Incest Koi To Rok Lo~Pritam.bs~

Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 111}
____________________________

Usme mujhe narajgi ke upar do Sms mil gaye. Maine un me se ek Sms keerti ko aur dusra Sms nikki ko send kar diya.

Keerti ko send kiya Sms “Na Rulana Bura Hai.
Na Satana Bura Hai.
Bas Jara Jara Si Baat Par,
Tera Rooth Jana Bura Hai.”

Nikki ko send kiya Sms “Dost Dost Se Kabhi Khafa Nahi Hote.
Dil Dil Se Kabhi Juda Nahi Hote.
Bhula Dena Humari Kamiyon Ko,
Kyoki Insan Kabhi Khuda Nahi Hote.”

Keerti aur nikki ko Sms send karne ke bad, maine ek thandi saans li aur fir wahi porch me rakhi chair par baith gaya. Thodi hi der bad mujhe nikki waiting lounge se bahar nikalti dikhi.

Mai waiting lounge ke bilkul samne hi baitha tha. Isliye lounge se bahar nikalte hi nikki ki najar mujh par pad gayi aur wo sidhe mere pas aane lagi. Lekin nikki ke mere pas pahuchne se pahle hi keerti ka Sms aa gaya.

Keerti ka Sms “Koi Roothe Yaha To Kaun Manane Aata Hai.
Rone Wala Khud Hi Chup Ho Jata Hai.
Duniya Bhool Jaye To Koi Gam Nahi Hota,
Jab Apne Bhool Jaye To Rona Aata Hai.”

Mai jab tak Sms padta raha, tab tak nikki mere pas aakar khadi ho gayi thi. Tabhi mere dimag me nikki ko manane ka ek tarika aaya aur maine apna mobile uski taraf bada diya.

Pahle to nikki ko kuch samajh me nahi aaya ki, mai use apna mobile kyo de raha hu. Lekin jab usne mobile hath me liya to, use us me keerti ka Sms dikhayi diya. Sms dekhte hi nikki samajh gayi ki, kisi baat par keerti mujhse naraj ho gayi hai. Usne muskurate huye kaha.

Nikki boli “ab kya hua. Kya fir kisi baat par aap dono lad gaye.”

Mai bola “mai kaha lada, wo bhi aapki tarah hi, bina kisi baat ke, mujhse naraj ho gayi hai.”

Ye kah kar, maine nikki ko, chhoti maa se baat karte samay keerti ke call aane ki baat bata di. Jise sunkar nikki ne kaha.

Nikki boli “ye to koi badi baat nahi hai. Aap use saari sachchai bata do. Uski narajgi door ho jayegi.”

Mai bola “sachchai to tab batauga. Jab wo mera call uthaye. Wo mera call hi nahi utha rahi hai. Isliye maine use Sms kiya tha. Uske badle me, uska ye Sms aaya hai.”

Nikki boli “is Sms se to, wo sach me bahut naraj lag rahi hai. Waise aapne usko manane ke liye kya Sms kiya tha.”

Maine nikki ko apna bheja hua Sms dikhaya to, usko hansi aa gayi. Usne hanste huye mujhse kaha.

Nikki boli “aap usko mana rahe the, ya fir usko uski galti bata rahe the.”

Mai bola “mai koi shayar to hu nahi. Mere pas mehul ke mobile se li huyi jo shayari thi. Usi me se do shayari dud kar, aap dono ko manane ke liye send kar di. Ab mujhe kya malum tha ki, use meri bheji shayari pasand nahi aayegi.”

Nikki boli “kya shayari bhejna jaruri thi. Yadi shayari nahi aati to, sidhe ek sorry ka Sms kar dete. Wo usi me khush ho jati.”

Abhi mai nikki is baat ka koi jabab de pata. Us se pahle hi keerti ka dusra Sms aa gaya.

Keerti ka Sms “Hothon Ko Muskurane Ki Hasrat Nahi Rahi.
Koi Hume Bhi Chahe, Ye Chahat Nahi Rahi.
Dil Ko Hai Yaqeen Ke Koi Na Aayega Manane Ko,
Ye Soch Kar Ab Rooth Jaane Ki Aadat Hi Nahi Rahi.”

Keerti ka Sms dekh kar mujhe laga ki wo mujhse kuch jyada hi naraj hai. Maine wo Sms nikki ko dikhaya to, nikki hansne lagi. Maine nikki ko hanste huye dekha to kaha.

Mai bola “bhala ye kya baat huyi. Aise samay me aapko, meri keerti ko manane me, madad karna chahiye to, aap meri haalat par hans rahi hai.”

Nikki boli “ab baat hi hasne ki hai to, hans rahi hu. Mujhe lagta hai ki, wo aapse naraj nahi hai. Bas aapko thoda sa sata rahi hai.”

Mai bola “aisa kyo. Yadi wo naraj nahi hai to, fir mujhe kyo sata rahi hai.”

Nikki boli “shayad wo chahti hai ki, aap use manao. Isliye to wo baar baar manane wale Sms bhej rahi hai.”

Mai bola “yadi aisi baat hai to, mai abhi call karke use mana leta hu.”

Ye kah kar mai keerti ko call karne ko hua. Magar nikki ne call karne se rokte huye kaha.

Nikki boli “rukiye, ye kya kar rahe hai. Usko usi ke tarike se manaiye.”

Mai bola “kaise.”

Nikki boli “laiye, mobile mujhe dijiye.”

Nikki ki baat sunkar maine nikki ko mobile de diya. Nikki ne mobile lekar ek Sms type kiya aur keerti ko send kar diya.

Nikki ka Sms “Mujhse Roothna Mat,
Mujhe Manana Nahi Aata.
Mujhse Door Mat Jana,
Mujhe Bulana Nahi Aata .
Tum Mujhe Bhool Jao,
Ye Tumhari Marzi.
Par Mai Kya Karoon,
Mujhe Bhulana Nahi Aata.”

Nikki ke Sms send karne ke kuch hi der bad, Keerti ka Sms bhi aa gaya.

Keerti ka Sms “Dard Hota Nahi Duniya Ko Batane Ke Liye.
Har Koi Rota Nahi Aansu Bahane Ke Liye.
Ruthne Ka Maja To Tab Hai,
Jab Koi Apna Ho Manane Ke Liye.”
Keerti ka Sms dekhte hi, nikki ke chehre par muskurahat aa gayi. Usne mujhe Sms dikhate huye kaha.

Nikki boli “keerti ka Sms dekha. Usne fir manane wala hi Sms bheja hai.”

Mai bola “wo to thik hai. Lekin ab uske is Sms ka jabab kya de.”

Nikki boli “rukiye,thoda sochne dijiye.”

Ye bol kar nikki kuch sochne lagi. Thodi der sochne ke bad, usne ek Sms type kiya aur keerti ko bhej diya.

Nikki ka Sms “Mana Ki Mohabbat Jatana Humko Aata Nahi.
Shararton Se Apni Mai Tumko Satata Nahi.
Sahta Hoon Naaz-Nakhre Teri Mohabbat Me,
Fir Na Kahna Ki Ye Aashiq Tumko Manata Nahi.”


Nikki ke Sms send karne ke kuch hi der bad, keerti ka Sms aa gaya.

Keerti ka Sms “Ye Mera Ruthna Tujh Se, Tera Mujh Ko Mana Lena.
Mohabbat Ki Nishani Hai, Gale Mujhko Laga Lena.
Mohabbat Jis Se Hoti Hai, Usi Pe Maan Hota Hai,
Jo Mai Fir Rooth Jau To, Mujhe Tum Fir Mana Lena.
Aana Se Door Hi Rahna, Ki Ye Sab Kuch Mita Degi,
Aana Ke Khel Se Khud Ko, Har Surat Bacha Lena.
Mohabbat Ke Samandar Me, Kabhi Toofan Bhi Uthta Hai,
Is Toofan Me Jaan Tum, Mujhe Kashti Bana Lena.
Ager Dubenge Hum Dono, To Ek Sath Hi Dubenge,
Mera Tum Se Ye Vada Hai, Magar Tum Bhi Sath Nibha Lena.”

Nikki ne keerti ka Sms mujhe dikhya aur fir ek Sms type karke keerti ko bhej diya.

Nikki ka Sms “Jo Kiya Hai Tumne Vada, Wo Umar Bhar Nibhana.
Meri Zindagi Hai Tumse, Kahi Tum Badal Na Jana.
Jo Chhupi Thi Baat Dil Me, Wo Labon Pe Aa Gayi Hai,
Mere Dil Ki Dhadkane Hai, Tere Pyar Ka Fasana.
Tere Pyar Ki Nishani, Mujhe Zindagi Se Pyari,
Mere Pyar Ki Gawahi, Ye Mera Tujhe Manana.
Jo Kiya Hai Tumne Vada, Wo Umar Bhar Nibhana,
Meri Zindagi Hai Tumse, Kahi Tum Badal Na Jana.”

Nikki ke Sms send karne ke kuch hi der bad, Keerti ka jabab bhi aa gaya. Nikki ne Sms dekh kar muskurate huye, mobile meri taraf bada diya.

Keerti ka Sms “Baat Baat Par Satana Acha Lagta Hai.
Apni Shararto Se Pyar Jatana Acha Lagta Hai.
Manate Ho Jab Tum Is Shararati Andaz Se,
Wo Wakt Bahut Hi Suhana Lagta Hai.”

Maine keerti ka Sms dekha to, mere chehre par bhi muskurahat aa gayi. Maine wapas mobile nikki ko de diya. Nikki ne fir ek Sms type karke keerti ko bhej diya.

Nikki ka Sms “Kahte Nahi Kuch Bhi Humse Wo Sidhe-Sidhe,
Par Baat Baat Par Huzur Rooth Jayege.
Manao Jo Unko To Kahte Hai Ki Hum Gussa Nahi,
Ankhon Me Bhar Pani, Phir Gale Lag Jayege.
Pyar Ka Ye Andaz Bhi Unka Nirala Hai,
Abhi Hui Hai Sulah, Dekho Abhi Fir Se Rooth Jayege.”

Thodi hi der me fir se keerti ka jabab aa gaya. Nikki ne Sms dekh kar mobile mujhe de diya.

Keerti ka Sms “Tumse Roz Milne Ko Dil Chahta Hai.
Kuch Sunne Sunane Ko Dil Chahta Hai.
Tha Tumhare Manane Ka Andaz Kuch Aisa,
Ki Fir Se Rooth Jaane Ko Dil Chahta Hai.”
Mai keerti ka Sms padne ke bad mobile wapas nikki ko dene laga to, nikki ne kaha.

Nikki boli “ab bas, abhi ke liye itna kaafi hai. Ab usko call karke baat kar lijiye. Yadi fir wo naraj ho jaye to, mujhe bula lijiyega. Ab mai chalti hu.”

Ye bol kar nikki hanste huye, mere pas se uth kar wapas waiting lounge ki taraf chal di. Mai nikki ko jate huye dekhta raha aur jab nikki meri najron se ojhal ho gayi to, maine keerti ko call laga diya.

Mera call aate dekh kar, keerti ne fauran mera call kaat kar, mujhe wapas call laga diya. Maine jaise hi call uthaya, mujhe keerti ke gaana gaane ki aawaj sunaiyi di.

Wo badi masti me jor jor se ga rahi thi. Aisa lag raha tha, jaise ki wo gaana gaate gaate naach bhi rahi thi. Mai chup chap uska gaana sunne laga.

Keerti ka gaana “Ye gore gore se chhore,
Ye gore gore se chhore,
Ye ishk ishk chillate hai, oooh yeah,
Ye gali gali mandaraate hai, oooh yeah,

Shadi ki dagar na jaye magar,
Ye gore gore se chhore,
Ye gore gore se chhore,

Andar se chahe kuch bhi ho ye,
Ada magar hai heero wali,
Din raat kitaben parthe hai ye,
Ladki ki taswiron wali,

Kahee jivan mela oye shava,
Par shadi jamela oye shava,

Darwaja inhe dikhlaao jara,
Ye gore gore se chhore,
Ye gore gore se chhore.”
Keerti ka gaana sunkar mujhe hansi bhi aa rahi thi aur use is tarah khush dekh kar dil ko shukun bhi mil raha tha. Mai khamoshi se uska gaana sunta raha aur uski uchhal kood ko mehsus karta raha.

Jab uska gaana gaana band hua aur uski uchhal kood ruki to, maine use tokte huye kaha.

Mai bola “ye sab kya chal raha tha. Mai kab se phone par hu.”

Lekin aaj keerti kuch alag hi mood me lag rahi thi. Usne meri baat ko ansuna karke dusra gaana gaana suru kar diya aur mai khud bhi uske is gaane ko sun kar kisi dusri duniya me kho sa gaya.

Keerti ka gaana “Maye ni maye mundher pe teri bol raha hai kaga.
Jogan ho gai teri dulari, mann jogi sang laga.

Chan mahiya chan mahiya mere dhol sipahiya.
Chan mahiya chan mahiya mere dhol sipahiya.

Chand ki tarah chamak rahi thi uss jogi ki kaya.
Mere dware aake usne pyar ka alakh jagaya.

Apne tan pe bhasm rama ke sari rain woh jaga.
Jogan ho gayee teri dulari mann jogi sang laga.

Sun heeriye nach heeriye nach ke rag jama.
Sun heeriye nach heeriye nach ke dhoom macha.

Mannat mangi thi tune ek roz mai jaoon bihai.
Us jogi ke sang meri tu kar de ab kurmai.

In hathon pe laga de mehendi, baandh shagun ka dhaga
Jogan ho gayee teri dulari mann jogi sang laga.

Maye ni maye mundher pe teri bol raha hai kaga.
Jogan hogai teri dulari, mann jogi sang laga.”

Keerti ki surili aawaj me ye gaana sunkar mai sapno ki duniya me pahuch gaya. Mujhe dulhan ke libas me saji sanwri keerti najar aa rahi thi aur mai usi ke didar me kho gaya.

Mujhe pata hi nahi chala ki, kab keerti ka gaana khatam ho gaya aur wo mujhe khamosh dekh kar hello hello kar rahi thi. Jab maine uski baat ka koi jabab nahi diya to, usne mere dusre mobile par call laga diya.

Dusre mobile par call aane se, mai apne sapno ki duniya se bahar aa gaya. Magar ab bhi mere upar us sapne ki khumari chhayi huyi thi. Maine usi khumari bhare andaz me keerti se kaha.

Mai bola “i love you jaan, i really miss you. Muuuhhhh.”

Keerti boli “i love you so much jaan. Muuuuuhhhhhh.”

Itna bolne ke bad dono taraf se ek gahri khamoshi chha gayi. Mere dil me keerti ko dekhne ki tadap ne, mujhe khamosh kar diya tha. Shayad yahi haal keerti ka bhi tha aur wo bhi kuch bol nahi pa rahi thi.

Achanak hi ek khushnuma mahol, ek sanjida mahol me badal gaya tha. Magar ab mujhe apni tadap se jyada, keerti ki hansi ki parwah sata rahi thi. Mai nahi chahta tha ki, keerti ki hansi khushi, ek pal ke liye bhi us se door rahe.

Isliye maine fauran apne aapko sambhala aur apni tadap ko chhipa kar, keerti ko chhedte huye kaha.

Mai bola “good, bahut achi baat hai. Tu yaha dance kar rahi hai aur mai tujhe naraj dekh kar bekar me hi pareshan hua pada tha.”

Meri baat sunte hi keerti ki hansi chhut gayi. Usne masum bante huye kaha.

Keerti boli “mai kaha tumse naraj thi.”

Mai bola “yadi naraj nahi thi to, fir mera call kyo nahi utha rahi thi.”

Keerti boli “wo to maine isliye nahi uthaya tha, kyoki jab maine tumko call lagayi tha to, tumne mera call nahi uthaya tha.”

Mai bola “tab mai chhoti maa se baat kar raha tha. Tujhe mera phone busy dekh kar samajh jana chahiye tha ki, mai kisi se baat kar raha hu.”

Keerti boli “wo to mujhe malum tha ki, tum mausi se baat kar rahe ho. Isiliye to mai call laga rahi thi.”

Mai bola “jab tujhe malum tha ki, meri chhoti maa se baat chal rahi hai to, fir tujhe baar baar call karne ki kya jarurat thi.”

Keerti boli “mujhe sunna tha ki, aisi kya baat chal rahi hai, jise sunkar mausi rone lagi thi.”

Mai bola “ab tu chhoti maa ki jasusi bhi karne lagi hai.”

Keerti boli “isme jasusi ki baat kaha se aa gayi. Mai mausi ke kamre me kaam se gayi thi to, unhe phone par baat karte karte rote dekha. Unki baton se samajh me aaya ki, wo tumse baat kar rahi hai. Isliye mai tumko call laga rahi thi. Lekin tumne mera call hi nahi uthaya.”

Mai bola “to isme kaun si badi bhari baat ho gayi thi. Tu mujhse bad me bhi puchh sakti thi. Kya kabhi mai tujhse koi baat chhupata hu.”

Keerti boli “haan, tum mujhse koi baat nahi chhupate ho. Lekin mera man tumhari baat sunne ka tha.”

Mai bola “tu baat sun bhi leti to, us se kya ho jata. Yadi baat sunne ke bad mai tujhse kuch puchhta to, tu ye hi kahti ki, ab isme, mai kya bolu, tumhe jo thik lage, tum wo karo.”

Meri ye baat sunte hi keerti samajh gayi ki, usne subah priya ki baat par, jo jabab mujhe diya tha, mai usi jabab ko, uske samne dohra raha hu. Usne apni galti manne wale andaz me kaha.

Keerti boli “sorry jaan, mai janti hu ki, tumhe meri subah ki baat buri lagi hai.”

Mai bola “mujhe teri is baat ka jara bhi bura nahi laga. Mujhe to bas ye baat kharab lagi hai ki, us samay tere man me, koi baat chal rahi thi. Magar tune wo baat mujhe nahi batayi.”

Keerti boli “jaan iske liye bhi sorry. Maine galti ki thi. Mujhe apne man ki baat, tumse bol deni chahiye thi.”

Mai bola “ab sorry sorry hi karti rahegi ya bayegi bhi ki, us samay tujhe kya baat pareshan kar rahi thi, jo tune mujhe is tarah ka jabab diya tha.”

Keerti boli “jaan, priya ka rona dekh kar, mujhe us par bahut daya aa rahi thi. Mera dil kar raha tha ki, tum uski baat maan kar, wahi ruk jao. Lekin tumne meri vajah se uski baat nahi maani aur use rota hua chhod kar aa gaye.”

“mere samne uska wahi bilakh bilakh kar rona ghoom raha tha aur mujhe bahut bura lag raha tha. Wo dil ki marij bhi hai aur is tarah se rona uske liye khatarnaak bhi ho sakta tha. Bas yahi sab soch kar mujhe lagne laga tha ki, uski galti ki use bahut badi saja di ja rahi hai.”

“Us samay mera man priya ki haalat dekh kar dukhi tha. Lekin tumse ye sab karne ko bhi to, maine hi kaha tha. Fir mai tumse ye baat kis muh se kahti ki, tumne uski baat na maan kar galat kiya hai. Meri samajh me nahi aa raha tha ki, mai tumhari baat ka kya jabab du. Isliye maine tumhe wo jabab de diya tha.”

Itna bol kar keerti chup ho gayi. Lekin uske dil ki gahrayi ko dekh kar mujhe us par bahut pyar aaya aur maine us se kaha.

Mai bola “tera dil sach me sone ka hai. Jisme kisi ke liye bhi, jara si khot nahi hai.”

Meri baat ke pura hone ke pahle hi keerti ne meri baat ko kaatte huye kaha.

Keerti boli “oye, ab maska lagana chhodo aur ye batao ki, tum aaj din bhar soye kyo nahi. Tumhe to aaj se raat ko hospital me rukna tha na. Yadi tum abhi 7 baje tak jaag rahe ho to, fir raat ko hospital me kaise rukoge.”

Keerti ki baat sunkar maine use priya ki tabiyat ke baare me bata diya. Jise sunkar use priya ki chinta hone lagi aur usne mujhse kaha.

Keerti boli “jaan, priya thik to ho jayegi na. Use kuch hoga to nahi.”

Mere keerti ki baat ka, kuch jabab de pane se pahle hi, mujhe nikki mere pas aati dikhi to, maine keerti ko kuch der rukne ko kaha. Tab tak nikki mere pas aa chuki thi. Nikki ne mere pas aate hi kaha.

Nikki boli “priya nind se uth gayi hai aur use jo saans lene me pareshani ho rahi thi, wo bhi ab thik ho gayi hai. Lekin uske rakt ka dabaw (Blood pressure) abhi bhi samanya (normal) se kam hai. Jise thik hone me samay lagega. Magar doctor ne ek ek karke sabko us se milne ki ijajat de di hai. Aap bhi chal kar us se mil lijiye.”

Mai bola “thik hai, jab aap milne jaye to, mujhe bhi bula lijiyega.”

Meri baat sunkar nikki wapas chali gayi. Nikki ke jate hi maine keerti se kaha.

Mai bola “tune priya ki tabiyat ke baare me suna.”

Keerti boli “haan, ye bahut acha hua ki, use kuch nahi hua. Warna mai jindagi bhar apne aapko kosti rahti.”

Mai bola “ab to priya thik hai. Fir tu kyo ye sab bekar ki baat soch rahi hai. Ye sab sochna band kar aur jaise abhi iske pahle khush thi, waise hi khush rah.”

Meri baat sunkar keerti ne apna mood sahi karte huye kaha.

Keerti boli “ok jaan, priya ke thik hone ki khushi me, tumko ek gaana aur sunati hu.”

Itna bol kar keerti ne, bina mera koi jabab sune, fir se apni masti aur uchhal kood suru kar di.

Keerti ka gaana “Aisa jadu dala re, aisa jadu dala re,
Surmayi hai ujala re, aisa jadu dala re,

Jo meri julfo se khele re, baaho me mujhko lele re,
Aisa hai koyi dilwala re, aisa hai koyi dilwala re,
Aisa hai koyi dilwala re, aisa hai koyi dilwala re.”

Keerti apni masti me mast thi. Magar maine usko bich me hi rokte huye kaha.

Mai bola “chal ab apni nautanki band kar aur phone rakh. Mujhe priya ko dekhne bhi jana hai.”

Keerti boli “ok jaan, raat ko baat karte hai. Muuuuuuhhhhh.”

Mai bola “muuuuhhhh.”

Iske bad keerti ne phone rakh diya aur mai uth kar waiting louge me chala gaya. Ek ek karke sab priya se milne ja rahe the. Jab nikki priya se milne jaane lagi to, mai bhi uske sath ho gaya.

Mai aur nikki jab ICU me pahuche to, waha par priya ke pas aunty thi. Un ne mujhe aur nikki ko ek sath dekha to, wo uth kar bahar aa gayi. Kyoki waha par 2 se jyada logon ko rahne ki ijajat nahi thi.

Aunty ke jate hi nikki priya ke pas jakar baith gayi aur mai un dono ke pas jakar khada ho gaya. Priya ki haalat abhi bhi thik nahi lag rahi thi. Usne ek najar meri taraf dekha aur nikki ki taraf dekhne lagi.

Nikki ne bade pyar se priya ke hath ko pakda aur fir uske hath ko sahlate huye, us se kaha.

Nikki boli “tune to hum sab ki jaan hi nikal di thi. Tu to aaram se so rahi thi. Lekin yaha 4 ghante tak hum logon ki jaan par bani huyi thi.”

Itna bol kar nikki fir se priya ke hath ko pyar se sahlane lagi. Priya ki haalat dekh kar aisa lag raha tha ki, jaise usme kuch bolne ki bhi takat nahi hai. Magar priya ne feeki si muskan ke sath meri taraf dekha aur fir badi hi dhimi si aawaj me, nikki ki baat ka jabab dete huye kaha.

Priya boli “koi mujhe chhod kar bhagne ki koshish kar raha tha. Lekin mai bhi itni jiddi hu ki, uske pichhe pichhe yaha tak aa gayi. Ab dekhti hu ki, wo mujhe yaha se chhod kar kaise bhagta hai.”

Priya ki ye baat sunkar nikki ke sath sath mere chehre par bhi muskurahat aa gayi. Nikki ne priya ke gaal par pyar se ek chapat lagate huye kaha.

Nikki boli “tu nahi sudhregi kamini. Aisi haalat me bhi tujhe majak sujh raha hai.”

Priya ne ek baar fir se meri taraf dekha aur nikki se kaha.

Priya boli “haan, mai itni buri dikhne lagi hu ki, log mujhe dekh kar man hi man muskura rahe hai.”

Mai aur nikki, dono hi priya ki baat ka matlab samajh gaye the. Lekin mai chup hi raha aur priya ki baton ka maja leta raha. Jabki nikki ne fir se priya ke gaal par, pyar se ek chapat maari aur us se kaha.

Nikki boli “kamini ab chup bhi kar, jyada mat bol, abhi tujhe aaram ki jarurat hai.”

Magar priya to priya hi thi. Wo bhala itni aasani se kaha chup hone wali thi. Mujhe apne pas pakar uske dil ko jo rahat mili thi. Ab wahi rahat use, aisi haalat me bhi, baat karne ki takat de rahi thi aur usko uske asli rang me wapas la rahi thi.

Nikki ki baat sunne ke bad priya apne hath ko dhire se nikki ke hath se chhudane lagi. Is se pahle ki, mai aur nikki uski is harkat ka kuch matlab samajh pate, usne apne hath ko nikki ke hath se chhudaya aur fir hath utha kar, apni ungli se mujhe apne pas aane ka ishara kiya.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 112}
____________________________

Priya ne ek baar fir se meri taraf dekha aur nikki se kaha.

Priya boli “haan, mai itni buri dikhne lagi hu ki, log mujhe dekh kar man hi man muskura rahe hai.”

Mai aur nikki, dono hi priya ki baat ka matlab samajh gaye the. Lekin mai chup hi raha aur priya ki baton ka maja leta raha. Jabki nikki ne fir se priya ke gaal par, pyar se ek chapat maari aur us se kaha.

Nikki boli “kamini ab chup bhi kar, jyada mat bol, abhi tujhe aaram ki jarurat hai.”

Magar priya to priya hi thi. Wo bhala itni aasani se kaha chup hone wali thi. Mujhe apne pas pakar uske dil ko jo rahat mili thi. Ab wahi rahat use, aisi haalat me bhi, baat karne ki takat de rahi thi aur usko uske asli rang me wapas la rahi thi.

Nikki ki baat sunne ke bad priya apne hath ko dhire se nikki ke hath se chhudane lagi. Is se pahle ki, mai aur nikki uski is harkat ka kuch matlab samajh pate, usne apne hath ko nikki ke hath se chhudaya aur fir hath utha kar, apni ungli se mujhe apne pas aane ka ishara kiya.

Mujhe aur nikki dono ko samajh me nahi aa raha tha ki, priya mujhe apne pas kyo bula rahi hai. Lekin nikki ka ishara pakar mai priya ke aur pas aakar khada ho gaya.

Lekin priya abhi bhi mujhe apne pas aane ka ishara kar rahi thi. Mai uske bad se sat kar khada tha. Isliye ab mujhe priya ka pas aane ka ishara karna samajh me nahi aa raha tha.

Magar nikki shayad uske aisa karne ka matlab samajh chuki thi. Nikki ne mujhe priya ke pas apna chehra le jaane ka ishara kiya. Mujhe nikki ka aisa kahna kuch ajib laga.

Lekin us samay priya ki kisi baat ko kaatna, mere bas me nahi tha. Maine khamoshi se apna sar priya ke pas jhuka diya aur apne chehre ko bilkul priya ke chehre ke samne kar diya.

Priya ne thoda sa apne sar ko khiskaya to, mujhe samajh me aa gaya ki, wo kuch kahna chahti hai. Maine fauran apne kaan uske samne kar diye. Usne apne hothon ko bilkul mere kaano ke karib kiya aur dhire se kaha.

Priya boli “sorry, pls mujhe maaf kar do.”

Aisi haalat me bhi priya ke muh se ye baat sunkar, meri aankhon me nami chha gayi. Maine palat kar priya ke chehre ko dekha to, uski aankhon me aansu jhilmila rahe the.

Maine uske aansu ponchhe aur use chup rahne ka ishara kiya. Magar usne apni baat aage badate huye kaha.

Priya boli “mai sach kahti hu. Wo sab maine tumhe jaan bujh kar nahi kaha tha. Wo sab gusse me mere muh se nikal gaya tha.”

Uske aansu the ki ruk hi nahi rahe the. Maine fir uske aansuon ko ponchha aur bade pyar se us se kaha.

Mai bola “tum is baat ko lekar jara bhi pareshan mat ho. Mai is baat ko pahle se hi janta tha ki, tum ye sab baten sirf gusse ki vajah se kah rahi ho. Isliye mere man me us baat ko lekar, na to pahle tumhare liye koi mail tha aur na hi abhi koi mail hai.”

Meri baat sunkar, priya ki aankhe fir aansuon se bhig gayi. Maine apna hath uske aansu pochhne ke liye badaya to, usne mera hath pakad liya aur kaha.

Priya boli “tum jhuth bol rahe ho. Yadi tumhe meri baat ka bura nahi laga tha to, fir tumne ghar kyo chhoda. Tum meri baat maan kar, waha ruk kyo nahi gaye.”

Priya ki baat ne mujhe ajib pareshani me daal diya tha. Nikki pas baithi thi aur uske samne mujhe kuch kahne me uljhan si ho rahi thi. Lekin priya ke dil se ye baat nikalna bhi jaruri tha. Isliye maine priya ko samjhate huye kaha.

Mai bola “tum mera viswas karo. Maine abhi tumse jo kuch bhi kaha hai. Sab sach kaha hai. Baki ki baten bhi mai tumhe akele me bata duga.”

Priya shayad meri uljhan ko samajh chuki thi. Usne meri uljhan ko door karte huye kaha.

Priya boli “abhi bhi mai akeli hi hu. Tum nikki ke samne saari baten kar sakte ho. Kyoki dopahar me tumhare jaane ke bad, maine nikki ko saari sachchai bata di thi. Meri koi bhi baat nikki se chhupi nahi rahti.”

Priya ki baat sunkar mujhe ek jhatka sa laga. Mai nikki ke samne khud ko sharmsaar mehsus kar raha tha. Mai itni bhi takat nahi juta pa raha tha ki, palat kar ek najar nikki ko dekh saku. Magar meri haalat se anjan, priya ne fir masumiyat se kaha.

Priya boli “batao na, jab tum mujhse naraj nahi the to, fir tumne ghar kyo chhoda.”

Ab priya ki baat ka jabab na de sakne ki mere pas koi vajah nahi thi. Maine priya se apna hath chhudaya aur uske aansuon ko saaf karte huye kaha.

Mai bola “tumne apni baat us samay bahut gusse me hone ki vajah se kahi thi, isliye maine tumhari baat ka jara bhi bura nahi maana tha. Lekin is baat se bhi inkar nahi kiya ja sakta tha ki, tumne jo kuch bhi kaha tha, wo sab puri tarah se jhuth tha.”

“Kyoki sach to yahi tha ki, mere bap ne jis thaali me khaya tha, usi me chhed kiya tha. Jis ghar ke logon ne hume apna samjh kar sahara diya tha. Mere baap ne usi ghar ki ladki ke sath galat harkat karke, un logon ki pith par chhura ghonpa tha.”

“Mai apne baap ki harkat ke liye, behad sharminda tha aur mere andar tumse najar mila sakne ki bhi takat nahi thi. Aise me yadi mai us ghar me rukta to, mujhe roj tumhara samna karna padta aur mai roj apne aapko tumhare samne sharmsaar mehsus karta. Isliye maine tumhara ghar chhodne ka faisla liya tha.”

“Ab tum maano ya na maano, par sach yahi hai ki, maine tumhara ghar, tumhari baat ka bura maan kar nahi, balki apni khud ki sharmindgi ki vajah se chhoda tha. Mai kisi bhi surat me, apne aapko us ghar me rahne layak, mehsus nahi kar raha tha.”

Itna kah kar maine ek thandi saans li aur mai khamosh ho gaya. Is baat ko kah dene se, mere man se ek bada bojh utar gaya tha. Maine priya ki taraf dekha to, wo kisi gahri soch me dikh rahi thi.

Mujhe ye to nahi pata ki, us samay wo kya soch rahi thi. Magar shayad wo is samay meri hi kahi baat ka jabab soch rahi thi. Uski is soch ne mujhe pareshani me daal diya tha.

Kyoki abhi uski tabiyat sahi nahi thi aur ye sab baten sochna uski sehat par bura asar daal sakti thi. Isliye maine usko, uski soch bahar nikalne ke liye, uske hath ko pakad kar dabaya. Mere aisa karte hi priya ne meri taraf dekha to, maine us se kaha.

Mai bola “ab tum kisi baare me, kuch bhi mat socho. Tumhare man me, jo bhi sawal hai, mai tumhare har sawal ka jabab duga. Yadi tum mujhse ghar wapas chalne ka bologi to, mai tumhare sath ghar bhi wapas chaluga. Lekin is sab ke liye, tumhe jaldi se apni tabiyat sahi karna hogi. Bolo karogi na.”

Meri baat sunkar priya ke chehre par raunak aa gayi. Usne muskurate huye haan me sar ko hilaya. Nikki jo abhi khamoshi se sab kuch sun rahi thi. Usne priya ki is harkat ko dekh kar, use chhedte huye, uska hi dialogue kaha.

Nikki boli “haan, ab dosti ki hai to, nibhani bhi padegi.”

Itna kah kar nikki hasne lagi aur mujhe bhi hansi aa gayi. Magar priya ne jhutha gussa dikhate huye, use dhire se ek mukka maara. Jise dekh kar nikki ne dhire se kuch budbudaya. Jo meri samajh me to nahi aaya magar shayad priya samajh gayi thi aur wo nikki ko fir se marne lagi.

Nikki thodi der tak priya ko aise hi pareshan karti rahi. Lekin jab usne priya ke chehre par thakan dekhi to, usne priya ko pareshan karna band kar diya aur us se kaha.

Nikki boli “chal ab bahut baten ho gayi. Ab tu aaram kar le. Hum log bahar jate hai aur aunty ko, wapas bhejte hai.”

Itna kah kar nikki, bahar jaane ke liye uth kar kahdi ho gayi aur meri taraf dekhne lagi. Magar mai abhi bhi apni hi jagah par khada tha. Kyoki priya mere hath ko abhi bhi pakde huye thi.

Shayad wo nahi chahti thi ki, mai uske pas se jau. Isliye nikki ki baat sunne ke bad to, usne mere hath ko aur bhi jor se pakad liya tha. Maine priya ke dil ki haalat ko samajhte huye nikki se kaha.

Mai bola “aap chal kar aunty ko bhejiye. Tab tak mai priya ke pas hi baithta hu.”

Meri baat sunkar nikki ke chehre par muskurahat aa gayi. Wo muskurate huye bahar jaane ke liye mudi hi thi ki, tabhi doctor nisha, ek nurse aur uncle aunty ke sath andar aayi.

Unhe dekhte hi maine priya se apna hath chhudaya aur usne bhi mauke ki najakat ko samajhte huye fauran mera hath chhod diya. Doctor nisha ne andar aane ke bad, sabse pahle priya se uski tabiyat puchhi. Uske bad un ne meri taraf muskurate huye dekha aur mujhse kaha.

Dr. nisha boli “aur hero, kya haal hai.”

Maine bhi muskura kar unki baat ka jabab dete huye kaha.

Mai bola “mai acha hu. Aap kaisi hai.”

Dr. nisha ne priya ki janch karte karte, meri baat ka jabab dete huye kaha.

Dr. nisha boli “mai bhi achi hu. Lekin lagta hai ki tum nahi sudhroge.”

Unki ye baat sunkar, mere sath sath sabhi log hairan hokar doctor nisha ko dekhne lage. Mujhe samajh me nahi aaya ki, wo aisa kyo bol rahi hai. Maine un se is baat ka karan janne ke irade se kaha.

Mai bola “kyo, maine aisa kya kar diya.”

Dr. nisha boli “ab mere samne jyada smart mat bano. Maine tumse pahle hi kaha tha ki, is ladki ko khush rakho. Yahi iski sehat ke liye thik rahega. Fir bhi tumne iska khayal nahi rakha. Dekh lo aakhir iski tabiyat kharab ho hi gayi na.”

Mere sath sath waha khade sabhi log unki baat ka matlab samajh gaye the. Wo priya ka sahi se khayal, na rakhe jaane ki vajah se aisa bol rahi thi. Jise sunkar sabke chehre par muskurahat aa gayi thi. Maine bhi unko apni safai dete huye kaha.

Mai bola “aap thik kah rahi hai. Magar priya ne school me jyada uchhal kood ki to, isme meri kya galti hai. Koi maine to, us se aisa karne ko nahi kaha tha.”

Meri baat sunkar doctor nisha ne priya ki janch karte karte, ek baar fir meri taraf tirchhi najar se dekha aur mujhse kaha.

Dr. nisha boli “oye hero, apun ke sath jyada shanpanti dikhane ki koshish nahi karne ka. Tere ko nahi malum, tum log jis school me padta hai, apun waha ki principal rah chuki hai.”

Dr. nisha ke muh se ye boli sunkar, mere to chehre ki hawaiyan ud gayi. Magar ye haal sirf mera nahi tha. Uncle aunty priya aur nurse bhi doctor nisha ki ye boli sunkar, badi hairani se un ko dekh rahe the.

Magar nikki ko unki baat sunkar koi hairani nahi huyi thi. Wo unki bat sunkar muskura rahi thi. Usne doctor nisha ko chhedte huye kaha.

Nikki boli “wah bhabhi, aap to shadi ke pahle hi aman bhaiya ke rang me rang gayi ho. Kahi aap dono ka shadi ke bad, Dr.-giri chhod kar Gunda-giri karne ka irada to nahi hai.”

Nikki ki baat sunkar doctor nisha muskuraye bina na rah saki. Un ne muskurate huye nikki se kaha.

Dr. nisha boli “nahi, humara aisa koi bhi irada nahi hai. Bas punit ko dekh kar, aman ki purani baten yaad aa gayi thi.”

Dr. nisha ki baat sunkar, nikki ke man me aman ki baton ko lekar utsukta thi. Usne doctor nisha se kaha.

Nikki boli “bhabhi, kya bhaiya sach me, apni college life me ek tapori the.”

Nikki ki ye baat sunkar, doctor nisha ne nikki ko gusse me ghoor kar dekha. Lekin nikki par unke ghoorne ka koi asar nahi pada. Wo abhi bhi pahle ki tarah hi hans rahi thi. Jise dekh kar doctor nisha ne kaha.

Dr. nisha boli “wo koi tapori vapori nahi, balki college ka Don tha.”

Magar nikki ki shararat band nahi huyi. Usne fir doctor nisha ko chhedte huye kaha.

Nikki boli “haan, do char chele chapati bana liye honge aur upar hi apni Don-giri chalate hoge.”

Ye sunkar doctor nisha ek baar fir nikki ko ghoor kar dekhne lagi. Magar jab un ne dekha ki, unke ghoorne ka nikki par koi asar nahi pad raha hai to, un ne nikki ko aman ki Don-giri ke baare me batate huye kaha.

Dr. nisha boli “aman ke do char chele nahi, balki do char college ke ladke uske chele the aur puri university me uska rob chalta tha. College ke principal tak uske khilaf koi kadam uthane se kauf khate the. Fir teachers ki to baat hi chhodo.”

Sab bade gaur se doctor nisha ki baat sun rahe the. Jab doctor nisha ne sabke man me aman ke baare me janne ki utsukta dekhi to, un ne apni baat aage badate huye kaha.

Dr. nisha boli “students par aman ki image ka craze aisa tha ki, ladke to ladke, ladkiyan tak, uski style ki nakal kiya karti thi. College ki sundar se bhi sundar ladkiyan aman ki diwani thi.”

Doctor nisha ki is baat nikki ko fir shararat sujhi aur usne doctor nisha ko chhedte huye kaha.

Nikki boli “magar humare bhaiya ki kismat hi kharab thi. Bechare college ki itni sundar sundar ladkiyon ko chhod kar kaha jakar fas gaye. Lekin kahte hai na.”

“Nind Aaye Chatai Par To, Dari Kis Kaam Ki.
Aur Dil Laga Gadhi Se To, Pari Kis Kaam Ki.”
Ye kahkar nikki khilkhila kar hasne lagi aur nikki ke sath sath hum sabko bhi hansi aa gayi. Jise dekh doctor nisha khurra kar nikki ki taraf badi. Lekin nikki unke aage badne ke maksad ko samajh gayi thi.

Wo fauran jakar aunty ke pichhe chhup gayi. Usse aunty ke pichhe chhupte dekh doctor nisha ne kaha.

Dr. nisha boli “mujhse kab tak bachegi tu. Jab bhi mere hath lagegi, teri aisi gat karugi ki, tu mujhe jindagi bhar yaad rakhegi.”

Nikki ne aunty ke pichhe chhupe chhupe apne hath ka angutha dikha kar doctor nisha ko chidate huye kaha.

Nikki boli “mai aapki shadi ke pahle aapke hath nahi lagne wali aur shadi hone ke bad to, aap mujhe kuch kar nahi paogi.”

Nikki ki is baat par, doctor nisha ne jabab dete huye kaha.

Dr. nisha boli “uske liye bhi, tujhe jyada intejar nahi karna padega. Kyoki is Friday ko hum shadi kar rahe hai. Fir dekhti hu ki, tujhe mujhse kaun bachata hai.”

Lekin doctor nisha ki ye baat sunne ke bad, nikki khud hi aunty ke pichhe se, bahar nikal aayi aur fir usne doctor nisha se lipat kar, bade pyar se kaha.

Nikki boli “bhabhi, mai ye kya sun rahi hu. Kya sach me aap log is Friday ko shadi kar rahe hai."

Magar is baar ke nikki ke sawal ko sunkar doctor nisha sharma gayi aur un ne haan me sar ko hila diya. Lekin unke is sharmilepan ne uski sundarta me chaar chaand laga diye the.

Wo sach me us samay bahut jyada sundar dikh rahi thi. Doctor nisha ke is tarah se sharmane se, mujhe pahli baar aehsas hua ki, ladki ka sabse bada gahna, uski sharam hoti hai.

Jo use kisi dukan se kharidna nahi padti, balki uske andar hi kahi chhipi hoti hai. Doctor nisha ko apni shadi ki baat se, is tarah se sharmate dekh kar, nikki ne un se kaha.

Nikki boli “bhabhi, abhi se aise hi sharmati rahogi to, mujhe shadi ki party kaun dega aur shadi ki shopping kaun karwayega.”

Nikki ki baat sunkar, doctor nisha ne apni sharam par kabu karte huye, bade pyar se nikki se kaha.

Dr. nisha boli “shadi ki party alag se dene ka to, ab samay hi nahi bacha hai. Magar mai tumhe shadi ki shopping jarur karwa dugi. Lekin Tuesday ke bad, mujhe ghar se nikalna mana hai. Isliye kal ya parson me, jab bhi tumhare pas time ho, tum aur aru (Dr. aman ki bahan) ghar aa jao. Mai dono ko shopping karwa dungi.”

Priya jo abhi tak sab kuch khamoshi se dekh aur sun rahi thi. Ab us se bhi chup na raha gaya. Usne doctor nisha aur nikki ki chal rahi baat ko, bich me kaatte huye kaha.

Priya boli “aur mera kya hoga. Kya mujhe shadi ki shopping karne ko nahi milegi.”

Priya ki baat sunte hi sabke chehre par hansi aa gayi. Doctor nisha ne uske pas aakar, uske sar par bade hi pyar se hath fera aur use samjhate huye kaha.

Dr. nisha boli “sorry priya, tum humare sath shopping me nahi ja sakti ho. Abhi tumhari haalat shopping me jaane layak nahi hai. Warna kya mai tumhe bhool sakti thi.”

Doctor nisha ki baat sunkar, priya udas ho gayi aur priya ki udasi ko dekh kar, waha khade sabhi logon ki hansi bhi gayab ho gayi. Lekin doctor nisha ne badi teji se mahaul ko halka karte huye, priya se kaha.

Dr. nisha boli “are isme itna udas hone ki kya baat hai. Maine to bas ye kaha hai ki, hum tumhe apne sath shopping ke liye nahi le ja sakte. Ye thodi na kaha hai ki, mai tumhe shopping nahi karwaugi.”

Doctor nisha ki ye baat sunkar, priya ke sath sath, sab unko hairat se dekhne lage. Kisi ke bhi samajh me nahi aaya ki, wo kahna kya chahti hai. Priya ne hairani se un se kaha.

Priya boli “jab mai yaha se ja hi nahi sakti to, fir mai shopping kaise kar sakti hu.”

Doctor nisha ne priya ki is baat par use samjhate huye kaha.

Dr. nisha boli “tumhari shopping bhi hum log karege. Magar tum apni shopping Mms ke jariye karogi. Hum log jo bhi kharidi karege, pahle tumhe Mms karke tumhari pasand jaan lege. Jo bhi chije tumhe pasand aayegi, wo hum kharid lege. Is tarah tum shopping par jaye bina hi, apni pasand ki shopping kar logi.”

Ye baat sunte hi priya ke chehre par kuch pal ke liye muskurahat aa gayi. Lekin agle hi pal uski muskurahat fir se gayab ho gayi aur usne kaha.

Priya boli “lekin shopping karne ka bhi kya fayda. Aapki shadi to Friday ki hai aur mai to shadi me shamil ho hi nahi paugi.”

Dr. nisha boli “tum is baat ki jara bhi chinta mat karo. Tumhe Friday ke pahle thik karne ki jababdari meri hai. Tum Friday ke pahle thik bhi ho jaogi aur shadi me shamil bhi ho sakogi.”

Doctor nisha ki baat sunkar priya ki muskurahat fir se wapas aa gayi. Uske bad Doctor nisha ne uncle aunty ko, priya ki tabiyat ke baare me, kuch jaruri hidayten di aur un se kaha.

Dr. nisha boli “ab aap log priya ki jara bhi chinta mat kijiye. Priya ab puri tarah khatre se bahar hai. Fir bhi maine priya ka pura khayal rakhne ke liye, juli (nurse) ko jata diya hai. Ye raat ko 10 baje tak yaha rahegi.”

“Raat ke liye, maine sikha (nurse) ki duty yaha lagwa di hai aur use bhi priya ka pura khayal rakhne ko kaha hai. Aap logo ko pareshan hone ki jarurat nahi hai. Aap chahe to kisi ek ko, priya ke pas chhod kar, baki log ghar ja sakte hai.”

Itna kahne ke bad, un ne priya ke pas jyada bhid na lagane ko kaha aur fir wo nurse ke sath wapas chali gayi. Unke jaane ke bad, aunty priya ke pas ruki rahi aur baki sab waiting lounge me aa gaye.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 113}
____________________________

Dr. nisha boli “tum is baat ki jara bhi chinta mat karo. Tumhe Friday ke pahle thik karne ki jababdari meri hai. Tum Friday ke pahle thik bhi ho jaogi aur shadi me shamil bhi ho sakogi.”

Doctor nisha ki baat sunkar priya ki muskurahat fir se wapas aa gayi. Uske bad Doctor nisha ne uncle aunty ko, priya ki tabiyat ke baare me, kuch jaruri hidayten di aur un se kaha.

Dr. nisha boli “ab aap log priya ki jara bhi chinta mat kijiye. Priya ab puri tarah khatre se bahar hai. Fir bhi maine priya ka pura khayal rakhne ke liye, juli (nurse) ko jata diya hai. Ye raat ko 10 baje tak yaha rahegi.”

“Raat ke liye, maine sikha (nurse) ki duty yaha lagwa di hai aur use bhi priya ka pura khayal rakhne ko kaha hai. Aap logo ko pareshan hone ki jarurat nahi hai. Aap chahe to kisi ek ko, priya ke pas chhod kar, baki log ghar ja sakte hai.”

Itna kahne ke bad, un ne priya ke pas jyada bhid na lagane ko kaha aur fir wo nurse ke sath wapas chali gayi. Unke jaane ke bad, aunty priya ke pas ruki rahi aur baki sab waiting lounge me aa gaye.

Waiting lounge me aane ke bad, nikki baki logon ko, priya ki tabiyat ko lekar, doctor nisha ki kahi baten batane lagi. Is bich maine bhi call karke, mehul ko priya ke baare me bata diya. Nikki ki baat puri hone tak, mehul bhi waha aa chuka tha.

Nikki ki baat sunne ke bad, dada ji ne sab se kaha ki, ab 8 baj gaya hai. Priya ki tabiyat ab thik hai to, hum sab ko ab ghar wapas chalna chahiye. Lekin uske pahle ye tay kar lo ki, abhi rat ko priya ke pas kaun rukega.

Dada ji ki baat sunkar, riya aur nikki dono hi priya ke pas rukne ki baat kahne lagi. Magar raj unko ye kah kar, waha rukne se mana karne laga ki, raat ka samay hai, un dono me se, koi bhi waha ruka to, akela pareshan ho jayega. Isliye raat ko uska hi priya ke pas rukna thik rahega.

Sabko raj ki baat sahi lag rahi thi. Lekin achanak hi mehul ne raj ki baat ko kaatte huye kaha.

Mehul bola “yaar, raat ko to, mai bhi yahi hu aur bich bich me aakar priya ko dekhta rahuga. Iske alawa doctor nisha ne bhi, shikha naam ki jis nurse ki raat ko, priya ke pas duty lagwayi hai. Wo nurse bahut achi hai aur marijon ka bahut achi tarah se khayal rakhti hai.”

“Mujhe uske baare me isliye malum hai, kyoki abhi tak papa ke pas raat ko, usi ki duty rahti thi aur wo raat ko baar baar, papa ko aakar dekhti rahti thi. Papa ne to yaha tak kah diya tha ki, mujhse jyada to shikha unka khayal rakhti hai.”

“Ab aise me yadi riya ya nikki yaha par rukti hai to, unke akele ya pareshan hone ka sawal hi paida nahi hota aur yadi priya ke pas riya ya nikki me se koi rahta bhi hai to, wo inke samne apni koi bhi baat ya pareshani bejijhak kah sakti hai. Isliye meri maano to, riya ya nikki me se hi kisi ko priya ke pas rahne do.”

Mehul ki baat raj aur baki sab logon ko bhi thik lagi. Isliye raj ne riya aur nikki me se, ek ko rukne ke liye kah diya. Lekin ab bhi baat wahi ke wahi par atki huyi thi. Kyoki riya aur nikki dono hi priya ke pas rukne ki jid kar rahi thi.

Magar raat ko huyi baton ki vajah se, mera man kar raha tha ki, nikki hi priya ke pas ruke. Shayad nikki bhi yahi chah rahi thi, isliye wo rukne ki jid kar rahi thi. Lekin jab usne dekha ki riya uski baat manne ko taiyar nahi hai. Tab usne riya se kaha.

Nikki boli “mai to sirf isliye yaha rukne ki jid kar rahi hu. Taki yadi raat ko jarurat pad jaye to, nisha bhabhi ya aman bhaiya ko aasani se bulaya ja sake. Ab yadi iske bad bhi tum rukna chahti ho to, mujhe tumhare yaha rukne me koi pareshani nahi hai.”

Nikki ki is baat ko sunkar riya ko apni jid chhodna padi. Dada ji aur uncle ne bhi nikki ko rukne ki sahmati de di. Iske bad dada ji ne, raj se priya aur baki sabke khane ka intejam karne ko kaha to, raj khana lene chala gaya.

Raj ke jaane ke bad, nikki ne dada ji se kaha ki, wo doctor nisha se ek baar priya ke khane ke baare me puchh leti hai. Ye kah kar wo doctor nisha ke pas jaane lagi to, mai bhi uske sath ho liya.

Hum dono doctor nisha ke pas pahuche to, waha doctor aman aur ajay pahle se hi baithe the. Lekin na to ajay, texi driver ke bhesh me tha aur na hi doctor aman, doctor ki bhesh bhusha me the.

Dono hi sadharan bhesh bhusha me the. Wo log apne hansi majak me vyast the. Un logon ko hansi majak me vyast dekh kar, mera man andar jaane ka nahi tha aur mai wahi se wapas laut jana chahta tha.

Lekin tab tak doctor nisha ki najar hum par pad chuki thi. Doctor nisha ne hume dekhte hi andar aane ka ishara kiya to, baki logon ki najar bhi hum par pad gayi. Majburi me nikki ke sath mujhe bhi andar jana pad gaya. Hum log bhi jakar unke sath baith gaye. Humare baithte hi doctor nisha ne ajay se kaha.

Dr. nisha boli “lo ajji, tumhara dost aur tumhari roji roti ka dushman aa gaya.”

Mujhe doctor nisha ki baat ka matlab to samajh me nahi aaya tha. Fir bhi unki baat sunkar, mai musjuraye bina na rah saka. Maine muskurate huye doctor nisha se kaha.

Mai bola “ab maine kya kar diya.”

Dr. nisha boli “kyo, kya tumko nahi malum ki, tumne kya kiya hai.”

Mai bola “mujhe sach me nahi malum ki, meri vajah se ajji ki roji roti par kaise asar pada hai.”

Mere is jabab ko sunkar sabke chehre par muskurahat aa gayi. Magar doctor nisha ne fir mujhe chhedte huye kaha.

Dr. nisha boli “dekho kitna bhola ban raha hai. Jaise isne kuch kiya hi na ho.”

Mai bola “ab mai aapko kaise yakin dilau ki, mujhe sach me kuch nahi pata ki, mujhse kya galti ho gayi hai.”

Dr. nisha boli “acha chalo maan leti hu ki, tumhe sach me kuch nahi pata. Lekin kya tumhe ye bhi nahi pata ki, ajji taxi chalata hai.”

Mai bola “wo to sabhi ko pata hai. Isme naya kya hai.”

Dr. nisha boli “fir tumhe ye bhi pata hoga ki, ab ajji ka taxi chalane ka time ho gaya hai.”

Mai bola “haan, pata hai.”

Dr. nisha boli “to ab ye batao ki, ajji taxi kaise chalaye.”

Mai bola “mai kuch samjha nahi. Ajji ko taxi chalane me kya pareshani hai.”

Dr. nisha boli “bahut badi pareshani hai. Priya yaha hospital me hai aur priya ke ghar ke saare log yahi hai. Un se aaj hi tumne ajji ko milaya tha aur ab yadi wo ajji ko taxi chalate dekhege to, kya unke man me sawal nahi aayega ki, tumhara dost to bahut bada aadmi hai, fir wo taxi kyo chala raha hai. Kya is se tumhare liye pareshani khadi nahi hogi.”

Mai doctor nisha ke kahne ka matlab samajh gaya tha. Mai abhi unki is samasya ka hal batane hi wala tha ki, tabhi mujhe keerti ki kahi ye baat yaad aa gayi ki, ajji jis ladki se pyar karta hai, wo ladki hospital ki hi koi ladki hai. Ye baat yaad aate hi, mai jo baat kahne wala tha, use na kah kar, baat ko ghumate huye kaha.

Mai bola “to isme kaun si badi baat hai. Sirf do teen din ki hi to baat hai. Ajji do teen din ke liye, yaha taxi na chala kar, kahi or taxi chala sakta hai.”

Meri baat sunkar, doctor nisha mujhe hairani se dekh rahi thi. Fir un ne apni hairani jatate huye ajay se kaha.

Dr. nisha boli “ajji, apne dost ki baat sun lo. Ye to bilkul nasamajh hai, kisi baat ko samajhta hi nahi hai. Jab tak tum ise sachchai nahi bataoge, iske kuch samajh me nahi aayega.”

Abhi ajay doctor nisha ki baat ka kuch jabab de pata, us se pahle hi, doctor aman ne cigarette jalate huye kaha.

Dr. aman bole “galat, bilkul galat.”

Doctor aman ki baat sunkar, sab ke sab, aashcharya chakit hokar, doctor aman ko dekhne lage. Kisi ke kuch samajh me nahi aaya ki, wo kya kahna chahte hai. Doctor nisha ne hairani bhare sabdon me kaha.

Dr. nisha boli “tum kahna kya chahte ho.”

Doctor aman ne cigarette ka ek kash lagaya aur doctor nisha ki baat ka jabab dete huye kaha.

Dr. aman bole “bas yahi ki, punit jara bhi nasamajh nahi hai. Balki jarurat se jyada samrt hai.”

Dr. nisha boli “tumhare kahne ka kya matlab hai.”

Dr. aman bole “matlab ye ki, mujhe punit ka ye jabab, nasamjhi wala nahi balki samajhdari wala lag raha hai.”

Doctor aman ki ye baat sunkar, sab iska matlab samajhne ki koshish karne lage. Lekin fir bhi kisi ko unki baat samajh me nahi aayi thi. Isliye doctor nisha ne fir kaha.

Dr. nisha boli “tumko aisa kyo lag raha hai.”

Dr. aman bole “bilkul sidhi si baat hai ki, ajji ko janne wale sabhi log, ye achi tarah se jante hai ki, ajji taxi paison ke liye nahi chalata hai. Fir punit ko aisa jabab dene ki kya jarurat thi. Mujhe to uske aisa kahne ki, sirf ek hi vajah samajh me aati hai ki, use kuch na kuch is baat ka andaza hai aur wo apne usi andaze ko pakka karna chahta hai.”

Doctor aman ki ye baat sunte hi, mere chehre par muskurahat aa gayi. Bhale hi ye andaza mera nahi, keerti ka tha. Magar fir bhi doctor aman ki ye baat galat nahi thi.

Isliye mai man hi man unke dimag ki daad diye bina na rah saka. Sab khamoshi se meri taraf dekh rahe the aur mai sirf muskura raha tha. Thodi der khamosh rahne ke bad, maine hi is khamoshi ko todte huye kaha.

Mai bola “mujhe lagta hai ki, ajji ko yaha taxi chalane me koi pareshani nahi hai. Kyoki ajji to raat ko taxi chalata hai aur abhi kuch der bad, jin logon se ajji mila hai, wo sab chale jayege. Yadi rukega bhi to, sirf raj rukega aur raj ajji se abhi tak mila hi nahi hai.”

Meri baat ki sahmati ajay aur nikki ne bhi di. Magar ye khushi sirf thodi der ki thi. Kyoki uske bad doctor nisha ne fir mujhe ek jhatka diya. Un ne meri baat khatam hone ke bad kaha.

Dr. nisha boli “chalo, ye to acha hua. Ajji bekar me hi dar raha tha. Lekin ab sach sach batao. Priya ki ye haalat tumhari vajah se huyi hai na.”

Doctor nisha ki baat sunkar, mai chauke bina na rah saka. Mujhe samajh me nahi aaya ki, unhe is baat ka shaq mujh par kyo hai. Mujhe nikki par pura visawas tha ki, wo kisi se kuch nahi kah sakti.

Ab bacha sirf ajay, jise ki priya se mere jhagre ke baare me pata tha. Maine ye janne ke liye ajay ki taraf dekha. Wo shayad mere is tarah se dekhne ka matlab samajh gaya tha. Usne ishare me mujhe sar hilakar na kar diya ki, usne kuch nahi kaha.

Ab meri samajh se ye baat door thi ki, doctor nisha ko is baat ka shaq baar baar mere upar hi kyo ja raha hai. Aakhir me jab mujhse nahi raha gaya to, maine unse kaha.

Mai bola “aapko aisa kyo lagta hai ki, priya ki tabiyat kharab hone me mera hath hai. Jabki mai to subah hi waha se nikal gaya tha.”

Meri baat sunkar, doctor nisha muskura di aur fir un ne apni baat ko spast karte huye kaha.

Dr. nisha boli “kyoki, mujhe priya ne khud bataya hai.”

Doctor nisha ki ye baat sunkar, maine ek baar nikki ki taraf dekha. Lekin nikki khud is baat ko sunkar hairan dikh rahi thi. Mai abhi kuch thik se soch bhi nahi paya tha ki, doctor nisha ne mujhe tokte huye kaha.

Dr. nisha boli “bolo, kya priya ke apne muh se kahne ke bad bhi, tum yahi kahoge ki, priya ki ye haalat tumhari vajah se nahi huyi hai.”

Mujhe abhi bhi is baat ka pura viswas tha ki, ye baat priya ne nahi kahi hai. Isliye maine doctor nisha ki baat ka jabab dete huye kaha.

Mai bola “aisa ho hi nahi sakta. Mujhe pura viswas hai ki, priya ye baat kisi se nahi kah sakti.”

Meri baat ko sunkar, doctor nisha ki muskan aur bhi gehri ho gayi. Un ne mujhe meri baat ka jabab dete huye kaha.

Dr. nisha boli “chalo tumne is baat ko to maana ki, tum dono ke bich aisi koi baat huyi hai. Bas tum is baat ko nahi maan rahe ho ki, ye baat priya ne mujhse kahi hai.”

Doctor nisha ki ye baat sunkar, mai sann rah gaya. Mai khud hi apni juban se ye maan chuka tha ki, mere aur priya ke bich koi baat huyi hai. Doctor nisha ne badi chaturayi se, mujhe apni baton me fasa kar, sachai ugalwa li thi aur ab unke chehre par ek shararati muskan thi.

Maine ek najar baki sab ki taraf dekha to, doctor aman ke chehre par bhi ek muskurahat thi. Lekin ajay mujhe kisi baat ki, chinta na karne ka ishara kar raha tha. Jabki nikki gusse me doctor nisha ko ghoor kar dekh rahi thi.

Magar sab khamosh the aur ek dusre ko dekh rahe the. Shayad nikki ko doctor nisha ki ye baat pasand nahi aayi thi. Usne is khamoshi ko toda aur meri tarafdari karte huye, doctor nisha par khurra kar kaha.

Nikki boli “aisi koi baat nahi hai. Yadi aisi koi baat hoti to, priya ne mujhe jarur batayi hoti. Uski koi baat mujhse chhupi nahi hai. Aap ye tukke ke teer chalana band karo.”

Nikki ki baat sunkar, doctor nisha ko hansi aa gayi. Un ne ab nikki ko chhedte huye kaha.

Dr. nisha boli “teer to mai punit par chala rahi thi. Lekin tumko takleef kyo ho rahi hai. Waise mai tumko bata du ki, ye tukke ka teer nahi tha. Mai subah jab priya ko dekhne gayi thi to, uska chehra murjhaya hua tha aur aisa lag raha tha ki, wo bahut royi hai.”

“Magar tab mujhe yahi laga tha ki, shayad bimari ki vajah se aisa ho. Lekin jab dopahar ko use yaha laya gaya to, uski janch karte samay meri najar ek aisi baat par padi ki, mujhe kuch shaq hua aur uske bad, sham ko jab mai use dekhne pahuchi to, punit uske pas tha aur uska chehra khila hua tha. Jis se mera shaq is baat ko lekar pakka ho gaya.”

Ye kah kar doctor nisha fir se meri taraf dekhne lagi. Mere man me is baat ko lekar sawal uth rahe the ki, doctor nisha ne aisa kya dekha, jiski vajah se unke man me ye shaq paida hua tha. Magar mai chah kar bhi ye baat un se nahi puchh pa raha tha. Lekin meri is mushkil ko ajay ne aasan karte huye kaha.

Ajay bola “tumne aisa kya dekh liya tha. Jiski vajah se tumhe shaq hua tha.”

Ajay ki baat ka doctor nisha ne hans kar, jabab dete huye kaha.

Dr. nisha boli “waise to, maine kal bhi priya ko punit se gussa hokar jate dekha tha. Tab maine is se puchha tha ki, kya wo tumhari girlfriend hai. Magar isne mana kar diya tha. Tab maine ise samajhya tha ki, usko bilkul pareshan mat karna aur use hamsesha khush rakhne ki koshish karna. Yahi uski sehat ke liye acha hai.”

“Us samay mujhe iski baat par yakin ho gaya tha ki, priya iski girlfriend nahi hai. Magar aaj jab mai dopahar ko priya ki janch kar rahi thi. Tab mujhe uski hantheli me blade se kaat kar banaya hua “P” najar aaya. Mujhe samajh me nahi aaya ki, priya ne khud apne naam ka akshar is tarah se apne hath par kaat kar kyo likha hai.”

“Magar jab mai sham ko priya ke pas pahuchi to, punit uske pas tha aur priya ka chehra khila hua tha. Tabhi mujhe laga ki priya ke hath me likhe “P” ka matlab punit se bhi juda ho sakta hai.”

“Maine is baat ki sachai janne ke, liye jab priya ka khayal na rakhne ke liye, punit ko doshi bataya to, priya ke chehre ki raunak aur bhi bad gayi. Jise dekh kar maine uske samne aman ki baat suru kar di. Sab meri baton ko sunne me lage the. Magar priya ka saara dhyan sirf punit ki hi taraf tha.”

“Wo sabke sath hote huye bhi na jaane apni kis duniya me gum thi. Tab jakar mera ye shaq pakka ho gaya ki, ho na ho in dono ke bich me, kuch na kuch khichdi jarur pak rahi hai.”

“Ab priya ki harkaton se to, ye saaf jahir hota hai ki, wo punit ko bahut pyar karti hai. Magar punit ko dekh kar aisa nahi lagta ki, wo bhi priya se pyar karta hai. Ab meri baat me kitni sachai hai, ye to priya, punit ya fir nikki hi bata sakte hai.”

Itna bol kar, doctor nisha meri aur nikki ki taraf dekhne lagi. Mujhse to doctor nisha ki is baat ka koi jabab dete nahi ban raha tha. Wahi nikki doctor nisha ke muh se apna naam sunkar, chauke bina na rah saki thi.

Wo shayad doctor nisha se iski vajah puchhne wali thi. Magar uske kuch bolne ke pahle hi, ajay ne doctor nisha ki baat ka jabab dete huye kaha.

Ajay bola “priya punnu ko pyar karti hai ya nahi, ye to mai nahi janta. Magar itna jarur janta hu ki, punnu priya ko pyar nahi karta. Kyoki uski pahle se hi ek girlfriend hai aur wo dono ek dusre ko bahut pyar karte hai.”

Ajay ki baat sunne ke bad, doctor nisha ka chehra eka ek utar gaya. Unka phool ki tarah khila hua chehra, ab murjha sa gaya tha aur wo na jaane kis soch me gum ho gayi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 114}
____________________________

“Ab priya ki harkaton se to, ye saaf jahir hota hai ki, wo punit ko bahut pyar karti hai. Magar punit ko dekh kar aisa nahi lagta ki, wo bhi priya se pyar karta hai. Ab meri baat me kitni sachai hai, ye to priya, punit ya fir nikki hi bata sakte hai.”

Itna bol kar, doctor nisha meri aur nikki ki taraf dekhne lagi. Mujhse to doctor nisha ki is baat ka koi jabab dete nahi ban raha tha. Wahi nikki doctor nisha ke muh se apna naam sunkar, chauke bina na rah saki thi.

Wo shayad doctor nisha se iski vajah puchhne wali thi. Magar uske kuch bolne ke pahle hi, ajay ne doctor nisha ki baat ka jabab dete huye kaha.

Ajay bola “priya punnu ko pyar karti hai ya nahi, ye to mai nahi janta. Magar itna jarur janta hu ki, punnu priya ko pyar nahi karta. Kyoki uski pahle se hi ek girlfriend hai aur wo dono ek dusre ko bahut pyar karte hai.”

Ajay ki baat sunne ke bad, doctor nisha ka chehra eka ek utar gaya. Unka phool ki tarah khila hua chehra, ab murjha sa gaya tha aur wo na jaane kis soch me gum ho gayi thi.

Kisi ko bhi doctor nisha ke is achanak badle mood ka karan samajh me nahi aa raha tha. Kuch der tak kuch sochne ke bad, doctor nisha ne mujhse kaha.

Dr. nisha boli “kya priya is baat ko janti hai ki, tumhari koi girlfriend hai.”

Mai bola “haan, maine use pahle hi sab kuch bata diya tha.”

Dr. nisha boli “sab janne ke bad usne kya kaha.”

Mai bola “wo kahti hai ki, wo sirf meri dost bani rahna chahti hai. Iske siwa wo kuch bhi nahi chahti.”

Meri baat sunkar, doctor nisha ek baar fir kisi soch me pad gayi. Kuch der sochne ke bad, un ne bade hi sanjida andaz me mujhse kaha.

Dr. nisha boli “bahut hi mushkil hota hai na.”

Mai doctor nisha ki is baat ka matlab samajh nahi saka. Maine hairan hote huye kaha.

Mai bola “kya.”

Dr. nisha boli “jis se pyar ho, us se door rahna aur jis se pyar na ho, uske sath rahna.”

Ye kah kar doctor nisha feeki si muskan me muskurane lagi. Lekin unki is muskan se, un ke dil me, priya ke liye chhupa dard saaf najar aa raha tha. Jise mai mehsus kar sakta tha aur fir priya ko hone wale dard ka aehsas karke, na chahte huye bhi, meri aakhon me nami aa gayi.

Doctor nisha ne thode se shabdon me jindagi ki, ek bahut kadwi sacchai bol di thi. Mere pas unki baat ka jabab hote huye bhi, mai unhe ko jabab nahi de pa raha tha. Mujhe khamosh dekh kar un ne fir kaha.

Dr. nisha boli “kyo mushkil hota hai na.”

Ab mere pas un ki baat ka jabab dene ke siwa koi rasta nahi tha. Maine ek thandi si saans bharte huye kaha.

Mai bola “haan, bahut mushkil hota hai. Apne pyar se door rahna ek saza jaisa lagta hai. Lekin us se jyada taklif tab hoti hai. Jab koi aapko apni jaan se badkar pyar kare aur aap use pyar ke badle me, pyar na de sako. Tab aisa lagta hai, maano seene me koi aag bhabhak rahi ho aur us aag me dil jal raha ho.”

Itna bol kar mai khamosh ho gaya aur ek baar fir priya ko hone wale dard ke baare me sochne laga. Wahi dusri taraf doctor nisha bhi meri baat ki geharai me kho gayi. Lekin jab doctor aman ne mahol ko bahut jyada sanjida hote dekha to, un ne sabka dhyan apni taraf khichte huye kaha.

Dr. aman bole “yaar, tum log bhi kis baat me fase huye ho. Kya hua jo priya ko punit ka pyar nahi mila. Ho sakta hai ki, uski kismat me punit se bhi acha ladka ho. Yadi punit ne uska dil toda hai to koi dusra aakar use jod bhi dega. Pyar humare charon taraf hota hai. Bas use pehchanne ki jarurat hoti hai.”

Dr. aman ne apni baat se sabko, sirf jindagi ka aaina dikhaya tha. Lekin dil walon ki mahfil me dimag ki baat kaun samajhta hai. Isliye unki baat sunkar sab khamosh ho gaye the. Magar kahte hai na ki.......

”Jhooti Sachi Aas Dila Kar Yun Kab Tak Bahlaoge.
Diwane Phir Diwane Hai Machal Gaye To Kya Hoga.”

Yahi hua bhi, ajay jo ab tak sab ki baten chup chap sun raha tha. Usne doctor aman ki ye baat suni to, apne aapko bolne se na rok paya. Usne doctor aman ki baat ka jabab dete huye kaha.

Ajay bola “jo baten abhi tumne kahi hai. Wo kahne aur sunne me bahut achi aur sachchi lagti hai. Lekin ye sab dimag ki baten hai. Ye baten dil ko samajh me nahi aati. Dil se inka koi lena nahi hai. Kyoki dil ka ek apna hi dimag hota hai. Wo sirf wahi dekhta aur sunta hai, jo wo chahta hai.”

“Jo kuch bhi abhi tumne kaha hai, wo baten kahne aur sunne me bahut achi lagti hai. Prayogik taur par ye baten un ke liye bahut achi hai. Jo dimag se sochte hai aur jinke liye dil sharir ka sirf ek aisa purja hai, jo khoon saaf karne ke alawa aur kisi kaam me nahi aata hai.”

“Magar in baton ka, un logon ke liye koi mol nahi hai, jo dil se sochte hai aur jinke liye dil sharir ka sirf ek purja nahi, balki ek aisa hissa hai, jo unke jajbaton paida karta hai aur unhe sukh dukh ka aehsas karata hai.”

“Dil ek shishe ki tarah hota hai, jiske tootne ki na to koi aawaj hoti aur na hi jise dobara joda ja sakta hai. Kyoki jab dil tootta hai to, uske armano ki maut ho jaati hai. Jab dil ke armaan hi na rahege to, fir koi dusra aakar kya jodega. Jise tum dil ka jodna kah rahe ho, wo jeene ke liye sirf ek samjhota hota hai. Apni haar ya nakamyabi se ubarne ka ek dilasa hota hai.”

Ajay ki baat sunkar, mujhe laga ki ab doctor aman kuch nahi bol payege. Lekin aisa nahi hua. Un ne ajay ki baat ka tark dete huye kaha.

Dr. aman bole “tumhari baat sahi hai. Lekin tum meri baat ka galat matlab nikal rahe ho. Mere kahne ka matlab sirf ye tha ki, punit priya ka sachcha pyar nahi ho sakta. Kyoki punit to kisi aur ko pyar karta hai. Iska matlab to yahi hai hua na ki, priya ka sacha pyar koi aur hai.”

Magar doctor aman ki is baat par ajay ne unhe chidane wali musakan me, muskurate huye kaha.

Ajay bola “bhai mere, tu thahra ek Plastic and Cosmetic Surgeons, jo logon ki bahri sundarta ko hi dekhta hai. Lekin mai ek Psychiatrist (mano-chikitsak) hu, jo logon ke dil aur dimag ko samajhta hu. Mera manna hai ki, pyar sacha ya jhutha nahi hota. Pyar ya to hota hai ya fir nahi hota aur yaha punit ko priya se pyar nahi hai.”

Ajay ki ye baat sunkar mujhe ek jhatka aur laga. Uski is baat se samajh me aaya ki, wo ek Psychiatrist (mano-chikitsak) hai. Ye janne ke bad, meri ajay ke baare me janne ki utsukta aur bhi bad gayi thi. Jabki uski baat ko sunkar doctor aman ne, usi ki baat ko pakad kar, palatvaar karte huye kaha.

Dr. aman bole “to Psychiatrist sahab, priya ke baare me kuch bataiye. Aapki bhasha me kahe to, priya punit se pyar karti hai aur yadi use punit se pyar hai to, fir punit ki jagah uski jindgi me koi nahi le sakta. Ab jab punit kisi aur se pyar karta hai to, fir priya ke pyar ka anjam kya hai.”

Doctor aman ki baat sunkar, ajay ne muskurate huye kaha.

Ajay bola “priya aur punnu dono ka pyar abhi kachchi umar ka pyar hai. Aise pyar me ye antar kar pana mushkil hota hai ki, ye sach me pyar hi hai ya fir sirf ek aakarshan hai, jo ki is umar me aksar hota hai.”

“Yadi priya ka pyar sirf ek aakarshan hai to, fir samay ke sath uska ye aakarshan kam ho jayega. Kyoki kisi bhi chij ka aakarshan tabhi tak bana rahta hai. Jab tak wo chij samne ho ya fir jab tak koi us se bhi behtar chij samne na aa jaye.”

“Kyoki aakarshan chahe kitna bhi gahra kyo na ho. Magar ek din samay, doori aur us se behtar chij ki upastithi, us aakarshan ko khatam kar deti hai. Ab ye to punnu ke yaha se jaane ke bad hi pata chalega ki, priya ko sach me punnu se pyar hai ya ye sirf uska aakarshan hai.”

Ajay aur doctor aman ke bich chal rahi ye baten samajhne wali thi. Lekin mera man in baton me nahi lag raha tha aur mujhe in baton se boriyat hone lagi thi aur ab mai jaldi se jaldi yaha se nikalna chahta tha.

Yahi sochte huye, maine nikki ki taraf dekha. Wo shayad mere is tarah se dekhne ka matlab samajh gayi thi. Isliye usne doctor aman ke kuch bol paane ke pahle hi, doctor nisha se priya ko diye jaane wale khane ke baare me puchha aur uske bad hum un logon ko baat karta chhod kar, waha se uth kar aa gaye.

Waha se nikal aane ke bad, nikki ne raj ko call karke priya ke khane ke baare me bataya aur fir hum waiting loung me baith kar aapas me baten karne lage. Kuch der bad raj khana lekar aa gaya.

Raj ke aane bad, uncle, aunty ne ghar jakar khana khane ki baat kahi aur hum logon se khana kha lene ko kaha. Iske bad aunty priya ko khana khilane chali gayi. Hum logon ne mehul ko bulaya aur fir sab ne sath milkar khana khaya.

Khana khane ke bad, kuch der tak idhar udhar ki baten chalti rahi. Baton baton me raj ne kaha ki, aaj raat ko wo bhi hospital me hi rukega. Yadi aaj raat ko koi pareshani samajh me nahi aati hai to, kal se nikki ya riya akeli priya ke pas ruk sakti hai.

Kisi ko bhi raj ki baat me koi kharabi najar nahi aayi aur nikki ke sath sath raj ka bhi hospital me rukna tay ho gaya. Iske bad mehul uncle ke pas jaane laga to usne mujhse kaha.

Mehul bola “tumhe din me jara bhi aaram karne ke mauka nahi mila hai. Isliye tum kal se raat ko papa ke pas rukna. Aaj papa ke pas mai hi ruk raha hu. Tum ghar wapas chale jao.”

Mujhe mehul ki ye baat sahi lagi. Kyoki kal raat se lagataar jagne ki vajah se, ab mujhe nind ke jhoke pareshan karne lage the aur ab mere liye ek ek pal jagna mushkil ho raha tha. Isliye maine mehul se kaha.

Mai bola “thik hai, mai abhi 10 baje tak yaha hu. Uske bad ghar chala jauga. Tu bich bich me raj ke pas aate rahna, nahi to ye akela yaha bore ho jayega.”

Mehul bola “tu raj ki chinta mat kar, abhi 11 baje ke bad papa so jayege. Fir mai raj ke sath hi rahuga aur bich bich me papa ko bhi jakar dekhta rahuga. Waise bhi wo subah ke pahle nahi uthte hai.”

Apni baat puri karne ke bad mehul uncle ke pas chala gaya. Mehul ke jaane ke bad, sab ek ek karke priya se mile. Fir 9:15 baje uncle, aunty, dada ji aur riya ghar chale gaye.

Nikki priya ke pas thi aur mai raj ke sath waiting lounge me baitha idhar udhar ki baten kar raha tha. Magar ab mujhe nind bahut jyada pareshan karne lagi thi. Isliye maine raj se niche chal kar coffee peene ka kaha aur fir hum log niche aa gaye.

Humne canteen se coffee li aur fir bahar samundar kinare aakar coffee peene lage. Abhi hum coffee pi hi rahe the ki, tabhi waha aakar ajay ki taxi ruki aur usme se wahi nurse utri, jo subah ajay ki taxi ka horn baja rahi thi.

Taxi se utarte hi us nurse ki najar mujh par padi. Usne ek najar meri taraf dekha aur fir mud kar hospital ke andar chali gayi. Uske jaane ke bad ajay ne apni taxi ek kinare laga di. Lekin wo taxi se utra nahi.

Shayad wo raj ki vajah se mere pas nahi aana chahta tha. Idhar raj us nurse ko badi gaur se andar jate huye dekh raha tha aur jab wo hospital ke andar chali gayi to, raj ne ek thnadi si saans bharte huye kaha.

Raj bola “kya patakha ladki hai yar, Is puljhadi ko jab bhi dekhta hu, tan badan me aag lag jaati hai. Saali ko dekhte hi l*nd uth kar khada ho jata hai aur iski g**nd ko salami dene lagta hai. Iske samne to kareena kapoor bhi fail hai. Kasam se ek baar iski marne ko mil jaye to, apne l*nd ki life hi ban jaye.”

Raj ke muh se, us nurse ke liye itne khatarnak bol sunkar, mai uske baare me sochne par majbur ho gaya. Uski umar 22-23 saal ke aas pas ki hi hogi. Usne is samay patiyala salwar suit pahna tha aur jis me wo sach me bahut sundar lag rahi thi.

Lekin uska rahan sahan bahut hi saada sa lagta tha. Jis se samajh me aata tha ki, wo bahut sadgi pasand hai. Uska vyaktitva bhi kuch kam aakarshak nahi tha. Us se jab meri baat huyi thi. Tab uski jara si baat me hi, mujhe ek ajib sa apnapan mehsus hua tha.

Iske pahle do baar ki mulakat me mera dhyan, uski in sab baton par isliye nahi ja paya tha, kyoki un dono baar hi mai pareshan tha. Lekin ab jab mera dhyan uski in sab baton par gaya to, mujhe na jaane kyo, uske baare me, raj ki baten bahut buri lag rahi thi.

Mujhe aisa lag raha tha, jaise ki raj ne wo sab baten, us nurse ko nahi balki, mere kisi apne ko kahi hai. Mai abhi inhi sab baton me uljha hua tha ki, raj ne mera dhyan apni taraf khichte huye kaha.

Raj bola “yaar, aaj to raat kamal ki katne wali hai. Ho sakta hai saali raat bhar me pat jaye aur jaldi hi mere l*nd ke bhi baare nyare ho jaye.”

Ab mujhse raj ki ye sab baten sahan karna mushkil ho raha tha. Fir bhi maine apne aapko shant rakhte huye kaha.

Mai bola “kya wo apni duty chhod kar, tumhare aas pas madrati rahegi. Jo tum use raat bhar me patane ke sapne dekh rahe ho.”

Raj bola “yaar, kya tu usko pehchanta nahi hai. Yahi to shikha hai, jiski duty aaj priya ke pas lagi hai. Ab iski priya ke pas duty hai to, is se baat karna kaun sa mushkil kaam hai.”

Mai bola “duty priya ke pas lagi hai. Koi jaruri hai ki, wo tumhari taraf koi dhyan bhi de.”

Raj bola “dhyan to wo jarur degi. Abhi tune dekha nahi, wo jate jate kaise tirchhi najron se mujhe dekh rahi thi. Iske pahle to usne kabhi mujhe aise nahi dekha tha.”

Raj ki is baat ne mujhe usko jalane ka ek mauka de diya. Maine raj ki baat ko bich me hi katte huye, us jhuth kaha.

Mai bola “wo tumhe nahi, balki mujhe dekh rahi thi. Kyoki mehul se pahle mai uncle ke pas raat ko rukta tha. Tab meri us se baat chit hoti rahti thi. Itne din se mai use dikha nahi tha. Isliye abhi mujhe yaha dekh kar wo chuk gayi thi.”

Meri baat sunkar, raj kuch soch me pad gaya aur mai man hi man muskura raha tha. Kuch der tak sochne ke bad, raj ne mujhse kaha.

Raj bola “yaar, teri us se baat chit chalti hai to, tu usko patane me meri madad kar, mai bhi vada karta hu ki, jab wo mujhse pat jayegi to, hum dono mil kar uski bajaege.”

Raj ki ye baat sunkar, maine man me kaha, “bahanch*d apni bahan ko to kharab kar diya hai. Ab dusre ki bahan beti ko bhi kharab karna chahta hai. Lekin tera ye sapna mai kabhi pura nahi hone duga.”

Mujhe apni baat ka jabab na dete dekh aur is tarah kisi soch me gum dekh kar, raj ne mujhe tokte huye kaha.

Raj bola “itna kya soch raha hai. Bata na meri madad karega ya nahi karega.”

Mai bola “mujhe tumhari madad karne me koi pareshani nahi hai. Lekin meri baat maano to, us se door hi raho. Isi me tumhari bhalai hai.”

Raj bola “aisa kyo. Kya us ladki me koi kharabi hai.”

Mai bola “nahi, ladki me koi kharabi nahi hai. Ladki bahut achi hai. Magar uske bhai me kharabi hai. Wo bata rahi thi ki, uska bhai koi bada gunda hai aur yadi kisi bhi ladke ko, uske aas pas bhi fatakte dekhta hai to, us ladke ko sidhe hospital ka rasta dikha deta hai.”

“Yaha tak ki uske bhai ne, yaha ke kuch doctor tak ke sath maar peet ki hai aur hamesha apni bahan par najar rakhe rahta hai. Ab kahi aisa na ho ki, hum dono uski bahan ki bajane jaye aur uska bhai aakar, hum dono ki bajakar nikal jaye.”

Meri baat sunkar, raj soch me pad gaya. Mujhe apna kaam banta najar aaya to, maine aag me ghee dalte huye kaha.

Mai bola “mai tumhare liye, koi bhi khatra mol lene ko taiyar hu. Lekin mai to kuch din bad yaha se chala jauga. Uske bad sab kuch tumhe akele hi jhelna padega. Kya tum ye sab kuch jhel sakoge.”

Apni baat kah kar, mai raj ke jabab dene ka intejar karne laga. Kuch der sochne ke bad raj ne kaha.

Raj bola “jaane de yaar. Agar maar peet ki naubat aayi to, fir thana kachahari bhi karna padegi aur badnami alag hogi. Mai kaun sa us ladki se shadi karna chahta hu. Jo uske liye itna sab kuch jhelu. Saala jara si ch*t ke liye, itna sab jhelne ki meri himmat nahi hai. Is se achi to, apni kaamwali rajjo hi hai. Jab marji ho thoko aur koi risk bhi nahi hai.”

Raj ki baat sunkar, mujhe hansi aa rahi thi. Lekin maine apni hansi dabate huye, baat ko badla aur raj se kaha.

Mai bola “ye rajjo kaun hai. Maine to tumhare yaha kisi kaam wali ko nahi dekha. Haan, kaam karne ek budhi si aurat jarur aati hai. Kahi tum uski hi baat to nahi kar rahe ho.”

Raj bola “nahi, wo nahi. Wo to abhi kuch din ke liye rajjo ki jagah kaam par aa rahi hai. Kyoki rajjo 15 din ki chhutti par apne gaon gayi hai. Rajjo 1-2 din me wapas aane wali hai. Yadi tumhara dil uske sath maje karne ko kare to, mujhe bata dena. Mai tumhare maje ke saare intejam kar duga.”

Mai bola “nahi, mujhe to tum maaf karo yaar. Mai in sab chijon se door rahta hu. Ab baat band karo aur upar chalo. Mai priya se milkar, 10 baje ghar nikluga.”

Meri baat sunkar, raj ne haami bhari aur fir hum dono upar aa gaye. Upar aane ke bad, raj waiting lounge me chala gaya aur mai priya ke pas aa gaya. Mai jab priya ke pas pahucha to, wo so rahi thi.

Nikki priya ke pas hi baithi koi novel pad rahi thi. Wo novel padne me aisi magan thi ki, use mere aane tak ka aehsas nahi hua. Maine uska dhyan novel se hatane ke liye, us se kaha.

Mai bola “lagta hai ki, aap raat rukne ki puri taiyari karke nikli thi.”

Achanak meri aawaj sunkar nikki chauk gayi. Usne meri taraf dekha aur fir muskurate huye kaha.

Nikki boli “nahi, aisi koi baat nahi hai. Priya so gayi thi aur mai yaha akeli baithi bore ho rahi thi. Tabhi shikha didi aa gayi aur un ne mujhe bore hote dekha to, ye novel lakar de diya.”

Mai bola “achi baat hai. Ab novel padte padte, aapka time aasani se kat jayega. Mai to ghar jaane se pahle priya se milne aaya tha. Lekin ye to bahut gahri nind me lagti hai.”

Nikki boli “haan, maine priya ko bataya tha ki, aap 10 baje tak yaha hai. Wo bhi aapke aane ka intejar kar rahi thi. Lekin intejar karte karte uski nind hi lag gayi. Aap rukiye, mai abhi priya ko jaga deti hu.”

Mai bola “nahi rahne dijiye. Abhi priya ka aaram karna bahut jaruri hai. Jab wo jaage to, use bata dijiyega ki, mai us se milne aaya tha.”

Nikki boli “ye to mai bata hi dugi. Lekin wo is baat ko lekar mujhse ladegi ki, jab aap aaye the to, maine usko jagaya kyo nahi.”

Mai bola “nahi ladegi. Aap bol dena ki, maine hi jagaane se mana kiya tha. Ab mai chalta hu.”

Nikki boli “ok, jaisi aapki marji. Bye, good night.”

Mai bola “thik hai. Bye, good night.”

Nikki ko bye karke maine ek najar priya ko dekha aur fir wapas jaane ke liye mud gaya. Abhi maine ek do kadam hi aage badaye the ki, tabhi mujhe priya ki aawaj sunayi di.

Priya boli “Zakhm Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.
Dard Bhool Jate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.
Umar Kaat Di Lekin Bachpana Nahi Jata.
Chauk Chauk Jate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.
Teri Aahat Aaye To Neend Udh Jati Hai.
Hum Khushi Manate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.”

Priya ki shayari sunte hi mere chehre par muskurahat aa gayi. Maine muskurate huye pichhe palat kar dekha to, priya apne dono hath ko mod kar, apne sar ke niche rakhe huye thi aur meri taraf dekh kar muskura rahi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 115}
____________________________

Mai bola “nahi rahne dijiye. Abhi priya ka aaram karna bahut jaruri hai. Jab wo jaage to, use bata dijiyega ki, mai us se milne aaya tha.”

Nikki boli “ye to mai bata hi dugi. Lekin wo is baat ko lekar mujhse ladegi ki, jab aap aaye the to, maine usko jagaya kyo nahi.”

Mai bola “nahi ladegi. Aap bol dena ki, maine hi jagaane se mana kiya tha. Ab mai chalta hu.”

Nikki boli “ok, jaisi aapki marji. Bye, good night.”

Mai bola “thik hai. Bye, good night.”

Nikki ko bye karke maine ek najar priya ko dekha aur fir wapas jaane ke liye mud gaya. Abhi maine ek do kadam hi aage badaye the ki, tabhi mujhe priya ki aawaj sunayi di.

Priya boli “Zakhm Muskurate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.
Dard Bhool Jate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.
Umar Kaat Di Lekin Bachpana Nahi Jata.
Chauk Chauk Jate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.
Teri Aahat Aaye To Neend Udh Jati Hai.
Hum Khushi Manate Hai Ab Bhi Teri Aahat Par.”

Priya ki shayari sunte hi mere chehre par muskurahat aa gayi. Maine muskurate huye pichhe palat kar dekha to, priya apne dono hath ko mod kar, apne sar ke niche rakhe huye thi aur meri taraf dekh kar muskura rahi thi.

Use is tarah se dekh kar, meri muskurahat aur bhi gahri ho gayi. Maine wapas uske pas aate huye kaha.

Mai bola “to tum jaag rahi thi aur chupke chupke meri baten sun rahi thi.”

Meri baat ke jabab me priya fir se muskura di aur usne muskurate huye kaha.

Priya boli “nahi, sach me hi meri nind lag gayi thi. Magar mujhe nind me aisa mehsus hua ki, tum mere pas aaye ho aur fir khud hi meri nind khul gayi. Jab meri nind khuli to, tum nikki ko bye karke jaane hi wale the aur maine tumhe rok liya.”

Mai bola “chalo acha hua ki, tumhari nind khul gayi. Kam se kam jaane se pahle tum se baat to gayi. Warna tum kahti ki, mai tumse mile bina hi chala gaya.”

Meri baat sunkar priya thoda sa sanjida ho gayi aur fir usne meri taraf dekhte huye kaha.

Priya boli “nahi, mai aisi koi baat nahi hai. Mai ye jarur chahti thi ki, tumhare jaane se pahle mai tumse mil saku. Lekin tum yadi aisa nahi bhi karte, tab bhi mai tumse kuch nahi kahti. Kyoki mujhe malum hai ki, tum meri vajah se din bhar pareshan huye ho aur raat se jara bhi soye nahi ho.”

“Yadi aisi baat nahi hoti to, mai tumhe yaha se, hargij jaane nahi deti aur tumhe raat ko mere pas hi rukne ko bolti. Magar tumhe meri vajah se, din bhar huyi pareshani ko dekhte huye, mai khud chahti thi ki, ab tum jakar aaram kar lo.”

Priya ki baat sunkar, mujhe uski baat ki gahrayi mehsus huyi. Kyoki nind ki vajah se mera waha ruk pana mushkil ho raha tha aur isi vajah se, maine ek baar bhi, waha raat ko rukne ki baat nahi ki thi.

Magar mujhe man hi man, ye dar bhi sata raha tha ki, mere ek baar bhi raat ko rukne ke liye na kahne se, pata nahi priya mere baare me kya sochegi. Lekin ye jaankar mere man ka bojh utar gaya tha ki, priya ko meri pareshani ka aehsas pahle se hi tha.

Mai thodi der priya aur nikki ke sath hansi majak karta raha. Fir priya ne khud hi, mujhe 10 bajne ki baat kahte huye ghar jaane ko kaha. Maine priya aur nikki ko bye kaha aur fir raj ko bhi bye karke mai niche aa gaya.

Mai niche aaya to, ajay apni taxi me hi baitha tha. Mujhe aate dekh kar, wo taxi se utar kar bahar aa gaya. Mai uske pas pahucha to, usne kaha.

Ajay bola “khana kha liya ya abhi khana khane chale.”

Mai bola “mera khana to, tabhi ho gaya tha. Jab mai tumhare pas se aaya tha.”

Ajay bola “to chalo, mai tumhe ghar chhod deta hu.”

Mai bola “tum kyo pareshan hote ho. Mai koi taxi pakad kar nikal jauga.”

Lekin mere bahut mana karne par bhi ajay nahi maana aur mujhe uski taxi me baithna hi pada gaya. Fir hum ghar ke liye nikal pade. Ajay ko lekar, mere man me bahut se sawal the.

Lekin jab bhi mai uske sath akela hota tha. Kisi na kisi pareshani me ghira rahta tha. Jis vajah se mai chah kar bhi us se kuch nahi puchh pata tha. Aisa hi kuch abhi bhi mere sath tha.

Abhi mujhe nind pareshan kar rahi thi aur mai ghar jakar sidhe sona chahta tha. Isliye abhi mujhe, ajay se uske baare me, koi baat karna thik nahi laga aur mai khamoshi se uski baten sunta raha. Thodi der wo idhar udhar ki baat karta raha. Fir usne raj ki baat chhedte huye kaha.

Ajay bola “kya raj tumse shikha ke baare me kuch bol raha tha.”

Ajay ki ye baat sunkar, mai chauke bina na rah saka. Kyoki jab meri aur raj ki baat chal rahi thi. Us samay ajay apni taxi me tha aur humse bahut door tha. Maine ajay ki baat ka jabab dene ki jagah, ulta us se sawal karte huye kaha.

Mai bola “tumko aisa kyo laga ki, raj mujhse shikha ke baare me kuch baat kar raha tha.”

Ajay bola “jab mai shikha ko lekar, yaha pahucha to, meri tum par najar nahi padi thi. Lekin shikha ne tumhe dekh liya tha. Usi ne mujhe bataya tha ki, tumhara subah wala dost khada hai. Jab maine tumhari taraf dekha to, mujhe tumhare sath raj bhi dikhayi diya.”

“Raj ki vajah se maine tumhare pas aana thik nahi samajha aur mai taxi me hi baitha raha. Lekin mera dhyan tum logo par hi tha. Raj shikha ko tab tak ghurta raha tha. Jab tak ki wo andar nahi chali gayi. Uske bad wo tumse baat karne laga. Isi vajah se mujhe aisa laga, jaise wo shikha ke baare me hi, koi baat kar raha ho.”

Mai bola “mai to shikha ko janta hi nahi tha. Bas iske pahle use 2 baar dekha tha. Lekin uska naam nahi janta tha. Jab raj ne use taxi se utarte dekha to, usne hi mujhe bataya ki, ye shikha hai, jiski duty raat ko priya ke pas lagi hai.”

Ajay bola “bas itna hi ya aur kuch bhi bola hai.”

Ajay ko shikha me itni dilchaspi lete dekh kar, maine ajay ko ghoor kar dekhte huye kaha.

Mai bola “sab thik to hai. Tumhe shikha me itni dilchaspi kyo hai. Kahi koi lafda to nahi hai.”

Meri baat sunkar ajay ko hansi aa gayi. Usne ek najar meri taraf dekha aur muskurate huye kaha.

Ajay bola “bhai, wo roj ki sawari hai. Subah sham meri taxi me aati jati hai. Ab shikha jaisi sidhi sadhi ladki ko koi ghoore to, kya mujhe usme dilchaspi nahi hona chahiye.”

Mujhe ajay ki ye baat bilkul sahi lagi. Jab ek jara si mulakat me hi, shikha se mujhe apnapan sa laga tha aur maine uske liye raj se itna bada jhuth bol diya tha. Fir ajay ka to, uske sath roj ka aana jana tha.

Use to raj ke ghoorne ka bura lagna hi tha. Isliye ab maine is baat ko jyada ghumana thik nahi samjha aur apne shabdon me, ajay ki baat ka jabab dete huye kaha.

Mai bola “shikha ki sundarta par raj ka dil aa gaya tha aur wo use patana chahta tha. Lekin maine bhi use aisi patti padayi hai ki, ab wo shikha ke saaye se bhi door bhagega.”

Meri baat sunkar, ajay ne hairat bhari najron se meri taraf dekhte huye kaha.

Ajay bola “kyo, tumne raj ko aisi kya patti pada di ki, ab wo shikha ke saaye se bhi door bhagega.”

Ajay ki baat sunkar, maine shikha ke bhai ke gunda hone wali, jo baat raj ko boli thi. Wahi baat ajay ko bata di. Jise sunkar ajay apni hansi nahi rok paya aur usne hanste huye mujhe kaha.

Ajay bola “lekin shikha ka to, koi bhai hi nahi hai.”

Mai bola “ab shikha ka bhai hai ya nahi hai, is se kya farak padta hai. Raj kaun sa, us se is baat ki sachchai puchhne jayega.”

Ajay bola “magar shikha ke liye, tumhe raj se jhuth bolne ki kya jarurat thi. Tum to shikha ko jante bhi nahi ho.”

Mai bola “haan, maine shikha ko sirf ek baar uncle ke pas dekha tha. Tab ke bad se, aaj subah wo dusri baar, mujhe tumhari taxi ke pas dikhi thi. Lekin uski jara si baat me hi, mujhe uski sadgi najar aa gayi thi. Jiski vajah se mujhe raj ka wo sab kahna acha nahi laga aur mujhe raj ko shikha se door rakhne ke liye ye jhuth kahna pad gaya.”

Meri baat sunkar ajay ne mujhe chhedte huye, meri baat ka mujh par hi palatvaar karte huye kaha.

Ajay bolo “sab khairiyat to hai na. Kahi shikha ki sadgi par dil to nahi luta baithe.”

Ajay ki baat sunkar, mujhe hansi ha gayi. Magar maine uski baat ko kaatte huye kaha.

Mai bola “is janam me to, mai apna dil pahle hi kisi ke naam kar chuka hu. Shikha to kya, ab kisi ko bhi apna dil dene ke liye, mujhe dusra janam lena padega.”

Bas isi tarah ki baat karte huye hum ghar pahuch gaye. Ghar pahuch kar ajay ne ghar ka lock khola aur humare andar pahuchne par usne mujhe mera bag diya. Iske bad meri us se thodi bahut baten huyi aur fir wo taxi lekar wapas chala gaya.

Ajay ke jaane ke bad maine kapde badle aur samay dekha to, 10:45 baj chuke the. Mujhe ab bahut jyada nind aa rahi thi. Isliye maine keerti ke call ka intejar karna thik nahi samjha aur khud hi use call laga diya.

Lekin keerti ka phone busy bata raha tha. Mujhe laga ki shayad wo mausi ya apni kisi saheli se baat kar rahi hai. Isliye maine usko call lagana band kiya aur uske call aane ka intejar karne laga.

Magar jab 10 minute tak intejar karne ke bad bhi keerti ka call nahi aaya to, maine fir use call lagaya. Lekin abhi bhi uska phone busy bata raha tha. Maine socha shayad kisi se koi jaruri baat chal rahi hai.

Isliye maine uske call aane ka intejar karna hi thik samajha. Mujhe keerti ke call ka intejar karte karte 11:15 baj gaya. Lekin uska call nahi aaya to, maine fir use call laga diya.

Magar abhi bhi uska phone busy hi bata raha tha. Wo kis se itni der se baat kar rahi hai, ye janne ke liye maine uske dusre mobile par call lagaya. Lekin usne dusre mobile par call hi nahi uthaya.

Ek to mujhe nind bahut jyada pareshan kar rahi thi. Aise me keerti ke phone par kisi ke sath busy rahne se aur mera call na uthane se mera mood bahut jyada kharab ho gaya tha.

Ab mujhe us par bahut jyada gussa aa raha tha aur isliye ab maine use call na lagane ka faisla kiya. Lekin is vajah se meri aankhon se nind udh chuki thi aur mai sirf keerti ke call aane ka intejar kar raha tha.

Meri samajh me nahi aa raha tha ki, keerti ki kis se aisi jaruri baat chal rahi hai ki, mera call aate dekh kar bhi uski baten khatam hone ka naam nahi le rahi hai. Fir 11:30 baje keerti ka call aane laga. Maine bujhe man se uska call uthaya to, usne call uthate hi kaha.

Keerti boli “sorry jaan, wo jeet se baat kar rahi thi na. Isliye tumhe call lagane me der ho gayi.”

Keerti ke muh se jeet naam sunkar, mai samajh nahi paya ki, wo kiski baat kar rahi hai. Isliye maine us se kaha.

Mai bola “tu kis jeet ki baat kar rahi hai. Mai to kisi jeet ko nahi janta hu.”

Keerti boli “are wo meri bua ki badi nand (fufa ki bahan) ka ladka jiten hai na. Mai usi ki baat kar rahi hu. Tum to use ache se jante ho.”

Mai bola “to jiten bol na. Usne tujhe kyo call kiya tha.”

Keerti boli “wo agle Sunday ko bua aur Vaani didi ke sath yaha aa raha hai. Yahi batane ke liye usne call kiya tha.”

Ek to keerti ke mera call na uthane ki vajah se pahle hi mera mood kharab tha. Us par jiten ka naam sunkar aur bhi mere tan badan me aag lag gayi. Kyoki jiten bhale hi keerti ka door ka rishtedar tha. Magar mausi use bahut pasand karti thi.

Lekin yadi ek ye hi vajah hoti to, mujhe us se itni chid nahi hoti. Magar wo har kisi ke samne mujhe chhoti maa ka sautela beta hone ka aehsas dilata rahta tha. Iske alawa wo jab bhi aata tha, pure samay keerti ke aas pas madrata rahta tha.

Ye sab mujhe pahle se hi acha nahi lagta tha to, ab is baat ke acha lagne ka koi sawal hi paida nahi hota tha. Bas isi baat ki chid, maine keerti par utarte huye kaha.

Mai bola “abhi sirf jiten ka call hi aaya to, tera ye haal hai ki, tu mera call dekh kar bhi andekha kar rahi hai. Jab wo khud aa jayega, tab to tu mujhe pahchanne se bhi inkar kar degi. Aakhir wo Teri Bua Ki Nand Ka Ladka jo hai.”

Maine apni baat ke aakhiri shabd par kuch jyada hi jor diya tha. Jise sunkar keerti ko is baat ka aehsas ho gaya ki, mujhe uska jiten se baat karna pasand nahi aaya hai. Usne is baat par apni safai dete huye kaha.

Keerti boli “ye tum kaisi baat kar rahe ho. Yadi jiten ne apne aane ki khabar dene ke liye, mujhe phone lagaya aur maine us se thodi si baat kar li to, isme itna bura manne ki kya baat hai.”

Magar keerti ki is safai ko sunkar mera mood sudharne ki jagah aur bhi bigad gaya. Maine us par apni kheej nikalte huye kaha.

Mai bola “ye thodi si baat hai. Maine tujhe 10:45 par call lagaya tha. Tab teri us se baat chal rahi thi aur ab pure 45 minute bad, tu 11:30 baje mujhe call laga rahi hai. Mere call lagane ke, pata nahi kitni der pahle se, teri us se baat chal rahi thi aur tu ise thodi si baat karna kah rahi hai. Yadi ye thodi si baat hai to, fir jyada baat karna kise kahte hai.”

Meri is baat se keerti ka mood bhi kharab ho gaya. Use laga ki, mai uske kisi se baat karne par ungli utha raha hu. Isliye usne bhadakte huye mujhse kaha.

Keerti boli “yadi maine us se ek ghante bhi baat kar li to, kaun sa pahad toot gaya. Tum bhi to phone par, kisi ke bhi sath, ghanto lage rahte ho. Lekin mai to tumse is baat ki, kabhi koi shikayat nahi karti hu.”

“Jab mujhe tumhare kisi se baat karne me koi pareshani nahi hoti hai to, fir tumhe mere kisi se baat karne me pareshani kyo ho rahi hai. Kya mai apne kisi rishteader se baat bhi nahi kar sakti.”

Keerti ka mere upar ye ilajam lagana, mujhe hajam nahi hua. Kyoki mai uske siwa kisi se bhi phone par itni der baat nahi karta tha. Maine keerti se is baat ki safai mangte huye kaha.

Mai bola “tu ye kya bake ja rahi hai. Maine kab tujhe kisi se baat karne se roka hai aur mai tere siwa kiske sath, phone par ghanto baat karta rahta hu.”

Meri baat sunkar keerti ne, na aav dekha, na taav aur jhat se meri baat ka jabab dete huye kaha.

Keerti boli “kyo maine tumhe jab sham ko phone lagaya tha. Tab tumne mausi se kitni der tak baat ki thi. Kya maine tumhari is baat ka koi bura maana tha. Jo tumhe mere jiten se baat karne ka itna bura lag raha hai.”

Keerti ke is betuke se jabab ko sunkar, mujhe us par bahut gussa aaya. Lekin maine apne dimag ko shant rakhne ki koshish karte huye kaha.

Mai bola “tera dimag to thikane hai. Tujhe pata bhi hai ki, tu kya kah rahi hai. Chhoti maa se jiten ki barabari karne ki, tere andar soch bhi kaise aayi. Wo meri maa hai aur unse mai chahe kitni der bhi baat karu. Mujhe iske liye, tere samne koi safai dene ki jarurat nahi hai.”

Magar ab shayad keerti ka dimag sach me thikane nahi tha. Usne meri is baat ka bada hi dil dukhane wala jabab dete huye kaha.

Keerti boli “yadi tumhe kisi apne se baat karne me, mujhe safai dene ki jarurat nahi hai to, fir mujhe bhi mere kisi rishtedar se baat karne me, tumhe safai dene ki, koi jarurat nahi hai aur mai kaun sa us se phone par ishq lada rahi thi. Sirf uska aur uske ghar walon ka haal chaal hi to puchh rahi thi. Aisa karke maine kaun sa bada bhari gunah kar diya.”

Keerti se mujhe aise jabab ki ummid nahi thi. Uski ye baat mere dil me teer ki tarah chubh gayi. Kyoki wo apne rishtedar ki barabari meri maa se kar rahi thi. Jise sahan kar pana mere bas me nahi tha.

Mera gussa ab satwe aasman par aphuch chuka tha. Ab apne gusse par kabu rakh pana mere bas me nahi tha. Maine apna saara gussa keerti par utarte huye kaha.

Mai bola “tera jis se man kare, tu uske sath ishq lada le. Mujhe is se koi farak nahi padta. Lekin uske pahle, meri ek baat, achi tarah se kaan khol kar sun le. Dobara apne kisi rishtedar ki barabari, meri maa bahno se karne ki koshish mat karna. Warna mujhse bura koi nahi hoga.”

Magar shayad keerti ko mere gusse ka aehsas nahi hua tha ya fir shayad aaj wo mujhse kisi bhi baat me, haar na manne ki jid kiye baithi thi. Isliye us par meri is baat ka bhi ulta hi asar pada. Usne mujhe, meri baat ka jabab dete huye kaha.

Keerti boli “tumhare muh me jo aa raha hai, tum bakte ja rahe ho. Mai tum se pyar karti hu to, iska matlab ye nahi hai ki, tum jab chahe tab, mujh par ungli uthate raho aur mai chup chap sunti rahu. Tumhe is tarah se mujh par ungli uthane ka koi haq nahi hai. Apni had paar mat karo.”

Lekin ab mere upar gusse ka junun sawar tha aur keerti ki baten us junun ko aur bhi bada rahi thi. Maine keerti ki baat ko bich me hi kaatte huye kaha.

Mai bola “apne do kodi ke rishtedar se, meri maa ki barabari karke, aaj saari hade to tune paar ki hai. Mere liye, meri maa bahno se badkar duniya me koi bhi nahi hai. Yaha tak ki tu bhi nahi.”

“Tu apna pyar apne pas hi rakh. Mujhe tere pyar ki koi jarurat nahi hai. Tu jis se, jitni der baat karna chahti hai, kar sakti hai. Mujhe is se koi pareshani nahi hai. Kyoki aaj se tu mere liye mar chuki hai aur ye meri tujhse aakhiri baat thi.”

Apni aakhiri baat kahte kahte meri aankhon me aansu aa gaye. Meri baat ke jabab me, keerti kuch kahne ko huyi. Lekin maine uski baat sune bina hi, call kaat diya aur dono mobile band kar diye.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 116}
____________________________

Keerti boli “tumhare muh me jo aa raha hai, tum bakte ja rahe ho. Mai tum se pyar karti hu to, iska matlab ye nahi hai ki, tum jab chahe tab, mujh par ungli uthate raho aur mai chup chap sunti rahu. Tumhe is tarah se mujh par ungli uthane ka koi haq nahi hai. Apni had paar mat karo.”

Lekin ab mere upar gusse ka junun sawar tha aur keerti ki baten us junun ko aur bhi bada rahi thi. Maine keerti ki baat ko bich me hi kaatte huye kaha.

Mai bola “apne do kodi ke rishtedar se, meri maa ki barabari karke, aaj saari hade to tune paar ki hai. Mere liye, meri maa bahno se badkar duniya me koi bhi nahi hai. Yaha tak ki tu bhi nahi.”

“Tu apna pyar apne pas hi rakh. Mujhe tere pyar ki koi jarurat nahi hai. Tu jis se, jitni der baat karna chahti hai, kar sakti hai. Mujhe is se koi pareshani nahi hai. Kyoki aaj se tu mere liye mar chuki hai aur ye meri tujhse aakhiri baat thi.”

Apni aakhiri baat kahte kahte meri aankhon me aansu aa gaye. Meri baat ke jabab me, keerti kuch kahne ko huyi. Lekin maine uski baat sune bina hi, call kaat diya aur dono mobile band kar diye.

Magar mobile band karte hi, mujhe apne andar, bahut kuch tutta sa mehsus hone laga. Mujhe aisa mehsus ho raha tha, jaise maine apna mobile nahi balki apne dil ki dhadkano ko band kar diya ho.

Apne band mobile ko dekh dekh kar, mujhe keerti ki kami ka aehsas satane laga tha. Jis vajah se meri jaan nikli ja rahi thi aur mere aansu the ki, rukne ka naam nahi le rahe the.

Ek taraf keerti ki kahi baton se, mere seena chhalni ho gaya tha to, dusri taraf uski kami ka aehsas mujhe khoon ke aansu rone ke liye majbur kar raha tha. Mai na to uski un baton ka dard sah pa raha tha aur na hi uski judai ka dard sah pa raha tha.

Kal tak jo ladki mere liye, saari duniya se ladne ko taiyar thi. Aaj wo hi kisi teesre ke liye, mujhse hi lad gayi thi. Mai abhi bhi is baat ka yakin nahi kar pa raha tha aur mera dil, baar baar keerti se bas ek hi sawal karna chah raha tha ki, “jaan tumne aisa kyo kiya. Kya yahi tumhara pyar tha. Kya tumhare liye meri bas itni hi aehmiyat thi.”

Mera dil keerti se hajaron sawal karna chah raha tha. Magar mere dil ke in sawalon ka jabab dene ke liye keerti mere pas nahi thi. Keerti ke is bartaw ki vajah se na to meri us se narajgi kam ho pa rahi thi aur na hi is ki vajah se, mere dil me uske liye pyar kam ho pa raha tha.

Mai kya karu ya kya na karu, kuch samajh me nahi pa raha tha aur bas roye ja raha tha. Mai chah kar bhi keerti ke is bartaw ko, na to bhula pa raha tha aur na hi apne aapko us se baat karne ke liye taiyar kar pa raha tha.

Magar uske bina gujarne wala har pal, mere upar maut se bhi badkar kar gujar raha tha aur uske bina meri jaan nikli ja rahi thi. Meri becheni had se jyada bad gayi thi aur ab mere pas is sab se bahar nikalne ke, bas do hi raste bache the.

Ek rasta to ye tha ki, mai abhi apne mobile ko chalu karke, keerti se baat kar lu ya fir dusra rasta ye tha ki, mai apne aapko sharab me itna dubo du ki, keerti ko yaad hi na kar saku.

Lekin keerti ke bartaw ne mujhe itni buri tarah se tod diya tha ki, ab mere andar us se baat karne ki takat hi nahi bachi thi. Isliye maine khud ko sharab me dubo dene ka faisla kiya aur bahar hall se, us din ki aadhi bachi huyi old monk rum ki bottel, soda aur kuch dry fruit le laya.

Mai bed par baith gaya aur peg banane laga. Maine peg banaya aur ek baar me hi pura peg pi liya. Jis se mere seene me kuch jalan si huyi. Lekin is jalan se bhi mere dil ko kuch rahat si mehsus huyi.

Fir maine ek bad ek, do peg aur pi liye. Jis se mujhe kuch halka halka surur mehsus hone laga. Magar is nashe ke surur me bhi, keerti mere dil aur dimag par chhayi huyi thi. Mai abhi bhi usi ke baare me soch raha tha.

Mujhe keerti ki yaad ne kuch jyada hi pagal kar diya tha aur ab mujhe keerti ki us din ki baat yaad aane lagi thi. Jab mai sharab ke nashe me choor tha aur wo mujhe kisi chhote bachche ki tarah sulane ki koshish kar rahi thi.

Keerti ka wo pyar bhara pal yaad aate hi, meri aankh ek baar fir chhalak uthi, Ab meri keerti ki judai sahne ki takat jabab de chuki thi. Mujhe lag raha tha ki, yadi maine abhi keerti se baat nahi ki to, mai tadap kar mar jauga.

Aakhir me maine khud se haar mante huye, keerti se baat karne ka faisla kiya aur apne dono mobile chalu kar diye. Mere mobile chalu karte hi, dono mobile par keerti ka ek hi msg aaya.

Keerti ka msg “tumne mere muh par mobile band karke acha nahi kiya. Tum apne aapko samajhte kya ho. Tumko itna ghamand kis baat ka hai. Apna ghamand apne pas hi rakho. Mujhe apna ghamand dikhane ki koshish mat karo. Yadi tum mere bina rah sakte ho to, mai bhi tumhare bina rah sakti hu. Ab mai tumse kabhi baat nahi karugi.”

Keerti ka msg pad kar, mera dil ek baar fir chhalni chhalni ho gaya. Maine keerti ko call lagane ka apna faisla, ye soch kar badal diya ki, yadi wo mere bina rah sakti hai to, fir mai bhi use, uske bina rah kar dikhauga.

Magar keerti ke bina rahne ki soch kar hi, ek baar fir mera dil ro utha. Ab mere pas khud ko sharab ke nashe me puri tarah se dubo dene ke siwa, koi dusra rasta nahi bacha tha aur mere hath khud hi us chauthe peg ki taraf bad gaye, jo maine bana kar rakha tha.

Abhi maine peg uthaya hi tha ki, tabhi keerti ka phone aane laga. Shayad mere pas uska msg pahuchte hi, wo samajh gayi thi ki, maine mobile chalu kar diye hai. Isliye usne mobile chalu hone ke, kuch hi der bad call laga diya tha. Maine bhi bina kuch soche uska call uthate huye, us kaha.

Mai bola “haan bolo.”

Keerti boli “tumhe mera msg mil gaya.”

Mai bola “haan mil gaya.”

Keerti boli “bas yahi puchhne ko call kiya tha.”

Mai bola “aur kuch bolna hai.”

Keerti boli “nahi, aur kuch nahi bolna.”

Mai bola “thik hai aur kuch nahi bolna to, ab phone rakho.”

Keerti boli “mai hi kyo phone rakhu. Tum mere muh par phone kaat sakte ho to, phone rakh bhi sakte ho.”

Mai bola “mujhe tumse faltu ki bahas nahi karna. Yadi tumhe kuch bolna hai to bolo, warna phone rakho.”

Keerti boli “mujhe kuch nahi bolna. Lekin mai phone nahi rakhugi. Phone tumko hi rakhna padega.”

Mai bola “phone tumne lagaya hai, isliye phone tum hi rakho.”

Keerti boli “mai tumhari naukar nahi hu, jo tum kaho utho to, uth jau aur tum kaho baitho to, baith jau. Maine ek baar kah diya ki, mai phone nahi rakhugi to, matlab ki mai phone nahi rakkhugi. Phone tumko hi rakhna padega.”

Mai bola “na maine phone lagaya hai aur na mai phone rakhuga.”

Keerti boli “to thik hai, phone chalu rahne do. Ek ghanta pura hone par phone khud hi kat jayega.”

Mai bola “mai bekar me ek ghante tak phone pakad kar baitha nahi rah sakta.”

Keerti boli “maine tumse kab kaha ki, tum phone pakad kar baithe raho. Tum phone ek kinare rakh do.”

Ab maine us se bekar me bahas karna thik nahi samjha. Maine hath me pakda hua peg table par rakha aur mobile ko kaan se lagaye lagaye hi let gaya. Fir mai aankhen band karke, keerti ko mehsus karne ki koshish karne laga.

Lekin keerti ki taraf se, uski saason ke siwa koi aawaj nahi aa rahi thi. Shayad wo bhi meri harkat ko mehsus karne ki koshish kar rahi thi. Lekin na to wo mujhse kuch bol rahi thi aur na hi mai us se kuch bol pa raha tha.

Iski vajah ye thi ki, abhi tak hum dono ki, dusre se narajgi khatam nahi huyi thi. Use mujhse bahut si shikayat thi to, mujhe bhi us se bahut si shikayat thi. Jis vajah se hum dono ek dusre se koi baat nahi kar pa rahe the.

Lekin keerti ke mere pas hone ke ahsas se hi, mere dil ko jo rahat mili thi. Us rahat se meri udi huyi nind fir se wapas aa gayi aur mujhe pata hi nahi chala ki, kab mai phone pakde pakde, gahri nind ki aagosh me chala gaya.

Subah 6 baje meri nind khuli to, mujhe yaad aaya ki, raat ko mai chalu mobile pakde pakde hi so gaya tha. Ye baat yaad aate hi maine fauran mobile ko utha kar raat ka call dekha to, paya ki raat ko mobile pure ek ghante tak chalne ke bad band hua tha.

Jiska matlab yahi tha ki, keerti mere so jaane ke bad bhi, call katne ka intejar karti rahi. Lekin ye janne ke bad bhi, meri narajgi us se khatam nahi huyi thi aur uski raat ki baten mere dimag me ghum rahi thi.

Keerti ne jis tarah se meri bejjati ki thi, wo mai chah kar bhi bhool nahi pa raha tha. Yahi vajah thi ki, aaj subah uthne ke bad, mai roj ki tarah, use call lagane ki takat nahi juta pa raha tha.

Mai is baat ko bhi achi tarah se janta tha ki, yadi mai use subah call nahi lagata hu to, ho sakta hai ki wo bhi mujhe din bhar ya raat ko koi call na kare. Is sab ke bad bhi, mai apne aapko, keerti ko call lagane ke liye taiyar nahi kar pa raha tha.

Kyoki mere dimag me baar baar, keerti ki bas ye hi baat ghum rahi thi ki, “Tumhe is tarah mujh par ungli uthane ka koi haq nahi hai. Apni had paar mat karo.”

Yadi mujhe keerti ko kuch kahne ka haq nahi tha to, fir us se baat karne ka ya is rishte ko aage badane ka koi matlab hi nahi rah jata tha. Kyoki mere pyar ki to, koi had hi nahi thi.

Mera sona jagna, khana peena, hasna rona sab keerti se hi tha aur ab wo hi mujhe meri had dikha rahi thi. Aakhir me maine sab kuch keerti ke upar hi chhodte huye, bhari man se use call na lagane ka faisla kiya aur uth kar fresh hone chala gaya.

Fresh hone ke bad, mai hospital jaane ke liye taiyar hone laga aur taiyar hote hote mujhe 7:15 baj gaya. Mai taiyar hone ke bad, ghar ko lock karke bahar nikla hi tha ki, tabhi ajay ki taxi mere samne aakar ruki.

Uski taxi me shikha baithi huyi thi. Jis se samajh me aa raha tha ki, wo shikha ko chhodne ghar ja raha tha. Lekin shayad use koi kaam yaad aa gaya tha aur wo shikha ko lekar yaha aa gaya.

Ajay ne taxi se niche utrte huye shikha se kuch der intejar karne ko kaha aur fir mujhe aankhon se andar chalne ka ishara kiya. Mujhe kuch samajh me to nahi aa raha tha. Fir bhi uske ishare ko samajhte huye mai chup chap andar aa gaya.

Andar aate hi ajay ek dusra garage kholne laga. Mujhe laga ki shayad wo apni koi dusri car nikalega. Lekin garage khute hi mujhe waha Pulsar, Unicorn, Karizma aur Splendor+ bike najar aayi. Is se pahle ki mai kuch samajh pata, ajay ne mujhse kaha.

Ajay bola “in me se jo bhi bike tumhe pasand ho, tum use istemal kar sakte ho.”

Mai bola “lekin iski kya jarurat hai. Mai to taxi se aata jata hu aur mujhe hospital ke siwa kahi aana jana bhi nahi rahta hai.”

Ajay bola “iski bahut jarurat hai. Ghar me char char bike hote huye bhi, tumhara taxi se aana jana mujhe acha nahi lag raha tha. Raat ko mai jaldi me tumhe ye batana bhool gaya tha aur ab tumhara hospital jaane ka time ho raha tha. Isliye mujhe shikha ko ghar chhodne se pahle tumhare pas aana pad gaya.”

Mai bola “kya shikha ko malum hai ki, ye tumhara ghar hai.”

Ajay bola “nahi, aman aur nisha ke siwa is ghar ke malik ko koi nahi janta hai. Kyoki mai yaha bahut kam rahta hu. Abhi bhi maine shikha se yahi kaha hai ki, mujhe doctor aman ke friend ko ek jaruri msg dena hai aur wo doctor aman ke dusre bungalow me thahra hai.”

Mai bola “lekin shikha to, ye janti hai ki, mai tumhara dost hu. Fir wo ab mujhe yaha dekh kar, tumse kuch puchhegi nahi.”

Ajay bola “wo aisa kuch nahi puchhegi. Kyoki usne tumhe upar uncle ke pas dekha tha aur aman ne shikha se uncle ko apne dost ka pita batate huye, unka khas khayal rakhne ko kaha tha. Kal subah jab shikha ne tumhe mere sath dekha tha. Tab wo tumhe pehchan nahi payi thi.”

“Uske bad usne mujhse tumhare baare me puchha to, maine use bataya ki, tum doctor aman ke dost ho aur doctor aman ne mujhse tumhara khayal rakhne ko kaha hai aur ab meri bhi tumse dosti ho gayi hai.”

Mai bola “lekin shikha se ye jhuth bolne ki jarurat kya thi. Yadi wo ye sab jaan bhi leti to kya farak pad jata.”

Meri baat sunkar ajay ko hansi aa gayi. Usne muskurate huye, meri baat ka jabab dete huye kaha.

Ajay bola “ye sab baten hum fursat me baithkar kar lege. Abhi to mujhe jana hoga. Kyoki bahar shikha mera intejar kar rahi hai. Use jyada intejar karwana acha nahi hoga. Tum jyada sochna mat aur jis bike ko le jaane ka man kare, apni hi samajh kar le jana. Mujhe tumhare aisa karne se bahut khushi hogi. Ab mai chalta hu.”

Itna kah kar ajay mera koi jabab sune bina hi wapas chal gaya. Mai hairani se use jata hua dekhta raha. Mai samajh nahi pa raha tha ki, koi ek do din ki mulakat me hi, kisi ke liye itna sab kuch kaise kar sakta hai.

Mai ajay ki soch me gum tha aur tabhi mujhe uski taxi ke start hone ki aawaj sunayi di aur fir dhire dhire uski taxi ki aawaj aana band ho gayi. Wo jis kaam se aaya tha, use pura kar ke ja chuka tha.

Maine ek najar charon bike par daali. Charon hi bike ek se bad kar ek thi. Lekin maine apne liye Splendor+ ko chuna. Kyoki mere pas ghar me bhi Splendor+ hi thi. Maine bike ko bahar niakala aur garage ko band karne ke bad, mai gate ko lock karke bahar aa gaya.

Mujhe pahli baar mumbai ki sadak par, bike chalane me kuch ghabrahat si ho rahi thi. Lekin fir maine bike ko start kiya aur bike aage bada di. Kuch door bike chalane ke bad, meri ghabrahat khud hi door ho gayi aur fir mai kuch hi samay bad hospital pahuch gaya.

Maine bike park ki aur samay dekha to, abhi sirf 7:45 baja tha. Maine mehul ko call lagaya aur apne aa jaane ki khabar de di. Fir uske bad mai priya ke pas chala gaya.

Priya ke pas abhi bhi nikki hi thi. Maine us se raj ke baare me puchha to, usne bataya ki, raj subah 7 baje hi ghar chala gaya tha aur ab ghar se kisi ke aane ke bad hi wo ghar jayegi.

Priya ki haalat pahle se bahut achi najar aa rahi thi. Meri us se bhi thodi bahut baat huyi. Tab tak mehul bhi humare pas aa chuka tha. Fir 8:15 baje riya aur uncle aa gaye.

Uncle ne nikki se ghar jaane ko kaha to, mai nikki aur mehul ke sath bahar aa gaya. Mehul taxi dekhne laga to, maine use bike le jaane ko kaha. Meri baat sunkar nikki ko to, koi aashcharya nahi hua.

Lekin mehul chauk kar mujhe dekhne laga. Tab maine use bataya ki, mai jis dost ke pas ruka hu, ye uski hi bike hai. Iske bad mehul 3 baje tak aane ki bol kar, nikki ko bike me lekar ghar chala gaya.

Mehul ke jaane ke bad mai uncle ke pas aa gaya. Iske bad ka mera saara samay kabhi uncle ke pas to, kabhi priya ke pas rahte gujar gaya. Is bich dada ji aur aunty bhi aa chuke the aur uncle apne office ja chuke the.

Aunty ne 12 baje mujhse khane ke liye puchha to, maine kah diya ki, mai nashta karke aaya hu aur ab apne dost ke sath hi khana khauga. Jabki hakikat to ye thi ki, aaj maine subah se ek chay tak nahi pi thi.

Subah se meri keerti se koi baat nahi huyi thi. Jis vajah se meri bhukh pyas dono mar chuki thi aur mera kuch bhi khane peene ka man nahi kar raha tha. Jis vajah se mujhe aunty se jhuth bolna pada tha.

Lekin kuch hi der bad ajay ka call aa gaya. Wo shayad nind se abhi abhi jaaga tha. Usne alsate huye, mujhse kaha.

Ajay bola “yaar, tumne khane ka kya socha hai.”

Mai bola “mere khane ki chinta mat karo, mai kisi restaurant me khana kha luga.”

Ajay bola “aise kaise tum kisi restaurant me khana kha loge. Jab tak tum mere ghar me ho. Tumhare khane peene ki jababdari meri hai.”

Mai bola “yaar ,tum kyo bekar me pareshan hote ho. Tum bhi to mujhe bahar se hi khana mangwa kar khilaoge na. Aise me yadi mai khud hi bahar khana kha leta hu to, isme bura kya hai.”

Meri baat sunkar, ajay hasne laga aur fir us ne mujhse majak karte huye kaha.

Ajay bola “bhai, hum garib logon ko kabhi kabhi hi kisi hotel me khana khana nashib hota hai. Baki din to ghar ke khane se hi gujara karna padta hai. Waise bhi tumne mujhse vada kiya tha ki, kisi din mere sath khana jarur khaoge to, samajh lo wo din aaj aa gaya.”

Ajay aur ajay ki baten, dono hi mere sar ke upar se gujar rahi thi. Isliye maine us se jyada bahas karna thik nahi samjha aur use khane ke liye haan kar diya. Mere muh se haan sunte hi, usne khush hote huye kaha.

Ajay bola “tum hospital se kitne baje fursat hoge.”

Mai bola “3 baje.”

Ajay bola “to kya tum 3 baje tak bhukhe hi rahoge.”

Mai bola “nahi, aisi baat nahi hai. Mai yaha chay nashta kar chuka hu. Waise to mai 12 baje ghar chala jata tha. Lekin aaj se mai raat ko hospital me rukuga. Isliye aaj 3 baje tak yaha ruka hu.”

Ajay bola “thik hai, tum 3 baje ghar pahucho, mai tumko wahi milta hu.”

Mai bola “ok.”

Iske bad ajay ne call rakh diya aur mai fir se hospital me busy ho gaya. Lekin mujhe rah rah kar keerti ki yaad sata rahi thi. Magar na to mai usko call laga raha tha aur na hi uski taraf se koi call aa raha tha.

Aakhir keerti ko yaad karte karte kisi tarah baki ka samay bhi gujar gaya. Fir 3 baje mehul aur raj aa gaye. Meri unse thodi bahut baat huyi aur fir raat ko 10 baje aane ki bol kar mai waha se ghar ke liye nikal gaya.

Mai 3:15 baje ghar pahucha to, ajay mujhe ghar ke bahar hi, mera intejar karte huye mil gaya. Wo is samay bilkul sadharan se kapdo me tha aur ek Activa par baitha mera intejar kar raha tha.

Mujhe samajh me nahi aaya ki, ab ye Activa kaha se aa gayi aur ye ghar ke bahar baith kar mera intejar kyo kar raha hai. Bas yahi sochte huye maine apni bike ajay ke pas rok di.

Lekin mujhe aata dekhte hi, ajay ne apni Activa start kar li thi aur mere uske pas pahuchte hi, usne mujhse kaha.

Ajay bola “yaha rukne ki jarurat nahi hai. Mere pichhe pichhe aao aur rasta ache se yaad kar lena.”

Mujhe uski baat samajh me nahi aayi. Lekin maine chup chap bike uske pichhe laga di aur raste ko yaad rakhte huye, uske pichhe pichhe chalne laga. Karib 5 minute ajay ke pichhe chalne ke bad, hum log badi badi imaraton ko pichhe chhodte huye, chhote chhote ghar makano ki taraf aa gaye.

Kuch door chalne ke bad ajay ne apni Activa ek gali ke andar daal di. Mai bhi uske pichhe pichhe chal raha tha. Us gali me kuch door tak chalne ke bad, ajay ne apni Activa ek do manjila makan ke samne rok di.

Makan dekh kar hi samajh me aa raha tha ki, waha koi madhyam vargiya parivar (Middle class family) rahta hai. Usi makan se thodi doori par, khali pade maidan me ajay ki taxi khadi thi.

Jise dekh kar, mujhe laga ki, shayad ye ajay ka dusra makan hai. Us makan ke samne ek chhota sa aangan tha. Jo ki teen taraf diwaron se ghira hua tha aur jiske samne ek chhota sa gate laga hua tha.

Ajay ne gate khol kar apni activa ko aangan me rakha aur fir bahar aakar mujhe bhi bike andar rakhne ko kaha. Ajay ke kahne par maine bike lakar andar aangan me khadi kar di aur fir ghar ke aangan ko dekhne laga.

Aangan jyada bada to nahi tha. Lekin bahut hi saaf suthra tha aur uski char diwari (boundary wall) ke kinare kinare phulon ke paudhe (plants) lage huye the. Jinme rang birange phool khile hone ke karan, wo bahut hi sundar lag rahe the.

Iske bad maine ek najar ghar ki taraf dali to, ghar ki nichli manjil (Ground floor) ke samne ke, kamre ka darwaja khula hua tha. Magar darwaje par parde lage huye the. Jis vajah se andar ka kuch bhi najar nahi aa raha tha.

Magar ghar ko is tarah se khula hua dekh kar, mai ye sochne par majbur ho gaya tha ki, ajay to abhi mere sath, bahar se aa raha hai. Lekin ghar to pahle se hi khula hua hai.

To kya is ghar me ajay ke sath aur koi bhi rahta hai. Yadi is ghar me koi rahta hai to, uska ajay ke sath uska rishta kya hai aur ajay ne is baat ko abhi tak raz kyo banaye rakha hai.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 117}
______________________________

Ajay ne gate khol kar apni activa ko aangan me rakha aur fir bahar aakar mujhe bhi bike andar rakhne ko kaha. Ajay ke kahne par maine bike lakar andar aangan me khadi kar di aur fir ghar ke aangan ko dekhne laga.

Aangan jyada bada to nahi tha. Lekin bahut hi saaf suthra tha aur uski char diwari (boundary wall) ke kinare kinare phulon ke paudhe (plants) lage huye the. Jinme rang birange phool khile hone ke karan, wo bahut hi sundar lag rahe the.

Iske bad maine ek najar ghar ki taraf dali to, ghar ki nichli manjil (Ground floor) ke samne ke, kamre ka darwaja khula hua tha. Magar darwaje par parde lage huye the. Jis vajah se andar ka kuch bhi najar nahi aa raha tha.

Magar ghar ko is tarah se khula hua dekh kar, mai ye sochne par majbur ho gaya tha ki, ajay to abhi mere sath, bahar se aa raha hai. Lekin ghar to pahle se hi khula hua hai.

To kya is ghar me ajay ke sath aur koi bhi rahta hai. Yadi is ghar me koi rahta hai to, uska ajay ke sath uska rishta kya hai aur ajay ne is baat ko abhi tak raz kyo banaye rakha hai.

Ajay ki baki baton ki tarah, ye baat bhi abhi ek raz hi thi. Lekin ab shayad ajay ke har raz par se parda uthne ka samay aa chuka tha aur ajay ki jindagi ek khuli kitab ki tarah mere samne aane wali thi.

Jiska mujhe bahut besabri se intejar tha. Magar aise samay par keerti ka mere sath phone par na hona, mujhe bahut akhar raha tha. Kyoki mai chahta tha ki, jab mai ajay se, uski jindagi ke baare me baat karu, tab keerti bhi mere sath phone par rahe.

Taki wo bhi ajay ki jindagi se jude raz ko jaan sake. Lekin aaj jab is raz ke khulne ka wakt pas aaya to, keerti mere sath nahi thi. Is khayal ke mere man me aate hi, ek baar fir mujhe, keerti ki yadon ne gher liya.

Wo kaisi hai, kya kar rahi hai. Wo mujhe yaad kar rahi hai ya nahi, ye saari baten mere dimag me ghumne lagi. Lekin mere pas in me se kisi bhi baat ka koi jabab nahi tha. Mujhe keerti ki kisi bhi baat ki, koi khabar nahi thi.

Kyoki aaj keerti se narajgi ke chalte, maine ghar me bhi phone laga kar, kisi se koi baat nahi ki thi aur keerti ne bhi subah se abhi tak, mera haal chaal janne ki koi koshish nahi ki thi.

Jis vajah se mai keerti ki har baat se mai anjan tha. Mera dil ab bhi, keerti ki aawaj ko sunne ke liye tadap raha tha aur keerti ki jidai me apne hathiyar pahle hi daal chuka tha. Lekin mera dimag tha ki, wo kisi bhi kimat par keerti ki galti ko maaf karne ke liye taiyar nahi tha aur mere dil se tarah tarah ke sawal kiye ja raha tha.

Mera dimag kah raha tha ki, yadi keerti tumse pyar karti hai to, wo apni galti ki maafi kyo nahi maang leti. Yadi use tumse pyar hai to, fir wo tumse baat kiye bina kaise rah le rahi hai.

Yadi subah se abhi tak tumne us se baat nahi ki to, usne tumse baat karne ki koshish kyo nahi ki hai. Yadi tumhe uski kami akhar rahi hai to, fir use tumhari kami kyo nahi akhar rahi hai aur yadi use tumhari kami akhar rahi hai to, wo tumko mana kyo nahi rahi hai.

Mere dimag ki ye saari baten, mere dil ko keerti se baat karne se rok rahi thi. Magar is sab ke bad bhi, mera dil har jagah, har baat par keerti ki kami ko mehsus karne se baaj nahi aa raha tha aur baar baar sirf keerti ko hi yaad kiye ja raha tha.

Mujhe mere dil aur dimag ne, ek ajib hi uljhan me uljha diya tha. Jis vajah se ab meri ajay ke baare me janne ki saari usukta khatam ho gayi thi aur mere chehre par udasi chha gayi thi.

Mujhe is tarah se kisi gahri soch me gum dekh kar aur mere achanak se utar gaye chehre ko dekh kar, ajay ko laga ki, shayad mujhe uska ye ghar pasand nahi aaya. Usne mujhe meri soch se bahar nikalne ke liye, mere kandhe ko pakad kar, hilaya aur sanjida hote huye kaha.

Ajay bola “kya hua, kya soch rahe ho. ? Kya tumhe mera ye chhota sa ghar pasand nahi aaya.”

Ajay ki baat sunkar, mujhe apni haalat ka aehsas hua aur maine apne aapko sambhalte huye, ajay se kaha.

Mai bola “koi ghar bhi ghar, sirf makan ke chhote ya bade hone se, chhota ya bada nahi ho jata. Ghar to usme rahne walon se chhota bada hota hai aur mera manna hai ki, jis ghar me tum raho, wo ghar kabhi chhota ho hi nahi sakta.”

Meri baat sunkar, ajay ke chehre par muskurahat wapas aa gayi. Usne muskurate huye mere kandhe par hath rakaha aur kaha.

Ajay bola “aisa kyo. Bhala mere rahne se koi ghar kaise bada ho sakta hai.”

Mai bola “kyoki tumhara dil bada hai aur jiska dil bada ho, uska ghar kabhi chhota ho hi nahi sakta. Ab yadi tumhara baat karna ho gaya ho to, ab apna ghar bhi dikha do.”

Ajay bola “kyo nahi, aao chalo, is garib ka chhota sa aashiyana bhi dekh lo.”

Ye kah kar wo ghar ki bayen (Left) taraf bani sidiyon (Stairs) ki taraf bad gaya. Mai bhi uske pichhe pichhe chalne laga. Lekin ab mere man me ek sawal aur aa raha tha ki, yadi ajay ghar ki pahli manjil par rahta hai to, ghar ki nichli manjil par kaun rahta hai. Kya ajay yaha kiraye (Rent) par rahta hai.

Mai ye sab soch raha tha aur hum log upar pahuch gaye. Upar 36*24 ka chhat tha aur chhat ki ek taraf 3 kamre bane huye the. Un kamron me se teesre kamre se laga hua, ek bathroom bana hua tha. Jis se samajh me aa raha tha ki, upar ke kamre kiraye par dene ke liye hi banaye gaye hai.

Upar pahuchne ke bad ajay ne teesre kamre ka darwaja khola aur mujhe andar chal kar baithne ko kah kar, wapas niche ki taraf chala gaya. Ajay ke niche chale jaane ke bad, maine kamre ki taraf dekha.

Yaha bhi kamre me parda laga hua tha. Maine parde ko hataya aur kamre ke andar aa gaya. Lekin andar ka najara dekh kar, mujhe apni aankhon dekhe par yakin kar pana mushkil ho raha tha ki, ajay jaisa carodpati aadmi, is chhote aur sadharan se makan me rahta hai.

Kamre me parda laga hone ki vajah se, bahar ki roshni anadar nahi aa pa rahi thi aur andar ka kamra ek 60 watt ke bulb ki pili roshni se roshan tha. Jiski roshni ki mujhe aadat na hone ke karan, ye roshni meri aankhon ko chubh rahi thi.

Kuch der to mujhe khud ko is roshni me dhalne me lag gayi. Jab mujhe is roshni ki kuch aadat si huyi to, maine kamre ke charo taraf dekha. Kamre me jyada saman to nahi tha. Lekin kamra behad saaf suthra tha.

Kamre ke darwaje ke dahini taraf wali diwar se lag kar ek chhota sa bed tha. Jisme ek saaf aur sundar si chadar bichhi huyi thi. Bed ke pas hi samne wali diwar se lag kar ek purana sa Tv rakha hua tha aur Tv ke pas hi ek darwaja tha. Jo andar wale kamre me jaane ke liye tha.

Andar ke kamre me bhi bulb ki roshni ja rahi thi. Jis se pata chal raha tha ki, andar wala kamra jyada bada nahi aur waha shayad kitchen bana hua hai. Bed ke samne wali diwar ke pas lakdi ki almari aur almari ke pas hi diwar par ek aaina laga hua tha.

Darwaje ke pas bayen taraf ek table rakhi huyi thi aur table par salike se kuch kitaben jami huyi thi. Usi table ke pas char chair aur ek Central table rakhi huyi thi. Mai khada khada kamre ka najara kar raha tha ki, tabhi meri najar bed par rakhe ek akhbaar (Newspaper) par padi.

Mai aakar bed par bith gaya aur akhbaar ke panne palatne laga. Panne palatte palatte meri najar ek kavita par padi. Jo kisi mahila kaviyatri Tripti ne likhi thi. Kavita ka shirshak tha Pratiksha.

Waise to mujhe kavita ya sher aur shayari padne ka shauk bilkul bhi nahi tha. Na hi isme kahi gayi baten mere dimag me chada karti thi. Fir bhi keerti ke sath rahte rahte, achi shayari jama karna meri aadat me shamil ho gaya tha. Taki wo shayari mai keerti ko bhej saku.

Lekin kisi kavita ko padne ka ye mera pahla mauka tha. Is kavita ka shirshak, mere is samay ki paristithi se mel khata tha. Jiski vajah se mai apne aapko ye kavita padne se na rok saka aur kavita padne laga.

“Pratiksha”
“Bas Teri Pratiksha Me, Gujar Di Jindagi Humne.
Tum Jo Aaye Nahi To, Ujad Li Jindagi Humne.

Sabr Ki Simayen Thi, Hum Pratiksha Kab Tak Karte.
Kagzon Ko Syahiyon Se, Hum Bhara Kab Tak Karte.

Tumne Na Bhulane Ki, Humse Kasam Le Dali Thi.
Chhod Kar Na Jauga, Apni Baat Bhi Usme Dali Thi.

Ek Agar Ruthega To, Use Dusra Manayega.
Vade Ye Pyar Ke, Koi Tod Kar Na Jayega.

Vada Nibhaya Maine, Aur Laaj Bach Gayi Teri Bhi.
Agle Janam Me Milne Ki, Aas Bach Gayi Meri Bhi.

Mukt Karti Hu Tumko, Tere Bhule Bisre Vadon Se.
Mat Karna Tum Glani Kabhi, Apne Adhure Vadon Se.”

Kavita ki pahli line padte hi, meri aankhon me keerti ka chehra ghumne laga tha aur kavita ki har line mujhe keerti ke dil ke dard ka aehsas kara rahi thi. Mujhe aisa lag raha tha ki, jaise ye kavita keerti ne hi likhi ho.

Kyoki iski har line mai mujhe, meri aur keerti ki kahani najar aa rahi thi aur iski aakhiri line me mujhe apna keerti se kiya hua wo vada yaad aa gaya. Jo maine mumbai se ghar wapas pahuchne par keerti se kiya tha. Jab keerti ne mere marne ki baat ke upar se, mujhe tamacha maara tha. Meri aankhon me us din ka manjar kisi film ki tarah ghumne laga.

_________________

Mai bola “mai tujhe bahut dukh deta hu na.”

Keerti bhi mere pas hi niche aakar baith gayi aur mere hathon ko chumte huye kaha.

Keerti boli “mujhe tumhara diya har dard kabul hai. Mai tumhara har dard hanste hanste sah sakti hu. Lekin yadi tumhe koi aanch bhi aaye to, mai sah nahi pati hu. Mujhe maaf kar do. Maine vevajah tum par hath uthaya. Magar mai kya karti. Mai us baat ko bhula hi nahi pa rahi thi. Jiski vajah se mera sab kuch lut jaane wala tha.”

Mai bola “sorry, ab aage se aisa kuch nahi hoga.”

Keerti boli “tum hamesha aisa hi kahte ho. Lekin baar baar wahi karte ho. Jis se mujhe taklif hoti hai.”

Mai bola “lekin tune bhi to wahi kiya hai. Jis se mujhe taklif hoti hai.”

Keerti boli “maine jo kiya sirf apne aapko saja dene ke liye kiya hai. Yadi tum meri jaan ko nuksan pahuchaoge to, mai tumhari jaan ko bhi nuksan pahuchaugi. Mai tumse ye pahle hi bol chuki hu.”

Mai bola “thik hai aaj ke bad se hum dono hi ek dusre ki jaan ko nuksan nahi pahuchayege.”

Keerti boli “aise nahi, tum meri kasam khakar bolo ki, tum chahe mere baare me kuch bhi sun lo. Lekin tab tak koi aisa kadam nahi uthaoge. Jab tak ye sabit na ho jaye ki, tumne jo suna hai wo sahi hai.”

Keerti ki is baat par maine use chhedte huye kaha.

Mai bola “yane ki sabit hone ke bad mai kuch bhi kar sakta hu.”

Keerti boli “jyada majak mat karo. Bhagwan bhi chahega. Tab bhi mai tumhe chhod kar nahi ja sakti. Maut bhi mujhe tumse door nahi kar sakti. Ab tum sidhe se meri kasam khate ho ya fir mai kuch aur karu.”

Mai bola “khata hu baba. Mai teri kasam khakar bolta hu ki, ab chahhe kaisi bhi baat kyo na ho. Mai kabhi bina soche samjhe aur sachai ka pata kiye bina aisa koi bhi kadam nahi uthauga. Jiske uthane se tujhe taklif ho.”

Keerti boli “ye huyi na koi baat. Ab mai sach me bahut khush hu.”

Mai bola “tu bhi to kasam kha. Tu bhi to aaye din ye hath kaat kar mujhe taklif deti rahti hai.”

Keerti boli “ok mai bhi kasam khati hu ki, jab tak tum meri jaan ko koi taklif nahi pahuchaoge. Tab tak mai bhi tumhari jaan ko koi taklif nahi pahuchaugi.”

_________________

Us din ki baat yaad aate hi, sabse pahle mujhe, kal raat ko apni sharab peene ki harkat ka pachhtawa hua. Kyoki chahe kal raat ko sharab peene ke bad, meri keerti se jyada baat na huyi ho, magar meri jitni bhi us se baten huyi thi, us se use is baat ka aehsas jarur ho gaya hoga ki, maine sharab pi rakhi hai.

Abhi tak mujhe sirf ye dikh raha tha ki, keerti ne mere dil ko chot pahuchayi hai aur usne mera apman kiya hai. Mujhe meri kahi bhi koi galti najar nahi aa rahi thi. Lekin ab mujhe apni sharab peene ki galti saaf najar aa rahi thi.

Ab meri is galti ke bad, keerti ke mere samne jhukne ka sawal hi paida nahi hota tha. Shayad yahi vajah rahi hogi ki, raat ke bad se, usne mujhe koi bhi call karne ki koshish nahi ki thi.

Lekin apni galti najar aane ke bad bhi mai keerti ke samne jhukne ko taiyar nahi tha. Kyoki bhale hi maine galti ki thi, magar us galti ko karne ki suruaat to, keerti ki taraf ki gayi thi. Yadi keerti ne galti nahi ki hoti to, fir mere bhi galti karne ka sawal hi paida nahi hota tha.

Aakhir me mujhe keerti ke samne na jhukne aur use call lagane ka ek tarika samajh me aa gaya. Maine bina der kiye mobile nikala aur keerti ko call laga diya. Mera call jate hi, keerti ne fauran mera call utha liya.

Uske call uthane se hi, mai samajh gaya tha ki, keerti ki bhi narajgi kam nahi huyi hai. Warna wo mera call uthane ki jagah, mera call kaat kar, mujhe dusre mobile par call lagati. Usne call uthate hi mujhse kaha.

Keerti boli “haan bolo.”

Mai bola “mujhe kuch nahi bolna.”

Keerti boli “jab kuch bolna nahi to, call kyo lagaya.”

Mai bola “mai abhi ajay ke dusre ghar me aaya hu. Isliye tujhe call lagaya tha.”

Keerti boli “to isme mai kya karu. Is se mera kya matlab.”

Mai bola “is se tera koi matlab nahi hai. Mujhe laga ki, tujhe call lagana chahiye to, maine laga diya. Ab yadi tu call chalu rakhna chahti ho to, chalu rakh sakti hai aur yadi call band karna chahti hai to, band kar sakti hai. Mai mobile jeb me rakh raha hu. Tujhe jo thik lage, tu kar lena.”

Ye bol kar, maine mobile jeb me rakh liya. Lekin mera saara dhyan mobile ki taraf hi laga hua tha. Kuch der tak mobile chalu rahne ke bad, achanak kat gaya. Mujhe laga ki, shayad gusse ki vajah se keerti ne call kaat diya hai.

Magar call katne ke agle hi pal, keerti ke dusre mobile se, mere dusre mobile par call aane laga. Maine call uthaya aur us se kaha.

Mai bola “haan, kya hua.”

Keerti boli “kuch nahi, wo mera hath lag jaane se kat gaya tha.”

Mai bola “thik hai, mai mobile jeb me rakh raha hu.”

Ye kah kar maine mobile wapas apne jeb me rakh liya. Magar mai keerti ke, call ke achanak kat jaane ki vajah, achi tarah se samajh gaya tha aur iske samajh me aate hi, khud-ba-khud mere chehre par muskurahat aa gayi.

Asal me wo is baat ko achi tarah se janti thi ki, mere us number par jyada balance nahi hoga. Isliye wo mere us number ka balance kharch karna nahi chahti thi. Jis vajah se usne, us number par se mera call kaat kar, mujhe is number par call lagaya tha.

Uski is harkat se mere dil ko bahut shukun mila aur meri khoyi huyi bhukh fir se wapas aa gayi. Mai abhi keerti ki harkat me hi khoya hua tha ki, tabhi ajay Bisleri ki 3 bottles lekar aa gaya. Usne Bisleri ki bottles Central table par rakhte huye kaha.

Ajay bola “tum bahar bathroom me jakar muh hath dho lo. Tab tak mai khana lagata hu.”

Ye kahte huye ajay ne, mujhe towel thama diya aur wapas niche chala gaya. Mai bhi uth kar muh hath dhone chala gaya. Mai jab tak muh hath dhokar wapas aaya, tab tak ajay Central table par khane ki do thali laga chuka tha.

Kitchen ki light jal rahi thi. Isliye mere liye ye anuman lagana mushkil tha ki, ye khana kaha se aaya hai. Keerti mere sath mobile par bani huyi thi aur ajay ki baton se use bhi ye samajh me aa gaya hoga ki, mai yaha khana khane aaya hu. Maine wapas aakar khana lage dekha to, bed par baithte huye ajay se kaha.

Mai bola “kya ye khana tumne banaya hai.”

Meri baat sunkar ajay ne muskurate huye kaha.

Ajay bola “nahi, mera khud ka khana niche se ban kar aata hai. Mai yaha paying guest hu. Isliye mujhe khana banane ki jarurat nahi padti. Ab tum bekar ka sawal karna chhodo aur ye bolo ki khana tum is central table par hi kha loge ya fir tumhare khana khane ke liye dining table ka intejam kiya jaye.”

Ajay ki is baat ka jabab bhi maine usi ke andaz me dete huye kaha.

Mai bola “yaar bhukh ke maare to mera bura haal ho raha hai aur tumko dining table ki padi huyi hai. Ab jyada takalluf mat karo aur khana suru karo.”

Ye kahte huye maine ek chair khichi aur central table ke pas aakar baith gaya. Mujhe baithte dekh kar ajay bhi ek chair par baith gaya. Abhi hum khana khana, suru hi karne wale the ki, tabhi mujhe bahar se kisi ladki ki aawaj aati sunayi di.

Meri pith darwaje ki taraf thi. Isliye mai use dekh nahi saka. Ajay mere samne tha aur uska muh darwaje ki taraf tha. Us ladki ne darwaje par khade khade hi ajay se kaha.

Ladki boli “ajji bhaiya, aap jaldi jaldi me ye papad nichhe hi bhool kar aa gaye the. Didi ne mujhe ye papad aapko dene ke liye bheja hai.”

Ladki ki baat sunkar, ajay ne us ladki ki taraf dekha aur fir bahut hi masoom bante huye us se kaha.

Ajay bola “ye to tumne bahut acha kiya. Lekin ab ye papad dene ke liye tum khud andar aa rahi ho ya fir ye papad khud hi chal kar andar aane wale hai.”

Ajay ki baat sunkar, ek taraf to mai apni hansi rok nahi paya. Wahi dusri taraf wo ladki, apne pair patakte huye, andar aa gayi aur pahli baar meri najar us ladki par padi. Wo lagbhag meri hi umar ki thi.

Uski aawaj to koyal ki tarah surili thi hi aur ab jab maine use dekha to, dekhta hi rah gaya. Usne surili aawaj hi nahi balki, kayamat ki sundarta bhi payi thi. Wo ek dam doodh ki tarah safed thi aur uski aankhe neeli thi. Jo usko or bhi jyada sundar aur sexy bana rahi thi.

Us ne is samay ek short pant aur white t-shirt pahni huyi thi. Uska short pant uski gori gori jangon me kasa hua tha aur uski t-shirt itni dhili aur lambi thi ki, uska aadhe se jyada short pant, us se dhaka hua tha. Jis se aisa pratit ho raha tha ki, jaise usne niche kuch pahna hi na ho.

Uske is pahnawe ko dekh kar, mujhe achanak hi priya ki yaad aa gayi. Kyoki dono ke pahnawe me koi khas jyada antar nahi tha. Priya ki yaad aate hi, mai us ladki ki sundarta ki tulna priya ki sundarta se karne laga.

Ladki sach me hi behad khubsurat thi. Lekin priya ke sath uski tulna karne se, uski sundarta feeki lagne lagi thi aur aaj pahli baar mujhe priya ki sundarta ka aehsas ho raha tha.

Mai priya aur us ladki ki sundarta ki tulna karne me khoya hua tha. Tabhi us ladki ne central table par papad rakh kar, tunakte huye ajay se kaha.

Ladki boli “ye lijiye aa gaye aapke papad, magar dobara mera majak udaya na to, ye papad jaise aaye hai, waise hi wapas bhi chale jayege.”

Ye bol kar ladki fir se pair patakte huye wapas chali gayi aur ajay muskurakar use jate huye dekhta raha. Uske chale jaane ke bad ajay ne mujhse kaha.

Ajay bola “ye neha hai aur ye priya ki bahut hi khas saheli hai.”

Mujhe us ladki ya uske naam ko janne me, koi khas dilchaspi nahi thi. Kyoki mujhe jis ladki me dilchaspi thi. Wo bhale hi is wakt mujhse naraj chal rahi thi. Lekin fir bhi wo mere sath phone par bani huyi thi aur ye hi baat mujhe man hi man gudguda rahi thi.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 118}
____________________________

Uske is pahnawe ko dekh kar, mujhe achanak hi priya ki yaad aa gayi. Kyoki dono ke pahnawe me koi khas jyada antar nahi tha. Priya ki yaad aate hi, mai us ladki ki sundarta ki tulna priya ki sundarta se karne laga.

Ladki sach me hi behad khubsurat thi. Lekin priya ke sath uski tulna karne se, uski sundarta feeki lagne lagi thi aur aaj pahli baar mujhe priya ki sundarta ka aehsas ho raha tha.

Mai priya aur us ladki ki sundarta ki tulna karne me khoya hua tha. Tabhi us ladki ne central table par papad rakh kar, tunakte huye ajay se kaha.

Ladki boli “ye lijiye aa gaye aapke papad, magar dobara mera majak udaya na to, ye papad jaise aaye hai, waise hi wapas bhi chale jayege.”

Ye bol kar ladki fir se pair patakte huye wapas chali gayi aur ajay muskurakar use jate huye dekhta raha. Uske chale jaane ke bad ajay ne mujhse kaha.

Ajay bola “ye neha hai aur ye priya ki bahut hi khas saheli hai.”

Mujhe us ladki ya uske naam ko janne me, koi khas dilchaspi nahi thi. Kyoki mujhe jis ladki me dilchaspi thi. Wo bhale hi is wakt mujhse naraj chal rahi thi. Lekin fir bhi wo mere sath phone par bani huyi thi aur ye hi baat mujhe man hi man gudguda rahi thi.

Lekin jaise hi maine ajay ke muh se, priya ka naam suna to, mere dimag me ek bomb sa foot gaya aur ek sath kayi sawal mere dimag me uthne lage. Mai apne dimag me uth rahe, in sawalon ka jabab janne ke liye, ajay ki taraf sawaliya najron se dekhne laga.

Ajay mere is tarah se dekhne ka matlab samajh chuka tha. Usne meri is becheni ko dekhte huye, mujhse kaha.

Ajay bola “ye baat sunkar jaise sawal tumhare dimag me aa rahe hai. Kuch aise hi sawal, jab mujhe is baat ka pata chala tha, mere dimag me bhi aa rahe the. Lekin is baat ko karne ke liye, na to ye samay thik hai aur na hi ye jagah thik hai. Isliye abhi to tum sirf khana khao. Tumhare saare sawalon ka jabab, mai tumko aaj raat ko hospital me duga.”

Ajay ki ye baat sunkar, maine bhi us se koi sawal karna thik nahi samjha aur khana khane laga. Lekin keerti abhi bhi mere sath phone par bani huyi thi aur mai chahta tha ki, kam se kam wo mere khana khate tak mere sath phone par bani rahe.

Lekin ajay ke abhi koi bhi baat batane se mana kar dene ke bad se, na to ajay kuch bol raha tha aur na hi mujhe ajay se karne ke liye kuch baat sujh rahi thi. Jis vajah se hum dono chup chap khana kha rahe the.

Magar ab mujhe andar hi andar ye dar satane laga tha ki, koi bhi baat hoti na dekh kar, keerti kahi phone na rakh de. Isliye mai ajay se baat karte rahna chahta tha aur jab mujhe karne ke liye koi baat nahi sujhi to, mai khana khate se bich me utha aur bed par rakhe akhbaar ko uthate huye ajay se kaha.

Mai bola “tumne aaj ke akhbaar me chhapi ye kavita padi hai.”

Ajay bola “nahi, aaj mujhe akhbaar padne ka time hi nahi mila. Kya tumko kavita padne ka shauk hai.”

Mai bola “nahi, mujhe kavita padne ka shauk to nahi hai. Magar akhbaar ke panne palatte palatte mujhe ye kavita najar aa gayi aur jab ise pada to, mujhe bahut pasand aayi.”

Ajay bola “haan, har somvar (Monday) aur budhvar (Wednesday) ko isme bahut achi achi kavitayen aur sher-shayari aati hai. Lekin mujhe in sab me koi jyada ruchi nahi hai.”

Mai bola “ruchi to mujhe bhi nahi hai. Lekin mujhe ye kavita bahut pasand aayi. Tum bhi suno shayad tumhe bhi pasand aaye.”

Ye kah kar mai ajay ko akhbaar me chhapi kavita sunane laga. Asal me mai wo kavita keerti ko sunana chahta tha. Isliye maine us kavita me thoda fer badal kar ke, use ek ladke ke najariye se pad kar sunane laga.

“Pratiksha”
“Bas Teri Pratiksha Me, Gujar Di Jindagi Humne.
Tum Jo Aayi Nahi To, Ujad Li Jindagi Humne.

Sabr Ki Simayen Thi, Hum Pratiksha Kab Tak Karte.
Kagzon Ko Syahiyon Se, Hum Bhara Kab Tak Karte.

Tumne Na Bhulane Ki, Humse Kasam Le Dali Thi.
Chhod Kar Na Jaugi, Apni Baat Bhi Usme Dali Thi.

Ek Agar Ruthega To, Use Dusra Manayega.
Vade Ye Pyar Ke, Koi Tod Kar Na Jayega.

Vada Nibhaya Maine, Aur Laaj Bach Gayi Teri Bhi.
Agle Janam Me Milne Ki, Aas Bach Gayi Meri Bhi.

Mukt Karta Hu Tumko, Tere Bhule Bisre Vadon Se.
Mat Karna Tum Glani Kabhi, Apne Adhure Vadon Se.”

Ajay ko puri kavita suna dene ke bad, mere chehre par khud hi muskurahat aa gayi. Meri is muskurahat ki vajah ye thi ki, maine kavita ke jariye hi sahi, magar keerti ko apne dil ki baat kah di thi.

Yadi ye hi kavita maine keerti ko msg me bheji hoti to, uska jabab jarur aaya hota. Lekin abhi hum dono ki hi ek dusre se narajgi khatam hone ka naam nahi le rahi thi. Jiski vajah se, is jhagre ko khatam karne ki pahal na to keerti ki taraf se ho rahi thi aur na hi mai koi pahal kar raha tha.

Lekin is jhagre ke bad bhi hum dono ka ek dusre ke sath bane rahna, is baat ka sabut tha ki, humare dil me ek dusre ke liye kitna pyar hai. Bhale hi hum ek dusre se koi baat nahi kar rahe the. Magar hum ek dusre se baat karne aur ek dusre ki aawaj sunne ke liye tadap rahe the.

Yahi vajah thi ki, ajay ke abhi koi bhi baat batane se mana kar dene ke bad bhi, keerti phone par bani huyi thi aur meri aawaj sunkar apne dil ki tadap ko kam kar rahi thi. Keerti ke phone par bane rahne se mere dil ko bhi rahat mil rahi thi.

Mera aur ajay ka khana khana ho chuka tha aur ab hum log yaha waha ki baten kar rahe the. Thodi der bad maine ajay se jaane ki ijajat mangi to, usne mujhse raat ke khane ke baare me puchha. Uski is bat ke jabab me, maine us se kaha.

Mai bola “din ka khana to mai abhi sham ko 4:30 baje kha raha hu aur ab yaha se jaane ke bad mujhe jakar sidha sona hi hai. Aise me raat ko uthte hi, bhukh lagne ka sawal hi paida nahi hota hai. Yadi fir bhi mujhe raat ko bhukh lagti hai to, mai wahi canteen se kuch lekar kha luga. Isliye mere raat ke khane ki, tum bekar me chinta mat karo.”

Meri baat sunne ke bad bhi, ajay raat ke khane ki jid karta raha. Magar bad me mere samjhane par use meri baat samajh me aa gayi. Ab mai jaldi se jaldi yaha se nikal jana chahta tha.

Kyoki ab keerti ke call ko aaye ek ghanta hone wala tha aur ek ghanta hote hi uska call khud hi kat jana tha. Isliye mai keerti ke call ke katne ke pahle hi, ghar pahuch jana chahta tha.

Kyoki call katne ke bad, keerti ke wapas call lagane ki koi ummid nahi thi aur uska call katte hi, mujhe jo sunapan mehsus hone wala tha, mai us se bachna chah raha tha.

Yahi sab sochte huye maine ajay se raat ko hospital me milne ki baat kahi aur fir use bye bol kar, mai uske dusre ghar ke liye nikal liya. Lekin bike chalate huye bhi meri najar mobile par hi thi.

Mai abhi ajay ke ghar se kuch hi door pahucha tha ki, ek dam se mobile ki screen chamakne lagi. Ye dekhte hi mai udas ho gaya, kyoki keerti ka call kat chuka tha. Ek pal ke liye mujhe aisa laga ki, jaise mere jism se jaan hi nikal gayi ho. Mere andar ka saara josh thanda pad gaya.

Lekin agle hi pal mera chehra khushi se khil utha. Kyoki call katne ke thodi hi der bad, keerti ka call dobara aane laga. Maine call uthaya to, keerti ne kaha.

Keerti boli “ek ghanta hone ki vajah se call kat gaya tha, isliye wapas call lagayi hu.”

Mai bola “ok, abhi mai bike chala raha hu. Yadi tum call rakhna chahti ho to rakh sakti ho. Mai mobile wapas jeb me rakh raha hu.”

Magar meri is baat ke jabab me keerti ne koi jabab nahi diya. Maine mobile wapas jeb me rakh liya. Lekin meri najar barabar mobile par jami huyi thi aur keerti ne abhi bhi mobile nahi rakha tha.

Mujhe samajh me nahi aaya ki, keerti ne abhi tak mobile kyo nahi rakha hai. Keerti ke mobile na rakhne se mujhe aisa laga. Jaise ki usko apni galti ka aehsas ho gaya ho aur ab wo mujhse baat karna chah rahi ho.

Ye baat dimag me aate hi, maine bike teji se ghar ki taraf bada di aur kuch hi der me, mai ghar pahuch gaya. Ghar pahuch kar maine bike rakhi aur sidha apne kamre ki taraf bhaga.

Kamre me pahuch kar maine jaldi se kapde badle aur fir khushi khushi keerti wala mobile bahar nikal kar kaan par lagaya. Lekin mere kuch bhi bol pane ke pahle hi, mujhe kamre ka darwaja khulne ki aawaj aayi.

Shayad keerti apne kamre se nikal kar, kahi ja rahi thi. Thodi der bad, mujhe uske sidiyon se utarne ka aabhas hua aur fir uske bad mujhe keerti ki aawaj sunayi di. Usne chhoti maa se kaha.

Keerti boli “mausi, aaj meri tabiyat kuch thik si nahi hai. Aaj raat ko mere liye khana mat banaiyega.”

Keerti ki tabiyat sahi na hone ki baat sunkar, mera dil bechen ho gaya aur mujhe uski tabiyat ki chinta satane lagi. Wahi dusri taraf chhoti maa ne bhi apni chinta jahir karte huye keerti se kaha.

Chhoti maa boli “ye achanak teri tabiyat ko kya ho gaya. Subah bhi tune kuch nahi khaya tha aur ab raat ko bhi khane se mana kar rahi hai.”

Keerti boli “mausi, aaj subah se mera pet kharab hai. Isliye kuch khane ka man hi nahi kar raha hai.”

Chhoti maa boli “tune jarur kuch ulta sidha kha liya hoga. Tabhi tera pet kharab hua hai.”

Keerti boli “haan mausi, kal raat ko maine kuch jyada hi khana kha liya tha. Isi vajah se kal raat se pet kuch jyada hi aawaj kar raha hai. Ek din ise bhukha rakhugi to, iski saari akal thikane aa jayegi aur dobara mere samne aisi galti karne ki himmat nahi karega.”

Keerti ki ye baat sunkar, mujhe aisa laga, jaise wo ye baat apne pet ke liye nahi, balki mere liye kah rahi ho. Wahi uski baat sunkar chhoti maa hanse bina na rah saki aur un ne keerti se kaha.

Chhoti maa boli “acha to tu bhukha rah kar, apne pet ko aawaj karne ki saza de rahi hai.”

Keerti boli “haan, mai khud ko bhukha rakh kar ise saza hi de rahi hu. Iski vajah se mai kisi se baat bhi nahi kar sakti.”

Keerti ki baat sunkar ek baar fir chhoti maa ki hansi ki aawaj gunj gayi aur un ne hanste huye us se kaha.

Chhoti maa boli “kyo, kya tera pet tujhe kisi se baat karne se rokta hai, jo tu iski vajah se kisi se baat bhi nahi kar pa rahi hai.”

Keerti boli “aur nahi to kya. Jab bhi mai kisi se baat karne jati hu. Ye aawaj karna suru kar deta hai. Ab bhala kya aise me kisi se baat karna acha lagta hai.”

Chhoti maa boli “lekin abhi to tera pet jara bhi aawaj nahi kar raha hai.”

Keerti boli “kaise aawaj karega. Bhukha rahne ki vajah se abhi muh fula kar baitha hua. Magar andar hi andar bahut gudhgudha raha hai.”

Keerti ki baton se mujhe saaf samajh me aa raha tha ki, wo kal raat ki baton ki vajah se hi khana nahi kha rahi hai aur apne pet ki aad me, mere baare me hi baat kar rahi hai.

Uski is harkat par mujhe us par gussa bhi aa raha tha aur hansi bhi aa rahi thi. Wahi chhoti maa bhi uski in baton ko maje lekar sun rahi thi. Fir bad me un ne sanjida hote huye keerti se kaha.

Chhoti maa boli “ab majak bahut ho gaya. Ye bata tune koi dawai li ya nahi. Yadi pet me jyada taklif ho rahi ho to, chal abhi chal kar dawa le aate hai. Warna teri taklif bad bhi sakti hai.”

Keerti boli “mausi, chinta ki koi baat nahi hai. Maine dawa kha li hai. Subah tak bilkul aaram lag jayega.”

Chhoti maa boli “thik hai, mai tere raat ke khane ke liye kuch halka fulka bana dugi. Yadi tere pas pet ki dawa na ho to, abhi manga kar rakh lena. Taki raat ko pareshani na ho.”

Keerti boli “ok, mai abhi dawa manga leti hu. Magar aap mere khane ki chinta mat karo. Mera sach me kuch bhi khane ka man nahi hai aur ho sakta hai ki, kuch khane se pet ki taklif aur bhi bad jaye.”

Keerti ki baat sunkar chhoti maa ne us par gussa karte huye kaha.

Chhoti maa boli “ae ladki, ab tu apna jyada dimag mat chala. Mujhe pata hai ki, kab kya khana chahiye aur kab kya nahi khana chahiye. Yadi tujhe pet me jyada taklif ho rahi hai to, tu abhi mere sath doctor ke yaha chal. Nahi to jaisa mai kah rahi hu, waisa kar. Ab bol tujhe kya karna hai.”

Chhoti maa ko gussa karte dekh kar, keerti ne bhi unki baat maan lene me hi apni bhalai samjhi. Usne beman se chhoti maa se kaha.

Keerti boli “thik hai mausi. Aap ko jo thik lage, aap khane me bana dijiyega. Lekin mai raat ka khana apne kamre me hi khaugi.”

Chhoti maa boli “thik hai, tu apne kamre me hi khana kha lena. Ab tu apne kamre me jakar aaram kar aur kamal ko phone karke pet ki dawa bhi manga le.”

Keerti boli “ji mausi, mai abhi manga leti hu.”

Iske bad un dono ki aawaj aana band ho gayi. Shayad keerti apne kamre me wapas aa rahi thi. Mujhe chhoti maa ka keerti ko is tarah se datna bahut acha laga tha. Mujhe is baat ki khushi bhi thi ki, chhoti maa ke samne keerti ki ek nahi chali thi aur ab use raat ko khana bhi khana hi padega.

Lekin ye baat abhi bhi meri samajh se bahar thi ki, keerti ki tabiyat sach me kharab hai ya fir wo kisi vajah se tabiyat kharab hone ka natak kar rahi hai. Ab baat chahe jo bhi thi. Magar mere liye janna jaruri ho gayi thi.

Pyar ka rishta hum dono ke bich bhale hi kuch samay pahle bana tha. Lekin is pyar ka beej to humare bich bachpan se hi panap raha tha. Bachpan se hi keerti bahut gusse wali thi aur uska mujhse baat baat par jhagda hota rahta tha.

Mujhe uski ye aadat kabhi bhi samajh me nahi aati thi ki, wo apne har kaam ke liye mera hi naam leti thi aur fir bad me kisi baat par mujhse hi jhagda kar leti thi. kabhi kabhi mujhe uski is harkat par bahut gussa aata aur mai soch leta ki, ab mai dobara uske ghar nahi jauga.

Lekin wo is par bhi mera pichha nahi chhodti thi aur kisi na kisi bahane mere ghar aa jati thi. Fir apni mithi mithi baton se mujhe bahla kar mana hi leti. Shayad mujhse jhagda karna hi uske pyar jatane ka ek andaz tha.

Mujhe ache se yaad hai ki, aaj se 2 saal pahle keerti ke B’day par mai chhoti maa aur ami nimi ke sath gaya hua tha. B’day party me kuch khas mehmano ko hi bulaya gaya tha. Isliye jyada bhid bhad nahi thi.

Keerti pink color ki frock me kisi pari ki tarah lag rahi thi. Wo mujhe apni sabhi saheliyon se milwa rahi thi. Fir bad me usne cake kata aur ami, nimi aur kamal ko cake khilane ke bad, mujhe bhi cake khilaya.

Cake khane ke bad achanak mere pet me dard hone laga aur mai ek kinare aakar khada ho gaya. Party me aaye sabhi log keerti ko gift de rahe the aur mai door khada ye sab najara dekh raha tha.

Mausa ji ne keerti ke B’day gift me use ek video game gift kiya tha. Lekin un ne keerti ke sath sath mujhe bhi ek video game gift kiya tha. Kyoki wo mujhe bahut pyar karte the aur ye unki aadat thi ki, yadi wo keerti ke liye koi naya gift late to, mere liye bhi wo gift lekar aate the.

Keerti ne kabhi bhi is baat ka bura nahi maana tha aur na hi use abhi is baat ka koi bura laga tha. Usne khud mere pas aakar mujhe mausa ji ka diya hua gift lakar diya aur fir mujhse kaha.

Keerti boli “mera B’day gift kaha hai.”

Mai uski is baat ka matlab nahi samajha aur maine us se kaha.

Mai bola “mujhe kya pata. Sab gift to, tu hi rakh rahi hai.”

Meri baat sunkar, keerti khilkhila kar hansne lagi aur uske motiyon ki tarah safed daant chamakne lage. Usne mere sar par pyar se ek thapki maari aur kaha.

Keerti boli “buddhu, mai us gift ki baat kar rahi hu. Jo tu mujhe dene ke liye laya hai.”

Lekin mai koi gift lekar gaya hi nahi tha aur na hi maine iski koi jarurat samjhi thi. Kyoki chhoti maa to keerti ke liye gift lekar gayi hi thi. Isliye maine laparwahi se kaha.

Mai bola “mai kaun sa kamata hu, jo mai koi gift lekar aata.”

Meri is baat se keerti chid gayi aur usne mujh par apna gussa utarte huye kaha.

Keerti boli “to kya mai kamati hu, jo maine tere B’day par tujhe gift diya tha.”

Mai bola “are to isme itna gussa hone ki kya baat hai. Maine to tujhse nahi kaha tha ki, tu mere B’day par mujhe koi gift de. Ab jab mera B’day aaye. Tu bhi mujhe koi gift mat dena. Hisab barabar ho jayega.”

Lekin meri baat sunkar, keerti ki aankhon me aansu aa gaye. Aaj ke din mujhe uska yu aansu bahana acha nahi laga aur maine use manate huye kaha.

Mai bola “ab tu itni si baat par rona mat suru kar, sab mehman dekhege to, kya sochege. Yadi mai tere B’day par tere liye koi gift nahi laya to kya hua. Mere ghar se chhoti maa to tere liye gift lekar aayi hai na.”

Maine to ye baat keerti ko samajhne ke liye boli thi. Lekin na jaane usne meri is baat ka kya matlab nikal liya tha ki, uski aankhe gusse me laal ho gayi aur wo meri taraf ghoor kar dekhne lagi.

Thodi der tak wo meri taraf gusse me ghoor kar dekhti rahi. Uske bad usne gusse me mere hath se mausa ji ka diya hua gift chhina aur wapas mud kar party me jaane lagi.

Lekin abhi wo ek do kadam hi aage badi thi ki, use meri aawaj sunayi di aur usne gusse me palat kar meri taraf dekha. Magar meri taraf dekhte hi uske hath se gift chhut kar niche gir gaya aur usne ghabra kar meri taraf daud laga di.
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 119}
____________________________

Lekin meri baat sunkar, keerti ki aankhon me aansu aa gaye. Aaj ke din mujhe uska yu aansu bahana acha nahi laga aur maine use manate huye kaha.

Mai bola “ab tu itni si baat par rona mat suru kar, sab mehman dekhege to, kya sochege. Yadi mai tere B’day par tere liye koi gift nahi laya to kya hua. Mere ghar se chhoti maa to tere liye gift lekar aayi hai na.”

Maine to ye baat keerti ko samajhne ke liye boli thi. Lekin na jaane usne meri is baat ka kya matlab nikal liya tha ki, uski aankhe gusse me laal ho gayi aur wo meri taraf ghoor kar dekhne lagi.

Thodi der tak wo meri taraf gusse me ghoor kar dekhti rahi. Uske bad usne gusse me mere hath se mausa ji ka diya hua gift chhina aur wapas mud kar party me jaane lagi.

Lekin abhi wo ek do kadam hi aage badi thi ki, use meri aawaj sunayi di aur usne gusse me palat kar meri taraf dekha. Magar meri taraf dekhte hi uske hath se gift chhut kar niche gir gaya aur usne ghabra kar meri taraf daud laga di.

Mai ghutno ke bal, apna pet pakad kar jamin par baitha karah raha tha. Keerti gabrayi huyi mere pas aayi aur mere pas baith kar, meri peeth par hath ferte huye kaha.

Keerti boli “ye tujhe achanak kya hua. Kyat tere pet me dard ho raha hai.”

Lekin us samay dard ki vajah se meri jaan nikli ja rahi thi aur mai keerti ke kisi bhi sawal ka jabab dene ki halat me nahi tha. Maine dard se karahte huye kaha.

Mai bola “ja jaldi se chhoti maa ko bula, warna mai dard se mar jauga.”

Meri aisi halat ko dekh kar keerti aur bhi jyada ghabra gayi aur fir bina der kiye, bhagti huyi chhoti maa ko bulane chali gayi.Thodi hi der me chhoti maa nimi ko god me liye, keerti aur ami ke sath mere pas aayi.

Un ne meri aisi halat dekhi to, fauran nimi ko apni god se niche utara aur mere pas aa gayi. Un ko apne pas dekh kar, mujhe bahut rahat mehsus huyi. Unki samajhdari aur himmat ka loha to sabhi mante the.

Mujhe bhi yahi laga tha ki, chhoti maa aayegi aur mujhe jaldi se hospital le jayegi. Lekin chhoti maa ne aakar jo kiya, uski mujhe un se ummid hi nahi thi. Wo aakar mere pas baith gayi aur mera sar pakad kar apni god me rakh liya.

Shayad chhoti maa ko meri aisi halat hone ka andaza nahi tha. Isliye jab un ne mujhe jamin par pada dard se tadapte dekha to, wo apni sudh budh kho baithi aur unki aankhon se aansuon ki nadiyan bahne lagi.

Mere chehre par chhoti maa ke aansu tapa tap girne lage. Chhoti maa ki aankhon se aansu bahe ja rahe the aur wo baar baar mere mathe ko chum kar mujhse puchhti ja rahi thi. “kya hua mere bachche, tujhe kya hua. Tu aisa kyo pada hai.”

Wo bas roye ja rahi thi aur baar baar mere chehre ko chum kar bas yahi puchhe ja rahi thi. Unki saari samajhdari is wakt na jaane kaha kho gayi thi aur unhe ye bhi hosh nahi raha ki, aisi halat me mujhe hospital le jana chahiye.

Mai ye to achi tarah se janta tha ki, chhoti maa mujhe bahut pyar karti hai. Magar kitna jyada pyar karti hai, ye mujhe aaj mehsus ho raha tha. Meri jara si taklif se unki saari sudh budh aur samajhdari kahi kho si gayi thi.

Unke is pyar ko mehsus karke, ek pal ke liye mai apna saara dard bhool gaya aur meri aankhen bhi aansuon se bhar gayi. Wahi dusri taraf chhoti maa ko rota hua dekh kar, ami nimi aur keerti bhi rone lagi.

Jise sunkar party me aaye log waha jama hone lage aur kuch hi der me mausa ji, mausi, aunty aur rajesh uncle bhi humare pas aa gaye. Mausa ji ko dekhte hi keerti ne unhe ro ro kar saari baat bata di.

Jise sunte hi mausa ji gaadi nikalne jaane lage aur un ne uncle se kaha ki wo mujhe lekar aaye. Mausa ji ki baat sunte hi uncle ne mujhe god me utha liya aur aunty se kaha.

Uncle bole “richa, tum aur anu bachcho ka khayal rakho. Hum log punnu ko lekar hospital jate hai.”

Iske bad mausa ji, uncle aur chhoti maa mujhe hospital lekar aa gaye. Jaha Docter ne meri janch ki aur mujhe ek injection de diya. Jis se mere per ka dard kam ho gaya aur mujhe nind aa gayi.

Raat bhar mai behoshi ki nind sota raha aur subah jab meri nind khuli to chhoti maa mere pas hi baithi thi. Unki aankhon se pata chal raha tha ki, wo saari raat soyi nahi hai.

Mujhe jagte dekh kar unke chehre par muskurahat aa gayi. Lekin apne aapko hospital me hi dekh kar mujhe hairani huyi aur maine chhoti maa se kaha.

Mai bola “chhoti maa, mai abhi tak hospital me kyu hu. Mujhe to bas pet me dard tha aur jab docter ne dawa de di thi to hum ghar wapas kyu nahi gaye.”

Meri baat sunkar chhoti maa ne pyar se mere sar par hath fera aur muskurate huye kaha.

Chhoti maa boli “tu abhi puri tarah thik nahi hua hai. Abhi tujhe kuch din aur hospital me rahna hoga.”

Mai bola “nahi chhoti maa, ab mujhe pet me jara bhi dard nahi hai. Ab mai puri tarah se thik hu.”

Meri baat sunkar chhoti maa ne mujhe samjhate huye kaha.

Chhoti maa boli “nahi, abhi tu puri tarah thik nahi hua hai. Tere pet me dard appendix me sujan ki vajah se utha tha. Uska ek chhota sa operation hona hai. Uske bad tu puri tarah thik ho jayega.”

Operation ka naam sunte hi mere chehre ka rang udh gaya aur dar ke maare meri haalat kharab ho gayi. Mere chehre ka udha hua rang dekh kar chhoti maa ko meri haalat ka andaza ho gaya.

Chhoti maa mujhe samjhane ki koshish karti rahi. Lekin mai operation ke liye mana karta raha. Kuch hi der me mausa ji aur uncle aunty bhi aa gaye. Wo bhi mujhe samjhane ki koshish karte rahe.

Magar mai kisi ki bhi baat manne ko taiyar nahi tha. Bad me chhoti maa ne ami nimi ka wasta dekar kisi tarah mujhe operation ke liye taiyar kar hi liya aur kuch ghanto ke bad mera appendix ka operation ho gaya.

Operation ke samay mausi aur keerti ke alawa sabhi log hospital me the. Fir operation ke bad jab mujhe hosh aaya tab bhi ek ek kar sabhi log mujhse mile. Lekin mausi aur keerti abhi bhi mujhse milne nahi aaye the.

Us samay mujh par dawaiyon ka nasha tha. Isliye mai is baat par jyada gaur nahi kar paya tha. Lekin jab dusre din bhi mausi aur keerti mujhe dekhne nahi aaye. Tab khud-ba-khud mera dhayan is baat par chala gaya
 
Member
1,531
1,642
143
Ko To Rok Lo {Update - 120}
____________________________

Operation ka naam sunte hi mere chehre ka rang udh gaya aur dar ke maare meri haalat kharab ho gayi. Mere chehre ka udha hua rang dekh kar chhoti maa ko meri haalat ka andaza ho gaya.

Chhoti maa mujhe samjhane ki koshish karti rahi. Lekin mai operation ke liye mana karta raha. Kuch hi der me mausa ji aur uncle aunty bhi aa gaye. Wo bhi mujhe samjhane ki koshish karte rahe.

Magar mai kisi ki bhi baat manne ko taiyar nahi tha. Bad me chhoti maa ne ami nimi ka wasta dekar kisi tarah mujhe operation ke liye taiyar kar hi liya aur kuch ghanto ke bad mera appendix ka operation ho gaya.

Operation ke samay mausi aur keerti ke alawa sabhi log hospital me the. Fir operation ke bad jab mujhe hosh aaya tab bhi ek ek kar sabhi log mujhse mile. Lekin mausi aur keerti abhi bhi mujhse milne nahi aaye the.

Us samay mujh par dawaiyon ka nasha tha. Isliye mai is baat par jyada gaur nahi kar paya tha. Lekin jab dusre din bhi mausi aur keerti mujhe dekhne nahi aaye. Tab khud-ba-khud mera dhayan is baat par chala gaya.

Mausi mujhe pasand nahi karti thi. Ye baat kisi se chhupi nahi thi aur mujhe bhi unke dekhne na aane ka koi malal nahi tha. Lekin keerti se mujhe is baat ki jara bhi ummid nahi thi.

Mere aur keerti ke bich jhagra hona koi nayi baat nahi thi. Humare bich hamesha kisi na kisi baat ko lekar jhagra laga hi rahta tha. Lekin is ke bad bhi hum dono ko ek dusre ki parwah rahti thi.

Aaj mera hospital me dusra din tha aur dusre din bhi keerti ka mujhe dekhne na aana. Mujhe andar hi andar chubh raha tha aur jab ye chubhan bahut bad gayi to maine chhoti maa se iske baare me puchhne ka faisla kiya.

Is se pahle ki mai chhoti maa se kuch puch pata, uske pahle hi mausa ji aa gaye. Unhe dekh kar mujhe ek ummid bandhi ki shayad unke sath keerti bhi aayi hogi. Lekin ye dekh kar dil udas ho gaya ki wo akele hi aaye hai.

Un ne mera haal chaal pucha aur fir unki chhoti maa se baten hoti rahi. Thodi der unki baten sunte rahne ke bad maine mausa ji kaha.

Mai bola “mausa ji, keerti kaha hai.? Wo mujhse milne kyo nahi aayi.”

Mausa ji bole “kal uski tabiyat sahi nahi thi. Isliye wo tumse milne nahi aa payi.”

Keerti ki tabiyat kharab hone ki baat sunkar mere chehre ka rang hi udh gaya aur maine keerti ki fikar karte huye mausa ji se kaha.

Mai bola “mausa ji, keerti ko kya hua. Achanak uski tabiyat kaise kharab ho gayi.”

Meri baat sunkar mausa ji ne pyar se mere sar par hath fera aur fir muskurate huye kaha.

Mausa ji bole “tum jara bhi fikar mat karo. Keerti ko kuch nahi hua hai. Bas tumhari tabiyat kharab dekh kar aur operation ki baat sunkar wo ghabra gayi thi. Isliye use bukhar aa gaya tha. Ab wo puri tarah thik hai aur aaj wo tumhse milne jarur aayegi.”

Mausa ji ki baat sunkar mujhe kuch rahat mili. Lekin ab mera dil keerti se milne ke liye aur bhi jyada bechain ho utha tha. Mai badi besbri se dopehar ka intejar karne laga.

Dopehar ka intejar karte karte 12 baje ke bad, pata hi nahi chala kab meri nind lag gayi. Fir meri nind dopehar ko 2 baje ke bad khuli. Jab meri nind khuli to pink color ke mini skirt top me keerti mere pas baithi, bade gaur se mujhe hi dekh rahi thi.

Mujhe jagte dekh kar, uske chehre par chamak aa gayi aur uske motiyon ki tarah safed daant chamak uthe. Wo us samay bahut sundar lag rahi thi. Use apne pas pakar mere chehre par bhi muskurahat aa gayi aur maine muskurate huye us se kaha.

Mai bola “tu kab aayi. Mujhe jagaya kyu nahi.”

Keerti boli “mai to bahut der ki aayi hu. Tu hi kumbh karan ki tarah soya hua tha. Fir tujhe kaise jagati.”

Keerti ki is baat ko sunkar maine bhi majak me use chhedte huye kaha.

Mai bola “badi aayi kumbh karan ki nani. Yaha mai dard se mara ja raha tha aur tu hai ki, bimari ka bahana bana kar ghar me aaram kar rahi thi.”

Lekin keerti mere majak ko samajh nahi payi aur usne meri baat ko gambhirta se le liya. Uski muskurahat uske chehre se gayab ho gayi aur uski jagah uski aankhon me aansuon ne li. Usne rote huye kaha.

Keerti boli “haan, tujhe to sirf ami nimi hi pyar karti hai. Mai kon sa tujhe pyar karti hu. Jo mujhe teri bimari se koi farak padega. Tu dekhne aaya tha na ki, tere jaane ke bad mai bimari ka bahana bana kar ke kitni aaram se thi.”

Keerti ke achanak se badle is roop ne thodi der ke liye meri bolti band kar di. Lekin agle hi pal maine keerti ko apni baat ki safai dete huye kaha.

Mai bola “are tu rone kyu lagi. Mai to sirf majak kar raha tha. Mai janta hu ki, teri tabiyat sach me kharab thi. Subah mausa ji ne mujhe sab kuch bata diya tha.”

Magar mere is safai dene ka bhi keerti par koi asar nahi pada. Usne apne man ka gubar nikalte huye kaha.

Keerti boli “tujhe kuch nahi malum. Tujhe kya malum hai ki, teri kharab tabiyat ko dekh kar, mai saari raat kitna royi hu. Kya tujhe malum hai ki, tere operation ki baat sunkar hi mujhe bukhar aa gaya tha. Mai to sab se kitna bol rahi thi ki, mujhe ek baar tere pas le jaye. Lekin koi mujhe yaha lane ko taiyar hi nahi tha. To mai tujhe dekhne kaise aati.”

Itna bol kar keerti sar jhuka kar, nam aankhon se sur surane lagi. Maine anjane me hi sahi magar uske dil ko thes pahucha di thi. Ab mujhe apni is galti ka pachhtawa ho raha tha. Isliye maine use manane ke liye apne dono kaan pakad kar us se kaha.

Mai bola “sorry meri maa, mujhse galti ho gayi. Ye dekh mai tere samne dono kaan pakad kar, tujhe sorry bol raha hu.”

Meri baat sunkar keerti ne ek pal ke liye najar utha kar mujhe dekha aur fir se najar niche kar li. Mai janta tha ki ab wo itni aasani se nahi manegi, isliye use manane ke liye mai uth kar baithne ki koshish karne laga.

Lekin mujhe uthne ki koshish karte dekh kar, keerti fauran uth kar mere pas aa gayi aur mujhe wapas litate huya kaha.

Keerti boli “ye kya kar rahe ho. Jab tujhe uthne me takleef hai to uth kar kyo baith raha hai.”

Mai bola “tujhe manane ke liye. Tu mujhse naraj jo hai.”

Keerti boli “mai koi naraj varaj nahi hu. Tu aaram se leta rah. Tujhe uthne ki koi jarurat nahi.”

Mai bola “tu sach me naraj nahi hai na.”

Keerti boli “haan, mai sach me naraj nahi hu.”

Iske bad meri keerti se baten hoti rahi aur uska mood thik ho gaya. Us din pahli baar mujhe aehsas hua tha ki, bhale hi keerti mujhse kitna bhi jhagra karti ho. Magar uske liye meri bahut aehmiyat hai.

Mai abhi apne atit ki yadon me khoya hua tha ki, tabhi mere kaano me darwaja bhadak se band karne ki aawaj sunayi di aur mai apne atit se bahar nikal aaya. Shayad keerti apne kamre me wapas aa gayi thi.
 

Top