Incest Koi To Rok Lo~Pritam.bs~

Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 121}
____________________________

Meri baat sunkar keerti ne ek pal ke liye najar utha kar mujhe dekha aur fir se najar niche kar li. Mai janta tha ki ab wo itni aasani se nahi manegi, isliye use manane ke liye mai uth kar baithne ki koshish karne laga.

Lekin mujhe uthne ki koshish karte dekh kar, keerti fauran uth kar mere pas aa gayi aur mujhe wapas litate huya kaha.

Keerti boli “ye kya kar rahe ho. Jab tujhe uthne me takleef hai to uth kar kyo baith raha hai.”

Mai bola “tujhe manane ke liye. Tu mujhse naraj jo hai.”

Keerti boli “mai koi naraj varaj nahi hu. Tu aaram se leta rah. Tujhe uthne ki koi jarurat nahi.”

Mai bola “tu sach me naraj nahi hai na.”

Keerti boli “haan, mai sach me naraj nahi hu.”

Iske bad meri keerti se baten hoti rahi aur uska mood thik ho gaya. Us din pahli baar mujhe aehsas hua tha ki, bhale hi keerti mujhse kitna bhi jhagra karti ho. Magar uske liye meri bahut aehmiyat hai.

Mai abhi apne atit ki yadon me khoya hua tha ki, tabhi mere kaano me darwaja bhadak se band karne ki aawaj sunayi di aur mai apne atit se bahar nikal aaya. Shayad keerti apne kamre me wapas aa gayi thi.

Ab dono taraf se sirf shanti thi. Na to wo kuch bol rahi thi aur na hi mai kuch bol raha tha. Beeti huyi baton ko yad karne ka mere upar ye asar pada tha ki ab mere man me keerti ke liye koi narajgi nahi thi.

Ab mujhe sirf uska pyar najar aa raha tha aur mai uski ki huyi galti ko najar andaz karke us se baat karna chahta tha. Mai janta tha ki keerti ki narajgi bhi mujhse baat karte hi door ho jayegi.

Isliye ab maine khud hi us se baat karne ki pahal karne ka faisla kar liya tha. Lekin abhi mai ye sab soch hi raha tha ki, tabhi mujhe keerti ki aawaj sunayi di. Shayad keerti ne dusre mobile se kisi ko call kiya tha aur usne kaha.

Keerti boli “hello, kaun, jeet.”

Jeet ka naam sunte hi mera mood fir se kharab ho gaya. Dusri taraf se kuch kaha gaya. Jiske jabab me keerti ne kaha.

Keerti boli “tum to raat ko badi jaldi so jate ho.”

Itna kah kar wo chup ho gayi. Shayad dusri taraf se kuch kaha ja raha tha. Jiske bad keerti ne kaha.

Keerti boli “ok, abhi mai thodi busy hu. Mai tumse kuch der bad baat karti hu. Bye.”

Iske bad keerti ki aawaj aana band ho gayi. Shayad usne call rakh diya tha. Thodi der ki khamoshi ke bad keerti ne mujhse kaha.

Keerti boli “hello.”

Mai bola “haan bolo.”

Keerti boli “tumko kuch kahna.”

Mai bola “nahi.”

Keerti boli “to fir call rakha jaye.”

Mai bola “ok, bye.”

Itna kah kar maine keerti ka koi jabab sune bina call kaat diya. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, keerti ne mere sath aisa kyo kiya. Jis jeet ki vajah se humare bich me jhagra laga chal raha tha. Use hi mere samne call lagane ka kya matlab tha.

Iska to mujhe sirf ek hi matlab samajh me aa raha tha ki, keerti mere samne usko call laga kar mujhe jalana chahti thi. Kuch bhi ho lekin keerti ki is harkat ne mujhe fir se chot pahucha di thi.

Mujhe uske pyar par pura viswas tha. Isliye mai to usko manane ki pahal karne wala tha. Lekin jeet ko call laga kar usne mere gusse ko aur bada diya tha. Ab maine bhi soch liya tha ki, yadi keerti khud se baat nahi karti hai to, ab mai bhi us se koi baat nahi karuga.

Keerti se baat na karne ka faisla to maine le liya tha. Lekin ye sawal to ab bhi jaha ka taha tha ki, keerti ne mere sath aisa kyo kiya. Mai jitna is sawal ka jabab dudne ki koshish kar raha tha, utna hi isme ulajhta ja raha tha aur isi uljhan me uljhe uljhe meri aankh lag gayi.

Magar nind me bhi mere dimag me keerti hi ghumti rahi aur fir 8:45 baje meri nind khul gayi. Thodi der mai lete lete keerti ke baare me hi sochta raha aur jab uske baare me sochne se mera tanav badne laga to, mai uth kar hospital jaane ke liye taiyar hone laga.

Jab se mai Mumbai aaya tha. Tab se roj mere sath koi na koi ghatna ho rahi thi. Mujhe kuch samajh nahi aa raha tha ki, ye sab mere sath kyo ho raha hai. Ye hi sab sochte huye mai taiyar hua aur 9:30 baje hospital ke liye nikal gaya.

Mai hospital pahcha to mujhe raj niche hi mil gaya. Magar aaj mera us se baat karne ka koi mood nahi tha. Maine mehul ko bulaya aur use ghar jaane ka kaha to, raj bhi uske sath ghar jaane laga. Raj ko mehul ke sath ghar jate dekh kar maine raj se kaha.

Mai bola “kya aaj tum priya ke pas nahi rukoge.”

Raj bola “nahi, priya ki tabiyat ab sahi hai aur ghabrane ki koi baat nahi hai. Isliye uske pas nikki akeli ruk rahi hai aur fir tum bhi to yahi ho.”

Uske bad wo mehul ke sath ghar chala aur mai kuch der priya ke pas ruk kar uncle ke pas chala aaya. Meri thodi bahut uncle se baat huyi. Ab wo puri tarah se thik ho chuke the. Lekin abhi unko ek hafte or hospital me hi rahna tha.

Kuch der bad uncle ko nind aane lagi aur wo so gaye. Mera mood aaj acha nahi tha aur rah rah kar, baar baar keerti ka khayal aa raha tha. Abhi tak roj 11 baje ke bad meri keerti se baat hoti thi.

Lekin aaj 12 baj gaya tha aur meri us se koi baat nahi huyi thi. Isliye ab mujhe uski kami bahut akhar rahi thi aur jab mujhe keerti ki kami ka aehsas bahut satane laga to, mai uth kar niche aa gaya.

Niche aakar maine coffee li aur fir bahar aakar samundar ke kinare baith gaya. Lekin mere aane ke kuch hi der bad nikki mere pas aa gayi. Mujhe samajh nahi aaya ki, use mere niche aane ka pata kaise chal gaya. Isliye maine us se kaha.

Mai bola “aap yaha kaise. Aapko kaise pata chala ki mai niche aaya hu.”

Meri baat sunkar nikki ne hanste huye kaha.

Nikki boli “maine to aapko niche aate samay hi dekh liya tha. Jab aap niche aa rahe the. Tab mai lift ke pas khadi shikha didi se baat kar rahi thi. Lekin aap apne aap mai itna khoye huye the ki, aap mere pas se nikal kar canteen ki taraf chale gaye, magar mujhe nahi dekha.”

Nikki ka kahna sahi tha. Mai keerti ki soch me itna uljha hua tha ki, mujhe kuch bhi dhyan nahi tha. Fir bhi maine baat ko talte huye kaha.

Mai bola “wo mujhe coffee ki talab lagi huyi thi. Isliye maine dhyan nahi diya hoga aur sidhe canteen ki taraf chala gaya. Aap rukiye mai aapke liye bhi coffee le aata hu.”

Nikki abhi kuch kah pati, us se pahle hi hum logo ko ajay ki aawaj sunayi di. Ajay kah raha tha.

Ajay bola “mai bhi coffee piyuga.”

Ajay ki aawaj sunte hi hum logo ne ajay ki taraf dekha to, wo humare pichhe khada tha. Uski baat sunte hi maine kaha.

Mai bola “ok, tum nikki ke sath baitho, mai abhi coffee lekar aata hu.”

Ye bol kar, mai bina unka jabab sune coffee lene chala gaya. Thodi der bad mai coffee lekar lauta aur dono ko coffee dene ke bad, unke pas hi baith gaya. Mere baithte hi ajay ne kaha.

Ajay bola “kya hua. Tumko koi pareshani hai kya.”

Ajay ka sidha sa sawal sunkar mai chauk gaya. Maine hairat bhari najaron se ajay ko dekhte huye kaha.

Mai bola “nahi to, aisi koi baat nahi hai. Tumko aisa kyo laga.”

Ajay bola “tumhare chehre se aisa laga ki, tum kuch pareshan ho.”

Mai bola “nahi, aisa kuch bhi nahi hai. Bas mujhe bahut der se coffee ki talab lagi thi. Isliye shayad pareshan lag raha hu.”

Meri baat ko sunne ke bad ajay ne bhi is baat par jyada jor nahi diya aur uncle ki tabiyat puchhne laga. Iske bad uski nikki se priya ki tabiyat ke baare me baten hoti rahi.

Inhi baton me nikki ka coffee peena ho gaya aur fir wo uth kar wapas priya ke pas chali gayi. Nikki ke jaane ke bad ajay ne mujhse kaha.

Ajay bola “or sunao, tumhari girlfriend ka kya haal hai. Aaj tumhari us se baat huyi ya nahi.”

Achanak se ajay ki ye baat sunkar ek pal ke liye mai chauk gaya. Magar fir maine apne aap par kabu pate huye us se kaha.

Mai bola “wo achi hai. Abhi abhi soyi hai.”

Meri baat sunkar, ajay muskurane laga. Use muskurate dekh kar, mujhe kuch ajib jarur laga. Lekin mai khamosh hi raha. Mujhe khamosh dekh kar ajay ne kaha.

Ajay bola “lagta tum mujhe apna dost nahi mante ho. Warna mujhse jhuth nahi bolte.”

Mujhe ajay ki ye baat samajh me nahi aayi ki, usne mujhse aisa kyo kaha. Fir bhi maine us se kaha.

Mai bola “mai kuch samajha nahi. Maine tumse kya baat jhuth kahi hai.”

Ajay bola “yahi ki, tumhari girlfriend se tumhari abhi baat huyi hai.”

Mai bola “to isme jhuth baat kya hai. Meri us se roj hi is samay baat hoti hai. Hum log roj der raat tak baat karte hai.”

Ajay bola “maine roj ka nahi puchha tha. Maine tumse sirf aaj ka puchha tha ki, aaj us se tumhari baat huyi ya nahi huyi.”

Ajay mujhse apne sawalo me uljha raha tha. Mujhe mehsus ho gaya tha ki, use kisi na kisi baat ka shaq hai. Isliye maine us se kaha.

Mai bola “lekin tumko, ye kyo lag raha hai ki, aaj meri us se baat hone ki baat maine tumse jhuth kahi hai.”

Meri baat sunkar, ajay ne muskurate huye kaha.

Ajay bola “kyoki aaj se pahle jab bhi mai tumse, tumhari girlfriend ke baare me koi sawal karta tha. Tumhare hothon par muskurahat aur chehre par chamak aa jati thi. Lekin aaj uska naam sunte hi tumhara chehra murjha sa gaya.”

Ajay ki ye baat sunkar, mujhe manna pada ki, uske andar insan ke man ki baat samajhne ki kabliyat hai. Ab mujhe us se koi baat chhupana thik nahi lag raha tha. Isliye maine us se kaha.

Mai bola “haan, tum thik kah rahe ho. Kal mera us se jara jhagra ho gaya tha. Isliye kal se meri us se baat band hai.”

Ye kahte huye maine ajay ko kal raat aur aaj sham ko keerti se huyi dono baten bata di. Apni baat kahne ke bad mai ajay ki taraf dekhne laga. Ajay thodi der tak kuch sochta raha. Fir usne mujhse kaha.

Ajay bola “tumko kya lagta hai. Wo sach me tumse naraj hai ya natak kar rahi hai.”

Mai bola “mujhe kuch samajh me nahi aa raha. Iske pahle bhi humare bich bahut baar jhagra hua. Lekin usne mere sath aisa kabhi nahi kiya. Lekin kal to usne meri har baat ke badle me mujhe bahut baten sunayi aur aaj to usne mujhe niche dikhane ki had hi kar di. Wo ek jara si baat par mujhse itna naraj kyo hai, mai abhi tak samajh nahi paya hu.”

Itna bol kar mai chup ho gaya. Magar mere dil me ab bhi ye hi sawal goonj raha tha ki, aakhir meri jara si baat par keerti itna naraj kyo hai. Mujhe khoya hua sa dekh kar ajay ne kaha.

Ajay bola “ek sacha pyar karne wala sirf takdeer walo ko hi milta hai. Tum kismat wale ho, jo tumhe itna pyar karne wali ladki mili hai. Warna log jindagi bhar sache pyar ki talash me bhatakte rahte hai. Magar unhe unka pyar nahi milta hai.”

Ajay ki in baton me uska dard saaf jhalak raha tha. Wo ek Psychiatrist (mano-chikitsak) hokar bhi taxi chala raha tha. Isi se pata chalta tha ki, wo apna pyar pane ke liye kis had tak sangharsh kar raha tha.

Mujhe ajay ki chhupi huyi jindagi se parda uthane ke liye ye hi sahi samay laga aur maine ajay se kaha.

Mai bola “tum to ek psychiatrist (mano-chikitsak) ho. Fir tumhe apna pyar hasil karne ke liye taxi chalane ki kya jaruarat thi.”

Meri baat sunkar achanak hi ajay bahut jyada tanav me lagne laga. Usne is tanav se bahar nikalne ke liye apne jeb se cigarette ka packet nikala aur ek cigarette jala kar kash lagane laga.

Har kash ke sath na jaane uske chehre par kitne bhav aa rahe the, ja rahe the. Kuch der tak cigarette ke kash lagane ke bad uska chehra bahut sakht ho gaya. Usne ek thandi si saans chhodte huye kaha.

Ajay bola “jo tum dekh aur samajh rahe ho. Mai unme se koi nahi hu.”

Mujhe ajay ki baat bilkul bhi samajh me nahi aayi ki, wo kya kahna chahta hai. Maine us se fir se sawal karte huye kaha.

Mai bola “kya matlab.? Mai samjha nahi ki tum kahna kya chahte ho.”

Ajay bola “yahi ki mai taxi bhi chalata hu aur ek psychiatrist (mano-chikitsak) bhi hu. Lekin ye dono hi mera pesha nahi hai.”

Ajay ki is baat ne mujhe aur bhi jyada hairani me daal diya. Iska matlab tha ki ajay ki ek aur bhi pehchan hai. Maine hairani bhare shabdo me ajay se kaha.

Mai bola “to fir tum kaun ho aur tumhara pehsa kya hai.”

Ajay bola “sabse badi baat ki, mai mumbai ka nahi hu. Mai surat ka rahne wala hu. Isliye mujhe yaha koi nahi janta. Mai ek khandani business man hu. Mera textile ka business hai aur surat me meri 5 textile mills hai.”

Ajay ki ye baat sunkar meri aankhen khuli ki khuli rah gayi. Mai ab tak jiske carorepati hone ka anuman lagata tha. Wo to asal me ek arabpati tha. Mere muh ke bol muh me hi rah gaye.

Is se aage puchhne ke liye mujhe kuch samajh me hi nahi aa raha tha. Mai bas aankhe faade ajay ko dekhe ja raha tha. Jab mai kuch samanya hua to maine baat ko aage badate huye us se kaha.

Mai bola “jab tum itne bade businessman ho to, fir tumhe apne pyar ko pane me kya pareshani thi, jo tumko ek taxi driver banna pad gaya.”

Meri baat sunkar bhi ajay kahi khoya hua sa bas cigarette fuke ja raha tha. Uski aankhe na jaane kyo laal ho gayi thi. Jab uski ek cigarette khatam ho gayi to, usne dusri cigarette jalai aur uske 2-3 gahre kash lagane ke bad meri taraf dekhte huye kaha.

Ajay bola “kyoki ek businessman hone ke sath sath mai kuch aur bhi hu.”

Mujhe uske baare me janne ki itni jyada becheni thi ki, uski baat puri hote hi mere muh se khud-ba-khud nikal gaya.

Mai bola “tum ek businessman ke alawa aur kya ho.”

Ajay ne bade gaur se meri taraf dekha aur ek thandi saans chhorte huye kaha.

Ajay bola “jis ladki ko pyar karta hu. Uske bhai ka katil.”

Mai bola “kyaaaaaaaa.”

Ajay ki ye baat sunkar mujhe ab bhi apne kaano par viswas nahi ho raha tha. Abhi tak maine ajay ke baare me jitna jana tha. Usme ye sabse bada khulsa tha. Magar ajay ke muh se ye baat sunne ke bad bhi, mera dil ye baat manne ko taiyar nahi tha ki, ajay ek katil hai.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 122}
____________________________

Mai bola “jab tum itne bade businessman ho to, fir tumhe apne pyar ko pane me kya pareshani thi, jo tumko ek taxi driver banna pad gaya.”

Meri baat sunkar bhi ajay kahi khoya hua sa bas cigarette fuke ja raha tha. Uski aankhe na jaane kyo laal ho gayi thi. Jab uski ek cigarette khatam ho gayi to, usne dusri cigarette jalai aur uske 2-3 gahre kash lagane ke bad meri taraf dekhte huye kaha.

Ajay bola “kyoki ek businessman hone ke sath sath mai kuch aur bhi hu.”

Mujhe uske baare me janne ki itni jyada becheni thi ki, uski baat puri hote hi mere muh se khud-ba-khud nikal gaya.

Mai bola “tum ek businessman ke alawa aur kya ho.”

Ajay ne bade gaur se meri taraf dekha aur ek thandi saans chhorte huye kaha.

Ajay bola “jis ladki ko pyar karta hu. Uske bhai ka katil.”

Mai bola “kyaaaaaaaa.”

Ajay ki ye baat sunkar mujhe ab bhi apne kaano par viswas nahi ho raha tha. Abhi tak maine ajay ke baare me jitna jana tha. Usme ye sabse bada khulsa tha. Magar ajay ke muh se ye baat sunne ke bad bhi, mera dil ye baat manne ko taiyar nahi tha ki, ajay ek katil hai.

Bhale hi ajay se meri mulakat chand dino pahle hi huyi thi. Lekin itne kam samay me bhi mujhe us se jo apnapan mila tha. Utna apnapan to kisi ko uske sage bhai se bhi nahi mila hoga.

Bas isi pyar aur apnepan ki vajah se mera dil is baat ko manne ko taiyar nahi tha ki, wo ek katil bhi ho sakta hai. Keerti ke bartav ki vajah se mera dimag pahle hi uljha hua tha aur ab ajay ke is khulase ne use aur bhi jyada uljha diya tha.

Abhi mai apni uljhan se bahar nikal bhi nahi paya tha ki, tabhi mere mobile ki ring baj uthi. Itni raat ko mobile ki ring bajte dekh kar, mujhe samajhte der nahi lagi ki, ye jarur keerti call ka hi hai.

Maine mobile nikal kar dekha to, meri soch sahi thi. Keerti ka call hi aa raha tha. Lekin ye call mere wale mobile par aa raha tha, jo free nahi tha. Isliye maine keerti ka call kaata aur use wapas call laga diya.

Lekin keerti ne mera call nahi uthaya aur call kaat kar fir se wapas mujhe call laga diya. Maine ab bhi uska call nahi uthaya aur uska call kaat kar wapas use call lagaya. Magar abhi bhi keerti ne apni wo hi harkat dohrayi.

Mera baar baar keerti ka call kaat kar use call lagana aur keerti ka mera call kaat kar wapas mujhe call lagana. Ye sab ajay bhi dekh raha tha. Jab ye silsila 4-5 baar chala to, ajay ne mujhe tokte huye kaha.

Ajay bola “tum bekar me koshish kar rahe ho. Shayad wo tumhara call uthana nahi chahti hai.”

Ajay ki baat apni jagah sahi thi. Lekin wo ye nahi janta tha ki, mere aisa karne ki vajah kya hai. Maine bhi apni us baat par parda dalte huye kaha.

Mai bola “tum khud dekh lo. Abhi wo mera call utha nahi rahi hai aur bad me khud hi ulta mujh par gussa kargi.”

Meri baat sunkar, ajay ne keerti ki tarafdari karte huye kaha.

Ajay bola “lagta wo tumse abhi bhi naraj hai. Isliye wo tumhara call nahi utha rahi hai. Aise me acha ye hi hoga ki tum hi uska call utha lo aur yadi wo gusse me kuch bol bhi de to, uski baat ka bura mane bina thande dimag se uski baat ka jabab do. Shayad tumhare aisa karne se uski narajgi door ho jaye. Ab tum us se baat karo, tab tak mai taxi park karke aata hu.”

Itna kah kar ajay mere pas se chala gaya. Keerti ka call abhi bhi aa raha tha. Maine fauran keerti ka call uthate huye kaha.

Mai bola “haan bolo, kya baat hai.”

Maine apni baat bade hi pyar se kahi thi. Lekin keerti ne bade hi gusse me sawal karte huye kaha.

Keerti boli “tumko pareshani kya hai. Tumhe mujhse baat karna pasand nahi to, saaf bol do. Mai tumko pareshan karna band kar dugi.”

Mujhe uski is baat par gussa to bahut aa raha tha. Lekin abhi gussa karne ka sahi samay nahi tha. Isliye maine uski is baat ko ansuna karte huye kaha.

Mai bola “abhi mai ajay ke sath hu.”

Mai apni puri baat bhi nahi kar paya tha ki, keerti ne meri baat ko bich se kaatte huye kaha.

Keerti boli “dusro se gap sap karne ke liye tumhare pas raat ko bhi time hai aur mera call tak uthane ka time nahi hai.”

Keerti ki baten mujhe gussa karne aur uski baton ka jabab dene ke liye majbur kar rahi thi. Fir bhi maine apne aapko shant rakhte huye us se kaha.

Mai bola “mai koi gap sap nahi kar raha hu. Ajay apni gujri huyi jindgi ke baare me bata raha tha. Usne bataya ki wo apni girlfriend ke bhai ka katil hai. Iske bad mai us se kuch puchh pata ki, tera call aa gaya. Us samay mera dimag kaam nahi kiya. Jiski vajah se maine call nahi uthaya tha.”

Meri is baat ne keerti par asar kiya aur fir usne kuch nahi kaha. Shayad uske man me bhi ajay ki baat ko janne ki utsukta thi. Jab wo chup rahi to, maine apni baat ko aage badate huye kaha.

Mai bola “Wo abhi apni taxi park karne gaya hai. Tujhe yadi uski jindgi ke baare me janna hai to, tu dusre mobile par call laga le.”

Mera itna kahna tha ki, keerti ka call kat gaya. Mai samajh gaya ki ab wo dusre mobile par call lagane wali hai. Maine dusra mobile nikala aur tabhi keerti ka call aa gaya. Maine call uthate huye kaha.

Mai bola “mai ye mobile jeb me rakh raha hu aur apne mobile se tujhe call karta hu. Jab ajay aayega to, uske samne baat karke mobile rakh duga.”

Meri baat ke badle me keerti ne koi jabab nahi diya. Uski is harkat se saaf tha ki, uska gussa kam nahi hua hai. Maine bhi is baat par jyada jor dena thik nahi samjha aur apne dusre mobile se use call laga diya. Usne mera call uthaya to, maine pahla mobile jeb me rakhte huye kaha.

Mai bola “haan ab bol, tune itni raat ko call kyo kiya.”

Mere itna sab bolne ke bad bhi keerti ne apni baat wahi se suru ki, jaha usne chhodi thi. Usne apni baat ko dohrate huye kaha.

Keerti boli “maine sirf ye bolne ke liye call kiya tha ki, yadi tumko mujhse baat karne me pareshani hai to, saaf bol do. Mai tumko call karke pareshan karna band kar dugi.”

Mera man kiya ki us se bol du ki, mujhe tumse baat karne me koi pareshani nahi hai. Balki tumhare pas mujhse baat karne ka time nahi hai. Magar abhi us se kisi bhi baat ki bahas karne ka time nahi tha. Kyoki ajay taxi park karke wapas aa raha tha. Isliye maine us se kaha.

Mai bola “nahi, mujhe tumse baat karne me koi pareshani nahi hai. Ab ajay wapas aa raha hai. Isliye mai call rakhta hu.”

Ye kah kar maine call rakh diya. Mere call rakhte hi ajay mere pas aa gaya. Usne mujhe call rakhte huye dekha to kaha.

Ajay bola “are mujhe dekh kar call kyo rakh diya. Mere samne baat karne me pareshani thi to, mujhe ishara kar dete. Mai thodi der bad aa jata.”

Mai bola “nahi, aisi baat nahi hai. Humari baat ho chuki thi. Isliye maine call rakh diya hai.”

Ajay bola “kya hua. Wo kyo call ki thi.”

Mujhe ajay ka ye sawal karna acha nahi laga. Kyoki bhale hi ajay ye sawal mujhe akela samajh ke kar raha tha. Lekin hakikat ye thi ki, is samay keerti bhi mere sath bani huyi thi.

Mujhe is baat ka dar sata raha tha ki, kahi ajay koi aisi baat na kah de. Jise sunne ke bad, keerti mujhse aur bhi jyada naraj ho jaye. Mujhe apni baat ka jabab na dete dekh aur kisi soch me gum hote dekh kar ajay ne kaha.

Ajay bola “kya hua. Kya maine kuch galat puchh liya.”

Ajay ki is baat se mujhe hosh sa aaya. Ajay mere samne koi jhuth nahi bol raha tha. Aise me us se jhuth bolna mujhe sahi nahi laga. Isliye maine apne aapko sambhalte huye kaha.

Mai bola “nahi, aisi koi baat nahi hai. Usne sirf ye kahne ke liye call kiya tha ki, yadi mujhe us se baat karne me pareshani hai to, mai saaf bol du. Wo mujhko call karke pareshan karna band kar degi.”

Meri baat sunkar ajay ko hairani huyi. Usne aasharyachakit hokar mujhse kaha.

Ajay bola “bas itni si baat bolne ke liye usne tumhe raat ko 1 baje call lagaya tha.”

Ajay ki is baat ne mujhe bhi keerti tak apni baat pahuchane ka bahana de diya tha. Maine bhi bahti ganga me hath dhote huye kaha.

Mai bola “haan, usne ye hi baat kahne ko call kiya tha. Ab yadi mujhe us se baat hi nahi karna hoti to, mujhe uska call uthane ki kya jarurat hi thi. Sach to ye hai ki, use khud hi mujhse baat nahi karna rahti hai. Use bas mujhse jhagra karne ka bahana chahiye rahta hai. Isliye usne abhi mujhe call kiya tha. Taki mai kuch kahu aur fir wo saari baat mere upar hi daal de.”

Meri baat sunkar ajay kuch soch me pad gaya aur mai ye sochne laga ki meri is baat ko sun kar keerti kya soch rahi hogi. Kuch der chup rahne ke bad ajay ne kaha.

Ajay bola “tum dono ka pyar bhi bahut ajib hai. Jab dono ek dusre ke bina rah nahi pate ho to, itna jhagra kyo karte ho.”

Mujhe ajay ki baat samajh me nahi aayi to maine us se kaha.

Mai bola “mai kuch samajha nahi, tum kahna kya chahte ho. Mujhe to sirf jhagra hi jhagra dikh raha hai. Isme pyar kaha hai. Usne to abhi call bhi sirf jhagra karne ke liye hi kiya tha. Wo to mai shant rah gaya, warna ek naya jhagra suru ho jata. Fir tumhe kis baat me uska pyar najar aa gaya.”

Meri baat sunkar ajay ne muskurate huye kaha.

Ajay bola “tum dono bhale hi ek dusre se kitna bhi jhagra kar lo. Lekin fir bhi ek dusre ke bina rah nahi pate ho. Abhi jab tum niche aaye the to, bahut jyada pareshan lag rahe the. Aisa lag raha tha ki, jaise tum me jaan hi na ho. Lekin us se baat karne ke bad ab tumhare chehre par raunak aa gayi hai aur aisa lag raha hai ki, jaise murde me jaan aa gayi ho.”

Ajay ki is baat me bahut dam tha. Keerti se bhale hi abhi meri ache se baat nahi huyi thi. Magar uske sath hone se hi mujhe jo khushi mil rahi thi. Usne mere andar ek nayi takat bhar di thi. Fir bhi maine ajay ki is baat ko jhuthlate huye kaha.

Mai bola “ye to tum meri baat kar rahe ho. Maine is baat se kabhi mana nahi kiya ki, mujhe us se baat karke khushi nahi hoti. Lekin uska kya hai. Jo har baat par sirf jhagra karti hai aur abhi bhi jhagra karne ke liye hi call ki thi. Isme uska kaun sa pyar tha.”

Meri is baat ka jabab bhi ajay ne badi hi samajhdari se dete huye kaha.

Ajay bola “sabke pyar jatane ka apna alag andaz hota hai. Wo tumse naraj thi. Isliye wo chah kar bhi tumko call nahi laga pa rahi hogi. Lekin tumhare call aane ka intejar jarur kar rahi hogi. Shayad ye samay tumhara usko good night kahne ka hoga.”

“Isliye jab raat ko 1 baje tak tumhara call nahi gaya to, uska dil tumhari aawaj sunne ko tadap gaya hoga aur fir usne is bahane se tumko call laga diya. Taki tumhari najro me uski narajgi bhi bani rahe aur wo tumhari aawaj bhi sun sake.”

Ajay ki ye baat sun kar mai man hi man uske dimag ki dad diye bina nahi rah saka. Sach me hi ye samay mera keerti ko good night kahne ka tha. Yadi ajay is baat ko na kahta to, shayad hi mai kabhi is baat ko samajh pata.

Kyoki is tarah ki baat shayad mai kabhi soch bhi na pata. Magar is baat ke samajh me aate hi mujhe keerti par bahut pyar aa raha tha. Mera dil kar raha tha ki, mai abhi us se baat kar lu.

Kyoki mai khud bhi us se baat kiye bina tadap raha tha. Lekin abhi ajay ke samne aisa kar pana mumkin nahi tha. Isliye maine baat ko badalte huye ajay se kaha.

Mai bola “meri baat ko chhodo. Tum ye batao ki aisi kya vajah thi. Jis vajah se tumhe apni girlfriend ke bhai ka katl karna pad gaya.”

Meri baat ko sunte hi ek baar fir ajay ke chehre ke bhav badal gaye aur uska chehra kisi patthar ki tarah sakht najar aane laga. Usne apne dono hath mere kandhon par rakh diye aur apni pathrayi aankhon se mujhe dekhte huye kaha.

Ajay bola “maine ye nahi kaha ki, maine apni girlfriend ke bhai ka katl kiya hai. Maine ye kaha tha ki, mai jis ladki ko pyar karta hu. Mai uske bhai ka katil hu.”

Mujhe ajay ki ye gol mol baat jara bhi samajh me nahi aayi aur na hi ab mere andar itna sabar tha ki, mai uski baat ko samajhne ki koshish kar saku. Isliye maine jhallate huye kaha.

Mai bola “yaar, pahle hi mera bheja ghuma hua. Mere andar itni takat nahi hai ki, mai tumhari gol mol baton ko samajh saku. Isliye jo bhi bolna hai, saaf saaf bolo.”

Meri baat sun kar shayad ajay ko bhi apni bhool aur meri haalat ka aehsas ho gaya. Isliye usne bina koi bhumika bandhe apni baat ko kahna suru kar diya.

Ajay bola “mai jis ladki ko pyar karta hu. Maine us se apne pyar ka ijhar kabhi kiya hi nahi hai aur ye bhi nahi janta ki, wo ladki mujhse pyar karti hai ya nahi karti. Isliye wo meri girlfriend nahi hai. Ise tum ek tarfa pyar kah sakte ho.”

Ab ajay ki baat mere samajh me aa chuki thi aur uske baare me janne ki meri utsukta bhi bad chuki thi. Isliye maine us se kaha.

Mai bola “lekin aisa kya hua ki, tum usi ladki ke bhai ke katil ban gaye, jis se tum pyar karte the.”

Ajay bola “Waise to ye ek chhoti si kahani hai. Magar mai ye kahani tab se suru karta hu, jab se meri jindgi ki neev panda suru huyi.”

Ab aage ki kahani ajay ki jubani….

Mere dada Dhananjay singh surat ke mashoor udhyogpati ( Industrialist) the. Unki eklauti santan mere pita Sanjay singh the. Mere pita ki shadi surat ke hi ek businessman Sumer singh ki eklauti ladki Naina singh se ho gayi. Jinki pahli aur aakhri santan ke roop me mera janam hua.

Lekin mere janam ke kuch saal bad hi ek sadak durghatna (road accident) me mere mata pita ka dehant ho gaya. Jin mata pita ki ungli pakad kar maine chalna sikha tha aur school jana suru kiya tha. Unhi ko apni aankhon ke samne logon ke kandho par jate dekh kar mai bilakh bilakh kar rota raha.

Jin mata pita ka chehra dekh kar mere din ki suruaat hoti thi. Unhi ka chehra dikha kar kaha gaya inke antim darshan kar lo. Jin hathon ko mere mata pita ne pencil pakda kar likhna sikhaya tha. Unhi hathon me jalti huyi lakdi thama kar, kaha gaya ki, inko agni de do. Mai rota raha bilakhta raha aur mere mata pita ko mere hathon se agni dila di gayi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 123}
____________________________

Mai bola “lekin aisa kya hua ki, tum usi ladki ke bhai ke katil ban gaye, jis se tum pyar karte the.”

Ajay bola “Waise to ye ek chhoti si kahani hai. Magar mai ye kahani tab se suru karta hu, jab se meri jindgi ki neev panda suru huyi.”

Ab aage ki kahani ajay ki jubani….

Mere dada Dhananjay singh surat ke mashoor udhyogpati ( Industrialist) the. Unki eklauti santan mere pita Sanjay singh the. Mere pita ki shadi surat ke hi ek businessman Sumer singh ki eklauti ladki Naina singh se ho gayi. Jinki pahli aur aakhri santan ke roop me mera janam hua.

Lekin mere janam ke kuch saal bad hi ek sadak durghatna (road accident) me mere mata pita ka dehant ho gaya. Jin mata pita ki ungli pakad kar maine chalna sikha tha aur school jana suru kiya tha. Unhi ko apni aankhon ke samne logon ke kandho par jate dekh kar mai bilakh bilakh kar rota raha.

Jin mata pita ka chehra dekh kar mere din ki suruaat hoti thi. Unhi ka chehra dikha kar kaha gaya inke antim darshan kar lo. Jin hathon ko mere mata pita ne pencil pakda kar likhna sikhaya tha. Unhi hathon me jalti huyi lakdi thama kar, kaha gaya ki, inko agni de do. Mai rota raha bilakhta raha aur mere mata pita ko mere hathon se agni dila di gayi.

Meri hansti khelti duniya, mere mata pita ke sath hi jal kar rakh ho gayi. Mai hasna bhool gaya, khelna bhool gaya. Mujhe har jagah, har chij me mere mata pita ki kami najar aati aur mai akele me muh chhupa kar ghanto rota rahta.

Maine khelna kudna, school jana sab band kar diya tha aur apne aapko apne ghar me kaid kar liya tha. Mai har samay udas rahne laga. Mujhe udas dekh kar mere dada ji aur nana ji ko bhi meri chinta satane lagi thi.

Unki itni daulat hone ke bad bhi wo mujhe khush nahi rakh pa rahe the. Daulat se wo mujhe har chij kharid kar de dakte the. Magar mujhe jo chahiye tha, unki saari daulat bhi mujhe kharid kar nahi de sakti thi.

Unhe bhi apni is bebasi par rona aata tha. Lekin unki majburi ye thi ki, mujhe sambhalne ke liye wo log dil khol kar ro bhi nahi sakte the. Wo bas raat din upar wale se meri khushiyon ki dua karte rahte the.

Aise hi wakt beetta raha aur din gujarte rahe. Lekin kahte hai ki upar wale ke ghar der hai par andher nahi hai. Wo sache dil se ki huyi fariyad jarur sunta hai. Usne der se hi sahi magar mere dada ji aur nana ji ki fairyad bhi sun li.

Mere pados me Dharam pal khanna apne bhare pure parivar ke sath rahne aa gaye. Dharam pal khanna ke parivar me unki patni Dilpreet khanna, badi bahu Aruna khanna aur chhota beta Sumit pal khanna, chhoti bahu Samreet khanna the.

Unke bade bete ka dehant ho chukka tha aur unki beti Nalina khanna ki shadi Mumbai me huyi thi aur wo apni sasural me hi rahti thi. Unke bade bete Amit pal ka ek beta Aman khanna tha.

Chhote bete Sumit pal ki teen betiyan Seerat khanna, Selina khanna Aur aur Archana khanna thi. Dharam pal khanna ke humare padosi hone ki vajah se jaldi hi unki dada ji ke sath dosti ho gayi.

Jaldi hi dono ka ek dusre ke ghar me aana jana bhi hone laga. Ek din dada ji Dharam pal ji ke ghar gaye. Us samay Dharam pal ji aur unka pota Aman dono milkar, unki poti Archna ke sath khel rahe the.

Archna us samay dudmuhi bacchi thi. Dharam pal ji ko is tarah apne pota poti ke sath khelte dekh kar dada ji ki aankhen bhar aayi. Jab Dharam pal ji ne iski vajah puchi to, dada ji unhe mere baare me bataya.

Mere mata pita ki maut aur meri haalat ke baare sunkar Dharam pal ji ko bahut dukh hua. Un ne dada ji ki pareshani ko dekhte huye unko salah di ki, Ajay ko kuch dino ke liye shahar se bahar bhej dijiye. Apne ghar se door rahne se ajay ko apne mata pita ki yadon se bahar nikalne ka mauka milega.

Dada ji ko unki ye salah pasand aayi. Lekin apne business ki vajah se un ke liye ek do din se jyada shahar se bahar rah pana mumkin nahi tha. Jabki mere liye kam se kam das pandrah din bahar rahna jaruri thi.

Dada ji ki is samasya ka samadhan bhi Dharam pal ji ne kar diya. Un ne bataya ki agle hafte wo apne parivar ke sath apni beti ki sasural Mumbai ek samaroh me shamil hone ja rahe hai. Aap bhi ajay ko lekar humare sath chaliye. Yadi ajay waha rukne ko taiyar ho jaye to, use humare sath wahi chhor dijiyega.

Dada ji ko unki ye baat jam gayi. Magar ab bhi unke samne ye pareshani bani huyi thi ki, yadi mai waha rukne ko taiyar na hua to, unki saari koshish bekar ho jayegi.

Ab dada ji aur Dharam pal ji is pareshani ka hal bhi dudne me lage huye the ki, mujhe waha rukne ke liye kaise taiyar kiya jaye. Aman abhi bhi apni bahan archna ke sath wahi khel raha tha.

Usne apne dada ji aur mere dada ji ki saari baten suni thi. Jab usne mere Mumbai me rukne ki baat ko lekar un dono ko pareshan hote dekha to, aman ne mere dada ji se kaha.

Aman bola “dada ji, aap is baat ke liye jara bhi pareshan mat hoiye. Ajay ko Mumbai me rokne ki jababdari mai leta hu. Aap bas ek baar meri ajay se mulakat karwa dijiye.”

Aman ki baat sunkar dada ji ne pyar se uske sar par hath ferte huye raat ko use dinner par aane ko kah diya.

Raat ko mai dada ji ke sath dinner kar raha tha. Tabhi aman aa gaya. Mai use dekh kar samajh nahi paya ki ye kaun hai. Dada ji ne mera us se parichay karwaya. Fir wo bhi humare sath dinner karne laga.

Dinner par aman mujhse baat karne ki koshish karne laga. Lekin maine us se jyada baat nahi ki aur khamoshi se dinner karta raha. Dinner karne ke bad mai apne kamre me aa gaya.

Aman ke jaane ke bad dada ji mere pas aaye. Un ne mujhe bataya ki aman humara padosi hai. Wo bhi humari tarah kismat ka maara hua hai. Uske pitaji ka dehant 2 saal pahle ho gaya tha.

Aman ke yaha naya hone ki vajah se abhi uska koi dost nahi hai. Isliye maine use apne ghar kabhi bhi aane jaane ke ijajat de di hai. Kuch din bad uska naam bhi tumhare school me likh jayega.

Mujhe lagta hai ki wo ek acha dost sabit hoga. Yadi wo tumko bhi thik lage to, tum us se dosti kar lena. Itna kah kar dada ji mere pas se chale gaye. Agle din aman lunch time me apni chhoti bahan archna ko lekar humare ghar aaya.

Dada ji ne usko bhi humare sath lunch karne ko kaha to, wo bhi humare sath lunch karne baith gaya. Lekin archna ke god me hone ki vajah se wo lunch nahi kar pa raha tha.

Mai lunch karke apne kamre me jaane laga to, dada ji ne kaha ki, mai archna ko bhi apne sath le jau. Taki aman lunch kar sake. Maine bina koi jabab diye archna ko god me le liya aur apne kamre me aa gaya.

Kamre me aakar mai archna ko bed par baithane laga. Lekin wo god se niche utarte hi rone lagi. Mai use god me lekar chup karane laga. Thodi hi der me wo mere sath hil mil gayi aur mere sath khelne lagi.

Archna ke sath khelte khelte kuch der ke liye mai apne saare dukh dard bhool gaya. Mai usko khilane me is tarah kho gaya ki, mujhe pata hi nahi chala ki, aman kab mere kamre me aa gaya.

Wo khamoshi se darwaje par khada, mujhe archna ke sath khelte dekh raha tha. Jab meri najar aman par padi to maine archna ko uski god me dete huye kaha.

Mai bola “sorry, maine tumhe dekha hi nahi. Tumhari bahan sach me bahut pyari hai.”

Meri baat sunkar aman ne muskurate huye kaha.

Aman bola “meri 3 bahne hai. Usme ye sab se chhoti aur sabse pyari hai. Magar ye har kisi ke sath itni jaldi hilti milti nahi hai. Pata nahi tumse ye itni jaldi kaise hil mil gayi.”

Aman ki baat sunkar na jaane kyo mujhe acha sa laga tha. Iske bad aman archna ko lekar wapas apne ghar chala. Lekin wo raat ko fir dinner ke time par aa gaya. Dinner ke time wo akela hi tha. Usne humare sath dinner kiya aur apne ghar chala gaya.

Dusre din wo subah subah hi archna ke sath humare ghar aa gaya. Mujhe apne kamre me dada ji aur aman ki aawaj sunayi di to, maine apne kamre se bahar nikal kar dekha.

Bahar hall me dada ji aur aman archna ke sath khel rahe the. Archna ko khelte dekh kar mai bhi unke pas aa gaya. Thodi der bad dada ji ne nashta karne ka bola to aman unke sath nashta karne laga aur mai archna ke sath khelne laga.

Kuch der bad aman kisi kaam ka kah kar apne ghar chala gaya. Lekin archna ko ye kah kar mere pas chhor gaya ki, wo abhi wapas aakar archna ko le jayega. Uske jaane ke kuch der bad dada ji bhi apne kaam par nikal gaye.

Magar mujhe kisi ke bhi jaane se koi farak nahi pada. Mai archna ke sath khelne me magan raha. Fir kafi der bad aman aaya aur mujhse thodi bahut baat karne ke bad archna ko lekar chala gaya.

Dopahar aur raat ko bhi kal ki tarah sab kuch hota raha. Bas fark itna tha ki ab meri aman se baat chit hone lagi thi. Ab aman roj mere ghar archna ko lekar aata aur mai ghanto uske sath khelta rahta.

Meri khoyi huyi muskan ek baar fir archna ke roop me wapas laut aayi thi. Lekin mera ghar se bahar jana abhi bhi band hi tha. Mai bas roj archna ke ghar aane ka wait karta rahta tha.

Archna ke ghar aate hi mera ghar uski masum kilkariyon aur meri hansi se gujne lagta tha. Mujhe wapas khush dekh kar dada ji ki bhi khushi ka koi thikana nahi tha.

Ye silsila char din tak yun hi chalta raha. In char dino me mujhe archna ki itni jyada aadat ho gayi thi ki, jab panchwe din aman use lekar mere ghar nahi aaya to, mai use dekhne ke liye tadap utha.

Mai panchwe din bhi roj ki tarah subah archna ke aane ka wait kar raha tha. Lekin aman archna ko lekar nahi aaya. Dada ji nashta karne ke bad kaam ke liye jaane lage to, maine unse kaha.

Mai bola “dada ji, aaj aman humare ghar kyo nahi aaya.”

Dada ji ne meri taraf dekha. Unki parkhi najar ek baar me hi ye taad chuki thi ki, mai aman ko kyo puchh raha hu. Un ne bhi mujhe meri hi tarah jabab dete huye kaha.

Dada ji bole “ho sakta hai ki, wo aaj kisi kaam me fas gaya ho. Isliye nahi aa saka ho.”

Dada ji ke ye kah dene ke bad mere pas puchhne ke liye kuch bacha hi nahi tha. Mai chup hokar rah gaya aur dada ji kaam par chale gaye. Dopahar lunch me bhi aman nahi aaya to, maine dada ji ke samne wo hi sawal dohraya aur dada ji ne fir apna wo hi jabab dohra diya.

Lunch ke bad dada ji wapas kaam par chale gaye. Lekin ab mujhe archna ki kami bahut akhar rahi thi. Aakhir me jab mujhse archna ko dekhe bina nahi raha gaya to, maine aman ke ghar jaane ka faisla kiya aur fir mai aman ke ghar ki taraf bad gaya.

Aman ke ghar pahuchte hi mujhe bahar aangan me uske dada ji baithe mil gaye. Unhe dekhte hi maine un se namaste kiya aur aman ko puchha. Un ne mujhe baithne ko kaha aur andar aman ko aawaj lagayi to, unki badi poti seerat archna ko god me liye bahar aayi.

Usne aakar bataya ki, aman apna kamra saaf kar raha hai. Archna ne mujhe apne samne dekha to, wo seerat ki god me mere pas aane ke liye machalne lagi. Maine uth kar use apni god me le liya aur fir mai use khilane laga.

Iske bad dhire dhire ghar ke baki log bhi waha aane lage aur dada ji sab se mera parichay karate rahe. Kuch hi der me aman bhi waha aa gaya aur mujhse apna kamra dekhne ko chalne ke liye kahne laga.

Mai aman ke sath jaane ke liye archna ko apni god se utarne laga to, wo meri god se utarne ko taiyar nahi thi. Tab mai use bhi apne sath lekar aman ka kamra dekhne chala gaya.

Is tarah mera aman ke ghar aana jana aur uske baki parivar se mel jol bhi ho gaya. Ab mujhe aman ke ghar aane jaane me koi hichak nahi hoti thi aur mai jab chahe tab archna ke sath khelne uske ghar jaane laga.

Abhi in sab baton ko 8 din hi huye the ki, ek din mere dada ji se aman ke dada ji ne kaha ki “wo log kuch dino ke liye Mumbai ja rahe hai. Yadi hum log bhi unke sath chale to, bahut acha rahega.”

Unki baat sunkar mere dada ji ne kaha ki “wo bhi mumbai me kuch jamin kharidna chahte hai. Yadi ajay waha jaane ko taiyar hai to, unhe Mumbai jaane me koi pareshani nahi hai.”

Dada ji ki baat sunkar aman ke dada ji ne mujhse chalne ke baare me pucha to, maine bhi chalne ki haan kah di aur fir iske teesre din hum sab Mumbai ke liye nikal gaye.

Dada ji waha 2 din ruke aur in 2 din me wo bas waha koi acha sa bungalow hi dekhte rahe. Unhe ek bungalow pasand bhi aa gaya aur un ne sach me hi waha ek bungalow kharid liya.

Waha 2 din rukne ke bad dada ji mujhe aman logo ke sath hi chhor kar wapas aa gaye. Maine dada ji ke sath wapas lautne ki baat bhi ki thi. Magar aman ne archna ka wasta dekar mujhe waha rok liya tha.

Aman ke parivar se mujhe bahut apnapan mil raha tha. Isliye mujhe waha rukne me jara bhi pareshani nahi huyi. Hum log 10 din Mumbai me ruke aur waha khub masti karte rahe.

Mumbai se wapas aane ke bad mai bilkul badal gaya tha. Mera ghumna firna, khelna kudna, school jana, sab kuch suru ho gaya. Bas yadi kuch nahi badla tha to, wo tha archna ke sath mera khelna aur uske liye mera lagav.

Usne abhi bolna suru nahi kiya tha. Fir bhi mai us se dher saari baten karta rahta tha aur wo bhi meri baten sunkar kabhi khilkhilane lagti to, kabhi apne komal hathon se taali bajane lagti.

Mere liye wo kisi nanhi pari se kam nahi thi. Jisne mere jeevan me aakar mujhe meri saari khushiyan wapas de di thi. Mai jab tak usko dekh nahi leta tha. Mere dil ko chain nahi padta tha.

Use dekhte hi mere chehre par khud-ba-khud muskan aa jati thi. Mere liye sabse khushi ka din wo tha jab usne apne komal hathon se meri kalai par rakhi bandhi thi. Us din khushi ke maare mere aansu chhalak aaye the.

Uske bad dusra khushi ka din wo tha jab usne mujhe bhaiya kah kar pukara tha. Us din mujhe laga tha ki, mera khoya hua sab kuch ek baar fir se mujhe wapas mil gaya hai.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 124}
____________________________

Mumbai se wapas aane ke bad mai bilkul badal gaya tha. Mera ghumna firna, khelna kudna, school jana, sab kuch suru ho gaya. Bas yadi kuch nahi badla tha to, wo tha archna ke sath mera khelna aur uske liye mera lagav.

Usne abhi bolna suru nahi kiya tha. Fir bhi mai us se dher saari baten karta rahta tha aur wo bhi meri baten sunkar kabhi khilkhilane lagti to, kabhi apne komal hathon se taali bajane lagti.

Mere liye wo kisi nanhi pari se kam nahi thi. Jisne mere jeevan me aakar mujhe meri saari khushiyan wapas de di thi. Mai jab tak usko dekh nahi leta tha. Mere dil ko chain nahi padta tha.

Use dekhte hi mere chehre par khud-ba-khud muskan aa jati thi. Mere liye sabse khushi ka din wo tha jab usne apne komal hathon se meri kalai par rakhi bandhi thi. Us din khushi ke maare mere aansu chhalak aaye the.

Uske bad dusra khushi ka din wo tha jab usne mujhe bhaiya kah kar pukara tha. Us din mujhe laga tha ki, mera khoya hua sab kuch ek baar fir se mujhe wapas mil gaya hai.

Mai ab khush rahna seekh gaya tha. Wakt teji se gujarne laga. Isi bich mere nana ji ka dehant ho gaya. Magar jo apne mata pita ki maut ko sah gaya ho. Uske liye is dard ko sah lena koi badi baat nahi thi. Jaldi hi maine is dard se ubar kar wapas apni jindgi jeena suru kar diya.

Din, mahine, saal gujar gaye. Hum sab dhire dhire karke bade ho gaye. Maine aur aman ne 12th bhi pass kar li. Aman 12th ke exam ke bad chhuttiyon me apni bua ke pas mumbai gaya. Wahi nisha ko dekh kar, pahli hi najar me wo use apna dil de baitha.

Jab wo mumbai se wapas lauta to bas raat din nisha ki hi baten karta rahta aur har samay nisha ke khayalon me hi khoya rahta tha. Mujhe bhi is bich ek ladki pasand aayi thi.

Lekin us ladki ke liye mere diwana banne se pahle hi mujhe pata chal gaya tha ki, wo ladki kisi aur ladke se pyar karti hai. Is tarah meri love story suru hone ke pahle hi khatam ho chuki thi.

Jiske bad se maine kisi bhi ladki ke liye pagal na banne ka faisla kar liya tha. Lekin aman ka nisha ke liye diwanapan dekh kar, mujhe laga ki aman ko uska pyar milna chahiye.

Isliye maine aman ko salah di ki, wo apni aage ki padai, mumbai me apni bua ke pas rah kar kar le. Aisa karne se use apna pyar ko hasil karne me aasani hogi. Aman ko meri baat jam gayi. Usne apne ghar walon se is baare me baat ki, lekin koi bhi uske Mumbai jakar padne ki baat par taiyar nahi tha.

Tab maine uske ghar me baat ki aur unhe samjhaya ki, aman doctor banna chahta hai. Uski padai ke liye Mumbai hi sabse thik jagah hai. Meri baat ko sunkar aman ke ghar wale use mumbai bhejne ke liye taiyar ho gaye.

Mere dada ji ne bhi aman ko kah diya tha ki, wo yadi chahe to Mumbai me humare bungalow me bhi rah sakta hai. Mumbai jaane ki ijajat milne par aman ki khushi ka koi thikana nahi tha.

Kuch din bad aman ne surat chhor diya aur mumbai me apni bua ke pas rahne laga. Aman ke jaane ke bad mai ek baar fir se akelapan mehsus karne laga. Aisa nahi tha ki, aman ke alawa mera koi dost nahi tha.

Mere bahut se dost the. Lekin aman aur uske parivar se mera jo dil ka rishta tha. Wo shayad kisi ke sath bhi nahi tha. Aman to mumbai chala gaya tha. Fir bhi uske parivar ke sath mera mel jol bana raha.

Iski vajah meri nanhi pari archna thi. Us se bhale hi mera khoon ka rishta nahi tha. Lekin fir bhi wo mere liye meri sab kuch thi. Uski masum muskan meri kamjori ban chuki thi.

Idhar mai ek bemaksad jindgi ji raha tha to, waha Mumbai me aman ke do hi maksad the. Ek to nisha ka pyar hasil karna aur dusra docter banna. Dhire dhire aman apne ek maksad me kamyab ho gaya.

Kuch samay bad nisha ko bhi aman se pyar ho gaya. Nisha jitni sundar thi, us se bhi jyada khubsurat uska dil tha. Mujhe suru me ye jarur lagta tha ki, nisha ek ghamandi ladki hai.

Lekin us se milne ke bad maine jana ki, wo bahar se jitni kathor dikhti hai. Uska dil utna hi komal hai aur wo har rishte ko achhi tarah se nibhana janti hai. Kuch hi samay me wo meri achhi dost ban gayi.

Mai jab kabhi aman se milne Mumbai jata aur nisha se mile bina wapas aa jata. Tab wo mujhse phone par is baat ko lekar bahut jhagra karti thi aur aman usko mere khilaf badka kar is jhagre ke maja leta rahta tha.

Yu hi hansi majak se din gujar rahe the. Kuch samay bad aman aur nisha ki mehnat rang layi aur wo dono doctor ban gaye. Mai bhi ek psychiatrist ban chuka tha. Lekin dada ji ke kahne par maine unka business sambhal liya.

Abhi tak sab thik chal raha tha aur sabko ab aman ke ghar wapas aane ka intejar tha. Lekin aman ke ek faisle ne sabko chauka diya. Aman ne ghar wapas aane ki jagah, Mumbai me hi ek hospital me job join kar liya.

Aman ke is faisle ka saare ghar ne virodh kiya. Yaha tak ki aman ki maa ne bhi aman ko is baat ke liye bahut baten sunayi aur usko fauran surat wapas aane ke liye kah diya. Lekin aman ne unki baat ko manne se inkar kar diya.

Aman ke aisa karne ki vajah ye thi ki, wo chahta tha ki, ab uska parivar bhi Mumbai aakar uske sath rahne lage. Lekin aman ne apna ye faisla bahut jaldbaji me aur apne ghar walon ki ray sune bina hi le liya tha.

Jis vajah se ab use sabka virodh sahna pad raha tha. Aman ki bua ne bhi aman ko samjhane ki bahut koshish ki thi aur use surat wapas laut jaane ki salah di thi. Jis vajah se aman ne unka ghar chhod diya tha aur ab wo Mumbai wale humare bungalow me rahne laga tha.

Aman ki is baat ne mujhe bhi pareshani me daal diya tha. Ek taraf aman aur nisha mujh par, aman ke parivar ko Mumbai aakar rahne ke liye manane ka dabaw daal rahe the to, dusri taraf aman ke parivar wale mujh par aman ko surat wapas aane ke liye samjhane ka dabaw daal rahe the.

Aman ke chacha ji ka kahna tha ki, un ke parivar saara business surat me hai aur wo chahe tab bhi unke liye apna business surat se samet kar, use Mumbai me jama pana mumkin nahi hai.

Wahi dusri taraf aman ka kahna tha ki, ab wo docter ban gaya hai. Aise me uske parivar me kisi ko koi kaam karne ki jarurat hi nahi hai. Wo apne parivar ki har jimmedari uthane ke liye puri tarah se taiyar hai.

Ek taraf aman tha aur dusri taraf aman ka parivar tha. Dono apni apni jagah sahi the. Lekin mai dono me se kisi ki bhi tarafdari karne ki stithi me nahi tha. Kyoki aman ke wapas aane ka matlab, uske aur nisha ke dekhe huye sapno ko mitana tha. Jo aman ke liye sahi nahi tha.

Wahi aman ki baat manne ka matlab aman ke parivar ka yaha se jana tha. Jo kisi bhi tarah se mere liye sahi nahi tha. Kyoki aman ke parivar ne mere adhure parivar ko pura kiya tha.

Aman ke chacha chachi ho ya fir aman ki maa ho. Un ne mujhe aman se kam pyar nahi diya tha. Aman ki teeno bahne bhi mujhe aman se kam pyar nahi karti thi. Aise me unke jaane ke baare me sochne se bhi meri jaan nikalne lagti thi.

Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, mai kya karu aur kya na karu. Ek taraf mere dost ki khushiyan thi aur dusri taraf meri khud ki khushiyan thi. Dono ki khushiyan meri mutthi me band thi aur faisla mujhe karna tha ki, mai kiski khushiyan chahta hu.

Aakhir me maine apne dil par patthar rakh kar apne dost ki khushiyon ko chun liya. Maine ek ek karke sabko Mumbai jaane ke liye manane ka faisla kiya aur is kaam ki suruaat maine aman ke chacha ji ko manane se suru ki.

Unko manana sabse jyada mushkil kaam tha. Kyoki Mumbai me rahne ke liye, unhe apna jama jamaya business band karna pad raha tha. Maine unse jab Mumbai jaane ki baat ki to, un ne apne business ka hawala dete huye is baat se saaf inkar kar diya.

Lekin jab maine unko samjhaya ki, unko apna business yu aanan fanan me band karne ki jarurat nahi hai. Wo pahle apna business Mumbai me jamane ki koshish kare. Jab tak unka business Mumbai me nahi jam jata, tab tak mai yaha unke business ki dekh bhal karta rahuga.

Meri is baat ko sunne ke bad un ne pahli baar aman ki baat par gambirta se vichar kiya. Lekin ant me un ne iska faisla apne pita ji aur baki parivar ki marji par chhodte huye, mujhse raat ko dinner par sabse baat karne ko kah diya.

Mai usi raat dinner ke samay aman ke ghar pahuch gaya. Ghar ke sabhi log dinner par maujud the. Mai bhi unke sath dinner me shamil ho gaya. Ab seerat 12th me aur selina 10th class me aa gayi thi.

Archna bhi ab badi ho chuki thi aur ab wo 8th class me aa gayi thi. Teeno bahno me selina bahut natkhat aur shararti thi. Wo baat baat par mujhe pareshan karti thi. Ye baat archna ko jara bhi pasand nahi aati thi aur wo us se ladne lagti thi.

Kahne ko seerat dono se badi aur samajhdar thi. Lekin wo bhi in dono ki ladai ka maja lene ka koi mauka hath se nahi jaane deti thi aur aag me ghee dalne ka kaam karti rahti thi. Lekin dikhati aisa tha, jaise usne kuch kiya hi na ho.

Mera dinner aksar unke sath hi hota tha. Isliye mera aaj dinner par rahna unke liye koi nayi baat nahi thi. Magar mera khamosh rah kar dinner karna sabke liye naya jarur tha.

Mai dinner me sab ke sath hote huye bhi mera dhyan un sabki baton me nahi tha. Mai bas is baat me khoya hua tha ki, mai sab se aman ki baat kaise karu. Sab ko mera yu khamoshi ke sath dinner karna kuch ajib jarur lag raha tha.

Magar koi kuch bol nahi raha tha. Sab aapas me baat karte huye bas mujhe dekhte ja rahe the. Jab kuch der tak aisa hi chalta raha to, selina ko shararat sujhi aur usne badi hi masumiyat se mujhse kaha.

Selina boli “bhaiya, jara mujhe chapati dena.”

Selina ki baat sunkar mai apne khayalon se bahar aa gaya aur dining table par yaha waha najar ghumane laga. Mujhe aisa karte dekh selina aur seerat hasne lagi. Wahi archna ne chid-chichadte huye mujhse kaha.

Archna boli “bhaiya, khane me chapati kaha hai. Didi ne aapko buddhu banaya aur aap buddhu ban kar chapati dud rahe ho.”

Archna ki baat se mujhe yaad aaya ki aaj khane me parathe the. Maine banavati gusse me selina ko ghura to, usne mujhe dekh kar aur jor se haste huye kaha.

Selina boli “bhaiya chapati do na.”

Selina ko is tarah mujhe pareshan karte dekh kar, archna ko gussa aa raha tha. Use gussa aate dekh, seerat ko bhi unke jhagre ki aag me ghee dalne ka mauka mil gaya aur usne archna ko bhadkane ke liye, selina ko samjhate huye kaha.

Seerat boli “rahne de, bhaiya ko jyada pareshan mat kar, kahi bhaiya ki ladli ko gussa aa gaya to, wo abhi belan se teri pitayi kar degi.”

Seerat ki baat sunkar, jaha ek taraf archna ka gussa bad gaya tha. Wahi dusri taraf selina ne apna agla nishana archna ko banate huye kaha.

Selina boli “badi aayi bhaiya ki chamchi. Kya isi bas ke bhaiya hai. Mere bhi bhaiya hai aur mai jaise chahu, waise baat karu. Isme kisi ko jalna hai to jalta rahe. Thik kaha na bhaiya maine.”

Itna kah kar selina fir se hasne lagi. Use hasta dekh kar archna gusse me apni jagah se khadi ho gayi. Unki in harkaton ka maja ghar ke sabhi log le rahe the. Isliye koi unko nahi rok raha tha.

Lekin mujhe laga ki ab yadi maine bich me na bola to, sach me dono ke bich jhagra ho hi jayega. Isliye maine archna ko samjhate huye kaha.

Mai bola “aru, apna gussa thuk de. Ye dono tujhe gussa dila rahi hai. Tu in ki baton me mat aa aur chup chap khana kha.”

Meri baat sunkar archna wapas baitne ko huyi. Lekin use baithte dekh selina ne fir se apni baat dohrate huye kaha.

Selina boli “bhaiya chapati do na.”

Itna kah kar wo fir hans di. Lekin is baar uski hasi ko sunkar archna uth kar kitchen ki taraf jaane lagi. Use kitchen ki taraf jate dekh kar, seerat ne selina se kaha.

Seerat boli “selu ab tu yaha se bhag le. Lagta hai wo bhaiya ki chamchi kitchen me belan lene gayi hai aur aaj wo teri pitayi kiye bina nahi manegi.”

Ye bol kar seerat hasne lagi. Lekin selina ki hasi gayab ho gayi thi aur sab ke sath sath uski najar bhi ab kitchen ki taraf hi lagi huyi thi. Thodi hi der bad sabko archna kitchen se bahar aati huyi dikhi.

Usne apne dono hath pichhe chhupa rakhe the. Isliye kisi ko nahi dikha ki uske hath me kya hai. Wo chup chap aayi aur apni seat par baith gayi. Archna mere aur chachi ke bich ki seat par baithi thi.

Isliye mere aur chachi ke alawa kisi ke samajh me nahi aaya ki archna kitchen me kyu gayi thi. Archna ki harkat dekhte hi mere aur chachi ke chehre par muskan aa gayi.

Wahi baki sab log kuch bhi samajh na aane ke karan soch me pade huye the aur archna ke agle kadam ka intejar kar rahe the. Lekin wo muskurati huyi chup chap khana kha rahi thi. Use chup chap khana khate dekh kar, selina se nahi raha gaya aur usne mujhe fir se chhedte huye kaha.

Selina boli “bhaiya chapati do na.”

Selina ke itna bolne ki der thi ki, archna ne meri taraf dekhte huye badi hi masumiyat se kaha.

Archna boli “bhaiya, didi kitni bhukhi hai. Bechari kab se chapati mang rahi hai. Usko chapati de do na.”

Maine bhi muskurate huye archna se kaha.

Mai bola “ok aru, tu kahti hai to mai selu ko chapati de hi deta hu.”

Ye kahte huye maine table ke niche se hath upar uthaya aur do chapati selina ki taraf bada di. Mere chapati dete hi sab ki hansi chhut gayi aur selina ka muh chhota sa ho gaya. Lekin usne apni khij ko nikalte huye kaha.

Selina boli “ye to subah ki chapati hai. Ye aap hi khao aur apni ladli ko khilao. Mujhe nahi khana ye chapati.”

Ye bol kar wo apni haar se bhan-bhanayi khana khane lagi aur archna apni jeet par muskura rahi thi. Asal me archna kitchen se subah ki chapati le kar aayi thi aur usne wo lakar mujhe pakda di thi.

Jo selina ke chapati ka bolte hi maine uske samne rakh di thi. Is tarah hansi majak karte karte sab ka dinner ho gaya. Dinner ho jaane ke bad maine apni baat rakhte huye dada ji se kaha.

Mai bola “dada ji, aaj mai aap sab se aman ke baare me kuch baat karna chahta hu.”

Meri ye baat sunte hi sab meri taraf gaur se dekhne lage. Kyoki sabne aman ko samjhane ka kaam mujhe diya tha. Unhe aisa lag raha tha ki, mai shayad aman ke wapas aane ke baare me kuch kahna chahta hu.

Sabki aankhon me aman ke wapas aane ki ek ummid aur meri baat sunne ki utsukta saaf najar aa rahi thi. Wahi meri aankhon me abhi kuch der pahle ka hansi khushi ka mahaul ghum raha tha. Jo mujhe apni baat kahne se rok raha tha. Mujhe aage kuch na kahte dekh kar, dada ji ne mujhe tokte huye kaha.

Dada ji bole “haan beta bolo, tum aman ke baare me hum sab se kya baat karna chahte ho.”

Dada ji ki baat sunkar maine ek baar sabke chehre ki taraf dekha. Sabke chehre ko dekh kar meri kuch bhi kahne ki himmat jabab de gayi. Aise me meri himmat badate huye chacha ji ne kaha.

Chacha ji bole “babu ji, mai batata hu ki, ajji aap sab logo se kya baat karna chahta hai.”

Chacha ji ki baat sunkar, sab hairani se chacha ji ko dekhne lage. Chacha ji ne sabki hairani ko door karte huye, din me mujhse Mumbai jaane ko lekar huyi baat bata di. Jise sunte hi aman ki mummy ne sabse pahle is baat ka virodh karte huye aur mujhe latadte huye kaha.

Mummy boli “ajji tumko hum logon se aisi baat karte huye jara bhi sharam nahi aayi. Humne to tumko us nalayak ko samjhane bola tha. Lekin tum usko samjhane ki jagah uski hi tarafdari kar rahe ho. Aaj tumne galat baat me uski tarafdari karke hum sab ka dil dukhaya hai.”

“Hume tumse aisi ummid nahi thi. Aakhir tumhe us se itni hamdardi kisliye ho rahi hai. Jo tum hum logon ko humara ghar chhod kar uske pas jaane ko kah rahe ho. Kya hum sab ab tumhari aankhon me chubhne lage hai. Jo tum humko apni aankhon ki kirkiri ki tarah nikal kar fek dena chahte ho.”

Aman ki mummy bahut gusse me thi aur unke dil me aman ko lekar jitni bhi bhadas thi. Un ne sab ki sab bhadas mere upar nikal di. Un ne kabhi bhi mujhse itne gusse me baat nahi ki thi.

Is sabke bad bhi mujhe unki kisi bhi baat ka bura nahi laga tha. Kyoki wo mujhe aman se kam pyar nahi karti thi aur aaj apne usi haq se wo mujhe bhala bura bole ja rahi thi. Jab wo bolte bolte shant huyi to, maine unse kaha.

Mai bola “mom, aapka gussa apni jagah sahi hai. Magar aap aisa kaise soch sakti hai ki, aap sab meri aankhon ki kirkiri hai. Aap sab to mera parivar hai. Mai hi janta hu ki, aap sab ko jaane ke liye bol kar mera dil kitna roya hai. Aap sab Mumbai jayege to, aapka parivar pura ho jayega.”

“Lekin aap sab ke jaane se mera parivar to hamesha ke liye mujhse door ho jayega. Mujhse to aap jaisi maa ki mamta, ye chacha chachi ka pyar aur in jaan se pyari bahno ki pyar bhari nok jhok sab kuch hi chhin jayegi. Mera to sab kuch hi aapke jate hi khatam ho jayega.”

Apni baat bolte bolte mere aansu bahne lage aur mai chah kar bhi apne aansu rok nahi pa raha tha. Mujhe rote dekh, mummy ka gussa bhi khatam ho gaya. Un ne mere sar par hath fera aur mujhe samjhate huye kaha.

Mummy boli “tu kyo rota hai. Hum log tujhe chhod kar kahi nahi ja rahe hai. Tera kuch bhi khatam nahi hoga. Mujhe to ye samajh me nahi aata ki, tune uski ye baat maani kyo. Jo ladka apne bap saman chacha ka saga nahi hua. Wo bhala tumhara saga kaise ho sakta hai.”

Mummy ki pyar bhari baton se mera man halka ho gaya tha. Maine apne aapko sambhalte huye unse kaha.

Mai bola “mom, aap aman ke baare me galat soch rahi ho. Aman chacha ji ko apne papa ka hi darja deta hai aur ye teeno bahne to uski jaan hai. Yadi aisa na hota to, usne sirf aapko hi Mumbai lane ke liye socha hota.”

“Lekin usne ek baar bhi aisa nahi kaha. Usne jab bhi Mumbai aane ki baat kahi. Tab bhi usne apne pure parivar ke Mumbai aane ki baat kahi hai aur uska pura parivar aap sab hai.”

Meri is baat ka samarthan chacha ji ne bhi kiya. Chacha ji ka sath milte hi mere liye sabko samjhana aasan ho gaya tha. Mai ek ek karke apni baat sabko samjhata raha aur aakhir me sab Mumbai jaane ke liye taiyar ho gaye.

Kuch hi dino ki taiyari ke bad sab log Mumbai jaane ke liye nikal gaye. Mai sabko station tak chhodne aaya. Mujhe chhod kar jate huye, sabki aankhen nam thi. Koi bhi jana nahi chahta tha. Lekin fir bhi jana pad raha tha.

Archna ka to ro ro kar bura haal ho gaya tha. Wo bas ek hi rat lagaye huyi thi ki, mai aapko chhod kar nahi jaugi. Mai usko samjhane ki jitni bhi koshish karta, wo utna hi jyada roti ja rahi thi.

Aakhir me archna ki aisi haalat dekh kar, chacha ji ne mujhse kaha ki tum bhi sath chalo, warna ye ro ro kar apni tabiyat kharab kar legi. Mujhse bhi uska is tarah se rona dekha nahi ja raha tha. Isliye mujhe bhi sab ke sath Mumbai aana pad gaya.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 125}
____________________________

Meri is baat ka samarthan chacha ji ne bhi kiya. Chacha ji ka sath milte hi mere liye sabko samjhana aasan ho gaya tha. Mai ek ek karke apni baat sabko samjhata raha aur aakhir me sab Mumbai jaane ke liye taiyar ho gaye.

Kuch hi dino ki taiyari ke bad sab log Mumbai jaane ke liye nikal gaye. Mai sabko station tak chhodne aaya. Mujhe chhod kar jate huye, sabki aankhen nam thi. Koi bhi jana nahi chahta tha. Lekin fir bhi jana pad raha tha.

Archna ka to ro ro kar bura haal ho gaya tha. Wo bas ek hi rat lagaye huyi thi ki, mai aapko chhod kar nahi jaugi. Mai usko samjhane ki jitni bhi koshish karta, wo utna hi jyada roti ja rahi thi.

Aakhir me archna ki aisi haalat dekh kar, chacha ji ne mujhse kaha ki tum bhi sath chalo, warna ye ro ro kar apni tabiyat kharab kar legi. Mujhse bhi uska is tarah se rona dekha nahi ja raha tha. Isliye mujhe bhi sab ke sath Mumbai aana pad gaya.

Mumbai aane ke bad mai ek din sabke sath raha. Dusre din maine ghar wapas lautne ki baat ki to, archna ne fir rona suru kar diya. Tab maine use samjhaya ki, ab mujhe uske papa aur apna dono ka business dekhna hai. Aise me mera waha rukna thik nahi hai.

Lekin mere samjhane par bhi wo meri baat manne ko taiyar nahi thi. Tab aman ne usko samjhate huye kaha.

Aman bola “tu ajji ki ladli bahan hai na, to ise khushi khushi yaha se jaane de. Mai tujhse vada karta hu ki, ye waha jaane ke bad roj tujhse phone par baat kiya karega aur har Sunday tujhse milne yaha aaya karega.”

“Yadi isne aisa nahi kiya to, mai ise khud waha se utha lauga. Bas thode dino ki hi baat hai. Fir tere papa ka yaha business jamte hi, hum ise bhi hamesha hamesha ke liye tere pas yahi bula lege.”

Aman ne archna ko mere uske pas wapas aane ki ummid dila di. Jis ummid ki vajah se mai archna ko bahla kar, Mumbai se wapas apne ghar aa gaya tha. Lekin yaha aman ka suna pada ghar dekh dekh kar mujhe sabki bahut yaad aa rahi thi aur mujhe rona aa raha tha.

Na jaane us chhoti si ladki me aisa kya tha ki, wo jabse meri jnidgi me aayi thi, meri jindgi khushiyon se bhar gayi thi. Usne mujhe jeena sikhaya tha aur uske hote huye mujhe kabhi kisi ki jarurat mehsus nahi huyi thi.

Lekin aaj uske na hone se, ab mera hi ghar mujhe katne ko daudne laga tha. Mujhe apne hi ghar me ek pal bhi rahna mushkil sa lagne laga tha aur mai ek baar fir se apne aapko bilkul akela mehsus karne tha.

Mai abhi apne isi akelepan se bahar nikalne ke baare me soch raha tha ki, tabhi mere mobile ki ring bajne lagi. Maine mobile dekha to, mere chehre par khud-ba-khud muskurahat aa gayi. Maine call uthate huye kaha.

Mai bola “kaisi hai tu. Khana khaya ya nahi.”

Archna boli “mai achi hu. Maine khana bhi kha liya, pani bhi pi liya aur so bhi liya hai.”

Archna ki baat sunkar mai hase bina na rah saka. Maine uski baton ka maja lene ke liye us se kaha.

Mai bola “waha jakar to tu bahut hi fast ho gayi hai. Itni jaldi itna sab kuch kar liya jhuthi.”

Meri baat sunkar wo khilkhilane lagi. Uski hansi sunkar mere dil ka bojh kuch kam sa ho gaya. Maine use baton me lagate huye kaha.

Mai bola “tu hans kyo rahi hai. Jhuth bolte huye tujhe sharam nahi aati.”

Archna boli “bhaiya aap baat hi aisi kar rahe ho. Aapko pata hai ki itne time dinner nahi hota hai. Fir bhi aap puchh rahe ho ki, maine khana khaya ya nahi.”

Mai bola “badi samajhdar ho gayi hai. Bahut badi badi baten karne lagi.”

Meri baat sunkar wo fir khilkhilane lagi. Fir usne mujhse dhire se kaha.

Archna boli “bhaiya, aapko ek raz ki baat batana hai.”

Maine bhi uski baat me dilchaspi dikhate huye kaha.

Mai bola “bol jaldi, kya raz ki baat hai.”

Archna boli “bhaiya aaj chhote dadu (aman ke dada ji) bade dadu (mere dada ji) se phone par baat kar rahe the.”

Mai bola “to isme raz ki baat kya hai. Wo log to roj hi baat karte hai.”

Archna boli “aap puri baat to sunte nahi ho aur bich me bolne lagte ho.”

Mai bola “ok, ab mai bich me nahi boluga. Ab bata isme raz ki baat kya hai.”

Archna boli “wo aapki shadi ki baat kar rahe the. Bade dadu aapki shadi ke liye ladki dudh rahe aur un ne chhote dadu ko bhi ladki dekhne ko kaha hai. Chhote dadu ne papa ko bhi koi achi si ladki dekhne ke liye kaha hai.”

Mai bola “ye to tune bahut pate ki baat batayi hai. Lekin mai to usi ladki se shadi karuga. Jise tu pasand karegi.”

Meri baat sunkar archna ne chahkte huye kaha.

Archna boli “bhaiya yadi aisi baat hai to, mai kal se hi apni bhabhi dudna suru kar deti hu. Aap dekhna mai kitni sundar bhabhi dudti hu. Lekin is kaam me aapko bhi isme mera sath dena hoga. Hum dono mil kar bhabhi dudege, to dadu logo se pahle dud lege.”

Mai bola “ok, teri bhabhi ko hum dono milkar dudege. Ab khush.”

Archna boli “haan, lekin ye hum logon ka bhabhi dudne wala raz kisi ko pata nahi chalna chahiye.”

Mai bola “nahi pata chalega meri maa. Ab tu phone rakh, hum log kal baat karte hai.”

Iske bad archna ne phone rakh diya. Lekin archna ki baat se mujhe itna to samajh me aa gaya tha ki, dada ji ko mere akelepan ki vajah se meri shadi karne ki chinta sata rahi thi.

Dada ji ko is chinta ko mitane ke liye mujhe khud ko akelepan ki is jindagi se nikalna jaruri ho gaya tha. Ab mere pas is akelepan se bachne ka ek hi rasta rah gaya tha ki, mai apne aapko kaam me itna busy kar du ki, mere pas kisi baat ko sochne ka time hi na rahe.

Agle din se maine ye hi kiya aur apne aapko puri tarah se kaam me laga diya. Yaha mai dada ji ka saara business sambhalne me laga tha to, waha aman ke chacha ji Mumbai me apna business jamane me lage the.

Yu hi din gujarte gaye aur aman ke chacha ji ka business Mumbai me achi tarah se jam chuka tha. Maine bhi yaha dhire dhire dada ji ka saara business sambhal liya tha aur ab us business ko failane me laga hua tha.

Aman ka parivar Mumbai ke mahaul me khud ko puri tarah se dhal chuka tha aur ab meri unse kam hi baat hua karti thi. Lekin archna waha ke mahaul me rangne ke bad bhi, mujhe ek din ke liye bhi nahi bhooli thi.

Wo ab bhi mujhse roj hi phone par baat kiya karti thi. Wo kabhi seerat ya selina ki shikayat karti to, kabhi apni school ki baten batati aur jab uske pas karne ki koi baat nahi hoti to meri shadi ki baat lekar baith jati thi.

Uske pas mujhse karne ke liye roj hi koi na koi baat rahti hi thi. Aise hi usne apne jamadin ke ek din pahle mujhe phone kiya aur apne janamdin ka yaad dilane ke liye mujhse kaha.

Archna boli “bhaiya, kya aapko yaad hai. Kal kya hai.”

Mujhe yaad tha ki, kal uska janam din hai aur mai uske janam din ka gift use pahle hi bhej chuka tha. Fir bhi maine anjan bante huye kaha.

Mai bola “nahi, mujhe yaad nahi kal kya hai. Kyo kal kya hai.”

Use laga ki, mujhe sach me uska janam din yaad nahi hai. Usne is baat par mujhse naraj hote huye kaha.

Archna boli “kya bhaiya, aapko itna jaruri din bhi yaad nahi hai. Jao mai aapse baat nahi karti.”

Use naraj hote dekh kar, maine hanste huye us se kaha.

Mai bola “badi aayi, mujhe kal ka din yaad dilane wali. Bhala mai kabhi tera janam din bhool sakta hu.”

Mere muh se kal apna janam din hone ki baat sunte hi uski narajgi door ho gayi to, usne mujhse kaha.

Archna boli “jab aapko mera janam din yaad tha to, jhuth kyo bole the.”

Mai bola “mai to bas tujhse jara sa majak kar raha tha. Maine to tere janam din ka gift subah hi bhej diya tha. Kal tujhe tere janam din ka gift mil bhi jayega.”

Mujhe laga tha ki, meri ye baat sunkar archna khush ho jayegi. Lekin usne mere gift ko koi aehmiyat na dete huye kaha.

Archna boli “mujhe janam din par koi gift vift nahi chahiye. Mere janam din par aap yaha aaiye. Warna mai koi janam din vanam din nahi manaugi aur na hi aapse kabhi baat karugi.”

Archna ki ye jid sunkar, mai pareshani me fas gaya. Kyoki agle din meri ek bahut jaruri business meeting thi. Jiski taiyari pahle se hi ho chuki thi aur ab is meeting ko taala nahi ja sakta tha.

Maine ye baat archna ko samjhane ki koshish karne laga. Lekin usne meri koi bhi baat sunne se mana kar diya aur mere kal Mumbai na aane par, mujhse kabhi baat na karne dhamki dekar phone rakh diya.

Maine use samajhne ke liye wapas phone kiya. Lekin usne phone nahi uthaya. Phone chachi ji ne uthaya. Maine unse archna se baat karwane ko kaha to, archna ne phone par aane se mana kar diya.

Mai janta tha ki, wo bahut jiddi hai. Isliye maine dada ji se kal ki meeting lene ko kah diya aur mai archna ko manane ke liye agle hi din Mumbai pahuch gaya. Lekin jab mai aman ke ghar pahucha to, archna school gayi huyi thi.

Mujhe achanak aaya dekh kar sab chauk gaye. Tab maine unko kal archna se huyi baton ke baare me bataya. Jise sunne ke bad chachi ji ne kaha.

Chachi ji boli “ab samajh me aaya ki, wo subah kyo apna janam din na manane ki baat kah kar aur sabse jhagra karke school chali gayi. Hum sab to ye hi soch rahe the ki, aakhir ise subah subah kya ho gaya hai.”

Chachi ji ki baat sunkar aur archna ka mere liye pyar dekh, meri aankhen nam ho gayi. Uska bhola bhala chehra meri aankhon ke samne ghumne laga aur mera dil use dekhne ke liye tadapne laga. Maine apni aankhon ki nami ko sabse chhupate huye chachi ji se kaha.

Mai bola “mai uska mood sahi karna achi tarah se janta hu. Mai abhi usko school se lekar aata hu.”

Ye kah kar maine selina ko apne sath archna ki school chalne ko kaha aur mai apni car ki taraf bad gaya. Lekin tabhi selina ne mujhe tokte huye kaha.

Selina boli “bhaiya, aap yadi aise aru ki school pahuche to, aapka surprise dhara ka dhara rah jayega. Aap use aisa surprise dijiye ki, use hamesha yaad rahe.”

Mujhe selina ki ye baat jara bhi samajh me nahi aayi. Maine us se iska matlab puchhte huye kaha.

Mai bola “tu kahna kya chahti hai.”

Selina boli “bhaiya aap humari wali car lekar school chaliye. Jisme wo roj school se ghar aati hai. Apni car dekh kar use jara sa bhi shaq nahi hoga.”

Mai bola “lekin is se fayda kya hoga. Wo to car ke pas aate hi mujhe dekh legi.”

Meri baat sunkar, selina muskurane lagi. Use yu muskurate huye dekh kar, maine us se kaha.

Mai bola “tu kuch bolti kyo nahi aur khade khade hans kyo rahi hai.”

Selina boli “aise nahi bolugi. Aage ki baat sunne ke liye aapko meri shart manna padegi.”

Selina ki baat sunkar, maine use ghoor kar dekha. Mere is tarah dekhne par usne hanste huye kaha.

Selina boli “ab aapko aage ki baat sunna hai to, itni rishwat to deni hi padegi.”

Mere pas uski shart manne ke siwa koi dusra rasta nahi tha. Isliye maine us se kaha.

Mai bola “ok, mujhe teri sab shart manjur hai. Ab bol aage kya karna hai.”

Selina boli “itni jaldi bhi kya hai bhaiya. Pahle meri shart to sun lijiye.”

Mai bola “ok, bol teri kya shart hai.”

Selina boli “meri shart hai ki, aap aaj hum teeno bahno ko Essel World lekar jayege.”

Mai bola “ok, mujhe teri shart manjur hai. Ab jaldi se apni aage ki baat bhi bol de.”

Mere muh se haan sunne ke bad selina ne apni aage ki baat batate huye kaha.

Selina boli “mera idea hai ki, aap driver kaka ki uniform pahan kar chaliye. Wo aapko bilkul bhi pehchan nahi payegi.”

Selina ka ye idea sunkar, maine use gaur se dekha. Mai samajh nahi pa raha tha ki, wo mere sath koi shararat kar rahi hai ya sach me hi aisa karne ko bol rahi hai. Jab mujhe uske aisa karne ki koi vajah samajh nahi aayi to, maine bura sa muh banate huye kaha.

Mai bola “ye kaisa behuda sa idea hai. Tu mujhe ek mamuli sa driver bana kar mera majak banana chahti hai.”

Meri baat sunkar, selina ne jo tark diya. Use sun kar mai kuch bhi kahne layak nahi raha. Usne meri bat ka tark dete huye kaha.

Selina boli “ye kya bhaiya. Kya driver insan nahi hote. Mujhe aapse aisi baat ki ummid nahi thi.”

Abhi selina apni baat puri bhi nahi kar payi thi ki, seerat ne uski baat ko katte huye mujhse kaha.

Seerat boli “bhaiya aap hi hume sikhate the ki, koi bhi kaam bada ya chhota nahi hota aur aaj aap ko hi sirf thodi der ke liye driver banne me sharam aa rahi hai.”

Meri dono bahne, meri hi sikhayi baten aaj mujhe yaad dila rahi thi. Mujhe aisa karne ka koi tuk samajh me nahi aa raha tha. Is par unke shararat karne ki aadat bhi mujhe aisa karne se rok rahi thi. Maine unko apne aisa na karne ki baat par apni safai dete huye kaha.

Mai bola “tum log bekar ki bahas kyo kar rahi ho. Mere kahne ka matlab sirf ye tha ki, wo to mujhe dekh kar waise hi khush ho jayegi. Fir tum log mujhse aisa kyo karwana chahti ho.”

Mujhe yu apni baat par ade huye dekh dono hasne lagi. Lekin dono ka mood mujhse apni baat manwane ka tha. Isliye seerat ne apni aadat ke anusar aag lagate huye kaha.

Seerat boli “rahne de selu. Bhaiya se ye sab na hoga. Wo apni chhoti bahan ko uske janam din par ek chhota sa gift bhi nahi de sakte.”

Selina boli “sahi kaha didi, bhaiya apni ladli ki khushi ke liye itna bhi nahi kar sakte.”

Dono mujhe aisa karne ke liye uksa rahi thi aur mai unki baton me fasna nahi chahta tha. Isliye maine dono se kaha.

Mai bola “mujhe jo gift dena tha, wo mai use pahle hi de chuka hu aur uski khushi ke liye hi mai yaha aaya hu. Ab tum dono apni bak bak band karo aur chup chap uski school chalo.”

Meri baat sunkar, selina chup chap gaadi me aakar baith gayi. Lekin seerat ne apni aakhiri koshish karte huye kaha.

Seerat boli “aapka diya hua gift, use mil gaya tha. Lekin wo aapse bahut naraj thi. Isliye usne wo gift khol kar bhi nahi dekha. Ab kahi aisa na ho ki, aapko dekh kar wo school se aane se hi mana kar de. Uska gussa to aap jante hi hai. Magar is sab se mujhe kya. Chaliye aru ki school chalte hai.”

Itna kah kar, seerat bhi gaadi me aakar baith gayi. Lekin uski is baat ne mujhe soch me daal diya tha. Kyoki aru bahut jiddi thi aur yadi ek baar kisi baat ko lekar naraj ho jaye to usko manana aasan nahi tha.

Magar mai ye bhi achi tarah se janta tha ki, aru mujhse jyada der tak naraj nahi rah sakti thi. Isliye mera in dono ki baat manne ka koi sawal hi paida nahi hota tha. Mujhe is tarah sochta dekh, seerat ne fir mujhe uksate huye kaha.

Seerat boli “bhaiya, jyada mat sochiye. Aap se ye nahi hoga, isliye ab aise hi school chalte hai.”

Seerat ki baat ke jabab me maine us se driver ki uniform lane ko kaha to, wo bhag kar uniform le aayi. Kuch hi der me mai uniform pahan kar taiyar ho gaya. Mujhe driver ki uniform me dekh kar dono khush ho gayi aur fir hum log aru ki school aa gaye.

Dono ne mujhe gaadi me hi baithe rahne ko kaha aur dono aru ko lene school ke andar chali gayi. Thodi der bad mujhe teeno school se bahar nikalti najar aayi. Gaadi ke pas aane ke bad, seerat aage mere pas wali seat par aakar baith gayi. Selina aur aru pichhe ki seat par baith gayi. Sabke gaadi me baithte hi seerat ne mujhse kaha.

Seerat boli “kaka Essel World chaliye.”

Apne liye kaka sunte hi maine seerat ko ghoor kar dekha to, usne mujhe chup chap chalne ka ishara kiya. Udhar aru ne Essel World chalne ki baat suni to, gusse me bhannate huye kaha.

Archna boli “maine kaha na, mujhe kahi nahi jana. Seedhe ghar chalo warna acha nahi hoga.”

Aru ko Essel World chalne ke naam par gussa hote dekh kar, seerat ne pichhe palat kar dekhte huye us se kaha.

Seerat boli “aaj aakhir tujhe hua kya hai. Aaj tera janam din hai aur tu subah se hi sab par vevajh gussa huye ja rahi hai. Hum to tere ko janam din ka gift dena chahte hai aur tujhe party dene ke liye Essel World le ja rahe hai.”

Lekin aru par seerat ki is baat ka koi asar nahi pada. Usne fir gusse me apni baat ko dohrate huye kaha.

Archna boli “mujhe nahi chahiye koi gift vift, mujhe jo bhi gift mile hai wo bhi tum log rakh lo. Mujhe kahi nahi jana aur na hi koi party chahiye. Seedhe ghar chalo, nahi to mujhe yahi utar do.”

Aru ka gussa shant na hote dekh, seerat ne us se kaha.

Seerat boli “chal jaisa tu kahti hai, hum waisa kar dege. Bas tu hume itna bata de ki, tu itna kis vajah se naraj hai.”

Seerat ki ye baat sunkar aru kuch shant pad gayi. Lekin kuch boli nahi. Shayad wo apni narajgi ki vajah kisi ko batana nahi chahti thi. Use chup dekh kar seerat ne mujhe gaadi aage badane ka ishara kiya to, maine gaadi start ki. Lekin mere gaadi start karte hi aru ne kaha.

Archna boli “kaka seedhe ghar chalo. Mujhe ghar chhodne ke bad inko jaha jana hai waha le jana.”

Archna ke aisa bolne par, seerat ne jhutha gussa dikhate huye us se kaha.

Seerat boli “thik hai, jab tujhe humari koi baat nahi manna to, hum bhi ab tujhse koi baat nahi karge. Tu aage aakar baith aur mujhe selu ke pas baithne de.”

Ye kah kar seerat gaadi se utar gayi aur pichhe ka darwaja khol kar aru ko aage jaane ka ishara kiya. Aru bhi bina kuch kahe gaadi se utar gayi. Uske utarte hi seerat pichhe uski seat par jakar baith gayi aur aru aakar aage baith gayi.

Lekin aage baithte hi jaise hi uski najar mujh par padi to, usne pichhe palat kar seerat aur selina ki taraf dekha. Wo dono use dekh kar muskura rahi thi. Uske bad usne fir se meri taraf dekha to, maine use happy birthday kaha.

Mere happy birthday bolte hi, seerat aur selina ne bhi use happy birthday kaha. Jise sunte hi pahle Aru ke chehre par muskurahat aayi aur fir uski aankhon me aansu jhilmilane lage.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 126}
____________________________

Seerat ki ye baat sunkar aru kuch shant pad gayi. Lekin kuch boli nahi. Shayad wo apni narajgi ki vajah kisi ko batana nahi chahti thi. Use chup dekh kar seerat ne mujhe gaadi aage badane ka ishara kiya to, maine gaadi start ki. Lekin mere gaadi start karte hi aru ne kaha.

Archna boli “kaka seedhe ghar chalo. Mujhe ghar chhodne ke bad inko jaha jana hai waha le jana.”

Archna ke aisa bolne par, seerat ne jhutha gussa dikhate huye us se kaha.

Seerat boli “thik hai, jab tujhe humari koi baat nahi manna to, hum bhi ab tujhse koi baat nahi karge. Tu aage aakar baith aur mujhe selu ke pas baithne de.”

Ye kah kar seerat gaadi se utar gayi aur pichhe ka darwaja khol kar aru ko aage jaane ka ishara kiya. Aru bhi bina kuch kahe gaadi se utar gayi. Uske utarte hi seerat pichhe uski seat par jakar baith gayi aur aru aakar aage baith gayi.

Lekin aage baithte hi jaise hi uski najar mujh par padi to, usne pichhe palat kar seerat aur selina ki taraf dekha. Wo dono use dekh kar muskura rahi thi. Uske bad usne fir se meri taraf dekha to, maine use happy birthday kaha.

Mere happy birthday bolte hi, seerat aur selina ne bhi use happy birthday kaha. Jise sunte hi pahle Aru ke chehre par muskurahat aayi aur fir uski aankhon me aansu jhilmilane lage.

Bahut hi ajib sa manjar tha. Aru mujhe dekhe ja rahi thi. Uske hothon par muskan thirak rahi thi. Lekin uski aankhon me aansu jhilmila rahe the. Uski masum aankhon me aayi nami ko pochhne ke liye apne hath aage badaye.

Lekin tabhi aru aage bad kar mere seene se lag gayi aur na jaane kab uski aankhon ki nami aansuo me badal gayi. Maine uske aansu pochhne ke liye use apne seene se alag karna chaha to usne aur bhi jor se mujhe apni bahon me jakad liya.

Uski is harkat ko dekh kar, kuch pal ke liye meri aankhon me bhi nami aa gayi. Yahi haal seerat aur selina ka bhi tha aur yadi koi dusra ye manjar dekh raha hota to, shayad wo bhi is pal me apni aankhon me nami aane se na rok pata.

Kuch der ke liye wakt jaise tham sa gaya tha. Sab khamosh the aur bas aru ko dekh rahe the. Maine pyar se uske sar par hath fera aur fir uska chehra upar utha kar uske aansu pochhte huye us se kaha.

Mai bola “ro mat pagli. Kya mai tujhe rulane ke liye itni door aaya hu. Bhala apne janam din ke din bhi koi rota hai kya.”

Meri baat ne apna asar dikhaya aur aru rona band kar ke apna chehra saaf karne lagi. Aru ka mood thik hote dekh kar, seerat ne selina ke kaan me kuch kaha, jiske bad selina ne aru se kaha.

Selina boli “to pagli, ab hum ghumne chale.”

Selina ki baat sunte hi aru ne use gusse me ghurte huye dekha aur use dhamkate huye kaha.

Archna boli “didi, mujhe pagli vagli mat bolna, warna mujhse bura koi nahi hoga.”

Aru ki dhamki ke jabab me seerat ne selina ki tarafdari karte huye aru se kaha.

Seerat boli “oye abhi bhaiya tujhe pagli bole to, tune unhe kuch nahi kaha aur jab selu ne pagli kaha to, tujhe itna bura lag gaya.”

Seerat ke is jabab ke bad bhi aru ke tevar me koi farak nahi pada. Usne apni baat ko dohrate huye kaha.

Archna boli “wo mere bhaiya hai. Wo mujhe kuch bhi bol sakte hai. Lekin aap dono unki barabari karne ki koshish mat karo.”

Mujhe samajh me aa gaya tha ki, ye sab seerat ka hi kiya hua hai. Is se pahle ki baat aur aage bade, maine aru ko baat ke bich me hi rokte huye kaha.

Mai bola “ye bekar ki bahas band karo. Ye bolo ki, ab hum ghumne chale ya fir wapas ghar chale.”

Meri baat sunkar, aru ne bahas karna band kar diya aur fir kuch sochte huye mujhse kaha.

Archna boli “bhaiya, kya mai apni ek saheli ko bhi apne sath lekar chal sakti hu.”

Lekin aru ki baat ka mere kuch jabab dene ke pahle hi seerat ne use chhedte huye kaha.

Seerat boli “sirf ek saheli ko kyo. Tu aisa kar apni puri school ko sath le chal. Bhaiya abhi sabke liye bus bula dete hai.”

Seerat ki baat sunkar aru ka chehra gusse se laal ho gaya. Is se pahle ki fir se dono ki bahas suru ho pati. Maine bich bachav karte huye kaha.

Mai bola “dekh, tu iski baton me mat aa. Ye bekar me tujhe jhagre ke liye uksa rahi hai. Kya tu iski aadat nahi janti. Tu ja aur jaldi se apni saheli ko le aa. Warna sara samay tera iske sath bahas karne me hi beet jayega.”

Meri baat sunkar aru ne apni jeebh bahar nikal kar seerat ko chidaya aur gaadi se bahar nikal gayi. Uske jaate hi seerat bhi gaadi se utri aur aage aakar baith gayi. Pahle mujhe laga ki wo kuch baat karne aayi hai.

Lekin jab wo aakar chup chap baithi rahi to, mujhe samajhte der nahi lagi ki ye aru ko pareshan karne ke liye uski seat par aakar baithi hai. Ye baat mere samajh me aate hi maine us se kaha.

Mai bola “chal tu, wapas jakar apni seat par baith ja.”

Mere aisa kahne ka matlab seerat ko samajh me nahi aaya to, usne mujhse kaha.

Seerat boli “kyo, maine kya kiya. Mai to chup chap baithi hu.”

Mai bola “mai tere yaha aakar baithne ka matlab ache se samajh raha hu. Ab tu aru ko aur pareshan mat kar aur seedhe se jakar apni seat par baith ja.”

Meri baat seerat ke samajh me aate hi usne apni safai dete huye kaha.

Seerat boli “are bhaiya, mai use pareshan kaha kar rahi hu. Bas thoda sa majak kar rahi hu.”

Mai bola “nahi, tune uske sath bahut majak kar liya. Ab koi majak vajak nahi hoga.”

Mere itna bolte hi seerat hasne lagi. Uske hasne ka karan mujhe samajh nahi aaya to maine us se kaha.

Mai bola “maine koi hasne wali baat to ki nahi hai. Jo tu meri baat sunkar hans rahi hai.”

Seerat boli “bhaiya, aap sach me hi aru ke bhai ho.”

Mai bola “tu kahna kya chahti hai. Saaf saaf bol, mai kuch samjha nahi.”

Seerat boli “yahi ki aap bhi aru ki tarah baat karne lage ho.”

Mai bola “tere kahne ka kya matlab hai.”

Seerat boli “abhi aap bole ki koi majak vajak nahi hoga.”

Mai bola “to isme kya hua.”

Seerat boli “ab itne bhole bhi mat bano. Aapko bhi pata hai ki, aru bhi aise hi baat karti hai. Wo har baat ko ulta sidha karke bolti hai. Jaise abhi kuch der pahle boli thi ki, gift vift, pagli vagli waise hi aap bhi bole ho.”

Seerat ki baat sunkar, mai bhi apni hansi nahi rok saka aur tabhi mujhe aru apni saheli ke sath aati dikhi to, maine seerat se pichhe jakar baithne ko kaha. Lekin usne kaha ki, wo aru ke kahte hi use uski seat de degi.

Maine uski baat maan li aur kuch hi der me aru gaadi ke pas aa gayi. Lekin gaadi ke pas aate hi seerat ko apni seat par baithe dekh kar aru ki bhaven tan gayi. Magar seerat par is sab ka koi asar nahi pada. Wo aaram se baithi muskurati rahi.

Is se pahle ki aru jhagra suru karti. Mai gaadi se utar kar uske pas aa gaya aur us ki saheli ki taraf dekh kar, us se kaha.

Mai bola “aru, apni saheli se mujhe nahi milwaogi.”

Mujhe apne pas aate dekh kar, aru ka dhyan seerat par se hat gaya aur jab maine us se uski saheli se milane ki baat ki to, uske chehre par muskurahat wapas aa gayi. Usne mujhe apni saheli se milate huye kaha.

Archna boli “bhaiya, ye meri saheli nikita hai.”

Aru ne mujhe to nikki ka parichay de diya tha. Lekin nikki ko mera parichay nahi diya tha. Isliye nikki ye sab dekh kar kuch asmanjas me thi. Maine uski ye halat dekhi to us se kaha.

Mai bola “hello nikki, mai ajay aru ka surat wala bhai hu.”

Mere itna bolte hi nikki ke chehre par muskurahat aa gayi aur usne tapak se kaha.

Nikki boli “to aap hai aru ke ajay bhaiya. Lekin aap driver ke uniform me kyo hai.”

Mai bola “haan mai hi iska ajay bhaiya hu. Ye mujhse bahut naraj thi aur ise manane ke liye mujhe driver banna pad gaya.”

Nikki boli “aru sach hi kahti thi ki, aap uske liye kuch bhi kar sakte hai.”

Mai bola “isme naya kya hai. Har bhai apni bahan ke liye ye sab karta hai. Tumhara bhai bhi to tumhare liye aisa hi kuch karta hoga.”

Meri baat sunkar, nikki kuch udas si ho gayi. Uska utra hua chehra dekh kar, mujhe laga ki shayad mai kuch galat kah gaya. Maine baat ko sambhalne ki koshish karte huye nikki se kaha.

Mai bola “kya hua. Kya maine kuch galat kah diya.”

Meri baat ke jabab me nikki ne badi hi masumiyat se kaha.

Nikki boli “mera koi bhai nahi hai.”

Nikki ki baat sunkar mujhe uske masum se dil ko hone wale dard ka aehsas ho chuka tha. Mai kisi apne ke na hone ke dard se gujar chuka tha. Isliye maine uska dard kam karne ki niyat se kaha.

Mai bola “ab aisa dobara mat bolna. Aru tumhari sabse achi saheli hai to, fir aru ka bhai bhi to tumhara bhai hi hua na. Aaj se tum mujhe hi apna bhai samjho.”

Meri baton ko sunkar nikki ki aankon me khushi ki chamak aa gayi. Wo mujhe apalak dekhne lagi. Maine use is tarah apne aapko dekhte dekha to, us se kaha.

Mai bola “aise kya dekh rahi ho.”

Nikki boli “aru hamesha kahti thi mere bhaiya bahut ache hai. Aaj dekh bhi liya ki aap sach me bahut ache hai.”

Mai nikki aur aru ke sath baat karne me laga tha. Udhar jab seerat ne dekha ki humari baat khatam hone ka naam hi nahi le rahi to, usne hum logon ko apni baat sunate huye selina se kaha.

Seerat boli “selu le, bhaiya ki team me ek aur pagli shamil ho gayi.”

Seerat ki baat sunte hi selina ne bhi maja lete huye kaha.

Selina boli “didi sirf pagli shamil huyi hai, ya koi agli pagli shamil huyi hai.”

Itna bol kar, selina hasne lagi. Wo dono to aru ka maja lena chahti thi. Lekin unki baat sunkar nikki ko shayad ye laga ki, wo log uska majak uda rahi hai. Jis vajah se uska chehra utar gaya.

Lekin jaise hi seerat ne nikki ka utra hua chehra dekha to, use apni galti ka aehsas hua aur usne fauran apne majak ko sambhalte huye kaha.

Seerat boli “selu, jyada hawa me mat udh. Ab aru akeli nahi hai. Ab nikki bhi uske sath hai aur bhaiya to un dono ka hi sath dege. Isliye ab inse panga lena thik nahi hai.”

Ye kahte huye seerat ne selina ko aankh markar nikki ke dare huye chehre ki taraf ishara kiya. Jise dekh kar selina bhi uski baat ka matlab samajh gayi aur usne darne ka natak karte huye kaha.

Selina boli “ohh didi maine to ye socha hi nahi tha ki, aru ki saheli bhi aru ke jaisi hi hogi. Aap thik kahti ho, abhi aru se panga lena thik nahi hai.”

Seerat aur selina ki ki baat ko sunkar nikki ko laga ki, wo log uske sath hone se dar gayi hai. Ye dekh kar uske chehre ki raunak wapas aa gayi aur mere chehre par bhi muskurahat tair gayi.

Mujhe ye dekh kar khushi ho rahi thi ki, meri dono bahne bhale hi kitni bhi shararat karti ho. Magar kabhi kisi ke dil ko thes nahi laga sakti hai. Maine aru aur nikki ko gaadi me baithne ko kaha aur pichhe ka darwaja khola to nikki andar jakar baith gayi.

Lekin aru abhi bhi bahar hi khadi rahi. Mai janta tha, wo pichhe nahi baithegi. Isliye maine aage ka darwaja khola aur seerat ko pichhe jakar baithne ko kaha. Seerat muskurati huyi pichhe jakar baith gayi aur aru aakar aage baith gayi.

Aru ke baithne ke bad mai bhi gaadi me aakar baith gaya aur gaadi aage bada di. Aru mere se baat karne lagi aur seerat nikki se baat karke us ka dar door bhagane lagi. Bich bich me selina kabhi meri aur aru ki baat me to, kabhi seerat aru nikki ki baat me tang ada kar apne hone ka aehsas dilati rahi.

Bas isi tarah baton baton me pata hi nahi chala ki hum kab Essel World pahuch gaye. Waha pahuch kar maine sabko gaadi ne utara aur car parking dekhne laga. Tabhi seerat ne kaha ki, jab tak aap car park karte hai. Tab tak hum log jakar ticket le lete hai.

Maine use ticket ke paise diye aur mai car park karne chala gaya. Lekin jab mai car park karke aaya to, aru aur nikki ab bhi wahi khadi thi. Unhe wahi khade dekh kar maine us se kaha.

Mai bola “tum log abhi tak yahi khadi ho. Tum log unke sath kyo nahi gayi.”

Meri baat sunkar aru ne khurrate huye kaha.

Archna boli “bhaiya 5 ticket lene ke liye kya 5 logon ka jana jaruri nahi hai. Koi ek bhi to jakar 5 ticket le sakta hai na.”

Aru ki baat sunkar mai hanse bina na rah saka. Maine use apni safai dete huye kaha.

Mai bola “maine to bas yu hi puchh liya tha. Tu itna naraj kyo ho rahi hai. Chal ab ye baat chhod aur ye bata tujhe mera gift mila ya nahi.”

Ye kah kar mai wahi pas khadi activa par baith gaya aur aru ka jabab sunne laga. Aru ne meri baat ke jabab me kaha.

Archna boli “nahi, maine kisi ke gift nahi dekhe. Aap hi ne to raat ko mujhe gussa dila diya tha.”

Mai bola “lekin tera gussa to mujhse tha na. Fir baki sab ke gift par apna gussa kyo nikala.”

Abhi aru meri baat ka koi jabab de pati, us se pahle hi nikki ne bich me bolte huye kaha.

Nikki boli “bhaiya, isne ghar me hi nahi. School me bhi aapka gussa sab par utara hai. School me bhi jis kisi ne isko b’day wish kiya. Isne us par hi gussa karte huye kaha ki, mera koi janam din vanam din nahi hai.”

Nikki ki baat ne mujhe soch me daal diya tha. Mujhe samajh me nahi aa raha tha ki, aru ki is baat ke liye mai khushi mehsus karu ya fir us par narajgi jatau. Mere liye kuch bhi faisla kar pana mushkil tha.

Lekin meri is mushkil ko nikki ne aasan kar diya. Usne jab mujhe aru se kuch na kahte dekha to, usne mujhse kaha.

Nikki boli “ye kya bhaiya. Aap isko kuch samjhate kyo nahi. Kya iska aisa karna aapko acha laga.”

Mai bola “haan, mujhe ye dekh kar bahut acha laga ki, meri chhoti bahan ke dil me mere liye kitna pyar hai. Mai manta hu ki, usne sabka dil dukha kar galat kiya hai. Lekin mai vada karta hu ki, ab wo kisi ke sath aisa dobara nahi karegi. Kyo aru maine thik kaha na.”

Meri baton se aru ko apni galti ka koi aehsas nahi hua. Lekin usne meri baat ko rakhte huye kaha.

Archna boli “bhaiya maine kisi ke sath koi galat nahi kiya. Mera dil nahi tha apna janam din manane ka to mai kya karti. Lekin mai aapki baat nahi katugi aur na hi aapko kabhi kisi ke samne jhukne dugi. Mai koshish karugi ki aisa dobara na ho.”

Aru ki baat sunkar nikki hasne lagi. Use hanste dekh kar mai aur aru dono uski taraf dekhne lage. Usne apni baat ko saaf karte huye kaha.

Nikki boli “dekh liya na bhaiya. Ye abhi bhi kah rahi hai ki, mai koshish karugi ki, aisa dobara na ho. Isne aisa na karne ka koi vada nahi kiya hai.”

Nikki ki baat sunkar aru gusse se use dekhne lagi. Lekin maine aru ki tarafdari karte huye kaha.

Mai bola “aru ko koi vada karne ki jarurat nahi hai. Mere liye uska ye hi kahna kafi hai ki, wo mujhe kabhi kisi ke samne jhukne nahi degi.”

Meri baat ko sunkar, ek taraf nikki ko aru ki baat ki gahrayi ka aehsas ho gaya to, dusri taraf aru ka chehra bhi khushi se khil utha. Mahaul ko sahi hote dekh, maine dono se kaha.

Mai bola “hum yaha kab se baat kar rahe hai. Magar abhi tak seeru aur selu ticket lekar nahi aayi.”

Meri baat sunte hi dono ne us taraf dekha, jaha seerat aur selina ticket ke liye gayi thi. Fir aru ne us taraf ishara karte huye kaha.

Archna boli “bhaiya, wo dekhiye, didi log aa rahi hai.”

Maine us taraf dekha to seerat aur selina humari hi taraf aa rahi thi. Unke aage aage ek ladki chal rahi thi. Uski umar lagbhag 20-21 saal hogi. Usne us samay safed rang ka chudhidar salwar suit pahna hua tha. Uske hath me peele rang ki chudhiyan aur mathe par usi rang ki bindi chamak rahi thi.

Jiski vajah se uska gora rang aur bhi jyada nikhar gaya tha. Maine use dekha to, dekhta rah gaya. Mere sath aisa jindgi me pahli baar ho raha tha ki, mai kisi ladki ko dekhne se khud ko rok nahi pa raha tha.

Wo badi teji se humari hi taraf chali aa rahi thi. Wo jaise jaise humare karib aa rahi thi. Waise waise mere dil ki dhadkane badti ja rahi thi. Mai uske chehre se najre hatana chahta tha. Lekin mera dil mere kabu me nahi tha.

Mai apni sudh budh kho baitha tha aur bas ek-tak use dekhe ja raha tha. Lekin us ladki ne humare pas aate hi aisa bomb phoda ki mere hosh to kabu me aa gaye. Magar aru jarur bekabu ho gayi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 127}
____________________________

Meri baat sunte hi dono ne us taraf dekha, jaha seerat aur selina ticket ke liye gayi thi. Fir aru ne us taraf ishara karte huye kaha.

Archna boli “bhaiya, wo dekhiye, didi log aa rahi hai.”

Maine us taraf dekha to seerat aur selina humari hi taraf aa rahi thi. Unke aage aage ek ladki chal rahi thi. Uski umar lagbhag 20-21 saal hogi. Usne us samay safed rang ka chudhidar salwar suit pahna hua tha. Uske hath me peele rang ki chudhiyan aur mathe par usi rang ki bindi chamak rahi thi.

Jiski vajah se uska gora rang aur bhi jyada nikhar gaya tha. Maine use dekha to, dekhta rah gaya. Mere sath aisa jindgi me pahli baar ho raha tha ki, mai kisi ladki ko dekhne se khud ko rok nahi pa raha tha.

Wo badi teji se humari hi taraf chali aa rahi thi. Wo jaise jaise humare karib aa rahi thi. Waise waise mere dil ki dhadkane badti ja rahi thi. Mai uske chehre se najre hatana chahta tha. Lekin mera dil mere kabu me nahi tha.

Mai apni sudh budh kho baitha tha aur bas ek-tak use dekhe ja raha tha. Lekin us ladki ne humare pas aate hi aisa bomb phoda ki mere hosh to kabu me aa gaye. Magar aru jarur bekabu ho gayi.

Wo ladki chalte huye mere pas aakar khadi ho gayi. Ek pal ke liye mera dil dhak karke rah gaya. Mai abhi bhi use hi dekh raha tha. Usne ek najar meri taraf dekha aur fir apne bag me kuch dekhne lagi.

Kuch hi der me uske hath me ticket aur kuch paise aa gaye. Usne wo ticket aur pasie meri taraf badate huye kaha.

Ladki boli “ye ticket aur paise aapki mem sahab ne diye hai. Un ne kaha ki, wo apne bhaiya ke sath ghar ja rahi hai. Aap apni dono bahno ko aaram se ghuma kar, gaadi ghar le aaiyega.”

Aru shayad us ladki ki baat ko samajh rahi thi. Isliye uske mathe par bal padne lage the. Lekin us ladki ki saari baten mere sar ke upar se gujar gayi. Jab mere samajh me kuch nahi aaya to, maine us ladki se kaha.

Mai bola “aap kaun hai aur kis ke baare me bol rahi hai. Meri kuch samajh me nahi aa raha hai.”

Meri baat sunkar ladki ne ek baar pichhe palat kar yaha waha dekha. Jaise wo kisi ko dud rahi ho. Lekin jab use wo najar nahi aaya, jise wo dekhne ki koshish kar rahi thi to, usne mujhse kaha.

Ladki boli “mai waha apni saheli ke sath ticket le rahi thi. Tabhi meri saheli ne aapko meri activa par baithe dekha aur mujhe activa park karne ko kaha to, mai ticket lene ke bad activa park karne yaha aane lagi. Aapki dono mem sahab bhi wahi thi. Unne humari baat suni to….”

Itni baat kah kar ladki baat karte karte chup ho gayi aur aru ki taraf dekhne lagi. Ab tak mai samajh chuka tha ki, ye sab kiya dhara seeru aur selu ka hai. Isliye maine us se kaha.

Mai bola “un dono ne aapse kya kaha.”

Meri baat sunkar, usne ek baar fir aru ki taraf dekha, jo badi dhyan se humari baat sun rahi thi. Shayad wo ladki chahti thi ki, aru uski baat na sun sake isliye usne mere aur karib aakar dhire se kaha.

Ladki boli “aapki mem sahab ne kaha ki, humhare driver ki chhoti bahan ka dimagi santulan thik nahi hai aur aaj uska janam din hai. Isliye wo log usko yaha ghumane layi thi. Lekin jaruri kaam ki vajah se unko apne bhai ke sath jana pad raha hai. Isliye un ne aap logon ke yaha ghumne ke liye ye ticket aur paise mere hath se bhijwaye hai.”

Us ladki ki baat sunte hi mujhe seeru aur selu ki shararat par bahut gussa aaya. Lekin tabhi meri najar aru par padi. Gusse se uske nathune fadak rahe the aur chehra gusse se laal ho raha tha. Shayad usne ladki ki baat sun li thi.

Maine use aankhon se shant rahne ka ishara kiya aur ladki ki taraf dekha to, wo bhi aru ka gusse se tamtamaya chehra dekh kar ghabra gayi thi. Usne dhire se mujhse kaha.

Ladki boli “lagta hai aapki bahan ko daura pad raha hai. Aap usko sambhaliye, mai apni activa park karne jati hu.”

Ladki ki baat sunte hi mai uski activa se hat gaya aur ladki aru ko dekhte huye activa lekar waha se chali gayi. Uske jate hi aru ka gussa fat pada. Usne gusse me tamtamate huye kaha.

Archna boli “dekh liya na bhaiya aapne. Mai isliye inki koi baat nahi manti hu. Mai un dono ko chhorugi nahi.”

Aru ki baat sunkar maine seeru aur selu ko yaha waha dekha. Lekin dono kahi najar nahi aayi. Jab mujhe wo dono kahi najar nahi aayi to, maine nikki se kaha.

Mai bola “nikki, seeru aur selu kaha hai.”

Nikki boli “bhaiya dono didi to humhare samne hi andar chali gayi.”

Nikki ki baat se mujhe yaad aaya ki, mai unke aage aane wali ladki me itna kho gaya tha ki, mai dekh hi nahi saka ki, seeru aur selu kab uske pichhe se gayab ho gayi. Lekin ab mujhe unki is harkat par bahut gussa aa raha tha.

Magar yaha aru bhi unki is harkat se bahut gusse me thi aur aise me mera bhi gussa hona uske gusse ko or bhi jyada bhadka deta. Lekin aise samay me aru ko samjhana bekar tha. Isliye maine aru aur nikki se kaha.

Mai bola “ruko, hum bhi inko ab acha sabak sikhayege. Chalo andar chal kar pahle unko dudte hai.”

Meri baat se dono ko laga ki, mai sach me un dono ko sabak sikhana chahta hu. Isliye dono bade josh me mere sath andar aa gayi. Lekin andar dudne par bhi un dono ka koi pata nahi chala.

Jab wo dono hume kahi najar nahi aayi to, maine aru aur nikki se kaha ki, hum kyo unko dudne me apna samay barbad kare. Unko jab milna hoga wo mil jayegi. Tum log unke pichhe apna maja kharab mat karo.

Meri baat un par asar kar gayi aur wo waha ka maja lane lagi. Kuch hi der me aru ne jhule ka bola to, maine un dono ko jhule par baitha diya aur unko jhulte huye dekhne laga.

Abhi aru aur nikki jhula hi jhul rahi thi ki, tabhi na jane kaha se seeru aur selu mere pas aakar hasne lagi. Maine unko hanste dekha to, un par gussa karte huye kaha.

Mai bola “ye tum dono ne acha nahi kiya aur ab hans bhi rahi ho. Aisa karte huye tum dono ko jara bhi sharam nahi aayi.”

Meri baat ko sunkar, unhe aisa laga ki, mai gussa hone ka dikhawa kar raha hu. Kyoki mai aksar aru ke samne un par gussa hone ka natak kiya karta tha. Isliye seeru ne abhi bhi mere gusse ko gambhirta se na lete huye kaha.

Seerat boli “kya bhaiya, jara sa majak hi to kiya hai. Hum to bas thoda sa maja le rahe the.”

Seerat ka ye jabab sunkar, mujhe aur bhi jyada gussa aa gaya aur jindagi me pahli baar mai apni teeno bahno me se kisi par gussa kar baitha. Maine seerat ke upar chillate huye kaha.

Mai bola “is tarah ka behuda majak karne ki tumhari himmat kaise huyi. Tum dono padhi likho ganwar ho. Jinhe ye bhi nahi pata ki, chhoti bahan ke sath kaisa majak kiya jata hai aur kaisa majak nahi kiya jata hai. Aaj tum logon ko us masum ki badi bahan kahte huye bhi mujhe sharam aa rahi hai.”

Mai gusse me jo muh me aaya, un dono ko bolta chala gaya. Mujhe gussa hote dekh, jaha selina saham gayi, wahi seerat ki aankhon se tap tap aansu girne lage. Mai itna jyada gusse me tha ki, mujhe aru aur nikki ke aane ka aehsas nahi hua.

Aru ne jab mujhe un dono par gussa karte dekha aur seerat ko rote dekha to, usne dhire se kaha.

Archna boli “sorry bhaiya, mai didi se naraj nahi hu. Aap bhi in par gussa mat karo.”

Aru ke pas hone ke aehsas se hi mera gussa kam ho gaya aur tab mujhe aehsas hua ki, apni ek bahan ki tarafdari karne me maine dusri bahan ko rula diya hai. Ab rulaya maine tha to, manana bhi mujhe hi tha. Maine uske sar par pyar se hath fera aur use seene se lagate huye kaha.

Mai bola “pagal, mere jara se gussa karne par hi rone lagi. Kya tujh par gussa karne ka mera haq nahi hai.”

Meri is pyar bhari baat ne seeru par asar kiya. Usne apne aansu par kabu karte huye kaha.

Seerat boli “bhaiya, mera irada aapko ya aru ko jara bhi dukh pahuchane ka nahi tha. Mai to bas thodi si shararat karke aru ko pareshan kar rahi thi. Mujhe nahi pata tha ki, meri shararat aapko itna dukh pahucha degi warna mai aisa kabhi nahi karti.”

Maine pyar se uske sar par hath fera aur use samjhate huye kaha.

Mai bola “mujhe tumhara shararat karna jara bhi bura nahi laga. Lekin jis baat ko lekar tumne shararat ki, mujhe wo baat buri lagi. Meri teeno bahno me hi meri saari duniya simti hai. Mai tum logon ke sath koi buri baat hone ki kalpna bhi nahi kar sakta. Fir aru me to meri jaan basti hai. Aise me jab us ladki ne aru ka dimagi santulan kharab hone ki baat ki to, tum hi socho mere upar kya beeti hogi.”

Mere gussa hone ki vajah pata chalte hi seeru ne apni galti mante huye kaha.

Seerat boli “sorry bhaiya, ab aisa dobara nahi hoga.”

Seeru ke mood sahi hote hi selu ne chutki lete huye badi hi masumiyat se kaha.

Selu boli “bhaiya mai aap se naraj hu.”

Mai bola “ab tujhe kya hua. Maine aisa kya kiya jo tu mujhse naraj hai.”

Selu boli “aap aru ko pyar karte ho. Seeru didi ko gussa kiya aur unhe bhi pyar kiya. Lekin mujhe jara bhi pyar nahi karte. Yadi aapko gussa karne se hi pyar aata hai to, aap mujhe maar lijiye. Lekin mujhe bhi in dono ki tarah pyar kijiye.”

Uski baat sunte hi sab hasne lage aur maine us par jhutha gussa dikhate huye kaha.

Mai bola “yaha sabke samne teri pitai nahi kar sakta na. Lekin tu ghar chal fir teri ache se pitai karta hu.”

Meri baat sunkar ek bar fir sabke thahake goonj gaye. Uske bad maine sab se kaha.

Mai bola “kya ab hum aise hi baat karte rahege ya tum log yaha aane ka kuch maja bhi logi.”

Meri is baat ke jabab me seerat ne kaha.

Seerat boli “bhaiya, asli maja abhi suru kaha hua. Bas thoda intejar karo. Fir sabko bahut maja aane wala hai.”

Mai bola “Tere kahne kya matlab.”

Lekin meri is baat ka jabab seerat ki jagah selina ne dete huye kaha.

Selina boli “matlab bhi samajh me aa jayega. Bas thoda intejar kariye.”

Ye kah kar dono time dekhne lagi. Unki is harkat se samajh me aa raha tha ki, isme bhi dono ki koi shararat hai. Maine dono ko dhamkate huye kaha.

Mai bola “sach sach bolo, ab tum dono ne kya shararat ki hai.”

Meri baat sunkar dono ne pahle mere chehre ko gaur se dekha ki, mai gusse me to nahi hu. Jab unhe laga ki, ab mai gusse me nahi hu to, seeru ne kaha.

Seerat boli “sorry bhaiya, humne koi shararat nahi ki hai. Magar bahut jaldi bahut maja aane wala hai.”

Abhi meri unse isi baat ko lekar baat chal rahi thi ki, tabhi selu chahak uthi aur usne seeru ko kuch ishara kiya. Seeru ne uske ishare ko samajhte hi main gate ki taraf dekha aur fir hum se kaha.

Seerat boli “bhaiya, wo dekhiye asli maja. Jiske liye hum aapko yaha laye the.”

Unki baat sunte hi maine main gate ki taraf dekha aur samne ka najara dekhte hi mere hosh udh gaye. Wahi aru aur nikki bhi samne ka najara aankhen faad kar dekh rahi thi. Jabki seeru aur selu hume dekh kar muskura rahi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 128}
____________________________

Lekin meri is baat ka jabab seerat ki jagah selina ne dete huye kaha.

Selina boli “matlab bhi samajh me aa jayega. Bas thoda intejar kariye.”

Ye kah kar dono time dekhne lagi. Unki is harkat se samajh me aa raha tha ki, isme bhi dono ki koi shararat hai. Maine dono ko dhamkate huye kaha.

Mai bola “sach sach bolo, ab tum dono ne kya shararat ki hai.”

Meri baat sunkar dono ne pahle mere chehre ko gaur se dekha ki, mai gusse me to nahi hu. Jab unhe laga ki, ab mai gusse me nahi hu to, seeru ne kaha.

Seerat boli “sorry bhaiya, humne koi shararat nahi ki hai. Magar bahut jaldi bahut maja aane wala hai.”

Abhi meri unse isi baat ko lekar baat chal rahi thi ki, tabhi selu chahak uthi aur usne seeru ko kuch ishara kiya. Seeru ne uske ishare ko samajhte hi main gate ki taraf dekha aur fir hum se kaha.

Seerat boli “bhaiya, wo dekhiye asli maja. Jiske liye hum aapko yaha laye the.”

Unki baat sunte hi maine main gate ki taraf dekha aur samne ka najara dekhte hi mere hosh udh gaye. Wahi aru aur nikki bhi samne ka najara aankhen faad kar dekh rahi thi. Jabki seeru aur selu hume dekh kar muskura rahi thi.

Samne aman nisha ke sath badi hi style ke sath andar aa raha tha. Usne abhi tak ghar me kisi ko bhi nisha ke baare me nahi bataya tha. Yahi vajah thi ki aru aman ke sath nisha ko dekh kar chauk gayi thi.

Lekin ab sochne ki baat ye thi ki, seeru aur selu nisha ke baare me kaise janti hai. Unhe kaise pata tha ki aaj aman aur nisha yaha aane wale hai. Magar abhi ye sab malum karne ka samay nahi tha.

Abhi to bas ye dekhna tha ki, aman ab in sabka samna kaise karta hai. Mai bas ek darshak ki tarah aman aur nisha ko dekh raha tha. Jo apni dhun me chale aa rahe the. Aru ko hairat me pade dekh kar, seeru ne us se kaha.

Seerat boli “aise muh faade kya dekh rahi hai. Wo koi ajuba nahi, humari hone wali bhabhi hai.”

Idhar seeru ka ye kahna hua aur udhar aman ki najar hum par pad gayi. Hum par najar padte hi aman ke badte huye kadam ruk gaye. Aman ko yu rukte dekh kar, nisha ne uski najron ka picha kiya aur mujhe apne samne paya.

Nisha mere alawa kisi ko nahi janti thi. Isliye mujhe driver ki uniform me dekh kar uske chehre par muskurahat aa gayi. Usne aman ka hath pakda aur use khichte huye mere pas le aayi. Mere pas aate hi usne haste huye mujhse kaha.

Nisha boli “ajji ye kya huliya bana rakha hai. Tum kab aaye aur hume bataya kyo nahi.”

Meri to soch ke tote aman aur nisha ko yaha dekh kar hi udh gaye the. Isliye mai nisha ki is baat ka koi jabab na de saka. Mujhe kuch na kahte dekh, nisha ne fir kaha.

Nisha boli “are ajji, kuch bolte kyo nahi. Mai tumse kuch puchh rahi hu. Tum yaha kaise aur ye sab kaun hai.”

Maine nisha ki is baat ka jabab dene ka socha. Lekin mere kuch bolne ke pahle hi seeru ne nisha se kaha.

Seerat boli “hum charon ajay bhaiya ki bahne hai aur in ne ye huliya hume khush karne ke liye hi banaya hai. Lekin inse itna sawal karne wali aap kaun hai.”

Seeru ke muh se meri bahan hone ki baat sunkar, nisha chauk gayi. Kyoki wo ache se janti thi ki, aman ki 3 bahno ke siwa meri koi aur bahan nahi hai. Lekin yaha char ladkiyan khud ko meri bahan kah rahi thi aur us se uska parichay puchh rahi thi. Usne pareshani ki haalat me seeru ki baat ka jabab dete huye kaha.

Nisha boli “hum dono ajji ke frnd hai. Lekin ajji ne kabhi mujhse aap logon ke baare me kuch nahi bataya.”

Nisha ki is baat ke jabab me seeru ne kaha.

Seerat boli “hum ne aapka parichay puchha tha. Aman bhaiya ko to hum ache se jante hai. Kya un ne bhi aapko humare baare me kuch nahi bataya.”

Seeru ki baat sunkar nisha aman ki taraf sawaliya najron se dekhne lagi. Lekin aman ki chori pakdi gayi thi aur uski haalat bhi mere jaisi hi thi. Use bhi kuch samajh nahi aa raha tha ki, wo nisha se kaise kahe ki, wo teeno uski bahan hai.

Aman ki pareshani dekhte huye, mujhe laga ki, yadi nisha ko inka naam malum pad jaye to, wo samajh jayegi ki, ye teeno aman ki bahne hai. Maine stithi ko sambhalne ki koshish karte huye kaha.

Mai bola “sorry nisha, mai tumko apni bahno se milana bhool gaya tha. Lo ab mai tumko in sab se mila deta hu.”

Lekin seeru shayad meri is chalaki ko samajh gayi thi. Usne fauran meri baat ko bich me se hi katte huye kaha.

Seerat boli “ruko bhaiya. Hum apna parichay khud de dete hai. Lekin pahle inka pura parichay to le le.”

Seeru ki baat se nisha kuch pareshan si lagne lagi. Fir bhi usne apna parichay dete huye kaha.

Nisha boli “mai Dr. nisha hu. Aman ke hospital me hi uske sath hu.”

Itna bol kar, nisha chup ho gayi. Lekin seeru ne us se kaha.

Seerat boli “aur.”

Nisha boli “aur kya.”

Seerat boli “aapne ye to bata diya ki, aap ajay bhaiya ki friend hai. Lekin ye nahi bataya ki aman bhaiya aapke friend hai ya nahi.”

Seeru ke in sawalon se nisha ko kuch uljhan si ho rahi thi. Isliye seeru ke is sawal ka jabab usne sidhe sidhe dete huye kaha.

Nisha boli “aman aur mai jaldi hi shadi karne wale hai. Itna kafi hai ya aur bhi kuch janna hai.”

Nisha ki baat sunkar, seeru aur selu ke sath mai bhi apni hansi nahi rok saka. Nisha ko kuch bhi samajh nahi aa raha tha.Wahi aru kabhi nisha ko to, kabhi aman ko dekh rahi thi. Maine aru ko aise dekha to, us se kaha.

Mai bola “ab bas bhi kar, kya in dono ko kha jayegi.”

Meri baat ko sunkar, aru ne aman ki taraf dekhte huye kaha.

Archna boli “bhaiya khana to aaj aap sabko chhote dadu khilayege. Jab mai unko ye sab baten bataugi.”

Aru ki ye baat sunkar, seeru samet sabke chehre ki hawaiyan udh gayi. Aman ko bhi laga ki, uski saari mehnat pani me milne wali hai. Usne fauran aru ke pas aakar, use bahlate huye kaha.

Aman bola “are mai to tum sabko nisha se milwane hi wala tha. Mai ne ajji se kaha bhi tha ki, koi acha sa din dekh kar, in sabko nisha se mila dete hai. Tumhe yakin na ho to, ajji se puchh lo.”

Lekin aru par aman ki is baat ka koi asar nahi pada. Usne aman ko taka sa jabab dete huye kaha.

Archna boli “mujhe kisi se kuch nahi puchhna. Ab jo bhi puchhege, raat ko chhote dadu hi puchhege.”

Itna kahte huye aru ne sabse najar bacha kar mujhe aankh maar di. Uski is harkat se mujhe to samajh me aa gaya tha ki, wo majak kar rahi hai. Lekin baki sab ki haalat kharab thi.

Wahi nisha ye soch soch kar pareshan ho rahi thi ki, ye sab kya ho raha hai. Aman aru ko manane ki koshish karta raha. Lekin jab aru nahi maani to, aman ne mujhse kaha.

Aman bola “ajji ye sab tera hi kiya dhara hai. Ab tu hi mujhe is sab se bahar nikalega. Tere siwa ye kisi ki baat nahi sunegi. Ab tu hi ise samjha.”

Aman ki baat ke jabab me maine us se kaha.

Mai bola “ye sab mera kiya hua nahi hai. Ye sab seeru aur selu ka kiya dhara hai. Ab in se hi bolo ki, ye tumhe is musibat se bahar nikale.”

Abhi mai iske aage kuch aur bol pata ki, tabhi wo activa wali ladki apni saheli ke sath humare pas aa gayi. Maine use dekha to, mai baat karna bhool kar use hi dekhne me kho gaya.

Idhar seeru aur selu ki haalat to pahle hi aru ne kharab kar rakhi thi. Us par is ladki ko dekh kar wo kuch aur bhi pareshan si ho gayi. Us ladki ne humare pas aate hi, un dono se kaha.

Ladki boli “are aap dono to chali gayi thi. Fir yaha wapas kaise aa gayi. Sab thik to hai na.”

Uski baat sunkar, seeru aur selu se kuch bolte nahi bana. Wahi nisha aur bhi hairat me aa gayi ki, ab ye nayi bala kya aa gayi. Idhar jab aru ne dekha ki seeru aur selu usko koi jabab nahi de pa rahi hai to, usne us ladki se kaha.

Archna boli “mai batati hu ye log yaha wapas kaise aayi. Aapke jate hi mujhe daura pad gaya tha. Tab bhaiya ne inko call karke mere baare me bataya to, ye apne bhaiya ko lekar yaha aa gayi. Inke bhaiya doctor hai.”

Ye kah kar aru ne aman ki taraf ishara kiya. Ladki ne aman se namaste kiya aur fir aru ki tabiyat puchh kar chali gayi. Uske jate hi aru ne mujhe dekha. Mai ab bhi us ladki ko jate huye dekh raha tha.

Aman ko kuch samajh me nahi aaya ki ye ladki kaun hai. Usne mujhe puchha to, mera dhyan uski taraf nahi tha. Tab aru ne mera hath pakad kar mujhe hilaya to, maine us ladki ko dekhna band kiya aur sab ko dekhne laga.

Aman ne fir puchha ki wo ladki kaun thi to, aru ne use saari baat bata di. Jise sunkar, aman aur nisha hanse bina na rah sake. Lekin jaldi hi aru par najar padte hi unki hansi tham gayi.

Aman ne seeru aur selu se aru ko samjhane ke liye kaha. Aman ki baat sunkar, wo dono aru ko samjhane ki koshish karti rahi. Lekin aru apni jid par hi adi rahi. Ab tak nisha ko bhi saari baat samajh me aa chuki thi aur wo bhi aru ki baat se pareshan ho gayi thi.

Mai chup chap khada is sab ka maja le raha tha. Lekin jab maine dekha ki, ab kuch jyada hi majak ho chuka hai to, maine aru ko majak khatam karne ka ishara kiya aur us se kaha.

Mai bola “aru, kya tu chhote dadu ko ye baat bataye bina nahi manegi.”

Archna boli “haan, mai ye baat har haalat me chhote dadu ko bataugi.”

Mai bola “acha tu batana chahti hai to bata dena. Lekin tu chhote dadu ko kya batayegi. Ye to bata de.”

Meri baat sunkar aru ne aman aur nisha ki taraf dekha aur fir unhe ghoorte huye kaha.

Archna boli “mai chhote dadu se bolugi ki, mujhe dono bhabhi pasand hai.”

Aru ki baat sunte hi sabke chehre khil uthe aur sabke chehre par muskurahat aa gayi. Kisi ne aru ki baat par gaur nahi kiya tha. Lekin aru ki baat ne nisha ko asmanjas me daal diya tha. Us ne badi himmat karke aru se kaha.

Nisha boli “abhi tumne ye kaha na ki, tumko dono bhabhi pasand hai.”

Archna boli “haan.”

Ab sabka dhyan aru ki baat par gaya. Lekin koi bhi uski baat ka matlab nahi samajh saka. Nisha ne pareshan hote huye us se kaha.

Nisha boli “dono bhabhi se tumhara kya matlab. Kya tumne aman ke liye kisi aur ko bhi pasand kiya hai.”

Nisha ki baat sunkar aru hasne lagi. Usne haste huye nisha ki baat ka jabab dete huye kaha.

Archna boli “bhabhi, aap ye kya soch rahi hai. Maine aisa to nahi kaha hai. Dono bhabhi se mera matlab aman bhaiya ke liye aap aur ajji bhaiya ke liye wo activa wali bhabhi se tha.”

Aru ki baat sunkar sabki najar meri taraf aur meri najar aru ki taraf chali gayi. Maine chaukte huye aru se kaha.

Mai bola “ye tu kya bole ja rahi hai.”

Mai abhi itna hi bol paya tha ki, selu ne baat ko bich me hi katte huye kaha.

Selina boli “bhaiya, aru thik hi to bol rahi hai. Mujhe bhi bhabhi pasand hai.”

Mai bola “tum log ye kya pagalpan kar rahi ho. Kisi bhi raah chalti ladki ko apni bhabhi bana rahi ho.”

Meri baat sunkar, seeru ne bhi un dono ki tarafdari karte huye kaha.

Seerat boli “bhaiya, is baat me mai bhi in dono ke sath hu. Mujhe bhi bhabhi pasand hai.”

Seeru ki baat par maine jhunjhlate huye aman se kaha.

Mai bola “in sabka to dimag fir gaya hai. Tu hi inko kuch samjha.”

Meri baat ke jabab me aman ne kaha.

Aman bola “mai inko kya samjhau. Mujhe to khud bhabhi bahut pasand aayi hai.”

Aman ki baat sunne ke bad nisha se bhi chup na raha gaya aur usne bhi apni sahmati dete huye kaha.

Nisha boli “aur mujhe bhi wo pasand hai. Bechari abhi se apne hone wale pati ki bahan ka kitna khayal kar rahi thi.”

Nisha ki baat sunte hi sab hasne lage. Sabko hanste dekh kar, nikki jo ab tak chup thi. Usne bhi apni juban kholte huye kaha.

Nikki boli “sab ki tarah mujhe bhi bhabhi bahut pasand aayi. Lekin ajay bhaiya ko to bhabhi hum sabse jyada pasand hai.”

Nikki ki baat sunkar, mai soch me pad gaya ki ab ye kaun sa naya bomb fodne wali hai. Wahi sab nikki ki is baat ka matlab samajhne ki koshish karne lage aur nisha ne us se kaha.

Nisha boli “tum ye kaise kah sakti ho ki, ajji ko wo sabse jyada pasand hai.”

Nikki ne meri taraf dekha aur fir dhire se kaha.

Nikki boli “wo isliye ki jab bhi bhabhi bhaiya ke samne aati hai. Bhaiya unko dekhte hi rahte hai. Jab hum log bahar the, tab bhi bhaiya unko dekhne me itna kho gaye the ki, didi log kab andar aa gayi, ye tak inko pata nahi chala aur abhi bhi jab bhabhi yaha aayi thi, tab bhi bhaiya sirf unko hi dekhe ja rahe the.”

Nikki ki baat sunkar sab muskurane lage aur mere pas ab safai dene ke liye kuch nahi bacha tha. Nikki ne meri pol sabke samne khol kar rakh di thi. Maine muskurate huye nikki ke kaan pakad kar us se kaha.

Mai bola “gopi chand jasus ki bachchi. Tujhe sharam nahi aayi, apne bhaiya ki jasusi karte huye.”

Nikki boli “ohh bhaiya, mera kaan chhoro, mujhe dard ho rahi hai. Kaan pakadna hai to, seeru aur selu didi ke kaan pakdo. Kyoki mujhse badi jasus to wo hai. Jinko aman bhaiya ke yaha aane ka pahle se pata tha.”

Mai bola “tu bilkul thik kahti hai. Ye sab kiya hua in dono ka hi hai.”

Ye kahte huye maine nikki ke kaan chhor diye aur fir seeru se kaha.

Mai bola “ab tum dono aise hi bologi ya nikki ki tarah tumhare bhi kaan pakadna hoge.”

Meri baat sunkar, dono muskurane lagi aur selu ne apni safai dete huye kaha.

Selina boli “bhaiya is sab me meri koi galti nahi hai. Ye sab didi ka hi idea tha. Un ne hi kal aman bhaiya ko phone par kahte suna tha ki, aaj wo yaha aayege. Didi ne mujhse puchha tha ki, mai bhabhi se milna chahti hu to, mai iske liye taiyar ho gayi aur fir aapke humari yaha aane ki shart ko maan lene se, humara bhabhi se milne ka rasta khul gaya.”

Selu ki baat sunkar, nisha ne usko gale se laga liya aur us se kaha.

Nisha boli “tum logon ko mujhse mil to liya hai. Lekin abhi ye baat apne ghar me mat batana. Kyoki pahle mujhe apne ghar walon ko is shadi ke liye taiyar karna hai.”

Nisha ki baat ke jabab me seeru ne nisha ke samne apne chup rahne ki shart rakhte huye kaha.

Seerat boli “bhabhi, aap is baat ki jara bhi chinta mat kijiye. Hum me se koi bhi is baat ko ghar me nahi karega. Lekin iske liye aap logon ko humari ek shart manna hogi.”

Nisha boli “kya shart hai, bolo.”

Seerat boli “humare ajay bhaiya jab humare samne is baat ko kabul nahi kar paye ki, wo us activa wali ladki ko pasand karte hai to, fir ye us ladki ke samne kaise kabul kar payege ki, ye usko pasand karte hai. Abhi to wo inko ek driver hi samajhti hai. Aise me to inki baat ban hi nahi sakti. Aap kuch aisa kijiye ki saari galatfahmi door ho jaye aur wo humari bhabhi ban jaye.”

Seeru ki shart sunkar nisha ki jaan me jaan aayi. Usne muskurate huye kaha.

Nisha boli “baat to tumhari sahi hai. Lekin abhi hume uske baare me kuch bhi nahi malum. Yaha tak ki hum uska naam tak nahi jante. Aise me uske baare me kuch bhi kahna jaldbaji hogi. Pahle hum uske baare me malum kar le. Fir hum uski galatfahmi bhi door kar dege. Tab tak ajji ko uski najro me ek driver hi rahne do.”

Sab ko nisha ki baat jam gayi aur fir uske bad sab waha mauj masti karne me lag gaye. Is bich waha ghumne firne me humari mulakat us ladki se 2-3 baar huyi aur uski nisha ke sath kuch baat chit bhi huyi. Mai use dekhte rahne ke siwa kuch na kar saka.

Waha mauj masti karne ke bad sabne restaurant me khana khaya. Uske bad nisha aur aman hospital ka bol kar chale gaye. Unke jaane ke bad maine nikki ko uske hostel chhora aur fir mai apni bahno ke sath ghar aa gaya.

Sham ko mai surat ke liye wapas nikalna chahta tha. Lekin ghar ke sabhi logon ne aaj wahi rukne ki jid ki to mai ruk gaya. Subah ke safar aur din bhar ghumne firne ki thakan ki vajah se raat ko khana khane ke bad bistar par lette hi mujhe badi shukun bhari nind aa gayi.

Lekin shukun bhari nind shayad mere nashib me hi nahi thi. Meri nind lage abhi kuch hi der huyi thi ki, tabhi kisi ne mere kamre ka darwaja khatkhaya. Maine unindi si haalat me darwaja khola to, samne aman khada tha. Aman ne mujhe jo baat batayi, use sunkar meri aankhon me nind ki jagah aansuon ne le li aur mai dhamm se jamin par gir gaya.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 129}
____________________________

Sab ko nisha ki baat jam gayi aur fir uske bad sab waha mauj masti karne me lag gaye. Is bich waha ghumne firne me humari mulakat us ladki se 2-3 baar huyi aur uski nisha ke sath kuch baat chit bhi huyi. Mai use dekhte rahne ke siwa kuch na kar saka.

Waha mauj masti karne ke bad sabne restaurant me khana khaya. Uske bad nisha aur aman hospital ka bol kar chale gaye. Unke jaane ke bad maine nikki ko uske hostel chhora aur fir mai apni bahno ke sath ghar aa gaya.

Sham ko mai surat ke liye wapas nikalna chahta tha. Lekin ghar ke sabhi logon ne aaj wahi rukne ki jid ki to mai ruk gaya. Subah ke safar aur din bhar ghumne firne ki thakan ki vajah se raat ko khana khane ke bad bistar par lette hi mujhe badi shukun bhari nind aa gayi.

Lekin shukun bhari nind shayad mere nashib me hi nahi thi. Meri nind lage abhi kuch hi der huyi thi ki, tabhi kisi ne mere kamre ka darwaja khatkhaya. Maine unindi si haalat me darwaja khola to, samne aman khada tha. Aman ne mujhe jo baat batayi, use sunkar meri aankhon me nind ki jagah aansuon ne le li aur mai dhamm se jamin par gir gaya.

Aman ne mujhe sahara dekar, bed par bithaya, tabhi aman ki mummy aur chacha chachi aa gaye. Aman ki mummy ne jaise hi mere sar par hath fera, mai aur bhi jyada foot foot kar rone laga. Un ne mujhe apne seene se lagaya to, maine rote huye kaha.

Mai bola “mom, aaj mai bilkul anath ho gaya. Aaj mere sar ka aakhiri saya bhi chala gaya. Mai is duniya me bilkul akela ho gaya.”

Mere dard ko samajhna mom ke liye mushkil nahi tha. Lekin wo is dard ko mitane ke liye chah kar bhi kuch nahi kar sakti thi. Fir bhi un ne mujhe dilasa dete huye kaha.

Mom boli “tu aisi baat mat kar, tu anath nahi hai. Teri maa, chacha, chachi, bhai, bahan sab to hai. Fir tu hum sabke hote anath kaise ho gaya.”

Mom ki baten sunkar bhi, mera rona nahi thamta dekh kar, chacha ji mere pas aaye aur mujhe samjhate huye kaha.

Chacha ji bole “beta, dhiraj rakho aur himmat se kaam lo. Hume abhi hi surat ke liye nikalna hoga.”

Chacha ji ki baat sunkar, maine khud ko sambhalte huye kaha.

Mai bola “kaun kaun chal raha hai.”

Chacha ji bole “hum sabhi chal rahe hai. Lekin seeru logon ko sirf ye bataya gaya hai ki, tau ji ki tabiyat thik nahi hai. Isliye hum ja rahe hai. Ab tum samay barbad mat karo aur jaldi se taiyar hokar aa jao.”

Ye kah kar chacha ji bahar chale gaye aur mai kapde pahanne laga. Mai kapde pahan kar bahar aaya to sabhi bahar chalne ke liye taiyar khade the. Hum jaane ke liye bahar nikle tabhi nisha ki car aati huyi dikhi.

Nisha ne driver ko car le jaane ka bola aur mujhse kaha ki, wo bhi sath chal rahi hai. Ghar ke jo log nisha ko nahi jante the. Maine unse bataya ki, nisha meri friend hai. Iske bad hum sab 3 gaadiyon me surat ke liye nikale.

Karib 4:30 ghante ka safar tay karne ke bad hum surat pahuch gaye. Ghar ke sabhi naukar dada ji ke mrit sharir ke aas pas khade the. Un ne bataya ki raat ko karib 11:30 baje dada ji ko dil ka daura pada.

Wo log fauran dada ji ko hospital le gaye. Lekin waha pahuchne par doctor ne unhe mrit ghoshit kar diya. Un logon ne turant mujhe call lagaya tha. Magar maine call nahi uthaya to, aman ko call karke dada ji ki khabar di.

Subah ho chuki thi, isliye chhote dadu, chacha ji aur aman sabhi parichiton ko dada ji ke dehant ki khabar dene lage. Subah ke news pepar me bhi dada ji ke dehant ki khabar chhap chuki thi.

Dada ji shahar ke jaani maani hastiyon me se ek the. Isliye subah se hi unke antim darshan ke liye log aana suru ho gaye. Aman dada ji ke antim sanskar ki taiyariyon me laga tha aur mai dada ji ke sharir ke pas khamosh baitha tha.

Fir 11 baje dada ji ko ghar ke sabhi logon ne antim vidai di aur dada ji ko antim sanskar ke liye le jaya jaane laga. Dada ji ne apne jeevan me kya kamaya tha, wo aaj unki is antim yatra me vishal jan samuh ke roop me najar aa raha tha. Jisme amir garib sabhi log shamil the.

Dada ji ne mere jin kandhon ko majbut banaya tha. Aaj mai unhi kandhon par apne dada ji ke sharir ko le ja raha tha. Kal jo mujhe apne kandhe par baitha kar hansa karta tha. Aaj jab wo mere kandhe par aaya to, mera ro ro kar bura haal ho raha tha.

Kal tak jinhe makhmal ke bistaron par bhi, nind na aane ki sikayat rahti thi. Aaj unhe jab lakadiyon ki sej par litaya gaya to, un ne aankh khol kar bhi na dekha. Kal tak meri chinta me jinki nind udhi rahti thi. Aaj wo mere aansuon ki pukar ko ansuna kar besudh nind me soye huye the.

Aakhir wo wakt bhi aa gaya, jab mujhe mere mata pita aur nana ji ki tarah mere dada ji ko bhi agni dena padi. Mere mata pita aur nana ji ko agni dene ke bad bhi mere pas kuch bacha tha. Lekin aaj dada ji ko agni dene ke bad mera sab kuch jal gaya tha.

Apna sab kuch jalane ke bad mai wapas apne ghar aa gaya. Usi ghar me jis ghar ke har kone, har chij me dada ji ki chhap thi. Magar ab us ghar me kahi bhi dada ji nahi the.

Mera koi rishtedar nahi tha. Fir bhi abhi ghar me kafi log the. Aman aur chacha ji sab se mil kar, unko vida kar rahe the. Mom ne mujhe apne kamre me jakar aaram karne ko kaha to, mai kamre me aa gaya.

Kamre me aakar maine dada ji ki tasveer li aur use pakad kar der tak rota raha. Rote rote meri nind lag gayi aur pata nahi mai kitni der sota raha. Fir meri nind kisi ke rone ki aawaj sunkar khuli.

Maine aankh kholi to dekha ki, dada ji ki jo tasveer liye mai so raha tha. Wo tasveer ab aru ke hath me thi aur wo use pakad kar ro rahi thi. Use rote dekh kar, mai uth kar baith gaya.

Maine uske hath se dada ji ki tasveer li aur pyar se uske sar par hath fera to, usne mujhse lipat kar fafak fafak rote huye kaha.

Archna boli “bhaiya, bade dadu ki bahut yaad aa rahi hai. Mujhse unke bina raha nahi ja raha hai.”

Use is tarah se rota dekh kar, meri aankhon me bhi aansu tair gaye. Lekin mai apne aapko sambhalte huye, use chup karane ki koshish karne laga. Tabhi chachi ji waha aa gayi. Un ne aru ko rote dekha to, use samjhate huye kaha.

Chachi ji boli “maine tumhe yaha bhaiya ka bulane bheja tha aur tum yaha aakar rone baith gayi. Ye achi baat nahi hai. Tum yadi aise hi rote rahogi to, waha bhagwan ke pas tumhare bade dadu ki aatma ko bhi dukh hoga. Tumhare bade dadu kahte the ki, unke bad ajji ka khayal aru rakha karegi. Lekin jab tum khud hi aise roti rahogi to, ajji ka khayal kaun rakhega.”

Chachi ji ki baat sunkar, aru ka rona to ruk gaya. Magar uski siskiyan chalti rahi. Chachi ji ne mujhse khana khane ke liye chalne ko kaha to, mera man na hote huye bhi aru ki haalat dekh kar, mai bina kuch kahe khane ke liye chalne ko taiyar ho gaya.

Mai aru aur chachi ji ke sath dining room me aakar baith gaya. Ghar ke sabhi log waha the. Lekin jaise hi aru ki najar dada ji ki khali chair par padi. Usne fir se rona suru kar diya aur fir uth kar apne kamre me bhag gayi.

Bachpane se hi aru ka jyadatar samay humare ghar me hi gujarta tha aur aksar wo padte padte ya khelte khelte yahi so jaya karti thi. Jis vajah se dada ji ne, uske liye ek alag se kamra taiyar karwaya tha. Jisme uske khelne kudne, padne likhne ki sabhi suvidhaye thi.

Meri tarah aru dada ji ki bhi bahut ladli thi. Yahi vajah thi ki, ab use is ghar me har jagah dada ji ki kami mehsus ho rahi thi. Aru ke apne kamre me bhag jaane ke bad, mom ne mujhse kaha.

Mom boli “is ladki ne subah se kuch nahi khaya hai. Bas baat baat par aise hi rona suru kar deti hai. Ab tum hi jakar use mana kar khana khilao.”

Mom ki baat sunne ke bad, mai uth kar aru ke kamre me aa gaya. Wo apne kamre me bed par leti sisak rahi thi. Aru ke dard ko dekh kar, mai apna dard bhool gaya. Mai jakar uske pas baith gaya aur uske aansu pochh kar use samajhate huye kaha.

Mai bola “teri tarah hum sabko bhi tere bade dadu ki kami akhar rahi hai. Lekin tu unke baare me bhi to soch, wo bhagwan ke pas akele hai aur hum sab ko waha se dekh rahe hoge. Wo jab tujhe is tarah se rota dekhege, to kya wo waha aaram se rah payege.”

“Tu yadi khana nahi khayegi to, kya tere bade dadu khana kha payege. Yadi tu chahti hai ki, tere bade dadu waha khushi se rahe to, tu rona band kar aur chal kar khana kha le. Taki wo bhi tujhe khana khate dekh kar khana kha sake.”

Ye kahte huye maine aru ka hath pakad kar, use bed se uthaya aur use wapas sab ke pas dining room me le aaya. Use maine apne pas baithaya aur fir apne hathon se use khana khilane laga. Wo rote rote khana khane lagi.

Aru ko khana khate dekh kar, baki logon ne bhi khana khana suru kar diya. Jab sabka khana khana ho gaya to, aru apne kamre me chali gayi. Maine seeru aur selu ko bhi aru ke pas jaane ko kaha to, wo bhi uske kamre me chali gayi. Unke jaane ke bad maine chacha ji se kaha.

Mai bola “chacha ji, aru ki aisi haalat mujhse dekhi nahi ja rahi hai. Mujhe lagta hai ki, aru ko wapas chale jana chahiye.”

Meri baat sunkar chacha ji ne mujhe samjhate huye kaha.

Chacha ji bole “tum aru ki chinta mat karo. Wo abhi sadme me hai, isliye roye ja rahi hai. Lekin ek do din me wo sahi ho jayegi aur fir uska khayal rakhne ke liye hum sab bhi to yaha hai.”

Mai bola “aapki baat sahi hai, lekin wo aise hi roti rahi to, uski tabiyat bhi kharab ho sakti hai aur ab yaha uske ruke rahne ka koi matlab bhi nahi hai. Bekar me uske school ka nuksan hoga.”

Lekin chacha ji ne meri baat ka taka sa jabab dete huye kaha.

Chacha ji bole “aru koi mbbs ki padai nahi kar rahi, jo uski padai ka bahut bada nuksan ho jayega. Wo abhi kuch din yahi rahegi. Ab iske bad mai is baare me kuch nahi sunna chahta.”

Chacha ji ke is faisle ke bad mai chup hokar rah gaya. Unke is faisle ka matlab mai achi tarah se samajh sakta tha. Wo jante the ki, aru ke rahne se mujhe dada ji ki maut se ubarne me aasani hogi. Isliye un ne aru ke wapas jaane par rok laga di thi.

Teesre din chacha ji, chachi ji, aman aur nisha wapas laut gaye. Chhote dadu aur mom dada ji ki sabhi rasme puri hone tak ke liye ruk gaye. Kuch din me dada ji ki sabhi rasme puri ho gayi.

Lekin kisi ne bhi wapas jaane ka naam nahi liya. Mai iski vajah samajh raha tha. Meri vajah se meri bahno ke school ka nuksan ho raha tha. Isliye agle din se maine apna kaam kaj dekhna suru kar diya.

Jab mujhe apna kaam dekhte do teen din ho gaye to, mom aur chhote dadu ghar wapas lautne ki baat karne lage. Maine un se aru logon ki school ke nuksan ki baat kah kar, unhe apne sath ghar wapas le jaane ki baat kah di.

Un ne meri baat maan li aur agle din sabke ghar wapas jaane ki taiyari hone lagi. Aru wapas jaane me bahut na nukur kar rahi thi. Lekin maine use bahla fusla kar wapas jaane ke liye taiyar kar liya aur agle din sab wapas chale gaye.

Sabke jaane ke bad ek baar fir mera ghar soona soona ho gaya. Jo aansu aru ki vajah se thame huye the. Wo ab akelapan pakar bah nikle the. Mai apne kamre me akela aansu bahate bahate jaise hi leta, mere hath me ek khat aa gaya.

Maine dekha to, wo aru ka khat tha. Jisme usne likha tha “bhaiya, hum logon ke jaane ke bad jara bhi rona mat, aapko meri kasam hai. Aap apna khayal rakhna aur jaldi se apna kaam khatam karke humare pas aa jana.”

Maine aru ko wapas bhejne ke liye us se jhuth kah diya tha ki, mai kuch din me apna yaha ka kaam khatam karke hamesha ke liye uske pas mumbai aa jauga. Usne meri is baat ko sach maan liya tha aur khushi khushi wapas chali gayi thi.

Lekin mai ye nahi janta tha ki, aru se jhuth bol kar, use wapas bhej kar, maine apni jindagi ki sabse badi galti ki hai. Meri is galti ka natija bhi mujhe agle din dekhne ko mil gaya.

Mai agle din office me manager ke sath baitha charcha kar raha tha. Tabhi aman ka call aaya. Maine khushi khushi call uthaya. Magar aman ki baat sunte hi mujhe aisa jhatka laga ki, mere hath se mobile chhut kar niche gir gaya.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 130}
____________________________

Sabke jaane ke bad ek baar fir mera ghar soona soona ho gaya. Jo aansu aru ki vajah se thame huye the. Wo ab akelapan pakar bah nikle the. Mai apne kamre me akela aansu bahate bahate jaise hi leta, mere hath me ek khat aa gaya.

Maine dekha to, wo aru ka khat tha. Jisme usne likha tha “bhaiya, hum logon ke jaane ke bad jara bhi rona mat, aapko meri kasam hai. Aap apna khayal rakhna aur jaldi se apna kaam khatam karke humare pas aa jana.”

Maine aru ko wapas bhejne ke liye us se jhuth kah diya tha ki, mai kuch din me apna yaha ka kaam khatam karke hamesha ke liye uske pas mumbai aa jauga. Usne meri is baat ko sach maan liya tha aur khushi khushi wapas chali gayi thi.

Lekin mai ye nahi janta tha ki, aru se jhuth bol kar, use wapas bhej kar, maine apni jindagi ki sabse badi galti ki hai. Meri is galti ka natija bhi mujhe agle din dekhne ko mil gaya.

Mai agle din office me manager ke sath baitha charcha kar raha tha. Tabhi aman ka call aaya. Maine khushi khushi call uthaya. Magar aman ki baat sunte hi mujhe aisa jhatka laga ki, mere hath se mobile chhut kar niche gir gaya.

Ab aage ki kahani punnu ki jubani….

Ajay abhi apni aage ki baat bata pata ki, ek dam se mere mobile ki screen chamakne lagi. Ek ghanta pura ho jaane ki vajah se keerti ka call kat gaya tha. Ajay ke samne mai keerti ko call nahi laga sakta tha. Isliye maine ajay ki baat ko bich me hi katte huye kaha.

Mai bola “baat ko bich me hi katne ke liye sorry. Lekin mujhe thodi der ke liye upar uncle ko dekhne jana hoga. Mujhe unke pas ne aaye bahut der ho gayi hai.”

Meri baat sunkar ajay ne mujhe uncle ke pas jaane ko kaha aur mai upar uncle ke pas chala gaya. Uncle aaram se so rahe the. Mai wapas niche aaya aur keerti ko call lagane ke bad, priya ko dekhne uske room me chala gaya.

Mai jab priya ke kamre me pahucha to, wo so rahi thi aur nikki uske pas baithi novel pad rahi thi. Mere aane ki aahat se uska dhyan novel padne se hat gaya. Usne muskurate huye kaha.

Nikki boli “aapko sona nahi hai kya ya saari raat udhar baith kar gap sap karne ka hi irada hai.”

Mai bola “mai to raat bhar jagta hu. Lekin aap kyo jaag rahi hai. Yadi aapko sona hai to, so jaiye. Mai bahar hi baitha hu. Bich bich me aakar priya ko dekhta rahuga.”

Nikki boli “mujhe sach me bahut nind aa rahi hai. Kya mai sach me so jau.”

Mai bola “haan, aap so jaiye aur priya ki fikar mat kijiye. Mai use dekhta rahuga.”

Meri baat sunkar, nikki ke chehre par muskurata tair gayi. Usne novel band karte huye kaha.

Nikki boli “ok, mai abhi thodi der bad so jaugi. Koi baat ho to aap mujhe jaga dena.”

Mai bola “ok.”

Itna bol kar mai bahar ajay ke pas aa gaya. Ajay abhi bhi wahi baitha hua tha. Mai uske pas jakar baitha to, usne kaha.

Ajay bola “tumko aane me badi der lag gayi. Kya uncle jaag gaye the.”

Mai bola “nahi, uncle so rahe the. Lekin mai niche aakar priya ko dekhne chala gaya tha. Nikki abhi bhi jag rahi thi to, use sone ka bol kar aa raha hu.”

Ajay bola “ye tumne acha kiya. Use raat ko jagne ki aadat nahi hai.”

Ajay ki is baat se, mujhe yaad aaya ki, ajay nikki ko apni bahan manta hai. Lekin abhi mujhe nikki se jyada ajay ki adhuri baat ko sunne ki utsukta thi. Isliye maine baat ko aage badate huye ajay se kaha.

Mai bola “us din aman ne phone par kya baat kahi thi. Jise sunkar tunhe jhatka laga tha aur mobile tumhare hath se chhut kar jamin par gir gaya tha.”

Meri baat sunkar ajay ne apni baat ko aage badate huye kaha.

Ab aage ki kahani ajay ki jubani….

Aman ki baat sunte hi mujhe aisa jhatka laga ki, mere hath se mobile chhut kar niche gir gaya. Maine hadbada kar mobile uthaya to aman hello hello kar raha tha. Maine ghabrakar us se kaha.

Mai bola “aru kaha hai. Wo thik to hai na.”

Aman bola “abhi aru ka koi pata nahi hai. Hum log yahi hai. Yaha ke haalat bahut kharab ho gaye hai.”

Mai bola “tu fikar mat kar, aru ko kuch nahi hoga. Mai abhi waha ke liye nikalta hu.”

Meri baat sunkar aman ne call rakh diya. Kahne ko to maine aman se kah diya tha ki, aru ko kuch nahi hoga. Lekin yaha mai khud aman ki baat ko sunkar dar gaya tha. Mai jald se jald mumbai pahuchna chahta tha.

Lekin train aur car se mumbai jaane me 4 se 5 ghante ka samay lagna tha aur is samay surat se mumbai ke liye koi sidhi flight bhi nahi thi. Mere pas jaldi mumbai pahuchne ka sirf ek rasta tha aur maine wahi rasta apnaya.

Maine manager ko fauran mumbai ke liye ek private plane ka intejam karne ko kaha. Meri baat sunte hi manager mere room se bahar chala gaya. Mai becheni se uske wapas aane ka intejar karne laga.

Karib 15 min bad manager ne aakar bataya ki, usne ek private plane book kar liya hai. Mai jab chahe tab mumbai ke liye nikal sakta hu. Uski baat sunkar maine us se kaha.

Mai bola “mai abhi hi mumbai ke liye nikal raha hu. Humare sabhi karkhano ke sabhi karm-chairiyon ko chhutti de do aur un se kaho ki, wo meri bahan ki sahi salamati ke liye dua kare.”

Itna kah kar mai office se hi airport ke liye nikal gaya. Airport pahuchne me mujhe karib 10 min lage aur fir plane se mumbai pahuchne me mujhe karib 45 min lage. Ek ghante ke andar me mumbai pahuch gaya.

Mumbai pahuchte hi maine aman ko call kiya. Usne bataya ki wo abhi aru ke school me hi hai aur aru ka abhi bhi koi pata nahi chal saka hai. Mai taxi lekar seedhe aru ki school pahuch gaya.

Lekin waha ka mahaul dekh kar mera dil dahal gaya. Jaha aru ki school ki imarat thi. Waha ab malbe ka dher najar aa raha tha. Aadhe se jyada imarat bomb ke dhamake se dharashayi ho chuki thi aur malbe se school ke bachchon ko nikalne ka kaam chal raha tha.

Mai aman ko yaha waha dekh raha tha. Tabhi aman ki najar mujh par pad gayi aur wo mere pas aa gaya. Usne mere pas aate hi kaha.

Aman bola “aru ke school ke alawa mumbai ke ek hospital aur ek cinema hall me bhi bomb blast hua hai. Hajaron log ghayal huye aur saikdon logon ki jaan gayi hai. Mumbai ke hospital ghaylon se bhare pade hai.”

“Ye dhamake huye 2 ghante se jyada ka samay ho chuka hai. Ab malbon se ghaylon aur jinda insanon ki jagah sirf lashen nikal rahi hai. Pata nahi humari aru ab jinda bhi hai ya….”

Aman ki aakhiri baat puri hone ke pahle hi maine uski collar pakad li aur us se kaha.

Mai bola “tu kahna kya chahta hai. Tera kahna hai ki, ab hume humari aru nahi, uski lash milegi.”

Meri baat sunkar aman ka sabar ka bandh toot gaya aur wo ro pada. Usne mere gale se lagte huye kaha.

Aman bola “to aur kya bolu mai. Meri phool jaisi bahan is malbe me kahi dabi padi hai aur mai khud ko uske sahi salamat hone ka dilasa dene ke siwa kuch nahi kar pa raha hu.”

Mai bola “ye dilasa nahi hai. Mera dil kahta hai ki, humari aru ko kuch nahi hoga. Tu himmat mat haar, sab thik ho jayega.”

Abhi maine itni baat boli thi ki, tabhi chacha ji bhagte huye aaye aur humse kaha.

Chacha ji bole “aru mil gayi. Lekin uski haalat bahut kharab lagti hai. Hume use jaldi hospital le jana hoga.”

Chacha ji ki baat sunte hi humne us taraf daud laga di, jaha chacha ji ne bola tha. Waha pahuchte hi aru ki haalat dekh kar mera dil ro pada. Wo puri tarah khoon se lath path thi aur uski ye haalat dekh kar, mai apne aansu na rok saka.

Aman ne aanan fanan me use hospital le jaane ka intejam kiya. Hum aru ko dudne aur use samay par hospital le jaane me to kamyab ho gaye. Lekin aru ka khoon bahut bah chuka tha aur uski haalat bahut najuk bani huyi thi.

Uski najuk haalat ko dekhte huye doctor ne khoon chadaye jaane ki jarurat batayi. Magar aru ka blood group AB- (AB negative) tha. Jo ghar me kisi ka bhi nahi tha. Kisi jaan pehchan wale se bhi uska blood group mel nahi kha raha tha.

Doctor ne saaf kah diya tha ki, yadi samay rahte aru ko blood nahi chadaya gaya to, uski jaan bhi ja sakti hai. Aman shahar ke sabhi blood bank me call karke blood ka pata kar raha tha.

Lekin abhi haal me huye hadse ki vajah se AB- blood kisi bhi blood bank me maujud nahi tha. Nisha bhi rakt-daan karne wale aise logon se sampark karne ki koshish me lagi thi, jinka blood group AB- tha.

Lekin dono me se kisi ko bhi safalta nahi mili thi. Idhar aru ki haalat aur bhi kharab hoti ja rahi thi. Tabhi aman ko ek blood bank me baat karte huye pata chala ki, unke pas AB- blood hai par abhi abhi unki wo blood kisi ko dene ki baat ho chuki hai.

Aman ki ye baat sunkar mujhe aasha ki ek kiran najar aayi. Maine nisha se us blood bank chalne ko kaha aur mai nisha ke sath waha pahuch gaya. Lekin us blood bank wale ne blood dene se saaf mana kar diya.

Usne kaha ki ye blood jisko dene ke liye, rakha hai, wo abhi blood lene aane hi wale hai. Unke marij ki haalat bahut najuk hai. Mai use samjhane ki koshish karta raha ki, meri bahan ki haalat bhi najuk hai.

Magar wo kisi ki amanat me khayanat na karne ki baat kah kar blood dene se mana karta ja raha tha. Maine us se ye bhi kaha ki, hum blood ka intejam karne me lage hai. Jaise hi hume blood milta hai, wo blood hum us marij ko uplabadh karwa dege. Lekin wo humari koi baat sunne ko taiyar nahi tha.

Mai kisi bhi haalat me wo blood hasil karna chahta tha aur jab mujhe wo kisi tarah se manta na dikha to, maine apne jeb se 1000 ke note ki ek gaddi nikal kar uski taraf badate huye kaha.

Mai bola “us ek bottle blood ki keemat mere liye ye bhi kam hai. Tum chaho to mujhse aur bhi paise le lo. Lekin wo blood mujhe de do.”

Meri baat sunkar wo soch me pad gaya. Lekin nisha ne mujhe tokte huye kaha.

Nisha boli “ye tum kya kar rahe ho. Wo yadi humare itna kahne par bhi blood dene ko taiyar nahi hai to, iska matlab ye hi hai ki, us marij ki haalat sach me hi bahut jyada kharab hai. Aise me is tarah blood hasil karna sahi nahi hai.”

Nisha ki ye dalil sunkar, mujhe us par gussa aa gaya. Maine us par jhallate huye kaha.

Mai bola “tum apna muh band rakho. Mujhe tumhari salah ki jarurat nahi hai. Yaha sawal meri bahan ki jindagi ka hai aur iske liye mai kuch bhi karne ko taiyar hu.”

Ye kahte huye maine apne hath ki diamond ring utarkar uske samne rakhte huye kaha.

Mai bola “ye dimond ring hai. Abhi is ring ki keemat kam se kam sawa lakh rupye hogi. Ab yadi tunhe sahi lage to, wo blood mujhe de do. Mai tumse vada karta hu ki, jaldi hi mai blood ka intejam karke tumhe lakar de duga. Fir tum wo blood us marij ko de dena.”

Meri is baat ke jabab me usne jaldi se meri di huyi noton ki gaddi aur ring ko utha liya. Fir bina kuch bole andar gaya aur blood lakar humko de diya. Nisha meri is harkat se khush nahi thi.

Lekin mujhe bhi nisha ki koi parvah nahi thi. Mai blood lekar hospital pahucha aur blood aman ko dene ke bad nisha se kaha.

Mai bola “tum aaram se mat baitho. Abhi hume us marij ke liye blood ka intejam karna hai. Tum rakt-daan karne walo ko dudti raho. Jaise hi blood mile, use blood bank me dene ki jagah, seede us marij tak pahucha dena.”

Meri baat sunkar, nisha ne mujhe gusse me dekha aur fir se call karne me busy ho gayi. Idhar aru ko blood chadaya ja chuka tha. Uske sharir par bahut hi gambir chhote lagi thi. Jinse ubarne ke liye use blood ki sakht jarurat thi aur ab blood chad jaane se doctor ko ummid bandh gayi thi, ki jaldi hi aru ki najuk haalat par kabu kar liya jayega.

Udhar nisha ne bhi aadhe ghante ki mehnat ke bad ek rakt-data ko dudh nikala tha. Usne blood bank wale se us marij ki hospital ka puchha aur us rakt-data ko waha lekar chali gayi.

Mujhe nisha ki ye baat bahut achi lagi thi ki, uske liye sab marij ek barabar hai aur wo us rakt-data ko khud hi us marij ke pas lekar gayi hai. Lekin jab nisha us marij ke pas se wapas lauti to, uska chehra latka hua tha.

Usne aakar bataya ki, uske pahuchne ke pahle hi, wo marij samay par blood na milne ki vajah se dam tod chuka tha. Mujhe us marij ki maut ka bahut afsos hua. Lekin mujhe apni ki huyi harkat par koi pachhtawa nahi tha.

Kyoki sawal meri bahan ki jindgi ka tha aur yadi mai aisa nahi karta to, ho sakta tha ki, us marij ki jagah meri bahan dam tod deti. Us samay mujhe jo thik laga wo maine kiya tha.

Lekin nisha ko meri ye baat itni buri lagi thi ki, uske bad se usne mere sath baat karna band kar diya aur mujhse kati kati rahne lagi. Mujhe uski is narajgi ka aehsas uske bol chal se hone laga tha.

Magar us samay mujhe nisha ki narajgi se jyada, apni us bahan ki fikar thi. Jise hospital me rahte 24 ghante se bhi jyada ho gaya tha. Magar abhi tak usne apni aankh nahi kholi thi. Doctor ka kahna tha ki, yadi use 48 ghante ke bhitar hosh nahi aaya to, wo coma me bhi ja sakti hai.
 

Top