????

MAI-fir galat sawal...???sawal ye nahi hai ki mai kaun hun....asli sawal hai ki kya tum jaanti ho ki tum kaun ho aur kya chhupa hai tumhare andar....???

HIDA-mai samjhi nahi....

MAI-samajhna toh tumhe hi padega HIDA.....jitna jaldi samjhogi,utne hi faayde me rahogi..


jahan apni baat keh mai wapas muda aur aage badh gaya wahin meri baat sun HIDA mujhe piche se jaata dekhte hue gehri soch me padh gayi thi aur isiliye mai rooka,apne chehre ko halka left tilt kiya aur....


MAI-BAAT NAZARIYE KI HAI BAS:-



dhyan tera hamesha us churre par raha,
jo sabne tujhe GHOMPA hai....


bhul gayi tu us CHOT ko,
jiske liye mila tujhe KUDRAT se ek TOHFA HAI.....

jhaank apne zindagi me,
ki tu kuch aisa JAAN JAAYEGI...

apni kamzori hi dikhi hai tujhe,
tatol khudko,apni shakti bhi tu
PECHAAN JAAYEGI....










AAJ KE LIYE ITNA HI......[\B]
 
Member
278
52
28

AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MABBA,REGIS AUR SAPIUS STELLARS KO SPELLS KE USE KE BAARE ME BATATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF RAAZ HIDA KO KHUDKI KAABILIYAT PEHCHANANE KE LIYE KEHTA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-2


(UNEARTH THE IMMORTALS)



UPDATE-63




PLANET-ELYSIAN


PLACE-CHOSENS



STELLAR'S CLASS:-





AAP SABKE LIYE EK GOOD NEWS HAI GUYZ....

class me ghuste hi bohot excitement se bhar REGIS ne ye baat kahi thi apne SAVENTS se jisse sun sabhi SAVENTS ke chehre par bhi excitement dikhne lagi thi....

wahin apni baat ko aage badhate hue....


REGIS-is saal se PHASE 2 ki practicals me ek addition hua hai...

jaisa ki aap sabko pata hai ki FORBIDDEN FOREST ke aage lagi shield hat chuki hai aur ab us forest me ghussa jaa sakta hai...

us forest ke upar ek book bhi likhi gayi hai jisme wahan moujud bohot si adhbhudh chizon ke baare me bataya bhi gaya hai..

i hope aap sabhi first PHASE me us book ko padh chuke hoge...

SAB-yes WHIZZDER....

MAHI-WHIZZDER, us book me ek jagah ye likha hai ki forest me north
ki taraf ek jharna hai jisme behta paani magical hai...

us paani ko use me laakar khudko spirit form me laaya jaa sakta hai aur saath hi uda bhi jaa sakta hai...

REGIS-haan,ye sach hai...

ALFREEN-aur WHIZZDER,maine us book me ye bhi padha tha ki wahan FOREST me TUITUS naam ke kaafi saare ped hain jinke leaf alag alag aur aise illusions create kar sakte hain jinhe catch karna next to impossible hota hai....

SAPIUS-haan..aur saath hi bohot kuch hai wahan aap sabke liye infact humare liye bhi aur yahi hai GOOD NEWS....

is month ke last 2 din aur 2 raat aap sab ussi forest me guzarenge jahan hongi kuch ACTIVITIES jinse aap sabko apne MAGICAL capabilities ko badhane me madad milegi...

aur saath wahan milne waali kuch magical chizen bhi aap as rewards haasil kar paayege jinse aapko apni acadamic aur personal dono hi life me bohot madad milegi..

REGIS aur SAPIUS ki baat sunkar wakayi bohot khush ho gaye the SAVENTS...

wahin is naye announcement ke baad...


MABBA-alright than...class shuru karte hain...jaisa ki kal bataya gaya tha,filhal aap sabka task ek hi hai...

ACTIVATE YOUR REFINERS....

toh shuru karen...!!!

SAB-yes WHIZZ...

MABBA-yaad rahe,har REFINER ko use me laane ki prakriya ke waqt alag alag problems aayengi jinhe jhelte hue aapko REFINER ko apne SOUL ke saath merge karna hai...

isiliye khudko har tarah ki bhaavna se guzarne ke liye taiyar rakhiyega....


MABBA ki baat ka matlab SAVENTS samajh nahi paaye..

unhe laga ki MABBA unhe prakriya me hone waale pain par warn kar rahi hai aur pain toh woh sab soul ko AMPLIFY karne ke dauran jhelte hi the isiliye unhone zyada gaur nahi kiya par wo nahi jaante the ki REFINERS se hone waali problems kitni alag hoti hai...

wahin apni baat ko aage badhate hue...


MABBA-sabse pehle aap sab SAMPURN AANANDITAM joki REFINER OF HAPPINESS hai,usse shuru kijiye.....


MABBA ke bolne ke baad sabhi SAVENTS turant paalthi maar kar baithe gaye,agle hi second un sabka CEREBRATION process band ho gaya jiske baad un sabne apne brain,body aur blood ko apne apne SOUL ke saath jod liya aur aisa hone par....


SAMPURN AANANDITAM.....


man hi man sabhi be is SPELL ko uccharit kiya jiske baad....


HAHAHA....HAHAHA.....
HAHAHA.......HAHAHAHA.......


ek saath puri class SAVENTS ke thahakon se gunj uthi....

aur ye hasi ek second,dus second yaa fir ek minute nahi balki continous thi...

apne apne mooh ko faade sabhi SAVENTS itni zoron se has rahe the ki us hasi ki awaaz har taraf gunj si uthi thi....

aur jab hasi ki adhikta se un sabka body hadh se zyada shake karne lag gaya toh toot gaya un sabka CEREBRATION aur khul gayi sabki aankhen....

aakh khulte hi jahan sabhi SAVENTS lagatar hasne ki wajah se apne pet ko pakde hue the wahin ussi hasi ki wajah se un sabki aankhon me aansu aa gaye the...

khudko control kar jab sabhi SAVENTS ki nazar saamne gayi toh unhone apne teeno WHIZZ aur WHIZZDERS ko muskurate hue paaya...


MABBA-maine kaha tha naa....khudko har tarah ke bhaavna se ladhne ke liye taiyar rakhna...

MAHI-but WHIZZ...ye sab tha kya..??man me SPELL bolte hi aisa laga maano kisine pure sharir ko andar se gudguda diya ho aur uska asar soul power par bhi padh raha tha...

ALFREEN-haan WHIZZ,mujhe toh aisa lag raha tha ki mai haste haste hi mar jaaungi....

MABEL-mujhe bhi same feeling aayi thi..aisa lag raha tha jaise hasne ka shraap mila ho mujhe...

MABBA-NITROUS OXIDE jiska ek nick name LAUGHING GAS bhi hai,kya hota hai usse...????

MAHI-dimag slow ho jaata hai usse aur response body karta hai... kyunki khudka khudpar control loose ho jaata hai isiliye senses relax ho jaate hain thus resulting accessive laughing but that depends on the enhalation...

MABBA-isse milta julta hi asar hota hai REFINERS ko use me laate waqt...

aur kyunki iska use SOUL ke tahat hota hai,isiliye brain ki jagah ye SOUL par asar karta hai aur SOUL aapke BRAIN, BODY aur BLOOD teeno ko hi iske hawale kar deta hai and that results expression...

wahi expression jo us REFINER ka emotion hota hai..jaise AANANDITAM REFINER ka emotion hai HAPPY isiliye aap sab has rahe the...

REGIS-and the irony is ki REFINERS ke emotion ko master karne ke liye aapko pehle ussi emotion ko harana hota hai...

AANANDITAM REFINER me master karne ke liye aap sabko hone wali hasi ke beech khudke CEREBRATION process ko paused rakhe hue apne SOUL ray par concentrate karna hai....

jitne zyada der tak aap aisa kar paayenge,utna zyada aapka SOUL REFINER ko accept karega...

SAPIUS-waise target setting ke liye bata dun ki 2 minute lagatar paused CEREBRATION REFINER accessibility se hi aap sab orange matlab average power aur 5 minute ke concentration se red matlab complete power haasil kar lenge....


SAPIUS ki baat sun SAVENTS ki haalat aur kharab ho gayi...

reason...

abhi abhi jo un sab ne REFINER ko soul se merge karne ki apni pehli koshish ki thi,wo max 20 seconds hi chali thi toh aise me 2 minute ke unke pehle target tak pahunchne ke khayal se hi un sabki haalat kharab hone lagi thi...

khair,class ko aage badhate hue....


MABBA-mujhe pata hai ki abhi jo aap sabne experience kiya hai,uska impact thoda zyada hai par mat bhuliye ki aap sab SAVENTS hain aur woh bhi STELLARS...

whats the point of being a STELLAR SAVENT if your challenge is not tough...

SAPIUS-aur kehte hain naa,WHEN THE CHALLENGE GETS TOUGH,THE TOUGH GETS GOING....

so issi ATTITUDE ke saath dobara try kijiye..

halke dar aur nervousness ke beech sabhi SAVENTS ne ek baar firse apni aankhen band kar li aur pause kar liya apna apna cerebration...

wahin GROOMERS ki class me bhi same process chal raha tha aur WEAKLINGS ko bhi unke usual task hi karne the aaj...

aur in sabke beech the hamare dono VILLAINS....

wahan WEAKLINGS ke beech baitha RAAZ apni shaktiyon ke kuch kano ko khudke sharir par mal raha tha aur yahan STELLARS ke beech baitha tha VIDEOUS jiski aankhen bhi band hi thi par kar wo kuch aur hi raha tha...

kal REGIS ne jo invincible power ke beholder ki baat ki thi,ussi baat ki gehrayi me pahunchna chahta tha VIDEOUS...

wo shakti jisse dharan karna kisi SAVENT ke bas ki baat nahi,wo bhi ek option rakha gaya tha aur ye koi choti baat nahi thi aur isiliye...

is waqt uske sharir se nikal rahe the invisible rays jo ki asal me detect rays the...

wo detect rays uske sharir se nikal CHOSENS ke har SAVENT ko touch kar ye pata laga rahe the ki kya kisi SAVENT me aisi capability hai jo ek SAVENT ke daayre ke bhi bahar ho...

waise abhi tak VIDEOUS ko koi bhi aisa suraag mila nahi tha par uski koshish jaari thi...

ab dekhna ye tha ki kya VIDEOUS ke shak ka wakayi koi adhar hai aur agar hai toh KYA HAI...!!!








PLACE- WEAKLING'S STAY







BHAI,KYUN SHER KE MOOH ME HAATH DAALNE KE LIYE BOL RAHA HAI...!!JAANE DE NAA....


ye baat ACCHUTA ne kahi thi SLUNDER se...

reason...

shaam ka waqt hai...aur kuch der pehle BRAWNY ne ACCHUTA aur SLUNDER ko PHASE ghumne jaane ke liye pucha tha aur yahi baat karne ke liye wo dono mere paas quater se thodi door ek ped ke neeche jahan mai paused CEREBRATION me baitha hua tha,wahan pahunche the....

par jab SLUNDER ne ACCHUTA se mujhse baat karne ke liye kaha toh darne laga tha ACCHUTA...


khair,ACCHUTA ki baat sun...


SLUNDER-waah beta.. khud hi mujhe yahan lekar aaya hai aur ab palat raha hai...

ACCHUTA-bhai,har kisi ka jigra bada hota hai jab tak chaati ke upar gun aakar nahi tikti...

aur ye jo saamne baitha hai,ye toh missile hai...agar phata toh hamari phaad dega....


BAKWAAS TUM DONO MUJHSE DOOR JAAKAR BHI KAR SAKTE HO...TUM DONO KI SHAKAL SE ZYADA MUJHE TUM DONO KI AWAAZ CHUBHTI HAI...


aankh khol maine un dono ko dekhte hue ye baat kahi jisse sun unki already bigdi haalat aur bigad gayi....

mujhe pata tha ki ab unki mooh se khud awaaz niklegi nahi isiliye...


MAI-kya chahte ho....???


ACCHUTA-bhai....wo.....BRAWNY aaya tha..bol.... raha tha kkki..... PHASE ghumne chalte hain...toh bhai,kkkya hhuum jaayyen....!!!


atakte atakte ACCHUTA ne apni baat kahi jispar...


MAI-mai kya tum dono ki mummy hun jo mujhse permission lene aaye ho....???

SLUNDER-nahi bhai wo aapne bola tha naa ki...

MAI-maine SLUNDER ko uski haalat par chhodne ke liye kaha tha...

here the key word is HAALAT..wo jo filhal bigdi hui hai..tum dono ko bas us haalat par naa toh baat karni hai,naahi usse motivate karna hai,infact,matlab bhi nahi rakhna hai...

baaki tum kya karte ho,kaise karte ho,kyun karte ho,usse mujhe koi matlab nahi hai...


meri baat sun khush bhi ho gaye ACCHUTA aur SLUNDER aur relief bhi...


ACCHUTA-samajh gaye bhai.. aur aap fikr mat kijiye,hum kabhi uski problems me kisi tarah ka involvement nahi rakhenge....

MAI-fikr mujhe nahi,tumhe karni hai...isse zinda reh paaoge tum.....

ab jaao....


apni baat keh maine wapas apni aankhen band kar li thi...


aur mere aisa karte hi ACCHUTA aur SLUNDER bhi turant wapas mude aur BRAWNY ke quater ki taraf chal pade...

wahin un dono ke jaate hi maine apni aankhen khol di.. chehre par meri ek halki muskaan thi aur expressions wahi bayan kar rahe the jo mera naam tha... RAAZ.....


MAI-mere sukoon ke liye tum dono ko dard toh jhelna hi tha...jao,jhelo.....





PLACE-PHASE 2 CITY





BHAI KUCH BHI BOL,HARIYALI KI KOI KAMI NAHI HAI YAHAN....


city me enter karte hi har taraf nazar doudate hue hot ladkiyon ko dekh kahi thi ye baat ACCHUTA ne jispar jahan BRAWNY bas has diya wahin SLUNDER...


SLUNDER-saale,har jagah tharak mode open ho jaata hai tera, kyun...???

ACCHUTA-waah re mere bholu...ek kaam karte hain,teri naa nasbandi kara dete hain...

is umar me bhi agar angdayi sahi jagah se naa nikli toh fir us jagah ka faayda hi kya hai...???

SLUNDER-chiii.saale kitni gandi soch hai teri....pata nahi tere jaise ashleel insaan ke naseeb me ek PLANET ka yuvraaj hona aur fir ek SAVENT hona kaise likha tha...!!!

ACCHUTA-haan bhai,sahi hai tu aur ho bhi kyun naa..

aakhir aap bade,aapka bada....
aapke mooh me hamara l***da....


jahan ACCHUTA ki baat sun SLUNDER usse ghurne laga wahin BRAWNY zor se has diya par usse aisa karna nahi tha...

reason...


is waqt wo teeno ek cocktail lounge ke saamne se guzar rahe the jiske bahar kuch STELLARS aur PHASE 3 ke WICKEDS bhi khade the...

BRAWNY ke zor se hasne se un sabka dhyan in teeno par gaya aur jab aisa hua toh...


WICKED 1-hey guyz look... WEAKLINGS....


us WICKED group ke bande ke saath aur do bande khade the...apne dost ki baat sun jab wo dono palte toh apne saamne teen WEAKLINGS ko dekh unke chehre par ek muskaan tair gayi aur wo teeno apni jagah se uth WEAKLINGS ki taraf badh gaye....

ye teeno MORANA aur ANWIR ke saathi the jinhone pichle saal HIDA ke saath WEAKLINGS SAVENT ki bhi khub li thi...

par kyunki ab wo PHASE 3 me the, isiliye aisa kuch karne ka mouka unhe abhi tak mila nahi tha....

par aaj inhe mouka mil gaya tha jo ye hargiz nahi jaane dene waale the...

par in sabke beech un teeno WICKEDS ke piche ek aur banda tha jisne naa sirf ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ko dekha tha balki WICKEDS ki baatein bhi suni thi...

ye banda aur koi nahi wahi tha jisne
2 raat pehle is waqt RAAZ ko MABEL ke haath ko chumte dekh shock laga tha...

waise abhi toh RAAZ tha nahi par uske catagory ke teeno SAVENTS ko dekh woh bhi un teen WICKEDS ke piche ho liya...

wahin ab tak wo teeno WICKEDS ACHHUTA, SLUNDER aur BRAWNY tak pahunch chuke the....


WICKED 1-arre dekho toh aaj humare saamne kaun hai...the new lot of the most prestigious catagory of PHASE 2, WEAKLINGS....


jahan apne saamne WICKEDS ko dekh aur unke taunt ko sun BRAWNY ghabra gaya tha, SLUNDER bhi halka nervous ho gaya tha wahin ACCHUTA ko jaise kuch fark hi nahi pada aur isiliye....


ACCHUTA-arre bas bas bhai..ab aage se jhuk mat jaiyo...wo kya hai naa,loundo ka pichwada dekhne ki aadat nahi hai hume..


ACCHUTA ki baat sun un teen WICKEDS SAVENTS ke jabde sakht ho chuke the jisse dekh SLUNDER aur BRAWNY,dono hi samajh gaye the ki ACHHUTA ne galat panga le liya hai aur isiliye...


BRAWNY-hume chalna chahiye...hum already late ho chuke hain...


ye bol BRAWNY ACCHUTA ka haath pakad usse khinchne ko hua par tabhi...


WICKED 1-arre aise kaise..abhi abhi toh mulakat hui hai..itni jaldi kaise aap teeno ko jaane deden...

WICKED 2 -yaar galat baat hai..ye WEAKLINGS hain...inhe apne shaandar quater tak pahunchne ke kiye waqt lagna hai.. isiliye ye hadbadi kar rahe hain...

humara farz banta hai ki inhe jaane den...

WICKED 3-exactly..par hum inhe jaane nahi denge balki khud chhod kar aayenge...


WICKED 3 ki baat khatm hote hote un teeno ne ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ke haathon ko pakad liya tha aur isse pehle ki wo teeno kuch keh paate,teeno WICKEDS khudko aur un teeno ko antardhyan matlab gayab karne lage par tabhi...

wo banda jo inke piche aa raha tha,usne bhi is baat ko sense kar liya tha aur isiliye isse pehle ki wo sab gayab ho paate,usne apna haath ek WICKED ke shoulder par rakh diya jiski wajah se wo banda bhi in 6 logon ke saath gayab ho gaya...

gayab hokar wo sab sidhe pahunche ek khaali maidan me...

aur wahan pahunchte hi wo WICKED jisne apne kandhe par kuch feel kiya tha,wo palta aur jab usne ek naye chehre ko apne saamne dekha toh wo hairan ho gaya..


WICKED 1-abbe,tu kaun hai..???


WICKED 1 ki baat sun baaki sabhi ki nazar bhi us naye bande par padi jisse dekh wo sab bhi hairan ho gaye....

wahin WICKED 1 ke sawal ko sun...


UNKNOWN-mera naam VALDIS hai.....aur mai PHASE 2 ke STELLAR catagory se hun...

WICKED 2-woh toh thik hai par is tarah humare saath aane ka kya matlab...??agar tu inhe humse bachana chahta hai toh bhul jaa..

bohot din ho gaye kisi WEAKLING ki haalat kharab kiye hue...inhe toh hum yunhi chhodne waale hai nahi....


us WICKED ki baat par VALDIS kuch kehta ki tabhi...


BRAWNY-par bhai,humne kiya kya hai...???

WICKED 1- punish hone ke liye WEAKLINGS hona hi ek bohot bada aur valid reason hai...

WICKED 3-par agar ye reason tum teeno ke liye kaafi nahi hai toh ek aur de dete hain...

PHASE me ghumna,enjoy karna STELLARS ke liye hai, GROOMERS bhi chalenge par WEAKLINGS allowed nahi hain...

ACCHUTA-aisa kahan likha hai....??

WICKED 2-likha nahi toh dikha nahi....beta WEAKLINGS us kutte ki tarah hote hain jo uske maalik ka bacha khaate hain..

aur hum hain yahan ke maalik aur kutte hokar tum apne maalik ki jagah par without permission ghum rahe ho...

VALDIS-ye toh firbhi ghum rahe hain,inke saathi ne toh ek STELLAR bandi ke haathon ko chuma hai....


ye baat kehte hue VALDIS ka chehra ghusse se tharthara gaya aur fir...

DHAKK.....


ek zor ki laath maari VALDIS ne BRAWNY ko jisse wo tezi se piche ki taraf palat gir gaya...

wahin aisa hote dekh ACHHUTA aur SLUNDER turant BRAWNY ki taraf badhne ko hue par 2 WICKEDS ne unhe pakad liya...


ACCHUTA-abbe chuma RAAZ ne hai aur laath tu isse maar raha hai..aur ek baat bata,agar usne kisi bandi ko chum bhi liya toh tere pichwade me kyun aag lag rahi hai...


VALDIS-kyunki MABEL sirf meri hai.. pichle PHASE se meri nazar hai uspar...

tab socialization naa hone ki wajah se hum dono kareeb nahi aa paaye the par is baar mai usse apna bana kar hi rahunga....

SLUNDER-bhai par in sabke beech hum kahan se aaye..??tu humpar kyun bhadka hua hai...???

VALDIS-kyunki tum ussiki catagory se ho..usse sabak sikhane ke liye maine kal uska wait kiya tha par naa toh woh kal aaya aur naahi aaj....

par tum teeno aa gaye..isiliye uski karni ka fal tum teeno ko bhugatna padega....


is conversation ke beech wo teeno WICKEDS ko VALDIS me aage chalkar ek WICKED nazar aa raha tha jiska matlab tha ki wo unki hi biradari ka ek future bhaag tha aur isiliye...


WICKED 1-VALDIS thik keh raha hai...ek STELLAR ladki ko sirf ek STELLAR ladke ke saath hi hona chahiye...

kisi WEAKLING ka ek STELLAR ke saath kisi bhi tarah ka involvement naakabile bardaasht hai...

iske liye toh saza banti hai..ab wo ladka toh yahan hai nahi,toh tum teeno hi sahi...

ACCHUTA-beta shukra manao ki wo yahan hai nahi warna abhi issi waqt tum sab ke ghamand se bhare jo LING hai naa,wo WEAK ho jaate hai aur sahi maayno me tum sab WEAKLING ho jaate...

VALDIS-hmpphh..wo RAAZ hamara kuch bigadega..uski sirf zubaan lambi hai,baaki wo bas ek show off hai aur kuch nahi...

ACCHUTA-beta saamne jaa uske aur ye saari bakwaas kar..tere zindagi ke show ko hi off kar dega wo..

WICKED 2-kitna bolta hai be tu..dekh toh le kamsekam ki kahan aur kin haalaton me khada hai tu...

WICKED 3-waise toh hum apne shikaar ko kisi ke liye nahi chhodte par VALDIS,ye teeno tere shikar hai...

inse tu hi khel....hum bas inhe tanga dete hain,then they are all yours...


WICKED 3 ne apni baat keh apne haath ko ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ki taraf ghumaya aur iske aisa karte hi...

BRAWNY jo niche zamin par gira hua tha,uski body apne aap khadi hokar ek jagah par jakad gayi...

wo ab chah kar bhi hil nahi paa raha tha...

same chiz ACCHUTA aur SLUNDER ke saath bhi hui thi..

un dono ki bodies BRAWNY ke side me ek aakar bilkul akad gayi thi...

aur jab aisa hua toh...


VALDIS-ASUKA....


man hi man pain ke sidhe 2 level SPELL ko uccharit kiya VALDIS ne jiske baad...


AHHHHH...AHHHH.....AHHHH.....


behad tez cheekh nikal gayi ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ke mooh se...

bhale hi VALDIS ne without REFINERS spell ko bola tha par fir bhi ek WEAKLING ke liye us SPELL ka asar bhi bohot zyada tha aur issi wajah se ek hi baar me jahan BRAWNY behosh ho chuka tha wahin ACCHUTA aur SLUNDER ki haalat bohot zyada kharab ho gayi thi...

waise SPELL bolne ki wajah se aaye bhaaripan se VALDIS bhi thakne laga tha par firbhi wo dobara SPELL bolne jaa hi raha tha ki tabhi...


WICKED 3-arre arre,ye kya kar raha hai VALDIS...maana ki hum magic kar sakte hain par taklif dene ka jo maza physical contact ke through hai,wo magic me bhi nahi..

isiliye inhe punching bags samajhkar boxing karna shuru kar...

us WICKED ki baat sahi lagi VALDIS ko aur isiliye hi wo aage badha aur..


DHOOB..DHOOB...DHOOBBB...


ek ke baad ek kayi punches maarta chala gaya VALDIS ACCHUTA ko...naak,gaal, forehead,chest,pet koi jagah nahi bachi ACCHUTA ki jahan par punch naa laga ho..

uska pura face khoon se laal ho chuka tha...

ACCHUTA ke baad baari aayi SLUNDER ki aur jiski haalat bhi kuch hi der me ACCHUTA ke jaise ho gayi thi..

SLUNDER ke baad VALDIS badha BRAWNY ki taraf par kyunki wo pehke hi behosh ho gaya tha isiliye ek do punches padne ke baad bhi jab uspar kuch asar nahi hua VALDIS ne usse chhod diya..

teeno ki servicing ke baad...


VALDIS-bata dena us RAAZ ko.. MABEL se usse door rehna hai warna tum teeno se buri haalat karunga mai uski...


un dono ki haalat itni kharab ho chuki thi ki unhe VALDIS ki baat halki hi sunayi di thi..

wahin kuch der tak un teeno ki haalat par haste hue wo teeno WICKEDS VALDIS ko lekar gayab ho gaye...

aur unke gayab hote hi ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ki body joki hawa me hi akdi hui thi,wo bhi release ho gayi aur aisa hote hi wo teeno dhamm se niche zamin par gir gaye...

BRAWNY toh pehle hi behosh tha,par ab SLUNDER aur ACCHUTA bhi behosh ho chuke the....

par jaise hi wo behosh hue....

ek tez roshni chamki aur us chamak me se prakat hua VIDEOUS...

wo chalta hua theek un teeno ke saamne khada hua aur...


VIDEOUS-saathi hai ye tumhare...par dekho,kya haal ho gaya becharon kaa...

tumhe toh daya aa nahi rahi hai inke haalat dekh par mai itna pathar dil nahi hun...

mai door karunga inka dard..zillat bhari inki ye zindagi,kya faiyda isse jeekar...

chalo,mai inhe inke jeeven chakra se aazad kar inki saari taklif khatm kar deta hun....


VIDEOUS ne apni baat bol apna haath aage kiya aur uske aisa karte hi teen PRAANGHAATHI RAYS nikal ACCHUTA, SLUNDER aur BRAWNY ki taraf badh chale par isse pehle ki wo rays un teeno ke sharir ki chhute...

un teeno ke sharir ke just upar ek halki roshni ubhari jisne VIDEOUS ke ray ko khudme sokh liya aur aisa
karne ke baad wo teeno roshni ek dusre se judne lagi aur dekhte hi dekhte us roshni ne VIDEOUS ke saamne ek human form lena shuru kiya aur jab wo form complete hua toh VIDEOUS ke chehre par ek smile aa gayi...


VIDEOUS-RAAZ...kya baat hai..bohot umda magic tha...khudke wajud ko in teeno ke AURA se milakar apneaap ko inse joda hua tha tumne... behatarin...

par ek baat batao,inhe chot lagne diya tumne..inke khoon nikal rahe the,ye tadap rahe the,par tab kuch nahi kiya tumne,fir ab kyun bachaya inhe...???

MAI-STELLAR ho tum VIDEOUS..aalishaan ghar mila hai tumhe...lutf uthao uska..jab tak utha sakte ho...

VIDEOUS-jawab nahi diya tumne mere sawal ka....

MAI-mai jawab tab nahi deta jab mujhse sawal pucha jaata hai..

mera har jawab apne waqt par apni marzi se nikalta hai...

VIDEOUS-yahi toh galat ho tum...jawab dene ka waqt sawal karne ke baad hi hota hai,apni marzi se nahi...

sikh jaao ye hunar,jab tak sikh sakte ho...

MAI-lagta hai aaj kal bohot khaali waqt hai tumhare paas..kyunki faltu insan hi fokat ka gyan baanttha hai...

VIDEOUS-mai agar faaltu hun toh tum mere paaltu ho jisse mere FATHER'S ne mere time paas ke liye bheja hai...

aur yakin maano,mera time paas ho raha hai...

isiliye KHEL.....



tera KHELNA VIDEOUS ko pasand
AA RAHA HAI...

par nazar har taraf rakh,ki ek tufaan teri aur AA RAHA HAI...

mujhe pata hai ki,


tera naseeb tujhe teri manzil
DIKHA RAHA HAI...

par afsos manzil teri sirf MOUT hai,
kyunki VIDEOUS ke kareeb aa,

tu apni zindagi se door
JAA RAHA HAI....









AAJ KE LIYE ITNA HI....
 

Top