UPDATE 42
"Kahiye" Rupali sidhiyon se utarti hui boli
"Khaas kuchh nahi hai" Khan use uper se neeche tak dekhte hue bola" Is ilaake mein naya aaya hoon to socha Thakur Sahab se mil loon ek baar"
"Vo to is waqt ghar par nahi hain" Rupali Sofe ki taraf ishara karte hue boli " Aap bethiye. Kuchh lenge"
"Is waqt to thanda hi le lete hain" Khan sofe par bethte hue Bola. Rupali ne Bhushan ko thanda laane ka ishara kiya
"Agar main galat nahi hoon to aap Thakur Sahab ki badi Bahu Rupali ji hain ? " Khan ne Rupali se puchha
"Badi Bahu nahi, unki eklauti bahu" Rupali ne Kaha
"Oh " Khan ne tabhi aaye Bhushan ke haath se glass pakadte hue bola
Tabhi bahar se car rukne ki aawaz aayi
"Lagta hai Thakur Sahab aa gaye" Khan glass neeche rakhkar khada hota hua bola
Kuchh pal baad hi Thakur darwaze se andar dakhil hue. Khan fauran haath jodkar aage badha
"Salam arz karte hoon Thakur Sahab"
Thakur ne Khan ki taraf ajeeb si nazar se dekha.
"Ji Mera naam Inspector Munawwar Khan hai. Is ilaake mein naya transfer hua hoon" Khan ne phir I Card nikalkar dikhaya " Vaise log mujhe pyaar se Munna bhi kehte hain"
Thakur ne sofe pe bethte hue Khan ko bethne ka ishara kiya aur Rupali ki taraf dekhkar use vahan s jaane ka ishara kiya. Rupali bade kamre se nikalkar sidhiyon ke paas aakar ruk gayi aur deewar ki ot mein baatein sunne lagi.
"Sharma ka kya hua?" Thakur ne Khan se pehle us ilake mein posted inspector ke baare mein puchha
"Retire ho gaye." Khan ne jawab diya
"Hmmmm" Thakur ne itna hi kaha
"Main naya aaya tha to socha ke aapse mulaqat ho jaaye" Khan ne apni baat jaari rakhi " Aur aapse kuchh baat bhi karni thi to socha ke vo bhi kar loon"
"Kis baare mein " Thakur ne puchha
"Aapke bete ke maut ke baare mein" Khan ne sidha jawab diya.
Thodi der yun hi khamoshi bani rahi. Na thakur ne kuchh kaha na Khan ne. Thodi der baad phir Thakur ke aawaz aayi.
"Mere bete ko mare hue 10 saal ho chuke hain .....hmmmmm kya naam bataya tumne apna?
"Khan, Munawwar Khan. Vaise log mujhe Munna bhi kehte hain" Khan ki aawaz aayi" 10 saal beet to chuke hain Thakur Sahab par case to hamari files mein aaj bhi open hai. Dekha jaaye to Sharma ne is baare mein kuchh nahi kiya"
"Use zaroorat bhi nahi thi kuchh karne ki" Thakur ki aawaz thodi tez ho gayi "Hamare mamle ham khud niptate hain. Police dhakhal nahi deti hamari baaton mein"
"Janta hoon" Khan ne thehri hui aawaz mein jawab diya " Aap apne mamle khud niptate hain shayad isi liye aapne aas paas ke ilaake mein na jaane kitni laashen gira din apne bete ke qatil ki talash mein, hai na thakur sahab"
Thodi der ke liye haweli mein sannata chha gaya. Koi kuchh nahi bola. Rupali ki saans bhi atak gayi. Thakur ke saamne is tarah se baat karne ki kisi ne jurrat nahi ki thi. Unka rubab ab ilaake mein khatam ho chuka tha shayad isi liye ek mamuli police wala unke saamne bethkar is andaz mein baat kar raha tha.
"Haweli ke bahar jaane ka rasta tumhen malum hai ya main bataoon?" Thakur ki aawaz aayi
"Malum hai thakur sahab" Khan ne jawab diya.
Thodi der baad Khan ke haweli se bahar jaate kadmon ki aawaz aayi.