- 1,171
- 1,372
- 143
Update-9
"Ron-mujhe samundar ka SHIKARI yun hi nahi kahte..ab mera khubsurat chehra dekhne ke bajay,yadi in dragons ke badsurat chehre dekhoge toh shayad zinda bach jao..hamla karo re ,in badsurato par..
sabhi apne apne hathiyar lekar dragons ka intezar karne lage..saamne kohra chhane laga..usi kohre ke andar se kayi prakar ki kaanfadu awaaj aayi..
"Raaj-ye banda kaun hain,.aur ye itna mahir kaise hain..
Captain Nair wahi khasa apne hathiyar ko dragon ki disha me taane hue tha..
"Nair-kya khak mahir hain..dhoke se mujhe balladonna ke neeche giraya tha..kamina kahi ka..aage in dragons se mil loon ,phhir is samundar ke Shikari ka kaam tamam kar dunga..
"Raaj-samundar ka Shikari,aur ye ,Raaj hasne laga..
"abey daant kyun dikha raha hain..maine toh wahi kaha jo wo bolta rahta hain.."
"phhir toh main is behrupiye se jaroor milunga..jo mera naam lekar logo ko bewkoof bana raha hain.."
"abey gun toh le le,warna in dragons se tujhe kaun bachayega.."
Raaj apne chehre par ek smile late hue bola"in dragons ko mujhse kaun bachayega ,iski chinta karo.."Raaj wahi pass me pade ek rod ko uthakar Ron ki taraf badh chala...
"kaise ho samundar ke shikari..."Raaj ,Ron ke kandhe par rakhte hue kaha..Ron peechhe muda...Raaj ko dekhkar wo sochne laga ki ye kaun hain..jab Ron ,Raaj ko nahi pahchan paya toh apni bandook ko Raaj ki taraf karte hue bola..
"tu kaun hain be..tujhe kabhi dekha nahi..shayad 3rd class me rahta hain..door chal mujhse.."
"chup ho ja behrupiye..warna ye rod tere pet ke aar paar kar dunga.."
Raaj ke dwara behrupiya bolne par Ron apne chehre ko chhune laga..
"ankh ka ilaaj karwa..mere chehre par koyi mask nahi hain..aur tu hain kaun..mere khayal se tu mera prashanshak hain.."
"Ron name hain na tera ,toh sun waise mera naam Raaj hain..lekin log mujhe Samundar ka shikari kahte hain.."
Ek taraf dragons ki toli Balladonna ke karib aa rahi thi..wahi dusari taraf Ron aur Raaj ki bahas jari thi..
"Ron-mujhse toh bol diya..par kisi aur se mat kahna..warna jaan se maar denge...jaan se marana tere bas ka khel nahi hain..beharupiye.."
"beharupiya..mera nam ,sunkar maja nahi aaya.."
"chal samne se hat beharupiye..aaj tujhe dikhata hoon shikar kaise karte hain.."
Ron samne se hat gaya..ek dragon teji se ship ki taraf aa raha tha..Raaj ne apne hath me pakdi hui rod ko us dragone pe nishana laga kar phenk diya..sabhi Raaj ke nishane ko dekhte rah gaye..Raaj ke dwara phenka gaya Rod dragon ke mu me ghus kar uske sharir ke aar paar ho gaya..
"Ron-kya khak shikar kiya hain..aisa shikar toh is jahaj ka Captain Seth bhi kar deta hain..Nair ,Seth ke nam ke aage Balladonna ka Captain shabd sunkar gusse se Seth ki taraf dekhta hain..seth ,Nair ke pass aata hain..
"Seth-Captain aap ,uski baaton me na pade..aap yaha se gayab the,isliye riya mam ne mujhe Captain bana diya tha..
"Nair-yar main iske liye gussa nahi hoon..us jungali ne teri insult ki isliye.....Captain Nair ki juban ruk gayi ,usne apne hath se samne ki taraf ishara kiya.."oh my god..ye kaisa bhayankar najara hain..ye dragon toh bahut bada hain.."
sabhi samne ki taraf dekhne lage..laal rang ka dragon jiske samne Balladonna bhi chhota lag raha tha..aur us dragon par baitha hua ek kala saya..jiske hath me ajib tarah ka farsha tha..sabhi ship ke andar bhagne lage..
"Ron- ruk jao be..daro mat is kallu se..
Ron ki awaj sunkar us dragon par baitha hua kale saya ne apne gardan Ron ki taraf ghumayi..uski ankhe laal ho gayi..usne apne farshe ko kaskar pakad liya aur upar uthaya..wo saya aage kuch karta isse pahle hi Ron ne apni bandook uski taraf taan kar kaha..
"abey oye chaparganju kallu..aram se ye bandook dekh raha hain..ye wahi bandook hain ..yaad kar.."
Us kale saye ne apne farshe ko neeche kiya..aur ek jordar awaj me dahada...
"Captain The Ron ,is baar tujhe main is samundar me dafan kar dunga warna mera nam samundar ka shikari nahi..."
"Riya-ek aur shikari..pata nahi aur kitne aayenge aur apne aap ko samundar ka shikari batayenge..
"Ron-janeman,uski baat ka bura mat mano..ye kallu jhoot bahut bolta hain..tum pahle ki tarah mujhe hi shikari mano..jiska proof main abhi is farshe wale ko uda ke dikhata hoon..abey kallu bhag yadi bhag sakta hain toh"Ron ne apni bandook ko fyre kiya..lekin uski bandook se wo aag nahi nikli jisne ab tak kayi dragons ko ko jal samadhi lene par majboor kar di thi..Ron ne kayi baar koshish ki par uski bandook pahle ke tarah hi shant rahi..Ron ne us saye ki taraf dekha..
"m..m...maaf karna kallu ji,,lagta hain barood khatam ho gaya hain..aapki ijajat ho toh main barood le aau,."
Wo saya asman ki taraf sar karke dahadne laga..Raaj ,Ron ke pass gaya..aur uske kano me bola..
"bye the ocean's hunter The Ron..sabse pahle ye tujhe marega.."
Us saye ne apne farshe ko kandhe par rakh liya..aur Aditya ki taraf farsha karte hue bola.."main toh iske liye yaha aaya tha..lekin mujhe mera purana shikar Captain The Ron bhi mil gaya..aaj mere sathi dragon tum sabko kachcha chaba jayenge.."
Us saye ne jaise hi bolna band kiya dragons ke ke kafile ne Balladonna par hamla bol diya,dragons balladonna par maujood logo ko seedhe kachcha chabane lage..Ron apni bandook liye ship ke ek kone me jake baith gaya..
"ye kallu aaj apna badla pura karega..kaise bachu ..kaise bachu..Ron abhi tak dhang se soch bhi nahi paya tha dragon pe baitha hua wo saya Ron ki taraf kud gaya..us saye ko apne samne dekhkar Ron ne apne jeb se botal nikali aur peene laga..
"tujhe apni maut ka dar nahi..aaj tera vinash kar dunga main.. "
"wo kya hain na kallu ki jab main kisi ko jaan se marta hoon toh uske pahle sharab jaroor pi leta ,kisi ne kaha hain ki marne wala narak me jata hain...taiyar ho ja kallu tere baki ke sathi narak me tera intezar kar rahe hain....................continue.............