Baat to aapki ekdam sahi hai irresponsible wali lekin isme unko bhi poori tarah se dosh dena shayad theek nahi hoga...
Back up plan isliye nahi rakha unhone kyonki girinar ek tourist place hai jaha daily logo ki bheed rahti hai, vaha koi khatra nahi hai, girinar ke jungle ke jis area me khatra hai, usko fancing laga kar logo ke liye restricted kiya hua hai aur vaha army force bhi tainat rahti hai, logo ko uske andar jane se rokne ke liye..unki picnic sirf girinar ka tourist place tha na ki vo restricted jungle ka area..
Ab baat aati hai raat bhar pahra dene ki to vah jagne ki koshish to bharpoor kar rahe the kintu subah ka mahoul hota hi aisa hai ki kabhi kabhi na chahte huye bhi jhapki lag hi jati hai..raat gujaarna to unhe ek kamre me hi tha, bahar to pahra de nahi sakte the aur kamre me sabhi moujud the...aur din bhar ke thake huye bhi the..teesri baat, raat gujaarne ke liye ek chhat mil jane par kuch nishchint bhi ho gaye the...aap chahe to kuch hadh tak ise unki laparwahi bhi kah sakte hain..
Ek hi to room mila tha unhe raat gujarne ke liye, aise me kya protocol banate ? ghar ke bahar to ja nahi sakte the..aur agar yaha bhi school ke vahi protocol lagu hote to phir picnic ka koi matlab hi nahi ragta..picnic ka matlab to kuch samay ke liye swachchhand hona hai..aur phir vo picnic par chhoti class ke bachcho ko to le kar nahi gaye, sabhi jawani ki dahleez par kadam rakh chuke the..
ab last baat aati hai ki kisi ke ghar se bahar jane par uski help ke liye unhe bhi bahar jana chahiye tha to bhai, apni jaan har kisi ko sabse jyada pyari hoti hai, aisa koun hai jo marna chahta ho, vo bhi jab use pata ho ya bataya gaya ho ki bahar jane par mout pakki hai...uss sthiti me har koi sirf khud ko bachane ke baare me sochta hai aur yahi aaj ke hamare samaaj ki sachchayi hai..kuch birle hi aise hote hain jo apne baare me sochna chhod kar dusre ki fikra karte hain.
For Example.....
Agar kisi admi ko kuch gunde maar rahe ho to sabse pahle uske aas pados wale apne ghar ka darwaja band kar ke bhitar ghus jate hain kyonki unhe apni jaan ka darr hota hai...kisi admi ka accident road par ho jata hai to poori publik tamasha dekhti hai kintu koi use hospital le kar nahi jata kyon ? kyonki unhe apni jaan jyada pyari hoti hai..