btw ek writer chaahe incest likhe ya romantic likhe ya phir fantasy ya thriller story likhe . mehnat to har story pe lagti hai,.... dusri baat plot ko leke kaafi kuch sochna padta hai writers ko.. in fact waqt bhi bahot lag jaata in sab mein..
ab itni mehnat, waqt aur dimag lagane ke baad ek ek update taiyar hota hai.. aur aise mein update mein ho rahi activities ko leke readers sameeksha na kare review ke jariye (kya thik tha kya bura tha, kounsa bhaag achha laga, anuman lagana etc) to ye sarasar nainsaafi hogi writers ke sath...
Main sach kahun to kisi bhi story ke har update par review dena hi nhi chahta. Ek update se story ka maap dand tay nahi kiya ja sakta. Bhale hi wo kitna bhi badhiya likha gaya ho.
Elements of story -
कथा वस्तु , किरदारों का चरित्र , वातावरण ( भौतिक और आत्मिक ) , संवाद , भाषा शैली और उद्देश्य ।
Ye important factors hote hain.
Koi story diologs base par jyada likhi jati hai to koi story - Jaise ham baccho ko kisi Raja Rani ki kisse sunate hai , us tarah se.
Matlab jaise ham Cow ya Science par lekh likhte the..us tarah ke..jo sabse jyada kisi bhi forum pe likha ja raha hai.
Lekin dono type ke story ko aap ek hi taraju par taul nahi sakte.
Dono type ke story ka impotence alag alag hai.
Aur tab jakar kisi story ka review parfect tarike se diya ja sakta hai.