- 1,131
- 1,471
- 143
Chapter Three : chhupana bhi nahi aata
update -1
Raat ki party ka abhi tak asar tha uspe , bahut pi bhi rakhi thi usne aur aaj office se off le liya tha. Raat me usne sapna ko uske ghar chhora fir late night apne ghar aaya aur chuki vo akela rehta tha…ghode bech kar sote raha aur uski aankh khuli tab tak dophar ke 12 baj chuke the aur jaldi se fresh hoke usne music on kiya aur apne liye nasta banane laga.
vo kitchen me jhumte huye omelet bana raha tha aur gane ki madhur sangeet charo taraf faily huyi thi.
Chhupana bhi nahin aata , Jatana bhi nahin aata !
Hume tumse mohabbat hai ,Batana bhi nahi aata !
Chhupana bhi nahin aata ,Jatana bhi nahin aata !
vo music aur omelet banane me busy aur idhar uske phone pe ring aayi aur usne dekha to sapna ka call tha, use pata thi ki agle din vo jaroor call karegi.
“ hello sapna…kya baat hai subah subah aaj main kaise yaad aa gaya?” saagar ne call receive karte hi maze lene laga.
“ kya tumhe pata hai raat me kya hua?” sapna ne saagar se poochha
“ raat me tumhari birthday party thi aur hum logon ne jham ke daru pi..aur haan amit aur kaajal ka Milan hua ..bas yehi ya aur kuchh” saagar ek sur me bolta chala gaya.
“ are budhuu…tum abhi abhi uthe ho kya, tumhe kisi ne bataya nahi ki raat me kya hua?” sapna ne saagar se fir poochha
“ nahi..mujhe koi kyon batayega main to tha na tumhare saath…aur kya hua” saagar samajh nahi pa raha tha ki vo kya janna chah rahi hai.
“ kal raat police ne amit aur kaajal ko arrest kar liya tha highway pe..jab vo laut rahe the party se” sapna ne use bataya.
“ kya bol rahi vo, ye sab ho gaya aur mujhe pata tak nahi” saagar chaunk gaya ye sab sunke
“ ab soye rahoge to kaise pata chalega..mobile check karo maine tumhe ek ghante pahle bhi call kiya tha” sapna ne kaha
“ sorry yaar, abhi kahan hai vo dono hume jana chahiye” saagar ne kaha
“ abhi police station to jane ki jaroorat nahi hai, mujhe amit ne bata diya sab kuchh..lekin tumhe amit se milna chahiye tha” sapna ne us ko bataya
“ ok, shayad ghar pe hi hoga vo..mere paas me hai main check karta hu” saagar ne bola
“ ok tum check kar lo…mujhe batana hoga to main bhi aa jaungi” sapna ne kaha
“ waise bhi mujhe milna tha aaj…sham me saket pvr pe mile kya?” saagar ne us se bola
“ aaj wahan nahi..modd off hai ye sab sun ke..hoga to main kaajal se milungi aur amit se bhi” sapna ne bataya
“ to aisa karo tum bhi amit ke ghar pea a jao aur wahan se kaajal se bhi milne chalenge” saagar ne kaha
“ haan ye sahi rahega….tum fresh hoke pahucho main bhi ek-do ghunte me milti hu wahan pe” sapna ne bataya.
Fir saagar ne phone cut kiya aur bhari man se usne bread aur omelet khana suru kiya. Uska man nahi lag raha tha kuchh khane me..use pata hi chala ki kis baat ke liye amit ko police ne arrest kiya tha. Usne amit ko call bhi lagaya lekin uska call nahi lag raha tha.
Saagar breakfast khakar fresh hone laga, uske ghar se amit ka ghar bas aadhe ghante ki duri pe tha. Lekin raat me bahut daru pi thi aur uska man nahane ka ho raha tha aur esliye vo pahle nahane chala gaya.
To be continued.