Fantasy ATTITUDE (KABHI ANGEL KABHI DEVIL) (vj4u)

Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF WICKEDS SWEEP-STAKE KE PEHLE TASK KO JEET JAATE HAIN WAHIN WOOGER KI URJA RAAZ KO USKI ASLIYAT SE WAQIF KARWATI HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-36



PLANET-ELYSIAN


PLACE-SWEEP-STAKE




UNBELIEVABLE........


MAHI ke mooh se nikla tha ue shabd....

reason....


saamne ka drishya hi aisa tha...jahan ek taraf WICKEDS ki puri teams ne khudko ek bade se DHAAL ke roop me badal liya tha wahin dusri taraf MORALS ki puri team ne khud ke form ko transparent kar diya tha...

reason....

SWEEP-STAKE competition ka dusra charan,second task shuru ho chuka tha jisme ek nayi chunouti dono teams ke saamne thi....

aur ye chunouti thi wo anginat baan jo lagatar hazaron ki sankhya me unke upar baras rahe the aur wo bhi non stop....

un teeron ko sankhya aur speed itni zyada thi ki unhe dodge nahi diya jaa sakta tha aur isiliye hi WICKEDS aur MORALS ki team ne in baano se bachne ke liye alag alag yukti nikali...

jahan ek taraf WICKEDS ne khudko ek bade se dhaal me badal liya tha wahin MORALS ne khudke form ko transparent kar liya tha...

par jahan aisa karna in do teams ke liye faaydemand tha wahin iska ek bohot bada nuksaan bhi tha aur wo ye ki bhale hi in yuktiyon se dono hi teams un baano se bach paa rahe the,par bachna is samasya ka sirf ek temporary hal tha, permanent nahi...

un dono hi teams ka task tha,un baano ki varsha ko rokna...aur ye wo dhaal bankar aur khudko transparent banakar nahi kar sakte the....

par filhal wo kuch aur bhi nahi kar sakte the kyunki agar dono teams me se kisi ne bhi apne form ko change kiya,toh uske agle hi pal wo teer unke aar paar ho jaane the aur aisa hone se wo khudko bacha bhi nahi paate.......

dhadakte dil se MAHI, MABEL, ALFREEN baaki ke darshakon ke saath jigyasa purv ye sab dekh rahe the aur soch rahe the ki ab kaise ghumega ye khel,par anjaan the wo sab is baat se ki asli khel toh kabka ghum chuka hai aur saath hi ghum chuki hai ye puri KAHANI.....





PLACE-INFRONT OF FORBIDDEN FOREST SHIELD



ASAMBHAV.......YE KAISE HO SAKTA HAI......????


aakhne chowdi ho gayi thi WHIZZ MARILIZA ki....behad hairani se wo apne saamne ke nazare ko dekhte hue uspar yakin karne ki koshish kar rahi thi.....

wahin unki baat sun apni apni aakhon me naasamjhi ke bhaav liye chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS unke peeche khade the....

unhe toh ab tak ye bhi samajh me nahi aaya tha ki wo yahan FORBIDDEN FOREST ke saamne aakhir kar kya rahen hain...???

uske upar WHIZZ MARILIZA ki abhi kahi baaton ko sun unke dimag me naye sawalon ne janm le liya tha aur isiliye....


VIOLET-kya hua WHIZZ MARILIZA...????kya asambhav ghatith hua hai...???aur hum yahan FORBIDDEN FOREST kyun aaye hain....????


WHIZZ MARILIZA jo khud bohot zyada confused thi,unhone VIOLET WHIZZ ke sawalon par kuch kaha nahi,bas apne left hand ko ek taraf kar diya jiske baad unke haath se ek ray nikal aage badhi aur neech zamin par jaa lagi...

ye zamin wahi jagah thi jahan kaafi der pehle RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER teeno gire pade the....

jaise hi WHIZZ MARILIZA ki ray us zamin par padi toh....

us ray ne bhi RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke gire hue bodies ka aakar dhar ek digital ray se sketch bana diya...

har sketch par usse jiske liye banaya gaya tha,uska naam ujagar ho gaya tha jisse dekh chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS samajh toh gaye ki ye sketches RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke hain par ye jaankar unki hairani aur badh gayi thi....

unhe samajh me nahi aa raha tha ki wo teeno aakhir yahan kar kya rahe the..???


OPHILIA- RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER yahan????par kyun....????wo teeno yahan kyun aaye the???

OMMIN-usse bhi bada prashn ye hai ki wo warning bell aakhir baja kiske liye tha....????

MARILIZA-kiske liye wo warning bell baja,ye baat bhale hi chhuppi hui ho kintu kyun nahi baja,iska jawab toh saamne hai....

NOX-saamne hai matlab!!!

MARILIZA-FORBIDDEN FOREST....

iske chaaron taraf lage abhedya SHIELD apne andar ke saath saath aas paas ghati saari ghatna ke asar ko chupaane me saksham hain...

inhi ki wajah se aas paas ghati badi se badi ghatna ki khabar bhi CHOSENS tak nahi pahunch sakti..

VIOLET-iska matlab un teen SAVENTS ke saath kya hua tha,wo is waqt kahan hain,kis haal me hain, kya iske baare me kabhi pata nahi chal paayega...????

MARILIZA- jo dikh raha hai, samajh me aa raha hai,baat sirf utni hi nahi hai...kuch bohot hi bada hua hai yahan...!!!!aur jo bhi hua hai,wo koi akasmat ghatne waali ghatna nahi hai....

itna sab hona wo bhi ek saath koi ittefak nahi ho sakta....

aur jaise ye ghatna sadharan nahi hai, waise hi isse rachne waala bhi maamuli nahi hai....

kyunki baat agar sirf un teen SAVENTS ki hoti toh fir bhi is gutthi ko kisi naa kisi tarah suljhaya jaa sakta tha,par 25 hazar saalon baad aaj achanak FORBIDDEN FOREST ke SHIELD ka badalna,ye toh hamare soch ki hadh se baahar ki ghatna hai....


WHIZZ MARILIZA ki baat sun chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS chownke...jo MARILIZA ne abhi kaha tha,wo toh wakayi kisi maha chamatkar se kam nahi tha...


VIOLET-SHIELD ka badalna!!! FORBIDDEN FOREST ki shield badal gayi....!!!par ye kaise sambhav hai...????aur aap ye kis aadhar par keh rahi hain...

MARILIZA-har WHIZZ aur WHIZZDER ke sikhane ka apna ek tarika hota hai...

jab mai yahan SAVENT thi,toh apne sharir ko ek shaktishali hathiyar aur kawach,dono me badalne ki practice ke liye hamare WHIZZDER hume yahin laaya karte the...

issi FORBIDDEN FOREST ki shield par hum abhyas kiya karte the...yahan biche SHIELD aur uski urja se bhali bhaali parichit hun mai....

aur is waqt jo shakti aur urja mai mehsoos kar rahi hun,wo us shield ki nahi hai jo pichle 25 thousand saal se is FOREST ko guard kar rahi thi....

ye ek nahi shield hai par sabse zyada aascharya ki baat ye hai ki is SHIELD ki urja pehle waali shield se bhi zyada hai....

wo SHIELD SOVEREIGN'S ki shakti ke ek bohot bade bhaag se bani thi,aur ye nayi shield usse bhi zyada taakatwar hai,toh zara socho ki isse lagane waala kitna shaktishaali hoga!!!

aur ho naa ho,jisne ye shield lagayi hai,ussine un teeno SAVENTS ko bhi gayab kiya hai....

VIOLET-par sawal hai kyun??? SAVENTS ko gayab karna, FORBIDDEN FOREST ki SHIELD ko hatana nahi apitu usse badal dena,itna sab aakhir kyun????

MARILIZA-jo hona tha,wo ho chuka hai...usse badla nahi jaa sakta...ab dekhna ye hai,ki aage kya hoga...???

kyunki jaise jo ho chuka hai,usse socha ya predict nahi kiya jaa sakta tha,waise hi jo hoga,usse bhi predict karna kaafi mushkil hone waala hai....

ye puri gutthi un teen gumshuda SAVENTS me se ek SAVENT ke naam ki tarah hi hai...RAAZ.......





BACK TO RAAZ:-




WO CHAAR DHABBE DIKH RAHE HAIN....WAHI HAIN WO CHAAR PLANETS AUR AAPKI MANZIL....


FORBIDDEN FOREST se gayab hokar mai aur WOOGER ki wo urja roopi ray antariksh ke kisi andheri jagah par pahunchte the...

yahan pahunchte hi khud ki roshni ke daayre ko badhate hue WOOGER ki urja ne ek patli par behad strong ray aage ki taraf chhodi...

wo ray aage badhti hui sidhe jaakar ek bade se dhabbe se jo ki planet tha, usse takrayi aur aisa hote hi us dhabbe numa planet se bhi ek ray nikli jo ek disha me badh chali aur kuch hi seconds me hume us ray se nikalte tez ujale ki chamak me kul chaar dhabbe dikhayi diye...

ye dhabbe hi the wo chaar PLANETS......RENAISS,ANGIS, ANNJAYA,ZEAL....wo chaar planets jinse mera adhura wajood pura hone waala tha...

ye chaaron planets ek dusre se kayi light years door the par fir bhi in chaaron ke beech ek alignment thi,ek connection tha...

ye chaaron planets ek dusre ke bilkul seedh me the...hum in chaaron planets se hi kaafi door the par bade bade dhabbe ke roop me inke hone ka abhaas mujhe ho raha tha....

un chaaron planets ke position ko dekh....


MAI-ye left side jo first planet hai,yahi RENAISS hai naa matlab BRAIN....

WOOGER-haan....uske baad ANGIS planet hai,fir ANNJAYA hai aur aakhir me ZEAL....

MAI-ye planets kaale dhabbon ki tarah kyun dikh rahe hain...aur ye PLANETS jis system ka hissa hain,uska star matlab suraj kahan hai..???

yahan se dekhne par toh in chaaron hi PLANETS ke kisi bhi bhaag par surya ki roshni nahi dikh rahi hai...????

WOOGER-wo isiliye kyunki in planets ka koi star ya suraj hai hi nahi....aur yeh chaaron planets DEAD PLANETS hain....

yahan jeeven ka waas nahi hai....

MAI-jeeven ka waas nahi hai!!!par tumne toh kaha tha naa ki ye mera paanchwa janm hai...

aur in planets par hi toh mere pichle chaar janm beete hain....toh fir ye dead planets kaise ho gaye????

WOOGER-ye aapka paanchwa janm hi hai par human form me aapne pehli baar saans li hai...

isse pehle ke aapke chaaron janm unhi cheezon ko roop me the jo is waqt aapke andar nahi hain...

BRAIN,BODY,BLOOD aur SOUL.....


ab ye ek nayi aur ajeebo garib baat thi....janm toh hua par bas mere alag alag body parts ka....gazab....

is naye khulase se sawal toh bohot ubhre mere andar par maine kuch pucha nahi kyunki mai jaanta tha ki abhi jo jawab mujhe milenge,unhe sirf mai sun paaunga,par puri tarah se samajhne ka waqt abhi aaya nahi tha...

ye sirf tabhi ho sakta tha jab mai apne missing parts ko in chaaron planets se haasil karun....

aur isiliye.....


MAI-toh hume pehle RENAISS jaana hoga naa...!!!!

WOOGER-nahi..pehle hume ZEAL jaana hoga....

MAI-ZEAL....!!!matlab soul...mujhe pehle apna SOUL haasil karna hoga...???

WOOGER-nahi...haasil toh aapko pehle apna subconscious brain hi karna hai par....

usse bhi pehle kuch hai,jo dekhna aapko zaroori hai.....


apni baat puri kar WOOGER ki urja ne mujhe apni chapet me liya jiske baad mai aur wo gayab ho gaye....





ZEAL....THE SOUL:-



YE DHUAN KAISA....????


gayab ho hum sidhe ZEAL ke atmosphere ke andar prakat hue...

prakat hote hi jab maine niche dekha toh mujhe kahin bhi zamin nahi dikhi...dikha toh sirf gaadha dhuan.....

jo pure planet me faila hua tha...bhale hi dhuan gas ke form me hota hai par ye jo dhuan hamare niche dikh raha tha,usse ek behad strong solid force mujhe feel ho rahi thi...

ek aisa force jisse dekh lag raha tha ki agar isse chhu bhar lo toh sharir ko nichodte hue ye dhuan usse raakh me badal dega....

maine us dhuen ko dekh apna sawal pucha tha jiske baad....


WOOGER-ye aapke SOUL ka AURA hai jo pure planet me faila hua hai...

MAI-tumne kaha tha ki pehle mujhe kuch dekhna hai...par yahan hum kya dekh paayenge...yahan toh pura Planet hi is dhuen numa AURA ki chapet me hain....

WOOGER-zyada der tak nahi....


WOOGER ki urja ke aisa kehte hi us urja ke andar se ek badi si transparent sheeshi nikli jiske andar ek neela drav dikh raha tha...

ye sab dekh maine kuch kaha nahi kyunki mai jaanta tha ki jab aagaz hua hai toh anjaam bhi hona hi hai....

WOOGER ki urja se wo neele drav se bhari sheeshi nikli aur aisa hone ke agle hi pal us sheeshi ke upar jo knob laga tha,wo khul gaya...

knob ke khulte hi wo sheeshi apne aap ulti ho gayi aur aisa hone par us sheeshi me jo neela drav tha,wo neeche gir gaya....

neeche girta hua wo neela drav is planet ke upar tairte dhuen me samata chala gaya...

ye sab kya hai,mai ye soch hi raha tha ki tabhi kuch aisa hua ki....


MAI-AMMMAAAZZZIIINNNGGGG....


mere mooh se taarif ka ye shabd nikla...

reason....

dhuen me vilin hone waala wo neela drav us dhuen ke beech se hokar neeche zamin par chala gaya tha aur jaise hi us drav ne zamin ki satah ko chhua......

uske agle hi pal pura drishya hi badal gaya...jahan abhi tak wo jagah, wo planet jahan hum the,wo dead thi,har taraf bas dhuan hi dhuan tha,us jagah ka pura nazara change ho chuka tha...

dekhte hi dekhte kuch hi seconds me wo dead planet ek living planet me badal gaya....

pura dhuan chhat chuka tha aur ab humare neeche hare bhare pedon se dhaka ek jungle dikha raha tha....

maine apni nazar har taraf ghumayi toh maine dekha ki ye jagah kisi vintage riyasat ki tarah thi...

humare neeche ek jungle tha wahin humse kuch hi kms door right side par wo jungle khatm ho raha tha aur shuru ho raha tha koi kingdom....

us kingdom ki banawat ko dekh maine andaza lagaya tha ki ye ek vintage jagah hai..

mai ye sab dekh hi raha tha ki tabhi mera sharir neeche zamin ki taraf jaane laga...

mere saath saath WOOGER ki urja bhi neeche aa rahi thi.

kuch hi palon me hum neeche hari hari ghaas se bhari zamin par the....

kuch der yahan wahan dekhne ke baad is naye chamatkar ke baare me WOOGER se mai puchne hi waala tha ki tabhi.....



TUGDUG...TUGDUG....TUGDUG...TUGDUG....


kisi ke behad tezi se hamari taraf badhne ki aahat mere kaano me pahunchi jisse sun maine aa rahi awaaz ki disha me dekha toh....

sweth rang ke bohot hi khubsoorat ghode par ek usse bhi aakarshak vyaktitv ka yuvak baitha humari taraf aa raha tha...

khule hue lambe baal aur baalisht sharir se dhani us yuvak ke netra hamari taraf hi tike hue the...

par hairani mujhe tab hui jab ek haath me baan aur dusre haath se ussi baan par pratyancha chadha usne hamari taraf nishana saadha....

aur meri hairani tab aur badh gayi jab hamare behad kareeb aane ke baad bhi uske ghode ne apni disha nahi badli...

aisa lag raha tha maano yaa toh wo yuvak hume apne baano se maar girayega yaa fir uska ghoda hume kuchal dega....

ye sab dekh mai ek taraf hone ko hua par tabhi.....


WOOGER-aapko hatne ya chhupne ki koi awashyakta nahi hai....bas khade rahiye,kuch nahi hoga...


WOOGER ke urja ki baat sun jab maine uski taraf dekha toh...


WOOGER-vishwas rakhiye....


WOOGER ki baat ke baad maine bhi sochna chhodna aur saamne dekhne laga....

ab tak wo ghode par baitha yuvak hamare behad kareeb aa gaya tha..ghode se halka upar uth hamari hi taraf apni pratyancha ko taan usne teer chhod diya...

wo teer tezi se hamari taraf badha..us teer ka nishana theek mere sir ka madhya bhaag tha....

sansanate hue aage badhta hua wo teer mere karib aata gaya aur fir...


SOOBH.....

ye awaaz nikalta hua wo teer mere sir ko bina chhue,uske beech me se hote hue paar nikal gaya aur fir....


QNNNNQNNNNNQNNNN.....


ek tadapti hui si awaaz aayi mere piche se... jab maine palat kar dekha toh paaya ki mujhse thodi door par ek cheetah gira pada hai aur us teer ne usse hi bheda hai....

ye scene dekh jab maine wapas saamne dekha toh paaya ki ab tak wo ghoda thik mere kareeb pahunch chuka tha aur agle hi pal....

us teer ki hi tarah wo ghoda bhi mujhe bina chhue mere beech mese hote hue nikal gaya...

mujhe paar kar wo yuvak us ghode par baitha aage badhta chala gaya aur us cheeteh ke paas pahunch usme dhase teer ko usne ghode par baithe baithe hi kheencha jisse wo teer us cheeteh ke saath uske ghode par aa gaya....

apne ghode me us mrit cheeteh ko liye wo yuvak aage badh chuka tha.....

ye sab dekhne ke baad jab maine WOOGER roopi urja ki taraf dekha toh....


WOOGER-ye sab ek DRISHYAM hai....aaj se 50 hazar saal pehle ghati ghatna ka DRISHYAM....

MAI-par mera isse kya lena dena...???

WOOGER-pehle aap mujhe ek baat bataiye..???ab tak jitna bhi aapko khudke baare me pata chala hai,usse aap apne nirman ka kya nishkarsh nikalte hain...???

MAI-maksad...kisi khaas maksad ko pura karne ke liye hi mera wajud hai...

WOOGER-bilkul sahi...kintu jis maksad ke liye aapko chuna gaya hai,uske liye aapse pehle us yuvak ko chuna gaya tha jisse abhi abhi humne yahan ghode par sawar dekha tha...

kintu wo prayas asafal raha tha...aur isiliye aapka nirman hua...???aur wo bhi bohot hi alag tarah se....

taaki jo galti pehle ki gayi thi,
us galti ko dobara dohrana naa pade....

MAI-matlab mai bhi bas ek prayas hun..jo pehle ki hi tarah galat bhi ho sakta hai...

WOOGER-bilkul..aur isiliye hi is grah ke vinash ke baad bhi yahan ke DRISHYAM ko sambhal kar rakha gaya tha....

taaki aap isse dekh sako...aur samajh sako ki chuk kahan hui....????

aap abhi yahan ek ke baad ek us yuvak ki kayi jhalkiyan dekhenge jisme uska vyaktiv,aur uska hunar nazar aayega aur aakhir me wo drishya dikhega jab is grah aur yahan rehne waale laakhon bekasoor logon ka samuh vinash ho gaya tha....

yahan se jaane ke baad jab aap apne pehle padhav RENAISS ke saamne pahunchenge,tab aapko apne hi subconscious brain ko jisse lene aap wahan jaane waale hain,usse ek line me batana hoga ki kyun asafal raha tha ye yuvak...

agar aapka jawab sahi hua,sirf tabhi aap RENAISS planet me enter kar paayenge warna is yuvak ki hi tarah aapka bhi anth ho jaayega.....

MAI-jo yuvak abhi yahan se gaya,jisse mujhse pehle chuna gaya tha,uska naam kya tha....???

WOOGER-..........VIKRAM..........








AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V...J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SWEEP-STAKE COMPETITION KA DUSRA TASK SHURU HO CHUKA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ PLANET ZEAL PAR PAHUNCH CHUKA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-37



PLANET-ZEAL


PLACE-NEAR ZEAL'S CAVERN




ye CAVERN (a big cave) toh earth ke sabse bade CAVERN HANG SON DOONG se bhi bada dikh raha hai...(fact...earth ka ye cave veitnam me hai..)

par ye ladka VIKRAM yahan kya kar raha hai???and more importantly mai yahan kya kar raha hun...???


is waqt hum ZEAL grah ke is kingdom ke border par bane ek bohot hi bade CAVERN,ek gufa se kuch door khade the...

wahin VIKRAM apne ghode me baitha us CAVERN ko dekh raha tha....


WOOGER-is gufa me ek vastu hai,aur ussi vastu se is pure adhyay ki rachna ka aarambh hua hai.....

jaisa ki aapko pata hai ki ZEAL ka arth SOUL hota hai...

par ye naam is grah ko ussi vastu ki wajah se mila hai jo is gufa ke andar hai...

us vastu ki shakti se is planet ko iski aatma mili jisse yahan jeeven shuru hua...

jo nazare aap dekh rahe hain,unki rachna hui....

par ussi vastu ki wajah se is planet ka sarvnaash bhi hua....

filhal hum ek drishyam me hain...ek bhuli hui kahani jo sirf aapko dikhane ke liye sambhal kar rakhi gayi thi kintu is bhuli hui kahani me agar ab bhi kuch bacha hai toh wo hai ye gufa aur iske andar rakhi wo vastu....

aur us vastu me hai aapki SOUL jisse aapko haasil karna hai....

MAI-wo VIKRAM us gufa ki taraf kyun dekh raha hai..??kya usse maalum hai ki us gufa me kya hai...???

WOOGER-ye har din jungle ke madhya bane vishal jharne ke paas shashtr vidya ke adhyan ke liye jaata tha...

jaate aur aate dono hi waqt,ye yahan is CAVERN ke baahar rook usse thodi der tak dekhte rehta hai aur fir chala jaata hai....

aur rahi baat uske is gufa ke secret ko jaanane ki toh usse aadhi hi baat pata hai...

usse ye pata hai ki is gufa se hi uske Planet ka astitv bana hai...usse bas itna gyat hai is planet par jeeven ka rahasya us gufa ke andar se hai....

MAI-kisne batayi usse ye baat..???

WOOGER- is sawal ka jawab hi hai aapka pehla drishyam.....


WOOGER ke aisa kehte hi hamare samne ka scene change ho gaya....



SCENE-1


is waqt hum kisi aur jagah par the aur abhi raat ka samay tha...ye ek basti jaisi jagah thi jahan mashale jal rahi thi aur humse thik aage ek reth ka bada sa akhada tha jisme is waqt 6 logon ke beech malyudh ho raha tha jisse hamare dekhte hi dekhte unme se ek ne jeet liya...


WOOGER-is waqt hum is planet ke shuruati dour ke DRISHYAM ko dekh rahe hain...

sadiyon pehle jab is planet ka nirman hua,aur yahan logon ka vaas hua toh is jagah ko chalane ke liye kisi ek vyakti ka chunaav hona tha aur jo mal yudh hum dekh rahe hain,yahi tha wo tarika jisse us vakt ke sabse shaktishali manushya ko yahan ka sardar banaya gaya...

jo abhi is malyudh me jeeta hai,wahi tha ZEAL ka sabse pehla shashak....


WOOGER ke aisa kehte hi drishya phir badal gaya....



SCENE-2


is drishya me wahi manushya jo ki ZEAL ka pehla shashak tha,wo ek safar par nikla hua tha....


j
WOOGER-ye jaanane ke liye ki ye planet kitna bada hai, is shashak ne apne kuch vishwas paatr logon ke saath is planet ka bhraman karna shuru kiya aur pahuncha is jagah par....


ek baar firse hamare saamne wo CAVERN tha par ek alag dour me...


WOOGER- jab isne is gufa ko dekha aur iske andar se aarahi beintihan urja ko mehsoos kiya toh usse andar jaane ka man kiya...


WOOGER ki baat sunte hue maine saamne dekha toh paaya ki us shashak ne apne ek daas ko andar jaane ke liye kaha aur uski baat maan jaise hi us daas ne gufa ke muhane me pahunch andar kadam rakhne ki koshish ki toh wo bhasm ho gaya....


MAI-arre,ye kya hua????

WOOGER-dekhte jaaiye....


WOOGER ke kehne par jab maine saamne dekha toh....


us aadmi ke bhasm hote hi us gufa ke baahar hawa me hi bade bade aksharon me kuch likhana shuru ho gaya...

ye lekhni thi ZEAL planet ke baare me...jab wahan ye likhaya ki is gufa aur iske andar rakhe vastu ki wajah se hi ZEAL planet me jeevan ka vaas shuru hua hai tab sabhi chakit rah gaye.....

is sacchayi ko sun abhi sabhi chakit ho hi rahe the ki tabhi wo akshar mit gaye aur unki jagah naye aksharon ne le li jisse padh wo sabhi log aur chakit ho gaye....

kyunki ab wahan jo likha tha wo ek tarah ki bhavishyawaani thi jo keh rahi thi ki....


rogiyon ke beech wo
akela AAROGYA HOGA....

jo mere RAAZ ko

jaanane aur sambhalne
ke YOGYA HOGA.....


ye shabd likhaye the us gufa me muhane par jiske padhne ke baad wo shashak ye samajh gaya ki har koi us gufa ke andar nahi jaa sakta...

infact sirf koi ek deserving banda hi us gufa ke andar jaa paayega...

in adhbhudh sachayiyon ko dekh aur samajh wo shashak apne daason ke saath wahan se chala gaya....

par usne tay kiya ki itni aloukik aur adhbhudh jagah se wo door nahi jaayega aur isiliye usne is gufa se kuch door ek nagri basayi aur wahin rehkar is pure Planet ka sanchalan karne laga....

jo gufa ne bhavishyawaani ki thi,ussi ko adhaar bana saal mese kisi ek din us shashak ne apne planet ke sabse kaabil aur honhaar logon ko us gufa ke andar jaane ki baat kahi aur saath hi ye ghosna bhi kiya ki jo koi aisa karne me kaamiyab hoga,us din se wahi vyakti aur uske baad uske vanshaj hi is planet par raaj karenge....

SCENE ENDS....



ye saare drishya dekhne ke baad hamara drishyam gayab ho gaya aur hum ab wapas apne original waqt me aa chuke the aur ussi gufa ke saamne khade the,par is baar wo VIKRAM wahan nahi tha,wo jaa chuka tha.....


WOOGER-us ghoshna ke baad har saal kisi ek din is planet ke sabse hunarmand log us gufa me ghusne ki koshish karte the...

par koi bhi kaamiyab nahi hua....aur isiliye tab se lekar is planet ke tabah hone tak ussi pehle shashak ke vanshajon ne hi is planet par raaj kiya...

MAI-hmm..matlab ye VIKRAM bhi ussi vansh ka vanshaj tha....!!!

WOOGER-haan wo vanshaj toh tha par uttaradhikari nahi....

MAI-matlab....!!!!


mere aisa kehte hi drishya change ho gaya jiska matlab tha ki ab hum ek naye DRISHYAM me the.....



SCENE-3



TUMHARA ITNA DUSSAHAS KI HUMSE PRATIKSHA KARWAO...

ITNA ADHIK WAQT LAG GAYA TUMHE JAL KA EK PYALA HAMARE PAAS LAANE ME....


ye bolte hue ek bade se mahal ke beecho beech bane garden me baithe ek chote se Rajkumar ne apne saamne khade sewak ke haathon se jal ka wo pyala liya aur ussi jal ko us sewak ke mooh me fek diya jisse wo dara hua sewak aur dar gaya....


SEWAK-skshama Rajkumar..... kintu mujhse vilamb nahi hua hai...is udyan se rasoi grah kaafi door hai...wahan jaakar jal yahan tak laane me thoda waqt lag jaata hai rajkumar....

RAJKUMAR-jab humne keh diya tha ki tumhe vilamb hua hai toh iska arth hai ki tumse vilamb hua hai..

tumhara itna dushaas ki tum humse zuban ladao.... humari baat ko kaato....

sipahiyon,le jaao is batamizz ko aur iski nangi peeth par 100 kode barsao.... iski dardnaakh cheekh pure mehel me gunj hamare kaano tak pahunchni chahiye....


Rajkumar ki baat sun us sewak ki rooh kaamp gayi...wo kuch kehta usse pehle hi wahan khade 2 sipahiyon ne usse pakad liya aur lejaane lage par tabhi....


RUK JAAO.....CHHOD DO US USSE.....


ye awaaz un sipahiyon ke piche se aayi thi jisse sun jab un sipahiyon ne turant us sewak ko chhod diya...

wahin is awaaz ko sun us sewak ke dand ko nirdharit karne waale rajkumar ke chehre par naagwaari ke bhaav utpann ho gaye....

wahin wo jisne sipahiyon ko rukne ke liye kaha tha,wo chalta hua aage aaya aur rajkumar ke saamne khada ho gaya....


RAJKUMAR-bhrata VIKRAM....aap har baar hamare faislon ke beech kyun aa jaate hain....???

VIKRAM-kyunki tum hamesha galat faisle hi lete ho....


VIKRAM jiske drishyam ko dekhne ke liye RAAZ yahan pahuncha tha,ye wahi tha aur ye DRISHYAM tha uske baal kaal ka...

VIKRAM us rajkumar ka bada bhai tha par umar me usse bas ek saal hi bada tha....

dono hi bhai sikke ke do alag pehluon ki tarah the...jahan Vikram ek shaant aur sacha baccha tha wahin uska chota bhai choti si umar me hi behad hi negetive, egoistic aur bigda hua tha....

aur iska kaaran tha uska raajshri pariwaar..sadiyon se ZEAL planet ke shahshak hone ki wajah se ye parivaar apne aap ko is planet ka bhagwaan maanane laga tha...

unka bas yahi maanana tha ki jo bhi wo karenge,woh sahi hoga...aur sabke liye anniwarya bhi...

unhe kisi aur ki feelings se koi matlab nahi rehta tha.par inke negetive parivaar me VIKRAM inke ulat positive paida hua tha...

uska vyavahar udaar tha..wo har kisi ki kadar karta tha....par uski ye aadat uske pure pariwaar me kisiko bhi pasand nahi thi....aur isiliye...


RAJKUMAR-agar faisla humne kiya hai toh wo sahi hi hoga....aur waise bhi maamla humara hai..

aur isse hum jaisa chaahenge,waise niptayenge....isiliye dobara humare maarg me aane ki aap koshish naa karen toh behtar hoga...


apne chote bhai ki baat sun VIKRAM ko ghussa toh bohot aaya par usne apne ghusse ko dabaya aur....


VIKRAM-kisi par anyay karna kabhi sahi nahi ho sakta mere bhai...mujhe apne raaste se door raho,ye kehne sa acha hai ki tum apna rasta badal lo...

RAJKUMAR-hum rajkumar hain aur is Planet ke bhaavi maharaj bhi..aur ek raaja apna raasta kabhi nahi badalta....

par aap ye nahi samajhenge....kyunki naa aapki soch raajsi hai aur naahi apke khoon me ubal hamare pitah sa hai...


CHATAAKKH......


Rajkumar ki baat sun VIKRAM ne usse ek zor ka tamacha maar diya jiske baad wo ghusse se rote hue mahal ki taraf bhaag gaya aur aisa hone je kuch der baad....


KYA TUMNE APNE CHOTE BHAI PAR HAATH UTHAYA....???

VIKRAM-haan par.....


CHATAAKHHH..CHATAKHHH.....CHATAKKHHHH.....


aage kuch bol nahi paaya VIKRAM...

wo kuch kehta usse pehle hi uske gaal par lagatar teen thappad pade jisse uske honth tak phat gaye...

VIKRAM ko ye thappad maare the khud uske pitah ne...

reason....

vikram ne jaise hi apne chote bhai par haath uthaya toh uska bhai sidhe apne pitah ke paas gaya aur badha chada kar VIKRAM ki burayi karne laga jiske baad VIKRAM se unhone sawal pucha aur aadha jawab milte hi usko lagatar teen thappad pada....


KING-mujhe vishwas nahi hota ki tu sach me hamara hi khun hai...????

kyunki hamara khun itna thanda nahi ho sakta.....


thappad padne se VIKRAM ka dimag kuch seconds ke liye sunya ho gaya tha par jab wo sambhla toh...


VIKRAM-par pitashri hamara apraadh kya hai..???humne toh bas us nirdosh vyakti ko bachaya tha....

aur chote rajkumar ki abhadra baat ki wajah se humne unpar haath utahaya tha...


KING-us aadmi ko pesh kiya jaaye....


VIKRAM ki baat sunane ke baad uske pitah ne zor se chillate hue ye aadesh diya jiske agle hi pal....


dhamm.......


is awaaz ke saath ek vyakti us king ke kadmo me gira..

ye wahi aadmi tha jisse thodi der pehle VIKRAM ne bachaya tha....

neeche gir us aadmi ne apna sir upar kiya aur kuch kehne ko hua par tabhi...


SWSSSSS........


behad zor se chali KING ki talwar jiske agle pal us aadmi ka sir uske dhadh se alag hokar VIKRAM jo thoda piche hi khada tha,uske pairon ke paas giri....

is drishya ko dekh VIKRAM ki aankhen jaise pathra si gayi thi..wo jadwath hokar ekdum sthir khada ho gaya tha....

wo waise hi rehta par tabhi King ki awaaz uske kaano me gunj uthi....


KING-isse humne nahi,tumne maara hai VIKRAM......bhale hi iska sir hamari talwar dwara kata hai kintu iska kaaran sirf aur sirf tum ho....

agar tumne rajkumar ki baaton ke beech hastakshep kar isse us dand se nahi bachaya hota jo rajkumar ne iske liye nirdharit kiya hai,toh abhi ye zinda rehta....

ab meri baat kaan kholkar suno....is planet me sirf hum aur hamara parivaar jo chahenge,wahi hoga..hamara har faisla yahan ke basne waale har vyakti ka mukkadar hai....

hamara diya har dand yahan rehne waale har manushya ki niyati hai....

jitni jaldi ho sake,is satya ko maano aur jaisa har raajshi khoon karta aaya hai,waisa aacharan dhaaran kar lo warna hum tumhe is mahal aur apni zindagi se nikal fekenge...

aadhi baat hi sun paaya VIKRAM...uska aadha dhyan toh ab bhi us kate hue sir ki taraf tha...aasuon se bhar gaya VIKRAM ka chehra....

kuch der tak yunhi thaga sa khade rehne ke baad wo apne pitah ke saamne se aur saath hi us mahal se hamesha hamesha ke liye nikal gaya....




SCENE ENDS:-



ye sab dikhane ke baad DRISHYAM gayab ho gaya.....

drishyam dekhte waqt jahan meri aankhen us chal rahe chalchitra ki taraf thi wahin WOOGER ki urja ka dhyan meri taraf tha..

par pure scene me mere expressions kahin bhi nahi badle..maine yunhi pura scene dekhta raha tha...

aur ab jab drishyam khatm ho chuka tha toh meri nazar saamne dikh rahe gufa ke taraf thi...


WOOGER-koi sawal!!!!

MAI-ye sab bas ek drishyam hai,right???matlab live kuch nahi hai,bas jo ho chuka hai,ussi ghatna ke alag alag clips hain...

toh kya abhi mai is gufa me nahi jas sakta..matlab andar se dekhne bhar ke liye...?!!!

WOOGER-is pure planet ko shakti ussi gufa ke andar rakhe vastu se hi milti thi....wo vastu yahan rehne waale har jeev ko jaanta tha..

yahi nahi,agar koi baahar se bhi aaye tab bhi us vyakti ke is planet par pair rakhte hi uske baare me wo vastu sab kuch jaan leti thi...

bhale hi ab ye planet dead planet hain,par ye gufa aaj bhi yahan moujud hai...aur iski shakti aaj bhi utni hi prabal hai...

MAI-wo sab toh thik hai par ye jo gufa dikh rahi hai,ye bhi toh bas ek drishyam hi hai naa...original thodi naa hai...

WOOGER-suraj dharti se carodon meel door hota hai par phir bhi uski tapish har dharti mehsoos karti hai....agar aapko bhi karni hai toh koshish karkar dekh lijiye....


WOOGER ki baat sun mai aage badha aur sidhe us gufa ke baahar
jaakar khada hi gaya...

saamne andhera tha..kuch seconds rook jaise hi maine apna ek pair aage badhaya toh....


DHOOB......

ek tez jhatka laga mujhe aur mai wapas jahan se chala tha,wahin aakar gira....

MAI-ye kya tha????ek yaad me itni taakat...!!!!

WOOGER-maine jis tapish ki baat ki thi,ye wahi tha...

agar ye asliyat hota toh aap bhi raakh ho chuke hote.....




PLANET-ELYSIAN




PLACE-SWEEP-STAKE





YE RAAZ KAHAAN CHALA GAYA HAI...???KAAFI DER SE DIKH NAHI RAHA.....!!!!


FLORIN ki baat sun MARIA ne bhi RAAZ ke stand ki taraf dekha jahan se RAAZ nadarad tha....


MARIA-aap jaante toh ho usse..wahi karta hai jo uska dil kehta hai....competition dekhne ka man nahi hoga isiliye bahar chala gaya hoga...



STELLAR'S STAND


YE RAAZ ABHI TAK KAISE NAHI LOUTA...AUR WO DONO ACCHUTA AUR SLUNDER,WO BHI NAHI DIKH RAHE HAIN....

KAHIN MAINE JO RAY US RAAZ PAR PHEKI THI,USKA ASAR ZYADA SERIOUS TOH NAHI HO GAYA....!!!!


RAAZ ke stand ki taraf nazar ghumaye hue ALFREEN ye baatein badbada rahi thi....


MABEL-arre tu wahan kahan dekh rahi hai....???saamne dekh, competition kaafi interesting hota hua lag raha hai.....


MABEL ki baat sun apni sochon ko jhatak jab ALFREEN ne saamne dekha toh....


SWWWWW...SWWWWWW.......


WICKEDS ki team jo ki dhaal ka roop dhar aa rahe baano se khudko bacha rahi thi,us dhaal ke beecho beech ek ubhar aana shuru hua aur aisa hone ke agle hi pal us ubhar ke beech behad teevr gati se ek baan nikla aur aage ki taraf badh gaya.....


par kyun???aayiye pehle ye jaan lete hain...

darasal dhaal ka roop liye WICKEDS behad dhyan aur baariki se un anginat baano ko dekh rahe the...

lagatar kaafi waqt tak dekhte rehne ke baad unhe kuch alag dikhayi diya...

alag ye tha ki un anginat baano ki varsha ke beech rah rah kar kuch seconds ke antaral me ek baan unki taraf aa raha tha jisse halka prakash nikal raha tha....

aur jab bhi wo baan unki taraf aata toh us waqt us baan ke aage peeche koi aur baan nahi hota tha....

ye dekh WICKEDS ko laga ki ho naa ho par in asankhya baano ke beech ye halka chamakdaar baan ZUNYATA matlab UNREAL hai...

aur ye abbhas hote hi is dhaal ke madhya ki jagah par jo SAVENT tha,usne apna roop ek baar firse badla aur second ke 10we hisse se bhi kam samay me ek baan ka roop dhar wo us dhaal ke madhya se hota hua aage nikla aur jaisa ki maine bataya tha ki us chamkile baan ke aage aur piche koi baan nahi hota tha,isiliye wo SAVENT numa baan bina kisi avrodh ke aage badhta hua gaya aur sidhe us chamkile baan se takra gaya aur jaise hi ye hua toh.....


BOOM..........


is awaaz ke saath pura STADIUM ek tez roshni se jagmaga utha aur tabhi WHIZZ ki awaaz gunj uthi...


MABBA-SECOND TASK COMPLETED....

WINNERS,WICKEDS.....


par kyunki ye competition best of three tha aur pehle do task ke winners WICKEDS rahe hain, isiliye is second task ke saath ye competition bhi yahin khatm hota hai aur isiliye with a clean sweep, is saal ke SWEEP-STAKE competition ke winner hain WICKEDS......


jahan MABBA ki anouncement ke baad WICKEDS ke samarthakon se bhara aadha STADIUM unki awaaz numa hooting se gunj utha wahin dusri taraf MORALS ke supporters se bhara baaki ka aadha STADIUM ek dum khamosh ho chuka tha...

is khamoshi me MAHI, MABEL aur ALFREEN bhi shaamil the...yunhi udaas ho wo teen apni apni seats se uthe aur baahar nikalne ko hue hi the ki....


MAINE KAHA THA, CHAMPION HONA AUR CHAMPION KI TARAH HONA,IN DONO BAATON ME FARK HOTA HAI....


is awaaz ko sun MAHI, MABEL aur ALFREEN palte toh unhone dekha ki unke saamne MORANA, ANWIR aur unke kuch saathi khade hain....


ANWIR- CHOSENS ke pichle 25 thousand years ke itihaas me aisa bohot kam baar hua hai jab MORALS se WICKEDS ko haraya ho warna is baar ki hi tarah har baar in MORALS ki izzat hi utarti aayi hai....

isiliye yahan se jaane ke baad dobara sochna... ek WICKED ka ATTITUDE hi success ki chabi hai...

apna lo isse,faayde me rahogi....


MAHI ko dekhte hue ANWIR ne ye baat kahi jisse sun...


MAHI-har addhyaya,har chapter kahin naa kahin se shuru hota hi hai...

zaroori toh nahi ki pichle 25 hazar saal se jo hota aa raha hai,wahi aage bhi hoga...

isiliye tum hamari nahi apni fikr karo.. kyunki jis din hum PHASE 2 me aaye,tumhare aur tumhare jaise ka CHAPTER khatm ho jaayega,aur shuru hoga CHAPTER 2.....

apni baat bol apne dono friends ke saath nikal gayi MAHI is baat se anjaan ki flow flow me usne bata diya hai ki ye chapter ab khatm hone ke kagar par hai and now its time to announce the next chapter......


(UNEARTH THE IMMORTAL)

second chapters name.....







AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAPKA APNA V..J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF WICKEDS SWEEP-STAKE COMPETITION KO JEET JAATE HAIN WAHIN DUSRI TARAF WOOGER RAAZ KO VIKRAM KE BAALYA KAAL KI JHALKIYAN DIKHATA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-38



PLANET-ELYSIAN


PLACE-ALFREEN'S ABODE




HUM ALREADY LATE HO CHUKE HAIN AUR TU ABHI TAK BREAKFAST HI KAR RAHI HAI....


hall me kadam rakhte hi MAHI ne ALFREEN ko jo ki abhi breakfast kar rahi thi,dekhte hue ye baat kahi jispar....


ALFREEN-tu toh INSTITUTION jaane ke liye aise excited ho rahi hai jaise aaj yahan par hamara pehla din ho....!!!

MAHI-first day me bhi itni excitement nahi hui thi jitni mujhe aaj feel ho rahi hai...

ALFREEN-aur aisa kyun???

MAHI-jaise tujhe pata nahi hai...???ye excitement SWEEP-STAKE ki wajah se hai...

kal SWEEP-STAKE COMPETITION ko dekh mujhe feel hua ki maine toh abhi kuch seekha hi nahi hai....

kal MORALS aur WICKEDS ki team jis tarah metaphisycal activities ko anjaam de rahe the,usse dekh mujhe toh Goosebumps aa gaye the...

infact ab bhi jab mai kal ke baare me sochti hun toh mere andar ek adrenaline rush doud uththa hai....


MAHI baat karte waqt bhi kaafi energetic dikh rahi thi jisse dekh....


ALFREEN-wo toh dikh hi raha hai.aisa lag raha hai jaise next SWEEP-STAKE kal hi hone wala hai aur tu dono teams se kisi ek ki captain hai....

MAHI-kal nahi,par dekhna,ek din ye hoga zaroor.....aur haan,teams me koi choice nahi hai,mai sirf MORALS ki team me rahungi,lead karungi aur jeetaungi bhi....


AUR US DIN SABSE ZYADA KHUSHI HUME HOGI....


FLORIN apni wife MARIA ke saath ye bolte hue apne room se hall ki taraf aa rahe the...

MAHI ke paas aakar dono ne hi usse side se hug kiya aur uske sir par apne blessings dete hue haath rakhe....


MAHI-aur jab mujhe trophy milegi toh mai usse aap dono ko dedicate karungi....


kal ANWIR aur MORANA se bahas ke baad jab MAHI baaki MORALS supporters ke saath STADIUM se baahar jaane ko hui toh jaate jaate uski nazar ek baar ground par padi thi jahan MARILIZA WHIZZ SWEEP-STAKE ke winners WICKEDS ko trophy de rahi thi,ussi trophy ko yaad kar MAHI ne ye baat kahi thi....

wahin MAHI ki baat sun FLORIN aur MARIA bhi behad khush aur bhaawuk ho gaye..

itne kam waqt me hi unhe MAHI apni beti si lagne lagi thi aur aaj MAHI ki baat sun unhe ye ehsaas hua tha ki MAHI ke dil me bhi unke liye same feelings hai....


FLORIN-hum intazar karenge us din ka beti....


ek baar firse MAHI ke sir me pyar bhara haath ferte hue FLORIN ne ye baat kahi...

wahin ALFREEN apne mom dad aur MAHI ki bonding,unka pyar dekhkar behad khush ho rahi thi...


MAHI-tu kya daanth dikha rahi hai....ab chalegi bhi ki lunch bhi abhi hi karna hai tujhe....

ALFREEN-ek minute chain nahi rehta tujhe...chal....


paani peekar ALFREEN khadi hui aur apne mom dad ko side hug karkar bye kehte hue MAHI ke saath aage badhne ko hui par tabhi....


FLORIN-ek second baccho.... INSTITUTION se pehle hostel jaakar RAAZ ko birthday wish kar dena.....


FLORIN ki baat sun ALFREEN aur MAHI chownke....


MAHI-aaj uska birthday hai!!!!

FLORIN-haan..yahan aakar itna kuch dekha hai ki ab lagta hai ki ab koi bhi baat par surprise nahi lagega...

ab issi baat ko dekhlo,6 mahine pehle jis din hum yahan aaye the,us din RAAZ ka birthday tha aur time loop ko wajah sirf 6 mahino me RAAZ do saal bada ho gaya hai...

aur aaj uska 18th birthday hai.....


FLORIN ki baat sun ALFREEN aur MAHI ko fir se shock laga...unhe FLORIN ki baat samajh me nahi aayi aur isiliye....


ALFREEN-ye aap kaisi baatein kar rahe hain...???6 mahine me 2 saal ka time loop....!!!!


ALFREEN ki baat sun FLORIN ne kal SWEEP-STAKE ke douran hui us PEACE MAKER ki baatein batayi jisse sun MAHI aur ALFREEN shocked ho gaye....


ALFREEN-man,this place is insane.....pata nahi kya kya RAAZ chuppe hain yahan....


jahan ALFREEN bas is karishmayi duniya ke baare me soch rahi thi wahin...


MAHI-6 mahine pehle jis raat aap dono yahan aaye the,us din RAAZ ka birthday tha....

thats strange.. kyunki us din toh mera bhi birthday tha....

ALFREEN-what.....!!!matlab aaj tera bhi birthday hai....


MAHI ki baat sun khushi se uchalte hue ALFREEN ne ye baat kahi aur turant MAHI ke gale lag gayi....

ALFREEN ke baad FLORIN aur MARIA ne bhi MAHI ke gale lag usse blessings di...

aaj pehli baar tha jab jeete jaagte log MAHI ko uske birthday par wish bhi kar rahe the aur behad khush bhi dikh rahe the aur ye sab dekh MAHI bhi behad khush dikhne lagi thi....


FLORIN-aaj hamari beti ka birthday hai aur hume hi pata nahi tha...

MARIA-par ab toh pata hai naa.... toh kyun naa,ek party rakhi jaaye aur sabse achi baat ye hai ki arrangements ki bhi koi tention nahi hai...

yahan toh bas jo chahiye,usse bolna hota hai aur har chiz aa jaati hai....

tum sab ek kaam karo, INSTITUTION me apne PHASE ke sabhi hostlers aur discholars SAVENTS ko aaj shaam yahan hamare ghar par invite karo....

ALFREEN-fantastic idea....

FLORIN-ek kaam karte hain, RAAZ ka birthday bhi MAHI ke saath hi celebrate kar lete hain...


FLORIN ki baat sun jahan baaki dono normal hi the wahin ALFREEN ka mood bigadne laga tha...


ALFREEN-iski kya zaroorat hai dad....let him be naa....i don't like him...

FLORIN-beta kitni baar kaha hai ki aisa bolna aur sochna is not good....

MARIA-yes AL...tumhe is tarah kisike bhi baare me negetive bilkul bhi sochna nahi chahiye...

par FLORIN...ek baat toh hai,ki RAAZ kabhi bhi party me nahi aayega aur agar hum kisi tarah usse kuch aur bahana bana kar bhi yahan le aaye tab bhi koi faayda toh nahi hoga ulta nuksaan ho jaayega....

tumhe toh pata hai ki usse apna birthday celebrate karna pasand nahi aur isiliye wo kuch aisa bol ya kar dega jisse puri party ka maza hi kharab ho jaayega....

ALFREEN-exactly..aur isiliye mai mana kar rahi thi..uske liye MAHI ka birthday spoil ho,ye mai bardasht nahi karungi....


ghusse me ALFREEN ne ye baat kahi jisse sun....


MAHI-shaant maate shaant..thik hai nahi bulaayenge usse....

FLORIN-haan par usse milkar usse wish zaroor kar dena...

ALFREEN-par pops wo ispar bhi ulta jawab hi dega.....

FLORIN-nahi dega..hostel me bhi jab uske birthday me hum usse wish karte the toh wo thanks toh nahi kehta tha par kuch galat bhi nahi bolta tha..

usse bas celebrations wagarah me interest nahi hota....

MAHI-cool uncle..par abhi toh hum already late ho chuke hain isiliye INSTITUTION se aate waqt usse wish kar denge....

FLORIN/MARIA-thik hai...


baaton baaton me wakayi late ho chuka tha aur isiliye FLORIN aur MARIA ko bye bol MAHI aur ALFREEN turant INSTITUTION ke liye nikal gaye...




PLACE-CHOSEN'S




GUYZZZ.WAHAN CLASS ME NAHI,SABHI SAVENTS GROUND ME HAIN....TUM BHI WAHIN AA JAAO....


VALDIS ki baat sun MAHI aur ALFREEN jo apni class ki taraf jaa rahi thi,wapas palat gayi aur ground ki taraf jaane lagi....


ALFREEN-ye sab SAVENTS aaj ground me kya kar rahe hain???koi naya task milne hai kya aaj!!!

MAHI-agar aisa hua toh maza aa jaayega....


excitement se bhar MAHI aur ALFREEN ground ki taraf badh chali...

ground pahunchte hue dono ne dekha ki unke pure PHASEMATES wahan maujud hain par saamne apne chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ke saath MARILIZA WHIZZ ko dekh dono zara sa chownk bhi gayi thi...

turant aage badh wo dono MABEL ke baaju me jaakar khadi ho gayi....


MAHI-kya ho raha hai yahan...????

MABEL-no idea babes...class me udta hua ek bolne waala circular aaya jisme bataya gaya ki sabhi SAVENTS ko yahan ground pahunchna hai...


MABEL ki baat sunane ke baad puchne ke liye MAHI aur MABEL ke paas kuch bhi nahi bacha tha aur isiliye wo dono bhi baakiyon ki tarah saamne apne WHIZZES aur WHIZZDERS ki taraf dekhne lagi...

wahin jab MARILIZA ne jab dekha ki first PHASE ke saare SAVENTS aa gaye hain toh....


MARILIZA- aap sab soch rahe honge ki aap sabko yahan kyun gather kiya gaya hai...???

baat darasal ye hai ki CHOSENS ke pichle 25 thousand ke itihas me pehli baar kuch anhoni hui hai...

kyunki wo anhoni aap ke PHASE se related hai toh isiliye aap sabka hakh banta hai ki aap sab us baat ko jaane....


MARILIZA ki baat sun sabhi SAVENTS chownke..kuch anhoni hui hai wo bhi unke PHASE me ye jaankar sabhi ke man me ek anjaane dar ne ghar kar liya tha....


MARILIZA-darasal aapke PHASE ke teen SAVENTS, ACCHUTA, SLUNDER aur RAAZ kal se missing hain....

un teeno ko is planet ke har jagah par talash kiya jaa chuka hai par unfortunately unka koi pata nahi chala....

pure CHOSENS me har SAVENT ke AURA ka ansh hamare paas stored rehta tha jisse us SAVENT ki location trace ki jaa sakti hai but unfortunately in teen SAVENTS ka AURA bhi inhe trace nahi kar paaya hai....


WHIZZ MARILIZA ki baat sun pure ground me khamoshi chhaa gayi...kisi ko bhi samajh me nahi aaraha tha ki kaise react kiya jaaye....

MAHI jisse RAAZ ki har baar behes hi hui thi,wo bhi uske yun laapata hone par bohot bura feel kar rahi thi...

aur khaas kar aaj kyunki abhi kuch der pehle hi toh usse pata chala tha ki aaj uske saath saath RAAZ ka bhi birthday hai...

itne khushi ke din yun manhoos khabar sunanane se wo kaafi dukhi ho gayi thi...

MAHI hi kya sabhi SAVENTS hi dukhi the aur dukhi ke saath saath thode dare hue bhi the...

sab ye sochne lag gaye the ki jab teen SAVENTS ke saath ye ho sakta hai toh kal ko unke saah bhi ye ho sakta hai...


WHIZZ MARILIZA se SAVENTS ke man ka ye bhaav chuppa nahi reh saka aur isiliye....


MARILIZA-fikr karne ki zaroorat nahi hai...aisa koi haadsa dobara naa ho iska intazam hum har chuke hain....

CHOSENS ki har PHASE ke entrace aur exit par ek NIYANTRAK ek CENSOR laga diya gaya hai jo kisi bhi sangin gatividhi me naa sirf active ho jaayega balki agar us activity me kisi SAVENT par koi khatra raha toh usse handle bhi kar lega...

itna hi nahi,is pure planet ke chaaron taraf ek REVEAL SHIELD laga diya gaya hai jisse bahar se yahan aane waale har shaksh ko naa sirf identify kar liya jaayega balki usse us shield me lage magical door ki madad se sidhe CHOSENS ke testing facility me bhej diya jaayega jahan se us shaksh ke yahan aane ki mansha ki puri jaanch hogi....


WHIZZ MARILIZA ki baat sunane ke baad sabhi SAVENTS thode nishchit dikhne lage the par in sabme ek SAVENT aisi bhi thi jo ab bhi halki dari hui thi...

ye aur koi nahi ALFREEN thi jo kal uske aur RAAZ ke beech jo hua,uske baare me soch kar halki dari hui thi par fir usne khud par kaabu paa apne face ko normal kar liya is baat se anjaan ki MAHI ne uske chehre ke lagatar badalte hue expressions dekh liye the...




PLANET-ZEAL



PLACE-DRISYAM



SCENE-4




ARRE DEKHO YAHAN KAUN HAI....????GARIBON KE RAJA, ZAROORAT MANDON KE BHAGWAAN HAMARE PUJNIYA BHRATA,VIKRAM......

apne ghode par sawar ek kutiya ke saamne haath ko jodte hue VIKRAM ke chote bhai ne ye baat kahi thi....

ye DRISHYAM tha VIKRAM ke jawani ka...bachpan me hi mahal se nikalne ke baad VIKRAM wahan ke praja ke beech rehne laga tha...

raajshi logon me ek bas VIKRAM hi tha jo garibon se pyar karta tha aur issi wajah se ZEAL ka wo nagar jahan is waqt VIKRAM tha,uska bada samman karte the...

choti si umar se hi VIKRAM bohot tejaswi tha...har kaam,har chunouti ko wo bohot asaani se pura kar deta tha...mahal ke aisho aaram ko chhodne ke baad VIKRAM ne khudhi apne liye ek kutiya banayi aur wahan nagar ke logon ke beech rehne laga...

wahan ke logon ki hi tarah har din jungle me jaa lakdi,phal aur vibhin upyogi vanaspatiyon ko wahan se laakar VIKRAM bech apna guzara karta tha..

usse ye sangharsh purn zindagi apne mahal ki zindagi se zyadi achi lagti thi..

apne hunar ki wajah se baaki logon ke mukabke jungle jaakar wahan se zaroorat ki chizen sangrah karne me VIKRAM ko bohot kam waqt lagta tha...

aur isiliye baaki ka waqt wo wahin jungle ke madhya bane jharne ke kareeb reh alag alag vidyaaon ke adhyan me lagata tha...

kabhi kabhi jab jungle me koi jaanwar aadamkhor ho jaaya karta tha,tab VIKRAM hi usse maara karta tha...

iski ek jhalak RAAZ ke yahan aate hi dikhayi gayi thi....

jungle se lout shaam ke waqt roz VIKRAM wahan ke bacchon aur yuvaon ko alag alag vishay me gyan diya karta tha...

aaj bhi wo wahi kar raha tha ki tabhi uska BHAI apne kuch logon aur sipahiyon ke saath wahan se guzra aur apne BHAI ko logon ke beech baitha dekh usne ye taunt kiya tha....

jahan VIKRAM ke chote bhai ko dekh wahan baithe log dar gaye the aur sabne apna sir neeche jhuka liya tha wahin uski baat sun VIKRAM bas muskura diya aur....


VIKRAM-taarif ke shukriya mere bhai....

RAJKUMAR-mai tumhara koi bhai nahi hun.....aur ab tum bhi in logon ki hi tarah hamare aadhin ho..hum hi tumhare bhagwaan hain...

isiliye khudko bhagwan banana chhodo aur agli baar jahan bhi tumhe hum dikhe,toh sabki tarah apna sir hamare saamne jhuka liya karo....

VIKRAM-is puri shrishti ka sirf ek hi bhagwaan hai aur mera sir sirf ussi ke aage jhukta hai...aur rahi baat tumhari toh maine tumhe bhai isiliye nahi kaha kyunki hum dono ek hi maa ke kokh se janme hain...

jis din maine tumhare mahal ko chhoda tha,ussi din maine bhi tum sabse naata tod liya tha...

ab tum mere liye begaane ho aur bhai bhi maine isiliye bola kyunki har begaane se bhale ho amir ho,gareeb ho ya koi bhikshuk,mai sabko bhai hi kehkar sambhodhit karta hun....


Rajkumar jaanta tha ki indirectly VIKRAM ne usse ek bhikari ke saath compare kiya hai aur isiliye


RAJKUMAR-tumhari itni himmat ki humse zuban ladao....

sipahi.... jao,aur ghasithe hue isse hamare kadmo me laakar feko....

Rajkumar ke aadesh ko sun ek sipahi apni talwar ke saath aage badha aur us talwar ko VIKRAM ke gardan par laga diya par tabhi....


Dhabb......

ye kya...????


ek second bhi nahi tik paayi wo talwar VIKRAM ke gardan par..kisiko dikha tak nahi ki kab VIKRAM halka sa right ki taraf tilt hua,us sipahi ke haath ko jisme talwar thi, halka jhatka diya jisse talwar uske haath se jhitki aur aisa hote hi ab wo talwar VIKRAM ke haathon me thi....

aisa kar VIKRAM ne ussi haath se jisme talwar thi,ek low jaw punch us sipahi ko maara jiske pressure se wo sipahi udta hua rajkumar ke upar se hota hua dusri taraf gira...

wahan moujud sabhi bhouchakke se ye sab hota dekh rahe the...

Rajkumar ki bhi ye haalat kharab ho gayi thi....

uski aankhon me bhi halka halka dar dikhne laga tha...


VIKRAM-arre ye kya??ye kaise bhagwaan hai jiski aankhon me dar dikhne laga????

abhi toh sirf dar dikha hai,chupchaap yahan se nahi gaya toh bhagwaan ke sharir se khoon bhi nikalne lagega...


Rajkumar ke behad kareeb jaa uski aankhon me jhaankte hue VIKRAM ne ye baat kahi jiske baad rajkumar apne saathiyon aur sipahiyon ke saath wahan se nikal gaya....


SCENE ENDS:-



WOOGER-kuch alag dikha is drishyam me aapko???

MAI-haan...us sipahi se bhidte waqt aur aakhri baat bolte waqt VIKRAM ke sharir se ek AURA nikal raha tha...

waise ye same chiz jab usne us cheeteh ko maara tha,tab bhi hua tha....jab wo us jharne ke paas abhyas kar raha hota tha,tab bhi ye AURA uske chaaron taraf tha...

but baaki waqt ye AURA gayab ho jaata hai...

WOOGER-bohot ache....


ab baari hai aakhri DRISHYAM ki....dhyan se dekhiyega isse...


WOOGER ki baat khatm hote hi scene change hi chuka tha....



FINAL SCENE:-



beta,hamari bacchi ko bachalo.... tumhara bhai usse utha kar mahal ki taraf le gaya hai...


shaam ka waqt hai... VIKRAM abhi jungle se lout hi raha tha ki tabhi usse uske kutiya ke paas rehne waala ek buddha mila jisne rote hue apni baat batayi...

darasal us buddhe ki ek beti thi jo behad khubsoorat thi aur rajkumar ko bohot pasand thi par us ladki ke dil me VIKRAM tha....

Rajkumar ne kayi baar us ladki ko apne rutbe aur apni fake taakat se rijhaane ki koshish ki par wo ladki kabhi rajkumar ko bhaaw nahi deti thi.....

par aaj subah ek guptchar ne jisse rajkumar ne ussi ladki par jaasusi karne ke liye rakha tha,aakar usse bataya ki wo ladki uske bade bhai VIKRAM se pyar karti hai toh rajkumar is sach ko bardaasht nahi kar paaya...

ek second nahi laga rajkumar ke man me us ladki ke prati prachand krodh jaagne me...

jo soft corner uske man me us ladki ke liye tha,wo khatm ho chuka tha aur ab uski jagah badle ne le ki thi...

Rajkumar ek teer se do shikar karna chahta tha..us ladki ko sabak sikhate hue apne bhai se apne kuch samay pehle hue apmaan ka badla lekar...

aur isiliye apni sena ki ek tukdi lekar rajkumar nagar me gaya aur us ladki ko beech bazar se uthakar mahal le gaya....

in saari ghatna ke baare me sun VIKRAM ki aankhen laal ho gayi..us ladki ke prati aakarshan VIKRAM ke andar bhi the aur isiliye jab usne ye sab suna toh apne ghode ko tezi se mahal ki taraf douda diya...

Rajkumar bhali bhaati jaanta tha ki us ladki ke liye VIKRAM mahal zaroor aayega aur isiliye usne mahal ki suraksha kadi kar di thi....

karib 1000 se zyada sainik mahal ko guard kar rahe the....

wahin VIKRAM behad tezi se apne ghode ko daudate hue mahal ke mukhya dwar ke paas pahuncha jahan 30 se zyada sainik tainat the par unhe kaatne me VIKRAM ko 1 minute se zyada ka samay nahi laga....

sainikon ko kaat VIKRAM aage badhta chala jaa raha tha..is waqt bhi uske sharir se wo adhbhudh AURA baahar nikal rahi thi....

mahal ke andar pravesh kar VIKRAM apne ghode se utra aur doudte hue aage badha...

age badhte hue VIKRAM har sainik ko kaaththa chala jaa raha tha....dekhte hi dekhte wahan khade har sainik ki laash bichti chali gayi....

kuch hi minutes me mahal ke lagbhag sabhi sainikon ke haath, pair ya gardan kat chuke the...

VIKRAM tezi se badhta hua mahal ke andar ghus gaya aur sidhe rajkumar ke shayan kaksh ki taraf doud pada...

shayan kaksh ka darwaza band tha jisse VIKRAM ne ek zor ki laat maari aur aisa hote hi wo bada sa darwaza ek jhatke me toot gaya...

darwaza tootne ke baad jaise hi VIKRAM ne andar ka nazara dekha toh.....

uski aankhen pathra gayi...wo jad sa hokar khada ho gaya...

reason...


jis ladki ko bachane VIKRAM yahan laashon ke dher bichata hua pahuncha tha,wo ladki neeche zamin par padi hui thi aur uski aankhe palat chuki thi jiska arth tha ki uske gale ko ghot diya gaya tha...

us ladki ke sharir me lesh maatra ka kapda bhi nahi tha jiska arth tha ki usse maarne se pehle uski izzat,uski azmat ko loot liya gaya tha....

wahin darwaze ke yun tootne se rajkumar jo abhi nanga hi tha,wo hadbada gaya tha aur jab usne apne saamne khoon se lathpath jo ki wahan ke sainikon ka tha,apne bhai ko dekha toh uski haalat aur kharab ho gayi...

wo soch hi raha tha ki kaise yahan se bachke nikla jaaye ki tabhi....


KHACHHHH.....

AAHHHH.......

ye dard bhari aah VIKRAM ki thi....

reason...

us ladki ki haalat ko dekh VIKRAM sab kuch bhul sa gaya tha jiska faayda uthathe hue ek sainik ne piche se uske peeth me talwar ghussa di jo sidhe uske pet se hote hue baahar nikal gayi....

wahin is scene ko dekh....


RAJKUMAR-shaabash sainik......ab iski gardan udda do....

khushi se khil utha tha rajkumar ka chehra jisse dekh VIKRAM ki aankhen ek baar firse ghusse se laal ho gayi....

is beech us sainik ne apni talwar wapas kheenchi aur VIKRAM ke gardan par chala di par tabhi....

VIKRAM tezi se jhuka aur turant palat gaya aur aisa hone ke agle hi pal....

us sainik ki gardan piche ghum chuki thi....

gardan todne ke baad VIKRAM ne uski talwar uske haathon se li aur ek ke baad ek uske sharir ke ang kaaththa chala gaya....

peeche se ye sab rajkumar dekh raha tha aur uski buri tarah se fath gayi thi...

VIKRAM ki peeth uske taraf thi par usse pata tha ki uske paas itna samay nahi tha aur isiliye usne ek badi si chaadar ko apne body me lapeta aur bhaagta hua room se nikalne laga..

VIKRAM ke paas pahunch usne usse zor ka dhakka diya aur bhaagte hue apne pitah ke shayan kaksh ki taraf lapka....

par dhakka khaane ke baad jab VIKRAM aage girne laga toh ussi talwar ko aage rakh usne khud ko sambhala aur sidhe khade ho tezi se talwar Rajkumar ki taraf feka jo sidhe uske right hand ko faadta hua nikal gaya...

ek dardnaakh cheekh ke saath Rajkumar wahin gir gaya....

ab tak KING aur unki patni bhi baahar aa chuke the..apne bete ki ye haalat dekh unhe behad shock laga....

wo aage badhte usse pehle hi VIKRAM rajkumar tak pahunch chuka tha aur....

ek jhatke me usne wo talwar rajkumar ke haath se khinchi,usse ghumaya aur pehle,gardan, fir left aur right haath,fir pet aur fir rajkumar ke dono pair baari baari kaat diye.....

rajkumar ke khoon se naha gaya VIKRAM.....

is scene ko dekh jahan KING stabdh se rah gaye wahi queen toh behosh hi ho gayi.....

aur in sab se alag apne chote bhai ko maarne ke baad VIKRAM bhi apne ghutno par baith apne bhai ke kate hue ango ko ektak dekhne laga...

najane aisa kab tak hota rehta par tabhi....

khaachhhh..khachhh.....


do baar chali KING ki talwar VIKRAM ke peeth par jisse cheekhte hue wo hosh me aaya....

aur jaise hi KING ne firse talwar chalayi jiska isbaar nishana VIKRAM ka sir tha, VIKRAM neech jhuk gaya....

neech jhukte hue VIKRAM ne haath aage kar KING ke haathon se talwar ko jhatka diya aur agle hi pal wo talwar VIKRAM ke haathon me thi....


VIKRAM-jaise bachpan me us nirdosh vyakti ki mout ka zimmedar mai tha ussi prakar aaj aapke putra ki hatya ke zimmedar aap hain....

jee toh karta hai ki mai aapko yahi maar dun par kya karun!!!bhulane par bhi mai ye baat nahi bhul sakta ki badkismati se aap mere pitah hain...


apni baat bol VIKRAM tezi se mahal ke bahar ki taraf lapka..

usse pata tha ki bhale hi usne apni pitah ko kuch nahi kiya par uske pitah ussse nahi chhodne waale...

waise toh kitne bhi sainik kyun naa aa jaayen, VIKRAM ko pata tha ki koi uska saamna nahi kar paayega kintu abhi wo bohot ghayal tha....

uski aankhen reh reh kar band ho rahi thi aur is haalat me wo zyada logon se ladh kar nahi jeet sakta tha...

isiliye VIKRAM apne ghode me baith mahal se nikal gaya aur jaisa usne socha tha,waisa hi hua...

uske mahal se nikalte nikalte KING ne apne kayi sipahiyon ko VIKRAM ko maar dene ka hukm diya jiske baad wo sabhi sainik VIKRAM ke peeche ho liye....

wahin VIKRAM jo ki atyadhik khoon nikal jaane ki wajah se kaafi kamzor ho gaya tha,ghode par baithe baithe hi uski chetna jaane lagi aur wo ghode par lete lete hi behosh ho gaya....

wo ghoda tezi se aage badhta chala gaya aur ek jagah par jaakar rook gaya.....

kuch der baad VIKRAM ki aankhen khuli..usse behad dard ho raha tha...ussi haalat me usne un sainikon ki awaaz suni jo uske baare me hi baat karte hue usse dhund rahe the...

bojhil aankhon se VIKRAM ne dekha ki is waqt wo ek bade ae ghane ped ke piche hai aur jab uski nazar aage ki taraf gayi toh usne dekha ki wahan wahi chamatkari GUFA hai jisse ye PLANET bana...

us GUFA ko dekh VIKRAM ko aisa feel hua jaise wo GUFA usse pukar raha hai....

badhhawasi me ladhkhadate hue VIKRAM aage badha aur us GUFA ki taraf chal pada aur kuch hi palon me wo us gufa ke saamne tha...

usse us GUFA ke muhaane se behad tez urja feel ho rahi thi...par filhal VIKRAM ki haalat zyada sochne samajhne waali nahi thi aur isiliye...

VIKRAM ne GUFA ke andar jaane ke liye apne pair badhaye aur.....

uske sharir ko jhatka laga par wo baahar nahi fekaya balki gufa ke andar kheenchata hua chala gaya...

GUFA baahar se jitni badi dikh rahi thi,andar se usse bhi badi thi...par sabse kamal ki baat ye thi ki VIKRAM ke sharir ka saara khoon is GUFA ke andar aane se gayab ho chuka tha....

uske sharir me lage ghaaw toh ab bhi the par uska dimag ab kaam kar raha tha....

gufa ke andar pahunch VIKRAM ko kisi ek disha se behad strong energy feel hui aur uske kadam ussi taraf badh gaye...

us disha me aage badhta VIKRAM ek aisi jagah par pahuncha jahan behad tez roshni chamak rahi thi...

dhadakte dil se VIKRAM aage badha..par jaise jaise VIKRAM aage badh raha tha,usse uski zindagi me ghati ab tak ki saari ghatnaayen yaad aa rahi thi..

un saari ghatnaon ko ek film ki tarah dobara jeeta hua VIKRAM us roshni ke behad paas aa gaya....

aisa hone par usne apna haath aage badhaya aur tabhi....

uske man ke bheetar ek saath do films chalne lagi..ek toh ussiki zindagi ki thi aur dusri ek dusri kahani thi.....

par un do films ke chalne ke baad aakhir me uska dimag blank ho gaya aur aisa hone ke kuch der baad VIKRAM ki mooh se kuch nikla aur......

ek ray nikal VIKRAM par pada jiske agle hi second wo jal kar raakh ho gaya....

VIKRAM ke marte hi wo GUFA kaampne lagi..sirf wo GUFA hi nahi,balki pura ZEAL PLANET hi kaampne laga tha...

planet ke saare baashinde is kampan ko feel kar apne bachav me alag alag jagah chuppne lage par mout se hide and seek khelna kisike bas me nahi hota aur wahi yahan hua....

dekhte hi dekhte kuch hi minutes me pura ZEAL PLANET zamin ke andar dafan ho gaya....khatm ho gayi saari riyasaten,ujad gayi saari bastiyan aur naamoshinan mit gaya pure Planet se zindagi ka....

kuch minutes me hi ek living planet ek dead planet me badal chuka tha.....

bachi thi sirf wo CAVERN aur us CAVERN ke AURA se nikalta dhuan...



SCENE ENDS:-



WOOGER-ummid karta hun ki aapne saare drishyon ko dhyan se dekha hoga...agar koi sawal hai toh aap puch sakte hain...

MAI-ye aakhri me VIKRAM ke dimag me jo dusra scene chal raha tha,wo clear kyun nahi dikh raha tha...

WOOGER-question paper exams ke waqt hi milte hain,usse pehle nahi....

agar aapka waqt aaya,toh wo drishya aapko dikh jaayega....

aur koi sawal....???

MAI-RENAISS chalen...???


meri baat sun WOOGER se ek urja nikal mujhpar padi aur aisa hote hi mai gayab ho chuka tha...

gayab ho mai ek baar firse antariksh me tha par is baar mere saamne ek planet tha...meri manzil ki pehli sidhi


....RENAISS......

jiska shape normal planet ki tarah naa hokar ek BRAIN ki tarah tha....

mai thik RENAISS ke atmosphere ke baahar chupchaap khada tha ki tabhi....


RENAISS-agar jawab galat hua toh VIKRAM ki hi tarah tum bhi raakh hi jaaoge....isiliye agar chaaho toh lout sakte ho.....

MAI-sawal puch.....


meri baat sun kuch der tak khamoshi rahi par fir pucha kiya mujhse mera sawal......


RENAISS-VIKRAM ki mout kyun hui....???

MAI-hunar se,hunar se mili taakat se,manzilen haasil nahi hoti.... FAISLE......CHUNAW.....DECISION....

inhi ke sahi chayan se hi ek raahgir ko raasta,aur us raaste ko uski manzil milti hai....

VIKRAM ne sab kuch sahi kiya,bas FAISLA galat le liya......


mere jawab ke baad ek baar firse khaamoshi chhaa gayi par ye sirf ek second ke liye hi tha kyunki agle hi pal....

RENAISS planet se ek ray nikal jo ki ek rope thi,mujhpar padi aur aisa hote hi mai RENAISS ke atmosphere ke andar kheenchata chala gaya....

aur in sabka samooh arth tha ki finally, its time to.....


........UNFOLD THE RAAZ..........







AAJ KE LIYE ITNA HI.....





AAPKA APNA V....J......
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF WHIZZ MARILIZA SAVENTS KO RAAZ, ACCHUTA AUR SLUNDER KE MISSING HONE KI NEWS DETI HAI WAHIN DUSRI TARAF SAHI JAWAB DEKAR RAAZ RENAISS PLANET ME ENTER KAR JAATA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-39



PLANET-ELYSIAN


PLACE-ALFREEN'S ABODE




WHAT!!!!!YE KYA BOL RAHE HO TUM DONO....???


MAHI aur ALFREEN ne jab FLORIN ko school me hue anouncement ki baat batayi toh wo behad shock ho gaye...

ACCHUTA, SLUNDER aur RAAZ ke missing hone ki wajah se aaj first PHASE ke sabhi classes off kar diye gaye the....

aur isiliye INSTITUTION se MAHI aur ALFREEN ke ghar aa gaye aur hall me baithe FLORIN ko ye news di....

wahin FLORIN ki pratikriya zara loud thi jisse sun MARIA bhi unke paas aa gayi aur...


MARIA-kya hua FLORIN???itne pareshan kyun lag rahe ho...???aur ALFREEN, MAHI,tum dono INSTITUTION se itni jaldi kaise aa gaye???


MARIA ke sawal par jab MAHI ne unhe unke jaldi wapas aane ka kaaran bataya toh FLORIN ki hi tarah MARIA bhi hairan aur pareshan ho gayi....


MARIA-oh god...!!!ye achanak kya ho gaya????

FLORIN-kya nahi MARIA,sochne ki baat toh ye hai ki ye sab kaise ho gaya....???

naa ye PLANET aam hai aur naahi wo INSTITUTION jahan bacche padhte hain...fir ye sab kaise ho sakta hai...???

MARIA-haan...jis jagah par sirf bolne bhar se zaroorat ki har chiz apne aap aa jaati hai waisi jagah se koi missing kaise ho sakta hai..???

FLORIN-aur wo bhi students...jinki wajah se hi ye PLANET aur ye INSTITUTION bana hai...

aisi jagah par aisa kuch bhi ho sakta hai, believe nahi hota...

ALFREEN-par yahi hua hai pops....and no body has any clue ki ye sab hua kaise...???bas aage se aisa naa ho,iske kade intezam kiye gaye hain....


ALFREEN ki baat sunane ke baad bhi FLORIN aur MARIA ne kuch nahi kaha....unke aankhon me RAAZ ka chehra ghumne laga tha jiski wajah se unki aankhen halki nam ho gayi thi jisse dekh ALFREEN aur MAHI dono ko hi bura laga...

ALFREEN kuch kehne ko hui par MAHI ne uske kandhe par haath rakh usse bolne se rok diya kyunki usse dar tha ki kahin ALFREEN kuch aisa naa kehde jisse uske mom dad ko aur zyada bura lagne lage...


MAHI-uncle,aunty....please, zyada mat sochiye kyunki isse koi faayda nahi hoga....

jo hua,wo kisike control me nahi tha but i am sure,saare WHIZZ aur WHIZZDERS is baare me kisi na kisi tarah pata lagakar RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ko dhund hi lenge...

MAHI ne jo kaha,us baat ka usse khud bharosa nahi tha par filhal FLORIN aur MARIA ke man ko shant karne ke kiye usne ye keh diya...

wahin MARIA aur FLORIN ko ACCHUTA aur SLUNDER ke liye bhi bura laga tha par unki aankhen sirf RAAZ ke liye hi bheegi thi aur isiliye....


FLORIN-kaise nahi sochen...haan ye sach hai ki RAAZ hamara apna baccha nahi tha,ye bhi sach hai ki wo hume yaa kisi aur ko apna nahi samajhta tha par ek sach ye bhi hai ki wo hum dono hi hain,jisne usse pehli baar godh me liya tha...

uski pehli diapar MARIA ne change ki thi....wo apne pairon par chal sake,iske liye humne usse sahara diya tha...


diaper waali baat sun MARIA muskurayi aur....

MARIA-pata hai,wo life me kabhi nahi muskuraya aur naahi kabhi roya...tab bhi nahi jab wo ek nanha sa baby tha aur usme koi samajh nahi thi....

yahan tak ki jab usse vaccinations lagte the,tab bhi wo chup hi rehta tha....

hum dono ghanto usse dekhte rehte the sirf isiliye taaki uska hasna,muskurana ya fir rona hi dekh sake...

par aisa kabhi hua hi nahi...par in sabme hamara uske prati lagaav kaafi badh gaya tha..

usne sidhe mooh humse kabhi bhi baat nahi ki,par hume tab bhi wo bohot pasand tha...

shayad isiliye kyunki wo sabse alag tha...ajeeb tha par phir bhi hamare liye khaas tha...


ek trance me khoye hue se FLORIN aur MARIA ne ye saari baatein kahi thi jisse sun MAHI ko bhi bohot bura lagne laga...

par saath hi unki baatein sun MAHI ke dil me un dono ke prati izzat aur badh gayi aur isiliye....


MAHI-uncle,aunty...i must say,aap dono ek ache mom dad toh ho hi par usse bhi ache aap dono human beings ho....


MAHI ki baat sun uske sir par pyar bhara haath fer MARIA aur FLORIN bina kuch kahe apne room ki taraf chal diye...

MAHI aur ALFREEN,dono ko hi maalum tha ki is waqt dono kaafi upset hain aur isiliye hi wo dono bhi chupchaap unhe jaata dekhti rahi..

aur jaise hi MARIA aur FLORIN apne room me ghusse....


MAHI-ab bata AL.....!!!!baat kya hai....???


MAHI ne ALFREEN ke taraf palaththe hue ye baat kahi jisse sun ALFREEN hadbada gayi....


ALFREEN-baat!!!kaisi baat???


khudko sambhalte hue ALFREEN ne ye kaha jisse sun...


MAHI-RAAZ, ACCHUTA aur SLUNDER ke gayab hone ki news sun jahan hum sabhi SAVENTS ke chehre par hairani thi,wahin tere chehre par dar tha....

aur mai yahi puch rahi hun...???kyun dari hui thi tu...kahin in sabse tera koi connection toh nahi hai...???

ALFREEN-tu bhi naa,kuch bhi sochti hai...aisa kuch bhi nahi hai,aur bhala mai kyun kisi baat se darne lagi....????


sidhe aur sapaat tarah se ALFREEN ne ye baat kahi thi par ye sab kehte waqt usne MAHI se nazre nahi milayi jisse MAHI samajh gayi ki ALFREEN jhooth bol rahi hai...


MAHI-mujhe laga tha ki hum best friends hain,infact sisiters hain...par shayad mai galat thi kyunki best friends me,sisters me secrets nahi hote....


jahan ye bol MAHI apne ABODE jaane ke kiye palat gayi wahin uski baatein ALFREEN ke sidhe dil me lagi aur isiliye usne turant MAHI ka haath pakad liya...

MAHI ne jab wapas palat kar dekha toh paaya ki ALFREEN ki aankhen bheegi hui thi....

MAHI turant aage badhi aur ALFREEN ke gale lag gayi...

kuch der tak yunhi gale lagne ke baad jab ALFREEN normal hui toh MAHI se alag ho...


ALFREEN-tu sahi keh rahi hai...thoda sa hi sahi,par RAAZ ke saath jo hua,usse mera connection hai....

darasal jis din mera soul 1 percent AMPLIFY hua tha,ussi raat mujhe fir se wahi sapna aaya tha ki RAAZ ne mere mom dad ko mere aankhon ke saamne maar diya tha....

jiski wajah se mai ek baar firse kaafi bechain ho gayi thi....

aur fir kal SWEEP-STAKE ke waqt.......


uske baad ALFREEN ne kal usne kya dekha aur fir kya kya kiya,wo saari baat MAHI ko batayi jisse sun MAHI hairan ho gayi....


MAHI-tu bhi naa,ek number ki idiot hai...agar uncle, aunty apne stand me nahi the aur ussi waqt wo RAAZ bhi gayab tha toh iska matlab ye thodi naa hai ki usne uncle,aunty ke saath kuch kiya hoga....

ALFREEN-ye jaanti hun mai..par maine bataya naa us sapne ke baare me isiliye mera dimag ussi taraf jaa raha tha...

uske upar jab maine us RAAZ se apne mom dad ke baare me pucha toh usne bhi ulta hi jawab diya jiski wajah se mera ghussa aur badh gaya aur maine uspar ray chhod di..

par us waqt ACCHUTA aur SLUNDER uske paas aa gaye the...aur jab unhone kaha ki mere mom dad apne stand me hain,uske baad mai wapas lout aayi...

uske baad un teeno ke saath kya hua,ye mai bilkul nahi jaanti....aur aaj jab un teeno ke missing hone ki baat batayi gayi,toh kal mere us RAAZ par kiye waar ko yaad kar mai halki dar gayi thi...

but teri kasam MAHI,us hamle me wo niche zaroor gira tha,usse taklif bhi bohot hui thi par fir bhi wo thik hi tha....

aur un teeno ke missing hone me bhi mera koi haath nahi hai....


aakhri baat bolte hue ALFREEN ki aankhen ek baar firse bheeg gayi thi jisse dekh MAHI ne uske aankhe saaf ki aur....


MAHI-tujhe kasam khaane ki zaroorat nahi hai... i know ki tu thodi ziddi hai,thodi bewakuf bhi hai par aisa kuch tu kabhi nahi kar sakti...

ALFREEN-haan MAHI......ek minute.... kya kaha tune,mai ziddi hun,bewakuf hun....

MAHI-dekh,tune bhi maan liya naa....

ALFREEN-teri aisi ki taisi....rook,batati hu tujhe...


MAHI ki baat se ALFREEN ka bigda mood thik ho jaaye isiliye hi MAHI ne ye sab kaha tha...

apni baat bol hasti hui MAHI bhaag gayi aur uske piche apne chehre par muskaan liye bhaagi ALFREEN.....

yahan ye dono apno duniya me mast ho gayi thi wahin RENAISS naam ki ek dusri duniya me.....




PLANET-RENAISS


PLACE-A FLEXIBLE SURFACE




YE ZAMIN HAI YAA KOI MATTRESS...!!!!


RENAISS ka surface behad flexible tha jispar kadam rakhte hi mere pair halke neeche ghus gaye jiski wajah se maine ye baat kahi par tabhi....


YE ZAMIN ZAMIN HOKAR BHI NAHI HAI..DHYAN SE DEKHIYE,SAMAJH ME AA JAAYEGA.....


ek tez awaaz mere kaano me gunj uthi jo ki WOOGER ke ussi urja ki hi thi....

wo mere saamne toh nahi tha par mera CONSCIOUS brain usse is planet ke har jagah par feel kar paa raha tha....

usne jo kaha usse sun maine chaaron taraf apni nazaren ghumayi....

ek viran sa planet jahan kisi suraj ki roshni nahi thi par iske baawjud jahan tak meri nazar jaa rahi thi,wahan tak behad tez roshni se pura area chamak raha tha....

har thodi door par beech beech me halki laal rang ki lambi lambi anthin rekhayen beechi thi is pure jagah par...

lachila surface hone ki wajah se behad dheere aage ki taraf kadam badhaya maine aur chalte hue mujhse thode aage beechi ek rekha ke paas pahunch usse dhyan se dekhne ke liye jhuk gaya....

dhyan se dekhne par mujhe un rekhaon ke beech halki halki movements nazar aayi jinhe dekh maine unhe chhune ke liye haath aage badhaya aur jaise hi maine uss rekha ko chhua toh....


AAHHH......


mere dimag me ek tez jhatka laga wahin mere dwara chhue jaane se wo halki laal rekha aur uske saath dikh rahi saari rekhayon me halke vibrations hone lage...

aisa laga maano wo saari rekhayen soyi hui thi par mere haath lagane se ab jaag gayi thi....

sabhi rekhon se mujhe behad tez urja ki anubhuti ho rahi thi...

mere dimag me jo jhatka laga tha,usse mujhe sirf taklif hi nahi hui thi. balki mere CONSCIOUS brain ne bhi jaise kaam karna shuru kar diya tha aur ye mai isiliye keh sakta hun kyunki WOOGER ki urja ka wo kathan ki ye zamin hokar bhi zamin nahi hai,is baat ka matlab mai samajh gaya tha aur isiliye....


MAI-ye zamin nahi,ye toh ek BRAIN hai......

WOOGER-bilkul sahi...par ye ek brain nahi,balki aadha brain hai... SUBCONSCIOUS BRAIN....aapke adhure dimag ka missing part....

MAI-waah..logon ke dimag chalte hain,aur ek mai hun jo apne hi dimag par chal raha hai...gazab.....

WOOGER-jisse rekha samajh aapne chhua tha,wo aapke CONSCIOUS brain ka nerve hai jo aapke chhune se satark ho gaya hai...

ye jagah,ye brain aapko pehchaan toh gaya hai par aur apnana abhi baaki hai.....

ye jagah bhale hi ek dead Planet hai,par kyunki ye jeeta jaagta BRAIN hai, isiliye iske paas apni soch hai jiski wajah se ye apne astitva ko bachaye rakhne ke liye kuch bhi karega...

isiliye satark rahiye....aapka brain aaapko apnaye,iske liye aapko apna worth,apna saamartya saabit karna hoga....

MAI-tum saamne kyun nahi aa rahe...???

WOOGER-mai aapke chaaron missing organs ka hi hissa hun...urja hun...is pure Planet me aur iske saath baaki ke teeno planet me mai faila hua hun...

jab aap apne chaaron parts ko paa sampuranta haasil kar lenge,tabhi mai aapke saamne aaunga...


ab baat karne ke liye kuch tha nahi aur isiliye mai aage badha...un rekhaon me ho rahi vibrations abtak kaafi badh gayi thi aur jaise hi maine apne kadam aage badhaye.....

un rekhaon me se urja roopi rays nikli jinhone tezi se aage badhte hue mujhe jakad liya aur aisa hote hi.....

mujhe behad tez jhatke lagne shuru ho gaye..par ajeebo garib aur kamal ki baat ye thi ki un rays ne mere sharir ko jakda tha par jhatke mujhe mere CONSCIOUS brain me lag rahe the...

aur wo bhi behad tez...mujhe aisa lag raha tha jaise mere sir ke andar mera brain baar baar jal ke raakh ho raha ho.....

kehte hain ki jab aapka sharir,yaa aapka dimag kisi taklif ko naa seh paaye toh aap behosh ho jaate hain...

aur yahi mere saath hua....10 se 12 jhatkon tak hi mera dimag un jhatkon ko seh paaya par uske baad meri aankhen band ho gayi aur mai khada khada hi behosh ho gaya.....

mere behosh hote hi
wo rays jinhone mujhe jakda tha,mujhe release kar diya aur wapas un rekhaon me jo ki mere hi SUBCONSCIOUS brain ke nerves the,unme sama gaye....

wahin release hote hi mera unconscious sharir lehrata hua neeche zamin numa brain ke surface par gir gaya.....



DREAM:-



AB YE KAUN SI JAGAH HAI???


mai behosh ho chuka tha..par mere behosh hote hi mera CONSCIOUS brain ek alag hi jagah pahunch gaya tha...

ek andheri jagah....har taraf ghanghor andhera tha..kuch bhi dikh nahi raha tha..mai yahan wahan nazaren ghuma kuch bhi dekh sakun,ye koshish kar raha tha aur aisa karte hue meri nazar niche gayi aur....


MAI-ye kya jagmaga raha hai....???


maine jab neeche dekha toh paaya ki ek behad hi halki urja rook rook kar jagmaga rahi hai....

us urja ko dhyan se dekhne ke liye mai neeche jhuka...

us urja ke jagmagane aur bujhne ke beech ek aisa time aata tha,jab wo chiz jisse wo urja nikal rahi thi,wo dikhti thi...

par ye sab behad kam samay ke liye hota tha...aur isiliye mai pure focus ke saath us chiz ko dekhne laga....jal, bujh,jal, bujh ki kuch prakriya ke baad aakhir mujhe wo chiz dikh hi gayi jisse dekh....


MAI-ye toh,,,oh shit....ye toh ek BRAIN hai....


yahan maine ye kaha,wahan wo urja se lipti behad choti si brain jo ki RENAISS PLANET ka hi ek chota sa roop thi,usme ek visphot hua aur aisa hote hi....

mujhe hosh aa gaya.......

ek jhatke me meri aankh khuli...aankh khulte hi maine paaya ki un urja roopi rays ne mujhe chhod diya hai....

behoshi me dikhe sapne ke baare me sochte hue mai khada hua aur jaise hi maine apne kadam aage badhaye toh.....

ek baar firse un rekhayen roopi nerves se rays nikli aur agle hi pal mai fir unme jakda hua tha....

is baar mera dimag bas 3 ya 4 jhatke hi jhel paaya aur mai firse behosh ho gaya...

jaisa pehle hua tha,mere behosh hote hi un rays ne mujhe chhod diya jisse mai wapas neeche gir gaya aur....



DREAM:-


YE KAISA EXPANSION HAI...????


jahan se mujhe hosh aaya tha,is baar mera sapna wahi se shuru hua jab mujhe pata chal gaya tha ki wo jalti bujhti chiz asal me brain hai....

ek pathrili zamin par jagmati wo tiny brain mere kehte hi badi hone lagi aur dekhte hi dekhte wo brain expand hoti chali gayi....

expand hote waqt wo brain sirf jal rahi thi,bujh nahi rahi thi...aur ussi ujale me har taraf ka scene clear ho gaya...

maine dekha ki mai ek red pathrili zamin ke upar khada hun jo ki ek dead planet ka surface hai aur wo brain expand hoti hui us pure planet ko cover karti chali jaa rahi hai...

kuch hi minutes me us brain ne us pure planet ke khudme lapet liya tha aur aisa hote hi....

ek baar firse wo brain jo dekha jaaye toh ab pura planet tha,jal bujh jal bujh hone laga...

par ye kriya bas kuch seconds ke liye hi chali aur fir ek baar zor se jalne ke baad har taraf andhera chaa gaya....

kuch palon tak complete andhera chhaane ke baad mujhe apne se thodi door ek halki si roshni ki urja dikhayi di jisse dekh mai uski taraf badhne ko hua par tabhi...

mere brain ko tez jhatka laga jiske baad mujhe ek baar firse hosh aa gaya....

hosh me aate hi maine dekha ki ek baar firse un rays ne mujhe chhod diya tha..

ab mujhe lagne laga tha ki un rays ka kaam mujhe aage badhne se rokna hai....

toh ab sawal tha ki kiya kya jaaye...????


JISKI NAZAR JITNI DOOR TAK JAATI HAI,USKA LAKSHYA UTNA HI CLEAR HO JAATA HAI...


SELF BRAWL competition ke baad class me VIOLET WHIZZ ki kahi gayi ye baat mere dimag me gunj uthi...

bhale hi mai us class me yaa fir kisi bhi class me nahi tha,par mere CONSCIOUS brain ke CHOSENS me faile hone ki wajah se maine indirectly hi sahi par har class attend ki thi....

har buddhiman vyakti me ek common but khaas baat hoti hai aur wo ye ki wo har kisise sikhta hai...

kyunki usse maalum hota hai ki ek band ghadi bhi din me do baar sahi waqt dikhati hai....

VIOLET WHIZZ ki us baat ne mere dimag me ghar kiya hua tha aur aaj jab wo words mere andar gunje toh...


MAI-ho naa ho,par jo mujhe karna hai,uska RAAZ mere behosh hone ke baad aa rahe sapne me hi hain...

badhiya,matlab jhatke khaane hi padenge.....


ek lambi saans chhod maine apne kadam aage badhaye jiske baad jo hota aa raha hai,wahi hua...

un nerves se rays nikli aur mujhe jakad liya...mere dimag ko jhatke lage aur mai out.....



DEEAM:-


IS BAAR TOH KUCH ALAG NAHI HUA....???


har taraf andhera tha bas mujhse thodi door ek choti aur halki si urja ki roshni jagmaga rahi thi aur jaise hi mai aage badhne ko hua,mujhe laga jhatka aur mai back to pavilion.....


MAI-saala ajeeb hai..jhatke lagne se behosh ho raha hun aur jhatke lagne se hi wapas hosh me aa raha hun...


kuch der tak chup chaap khade rehne ke baad mai ek baar firse aage badha aur mere aisa karne se jaisa ab tak hota aaya hai,wahi hua...

lagne waale jhatkon se mai behosh hua aur fir sapne me lagne waale jhatke se mujhe hosh aaya....

kaafi baar mai same process repeat karta raha jiska result bhi same hi aata raha....


MAI-kuch toh miss kar raha hun mai...par kya???


maine apni aakhen band ki aur jo kuch bhi mere saath ho raha hai,yaa fir ab tak ho chuka hai,usse reverse me sochne laga....

RENAISS me aana,usse pehle ZEAL me drishyam dekhna, usse pehle FORBIDDEN FOREST,GASTON aur DORIAN,ALFREEN, SWEEP-STAKE,HOSTEL, CHOSEN'S,CLASSES......


CLASSES..........


yahan aate hi meri aankhen khul gayi aur maara maine apne sir par haath....


MAI-itne common equation ko kitna khaas bana diya tha maine....mai kaise bhul gaya ki mai BRAIN me hun....

aur wo bhi ek SUBCONSCIOUS brain me aur jab tak ek SUBCONSCIOUS brain stimulate nahi hota, CONSCIOUS brain ke saath wo jud nahi jaata,tab tak CONSCIOUS brain ko jhatka hi lagega...

ab samajh me aaya ki mujhe 1st PHASE ki classes attend kyun nahi karne ko kaha tha us WOOGER ne,meri wo classes toh yahan lagne waali hain...

apne SUBCONSCIOUS BRAIN ko haasil karne ke liye mujhe brain AMPLIFICATION ki class ke process ko access karna hoga...


bina class jaaye bhi class me ho rahi gatividhiyon par nazar rakhne ka kaaran mujhe pata chal gaya tha...

par saath hi mai ye bhi jaan gaya tha ki meri ye class,ye imtihaan thodi alag aur kaafi mushkil hone waali hai kyunki jahan sabhi SAVENTS apne apne cerebration process ko pause karne ke baad apne brain ko AMPLIFY karne ki koshish karte hain aur issi beech unhe jhatke lagte hain wahin mujhe pehle jhatke lagne waale the aur wo bhi baakiyon se 100 times zyada powerful jhatke aur unhi jhakton ko jhelte hue mujhe apne CEREBRATION process ko pause karna tha....


par itna fark toh zaroori tha kyunki naa mai koi normal SAVENT tha aur naahi mera BRAIN kisi aur SAVENT ki tarah tha...

level toh upar hona hi tha....


mai......RAAZ.......wo secret jiske ab tak ke khule panne me sirf MAAMULI aur SADHARAN likha tha par ab......



har KHAAS mere aage MAAMULI HONE waala tha...

is ADHYAY ko khatm kar mai ek naya ADHYAY LAANE waala tha...

bijliyan toh bohot kadki hain,
par mai toh woh VAJR GIRANE waala tha,

ki kahani jo ab tak apne hisaab
se chali hai,
usse ab mai apne hisaab se CHALAANE waala tha......







AAJ KE LIYE ITNA HI......





AAPKA APNA V....J......
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ALFREEN MAHI KO RAAZ KE SAATH HUI JHADAP KE BAARE ME BATATI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ KO RENAISS PLANET ME APNE MISSING SUBCONSCIOUS BRAIN KO HAASIL KARNE KA TARIKA SAMAJH ME AA JAATA HAI.



AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-40



PLANET-RENAISS


PLACE-THE FLEXIBLE SURFACE




SETU BEDHIN....

BREAKING DOWN BARRIERS.....


BOOM...............


un rays ki jakdan ke beech behad tez dard ko sehte hue maine apni aankhen band ki aur jaise taise khudke CONSCIOUS brain me jhaankte hue apni life ka pehla spell uccharit kiya jiske baad pura PLANET ek dhamake ki awaaz se gunj utha.....

waise yaad toh hoga hi aap sabko ye spell..ye wahi spell tha jisse chaaron WHIZZES aur WHIZZDERS ne sabhi SAVENTS ke conscious brain aur subconsious brain ke beech ki barrier ko todne ke liye bola tha par tab mere paas sirf mera conscious brain hi tha jiski wajah se is spell ka mujhpar koi asar nahi pada tha...

waise toh aaj bhi mere dimag ke andar sirf mera CONSCIOUS brain hi active tha par fir bhi,mere andar naa sahi par mere aas paas toh mera SUBCONSCIOUS brain tha hi aur jin rays ne mujhe jakda tha,un rays se wo brain connected tha jiska matlab tha ki indirectly hi sahi par mere brain ka wo hissa is waqt mujhse bhi connected tha....

par ek aur sabse important baat ye bhi thi ki bhale hi mai apne SUBCONSCIOUS brain ke paas tha,abhi usse bhi connected tha par uske aur mere CONSCIOUS brain ke beech ab bhi ek BARRIER tha jisse mujhe todna tha aur isiliye hi maine is spell ko uccharit kiya aur jaise hi maine ye kiya toh pure planet me ek tez dhamaka hua.....

darasal mere spell ko uccharit karte hi mere CONSCIOUS brain se ek urja nikli aur sidhe un rays ke andar ghus gayi jinhone mujhe jakda hua tha....

un rays ke andar hoti hui wo urja un rekhayen numa nerves me chali gayi aur aisa hote hi is planet me jo ki mera brain hi tha,usme bichhe mere SUBCONSCIOUS brain ke asankhya nerves me ek kampan hone lagi aur fir kuch der baad jab mere CONSCIOUS brain ki urja mere brain ke saare nerves me puri tarah se samayi toh hua ek tez dhamaka....

jiska matlab tha ki mere CONSCIOUS brain aur SUBCONSCIOUS brain ke beech ka barrier toot chuka tha....

is dhamake se do chizen hui...

pehli toh jin rays ne mujhe jakda hua tha,unhone mujhe chhod diya aur wo isiliye kyunki ab tak mera connection is planet se sirf un rays ke through juda tha jaise koi usb chord do devices ko jodta hai par ab kyunki mera conscious brain mere SUBCONSCIOUS brain se jud chuka tha, isiliye ab meri compatibility is planet ke saath kisi Bluetooth ki tarah ho gayi thi...

WIRELESS.....

aur dusri baat jo hui thi wo ye thi ki pehle mai un rays ke jakdan ki wajah se behosh hota tha par ab mere dono brains ke judne aur uski wajah se jo energy realise hui,uski wajah se behosh ho gaya tha....

aur ye koi maamuli behoshi nahi thi....is achahank hue connection ki wajah se mera pura dimag asthir ho gaya tha jisse sthir hone me waqt lagne waala tha aur isiliye tab tak....




PLANET-EYLSIAN


PLACE-CHOSEN'S




SOUL AMPLIFICATION CLASS:-



PRATIBHAVANITA

HOLD......


pure NEW BORNS ki class ne ek saath is SPELL ko uccharit kiya tha jiske baad jo hota hai,wahi hua....

sabhi SAVENTS ne apni apni aankhen khol di par is uccharit kiye gaye spell ki wajah se sabhi ke brain,body aur blood connected hi rahe....


PRATIBANDHANA

BIND THE POWERS


aankhen band kar dobara apne cerebration process ko pause karne ke baad jab sabko apne andar ek behad tivr gurutwakarshan waali ray dikhi toh sabne is spell ko uccharit kiya jiske baad utha sabke andar wo aseem dard jisse sabhi zabt karne me lag gaye.....


aaj SWEEP-STAKE competition ko beete 1 hafta guzar chuka tha... competition se pehle ACCHUTA, SLUNDER aur BROWNY ko chhod baaki sabhi ne apne apne SOUL ko trigger kar liya tha...

RAAZ ki baat yahan isiliye nahi hui kyunki usne toh class hi attend nahi ki thi jiski wajah se filhal usse NEWBORNS ka hissa nahi kaha jaa sakta tha...

khair,is ek hafte me sabhi SAVENTS ne apne soul ke first percent ko AMPLIFY karne ki bohot koshish ki par har baar aisa karne ke waqt uththa dard unki koshish se jeet jaaya karta tha aur abhi bhi wahi hua...

spell uccharit karne ke baad jo hamesha se hota chala jaa raha tha,wahi ab bhi hua....

sabhi SAVENTS ko apna sharir andar se kheenchata hua sa mehsoos hua jisse paida hui asahaniya peeda jiski wajah se teen SAVENTS ko chhod baaki sabhi ki aankhen khul gayi....

MABEL, ALFREEN aur MAHI jinke cerebration process ab bhi paused the,wo apne andar ho rahe asahaniya pida ko sehte hue apne SOUL ko AMPLIFY karne me lage rahe...

ye dagar ALFREEN aur MABEL ke liye kathin thi par MAHI ka case toh aur mushkil tha...

kyunki jahan MABEL aur ALFREEN ko 1 se 2 percent AMPLIFICATION me pahunchne ke liye 10 minute ke pause cerebration process se guzarna tha wahin 2 percent SOUL AMPLIFICATION ke baad isse 3 percent tak trigger karne ke liye MAHI ko un dono se double,20 minute tak apne CEREBRATION process ko pause rakhna tha..

par MAHI ko ek advantage bhi tha aur wo ye ki kyunki usne apne SOUL ko 2 percent tak AMPLIFY kar liya tha isiliye uska sharir,dimag aur khoon, teeno ki shakti bhi kaafi badh gayi thi jisse MAHI ki sehensheelta par bhi asar aaya tha...

ab MAHI zyada se zyada dard sehne ke kaabil ho gayi thi aur isiliye jahan ek taraf MABEL aur ALFREEN ki aankhen 6 se 7 minute tak hi apne cerebration process ko pause rakhne ke baad khul gayi wahin MAHI 15 minute se zyada der tak aisa karti rahi par fir usne bhi apni aankhen khol di....

SOUL ko AMPLIFY karne ka ye daur kaafi mushkil aur lamba chalne waala tha jisme halki si bhi improvement ya vriddhi aaj ya near future me hone waali thi nahi aur isiliye.....



I MONTH LATER:-



WELL DONE MAHI........ek baar fir tum apne SOUL ko AMPLIFY karne me kaamiyab hui......


ye baat bolte waqt VIOLET WHIZZ ke chehre par behad khushi dikh rahi thi.. sirf unki hi nahi balki unke saath khade OMMIN aur NOX bhi bohot khush dikh rahe the....

OPHILIA WHIZZ ka naam isiliye nahi aaya kyunki wo is class me thi hi nahi...

reason...

ek SAVENT jiska naam BROWNY tha,usne abhi tak apne SOUL ko trigger nahi kiya tha aur issi wajah se uski class OPHILIA WHIZZ ke dekh rekh me alag lagti thi...

OPHILIA WHIZZ har mumkin koshish kar rahi thi taaki BROWNY ka SOUL trigger ho jaaye par abhi tak wo kaamiyab nahi ho paayi thi...

khair, MAHI ne aaj apne SOUL ko 3 percent tak AMPLIFY kar liya tha jiski wajah se WHIZZ, WHIZZDERS kaafi khush the aur unse bhi zyada khush the ALFREEN aur MABEL jo MAHI ke baaju me khade hokar usse badhayi de rahe the....

un dono ne baad baaki sabhi SAVENTS ne bhi MAHI ko badhayi di...aaj ki class ka waqt khatm hone waala tha jisse VIOLET WHIZZ batane hi waali thi ki tabhi...


MAHI- WHIZZ,i have a question..???

VIOLET-pucho....

MAHI-kya SOUL ke har percent AMPLIFICATION ke baad agle AMPLIFICATION ke liye double time lagta hai....!!!


MAHI ne ye isiliye picha kyunki 2nd percent AMPLIFICATION ke liye usse 10 minute ka waqt laga tha aur 3rd ke liye 20 minute....


VIOLET-nahi MAHI...sirf 5 percent AMPLIFICATION tak time me addition hota hai,uske baad nahi...

tumhare agle AMPLIFICATION matlab 4th percent ke liye tumhe 40 minutes tak apne CEREBRATION process ko pause rakhna padega aur 5th percent ke liye pure 60 minutes matlab 1 ghante tak tumhe ye karna hoga...

par ek baar tum 5 percent of AMPLIFICATION ko touch kar gayi toh uske baad har AMPLIFICATION ke liye utna hi waqt lagta hai,usse zyada nahi....

par haan, bhale hi 5 percent ke baad time addition band ho jaata hai par iska ye matlab nahi ki chunouti ya taklif ka daayra bhi rook gaya hai....

6th percent se tumhe pain ke saath ek nayi chunouti ka saamna karna padega jo har percent ke saath AMPLIFY hoti chali jaayengi...

MAHI-kaisi chunouti WHIZZ...????

VIOLET-whats the hurry MAHI...??? pehle 5 percent tak toh pahunch jaao..uske baad kya hota hai,ye uske baad hi pata chalega..

filhal enjoy your success....class dismiss....


yahan in sabki class khatm hui aur wahan.....




PLANET-ZEAL


PLACE-THE FLEXIBLE SURFACE



YE MERA SIR iTNA BHAARI KYUN LAG RAHA HAI...????


uththe hi apne sir ko pakadte hue kaha maine....

maine dhyan diya ki ye bhaaripan bhale hi mera pura sir feel kar raha hai par is dard ki neev mere sir ke peeche ke part se hai....

sir bhaari lagna bohot hi normal baat hai khaas kar tab jab aap kisi behoshi se uthe hon par mere case me ye baat bhi normal nahi thi kyunki aaj se pehle maine aisa kuch kabhi feel kiya nahi tha...

ek baat aur thi jo mai mehsoos kar raha tha aur wo ye ki mai is baar kaafi der tak behosh ho gaya tha...

mai ye sab soch hi raha tha ki tabhi.....

mere dimag ke piche ki side me ek jhatka sa laga jisse mere aage ke brain me jo ki mera CONSCIOUS brain tha,usme ek bijli si koundhi aur....


MAI-ek mahine se behosh tha mai......

ye shabd nikle mere mooh se....

reason....

jo jhatka mujhe mere SUBCONSCIOUS brain me laga tha,wo jhatka yahi information thi jo usne mere CONSCIOUS brain ko di thi....

is ganit ko samajhne ke baad mai ek aur baat samajh gaya tha aur wo ye ki meri behoshi ka kaaran mere brains ke beech create hui instability thi jo ab kaafi hadh tak stable ho chuki thi aur issi wajah se mujhe hosh bhi aa chuka tha....

aur jo ye bhaaripan mai mehsoos kar raha tha,ye isiliye tha kyunki abhi mere SUBCONSCIOUS aur CONSCIOUS brain ke beech bas ek connection hua tha,dono ek nahi hue the...yahi mera task tha aur isiliye....


mai apni jagah par baith gaya...aaj pehli baar mai imaandari se apne BRAIN AMPLIFICATION ki class me shirkat lene waala tha....

aakhhen band kar maine apne brain me jhaankte hue apni CEREBRATION process ko pause karna shuru kiya aur mere aisa karte hi....

planet ka surface jo ki mera SUBCONSCIOUS brain ka outer layer tha,usne ek tagda jhatka maara jiski wajah se mai kaafi feet hawa me ucchal gaya....

udta hua sa mai upar gaya aur ulta hota hua sir ke bal mai neeche gira....

SURFACE ke flexible hone ji wajah se mere sir ko chot toh nahi lagi par haan,mera bhaari ho rahe sir ko ek jhatka laga jiski wajah se meri aankhen khul gayi.....

aankh khulte hi maine dekha pure planet ke nerves behad tezi se chamak rahe the aur unse hi vibrations create ho rahi thi par kyunki ab meri aankhen khul gayi thi isiliye dheere dheere wo chamak aur vibrations kam hone lagi aur fir khatm gayi....


MAI- cerebration process ko pause karne ke baad SAVENTS ko jhatke lagte the,aur wo bhi sirf dimag ke andar par mere toh andar bhi dimag hai aur baahar bhi...

toh jhatke bhi do alag alag types ke lagne hain....waah,challenge at it's best....

mera hi dimag,mujhse hi khel raha hai....chalo fir,khelte hain....


ek baar firse mai neeche baitha aur apni aankhen band kar li...

aakhen band karte hi maine apne brain me jhaankna shuru kiya jiske baad jo pichli baar hua tha,wo is baar bhi hua....

mai jahan baitha tha,us surface ne mujhe jhatka dete hue upar ucchal diya aur fir kuch der baad jab mai apne sir ke bal neeche gira toh mere sir ko ek jhatka laga par is baar maine apni aakhen nahi kholi...

mere jabde aapas me bhide hue the aur mai lagatar apne brain me jhaankte hue us ray ki talash me tha jo mere CONSCIOUS aur SUBCONSCIOUS brain ko ek karne waala tha.....

wahin jab maine apni aakhen nahi kholi toh un rekhayen numa nerves se kuch saanp ki shape ki rays nikal
meri taraf badh gayi aur dekhte hi dekhte un rays ne mujhe lapetna shuru kar diya aur aisa hote hi mere brain me jaise blast hone lage....

meri band aankhon ki putiyan tak vibrate hone lagi thi in jhatkon se par fir bhi maine kaafi koshish ki in jhatkon ko sehne ki....

jab un rays ne dekha ki maine apni aakhen ab tak nahi kholi hai toh wo aage badhi aur mere brain se lipat gayi aur aisa hote hi 1000 times zyada impact ke saath mujhe jhatke lagne lage jiski wajah se finally meri ankhen khul hi gayi....

meri ankhen khulte hi un rays ne jinhone mujhe lapeta hua tha, khudko unwind karna shuru kar diya taaki wapas un nerves me sama sake....

par jaise hi un rays numa urja ne khudko unwind kiya aur wapas jaane ko hui....


MAI-maine jaane ko nahi kaha tumhe....khel aamne saamne rehkar khela jaata hai,chhup chhup kar nahi....


apni baat bol maine us ray ko jo ki solid form me thi,apne ek haath se pakad liya....

aur mere aisa karte hi ek baar firse mere brain ke peeche ki taraf jhatke lagne lage..itna hi nahi,planet par biche saare nerves bhi tez chamakne lage the jiski wajah se mere haathon me lipti ray me behte current ka volt bhi kaafi badh gaya tha par fir bhi maine usse chhoda nahi....

sthir aankhen aur jhatke lagne ki wajah se apne asthir body aur brain ke saath mai us ray ko pakde hi raha....

mere brain ke pichle hisse me behad tez jhatke lag rahe the jisse mujhe dard toh bohot ho hi raha tha par saath hi mera CONSCIOUS brain bhi tezi se doud raha tha aur tabhi.....

kuch click hua mujhe aur us ray ko pakde pakde hi maine apni aakhen band kar li aur saath hi pause karne laga apna CEREBRATION.....

par is baar maine kuch alag kiya...isse pehle mai apne CONSCIOUS brain me jhaakte hue aage badhta gaya tha par is baar maine apne brain ke pichle hisse jahan mera SUBCONSCIOUS brain hona chahiye tha,wahan se shuruat ki.....

aakhen band kar dard aur jhatkon ko zabt karte hue maine dekha ki mere brain ka wo hissa kisi andhere universe ki tarah dikh raha tha par mai bina dare is andhakar me utarta chala gaya aur yunhi aage badhte badhte achanak....

mujhe dikhi ek halki si jyoti...ye jyoti wahi judaaw tha,normal terms me kahun toh wo frequency thi jisse ye grah jo ki mera SUBCONSCIOUS brain se covered tha,mere CONSCIOUS brain se jud chuka tha....

us jyoti ko dekhte hi mai aage badha aur uski taraf jaane laga aur mere aisa karte hi......


KADKADKADKAD......


pure planet is zor ki awaaz se kaamp gaya...aisa lag raha tha maano kisi ghar me chori hone waali thi jiska pata uske maalik ko chal gaya tha aur wo is gustaakhi se behad naaraz ho gaya tha...

zor ki awaaz ke baad pure planets me jitne bhi rekhaysn numa nerves thi,unse behad shaktishali nerves nikli aur tezi se meri taraf badhi aur dekhte hi dekhte mai sir se paaon tak un rays me jakda jaa chuka tha.....

mujhe behad shaktishali jhatke dene ke saath saath un rays ne mere gale ko bhi lapet liya tha taaki mera dum ghut jaaye.....

aisi wickat aur dardnaak paristithi me jisme kisika saans lena tak dubhar ho jaata,mai apne brain ko shaant rakhe hue kisi tarah us jyoti ke kareeb jaane laga.....

jaise jaise mai us jyoti ke paas jaa raha tha,waise waise wo jyoti badi hoti jaa rahi thi aur fir.....

mujhe aur aage badhna nahi pada...mere brain aur pure body me lag rahe jhatkon ka andaza us jyoti ko bhi tha aur mere uske kareeb aate hi usse mere nishchayta ki dridhta ka andaza hua aur aisa hone ke agle hi pal wo jyoti ek jhatke se aage badhi aur.....

wo jyoti aage badh sidhe mere CONSCIOUS brain se takrayi aur aisa hote hi...

wo andheri universe achanak roshni se naha gayi.....

mere CONSCIOUS brain se takra wo jyoti wapas piche hati aur fir us jyoti me vibrations hone lagi jiske baad......

un roshni us jyoti ke beech se ek tez kampan ke beech kisi chiz ka maano janm hua...ye chiz aur kuch nahi balki meri SUBCONSCIOUS brain thi...

dheere dheere wo beej roopi SUBCONSCIOUS brain apne aakar ko badhati hui mere CONSCIOUS brain ke piche apna ghar banane lagi...

aur wahin apni aakhen band kiye mai sayad is bramhaand ka pehla aisa shaksh tha jo apne brain ko ugte dekh raha tha...

meri is soch ke beech kuch hi der me mere SUBCONSCIOUS brain ne khud ko badhate hue pura kar liya aur aisa karne ke baad usse ek roshni nikal mere CONSCIOUS brain me pahunchi.ye roshni ek bridge ki tarah thi jisse mere dono brains jud gaye...

aur aisa hote hi ek baar firse laga mere brain ko ek tez jhatka jisse finally meri aankhen khul gayi aur....


MAI-GAZAB....


saamne ke drishya ko dekhkar kaha tha maine ye....

reason....

ab mai apne brain ke upar nahi khada tha..ab mai ussi red and dead planet ke upar khada tha jo ki is Planet ki sacchayi thi....

wo flexible suface ab gayab ho chuka tha ya fir ye kahun ki apne sahi sthaan par pahunch chuka tha....

mere dimag me......

par in sabke beech ek chiz jisse mere andar hona chahiye tha,wo mere saamne hawa me tair rahi thi aur wo thi wo rekhayen jo ki mere SUBCONSCIOUS brain ki nerves thi..

wo nerves jinse saare METAPHYSICAL powers aur magic pure brain me access hota hai....

mera SUBCONSCIOUS brain toh mere andar feed ho chuka tha par uske nerves ab bhi mere saamne hawa me ek badi si jyoti ka roop liye khade the...

aur jab meri nazar us jyoti par padi toh.....


NERVES-mai aapko kyun apnaaun?????

MAI-sawal galat hai tumhara....tumhe mujhe nahi,mujhe tumhe apnana hai...mai tumhara bhaag nahi hun,tum mere bhaag ho....

mai tumse aur tumhare liye nahi bana hun,tum mujhse aur mere liye bane ho....itne saal maine tumhara intezar nahi kiya hai,tumne mera intazar kiya hai...

aur sabse mahatvpurn baat,tumse mera astitva nahi hai,mujhse tumhara astiva hai....

isiliye sahi sawal yeh hai ki mai tumhe kyun apnaaun....????

aur tumhare mujhse puche is betuke sawal ko sunkar mujhe lagta hai ki nahi....tumhare jaise hin buddhi ki mujhe zaroorat nahi hai...


apni baat bol mai palat gaya aur mere aisa karte hi....


SSSSSSSS.....

wo roshni numa nerves turant aage badhi aur mere aage aakar theher gayi....

theherte hi us roshni ne ek human aakruti li aur aisa hone par wo aakruti mere aage jhuk gayi...


NERVES-aapne sahi kaha...mera sawal galat tha...mera astitva aapse hai,aapka mujhse nahi...mujhe prapt karne ki aapne sabhi parikshayen uttirn ki hain aur aapke abhi diye jawab se aapne ye bhi saabit kar diya ki agar mujhe koi sambhal sakta hai, toh wo sirf aap hain...

kripya mujhe grahan kar apna hissa banne ka vardaan den....

MAI-ek baad yaad rakhna... mujhe is baat se fark nahi padta ki tumhari ehmiyat kya hai...???

bhale hi tum mere sir ke mere dimag ke bhaag ho par haisiyat tumhari wahi hai jo filhal tumhari position hai..

mere pairon ke paas,neeche jhuke hue....

isiliye dobara apni marzi se chalne ki koshish mat karna....


meri baat khatm hone ke baad bhi jab wo roshni se bani aakruti chup chaap mere aage jhuki hi rahi toh....


MAI-mai tumhe apnata hun.....


mere aisa bolte hi wo aakruti turant ek roshni ke gole me tabdil hui aur uske agle hi pal.....


meri aankhen band hi chuki thi....band aankhon se mai dekh raha tha ki wo roshni mere sir ke andar ghus mere SUBCONSCIOUS brain ke chaaron taraf ek ghera banane lagi aur dekhte hi dekhte mere SUBCONSCIOUS brain me us roshni ne nerves ka roop ke liya...

aur aisa hote hi mere saath saath ye pura dead planet roshni se naha gaya....

mera sharir halka sa hawa me uth gaya tha....hawa me uth dheere dheere mera sharir kuch der tak ghumta raha aur fir mai neeche aa gaya...

neeche aate hi meri aankhen khul gayi...ab mera yahan kaam khatm ho chuka tha......

aaj mai 25 % tak pura ho chuka tha.....bache the baaki ke 75% jinhe mujhe teen alag alag Planets me jaakar haasil karna tha jinme agla naam tha....


MAI-ANGIS........








AAJ KE LIYE ITNA HI.....






AAPKA APNA V....J....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF MAHI APNE SOUL KO 3 PERCENT TAK AMPLIFY KARNE ME KAAMIYAB HO JAATI HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ NE APNA SUBCONSCIOUS BRAIN HAASIL KAR LIYA HAI.


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-41



PLANET-PAGAN


PLACE-OUTSIDE THE CONCEAL




PAR YE KAISE SAMBHAV HUA HOGA...????


itni shaktishali sheild ko hatakar usse bhi sashakth shield ko ussi jagah par laga dena....

is ghatna ko samajhna mere mastishk ke baahar hai....


CONCEAL ke baahar khade un dono PRIME VOTARIES me se ek ne dusre se ye baat kahi thi....


2ND PRIME- FORBIDDEN FOREST ke purane SHIELD ke hatne aur naye shield ke lagne ke baare me bhale hi hum kuch pata naa kar paayen par hum kamsekam ye toh pata laga hi sakte hain ki kya in kuch dino me CHOSENS ya pure ELYSIAN me kuch alag aur anokhi ghatna ghati hai!!!

sambhavata isse hume FORBIDDEN FOREST me hui is anhoni ke baare me koi sutr mil jaaye....


EK GHATNA HUI HAI....AUR US GHATNA KO HUMNE ANJAAM DIYA HAI PAR USKA FORBIDDEN FOREST KE SHIELD KE BADLAW SE KOI LENA DENA HO SAKTA HAI,YE KEHNA AUR JANANA KATHIN HAI....


second PRIME ki baat par first PRIME kuch kehta,usse pehle hi unke piche se ye awaaz aayi jisse sun jab wo dono piche palte toh hairan reh gaye....

kyunki itni sadiyon me pehli baar is planet PAGAN par unke siwa kisi aur ne apne kadam rakhe the...

aur wo isiliye kyunki ye PLANET ek invisible planet tha jisse sirf wo dono hi dekh sakte the aur is Planet ke chaaron taraf bane CONCEAL se nikalte behisab energy ke kano ko wo dono khudme sokh pure bramhand me faile negetive energy me barabar maatra me failate the...

bina kuch kahe jab wo dono PRIMES chup chaap apne saamne kaale labaden me dhak khade 2 lambe chowde khubsoorat naujawano ko dekhte hi rahe toh..


1ST-aise kya dekh rahe ho TRISTEN,UBEL urf PRIMES....


un do naujawano ke mooh se apna naam sun dono PRIMES jinke naam TRISTEN aur UBEL the,unhe ek naya jhatka laga....

wo dono kabhi kisi manushya ke saamne nahi aaye the, isiliye kisi manushya ke liye bhi unka naam aur unki asliyat jaanana namumkin tha par aise me unke saamne khade noujawan unka naam le rahe the,ye unke liye hadh se zyada surprising baat thi....aur isiliye.....


TRISTEN-kaun ho tum dono....???yahan tak pahunche kaise???aur humara naam kaise jaante ho tum dono....


1ST-bande ko DORIAN kehte hain...

2ND-aur mera naam GASTON hai....

UBEL-aadhe adhure jawab ka kya matlab hai???ye ek invisible Planet hai fir tum dono yahan tak pahunche kaise.??aur tum dono hume kaise jaante ho...???

TRISTEN-bina rooke,bina chhupaye ek baar me sab batao..warna fir kuch bhi chupaane ke liye bachoge nahi.

GASTON-yaar,hum toh waise bhi tumhe sab kuch batane hi waale the fir ye dhamki dene ka kya matlab hua....???

DORIAN-arre GASTON tu bhi naa..dhamki toh ye denge hi..aakhir ye VOTARIES hain aur wo bhi PRIMES...

uske upar jinhe ASPRIT CRYSTAL haasil karne jaisa mahatvpurn kaam mila ho,aise me ghamand toh hoga hi,kyun????


DORIAN ki baat sun TRISTEN aur UBEL dono ki hairani aur badh gayi...

aaj se laakhon saal pehle ek kaali urja ke zariye unki utpatti hui thi....

utpatti hone ke saath hi dono ke mastishk me unke kartavyon ki suchi ban chuki thi...

pure BRAMHAAND me negetive energy ki vibes ka niyantran jiske liye unhe ye grah pradan kiya gaya....

THE PAGAN....ek grah jiska arth hi GODLESS tha...kaali urja se bhare CONCEAL se bana ya grah jo sab ke liye invisible tha par TRISTEN aur UBEL ko isse dekhne aur isme moujud CONCEAL se kaali urja bator pure universe me faili negetive energy ko taakat dene ka order mila tha....

aur kyunki ye ek bohot hi mahatvpurn kaam tha jisse in dono ke supudr kiya gaya tha, isiliye in dono ko kaali duniya ke baasindon me jinhe VOTARIES kaha jaata tha,sabse uccha ohda jisse PRIMES kaha jaata tha,wo diya gaya...

inhone kabhi apne janm daata ko nahi dekha tha...bas unki moujudgi,unki taakat ko ye mehsoos karte aa rahe the...

aur fir jab ELYSIAN bana aur usme CHOSENS bana,tab inke mastishk me ek naya daayitv mehsoos kiya tha...in dono ko hi ek naya kartavya mila tha...

aur kartavya tha tha kisi tarah FORBIDDEN FOREST me ghuss ESPRIT CRYSTAL naam ke ek POUDHE ko haasil karna.....

par ye baat sirf in dono tak hi seemit thi par aaj woh baat,woh RAAZ kisi aur ke mooh se sun unki hairangi ka thikana naa tha....

aur isiliye......

dono ke haathon me kaali urja se bani do behad hi shaktishali rays dikhne lagi jisse dekhne ke baad bhi DORIAN aur GASTON yunhi khade rahe aur toh aur dono ab muskurane lage the jisse dekh...

TRISTEN aur UBEL ne wo shaktishali rays un dono par chhod di...

tezi se aage badhti hui wo rays sidhe DORIAN aur GASTON ke paas pahunchi aur agle hi pal....

TRISTEN aur UBEL ki aankhen hairat se phaile gayi...

reason....

wo rays DORIAN aur GASTON ko chunne se pehle hi gayab ho gayi...

wo dono ye sab dekh hairan ho hi rahe the ki...


DORIAN-ego shaant nahi hua hai toh ek do baar aur try kar lo....


DORIAN ki baat sun krodh se bhar TRISTEN aur UBEL ne pehle se zyada shaktishali rays se unpar hamla kiya par is baar bhi wahi hua jo pichli baar hua tha aur saath hi TRISTEN aur UBEL ke chehron par bhi same expressions ne dobara janm liya...

hairani waali...


TRISTEN-ye ho kya raha hai...????hum PRIME VOTARIES hain..sabse shaktishali devils....fir bhi hum in dono par ek waar tak nahi kar paa rahe hain...

UBEL-inse bhi wahi nakaratmak urja mehsoos ho rahi hai jo ek negetive energy ke dhaarak se feel hoti hai...

toh kya ye dono hum dono se bhi zyada taakatwar hain....!!!!


dheere dheere ek dusre se ye baat kahi thi TRISTEN aur UBEL ne par DORIAN aur GASTON ke kaano ne in baaton ko sun liya tha aur isiliye....


GASTON-jab tumhe hum dono se hi negetive energy ke dhaarak hone ka ehsaas ho gaya tha fir tumne humpar waar kiya hi kyun???

bhale hum ek dusre ko nahi jaante,par hue toh hum ek hi biradari ke naa...!!!

sirf isiliye kyunki hum tumhare baare me jaante hain,iska ye arth toh nahi ki hum tumhare dushman hain....

khair, tumhare dusre sawal ka jawab ye hai ki nahi,hum tum dono se zyada taakatwar nahi hain...

humne yahan aate hi tum dono ki urja ko mehsoos kiya tha jisse hum jaan gaye the ki tum humare jitne hi taakatwar ho.....


GASTON ko baat sun TRISTEN aur UBEL ke chitt kuch shaant hue aur....


UBEL-fir humare waar tumhe chhu kaise nahi paaye..???aur sabse mahatvpurn prashn...tum dono ho kaun aur is jagah aur humare baare me kaise jaante ho....???

DORIAN-tumhare waar hume isiliye nahi chhu paaye kyunki jisne tumhe shakti di hai,wo aisa nahi chahte the....


DORIAN ki baat sun TRISTEN aur UBEL ki aankhen badi ho gayi....


TRISTEN-kya tum unhe jaante ho jinhone hume hamara astitv diya hai....???kya tum mile ho unse...???

DORIAN-nahi..tumhari hi tarah hum bhi apne maalik ko,apne LORD ko nahi jaante....

jis din humne WICKEDS ko chuna tha,us din ke baad se humari shaktiyon me zaroorat se zyada izafa hone laga tha.....

aur tab hume hamare maansik tarango dwara ye ehsaas hua tha ki koi hai jisse hume shakti milti hai..

CHOSENS se nikalne ke baad unhi mansik tarango ke sahare hume kya karna hai,iska aadesh milta raha hai....

TRISTEN-fir tumne aisa kyun kaha ki jisne hume shakti di hai,wo nahi chahte ki humara waar tumpar asar kare....!!!!

GASTON-kal,jab hum apne CEREBRATION process ko pause kar baithe hue the tab achanak humare antarman me ek chalchtra chalne laga...

wo chalchitra tum dono ki utpatti aur saath hi is jagah ke baare me tha...

tumse judi saari chizen dikhane ke baad ek baar firse hamari maansik tarango ke zariye hume bataya gaya ki hume kya karna hai aur isiliye hi hum yahan aaye hain...


GASTON ki baat sunane ke baad TRISTEN aur UBEL ka mind clear ho chuka tha aur isiliye....


TRISTEN-yahan aane ke baad kya karne ka aadesh mila tum dono ko...???

DORIAN-kuch der pehle UBEL ne jo baat kahi thi, aadesh ussise juda hua hai...???

UBEL-maine ashanka jatayi thi..!!!kaun si aashanka...???

DORIAN-yahi ki agar beete kuch dino ke dauran CHOSENS aur ELYSIAN me hui kuch alag aur ajeeb ghatna ke baare me pata lagaya jaaye toh sambhavatah FORBIDDEN FOREST ke SHIELD ke saath hue is naye ferbadal ke baare me kuch pata chal sake...!!!

TRISTEN-kya tum jaante ho aisi koi baat jo hamare kaam aa sake...!!!


TRISTEN ke sawal par GASTON ne un dono se unke dwara CHOSENS me ki gayi saari chizon ke baare me vistaar se bataya jisse sun....

UBEL-tum dono bilkul sahi waqt par CHOSENS se nikal aaye kyunki agar ab bhi tum wahan hote toh chup chaap nikal nahi paate...

wahan kiye gaye naye intezam ke tahat ab kisi bhi roop me wahan chhupna asaan nahi hoga...

DORIAN-mushkil bhi nahi hai aur yahi hume mila hua aadesh bhi hai..

TRISTEN-hum samjhe nahi....

GASTON-chalchitra me tum dono ke baare me humne sab kuch jaana..wo sabkuch suna jiske baare me tumne kabhi bhi baat ki ho...

apne vaartalaap ke dauran ek baar tumne kaha tha ki FORBIDDEN FOREST ke kawach ko todne ke liye tumhe apne hi jaise 2 primes ki zaroorat hai....(update 14)

aur ab tumhare saamne wo do moujud hain.. bhale hi hum tum dono ki tarah designeted nahi hain,par taakat hamari bhi tum dono jitni hi hai....

TRISTEN-baat toh tumhari sahi hai kintu tum bhul rahe ho ki ab FORBIDDEN FOREST ke saamne lagi SHIELD dusri hai aur adhik shaktishaali bhi....

aur saath hi tum kuch der pehle kahi gayi baat ko bhi nazarandaaz kar gaye ki ab CHOSENS suraksha ko behad kada kar diya gaya hai....

FORBIDDEN FOREST toh door ki baat hai, ELYSIAN ke atmosphere me enter karte hi wahan lage REVEAL SHIELD ki wajah se enter karne waala wahin phas jaayega...

DORIAN-pata hai hume...aur is rukawat ko bhedne ka ek upay bhi hai aur hume mila aadesh bhi wahi hai...

aur wo yeh hai ki hum chaaron hummese kisi ek ko apni puri urja de denge...

aisa karne se jisme chaaron ki shaktiyan sammilit hongi,uska AURA aur power kayi guna badh jaayega...

aur aisa hone par wo ELYSIAN ke atmosphere me bina REVEAL SHIELD ko chhue aar paar ho jaayega aur pahunchega FORBIDDEN FOREST...

wahan pahunch wo hum charon ki shakti ke ek bade bhaag se wahan lage shield par waar karega...

agar isse koi asar hua toh thik hai,warna kisi wastu ka roop dhar wo wahin reh jaayega aur intazar karega...

kyunki is baat ke chances bohot zyada hain ki jis bhi wajah se wo nayi SHIELD wahan lagi hai,wo wajah,wo kaaran bohot jald saamne aayega aur aisa hone par kisina kisika us jagah par moujud hona zaroori hai taaki aage ki yojna banayi jaa sake...

TRISTEN-appratim.. bohot acche....par ab sawal ye hai ki humme se kaun jayega wahan???

DORIAN-mere hisaab se mere aur GASTON me se hi ek ko wahan jaana chahiye...kyunki hum dono CHOSEN'S ke X SAVENT bhi reh chuke hain aur kuch samay pehle kaafi dino tak roop badal wahan reh bhi chuke hain...

UBEL-DORIAN sahi keh raha hai...???


TRISTEN ko dekh UBEL ne ye baat kahi jispar usne bhi sehmati se apne sir ko hilaya....


GASTON-DORIAN,tum jaao.....


GASTON ki baat sun DORIAN ne haan me apna sir hilaya jiske baad GASTON, TRISTEN aur UBEL ne ek apna apna haath DORIAN ke sir par rakha aur....


APABHAJATI SHAKTIYEM

SHARE THE POWERS....


teeno ke haathon se tez kaali urja ke kan nikal DORIAN ke sir se hote hue uske andar chale gaye aur kuch der baad jab teeno ki powers uske andar puri tarah sama gayi toh apni aakhen khol ek baar teeno ko dekh DORIAN gayab ho gaya.....




PLANET-ANGIS


PLACE-THE LONSDALEITE SURFACE



THIS FEELS LIKE A HEXAGONAL DIAMOND..... ACTUALLY, LONSDALEITE SE BHI HARD LAG RAHA HAI YE....


ANGIS ki dharti ko chhute hue uski sakhti ko bhaampte hui maine ye baat kahi.....

LONSDALEITE ..THE HEXAGONAL DIAMOND...carbon atom se bana ek aisa padarth jo kisi normal diamond se 58 percent tak zyada sakht hota hai...

earth me mere school ke waqt ek exibition me us padarth ki stiffness ke baare me bataya gaya tha...

maine usse chhu kar bhi dekha tha aur aaj,abhi jab mai ANGIS ke bright hard surface jo ki asal me meri body thi,usse chhu raha tha toh mujhe waisi hi stiffness feel ho rahi thi....

apne SUBCONSCIOUS BRAIN ko apnaane ke baad mai RENAISS se gayab hokar sidhe yahan ANGIS ke surface me pahuncha tha....

kisi suraj aur uski roshni ka naamonisham toh yahan bhi nahi tha par ab mere SUBCONSCIOUS brain ke mere paas hone ki wajah se andhere me bhi mai is jagah ko halka halka dekh bhi paa raha tha aur feel toh mai is jagah ko puri tarah se kar paa raha tha...

jahan iske surface ko chhu mai yahan ke mahoul ko samajhne ki koshish kar raha tha....

wahin mai ye feel kar paa raha tha ki naa sirf yahan ka surface behad sakht hai balki issi surface se ek invisible bhaamp sa uth raha hai jo yahan ke pure atmosphere me faila hua hai....

ye sab dekh aur feel kar mai kuch der tak sochta raha aur fir jahan khada tha ,wahin paalti maar kar baith gaya...

reason....

ab waqt aa gaya tha OMMIN WHIZZDER ki wo BODY AMPLIFICATION CLASS jo maine directly kabhi attend hi nahi ki thi,usme batayi gayi baaton ke practicals ka...

par ye AMPLIFICATION bhi mere liye NEW BORN SAVENTS ke mukable behad mushkil hone waala tha...

reason....

NEW BORN SAVENTS ki BODY AMPLIFICATION CLASS se pehle jo un sab ki BRAIN AMPLIFICATION ki class lagti thi,usme maamuli spells bol ANURODHAM uccharit kar unke asar shuru hote hi ARAMATI spell ke zariye apne BODY aur BLOOD ko strong banaya jaata tha taaki BODY aur BLOOD AMPLIFICATION CLASS ke waqt BODY aur BLOOD ko bardasht ke kaabil banaya jaa sake par mere paas ye suvidha uplabdh nahi thi....

aur wo isiliye kyunki mera BRAIN last level commodity jaisa tha jo ANURODHAM matlab request jaise modes par kaam hi nahi karta tha...

kehne ka matlab tha ki mera brain us bijli ke khambe ki tarah tha jisme 24/7 440 volt ki current ghumti thi,usse kam nahi....

batao,itne lambe hone ka bhi kya faayda ki apne hi pair ko jhuk kar chhu naa paao par ab aisa hai toh hai...

aur waise bhi,jinhe samandar naapna ho,unhe jheel aur nadiyon ki lambayi se fark nahi padta....


neeche surface par baith pehle maine apne aap ko aane waali taklif ke liye taiyar kiya...

kuch der tak sunya me ghurte rehne ke baad maine apni aankhen band ki aur apne CEREBRATION process ko pause kiya....

ek second bhi nahi laga tha mere CEREBRATION process ko pause hone me......

apne CEREBRATION process ko pause kar apne dimag ke through maine apne aantarik sharir me jhaanka aur..


STHVIRA PHALAKA...

STURDY LAYERS....


RRRRRRRRRR......


jaise hi maine spell uccharit kiya,jis surface par mai baitha tha,us surface se hota hua pure PLANET ka surface vibrate karne laga...

ye vibrations us bhaamp,us AURA ki wajah se ho rahi thi jo yahan ke pure atmosphere me faila hua tha....

itna hi nahi, spell ke uccharit hone ke agle hi pal mere sharir ke beech ek roshni utpaan hui aur aisa hote hi mai bhi behad tez vibrate hone laga....

par in sabke baawjud mera CEREBRATION process paused hi raha....

kuch der tak toh yunhi normal vibrations hote rahe par uske baad is planet ke surface se nikalte bhaamp, AURA ne mujhe neeche se jakadte hue upar uthana shuru kar diya.....

aur dekhte hi dekhte mera sharir tezi se 1000 feet tak upar hawa me uth chuka tha....

wahin in sab baaton se bekhabar mai apni aakhen band kiye hue paused CEREBRATION me baitha hua tha....

hawa me hazaron feet tak uthne ke baad mera sharir ek point par rook gaya....

mere rookte hi mere sharir aur pure Planet par ho rahe vibrations bhi rook gaye....

sab kuch ekdum se shaant ho gaya tha...par ye shaanti,ye khamoshi aane waale tufaan se pehle jaisi thi.......

kyunki kuch seconds tak hawa me rooke rehne ke baad mera sharir jitni tezi se upar aaya tha,usse double tezi se neech aane laga...

saath hi ab mera sharir aur pura PLANET aur zor se vibrate karne lage...

par jis tufaan ki baat maine kahi thi,wo ye sab ho rahi ghatna nahi thi balki wo tufaan toh theek us jagah par jahan kuch der pehle mai paalthi maar kar baitha tha,wahan ban rahi thi...

jis AURA ne mujhe upar hawa me uthaya tha,ussi AURA ke bohot se bhaag ne milkar jahan mai baitha tha,us jagah par khudko samet liya tha par is baar wo AURA naa toh invisible thi aur naahi wo sirf dhuan thi...

us AURA ne khudko bhi yahan ke surface ka roop de diya tha par wo roop sapat zamin ki tarah nahi tha,balki 4 se 5 tez dhaar aariyon ki tarah tha...

wahin in sab se bekhabar mera sharir double tezi se niche ussi dhaar dhaar aariyon waali zamin ki taraf girta chala jaa raha tha aur finally.....


KHAACHHH........KHACHHHHH.......


SIR ALAG aur DHADH ALAG......


MERE SHARIR KE DO TUKDE HO CHUKE THE.....







AAJ KE LIYE ITNA HI......





AAPKA APNA V...J......
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DORIAN GASTON AUR DONO PRIMES KI SHAKTI KO KHUD ME SAMET FORBIDDEN FOREST KE LIYE NIKAL JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF ANGIS KI DHAARDHAAR SUFACE SE TAKRAKAR RAAZ A SIR AUR DHADH ALAG HO JAATA HAI.


AB AAGE:-



(CHAPTER-1)


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-42



PLANET-ELYSIAN


PLACE-FORBIDDEN FOREST




KARMATYAM KAWACHAM

BREAK THE SHIELD



aankh band kar apni, GASTON,aur dono PRIMES ki shakti ko ek kar uski urja ko apne haathon me laa usse FORBIDDEN FOREST ki taraf kar DORIAN ne is SPELL ko uccharit kiya jiske agle hi pal...


BOOMMMMM....

KADKADKADKAD......


DORIAN ke haathon se ek behad shaktishali ray nikal FORBIDDEN FOREST ke saamne lage shield se takrayi jiske baad hua ek bohot bada visphot....

ye visphot itna tagda tha ki isse nikalne waali urja ek second me hi pure ELYSIAN me faile gayi....

jisse ek saath teen chizen hui...


pehli... pura ELYSIAN planet hil gaya....


dusri...ye urja CHOSENS ke sabhi exits me lage NIYANTRAK aur ELYSIAN planet ke chaaron taraf lage REVEAL SHIELD se takrayi jisse behad zor se bijli ke garajne ki awaaz hui aur issi awaaz ke saath REVEAL SHIELD aur NIYANTRAK,dono hi kamzor padh gaye...


teesri... DORIAN jisne abhi spell bola tha,us urja ke takraane se wo bhi kayi 100 feets piche hawa me udte hue gira...

itna hi nahi,uska pura sharir bhi jagah jagah se phat gaya aur har fati jagah se khoon risne laga....

neeche zamin par gire hue DORIAN ka pura sharir dard ke maare kaamp raha tha...

itna dard toh usse apne SOUL ke AMPLIFICATION process me bhi feel nahi hota tha jitna abhi ho raha tha...


filhal ELYSIAN me RAAT ka samay tha....par is kaali andheri raat me bhi DORIAN ki aankhon me beintihan dard ki dori ko saaf dekha jaa sakta tha...

par DORIAN ko is dard ki parwah nahi thi... kyunki usse maalum tha ki uski body jaldi hi heal ho jaayegi aur aisa hone bhi paga tha..

par uski aankhon ki putliyan me dard ke saath saath curiousity bhi saaf sikh rahi thi...

aur ussi jigyasa ko apni aakhon ne samete wo saamne FORBIDDEN FOREST ke SHIELD ki taraf dekh raha tha jahan is waqt uske spell ki wajah se dhuan faila hua tha aur dheere dheere chhat raha tha....

DORIAN ko puri ummid thi ki itni adhik shaktishaali spell aur urja ke takrane se shield zaroor toot gayi hogi...

par ye ummid us dhuen ke chhatthe hi toot gayi kyunki dhuan chhatne par DORIAN ne dekha ki shield ab bhi jyon ki tyon hai....

uspar us spell aur uski urja se ratti bhar bhi fark nahi aaya hai...

jin aankhon me kuch samay pehle tak jigyasa naach rahi thi,unme ab hairani dikhne lagi thi...

DORIAN ko ummid thi ki bhale hi un chaaron ki sammilit shakti se nikli urja se puri SHIELD naa tute,par kamsekam wo kamzor toh ho hi jaayegi jisse kuch aur prayason se toda jaa sakega par yahan toh aisa kuch bhi nahi hua tha...

uske upar uski khudki lagi padi thi wo alag.....

yahi sab sochte hue DORIAN neeche gira hua tha par tabhi....

DORIAN ko kuch mehsoos hua...ek ray..ek search urja jo uski hi taraf aa rahi thi aur ye feel hote hi DORIAN ne apni nazaren chaaron taraf ghumayi aur aisa karte waqt usne dekha ki uske right ki taraf kuch door ek badi si chattan hai aur ye dekhte hi....

DORIAN khud ek urja me badal uski taraf ud chala...chattan ke paas pahunch DORIAN jo is waqt ek urja ke roop me tha,usne khudko ek urja roopi shawl ki tarah us chattan par lapet liya...

itna hi nahi,dekhte hi dekhte wo urja jo ki DORIAN hi thi,usne khudko us chattan ke halke halke daraaron ke andar shrink karna shuru kar diya aur fir kuch hi palon me wo urja roopi DORIAN us chattan ke andar sama chuka tha...

chattan ke andar samane ke baad DORIAN ne apni life ray bhi band kar di taaki usse aur uski shakti ko mehoos ya detect nahi kiya jaa sake.....

ab wo chattan aur DORIAN ek ho chuke the... DORIAN ka pehla plan toh fail ho chuka tha aur ab baari thi plan 2 ki jisme usse karna tha intezar....

intezar uske saamne dikh rahe FORBIDDEN FOREST me kuch aisa hone ka jisse uske saamne lagi SHIELD toot sake aur wo haasil kar sake ESPRIT CRYSTAL....


chaliye,ab DORIAN ko uske intezar ke saath chhodte hain aur dekhte hain ki aakhir us search ray ka kya kissa hai jiski wajah se DORIAN ko bhaagna pada...



PLACE-CHOSENS



YE KAMPAN KAISI...????AUR MUJHE AISA KYUN FEEL HO RAHA HAI JAISE NIYANTRAK AUR REVEAL SHIELD KAMZOR PADH GAYE HAIN....


apne bed se ek jhatke me uththi hui WHIZZ MARILIZA ne ye baat kahi thi....

DORIAN ki urja ke FORBIDDEN FOREST ke SHIELD se takrane par pura ELYSIAN planet zaroor hila tha par us vibration ki strength itni zyada nahi thi ki aadhi raat ke waqt is planet ke baashindon ki neend me khalal daal sake...

NIYANTRAK, REVEAL SHIELD aur usse pehle se lage protect SHIELD ki wajah se un vibrations ka asar naam maatra hi raha tha aur saath hi urja aur shield ke collision se jo dhamaka hua tha,aur jo kadkadane ki awaaz nikli thi,usse bhi in saare shields ne CHOSENS aur uske daayre me aane waale saare ABODES,hostels,aur baaki ki jagahon par asar dikhane ae rok diya tha....

par WHIZZ MARILIZA,jinhone REVEAL SHIELD aur NIYANTRAK ko khud lagaya tha, unhone un saari ghatnaon ko sense kar liya tha...

unhe NIYANTRAK aur REVEAL SHIELD ke kamzor hone ko baat bhi pata chal gayi thi aur isiliye....


ZUMABHAVAM

SEARCH


apne dono haathon ko apne dil ke upar rakh WHIZZ MARILIZA ne is behad hi strong search spell ko uccharit kiya...

spell uccharit hote hi unke sharir se ek urja nikal tezi se aage badhi aur dekhte hi dekhte kuch hi der me us urja ne CHOSENS ke saath saath pure ELYSIAN ko search kar daala...

aankhen band kar search ray ke through pure ELYSIAN ko dekhne ke baad WHIZZ MARILIZA hairan ho gayi kyunki unhe kuch bhi galat nahi dikha tha....

kuch der tak sochne ke baad bhi jab wo kisi nishkarsh par nahi pahunch paayi toh unhone apne dimag ko jhatka...

filhal unka sabse important kaam tha REVEAL SHIELD aur NIYANTRAK ko wapas theek karna aur isiliye....

unhone aankh band kar 2 naam pukare jiske agle hi second unke saamne do log prakat hue...

ye do log PHASE 3 ke WHIZZ aur WHIZZDER the jinhone REVEAL SHIELD aur NIYANTRAK lagane me WHIZZ MARILIZA ki madad ki thi...


(inka naam,intro next chapter me hoga)


jo hua uske baare me discuss kar WHIZZ MARILIZA un dono WHIZZ aur WHIZZDER ke saath upar hawa me jahan REVEAL SHIELD laga tha,uth gayi aur fir teeno ne pehle us SHIELD ko aur uske baad NIYANTRAK ko pehle jaisa kar diya...

apna kaam khatm kar WHIZZ MARILIZA ne un dono WHIZZ aur WHIZZDER ko kuch kaam bataya aur fir wo teeno gayab ho gaye....




3 MONTHS LATER:-




MAHI,IT SEEMS LIKE YOU ARE MEANT TO BREAK RECORDS.....

TUMNE AAJ APNE SOUL KO 5 PERCENT TAK AMPLIFY KAR LIYA HAI.....


behad khushi se VIOLET WHIZZ ne ye baat MAHI ke kandhe ko thapthapate hue kahi thi...

sirf VIOLET WHIZZ hi nahi, OMMIN, NOX aur yahan tak ki OPHILIA jo ki dusre class me thi, wo yahan aa MAHI ki is uplabdhi ko dekh behad khush aur gourvankik mehsoos kar rahe the...

wahin MAHI bhi apni is uplabdhi par behad khush thi...


MAHI-thanks WHIZZ...par ye sab toh aap sabhi ke guidence ki wajah se hi ho paaya hai...

OMMIN-guidence hum puri class ko dete hain MAHI,par jitna zyada excell tumne kiya,ye kitni badi baat hai,iska filhal tumhe andaza nahi hai...

CHOSENS ke itihaas me tumse pehle sirf 2 hi SAVENTS apne first PHASE me apne SOUL ko 5 percent tak AMPLIFY kar paaye the par itna karne ke liye bhi unhe lagbhag pura ka pura first PHASE ka waqt laga tha wahin tumne apne first PHASE k
pure hone se kaafi pehle hi ye achievement haasil kar li hai...

and that's what we call extraordinary....


WHIZZDER OMMIN ki baat sun sabhi SAVENTS behad hairan ho gaye,aur hona bhi chahiye.....

MAHI ne jo achieve kiya hai,wo wakayi hairan kar dene waali baat thi...

pichle 3 mahino me jahan baaki SAVENTS 1 percent AMPLIFICATION par the, ALFREEN VALDIS aur ALFREEN 2 percent AMPLIFICATION par the,wahin MAHI in sabse doguna se bhi zyada aage badh chuki thi aur jaisi uske sikhne ki raftaar thi,sabko lag raha tha ki bohot jald wo baaki sabhi se itni aage nikal jaane waali thi ki shayad hi koi uske nazdik bhi pahunch paata....

jahan sabhi SAVENTS ye sab soch rahe the,MABEL aur ALFREEN MAHI ke paas khade hokar usse congratulate kar rahe the wahin VIOLET WHIZZ jo ki MAHI ke haav bhaav joki har waqt ki tarah abhi bhi behad maasum the,unko dhyan se dekh rahi thi, unhone...


VIOLET-MAHI....idhar aana....


VIOLET WHIZZ ne MAHI ko awaaz di jispar wo unke paas chali gayi aur....


MAHI-yes WHIZZ....

VIOLET-bohot jald tumhara ye PHASE khatm ho jaayega aur tum PHASE 2 me chali jaaogi.

a place with a completely different ball game...kuch bhi ho jaaye, situations kaisi bhi aayen,kosish karna ki tum jo ab ho,wahi raho....

MAHI-mai samjhi nahi WHIZZ...???

VIOLET-abhi samajhne ka waqt bhi nahi aaya hai... PHASE 2 pahuncho,
samajh jaaogi...

aur jab wo waqt aayega aur tum meri baaton ka matlab samjhogi to meri bas ye baat yaad rakhna ki.....

JUST DON'T CHANGE YOUR ATTITUDE,& NOTHING WILL CHANGE YOU....




PLANET-ANGIS



PLACE-THE LONSDALEITE SURFACE




AB YE SAB KYA HAI...???MERA DHADH EK TARAF PADA HUA HAI,PAR MERI AANKHEN AB BHI KHULI HUI HAIN.SIRF SIR KE SAHARE KAISE ZINDA HUN MAI....???

AUR TOH AUR DO HISSON ME BATA HUA HUN MAI FIR BHI MUJHE DARD NAHI HO RAHA HAI....


do hisso me katne ke baad mai ek baar firse kaafi waqt tak behosh raha tha aur ab jab maine apni aankhen kholi toh khudko in ajeebo gareeb vismit bhare haalaton me paaya....

in sab chizon ke baare me mai soch hi raha tha ki...


WOOGER- RENAISS me aapne apne mastishk ko jo pura kiya tha,ussiki wajah se aapki aankhen khuli hui hai aur aapke sir ke sahare aap zinda bhi hain..

kyunki bina dhadh ke sirf aapka mastishk bhi apne aap me ek living being hai...

MAI-aur mera ye dhadh jo kat chuka hai..kya iski bhumika yahin khatm ho gayi...???kya ab iska koi mahatv koi importance nahi...!!!!???

WOOGER-jo aapka hissa ho,uski bhumika kaise khatm ho sakti hai.....!!!!

har sakht chiz uske narm bhaag ke bina adhuri hoti hai jaise ki ek naariyal....

aapka ye sharir jo kat kar gira hua hai,ye us pyaale ki tarah hai jisme paani bhara jaata hai....

ye PLANET aapke sharir ka wo sakht, mazboot aur unbreakable part hai jo aapke is kate hue dhadh ke upar hi lag sakta hai....

MAI-toh fir isne isse kaat kyun diya..???

WOOGER-ye aapka nazariya hai...par agar is planet ke DRISHTIKON se kahen toh isne aapke dhadh ko kaata nahi hai, balki isse aapke sir se alag kiya hai....

ye sharir iska bhaag hai toh fir ye kaise isse kisi aur se juda hua dekh sakta hai....???

MAI-GAZAB......par ye planet waali body ho yaa fir ye saamne padi hui body,dono hai toh mere hi...

WOOGER-toh saabit kijiye.. jaisa aapne RENAISS me kiya tha....

MAI-par RENAISS me toh maine apne brain ko brain AMPLIFICATION process ke through haasil kiya tha aur jab same pattern maine yahan try kiya, BODY AMPLIFICATION ka,toh mere sir aur dhadh alag ho gaye....

WOOGER-hamare beech hui baaton me aapke sawal ka jawab chhupa hua hai...???dhoondiye usse....


is baat ke baad maine WOOGER ko feel nahi kiya jiska matlab tha ki ab naahi wo aaspaas hai aur naahi wo aur kuch bolega....

waise bhi ab baat karne ke liye kuch bacha toh tha bhi nai aur isiliye maine apni aakhen band ki aur on ho gaya mera rewind mode.....

rewind karte hue mai WOOGER ki kahi har baat ko yaad karne laga aur aisa karte karte achanak....

meri aankhen khul gayi aur mere mooh se nikla....


MAI-DRISHTIKON.......yahi toh hai wo shabd,wo fark aur yahi hai mera jawab....

maine jo solution nikala,wo mera nazariya hai,mera DRISHTIKON hai par yahan solution mere DRISHTIKON se nahi,balki is PLANET ke DRISHTIKON se honi hai...

badhiya.....par kaise...????


ye bol maine ek baar firse apni aakhen band kar li par agle hi pal...

MAI-ek second...


flash second se bhi kam samay me mere brain me ek baat ghum gayi thi aur....


MAI-DRISHTIKON,haan....

PAR HAR WO NAZARIYA JO MUJHSE ALAG HAI,WO GALAT HAI....

aur khaaskar wo nazariya zyada galat tab ban jaata hai jab wo mujhse hokar bhi mere faisle se bagawat karta hai...


ye baat bol maine apne kate hue dhadh ko dekha....


toh jis baat ne mujhe click kiya tha,ye woh baat thi jo kuch der pehle WOOGER ki awaaz ne mujhse
kahi thi...

us awaaz ne mujhse ye kaha tha ki is planet ne mere dhadh ko kaata nahi hai,balki isse mujhse,mere sir se alag kiya hai..

aur wo isiliye kyunki is planet ke hisaab se ye dhadh uski property hai,meri nahi...

matlab according to this planet,ye mere hi dhadh ko mujhse hi bachana chahta hai...


waah beta,matlab jisne paida kiya hai,ussiko baap maanane se inkaar kar raha hai ye..

khair,ab is planet ki soch,iska nazariya hi mera solution bhi tha...

kaise,aayiye khud dekh lijiye...


maine apni aaakhen ek baar firse band ki aur apne CEREBRATION process ko pause kar apne pure brain me jhaanka....

kyunki ab mera CONSCIOUS aur SUBCONSCIOUS brain ek ho chuke the,isiliye aage aur peeche waala maamla bhi khatm gaya tha...

mere apne andar jhaankte hi mera brain tezi se chamakne laga maano mujhse puch raha ho ki mai kya chahta hun aur aisa hone par...


NIRBHINNATI PARIZEZITA

DESTROY REMAINS


apne dhadh ke chitr ko apne mastishk me utar COMMAND MODE ke tahat ek bohot hi powerful spell ko apne dimag me uccharit kiya maine jiske baad....

mere sir ke centre se ek ray nikal mere dhadh se takrayi aur aisa hoti hi...


KADKADKADKAD....


pura planet tez gadgadahat se gunj utha....ek baar firse pura PLANET vibrate hone laga.... saath hi yahan faili invisible baamp ne ek baar firse khudko yahan ke surface ka roop diya aur aage badhte hue mere kate hue dhadh ko gherne lagi taaki mere brain se nikalne waali urja se usse bacha sake....

par yahan mere paas ek plus point tha aur wo ye ki mera BRAIN mere paas hone ki wajah se ab complete tha aur isiliye uski shakti bohot zyada thi wahin yahan ka non distructable hexagonic diamond surface apne maalik ko naa apnaane ki wajah se mere brain ke mukaable kamzor tha aur issi wajah se is planet ka wo AURA jisne mere dhadh ko bachane ke liye khud ko kawach banaya hua tha,usme darar aane lagi...

aur is baat ko is PLANET ne mehsoos kar liya aur isiliye agle hi pal...


BOOM.....BOOMMM.....BOOMMM...


yahan ke surface se bade bade chattan ke size ke tukde nikal mere sir se takraane lage par is baat ko mere brain ne sense kar liya tha aur isiliye mere pure sir ke chaaron taraf ek urja fail chuki thi jo ki mere sir ki kawach thi...

wo chattan numa surface ussi kawach se takra rahi thi...aur kyunki wo chattan,wo surface mera hi hissa thi,isiliye unke kawach me takraane ke baawjud mera pura sir hil jaa raha tha..

mujhe aisa lag raha tha maano mera sir fat jaayega par aisa lagne ke agle hi pal mera sir khudko heal bhi kar le raha tha..

ye waqt mere patience ka test thi jisse mai lagatar jhelte chale jaa raha tha..

wahin in sabse alag mere sir ke beech se nikalti ray lagatar us kawach numa AURA se takrate hue usse kamzor karti chali jaa rahi thi aur jab is planet ne,yahan ke surface ne is baat ko sense kiya ki kuch hi palon me uska bana kawach toot jaayega toh uske andar se ek naya AURA nikla aur us AURA ne human aakruti leni shuru kar di aur jab uska wo form pura hua toh.....


SURFACE-ROOK JAAIYIYE...MAI HAAR MAANTA HUN....


pura PLANET us aakruti ki awaaz se gunj utha..uski awaaz mere kaano se hote hue mere brain ke andar tak gunj uthi jiske baad maine apni ray wapas kheench li aur aisa hone ke baad maine apni aankhen khol di...

aankh khulte hi maine dekha ki mera saamne sir jhukaye is PLANET ka AURA khada tha...

MAI-sir kyun jhuka hai tumhara...???

tumhari sakhti kamzor pad gayi isiliye yaa fir akad kamzor padh gayi isiliye....

SURFACE-aapke mujhpar kadam rakhte hi mai samajh gaya tha ki mera wajud pura hone waala hai...

par jo bhi hua,wo hona bhi zaroori tha...jo taklif aapko hui,jo dimagi mehnat aapne ki,ye aapko aapke astitv ki mahatvpoornata yaad dilayegi....

MAI-yaadasht meri kabhi kamzor nahi thi....tab bhi nahi jab mera brain adhura tha...

chiz apni ho yaa parayi,agar important hai toh mujhe yaad rehti hi hai....

isiliye gyan baatna chhod aur bas itna bata ki aage kya...???

SURFACE-kya aap mujhe apnaate hain...???

MAI-haan....


mere aisa bolte hi wo AURA wapas neeche SURFACE me sama gayi aur aisa hone ke agle hi pal...

pura PLANET tez roshni se naha gaya aur...

DDDDDD..DDDDDD...DDDDD....

roshni se nahaye is planet ne ek ajeeb awaaz ke saath khudko sametna shuru kiya...

wahin mera wo dhadh jo saamne zamin par gira hua tha,wo hawa me uth gaya aur wapas mere paas aakar mere sir se judne laga...

mere gale ke bhaag ke upar ek roshni chamki aur aisa hone ke agle hi pal mera wo dhadh mujhse jud chuka tha...

dhadh ke judte hi jab maine saamne dekha toh paaya ki ab tak is pure planet ke surface ne khudko fold kar liya tha.....

jis surface se ye pura planet covered tha,wo hat chuki thi aur ab ek baar firse mere saamne ek dead planet tha....

wahin fold hone ke baad ab mere saamne koi surface nahi tha balki ek tez chamakti hui roshni thi jo zamin se upar rooki hui thi..

ek pal yunhi rookne ke baad wo roshni aage badhi aur sidhe mere paas aakar rook gayi....

mere saamne kuch seconds rookne ke baad wo roshni ek jhatke me aage badhi aur......


ek baar firse meri aankhen band ho gayi thi...sir se pair tak mai itni tez roshni se ghir gaya tha ki aisa lag raha tha maano 100 surya ne mujhe khudme lapet liya hai...

meri aankhen toh band thi par mai apne sharir me ho raha badlaav saaf mehsoos kar paa raha tha...

mai feel kar raha tha ki meri height badh rahi thi,mera jism chouda ho raha tha aur saath hi mujhe mere sharir ki beintihan sakhti bhi mehoos hone lagi thi...

dekhte hi dekhte kuch hi der me mere sharir me ho raha parivartan pura hua....

mera wo sharir jo mere prithvi par aane se hi mujhse alag ho gaya tha,aaj mujhe wo mil chuka tha....

mere sharir ke puri tarah mujhse judte hi wo roshni jo ab tak chamak rahi thi, dheere dheere gayab ho gayi aur aisa hote hi jab maine apne haathon ko dekha toh paaya ki ab wo pehle ki tarah saawle nahi the...

wo kaafi fair lag rahe the..mai khudko pehle ke mukaable kaafi uncha bhi mehsoos kar raha tha....

khudko puri tarah dekhne ki iccha liye maine apni aakhen band ki aur....


AADHESHAM....

SWAMDEHA KAROTI....

REFLECT ME.....


COMMAND MODE ke antargat maine khudko dekhne ki iccha zahir ki jiske baad is SPELL ke through mujhse hubahu meri hi ek transparent chavi nikal mere saamne aakar khadi ho gayi....

6 feet se thodi zyadi height,gehri kaali aankhen,jitni kaali aakhen,utna hi gora aur aakarshak chehra aur sharir...

sharir, jo kisi faulad se bhi zyada sakht lag raha tha...is planet me aate waqt mere sharir par jo kapde the,wo mujhe kaafi dheele aate the par ab aisa nahi tha...

wo INSTITUTION ki dheeli dhaali shirt ab mere sharir par puri kas gayi thi..aisa lag raha tha jaise agar maine halki si bhi zor aazmaaish ki toh wo fat jaayegi...

wahin neeche jo pant thi,uske waistline par ilastic material lage hone ki wajah se wo bhaag strech ho gaya tha par uske neeche se pant chota aur tight ho chuka tha...

khudko ek nazar dekhne ke baad maine apni pratibimbh par haath firaya jisse wo gayab ho gaya....

yahan ka mera kaam khatm ho chuka tha... aaj mai 50% tak pura ho chuka tha..aur ab mujhe apne agle padhav ke liye nikalna tha aur isiliye...

maine apni aakhen band ki aur fir mere labh hile...


ANNJAYA......







AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAPKA APNA V....J.....
 
Member
278
52
28
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DORIAN FORBIDDEN FOREST KE AAGE LAGI SHIELD KO TODNE ME NAAKAMIYAB HOTA HAI WAHIN DUSRI TARAF RAAZ ANGIS ME APNI BODY KO HAASIL KAR CHUKA HAI...


AB AAGE:-



CHAPTER-1


(UNFOLD THE RAAZ)



UPDATE-43



PLANET-ELYSIAN


PLACE-GARDEN




YAAR,YE MOM DAD KO YAHAN AATE HI HO KYA JAATA HAI...???HAR DIN SHAAM KO YAHAN AATE HAIN AUR YAHAN AATE HI DONO SAD HO JAATE HAIN.....


FLORIN aur MARIA ko dekhti hui ALFREEN ne ye baat MAHI se kahi thi....

shaam ka waqt hai.... ALFREEN aur MAHI ke ABODES ke aage ek bohot bada garden tha jahan aksar ye sab jaaya karte hain...

par pichle kuch waqt se FLORIN aur MARIA is garden ke bench par chup chaap baithe ek bade se ped ki taraf dekhte rehte the...

aur aisa karte waqt un dono ke hi aankhon me ek udaasi tairti rehti thi...

par jab bhi ALFREEN ya MAHI unke saamne aate the toh wo dono apne chehre ki udaasi ko turant chhupa lete the par unki ye udaasi naa toh ALFREEN se chuppi reh paayi aur naahi MAHI se...

abhi bhi FLORIN aur MARIA waise hi udaasi se bhare ussi bench par baithe hue the jisse dekh ALFREEN ne ye baat kahi thi....


MAHI-kyun,tujhe pata nahi hai uncle aur aunty ki udaasi ki wajah..???

ALFREEN-pata hai aur yahi baat toh sabse annoying hai..i mean why the hell are they thinking so much about that RAAZ???

theek hai wo unke hi orphanage me bada hua hai aur uske yun gayab ho jaane se unhe taklif hui thi par yaar ab is baat ko acha khaasa waqt beet chuka hai.

then why are they not yet over it...???

MAHI-agar mai achanak gayab ho jaaun toh kya kuch waqt ke baad tu mujhe bhul jaayegi....????

ALFREEN-are you out of your mind MAHI.....???ye kya behuda sawal kar rahi hai tu...???

MAHI-it's a simple question.. just answer it...

ALFREEN-pehli baat toh mai tujhe kahin gayab hone hi nahi dungi...aur dusri baat ki mai tujhe kuch din kya kabhi bhi nahi bhul sakti...u are my bestie,my sister...

MAHI-exactly..and that's the point..jaise mai tere liye important hun,thik waise hi RAAZ uncle aur aunty ke liye important hai...

isiliye bhale hi kitna bhi waqt kyun naa guzar jaaye,wo dono usse nahi bhula paayenge...

but pata hai sabse sad part uncle aunty ki udaasi nahi kuch aur hai...???

ALFREEN-kuch aur...???kya???

MAHI-tu pehle ye bata ki jab bhi uncle aur aunty abhi ki tarah udaas rehte hain aur tu unke saamne jaati hai toh wo kya karte hain...???

ALFREEN-wo apni sadness chhupa lete hain...

MAHI-jaise tu unke expressions se unki man ko baat samajh jaati hai toh kya thik waise hi wo bhi tere man ki baat nahi samajhte honge...

ALFREEN-mai samjhi nahi...

MAHI-unhe bhi tere expressions se,tere vatraav se ye baat pata hai ki you dont like RAAZ....

aur isiliye hi wo dono apni udaasi tujhse chhupate hain...aur yahi unki main sadness hai...

teri RAAZ ke liye negetive feelings ki wajah se wo dono apni feelings tere saamne open nahi kar paate.....


MAHI ki baat sun ALFREEN ko jhatka bhi laga aur bura bhi..sach hi toh kaha tha MAHI ne....

ye sach tha ki wo RAAZ se nafrat karti thi aur aisa karne ke liye uske paas ek valid reason bhi tha....

ek ladki jiski sabse badi shakti uski intuition power hi rahi hai..wo intuition jo kayi baar sahi sabit ho chuki hai,uska usse RAAZ ke liye alert karna yunhi toh nahi ho sakta tha..

uske upar usse ek hi sapne ka 2 baar aana wo bhi ek hi sequence me,ye bhi koi ittifaq nahi ho sakta tha...

in sab reasons ke baad naaraz hona,nafrat karna laazmi hi tha but having said that,apne emotions ko kisi aur par toh thopa nahi jaa sakta tha aur in a way ALFREEN ne ye apne parents ke saath kiya tha...

uski RAAZ ke liye naapasandi itni visual thi,itni clear thi ki uske mom dad ke nazaron se chhup naa saki aur issi wajah se kayi baar jab uske mom dad RAAZ ke baare me usse puchna chah rahe the,wo nahi puch paate the...

aur aaj bhi uski issi naapasandi ki wajah se unhe apne emotions apni hi beti se chhupane pad rahe the...

ye sab soch ALFREEN khudme kaafi sharminda feel karne lagi aur turant apne mom dad ki taraf badh gayi...

wahin MAHI bhi kuch sochte hue ALFREEN ke saath ho li...


ALFREEN-mom pops..... sorry....


apne mom dad ke saamne pahunch ALFREEN ne ye baat kahi jisse sun wo dono thode hairan hue aur isiliye...

MARIA-sorry kisliye baccha...???

ALFREEN-mujhe pata hai ki aap dono ab bhi RAAZ ke gayab hone se sad hain par mere usse dislike karne ki wajah se kuch keh nahi paate...

i am really sorry for being so insensitive....


aakhon me halki si nami ke saath kahi ye baat ALFREEN ne jiske baad FLORIN aur MARIA ne usse kheench kar apne beech baitha liya

aur tabhi.....

FLORIN aur MARIA ke ALFREEN ko chhute hi ek invisible force ray un teeno ke sharir ke baahari satah par aakar vibrate karne lagi...


FLORIN-AL,we know that you have a golden heart...hum jaante hain ki tum kabhi kisika bura nahi chah sakti aur isiliye hi hume is baat ka bhi andaza hai ki RAAZ ke liye tumhari negetivity ke peeche zaroor koi aur reason hai..

aisa reason jisse tumne hume bataya nahi hai and don't worry..hum khudse puchenge bhi nahi...

kyunko jo bhi reason hai,hume pata hai ki tum usse handle kar logi...but we are really proud ki tumhare apne reasons hone ke baad bhi tumne humari feelings par bhi dhyan diya...

ALFREEN-proud aapko mujhpar nahi, MAHI par hona chahiye..ussine mere mind ko clear kiya...


ALFREEN ki baat sun jab MARIA aur FLORIN ne MAHI ki taraf dekha ki wo bhi ALFREEN ki hi tarah aankhon me nami aur chehre par muskan liye MARIA ke saamne hi khadi thi...

MARIA thoda aur side ki taaraf hui aur apna haath badha MAHI ko bhi beech me baitha liya

aur tabhi.....

SOOBH....


jaise hi MARIA ne MAHI ko beech me bithaya toh un chaaron ke bodies interconnect ho gaye aur aisa hote hi...

MARIA, FLORIN aur ALFREEN ke sharir ke baahari satah par rooki hui invisible force ray ek jhatke me unse alag hui aur sidhe ek disha ki taraf badh gayi....

wahin beech mai baiththe hi MAHI ne un emotional talks ki disha ko ghumana ke liye...


MAHI-waise uncle,aunty aap dono saamne us ped ki taraf kyun dekhte rehte hain...???


unse kuch door saamne jo ped tha,jiski taraf MARIA aur FLORIN yahan baithkar hamesha dekhte rehte the,usse point karte hue MAHI ne apni baat kahi jispar..


MARIA-actually saamne jo ye ped hai,issiki tarah ka ek ped hamare orphanage ke saamne bhi tha jiske ek daal par RAAZ har din baitha rehta tha...

MAHI-har din....par kyun..???


MAHI ki baat par MARIA ne FLORIN ki taraf dekha maano puch rahi ho ki WOOGER ki baat baccho ke saamne karna thik hoga yaa nahi....

kyun ELYSIAN pahunchne se pehle RAAZ ne ye bataya tha ki usse us ped ke aage bane jheel ke paas WOOGER feel hota tha..

FLORIN bhi MARIA ki aankhon me ubhra sawal samajh gaye aur isiliye....


FLORIN-bas aise hi..usne khud toh kuch bataya nahi par us ped se thodi aage ki taraf ek jheel thi aur shayad RAAZ ko wo dekhna acha lagta tha....


iske baad RAAZ se related MAHI ne FLORIN aur MARIA se kuch aur baatein puchi jiska unhone jawab diya...

unhone RAAZ se related ek do kisse bhi ALFREEN aur MAHI ko bataye jisse sun dono thodi hairan hui..

yahan MARIA aur FLORIN RAAZ se judi purani yaadein taaza kar rahe the aur wahan....

FLORIN, MARIA aur ALFREEN ke body se nikal wo invisible force ray tezi se aage badhti hui ek disha me jaane lagi...

arre,ye kya!!!ye ray toh FORBIDDEN FOREST ki taraf jaa rahi thi...

tezi se FORBIDDEN FOREST ki taraf badhti hui wo ray kuch hi palon me us FOREST ke saamne pahunch chuki thi...

par wahan pahunchne ke baad bhi wo ray rooki nahi balki aage badhti chali gayi aur....

ek chamatkar si ghatna ghati...


aage badhti hui us ray ne FOREST ke saamne lagi sheild ko yun bheda maano wahan koi shield thi hi nahi...

bina kisi vyavadhan ke wo ray us SHIELD ko paar karte hue FORBIDDEN FOREST ek andar samati chali gayi....




PLANET-ANNJAYA


PLACE-THE RED OCEAN




YE MERA KHUN HAI YAA PURE UNIVERSE KE LOGON KA...!!!!

ISKA TOH END BHI NAHI DIKH RAHA HAI...PACIFIC, ATLANTIC AUR INDIAN OCEAN KE MIXTURE SE BHI ZYADA LAG RAHA HAI YE TOH....


ANNJAYA...wo planet jahan mujhe mere sharir ke adhurepan ka teesra bhaag milna tha..mera BLOOD....

is waqt mai aasman me khada is pure planet ko dekh raha tha...

is planet me koi zamin nahi thi....jahan tak meri nazar jaa rahi thi,wahan tak mujhe anthhin RED WATER jo ki mera blood tha,wo dikh raha tha...

ek pura PLANET jo ki OCEAN OF BLOOD se bhara hua tha...aur yahi sab dekh maine ye baatein kahin thi...


MAI-ye smell apne saath kaisi force create kar rahi hai...???


jaisa ki maine bataya ki kaafi der se mai yaha upar aasman me khada ye sab dekh raha tha..

aur har thodi der me mere naak me ek ajeeb si mehek feel hoti thi aur jab bhi mujhe wo smell aati thi,toh saath hi mujhe ek strong push feel hota tha aur issi wajah se maine khud se ye sawal kiya aur mere aisa karne ke agle hi pal mere dimag ne hi mujhe jawab bhi de diya tha....

daras ye smell mere hi blood ki thi jo uske AURA se,jo yahan ke atmosphere me ghumti rehti thi,usse aa rahi thi....

aur jab bhi wo AURA mujhe chhute hue guzarti thi,tab mujhe wo strong push feel hota tha....

par kyunki mujhe in sabse koi khatra nahi tha isiliye maine apna dimag is topic se hataya aur lagaya main baat par...


MAI-shuruat kahan se ki jaaye..???ANGIS me toh BODY AMPLIFICATION waala tarika kaam nahi aaya tha...

jaise wahan ek alag logic tha,ho sakta hai ki yahan bhi kuch aisa hi ho....

par kya????

chalo,pehle basics se hi shuru karte hain...


ab mujhe apna blood AMPLIFICATION ka process shuru karna tha par RENAISS aur ANGIS ke mukable apne AMPLIFICATION process ko yahan shuru karna kaafi mushkil tha..

aur wo isiliye kyunki mai filhal hawa me tha...aur mai hawa me isiliye sthir khada ho paa raha tha kyunki abhi tak mai bas situation ka jaayaza le raha tha..

jaise hi mai yahan apna AMPLIFICATION shuru karta,toh mera ye hawa me hold toot jaata aur mai sidhe neeche ocean me girta...

waise toh mai kaafi ucchaiyon par tha aur issi wajah se niche ocean tak pahunchne me mujhe thoda waqt lagta par girna toh tay hi tha..

aur sabse badi problem ye thi ki blood ke thickness ki wajah se us ocean me ek inch bhi jhaanka nahi jaa sakta tha..

kehne ka matlab ye hai ki mujhe pata nahi hai ki us blood se bhare ocean ke andar mere liye kaisi chunouti ho sakti hai...???

par itne saare if's aur but ke beech ek baat toh clear thi aur wo ye ki filhal AMPLIFICATION process ko shuru karne ke alawa mere paas aur koi option hi nahi tha aur isiliye....

maine khade khade hi apni aankhen band kar li jiske agle hi pal mera CEREBRATION process pause ho chuka tha aur aisa hote hi...

mai tezi se niche girne laga....hawa ko cheerte hue mera sharir neeche mere hi OCEAN OF BLOOD ki taraf badhta chala jaa raha tha...

wahin mera chitt bilkul shaant tha...mai apne dimag se hote hue apne andar jhaank raha tha...par yahan ek samasya thi aur wo ye ki mujhe jis bhi part ko AMPLIFY karna hota tha,mera wo bhaag toh mere andar nahi balki mere baahar moujud hota tha..

par ab jo tha so tha aur isiliye....


AURAVA VIBHUTIEN

AURA EXPANSION


mere niche bhare hue OCEAN OF BLOOD ki chavi ko yaad kar maine BLOOD AMPLIFICATION me bole jaana waala spell uccharit kiya aur mere aisa karte hi......


SOOBH.....SOOBHHH.....SOOBHHH.....


us OCEAN OF BLOOD se ek ke baad ek teen bade bade TORNADO ne janm liya...

khoon se bhare teen bade chakrawat...itne bade ki ek baar me ek pura shahar tak nigal jaayen...

yahan mera sharir neeche gir raha tha aur wahan wo teeno tornado bade hote chale jaa rahe the aur fir.....

CHHCHHHCHHH......


mera sharir ek tornado se takra gaya aur aisa hote hi us tornado me ek ajeeb si awaaz honi shuru ho gayi..

aisa lag taha tha maano wo tornado mujhe apne andar sametkar meri chatni banane ki koshish kar raha ho...

aur shayad wo aisa karne me kaamiyab ho bhi jaata agar mujhe apna asli sharir nahi mila hota....

mere is naye sharir ki wajah se wo tornado mujhe upari taur par toh koi nuksaan nahi pahuncha paaya par AURAVA VIBHUTIEN waale spell ki wajah se aur us tornado ke asli swaroop jo ki mera BLOOD tha, uski wajah se mujhe apne andar behad tez jhatke lag rahe the...

aur kyunki ab mai us tornado ke andar tha jiska matlab tha ki mai apne blood se direct contact me tha, toh is wajah se us spell ka asar aur zyada ho gaya tha..

mujhe mere pure anduri sharir,aur usse hote hue pure brain ke har nerve me jhatke padne lage...

mera brain aur meri body, dono hi mujhe relieve karne ki puri kosish kar rahe the par in sabme ek sach ye bhi tha ki blood brain aur body se zyada pure hota hai..

isse bana AURA bhi BRAIN aur BODY ke AURA se zyada strong hota hai aur issi wajah se meri taklif bhi ab tak mile taklifon se zyada thi...

aur zakhm me namak waali baat ye thi ki wo tornado mujhe apne saath saath behad tezi se gol gol ghuma raha tha..

ek toh tez jhatke,uske upar se ye free circulations...in sabki wajah se mujhpar reh rehkar behoshi chhati chali jaa rahi thi par mera BRAIN mujhe hosh me rakhne ki puri koshish kar raha tha......

jis tornado ke andar mai fasa tha,kuch der mujhe usme fasaye rakhne ke baad wo mujhe dusre tornado me fekh deta tha aur fir yahi wo dusra tornado bhi karta tha...

saalon ne mujhe ball bana diya tha aur catch catch khel rahe the...

kaafi der tak ye sab chalta raha par jab wo teeno tornados mere senses ko nahi mita paaya toh....

mai is waqt third tornado ke andar tha..par is baar kuch der tak khudme ghumane ke baad usne mujhe paas nahi kiya balki mujhe ek jhatka diya jiski wajah se mai usse nikalta hua upar hawa me uththa chala gaya aur jab aisa hua toh...

wo teeno tornado ek dusre ke paas aane lage aur dekhte hi dekhte wo ek ho gaye aur aisa hone ke baad....

teeno tornado ke ek hone ki wajah se us ek tornado ki shakti aur badh gayi thi par is baar usne kuch aur karne ki sochi...

yahan mera sharir ek unchayi par pahunch kar niche aane laga aur wahan us tornado ne apne sabse ucche bhaag ko dhaardhaar kar diya theek waisa hi jaisa ANGIS ke surface ne kiya tha...

bas fark sirf itna tha ki wahan wo jagah mere body se bani thi aur yahan mere blood se...

mera sharir tezi se neeche aaya aur...

TANNNN.....


jaise hi mera peeth ka middle part us blood se bane sharp point se takraya,toh is awaaz ke saath mera body wahin rook gaya...

ab bhala ek LONSDALEITE jaisi strong body ko yunhi toh nail nahi kiya jaa sakta tha aur isiliye mujhe aur mere body ko us pointed DHAARDHAAR ubhri hui jagah se koi fark nahi pada aur jab us tornado ne is baat ko sense kiya toh agle agle hi pal...

jis pointed jagah par mera sharir tika hua tha,us jagah ne khud ko expand karna shuru kiya aur dekhte hi dekhte wo nukili jagah ek bade se flat aur solid surface me badal gayi..

ye surface us tornado ke aadhe bhaag se bana tha...wahin aisa hote hi us tornado ka baaki ka aadha bhaag jo ki neeche tha,wo side se hota hua upar uthne laga aur dekhte hi dekhte wo bhaag bhi solid state me badalta hua ek mote aur bade se surface ka roop lete hue mujhse kuch 100 metre upar hawa me jaakar rook gaya...

lagatar lage jhatkon ki wajah se meri aankhen aadhi hi khuli thi aur un adhkhuli aakhon se maine dekha ki mere upar ka asman us red surface se jaise dhak sa gaya hai...

us surface ne ek gigantic mountain jitna area cover kar liya tha...

kuch seconds tak yunhi rooke rehne ke baad achanak.....

wo SURFACE tezi se neeche matlab meri taraf aane laga.... aur ye dekh meri aadhi khuli aankhen ek jhatke me puri khul gayi...

wo surface sidhe mujhpar hi girne waala tha aur ye dekh mai turant uthne ko hua par ye kya...???

jis surface par mai leta pada tha,mujhe uththe dekh usne mujhe baandh liya...

waise toh mere asli body ke mere paas hone ki wajah se kisi bhi tarah ke bandhan ko mai asaani se tod sakta tha par yahan baat alag thi aur wo isiliye kyunki jaise hi mujhe us surface ne jo ki mera hi blood thi, baandha toh uske aisa karte hi ek baar firse mere andar jhatke lagne lage aur is baar wo jhatke aur tez the...

aisa lag raha tha maano mera BLOOD mujhe baandhe rakhne ke liye apni puri shakti laga raha tha..

yahan mai lag rahe jhatkon se khudko normal rakhne aur khudko chhudaane ke liye apne body aur sir ko left right jhatak raha tha aur wahan mere upar waala surface mere sir tak pahunch chuka tha aur is baat ko sense kar jaise hi maine upar dekha toh...


BOOM.......


dono surface aapas me takrakar toot chuke the aur saath hi unke beech pis kar najaane kaisi haalat me niche girte chala jaa raha tha mai....



aksar ladhayi me,yudh me KHOON nikalta hai....

par yahan toh mere hi KHOON ne mera dum nikal diya tha.....







AAJ KE LIYE ITNA HI....





AAPKA APNA V...J....
 

Top