Incest Koi To Rok Lo~Pritam.bs~

Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 191}
____________________________

Ye baat samajh me aa jaane ke bad bhi, mehul ke karname ko janne ke liye, vaani didi ke kamre me jaane ki meri himmat nahi huyi. Kyoki vaani didi se jyada dar, mujhe mehul ke dimag se lagta tha.

Mehul ka dimag do dhari talwar tha. Uske dimag me bahut dhamakedar idea aate the. Uske in dhamakedar idea se samne wala ghayal ho ya na ho. Lekin khud ke ghayal hone ki puri ummid rahti thi.

Bachpan se lekar abhi tak, mehul ke ye dhamakedar idea apne dhamako me mujhe hi udate aa rahe the. Isliye maine mehul ke kiye is naye kaand se door rahne me hi apni bhalai samjhi aur mai apne kamre ke bahar hi khada raha.

Mai apne kamre ke bahar khada keerti ke aane ka intejar kar raha tha. Tabhi mere mobile ki Sms tone bajne lagi. Sms tone sunkar, mujhe laga ki, kahin keerti ne to kuch kahne ke liye Sms nahi kiya hai.

Ye baat dimag me aate hi, mai fauran apne mobile ke pas aa gaya aur mai mobile utha kar Sms dekhne laga. Lekin ye keerti ka nahi, priys ka Sms aaya tha. Mai priya ka Sms padne laga.

Priya ka Sms “Vaada Karke Nibhana Unki Aadat Ho Zaruri To Nahi.
Bhool Jana Meri Fitrat Ho Zaruri To Nahi.
Meri Tanhaiyan Karti Hai Jinhe Yaad Sada,
Unko Bhi Meri Zarurat Ho Zaruri To Nahi.”

Priya ke is Sms ko dekh kar, mujhe yaad aaya ki, jab keerti ne priya se Sms me baat ki thi. Tab priya ne apne Sms me kaha tha ki, “mai jakar khana kha leti hu. Lekin tum apna vada mat bulna.”

Mai ye to nahi janta tha ki, keerti ne priya se kya vada kiya hai. Lekin itna jarur janta tha ki, keerti ne priya se jo bhi vada kiya hai, wo vada Sms me kiya hai. Isliye mai us vade ko janne ke liye, priya wala mobile dekhne laga.

Lekin priya wala mobile mai apni pants ki jeb se nikalna bhool gaya tha aur wo abhi meri pants ki jeb me hi tha. Mai uth kar apni pants ki jeb se priya wala mobile nikalne laga.

Tabhi keerti wapas aa gayi. Usne kamre me aate hi, darwaja band kiya aur meri hath me pants ko dekh kar kaha.

Keerti boli “kya hua, ab itni raat ko kaha jaane ki taiyari kar rahe ho.”

Uski baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “mai kahin nahi ja raha. Ye priya wala mobile meri jeb me hi rah gaya tha. Use nikal raha tha.”

Meri baat sunkar, keerti bed par aakar, tek laga kar baith gayi aur fir meri taraf shararat bhari najron se dekhte huye kaha.

Keerti boli “sab khairiyat to hai na. Tumhe itni raat ko priya wale mobile ki jarurat kyo pad gayi.”

Keerti ye baat sirf mujhe tang karne ke liye bol rahi thi. Usne yadi ye baat kisi aur samay mujhse boli hoti to, maine yakinan uski is baat par, use apni safayi dena suru kar diya hota.

Lekin is samay mere dimag me, vaani didi ka gusse wala chehra ghum raha tha aur abhi keerti ka is tarah mere pas befikar hokar, baithna yahi bata raha tha ki, wo sab kuch thik karke aa rahi hai.

Uski is befikri ne mere andar ki utsukta ko bada diya tha. Maine apni jeb se mobie nikala aur fir uske pas aakar baithte huye kaha.

Mai bola “tu apni ye sab baten bad me kar lena. Sabse pahle mujhe ye bata ki, vaani didi itni jyada kis baat ke liye mehul par bhadak rahi thi. Aakhir mehul ne kya kiya tha.”

Meri baat sunkar, keerti ne thandi saans chhorte huye kaha.

Keerti boli “kuch mat puchho, Bas itna samajh lo ki, maine badi mushkil se vaani didi ko samjhaya hai. Warna mehul ke to lene ke dene pad gaye hote.”

Mai bola “jyada paheliyan mat bujha aur sidhi tarah se bata ki, mehul ne kya kiya hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne thoda gambhir hote huye kaha.

Keerti boli “mehul ne vaani didi ko ladkiyon wale kapde diye the.”

Keerti ki is baat par maine laparwahi se kaha.

Mai bola “to isme gussa hone wali baat kya thi. Usne to wo kapde sabke samne diye the aur vaani didi to uski bahut tarif kar rahi thi.”

Meri is baat par keerti ne ek najar mujhe gaur se dekha aur fir apni baat ko samjhate huye kaha.

Keerti boli “are tum meri baat ko blikul bhi nahi samjhe. Mehul ne vaani didi ko ladkiyon ke andar pahanne wale kapde bhi diye hai.”

Keerti ki is baat par mujhe ek jor ka jhatka sa laga. Maine hairan hote huye keerti se kaha.

Mai bola “tera kahne ka matlab hai ki, mehul ne vaani didi ko bra aur panty di hai.”

Meri baat sunte hi, keerti ne meri peeth par mukka marte huye kaha.

Keerti boli “chhi… gande, jo bhi muh me aata hai, bolte chale jate ho.”

Mai bola “isme ganda kya hai. Kya mehul ne ye nahi diya.”

Keerti boli “mehul ne ye hi diya hai. Lekin mere samne inka naam lete huye tumko jara bhi sharam nahi aayi.”

Keerti ki ye baat sunkar mai hairani se usko dekhne laga. Meri hairani ki vajah ye thi ki, maine aaj tak keerti ko kisi baat ke liye is tarah se jhijhakte nahi dekha tha. Mere aur uske bich bahut baar sex se judi baten bhi ho chuki thi.

Isi vajah se mai is baat ko bina kisi hichak ke kah gaya tha. Lekin is sab me ek sach ye bhi tha ki, har baar ye baat meri hi taraf se ki gayi thi. Keerti ne kabhi is tarah ki koi baat nahi ki thi.

Mujhe uska is baat par sharmana acha laga tha. Keerti bed par pair faila kar, tik kar baithi huyi thi aur mai bed se niche pair latka ka baitha hua tha. Mera man keerti ke sath shararat karne kar raha tha.

Isliye maine keerti ko chhedne ke liye, apni peeth keerti ki taraf ki aur apne dono hath par apne sar ko tika kar baithte huye khud se kaha.

Mai bola “hey bhagwan, meri to kismat hi foot gayi.”

Keerti meri is shararat ko samajh nahi payi aur uth kar mere pas aa gayi. Usne mere kandhe par hath rakhte huye mujhse kaha.

Keerti boli “ye achanak tumko kya ho gaya. Tum apni footi kismat ka rona kyo ro rahe ho.”

Keerti ki is baat ko sunkar, maine badi hi gambhirta se kaha.

Mai bola “mai apni footi kismat ka rona na rou to, aur kya karu. Jo ladki bra aur panty ka naam lene se hi sharmati hai, wo bhala mujhe bubu kaise pilayegi.”

Mera itna kahna tha ki, keerti ne dhama-dham meri peeth par ghuson ki barsat kar di. Lekin mai tha ki, apna pet pakad kar hansta ja raha tha. Wo jab mujhe peetti peetti thak gayi to, usne apne dono hathon se mere kandhon ko tham kar, meri peeth par apna sar tika liya.

Uska sar meri peeth se lagte hi, mujhe uske hanpne ka aehsas hua. Wo shayad mujhe itna sa peetne me hi bahut thak gayi thi aur ab meri peeth par sar rakh kar, apni saanson par kabu pane ki koshish kar rahi thi.

Mai bhi khamosh baitha bas uski is harkat ko mehusus kar raha tha. Kuch der bad, jab uski saanse samanya huyi to, usne bade pyar se mujhse kaha.

Keerti boli “tum mumbai jakar sach me bahut bigad gaye ho. Ye sab riya ki hi sangat ka asar hai. Jo tum itna sab kuch bolne lage ho.”

Keerti ki ye baat sunkar, mujhe riya ki baat yaad aa gayi. Lekin is samay mai kisi aur ki baat karke is lamhe ko kisi bhi haalat me khona nahi chahta tha. Isliye maine baat ko badalte huye keerti se kaha.

Mai bola “apna dosh kisi dusre ke sar par dalne ki koshish mat kar, ye sab teri sangat ka asar hai. Tune hi mujhe bigada hai.”

Keerti boli “jhuthe, maine tumko kab aur kaise bigada hai.”

Mai bola “tu hi to mujhse baat baat par kissy mangti rahti hai aur ab khud hi puchh rahi hai ki, maine tumko kab aur kaise bigada hai.”

Meri baat sunkar, keerti meri chal ko samajh nahi payi aur usne bade bholepan se apni safayi dete huye kaha.

Keerti boli “haan, mai tumse kissy mangti hu. Lekin tumko wo sab gandi baten maine to nahi sikhayi hai.”

Keerti ki is baat par maine bhi bholepan ka natak karte huye kaha.

Mai bola “are isme gandi wali baat kya hai. Tu to kissy me meri saari takat chus leti hai. Mujhe bhi to takat ke liye bubu peena milna chahiye na.”

Meri is baat ko sunkar, keerti ko meri shararat samajh me aa chuki thi. Usne dobara meri peeth par, pyar se ek mukka maara aur fir apne dono hath aage karke, mujhe apni bahon me jakad kar, fir se apna sar meri peeth par tikate huye kaha.

Keerti boli “aaj tumko bahut shararat sujh rahi hai. Lekin yadi maine shararat karna suru kar diya to, fir tum bhagte huye najar aaoge.”

Ye kah kar usne mujhe aur bhi jor se apni bahon me jakad liya. Uske is tarah se mujhe jakadne se, mujhe uske boobs ka aehsas, meri peeth par hone laga tha. Maine fir se use chhedte huye kaha.

Mai bola “ye kya kar rahi hai. Kya tujhe ye bhi nahi pata ki, bubu kaise pilaya jata hai.”

Keerti meri is baat ka matlab samajh gayi thi. Usne meri baat sunte hi, mere kandhe par, apne daant gada diye. Jis vajah se mai khud ko us se chhudane ki koshish karne laga. Lekin keerti ne mujh par apni pakad majbut karte huye kaha.

Keerti boli “apni harkat se baaj aa jao, warna bad me bahut pachhtaoge.”

Lekin uski is dhamki ke bad bhi maine use tang karna band nahi kiya aur use fir se chhedte huye kaha.

Mai bola “apna khana tujhe yaad rahta hai. Kabhi kabhi mere peene ka bhi kuch khayal kar liya kar na.”

Meri ye baat sunte hi, keerti ne is baar meri gardan par apne daant gada diye. Lekin is baar wo yahi par nahi ruki aur meri gardan par daant gadane ke bad, apne boobs meri peeth par ragadne lagi.

Uski is harkat se mai sihar utha aur sach me meri haalat kharab hone lagi. Ab yadi mere pareshan hone ki baat us par jahir hoti to, wo mujhe pareshan karne se baaj aane wali nahi thi. Isliye maine badi hi hoshiyari se uska dhyan is baat par se hatate huye kaha.

Mai bola “aise baat baat par kaatti kyo hai. Mai to bas tujhe thoda sa tang kar raha tha. Chal ab majak karna bahut ho gaya. Ab mujhe ye bata ki, tune vaani didi ke gusse ko kaise shant kiya.”

Meri is baat ko sunkar, sach me hi keerti ka dhyan is baat par se hat gaya aur usne apni harkat band kar ke, fir se meri peeth par sar tikate huye kaha.

Keerti boli “isme karna kya tha. Maine unhe sach bata diya ki, mehul shilpa se pyar karta hai aur wo ye andar ke kapde shilpa ke liye hi laya hoga. Wo shayad un kapdo ko aapke kapdo me chhupa kar la raha hoga. Magar aapko kapde deti samay use ye baat yaad nahi rahi hogi.”

Mai bola “kamina apni hoshiyari me khud hi mar gaya. Usne vaani didi ke gusse se bachne ke liye, unko shilpa ke liye kharide huye, jeans aur t-shirt de diye the. Ab apne bichhaye jaal me khud hi fas gaya. Aakhir use ye sab faltu ki chijen kharidne ki jarurat hi kya thi.”

Meri ye baat sunkar, keerti ne mehul ka bachav karte huye kaha.

Keerti boli “haan, tumhari ye baat sahi hai ki, mehul ki jarurat se jyada hoshiyari ne use fasa kar rakh diya hai. Lekin tumhari ye baat sahi nahi hai ki, mehul ne kuch faltu ka saman kharida tha. Aaj kal to har ladka apni girlfriend ke liye, ye hi sab chijen kharidta hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine man hi man mehul ko hajaron gaaliyan di ki, khud to, in chijon ko kharidne ki vajah se fas gaya hai aur ab mujhe in chijon ko na kharidne ki vajah se fasane ja raha hai.

Ab yadi mai is baat ko lekar, keerti se bahas karta to, wo mujh par hi ulti chadai kar deti. Isliye maine mehul ki baat se kinara kar lene me hi apni bhalai samjhi aur baat ka rukh badalte huye keerti se kaha.

Mai bola “chal mai teri ye baat maan leta hu. Lekin abhi bhi ek baat meri samajh ne nahi aa rahi ki, tune to vaani didi ke doodh me nind ki goliyan mila di thi. Fir wo abhi tak kaise jaag rahi thi.”

Keerti boli “maine unke doodh me nind ki sirf ek goli hi milayi thi. Lekin mujhe kya pata tha ki, unhe roj nind ki do goliyan kha kar sone ki aadat hai. Jis vajah se unhe nind ki ek goli ka asar hi nahi hua tha.”

Keerti ki is baat par maine thoda pareshan hote huye kaha.

Mai bola “fir to wo abhi bhi jaag rahi hogi. Aise me tujhe yaha wapas nahi aana chahiye tha.”

Keerti boli “ab unhe nind ke farishte bhi jagaye to, wo nahi jaagne wali hai. Un ne mere samne hi nind ki do goliyan gatak li hai.”

Keerti ki is baat ko sunkar, maine ghabrate huye kaha.

Mai bola “abe ye tune kya kiya. Tune unhe dobara goliyan khane se roka kyo nahi. Kahin kuch ulta sidha na ho jaye.”

Keerti boli “tum bekar me pareshan mat ho. Didi roj do goliyan khati hai. Ek goli jyada kha lene se unka koi nuksan nahi hoga. Lekin unke ek goli jyada kha lene se humara ye fayda jarur ho gaya hai ki, ab hum befikar hokar ek dusre ke sath rah sakte hai.”

Itna kahkar, wo apne gaal meri peeth par ragadne lagi aur mai bhi khamoshi se uski harkat ko mehsus karne laga. Wo shayad aankh band karke, meri peeth par sar tika kar baithi huyi thi.

Mai uska chehra nahi dekh pa raha tha. Kyoki usne mujhe apni bahon me is tarah se jakda hua tha, jaise ki uske chhodte hi, mai uth kar kahi chala jauga. Shayad wo is tarah mujhe apne seene se laga kar, itne din tak mujhse door rahne ki kami ko pura karna chah rahi thi.

Hum dono khamoshi se ek dusre ke dil ki dhadkan ko mehsus karne me lage the. Tabhi bistar par pade mere mobile ki Sms tone bajne lagi. Mere mobile ki Sms tone sunkar, keerti ne kunmunate huye, mobile utha kar, mere hath me thamaya aur mujhe fir se pahle ki tarah jakad kar baithte huye kaha.

Keerti boli “jarur priya ka Sms hoga.”

Maine mobile me Sms dekhte huye us se kaha.

Mai bola “nahi, ye nikki ka Sms aaya hai.”

Itna bol kar mai keerti ko nikki ka Sms pad kar sunane laga.

Nikki ka Sms “Aapse Door Hone Ka Irada Na Tha.
Sada Sath Rahne Ka Vada Na Tha.
Aap Yaad Na Karoge, Ye Jante The Hum,
Par Itni Jaldi Bhool Jaoge Andaza Na Tha.”

Abhi mai keerti ko nikki ka Sms pad kar suna hi raha tha ki, mere pas rakhe priya wale mobile ki bhi Sms tone bajne lagi. Jise sunte hi keerti ne meri peeth par chutki katte huye kaha.

Keerti boli “lo ab priya ka Sms bhi aa gaya hai.”

Nikki ka Sms pad kar sunane ke bad, maine priya wale mobile ka Sms dekha aur fir wo Sms bhi keerti ko pad kar sunane laga.

Priya ka Sms “Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat Hogi.
Warna Humko Kaha Tumse Shikayat Hogi.
Ye To Bewafa Logon Ki Duniya Hai.
Tum Agar Bhool Bhi Jao To Riwayat Hogi.”

Priya ka Sms sunte hi, keerti ne khilkhilate huye mujhse kaha.

Keerti boli “lagta hai, tumne abhi tak in dono ko call nahi kiya hai. Wo dono bechari tumse baat karne ke liye tadap rahi hai aur tum yaha aate hi, unko bhool kar apne me mast ho gaye. Tum sach me bahut bewafa ho.”

Ye kahte huye, usne mere gaal par kaat liya. Magar is baar usne mujhe sirf naam ke liye nahi kaata tha. Balki sach me badi jor se kaata tha. Uske achanak itni jor se kaat lene se mai hadbada kar rah gaya.

Isi hadbadahat me maine keerti ko apne pas se door dhakela aur apne gaal ko sahlate huye, use gusse me ghoor kar dekhne laga. Mujhe is tarah se baukhlata dekh kar, keerti aur bhi jyada jor se khilkhila kar hasne lagi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 192}
____________________________

Nikki ka Sms “Aapse Door Hone Ka Irada Na Tha.
Sada Sath Rahne Ka Vada Na Tha.
Aap Yaad Na Karoge, Ye Jante The Hum,
Par Itni Jaldi Bhool Jaoge Andaza Na Tha.”

Abhi mai keerti ko nikki ka Sms pad kar suna hi raha tha ki, mere pas rakhe priya wale mobile ki bhi Sms tone bajne lagi. Jise sunte hi keerti ne meri peeth par chutki katte huye kaha.

Keerti boli “lo ab priya ka Sms bhi aa gaya hai.”

Nikki ka Sms pad kar sunane ke bad, maine priya wale mobile ka Sms dekha aur fir wo Sms bhi keerti ko pad kar sunane laga.

Priya ka Sms “Tum Agar Yaad Rakhoge To Inayat Hogi.
Warna Humko Kaha Tumse Shikayat Hogi.
Ye To Bewafa Logon Ki Duniya Hai.
Tum Agar Bhool Bhi Jao To Riwayat Hogi.”

Priya ka Sms sunte hi, keerti ne khilkhilate huye mujhse kaha.

Keerti boli “lagta hai, tumne abhi tak in dono ko call nahi kiya hai. Wo dono bechari tumse baat karne ke liye tadap rahi hai aur tum yaha aate hi, unko bhool kar apne me mast ho gaye. Tum sach me bahut bewafa ho.”

Ye kahte huye, usne mere gaal par kaat liya. Magar is baar usne mujhe sirf naam ke liye nahi kaata tha. Balki sach me badi jor se kaata tha. Uske achanak itni jor se kaat lene se mai hadbada kar rah gaya.

Isi hadbadahat me maine keerti ko apne pas se door dhakela aur apne gaal ko sahlate huye, bed par aakar let gaya aur use ghoor kar dekhne laga. Mujhe is tarah se baukhlata dekh kar, keerti aur bhi jor se khilkhila kar hasne lagi.

Mujhe bhi uski in harkaton se behad shukun mil raha tha. Isliye maine us par jhutha gussa dikhate huye kaha.

Mai bola “pagal ho gayi hai kya. Kab se mujhe bematlab me kaate ja rahi hai. Ab tera yadi mujhe kaatne se dil bhar gaya ho to, ye bata ki, tune priya ko kya Sms kiya tha. Ye dekh uska iske pahle bhi ek Sms aaya tha.”

Ye kahte huye mai keerti ko priya ka pahle wala Sms dikhane laga. Jise dekhne ke bad, keerti ne thoda sanjida hote huye kaha.

Keerti boli “maine priya ko Sms se bataya tha ki, tum abhi mehul ke ghar par hi ho. Apne ghar pahuchte hi tum usko call karoge. Wo isi shart par khana khane gayi thi ki, tum ghar pahuchte hi use call karoge.”

“Isliye wo shayad abhi bhi tumhare call ka intejar kar rahi hai. Tum aisa karo, us se pahle baat kar lo. Mai apna dinner bad me kar lugi.”

Ye kahte huye, wo shararat bhari najro se mujhe dekhne lagi. Maine muh bana kar uski taraf dekha to, wo mujhe call lagane ka ishara karke, mere seene me sar rakh kar let gayi.

Abhi mai nikki ko call lagane hi wala tha ki, tabhi keerti ne apni hand free mere hath me thama di. Maine hand free lagayi aur jaise hi nikki ko call lagane ko hua. Keerti ne mere ek kaan se hand free ko nikal kar apne kaan me laga liya.

Uski is harkat par mujhe hansi aa gayi aur maine muskurate huye, nikki ko call laga diya. Mera call jate hi, nikki ne fauran mera call uthate huye kaha.

Nikki boli “aap to sach me bahut matlabi nikle. Yaha se jate hi, hume bhool gaye.”

Nikki ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “mai to kisi ko bhi nahi bhoola hu. Lekin tum jarur mere waha se aate hi, mujhe aur meri baat ko bhool gayi ho. Warna abhi bhi mujhe aap aap kah kar nahi pukar rahi hoti.”

Meri baat sunkar, nikki ke hasne ki aawaj aayi aur usne muskurate huye kaha.

Nikki boli “kisi aadat ko jaane me thoda wakt to lagta hi hai. Lekin meri is aadat ki aad lekar, tum apni galti par parda dalne ki koshish mat karo. Yadi maine abhi tumko Sms nahi kiya hota to, tumne abhi bhi mujhe call nahi lagaya hota.”

Mai bola “aisi baat nahi hai. Mai to yaha aate hi, sabko call lagana chahta tha. Lekin yaha aane ke bad, mujhe samay hi nahi mil pa raha tha.”

Ye kahte huye mai use apne yaha aane ke bad ke haalat batane laga. Meri abhi nikki se baat chal hi rahi thi. Tabhi priya ka call aane laga. Priya ka call aate dekh kar maine ye baat nikki ko batayi aur use good night bol kar call rakh diya.

Mere call rakhte hi, keerti ne mere seene se apna sar utha kar, mujhe hairani se dekhte huye kaha.

Keerti boli “are tumne call kyo rakh diya. Lage hath priya se bhi baat kar lena tha na.”

Mai bola “priya se baat karne ke liye hi to, maine call rakha hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne mujhe muskura kar dekha aur apna sar na me hilate huye, wapas mere seene par sar tika kar baith gayi. Mujhe uske is tarah se muskurane ka matlab samajh me nahi aaya to, maine us se puchha.

Mai bola “tu is baat par is tarah se kyo hans rahi hai. Kya maine koi galat baat kah di.”

Keerti boli “tum bilkul buddhu ho. Unke ek sath aaye Sms ko dekh kar bhi, itni si baat tumhari samajh me nahi aayi ki, wo dono is samay ek sath hai. Ab bekar ki baton me samay barbad mat karo aur priya se bhi baat kar lo.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine muskurate huye priya ko call laga diya. Mera call jate hi priya ne fauran call uthate huye kaha.

Priya boli “tum bahut bade jhuthe ho. Jab tumhe mujhse baat karni hi nahi thi to, jhutha vada karne ki kya jarurat thi. Kya kisi ko is tarah intejar karwana achi baat hai.”

Priya ki is baat ko sunkar, keerti ke sath sath mujhe bhi hansi aa gayi. Keerti isliye hans rahi thi. Kyoki kuch der pahle usne bhi priya ko lekar mujhse yahi baat kahi thi. Maine hanste huye priya ki is baat par safayi dete huye kaha.

Mai bola “tum galat soch rahi ho. Yadi mujhe tumse baat nahi karni hoti to, mai abhi bhi tumko call nahi lagata. Mujhe abhi itne samay tumko call karne ki kya jarurat thi.”

Priya boli “ab apni safayi dene ki koshish mat karo. Sach to ye hai ki, tumko mujhse baat hi nahi karni thi. Wo to maine tumko kisi ke sath baat karte range hathon pakad liya hai. Warna tum bad me mujhse kah dete ki, tumhari nind lag gayi thi.”

Mai bola “ab tum fir galat soch rahi ho. Abhi mai kisi aur se nahi, balki nikki se baat kar raha tha. Tum chaho to abhi nikki se ye baat puchh sakti ho.”

Priya boli “mujhe kisi se kuch nahi puchhna. Tumhari ye baat yadi sach bhi hai. Tab bhi iska matlab ye hi hota hai ki, tumhe sabse aakhiri me mujhse baat karne ki yaad aayi hai.”

Mai bola “yaar aisa kuch nahi hai. Tum jara meri pareshani ko bhi samajhne ki koshish karo.”

Ye kahte huye, mai nikki ki tarah priya ko bhi apne yaha aane ke bad ki baten batane laga. Jise sunne ke bad, priya ne hanste huye kaha.

Priya boli “niti didi ne sirf waha hi nahi, balki yaha bhi tumhari pol khol kar rakh di hai.”

Priya ki is baat ko sunkar, maine hairan hote huye priya se kaha.

Mai bola “kyo, kya hua. Ab niti ne waha mere baare me kya bol diya.”

Meri is baat par priya ne hanste huye kaha.

Priya boli “niti didi se yaha sabko pata chal gaya hai ki, tum plane baithte hi, ladkiyon ki tarah foot foot kar rone lage the.”

Ye baat bol kar priya ek baar fir khilkhila kar hasne lagi. Wahi keerti apne muh par hath rakh kar apne aapko hasne se rokne ki koshish karne lagi. Priya aur keerti dono ko niti ki is harkat par hansi aa rahi thi.

Magar mujhe niti ki is harkat par chid chhut rahi thi. Lekin maine apni is baat par parda dalte huye priya se kaha.

Mai bola “apno se door hone ka dard kise nahi hota hai. Mujhe bhi apno se door hone ka dard hua aur is dard ne mujhe aansu bahane ke liye majbur kar diya. Ab koi ise ladkiyon wali baat samjhe to, mai kya kar sakta hu.”

“Lekin maine dekha hai ki, kuch ladkiyan aisi bhi hoti hai. Jinhe kisi se door hone par koi farak nahi padta. Unki aankh me to kisi se door hoti samay ek aansu bhi nahi aata hai. Ab kya aise me, ise tum ladko wali baat kahogi.”

Meri ye baat sunkar, priya samajh gayi ki, mera ye ishara usi ki taraf hai. Usne meri is baat par bhanbhanate huye kaha.

Priya boli “hey, ye tum ghuma fira kar mujhe taane kyo maar rahe ho. Ab yadi mujhe tumhare jaane par rona nahi aaya to, kya mai jabardasti rone ko baith jati. Mai to tumko sirf niti didi ki baat bata rahi thi aur tum mujhe hi taana marne lage.”

Mai bola “maine to wo hi baat kahi hai, jo sach hai. Ab sach baat buri to lag hi jati hai.”

Meri is baat ke jabab me priya ne muskurate huye kaha.

Priya boli “acha, aisi baat hai. To lo, ab bura manne ki tumhari baari hai.”

Priya ki is baat par maine chuakte huye kaha.

Mai bola “kya matlab.?”

Lekin meri is baat ke jabab me priya ne ek shayari karte huye kaha.

Priya ki shayari “Kayi Jakhm Aise Hote Hai, Jo Dikhaye Nahi Jate.
Kayi Raaz Aise Hote Hai, Jo Bataye Nahi Jate.
Kuch Log Hote Hai, Jindagi Me Khas Itne.
Ki Unke Samne Aansu, Kabhi Bahaye Nahi Jate.”

Priya ki shayari sunte hi, mujhe uske bura manne wali baat ka matlab samajh me aa gaya tha aur maine us par jhallate huye kaha.

Mai bola “maine tumko……...”

Abhi mai apni baat puri bhi nahi kar paya tha ki, priya ne meri baat ko bich me hi kaatte huye kaha.

Priya boli “maine tumko kitni baar bola hai ki, mujhe ye sher aur shayari bilkul bhi samajh me nahi aati.”

Itna bol kar, wo apni kahi baat par khud hi khilkhila kar hasne lagi aur uske sath sath mere aur keerti ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Use hansta hua dekh kar, mere dil ko bhi shukun mehsus ho raha tha. Isliye maine is baat ko aage badate huye kaha.

Mai bola “achi baat hai. Abhi to tum shayari ki baat par mera majak uda lo. Lekin mai bhi tripti ka pata laga kar, us se sher aur shayari seekh kar, tumhe iska jabab jarur duga. Tab dekhuga ki, tum mera majak kaise bana pati ho.”

Meri is baat par priya ne mujhe chhedte huye kaha.

Priya boli “hey, yadi tumne us pagal tripti ka pata lagane ki koshish ki to, mai tumhari tripti ko bhadka dugi. Fir sher aur shayari seekhna to door ki baat hai. Tumhe jo gaana gana aata hai, tum wo bhi bhool jaoge.”

Priya ki is baat par maine bhi darne ka natak karte huye kaha.

Mai bola “are, mai tumse sirf majak kar raha tha. Tum niti ki tarah kahin sach me aag lagane ka kaam mat kar dena. Warna is baat ko sunkar, tripti to meri jaan hi le legi.”

Meri baat ko sunkar, priya fir khilakhilane lagi aur keerti mere seene se apne sar ko utha kar, mera chehra dekhne lagi. Maine muskurate huye keerti ka chehra wapas apne seene par rakh liya aur uske sar par hath ferne laga.

Wahi jab priya ka khilkhilana thama to, usne kuch sanjida hokar, tripti ki vakalat karte huye kaha.

Priya boli “tum tripti ko bekar me badnaam kar rahe ho. Wo bilkul bhi aisi nahi hai. Tum bahut kismat wale ho, jo tumhe tripti jaisi pyar karne wali ladki mili hai.”

Priya ki ye baat sunkar, mere hath, keerti ke sar par chalte chalte ruk gaye. Mujhe keerti ke pyar ke baare me kisi se janne ki koi jarurat nahi thi. Lekin priya ki is baat ne mujhe uske khayal janne ko majbur kar diya aur maine us se kaha.

Mai bola “tumhari to us se sirf ek baar baat huyi hai. Fir tum uske baare me, ye baat itne yakin se kaise kah sakti ho.”

Priya boli “tumhari khushi ke liye usne mujhse baat ki thi. Is se bad kar, uske pyar ka tumhe aur kya sabut chahiye.”

Priya ki is baat me bahut dam tha. Fir bhi maine is baat ko taalte huye kaha.

Mai bola “tumse baat karne ki uski khud ki marji thi. Maine use tumse baat karne ko nahi kaha tha. Fir isme meri khushi kaha se aa gayi.”

Priya boli “haan, tumhari ye baat sahi ho sakti hai. Lekin bhagwan ne tumhe mehsus karne ke liye dil aur bahane ke liye sirf aansu hi nahi diye. Balki tumhari khopdi me ek 50 gram ka bheja bhi diya hai.”

“Kabhi kabhi tum apne us bheje ka bhi istemal kar liya karo. Uske istemal karne se wo ghat nahi jayega. Balki tum aise betuke sawal karne se bach jaoge.”

Priya ki ye baat sunkar, keerti ki hansi chhut gayi aur usne apna chehra mere seene me chhupa liya. Wahi mai priya ki is baat ko sun kar sann rah gaya. Usne ek teer se do nishane laga diye the.

Ek to usne meri baat ka jabab de diya tha aur dusra kuch der pahle maine use jo na rone ka taana maara tha, uska badla bhi le liya tha. Keerti ko priya ki in baton me maja aa raha tha. Isliye maine bhi isi baat ko aage badate huye kaha.

Mai bola “tum kahna kya chahti ho. Jo kahna hai, saaf saaf kyo nahi kah deti.”

Priya boli “tumko saaf saaf hi sunna hai to, wo bhi sun lo. Duniya ki aisi kaun si ladki hogi, jo us ladki se khushi khushi baat karna chahegi, jo ladki uske boyfriend se pyar karti ho.”

“Tripti ne tumko meri narajgi ki vajah se pareshan dekha hoga. Jis vajah se usne tumhari khushi ke liye, khud se mere se baat ki aur fir tumhe mumbai dikhane ke bahane se mere sath ghumne ki ijajat bhi de di.”

“Jitna pyar wo tumko karti hai, utna pyar tumhe koi nahi kar sakta. Wo sirf tumse hi nahi, balki tumse judi har chij se pyar karti hai. Ab meri baat tumhari samajh me aayi ya fir mai is baat ko aur bhi jyada saaf karke batau.”

Priya ki is baat par maine hanste huye us se kaha.

Mai bola “haan, haan, meri samajh me sab kuch aa gaya hai. Lekin ab bahut jyada raat ho gayi hai. Ab yadi tumhara baat karna ho gaya ho to, hume so jana chahiye.”

Priya boli “ok, apna aur tripti ka khayal rakhna. Good night.”

Mai bola “ok kal baat karte hai. Good night.”

Itna bol kar maine priya ka call rakh diya. Priya ka call rakhne ke bad, maine keerti se kaha.

Mai bola “ye le, meri priya se bhi baat ho gayi. Ab tu bata ki, kya tujhe abhi bhi lagta hai ki, priya aur nikki ek sath hai.”

Meri ye baat sunkar, keerti ne hasna suru kar diya aur mere gaal par chutki kaatte huye kaha.

Keerti boli “haan, wo dono ek sath hi hai. Tabhi to nikki se baat karte samay priya ka call bhi aa gaya tha.”

Mai bola “ye to usne ye dekhne ke liye lagaya tha ki, mai use call kyo nahi kar raha hu.”

Keerti boli “nahi, aisa nahi hai. Nikki se tumhari jyada lambi baat chalti dekh kar hi, priya ne tumhe call lagaya tha. Taki tum nikki ka call rakh kar, us se baat karo. Yadi aisa nahi hota to, tumhara call busy dekh kar, use ye lagta ki, tum mujhse baat kar rahe ho.”

“Aise me use humari baat me rukawat dalne ka pachhtawa hota aur wo sabse pahle tumse humari baat me rukawat dalne ke liye sorry bolti. Lekin uski baton se aisa kuch bhi samajh me nahi aa raha tha.”

Keerti ki baat sunkar mai hairani se usko dekhne laga. Lekin mujhe aisa hone me bhi koi badi bhari baat najar nahi aa rahi thi. Isliye maine keerti ki is baat ko kaatte huye us se kaha.

Mai bola “chal mai maan leta hu ki, is samay priya aur nikki ek sath hai. Lekin unka ek sath rahna koi badi baat nahi hai. Kyoki nikki priya ki vajah se hi uske ghar me rahti hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne thoda gambhir hote huye kaha.

Keerti boli “tumko kya lagta hai ki, tumko waha par itne saare logon ka pyar aur sath kiski vajah se mila hai.”

Keerti ki is baat par maine bina ek pal ki der kiye hi, us se kaha.

Mai bola “isme lagna kya hai. Tu khud janti hai ki, ye sab riya aur nikki ki vajah se hi hua hai. Yadi riya mujhe apne ghar nahi le gayi hoti aur waha meri nikki se mulakat nahi hoti to, mai itne logon se kabhi nahi mil pata.”

Meri is baat par keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “kya tumne kabhi is baat ko socha hai ki, jab pahle din hi tumne nikki ke sath jhagra kar liya tha to, fir wo dusre din khud se tumhari madad karne ke liye kyo aakar khadi ho gayi thi.”

Mai bola “isme sochna kya hai. Usne khud bataya tha ki, us hospital me uski ek friend ke bhai doctor hai. Wo unhe bhai manti hai aur un se hum logon ko bahut madad mil jayegi. Jis vajah se wo humare sath gayi thi.”

Keerti boli “pahle mujhe bhi nikki ki ye baat sahi lag rahi thi. Lekin priya tumhe kab se pyar karti hai. Ye baat janne ke bad, ab mujhe in sab baton ki sachchai kuch aur hi najar aa rahi hai.”

Keerti ki is baat ko sunkar, mai samajh gaya tha ki, uska ishara kis taraf hai. Isliye maine chuakte huye kaha.

Mai bola “tu kahna kya chahti. Kahin tujhe is sabke pichhe priya to najar nahi aa rahi hai.”

Keerti boli “haan, sach yahi hai ki, is sab ke pichhe priya hi hai. Jis din tumhare mumbai jaane ki baat tay huyi thi. Tumne usi din riya ko bata diya tha ki, tum mumbai aa rahe ho. Ye baat agle din riya ne apne ghar walon ko batayi hogi.”

“Priya ne to tumhari tasvir pahle hi riya ke mobile me dekh li thi. Jab use pata chala hoga ki, tum aa rahe ho to, usne kisi tarah se tum logon ko apne ghar me rukwane ke liye apne ghar walon ko taiyar kar liya hoga.”

“Fir waha par tumhare nikki se jhagra kar lene ke bad bhi, usne nikki ko tumhare sath jaane ke liye majbur kiya hoga. Jiske bad tumhari nikki se dosti ho gayi aur hum har baat hone ki vajah nikki ko hi samajhne lage the.”

Itna bol kar keerti chup ho gayi. Lekin uski is baat ne mujhe sochne par majbur kar diya tha. Lekin abhi bhi mere man me kuch aise sawal the. Jinki vajah se mai keerti ki is baat ko sach manne ke liye taiyar nahi tha.

Keerti ko bhi shayad ye baat mehsus ho gayi thi ki, mujhe uski is baat par yakin nahi ho raha hai. Isliye usne mujhse kaha.

Keerti boli “kya hua.? Kya tumhe meri ye baat sahi nahi lag rahi hai.”

Keerti ki baat sunkar, maine apni khamoshi todte huye kaha.

Mai bola “tu shayad bhool gayi hai ki, mere kisi ladki ko pyar karne wali baat, nikki ko pahle din hi pata chal gayi thi. Jabki priya ko ye baat mere janamdin ke din pata chali thi.”

“Yadi nikki priya ki vajah se hi mera sath de rahi hoti to, usne ye baat pahle din hi priya ko bata di hoti. Lekin nikki ne aisa kuch bhi nahi kiya. Jiska matlab saaf hai ki, jaisa tu kah rahi hai, waisa kuch bhi nahi hai.”

Meri is baat ko sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “bhool mai nahi rahi hu. Bhool to tum rahe ho ki, priya dil ki marij hai aur tumhare ghar chhod kar chale jaane se hi uski kya halat ho gayi thi. Inhi sab baton se bachne ke liye nikki ne priya se ye baat chhupa kar rakhi hogi.”

“Warna tum khud soch kar dekho ki, jo nikki tumse dosti nibhane me pichhe nahi hati. Wo apni bachpan ki saheli ke sath dosti me kaise dhokha kar sakti hai. Tum mano ya na mano. Lekin sach wo hi niklega, jo maine tumse bataya hai.”

Itna bol kar keerti chup ho gayi. Lekin ab mujhe bhi uski in baton par yakin hone laga tha. Isliye maine us se shikayat karte huye kaha.

Mai bola “jab tujhe in sab baton ka aehsas pahle se hi tha to, tune mujhe ye baat pahle kyo nahi batayi.”

Keerti boli “nahi, mujhe in baton ka aehsas pahle se nahi tha. Mere dimag me ye baten tab aayi, jab mujhe pata chala ki, priya tumhe pichhle ek saal se janti hai. Isi vajah se maine priya se ankita nahi tripti ban kar baat ki thi.”

“Taki der saver yadi use nikki se is baat ka pata chal bhi jaye ki, tum kis ladki ko pyar karte ho to, uske dil ko is baat ki thes na lage ki, tumne kisi galat ladki se uski baat karwayi thi.”

Keerti ki ye baat sunkar, mujhe priya ki kahi baat yaad aa gayi ki, tripti sirf tumse hi nahi, balki tumse judi har chij se pyar karti hai. Ye baat yaad aate hi, mere chehre par muskurahat aa gayi.

Mai muskurate huye bade gaur se uska chehra dekhne laga. Mujhe itni gaur se apna chehra dekhte dekh kar, keerti ne mujhe tokte huye kaha.

Keerti boli “kya hua.? Mujhe dekh kar muskura kyo rahe ho.”

Mai bola “kuch nahi, mai ye dekh raha hu ki, aaj teri aankhon me nind nahi hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne mujhe jor se apni bahon me jakad liya aur fir dhire se kaha.

Keerti boli “nahi, aaj mujhe nahi sona, aaj to hum saari raat baat karege.”

Mai bola “nahi, abhi teri tabiyat sahi nahi hai. Abhi tera jyada jagna thik nahi hai. Ab bahut raat ho gayi hai. Ab tu so ja.”

Ye kahte huye maine keerti ki aankhon par hatheli fer kar, uski aankhen band kar di aur fir uske sar par hath ferne laga. Usne apni aankhne nahi kholi. Lekin dhire se mujhse kaha.

Keerti boli “ek baat puchhu.”

Mai bola “tujhse kaha na, ab koi baat nahi. Baki ki baat kal karege.”

Keerti boli “sirf ek aakhiri baat.”

Mai bola “chal puchh le.”

Keerti boli “tum jab se aaye ho. Tumhe ek baar bhi mausa ji dikhayi nahi diye hai. Tab bhi tumne kisi se iske baare me nahi puchha. Kya tumko pata hai ki, mausa ji kaha hai.”

Mai bola “mujhe nahi pata ki, wo kaha hai aur na hi mujhe iske baare me pata karne ki jarurat hai. Magar mai itna jarur janta hu ki, vaani didi ke aate hi, unka koi na koi business tour nikal aata hai. Abhi bhi shayad wo kisi business tour par hi chale gaye hoge.”

Meri baat sunkar, keerti khilkhila kar hasne lagi. Lekin meri baat ke jabab me usne kuch bhi nahi kaha. Jiska matlab saaf tha ki, maine abhi jo baat kahi hai, wo puri tarah se sahi hai.

Iske bad na to keerti ne kuch kaha aur na hi maine us se kuch kaha. Wo mujhe mujhe pakad kar leti rahi aur mai uske sar par hath ferta raha. Kuch hi der me uski nind lag gayi aur uska chehra dekhte dekhte pata nahi kab meri bhi nind lag gayi.

Subah keerti ki aawaj sunkar meri nind khul gayi. Lekin mujhe abhi bhi bahut nind aa rahi thi. Fir bhi keerti ki aawaj sunkar, maine aankh kholi to, wo mere kamre ke darwaje par khadi, chanda mausi ko aawaj laga rahi thi.

Maine use is tarah apne darwaje par khade hokar chillate dekha to, us par chid-chidate huye kaha.

Mai bola “ye tu subah subah apna gala faad kar chillana band kar aur mujhe chain se sone de.”

Itna bol kar, maine fir se sone ke liye apni aankh band kar li. Lekin meri aawaj sunte hi, keerti mere pas aa gayi aur mujhe hilate huye kaha.

Keerti boli “tum ghode bech kar bade aaram se so rahe ho. Jara uth kar dekho ki, tumhari ladli ne, tumhare kamre ke sath sath, pure ghar ka kya haal bana kar rakh diya hai.”

Keerti ki baat sunkar, maine fir se aankh kholi aur kamre me yaha waha dekhne laga. Lekin mujhe kahi koi baat najar nahi aayi. Magar jaise hi meri najar farsh par padi, ek pal me hi meri saari nind gayab ho gayi aur mai hadbada kar, uth kar baith gaya.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 193}
____________________________

Subah keerti ki aawaj sunkar meri nind khul gayi. Lekin mujhe abhi bhi bahut nind aa rahi thi. Fir bhi keerti ki aawaj sunkar, maine aankh kholi to, wo mere kamre ke darwaje par khadi, chanda mausi ko aawaj laga rahi thi.

Maine use is tarah apne darwaje par khade hokar chillate dekha to, us par chid-chidate huye kaha.

Mai bola “ye tu subah subah apna gala faad kar chillana band kar aur mujhe chain se sone de.”

Itna bol kar, maine fir se sone ke liye apni aankh band kar li. Lekin meri aawaj sunte hi, keerti mere pas aa gayi aur mujhe hilate huye kaha.

Keerti boli “tum ghode bech kar bade aaram se so rahe ho. Jara uth kar dekho ki, tumhari ladli ne, tumhare kamre ke sath sath, pure ghar ka kya haal bana kar rakh diya hai.”

Keerti ki baat sunkar, maine fir se aankh kholi aur kamre me yaha waha dekhne laga. Lekin mujhe kahi koi baat najar nahi aayi. Magar jaise hi meri najar farsh par padi, ek pal me hi meri saari nind gayab ho gayi aur mai hadbada kar, uth kar baith gaya.

Mere pure kamre me paani bhara hua tha. Jab mujhe iski vajah samajh me nahi aayi to, maine keerti se puchha.

Mai bola “ye sab kya hai.? Ye kisne kiya hai.?”

Meri baat sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “ye saari karamat tumhari ladli nimi ki hai. Usne hi saare ghar ko pani se bhar kar rakh diya hai.”

Keerti ki baat sunkar maine chaukte huye kaha.

Mai bola “lekin nimi mere kamre me kya kar rahi thi aur usne ye sab kyo kiya.”

Keerti boli “aaj use swimming pool me nahane ka shauk chada tha. Wo apne bathroom me swimming pool banana chahti thi. Lekin ami ne use aisa nahi karne diya. Mai apna mobile tumhare kamre me bhool gayi thi aur usi samay apna mobile lekar tumhare kamre se nikal rahi thi.”

“Nimi ne mujhe tumhare kamre se bahar nikalte dekh liya aur mere bad wo tumhare kamre me ghus gayi. Fir usne tumhare bathroom me pani ki nikasi ko kapde se band kar diya aur bathroom ko pani se bhar kar nahane lagi. Usne socha hoga ki, kapde laga dene se pani bahar nahi aayega.”

“Lekin pani pahle tumhare kamre me faila aur fir dhire dhire tumhare kamre se bahar nikal kar sidiyon se niche jaane laga. Niche pani aata dekh kar chanda mausi bhagti huyi upar aa gayi. Usi samay mai bhi apne kamre se bahar nikal kar aa rahi thi.”

“Maine chanda mausi ko upar aate dekha aur tumhare kamre se pani bahar nikalte dekha to, chanda mausi ke sath mai bhi tumhare kamre me aa gayi. Tumhare kamre me aakar humne dekha ki, pani tumhare bathroom se nikal raha hai aur bathroom ke andar koi hai.”

“Hum logon ne aawaj laga kar darwaja khulwaya aur nimi ke darwaja kholte hi, bahut saara pani bahar nikal kar tumhare kamre me bhar gaya. Tabhi mausi bhi upar aa gayi thi aur gusse me nimi ko pakad kar niche le gayi hai.”

Keerti ki ye baat sunte hi, mai fauran uth kar khada ho gaya aur kamre se bahar jaane laga. Mujhe kamre se bahar jate dekh kar, keerti ne kaha.

Keerti boli “ab tum kaha ja rahe ho.”

Mai bola “mai us nimi ki bachchi ki khabar lene ja raha hu. Usne mere kamre ka kya haal bana kar rakh diya hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “rahne do, ye tumse nahi hoga. Tumhare jaane se mausi bhi use kuch nahi bol payegi.”

Lekin maine keerti ki baton ko ansuna kar diya aur kamre se bahar jaane laga. Mujhe niche jate dekh kar, keerti bhi bhagte huye, mere pichhe pichhe aa gayi. Hum dono niche pahuche to, chhoti maa nimi par gussa kar rahi thi.

Nimi sirf ek underwear me unke samne sar jhuka kar khadi chhoti maa ki daant sun rahi thi. Lekin jaise hi uski najar mujh par padi, wo bhagte huye mere pas aa gayi. Mere pas aate hi, usne sisakna suru kar diya.

Apni masum bahan ko sisakte dekh kar, mera dil bhar aaya aur mai apna saara gussa bhool gaya. Maine fauran use apni god me utha liya aur use bahlate huye chup karane ki koshish karne laga.

Chhoti maa ne mujhe nimi ko chup karate dekha to, wo nimi ka gussa mujh par utarne lagi. Lekin mai unke gusse ko andekha karke, nimi ko apne sath apne kamre me lekar aa aaya.

Mere sath sath keerti aur ami bhi upar aa gayi. Upar aakar maine kisi tarah nimi ko chup karaya aur fir use bahla kar ami ke sath uske kamre me bhej diya. Unke mere kamre se jaane ke bad, keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “mujhe pahle hi pata tha ki, tum nimi ko kuch nahi kah paoge aur tumhare niche pahuch jaane se mausi bhi nimi ko kuch nahi kah payegi.”

Keerti ki is baat par maine use jhutha gussa dikhate huye kaha.

Mai bola “ye sab tera hi kiya hua hai. Na tu nimi ke samne mere kamre se bahar nikalti aur na hi ye sab hua hota.”

Meri is baat par keerti ne tunakte huye kaha.

Keerti boli “ulta chor, kotwal ko daante. Tumhare kamre me itna sab hota raha aur tum aaram se ghode bech kar sote rahe. Ab saara dosh mujhko de rahe ho. Yadi ye sab mere tumhare kamre me aane ki vajah se hua hai to, aaj ke bad mai tumhare kamre me nahi aaugi.”

Maine keerti ki is baat ko sunkar, apni safayi dena chaha. Lekin wo meri baat ko ansuna karke, mere kamre se bahar nikal gayi. Mai to majak me use chhed raha tha. Lekin wo sach me naraj ho gayi thi.

Kuch der mai keerti ki narajgi ke baare me sochta raha aur fir uth kar fresh hone chala gaya. Mai fresh hokar aaya to, chanda mausi chay nashta lekar aa gayi. Chay nashta karne ke bad, mai taiyar hokar niche aa gaya.

Mai niche pahucha to, keerti akeli baithi thi. Mujhe dekhte hi, usne muh fula liya. Chhoti maa kitchen me keerti ka nashta banane ki taiyari ka rahi thi. Maine unke pas aakar un se kaha.

Mai bola “chhoti maa, aaj keerti ka nashta mai taiyar karuga. Aap jakar bahar baithiye.”

Meri baat sunkar, chhoti maa hasne lagi aur mujhe bahar jaane ke liye samjhane lagi. Lekin maine unki koi baat nahi suni aur unhe kitchen se jana hi pad gaya. Unke jaane ke bad, mai nashta taiyar karne me lag gaya.

Chhoti maa ne shayad, bahar jakar ye baat keerti ko bata di thi. Isliye thodi hi der bad, wo kitchen me aa gayi. Usne apni narajgi ko bhula kar muskurate huye kaha.

Keerti boli “kya mausi ke nashte se mai kam pareshan thi, jo ab tum bhi mujhe pareshan karne ke liye nashta banane me lag gaye.”

Keerti ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “kabhi tune mere hath ka bana nashta nahi kiya hai na. Isliye tujhe aisa lag raha hai. Aaj tu mere hath ka bana nashta karke dekh, tujhe tel masale wala khana bhi feeka lagne lagega.”

Meri baat sunkar, keerti hasne lagi. Fir wo mere pas hi baith gayi aur mujhe nashta banate huye dekhne lagi. Keerti se baat karte karte, maine nashta taiyar kar liya aur fir keerti ko bahar chal kar baithne ko kaha.

Keerti ke bahar jaane ke bad, maine nashta lagaya aur nashta lekar bahar aa gaya. Keerti, chhoti maa aur vaani didi ke sath baithi huyi thi. Mujhe nashta late dekh kar, keerti aur chhoti maa hasne lagi.

Usi samay chanda mausi upar se ami nimi ko lekar aa gayi. Wo dono humare pas chup chap khadi hokar dekhne lagi ki, yaha par kya chal raha. Wahi vaani didi ne jab mujhe nashta late dekha to, mujhe fatkarte huye kaha.

Vaani boli “kya tum mumbai ye sab hi sikhne gaye the, jo waha se aate hi nayi bahu ki tarah kitchen sambhal liya. Ek ladka hokar, ladkiyon wale kaam karte, tumko sharam aana chahiye. Lekin tum to apni saari sharam bech khaye ho.”

Vaani didi ki baat sunkar, maine nashta keerti ke samne rakh kar, use nashta karne ko kaha aur fir vaani didi ki is baat ka jabab dete huye kaha.

Mai bola “didi, jab ladkiyon ke ladkon wale kaam karne me koi sharam wali baat nahi hoti hai to, fir ladkon ke ladkiyon wale kaam karne me sharam wali baat kaise ho gayi.”

“Waise bhi chhoti maa kahti hai ki, ladka ho ya ladki dono ek saman hai. Jab ladkiyan ladkon ke kaam karne me pichhe nahi rahti hai to, fir ladkon ko bhi kisi kaam me ladkiyon se pichhe nahi rahna chahiye.”

“Maine ye sab mumbai se nahi, balki chhoti maa se seekha hai. Mumbai jakar to, maine sirf itna jana hai ki, meri chhoti maa duniya ki sabse achi maa hai aur unki sikhayi kisi baat ke liye, mujhe sharam mehsus karne ki jarurat nahi hai.”

Itna kah kar mai muskurate huye, vaani didi ke pas baithi chhoti maa ke pas aa gaya aur unke gale me bahen daal kar un se lipat gaya. Vaani didi ne meri baat sunne ke bad, ek najar nashte ki taraf dekha aur fir mujhse kaha.

Vaani boli “lekin tumko malum hai ki, abhi keerti ki tabiyat sahi nahi hai aur uske liye ye sab khana mana hai. Aise me tumko uske liye ye sab nahi banana chahiye tha.”

Vaani didi ki baat sunte hi, ami ki samajh me aa gaya ki, keerti ka nashta maine banaya hai aur usi baat par vaani didi mujhe fatkar laga rahi hai. Ye baat samajh me aate hi, ami nashte ke upar jhuk kar uski khushbu lene lagi.

Ami ki is harkat se, sab hairani se uski ko dekhne lage. Ami ne nashte ki khushbu ko sungha aur fir vaani didi se mera bachav karte huye kaha.

Ami boli “didi, ye to daliya, papita aur nibu pani hai. Mummy bhi to keerti didi ko nashte me ye hi sab bana kar khilati hai. Bhaiya ne inko dusre tarike se banaya hai. Isliye ye aise dikh rahe hai.”

“Hum log to ise bahut baar kha chuke hai aur hume ye bahut jyada pasand hai. Aap bhi yadi ek baar bhaiya ke hath ka bana daliya kha logi to, aap apni biryani ko khana bhool jaogi.”

Ami ki baat sunkar, vaani didi gaur se ami ka chehra dekhne lagi. Sabhi jante the ki, vaani didi ko biryani bahut pasand hai. Isliye ami ne unhe biryani ki misal di thi. Lekin ab jab ami mere banaye nashte ki tarif kar rahi thi to, aise me nimi ka is kaam me pichhe rahne ka sawal hi paida nahi hota tha.

Nimi ne bhi fauran ami ki tarah aage aakar, pahle nashte ki khushbu lene ka natak kiya aur fir vaani didi se kaha.

Nimi boli “didi, bhaiya ke hath ka bana daliya itna testy hota hai ki, uske samne halwa bhi fail hai. Mai to apne janamdin me sabko yahi daliya banwa kar khilaugi.”

Nimi ki ye baat sunte hi, sabke sath sath vaani didi ki bhi hansi chhut gayi. Lekin nimi me itna dimag nahi tha ki, wo humare hasne ka matlab samajh sake. Isliye usne humari hansi ko andekha kar, keerti ke pas baithte huye, us se kaha.

Nimi boli “didi, mujhe bhi aapka nashta karna hai.”

Nimi ki baat sunkar, keerti uski taraf nashta badane lagi. Lekin maine keerti ko aisa karne se rokte huye kaha.

Mai bola “tu inki fikar mat kar, mujhe pahle se hi pata tha ki, ye dono jarur aisa kuch karegi. Isliye maine inke liye bhi nashta bana liya tha. Tu apna nashta kar, mai inke liye nashta lekar aata hu.”

Ye kahte huye mai ami nimi ke liye nashta lene jaane laga. Lekin tabhi vaani didi ne mujhe tokte huye kaha.

Vaani boli “abhi maine bhi nashta nahi kiya hai. Mere liye bhi thoda nashta le aana.”

Vaani didi ki baat sunte hi, mere chehre par muskurahat aa gayi aur mai nashta lene kitchen me chala gaya. Maine sabko nashta lakar diya aur fir chhoti maa ke pas baith kar, sabko nashta karte dekhne laga.

Ami, nimi aur keerti ne to, nashta muh me rakhte hi, nashte ki tarif karna suru kar diya. Ami nimi to aisi thi ki, yadi mai unhe namak ka pani bhi sharbat bol kar de deta to, wo dono isi baat par bahas karti najar aati ki, un dono me se kiska sharbat jyada meetha hai.

Iske bad rahi keerti ki baat to, uske liye, ye hi bahut khushi ki baat ho gayi thi ki, maine uske liye apne hathon se nashta taiyar kiya hai. Wo to mere diye dard me bhi, kabhi koi nukhsh nahi nikalti thi, fir meri di huyi khushi me uske koi nukhsh nikalne ka sawal hi paida nahi hota tha.

In teeno se hi, mere banaye nashte me koi kami jaan pana, bilkul samundar me giri pani ki boond ko dudhne jaisa tha. Jis vajah se in teeno se apne nashte ki tarif sun lene ke bad bhi, meri najar vaani didi par hi tiki huyi thi.

Magar jab nashta ho jaane ke bad bhi vaani didi ne nashte ke baare me kuch nahi bola to, maine khud hi vaani didi se kaha.

Mai bola “didi, aapko nashta kaisa laga.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne apne chehre par bina kisi bhav ko laye, ek najar meri taraf dekha aur fir khade hote huye kaha.

Vaani boli “thik hi hai, mere jaane ke pahle mujhe biryani bana kar bhi khila dena.”

Itna bol kar vaani didi apne kamre ki taraf chali gayi. Lekin vaani didi ke muh se itna sunte hi mera chehra khil utha. Kyoki vaani didi ek hansni ki tarah thi. Jo doodh me mile pani me se sirf doodh ko hi peeti thi aur pani ko chhod deti thi.

Wo chand me bhi daag dud nikalne wali thi. Aise me uske muh se mere hath ke nashte ka thik hona aur mere hath ki biryani khane ki baat nikalna bhi, kisi tarif se kam nahi tha.

Mai to vaani didi ki itni hi baat se khush ho gaya tha. Vaani didi ke humare pas se jaane ke bad, maine palat kar keerti ki taraf dekha. Lekin wo ami nimi ko gaur se dekhne me lagi thi.

Keerti ke sath sath meri najar bhi ami nimi ki taraf chali gayi. Ami nimi gusse me vaani didi ko jate huye dekh rahi thi. Unko shayad vaani didi ki baat pasand nahi aayi thi.

Vaani didi ke jate hi, chhoti maa ne ami nimi ko tokte huye, taiyar hone ko kaha aur apne sath le gayi. Unke jaane ke bad, keerti uth kar mere pas aa gayi aur fir chhoti maa ke kamre me jati, ami nimi ki taraf dekhte huye kaha.

Keerti boli “tumne ami nimi ka gussa dekha. Wo vaani didi ko kaise gusse me ghoor kar dekh rahi thi.”

Keerti ki is baat par maine hanste huye kaha.

Mai bola “isme itna hairan hone wali koi baat nahi hai. Un dono ke samne yadi koi mujhse akad dikha kar baat karta hai ya fir meri baat ka sahi se jabab nahi deta hai to, unko gussa aa hi jaata hai.”

“Lekin humare liye khushi ki baat ye hai ki, ab wo dono pahle wali ami nimi nahi rah gayi hai. Unhe apne gusse par kabu pana aa gaya hai. Warna yadi wo pahle wali ami nimi hoti to, abhi tak vaani didi se jhagarna suru kar deti.”

Meri baat sunkar, keerti ne khilkhila kar hanste huye kaha.

Keerti boli “tum jaisa soch rahe ho, waisa kuch bhi nahi hai. Wo dono abhi bhi tumhare khilaf kuch nahi sun sakti hai. Lekin ye un dono ki majburi hai ki, wo chah kar bhi vaani didi se jhagra nahi kar pa rahi hai.”

Keerti ki is baat par maine hairan hote huye us se kaha.

Mai bola “kyo, kya hua. Kya kisi ne unse kuch kaha hai.”

Keerti boli “vaani didi ne yaha aate hi, gusse me tumhe bahut bhala bura bolna suru kar diya tha. Ye baat ami nimi ko sahan nahi huyi. Un dono ne vaani didi se jhagra karna suru kar diya tha.”

“Mausi dono ko chup karane ki koshish karti rahi. Lekin jab dono chup nahi huyi to, mausi ne gusse me un par hath utha liya. Lekin vaani didi ne mausi ko nimi par hath uthane se rok diya.”

“Iske bad vaani didi ne un dono ko dhamki di thi ki, ab yadi dono me se kisi ne bhi, unke sath badtamiji karne ya un se juban ladane ki koshish bhi ki to, wo un dono ko to, kuch nahi kahegi. Lekin tumhe apne sath puna lekar chali jayegi.”

“Us samay mausi ne bhi vaani didi ki haan me haan milate huye unse kah diya ki, ab yadi wo dono vaani didi ke sath koi badtamiji karti hai to, vaani didi ko tumhe apne sath puna le jaane ki puri chhut hai.”

“Isi vajah se wo dono vaani didi ki kisi baat ko sunkar bhi unke sath koi badtamiji nahi kar rahi hai aur na hi un se juban ladane ki galti kar rahi hai.”

Keerti ki ye baat sunkar, mai soch me pad gaya. Mujhe soch me pada dekh kar keerti ne iski vajah puchhi to, maine us se kaha.

Mai bola “ab mujhe samajh me aa raha hai ki, airport se lekar abhi tak ami nimi, vaani didi ki har baat ko sunkar bhi chup kyo hai. Lekin ye sirf tufan ke aane ke pahle ki shanti hai. Wo itni jaldi haar manne walon me se nahi hai.”

Meri is baat par keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “tum bilkul sahi soch rahe ho. Maine un dono ki baten suni thi. Wo dono sirf tumhare aane ka intejar kar rahi thi aur ab tumhare sath mil kar vaani didi ko sabak sikhayegi.”

“Abhi unko tumse baat karne ka mauka nahi mila hai. Isliye wo abhi tak shant chal rahi hai. Lekin tumse baat hote hi, wo tumhare samne sabse pahle vaani didi ko sabak sikhane wali baat rakhne wali hai.”

Itni baat bol kar keerti fir se khilkhilane lagi. Lekin uski is baat ne mujhe aur bhi jyada soch me daal diya tha. Mujhe soch me pada dekh kar, keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “abhi to jang suru bhi nahi huyi aur tum abhi se soch me pad gaye.”

Mai bola “tujhe majak sujh raha hai. Tu nahi janti ki, ami nimi mujhe vaani didi ko sabak sikhane ke liye kis kis tarike se taiyar karegi aur kya tu vaani didi ke gusse ko nahi janti hai ki, wo jara si bhi badtamiji sahan nahi karti hai.’

“Tune dekha to tha ki, kaise un ne mehul ko pata chale bina hi, use dhool chata di thi. Ab pata nahi mera kya haal hone wala hai. Mai to yaha wapas aakar fas gaya hu. Is se acha to ye hi hota ki, mai kuch din mumbai me aur ruk jata.”

Meri baat sunkar, keerti fir se khilkila kar hasne lagi. Lekin mai use kuch bol pata, us se pahle hi, mehul ka call aane laga. Mai apna gussa us par utarna chahta tha. Magar mere kuch bol pane ke pahle hi, usne mujhse kaha.

Mehul bola “sun, mai kuch din ke liye mama ke ghar ja raha hu aur mera number band rahega.”

Mehul ki baat sunkar, mujhe samajh me aa gaya ki, wo achanak mama ke ghar kyo bhag raha hai. Maine keerti ko mehul ke jaane ki baat batayi to, usne mere hath se mobile le liya aur mehul se baat karne lagi.

Keerti ne mehul ko samjha diya ki, usne vaani didi ko sab samajha diya hai. Wo unse phone par baat karke unse sorry bol de to, vaani didi ka raha saha gussa bhi khatam ho jayega aur use unse muh nahi chhupana padega.

Mehul ki vaani didi ko call karne ki himmat to nahi ho rahi thi. Fir bhi keerti ke samjhane par usne aisa karne ki haami bhar di. Mehul ke call rakhne ke bad, keerti ne hanste huye kaha.

Keerti boli “vaani didi ko dekhte hi, sab ke sab ghar chhod kar bhagne ki kyo sochne lagte hai.”

Mai keerti ki baat sunkar, us par gussa karne laga aur wo mujhe isi baat ko lekar pareshan karne lagi. Tabhi chhoti maa ami nimi ke sath aa gayi. Wo shayad kahi jaane ki taiyari me thi.

Abhi mai unse iske baare me puchh pata ki, tabhi vaani didi bhi niche aa gayi. Wo bhi kahi jaane ki taiyari me lag rahi thi. Vaani didi ko aate dekh kar chhoti maa ne mujhse kaha.

Chhoti maa boli “mai ami nimi ke sath keerti ko doctor ko dikhane le ja rahi hu. Vaani apne kaam se bank ja rahi hai. Tum bhi vaani ke sath bank chale jao aur tumhare khate me, jitne bhi paise hai. Unme se das hajar chhod kar, baki sab mere khate me daal do.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, maine chaukte huye unse kaha.

Mai bola “lekin chhoti maa mere khate me pahle se hi dedh lakh rupye se jyada the. Mai aisa karta hu ki, dedh laakh rupye apne khate me chhod kar, baki aapke khate me daal deta hu.”

Lekin chhoti maa ne meri baat ko kaatte huye kaha.

Chhoti maa boli “maine tumse jitna karne ko kaha hai, sirf utna karo. Mujhe kuch samjhane ki koshish mat karo.”

Mai bola “lekin chhoti maa….”

Magar chhoti maa ne meri baat ko bich me hi kaatte huye kaha.

Chhoti maa boli “tumne suna nahi, maine kya kaha. Ab iske bad mai kuch bhi sunna nahi chahti.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai chup karke rah gaya. Apni baat kahne ke bad, chhoti maa, keerti logon ko lekar chali gayi. Lekin jate jate wo mera saara mood kharab kar gayi thi aur ek pal me hi mujhe kangal bana gayi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 194}
____________________________

Chhoti maa boli “mai ami nimi ke sath keerti ko doctor ko dikhane le ja rahi hu. Vaani apne kaam se bank ja rahi hai. Tum bhi vaani ke sath bank chale jao aur tumhare khate me, jitne bhi paise hai. Unme se das hajar chhod kar, baki sab mere khate me daal do.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, maine chaukte huye unse kaha.

Mai bola “lekin chhoti maa mere khate me pahle se hi dedh lakh rupye se jyada the. Mai aisa karta hu ki, dedh laakh rupye apne khate me chhod kar, baki aapke khate me daal deta hu.”

Lekin chhoti maa ne meri baat ko kaatte huye kaha.

Chhoti maa boli “maine tumse jitna karne ko kaha hai, sirf utna karo. Mujhe kuch samjhane ki koshish mat karo.”

Mai bola “lekin chhoti maa….”

Magar chhoti maa ne meri baat ko bich me hi kaatte huye kaha.

Chhoti maa boli “tumne suna nahi, maine kya kaha. Ab iske bad mai kuch bhi sunna nahi chahti.”

Chhoti maa ki ye baat sunkar, mai chup karke rah gaya. Apni baat kahne ke bad, chhoti maa, keerti logon ko lekar chali gayi. Lekin jate jate wo mera saara mood kharab kar gayi thi aur ek pal me hi mujhe kangal bana gayi thi.

Mai chhoti maa ki is baat se jara bhi khush nahi tha. Lekin mere pas unki baat manne ke siwa koi rasta bhi nahi tha. Mai vaani didi ke sath bank chala gaya. Waha pahuch kar vaani didi apna kaam niptane me lag gayi.

Jab unka kaam ho gaya to, unne mujhse chhoti maa ke khate me paise dalne ko kaha. Mai gusse me apne khate me sirf ek hajar rupye chhod kar, baki saare paise chhoti maa ke khate me dalne laga.

Meri is harkat ko dekh kar vaani didi chauk gayi. Unne mujhe tokte huye kaha.

Vaani boli “tum ye kya kar rahe ho. Mausi ne das hajar rupye tumhare khate me chhodne ko kaha tha. Tumhari is harkat se wo gussa ho jayegi.”

Mai bola “wo gussa hoti hai to, ho jaye. Jab un ne mere baare me kuch nahi socha to, ab mujhe bhi unke baare me kuch nahi sochna. Ab mujhe kuch nahi chahiye.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne mujhe samjhate huye kaha.

Vaani boli “kya tum pagal ho. Jo itni si baat par apna mood kharab kar rahe ho. Tumhe jab kabhi paison ki jarurat ho, tum mausi se le sakte ho. Mujhe nahi lagta ki, wo tumhe kabhi paise dene ke liye mana karti hogi. Fir is baat par itna gussa karne ki kya jarurat hai.”

Mai bola “didi, mai manta hu ki, chhoti maa mujhe kabhi paise ke liye mana nahi karti hai. Lekin ye paise maine badi mushkil se jode the aur un ne mujhe ek pal me hi kangal bana kar rakh diya.”

Meri is baat par vaani didi ne ulta mujhse sawal karte huye kaha.

Vaani boli “ek baat batao, yadi mausi ne shikha ki shadi me kharcha nahi kiya hota to, kya ye dedh lakh rupye abhi bhi tumhare pas hote. Kya tumhe tab bhi apne paise kharch hone ka dukh ho raha hota.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mai chup karke rah gaya. Kyoki unki ye baat sahi thi. Yadi chhoti maa ne shadi me kharch na kiya hota to, yakinan mai apne saare paise shadi me kharch kar chuka hota.

Ye sab baten samajh lene ke bad bhi, mera mood sahi hone ka naam nahi le raha tha. Mera mood sahi na hote dekh kar, vaani didi ne apni cheque book nikali aur dedh lakh ka ek cheque bhar kar meri taraf badate huye kaha.

Vaani boli “ye cheque tum rakh lo. Abhi jaisa mausi ne kaha hai, waisa kar lo. Bad me ye cheque apne khate me daal dena.”

Mai bola “nahi didi, mai ye nahi le sakta. Chhoti maa ko ye baat pata chalegi to, wo mujhse naraj ho jayegi.”

Vaani boli “are mausi ko ye baat kaun batayega. Mai mausi se kuch nahi kahugi aur tum bhi unko kuch mat batana. Ab tum sidhe tarike se ise rakh lo.”

Mai bola “didi aap samajhti kyo nahi. Yadi in paison ka unhe pata hi nahi chalne dena hai to, mere liye in paison ka koi matlab hi nahi hai. Mujhe sach me paise nahi chahiye.”

Meri baat sunkar, vaani didi ko shayad meri baat ka matlab samajh me aa gaya tha. Unne mujhse kaha.

Vaani boli “kahin tum mausi ke janamdin ke liye to, ye paise nahi jod rahe the.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, meri aankhon me aansu tair gaye. Sach wo hi tha, jo vaani didi ne kaha tha. Mai chhoti maa ke janamdin ke liye, pichhle ek saal se paise jod raha tha aur un ne ek pal me hi meri saari mehnat par pani fer diya tha.

Meri aankhen aansuon se bhari dekh kar, vaani didi ne mere aansu pochhte huye kaha.

Vaani boli “mere pagal bhai, isme itna dukhi hone wali kya baat hai. Tumhare wo paise, mai tumko mausi se wapas dila dugi.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mai gaur se vaani didi ki taraf dekhne laga. Is samay wo bilkul barkha didi ki tarah baat kar rahi thi. Barkha didi ko bhi jab mere upar bahut pyar aata tha to, wo isi tarah se mujhe “mere bhai” kah kar bulati thi.

Mai vaani didi ko barkha didi ki vajah se gaur se dekh raha tha. Lekin vaani didi ko mere is tarah se dekhne ki kuch aur vajah samajh me aayi aur unne mujhse kaha.

Vaani boli “kya hua, kya tumhe meri baat par yakin nahi ho raha hai ya fir tumhe is baat ka dar sata raha hai ki, mai ye baat mausi ko bata dugi.”

Vaani didi ki baat sunkar, maine un se kaha.

Mai bola “nahi didi, aisi koi baat nahi hai. Lekin aap chhoti maa se wo paise wapas karne ke liye kuch mat boliyega. Warna unko is baat se dukh pahuchega.”

Meri is baat par vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani boli “dukh to, mausi ko tumhare ye sab karne se bhi hoga. Kyoki unko ye hi lagega ki, tumko unki baat manne se taklif pahuchi hai. Agar tum unko dukh pahuchana nahi chahte ho to, jaisa un ne kaha hai, waisa hi karo.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, maine chhoti maa ke kahe anusar, apne khate me das hajar chhod kar, baki ke paise unke khate me daal diye. Iske bad, hum log ghar ke liye nikal pade. Ghar jati samay raste me vaani didi ne mujhse kaha.

Vaani boli “waise mujhe ye baat tumko batana to, nahi chahiye. Lekin tum apne paise jaane se bahut pareshan ho. Isliye tumko bata deti hu ki, mausi ne tumse saare paise kyo le liye hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mai hairani se unki taraf dekhne laga. Vaani didi ne meri is hairani ko door karte huye kaha.

Vaani boli “mausi ne tumhari khushi ke liye, shikha ki shadi me pani ki tarah paisa bahaya tha. Lekin ab unko is baat ka dar bhi sata raha hai ki, kahi paise ki ye chaka chaundh dekh kar tum bahak na jao. Isliye ab wo tumhare sath sakhti se kaam le rahi hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ek baar fir meri aankhon me nami aa gayi. Lekin maine apni aankhon ki nami ko saaf kiya aur pahli baar muskurate huye kaha.

Mai bola “didi bhala ye kya baat huyi. Chhoti maa ko meri kis baat se aisa laga ki, mai paison ki chaka chaundh dekh kar bahak jauga. Mai to un se bina puchhe kuch bhi nahi karta hu aur har kaam ke liye paise bhi un se hi leta hu.”

Vaani boli “kya tum bhool gaye ho ki, tum mumbai se sabke liye kitni saari shopping karke aaye ho. Yahi sab dekh kar, unko laga ki, ab tumko fijul kharchi karne ki aadat lag gayi hai.”

Vaani didi ki is baat ne mujhe aur bhi jyada hairan karke rakh diya tha. Kyoki abhi tak maine apni ki gayi shopping ke baare me kisi ko bataya hi nahi tha. Raat ko ami nimi jarur iske baare me puchh rahi thi.

Lekin maine unhe bhi subah ke liye taal diya tha. Aise me meri ki gayi shopping ka chhoti maa ko kaise pata chala, ye baat mujhe samajh me nahi aayi aur maine vaani didi se kaha.

Mai bola “lekin didi, abhi to maine apni shopping ka kisi ko kuch bataya bhi nahi hai. Fir chhoti maa ko shopping ka kaise pata chal gaya.”

Vaani boli “jab mai sokar uthi to, sidhe niche aa gayi thi. Us samay keerti tumhare bag khol khol kar mausi ko dikha rahi thi. Tumhari shopping se bhare 5 bag dekh kar, mausi ka dimag ghoom gaya.”

“Unko laga ki, itne saare paise dekh kar, tumhara dimag fir gaya hai aur tumne shopping karne me pani ki tarah paisa bahaya hai. Isi vajah se tumhare kharche par lagam lagane ke liye un ne ye kadam uthaya hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, mujhe samajh me aaya ki, ye saari aag keerti ki lagayi huyi hai. Ami nimi ne to meri baat sunkar, sabar kar liya tha. Lekin keerti ki is besabri ne mujhe kangal bana kar rakh diya tha.

Us par bhi, jab chhoti maa mujhe ye sab karne ka hukum suna rahi thi to, wo aisi bholi ban rahi thi ki, jaise use is baare me abhi hi pata chal raha ho aur is baat ko sunkar, use bhi jhatka laga ho.

Keerti ke us samay ke chehre ko yaad karke, mujhe us par gussa nahi, balki uski is harkat par hansi aa rahi thi. Maine muskurate huye vaani didi se kaha.

Mai bola “didi, wo bag dekh kar, aap logon ko galatfahmi ho gayi hai. Wo saare bag meri ki huyi shopping se nahi, balki waha se mile gift se bhare huye hai.”

Vaani boli “ab ye baat tum mujhe nahi, balki mausi ko samjhao. Ho sakta hai ki, tumhari baat sunkar, unka mood badal jaye aur wo tumhare sath sakhti karna band kar de.”

Maine bhi vaani didi ki is baat me, haan me haan milayi aur fir kuch hi der me hum ghar pahuch gaye. Hum jab ghar pahuche to, chhoti maa log bhi wapas aa chuki thi. Mujhe dekhte hi, nimi gift dekhne ki jid karne lagi.

Uski baat sunkar, mai apne saare bag utha kar le aaya. Lekin mere bag dekhte hi, jaha ami, nimi aur vaani didi ke chehre par muskan aa gayi. Wahi chhoti maa ke chehre par narajgi ke bhav aa gaye.

Chhoti maa ka narajgi bhara chehra dekh kar, keerti saham gayi. Lekin vaani didi saari asliyat jaan chuki thi. Isliye usne muskurate huye kaha.

Vaani boli “ab hume bag hi dikhate rahoge ya bag ke andar ka saman bhi dikhaoge.”

Vaani didi ki baat sunkar, maine muskurate huye ek bag khola aur usme se ek fauji ka dress nikal kar, nimi ki taraf bada diya. Apni dress dekh kar nimi khushi se uchhalne lagi.

Fir maine nimi ko ek video game aur kuch khilone nikal kar diye. Nimi ka video game dekhte hi, ami ne gussa hote huye kaha.

Ami boli “bhaiya, ye to bahut galat baat hai. Aapne mujhse vada kiya tha ki, aap mujhe 1000 game wala video game dilayege. Lekin aapne wo game nimi ko dila diya. Ab mujhe aapse kuch nahi chahiye.”

Ami ko gussa hote dekh kar, maine use aankh marte huye kaha.

Mai bola “tu nimi ke video game ko dekh kar kyo jalti hai. Nimi video game ko lekar har jagah thodi ja sakti hai. Mai tere liye ek aisi chij lekar aaya hu. Jo bahut sundar hai aur tu use kahin bhi lekar ja sakti hai.”

Ye kahte huye, maine ek barbie doll nikal kar ami ki taraf bada di. Barbie doll ko dekhte hi, shayad ami ko mere aankh marne ka matlab samajh me aa gaya tha. Usne fauran khushi khushi barbie doll le li.

Asal me mai ami ke liye video game hi laya tha aur nimi ke liye barbie doll laya tha. Nimi ki kamjori doll thi. Lekin sath hi sath, uski aadat ami ke khilono par niyat kharab karne ki bhi thi.

Isi vajah se maine dono ke gift, adla badli karke diye the. Taki nimi khud hi ami ko video game de de aur wahi hua. Ami ke pas barbie doll dekhte hi, nimi ki saari khushi gayab ho gayi aur usne ami ko lalach dete huye kaha.

Nimi boli “didi, yadi aapko video game chahiye hai to, aap mera video game le lijiye aur mujhe apni barbie doll de dijiye. Mai usi se kaam chala lugi.”

Magar nimi ki baat sunkar, ami ne bhav khate huye kaha.

Ami boli “nahi, mujhe tumhara gift nahi chahiye. Tum apni doll ko tod dogi aur bad me apna game mujhse wapas mangne lagogi.”

Ami ki is baat par nimi ne maska lagate huye kaha.

Nimi boli “nahi didi, mai is baar aisa kuch nahi karugi.”

Nimi ki baat sunte hi, maine fauran bich me aate huye ami se kaha.

Mai bola “ammo, jab nimi itne pyar se kah rahi hai to, tu uski baat maan kyo nahi leti. Mai jababdari leta hu ki, wo video game ko hath bhi nahi lagayegi.”

Meri baat sunte hi, ami ne muskurate huye, fauran video game le liya aur doll nimi ko de di. Sab unka ye tamasha dekh kar maja le rahe the. Iske bad, maine ami ko kuch khilone aur ek pyara sa lehanga chunri nikal kar di.

Jise dekhte hi, wo bhi khushi se uchhalne lagi. Lekin chhoti maa ke chehre par narajgi abhi bhi jhalak rahi thi aur jise dekh dekh kar, keerti ghabra rahi thi. Lekin mai chhoti maa ki is narajgi ko achi tarah se samajh raha tha.

Isliye maine unki is narajgi ko najar andaz karte huye, apne bag se ek navy blue polyester overlap dress aur ek black printed skirt top nikal kar keerti ki taraf bada diye. Jise usne ek feeki si muskan ke sath, khamoshi se le liya.

Yadi koi aur samay hota to, in dress ko dekh kar, keerti ne ami nimi se jyada uchhal kood karna suru kar diya hota. Kyoki dono hi dress uski pasand aur pahnawe ko dekh kar hi maine kharide the.

Lekin is samay use is baat ka dar sata raha tha ki, na jaane kab chhoti maa ka gussa mere upar fat padega. Jis vajah se apni manpasand dress dekh kar bhi, uske chehre par jyada khushi najar nahi aayi thi.

Mujhe man hi man keerti ki is haalat par hansi aa rahi thi. Lekin fir mai apni hansi ko dabate huye, dusra bag kholne laga. Maine us me se ek white net top aur black jeans nikal kar vaani didi ki taraf bada diya.

Lekin us dress ko dekhte hi, vaani didi ko shayad mehul ki harkat yaad aa gayi thi. Isliye un ne use lene ke pahle mujhse puchha.

Vaani boli “ye tum sach me hi mere liye laye ho ya fir kisi aur ke liye laye huyi dress mujhe de rahe ho.”

Mai bola “nahi didi, mai ye aapke liye hi laya hu. Mujhe pahle se hi pata tha ki, aap aane wali ho.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye, wo dress le liya. Iske bad maine bag me se ek saadi nikali aur chanda mausi ko dene laga. Lekin un ne saadi lene se mana karte huye kaha.

Chanda mausi boli “are baba, mai itni mahngi saadi lekar kya karugi. Mujhe kaun sa kahi jana rahta hai. Tum aisa karo, ye saadi richa bitiya ko de dena.”

Chanda mausi ki baat sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “mausi, aap ise ghar me hi pahan lena. Rahi baat richa aunty ki to, mai unke liye bhi saadi laya hu.”

Iske bad, maine bag me se ek shirt nikali aur keerti ki taraf badate huye kaha.

Mai bola “ye shirt papa ko de dena.”

Meri is baat ko sunkar, ami nimi ko chhod kar, baki sab mujhe hairani se dekhne lage. Kyoki meri jindgi ka ye pahla mauka tha, jab mai apne papa ke liye koi gift kharid kar laya tha.

Mere is gift ko dekh kar, sabke chehre khushiyon se khil uthe aur pahli baar chhoti maa ke chehre par muskan najar aayi thi. Lekin na jaane kyo, ye sab baten mere dil ko chubhne lagi thi.

Khas kar, chhoti maa ki muskan mujhse sahan nahi ho rahi thi. Ye sab priya ka kiya hua tha aur usne mujhe ye baat kisi se bhi bolne se mana kiya tha. Lekin maine is baat ko sabke samne jahir karte huye kaha.

Mai bola “mai to papa ke liye kuch kharidna hi bhool gaya tha. Lekin bad me priya ne waha walon ke liye shopping karte samay, papa ke liye bhi ye shirt kharid li thi.”

Meri ye baat sunte hi, sabke chehre ki khushi gayab ho gayi aur sabko samajh me aa gaya ki, papa ke liye shirt maine nahi kharidi, balki priya ne hi mujhe jabardasti kharidwa di hogi.

Is baat ke samajh me aate hi, sabke chehre ki khushi aur chhoti maa ke chehre ki muskan gayab ho gayi. Lekin iske sath hi chhoti maa ki aankhon se aansu ki do bunde nikal aayi thi.

Un ne fauran hi sabki najron se bacha kar apni aankhon ko ponchh liya. Lekin mujhe samajh me aa gaya tha ki, meri is baat se chhoti maa ke dil ko chot pahuchi thi. Jis vajah se unki aankhon se achanak aansu chhalak aaye the.

Bhale hi chhoti maa apne aansuon ko sabki najron se chhupane me kamyab ho gayi thi. Magar meri najron se unki ye baat chhupi na rah saki thi aur un ne bhi ye dekh liya tha ki, mai unhi ko dekh raha hu.

Mujhe apni taraf dekhta pakar, chhoti maa ne apna chehra dusri taraf ghuma liya aur kisi gahri soch me kho gayi. Lekin unke ye aansu sidhe mere dil par gir kar, mere dil ko jala gaye the aur ab meri bhi aankhen bhar aayi thi.

Mai unke pas jakar baith gaya aur unki god me apna chehra chhupa liya. Meri is harkat ko dekh kar sabko laga ki, mai chhoti maa ke sath laad kar raha hu. Chhoti maa pyar se mere sar par hath ferne lagi.

Lekin mere sar par haath ferte hi, chhoti maa ko samajh me aa gaya ki, mai unki god me chehra chhupa kar ro raha hu. Un ne mere sar par hath ferte huye kaha.

Chhoti maa boli “ye kya kar raha hai. Ye sab tera majak udayege ki, tu har samay apni maa ki god me chhupa rahta hai.”

Magar is samay mujhse kuch bhi kahte nahi ban pa raha tha. Mai unko kaise samjhata ki, ab mere aur mere bap ke bich ki nafrat aur bhi jyada gahri ho chuki hai. Hum dono ab kabhi bhi ek nahi ho sakte.

Yahi sab sochte huye, mai apni aur chhoti maa ki bebasi par aansu bahaye ja raha tha. Meri is bebasi ka aehsas shayad chhoti maa ko bhi kahi na kahi ho chuka tha. Un ne mujhe samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “fikar kyo karta hai. Mujhe tujhse kisi baat ki koi shikayat nahi hai.”

Ye kahte huye, un ne apne aanchal se mera chehra saaf kiya aur fir mujhe bahlate huye kaha.

Chhoti maa boli “chal ab bahut ho gaya. Sabke gift de diye aur mera gift dene ka samay aaya to, meri god me muh chhupa kar baith gaya. Kahi aisa to nahi ki, tu mere liye kuch lana hi bhool gaya ho aur isliye mujhe bahla raha hai.”

Chhoti maa ki ye baat sunte hi sab hansne lage aur mai bhi unke aanchal se apna chehra saaf karke, uth kar khada ho gaya. Maine apne bag ke pas aakar, bag me se ek Maroon color ka, Chanderi silk ka Churidar, Kameez, Dupatta With Jacket, nikala aur chhoti maa ki taraf bada diya.

Jise dekhte hi, vaani didi ke sath sath keerti ki aankh bhi chaudhiya gayi. Un ne shayad mera ye bag khol kar nahi dekha tha. Us suit ko dekhte hi, vaani didi apni jagah se uthi aur chhoti maa ke pas aakar us suit ko khol kar dekhne lagi.

Wo suit dekhne me hi sabse chamakdar aur mahnga najar aa raha tha. Suit ke khulte hi keerti bhi vaani didi ke pas aakar suit ko dekhne lagi. Vaani didi ne hairani se suit ko dekhte huye chhoti maa se kaha.

Vaani boli “mausi ye suit to bahut acha hai. Lekin kya aap ise pahan payegi.”

Vaani didi ki is baat ke jabab me chhoti maa ke kuch bol pane ke pahle hi, maine jabab dete huye kaha.

Mai bola “mai itne pyar se laya hu. Chhoti maa ise jarur pahnegi.”

Meri is baat par vaani didi ne mujhse daantte huye kaha.

Vaani boli “tum to mujhse baat hi mat karo. Hum sabko to saste me nipta diya aur mausi ko itna mahnga aur sundar suit diya hai.”

Vaani didi ki baat ko sunkar, ek baar fir sab hans diye. Mere chehre par bhi bahut der bad muskan najar aayi thi. Keerti bhi chhoti maa ke suit ki bahut tarif kar rahi thi aur vaani didi ki tarah wo bhi mujhe, chhoti maa ko sabse acha suit dene ke upar se taane maar rahi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 195}
____________________________

Jise dekhte hi, vaani didi ke sath sath keerti ki aankh bhi chaudhiya gayi. Un ne shayad mera ye bag khol kar nahi dekha tha. Us suit ko dekhte hi, vaani didi apni jagah se uthi aur chhoti maa ke pas aakar us suit ko khol kar dekhne lagi.

Wo suit dekhne me hi sabse chamakdar aur mahnga najar aa raha tha. Suit ke khulte hi keerti bhi vaani didi ke pas aakar suit ko dekhne lagi. Vaani didi ne hairani se suit ko dekhte huye chhoti maa se kaha.

Vaani boli “mausi ye suit to bahut acha hai. Lekin kya aap ise pahan payegi.”

Vaani didi ki is baat ke jabab me chhoti maa ke kuch bol pane ke pahle hi, maine jabab dete huye kaha.

Mai bola “mai itne pyar se laya hu. Chhoti maa ise jarur pahnegi.”

Meri is baat par vaani didi ne mujhse daantte huye kaha.

Vaani boli “tum to mujhse baat hi mat karo. Hum sabko to saste me nipta diya aur mausi ko itna mahnga aur sundar suit diya hai.”

Vaani didi ki baat ko sunkar, ek baar fir sab hans diye. Mere chehre par bhi bahut der bad muskan najar aayi thi. Keerti bhi chhoti maa ke suit ki bahut tarif kar rahi thi aur vaani didi ki tarah wo bhi mujhe, chhoti maa ko sabse acha suit dene ke upar se taane maar rahi thi.

Chanda mausi ne bhi chhoti maa ke suit ki bahut tarirf ki aur unse kaha.

Chanda mausi boli “bahurani, punnu baba sach me aapke liye bahut sundar suit laye hai. Aap apne janamdin me ye hi suit pehanna.”

Chanda mausi ki baat sunkar, keerti bhi chhoti maa ke pichhe pad gayi aur unhe iske liye haan kahna hi pad gaya. Sab chhoti maa ke suit me khoye huye the. Lekin ami nimi ko in baton me jara bhi maja nahi aa raha tha.

Un ne dekha ki, sab chhoti maa ke suit ki baton me hi ulajh kar, rah gaye hai to, dono aapas me kuch khusar fusar karne lagi aur fir ami ne mujhe tokte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, ek ek chij dikhane me itna samay kyo laga rahe hai. Abhi to bahut si chijen dikhana baki hai.”

Ami ki baat sunkar sab hasne lage aur mai fir se sabko apne laye gift dikhane laga. Mausi, aunty, vaani didi ki mummy ke liye layi huyi saadiyan aur kamal, mausa ji, uncle ke liye laye huye kapde dikhane ke bad mai ruk gaya.

Abhi mere bag me kuch aur kapde the. Lekin mai keerti ki vajah se wo dikhana nahi chahta tha. Magar vaani didi mere pas hi baithi thi. Un ne mujhe kapde dikhane se hichakte dekha to, mujhse kaha.

Vaani boli “kya hua, ye kapde kyo nahi dikha rahe ho. Kya ye apni girlfriend ke liye laye ho.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, maine hadbadate huye kaha.

Mai bola “nahi didi, aisi koi baat nahi hai. Ye to mai shereen baji, sheza aur unki ammi ke liye laya hu.”

Ye kahte huye, mai wo kapde bhi sabko dikhane laga. Shereen baji ka naam sunkar bhi, keerti ke mood me koi khas farak padte na dekh kar, mujhe badi rahat mehsus huyi aur isi ke sath mera dusra bag bhi khali ho gaya.

Us bag ke khali hote hi, mai aaram se sofe par baith gaya. Mujhe aaram se baithte dekh kar, ami ne fauran mujhe tokte huye kaha.

Ami boli “bhaiya, aap aaram se kyo baith gaye. Abhi to bahut kuch baki hai.”

Mai ami ki baat ka matlab achi tarah se samajh gaya tha. Use baki ke bags me apne matlab ki koi chij nikalne ki ummid thi aur isi vajah se wo besabri se unke khullne ka intejar kar rahi thi. Lekin maine use pareshan karte huye kaha.

Mai bola “ab to kuch baki nahi hai. Mai jo jo laya tha, sab dikha chuka hu.”

Meri baat sunkar, ami ne sach me pareshan hote huye kaha.

Ami boli “lekin bhaiya, abhi to teen bag khulna baki hai.”

Mai bola “wo bag mere nahi hai. Wo to mumbai walon ke bag hai.”

Ye baat sunte hi, ami ka chehra udas ho gaya. Nimi jo abhi sab kuch kamoshi se dekh rahi thi. Usne badi hi masumiyat se kaha.

Nimi boli “bhaiya, to kya sab khatam ho gaya. Aap humare liye bas itna hi laye hai.”

Nimi ki baat sunkar, ek baar fir sabki hansi goonj gayi aur dono ka chehra chhota sa ho gaya. Mujhe un dono ko aur pareshan karna thik nahi laga aur maine uth kar ek bag uthate huye kaha.

Mai bola “fikar mat karo, mumbai walon ne bhi tumhare liye bahut kuch bheja hai. Lekin pahle mai wo dikhata hu, jo mujhe waha se mila hai.”

Ye kahte huye, maine ek bag khola. Usme wo kapde the, jo aman, nisha bhabhi, ajay aur shikha ne mujhe diye the. Fir maine barkha didi aur alka aunty ke kapde dikhaye. Uske bad, seeru didi aur raj logon ne jo gift diye the, wo sabko dikhane laga.

Lekin is bag me ami nimi ke matlab ki koi chij nahi thi. Isliye wo log isme koi dilachaspi nahi le rahi thi. Magar jaise hi maine agla bag utaya, dono mere pas aakar khadi ho gayi.

Ye bag shikha didi logon ke ami nimi aur chhoti maa ke liye diye gaye saman se bhara hua tha. Nisha bhabhi, shikha didi, barkha didi aur seeru didi logon ne ami nimi aur chhoti maa ke liye koi na koi gift jarur diya tha.

Us bag ke khulte hi, ami nimi ke chehre khushi se khil uthe. Usme unke matlab ke bahut se khilone aur kapde the. Mere kuch nikalne ke pahle hi, wo dono khud hi, bag me se saman nikal nikal kar sabko dikhane lagi.

Iske bad maine aakhiri bag khola. Ye wo bag tha, jo riya ne mujhe airport par diya tha. Isme bag me kya tha, ye mai khud bhi nahi janta tha. Mujhe bas itna pata tha ki, is bag me riya, priya, raj aur nikki ke diye huye gift hai.

Maine jaise hi is bag ko khola, isme bhi ami nimi aur chhoti maa ke liye gift najar aaye. Jise dekhte hi, ami nimi ki khushi dugni ho gayi aur wo fir gift nikal nikal kar sabko dikhane lagi aur mai batane laga ki, kisne kya gift diya hai.

Jab saare bag khul gaye to, mai aaram se baith gaya. Maine chhoti maa ki taraf dekha to, unke chehre par muskan thi. Shayad sab bag ke baare me pata chalne se, unke man se ye baat nikal chuki thi ki, maine mumbai me bahut fijul kharchi ki hai.

Wahi dusri taraf chhoti maa ki muskan ko dekh kar, keerti bhi shukun ki saans leti najar aa rahi thi. Maine vaani didi ki taraf dekha to, unne muskurate huye mujhe aankh maar di. Unki is harkat se mere chehre par bhi muskan aa gayi.

Ami nimi sabko apne khilone aur kapde dikhati rahi. Thodi der mai sabke sath baitha raha aur fir mai uth kar apne kamre me aa gaya. Mai abhi kamre me pahucha hi tha ki, tabhi priya ka Sms aa gaya.

Priya ka Sms “Ab Tumhari Dosti Me Ye Naubat Bhi Aa Gayi.
Thandi Hawa Bhi Mujhe Jala Gayi.
Kahti Hai Tum Yaha Tarasti Hi Rah Gayi.
Mai Tumhare Dost Ko Chhu Kar Bhi Aa Gayi.”

Priya ka Sms dekhte hi, mere chehre par muskurahat aa gayi aur maine bhi use ek Sms bhej diya.

Mera Sms “Kitna Khubsurat Tumhara Andaz Hai.
Hakikat Hai Ya Fir Khwab Hai.
Khushnashibon Ke Pas Tum Rahti Ho.
Mere Pas To Sirf Tumhari Aawaj Hai.”

Mera Sms jate hi, priya ka call aane laga. Mere call uthate hi, usne kaha.

Priya boli “waah waah, waha jate hi, tum to pure shayar ban gaye.”

Mai bola “aisa kuch nahi, tum log hi jabardasti mujhe maar maar kar shayar banane par tuli ho.”

Meri baat sunkar, priya hasne lagi. Fir usne baton baton me bataya ki, aaj se raj ne college jana aur riya, nikki ne school jana suru kar diya hai. Nikki abhi ek hafte uske sath hi rahegi.

Fir wo mujhe waha sabka haal chal batati rahi aur thoda bahut hansi majak karne ke bad, usne call rakh diya. Uske call rakhne ke thodi hi der bad, keerti aa gayi. Use dekhte hi, maine muskurate huye us se kaha.

Mai bola “aag laga kar tere dil ko shanti mil gayi.”

Meri baat sunkar, keerti ne hairani se kaha.

Keerti boli “tum kahna kya chahte ho. Maine kaun si aag lagayi.”

Mai bola “ab jyada bholi banne ka natak mat kar, mujhe vaani didi ne teri harkat ke baare me sab bata diya hai ki, tujhse jara bhi sabar nahi hua aur tune bag khol kar chhoti maa ko saare gift dikha diye the.”

Meri baat sunte hi, keerti ko saari baat samajh me aa gayi. Lekin usne pahle kab apni galti maani thi, jo wo abhi apni galti maan leti. Usne apni is galti par parda dalte huye kaha.

Keerti boli “mai tumhare gift dekhne ke liye koi besabar nahi ho rahi thi. Mai to sabse chhup kar ye dekh rahi thi ki, kahi mehul ki tarah, tum bhi mere liye kuch ulta sidha na le aaye ho. Mai to bas use sabki najar bacha kar, waha se alag karna chah rahi thi.”

“Lekin tabhi mausi aa gayi aur majburi me mujhe unhe wo gift dikhana pad gaye. Isi bich vaani didi bhi aa gayi aur mujhe is baat ke liye gussa karne lagi. Jiske bad maine baki ke bag nahi khole.”

Keerti ki ye baat sunkar, maine hanste huye kaha.

Mai bola “mehul to abhi bachcha hai. Tune kya mujhe mehul ki tarah pagal samjha hai, jo tu un bag me wo faltu ki chijen dud rahi thi.”

Meri baat sunkar keerti ne tunakte huye kaha.

Keerti boli “mehul kuch bhi ho, lekin tumhari tarah bachcha nahi. Wo kam se kam shilpa ke liye kuch dhang ki chij laya to tha. Lekin tumse to kisi baat ki ummid karna hi bekar hai.”

Ye kah kar, wo pair patakte huye, mere kamre se jaane lagi. Lekin maine uska haath pakad kar use rokte huye kaha.

Mai bola “are, mai tere liye teri pasand ke dress lekar to aaya hu. Kya tujhe wo pasand nahi aaye.”

Keerti boli “haan, haan, mujhe wo bahut pasand aaye. Lekin tum ye batao ki, mere aur baki sabke liye laye huye dress me alag hi kya hai. Mujhe to, mujhse achi mausi ki dress lagi, kam se kam usme tumhara pyar to, najar aa raha tha.”

Keerti ki baat sunkar, maine apna sar peette huye kaha.

Mai bola “hey bhagwan, ab mai is ladki ka kya karu. Mai itne pyar se iske liye dress lekar aaya aur ise usme mera pyar hi najar nahi aaya.”

Keerti boli “haan, mujhe un me tumhara koi pyar najar nahi aaya. Ab mera hath chhodo aur mujhe jaane do.”

Keerti ki baat sunkar, maine uska hath chhoda aur bahar jakar dekhne laga. Wo meri is harkat ko dekh kar, wahi ki wahi khadi rah gayi. Mai bahar se aaya to, maine apna bag bed par rakha aur use kholne laga.

Ye mere kapdo ka bag tha, jo mai apne sath apne kamre me le aaya tha. Maine us bag me se apne kapdon ke niche se, ek Night dress bahar nikala. Jis par najar padte hi, keerti ne fauran bahar ki taraf daud laga di.

Usne kamre ke bahar jakar, ek najar niche ki taraf dekha aur fir fauran mere pas wapas aakar, mere hath se us night dress ko apne hath me lekar dekhne lagi. Wo ek silk ki black color ki short nighty thi.

Wo badi hairani se us nighty ko dekhne me lagi thi. Tabhi maine apne kapdon ke niche se ek Denim ka blue shorts aur ek mini top bhi nikal kar uske hath me pakda diya aur muskurate huye use dekhne laga.

Ye sab dekh kar, keerti ki aankhen hairnai se fati ki fati rah gayi. Use shayad ab bhi yakin nahi aa raha tha ki, ye sab mai hi lekar aaya hu. Usne bade hi bholepan se kaha.

Keerti boli “kya sach me ye sab tum hi laye ho.”

Mai bola “mai nahi to aur kaun laya hai. Ab ye bata ki, isme se tujhe kuch pasand aaya bhi hai ya nahi.”

Meri baat sunkar, keerti ne wo dress apne seene se lagate huye kaha.

Keerti boli “mujhe to tumhare diye sabhi dress bahut pasand aaye hai.”

Mai bola “to fir abhi kyo kah rahi thi ki, tere liye laye kisi bhi dress me tujhe mera pyar najar nahi aa raha tha.”

Keerti boli “wo to mai….”

Itna kah kar keerti apni baat kahte kahte ruk gayi. Maine use tokte huye kaha.

Mai bola “haan, bol bol, chup kyo ho gayi.”

Keerti boli “kuch nahi, wo to mai aise hi kah rahi thi.”

Mai bola “mujhe charane ki koshish mat kar, mai teri sab harkat ko achi tarah se janta hu. Wo tu sirf apni galti par parda dalne ke liye kah rah rahi thi.”

Meri baat sunkar, keerti khilkhila kar hanste huye mere kamre se jaane lagi. Maine use rokte huye kaha.

Mai bola “are ab kaha ja rahi hai.”

Keerti boli “mai ise apne kamre me rakh kar aati hu.”

Mai bola “jara ruk, abhi tere liye aur bhi kuch hai.”

Meri baat sunkar, keerti ruk gayi aur maine apne kapdon ke niche se uske naam ka ek bracelet nikal kar uske hath me thama diya. Apne naam ka bracelet dekhte hi, wo khushi se uchhal padi.

Use bracelet pahanne ka bahut hi jyada shauk tha aur uske pas tarah tarah ke bracelet the. Un me se kuch bracelet maine bhi use lakar diye the. Lekin use vaani didi ka diya hua, sone ka bracelet sabse jyada pasand tha.

Us bracelet me chamakdar nagon ki nakkasi ki gayi thi. Jisse uski chamak damak aur sundarta dekhte hi banti thi. Use wo bahut sambhal kar rakhti thi aur kisi khas mauke par hi pehna karti thi.

Mere diye, bracelet ko dekhne ke bad keerti ne use chuma aur fir muskurate huye kaha.

Keerti boli “ye to mere sone ke bracelet se bhi acha hai.”

Uski is baat ke jabab me maine apna chehra utarte huye, us se kaha.

Mai bola “irada to, mera bhi tujhe sone ka bracelet dene ka hai. Lekin mere pas itne paise hi nahi ho pate ki, tujhe sone ka bracelet de saku.”

Meri baat sunkar, keerti ne mujhe samjhate huye kaha.

Keerti boli “pagal mat bano. Tumhara diya hua, ek dhaga bhi, mere liye sone se kahi jyada keemti hai.”

Mai bola “tu kuch bhi bol, lekin mai tujhe sone ka bracelet dekar hi rahuga.”

Keerti boli “acha baba, de lena. Lekin abhi to tum apni fikar karo. Meri galti ki vajah se mausi ne tumhare saare paise chheen liye hai.”

Keerti ki is baat par maine muskurate huye kaha.

Mai bola “mujhe iski fikar karne ki jarurat nahi hai. Fikar to ab chhoti maa kar rahi hogi ki, un ne bevajah mere paise chheen liye hai. Ab wo kisi na kisi bahane se, mujhe paise wapas karne ki koshish jarur karegi.”

Keerti boli “aur yadi aisa nahi hua to, fir kya karoge.”

Mai bola “yadi aisa nahi hua, tab bhi koi baat nahi hai. Wo paise to, mai chhoti maa ke janamdin me gift dene ke liye hi jod raha tha. Ab waise nahi to, aise hi sahi, lekin paise to, unhi ke pas gaye hai.”

“Pahle is baat se mera mood kharab jarur hua tha. Lekin jab vaani didi se pata chala ki, chhoti maa ne aisa kyo kiya hai. Tab mujhe aehsas hua ki, chhoti maa ne kuch galat nahi kiya hai aur mera mood khud hi sahi ho gaya.”

Keerti boli “lekin ab unke janamdin ke gift ka kya karoge.”

Mai bola “abhi mujhe kuch nahi pata. Lekin ab tu ye baten chhod aur ye sab apne kamre me rakh kar aa. Warna abhi ami nimi me se koi tapak padega.”

Meri baat sunkar, keerti hanste huye, wo sab saman apne kamre me rakhne chali gayi. Uske jaane ke kuch hi der bad, ami mujhe khane ke liye bulane aa gayi aur mujhe khane ke liye bol kar, wo keerti ko bulane chali gayi.

Ami ke jaane ke bad, mai muh hath dhone chala gaya. Mai muh hath dhokar aaya to, keerti mere kamre me hi baithi thi. Mai taiyar hokar, uske sath khane ke liye niche aa gaya.

Hum niche pahuche to, sab khane par humara hi intejar kar rahe the. Humare pahuchte hi, sabne khana khana suru kar diya. Khane ke bad, hum sab baith kar, baten karne lage.

Humari aapas me baten chal rahi thi. Tabhi vaani didi ne wo hi dedh lakh ka cheque meri taraf badate huye kaha.

Vaani boli “mai tumhare janamdin me tumhe koi gift nahi de payi thi. Isliye meri taraf se ye cheque rakh lo aur tumhe apne liye jo kuch acha lage, tum wo kharid lena.”

Mai bola “didi, aap ko jo bhi dena ho, aap khud hi kharid kar de dijiye. Lekin ye cheque mujhe mat dijiye. Mai apne janamdin ke gift me cheque nahi luga.”

Meri baat sunkar, chhoti maa ne mujh par gussa karte huye kaha.

Chhoti maa boli “wo tumhari badi bahan hai. Usko kisi baat ke liye na karte huye, tumko sharam nahi aati.”

Mai bola “chhoti maa, ye meri badi bahan hai. Isliye mai gift me paise lene se mana kar raha hu. Mujhe yadi paise ki jarurat huyi to, mai haq ke sath, bina kisi jijhak ke inse maang luga.”

“Lekin ye mujhe janamdin ka gift dena chahti hai aur gift wo hi acha lagta hai, jise dekhte hi, dene wale ka chehra najar aaye. Inka cheque to mai bank me daal duga. Fir bhala us se kharidi huyi chij me mujhe inka chehra kaise najar aa sakta hai.”

Meri baat sunkar, vaani didi muskurane lagi. Lekin chhoti maa to, meri maa thi aur mai unki sikhayi baton se hi bhala unhe kaise hara sakta tha. Un ne meri baat ko kaatte huye kaha.

Chhoti maa boli “bade jab kuch dete hai to, usme unke pyar ke sath sath, unka aashirwad bhi chhupa hota hai. Pyar najar aata hai, lekin aashirwad kabhi najar nahi aata. Magar wo aashirwad hamesha sath bana rahta hai. Isliye ise vaani ka pyar nahi, balki aashirwad samajh kar rakh lo.”

Chhoti maa ne mujhe apni baton me buri tarah se uljha diya tha aur ab mujhe unki is baat ka koi jabab nahi sujh raha tha. Aakhir me na chahte huye bhi, mujhe vaani didi ka wo cheque lena hi pad gaya.

Keerti aur ami nimi, mujhe paise mil jaane ki vajah se khush najar aa rahi thi. wahi vaani didi ke chehre par bhi muskan thi. Lekin chhoti maa ke chehre se kuch pata nahi chal raha tha. Wo kahi khoyi khoyi si najar aa rahi thi.

Maine unko khoya khoya sa dekha to, unse baat karne laga. Kuch der unse baat karne ke bad, maine unhe mehul ke ghar jaane ki baat jatayi aur mai fir mehul ke ghar ke liye nikal gaya.

Mehul ke ghar pahuch kar, maine uncle aur richa aunty ko unke liye laye kapde diye. Fir meri unse yaha waha ki baten hoti rahi aur 5 baje ke bad, mai wahi se shereen baji ke ghar jaane ke liye nikal gaya.

Raste se maine aftaari ke liye kuch fal kharide aur unhe lekar mai baji ke ghar pahuch gaya. Lekin ghar par is samay shereen baji ki ammi ke alawa koi nahi tha. Mai bhi unhe ammi hi kahta tha.

Ammi ne mujhe bataya ki shereen baji, sheza ke sath, uski kisi saheli ke ghar gayi aur raat tak wapas aayegi. Maine unko aftaari ke liye laye fal diye aur fir sabke liye laye kapde dikhane laga.

Iske bad, roza kholne ka samay hone laga to, wo roza kholne ki taiyari karne lagi. Mere fal bhi, un ne aftaari me laga diye. Roza kholne ka samay hone par, mai bhi unke sath aftaari karne laga.

Aftaari ke bad, ammi se meri thodi bahut baten huyi aur fir mai unse kal sham ko aane ki baat bol kar, ghar ke liye nikal pada. Lekin ammi ke ghar se nikalte hi, raste me mujhe, mera dost rahul mil gaya.

Usne milte hi mere upar sawalon ki bauchhar kar di aur bina kuch bataye mumbai chale jaane ki baat par fatkar lagane laga. Us se baat chit me bahut samay lag gaya aur fir mujhe ghar pahuchte pahuchte 7:30 baj gaye.

Mai ghar pahucha to, ami, nimi, keerti, chanda mausi aur chhoti maa sab baith kar shikha didi ki shadi ka video dekh rahe the. Mai keerti ke pas jakar baith gaya aur mai bhi shadi ka video dekhne laga.

Video me abhi shikha didi ki barat aayi thi aur mai baratiyon ka swagat kar raha tha. Us video me chhoti maa saaf najar aa rahi thi. Chhoti maa ke video me najar aate hi, maine ami nimi ki taraf dekha.

Lekin dono ka hi man video dekhne me laga hua tha. Mujhe ye dekh kar hairat ho rahi thi ki, chhoti maa ko us video me dekh lene ke bad bhi, ami nimi is baare me koi sawal kyo nahi kar rahi hai.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 196}
____________________________

Aftaari ke bad, ammi se meri thodi bahut baten huyi aur fir mai unse kal sham ko aane ki baat bol kar, ghar ke liye nikal pada. Lekin ammi ke ghar se nikalte hi, raste me mujhe, mera dost rahul mil gaya.

Usne milte hi mere upar sawalon ki bauchhar kar di aur bina kuch bataye mumbai chale jaane ki baat par fatkar lagane laga. Us se baat chit me bahut samay lag gaya aur fir mujhe ghar pahuchte pahuchte 7:30 baj gaye.

Mai ghar pahucha to, ami, nimi, keerti, chanda mausi aur chhoti maa sab baith kar shikha didi ki shadi ka video dekh rahe the. Mai keerti ke pas jakar baith gaya aur mai bhi shadi ka video dekhne laga.

Video me abhi shikha didi ki barat aayi thi aur mai baratiyon ka swagat kar raha tha. Us video me chhoti maa saaf najar aa rahi thi. Chhoti maa ke video me najar aate hi, maine ami nimi ki taraf dekha.

Lekin dono ka hi man video dekhne me laga hua tha. Mujhe ye dekh kar hairat ho rahi thi ki, chhoti maa ko us video me dekh lene ke bad bhi, ami nimi is baare me koi sawal kyo nahi kar rahi hai.

Jab mujhe ami nimi ke is baat par koi sawal na karne ki vajah samajh me nahi aayi to, maine dhire se keerti se kaha.

Mai bola “ye kya hai, chhoti maa ko video me dekh kar bhi, ami nimi kuch bol kyo nahi rahi hai.”

Keerti boli “mausi ne mumbai se wapas aate hi, ami nimi ko sach bata diya tha ki, vaani didi apni mummy ke sath yaha aa rahi thi. Isliye wo wahi se uncle ko dekhne mumbai chali gayi thi. Lekin usi din shikha didi ki shadi thi aur un ne jabardasti unko shadi me shamil hone ke liye rok liya tha.”

Mai bola “lekin mehndi ke video me to chhoti maa dikhayi di hogi. Kya tab bhi in ne koi sawal nahi kiya.”

Meri is baat par keerti ne jhunjhlate huye kaha.

Keerti boli “ab tum apna bekar ka dimag mat chalao aur mujhe shadi ka video dekhne do.”

Mai bola “are bas ye baat bata de, fir mai kuch nahi puchhuga.”

Keerti boli “haan, mausi ko mehndi me dekh kar, ami ne ye sawal kiya tha. Lekin mausi ne kah diya tha ki, wo mehndi ki raat me hi waha pahuchi thi aur isi vajah se unhe dusre din waha shadi ke liye rukna pada tha.”

“Ab iske bad, tumko jo bhi puchhna ho, raat ko puchh lena. Maine shikha didi ki shadi nahi dekhi. Kam se kam shadi ka video to dekh lene do.”

Keerti ko naraj hote dekh kar, mai bhi chup chap video dekhne laga. Tabhi vaani didi bhi upar se aa gayi aur mere pas baith kar video dekhne lagi. Ab video me varmala ke liye dulhan ka intejar ho raha tha.

Tabhi pandal me phoolon ki barish hote dekh kar, nimi taali bajane lagi aur jaise hi, usne do chhoti chhoti ladkiyan pariyon ki dress pahan kar aate dekha to, usne chhoti maa se kaha.

Nimi boli “mummy mujhe bhi aisi dress chahiye.”

Chhoti maa ne use daanta aur chup chap baithne ko kaha. Wo muh latka kar chup chap baith gayi. Mai abhi nimi ka latka hua chehra hi dekh raha tha ki, tabhi keerti ne mujhe kohni marte huye kaha.

Keerti boli “tum uske is tarah se chehra latkane par mat jao. Wo bahut der se aise hi, video dekh dekh kar pareshan kar rahi hai. Abhi jab tum mehandi me dance kar rahe the to, isne pura ghar sar par utha liya tha. Abhi jaise hi tum najar aaoge, ye fir se shor machana suru kar degi.”

Keerti ki baat sunkar, mai fir se video dekhne laga. Lekin jaise hi video me mai dulhan ki doli ko kandha dekar late huye najar aaya. Waise hi nimi ne shor machana aur nachna suru kar diya.

Uski is harkat par keerti meri taraf dekh kar, muskurane lagi aur meri bhi hansi chhut gayi. Chhoti maa ne fir se use chup karke, video dekhne ko kaha aur wo fir se muh latka kar video dekhne lagi.

Ab video me dulhan ko doli se utare jaane ki taiyari chal rahi thi. Maine barkha didi ko dulhan ko doli se utarne ka ishara kiya. Fir usi samay mere pas nisha bhabhi aur priya aa gayi.

Nicha bhabhi ke aane ke pahle camera pahle mere chehre par tha. Lekin nisha bhabhi ke aate hi, camera unke chehre par chala gaya aur uske bad, priya ke chehre se hote huye, dulhan ki doli par jakar ruk gaya.

Abhi hum sab baithe dulhan ke doli se utarne ka intejar kar rahe the ki, tabhi na jaane vaani didi ko kya hua ki, wo uth kar chhoti maa ke pas gayi aur unse remote lekar, wapas mere pas baith kar, video ko pichhe karne lagi.

Un ne video ko pichhe kiya aur fir us jagah se suru kiya jab nisha bhabhi aur priya aayi thi. Priya ke chehre par camera aate hi, un ne video Pause kar diya aur badi gaur se priya ka chehra dekhne lagi.

Sab bade gaur se ab vaani didi ko hi dekh rahe the ki, un ne priya ke chehre par video ko kyo rok diya. Wo thodi der tak priya ko gaur se dekhti rahi aur fir jab unki najar sab par padi to, un ne video chalu karte huye, mujhse kaha.

Vaani boli “ye itni khoobsurat ladki kaun hai.”

Vaani didi ki is baat ko sunkar, maine muskurate huye kaha.

Mai bola “didi, wo priya hai aur us dress me wo sach me hi sabse sundar lag rahi thi. Hum log mumbai me isi ke ghar me ruke the.”

Meri baat sunkar, vaani didi muskurate huye, wapas video dekhne lagi. Video me varmala ke samay, jab mehul ne shikha didi ko apni god me upar uthaya to, nimi ne fir se shor machana suru kar diya.

Uski harkat ko dekh kar, chhoti maa ne use fir se gussa kiya aur sab hasne lage. Video me shikha didi ko dekh kar, mujhe shikha didi ki yaad aa gayi aur mai waha se uth kar apne kamre me aa gaya.

Mera man unse baat karne ka ho raha tha. Maine samay dekha to, abhi 8 baje the. Maine kuch sochte huye, shikha didi ke mobile par call laga diya. Lekin call ajay ne uthaya. Use call uthate dekh kar, maine us se kaha.

Mai bola “kya hua, kya didi ghar par nahi hai.”

Ajay bola “kyo, kya tumhe mujhse baat karne me pareshani ho rahi hai.”

Mai bola “nahi, aisi koi baat nahi hai.”

Ajay bola “to fir mere call uthane par shikha ko kyo puchh rahe ho. Shikha nahi hai to, mujhse hi baat kar lo.”

Mai bola “wo kya hai ki, ghar me sab shadi ka video dekh rahe the aur video dekh kar, mera man didi se baat karne ka hua to, unko call laga diya. Ab unka call tumne uthaya to, man me ye baat to aayegi hi ki, didi ghar par hai ya nahi.”

Meri baat sunkar, ajay hasne laga aur fir usne kaha.

Ajay bola “hum kal subah ki flight se surat ja rahe hai. Shikha usi ki packing kar rahi hai. Wo abhi abhi kisi kaam se nisha ke pas gayi hai aur isi bich tumhara call aa gaya. Maine socha ki, jab tak shikha nahi aa jati to, chalo mai hi tumse baat kar leta hu. Lekin shayad tumko mera call uthana pasand nahi aaya.”

Ajay ki is baat par maine use apni safayi dete huye kaha.

Mai bola “aisi baat nahi hai yaar, mai shikha didi ke bad, tumse hi baat karta.”

Meri baat sunkar, ajay hasne laga. Tabhi sikha didi waha aa gayi. Ajay ne unhe bataya ki, mera call aaya hai. Ye sunte hi shikha didi ne fauran ajay se mobile lete huye, mujhse kaha.

Shikha didi boli “bhaiya, acha hua ki, aapne call kar liya. Mai abhi aapko hi call karne ka soch rahi thi.”

Mai bola “kyo, kya hua. Kya aapko mujhse koi khas baat karna thi.”

Shikha didi boli “haan bhaiya, wo kya hai ki, kal hum sab surat ja rahe hai. Ye chahte the ki, mummy aur barkha bhi humare sath chal kar wahi rahe. Barkha to humare sath jaane ko taiyar hai.”

“Lekin mummy jaane ko taiyar nahi ho rahi hai. Hum sabne unhe samjhane ki bahut koshish ki hai. Magar wo humari baat manne ko taiyar nahi hai. Abhi nisha didi ne bhi unse baat ki hai.”

“Lekin un ne nisha didi se bhi is baat ke liye mana kar diya hai. Mujhe lagta hai ki, yadi aap mummy se baat karege to, wo jarur humare sath surat jaane ko taiyar ho jayegi. Bas isi vajah se mai aapko call lagane wali thi.”

Shikha didi ki baat ke jabab me maine unse kaha.

Mai bola “lekin didi, jab wo aap sabki baat nahi maan rahi hai to, fir meri baat kaise maan legi.”

Shikha didi boli “bhaiya, mera dil kahta hai ki, wo aapki baat jarur maan legi. Aap ek baar unse baat karke to dekhiye.”

Mai bola “thik hai didi, aap kahti hai to, mai abhi aunty se baat kar leta hu.”

Iske bad, maine shikha didi ka call rakha aur alka aunty ko call laga diya. Pahle maine unse thodi bahut yaha waha ki baten ki aur fir apni asli baat par aate huye, un se kaha.

Mai bola “aunty, abhi meri shikha didi aur ajji se baat huyi thi. Wo log surat ja rahe hai. Didi bata rahi thi ki, wo log aapko aur barkha didi ko bhi sath le jana chahte hai. Lekin aap jana nahi chahti.”

Aunty boli “haan, shikha mujhse bhi surat chalne ki jid kar rahi thi. Lekin maine uske sath jaane se mana kar diya.”

Mai bola “lekin kyo aunty, aapko unke stah jaane se kya pareshani hai.”

Aunty boli “ab tum bhi shikha ki tarah baat karne lage. Tumko is baat ko samajhna chahiye ki, wo meri beti hai. Mai bhala apni beti ke sasural me kaise rah sakti hu. Mera jamir mujhe aisa karne ki ijajat nahi deta hai.”

Mai bola “aunty aapka aisa sochna jara bhi galat nahi hai. Aaj yadi shekhar bhaiya hote to, shikha didi ke man bhi aapko sath le jaane ki soch nahi aayi hoti. Magar aapko sath le jaane ki soch shikha didi ki nahi, balki ajji ki hai.”

“Uske maa pita to, use bachpan me hi chhod kar chale gaye the aur aru jise wo apna sab kuch manta hai, wo bhi us se door hi hai. Aise me jab wo aapke sath raha to, use apna parivar pura hote najar aaya tha.”

“Bas isi vajah se wo aapko aur barkha didi ko sath le jana chahta hai. Aap ek baar is baat ko, ajji ko apna beta samajh kar sochiye. Mujhe yakin hai ki, fir aapko ajji ke sath jaane me koi pareshani nahi hogi aur uska adhura parivar ek baar fir se pura ho sakega.”

Meri baat sunkar, aunty soch me pad gayi. Fir un ne kuch der bad mujhse kaha.

Aunty boli “thik hai, yadi tum sab yahi chahte ho to, mai apni jid ko chhod deti hu. Tum khud hi shikha se phone karke bata do ki, mai unke sath chalne ko taiyar hu.”

Aunty abhi mujhse itna hi bol payi thi ki, tabhi barkha didi ne unse phone chheen liya aur khushi me chahakte huye mujhse kaha.

Barkha didi boli “mere bhai, tum to jadugar nikle. Hum sab mummy ko samjhate samjhate thak gaye. Magar wo humari baat maan hi nahi rahi thi. Lekin tumne to pal bhar me hi mummy ko jaane ke liye taiyar kar liya.”

Mai bola “didi, ye sab to aunty ka mere liye pyar hai. Jo wo meri baat ko maan kar jaane ke liye taiyar ho gayi hai.”

Barkha didi se thodi bahut baat karne ke bad, maine unka call rakha aur shikha didi ko call laga diya. Jab maine unko aunty ke unke sath jaane ki baat batayi to, wo bahut khush huyi.

Unse thodi bahut baat karne ke bad, meri ajay aur nisha bhabhi se bhi baat huyi. Isi bich seeru didi aa gayi aur mera majak udane lagi. Unse baat karne ke bad, maine call rakha aur shukun ki saans li.

Na jaane seeru didi me aisi kya baat thi ki, unse baat karke dil khushi se aur chehra muskan se bhar jata tha. Abhi mai sabke baare me soch hi raha tha ki, tabhi keerti mere kamre me aa gayi. Usne mujhe aisa akele baithe baithe muskurate dekha to kaha.

Keerti boli “tum pagal ho gaye ho kya. Jo akele baithe baithe muskura rahe ho.”

Mai bola “tere pas to, mere liye time hi nahi hai. Aise me mai akela baith kar na muskurau to, aur kya karu.”

Keerti boli “jyada natak mat karo. Mujhe mumbai ke sab logon ko dekhna tha aur maine shikha didi ki shadi bhi nahi dekhi thi. Isliye video dekh rahi thi.”

Mai bola “video to tune dekh liya. Lekin tu waha ke logon ko janti kaha hai. Jo video me unko pehchan legi.”

Keerti boli “mai nahi janti to kya hua. Mausi to sabko janti hai. Un ne hi hume bataya ki, video me kaun kaun hai. Lekin tum ye batao ki, tum yaha akele kyo baithe ho. Waha humare sath baith kar video bhi to dekh sakte the.”

Mai bola “mai shikha didi se baat karne ke liye kamre me aa gaya tha.”

Ye kahte huye, mai keerti ko saari baten batane laga. Abhi meri aur keeri ki baat chal hi rahi thi ki, tabhi ami khane ke liye bulane aa gayi aur fir hum sab khane ke liye niche aa gaye.

Niche aakar hum sab khana khane lage aur khana khane ke bad, sab aapas me baten karte rahe. Fir 10:30 baje sab apne apne kamre me jaane lage to, chhoti maa ne ami nimi ko niche hi so jaane ko bol diya.

Chhoti maa ki baat sunkar, ami nimi unke kamre me chali gayi. Vaani didi ne chanda mausi se doodh ka jataya aur wo upar chali gayi. Keerti ne chanda mausi se vaani didi ke liye doodh liya aur upar chalne lagi to, maine us se kaha.

Mai bola “tu vaani didi ke sath kal ki tarah koi harkat mat karna.”

Keerti boli “kyo, kya hua.”

Mai bola “dekh, hume to hamesha sath hi rahna hai. Fir humare kuch din na mil pane ki baat ko lekar, vaani didi ko pareshan karna achi baat nahi hai. Yadi tujhe fir bhi lagta hai ki, tera aisa karna thik hai to, tu aisa kar sakti hai.”

Meri baat sunkar, keerti ne muskurate huye kaha.

Keerti boli “ok, mai kal jaisa kuch bhi nahi karugi. Ab to khush.”

Keerti ki baat sunkar, mai bhi muskura diya. Upar aakar keerti vaani didi ke kamre me chali gayi aur mai apne kamre me aa gaya. Kamre me aakar maine kapde badle aur fir bed par let kar, keerti ke baare me sochne laga.

Keerti ko abhi mere kamre me aane me samay lagna tha. Isliye maine priya ko call laga diya. Mere khud se call lagane ki, vajah se priya bahut khush najar aa rahi thi. Us samay nikki bhi uske pas thi to, usne nikki se bhi meri baat karwayi.

Unse baat chalte chalte, 11:30 baj gaye aur keerti aa gayi. Keerti ke aate hi, maine priya se kal baat karne ko kah kar call rakh diya. Iske bad, meri keerti se yaha waha ki baten chalti rahi.

Maine use shereen baji ke ghar jaane ki baten batayi. Aise hi yaha waha ki baat karte karte, hume 1 baj gaya aur fir hum ek dusre ko good night kah kar, ek dusre ki bahon me so gaye.

Lekin raat ko 3 baje achanak nimi ke rone ki aawaj sunkar, hum dono ki hi nind khul gayi. Humne niche jaane ke liye jaise hi darwaja khola to, hum dono hi vaani didi ko sidiyon se niche utarte dekh kar chauk gaye. Maine keerti se kaha.

Mai bola “kya didi ne aaj nind ki goli nahi khayi thi.”

Keerti boli “un ne mere samne hi nind ki do goliyan khayi thi.”

Mai bola “ye kaisi nind ki goliyan thi ki, wo nimi ki aawaj sunkar humse pahle hi nind se jaag gayi.”

Keerti boli “tum khud hi unki nind ko dekh lo. Tumhe to unhe ek goli jyada dene se takleef ho rahi thi aur wo nind ki do goliyan hajmola samajh kar hajam kar gayi.”

Aise hi baat karte karte hum, chhoti maa ke kamre me pahuch gaye. Chhoti maa nimi ko chup kara rahi thi. Lekin wo chup hone ka naam nahi le rahi thi aur lagatar roye ja rahi thi.

Mai fauran uske pas gaya aur use shant karwane laga. Thodi hi der me wo chup ho gayi aur fir se so gayi. Uske sote hi, chhoti maa ne use apne seene se chipka liya. Lekin ami abhi baithi huyi thi aur bahut gusse me lag rahi thi. Use is tarah se baithe dekh kar, vaani didi ne us se kaha.

Vaani boli “ab tu kyo baithi huyi hai. Nimi so gayi hai to, ab tu bhi so ja.”

Lekin ami ne gusse me bhanbhanate huye kaha.

Ami boli “mujhe iske sath nahi sona hai. Ye khud to sapna dekh kar darti hai aur upar se itni raat ko achanak rona suru kar deti hai. Kisi din iska rona sunkar, dar ke maare meri jaan hi nikal jayegi.”

Ami ki baat sunkar, sab hasne lage. Lekin maine use samjha kar fir se sula diya. Ami ke sone ke bad, vaani didi ne chhoti maa se kaha.

Vaani boli “mausi, kya ami sahi bol rahi hai. Kya nimi ke sath hamesha hi aisa hota hai.”

Mai bola “ji didi, nimi ko ek sapna aata hai ki, mujhe koi maar raha hai aur us sapne ko dekh kar, ye rona suru kar deti hai. Aisa pahle kabhi kabhi hota tha. Lekin is baar to ye ek mahine me hi teesri baar hua hai.”

Meri baat sunne ke bad, vaani didi ne kaha.

Vaani boli “kya nimi ko kisi doctor ko nahi dikhaya.”

Mai bola “didi, ab wo sapna dekh kar darti hai to, iske liye doctor ko kya dikhana. Subah to, wo sab kuch bhool kar bilkul sahi ho jayegi.”

Vaani boli “aisi laparwahi karna thik baat nahi hai. Wo abhi bahut chhoti hai aur ek hi sapne ko baar baar dekh kar darti hai. Is baat ka aage chal kar uske upar bura asar bhi pad sakta hai. Kal tum mere sath ise doctor ke yaha lekar chalo.”

Mai bola “ji didi.”

Iske bad, vaani didi apne kamre me chali gayi aur thodi der bad mai aur keerti bhi apne kamre me aa gaye. Kamre me aane ke bad, meri keerti se ek do baten huyi aur fir hum dono so gaye.

Subah jab meri nind khuli to, ami nimi dono ko aaj bhi ghar me dekh kar mai chuak gaya. Kyoki chhoti maa is mamle me bahut sakht thi. Ami nimi to door ki baat thi. Wo mujhe tak sochool ke naam se koi chhut nahi deti thi.

Mai leta leta isi baare me soch raha tha ki, tabhi ami mujhe jagane aa gayi. Usne mujhe jaaga dekha to, wo wapas jaane lagi. Lekin maine use rokte huye kaha.

Mai bola “aaj kal tumhare school ki chhutti chal rahi hai kya. Jo kal se dono ghar me hi dikh rahi hai.”

Ami boli “nahi bhaiya, kal aapke aane ki vajah se humne chhutti li thi to, aaj nimi ko doctor ko dikhane ki vajah se vaani didi ne humari chhutti karwa di hai.”

Ami ki baat sunte hi, mujhe vaani didi ki raat ki baat yaad aa gayi aur ami ko jaane ki bol kar, mai fresh hone chala gaya. Mai fresh hokar aaya to, thodi hi der bad, chanda mausi nashta lekar aa gayi.

Na jaane mai kitne saal se ye dekhta aa raha tha ki, mai fresh hokar nikalta tha aur kuch hi der bad chanda mausi chay nashta lekar aa jati thi. Maine chanda mausi ko chay nashta ke sath dekh kar, muskurate huye kaha.

Mai bola “mausi aap to niche rahti ho. Fir aapko kaise pata chal jata hai ki, mai fresh ho chuka hu. Jo aap mere bahar nikalte hi, nashta lekar aa jati hai.”

Mausi boli “baba, aapko fresh hone me kitna samay lagta hai, mujhe ache se pata hai. Bas usi andaz se mai nashta lekar chali aati hu.”

Chanda mausi ki baat sunkar, mai muskurate huye chay nashta karne laga aur chanda mausi wapas niche chali gayi. Maine chay nashta kiya aur fir taiyar hokar niche aa gaya.

Mai niche pahucha to, niche vaani didi, keerti aur ami nimi pahle se hi taiyar baithi thi. Maine un sabko taiyar dekha to, unse kaha.

Mai bola “abhi to sirf 9 baje hai. Kya hume abhi hi doctor ke yaha ke liye nikalna hai.”

Vaani boli “haan, maine socha hai ki, aaj ami nimi ko thodi shopping bhi karwa du. Pahle hum thodi si shopping karege aur fir 10:30 baje ke bad, doctor ke pas chalege. Ab der mat karo aur jaldi chalo.”

Itna bol kar wo uth kar khadi ho gayi aur unke sath sath baki sab bhi uth kar khade ho gaye. Hum sab bahar aaye aur vaani didi chhoti maa ki car nikalne lagi. Un ne car nikali aur hum sab usme baithne lage.

Keerti aur ami nimi pichhe wali seat par baith gaye aur mai aage vaani didi ke pas jakar baithne hi wala tha ki, tabhi vaani didi ne mujhse kaha.

Vaani boli “are mai kal apna handbag mausi ke kamre me hi bhool gayi thi aur tab se wo wahi pada hai. Usme mera kuch jaruri saman hai. Tum aisa karo ki, mausi ke kamre se wo le aao.”

Abhi vaani didi mujhse ye baat bol hi rahi thi ki, tabhi chanda mausi humare pas aa gayi. Un ne humare pas aakar, mujhse kaha.

Chanda mausi boli “baba, thodi der ruk jana. Mehul ki abhi bahurani se baat huyi hai. Wo bhi tum logon ke sath jaane ke liye aa raha hai.”

Chanda mausi ki baat sunkar, vaani didi ne unse ruk jaane ke liye haan kah kar, un se chhoti maa ke kamre se apna handbag lane ko kah diya. Jise sunkar, chanda mausi andar chali gayi.

Vaani didi log car me baithi thi aur mai car ke bahar khada hokar, chanda mausi ke aane ka intejar karne laga. Thodi der bad, chanda mausi aati huyi najar aayi. Lekin aate aate achanak un ne daud laga di.

Mai hairani se unki harkat ko dekhne laga. Tabhi mere pas aate hi achanak un ne mujhe gaadi se door dhakel diya. Unke aisa karte hi, ek dhany ki aawaj ke sath ek goli unke hath me ja lagi.

Unka hath khoon se lahu luhan ho gaya aur vaani didi ka handbag unke hath se chhut kar niche gir gaya tha. Chanda mausi ko goli lagte dekh kar, maine palat kar, Main Gate ki taraf dekha.

Main Gate par do nakab-posh hath me revolver lekar khade the aur un dono ke nishane par mai tha. Wahi dsuri taraf car me baithi ami nimi ne chanda mausi ko goli lagte dekhi to, un ne rona suru kar diya aur keerti vaani didi ko aawaj lagane lagi.

Vaani didi ko jaise hi bahar ka najara samajh me aaya. Wo ek pal ki bhi der kiye bina car se nikli aur apna handbag dekhne lagi. Isi bich ek nakab-posh ne fir se mere upar Fire kar diya.

Lekin ek baar fir chanda mausi mere samne aakar khadi ho gayi. Ye goli sidhe aakar, unki peeth me sama gayi aur wo meri bahon me jhool gayi. Maine dono hathon se chanda mausi ko sambhal liya.

Ab mai un dono nakab-poshon ke nishane par tha. Lekin tab tak vaani didi ne, apne handbag se revolver nikal kar, un dono nakab-posh par dana-dan goliyan barsana suru kar diya.

Un dono nakab poshon ko shayad is baat ki jara bhi ummid nahi thi aur wo dono vaani didi ke kiye gaye, is palatvaar se hadbada gaye. Ek nakab-posh ne vaani didi ko nishana banana chaha.

Lekin vaani didi ne dono nakab-poshon me se, kisi ko bhi sambhalne ka mauka nahi diya aur jo nakab-posh vaani didi ko apna nishana banana chahta hai. Un ne apni goli se uska hi bheja uda diya.

Apne sathi ki ye durgati dekh kar, dusra nakab-posh waha se bhagne laga. Use bahgte dekh kar, vaani didi bhi uske pichhe bhagi. Wo shayad use jinda hi pakadna chahti thi.

Isliye wo us par goli nahi chala rahi thi. Magar jab wo unhe ek car ki taraf bhagte najar aaya. Tab vaani didi ko samajhte der nahi lagi ki, ye car usi ki hai aur wo usme baith kar bhagna chahta hai.

Ye baat samajh me aate hi, vaani didi ne us nakab-posh ke pair par goli maar di. Lekin goli lagne ke bad bhi wo kisi tarah ladkhadate huye apni car tak pahuchne me safal ho gaya.

Shayad uske sath, us car me koi dusra aadmi bhi tha. Isliye uske car me baithte hi, uski car hawa se baten karne lagi. Vaani didi ne use car me bhagte dekha to, un ne us car par andha-dhundh goliyan barsana suru kar diya.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 197}
____________________________

Un dono nakab poshon ko shayad is baat ki jara bhi ummid nahi thi aur wo dono vaani didi ke kiye gaye, is palatvaar se hadbada gaye. Ek nakab-posh ne vaani didi ko nishana banana chaha.

Lekin vaani didi ne dono nakab-poshon me se, kisi ko bhi sambhalne ka mauka nahi diya aur jo nakab-posh vaani didi ko apna nishana banana chahta hai. Un ne apni goli se uska hi bheja uda diya.

Apne sathi ki ye durgati dekh kar, dusra nakab-posh waha se bhagne laga. Use bahgte dekh kar, vaani didi bhi uske pichhe bhagi. Wo shayad use jinda hi pakadna chahti thi.

Isliye wo us par goli nahi chala rahi thi. Magar jab wo unhe ek car ki taraf bhagte najar aaya. Tab vaani didi ko samajhte der nahi lagi ki, ye car usi ki hai aur wo usme baith kar bhagna chahta hai.

Ye baat samajh me aate hi, vaani didi ne us nakab-posh ke pair par goli maar di. Lekin goli lagne ke bad bhi wo kisi tarah ladkhadate huye apni car tak pahuchne me safal ho gaya.

Shayad uske sath, us car me koi dusra aadmi bhi tha. Isliye uske car me baithte hi, uski car hawa se baten karne lagi. Vaani didi ne use car me bhagte dekha to, un ne us car par andha-dhundh goliyan barsana suru kar diya.

Jiska natija ye hua ki, vaani didi ki goli car ke tyre par lagi aur tyre fat gaya. Tyre ke fatte hi car lahrati huyi road divider se takra gayi. Vaani didi fauran car ke pas pahuch gayi aur apni revolver taan kar, car me sawar logon se hath upar karke bahar nikalne ko kahne lagi.

Usi samay pados wale bungalow ke do Gun-man bhi bhagte huye, vaani didi ke pas pahuch gaye. Un me se ek ne apni Gun car ki taraf taan di. Lekin vaani didi ne uski Gun ko niche karte huye kaha.

Vaani boli “inhe marna nahi hai. Mujhe ye jinda chahiye hai.”

Iske bad, vaani didi ne car me sawar logon ko bina koi galat harkat kiye, car se bahar aane ki chetavani di. Vaani didi ki ye chetavani sunne ke bad, jis nakab-posh ko goli lagi thi, wo hath upar karke bahar aa gaya.

Uske bahar nikalte hi, vaani didi ne uska collar pakad kar Gun-man ki taraf dhakel diya. Jise Gun-man ne fauran apne hathon ki girfat me le liya. Lekin jo car chala raha tha, wo abhi bhi bahar nahi aa raha tha.

Vaani didi ne gusse me use aakhiri chetavani di. Jiske bad, wo apne hath upar kiye, vaani didi ke pas aa gaya. Lekin vaani didi ke pas aate hi, achanak usne kahi se chaku nikal kar vaani didi ke upar vaar karna chaha.

Magar uska aisa karna, use aur bhi jyada mahnga pad gaya. Uski harkat dekhte hi, vaani didi ki revolver chikh uthi aur goli sidhe uske hath me ja lagi. Uske hath me goli lagte hi, uska chaku door ja gira aur uska hath lahu-luhan ho gaya.

Dusre Gun-man ne fauran hi aage bad kar, use bhi daboch liya. Isi bich goliyon ki aawaj sunkar, chhoti maa bhi bahar aa chuki thi. Un ne chanda mausi ki haalat dekhi to, ek pal ke liye wo bhi ghabra gayi.

Lekin agle hi pal un ne khud ko sambhala aur driver ko tata safari nikalne ke liye aawaj lagane lagi. Tab tak keerti bhi ami nimi ke sath car se bahar aa chuki thi aur ami nimi ko sambhalne ki koshish kar rahi thi. Usne chhoti maa ki baat suni to, unse kaha.

Keerti boli “mausi aaj aapki car vaani didi ke pas rahna thi. Isliye aapne driver ko chhutti de di thi.”

Keerti ki baat sunkar, chhoti maa ko ye baat yaad aayi aur wo khud hi tata safari ko nikalne chali gayi. Un ne tata safari nikali aur mere pas aa gayi. Isi bich mehul bhi apni bike me aa gaya.

Usne chanda mausi ki haalat dekhi to, apni bike ko ek kinare khada kiya aur fauran chanda mausi ko utha kar tata safari me le jaane laga. Isi bich vaani didi bhi us nakab-posh aur uske sathi ke sath humare pas aa gayi. Un ne humare pas aate hi, un dono Gun-man se kaha.

Vaani boli “yaha goliyan chali hai to, police bhi yaha pahuchne hi wali hogi. Tum log kisi baat se ghabrana mat aur jo kuch yaha hua hai, police ko sab kuch bata dena. In dono ko aur us murde ko bhi police ke hawale kar dena.”

“Yadi police ki taraf se koi pareshani ho to, unki mujhse baat karwa dena aur saxena uncle se kah dena ki, vaani ne apna kaam aaj se hi suru kar diya hai.”

Ye kahte huye, vaani didi ne un dono Gun-man ko apna mobile number diya aur fir mujhe chanda mausi ke sath baithne ko kahne lagi. Vaani didi ki baat sunkar, mai chup chap tata safari ki taraf bad gaya.

Mehul tata safari me chanda mausi ko apne hathon me thame baitha tha. Mai bhi uske pas jakar baith gaya aur chanda mausi ka hath, apne hath me thaam kar, ek-tak unka chehra dekhne laga.

Kisi chhoti se chhoti baat par bhi aansu baha dene wala mai, aaj itna bada hadsa ho jaane ke bad bhi, kisi patthar ki but ki tarah baitha hua tha. Aaj na to meri aankhon me koi aansu the aur na hi mere chehre par koi bhav the.

Aaj jo aurat mere samne ek jinda laash ki tarah padi thi. Wo bhale hi meri maa nahi thi. Lekin maine unki hi god me, hosh sambhala tha aur bachpan se lekar aaj tak, wo ek maa ki tarah hi, mera khayal rakhti aa rahi thi.

Meri ragon me bhale hi, unka khoon aur doodh nahi tha. Lekin aaj mere liye, un ne apna khoon baha kar, apni is kami ko bhi pura kar diya tha. Un ne apni jaan ki parwah kiye bina, meri taraf badne wali maut ko apne upar le liya tha.

Mujhe chanda mausi ki is haalat se bahut gahra sadma pahucha tha. Jisne mere dimag ki sochne ki takat aur mere dil ki mehsus karne ki takat ko puri tarah se khatam kar ke rakh diya tha.

Mai bas unka chehra dekhe ja raha tha aur mehul mujhe sab thik ho jaane ka dilasa de raha tha. Udhar chhoti maa ki gaadi hawa se baten kar rahi thi aur vaani didi ki car humare pichhe pichhe aa rahi thi.

Kuch hi der me hum hospital pahuch gaye. Lekin hospital wale ise police case bata kar, chanda mausi ka ilaj suru karne se mana karne lage. Tabhi vaani didi keerti logon ke sath humare pas aa gayi.

Un ne hospital walon ko ialaj suru karte nahi dekha to, apna ID card nikal kar unhe dikhaya aur fauran chanda mausi ka ilaj suru karne ko kaha. Vaani didi ka parichay pate hi, hospital wale fauran hi, chanda mausi ko operation theatar me le jaane lage.

Uske bad, doctor ki ek team bhi operation theatar me jati huyi najar aayi. Hum sab besabri se operation theatar ke bahar chahal kadmi kar rahe the aur vaani didi lagatar yaha waha phone karne me lagi huyi thi.

Mujhe aur vaani didi ko chhod kar, har ek ki aankhen aansuon se bheegi huyi thi. Chhoti maa ne mujhe is tarah dekha to, un ne mere pas aakar, mujhe apne gale se lagate huye kaha.

Chhoti maa boli “ghabrata kyo hai. Chanda mausi ko kuch bhi nahi hoga. Wo bilkul sahi ho jayegi.”

Chhoti maa ka sahara pakar, mujhe pahli baar apne andar jaan hone ka aehsas hua aur mera seena dard se bhar gaya. Meri aankhen aansuon se bheeg gayi aur maine rote huye chhoti maa se kaha.

Mai bola “mummy, chanda mausi ne meri maut ko apne upar le liya hai. Aaj meri vajah se hi, wo maut ke muh me hai.”

Itna kah kar, mai chhoti maa se lipat kar rone laga. Mujhe rote dekh kar, unke aansu bhi bahne lage. Lekin un ne apne aansuon ko ponchhte huye kaha.

Chhoti maa boli “aisi ashubh baten nahi kahte. Teri vajah se kuch bhi nahi hua. Ye to honi thi, jo ho gayi. Lekin hum chanda mausi ka ache se acha ilaj karwayege aur unhe kuch bhi nahi hone denge.”

Magar chhoti maa ke is dilasa dene ka mere upar koi asar nahi pada. Maine fir se bilakhte huye kaha.

Mai bola “mai sach kah raha hu mummy. Wo log mujhe hi marne aaye the. Lekin chanda mausi bich me aa gayi aur saari goliyan apne sharir par kha li. Aapko bhi lagta hai ki, meri jaan ko kisi se khatra hai. Tabhi to, aap mumbai aayi thi. Lekin mummy maine kisi ka kya bigada hai, jo koi meri jaan lena chahta hai.”

Ye kahte huye mai fir chhoti maa se lipat kar rone laga. Meri baton ne chhoti maa ko bhi pareshan kar ke rakh diya tha. Wahi ami nimi bhi chhoti maa ke pas aakar, un se lipat kar rone lagi.

Keerti ami nimi ko samjhane lagi aur mehul aakar mujhe samjhane laga. Us samay vaani didi phone par kisi se baat kar rahi thi. Lekin jaise hi, un ne meri ye baat suni to, fauran call kaat kar humare pas aa gayi.

Un ne aakar pahle mujhe aur ami nimi ko chup karaya aur fir chhoti maa ke pas aakar, unse kaha.

Vaani boli “mausi, ye kya bol raha hai. Kya mumbai me iske sath koi hadsa hua tha.”

Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne unhe mere sath mumbai me huye hadso ke baare me bata diya. Jise sunkar, vaani didi ne kuch pareshan hote huye kaha.

Vaani boli “mausi, itni badi baat ho gayi aur aapne mujhe bataya tak nahi. Yadi aapne ye baat pahle mujhe bata di hoti to, aaj ye itna bada hadsa nahi hua hota. Lekin ye to mumbai kabhi gaya hi nahi hai. Fir mumbai me is par hamla kaun kar sakta hai.”

Itna bol kar, vaani didi sawaliya najron se chhoti maa ko dekhne lagi. Vaani didi ko apni taraf dekhte pakar, chhoti maa ne apna sar jhuka liya. Chhoti maa ko sar jhukate dekh kar, vaani didi ne unse kaha.

Vaani boli “mausi, mujhe aapse kuch jaruri baat karna hai. Aap mere sath aaiye.”

Ye kah kar, vaani didi ne hum logon ko wahi khade rahne ko kaha aur wo chhoti maa ke sath dusri jagah, jakar baat karne lagi. Kuch der bad, chhoti maa aur vaani didi humare pas aa gayi.

Hum sabka rona to, tham chuka tha. Lekin nimi abhi bhi sisak rahi thi. Vaani didi ne nimi ko abhi tak sisakte dekha to, wo uske samne ghutno ke bal baith gayi aur uske gaalon ko sahlate huye kaha.

Vaani boli “chhoti, tujhe to meri tarah nidar aur sahsi banna chahiye. Tu apne bhaiya ki tarah rotdu aur darpok kyo banti hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, nimi ne unka hath apne gaalon se alag karke apne hath me le liya. Nimi ki is harkat ko dekhte hi, keerti aur ami ne fauran kaha.

Keerti boli “nimi, nahi.”

Ami boli “nimi, nahi.”

Hum sab keerti aur ami ki baat sunkar, hairani se unko dekhne lage ki, ye kis baat ke liye nimi ko mana kar rahi hai. Vaani didi bhi yahi baat janne ke liye, nimi ki taraf se dhyan hata kar, ami aur keerti ko dekhne lagi thi.

Lekin is se pahle ki, hum sab un logon se kuch puchh pate, vaani didi ke muh se chikh nikal gayi. Jab humne vaani didi ki taraf dekha to, unka hath nimi ke muh me tha aur wo gusse me unko daant gadaye ja rahi thi.

Nimi ki is harkat ko dekh kar, hum sab sakpaka gaye. Use vaani didi ke upar gussa aa gaya tha aur wo unke hath ko kaat rahi thi. Nimi ke achanak kiye is hamle se vaani didi ke muh se cheekh jarur nikal gayi thi.

Lekin ab wo nimi ko dekh kar, muskura rahi thi aur apna hath bhi chhudane ki koshish nahi kar rahi thi. Wahi nimi bhi gusse me bhari unke hath par apne daant gadaye ja rahi thi.

Maine jaise hi nimi ko aisa karte dekha, mai fauran uske pas pahucha aur vaani didi ke hath ko us se aajad karwane laga. Lekin vaani didi ne mere hath ko jhatakte huye, mujhse kaha.

Vaani boli “billi ke kaatne se sherni ghayal nahi hoti. Fir abhi to iske doodh ke daant bhi nahi toote hai. Ise apna gussa nikal lene do.”

Lekin maine vaani didi ki is baat ko ansuna kar, nimi ko naam lekar pukara aur use jaise hi aankh dikhayi. Usne fauran hi vaani didi ka hath chhod diya. Apne hath ke nimi se chhutte hi, vaani didi ne pyar se uske baalon par hath fera aur fir muskurate huye us se kaha.

Vaani boli “chhoti, mera tujhse vada hai ki, aaj ke bad, tujhe wo sapna fir kabhi nahi aayega aur tere sapne me bhi, koi tere bhaiya ko maar nahi payega.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, nimi ka saara gussa bhag gaya aur wo muskurate huye, vaani didi ke gale se lag gayi. Meri nimmo suru se aisi hi thi. Jara jara si baat par gussa ho jati thi aur jara jara si baat par khush bhi ho jati thi.

Abhi hum vaani didi aur nimi ka ye milan dekh hi rahe the ki, tabhi operation theatar se ek doctor bahar nikla. Use dekhte hi, vaani didi aur chhoti maa ne uske pas jakar, us se chanda mausi ka haal puchha to, usne kaha.

Doctor bola “dekhiye, inko do goliyan lagi thi. Jo goli inke hath me lagi thi, use to humne nikal diya hai. Lekin jo goli inki peeth par lagi thi. Wo goli sidhe heart ke pichhle hisse me jakar dhans gayi hai.”

“Humne apne heart surgeon se is baare me baat ki hai. Wo abhi aakar, ise dekhege. Tabhi hum marij ki haalat ke baare me kuch sahi nirnay le sakege. Abhi to marij ki sitithi bahut hi gambhir hai.”

Itna kah kar, doctor kahi chala gaya. Lekin hum sabke chehre ka rang udha gaya. Thodi der bad wo, kisi dusre doctor ke sath batiyate huye, humare pas aaya aur bataya ki ye hi heart surgeon hai.

Itna bol kar wo dono doctor operation theatar ke andar chale gaye aur hum bechaini ki haalat me unke operation theatar se wapas bahar nikalne ka intejar karne lage.

Abhi hum doctor ke bahar nikalne ka intejar kar hi rahe the ki, tabhi hume ek sup-inspector, do hawaldar ke sath humari taraf aate huye dikha. Usne humare pas aakar, humse kaha.

Sub-inspector bola “aap me se miss vaani roy kaun hai.”

Vaani boli “mai hi hu, vaani roy.”

Sub-inspector bola “aapko puchh-tachh ke liye humare sath police station chalna padega.”

Vaani didi ne us sab-inspector ka naam dekha aur fir badi hi vinamrta se kaha.

Vaani boli “Mr. pritam, kya aap jante hai ki, mai kaun hu.”

Pritam bola “janta hu, tabhi aapko itni sharafat se apne sath le ja raha hu. Warna jo kuch aapne yaha kiya hai. Uske bad to, aapko sidha giraftar karke le gaya hota.”

Pritam ki ye baat sunte hi, mehul hasne laga. Use hanste dekh kar, maine uske pet me kohni maari aur dhire se kaha.

Mai bola “wo sub-inspector vaani didi se aisi baat kar raha hai aur tujhe uski baat par hansi aa rahi hai.”

Meri baat sunkar, mehul ne apni hansi ko dabane ki nakam koshish karte huye kaha.

Mehul bola “tu sirf iski baat sunkar, gussa ho raha hai. Jabki mujhe iska anjam soch soch kar hansi aa rahi hai. Ye pritam, ab vaani didi ko pyara hone wala hai.”

Mehul ki baat sunkar, maine use gusse me ghurte huye kaha.

Mai bola “tu ye kya bakwas kar raha hai. Tera dimag to thikane hai.”

Mehul bola “abe tu meri baat ka matlab nahi samjha. Ye saala pakka vaani didi se pitne wala hai. Tu bas chup chap tamasha dekhta rah.”

Mehul ki baat sunkar, mai fir se us sub-inspector ki baten sunne laga.Us ne vaani didi se kaha.

Pritam bola “aapki bhalayi isi me hai ki, aap sharafat se humare sath chale. Warna hume jabardasti aapko le jana padega.”

Sub-inspector ki ye baat sunte hi, vaani didi ka dimag ghoom gaya. Abhi wo us se aap aap kah kar baat kar rahi thi. Lekin is baat ko sunne ke bad, un ne sidhe tu-tadak par aakar, chutki bajate huye us se kaha.

Vaani boli “tu apni aukat bhool raha hai. Ja, mai tere sath nahi jati. Ab tere se mera jo ukhadte bane, ukhad le.”

Lekin us sub-inspector ne abhi bhi sabar se hi kaam liya aur vaani didi se fir kaha.

Pritam bola “dekhiye madam, ek sub-inspector ke sath ye badtamizi aapko bahut mahangi pad sakti hai. Behtar yahi hoga ki….”

Lekin uski baton se vaani didi ka dimag pahle hi thikane nahi tha. Un ne uski ye baat suni to, uski baat ko bich me hi kaat kar, use latadte huye kaha.

Vaani boli “abe tu pagal hai kya. Tu sub-inspector ki baat kar raha hai. Mai to tere inspector se bhi tamiz se baat na karu. Tere jaise sub-inspector meri car ka darwaja kholne ke liye, meri car ke pas khade rahte hai. Ja aur jakar wahi khada ho ja.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, ab us sub-inspector ko bhi gussa aa gaya. Usne apne hawaldaron se kaha.

Pritam bola “tum log khade khade kya tamasha dekh rahe ho. Ye maharashtra ki officer hai aur ye iska maharashtra nahi, balki humara best bengal hai. Ise humare rajya (state) me goli chalane ka koi adhirkar nahi hai. Ise hathkadi lagao aur thane le chalo.”

Sub-inspector ki baat sunkar, dono hawaldar vaani didi ki taraf badne lage. Ye dekh kar, mujhe to ghabrahat hone lagi. Lekin vaani didi ne muskurate huye, un dono hawaldaron se kaha.

Vaani boli “tumhara sub-inspector to pagal ho gaya hai. Ye tumhe kanun sikha raha hai aur khud kanun bhool gaya ki, ek mahila ko hathkadi lagane se, iske sath sath tum dono ki bhi vardi utar sakti hai aur yadi wo mahila vaani roy ho to, fir tumhari vardi wapas milne ki bhi koi ummid nahi hai.”

Vaani didi ki is dhamki me itna dam tha ki, uski taraf badte dono hawaldar wahi ke wahi ruk gaye aur us sub-inspector ko bhi apni galti ka aehsas ho gaya. Usne fauran mahila police bhejne ke liye, control room call laga diya.

Lekin vaani didi par abhi bhi in sab baton ka koi asar nahi pada. Magar chhoti maa jarur ye sab dekh kar, thoda ghabra gayi thi. Un ne vaani didi ko samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, kyo bekar ki bahas kar rahi hai. Wo puchh tachh ke liye police station le chalna chahte hai to, hum chal chalte hai. Isme galat kya hai.”

Vaani boli “mausi, kisi baat me kuch galat nahi hai aur mere rahte, mai kuch galat hone bhi nahi dungi. Aap mujh par yakin rakhiye, abhi ye jis hath se mujhe hathkadi lagane ki soch raha tha. Thodi der bad, usi hath se ye mujhe salute karta najar aayega.”

Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa chup to ho gayi. Lekin chhoti maa ke chehre par ghabrahat saaf najar aa rahi thi. Ek sharif aadmi ki, ye hi khasiyat hoti hai ki, wo apni galti na hote huye bhi, police se ghabrata hai.

Jabki jin gunde badmashon ke liye police ko banaya gaya hai. Unhe police ka jara bhi khauf nahi rahta aur police se itni nidarta se milte hai, jaise ki apne kisi khas dost se mil rahe ho.

Aisa hi kuch is wakt yaha bhi ho raha tha ki, ye sub-inspector un hamla karne wale badmashon se puchh tachh karna chhod kar, hume pareshan karne me laga hua tha. Shayad isi vajah se sharif log police se khauf khate the.

Magar vaani didi aisi insan thi, jinse khauf, khud khauf khata tha. Ab iski ek misal isi baat ko le lo. Jab hum sabke chehre ka rang udha hua tha. Tab wo bas khadi khadi muskura rahi thi.

Lekin muskurane wali akeli vaani didi nahi thi. Unke sath sath mehul bhi bina kisi baat ke muskura raha tha. Use muskurate dekh kar, maine us par gussa karte huye kaha.

Mai bola “yaha hum sabki lagi padi hai aur tu khada khada maja le raha hai. Tujhe kis baat par itni hansi aa rahi hai.”

Mehul bola “tu bekar me dar raha hai. Kya tu janta nahi hai ki, vaani didi to khud ek musibat ka naam hai. Wo bhala kaise kisi musibat me fas sakti hai. Wo to bas is pritam ke sath khel rahi hai.”

“Kuch hi der bad, wo ise iski aukat dikha kar, wapas bhej degi. Yadi un ne kaha hai ki, ye sub-inspector unko salute karega to, tu dekhna ki ye unko salute kiye bina yaha se ja nahi sakta.”

Mehul ki ye baat jara bhi galat nahi thi. Vaani didi sach me hi ek musibat ka naam tha. Apne ho ya paraye, ache ho ya bure, sab unse door hi bhagte the. Wo sirf hawa me teer chalane walon me se nahi thi.

Wo jo kahti thi, use karke dikhane walon me se thi. Lekin us sub-inspector ka kahna bhi sahi tha ki, ye unka rajya (state) maharashtra nahi, balki us sub-inspector ka rajya (state) best bengal hai.

Jaha vaani didi ke pas kisi tarah ka koi power nahi tha aur apne is rawaiye se wo bahut badi musibat me bhi fas sakti thi. Ab mahila police ke aane ke bad, yaha kya hone wala hai. Mai yahi soch soch ke pareshan tha.

Abhi mai isi udhed bun me laga tha ki, tabhi hume, apne dal bal ke sath police commissioner humari taraf aate dikhayi diye. Unhe aate dekh kar, sub-inspector ke chehre par ek gahri muskan aa gayi.

Lekin aisi hi kuch muskan vaani didi ke chehre par bhi thi. Ab dekhne wali baat ye thi ki, police commissioner ke humare pas pahuchne ke bad, vaani didi ki muskan feeki padti hai ya fir us sub-inspector pritam ki muskan feeki padti hai.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 198}
____________________________

Mehul ki ye baat jara bhi galat nahi thi. Vaani didi sach me hi ek musibat ka naam tha. Apne ho ya paraye, ache ho ya bure, sab unse door hi bhagte the. Wo sirf hawa me teer chalane walon me se nahi thi.

Wo jo kahti thi, use karke dikhane walon me se thi. Lekin us sub-inspector ka kahna bhi sahi tha ki, ye unka rajya (state) maharashtra nahi, balki us sub-inspector ka rajya (state) best bengal hai.

Jaha vaani didi ke pas kisi tarah ka koi power nahi tha aur apne is rawaiye se wo bahut badi musibat me bhi fas sakti thi. Ab mahila police ke aane ke bad, yaha kya hone wala hai. Mai yahi soch soch ke pareshan tha.

Abhi mai isi udhed bun me laga tha ki, tabhi hume, apne dal bal ke sath police commissioner humari taraf aate dikhayi diye. Unhe aate dekh kar, sub-inspector ke chehre par ek gahri muskan aa gayi.

Lekin aisi hi kuch muskan vaani didi ke chehre par bhi thi. Ab dekhne wali baat ye thi ki, police commissioner ke humare pas pahuchne ke bad, vaani didi ki muskan feeki padti hai ya fir us sub-inspector pritam ki muskan feeki padti hai.

Commissioner ke humare pas aate hi, sub-inspector ne use salute maara. Lekin commissioner use andekha karte huye, sidhe vaani didi ke pas aa gaya aur unse hath milate huye kaha.

Commissioner bola “miss vaani, maine aapke baare me jaisa suna tha. Aapko us se kahi jyada bad kar paya hai. Aap ne to mauka-ae-vaardat par hi do, apradhiyon ko maar giraya aur ek ko jinda giraftar kar liya.”

“Warna humare nikamme officer to, apradhiyon ko pakadna door ki baat hai, ye tak pata nahi laga pate hai ki, ye apradh kiya kisne hai. Ab hume pura yakin ho gaya hai ki, humne CID se aap jaisi officer ki mang karke kuch galat nahi kiya.”

Commissioner ki baat sunkar, vaani didi muskurane lagi aur unke sath sath hum sab ke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Lekin jab us sub-inspector ne vaani didi ki tarif hote dekhi to, usne commissioner se kaha.

Sub-inspector bola “sir, in ne aapko galat suchna di hai. Mauka-ae-vaardat par do nahi, sirf ek aadmi maara gaya hai aur do ko humne jinda giraftar kiya hai.”

Sub-inspector ki baat sunkar, commissioner ne vaani didi ki taraf dekha. Vaani didi ne muskurate huye haan me sar hila diya. Jiske bad commissioner ne sub-inspector ko fatkar lagate huye kaha.

Commissioner bola “shut up, kya itni bhi tamiz nahi hai ki, jab do bade log baten kar rahe ho to, bich me nahi bolna chahiye aur yadi in ne bola hai ki, in ne do ko maar giraya hai to, kuch soch samajh kar hi bola hoga.”

“Tum inki kisi baat me apna dimag lagane ki koshish mat karo aur ye baar baar humne humne kahna bhi band karo. Un mujrimo ko tumne ya tumhari team ne giraftar nahi kiya hai.”

“Yadi tumhare andar itni hi kabliyat hoti to, tum inspector se sub-inspector nahi ban gaye hote. Mai yadi tum jaise nikamme officer ke bharose raha to, ek din tumhare sath sath meri vardi bhi utar jayegi.”

Commissioner ke muh me us samay jo bhi aa raha tha. Wo us sub-inspector pritam ko bake ja raha tha. Commissioner ki fatkar sunkar, pritam ka chehra chhota sa ho gaya tha aur wo sar jhuka kar khada ho gaya.

Lekin commissioner ke muh se pritam ke inspector se sub-inspector banne ki baat sunkar, mehul ne hanste huye, dhire se mujhse kaha.

Mehul bola “abe ye pritam to bada chhupa rustam nikla. Log tarakki karke, niche se upar jate hai. Lekin ye itna honhar hai ki, tarakki karke upar se niche aa raha hai.”

Mehul ki baton se, mujhe bhi hansi aa rahi thi. Isliye maine use chup karaya aur vaani didi logon ki baten sunne laga. Commissioner ne pritam ko khari khoti sunane ke bad, vaani didi se kaha.

Commissioner bola “miss vaani, is case ko to aapne hal kar diya hai. Apradhi pakde ja chuke hai aur ab is case ko koi bhi dekh sakta hai.”

Lekin vaani didi ne unki baat ko bich me hi kaat kar, mujhe apne pas aane ka ishara karte huye us se kaha.

Vaani boli “nahi sir, ye case abhi hal nahi hua hai aur is case me meri vyaktigat dilchaspi bhi hai.”

Ye kahte huye vaani didi ne mere kandhe par hath rakha aur fir commissioner se mujhe milate huye kaha.

Vaani boli “asal me wo hamla mere is bhai par kiya gaya tha. Lekin unke hamla karne ke pahle hi, mausi ne un logon ko dekh liya aur unke hamle se ise bachane ke liye wo khud samne aakar, unke hamle ka shikar ban gayi.”

“Mujhe is hamle ke pichhe koi gahri sajish najar aa rahi hai aur us sajish ke taar mumbai tak jude hone ka andesha hai. Jis vajah se ye case mai apne tarike se, apne star par hi suljhana chahti hu.”

Vaani didi ki baat sunkar, commissioner ne muskurate huye kaha.

Commissioner bola “meri taraf se aapko is case ko suljhane ki puri ijajat hai. Aaj se, balki abhi se, ye sub-inspector aur iska inspector dono aapke hath ke niche kaam karege aur aapke kisi kaam me koi dakhal andazi nahi karege.”

Commissioner ki ye baat sunkar, pritam ka chhota chehra aur bhi chhota ho gaya. Abhi commissioner aur vaani didi ki baten chal hi rahi thi ki, tabhi 50-55 saal ka ek robila sa aadmi humare pas aa gaya.

Dekhne me wo bhi police ka koi bada officer hi lag raha tha. Lekin uske sath aaye 3-4 aadmi me se ek aadmi ke chehre par najar padte hi, mai thoda chuak gaya. Kyoki ye pados wale bungalow ke do Gun-man me se ek tha. Us robile aadmi ko dekhte hi commissioner ne hanste huye kaha.

Commissioner bola “aaiye saxena ji, mujhe to lagta tha ki, hum police wale hi, har jagah par der se pahuchte hai. Lekin aapko dekh kar kahna padega ki, aap CID wale bhi is mamle me humse pichhe nahi hai.”

Commissioner ki is baat se itna to pata chal gaya tha ki, saxena ji CID ke koi officer hai aur us Gun-man ko dekh kar, mujhe ye bhi samajh me aa gaya ki, ye hi saxena ji humare padosi hai.

Kyoki keerti mujhe pahle hi bata chuki thi ki, humare pados me koi saxena ji aaye hai aur unki chhoti ladki ami nimi ke sath khelne aati hai. Iske aage na to, usne kuch bataya tha aur na hi maine kuch janne ki koshish ki thi.

Saxena ji ne aakar commissioner ne hath milaya aur fir uski baat ka jabab dete huye kaha.

Saxena ji bole “vibhuti ji, aap apni police ka mukabla humari CID se mat kijiye. Humari CID kitni tej hai. Iska ek namuna to vaani beti dikha hi chuki hai aur dusra namuna wo aapko us case ko suljha kar, dikha degi. Jiske liye aapki special request par use yaha bulaya gaya hai.”

“Jab mai pune me tha to, vaani meri team ki sabse kabil officer thi aur mujhe pura yakin hai ki, ye aapke us school student bharti ke gang-rape ke case ko bhi chutkiyon me suljha degi. Jiski gutthi ko suljhane me aapki police puri tarah se nakam rahi hai.”

Saxena ji ki baat sunkar, vaani didi ne unhe ummid bandhate huye kaha.

Vaani boli “aap yakin rakhiye uncle, mai aapko is baar bhi nirash nahi hone dungi.”

Saxena ji bole “mujhe tumse aisi hi ummid thi. Mai tumhare is kaam ke liye tumhe apne teen kabil officer de raha hu. Ye aniruddh, manik aur niranjan hai. Iske alawa aaj huye hamle ko dekhte huye, mai apne Gun-man vishwa ko bhi tumhare ghar ki suraksha ke liye laga raha hu.”

Saxena ji ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani boli “uncle aapke dono hi Gun-man bahut nidar hai. Mujhe un hamlawaron se ladte dekh kar, dono hi fauran meri madad ke liye pahuch gaye the. Inki is bahaduri ko mera salam hai.”

Vaani didi ke muh se apni tarif sunkar, Gun-man vishwa ne un se kaha.

Vishwa bola “thanks madam, lekin aapke jaane ke bad, ye sub-inspector sahab humare pas aaye the. Humne inhe aapke baare me sab kuch bata diya tha aur ye bhi kah diya tha ki, aapse kuch baat karne ke pahle commissioner sahab se jarur baat kar le. Lekin ye hum par apni vardi ka rob jhad kar, aapse puchh tachh karne yaha tak aa gaye.”

Vishwa ki baat sunkar, pritam gusse me use kha jaane wali najron se ghurne laga. Lekin ye baat sun kar us se jyada gussa commissioner ko aa gaya aur usne pritam par badakte huye kaha.

Commissioner bola “tumhari is harkat ko dekh kar, dil to kar raha hai ki, tumhe is wakt goli maar du. Magar teri najar to, meri vardi utarwane par hi hai aur mai tere is sapne ko kabhi pura nahi hone duga. Mai tujhe abhi isi wakt naukri se barkhast karta hu.”

Commissioner ki baat sunte hi, pritam ke pichhe khade dono hawaldar, uske pas se aise door jakar khade ho gaye, jaise ki yadi wo waha khade rahe to, barkhast hone ka agla number unhi ka lag jayega.

Lekin is se bhi buri haalat pritam ki huyi thi. Naukri se barkhast hone ka naam sunte hi, uska dimag hil gaya aur usne gidgidate huye, commissioner se kaha.

Pritam bola “plz sir aisa mat kijiye, meri teen bibi aur ek bachche hai. Yadi mai naukri se barkhast ho gaya to, un sabka kya hoga.”

Pritam ke muh se teen bibi hone wali baat sunkar, sab fatifati aankhon se use dekhne lage. Sabki hairani ko dekhte huye, ek hawaldar ne aage aakar commissioner se kaha.

Hawaldar bola “sir lagta hai ki, barkhast hone ki baat sunkar, pritam sahab ka dimag thikane nahi hai. Isliye ye aisi bahki bahki baat kar rahe hai. Inki teen bibi aur ek bachcha nahi, balki ek bibi aur teen bachche hai.”

Us hawaldar ki baat sunte hi hum sabki hairani door ho gayi. Wahi vaani didi ne commissioner se kaha.

Vaani boli “sir, mujhe lagta hai ki, iski itni si galti ke liye, ye bahut badi saza hai. Yadi aap ise saza hi dena chahte hai to, aisa kijiye, kuch din ke liye ise mera driver bana dijiye. Is se iski akal bhi thikane aa jayegi aur ye sahi tarike se kaam karna bhi seekh lega.”

Commissioner bola “thik hai, aaj se ye aapka driver hai. Lekin yadi aaj ke bad, mujhe iski koi aur shikayat mili to, iski vardi jaane se koi bhi nahi bacha payega.”

Ye baat sunkar, pritam sir jhuka kar khada ho gaya. Use dekh kar mehul ne dhire se mujhse kaha.

Mehul bola “abe ye pritam to vaani didi se bhi tej nikla. Sub-inspector ban kar aaya tha aur yahi khade khade driver ban gaya.”

Ye kah kar, mehul muh daba kar hasne laga. Maine uske pet par mukka maar kar, use chup karaya aur tabhi operation theatar se wo dono doctor bahar nikal aaye. Un ne humare pas aate huyte kaha.

Heart surgeon bola “dekhiye, humne goli nikalne ki puri koshish ki hai. Lekin hum goli nikalne me kamyab nahi ho paye. Jyada koshish karne par goli ke fatne ya fir dil ki dhadkan rukne ka khatra bhi hai.”

“Isliye hume ye operation rokna pad gaya hai. Hum jitna kar sakte the, humne utna kar diya hai. Lekin ab stithi humari pakad se bahar hai. Inke bachne ka ab ek hi rasta hai ki, inhe mumbai le jakar kisi bade Heart surgeon ko dikhaya jaye.”

“Lekin inka heart abhi khula hua hai aur aisi haalat me inhe mumbai le ja pana sambhav nahi hai. Yadi aap kahe to, mai mumbai se ek Heart surgeon ko yaha bula sakta hu. Magar unke yaha aane jaane me aapka bahut kharcha aa jayega.”

Doctor ki baat sunte hi, chhoti maa ne doctor ke samne hath jodte huye kaha.

Chhoti maa boli “doctor sahab, aap paison ki chinta mat kijiye. Aap jitna paisa kahege, hum lagane ke liye taiyar hai. Bas aap kisi bhi tarah se humari mausi ko bacha lijiye.”

Doctor bola “tab thik hai. Mai abhi aapke samne hi unse baat kar leta hu.”

Itna kah kar, us doctor ne mumbai ke kisi dusre Heart surgeon ko call laga diya. Udhar se call uthte hi, usne kaha.

Doctor bola “hello nisha ji.”

Doctor ke muh se nisha naam sunte hi, maine hairani se mehul ki taraf dekha. Meri tarah mehul bhi ye naam sunkar, chauk gaya. Pata nahi, dusri taraf se kya kaha gaya. Jiske jabab me doctor ne kaha.

Doctor bola “nisha ji, mai kolkata se Heart surgeon dipendu ghosh bol raha hu.”

Ye kahte huye, wo yaha ki saari sitithi batane laga. Lekin uski baat sunkar, shayad waha se bhi apni koi pareshani batayi ja rahi thi. Jiske jabab me doctor marij ki gambhir sitithi ke baare me bata raha tha. Ye sab dekh kar, maine thoda pareshan hote huye, doctor dipendu se kaha.

Mai bola “kya aap heart surgeon Dr. nisha khanna se baat kar rahe hai.”

Doctor bola “nahi, ye Pediatric and adult heart surgeon Dr. nisha mehta hai.”

Ye sunte hi, maine fauran uske hath se mobile chheen liya aur apne hath me mobile lete huye kaha.

Mai bola “hello.”

Meri aawaj sunkar, dusri taraf se kaha gaya “hello kaun.”

Mai bola “bhabhi, mai hu.”

Nisha bhabhi boli “are hero, tu waha kya kar raha hai aur tu itna pareshan sa kyo dikh raha hai. Waha sab thik to hai na.”

Unki baat sunte hi, meri aankhen aanuson se bhar gayi aur maine unse kaha.

Mai bola “bhabhi, wo kya hai, wo….”

Lekin mai kuch kah nahi pa raha tha aur meri aawaj ladkhada rahi thi. Ye dekhte hi, mehul ne mere hath se mobile le liya aur nisha bhabhi ko yaha huye hadse ki saari baten batane laga.

Jise sunte hi nisha bhabhi ne mehul se doctor ko phone dene ko kaha aur fir wo use kuch jaruri hidayat dene lagi. Uske bad doctor ne phone rakh kar, humse kaha.

Doctor bola “Dr. nisha abhi airport par hi hai. Wo surat ja rahi thi. Lekin ab agli hi flight se yaha aa rahi hai.”

Ye baat sunte hi, mujhe yaad aaya ki, airport par to is samay sabhi hoge. Kahi nisha bhabhi sabko ye baat na bata de. Ye baat dimag me aate hi, maine fauran nisha bhabhi ko call laga diya. Mera call uthate hi, un ne kaha.

Nisha bhabhi boli “tu bilkul mat ghabra, hum agli flight se hi waha aa rahe hai.”

Mai bola “nahi bhabhi, aap abhi ye baat waha kisi ko nahi batayegi. Yadi aapne ye baat waha bata di to, fir shikha didi log surat nahi ja payegi. Aap un logon ko surat jaane dijiye. Aap bas yaha aa jaiye.”

Nisha bhabhi boli “tu ye kaisi baat kar raha hai. Wo log surat bad me bhi ja sakte hai. Abhi unka surat jaane se jyada jaruri tere pas aana hai.”

Mai bola “nahi bhabhi, aap abhi ye baat kisi ko nahi batayegi. Aaj shikha didi pahli baar apni sasural me kadam rakhne ja rahi hai aur bahut samay bad, ajji ka parivar pura hone ja raha hai. Mai unki khushiyon me khalal nahi dallna chahta hu.”

Nisha bhabhi boli “tu samajhta kyo nahi hai. Yadi maine kisi ko kuch nahi bataya to, bad me sab mujh par bahut naraj hoge aur ye baat unko pata chalne se kisi ki khushiyon me koi khalal nahi padega.”

Mai bola “bhabhi, mai kuch nahi janta. Aap ye baat kisi ko nahi batayegi to, matlab kisi ko nahi batayegi. Aapko meri kasam hai.”

Meri baat sunkar, nisha bhabhi ne hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “tu sach me shikha ka bhai hai. Wo bhi har chhoti badi baat me apni kasam deti rahti hai aur ab tu bhi waisa hi kar raha hai. Chal mai teri ye baat maan leti hu. Lekin aman ko to mujhe ye baat batana hi padegi.”

Mai bola “haan, aap unko ye baat bata sakti hai. Unko ye baat batane se mujhe koi pareshani nahi hai.”

Fir thodi bahut baat karke nisha bhabhi ne call rakh diya. Shikha didi logon ke sath, wo aur seeru didi log bhi surat ja rahi thi. Lekin ab wo surat na jakar, agli flight se sidhe mere pas aa rahi thi.

Nisha bhabhi ka call rakhne ke bad, maine chhoti maa ko waha ka pura haal bataya. Jise sunne ke bad, chhoti maa ne kaha.

Chhoti maa boli “ye tune bilkul thik kiya. Shikha pahli baar apni sasural me kadam rakhne ja rahi thi. Aise me uske jaane me achanak rukawat aa jaane se ek tarah ka apshakun hi hota.”

Itna kah kar chhoti maa mujhe dilasa dene lagi. Vaani didi bhi humare pas hi khadi humari baten sun rahi thi. Achanak unhe kuch yaad aaya aur un ne pritam se kaha.

Vaani boli “Mr. pritam, un dono mujrimo ko aapne kaha chhoda hai.”

Pritam bola “ji, abhi to mai unko ilaj karwane isi hospital me lekar aaya hu.”

Vaani boli “thik hai, aap jakar jara unko dekh kar aaiye aur wapas aakar unki report mujhe dijiye.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, pritam jaane laga. Lekin vaani ne use rok kar gusse me ghurte huye kaha.

Vaani boli “kya aapko itni bhi tamij nahi hai ki, apne se kisi bade officer ke pas se jate samay kya kiya jata hai.”

Vaani didi ki baat sunte hi, pritam sakpaka gaya. Usne faran vaani didi ko sorry bola aur salute marte huye waha se aise sarpat bhaga, jaise uske pichhe koi bhutni lag gayi ho.

Uske pichhe pichhe uske dono hawaldar bhi, gadhe ke sar se seeng ki tarah gayab ho gaye. Unke jate hi, mehul ne dhire se mere kaan me kaha.

Mehul bola “dekha tune, pritam ne vaani didi ko salute maara ya nahi. Ab to wo vaani didi ka driver bhi ban gaya hai. Ab mai bhi uske sath thoda khel luga.”

Hum log yaha aapas me baat karne me lage the aur waha vaani didi apne junior ko kuch jaruri baten samjha rahi thi. Tabhi pritam wapas aakar unhe kuch batane laga. Jise sunne ke bad, vaani didi aur baki log unke sath jaane lage.

Unhe jate dekh kar, mehul bhi unke sath jaane laga. Maine use rokna chaha. Lekin usne meri baat nahi maani aur un logon ke sath chala gaya. Mehul ke jate hi, nisha bhabhi ka call aa gaya.

Nisha bhabhi ne bataya ki shikha didi log surat ke liye nikal gayi hai aur wo 1:30 baje ki flight se humare yaha pahuch rahi hai. Unse baat karne ke bad, maine ye baat chhoti maa ko batayi.

Nisha bhabhi ke aane ki baat sunkar, chhoti maa ne mujhse unko airport lekar aane ki baat jatayi aur fir wo is hadse ki khabar papa ko dene ke liye call lagane lagi. Lekin maine unko aisa karne se rokte huye kaha.

Mai bola “jab papa mumbai me the aur nimi ki tabiyat kharab huyi thi. Kya tab aapne unhe nimi ki tabiyat ki khabar di thi.”

Chhoti maa boli “haan, uski tumse baat nahi ho payi thi. Isliye maine uski tumhare papa se baat karwa di thi.”

Mai bola “lekin ye baat jante huye bhi, wo mumbai me aaram se riya logon ke sath party kar rahe the aur mujhe riya logon se jhuth kahna pada tha ki, aapne ye baat papa ko nahi batayi hogi.”

“Ab aap khud hi sochiye ki, jab unhe nimi ki tabiyat se koi farak nahi pada tha to, fir unhe chanda mausi ki tabiyat se kya farak padega. Aapko yadi ye baat kisi ko batana hi hai to, richa aunty aur anu mausi ko bataiye. Wo sunte hi, yaha bhagi chali aayegi.”

Chhoti maa boli “unko keerti ne ye baat bata di hai aur wo log yaha ke liye nikal chuki hai. Lekin tere papa ko bhi ye baat batana jaruri hai.”

Mai bola “nahi, papa ko ye baat batane ki koi jarurat nahi hai. Unko unke haal par khush rahne dijiye. Waise bhi chanda mausi ko papa ki nahi, balki ek ache doctor ki jarurat hai aur iske liye nisha bhabhi yaha aa rahi hai.”

Lekin chhoti maa ne mujhse samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “dekh, aisa nahi kahte. Wo ghar ke bade hai aur unhe is baat ki khabar hona jaruri hai.”

Chhoti maa ki is baat ko sunkar, maine gusse me bhannate huye kaha.

Mai bola “wo ghar ke bade hai to, unhe ghar me hi rahne dijiye. Unko yaha aane ki koi jarurat nahi hai. Yaha meri bhabhi aa rahi hai aur mai nahi chahta ki, mere bap ki gandi najar meri bhabhi ya meri bahno par pade.”

Meri baat sunkar chhoti maa sann rah gayi. Papa ke liye meri nafarat koi nayi baat nahi thi. Magar aaj meri aankhon me, papa ke liye nafrat ke sath sath, ek gussa bhi najar aa raha tha. Jiski vajah wo chah kar bhi, samajh nahi pa rahi thi.

Keerti hum logon se kuch hi doori par ami nimi ke sath baithi thi. Usne jab kisi baat par mujhe, chhoti maa se bahas karte dekha to, wo ami nimi ke pas se uth kar humare pas aa gayi thi.

Wo chup chap humare pas khadi hokar, meri aur chhoti maa ki baton ko sun rahi thi. Lekin jaise hi usne mujhe chhoti maa se ye baat kahte suna to, wo fauran mera hath pakad kar, mujhe khichte huye, chhoti maa se door le aayi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 199}
____________________________

Chhoti maa boli “dekh, aisa nahi kahte. Wo ghar ke bade hai aur unhe is baat ki khabar hona jaruri hai.”

Chhoti maa ki is baat ko sunkar, maine gusse me bhannate huye kaha.

Mai bola “wo ghar ke bade hai to, unhe ghar me hi rahne dijiye. Unko yaha aane ki koi jarurat nahi hai. Yaha meri bhabhi aa rahi hai aur mai nahi chahta ki, mere bap ki gandi najar meri bhabhi ya meri bahno par pade.”

Meri baat sunkar chhoti maa sann rah gayi. Papa ke liye meri nafarat koi nayi baat nahi thi. Magar aaj meri aankhon me, papa ke liye nafrat ke sath sath, ek gussa bhi najar aa raha tha. Jiski vajah wo chah kar bhi, samajh nahi pa rahi thi.

Keerti hum logon se kuch hi doori par ami nimi ke sath baithi thi. Usne jab kisi baat par mujhe, chhoti maa se bahas karte dekha to, wo ami nimi ke pas se uth kar humare pas aa gayi thi.

Wo chup chap humare pas khadi hokar, meri aur chhoti maa ki baton ko sun rahi thi. Lekin jaise hi usne mujhe chhoti maa se ye baat kahte suna to, wo fauran mera hath pakad kar, mujhe khichte huye, chhoti maa se door le aayi aur mujh par gussa karte huye kaha.

Keerti boli “tumhare muh me lagam hai ya nahi. Jo bhi muh me aata hai, bakte chale jate ho. Jante bhi ho ki, tum mausi se kya bol rahe the.”

Keerti ki is baat par, maine ulte us se hi sawal karte huye kaha.

Mai bola “tu to sab kuch janti hai. Fir bhi tujhe mera bolna galat lag raha hai. Tu hi bata ki, maine kya galat bola hai.”

Keerti boli “na to mai tumko galat bol rahi hu aur na hi tumne kuch galat bola hai. Lekin tumhe ye to sochna chahiye ki, tum kis se kya bol rahe ho. Lekin ab mai tumse puchhti hu ki, jin baton ki vajah se, tum mausa ji par itna gussa kar rahe the. Kya tum wo baten mausi ko batane ki himmat rakhte ho.”

Keerti ki baat sunkar, mai chup hokar rah gaya. Uska kahna jara bhi galat nahi tha. Mai chah kar bhi wo sab baten chhoti maa ko bata kar, unhe dukh nahi pahucha sakta tha. Mujhe chup dekh kar keerti ne mujhe samjhate huye kaha.

Keerti boli “mai tumhare dard ko samajh sakti hu. Tum kahi bhi galat nahi ho. Lekin tumhe apna ye gussa apne dil me hi daba kar rakhna hoga. Isi me hum sabki bhalai hai.”

Keerti ki is baat ko sunkar, maine use yakin dilaya ki, ab mai aisi galti dobara nahi karuga. Abhi meri keerti se baat chal hi rahi thi ki, tabhi anuradha mausi, richa aunty aur mohini aunty aa gayi.

Wo aate hi chhoti maa se chanda mausi ki haalat puchhne lagi. Unhe dekh kar, mai aur keerti bhi unke pas aa gaye aur maine richa aunty se kaha.

Mai bola “aap aur mehul yaha hai to, fir uncle ke pas kaun hai.”

Richa aunty boli “hum kamal aur nitika ko unke pas chhod kar aaye hai. Lekin mehul kaha hai. Kya wo kahi gaya hai.”

Mai bola “nahi, wo bhi yahi hai. Abhi wo vaani didi ke sath hai.”

Iske bad keerti richa aunty logon se baat karne lagi. Tabhi mujhe mehul aate huye dikha. Wo bhagte huye aaya aur hum se kuch doori par khade hokar hafne laga. Use dekh kar, mai uske pas aa chala aaya aur us se kaha.

Mai bola “abe tujhe kya hua. Tu itna hanf kyo raha hai.”

Mehul bola “kuch mat puchh. Vaani didi ne ek ko aur tapka diya.”

Mai bola “abe saaf saaf bol, kya hua.”

Mehul bola “wo vaani didi ne jin do logon ko pakda tha. Unme se ek ne manik naam ke officer ki Gun chheen li aur pritam ki kanpati par rakh kar, waha se bhagne ki koshish karne laga. Magar uske waha se bhag pane ke pahle hi, vaani didi ki revolver se nikli goli ne uska bheja udha diya.”

“Lekin us samay uski khopdi aur pritam ki khopdi itni pas thi ki, yadi vaani didi ka nishana jara bhi chukta to, uski jagah pritam ka hi bheja udh jata. Bas isi dahshat me pritam ki pant geeli ho gayi.”

Itna bol kar, mehul pet pakad kar hasne laga. Lekin uski is harkat par maine us par bhadakte huye kaha.

Mai bola “waha vaani didi ne ek ko hamesha ke liye sula diya aur tujhe hansi aa rahi hai.”

Mehul bola “vaani didi ne to pahle hi kah diya tha ki, un ne do ko maar giraya hai. Isliye un me se ek ka marna to usi samay pakka ho gaya tha. Mujhe to us pritam ki haalat par hansi aa rahi hai.”

Mai bola “ab tu pritam par bad me hans lena. Abhi jakar vaani didi se bol ki, 1:30 baje ki flight se nisha bhabhi aa rahi hai aur unko lene ke liye vaani didi ko humare sath airport chalna hai.”

Meri baat sunkar, mehul vaani didi ke pas chala gaya. Kuch der bad, wo pritam ke sath wapas aate dikha. Uske mere pas aane par, maine us se kaha.

Mai bola “kya hua, vaani didi ne kya kaha. Kya wo humare sath nahi chal rahi hai.”

Mehul bola “nahi, wo abhi us mujrim se puchh tachh kar rahi hai. Un ne humare sath jaane ke liye inko bheja hai.”

Itna bol kar, mehul dabi muskan me muskurane laga. Vaani didi ne use khelne ke liye pritam naam ka khilona de diya tha. Jiske wo maje liye ja raha tha. Mai usko pritam ke pas hi chhod kar chhoti maa ke pas aa gaya.

Maine chhoti maa ko apne airport jaane ki baat jatayi aur fir mai mehul ke sath airport ke liye nikal gaya. Mehul pritam ke sath aage ki seat par baitha tha aur mai pichhe ki seat par baitha tha.

Wo pure raste bhar, pritam ko vaani didi ke kisse suna suna kar darata raha. Pritam use bich bich me gusse me ghoor kar dekhta. Lekin vaani didi ki vajah se wo mehul ko kuch bol nahi pa raha tha.

Aise hi mehul ki bak-bak sunte sunte hum log airport pahuch gaye. Pritam ko gaadi ke pas hi chhod kar hum dono andar pahuch gaye. Pritam se door hote hi, maine mehul se kaha.

Mai bola “tu use jyada pareshan mat kar, warna vaani didi ke jate hi, wo tujhse gin gin kar badle laga.”

Mehul bola “tu uski fikar kyo karta hai. Vaani didi ke yaha se jaane ke bad bhi, uske dil dimag se vaani didi ka khauf nahi nikal payega. Wo chahte huye bhi mujhse panga lene ki galti nahi karega.”

Mehul ki baat sunkar, mai use samjhane laga aur wo mujhe samjhane laga. Isi bich nisha bhabhi ki flight bhi aa gayi. Mujhe laga tha ki, wo akeli aayegi. Lekin unke sath, barkha didi ko bhi dekh kar, meri khushi dugni ho gayi.

Magar sath hi sath mai is baat ko bhi lekar, pareshan ho gaya tha ki, barkha didi ke alawa ye baat kis kis ko pata chali hai. Mai isi soch me gum tha ki, nisha bhabhi ne aakar, mere kandhe par hath rakhte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “hey hero, ye tum kis soch me kho gaye. Barkha ko dekh kar, kahi ye to nahi sochne lage ki, barkha ko maine kuch bataya hai. Maine barkha ko kuch bhi nahi bataya.”

“Maine ye baat sirf aman ko batayi thi. Aman ne ye soch kar ye baat barkha ko bata di ki, shikha ko ye baat pata chalte hi wo ghabrane lagi. Lekin barkha ke yaha hone par use kuch tasalli rahegi.”

Nisha bhabhi ki ye baat sunte hi, mere chehre par muskurahat aa gayi. Mai khushi khushi barkha didi se mila aur fir barkha didi aur nisha bhabhi ko lekar, airport se bahar aa gaya.

Hum jaise hi apni car ke pas pahuche, waha ek SI ko dekh kar, barkha didi aur nisha bhabhi dono chauk gaye. Lekin kisi ne kuch kaha nahi. Mehul aage jakar pritam ke pas baith gaya.

Mai pichhe ki seat par barkha didi aur nisha bhabhi ke sath baith gaya. Humari car ke aage badte hi nisha bhabhi ne mujhse kaha.

Nisha bhabhi boli “ye car to nayi lag rahi hai. Ye police ki car nahi lagti.”

Mai bola “nahi bhabhi, ye police ki car nahi hai. Ye chhoti maa ki car hai. Aap jab bhi aayegi, aapko unki car nayi hi milegi.”

Nisha bhabhi boli “wo kyo.?”

Mai bola “wo isliye, kyoki chhoti maa ko nayi car ka shauk hai. Wo kuch hi din me apni car badal deti hai.”

Meri baat sunkar, nisha bhabhi ne hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “unki bhi aadat seeru ki tarah hai.”

Mai bola “kya matlab, kya seeru didi ko bhi nayi car ka shauk hai.”

Nisha bhabhi boli “haan, seeru ko nayi car ka bahut shauk hai. Lekin aman ke samne uski chal nahi pati hai. Isliye use jab bhi nayi car chahiye rahti hai. Wo aru ko ajji ke samne khadi kar deti hai.”

Nisha bhabhi ki ye baat sunkar, mujhe aru ke BMW car le lene wali baat yaad aa gayi aur mai wo hi baat nisha bhabhi ko batane laga. Jise sunkar, wo bhi hasne lagi. Fir un ne pritam ke baar me puchhte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “kya ye SI tumhara koi rishtedar hai.”

Mai bola “nahi bhabhi, ye meri didi ke assitant hai. Didi kisi kaam me fasi hone ki vajah se aapko lene nahi aa pa rahi thi. Isliye un ne aapko lene inhe bheja hai.”

Ye kah kar, mai unhe vaani didi ke baare me batane laga. Aise hi baat karte karte, hum hospital pahuch gaye. Hospital pahuch kar, nisha bhabhi aur barkha didi chhoti maa se milne lagi.

Nisha bhabhi ke hospital me pahuchne ki, khabar milte hi, doctor ki ek team unke pas aa gayi aur wo unhe chanda mausi ki haalat ke baare me batane lagi. Jiske bad, nisha bhabhi unke sath chanda mausi ko dekhne chali gayi.

Chhoti maa sabko barkha didi se milane lagi. Lekin jaise hi barkha didi ne keerti ko dekha to, hairani se bas dekhti rah gayi. Keerti ne unhe hairan dekh kar, muskurate huye kaha.

Keerti boli “didi, aise kya dekh rahi hai. Mai nikki nahi, balki punit ki mausi ki ladki keerti hu. Meri shakal bas nikki se milti hai.”

Keerti ki baat sunkar, barkha didi ne muskurate huye use gale se laga liya. Iske bad wo ami nimi se milne lagi. Barkha didi ka sabse milna julna ho chuka tha. Lekin nisha bhabhi abhi tak chanda mausi ke pas se wapas nahi aayi thi.

Tabhi ek nurse humare pas aakar, humse O+ (O Positive) blood ka intejam karne ko kahne lagi. Ittefak se mehul ka blood group O+ (O Positive) hi tha. Wo fauran blood dene ke liye taiyar ho gaya.

Humne nurse se nisha bhabhi ke baare me puchha to, usne bataya ki, andar chanda mausi ke operation ki taiyari chal rahi hai aur Dr. nisha sathi doctor ko kuch jaruri hidayat de rahi hai.

Wo shayad ab operation ke bad hi bahar aayegi. Itna kah kar wo nurse mehul ko blood ke liye lekar chali gayi. Tabhi vaani didi apne baki sathiyon aur us mujrim ke sath aa gayi. Un ne aate hi chhoti maa ne kaha.

Vaani boli “mausi, mai kuch jaruri kaam se ja rahi hu. Lekin jab tak mai wapas nahi aa jati, tab tak aap ya punnu dono me se koi yaha se bahar nahi niklega. Yadi aapko yaha koi bhi pareshani ho to, aap mujhe call kar dijiyega.”

Vaani didi ki baat sunkar, chhoti maa ne kuch pareshan hote huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, tum aisa kyo kah rahi ho. Kya abhi bhi kisi baat ka khatra hai.”

Vaani boli “mausi, kisi ko koi khatra nahi hai. Mai sirf aapki suraksha ko dhyan me rakh kar, ye baat kah rahi hu. Aap kisi baat ki koi fikar mat kijiye. Mai hu na.”

Chhoti maa se itna kahne ke bad, un ne pritam se kaha.

Vaani boli “Mr. pritam, mujhe wapas aane me kuch jyada samay lag sakta hai. Meri gair maujudgi me, aap puri mustaidi se mere parivar ka khayal rakhege aur mujhse bina puchhe media ko koi bayan jaari nahi karege.”

“Yadi in me se kisi ko kahi aana jana ho to, aap khud use lekar jayege. Aapke sath vishwa bhi yahi rahega. Mai apne parivar ki taraf se koi bhi laparwahi sahan nahi karugi. Is baat ko ache se yaad rakhiyega.

Itna kah kar, vaani didi jaane lagi. Lekin fir achanak hi unhe kuch yaad aaya aur un ne wapas palat kar, pritam se kaha.

Vaani boli “Mr. pritam, mere baare me ek baat ache se jaan lijiye. Mai samundar me utarne ke pahle hi uski gahrayi naap leti hu. Mai sirf mujrimo ki hi nahi, balki apne sath kaam karne walon ki bhi puri jaankari rakhti hu.”

“Aap kya hai aur kya nahi hai. Ye baat bhi mujhse chhupi nahi hai. Mai aapko apni galtiyan sudharne ke ek mauka de rahi hu. Lekin iske bad bhi yadi aap koi galti karte hai to, fir aapke liye mujhse bura koi nahi hoga.”

Pritam ko itni chetawni dene ke bad, vaani didi apne sathiyon aur us mujrim ke sath chali gayi. Lekin vaani didi ki baat sunkar, pritam ke pasine chhut gaye the. Shayad uski kisi galti ko vaani didi ne pakad liya tha.

Us samay vaani didi kuch tanav me thi. Isliye un ne barkha didi ki taraf koi dhyan nahi diya tha. Magar barkha didi unko gaur se dekh rahi thi. Unke humare pas se jate hi barkha didi ne kaha.

Barkha boli “kya ye hi tumhari vaani didi hai.”

Mai bola “ji didi.”

Barkha boli “lekin, ye to bilkul chhuyi muyi si dikhti hai. Tum to kahte the ki, ye bahut khatarnak hai.”

Is se pahle ki, mai barkha didi ki is baat ka koi jabab de pata, mehul humare pas aa gaya. Usne barkha didi ki is baat ka jabab dete huye kaha.

Mehul bola “didi, aap unke chhyi muyi wale roop par mat jaiye. Aapki tarah gussa unki naak par hi baitha rahta hai. Aap dono me farak sirf itna hai ki, aap hum logon par raham kar leti ho aur wo hum logon par bhi raham nahi karti.”

Keerti ne bhi mehul ki baat ka samarthan kiya aur wo barkha didi ko vaani didi ke baare me batane lagi. Jise sunkar, barkha didi bhi hanse bina na rah saki. Un se baat karte karte, hume samay ka pata hi nahi chala aur 4 baj gaye.

Tabhi hume nisha bhabhi aati huyi dikhayi di. Unke chehre ki muskurahat dekh kar hi pata chal raha tha ki, sab kuch thik hai. Un ne muskurate huye chhoti maa ke pas aakar kaha.

Nisha bhabhi boli “aunty, ab aapko fikar karne ki koi jarurat nahi hai. Unke heart se goli nikal chuki hai aur ab wo khatre se bahar hai. Bas kuch din ke aaram ke bad, wo fir se pahle ki tarah ho jayegi.”

Nisha bhabhi ki baat sunkar, hum sabke chehre par bhi muskurahat aa gayi. Hum log nisha bhabhi se baat karne me lage the aur ami nimi wahin baithi Tv dekh rahi thi. Tabhi ami ne chhoti maa ko pukara.

Uski aawaj sunte hi, chhoti maa ke sath sath hum sabka dhyan bhi ami nimi ki taraf chala gaya. Humare unki taraf dekhte hi, ami ne kaha.

Ami boli “mummy, ye dekhiye, Tv me vaani didi ka photo dikha rahe hai.”

Ami nimi ki baat sunkar, hum sab ami nimi ke pas aa gaye aur Tv dekhne lage. Tv me is samay news aa rahi thi. Jisme vaani didi ka photo dikha rahe the aur ab tak ke unke karname bata rahe the. Fir news reader ne aaj huyi ghatna ke baare me batate huye kaha.

News reader “aaj bhi humare shahar ki subah ki suruaat hamesha ki tarah apradhiyon ke apradh karne se hi suru huyi thi. Lekin aaj ki subah me apradh ke alawa bhi bahut kuch khas shamil tha aur wo tha, apradhiyon ko unke apradh ka muh tod jabab dena.”

“Police sutron se gyat hua ki, aaj subah mafiya sargana gauranga ke aadmiyon dwara kolkata ke mashhoor udyogpati amarnath roy ke eklote bete punit roy par jaan leva hamla kiya gaya. Jiski shikar ek mahila ho gayi.”

“Is se pahle ki apradhi apne mansubon ko anjam de pate, pune ki mashhoor CID officer vaani roy ne 3 me se 2 apradhiyon ko mauka-ae-vaardad par hi maar giraya aur ek ko gayal kar diya. Jise ilaj ke bad police hirasat me rakha gaya hai.”

“Punit roy, CID officer vaani roy ke cousin hai. Vaani roy ka is samay shahar me hona koi ittefak nahi tha. Bataya jata hai ki, police commissioner ki special request par sarkar dwara vaani roy ko school student bharti ke gang-rape ki gutthi suljhne ke liye bheja gaya hai.”

“Lekin unke bhai par kiye gaye hamle ka case bhi unhi ko saunp diye jaane ka kamiyaja mafiya sargana gauranga ko bhogna pad gaya. Vaani roy ne pichhle 3 ghanto me gauranga ke 8 thikano par tabad tod chhapa maar karyawahi karte huye, gaurnaga sahit uske sau se bhi jyada aadmiyon ko giraftar kiya hai.”

“Is hamle me ghayal huyi mahila ki haalat ke baare me media ko koi jaankari nahi di ja rahi hai aur na hi media ko hospital ke andar jaane diya ja raha hai. Aaiye hum hospital chal kar, waha ka taja haal lete hai.”

Iske bad, hospital ke bahar ka najara dikhaya jaane laga. Lekin hospital ke bahar ka najara dekhte hi, hum sab chauk gaye. Hospital ke bahar ka najara to ek-dam police ki chhawani ki tarah ka najar aa raha tha.

Hospital ke bahar bahut saara police bal tha. Jo media walon aur kisi bhi sandigdh aadmi ko hospital ke andar nahi aane de raha tha. Ye sab najara dikhane ke bad, camera ek mahila patrakar ke upar aakar ruk gaya aur usne apni report dete huye kaha.

Mahila patrakar “jaisa ki aap dekh rahe hai ki, hospital ke bahar ka najara kisi police chhawani ki tarah ka najar aa raha hai aur hospital ke andar media walon ya kisi bhi sandigdh vyakti ko nahi jaane diya ja raha hai.”

“Bataya jata hai ki, aisa sirf mafiya sargana gaurnaga ki giraftari ko dhyan me rakh kar kiya ja raha hai. Hamle me ghayal mahila ka naam chanda singh bataya ja raha hai aur uski haalat bahut hi gambhir bani huyi hai.”

“Chanda singh ko do goliyan lagi thi. Jinme se ek goli abhi bhi unke heart me dhansi huyi hai. Jise nikalne me yaha ke doctor puri tarah se nakam rahe aur iske liye mumbai ki mashhoor Pediatric and adult heart surgeon Dr. nisha mehta ko bulaya gaya hai.”

“Udyogpati amarnath roy ke padosiyon se pata chala hai ki, chanda singh unke ghar me kaam karne wali ek mamuli si naukrani hai. Jiski jaan bachane ke liye udyogpati amarnath roy ki patni, sunita roy pani ki tarah paise baha rahi hai aur Dr. nisha mehta ko bhi iske liye muh maange paise diye ja rahe hai.”

Us mahila patrakar ki aakhiri baat sunte hi, mujhe gussa aa gaya aur maine gusse me Tv band kar diya. Lekin nisha bhabhi ne fir se Tv chalu karte huye kaha.

Nisha bhabhi boli “in media walon ki baton par jyada dhyan mat diya karo. Har khabar ko mirch masala laga kar dikhana inki aadat hai.”

Mai bola “lekin bhabhi, ye to aadha sach aur aadha jhuth dikha rahe hai.”

Nisha bhabhi boli “yadi ye sab sach sach dikhayege to, fir inki khabar ko kaun dekhega. Tum ek bahut bade udyogpati ke bete ho aur tumhe aage chal kar bhi bahut baar in sab baton ka samna karna padega. Isliye tumhe abhi se in sab baton ki aadat daal leni chahiye.”

Tabhi fir se camera wapas news center ki news reader par aa gaya aur usne aage kaha.

News reader “abhi aapne hospital ke bahar ka taaja haal dekha. Ab hum aapko police commissioner office le chalte hai. Jahan is samay media se vaarta karne ke liye, police commissioner, C.I.D. ke DSP Mr. saxena aur CID officer vaani roy sahit anya police officer upastith hai.”

Iske bad Tv par police commissioner office ka drashya dikhayi dene laga aur waha vaani didi bhi dikhayi de rahi thi. Vaani didi ke dikhayi dete hi, nimi ne vaani didi ka naam lete huye, taliyan bajana suru kar diya.

Nimi ki is harkat par chhoti maa ne use gusse me aankh dikhayi to, wo fir se chup chap baith kar Tv dekhne lagi. Tabhi ek patrakar ne vaani didi se puchha.

Pahla patrakar “miss vaani, aapne mafiya sargana guranga ke sirf 4 thikano par chhapa maare jaane ki suchna media ko di thi, jabki aapke dwara 8 thikano par chhapa maara gaya hai. Kya aapka is tarah se media ko gumrah karna, desh ki janta ke sath dhoka nahi hai.”

Pahle patrakar ke sawal ke jabab me vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “abhi tak CID ki taraf se media ko koi suchna ya bayan jaari nahi kiya gaya hai. Wo suchna police ki taraf se jaari ki gayi thi aur uski CID ko koi jaankari nahi hai.”

“Lekin desh ki janta ke liye ye chaukane wali baat jarur hai ki, jin 4 jagah par police ne media ko suchit karke chhape marne ki karyawahi ki thi. Un 4 jagah par police ek darjan se bhi kam apradhiyon ko pakdane me kamyab ho payi.”

“Jabki jin thikano par CID ne media ko bina suchit kiye chhape maare the, unme hum 100 se bhi jyada apradhiyon ko pakadne me safal huye hai. Kahi iska ye matlab to nahi ki, apradhiyon aur media ke bich me pahle se hi santh ganth thi, jis vajah se police un jagah par apradhiyon ko pakadne me kamyab nahi ho saki.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi ek dusre patrakar ne un par bhadakte huye kaha.

Dusra patrakar “miss vaani, aap ye mat bhuliye ki, ye karyakram desh ki saari janta dekh rahi hai aur aap desh ki janta ke samne hum patrakaron ki nishtha par shaq karke aur hum par aisa bebuniyad ilajam laga kar, hum patrakaron ko hi nahi, balki desh ki janta ko bhi naraj karke, apne liye musibat mol le rahi hai.”

Us patrakar ki baat sunkar, vaani didi ne ashcharya chakit hone ka natak karte huye kaha.

Vaani didi boli “ye to aap patrakaron ki dogli niti hai. Aap yadi CID par bina kisi sabut ke desh ki janta ko gumrah karne ka iljam lagaye to, wo galat nahi hai. Lekin yadi maine koi thos vajah batate huye, aapke samne apna sawal rakha to, wo mere liye desh ki janta aur aap patrakaron ki narajgi ka sabab ban raha hai.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi ek teesra patrakar bol utha.

Teesra patrakar “miss vaani, aap shayad bhool rahi hai ki, hum patrakar desh ki janta ki aawaj hai aur desh ki janta hi aapse ye sawal puchhna chahti hai.”

Vaani didi boli “mai desh ki janta ke har sawal ka jabab dene ke liye taiyar hu. Lekin humari media ne police ki dwara ki ja rahi pal pal ki karyawahi aur police dwara uthaye jaane wale agle kadam ka jo prasaran kiya hai.”

“Us prasaran ko desh ki aam janta ke sath sath, un apradhiyon ne bhi dekha. Jis vajah se wo police ke aane se pahle hi, sawdhan ho gaye aur waha se bhag nikle. Jabki jis jagah par CID ne chhape maare, us se apradhi anjan the aur CID ko itni badi safalta mili.”

“Mai aap patrakaron se puchhna chahti hu ki, aap logon ne apni news me police dwara ki ja rahi karyawahi aur police dwara uthaye jaane wale agle kadam ko dikhane ke pahle, kya ek pal ke liye bhi is baat ko sochna jaruri samjha ki, is news ko desh ki aam janta ke sath sath, wo apradhi bhi dekh rahe hoge.”

“Kya media ki ye naitik jababdari banti nahi thi ki, wo apne prasaran me aisi koi bhi chij na dikhaye, jis se police ke kaam par asar pade aur wo apradhiyon ke liye madadgar sabit ho.”

“Mai janti hu ki, media desh ki janta ki aawaj hai. Lekin ye bhi mat bhuliye ki, police ho ya CID ho. Hum par desh ki janta ki suraksha ka bhar hai aur humne wo hi kiya, jo janta ki suraksha ke liye sahi tha.”

“Iske bad bhi yadi aapko lagta hai ki, maine desh ki janta ko gumrah kiya hai to, mai desh ki janta se maafi mangti hu. Mujhe aap logon se jo bolna tha, maine wo bol diya hai. Ab aap apne baki ke sawalon ke jabab mere senior officers se le lijiye.”

Itna bol kar vaani didi chup ho gayi aur media wale police commissioner se sawal karne lage. Isi bich ek ladka sabhi ke samne chay samose rakhne laga. Tabhi nimi vaani didi se baat karne ki jid karne lagi.

Chhoti maa ne use daant kar chup karana chaha to, usne rona suru kar diya. Nimi ko rote dekh kar, keerti ne use chup karaya aur vaani didi ko call laga diya. Vaani didi ne keerti ka call dekhte hi, fauran call utha liya.

Vaani didi ke call uthate hi, keerti ne unse nimi se baat karne ko kaha aur fir nimi ko mobile pakda diya. Nimi ne call par aate hi, vaani didi se kaha.

Nimi boli “didi, mujhe bhi samose khana hai.”

Vaani didi boli “kyo, kya tune abhi tak kuch nahi khaya.”

Nimi boli “didi, maine aur ami didi ne subah se kuch nahi khaya.”

Vaani didi boli “tu ruk, mai abhi kuch lekar aati hu.”

Ye kahte huye vaani didi ne call rakha aur fir saxena ji ko jata kar, us patrakar-varta se bahar nikal aayi. Unke bahar nikalte hi, humne bhi Tv band kar diya. Tv band hote hi, mehul ne nimi se kaha.

Mehul bola “moti, tujhe kuch khana hi tha to, mujhse bol deti. Is tarah vaani didi ko pareshan karne ki kya jarurat thi.”

Lekin nimi ne mehul ki baat sunte hi, rona suru kar diya. Maine badi mushkil se kisi tarah se use chup karaya aur fir kuch der bad, ek hawaldar khana lekar aa gaya. Nimi saara khana khol khol kar dekhne lagi.

Lekin use usme samosa kahi najar nahi aaya aur wo fir se rone lagi. Use rota dekh kar, chhoti maa us par gussa karne lagi. Chhoti maa ko nimi par gussa hote dekh kar, mujhe laga ki, ab kahi wo nimi par hath na utha de. Isliye mai nimi ko bahlane ke liye bahar lane laga.

Lekin pritam ne mujhe bahar jaane se rok diya. Abhi mai pritam se baat kar hi raha tha ki, tabhi vaani didi aa gayi. Unne humare pas aate hi samose nimi ki taraf bada diye aur nimi khushi khushi samose lekar daudti huyi, ami ke pas chali gayi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 200}
____________________________

Nimi boli “didi, maine aur ami didi ne subah se kuch nahi khaya.”

Vaani didi boli “tu ruk, mai abhi kuch lekar aati hu.”

Ye kahte huye vaani didi ne call rakha aur fir saxena ji ko jata kar, us patrakar-varta se bahar nikal aayi. Unke bahar nikalte hi, humne bhi Tv band kar diya. Tv band hote hi, mehul ne nimi se kaha.

Mehul bola “moti, tujhe kuch khana hi tha to, mujhse bol deti. Is tarah vaani didi ko pareshan karne ki kya jarurat thi.”

Lekin nimi ne mehul ki baat sunte hi, rona suru kar diya. Maine badi mushkil se kisi tarah se use chup karaya aur fir kuch der bad, ek hawaldar khana lekar aa gaya. Nimi saara khana khol khol kar dekhne lagi.

Lekin use usme samosa kahi najar nahi aaya aur wo fir se rone lagi. Use rota dekh kar, chhoti maa us par gussa karne lagi. Chhoti maa ko nimi par gussa hote dekh kar, mujhe laga ki, ab kahi wo nimi par hath na utha de. Isliye mai nimi ko bahlane ke liye bahar lane laga.

Lekin pritam ne mujhe bahar jaane se rok diya. Abhi mai pritam se baat kar hi raha tha ki, tabhi vaani didi aa gayi. Unne humare pas aate hi samose nimi ki taraf bada diye aur nimi khushi khushi samose lekar daudti huyi, ami ke pas chali gayi.

Nimi ke humare pas se jate hi, vaani didi ke pas police commissioner ka phone aa gaya. Un ne call uthaya to, commissioner ne kaha.

Commissioner bola “miss vaani, media janna chahti hai ki, humne sabhi apradhiyon ko jinda hi giraftar kiya hai ya kuch ko maar bhi giraya hai.”

Vaani didi boli “sir hum sabhi ko jinda giraftar karna chahte the. Lekin guranga ki giraftari ke samay, uske do aadmiyon ne hum par goliyan barsana suru kar diya. Jiski jababi karyawahi me humne un dono ko maar giraya hai.”

Itna kahne ke bad, vaani didi ne call rakh diya aur fir apne assitant officer niranjan se kaha.

Vaani didi boli “niranjan, tum CID office jao. Waha gauranga aur jin do logon ne hum par goliyan chalayi thi. Unhe apne pas rakh kar, baki sab apradhiyon ko police ke hawale kar do. Kuch der bad, mai gauranga se puchh tachh ke liye aati hu. Tab tak un teeno ko ek sath hi rakho.”

Vaani didi ki baat sunkar, niranjan ke chehre par muskurahat aa gayi aur wo vaani didi ka aadesh pate hi, waha se chala gaya. Uske bad un ne apne assitant officer aniruddha se kaha.

Vaani didi boli “aniruddha, ab mujhe yaha koi khatra najar nahi aa raha hai. Isliye yaha ki saari police hata do. Lekin abhi aetihaat ke taur par, vishwa aur pritam yahi rahege. Tum jakar saxena uncle se milo aur mumbai CID se baat karo. Mujhe pura yakin hai ki, gauranga se puchh tachh ke bad hume mumbai jana padega.”

Vaani didi ka aadesh pate hi, wo bhi waha se chala gaya. Uske bad, un ne apne assitant officer manik se kaha.

Vaani didi boli “manik, tum police commissioner se milkar, unse school student bharti ke gang-rape case ki file lekar, us par aaj se hi kaam suru kar do aur tumhe usme kya samajh me aa raha hai. Mujhe suchit karo.”

Vaani didi ki baat sunkar, manik bhi waha se chala gaya. Uske jate hi, mai vaani didi ko nisha bhabhi se milane laga. Nisha bhabhi se milte hi vaani didi ne kaha.

Vaani didi boli “sorry, mai kaam ki vajah se pahle aapse nahi mil payi. Ab humari mausi ki tabiyat kaisi hai.”

Nisha bhabhi boli “koi baat nahi, kabhi kabhi mai bhi kaam me fas kar chahte huye bhi kisi ko samay nahi de pati. Magar aapka kaam mujhse bhi kahi jyada jaruri tha. Aapne to ek hi jhatke me pure mafiya ka safaya kar diya. Khalid bhai, aapke baare me bilkul sahi hi kahte the.”

Nisha bhabhi ki baat sunkar, vaani didi ne hairan hote huye kaha.

Vaani didi boli “khalid ne aapse mere baar me kya kaha.”

Nisha bhabhi boli “khalid bhai, kahte hai ki, puri CID me sirf ek hi mard hai aur wo hai vaani roy.”

Nisha bhabhi ki baat sunte hi, vaani didi bahut jor se hasne lagi. Unhe is tarah se hanste dekh kar hum sabhi hairan the. Kyoki hum me se kisi ne bhi na to, unhe dil khol kar hanste dekha tha aur na hi kabhi rote dekha tha.

Hum to, unke thoda sa muskurane ko hi unki hansi maan lete the aur unki aankhon me aayi nami ko hi unka rona samajh lete the. Vaani didi ne hanste huye kaha.

Vaani didi boli “aap khalid ko kaise janti hai.”

Nisha bhabhi boli “mai, mere pati aman aur khalid teeno ek hi college me the. Usi samay se humari dosti hai.”

Vaani didi boli “kya aap janti hai ki, mujhe mumbai CID se bahar karne me bhi khalid ka hi hath hai.”

Vaani didi ki ye baat sunkar, hum sab chauke bina na rah sake. Lekin nisha bhabhi ne hanste huye kaha.

Nisha bhabhi boli “haan, mai ache se janti hu aur ye bhi janti hu ki, aap khalid bhai ka bhi bheja udane wali thi. Lekin na jaane kya soch kar, aapne goli nahi chalayi aur khalid bhai aapki pakad se bach kar bhag nikle.”

“Jiske bad, un ne aapko promotion dilwakar pune bhijwa diya tha. Lekin aaj bhi unko ye baat pareshan karti rahti hai ki, kabhi kisi mujrim par raham na karne wali officer ne, un par goli kyo nahi chalayi. Kya mai jaan sakti hu ki, aapne us din un par goli kyo nahi chalayi thi.”

Vaani didi boli “aapka kahna bilkul sahi hai ki, mai kisi bhi mujrim par raham nahi karti. Lekin us din khalid ki ek neki ne use bacha liya tha. Mai khalid ka pichha kar rahi thi. Mera use jinda pakadne ka bhi koi irada nahi tha.”

“Isliye meri car ke uske najdik pahuchte hi, maine us par goli chalane ke liye apni revolver taan di. Khalid ne ek najar meri taraf dekha aur apni car ki speed bada di. Lekin usi samay na jaane kaha se ek bachcha bhagte huye, uski car ke samne aa gaya.”

“Us samay yadi koi aur mujrim hota to, us bachche ko apni car se udha deta. Lekin khalid ne apni maut samne dekhte huye bhi, apni car ko break laga diye. Uski isi neki ne mujhe us par goli chalane se rok diya aur wo meri pakad se bhag nikla.”

“Uske bad, wo dubai bhag gaya aur fir kuch samay bad mujhe bhi promotion dekar pune bhej diya gaya. Khalid ek mujrim jarur tha. Lekin mujhe uske andar insaniyat najar aayi thi aur is vajah se mujhe apne aisa karne ka kabhi pachhtawa nahi hua.”

Nisha bhabhi boli “ye aapne bilkul sahi baat boli. Khalid bhai, aaj bhi aurton aur bachchon par hath nahi uthate.”

Vaani didi boli “lekin mere bhai ko marne to, wo aaya tha. Ye aur baat hai ki, aap logon ki vajah se usne kuch nahi kiya.”

Nisha bhabhi boli “nahi, yadi hum nahi bhi hote, tab bhi wo punit ko dekhne ke bad, is par hath nahi uthate. Un ne humare samne salim ko kuch nahi kaha tha. Lekin ghar jaane ke bad, use maara bhi aur ghar se bhi nikal diya tha.”

“Hum sabke samjhane par bhi wo salim ko maaf karne ko taiyar nahi the. Unka kahna tha ki, wo har baat ke liye maaf kar sakte hai. Lekin kisi maa bahan ke sath bad-saluki karne wale ko kabhi maaf nahi kar sakte.”

“Fir chahe aisa karne wala unka saga bhai hi kyo na ho. Bad me un ne priya ke kahne par, badi mushkil se salim ko maaf kiya. Wo ek don jarur hai, magar bure insan nahi hai. Isliye hum aaj bhi dost hai.”

Vaani didi boli “chalo, acha hua ki, aapne ye baat mujhe bata di. Warna mere dil me ek baat hamesha rahti ki, khalid mere bhai ko marne ke liye aaya tha aur mai use iske liye kabhi maaf nahi kar pati.”

Nisha bhabhi boli “matlab ki, ab aapne unhe is baat ke liye maaf kar diya hai.”

Nisha bhabhi ki baat sunkar, vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “haan, maine use maaf kar diya hai. Lekin use ye baat jarur bata dena ki, wo jis punit ko marne aaya tha. Us punit ki bahan, us se bhi badi Don hai.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, nisha bhabhi sahit sabhi hasne lage. Fir maine vaani didi ka barkha didi se parichay karwaya. Dono muskurate huye gale mili aur fir vaani didi ne muskurate huye kaha.

Vaani didi boli “mujhe pata chala hai ki, tum raat ka khana is nalayak se baat kiye bina nahi khati ho.”

Vaani didi ki is baat par barkha didi ne muskurate huye kaha.

Barkha didi boli “didi, jiska itna pyara bhai ho, uska khana bhala, apne bhai se baat kiye bina kaise pach sakta hai.”

Barkha didi ki baat sunkar, vaani didi ek baar fir dil khol kar hans di. Fir un ne ami nimi ki taraf dekhte huye kaha.

Vaani didi boli “tum fikar mat karo, ab tum apne bhai se jab chahe, tab mil sakgogi. Kyoki nimi ne mere sath badtamizi ki thi. Isliye ab mai ise apne sath pune lekar jaugi.”

Vaani didi ye baat ami nimi ko suna rahi thi. Isliye is baat ko sunte hi, sabki najar ami nimi ki taraf chali gayi. Lekin un dono ne ye baat suni hi nahi thi aur dono samose khane me mast thi.

Kuch der tak wo muskurate huye ami nimi ko samose khate dekhti rahi. Lekin fir achanak na jaane unko kya hua ki, un ne gusse me chikhte huye kaha.

Vaani didi boli “pritammmm.”

Vaani didi ko chikhte dekh kar, chhoti maa, richa aunty aur mohini aunty bhi humare pas aa gayi. Vaani didi ka bulana hi kisi ke pasine chhudane ke liye kaafi tha. Aise me vaani didi ke gusse me pritam ko bulane se uski haalat kharab ho gayi. Usne vaani didi ke pas aakar, haklate huye kaha.

Pritam bola “ji, ji ji, madam.”

Vaani didi ne use gusse me ghurte huye kaha.

Vaani didi boli “tu kis mitti ka bana hai. Maine tujhe apni galti ko sudharne ka ek mauka diya aur tujhse kaha ki, mere parivaar ka pura khayal rakhna. Iske bad bhi tune unka khayal nahi rakha.”

Pritam bola “nahi madam, aap chahe to, mausi ji se puchh sakti hai. Mai pure samay saaye ki tarah inke sath raha hu.”

Vaani didi boli “kya sirf sath rahna hi khayal rakhna kahlata hai. Meri dono masum bahne bhookh se kaisi behal ho gayi hai. Tujhse itna bhi nahi hua ki, mai yaha nahi hu to, kam se kam unke khane ka hi kuch intejam kar deta.”

Vaani didi ki ye baat sunte hi, chhoti maa ne pritam ka bachav karte huye kaha.

Chhoti maa boli “vaani beta, isme inki koi galti nahi hai. Inka ghar idhar pas hi hai. In ne bahut baar hum sabse khana khane chalne ko kaha tha. Lekin maine hi khane ke liye mana kar diya tha.”

Vaani didi boli “aapko nahi khana tha to, kam se kam ami nimi ko to khana khila diya hota. Wo ek aur kaha gayab hai. Kam se kam use to inka khayal rakhna chahiye tha.”

Ye kah kar vaani didi yaha waha dekhne lagi. Kisi ko samajh me nahi aaya tha ki, wo kisko puchh rahi hai. Lekin mai aur mehul samajh gaye the ki, wo mehul ko hi puchh rahi hai.

Isliye mehul unke hi pichhe hi chhup kar, chup chap khada raha. Mehul ki is harkat se richa aunty ko bhi samajh me aa gaya ki, vaani didi mehul ko puchh rahi hai. Un ne fauran hi vaani didi se kaha.

Richa aunty boli “wo tumhare hi pichhe chhup kar khada hai.”

Richa aunty ki baat sunte hi, vaani didi ne palat kar mehul ko dekha. Unke dekhte hi, mehul ki saari masti gayab ho gayi aur usne vaani didi ke samne aate huye kaha.

Mehul bola “didi, mummy galat soch rahi hai. Mai chhupa thodi tha. Mai to kab se aapke pichhe hi khada hu. Asal me mujhe samajh me nahi aaya ki, aap mujhe puchh rahi hai.”

Mehul ki baat sunkar, vaani didi ne use kuch kaha to nahi, lekin use gusse me ghurti rahi. Vaani didi ka bolna to, khatarnak tha hi, na bolna bhi kam khatarnak nahi tha. Mehul ne jab unhe is tarah se ghurte dekha to, unke bina kuch puchhe hi, unhe apni safayi dete huye kaha.

Mehul bola “didi, mai to ami nimi ne khane ke liye bahut baar kah chuka tha. Lekin wo hi mana kar deti thi.”

Ami nimi ka dhyan pahle humari taraf nahi tha. Lekin jab vaani didi ne pritam ko chillaya, tab se wo log humari taraf hi dekh rahi thi. Magar jaise hi nimi ne mehul ko safed jhuth bolte dekha, wo samosa khate khate humare pas aa gayi aur usne vaani didi se kaha.

Nimi boli “didi, ye motu jhuth bol raha hai. Ye to pure samay phone par laga tha.”

Nimi ki baat sunkar, jaha sab dabi muskan me muskurane lage. Asal me mehul ne kuch samay pahle nimi ko moti kah kar chidaya tha. Nimi ne us se usi baat ka badla nikalne ke liye use motu kaha tha.

Yadi koi aur samay hota to, nimi ke mehul se is tarah baat karne par vaani didi ne nimi ko fatkar laga di hoti. Lekin is samay wo ami nimi par kuch jyada meharban thi. Isliye un ne nimi ke is tarah se baat karne ki harkat ko andekha kar diya.

Lekin nimi ke is tarah se mehul ki baat ko jhutha sabit kar dene se aur uski pol khol dene se, mehul ki to jaan hi nikal gayi. Wo ghabrahat me yaha waha dekhne laga aur vaani didi se najar bachane laga.

Mehul bahut der se pritam ka maja le raha tha. Pritam ko bhi apna badla lene ka ye sahi samay najar aaya aur usne bhi is bahti ganga me hath dhote huye, nimi ki haan me haan milate huye kaha.

Pritam bola “madam, ye bachchi sahi kah rahi hai. Ye bhai sahab pure samay hi mobile par lage the.”

Pritam ki baat sunkar, mehul use kha jaane wali najron se dekhne laga. Lekin pritam use andekha kar, muskurate huye nimi ki taraf dekhne laga. Pritam ki baat sunkar, maine dhire se keerti ke kaan me kaha.

Mai bola “ise kahte hai, sau sunar ki, ek lohar ki. Mai mehul se mana kar raha tha ki, pritam ko pareshan mat kar, warna wo bad me tujhse iska badla lega. Lekin isne meri baat nahi maani. Ab uska natija bhi dekh le.”

“Vaani didi shayad nimi ki kahi baat ko andekha kar bhi deti. Lekin ab nimi ki baat par, pritam ke bhi muhar laga dene se, wo is baat ko andekha nahi karegi. Isko ab nimi ko moti kahna aur pritam ka maja lena mahanga padne wala hai.”

Meri ye baat bilkul sahi hi nikli. Pritam ki baat sunne ke bad, vaani didi ne apna hath aage badaya aur mehul se apna mobile dene ko kaha. Mehul ne bhi bujhe man se apna mobile vaani didi ki taraf bada diya.

Ab ise pritam ki khushkismati kaho ya fir mehul ki badkismati ki, vaani didi ke mehul ka mobile hath me lete hi, usme shilpa ka call aane laga. Vaani didi ne aa rahe call ko dekhne ke bad, apna sar utha kar mehul ki taraf dekha.

Lekin mehul sar jhuka kar khada raha. Vaani didi ne mehul ko dekhte huye, shilpa ka call utha liya. Lekin un ne call par kuch kaha nahi. Jis vajah se dusri taraf se shilpa ne kaha.

Shilpa boli “………….” “kya hua jaan, kuch bolte kyo nahi.”

Shilpa ki baat sunte hi, vaani didi ne us se kaha.

Vaani didi boli “jaan nahi, jaan ki amma jaan bol rahi hu. Apne ghar walon se bol dena ki, tumhari aur mehul ki shadi ki baat karne vaani didi aa rahi hai.”

Vaani didi ka itna kahna tha ki, shilpa ne fauran call kaat diya. Vaani didi ne use wapas call lagaya. Lekin tab tak wo apna mobile band kar chuki thi. Is se pahle ki, vaani didi fir se mehul ki khichai karna suru kar pati. Maine baat ko sambhalte huye kaha.

Mai bola “didi, khana to aap le aai hai. Ab aap hi chhoti maa se kahiye ki, wo khana kha le.”

Meri baat sunkar, vaani didi ne ek najar meri taraf dekha. Lekin is samay unko meri ye baat sahi lagi aur un ne mehul se kaha.

Vaani didi boli “us ladki ki aur tumhari khabar mai bad me lugi. Lekin aaj tumhari laparwahi ki vajah se ami nimi ko din bhar bhukha rahna pada. Isliye aaj tumhe raat ke pahle khana nahi milega.”

Mehul bhi hum logon ke sath din bhar se bhukha pyasa laga hua tha aur wo bhi nimi ki tarah hi petu tha. Isliye vaani didi ki ye baat sunte hi usne apni safayi dene ke liye kaha.

Mehul bola “lekin didi…….”

Abhi mehul itna hi bol paya tha ki, vaani didi ne uski baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “ab tumko raat ko bhi khana nahi milega.”

Mehul bola “magar didi…..”

Vaani didi ne fir uski baat ko kaatte huye kaha.

Vaani didi boli “ab tumhe kal subah bhi khana nahi milega.”

Itna bol kar, vaani didi mehul ke fir se kuch bolne ka intejar karne lagi. Lekin ab mehul ke andar himmat nahi thi ki, wo fir se kuch bolne ki koshish karke, apna kal raat ka bhi khana band karwa le.

Isliye wo chup chap khada raha. Jab mehu khamosh raha to, vaani didi ne uski taraf se apna dhyan hatate huye, chhoti maa se kaha.

Vaani didi boli “mausi, khana to aa gaya hai. Fir aap log khana khane me der kyo kar rahi hai.”

Chhoti maa boli “vaani beta, mujhse hospital me khana nahi khaya jata hai. Mai raat ko ghar me jakar khana kha lugi.”

Chhoti maa ki baat sunte hi, pritam ne fauran aage aate huye kaha.

Pritam bola “mausi ji, meri patni ne aap logon ke khane ki puri taiyari kar rakhi hai. Mera ghar yaha pas me hi hai. Aap sab chal kar yadi mere ghar me khana khayegi to, mujhe bahut khushi hogi.”

Pritam ki baat sunkar, chhoti maa use mana karna chahti thi. Lekin vaani didi ne unhe kuch bolne ka mauka diye bina hi kaha.

Vaani didi boli “pritam thik kah raha hai. Khana to, mai le hi aayi hu. Aap sab waha chal kar shukun se khana kha lijiye. Ye log bhi mumbai se sidhe yaha hi aa gaye hai. Inhe bhi waha chal kar fresh hone ka mauka mil jayega.”

Vaani didi ki is baat ke bad, kisi ke pas kahne ko kuch nahi bacha. Sab vaani didi ke sath pritam ke ghar ke liye nikal pade. Ek gaadi me, mai vaani didi, nisha bhabhi aur barkha didi ho gaye.

Dusri gaadi me chhoti maa, ami, nimi, keerti, mehul aur pritam ho gaye. Kuch hi der me hum pritam ke ghar pahuch gaye. Ghar kya, wo ek aalishan bangalow tha aur jiski shano-shaukat bahar se hi dikhayi de rahi thi.

Ab uski ye shano-shaukat uske purkhon ki den thi ya fir uske beimani se kamaye gaye, kaale dhan ki den thi. Ye baat ya to pritam bata sakta tha ya fir shayad vaani didi bata sakti thi.

Pritam ne ghar pahuch kar, doorbell bajayi. Doorbell bajte hi, kisi ke payal khankhanate huye, bhag kar aane ki aawaj sunayi. Darwaja khulte hi humare samne ek sundar si ladki khadi thi.

Usne hum sabko dekhte hi, hum se namaste kiya. Pritam ne hume uska parichay dete huye kaha.

Pritam bola “ye meri chhoti bahan payal hai. Humara saara ghar iski payal ki khan khan se hi ghunjta rahta hai.”

Pritam ki baat sunkar, hum sabke chehre par muskurahat aa gayi. Lekin thodi si hairani bhi huyi. Kyoki payal ki umar 20-22 saal ke aas pas lagti thi. Jabki pritam ki umar 35-36 saal ke aas pas lagti thi.

Aise me payal ke pritam ki sagi bahan hone ki ummid kam hi lagti thi. Fir bhi hum me kisi ne bhi is baare me koi sawal nahi kiya. Pritam ne hume ghar ke andar lakar baithaya aur fir ghar ke andar ki taraf aawaj lagate huye kaha.

Pritam bola “koyal, jaldi aao, mehmaan aa gaye hai.”

Pritam ki aawaj sunte hi, ek aurat bhagti huyi humare pas aayi aur hum sab se namaste karne lagi. Pritam ne humse uska parichay apni patni ke roop me karaya aur usko bhi hum sabka parichay dene laga.

Lekin pritam ki patni ko dekh kar, hum sab hi hakke bakke se rah gaye. Humare hakke bakke rahne ki vajah ye thi ki, uski sirf aawaj hi koyal ki tarah meethi nahi thi. Balki uska rang roop bhi koyal ki tarah hi kaala tha.

Pritam dekhne me ek aakarshak naujawan tha. Aise me koyal ke sath uski jodi bilkul bemel lag rahi thi. Pritam ki harkaten to, humare liye pahle hi kisi paheli ki tarah thi. Us par ab uski patni koyal aur uski bahan payal bhi humare liye kisi paheli se kam nahi thi.
 

Top