Lustyweb's Exclusive Story Contest 2022 ➣ Chit Chat & Discussion Thread

Status
Not open for further replies.
.
Moderator
2,376
1,850
143
Zard Chehra

(Scene)



tar coal bichi saaf , kisi kdar charhti sadak
desi puriyoun aur khoye wale palang tod halwe ki dukan par rush...
grahakon aur chhoton ke darmiyan nashte ki leen deen ki rangeen aawazein
koothon me se ek ki nichli manzil par aalat'e mousiqui ki dhun par ryaz karta ek gawayaa
bagal se uper jati tareek serhiyan , balayi (upar ki) manzil par kachii chandi me dhali ek murat, resham par naqshi kam wala zarq barq libas jawani ke peech'o kham chupane se door , pehlu me betha kachii umar ka khubsurat nojwan , ded'e tooba shakan jwani ( nazar jaan lewa jawani) par jamaye hue...

"badi chamak rhi ho aaj"

"tumhare aane ki khushi me"

"sachii?"

" 'haan na' sab mera pesha hain aur tum mera shoq"



"aur husan ki dewi , tum meri pooja ho ab"

aankhein char hui to dono sharma gaye

(gaalon ki laali aur honton ke tarashe hue kinare dekhte hue)

"husan ka itna khyal rakhne ki khaas wajah ?"

"izzat khoo chuki 'husan bhi gya to purani chokhat ho jaaun gi , guzre ga to har koi magar tareef kie bina"

"gehri baat ..... parhi likhi lagti ho"

"tum bhi to parh likh kar hi yahan pohanche ho' kia kissa hai ? "
(sharam se surkh hue chehre par achanak taasuf ke khado khal chaa gye ( pareshani se chehra sufed ho gya))

"tum jaisi eek murat ki raah me raah bana hua tha, wo kahein khoo gayi aur main yahan nikal aaya"

(lambi ungliyan naram hathon ki pushat par pherte hue)

"kuch aur btaoo na "

(sir ubahrte seene par dhalka kar leet te hue)

" kuch nhi ' third year me milli thi ' class me aankhon ne aankhon me jhanka to laga pehle bhi mille hue hain,shayad nadani ke dino me .... chand lamhe aankhon ne aankhon aur dil ne dil se baat ki , honto par muskurahat saja kar kehnelagi....

"pyaare ho "

"bas phir yaar loog dil ke koono se door hijar ke dhuyen me chale , na dil ne roka na humein rukna hi tha ...ishq me adab se zyada alhar pan tha... class me uski zulfoon se khelte , rasta chalte use satate ' canteen me use haathon se khilate har kisi ne dekha... do tarfa ishq tha nasha to charhna hi tha ..haathon me haath se baat chali aur saanson ki mehak tak pohanch gyi... kachee pakee khuda ko maan'ne wale the, bas khud se ladai ho gyi "

(chand lamhon ki khamoshii)

(kisi kadar bechaini se jaise baat ka nasha toot rha ho )

" phir?"

"phir kya!!! amma ji ke samne dil khola aur js naaznein ko bahu banane ki duhai di... maa ka dil naram tha, kaha tere baba se baat karti hun... baba jani baradri aur uske usoolon wale the, maa ne baba ko samjhaya aur phir baba ne maa ji ko... dono ko ek karne wala shabd "baradri se bahar hona" tha aur taalne ke lie bayan jaari kia gya ke, abhi waqt munasib nhi ....classes khatam ho gyin, us ghar bethi ke rishte aana shuru ho gye...wo hamara intezaar karti rahi aur hum munasib waqt ka... phir waqt door nikal gya"

(mahool me khamoshi aur udasi chaa gyi)

(chatiyoun par sir zyada deer thehr na saka to goud me aa gya)
" yahan ka rasta kisne dikhaya?"

" jawani ke darya ko rasta banan hi tha ... waise ghar bta dia tha ke aap ne jo kia so kia ab munasib waqt aane tak mujhse kuch ho jaye to gilla na kijiye ga""

"nazuk unglia goud me pade khubroo nojwan ki zulfon se khelne lagi"

"tumhare pass kehne ko kuch nhi hai devi?"

" hai to "

"phir kaho"

(chehra goud me rakhe chehre ke qareeb karte hue, aankhein aankhon me jhankne lagi, kuch deer ki khamoshi ke baad)


" bahut pyaare ho"

(hanste hue)

"tum abhi bhi uski baaton me khoyi hui ho,"

"haan khoyi hui hoon ke us ne kia khoo dia... tumhein ab bhi khud se ladna hai ya kuch aur karna hai"

"naa, ab nahi lad sakta, thak gya hun"

"phir? kya irada hai?"

" aapke honton ko apne honton se khamosh karne ka"
" iski wajah?"

"emmm... dil khamoshi chah raha hai "

(chehra chehre ke kareeb karte hue)

"zarur"

(har taraf khamoshi)
(is khamoshi me jude hont, sirf teez chalti saanson ,reshmi libaas ki sarsarahat aur ryaazkarte gawayee ki sargam ki aawaz thi)

garm aahoon aur siskiyoun se kamra gunjne laga..

jazbaat to thande ho gye lekin gaalon ki laali urr chuki thi , khaamosh baatein khamosh hi reh gayen ...
maa ne zard chehre par ghor kia to foran wajah tak pohanch gyi , aur dant'te hue bolein"barhti garmi tumhara haal khrab kar rahi hai ,tum doctor ko kyun nhi dikhate, foran hospital se test karwao apne...."


End
 
Status
Not open for further replies.

Top